॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

naam jap ka prabhav: paap se mukti, praarabdh ka ant aur sukh ki prapti ! // 24/03/2026

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

Vrindavaneswari tvai padarvindm prema makrand raso purnam hadya pitam madhupte smarta mugram nirvai param shital mashyam param shital maya pyari ab soi gayi jyon jyon jagavat tyun tyun nahi jagat prem ras pan kari bhoi gayi shyama prem ras pan kari bhoi gayi pyari ab soi gayi jagat ho to jagaun pyari tatim param sachu ras hi rasik ras boi gayi ladli ras hi rasik ras boi gayi pyari ab soi gayi shri haridas ki Swami shyama uth ke gare lagai naval prit so gayi karunami uth ke gare lagai naval prit sono gayi pyari ab so gayi upasak aradhya dev ki sharanagati par dridh vishwas rakhen.

yah marg shraddha aur vishwas ka hai. Jiska hriday kamadi dosho se yukt hokar kriyavan rahta hai, wah malin hriday hota hai. Malin hriday mein bhagwat shraddha aur vishwas tikau nahi hoti. Agar satsang mila to shraddha aur vishwas jagrit bhi hote hain, badhte bhi hain aur agar dhyan se manan kiya jae to tikte bhi hain. Agar keval satsang sun liya aur dhyan nahi diya, manan nahi kiya, aacharan mein nahi utara to shraddha upjegi aur shant ho jaegi. 10 20 din mahina do mahina sataarg mein chalenge phir gir jaenge yah pakka kyonki kusang ka prabhav bahut janmon se raha hai to satsang se shraddha upji aur jahan kusang hua wo shant ho jati hai.

bina shraddha aur vishwas ke bhagwat marg mein chala hi nahi jaata. Kuch bhi anubhav nahi hota. Yahi shraddha aur vishwas anubhav karate hain. Yabhyam bina pashyti siddhantashwaram bina shraddha vishwas ke jo siddh purush apne hriday mein anubhav karte hain wah anubhav nahi kar sakte. Yah shraddha aur vishwas ek bahut badi sampatti hai. Pavitra hriday mein yah prakt hoti hai. Yah prakt hokar hriday ko purn pavitra kar deti hai. Aur isi vishwas se bhagwat prapti ho jati hai. Bin vishwas bhagat nahi te bin dravah na Ram Ram kripa binu sapanhu jeev lah vishram yah vishwas hamara pratiphal badhta rahe maya ka karya hai vishwas ka nash kar dena itne din ho gaye bhagwan ka naam jap karte hue aradhna karte hue kya kam bana koi kam to nahi bana aur vipatti yaan aa gayi aur pareshani aa gayi.

khatm shraddha vishwas. Jabki bahut sundar karya yah hua ki aapke hriday ke malin vichar bahar nikal kar nasht ho gaye. Par aapne unko bahar nikalna na dekhkar ke unhen antar mein ana man liya ki jab se naam jap kiya tab se antar mein badi malinta aa gayi. Naam jap karne wale ko jo dukh vipatti milti hai wah bahut bada praarabdh bahut chhote mein kata diya jaata hai. Naam jap upasak ko jo sampatti milti hai wo uske bhajan ka phal nahi hota. Bhajan ka phal to sidhe bhagwan ki prapti hai. Yah bhajan karne ka bhav jo hua usse sab prapt ho jaata hai.

bhajan to purn surakshit rahta hai. Uske liye jo hamne praytn kiya kasht saha usse lok parlok ke sare sukh siddhiya uske charnon mein lautne lagti hain. Aur naam surakshit rahta hai. Wah bhagwan ko adhin karke hriday mein prakashit karta hai. Isliye sharanagat upasak se prarthna hai aap apne vishwas ko na khoiega. Chahe jaisi paristhiti ho chahe jaisa man ka bhav ho, aap apne vishwas ko dridh rakenge to yah aapko bhagwat prapti kara dega. Yah aapki samasth kamnao ko purn kar dega. Intazar kijiye. Samay ka intazar kijiye.

yadi vipatti ai hai to yah paap karm ka phal bhugtane ke liye vidhan aaya hai. Isko dhairya purvak naam jap karte hue sah jao. Age bahut prakash hai. Bahut mangal hai. Bahut sukh hai. Yah vishwas kijiye. Aisi aisi maya antar mein vrittiya paida kar deti hai. Bahar se ghatna paida kar deti hai ki upasak har jaata hai. Pareshaan ho jaata hai. Aap kya karen? To ek hi upay hai. Bas sansaar mein chale jae. Wah sukh ka sadhan sansaar samjhta hai. Yah samjh jab tak rahegi tab tak hamare girne ke chans hain. Dhanya hai wah upasak jisne nirnay kar liya hai.

anand mile na mile, sukh mile na mile, gati bane na bane. Mere jeevan ka uddeshya ab satya par chalna aur nirantar naam jap karna hai. Dhanya ho gaya. Wahi param sadhu ho jaega. Wahi param mangalmay bhagwan ko rijhane wala maha bhagwat ban jaega. Jiski ye niyam nishtha hai. Vishwas kijiye bina is niyam nishtha ke aap age nahi badh sakte. Agar aapke man mein hai ki aisa koi marg mile jisse hamen kabhi bukhar na ave, jukham na ho, koi rog na ho, koi tiraskaar apman na ho, koi vipatti na ho. To aap vichar kijiye bhagwan jab yahan avatar lekar leela karte hain to unke bhi jeevan mein dekha gaya.

badi vipattiyan, bade vighna, bade-bade mahan asur unke virodh mein sangharshamay jeevan aap to karmon ka phal bhog rahe hain. Bhagwan to karmon ko adhin karke jeev ko mukt karne wale hain. Samasth papon ka nash karke nishpap karne wale hain. Un bhagwan ke kaun se karm hain? Bhagwan ke dwara kaun sa karm bana ki aisi vipattiyan, aisa dukh, aisi paristhitiyan aap to bahut chhota bhajan ka swaroop jante hain jo purv mein Devki vasudev ji ne bhajan kiya. Aisa kaun Bhajnandi hoga ki sarvlok maheshvar sabka pita putr bankar ke aa gaya.

kya bhajan kiya nand Yashoda ji ne? Maharaj dashrath kaushilya ji ne vichar karke dekho yah bhi maha bhagwat hai jinke ghar mein bhagwan ghutnan ke bal chalte hain. Ham aise bhakt hain jara si anukulta mein badha padi chhod diya prabhu ko nahi aisi bhakti mein safalta hath nahi lagti. Kisi bhi karya mein dridh sankalpavan hi us karya ki safalta ko prapt karta hai. Chahe 100 bar hamse karya bigad jae hamen harna nahi hai. Ek din to ham us karya ko safalta purvak kar hi payenge. Jiska aisa swabhav hai jiddi swabhav wahi safalta prapt karta hai.

jo chij ham nahi kar pa rahe use karenge. Bhajan ka abhyaas, jitendrita ka abhyaas, manonigrah ka abhyaas dekhte hain kab tak man hamko parast karta hai. Kab tak vishay bhog hamen gulam banae hue hain. Ek din ham naam ke prabhav se inko apna gulam banayenge. Pakka. Par aapka bahut dridh swabhav. Hazaron bar harne par bhi hamen nahi harna. Tab bhagwat prapti ka marg uske hriday mein prakashit kar dete hain. Bhagwan uska prayas dekhkar, purusharth dekhkar, praytn dekhkar, vikalta dekhkar wo divya marg jisse bhagwat sakshatkar hota hai.

isliye kabhi nirash nahi hona, udas nahi hona. Kabhi is marg mein harna nahi. Harte hue bhi hamari hi jit hogi. Kyonki hamare saath prabhu hain. Vishwas kijiye yah bahut balvati maya hai. Isko keval hari jeetate hain. Anytha koi tapasvi koi sadhak koi siddh maya par vijay prapt nahi kar sakta. Mame prapadte maya menta tarte shripad prabuddhand ji maharaj kah rahe hain yah dekho sharanagati hai Priya pritam ki Priya pritam ke dham ki na ham ve katham namadho padam bhojway dhyati kava shri sukhna Narda kalite margastha mein yogyta tasmat bhadram bhadramev yadina mastam mam param Radha ke nikunj manjultar Vrindavan jeevanam Radha Radha ke nikunj manjul tar Vrindavan jeevanam Vrindavan jeevanam main bhagwan lakshmeepti chaturbhuj narayan maha vaibhav aishwarya sampann main kabhi nahi chahunga ki mere dhyan mein ave.

yah sharanagati hai prem ki. Jo jahan upasna mein apne aradhya dev ke prati aisa hi anannya rahe. Yah Vrindavan ke dwibhaj Murli manohar lalit tribhangi leela Purushottam prem vitran karne ke liye jo prakt hue ye unki ananyata hai ya nau nivatt nikunj mein jo sada bihari bihari jo vihar karte rahte hain yah unki ananyata hai na ved mein katham Madhav pda bhoj dhati main kabhi dhyan paddhti ko bhi sweekar aisi nahi karta jinme bhagwan ka aisa aishwarya rup hamare dhyan mein ave. Priyata dhyan rakhna tatv bodh in mahapurushon ko to bahut pehle hi ho gaya hai.

yah prem ki priyata hai. Aisi upasak ke hriday mein honi chahiye. Nahi ruchta kuch nahi ruchta jahan Gurudev ne priti sthaapit kar di uske siva kuch nahi ruchta netron ki ban par gayi hai aadat par gayi hai nikas kunj thade bhae bhuja paraspat ansh shri Radha vallabh mukh kamal nirakh nain Harivansh galbiya diye hue lalit ladli lal jinke netron ke vyasan ho gaye hain unko aur kuch accha nahi lagta. Shripad ki dekho paripakwata kah rahe hain lakshmi prati maha aishwarya sampann bhagwan ka bhi main dhyan mein bhi darshan nahi pana chahta.

dhanya hai. Aur age ki baat is samjh mein nahi aayegi. Bina Vrindavan ke premion ki bhagwat rasik rasik ki baten rasik bina ko samjh sake na age wali baat to bahut vichitra kah rahe hain kava shri sukh nardad kalite margastha mein yogyta yadyapi meri yogyta hai kya jis marg ke anugami shri Sukhdev dev ji maharaj hain. Narad ji hain. Pata hai us marg ko main janta hoon. Yogyta hai us marg ki aisa nahi. Jaise aap dharmaacharan hi nahi karte aur kah rahe hain sarv dharman parityaj mamkam sharanam braj.

sab dharmon ka tyag kar do. Meri sharan mein aa jao. To aapko laga bahut badhiya rasta hai. Nahi pehle adharm ka tyag karke dharmatma ho. Dharm se chalo. Phir us dharm ka bhi bhagwat dharm par nyaas kar do. Bhagwat dharm ke liye uska tyag kar do. Phir bhagwat dharm ko prem dharm mein samarpit kar do. Yah hai jaise bole vedan pas vedon ka tyag kar de. Tum to pehle hi tyag kiye hue ho. Kab vedant kab ved ke anusaar siddhant ke anusaar chale ho? Ye unke liye kaha ja raha hai jo sthiti mein pahunch rahe hain.

to kah rahe hain mujhe shri Sukhdev narad ji aadi bade-bade mahapurushon ke jo marg hain main yogyta mujhe pata hai aisa nahi ki main janta nahi hoon lekin ishwar gyan mishrit mujhe aisi bhakti nahi chahiye. Bada vichitra sthiti ka swaroop hai. Tasmat bhadra mabhadra mein yadna mastam mam param ab bhala kaho ya bura bhala ho ya bura mera vichar ye maine tum socho tumhari sthiti kahan hai to bole shri Radha ke nikunj manjul tar Vrindavan jeevanam shri Vrindavan mein virajman shri Radha ke nikunj mera jeevan hai.

shripad kah Radha ke nikunj manjul tar Vrindavan jeevanam mera param jeevan dhan Vrindavan jismen shri Radha ke nikunj hai jismen vivid kunj nikunje hain unmein vihar karne wale Priya pritam Vrindavan Radha keli kunj vivid nikunj yah mera jeevan hai. Mahaprabhu Harivansh chandra ji ka sanidhy prapt hua shripad Prabodhanand ji ko. Bahut si baten jo badi gupt hain. Unmein kahin kisi bhi tarah ki vihaar ka vrityio ka pravesh nahi hai. Bina rasik shiromani ki kripa ke aisa ras aata hi nahi hai. Mahaprabhu jo kah rahe hain shloko ka shabdon ka thoda sa parivartan bhav hai.

alam vishay vaya narak koti vibhya vritha katha bam kaivalta paresh bhajan mda yadi sukhad kim tat kah vishay varta to band karo ye to koti narko se bhi bhayav hai ghrinaspad hai vibhwatsa hai aur ye mukti moksh kaivalya pad ye bhi bhayav hai mujhe nahi chahiye mujhe priyaju ki seva chahiye tarang rang samudra mein leen ho jae. Mujhe aisa nahi chahiye. Main unki pratiphal seva mein rahun. Aur shri Sukhdev aadi mahapurush bhagwan shankar aadi jahan mujhe namaskaar hai par mujhe wo bhi nahi chahiye. Parantu mam Radhika padse mano majtu meri sthiti gore charnarvind ki seva ras mein doob rahi hai majan kar rahe hain ye dharma chatushta vijayta kim tatha vartaya sakashwar bhakti yog padvi taropita murdhani dharm arth kam moksh inki bekar ki varta hamare samne mat karo aur jo bade-bade ishwar ke bhajan mein unko main hath jodkar mathe se laga ke namaskaar karta hoon.

meri jo sthiti hai yo Vrindavan ghana kishori mankar rasad parmit rochte mahaprabhu hariv chandra ji jo Vrindavan ki sima mein virajman nav kishori jo hai nav kishor jo hai inhi ki seva paricharyaa hi mera jeevan hai. Isi mein mera man mujhe aur kuch nahi. Ye param prem ras ki baat hai. Radha ke nikunj manjul tar Vrindavan jeevanam mera jeevan hai. Vrindavan mein virajman Radha ke nikunj nikunj mein jo vihar karne wale Priya pritam hai. Yat seemanapsen nigmo durat param lakshate aha main jis prem ras ki baat kar raha hoon ved uska sparsh bhi nahi kar sakte kyonki neti neti kah ke varnan karte hain na itna hi nahi age badho age badho yah Vrindavan ki raj ka sevan karne wale hi samjh sakte hain.

yat seemanapse nigmo durat param lakshate Harivansh mahaprabhu kahte hain alaksham Radha nikhil nigam rapti tarah rasam bho saram kimap sukumaram vijayate koi sukumar tatv aisa vijay ko prapt ho raha hai jiska prichay ved puran sab nahi jante tabhi log kahte hain shastron mein varnan aap shastr ke do vibhag hain. Ek bhagwan ki bhagwatta aur aishwarya ka varnan wo sarvjanik hai. Sab koi padh sakta hai. Sab koi avgahan kar sakta hai. Sampraday naudha bhagti ved surasri nir Lalita sakhi upasna hai singhin ko chher hai singhin ko chher raha hai kundan ke vasan kah bachchha ke pet aur ghat kare vinashan sampraday Vaishno dharm bhagwan shri hari ki pradhanata se jahan upasna hoti bhagwat rishik ji ki vani navdha bhagti ved siddhant ye surasri nir ganga ki dhara hai.

aap gota laga sakte ho lekin Vrindavan ka nitya vihar prem ras iska varnan iska siddhant iski prapti ved sanasta sa kevalam avchin anuragam labhte ved ka yahan siddhant ved rasikan ki vani jo rasik mahapurush jan hai unko vedant ka bhi gyan hota hai lekin jinko vedant ka gyan hota hai wo rasik mahapurushon ki sthiti ka gyan unko nahi hai. Yah baat samjhna hai. Gita ji mein bhagwan kahte hain main anannya bhakti ke dwara sampurn jana ja sakta hoon aur kisi sadhan ke dwara nahi. Yah anannya bhakti ki charm sima ka sthan shri dham Vrindavan hai.

y seeman spasen na nigmo durat param lakshate ved bhi jiski sima ka sparsh nahi karte Harivansh mahaprabhu kah rahe hain jo ras neti neti shruti bhyo tako te adhar sudhar ras chakhyo jah biranch umapti naye tap te ban phool binae ladli jise bhagwan shankar brahma aadi charan rakhne ki chauki ko namaskaar karte hain. Un prabhu se aap phool binwate hain. Jis ras ko ved net net kahta hai wo aapke adhramrit ki asha rakhta hai. Ladli ka adhramrit lal jo ka sanjivni mori hai. Jaise hit Harivansh Madan sir jarjar vithit Shyam sajeevan mori kaise bina rasikon ke sang ke kaun is prem rahasya ko jane to granth bhi do ek bhagwan ke aishwarya mahima nirakaar sakar vedant sab aur ek vishuddh prem ujjwal prem maha prem iska varnan rasik mahapurushon ne kiya ras siddh rasikon ne isliye ved rasikan ki vani agar prem siddhant ko samjhna hai to rasikon ki vani aishwarya bhagwat nirakaar sakar to ved praman hai kinchit gadh daya dev parmanandotsav kavdhi yan madhury kano ved shiv swaay bhavam tad Vrindavan naam dham rasdam vandam Radha pate jinka ved bhi prichay nahi jante jis prem vilas ka ved bhi prichay nahi jante do baten jinka ved bhi prichay nahi jante jise neti neti kahte hain.

jis vilas ka prichay ved nahi jante keval ishara karte hain ki wo paramatma ras swaroop hai. Use prapt karke maha anand mein nimgn hoya ja sakta hai. Shripad kah rahe hain wo parmanand ki charm sima ka rahasya is Vrindavan ke sevan se prakashit hota hai. Jo maharas hai uska ek kan ye sabki samjh mein nahi aayega. Bade-bade mahapurushon ke yogendron munidron ke guruon ko bhi durlabh hai. Shiv sanakaad aise shabdon ka prayog kar rahe hain. Hamari shri ji ke charnon ka dular kar pana nahi ho paya hai. Raas mein pravesh bhagwan shankar braj leela ke maharas mein ek ratri mein gopi bankar pravesh kiye.

par ladli ji ke kabhi seva shringar ki charcha kahin aapko mile to hamen batana ki bhagwan shiv shri ladli ji ke charnon mein mahawar laga rahe the aur kesh paas sudhar kar veni gath pravesh nahi hai is seva ke liye y Narda su agamyam badi karunamay ladli hai. Vrindavan ki pavan yamuna pulin ki renuka charnon mein lag gayi. Ladli ju ke lal ju ne dekha to ladli ju ko yamuna ji ke samip phi yamuna jal barkar anjuli mein laye aur charnon mein dalne ko to rok diya ladli ji ne lal ji ne kaha ye yamuna ki pulin ki renuka lag gayi kahin aapke charnon mein chubhe na to unhone kaha pyare jo mere charnon ka aashray le lete hain.

main unhen dur nahi karti. Nahi nahi is raj ko lagi rahne do. Nahi jo mere charnon ka aashray le le. Main unhen dur nahi karti. Kitna mahan samarthyshali yah brahm hai. Iske ved neti niti gate hain. Kitni apaar bhagwat hai ki bhagwan ke swaroop shankar brahma aadi unko naman stavan karte hain. Wo prabhu kya samarth mahima hamari swamini jo ki hai ki charan seva ki yachna karte hain. Kaise yah ved jananenge ya bahar ke log jananenge? Nahi jananenge. Keval shri sukacharya ishare mein varnan karte hain anaram bhagwan hari ishwar ishvaro ke ishwar bhagwan shri Krishna jinki aradhna karte hain ye wo priy sakhi hogi jisko lekar ke gaye hain prabhu anradhit bhagwan hari reech ye nahi kaha ki Radha kishori ko ishvaro ke ishwar bhagwan shri Krishna jinki aradhna na karte unka naam Radha hai to ishare se kaha an aradhitam bhagwan harishwara jo bade-bade mahapurush jan yachna karte hain wah hamko prapt ho gaya shripad kah rahe hain tarste hain shabd hai ye bade-bade mahapurush tarste hain hamari ladli jo ki paricharyaa ke liye par kabhi narad ji ke rup mein Veena lekar nikunj mein pravesh hue.

aisa kahin vani ji mein varnan nahi. Kyon? Kyonki na dev na brahmad na khal hari bhakt na shada inka bhi pravesh nahi. Jab kah de ki in bade bado ka pravesh nahi to hamara kya pravesh ho jaega? Nahi. Ye pakki matki hai. Inko koi rup nahi diya ja sakta badal ka. Lekin apne log bilkul kacchi mitke hain. Ise phod karke kuch bhi banaya ja sakta hai. Apne logon ko na brahm bodh hai aur na us param satya ka sakshatkar hai. Kitna bhi ho jaise shri Sukhdev ji varnan karte hain. Jab pyare ju pyari ju ki beni guthan karte hain to Sukhdev ji us samay jo varnan karte hain wo chubhta hai premi janon ke hriday mein parikshit ye wo bhagwan hai jinki bhagwan shankar shanad aradhna karte hain aur bhagwan unka shasan karte hain.

age ke jo shabd hai wo chubhte hain. Usi ka jab varnan dhruvdas ji karte hain, hariram vyas ji karte hain, harivyas devacharya ji karte hain, Swami haridas ji karte hain to hriday mein uman ho jati hai. Kyon? Sukhdev ji ki drishti mein unke mahashwarya ka pata hai ki hai kaun? To kya Swami ji ki drishti mein hitaj ki drishti mein nahi pata hai kya? Nahi pata hai lekin pravesh hi nahi aishwarya ka. Pata hai jai Harivansh karat apno jas pragat akhil brahmandan akhil brahmanddhipti hai ye Harivansh mahaprabhu kahte hain Swami ji maharaj ji tu jas koti brahmand viraje shri Radhe brahmand pati bol rahe hain tu jas koti brahmand viraje Radhe sabko pata hai ye nahi bhakt ko ya premi ko rasik ko pata nahi ki pritam kaun hai nahi bahut achhche se pata hai lekin pritam ke prem mein pritam ka aishwarya vismaran hokar tab dular ho raha hai aur in mahapurushon ko kabhi aishwarya vismaran hi nahi ho sakta.

siddh mahapurush paripakva mahapurush aur yah prem ke siddh jahan aishwarya ka pravesh hi nahi ho sakta hai. Kinchit gadhatya yadev parmanand sav kavdhi yan madhury kanoved na shiv swayambhad swayambhu brahma aur swayambhu sanakaad bhi ye kisi mata-pita se prakt nahi hue swayambhu shiv sanakaad brahma aadi jis maha prem ras ka ek kan bhi yahi Shrimadd Radha sudani ji pyaro dhoom kshamte sukad naam dhyan ya sambhavya narad shiv swayam bhaya tabhi to garv karke yahan raha gaya oo meri maharani ne mujhe kitna bada saubhagya diya ki ham garv se kah sakte hain hamare mai shyama jiu ko raj abhi samjhe nahi ki shyama ji kaun hai?

ek kleem shabd ka ucharan kiya to sampurn braj gopiyon ke chitt ka aphrn kar liya. Prem bij us prem samudra ka sar rup ladli jo lal jo adhin hokar dolte hain. Tad Vrindavan dham naam rasdam vandam Radha pate main usi Vrindavan ki upasna karta hoon jiske kan ki ashaen bade-bade mahapurush karte hain. Radha pati Priya pritam ne mujhe us ras ka dan kar diya hai. Yah baten gupt rakhi jati hai. Lekin kyon kah rahe hain? Hamare vishwas ke liye kah rahe hain. Phal de diya hai. Aisa likh sakte the. Lekin kaha ras dan kar diya hai.

dan bhikshuk ko milta hai. Yahan ham adhikari nahi hain. Ki hamari sadhna ka phal mila ki shyama Shyam ke charnarvind ka maha madhury prem ras. To inse bada kaun sa hoga? Ye to siddh hai. 888 hazar varsh ki samadhi lagti hai jismen ham saikadon bar janm le aur mar jae to unki ek samadhi ke barabar hamara jeevan nahi hoga. Hamare paas kuch nahi hai. Hamko kripa se ghaseeta gaya. Ab hamare paas keval unki daya kripa karuna hi hai ki hamara nistar kar sakti hai. To aise data hai ki hamen shyama Shyam apne aap ko de diye.

ati udaar vibhi sundar surat sur sukumar ye sukumar tat yugal sarkar mahadani hai. Ye apna dan karne ke liye apni kripa ka avatar karate hain. Shyama Shyam ki kripa ka avatar kaun hai? Acharya kripa rup jo vap dhar tabhi kaha gaya mahima teri kaha kahun shri Harivansh dayal tere dwrae batat hai sahaj ladli lal sahaj shabd dekh lijiye bas pankti mein bane rahie aapko yah chinta nahi karni ki aapke andar kya vikar chal raha hai aapka bhajan kitna chal raha hai aap kis koti ke sadhak hai yahan iska koi ganna nahi yahan ganna hai pankti mein khade raho bas idhar udhar nahi dolna.

agal-bagal se pankti lagi hui hai. Wah aapko bulaenge. Bahut samay ho gaya. Khade rahte kuch mila. Bole nahi abhi to khade hain. Bole aa jao hamari pankti mein dekho kya bat raha hai. Anand lijiye to aisa na galti karen. Yah jo sharanagati Priya pritam ki mili. Bas isi pankti mein bane rahna. To mahima teri kaha kaho shri Harivansh dayal tere dwrae batat hai sahaj ladli lal. Isi pankti se bade-bade ras siddh mahapurush ho gaye hain. Isi pankti mein aap bhi ja rahe hain aur pankti ka ek prabhav hota hai ki chalna nahi parta.

dhakke se age pahuncha diya jaata hai. Jab jordar pankti lagi ho aap bilkul set ho jao us pankti mein to piche se rela aayega aap age pahunch jaenge. Jaise barsane ladli ji ke darshan karne jae na to dekha na dhakka lag karke ekdam samne pahunch gaye aur ladli ji ke darshan bas apne ko pankti mein khada kar do hamari samarth nahi is pankti mein khada hone ki agar apne ko pucha jae ki tumhen kya chahiye us pankti mein khada karen to bahut ghatiya maang hogi itne rupya de do itna makan de do dulhan de do ye de do wo de agar ham pucha jae hriday se sabke ye khul ke batao tumhen kya chahiye to wo jab bolegaa na to hosh ud jaenge ham logon se manga jae ki aap apna pran apna jeevan apna sarvasv prabhu ke liye nyochhar kar do nahi karoge aur kam bhav ke liye aap ek minute mein tayyar ho jaenge pran dene ke liye pakka samjh ek minute mein aise amulya prannon ko dene ke liye tayyar ho jaenge.

kaise? Jante ho ki agar is baat ka parinaam aaya to aapko aajeevan kaid ya phansi mil sakti hai. Lekin aap us baat ko na samjhkar aap kud padte hain. To hamse pucha jae hriday ki baat to sansaar priy hai prabhu nahi. Par pata nahi ladli ki kripa dhakka lagte lagte line mein lag gaye. Phir pata chala ye line kis kya batta hai ismen bole Priya pritam batte hain ismen ham to na Priya pritam chahte the na ye pankti jante the pata nahi kaise dhakka lagte hue bhid mein aisi pankti mein lag gaye jahan Priya pritam bat rahe hain mahima teri kaha kaho haan acharya charan baithe hain aur pradan karte ja rahe shyama Shyam ki rati shyama Shyam ki rati shyama Shyam pradan karte ja rahe bole bole mujhe Radha pati ne ras ka dan kar diya hai.

