॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

jab sharanagati hi sabhi sukho ka karan hai, to ham prabhu ke sharanagat kyon nahi ho pate? // 16/04/2026

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

vrindavnshvri tav padarvindm prema makrand raso purnam hyapitam madhupte smarta mugram nirvai param shital mashryam nirva param shital mashray param sacchidanand ghan anand samudra prem samudra gyan vairagya bhakti aishwarya anant shaktyon ke Swami Swami prabhu shri Krishna chandra jo apne aap se apne aap ko prakt karke khel khel rahe hain. Ham apne ko prabhu se alag mankar prabhu ko bhul karke vishyon ko satya man karke khel rahe hain. Bas yah khel hamari durgati ka karan hua kyonki ham apne swaroop ko bhul gaye.

apne anshi prabhu ko bhul gaye. Nahi to yah sacchidanand prabhu ka khel hai. Agar aapko smriti jagrit ho jae to aapke liye dason dishaein anandmay ho jae. Dukh ka lesh na mile. Yah dukh milta hi hai hari vimukhta ke karan. Agar hamare hriday mein yah jo dehabiman hai, main stri hoon, main purush hoon, main dhanvan hoon, main gyanvan hoon. Aadi aadi yah hat ke main prabhu ka hoon. Prabhu mere hain. Yah baat baith jae to dukh ki yatra jad se samapt ho jae. Nahi to yah yatra janm janmantar se chal rahi hai. Iska vishram nahi hoga.

bar-bar janm, bar-bar maran, bar-bar rog, klesh, ashanti, dukh prabhu kahte hain tum keval meri sharan mein ho jao. Yah hriday mein thesak baithalni hai. Yah koi zyada kathin kam nahi hai. Kyonki ham prabhu ke hain. Ismen kisi sadhna ki avshyakta nahi. Yah baat sweekar karne ki. Prabhu ke ham hain. Prabhu ke siva hamara koi nahi hai. Kyonki wahi wahi hai. Agar yah baat ham swikrati mein le ave to zyada kathin nahi padega. Par hamari swikrati galat ho gayi hai. Isi ko sudharna hai. Hamari swikrati hamari aankh ke ye tare hamari aankh ke ye tare Radha mohan mohan Radha ye do rup ujare ye do prem piyare hamari akhin ke do tatare gaur Shyam abheeram manohar ye braj barsane wale sukh sharad narad balhari upma ma barat hare upma barat hare hamari ankhin ke do tare surdas nij prabhu darshan ko bar-bar balihare Radha mohan mohan Radha ye do prem pyare hamare aankh inke ke do tare bade karunamay ati udaar vi sundar surat sur sukumar ati lawanya rup abhinay gun nahi koti kam samtul ho karunon kam ki saundaryata ko mat karne wale yugal sarkar bade karunamay samudra hai ham sab par kripa ki apne nij mahal mein bulaya.

ab hamara hriday inki taraf samarpit ho jae. Jab tak ham inko apna sweekar nahi karte tab tak yah maya bakhashne wali nahi. Inko aise sweekar karna hai ki hamare netr dekhna chahe to sirf yugal sarkar. Hamari shravan sunna chahe to inhi ki baat inhi ka naam inhi ke rup gun kirtan hamari grahan indri agar sugandh lena chahe to inhi ke prasadi itr prasadi pushp prasadi mala aur tulsi chandan aadi hamari rasd swad lena chahe to inko arpit kiya hua bhog prasad agar hamara sharir sparsh karna chahe to inke shri charnon ko aur inke shri charnon mein lage bhakton ke shri angon ko hamara jeevan abhi sarthak ho jae.

par yah durbhagyavash hamari baat samjh mein nahi aati. Jaise hi ham inko apna sweekar karte hain to hriday mein ek pida paida hoti hai ki hamne jinko apna mana wo to parde mein chhupe hue hain. Hamse milte kyon nahi? Hamse baat kyon nahi karte? Pida aur badhti hai. Pida hi virah rup dharan kar leti hai. Ab to hriday hahkar se yukt ho jaata hai. Prabhu pata nahi kitni svase rah gayi. Ab to mil jao nath. Aap apni kripa se mil jao. Uske paas samay kahan rahta hai kisi aur ko dekhne ka, sunne ka.

uska hriday to pratiphal vyakulta se bhara rahta hai. Kahan maya hai? Kahan vighna hai, kahan ashanti hai? Jab tum maya ka chintan karoge, vighnon ka chintan karoge, ashanti ka chintan karoge, tab hogi. Sabke hriday mein bada banne ki ichchha hai. Kyonki ham bade ke hain. Bado ke bachchhe bade hi banna chahte hain. Avinashi ka bachchha avinashi swaroop mein hi hona chahta. Wah marna nahi chahta. Sukh sindhu ka ansh sukh samudra mein hi leen hona chahta hai. Par ham bada banna chahte hain. Rupaye ke bal se, bada banna chahte hain.

pad ke bal se, bada banna chahte hain. Lok sammaan ke bhav se, sab log hamen pranam karen. Galat ho gaya. Yahan bada wahi banta hai jo sabse chhota ho jaata hai. Dhyan rakhna yahan sabse bade pad ka adhikari wahi banta hai jo tanadap suni chen apne ko sabse chhota samjhta hai. Sabko apne aradhya dev ki bhavna se yukt dekhta hai aur apne ko sevak kahan maya hai? Kahan bandhan hai, kahan ashanti hai? Ham ashanti paida karte hain. Ashanti ka sankalp karte hain. Ashanti ka chintan karte hain. Savdhaan ho jaiye. Shyam bhaje so sahu bada.

Ram Krishna hari koi bhi naam lo. Sab hamare hi prabhu ke naam hai. Wahi sabse bada hai jo naam jap karta hai. Aap logon ko yah baat anubhav mein nahi aayegi. Jiska jitna hriday prabhu mein samarpit hai usko prichay milta hai. Sab khokhla nazar aata hai. Kahin sar vastu nahi hai prabhu ke siva. Sab khokhla. Bhay lagta hai ki are yah jhuthe pado mein, jhuthe man mein, jhuthe bhogon mein, jhuthi sampatti mein aisi amulya swason ko nasht kar rahe hain. Inko pata hi nahi hai. Kuch nahi hai inke paas. Jo prabhu ka naam jap nahi karte.

prabhu se vimurkh hai. Apne ko kuch mante kuch nahi hai. Wahi bada sahu hai. Wahi zamindar hai. Wahi paddhikari hai. Wahi dhani hai. Wahi samrat hai jo Shyam bhaje bhagwan naam ka dhani. Aur jo kamna ko bhaje to kah rahe kam bhaje so hai ba chor. Jo kamnao ke piche mara ghumta hai wah chor hai. Aap use chor kaise kah sakte hain? Chor to wo hota hai jo dusre ki vastu ka aphrn kare. Aap kisi ko chor kyon kah sakte hain? Bole haan prabhu ne shase di. Apna kalyan kar lo. Sadhan dham moksh kar dwara paje parlok sanra rajkiy vibhag se swas rupi dhan mila paramatma tatv ke chintan ke liye aapne un shason ko kam mein vishay bhogon mein vyatit kar diya chori hai prabhu ki vastu prabhu ko arpit karni chahiye aapko dharohar rup mein svase di gayi thi taday vastu Govinda mein samarp Govind ki vastu Govind ko samarpit kar dete to Govind ban jaate bade ho jaate to tan man dhan kachu thir na rahe wo kahe hujie ito kathor ye tumhara sharir tumhara dhan tumhara pad aur tumhara man sab chalayman hai sthir nahi hai.

kyon apne hriday ko abhiman ki kathorta se bhar rahe ho? Tumhare paas kuch bhi sthai vastu nahi hai. Sab chalayman parivartnshil nashvan hai. Te dhanvant te sukhwanta Krishna naam japte nishibhor wahi sabse badi dhanvan dhan sampatti wala wahi sabse bada sukh samgri wala sukhavta jo raat din kamai naam ki kar raha hai. Krishna Krishna Krishna Krishna Radha Radha Radha Radha te dhanvant te sukhwanta Krishna naam japte nishibhor raat din jo naam jap kar rahe hain wahi dhani wahi sukhwan hai kam krodh mad lobh moh mein vishay vasna lagi dor shoor surdas prabhu sumiran karle na ta jam ki por prabhu ko bhul karke kam krodh mad moh matsarta ki prerna se dushkrit karm kar rahe ho ek hi upay hai bachne ka prabhu ka naam jap lo nahi to yam ke dwrae par tumhari bahut pitai hone wali hai jab tak shase hain tab tak tum sambhal jao nahi man pachhtai hai avsar bite yahan khub deeng haki jati hai khub muchchha mein taav diya jaata hai aur jab kanun ke virudh aacharan kiye jaate hain aur jab phas jaata hai kes jab saja hoti tab usko pata chalta hai ki are maine agar yah galti na ki hoti to aaj kitna swatantr jeevan mein ghum sakta tha.

main ja sakta tha. Aaj in char deevari ke antargat shasan mein rahkar kasht sahta hua bina ruchi ka hamara jeevan ja raha hai. Ab to kya jab phas gaye phir kya abhi to kya yamdoot kya yam dwara kya narak sab baten likhi padi hai. Kuch satya nahi hai. Kah lo tumhare kahne se hoga. Jab tumhare dushkriton ka phal aayega tab tumhen pata chalega aur us samay tum kuch kar nahi paoge. Isliye savdhaan wahi dhanvan hai, wahi bada hai, wahi sukhi hai, wahi buddhiman hai jo raat din prabhu ka naam jap karte hain. Prabhu kah rahe hain meri ye gunmai maya badi badi duratya hai.

agar isse koi par pa sakta hai to jo mera sharanagat bhakt hai wahi par pa sakta hai. Kyonki maya meri hai. Jab koi meri sharan mein aa jaata hai to bhagwan ko kahna nahi parta. Maya apne aap uska sahyog karne lagti hai bhagwat prapti mein. Aur jab koi ahankaar karta hai sharanagat hote hue bhi to tatkaal phir wo kasauti mein kasti hai. Dikhao is prashn ka uttar dekar ke phir wo har jaata hai. Phir rota hai. Phir wo sahyog karti hai. Chalo age badho. Abhiman mat karna. Sab sukh ka sadhan shri bhagwan ki sharanagati hai. Ya mein tero kahan ghatego aa dhyan dekar sun ya mein kaha ghatego tero nand nandan kari ghar ko thakur apun hoe raho chero ya mein kaha ghato tero bhali bhai jo sampatti badhi bahut kiyo ghar ghero sut banita bahu jooth sakele vaibhav bhyo ju ghanero kahun hari katha kahun hari seva kah bhaktan ko dero shoor samarpan karo Shyam ko yah sancho mat mero ya mein kahan ghate go tero agar aap sukhi parivaar chahte ho khub mangal chahte ho kabhi chinta na karna pare aisi sthiti chahte ho apne aap sari vyvasthaye hoti rahe koi vipatti vighna aapko sata na pave to ek upay kar lo mame prapadte tum nand nandan ko apne ghar ka malik bana lo.

hai hi wah par tum mano. Abhi tum apne ko malik mante ho. Ismen tumhara kuch jaega nahi aur tumhara mangal ho jaega. Apne ghar ko thakur ji ke hawale kar do. Yah thakur ji ka bhavan hai. Bhakt log to likh bhi dete Priya kunj nikunj aise yah priyaju ka kunj hai. Aap apne pure parivaar sahit prabhu ki dasata ke bhav se ho jao. Shrut banita jitna parivaar hai malik hai is ghar ke thakur ji. Aap hue sevak chahe jitni sampatti ho aapko bandh nahi sakti. Kyon? Kabhi hari katha karva rahe hain. Kabhi hari bhakton ko sundar sundar prasad pawa rahe hain.

kabhi deenon ki seva kar rahe hain. Ye malik ki seva hai. Ye malik ka adesh hai. Waise ham ji rahe hain. Bhala tumhen vipatti chu legi. Bhala tumhare yahan sampatti ki kami rahegi. Pakki baat samjho sukhi hona chahte ho to thakur ji ko apne ghar ka malik bana lo aap sevak ho jao aur jo bhi vaibhav hai unki agyaa ke anusaar usko prayog mein lao abhi aandit ho jao karo adharm aur chaho sukh kaisi mati tumhari beimani adharm se hinsa se kabhi koi dhani hokar sukhi hua hai kya sadhu seva karo, deenon ki seva karo, dukhiyon ki seva karo aur unmein bhagwat bhavna karo aur wah bhi prabhu ke dwara di hui sampatti se, prabhu ki seva ki bhavna se abhi mangal ho jaega.

dason dishaein anandmay ho jaegi. Aisa sab kyon nahi kar pate? Yadi aap aisa kahte hain ki bhagwan ki sharanagati, bhagwan ki bhakti sukh dene wali hai to sab kyon nahi kar lete? Agar yahi sukh ka sadhan hai to sabko karna chahiye. Bhagwan kah rahe hain ki ma prapadte maya mentam tarte shri bhagwan age ka shlok kah rahe hain ki isliye sab sharanagat hamare nahi ho pate nama dushkritino mudha prapaddyate na radhma maya hrit gyan asuram bhav masrita ye jo mere se vimurkh hain meri maya ke dwara jinka gyan aphrn kar liya gaya hai ve asur bhav wale raaksasi shobha wale dekho seeng nahi hote yahan ke rakshasaon ke bina seeng ke yahan ke Rakshash rakshasaon ko kaise dant bahar nikle yahan bahut sundar Rakshash hai bahut dekhne mein sundar lagenge bada sundar jeevan hai kaise tumhen batayen kaisi wo apni durgati kar rahe hain.

unko pata nahi hai pramad sthiti mein kaisa apna nash kar rahe hain. Dekho durmati ya sansaar ki hari so hira chhadi hath te bandhat pot vikar ki dekho durmati ya sansaar ki jhuthe sukh dukh mein bhul rahe hain sudh bari kartar ki nana vidhi ke karm kamae khabar nahi sir bhaar ki dekho durmati ya sansaar ki ko khet ko vaj chakri ko asha hathiyar ki adha dhun phirat dashu da phuti aankh gawar ki narak jaan ke marg chale sun sun bi pra lavar ki apne hath gale mein dalat phansi maya jaar ki barah hi bar pukar kahat ho sun ho sirjanhar ki surdas ye binas jaegi deh chhinak mein chhaar ki dekho ya durmati sansaar ki kaisi buddhi hari ke bhajan na karne se hoti hai jo hari ka bhajan nahi karte wo kaisi buddhi hoti hai bole pahli baat itni murkhta chhaa jati hai koi hira chhodkar kanch batorne lagta hai.

hari naam hira hai. Yah aisa hira hai ki iski keemat kahin bhi tribhuvan mein koi nahi de sakta. Itni amulya hai iski keemat. Sab bik jaenge par iski keemat nahi de payenge. Aur jiske paas ye dhan hai hari naam dhan sab uske age jhukenge. Ab kitni badi murkhta hai. Is hari naam rupi param dhan ka tyag karke ham aise rupaye batorne mein lage hain jinka kahin koi astitva nahi hai. Na ye pehle hamare saath the na ye baad mein hamare saath rahenge aur na beech mein hamare saath hain. Keval ham unka chintan karke sukhdukh ka anubhav kar rahe hain.

hamare paas dhan kam hai. Dukhi ho rahe hain. Bank mein jama hai. Hamare paas itne karod hai. Ham karorpati hain. Bas is baat ka sukh aur pane ko kya hai? Bilasne ko kya hai? Bhogne ko kya hai? Jo char din ki chandni hai wo roz ka roz indriyan shithil ho rahi hain. Sharir mein bal ksheen ho raha hai. Svase kam ho rahi hai. Unko pata nahi hari se vimurkh hone par pahli murkhta ye kam karti hai. Buddhiheenta kam karti hai ki wo bhajan rupi hira nahi kamane deti. Sansaar ke bhog rupi kanch batorne mein lag jaata hai.

wah aise vikaro ki paap potli bandh leta hai jo sidhe narak pahunchati hai. Jab kamna badh jati hai na to yah nahi dikhayee deta ki inke hamen pair chuna chahiye ki inke prati hamen kam bhav rakhna chahiye. Buddhi bhrasht ho jati hai. Jo tumhare dwara posit hai unhin ka shoshan hone lagta hai. Jo ghor paap hai wah sab hone lagte hain. Aur upar se ham aise rahte tabhi kah rahe kitne sundar Rakshash hain. Dekh ke aap bhavna bhi nahi kar sakte ki kuch galat ho sakte hain kya? Nahi. Bhav unke upar asuri bhav raaksasi bhav nahi.

maa ne koi anuja tanuja bahan beti ka bhav hi khatm ho gaya keval bhog buddhi pavitra pujya bhav hi chala ja raha hai keval swad buddhi bhog buddhi indriy jan bhog mile bas rupya aaya manmani aacharan shuru paap ki potri ikttha kar raha hai hari vimurkh sansaar mein jhooth bol bol karke jhuthe vade karke jhuthi jhuthi baten karke wah sochta hai main khub dhani ho jaaunga. In sab ka dand milega. Kamai hai tum jo bo rahe ho wahi tumhen katna padega. Jab katne ka avsar aata hai na tab koi nahi hota. Keval aap hote ho.

abhi aapko lagta hai parivaar ke poshan ke liye hamara kartavya chahe dharm se chahe adharm se ham dhan kamae unko sukhi karen. Lekin jab tumhare kukarma ka parinaam aayega to tumhen hi sirf bhogna padega. Savdhaan kah rahe hain ki apne khyal mein us srishti ko rachne wale aur unke vidhan ko bhula deta hai aur apne ko sab kuch man leta hai. Are koi nahi dekhta manmani aacharan bhanti bhanti ke shastr virudh aacharan kukrit aise kurkrit karta hai. Itna bojha lad jaata hai dimaag mein bekhbar ho jaata hai. Murda jeevan murda jeevan bhakton ki drishti mein wah mrit jeevan hai jin hari bhagat hriday nahi ani jivit sab saman te prani kabhi wo kheti karta hai kabhi vyapar karta hai nokri chakri karta hai kabhi hathiyar utha ke hinsa aadi chori aadi karta hai dason dishaon mein adhadhundh pagal bana ghum raha hai keval vasna ki purti ke liye desh videsh ye apne sashta apne Swami apne malik shri hari ko basra karke yah dhul banne wale sharir par ahankaar karke tu nash ko prapt ho raha hai.

badhiya avsar mila hai ise kho mat. Shri bhagwan kah rahe hain jo asuri bhav wale jan hain wo meri sharan mein nahi ate. Paap karm karne se mudhta ko prapt ho gaye hain. Aise log kabhi meri charcha nahi sun sakte. Meri sharan mein ane ki baat bhi nahi soch sakte. Dekho badi kripa hai apne upar. Shyama Shyam ki badi kripa hai jo hamen roz unki baten sunne ko milta hai. Mano roz hamko jagaya ja raha hai. Roz hamen pavitra satsang se badhkar pavitra karne wala koi tirth nahi hai. Satsang sidhe hari charnarvind ka aashray aur prem pradan karta hai.

bada durlabh jagat mein sansaar mein yah satsang hai. Sachchi maniye durlabh vastu sab kuch mil sakta hai. Lekin satsang bina kripa ke nahi mil sakta. Ram kripa bin sulabh na soi. Prabhu jin janon par kripa karte hain wah bhale samjh mein na ave to aap kahoge samjh mein nahi aayega to phir baat kaise banegi? Saanp jharne wala jab mantr shuru karta hai na to uska vish utrna shuru jo asli mantr gyata hai. Usko kuch samjh mein nahi aata. Jiske saanp ka jahr chadha hota hai. Aise hi maya ka jahr chadha hua hai. Kuch samjh mein nahi aata.

kya trigun kya bolte rahte hain kyonki buddhi ka jab tak adhyatma mein pravesh nahi hoga phir bhi jaise aap satsang mein baithe ho to aapke jeevan ka samay do ghante teen ghante aapne sant sang iska kya parinaam to satsangati sanskriti kar anta nischit ye sansaar chakra ka nash karke bhagwat prapti kara dega satsang ki badi mahima hai jo dushkriti hote hain namam dushkriti mudha prapadte naradhma bada vichitra khel hai. Manmani aacharan bhai chodo. Jab tak aap apne man ko dular karte rahenge tab tak aap samjh nahi payenge bhagwat marg.

aapke andar sab gyan hai. Aap aisa na samjhe ki kisi kisi ke gyan rakhte hain. Bhagwan sabke hriday mein. Aap sachchi mano samgri sabke hriday mein dete hain. Bas aapko us samgri ka sadupyog karna hai. Jagrit ho jaega. Accha batao Valmiki ji jo pehle ratnakar naam ke daku the. Kaun sa gyan tha? Par tha na unke andar gyan. Wah dhaka hua tha adharm aacharan karne ke karan. Sant kripa se jab naam jap mein lage adharm aacharan chhuta to wahi gyan jagrit ho gaya. Kaha gaya brahm rishi Valmiki ji brahm rishi ulta naam japat jag jana Valmiki bhay brahm brahmarshi Valmiki ji itna vishuddh gyan ki bhagwan ki sampurn leela unke hriday mein prakashit hui aur jo goswami ji ne tika karke Ramcharitmanas ke rup mein sahaj bhasha mein likha wahi Valmiki ji ne sanskrit mein likha sanskrit dev bhasha mein sabke andar gyan chhupa hua hai.

bas use hamen prakt karna hai. Wah prabhu ke aashray se hota hai. Prabhu ka aashray lene ka pahla lakshan hai manmani chodna. Agar aap manmani nahi chhod pa rahe hain to prabhu ko pukarie. Prabhu ke samne baat rakhiye. Wo sun rahe hain. Aap apni kutia mein jo virajman shri ji hain unse baat kijiye. Unke samne apni baat rakhiye ki dekho ladli jo mere andar aisi aisi baat hai aap jaan rahe ho phir bhi aap nahi sun rahe isliye ham suna rahe isko aap agar aapko ye pasand nahi to ye baat hamare hriday mein kyon tiki hui hai ham nahi hata payenge ladli jo aap kripa karo aap roz prarthna karo prarthna se bhagwan ka avatar ho jaata hai sab milkar bhagwan se prarthna karte hain tabhi to bhagwan ka avatar hota hai par ham kya karte hain manmani aacharan karte manmani aacharan hi dushkrit ho jaate hain.

dushkrit sukrit aur dushkrit sukrit guru agyaa ke anusaar chalo. Shastr agyaa dushkrit man ke anusaar chalo. Jo man ke anusaar chalna hai wo dushkrit jo dushkriti log hain wo bhagwan ki sharan nahi hote. Kyonki unki drishti mein mukhya chij hoti hai nashvan padaarth jo parivartnshil hai. Agar iska aphrn kar lenge to hamko itne rupaye mil jaenge. Agar iski hatya kar denge to itni dharashi mil jaegi. Agar aisa hamne chhal kapt kiya to yah samgri yah sampatti unke samne lakshya hota hai nashvan parivartnshil padaarth.

dushkriti kise kahte hain? Jinka lakshya hota hai nashvan parivartnshil padaarth. Sukriti kise kahte hain? Jinka lakshya hota hai avinashi sacchidanand prabhu. Wah itni mamta rakhte hain sansarik padartho mein chhoti chhoti baat mein chhoti chhoti vastuon mein jhagad karke ek dusre ke pran le lete hain. Us vastu ka koi mahatva nahi jis par jhagda ho raha hai. Kheton ki med hoti hai. Med mein khurpi se aise wo itni itni med har sal kaata hai. Ab ek kisan bahut gambhir shanti se ye bhai tu kyon roz med kaata hai itni kaata jhagda hua lathi chali donon party ke mare me wahin ki wahi hai marne wala jail ja raha hai marne wala narak ja raha hai kuch nahi hath kaisi mudhta amulya jeevan ko kheti wahi padi hai itni med mein kuch nahi bigdta agar wo kaat bhi lega to ann ka khajana thodi paida kar lega usse agar tu nahi kaata hai to tu dhani dhani thodi ho jaega.

dhairya rakh dene wala koi aur hai. Wo de raha hai tumhare dhairya ko jhagda karne ki kya zaroorat hai? Wo itni padartho mein mamta rakhte hain ki wo kuch bhi kar sakte hain. Jara jara si baat jara jara si vastu mein mata-pita budhe hain. Jaldi mar nahi rahe. Hamen apni kamnao ke anusaar sab to phir vichar karte hain ki agar yah mare to property hamare naam ave. Ab wo unka ahit amangal jinhone usse pala posha hai uske nash ka. Chalo aisa nahi. To hamare yahan vip log ate hain bade-bade aur phir puchte hain kaun budhiya buddhe khanste rahte hain.

suno inko anathalay mein chhod aao. Hamari izzat jati hai inse. Budhe mata-pita jinki ab tumhari avshyakta hai jo tum bhashta pusht hue ho unke dular se ab avshyakta hai tumhari seva ki kyonki vridh ho gaye unko anathalay mein chode aae ya vridha ashram mein chhod aae chand rupaye jama kar diye ab wo becharey jeevan kaat rahe wo apni kamna mamta ke itna adhin ho jaate hain wo jaan nahi pate ki hamse kitna paap ban raha hai kitna adharm ban raha hai jab koi zyada hath karta hai to bav vridh jan kah dete bhaiya tu chinta mat kar yah dastakhat jahan jahan chah dastakhat karva le bhiksha mangne idhar bihari ji ki bagal ki gali se ja rahe the to ek buddha buddha baithe aise ro rahe the apnipani potri rakh ke jab ham laut ke aae to unhone kaha Baba do roti doge kya unhone kaha aap to grihasth vesh mein dikhayee de rahe aise kaise to unhone kaha Rajasthan se ham aae hamare ladkon ne bhaga diya hai.

hamari jo sampatti thi wo likhwa li jab unhee ke liye thi to hamne socha ab unhone nikal diya hai. Ab koi hamen nahi rakh raha. Vrindavan aae hain bhagwan ki sharan mein aae. Bilkul vayovriddh donon wo jo tha aap pa lijiye. Par bahut andar dukh hua ki inki seva karke bhagwat prapti ki ja sakti hai. Yah jo vayovriddh mata-pita hai inhi mein bhagwan ki bhavna karke lekin kaise karen? Unka lakshya nashvan padaarth hai. Nashvan bhog samgri sachchi maniye sachchi yadi aap apne mata-pita ki seva vayo vriddhon ki seva kar liye to bhagwan ki seva hai.

bhagwan prasann ho jaenge. Seva kabhi nasht nahi hoti. Seva kabhi aisa nahi bina phal diye nahi ja sakti seva kisi bhi jeev ki seva wo aapko bada phal degi socho thodi bhi seva kisi jeev ki kar doge to avinashi ho jaegi seva wo aapko mahan phal degi lekin buddhi bhrasht hai ham manmani aacharan karte hain jahan jinki seva karni chahiye jante ho Rakshash kise maa nahi maa tu pita nahi deva sadhu te kar aav seva jinke ye aacharan Bhawani te nishcho Rakshash hai kamna puri hone par lobh hota hai. Kamna ki purti mein badha lagne par krodh hota hai.

ye aise asuri swabhav wale lobh aur krodh ke vashbhut hokar aacharan karte hi rahte hain. Yah vybhchar dosh mein itne phas jaate hain ki yah soch hi nahi pate ki yah nishiddh karya kitna hamen nark pradan karega. Pujya janon ke prati bhi unki dosh buddhi ho jati hai. Are jo hamari mata ke saman pavitra bhavna wali unke prati ham janani bhav rakh jo hamari avastha wo hamari bahne hain. Hamse chhoti hamari beti ke trya unki hamen raksha karni hai. Unke prati bhagwat bhavna karni hai. Pavitra bhavna karni hamare aacharan kitne girte chale ja rahe pashu jaise pashu se bhi gire hue.

aise logon ke hriday mein kapt jal rahta hai. Dikhava aisa karenge ki bahut pavitra pyar kar rahe hain. Dikhave mein kami kyonki kapt hriday mein rahta hai. Vishvasaghat unka swabhav ban jaata hai. Beimani aadi ye paap aacharan unke jeevan mein bhrpur ho jaate hain. Krodh ke vashbhut hokar dves vair aadi ki durbhav purvak vritti rakhkar ke hinsa karne mein bilkul nahi chakte. Jo bhagwat vimurkh hai wah aise raaksasi swabhav ke ho jaate hain. Manushya sharir dusron ko sukh pahunchane ke liye parmanand mein dubne ke liye mila hai.

aur yoniya to sab bhog yoniyan hai. Ye karm yoni hai. Aise achhche karm karo. Aap sukhi ho auron ko sukhi karo. Jiska lakshya shri bhagwan nahi hote. Uske yahi aacharan hote hain. Bahar se wo kitna sundar chikna chupda rahe. Chehre ke tej se nahi jana ja sakta ki tapasvi ka hai ki bogi ka hai. Wo ek drishti hoti hai jismen pahchana jaata hai ki yah tapasya hai aur yah bhog hai. Aiseise bogi jan chamak raha hai chehra sab nikrisht mans sab khate hain. Yah pahchane nahi ja sakti. Aacharan aacharan pahchane aapke aacharan kaise hain?

bas prabhu ka jo aashray nahi liye prabhu se vimurkh hai unke andar ye maya aisa akarshan karti hai ki wo raaksasi swabhav se yukt ho jaate hain. Dekho na kitna bhara krodh nak par gussa hai. Jara jara si baat mein ek dusre ko nasht karne par utari ho jaate. Thoda bhi kshma nahi, thodi bhi daya nahi, thodi bhi dharmasheelta nahi, thoda bhi vishwas nahi. Jahan dekho wahan vishvasaghat, sadguru ke saath, santo ke saath vishvasaghat, jara jara sa dhan ke liye, jara jara sa sukh ke liye, pad pratishtha ke liye yah asuri bhav bhagwan ki sharanagati nahi hone deta.

jiske hriday mein sansaar sukh pradhan hai, wah maha maya mohit hriday hai. Bas uska ek hi lakshya rahta hai. Main khub jiu, svasth rahun aur manmani bhogon ko bhogun. Unko yahi baat jachti hai. Unke man mein kabhi yah baat nahi aati ki yah sab nashvan hai. Yah swapnik hai. Jaise swapna mein bhoga hua sukh jab jago to uska astitva hi nahi hai. Aise hi keval chand dino ka ye jeevan hai. Maroge to kuch tumhare hath nahi lagega. Unko samjh mein nahi aata. Isiliye bhagwan ki sharan mein nahi hote. Wo bahut kripa patr hain.

jinko bhay lag gaya hai sansaar se. Koi hamara nahi. He bhagwan mujhe sweekar kar lo. Mujhe mrityu se dar lag raha hai. Mujhe logon se bhay lag raha hai. Kis par vishwas karun? Koi apna nahi. Bas samjho kripa ki pahli aapke upar kiran par gayi hai. Yadi aap dar gaye ho kyonki yah dar aapko nidar ki taraf le jaega. Kripa ki pahli kiran aapke upar par gayi. Yadi aapko yah lagne laga ki are yahan koi vishwas ka patr nahi. Jisko dekho wahi keval shoshan karna chahta hai. Jisko dekho wahi vishvasaghat kar raha hai. Kaise main sansaar se bachun?

he nath he karunamay prabhu aap mujhe mrityu ke bhay se bacha lijiye. Aap mujhe sansaar ke bhay se bacha lijiye. To jo sabhi asar nai prabhu ke vachan hai to rakh ho ta pran ki nai yadi bhayabhit hokar usne sir jhuka diya hamari sharan mein aa gaya to main use prannon ki tarah dular karta hoon bhagwan ke vachan hai par wo aata nahi hai jo prabhu shiv vimurkh aacharan karta uske man mein yah rasta hi nahi dikhayee deta hai. Chahe jitna updesh karo unke asar nahi chadega. Paap karne wale ko ek bar bhagwan shankaracharya ji ne dekha do log machhli mar rahe the.

ekdam ekaagr bansi mein se jara sa hile basu se nazdik gaye. Unka din bhar mein kitne rupaye kama lete ho. Aise chandra rupaye kiske liye kamate ho? Bhojan vastr parivaar chalta hai. Chalo char mathon ki sthaapna aadi guru bhagwan shankaracharya ji ne ki hai dharm raksha ke liye chalo tum math mein narayan narayan naam ka kirtan karo jitne ghante machhli marte ho jitne paise milte hain utne paise bhi denge bhojan bhi milega parivaar ko bhi bhojan le jana vastr bhi denge bas ye kam band karo machhli mat marna utni der baithkar tum narayan narayan kahna pure parivaar ko bhojan denge vastr aad guru bhagwan hua le gaye wahan ka bhakti ka vatavran bhagvatik vatavran unko baithaal ke gaye wo bhag gaye phir unke dobara mein kyon bole hamen machhli marna chahiye hamen dushkriti ke dwara ye Bhagvati ka aacharan nahi ho sakte tamogun ki adhikta hone ke karan unko yah sab accha nahi lagta unko sab natak lagta hai aadambar lagta hai dur se hi aise karyo ki ninda karte hain wo log kyonki unki ruchi udhar hai na to idhar bhagvatik janon ki ninda karte hain.

bhagwat varta ki ninda karte hain. Sarsar ka gyan nahi hai. Nitya anitya ka gyan nahi. Satya asatya ka gyan nahi. Kya grah hai? Kya tyajya hai iska gyan nahi. Wo bhagwat vimurkh mudh dushkriti unko prabhu ki varta bhi achchhi nahi lagti. Dekho na kabhi bhagwat wahi vyarth ki baten ahankaar maine yah kiya maine wah kiya phir maine aisa kuch vyarth ki baten naradhma prabhu kahte hain manushyon mein sabse nich purush hai dushkriti mudh pashu se bhi nich kam se kam pashu apni ek mariyada mein rahte hain pashu hai bhojan pa liya jo seva vivah unse karwai jae.

jaise bail aadi the to hal jota jaata tha jo aur wah bhi unke ek sal mein ek ritu aati hai. Bas usi ritu mein wo kam hote hain. Lekin yahan to manushya ke liye koi sima nahi. Jab jahan jaise chahe pashu se bhi gaye bite hain. Pashu yoni bhog karke upar ki taraf badhta hai. Uchh aur yah manushya aacharan karke nich adham niche ki taraf jaata hai. Aise mudhta purvak paap karne wale prani narkon ko prapt hote hain. Bhagwan kah rahe hain apne ko sambhal lo. Bahut badhiya avsar hai. Kisi ki baat mat suno jo bhagwat vimurkh karne wali hai.

andar hi andar khub naam jap karo. Ye man buddhi bahut bahut gande hain. Ye hamko wahi salah dete hain jisse ham prabhu se vimurkh ho jae. Khub achhche se dekha hai inko. Chahe jitni inki baat mano chahe jitna inko aadar do, dular do, yah wahi salah denge jisse hamara nash ho. Inki baat manna band karo. Man buddhi ki man buddhi ko guru ki baat manwao. Shastr ki baat manwao. Aise praniyon ko prabhu kahte hain jo dusron se dves rakhte hain. Dusron ki hinsa karte hain. Vishvasaghat karte hain. Yah bahut bada paap hai.

vishvasaghat. Kabhi kisi ke saath vishvasaghat nahi karna chahiye. Agar vachan de diya hai to uska palan karo. Kahan chal raha hai? Aajkal kahan aaj to aisi mudhta chhaa rahi. Pata nahi abhi ye bol raha hai kya bol raha hai. Iska kya vishwas ki ek kshan baad kya badal jaega? Satya to jeevan mein nahi rah gaya. Aacharan mein nahi rah gaya. Vani mein kahan se aa jaega? Yah krur sansaar naradham purushan ko main bar-bar narko bhugwakar ashu yoni mein dalta hoon. Bhagwan kah rahe malik kah rahe hain, ishwar kah rahe hain. Wo asuri yoniyon ko prapt hokar ghor narko ko jaate hain.

maya prat jana ashum bhav mashit prabhu ki jo tino gunon wali maya hai. Dekho dham mein aa gaye ho. Dham ka ek prabhav apna hai. Par agar yahan aap papa aacharan karoge to uska vriksh hai. Idhar lagao, idhar donon ko agar urwarak bhumi hai to donon ko badhaegi. Ek jo hai kateela hai, ek hai rasheela aur urwarak bhumi hai to donon ko power barabar degi. Aap agar galat aacharan kiye to aapka jo paap ka vriksh hai wah bhi bahut badhiya hara bhara hoga. Kyonki urwarak bhumi hai. Powerful bhumi hai ye. To jante ho yahan dand kya milta hai?

yahi ke jeev bante hain. Aap dekho yahan ke jeevan ko kya kasht nahi hai kya? Bahut kasht hai. Jab dikhayee deta hai to lagta hai bhagwan mukt karo isko. Kitna tadap raha hai. Kai kai din tak usko tadpate dekhkar ab yah labh yahan hai ki santo ki drishti mein santo ka sanidhy unke hriday mein daya karuna bhagwan se prarthna karke uske karmon ko nasht karke age par bhogna padega. Pyare kya yahan pashu pakshi aapko nahi dikhayee dete jo pis jaate hain jinke hath pair tut gaye jo aise sab daro aisa nahi ki dham hai aap khub paap aacharan karo ab to dham aa gaye na dham kalyan kar dega ab man man nahi daro is baat se aisa nahi hai ye urwarak bhumi hai jo boge wahi aapko katne ko milega haan dham hai isliye lamba chakra to to nahi phansega.

par agli jo yoni milegi aapko badi dukhdai milegi. Bada kasht bhogna padega. Phir iske baad shri ji ki prapti ho jaegi. Dham hai na agli yoni mein paap nahi ban payenge. Jaise aur pashu pakshi aadi ki yoniyan mili. Tadap raha wo kya paap kar sakta hai? Par aisi durgati ko kahe ko prapt ho ki shri ji ka smaran nahi shri ji ki seva nahi aur aise jeev ban ke aise kasht bhoge phir uske baad shri ji ki prapti achhche se chalo kisi dham ka naam ka bal lekar prabhu ko prasann kiya jaata hai durachaar nahi kiya jaata ye dham ka bal le liya dham paap nasht kar dega ham papacharan kar le naam ka bal le liya naam paap nasht kar dega mahmmahim papa inka bal liya jaata hai prabhu ko prasann karne ke liye dham ke bal se, naam ke bal se, leela gun gayan ke bal se ham apne Swami ko rijha lete hain.

yah durachaar badhave ke liye nahi hai. Prabhu ki jo tino gunon wali maya hai, is maya ka karya hota hai buddhi ko dhak dena. Kuch ka kuch dikhayee dena. Jaise agar hamare andar baat hai ki sab sare dusht hain to aap kisi ko bhi dekho aapka chashma dushtata ka chadh gaya hai. Ab aapko sab dusht hi nazar aaenge. Phir agar puchhun ki inme sadhu kaun hai? Dusht kaun hai? Ham kaise pahchane? To pehle chashma utaro apna dushtata ka tab aap pehchan paoge. Kyonki aapne to dushtata ka khud apne aacharan mein dushtata ka aur dosh darshan ka chashma lagae ho to aapko sab dusht nazar aaenge.

agar aapke aacharan bhagwat prasannata wale hain aur bhav bhagwat hai to aap dekho is chashme ka prabhav jidhar dekhoge sab aapko jit dekho tit shyammai srishti kaisi aapki drishti jaisi aapko bura dikhayee de to kisi ko bura manne ki zaroorat nahi apni burai hata do jo aap bure aacharan kar rahe ho aur aapke andar jo burai ka bhav hai usko hata dijiye koi bura nahi sab bhagwan hai sab rupon mein aapke andar jaise jaisi bhavna hoti hai waise hi aap dekh pate hain. To ye bhavna kaisi hoti hai? Jis gun ke adhin hote hain waise bhavna hoti hai.

gun dhak deta hai aapki buddhi ko aur us dhaki hui buddhi ko agar prakashit koi karta hai to dev kripa kar buddhi prakash jas barno Harivansh vilas dev subuddhi kripa kar moh po sugun mala racho prabhu kripa karke wo maya ka parda hata dete buddhi mein prakash aur usi prakash mein dekhte hain sarvam khalam brah are yahan koi aur nahi keval prabhu hi prabhu hai jinka vivek dhak diya hai maya ne unko kya dikhayee deta hai stri purush samjho maya ne jinka vivek dhak diya hai unko kya dikhayee deta hai unki ek ek vritti mein padaarth bhasta hai vastu vyakti sthan bura accha labhdayak hanikarak anukul pratikul yah dikhayee deta hai aur jiski buddhi maya se hat gayi hai.

usko kya dikhayee deta hai? Sab bhagwan sidhi baat hai. Yah hai prakash. Jaise ham rassi ko saanp samjh rahe the. Jab prakash hua to dekha saanp to hai hi nahi. Keval rassi hi rassi. Aise yahan koi bura bhala hai hi nahi. Keval prabhu hi prabhu hai. Koi bhi mahatma jab us sthiti ko pahunchta hai to use yahi dikhayee deta hai. Jad chetan jag jeev jat sakal Ram main jani bandho sabke pad kamal sada jor jug pan mere prabhu sab rupon mein spurit ho rahe hain. Iske siva jab tak aapko koi vastu vyakti sthan padaarth dikhayee de raha hai tab tak abhi sharanagati ka rang nahi chadha.

abhi maya apna parda dale hue hai kyonki kahin na kahin hamari kamna mamta ahankaar abhi sharanagati mein purnata nahi ane de rahi ashu kahte hain prannon ko bhagwan ne kaha asur asur kaun jo apne prannon ko poshne ke liye kuch bhi na hichke dekho kaisi malin buddhi ho jati hai bhala dusre sare sharir ke mans ko khae kaisi ghrinit buddhi jo kisi pashu pakshi ka jab anda girta hai niche tab uske darshan hota hai kitna usmen libliba mal dhara hota hai kitni gandi chij dekhne mein lagti hai wahi jeev rup dharan karta hai jake aap usko kha ke kya ho ab bole anda to koi dosh nahi hamari buddhi bhrasht ho ashur ashu aap keval apne prannon ke poshan aap ek sal brahmcharya rahkar dekhiye namak roti khaaiye aap aur aapse agar koi hath mila le to unse baat karna ek sal keval aap brahmcharya rahie vyayam sanyam se rahie aur aapse koi hath mila le to batao chahe devdha ko aap utha ke patak denge kyonki brahmcharya ka bal hai ye anda mans murga becharey sidhe sadhe jeev unko pakda aur kha rahe ho kis liye bole

apne prannon ka poshan. Yah buddhi bhrasht ho gayi, malin ho gayi hai. Sabse prarthna hai. Yadi aap aisa karte hain to aap dekh lena ki aapka parinaam kaisa bhaykar hoga. Yamdoot usi ke sharir ko badi-badi garm sarsiyon se shamshiyon se aise noch karke aur usi ko khavate hain. Jo dusron ka mans khata hai usko jo dusron ka rakt pita hai kolhu mein phra jaata hai. Kolu mein jaise yahan ganna nahi phra jaata wahan marna nahi. Yahan to jara si khopdi jaegi aap dard rahit ho jaenge mar jaenge khatm dard wahan nahi marna nahi pura kolhu mein pera jaata hai phir waise yatna de use wahi khun pi khun pi ke phir usko kohlu mein pera bada bhayanak dand hai usko aisa mat socho tumhare aankh mundne se bach jaoge bili jab kabutar par jhapatti to udna nahi wo sochta hai aankh mund lo bach jao aankh mund bili jhapetne mein le gayi tum nakaro ki are koi narak varka nahi hai isse bach nahi paoge jana padega chhod do dusron ke jeevan

ke sharir ka mans khana anda khana ye sab chhod do bhagwan bade kripalu maaf kar denge tum jis jeev ki hatya karte ho wo karm tumhen dand dene ke liye avyakt rup se virajman ho chuka hai samay jab wo aayega kal jab aayega kal mane samay jab aayega phir bach nahi paoge tumhen aisa dand milega traahimaam bologe koi tumhen bchane wala nahi hoga yagya mein jo kabhi pavitra mantro ke dwara kuch aise pehle purannon mein piche narad ji ne prachetaon ko kaha dekho akash mein jin jeevan ko wo sab khade tera intazar tu samjhta hai tera mangal ho jaega wo sab khade hain samay ane do tumhare ko bhaykar kasht denge bhagwan phir bacha lo.

wah ekmatra upay sab band karo aur hari sharan hari ki sharan mein jao. Wo sab kshma kar denge. Ek upay hari sharan mein ho jao. Kitna papacharan log kar rahe. Kitna chhota sa jeevan itna bojha la doge tum. 84 lakh yoniyon mein bhogte bhogte tum kasht se kabhi nahi bach paoge. Yah abhi samjh mein nahi aati. Yah baten aise lagta hai mahasadhu mahatma pravachan karte hi rahte hain. Daro. Jab dand milta hai to andar se nikalta hai paap karm koi kabhi na karen. Paap karm tumhen aisi jagah fansa dega. Koi sa dhara hai rupya khade hain saikadon log lekin tumhen jo bhog bhogna hai bhogo akele bhogo hai hai sab kar rahe hain.

koi paap karm kisi ko nahi bakhashta. Chahe mahatma ho chahe duratma ho. Haan antar ye hota hai ki duratma ko aashray nahi hota. Mahatma ko aashray hota hai bhagwan ka. To unke sahare se bhog leta hai. Nahi socho Paramhans sthiti ko prapt shri Ramkrishna ji ko gale mein cancer na kha sakte ho na bol sakte usmen satsang karte the. Daktron ne mana kiya hai maharaj ji aap bolie nahi doctor kya jane bolne ke liye hi to hamen bhagwan ne gyan diya hai jisse sabka mangal ho. Ye apni taraf bana rahega rog.

yah bhagwat ashra se hota hai. Bina paap karm ke koi bhi dukhi nahi ho sakta. Yah baat aap likh lijiye. Paap karm hai kabhi na kabhi ka to 100 ki jagah wo 10 thappad lagenge. 90 maaf ho jaenge. Lekin lagenge bhagwan ka aisa nahi ki zero pe aa jae. Kisi ka dekho itne bade brahm mahima mein leen mahapurush shri odiya Baba gadasa chala rom rom kamp uthta hai ki yahan do char mala jap karke ham asha karte hain viman aayega aur wo brahmaleen mahapurush samadhi mein baithe hue gadasachal karm kisi na kisi janm ka karm akar Bhishma jaise mahabhagvat jo bhagwan ki ki hui shpath ko bhi tudwa sakte hain unka karm Sharma akar unko chha mahine banon ki nok par sulaya.

banon ki nok par chha mahine aur bhagwan se kah rahe hain ki aapke yudhishthir ko updesh karo maharaj ek kanta gadh jaata hai. Kitni pida hai yahan edi se lekar sir tak mein arjun ke vishaile baan chubhe hue hain aur chha mahine se us bhayanak kasht ko bhog raha hoon. Bhishma ji ki mahabharat mein swayam ki anubhuti aisa nahi ki unko kasht nahi ho raha tha. Unhone kaha itna bhayanak kasht ho raha hai aur aap kah rahe hain updesh karo bhagwan ne ise sparsh kiya tab unka kasht dur hua bade-bade mahapurushon ko bade-bade santo ko ye kya anant janm vyatit ho gaye pata nahi kis janm mein hamse kaun se paap ban gaye chalo piche ka stak hari jane ab to sudhar lo samne to mat karo ab to mat karo par ye apne prannon ka poshan karna hi jinka swabhav hota hai wo jeevan ko aise kasht kasht dete hain.

kabhi-kabhi aise drishya jaise bhramn mein dekhne ko mile hain ki jo raaksasi swabhav ke log sharab piye ekant jangal aise sunvar ke pair bandhe hue bandhan ke ke bol raha hai aise wo aise bans ya lathi mein aise dal ke do log beech mein aag lagi hai. Jinda aadha ghanta tak jalta tadpata rahta hai. Yah kaisa ab usko khaenge apne prannon ke poshan ke liye phir unki durgati isse bhi bhayanak hoti parinaam kyonki yah to aapka kamaya hua hai na ab iska byaj badhega jo karm hai uska byaj bhi badhega aur byaj se hi bhugatna padega tumhen tayyar ho aisa nahi hai ki malik dekh nahi raha wahi tumhare andar hi baitha usko kisi gavahi ki zaroorat nahi jo prannon ka poshan karne mein lag gaye keval itni baat ki hamen sukh mile wah nahi dekhte ki hamse paap karm ho raha hai.

wo rupaye ke liye paizon ke liye apni jaban ke swad ke liye apni sharir ki pushta ke liye kisi bhi jeev ki hatya karne se tumhen sukh milega. Aisa hamen aaj tak shastron mein nahi mila. Aur na yah kabhi kisi ka mangal kar sakta hai ki tum kisi devi devta ke naam par kisi jeev ki hatya karo aur tumhen simhasaan mile. Bhagwan ke vachan avashya mein bhoktuvi kritam karm shubhashbham pehle narabli bhi di jati thi kisi devi devta ko prasann chaturbhuj das ji jab bhramn karte the to dekha ki ek aadmi bahut chikh chikh kar chilla raha hai aur kai log ko sab band baje baj rahe ghanta nagada baj rahe to pucha bhai yah kya hai ek aadmi ro raha hai aur sab aadmi anand mana rahe bole iski devi mein bali di jaegi vaishnav apne bhav se the wahan jake koi bhi bilkul ise aur devi ji se kaha tu maa hai tu apne bachchon ki bali sweekar karti

tujhe dard nahi hota tere samne gardan jhuka kar kata jaata hai hata ke unko apne Murli manohar thakur ji ko virajman kiya aur devi ji se kaha pure rajya pure nagar mein tum hi bolo jakar ke ki aaj ke baad yahan kisi bhi jeev ki bali nahi chadhegi nahi to ham tumhen kshma nahi karenge to devi ye samjho samjho hari bhakton ka bal devi ji gayi raja ko uthakar patak diya uski chati par baith gaye bole hukum kar pure nagar mein ham jal rahi jab se chaturbhuj das ji mandir mein aae agar ek bhi jeev ki bali di jaegi to main pure parivaar ka nash kar dungi tere usi din se wahan ki bali pratha band hui kaha theek hai ham apne thakur ko wo to bhramn hi kar rahe the ab baith simhasaan par satvic seva le agar tujhe bali chahiye to maa hai nariyal phal ki bali le aise le ye jeevan ki hatya kya bhagwat sharanagati hriday mein sweekar karo aur sanyam se raho.

tumhare rog nivitti ke liye tumhara brahmcharya bahut badi aushadhi hai. Man lijiye koi bhi rog tumhen parast nahi kar sakta. Bade se bada bhaykar rog bhi parast nahi kar sakta. Agar aap brahmachari hain. Kisi bhi ghee doodh mein utni takat nahi. Kisi bhi balishth padaarth mein kisi bhi swarn bhasm chandi bhasm mein takat nahi jo brahmcharya mein hai. Aap keval agar takatwar banna chahte ho to adhyatma bal se bhi sanyukt kar dega aapko brahmcharya. Ye savdhani sanyam se raho. Jaban ke swad ke liye kisi jeev ki hatya mat karo.

nahi to bahut janm vyatit ho jaenge. Aapko nikalne ka avsar nahi milega. Shri bhagwan kahte hain aise mudh manushya kabhi meri sharan mein nahi ho sakte. Jo pe dusht hriday soi more sanukh ki soi papvant kar sahaj subhav bhajan mor te bhav na kao he ek chinti ko bhi dukh na pahunche aise chalo tumhara aisa bartaav ho kisi jeev ko srishti mein dukh na pahunche dekh lena bhagwan gale laga lenge aake hamari baat man lo kuch nahi hota yah sab gandi baten karne se kuch nahi hota keval man ka vilas hai ye sab gande aacharan chodo achhche bano pavitra aacharan karo naam jap karo satvic bhojan karo bahut bal hota hai satvic bal dekho sabse bada bal hota hai sankalp bal tumhen andar ki baat batte hain yadi tum sharir se bahut balvan ho aur bogi ho to tumhara sankalp bal nahi hoga aur santo ko dekha gaya hai ki aise hain lekin sankalp bal itna bada hai ki devta bhi ghabrate hain unke samne hamen yah adhyatma bal, sankalp bal yah bahut bada bal hai aur phir bhagwan ka bal to isse bhi bada bal hai.

are aise nikrisht bal ko tum bal apna mante ho. Paap ke dwara kiye hue karm se tum nirbhal banoge. Balvan nahi banoge. Satkarma karoge, bhajan karoge to dekho bal ka matlab hota hai kam krodh par vijay prapt karna. Bhala koi ganda bhojan karne wala kam krodh par vijay prapt kar sakta hai? Nahi chalo aur mane na mane lekin aap sab satsangi ho. Aapko jahan tak aapki pahunch ho aapke parivaar tak rishte natedaro tak hath jodkar pair chhukar unse prarthna karo ki aap manas mat khao. Aap sharab mat piyo. Aap gande aacharan mat karo.

na mane to unki baat se par aap to prarthna karo ki aapka parikar aapka ghar parivaar aapke rishte natedar jo ho aise gande acharno se bache. Radha Radha jape. Bhagwan Rishabhdev ji kahte wahi pita pita hai wahi guru guru hai wahi pati pati hai wahi rishte rishtedar hai wahi bhrata bhrata hai jo apne sage sambandhi ko bhagwat naam japna sikha de bhagwat prapti ka marg bata de asad acharno se chhuta de sacha rishtedar wahi hai sacha hitshi wahi shesh charcha ki shri Radha vallabh lal ki

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi