॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

kya bhagwatprapti ke liye jeevan mein dukh ana zaroori hai ya iske bina bhi ho jaegi?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

Anil upadhyay ji Noida se Radhe-dhe maharaj ji maharaj ji kya dukh zaruri hai jeevan mein atmik vikas aur bhagwat prapti ke liye ji kyonki jeev anukulta aur sukh mein bandh gaya hai. Isiliye jab kisi ke hriday mein uttam adhyatma ki akanksha jagrit hoti hai. Jaise aadi samrat maharaj Manu aur shatrupa ji to barbas raj sut nap dina aur hari hit aap gavan ban kina zabardasti apne rajya ko chhoda nahi ek mahal banva sakte the apne bhajan ke liye parnakti mein rah ke ya khula akash ki garmi sardi barsa sahte hue bhagwan ka naam jap karte hue aisa mahan tap kiya ki swayam sacchidanand bhagwan Ram unke putr bane.

wahi dashrath aur kaushilya ke rup mein janme. To bhogon mein, anukulta mein, sukh mein, sharir mein jo priyata hai, jo rag hai, yahi janm maran ka hetu hai. Isi ko katna hai. Dukh isko kaata hai. Jaise jine ki ichchha hai bhaykar pida yukt rog ho jae aur aushadhi ki vishesh suvida na ho to aap khud manane lagenge ki bhagwan sharir chhut jae to accha mita sharir ka rag aap manane lagenge ki sharir chhut jae to accha vipatti hai. Bahut se mitra sampatti mein hath mila rahe hain. Bada pyar kar rahe hain. Bada rag kar rahe hain.

jab vipatti hai to aapko pata chal jaega kaun pyar kar raha hai. Koi pyar nahi karta. Dukh aur vipatti wo chij hai jo asliyat dikhayee deti hai sansaar mein. Aapke paas paisa na ho. Sharir kam layak na ho. Phir aapko koi pyar kare. Koi pyar nahi kare. Sachchi maniye vipatti mein asliyat pata chalti hai ki sansaar mein koi hamara nahi hai aur vipatti mein bhagwan ki vishuddh ar bhav se pukar hoti hai ki he nath ab aapke siva koi nahi hai. To mujhe to lagta hai ki bhagwan kripa karen aur hamari dhan ki maddandhta bhogon ki priyata aur dehabiman nasht karne ke liye jarur koi aisi vipatti de jisse ham bhagwan ki taraf chale.

yah aap logon ko bhayava lag raha hoga ki yar vipatti to badi khtrnak chij hoti hai. Lekin vastvik aapko baat batayen jo hamari jeevan mein sadhna se baat nahi bani wo kidney phayl hone se baat ban gayi. Kyonki ar bhav se bhagwan ko pukara ki bachpan se Baba ji rahe nath. Ab to koi sadhna bhi nahi banegi mujhse. Ab to main keval aapke sahare hoon. To jo sachchi sharanagati ka uday hua wo is rog ne diya. To hamen khud ka anubhav aur shastron ki baat par yah nirnay karke kahna hoga ki jiske jeevan mein bhagwan dukh aur vipatti dekar sadhu samagam de dete hain.

keval dukh vipatti nahi dukh vipatti dekar sadhu samagam de dete hain. Uska jeevan dhanya ho jaata hai. Uska jeevan krit krit ho jaata hai. Wo bhagwan se sambandh swikrat karke wo bhagwan ka bhajan karne lagta hai. Manushya jeevan mila aur bhagwan ka bhajan nahi to pyare sachchi samjho bilkul kuda jeevan hai. Chahe jo ho aap bilkul kuda jeevan hai. Bilkul kuda jeevan. Maharaj nosh Devraj indra ke pad par baithe. Ek kamna ne unko ajgar ki yoni mein bhej diya. Ham to manushya bankar soch rahe hain ki jab Devraj indra ban ke bhi ajgar ki yoni ko prapt ho sakte hain.

bharat ji jaise chakravarti samrat maharaj bhagwan Rishabhdev ji ke putr hokar chuk ho sakti hai to hiran ban sakte hain. To ham logon ko nali ka kida banne mein kitni der lagegi? Isliye manushya janm ye mila hai bhajan karne ke liye na ki keval bhogon ko bhogte hue jeevan vyarth nasht kar do. To yah baat tab samjh mein aayegi jab aapko dukh par dukh milenge na. Koi sathi nahi hoga na. Tab aapko yad aayegi ki koi ek sathi hai mera. Jise bhagwan kahte hain. He bhagwan ab to aap hi sahare ho. Ab to aap hi mera nirvah kar sakte ho.

bas wahin se jeevan ki dhara badal jati hai. To ham us dukh ko us vipatti ko namaskaar karte hain jo bhagwan ki taraf mod de. Us sukh aur sampatti ko dhikkar karte hain jo bhagwan se dur kar de. Us vipatti aur dukh ko namaskaar karte hain jo bhagwan ke sanukh kar de. Bhagwan ki charan sharan de de. Agar vibhishan ko lat nahi mara hota na to chahe jitna bhakt the wo Ram ji ki sharan mein nahi ate. Ram Ram bhale japte lekin ramad mein nahi ate. Jab lat mari Ravan ne puri vipreetta nikal ja lanka se. Jab nikal diya pad se bhai pane se sab tarah se dur tab bhagwan ki sharan mein aa gaye.

vipatti atyant aniwarya hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
  • jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…