ab mujhe kuch nahi chahiye. Kadanu Vrindavan kunj mandle bhraman bhramam he hari man prabham sansmrit sansmrit tadbhutam priyamm dwayam vismriti mein tum khilam aa aisa kab hoga ki Vrindavan ki kunj kunj mein leela chintan dolu neel hem mani yugal naam sumiran teh ko ghun aisa kab hoga kadan Vrindavan kunj mandle bhraman bhraman hem harin man prabham mere netron mein shri shyama ji aur lal kalju ki chavi chaai aur pad gungunate hue Vrindavan ki galiyon mein dol rahe. Yahan chalna hi parikrama aur bhajan hai. Dhyan rakhna pakki baat man lijiye hamari vishwas karna.

yadi sampurn sharanagat ho to tumhen alag se bhajan karne ki zaroorat nahi. Pura bhajan aapka ho raha hai. Aapka chalna parikrama ho raha hai. Aapka sona samadhi mana jaega. Dham mein ho ya bhagwat ashrit kahin bhi ho purn sharanagati ki baat kar raha hoon. Aapka har baat bolna yash gana hoga bhagwan ka aur aapki ek ek shas bhajan mana jaega. Aapka bhojan pana bhi bhog lagana purn yagya mana jaega. Nidra samadhi sthiti ek ek kadam ek ek kshan ab bhajan karna nahi par raha swabhavic hota hai sharanagati ka aisa kab hoga bhramn bhramn hamare pair chal rahe hain par mujhe pata nahi kyon gaur Shyam jori hamare hriday manas patal par chaai hui hai aur ham gunguna rahe hain kya amrit hai in pado mein baad mein jaan paoge abhi vish faila hai jaban mein vishay bhogon ka in nana prakaar ke padartho ka isliye pado ka swad nahi aa raha nahi to doob jaoge doob jaoge sukh mein doob jaoge dekh sakhi Radha priy keli

dekh dekh sakhi sakhi dekh dekh Priya pritam ka kaisa sundar rup hai dekho tu kaise van vihar kar dekh sakhi Radha priy keli ye do khori khirak gir gahwar bihrat kunwar kanth bhuj meli ye do naval kishor rup nidhi bitap tamal kanak mano beli adhar adan chumban paribhan tan pulkit anand ras chheli iski dekh aaj dekh braj sundari mohan bani keli hans hans bahu uday kishor jor rup raas mano tamal arujh rahi saras kanak bel dekh sakhi nav nikunj bhramar gunj manj Gosh prem punj gaan karat mor pikan apne sur so man mudit ang ang beech beech surat rang to pal pal Harivansh piwat nain chasak ye ga to gaye do minute mein lekin jab shobha utregi to kitne ghante shithil hriday bana rahega.

maha prem ras kab aisa hoga ki Vrindavan mein in pado ko gungunate hue leela ka chintan karte hue rup madhuri ka pan karte hue ghumunga. Sansrit sansrit tadbhatam priy dwayam mere param pran priy dwasi naval kishori naval kishor ji ki smriti mein rehunnga. Vismriti mein to melam aur sab bhul jaaunga keval smriti mein mere Priya pritam rahenge. Naam yadi hamare mukh mein naam chal raha hai to yah sthiti durlabh nahi hai. Naam ki apaar mahima hai. Nam durita krayte katham sanshyam dasyam tatrah tum chahe jitne paap kar chuke ho bhai ab ho gaya aa jao naam ki sharan mein aa jao tum bilkul chinta mat karo kai bhai log akar prashn karte hain ki hamse bahut paap ho gaye kya hamare papon ka udhar ho jaega nash ho jaega jaega to nan durita krata katham sanshyam dasyam tat jai naam dhey muni vrindag jan ranjnay parmakshara krite tumna dharap mana guditam nikhilo lotap patlim bilum pashi bhagwan naam jisko apna aashray de dete hain koi bhi paap aisa nahi ki usko dand de sake.

dhyan rakhna nahi prashn khada ho jaega. Phir mahatmaon ko yah kasht kyon milta hai na naveen paap vartman ka nahi paap purv ke sanchit paap nahi yah praarabdh ka hai jisse sharir rachna ho gayi yahan sanchit bhasm age truti ho jaegi wo bhasm vartman mein truti ho gayi wo bhasm bahut vivek ki zaroorat hai satsang sunne ke liye agar aap nahi sunenge to prashn khada ho jaega sarv paap nashak naam hai aap aisa kah rahe to phir mahatma jan kyon bhogte hain ye paap ka phal phal vartman ka nahi hai. Yah bhut ka nahi hai.

yah bhavishya mein ho jaega to bhi uska nahi hai. Yah praarabdh bhog hai jo anek janmon ke sanchit karm godam se nikaalkar is sharir ki rachna ho chuki hai. Ab ham bhajan kar rahe hain. Rachna pehle ho chuki ki 25 varsh mein ye hoga, 30 varsh mein hoga, 45 varsh mein ye hoga. Main jisko apna aashray de deta hoon. Kaun? Naam bhagwan kah rahe naam yah sakshat satchidanandmay hai. Bade-bade munigan mera gayan karte hain. Main bhakton ke hriday ka anuranjan karne wala hoon. Main akshar rup se avatar leta hoon. Dhyan rakhiye yah hamare liye bhagwan ka avatar hamare mukh mein hamare manas patal mein hamare hriday mein ho raha kya Radha yah akshar avatar hai bhagwan ka main aksaron ki akriti dharan karta hoon jo meri sharan mein aa jaata hai main uski jai kara deta hoon jite Vinayak shubh ashubh vighna kare nahi koi vighna kare nahi koi dare kalikaal kasht bhay hare sakal santap haras hari naam japat jai pakka ye satya hai ye vaibhav sampann hai ye akaal hai bolte hain Sikh bhai jo bole so nihal satya shri akaal kala ti tumhen bana dega shri sampurn vaibhav prapt ho jaega.

satya hai vaibhav sampann hai. Kala tit hai aur jo isko bole to nihal ho jae. Kah rahe hain uski jai ho jati hai. Ek ek shabd pakdo hriday anand mein bhar jaega. Main akshar rup dharan karta hoon. Radha Radha Radha ye jo aapke manas patal par Radha Radha ye Priya ji ne akshar akriti dharan karke aapke hriday mein personal avatar liya hai. Naam bhagwan kah rahe mera utkarsha nami se bhi badhkar hai. Nami ne to ek Ahilya ji ka udhar kiya. Varnan aata hai charan sparsh kara ke aur naam jab sparsh kiya to karodon Ahilya param pad mein pahunch gayi.

kaun janta hai? Bhagwan jab avatar lete hain to bade-bade asuron ko marte hain. Naam jab avatar leta hai to aise jinko janta bhi nahi koi kitne papachari aur wo sab bhagwat pad ko prapt ho gaye. Naam ka utkarsha nami se bhi badhkar ke hai. Yah utkarsha keval ham sabke kalyan ke liye naam bhagwan dharan karte hain. Jo aadar purvak naam jap karta hai uski to baat hi kya hai? Sadar sumiran je nar kah gopdi bhavsagar tar gay ke khur ke gadhe mein jaise jal bhara ho to par hone mein kya der lagti hai aise bhav samudra par ho jaata hai jo sadar naam jap karta hai lekin yahan kah rahe hain yadi anadar purvak bhi jape uphash karne ke liye sanket ya dekhen bhai kya hota hai naam jap karne se aadi aadi bahut unchi baat likhi ling deh paryant samasth bhaykar paap samuhon ka samul nash karke bhagwadakaar vritti prakt kar deta hai naam ling deh nasht hone ka matlab agla janm ab nahi hoga usi se hota hai jo sukshm sharir kahte hain khatm khel naam namakar vritt ye bahut badhiya chans hai jo roz yah aapko satsang mil raha hai.

aap pakar lijiye. Pakar lijiye. Agar aap pakar lenge to nihal ho jaenge. Is baat ko samjh lijiye. Nach nama bhaash papan dawa nivte apitu swava bhakti cha prakash yati tya naam ki to baat jane do. Namabhas tumhare papon ka sarvnash kar deta hai. Jaise aap pura naam kahna chahte the Ram lekin ra ucharan kiya maa nahi kah paye sharir chhut gaya to aapko bhagwat prapti ho jaegi pura naam ucharan karna chahte the Radha par ra ucharan hua dha nahi kar paye aur sharir chhut gaya aapko bhagwat prapti ho jaegi yada bhaso kavlit bhav vibhav dum tatv Radha naam bhakti pranni janas datam jagat bhagwan naam taran krite nirakta ka mahimanam prabhavti yadi jibhya se nikal raha hai Radha Radha Radha Radha Ram Krishna hari jo naam bole ye paap hi keval bhasm nahi kar deta.

paap pravriti ko bhasm karke vishuddh bhakti ko prakashit karta hai. Ye bahut paap ki jad hai. Paap pravriti durvasan man sada parshan. Ye bahut unchi avastha tak jati hai. Chingari rup bhagwat sakshatkar tak bani rahti hai. Dhyan rakhna. Bhagwat sakshatkar jab hota hai tab baat khatm ho jati hai. Mam darshan phal param anupa jeev pav nij sahaj swaroopa yah chhoti moti sadhna se dabte hain. Chingari bani rahti hai. Ghas phus mili hawa anukul padi to jwala ban jaegi. Yadi aapki jyaa par naam chal raha hai to naam surya ki tarah prakash karta hai andar.

koi andhi, tufan kisi tarah bujha nahi sakta. Yah aag nahi hai. Yah surya ka tej hai. Sansaar mein kaun aisa praveen hoga jo naam ki sampurn mahima kahne mein samarth ho? Kahan kahan lagi naam badhai Ram na sak naam gun gai bhagwan bhi apne naam ki mahima ka purn varnan nahi kar sakte to auron ki baat kya asmordha mahima aaj tak koi naam ki yatharth nahi kah saka 2000 jibhya wale bhagwan shesh ji mahima mahima ka varnan karte karte purn aaj bhi nahi kar paye. Koi nahi aisa naam ka prabhav hai ki koi nahi aaj tak purn mahima ka varnan kar paya.

tatv drishti se jo vihin jan hai unko bhi tatv bodh pradan karne wali samarth naam mein virajman hai. Ath kantik bhavo nopasitam naam bhog vinash praarabdh vinay bhoga vinash tya yadi naam japak upasak chahe ki mujhe praarabdh na bhogna pare to yah bhi samarth bhajan mein hai ki praarabdh nasht kar dega par bhagwat prapti mein badha aa jaegi. Bhagwat prapti mein badha aa jaegi. Yahan dhyan dijiye agar kisi ko aisa lagta ho ki bhajnanandi santo ko jo rog aata hai agar bhajan mein dum ho to mita den to aap dekh lijiye shastr praman wo kah rahe hain ath kantik bhave nopasitam naam bhog vinash praarabdh vin bhoga vinashti bina bhoge praarabdh ka vinash ho jaega bhajan karne se to kyon nahi karte sant jan apne praarabdh ka nash kyonki bhagwat prapti mein badha par jaegi to sharir avinashi thodi hai.

mano cancer hai, kidney phayl hai, yah hai, wo hai. To yah apne samay tak ke liye hai. Jahan samay pura hua to jinki kidney theek hai wo marte nahi hai kya? Jinko cancer nahi wo marte nahi kya? Are bade svasth gate bajaate chale jaate hain. Gana baj raha hai age gaadi mein Radha vallabh shri Harivansh gaye. Samay hai ek iska isko gyan hota hai bhakt ka to bhakt apne bhajan ka prabhav praarabdh nasht karne mein nahi karta dhyan rakhna nahi to shastr agyaa karta hai ki bhog vinash ma prarabdham vinay bhogad vinashti tya bina bhoge praarabdh ka nash ho jaega abhi tak sunte rahe ki purv paap sanchit karm paap aur age varta vartman mein ho yah sab aham tam sarv paap mokshya mascha praarabdh bhogna parta hai.

to ab yahan kah rahe hain ki agar naam nishtha purvak japa jae ath kantik ekantik bhav naam ke siva hamare paas aur koi bal nahi koi sadhan nahi ath kantik bhav no pastam naam jo bhav se naam ki upasna karta hai to bhog vinash prarabdham bin bhoga vinash tya bina bhoge praarabdh ka nash ho jaega jaise Shridhar Baba hamko ko ek charit sunae the Radha kund ke sant bhagwan ka ki wah roz Sohni lagate the Radha kund mein koi thuk de koi aisa to use saaf karke Radha kund ke jal se ki hamare Priya pritam yahan viharan karte hain aur bhikshan se udar poshan karte the.

khub nirantar naam jap karte the. Ek din wo Radha kund ki seva karke baithe hi the ki ek kala durgandh yukt purush aaya. Usne kaha Baba mujhe sweekar karo. To bole kaisa? Bole main 12 varsh ka galit rog kushta hoon jo tumhare sharir par ana chahta hoon. Par itna bhajan hai ki main bina aapki agyaa ke aa nahi sakta. Main praarabdh hoon aapka. 12 varsh galit kusth. Unhone kaha bhai itna samay nahi hai hamare paas ki main bhogun. Ye hamse tumse nahi pucha jaega. Haan ki aise bade Bhajnandi gurujanon ki baat hai unka hamare paas samay nahi hai dusre din phir Baba sweekar karna padega ham 12 varsh ka galit kushta chha sal mein bhugwa denge nahi nahi hamare paas samay kram se roz ate rahe ek din aae bole Baba sweekar kar lijiye praarabdh ya phir bhajan se nasht kar dijiye bhajan to nahi denge bhajan nahi denge to bole Baba sweekar karo to bole 24 ghante sweekar karne par aap raji rahenge to bole 12 varsh ka kasht 24 ghante mein dunga aap bhog payenge to kaha hamari baat

tay hai tum pure 12 varsh ka jitna kasht hai wo hamen 24 ghante mein de do main sweekar kar bole koi aushadhi nahi koi pani dene wala nahi rahega darwaza aap andar se band karenge bole bilkul akshar sa aisa Baba ne apne shisyo se kaha darwaza band kar raha hoon aaj isi kshan samay dekh lijiye 24 ghante tak koi hamare kamre mein nahi aayega koi vikshep nahi pahunchaega ham khud nikal aaenge jeh ka sweekar hai pura sharir mava se yukt ho gaya bhishan pida chadhate rahe ha Krishna ha Krishna aur 24 ghante vyatit hone ke baad sampann ho gaya jab bahar nikle to tejomay swaroop ye unhone praarabdh bhoga na ki bhajan diya yahan kah kare ki agar aap bhajan bal se chahe dekho agar kisi ne vastr de diya kisi ne bhojan de diya kisi ne kutia banva di to uska praarabdh lekar bhog lete hain bap phir apna praarabdh kaise chheed kar lenge vichar karo mahapurushon mein itni samarth hai wo phir apna praarabdh kyon unko vishuddh gyan hai ki ye sharir nashvan hai ham bhog sakte hain ye nahi bhog sakte hain par koi bhi

sadhak chahe to praarabdh ka nash kar sakta hai. Par sadhak wahi jo chah mitane ke liye bhajan karta hai. Sharir ko sukh pradan karne ke liye nahi. Par hamare shastr mein siddhant hai ath kantik bhave nopasitam naam bhog vinash praarabdh vinay bhogad vinashti tya ek bar bhai ji maharaj haridvar mein rishikesh mein bahut hi halat kharab thi. Uthna bolna band tha. Bade kasht mein the. Itne mein shri sitaram omkarnath ji maharaj aa gaye. Bade siddh mahapurush the. Unhone kaha ki kuch minute bhai ji se varta karni hai to kaha is samay to nahi ho sakti kyonki bahut shithil aur bahut pida hai.

bole aap suchna de dijiye. To bhai ji se kaha ki shri sitaram onkarnath ji maharaj padhare hain aapke darshan ke liye. Kuch sambhshan kar aise baith gaye jaise aram se lete ho. Kahan hai? Aur gaye aur ganga ji ke kinare chauki par baithkar donon mahapurush ghanton bhagwat charcha hui aur phir aae aur je bhi akar saiya par lete phir waise hi kya ye praarabdh unke upar shasan kar raha hai nahi bas yahi bhul sansariyon se ho jati hai ki agar bhajan ka yah parinaam hai ki dukh na ho to mahatma ko kasht kyon hai? Nahi bilkul kasht nahi hai.

bilkul kasht nahi. Tum use nahi jante ho. Tum bahari danche ko kasht mein dekhkar kasht jante ho. Agar tumhare andar wo vivek ho, wo samarth ho ya koi mashin bani ho, unki chati mein laga ke dekh lo. Aisa parmanand vishv mein kisi ko nahi hoga jaisa bhagwat bhajan karne wale ko hota hai. Bhog ke dwara hi praarabdh ka vinash hota hai. Aisa shastron mein paya gaya. Par naam mein itni samarth hai. Praarabdh karm bhoge bina nasht ho jaega. Nahi to praarabdh bade bade tapasvi gyanyon bhakton ne bhi sweekar karke bhoga hai.

praarabdh karmuran hokar nasht ho jaega. Swapna mein dekha aapne char log aae mal lathi mal lathi aapko bahut pita. Aankh khuli ek aur danda le lenge. Praarabdh bhog nasht ho gaya. Kuch praarabdh bhog bhagwan bhogwa dete hain aur hazaron praarabdh bhog katwa dete hain. Hazaron praarabdh bhog swapna mein katwa dete hain. Vishwas karna bhagwan bade leela bihari hain. Apne janon ke praarabdh ko bahut matra mein jo likhe hue hain unko to swapna mein katwa dete hain. Kuch aise thode dete hain aur wah bhi aisa mar hota hai praarabdh ka bhagwan ke bhakton ka.

jaise koi padosi se balak kuch bigad karke jhagda kar liya. Ab padosi marne aa raha hai to uski maiya badi praveen hoti hai. Daud ke jati hai. Wo kahti hai are ruko ruko. Kaha tha dusht tu manega nahi. Wo itna gussa karke unche hath utha ke aur hath pith mein ate-ate naram par gaya. Dhire se laga phir upar utha to aaspas are bahan ji rahne dijiye. Aap kahte to ham man jaate nahi hath to iski khal udhed de di aisa praarabdh bhog bhagwate bhagwan samjh pa rahe ho hath bahut uncha utha rahi maiya par uska lala hai isliye bahut dhire parta hai jakar ke agar padosi marta to bhale hath uncha na uthta lekin wo bahut jor ka lagta to aise hi praarabdh padosi ki tarah pitai karta hai sabki lekin bhakton ke prati jab pitai hoti to maiya ki tarah pitai hoti hai haan jaise kumhar niche hath laga ke upar pitai karta hai na matki ki aise bhagwan anand sindhu satya kah rahe hain anand ka hath laga ke upar se praarabdh ko bhagwa dete hain.

brahm vidya ka sakshatkar karne wale mahapurushon ke sanchit bhasm ho jaate hain. Kraman ka nash ho jaata hai. Parantu praarabdh bhogna parta hai. Parantu wahi praarabdh naam nishtha wale ko chahe to sparsh bhi nahi kar sakta. Ismen ved praman hai sav sarve paap mabhya udit ude hi va sarv paap mabh ya evam ved udit tas naam jo tapasya sadhna vedant ke dwara sare paap bhasm kar chuka hai wo purv aur vartman ke papon se chhutkara pa jaata hai. Par use praarabdh bhogna parta hai. Par yadi naam japak hai ut yah jo naam japak hai usko praarabdh bhi bhogna nahi padega.

yadi wah chahe to kyon chahega? Are Brahmastra ka prayog machchar marne ke liye thodi hota hai. Aap age badho. Khud aapka hriday kahega. Aao praarabdh sweekar karte hain. Lekin bhajan ek bhi naam nahi denge tumhen. Bhog lenge ham. Bahut badhiya baat hai. Ae dekho jab paise mein mahatva ho jaata hai na to jisse udhar liya jaata hai kaha jaata hai do din kam karva lo yar paisa mat lo sharir se ham kam kar denge paisa haan raji aise hi bhakt hota hai sharir se ham bhog lenge bhajan nahi denge tumhen haan raji to aao dev kasht aur ar bhav se pukarenge Radha Radha Radha ham to malamaal hai hamara ghata kya hai abhi sharir chhute to Priya Priyaju milenge.

kal chhute to Priyaju milenge. 10 varsh baad chhute to Priyaju milenge. Jo yahan kar rahe hain wahan karna hai. Yahan aap logon ke rup mein baithe hue bhagwat charcha ho rahi hai. Wahan Priyaju ke samne Priyaju ka yash ga ke nachenge, gaenge, khelnge, kudenge. Apni swamini ji ke saath ghata kahan hai hamare paas? Bhakt vichitra pradat bahurup ya bhawa dati karunadam naam bhave na bahut jor ki baat hai ab dekhiye bhakton ko vichitrand ki prapti ye naam karata hai vichitranand yah anek rup dharan kar leta hai naam.

yahi bhakt ka bhojan ban jaata hai. Bhakt ka vastr ban jaata hai. Bhakt ki raksha ban jaata hai. Bhakt ka vihaar ban jaata hai. Bhakt ka sarvasv naam ban jaata hai. Sarvasv naam sab rupon mein naam ye bhakt vichitranandan pradatum jaise bhagwan sab rup mein aise naam sab rup mein naam japak upasak ka wahi ang rakshak ban jaata hai. Wahi dular karne wali maa ban jaata hai. Wahi vastr ban jaata hai. Wahi bhojan ban jaata hai. Wahi jeevan ban jaata hai. Wahi yash kirti vihaar vaibhav siddhiya sab naam ban jaata hai. Bhaktabh vichitran pradatu bahu rup tavi bhawa dati karunamdam naam ati karunam naam kisi ko sparsh nahi karne deta.

mera ladla jaise maa ka ladla bachchha ho to apni chati se lagae re aise naam ye naam japak ke liye sab rup dharan kar leta hai naam sab rup naam dharan kar leta hai bhakton ko vichitra anand dene ke liye anek rup se prakt hokar ye naam bhagwan vishesh seva satkar dayaluta at atarka mahima naam ki hai. Atarka mahima jab kisi bade mahapurush ke mukh se tab ye laga ki ek karod ek arab log bole jai uska koi mahatva nahi. Lekin ek bhagwat prapt mahapurush kah de jai uska mahatva hai. Ye naam bhagwan kaise maha mahima hai?

kaisa inka swaroop hai vani asmarth hai bata sake atarka hai inki mahima inse jo priti kar leta hai to raat din dugna raat chauguna jise nahi kahte aise parmanand badhate chale jaate hain ag daman Yashoda nandan nand suno kamal nayan gop gopi chand vrindavanra pranat karun krishna vitne swaroop tam rati vardhata naam dhay prandat jisne bhagwan ke naam ki sharan le li ya ham naam ki mahima kah rahe aisa sukh milta hai ki wah jis bhav wala hota hai apne bhav se karun rudan karte hain. Anand ka rudan hota hai. Ek rudan hota hai virah ka wo ek hota hai anand samata nahi hai.

tab wo chilla chillakar rudan karta hai. Nirakhat nitya bihar pulkit tan romavli anand nayan sudhar yah jo kripa Harivansh ki pukar parta hai kamal nayan ha kamal nayan ha gopi vallabh ha Radha vallabh ha Yashoda nandan jis bhav wala hota hai hriday se uski pukar aise uthti hai agman karne wale Vrindavan chandra pranat karun Krishna naam jahan hai ek kshan ke liye bhi use nahi chhote ati karunatwam tet mast amev sansya menti ati karunamay ati dayalu naam hai bhagwan bhagwan se bhi badhkar bade bhagyashali jinhone naam ka aashray le liya.

vachyam vachak mrityu deti bhavat naam swarup purn parmev hant karunam tatra janeehe yasmin vihita paradh niv prani samtave das ned upas sada nanda budh majti swas ghatti ja rahi hai kab ant ho jae sunne wale ki aur sunane wale ki koi bharosa nahi isliye suna lijiye aur sun lijiye yahi jeevan ki sarthakta hai atishay dayalu bhagwan naam bahut mahimamay baat chal rahi hai isko pakdte jao yah vachya vachak rup se prakt hai. Radha Radha Radha Krishna Krishna par ye sacchidanand vigrah wale prabhu se bhi badhkar ke hai.

shri Krishna Govind jo bhagwan ke naam hai ye bhagwan ki apeksha bhi mahashaktishali hai. Shri Krishna se shri Krishna ka naam mahabalshali hai. Adhik dayalu hai. Aur lal ji kahte hain kishori jo se bhi zyada mujhe priy kishori jo ka naam hai. Prani jab is naam ka ucharan karta hai to anek aparadh kar chuka hai. Bhari jinko keval bhogna hi hai wo nasht nahi ho sakte. Dan se, punya se, teerthatan se kisi bhi tarah wo paap nasht ho. Kai aise paap hain. Bole jibhya mein jo hi Krishna naam Radha naam ucharan hua to bhasmi bhut mahapatak aparadh ho gaye aur use anand samudra mein sada ke liye dubo deta hai.

naam bahut ab aur mahimamay baat kah rahe. Dhyan se sunna. Kaha jaata hai yadi aap naam jap kar rahe hain aur aapse nama aparadh ho raha hai to aapko dand milega. Naam aparadh aapke naam ke phal ko jagrit nahi hone dega. Aisa shastron mein varnan hai. Har vidvan is baat ka support karta hai aur varnan karte hain ki naam jap kar rahe ho. Agar nama aparadh hai to phir naam ka phal nahi milega. Ye bahut badi baat karen. Bahut dhyan se sun loge to nirbhay ho jaoge. Aparadh karne ke liye nahi naam japne ke liye. Nan da seva paradha naam na vinas naam paradha sadhu ninda dayo dasken te naam na vedya bole tumhari baton se thodi hota hai praman dijiye kya yahan kah rahe hain Hindi se sunie seva aparadh 32 hai prayah sun chuke hain aur nama aparadh 10 hai jismen sadhu ninda se prarambh hota hai.

kah rahe hain ye 32 seva aparadh ban jae aur 10 naam aparadh bhi ban jae. Seva ka prakash nahi hoga. Naam ka prakash nahi hoga. Shastron mein aisa purn varnan hai. Bade-bade acharya jan mahapurush jan is baat ka varnan karte hain. Par yah bhi shastr hi hai. Shastr ke antargat hi hai. Nan da trasat seva apradha 32 seva naam vinyar namradha das naam aparadh jo sadhu nindya das ken jo da hai te naam nahi veha sudita janras ramya ghan sukh swarupan naam Gokul mahotsavay te Krishna purn vase namo namah bahut amritmay yadi 32 seva apardhon mein se koi aparadh ban jaata hai ya da naam apardhon se koi naam aparadh ban jaata hai aur aap niyam purvak naam jap karte hain to yah naam jap hi sabko nasht kar dega.

yah baat nahi batati jo ved ya shastr purannon ki siddhant richae hain, sutra hai unmein varnan hua hai. Aisa karoge to naam ka phal hi nahi milega. Lekin ek baat bahut jor ki bataai gayi hai ismen. Kah rahe hain ki 32 seva aur kaun kah rahe hain? Bahut bade maha bhagwat shri rup goswami ji Vrindavan mein virajman shri rup sanatan ji ka naam shri rup goswami ji jinke shishya shri jeev goswami ji adbhut shastr vedant ke murtiman swaroop wo kah rahe hain nan dat seva apradha namna vinas naam par apradha sadhu ninda dasken te namne vetya ye da naam aparadh 32 seva aparadh yadi ban gaye hain to aap dainyta purvak naam jap karen aur koi prayashchit karne ki zaroorat nahi hai.

naam hi unko bhasm karke age badha dega aapko. Naam ke dwara ye sare aparadh nasht ho jaenge. Kyon? Kyonki nammi se bhi badhkar kripalu bhagwan ka naam hai. Naam japak ko koi bhi aparadh pida pahuncha hi nahi sakta. Iska matlab yah nahi ki naam japak aparadh par aparadh karta rahega. Nahi chuk ho gayi, galti ho gayi to naam aparadh aur 32 seva aparadh ke liye marjan ke liye kya karen? Bole naam jap hi karen. Yahan adesh kar rahe hain. Naam jap hi karen. Yadi naam jap karega to namaskaar hai is maha mahima naam ki ki 32 seva aparadh aur 10 naam aparadh ko bhasm karke age badha deta hai.

naam aparadh yukt naam hargatyadi yadi naam aparadh ho jae to naam jap hi us naam aparadh ko nasht kar deta hai shraddha aur dainyta purvak ar bhav se naam hi pukaro ath naam swasmin prarthate isliye sab log aisi prarthna karo ki naam hamare hriday mein spit ho jae. Ye baat kah rahe jo narad vino jeevan sudhar niryas madhuri pur tam Krishna naam kammam ishwar mein rasen rase sada jo narad ji ki Veena mein bade bade mahapurushon ke maha bhagvato ki jibhya mein virajman rahta hai wo bhagwan naam jo ras sa ras mein dubota chala ja raha hai.

nas nas mein ras ras bharta chala ja raha hai. Aisa naam mere hriday ment ho. Har lo prabhu meri bhog dasata bhari kar lo mujhko nij das nath agari main ratu tumhara naam Radha Radha Radha Radha main ratu tumhara naam nitya bhay hari main seva nit tan man man se karun tumhari mit jae kam asakti ye samasth murari hat jae moh mamta maya sari rah jae na mad abhiman man madhari ho uday sahaj suchit dainya vinay banwari khul jae prem ke netr divya tam hari dekhun leela sarvatra sada sukhkari main dekhun sab mein sada tumhen manhari main sabka sukh hit karun sarv hitkari ban jaun leela bhumi tumhari pyari tum khelo phir man mane leelakari rah jae na kachu bhi satta meri nyari tum hi leela leela mein mere banke bihari mere Vrindavan bihari mere hriday ka mamta mad abhiman sab churchur ho jae.

he nath aapka naam nirantar chalta rahe aur aaj se main aisa anubhav karun ki mera aham prabhu ke charnon mein samarpit hai. Ab jo bhi hoga unki leela hogi mere hriday mein. Aaj se koi shikwa shikayat nahi. Aap jahan le jao jaise chalao ham jai shri Radhe aapka hi naam bolenge. Bas ae masti lao kahe ko chinta dharan karte ho siddhant sunte ho phir bhi chinta dharan karte ho jab hamne apna ghar naam kar diya kisi ke to usmen chhipkali tahle usmen jala ho usmen bichhu rahe saanp rahe aap jano maharaj aapke naam kar diya Vrindavan ki bhumi mein baithe ho bhagwat marg sharanagati se hota hai sharanagati ki jimmedari prabhu ki hoti hai to kahe ko bojha la de jimmedari ka de do prabhu ke naam aap naam jap karo aur unki taraf dekho dekho nath yah makan aapka hai ye hriday aapka hai ye jeevan

aapka hai yadi ismen kam hai to aap nikalo mere bas ki baat nahi aur ismen prem hai to aapka rakha hua hai ismen mere garv ka vishay nahi ye masti ka jeevan almasti aa jaegi mast Ram ban jaoge vastvik phakeeri aa jaegi grihasth mein hote hue fikr phaar phakni kare tako naam fakir koi fikr hi nahi rah gayi kyon hamne apne aap ko prabhu ko de diya sadaiv naam jap karo har sthiti mein dekhte raho prabhu ki taraf ye jo malinta hai ye mujhe parast nahi kar sakti kyonki yah hriday prabhu ko de diya to aapko bhagwat prapti hogi rahat na prabhu chit chuk kiye ki karat surat sah bar he ye ham aapse sachchi baat kahte hain hamare aapke kiye kuch nahi hoga.

akhiri parinaam to unki kripa se aata hai. Akhiri parinaam hamko kya karna hai? Bar-bar yahi smaran karna hai ki hamne sab kuch prabhu ke naam mein kar diya apna. Jo bhul chuk se rah gaya ho usko bhi kar do. Ye sab bhagwat ho jane par hi ismen bhagwan ki divya leela bhagwan ke divya rup ka pradurbhav hota hai. Jismen aap apnapan rakenge wahi bhagwat prapti mein badha pahuncha dega. Aap andar se baat samjho. Koi sadhna bhagwat prapti nahi karati. Aapko majak lagega. Yah ham karke bata rahe hain. Bhagwat prapti kahin apnapan na rah jae to abhi ho jae.

sharir mein sukshm sharir mein swabhav mein kisi mein apnapan nahi. Abhi bhagwat prapti ho jaegi. Ye apnapan jo bojha lad karke ham sadhna karte hain na bahut lambi safar hai. Ye ham anubhav ki baat kahte hain. Agar tum pakar pao to pakar pao. Satsang ke dwara prapt vivek rupi kainchi se sara apnapan kaat dijiye aur prabhu ke charnon mein de dijiye. Jaise ho jahan ho jo bhi ho wahi bhagwat prapti ho jaegi. Par itna mamta jor ki aapke sharir mein aur sharir sambandhi aur bhogon mein ki aap kaat nahi pa rahe. Isiliye jahan ho jaise ho apne aap ko prabhu ke hawale kar do sambhal lenge.

ek bar yah nirnay nikal pare. Tan man pran swabhav barabar mere to Giridhar gopal dusro na koi sawal hal anant janmon ka prashn shant ho jaega bas samjh lijiye tan man pran swabhav jo bhi kuch hai barabar mere to Giridhar gopal dusro na koi ye sab aur iska parinaam mere to Giridhar gopal dusro na koi dusro na koi na man na tan na pran na swabhav na koi apna abhi bhagwat sakshatkar ho jae. Par chahta kaun hai? Koi birla guru kripa patr chahta hai mujhe bhagwat prapti ho jae. Nahi to bank balance chahta hai.

prabhav chahta hai. Pranam namaskaar chahta hai. Manmani bhog chahta hai. Prabhu ko kaun chahta hai? He ye janm prabhu ke liye de do. Phir dekhna nihal ho jaoge. Parmanand mein mast ho jaoge. Yahi parmanand ka marg hai. Isliye naam naam iske liye ham nahi chhut denge. Apni jibhya ko na apne man ko hamse aur kuch bane chahe na bane ham bolenge Radha Radha age ki baat Priya jo dekhen unke pritam dekhen Radha Radha kahenge chahe hamko yamuna ji ki taraf le chalo chahe chathi kara ki taraf le chalo jidhar matlab chahe bam le chalo chahe daen le chalo chahe purab le chalo chahe paschim le chalo ham bolenge Radha hi Radha ab aapko dekhna hai ki aapki idhar ghuma ke hamen le jaate ho.

aaj se apne jeevan ki bagdor jaise arjun ne apne rath ki bagdor de di shri Krishna ko. Aise jeevan ki bagdor ham priyaju ko dete hain. He priyaju he karunami pakka Vrindavan mein baith ke kahte hain apne log sab baithe hain. Prarthna samuhik hoti hai. Nahi usi se bhagwan ka avatar hota hai. Jab samasth devta brahma ji shankar ji sab milke to sab yahan hain. Kisi ki kami nahi hai. Yahan samjh lo yahan shiv bhi hai. Yahan jeev bhi hain. Yahan shyama bhi hai. Yahan Shyam bhi hain. Unke premi bhi hain, unke virodhi bhi hain.

sab hain yahan sabha tabhi purn hoti hai. Bagichi tabhi purn mana jaata hai ki yah na kaha jae ki ismen yah nahi hai. Nahi bambul bhi hai, gulab bhi hai. Nana prakaar ke sugandhat phool khile hui unki bagiya hai. Vrindavan ki bhumi mein baithkar ham prarthna karte hain ki hamare jeevan ki bagdor ladli aapke hath mein. Jhooth hi sahi. Ab aapke ghar mein aake aapne hi bulaya hai. Aapke ghar mein kah rahe sambhal lena. Ab izzat ki baat hamari nahi aapki hai. Hamari kya izzat hai? Kyon? Ham log to waise hi khoe pare hain.

kya hai? Izzat aapki hai. Aap itne mahan hain aur ham aapki sharan mein hain. Hamara bharosa nahi ki rahe ki na rahe. Sharan mein. Ye bhi ham nahi kah sakte ki ham bane hi rahenge. Goswami ji kah rahe hain. Hari jo mero man han taj sachchi kah rahe hain. Baten banana alag baat hoti hai. Sharanagati ka nirvah karna unhin ke bas ki baat hai. Hamare bas ki baat hai. Bade beiman hai apne log. Shri ji se kahenge ki aapke siva hamara koi nahi hai. Aapko hamne apna jeevan aur yahi baat kitnon se kah chuka hai. Yahi baat kitnon se unka nahi hua.

aaj yahan kahega phir kisi aur se kahega yah beiman bahut hai vichitra man isliye Vrindavan ki bhumi mein sakshi karke ham isliye kahte ki Vrindavan shri ji ko yad dilaega ki aapka jan hai isne kaha tha hamne suna tha sakshi kaun Vrindavan kevat jab kah raha hai ki agar charan dhulwana hai maharaj tabhi nav mein baitha lenge charan charan nahi dhulwana to nau mahine bithe lenge kyonki mujhe kuch shanka hai ki tumhare charnon ka kuch hai hisaab pratap ki agar chu jae to badhiya dulhan ban jaata hai. Ek dulhan hai to uske liye hamen nav chalani padti hai.

agar nav dulhan ban gayi to vyapar bhi chala jaega. Maharaj bada vinod kiya jo tarni gharni ban jai hamara to vyapar hai maharaj bhagwan ne kaha zyada samay nahi isliye aap nav lai bada chatur tha na beech mein thi na kinare thi bas do char hath age thi lakshman ji bar-bar prabhu adesh kar rahe hain aur tu kah raha hai bina charan dhoe Ram ji ki taraf dekhkar ke lakshman ji se kahta dhamki nahi chalegi aapki barti ramah lakhan pe jab lag na paye pakhari ho jab tak charan nahi pukhar lenge tab tak kasam purvak kahte hain tum chahe baan mar do lakshman ji par nahi utarenge ab marna bhi mere liye aaj bada utsav hoga mahotsav hoga mangalmay hoga Manu lakshman ji ne pucha marna kiska mahotsav hota hai bhai tujhe dar nahi bole bilkul dar nahi marta hoon kahan such ganga ke tir Raghunath sonath niharat hai wo aparadh yahi bas das katha prabhu ke charan pakharat bole koi puchega kis aparadh ke karan mara gaya bole Raghunath ji ke charan pakharne ki baat kah raha tha kahan mara bole bole ganga ke pavan tat par mara kisne?

bole Raghunath ji ke pran priy bhai lakhan ne tumhen marna hai mar do. Jab tak charan nahi pakarenge par nahi le jaenge. Aise hi shri dham Vrindavan samasth dham aur tirthon ka raja wahan baithkar ke sakshi puri sabha kya ki he priyaju main aapki sharan mein hoon. Ab dekh lena aap is baat ka nirvah kar lena aap bole jhutha to aap ke to santo ne kaha jhutha khele sancha ho to ham jhuthe se sahi kah diya to bada bhagya banao aapke ham jhutha hi bol diya nahi to ham jhooth bhi bolne wale nahi ki he Priya jo aapki hai ham yahi bolne wale hain sansaar ki sachchi maniye ye to ye raj aur sant kripa sant mandli ka prabhav ki hamare mukh se bhi nikal jae ki he priyaju main aapki he thakur ji main aapka nahi to jaban se bhi nahi nikalta bhai ek to sharanagati ho hi jaegi

vani ki phir rah gayi hriday ki man ki phir rah gayi tan ki ye sab kar lenge ham sabko bhagwat prapti hogi bilkul andar se baat baitha lo yadi ki hamko to bhagwat prapti hogi ab hamko to bhagwat prapti hogi bhagwat prapti ho jaegi ye yatha prapte bhajam jisko yah baith gaya na ek sab ab kya bataya ek aadmi jo hai usko kisi ne bata diya ki tum mar jaoge tumhare lakshan aise dikhayee dete ganv ganv ka koi aise bata diya ab uske jawan aadmi tha uske baith gaya main mar jaaunga ab main mar jaaunga ab main mar

jaaunga bhojan chhut gaya pila hone laga aisa to pujya Swami shri raghwanand Saraswati ji maharaj tum jante honge wo janmabhumi mein aaya karte the wo batte hain bole jab mujhe sunne ko mila ek ghatna ki baat kah raha hoon Swami ji bahut hi uchh koti ke mahapurush the bahut dhani mani kul se vairagi to unki rahni aisi thi ki ek keval lal kapda aise wo bhi char par rumal laga ke aise aise rakhte matlab unka har chij waise lagta tha ki haan inki rahni to unka kaha beta jab mujhe pata chala to main gaya aur unse kaha accha wo to samay tumhara nikal gaya jo marne ka tha.

ab tum nahi maroge. Kisi ne kah diya tha tum mar jaoge. Uske dimaag mein baith gaya tha. Swami ji jakar bole ki haan wo samay to aisa nahi ki wo jhooth bol raha hai kyonki usko vishwas ho chuka hai. To kaha haan wo samay to nikal gaya. Ab to tum nahi maroge. Wo jo marne ka samay tha accha usi din se wo svasth ho gaya. Badi-badi aushadhiyon se svasth nahi ho raha tha. Samjh rahe ho na? Baat ki baat ki baat hai. Ham sabko bhagwat prapti hogi. Ye baitha lo. Jaisa banna hai vaisa socho. Jaisa sochoge vaisa ban jaoge.

jadu ka chamatkar hai. Ham nich ko bhagwat prapti kaise hogi? Paras mani chhuane se jang alwas hona ban jaata hai. To alay van basat sang paras ke ay kanak saman priyaj ki kripa se kya durlabh hai? Aaj se ham is baat se nishcint hai ki mujhe bhagwat prapti hogi ki nahi? Pakka naam mat chhodiega. Bhagwat ashrit rahiyega. Are bade kripalu hamare prabhu hain. Badi karunamay hamari swamini ji. Is bar agar danv nahi lag paya to bada mushkil ho jaega. Bilkul nazdik aa chuke ho. Puri dhara par ho chuki hai.

ghbarahat mein jaldeebaji mein kud mat padna nahi yahi se phesal jaoge nav mein baithe rahna sidhe kinare lagne ja rahi hai aur aa gaye hain kinare nikunj ke bilkul aap aapko nahi dikhayee de raha hai apne ko dikhayee de raha kya dikhayee de raha hai yadi aapko swamini ji ko bulana na hota to aap sava char baje se yahan baithkar sunte na hote pakka vishwas man lo yahi satsang 4 baje sham ke hota baithe hote to khas baat thi par itni nahi thi lekin aap sava char baje satsang mein ane ke liye kai baje tayyar hue honge iska matlab swamini ji aapko pakka apne paas bulana chahti hai tabhi ye baat hoti anytha ye nahi hoti yagya vish parinaam amritopmam ye shuruaat tumhen vish jaisi lag rahi iska parinaam amrit milega agar kaha gaya ek ghadi adhi ghadi adhi mein punya aadi tulsi sangati sadhu ki to tum to kai ghante kar rahe ho agar bhagwat prapti tino to sab natak ho gaya.

tum vishwas karo tum bhagwat prapti pakki hogi. Naam jitna pakar pao aur jab naam chhute to aashray pakde raho. Aashray are hamare mai shyama ji ko raj ham ladli ji ke hain. Chintan ban raha hai. Ladli ju ke en ken prakaar ab mujhe priyal ki prapti pakki hogi. Aisa baitha lo dimaag mein. Baitha lo tum isko chamatkar dekhna. Ise guru mantr man lo. Hamen pakka priyaju ki prapti hogi. Dham mein ana, dham mein baithna, yah sunna nahi ham bahut nich hai, papi hain. Are nahi Priya jo bahut kripalu hai, patit pavan hai.

wo kshma kar dengi. Wo mujhe maaf kar dengi. Mujhe sweekar kar lengi. Andar aisi kaat karna jab man tumhen nirash kare tujh jaise ko kahan bhagwat prapti hogi to usi samay kaho tere karan tere karan ye soch hai tu mujhe daba raha hai mere ko to bhagwat prapti hogi agar tu zyada karega to tere ko narak prapti hogi darwana sikho wo tumhen darwa raha hai bhaiya agar nahi ham ye yuktiyan nahi seekhoge to depression mein pahuncha dega ye bahut khtrnak hai kya khtrnak hai. Ab hamko wo bhog nahi mila, hamko wo vastu nahi mil rahi.

ham pareshaan ho jaenge. Isko dantna sikho. Isko apne shasan mein lana sikho. Ye kuch nahi. Ye bachchon ko jaise bhediya darwata hai aise darwata hai. Agar tum vivekvan ho jao to dar kar ye bilkul pooch daba ke baith jaega. Kyonki tum bhagwan ke ansh ho. Ye prakriti aur tumhari samarth se yukt hokar tumhen paryapt kar raha hai. Prakriti aur tumhari samarth. Ek prakriti ka ansh ek paramatma donon milkar jad chaitan ansh se yukt hokar yahi hamara bandhan bana hua hai. Yah hamara koi yah thodi ki isi ke dwara ham bandhan moksh ko prapt ham mukt bhagwan ke mukt ansh hain.

isko sweekar karne ke karan bandh gaye. To le man sa mana Krishna padarwind diya ab aapko aap sambhal lena isko mere banae na banegi koti kalp lo ho haro kar jatan vivid vidhi atishay prabal ajay tulsidas bas hoe tab jab prabhu prerak barje shri Radha vallabh lal ki jai

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi