॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

radharani ka swabhav - bhay mukt karne wali Radha kripa // 09/03/2026

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

jai Harivansh jai Harivansh jai Harivanshas jai jai shri Harivansh jai Harivansh jai Harivansh jai Harivansh jai shri shri Radha vallabh lal ki jai. Karunamay shri swamini ji ki apaar karuna se mahaprabhu shri Harivansh chandra ji ke rasik anannya dharm ke param rasagya param praveen ras gyata shri sevak ji maharaj ki vani shri sevak vani ki yathmati ke anusaar apne log apni man buddhi shravan indri aur jeevan ko pavan karne ke liye kathan shravan karte hain. Bahut ekagrata purvak shravan kiya jae. Hamari samarth nahi hai ki ham aise ras granth ka pravachan kar sake.

par ye mukam karoti vachalam pangum lange te giram yat kripa tam vande parmanand madhwam jinki kripa se mu bhi vachal ho jae langda bhi pahar phaand jae wo prabhu parmanand swaroop vani mein baithkar ke kripa karke swayam charcha karate hain to ho sakti hai anytha jeev koti se mand buddhi se charcha ho hi nahi sakti chalte hain sevak vani chhnd janm karm gun rup apaar baadh katha kahat vistar janm karm gun yog apaar bar-bar sumiran karo bar-bar sumiran karo bar-bar sumiran karo bar-bar sumir shri sevak ji maharaj kah rahe mahaprabhu ka janm mahaprabhu ka karm mahaprabhu ka gun mahaprabhu ka rup mahaprabhu ki udarta apaar hai.

agar main iska alag-alag varnan karne lagun to katha bahut badh jaegi. Pehle chhnd mein varnan kiya naam priyata naam ki asakti dusre chhnd mein varnan kiya prabhav sampurn Vrindavan sakha sakhi sab Harivansh chandra jo ka hai jaise prabhu aur ishwar ek hi tatv ke paryayvachi naam hai. Jaise Vishvambhr sab jag ko prakashit karta hai. Waise hi prabhu ishwar vishwam hari Harivansh ye do hi kahe ananyata tatv ka varnan kiya tisre mein mahaprabhu ke janm karm gun rup apaar iska varnan kiya mahaprabhu ka janm mahaprabhu ka pradurbhav nikunj se hua hai hari rasgan mohan murti mein wahi Murli bane hue hai wahi wahi bansi bane hue hain ki ras mul Murli ka chalah radhike sujan tere hit sukh nidhan raas rach Shyam tat Kalind Nandini nirat yuvati samuh rag rang ati kuto bajat ras mul murlika anandini ras ki mul kya hai bansi hai aur bansi kaun hai rasghan mohan murtim jo hai wahi swayam bansi bane hue hain.

bansi ye swayam bhagwan bane hue hain. Kahin bhi avatar prakaran mein aap dekhiye to aapko bansi di gayi lal ji ko aisa kahin varnan nahi to bhagwan ke saath hi bansi ka avatar hua. Bhagwan bansi lekar prakt hue. Jo bhagwan shri Krishna chandra jo avatar liye to swayam shri Krishna hi bansi hain. Isliye sevak ji age varnan karte hain. Jab jab hue dharm kah hani tab tab tanu dhar pragtat an jaan aur dujo nahi jise bhagwan ne gita ji mein kaha yada yada dharmasat bharat abhas tadatma sujam paritray sadhu naam vinasha dushkata dharm sansthapanthay sambhwam yuge yuge sadhuan ki raksha karna, duston ka vinash karna isliye mera avatar hota hai.

lekin tadatman sajamyam main apne atma dharm ka sajan karta hoon. Iske liye acharya ke rup mein avtrit hote hain. Bhagwan ne in do shloko mein apne do prakaar ke avtaron ka varnan kiya. Ek mahabali Mahavir duston ki dushtata ka jab bahut prabhav badh jaata hai aur kisi ke sambhale nahi sambhalta to bhagwan un duston ka vinash kar dete hain. Paritrana sadhu naam vinasha dushkata dushkrit karne walon ka vinash kar dete hain. Aur ek bhagwan ka avatar hota hai tadatma sujamyam apne atma dharm arthat prem ka arthat bhakti ka gyan ka vairagya ka yog ka ye tadatmanam hai sajam iska srijan karke iski rachna karke isko bol karke iski vyakhya karke main sampurn jagat ko is dharm se atma dharm se yukt karta hoon.

to bhagwan ka jo avatar hai wo do prakaar ka hota hai. Ek acharya rup mein aur ek bhagwan rup mein. Jab bhagwan rup mein hota hai to duston ka vinash hota hai. Santo ki raksha hoti hai. Aur jab acharya rup mein hota hai to dushtata ka vinash hota hai. Use sadhu bana diya jaata hai. Uski dushtata ka vinash karke use sadhu bana de. Tadatma sajamyam uske hriday mein apne atma prem ka srijan kar dete hain. Jaise narwah aadi bade udaharan hai. Ek samay divya raas ho raha tha. Shri Lalita ji ne us raas ras ka varsh jab dekha ki sampurn nikunj us raas ras mein unmatt ho raha hai.

prematta ho raha hai. To unko laga ki is ras ka jan samaj kaise pan karen? Mrityu lok mein ek ek jan is ras ka jo anadhikari bhi hai wo bhi ras ka adhikar prapt kar sake. Aisa kaise ho sakta hai ki yah ras anadhikari ko bhi prapt ho. Shri Lalita ji ne swamini ji se prarthna ki. Shri rup lal goswami ji ne ek pad mein varnan kiya vyas nandan vyas nandan vyas nandan gaiye jako hit naam let dampati rati paie raas madhya lalitadik prarthna jukeeni karte sukumari pyari bansi tab deeni soi kal pragat rup Vanshi pudharyo kunj bhavan raas raval tribhuvan vistar raas ke madhya mein shri Lalita jo ne prarthna kari pyari jo is mahan ekantik prem ras ko jagat ke jeev kaise prapt kar paye?

param karunamay shri Lalita ji ki prarthna swamini ji ne suni aur lal ji ki taraf dekha karte sukumari pyari bansi shri lal ji ne apne hath se pyari ji ke hath mein bansi di. Ki iska bhaar to aap hi sambhaliye. Yah prem rasmay bansi hi aapke charnon ki ananyata sweekar karne wali hi aapke ras ka vistar karegi. To pyari ji ne apne kar se bansi shri Lalita ji ko pradan kari ki Lalita tum bhi avtrit ho aur ye bansi bhi avtrit hokar ke hamare ras ka vistar karen. Wahi banshi soi kal pragat rup bansi budh wahi bansi jo Priya lal ke hriday mein prem rup se virajman hai.

lal yug ke adhon mein bansi rup se virajman hai. Aur nikunj mein sahachari rup se hit sajni rup se virajman hai. Wahi bhutla mein Harivansh rup se prakt hui. Soi kal pragat rup vansh rup dho laas ravan kunj bhavan ye sukh vistar kiya jinko priy naam sahit mantr diyo shri Radhe satand rup nigam agam sadhe shiv priyaju ne swayam Harivansh mahaprabhu ko nij mantr pradan kiya aur apne sampurn ras ko vistar se jagat ke adhikari anadhikari jo bhi jeev sharanagat ho jae unko pradan karne ka adesh kiya. Ismen adhikar nahi dekhna jo aapki sharan mein aa gaya.

shri nagri das ji ne likha hai shri Harivansh sharan je aae shri Vrishabhan kunwar nand nandan nij kar apni chitthi chadaye jeev mukhrae kachu nahi kaisa bhi jeev ho kaisa bhi patit ho adham ho yadi inki sharan mein aa jae to Priya pritam apne nikunj ke register mein uska naam likh lete aur usko sampurn apna prem ras pradan karte hain. Kyonki priyaju ka prem ras pradan karne ke liye hi mahaprabhu ka pradurbhav hua. Jo lal ji ke hriday ka prem hai jo vashi swaroop se adhro mein virajman hai. Jo priyaju ki charan asakti hai wahi jab murtiman rup dharan kiya to Harivansh mahaprabhu ke rup mein hua.

adbhut hari yukt vansh bhanat naam shyama jaise rup lal hit charan de payo vishrama hit charnon ment de ke vishram prapt kiya ye Harivansh naam ka jisne aashray liya Harivansh charnon ka jisne aashray liya shri Vrindavan dham mein navni nikunj vilasi shri Priya pritam ke ekantik rahasya ras ko prakashit karne ke liye Harivansh naam dharan karke bhagwan swayam shri Krishna jo banshi swaroop se virajman hai jo prem rup se virajman hai wahi avtrit hue. Sevak ji maharaj kah rahe hain jaise bhagwan prakriti ke adhin avtrit nahi hote.

prakriti ko adhin karke avtrit hote hain. Aise hi bhagwan ka jo acharya rup hota hai wah sampurn maya dosho ko apne adhin karke karm bandhan mukt karne ke liye swayam avatar lete hain. Wo karm se avatar nahi lete ki karm bandhan se jaise jeev ka avatar hota hai. Prakriti ke adhin jaise jeev ka avatar hota hai. Aise isht ka avatar acharya ka avatar aise nahi hota. Wo apni prakriti ko adhin karke avtrit hote hain. Jagat ko karm bandhan mukt karne ke liye. Mahaprabhu ki janm katha apaar hai. Jab mahaprabhu prakt hue to jaise bhagwan shri Krishna ke samay prakt hone par sampurn prakriti swagat karti hai.

aise hi prakriti badal gayi. Age varnan aayega. Sevak ji maharaj varnan karte hain. Sampurn prakriti badal gayi. Sukhe pedon mein bhi naveen pallav jagrit ho gaye. Arthat jo shushk hriday the unmein prem pallavit ho gaya. Prem ankurit ho gaya. To kahan tak inke janm ki katha kahun agar katha puri kahunga janm ki to apaar katha hai. Wah par nahi pai ja sakti. Janm karm mahaprabhu prakt hokar ke balyvastha se lekar antar dhyan tak keval Priya pritam ki seva mein hi rahe. Keval Priya pritam ki seva mein Shrimad Radha sudha nidhi mein swayam Harivansh mahaprabhu kahte hain na jani te lokam nach nigam jat kul param pawa jana ta na satam chap charitam rasam radhayama bhajti kil bhavam brajamno laas tyas sthit rup sadharan gati ye jab kahte hain ki is ras mein koi rasik nimgn ho jaata hai to wo lok ko nahi janta na jante lokam sat sat lok upar hai.

sat lok niche hai. Kisi lok ki katha usko koi prichay nahi. Na jante lokam na nigam jatam wo ved ko bhi nahi janta hai kyonki ved nas kevalam avan anuragam labhte jo ved ka bhi purn rup se sanyaas kar dete hain tyag kar dete hain wahi prem ko prapt hote hain to mahaprabhu na jante lokam lok ko nahi jante jo is ras ke rasik hai wo lok ko nahi jante mahaprabhu swayam kah rahe to phir unki sthiti ki kya baat hai na jante lokam na nigam jatam ved jo updesh karta hai ved jo siddhant varnan karta hai wo shashwat hai wo param brahm paramatma ki prapti ke

liye shashwat sadhan hai lekin mujhe uski bhi koi zaroorat nahi hai aur kah rahe param vano jana ta na satam chap charitam bade-bade mahapurushon ke jo charit hai wo bhi main nahi janta badi adbhut sthiti hai na lok ko janta hoon na ved ke siddhant ko ved ke samuhon ko aur na kul parampara ko aur na bade-bade mahapurushon ke charitra ko bahut samjhne ka vishay hai mahaprabhu ke karm ko kah rahe hain rasam radhayama bhajat kil bhav brajamno abhi tak jab tak mahaprabhu prakt nahi hue tab tak upasna ye rahi ki thakur ji rasraj aur priyaju mahabhav lekin Harivansh mahaprabhu prakt hokar ke priyaju ras datri aur thakur ji mahabhav se uska sevan kar rahe hain.

rasam radhayama ras Radha mein bhajat kil bhavam braj mano aur us ras ka pan mahabhav se yukt hokar shri lal pan kar rahe hain. Bole rahasya tas sthiti sadharan gati jiski is rahasya mein sthiti hai kishori jo ke ras mein shri lal ji ke bhav ke dwara jo sevan kiya gaya hai usmen jiski sthiti hai bole wo sadharan gati nahi hai. Wo asdhran gati hai na wo lok ko janta hai na ved ke samuh ko janta hai na kul parampara ko janta hai na mahapurushon ke charitra ko janta hai brahmand vada bhagwat matta ke Govind sakhyam parmanand mante koi koi brahmanand mein magan hai Harivansh mahaprabhu kah rahe koi ekmatra bhagwan ki vandan bhakti mein magan hai ke kathit bhagwat vandnand mata bhagwan ki vandan bhakti mein koi mast hai koi brahmanand mein mast kechit Govind sakhya anupam sukh hai koi koi bhagwan shri Krishna ke sakha bhav mein magan hai parmanand mane sudte ye sab apne purnata ko prapt parmanand mein dube hue hain.

ye sab parmanand ka anubhav kar rahe hain. Lekin shri Radha kil sukh chamatkar sar sima tat bhoj rajman jyoti kintu Radha sakhiyon ko Radha upasako ko Radha dasiyom ko unke liye to shri kishori ji ke charan kamlo ke prakashman mani jaise nakhach chandra ki ek chhata hi kafi jo brahmanand ko pheeki kar de bhagwan ki vandan bhakti ko pheeki kar de bhagwan ke sakh bhav ko bhi phika kar de aisa shri ladli jo ke nakh chandramni chhata ka lesh matra prakash jab unke hriday mein parta hai wo apaar sukh prapt hota hai aadha kinkriyon ko ki yah sab sukh uske age bah jaata hai.

ye samasth sukho ka chamatkar ekmatra charm sima sukh ki shri ladli ji ke charnarvind hai. Jisko na dev brahmad na khal hari bhakt na suda Radha madhupati rahasyam suditam ta dasi bhu tadit keli rasma ho darta pratyasa har har da gochar tum mahaprabhu kahte hain ye jo shri kishori ji ke charnarvind ki nach chandraman chhata ka ek les matra jo prakash hriday mein parta hota hai. Usse jo charm sima ka sukh prakt hota hai use devta bhi nahi jante. Use brahma ji bhi nahi jante. Aur kahan tak kahun use shri Krishna bhakt bhi nahi jante.

use hari bhakt bhi nahi jante. Radha madhupati rahasyam suvidhitam shri Radha Madhav ke is ekantik ras ka jo visheshagya hai wo rasik hai kaun rasik jo Radha dasi bhav ko prapt hai to tay dasi bhava main unki dasi banna chahta hoon unki dasi ban ke apne netron se unke ekantik sukh ko dekh dekh karke magan hona chahta hoon. Ta dasi bhuta tapchit keli rasma ho duranta pratyasha har har dar gochar tum waise ye asha to badi hi kathin hai. Durant hai. Sahaj mein milne wali nahi. Par apne logon ko sahaj Harivansh sharanagati ke prabhav se mil gayi.

to mahaprabhu ke jo karm hai wo kya karm hai tambulam kuch darpayam charno sanvayam kuchit mala parimand kachit ho samajyam kuchit karpad susitam kud chaam paya kada bhaje shri Radhika Madhav mahaprabhu kah rahe hain kabhi pan ki beli bankar ye jo aap log seva mein mast hai na aap iska parinaam dekhna ek ek second ka hisaab hota hai. Kal santo se kah rahe the yamuna kinare jo jal arvan kar rahe the ki ae bhai ek phal Priya pritam jo ne pa liya tumhara jeevan sarthak ho gaya. Patram pushpam phalam toy bhakta prakshati aap jo dhoop mein mehnat kar rahe hain ye nishkam karm hai Priya pritam ke liye aur yah karm Priya pritam ki sidhe prapti karata hai kabhi pan ka beeda arvan karke kabhi charan daba ke sanvahan karke kabhi mala aadi shringar ki rachna karke kabhi pankhe se hawa karke ke mara parimand kuchit ho samajyam kuchit pankhe se hawa karke kabhi kapur aadi se sugandhat swadisht amrit tully jal ko arpit karke pan kara karke main shri Radha Madhav ki har samay atho pahar apne ghar mein hi seva karunga.

mahaprabhu atho pahar Priya pritam ki seva mein hi lage rahte. Priya pritam ko dular karte kabhi Priya pritam ke saath jal vihar kar rahe hain, kabhi nauka vihar kar rahe hain. Kabhi van vihar kar rahe hain, kabhi jhula vihar kar rahe. Vivid prakaar se atho pahar Priya pritam ki seva mein jo aapko Harivansh pratap se prapt hai. To jinka janm apaar aur jinke karm apaar aur jinka gun apaar. Hamare rasik mahapurushon ne varnan kiya. Gun gambhir gosai re hit Harivansh naam hai jako nahi ko jaki nai re inke saman koi nahi hai aaj tak aise guru hamari drishti mein itihas mein nahi aae jo apne shishya ke liye kahte hain tihari pehchante mo ko shyama ji bahut sukh det yah baat guru ke liye aati hai ki he Gurudev aapki pehchan jab se hui tab se isht dev hamen bahut sukh de rahe lekin vitthal das ji ko patr mein mahaprabhu kya likhte hain tihari pehchante muku shyama jo bahut sukh det hai 10 din mein aoge yahi asha se pran hai kitna apne shishya ko pyar karte hain kaisa gun hai mahaprabhu ka bole inke aur tahare agle pale aparadh Harivansh ke bhi piche jo paap aparadh ban gaye wo to main nasht kar hi dunga age jo aparadh baenge unko bhi main nirvah karunga tum chinta mat karo tahare agle pale ye keval vitthal das ji ke liye hi patr nahi hai ye sampurn Harivansh sharanagat ke liye patr hai sampurn Harivansh sharanagat ko nirbhay rahna chahiye chahiye.

janbujhkar aparadh nahi karna chahiye. Par yadi aparadh ho gaye ya aparadh honge to hamare acharya unko bhasm kar denge. Wo kah rahe hain tahare agle pale aparadh Harivansh ke bhi gun janm karm gun kaise gun apaar bole hit Harivansh naam hai jako nahi ko jaki nai re gun gambhir gosai re pragat bhyo so ras rasik hit mangal mod badhai re vam viman amargan chhae popan jhari suhai re mor pikan sur sor milke gunj uthi shahnai re jas sugandh le bhavri si ye dwij banita uth dhai re mahaprabhu jab prakt hote hain to bataya na sampurn prakriti ka vatavran unke swagat ke liye uthta hai sampurn duj patniyan vivid prakaar ki bhet lekar daud padti hai mahaprabhu ke aise gun gambhir mahaprabhu hai aisa avyakt akarshan ki sab daud padti bhramri ki nai jaise kamal khila ho aur bhramri malane lage aise Harivansh kamal prakt hua aur sampurn praja bhagi Harivansh mahaprabhu ke darshan ke liye bahut dhyan dene yogya baat mahaprabhu ke gun ka ek bar je ai dekhn phir kabahu na jai re ek bar jisne mahaprabhu ke charnon ka darshan kar liya wo phir kabhi kahin aur thor ka nahi rah gaya wo Harivansh ka hi ho gaya.

narvahan ji ne apne kathor sevkon ko agyaa ki ki braj mandal mein jo koi bhi aata hai uska ham kar lete hain. Ye Harivansh gosai aae aur aaj tak inka kar nahi aaya. Bole prabhu kisi ki himmat hi nahi ki unse koi maang sake. Bole itne balvan bole balvan nahi unke netron mein jadu hai. Jiski taraf dekh liya wah unhee ka ho jaata hai. Himmat hi nahi padti kuch mangne ki. Narwa ne kaha main dekhta hoon. To chhup ke lata ki oth se jab dekha Radha vallabh ki seva karte hue mahaprabhu ko to nain kripa avlok pranat jan aarti harnam netron se kripa baras rahi kyonki jinke netron mein swayam Priya pritam samae hue hain.

Priya pritam ki rup madhuri samai hui hai. Jinke netron ke prem ka pan karke Priya pritam unmat rahte hain. Priyaju ke netron ke prem ka pan karke Lalu Lalu ke netron ke prem ka pan karke priyaju do chakor do chandrama lekin donon Priya pritam jinke netron ke prem ka pan karke unmatt rahte hain. Un netron ki mahima ka kya varnan karen? Je bhi narvahan ne dekha lut gaya. Kaise gun hai? Kah rahe hain ek bar je ai dekhn te phir kabahu na jai. Yahan jo ek bar mahaprabhu ke charnon ka darshan kar liya to nayan kripa avlok ki pranat jan aarti harnam.

sab avatar bhaje bin ko tak na sakat ja sain re sakdap chintat hi pad jake milat abhay kar chaai re sahi pocho to kisi na kisi janm mein apne logon se bhagwat aradhna ban gayi hai kyonki bina bhagwat aradhna bane Harivansh sharanagati nahi mil sakti aur jisne Harivansh sharan le liya wo abhay ho jae kalyan ki chinta chhod de kalyan ho gaya hamari baat par vishwas kar lo Harivansh sharanagati aisi hai ki tumhare gun avgun tumhara bhajan sadhan kuch nahi dekha jaega keval ye dekha jaata hai kinka hai bole Harivansh ka bole pahunchao nikunj sab avatar bhaje bin ko tak na sakat ja mai re sakaldap chintat hi pad jake milat abhay kar chaai re hamare vani mein vyakhya mein sevak vani ki ek vyakhya mein ek mahapurush ne likha jab itne janm amuk devta ka bhajan kare phir itne janm amuk phir Ram phir dwarikadish phir mathuradheesh phir vrindavandheesh tab jakar shri ji ke charnon ki rati prapt hoti hai aur shri ji ke charnon ki rati ke baad nikunj ras prapt hota hai aropat kar vir mein jaise gungan gav badhai re taise phal pav sur taruvar

ye sain ko sain re bole ye kaun hai bole Harivansh kalptar hai ye bole isht ke bhi isht hai ye jo kah denge shri ji baat nahi kaat sakti Lalu aur shri hamare sain hain lekin Harivansh chandra ji sain ke sain hain. Yah jaisa kahte hain waise hi nach nachte hain. Priya pritam inke hath mein hai. Priya pritam inke hath mein hai. Aur yah hamare kalpatar swabhav shri Harivansh mahaprabhu hai jo inki sharan mein aa gaya. Dhire-dhire vishay keech se nikal ke premamart mein dubo diya. Vishay keech se nikal kar dheeredheere premamart mein dubo diya.

sahat sahat ba bhagat ga tan guru hitag jah paras gun rasad sindhu se vinmit bhay mahai re jaki vani ke akshar pati pragat hai kunwar kathai re bole jinke charnon ka aashray jisne le liya usmen samasth vinay samasth sadgun prakashit ho gaye aur jo inki vani ka gayan karne laga chaturasi ji ka to akshar akshar par shri Krishna priyaju virajman hai. Shyam shyama pragat pragat akshar nikat are bahut badi vastu prapt hai chaturasi ji yadi aap chaturasi ji gunguna rahe ho to chinta mat karo nikunj mein hi ho shri shyama Shyam aapko ghasit ke apne paas le jaenge ye mat socho ki tumhare man mein kya chal raha hai ye manwan sab bhunga hai unki kripa ke age jo ras maha Vishnu nahi pavat so ras nadi bahai re jo ras maha Vishnu nahi pavat sos nadi bahai re hriday pravah pranat jan ke soi tr pathga umdai re bole tripathga kahte hain ganga ji ko

mrityu lok vahini patal lok aur swarg lok patal lok vrindakini mrityulok mein ganga bhagirathi thi aur akash mein alaknanda alaknanda ganga mandakini inhe tripathka kaha gaya to kah rahe hain jo ras maha Vishnu ke hriday mein bhi nahi prakashit hua wo ras sharanagat ke hriday mein prem rupi ganga ka pravah kar diya Harivansh mahaprabhu ne apne sharngat ke hriday mein prem ras ganga ka pravah kar diya jo ras maha maha Vishnu ke bhi hriday mein nahi aaya yate pyar bhar dolit ho bade thikane thai re ab to ham bahut pyar mein bhar ke khub masti se dolte kyon bade bade thikane ke ho gaye ham bahut bade thikane ke ham hai ye garv karo ki ham Harivansh sharanagat hai ye garv karo ki hamen Harivansh mahaprabhu ke charnon ki sharanagati prapt hui ab rom rom nas nas mein ras raho auran jajo mein kai re ab kisi se mangne ki zaroorat nahi yahan rom rom mein nas nas mein jo ras fail raha hai Harivansh mahaprabhu ki kripa se bhugat deh aur na jaach Harivansh sharanagat dusron ko deta hai aur khub anand vilasta hai wo kabhi aise mangta

nahi hai ye Harivansh naam ki siddhi hai shri Harivansh naam sab siddhi sab ras will se nau nidhi bhugat deh aur na jaach poshan bhar na chint kara shri Harivansh vibho will ye char sampraday jag mela jag mela ma char sampraday aur bhakti kanat lagai re aap kahenge aisa kyon kah rahe hain bhagwat rishi ji ne likha hai sampraday naudha bhagat ved surasri nir ye char sampraday aur navdha bhakti aur ved siddhant ye ganga ki dhara koi bhi dubki laga lo lekin Lalita sa ki upasna hai singhin ko chher ye Lalita se ye sahachari bhav ki upasna singhini ka doodh hai aur singhini ka doodh ye ke bachchha ke pet ya to swarn ke patr mein aur ya bachchha ke pet mein nahi to nasht ho jaega.

kah rahe sampraday naudha bhagat ved surasri nir Lalita sakhi upasna hai sinn ko chhar hai singhan ko chhar raha hai kundan ke vasan kahe bachchha ke pet aur ghat kare vinashan isliye yahan kah rahe hain ki pehle to bada bhari mela laga hai kiska bole char sampraday ka aur iske baad kanat lagi hai aap jhaank nahi sakte kanat ke piche kya hai aur kanat ke piche piche ta pe hit mahal padharo dasi jan apnai re uske piche mahal hai dikhayee nahi de raha kanat lagi char sampraday mein pravesh karo ab koi kripa patr char sampraday ke mela se nikal kar ke aur idhar ave dasi bhav mein to phir mahal tak uski pahunch ho jae.

accha hamari upasna mein shudra ho, vaishy ho, kshatriya ho, brahmin ho, stri ho, purush ho, jawan ho, budha ho, koi bhi ho. Antaj vaishy aur nari hu charan sharan je ai re. Koi bhi ho koi bhi ho kaise papi kyon na ho Harivansh naam jo le alak ladti reej ke mail khavasi re koi bhi ho chahe stri ho chahe purush ho balak ho chahe vridh ho antyaj ho chahe shudra ho chahe vaishy ho chahe kshatriya ho chahe brahmin ho koi bhi ho aa jae khula darbar Harivansh mahaprabhu ka hai aur inki sharanagati matra se bhagwat prem ki prapti ansh kala avtaro jinke tarsat darshan tai re ansh kala avatar bhagwan ke jin prabhu ke darshan ke liye tarste hain wo hamari nau kishori nau kishor ki

jodi usko prapt ho jaegi chahe koi bhi ho jo Harivansh sharanagat ho gaya Shri pati durlabh ras tamdi abla jan arujhai re lakshmi narayan ko bhi jo ras durlabh hai dasi bhav wale rasik janon ne baji mar li us ras mein aur gaya unka man shyamal gaur chaturbhuj dasi lal Priya man bhai re Shyam sundar aur shri gaur ladli jo chaturbhuj das ji kah rahe hain yahi mere man mein bhai hai aur inke shyamal gaur Priya man mein ye samai hai hit sajni ju hit sajni jo hit sajni ju kahe wahi shyamal gaur karte hain to janm aur karm aur gun aur rup ka kya kahna rup to aisa hai ki na dekha gaya na suna gaya atulit ras barsat sada sukh nidhan vanvas adbhut mahima mah pragat sundarata ki raas sundarata ki rashi kaun hai Priyaju Priyaju ka mano pratibimb hi Harivansh mahaprabhu pratirup hi Harivansh mahaprabhu jaise priyaju gori waise Harivansh mahaprabhu gore jaise Priya jo kanchan varan to atulit ras barsat sada sukh nidhan vanvas adbhut mahima mah pragat sundarata ki raas sundarata ki raas kanak dati deh ruchi kaisi ka hai kanak

ruchi aur Priya ji ke shri ang ki kant kaisi sat Kumbh tanu gori to Harivansh mahaprabhu ka rup ka kya kahna hai bole aisa rup hai ki jo ek bar dekh le wo inhi ka ho jae. Aaj tak aisa hua. Hamne to rup nahi dekha tha. Harivansh mahaprabhu ke naam ko suna tha unke janon se. Naam ne jab rup prakashit kiya to pura jeevan palat ke rakh diya. Ham yah nahi kahte ki ham nirvikaar hain. Lekin ham yah jarur kahte hain ki Priya lal ke siva hamare jeevan ka koi adhar nahi hai. Hamara adhar priyal hai. Chal dekho ri rasikan nain ranghilo lal vyas ko.

aho tan man anand den ranghilo lal vyas ko. Sar rup ko rup yah ras ke ras ko sar rup ka sar rup hai ras ka sar ras rup hai Harivansh mahaprabhu ka dampati hi sukh sar koi ye adbhut pragto pyar Priya pritam ke hriday ko sukh pahunchane wala jo prem hai wahi Harivansh mahaprabhu ke rup mein prakt hua akhiyan ki aankh yah hi ke hi ko sar netron ki putri hai yah. Yah hriday ke prem ka sar hai. Tan man kotin pran bal jake deu naam pe war. Gori ki sab gaurta aur Shyam shyamalta sar do hi ke het ki nidhi pragti mere lal.

lal jug ki Shyamta aur pyari jug ki gaurta donon milit rup Harivansh mahaprabhu hai. Dekht hi dekht dragan lagat aur hi aur ulhat chavi so chavi nai lalit manohar gaur lal. Dekhte hi dekhte Harivansh mahaprabhu ka aur rup ho jaata hai. Jaise Priyaju ka rup. Aise Harivansh mahaprabhu ka rup ho jaata hai. Lagat aur hi aur ulhat chavi chavi nahi lalit manohar gau lal koti vishv ki madhuri mahasar ko sar saras sar mein nit nayo nain na pave par dekht an dekhe lage herat hayo hirae madhu madak murat madhur jhalkat mat baray dekhte hi dekhte aisa lagta hai maine kabhi dekha hi nahi aur jisne dekha to mat barae mati bavri ban gayi aur kuch dekhne ke yogya nahi raha jisne Harivansh mahaprabhu ko dekha isliye inka janm karm gun rup apaar sevak ji maharaj kah rahe hain agar main mahaprabhu ke janm karm gun inka varnan karun rup ka to yah apaar hai baadh katha kahat vistar bada vistar aapko prapt ho jaega agar main janm karm gun rup ki katha kahun aur sabse badi sar baat yah hai ki hamare ek se ek siddh mahapurush hue jinhone lakho lakho pado ki rachna ki lekin sampurn Harivansh charit ko nahi likha kyon kyonki jo hi Harivansh mein dube to Harivansh ka swaroop Priya pritam hai.

bas wo Priya pritam mein hi doob gaye. Harivansh ka swaroop Priya pritam hai. Jahan Harivansh mein lage Priya pritam prakashit ho gaye. Bas unhee ki rup madhuri leela madhuri unhee ke nana prakaar ki leela ras ki krida ka varnan aap dekho Vrindavan chacha bade-bade mahapurushon ki isiliye sevak ji bhi maharaj sanket mein kah rahe hain ki janm karm gun rup apaar apaar hai inka janm karm gun rup. Agar main inki katha kahne lagun to katha ka bada vistar hota hai. Bas ham to bar-bar sumiran karo. Bar-bar unka smaran karke pranam karta hoon.

namaskaar karta hoon. Unke janm ko unke karm ke unke rup ko unke gun ko. Ho laghu mat jo ant nahi raho. Buddhi praman kachu kachu kaho raho sharan Harivansh ki. Sevak ji maharaj kah rahe hain phir main sochta hoon ki meri buddhi to bahut thodi hai. Ho laghu mat jo ant nahi meri buddhi bahut thodi iski par nahi pa sakti buddhi jo ye janm hai karm hai gun hai rup hai inka par meri buddhi nahi pa sakti vichar karta hoon ki meri buddhi bahut thodi hai. Main iska par nahi pa sakta hoon. Bas unki sharanagati mein hoon.

Harivansh charan sharanam kah rahe hain raho sharan Harivansh ki. Meri buddhi to bahut chhoti hai lekin Saraswati ki buddhi to buddhi ki adhashthatri hai. Shodho ka moh ketik mati jas varnan tahare Saraswati meri buddhi to chhoti hai. Sevak ji maharaj kah rahe hain yadi jas varnan karne ki thane Saraswati to bhi wah par nahi pa sakti. Likhat sharda sarwakalam ta naam agar as samm sindhu patr sur shakha lekhni patr likhat gwaa sharda sarwakalam tado gu naam nayati samudra ko syahi bana le prithvi ke vrikshon ko kalam bana le aur prithvi ko kaagaz bana le aur swayam Saraswati ji mahaprabhu ke yash ka lekhan karen to likhat yadi gitwa sharda sarwakalam sarwakal likhti rahe to bhi unke gun ka par nahi pa sakti kyonki anant gun hai.

unke rup unke gun unki mahima unka janm karm ye sab apaar hai. Phir bhi ham itna sanket karte hain ki jitna sab kuch hai atithi sab Harivansh ki kyonki wahi param tatv hai dusra koi nahi de kripa kar buddhi prakash jas varnano Harivansh vilas shri Harivansh gai ho sevak ji maharaj Harivansh mahaprabhu se prarthna karte hain shri ji se prarthna karte hain ki apne rup gun mahima ka hamari buddhi mein prakash karo jisse main aapke kuch jas ka varnan gaan kar sakun. Aapki mahima ka gaan kar sakun. To mahaprabhu ka janm karm gun rup apaar hai.

jo swayam Saraswati ji bhi par nahi pa sakti. Sevak ji kah rahe hain main laghumti hoon. Keval Harivansh ki sharan mein hoon aur unhin ki kripa se jo kuch aa raha hai uska varnan kar raha hoon. Shesh charcha ki shri Radha vallabh lal

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi