seva se milne wale phal ko durlabh kyon kaha gaya hai? Kaun hai bhagwan ki leela ka adhikari? // 05/04/2026
pujya maharaj ji ke Shrimukh se yugal leela ka ras — upar video mein sunen.
pura pravachan
Vrindavaneswari tvai padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvai param shital mashyam param sheet shital may tajas koti brahmand viraj Radhe Radhe Radhe tu jas koti brahmand viraj Radhe shri shobha barni na jae agadhe Radhe shri shobha barni na jae agadhe bahut tak janm vicharat hi gaye sadhe sadhe shri haridas ke Swami Shyam kahatri pyari ye din main kram kram kari ladhe Shyam kahatri pyari ye din main kram kram kari ladhe Radhe Radhe Radhe Radhe tu jas koti brahmand viraj Radhe Radhe upasak upasna upasya dev is triputi ka jab lay ho jaata hai tab wo siddh purush kaha jaata hai.
main upasna kar raha hoon. Iska vismaran keval upasya dev aisi siddha avastha mein wo apne aradhya dev ke samip jo jeevan bhar kasht sahakar sadhna ki uska param labh prapt karta hai. Kaisa sukh milta hai? Aradhya dev hamare pran pyare jab paripakva avastha jagrit hoti hai to aradhya dev ka pran pyara ban jaata hai. Yah bahut durlabh baat hui. Prabhu ko pyar karne wale lakho mein koi ek hote hain. Un lakho pyar karne walon mein koi virla aisa hota hai. Jisko prabhu apne prannon se bhi adhik pyar karte hain.
wo birla jo dainya hai ahankaar kinchin matra kisi sadhna kisi tapasya jitendrita vidvta koi bhi aham chu nahi gaya. Aise dainya ko prabhu apne prannon se bhi adhik pyar karte hain. Swayam bhagwan ne kaha hai hamari atma bhagwan shankar hain. Mere priy bade bhai Balram ji lakshmi ji inko bhi main utna pyar nahi karta hoon. Yahan tak ki main apne aap ko bhi utna pyar nahi karta hoon jitna he Uddhav tum jaise sarvasv samarpit bhakt ko pyar karta hoon. Prabhu ke hriday ka murtiman pyar hamari shri shyama jo hai.
shyama jo koi aur nahi hai. Lal ju ke hriday ka prem hi murtiman rup dharan kiya to hamari shri ji hui. Swamini jo Priya jo upasak rasik Gurudev ke dwara di hui mantr upasna mein chitt jodta hai to uska stri purushatwa bhav mitta hai. Pehle main stri hoon main purush hoon. Yah bhav mitta hai. Usko aisa anubhav hone lagta hai jaise ham is sharir par vastr dharan kiye hain to vastr vastr hi hai. Main nahi hoon. Aise us sharir ko jo vastvik aisa hi hai uske anubhav mein aata hai. Sharir rag tyagi guru kripa patr mantr upasna ka bal prakashit hota hai to use bhav deh ki prapti hoti hai.
jab bhav deh ki prapti hoti to bhav deh aur aradhya dev ek hi baat hoti hai. Wah har samay apne aradhya dev ke samip apne ko dekhta hai. Jaise sthul sharir saiya par soya hua hai par swapna mein aap kriyarat apne ko dekhte hain. Sthul sharir ka bhan bhi nahi hota jab aap swapna mein hote hain. Jab jagrit hote hain tab sthul sharir ka bhan aata hai. Wah to avidya janit swapna mithya hai. Theek aise hi jagrit avastha mein upasak sthul sharir ka sampurn bhan rahte hue sampurn cheshta karte hue bhi wo videh rahta hai.
deh bhav rahit yahi sacchidanand upasna ki visheshta hai. Jaise swapnik deh mein swapna mein wah vichran karte hue jagrit deh ka bilkul bhan nahi hai. Avidya agyaan donon jhuthe. Lekin jab upasna se paripakva bhav avastha prapt hoti hai to jagrit sharir mein chetna yukt hokar sampurn cheshta shastr vidhan ke anusaar karte hue bhi ubhav deh mein sthit mahapurush kuch nahi karta. Khate pite chalte uthte baithe isiliye wah vedatit sthiti us par koi shastr shasan nahi hota kal ka bhi shasan uske upar nahi hota isiliye mahaprabhu Harivansh chandra ji ne kaha karan shrati bodhi nit kurwantu kurwantu ma gragad vishay grahan muntuva kava bhav rahas paragti shri Radhika priy shri Radha vallabh lal ke prem mein koi aisi rahsyamay sthiti us mahapurush ki hai ki wo shastr ke vidhan karm kare ya na kare wo vishyon ko bhoge ya na bhoge wo bahirmukh purushan ka sang kare to bhi koi fark nahi parta.
kyon? Kyonki wah karta hi nahi bacha hai. Karta gaya param karan prabhu ke charnarvind mein karta bhav samarpit ho gaya. Bhogta bhav samarpit ho gaya. Tab use yah maha sukh milta hai. Yadyapi hamare liye bahut durlabh hai. Par acharya guru kripa ke liye bilkul sahaj baat hai. Unki sampatti hai wah de de ek second mein. Mahima teri kaha kahun shri Harivansh dayal tere dwrae batat hai sahaj ladli lal sahaj bas ananyata ki avshyakta hai acharya ananyata guru ananyata upasna ananyata isht dev ki ananyata unki kripa se bahut sahaj ho jaata hai.
bahut sahaj hai vyas suvan prasad deh mansi gadh chit vyas nandan shri Harivansh mahaprabhu ki kripa se sharanagat upasak ke hriday mein jo priyal ki chidanand shri ang ki seva ka adhikari swaroop hai wah sahachari swaroop prakashit ho jaata hai. Tab use sukh prapt hota hai. Shripad ko jo sukh prapt ho raha wo varnan kar rahe hain. Sundar pan ki bidi banai aur Priyaju ko arpit ki. Yahan shri Radha charan pradhan upasna hai. Kyonki sahachari bhav ki siddhi Radha charan pradhanata se hoti hai. Isiliye Lalu sachariyo ki bhi vinay karte hain.
kinchin matra susukh wanchha ka lesh bhi nahi hai. Pradhan seva shri ji ki pratham seva shri ji ki isse lal ji ko bahut sukh milta hai. Prayah sarvatra pehle bhagwan ki seva hoti hai. Phir unke vamang mein virajman unki seva hoti hai. Apne navnivatta nikunj mein sahachari bhav mein pehle maharani ji ki sarv sab prakaar ki sevae snaan to pehle maharani ji ka poshak to pehle maharani ji ki jo bhi seva pehle maharani ji ko shripad rupi sakhi ne bhav desh mein pan ki bidi Priya ji ko deedana tamulam priyatam mukh sapulkam muda prayo dattam madhur madti chito mapi tat kinchityati dada dasi vivsay yashanya las satim jeevas was meri jeevan dhan swamini jo mere hriday mein bas rahi hai shripad kah rahe hain jeevas main inhi se jivit hoon kya mamta hai yah hai priyaju ke charnon ki mamta main inhi se jivit hoon yasho vrindanya lasti mam jeevas mera jeevan hai.
main inhi se jivit hoon. Ye dekho kahan se jivit hai shri ji se. Itni atyant asakti jab prakt hoti tab bhav desh mein pravesh hota hai. Ab priyaju ne apne pran pyare pritam ke mukh mein ek shlok Shrimadd Radha sudha nidhi mein mahaprabhu Harivansh chandra lulit navalwangodar karpur puram pritam mukh chando tambul khandam ghan pulak kapola swadti madas ki pidasi vatsala kar Radha bilkul theek isi ka swaroop hai. Aisa hi hit sajni jo dekh rahe hain. Shri ladli ju ke kar kamal mein pan ki jab bidi di to apne pran pyare shri ladu ke mukh mein shri ladli jo sahachari ne ladli ju ko di ladli ladli jo ki ichchha jankar us pan ki bidi ka rasaswadan karte hain.
pulkit ho rahe hain. Kyonki sahachari ka prem bhav Priyaju ke prati aur Priyaju ka mo ko to bhavati thor pyare ke nainan mein mere tan man pran hote pritam priy pritam ko pavana ab pritam us tambul ko priyaju ke mukharvind par pradan karte hain. Theek bilkul aisa hi hit jo maharaj wah ladli jo romanchit ho jati hai dhan pulak kapla swadti muda us prem ras mein dubi hui si Priya jo kripa karti hai apni sahachari par aur wo prasadi pan sahachari ke mukh mein pradan karti hai muda prayo dattam madhur madti chavitpi pritam ke rasaswadan kiye hue us pan prasad ko Priya jo pati hui apni dasi ko pradan karti tatha kinchit dava dat dasi vivshay jo hi wo prasadi pan us sakhi ko prapt hota prem vivastha chhaa jati hai.
jinke charnon ke darshan pana durlabh hai un priyaju ka shri mukh ka prasadi jo pritam ke mukh se yahan koi bhed drishti na rakhe hamare Priya pritam kahne ko do hain. Ek hi hai ki kabhi aisa hota hai ki Lalaju apne kar kamal se pan ki bidi priyaju ko pavati hai. Phir Priya ke moksh ka udgeeran lal jo kabhi lal jo ke kahne ko to shri Harivansh sureet sunaun shyama Shyam ek sang chha nahi kabahu na antar hoi pran su ek de hai do kahne ko keval do hai shripad kah rahe hain mera yahi jeevan hai. Yahi jeevan hai.
dhanya hai unka jeevan jinka jeevan priyal hai. Jinka jeevan priyal ki prasadi hai jo priyal ke prem mein unmatt hai. Nahi to yah prachnd maya apne veg se bahati hui prabhu se dur rakhti hai. Bahut vidvta ho jae, gyan ho jae shastron ka khub varnan karen. Lekin brahm bodh nahi hua, bhagwat prem nahi hua to kuch nahi hua. Shrimad bhagwat mein varnan hai ekadshi skand mein. Wahi purn mahatma hai jo shabda brahm ka pargami vidvan aur param brahm ka anubhut to shabd brahm ka pargami vidvan milna kathin hai.
aisa thodi hai. Char baten shastron ki padh liya to shabda brahm sampurn shabd brahm ved puran itihas sab ka gyan usko pargami vidvan har siddhanto ka jisko gyan aisa agar aisa hai par param brahm ki anubhuti nahi hai to kuch nahi hai param brahm ki anubhuti ki taraf chalna ye bahut hi durlabh baat hai. Shabdon ka lachchhedar prayog karna, shabd madhuri ke dwara logon ko rijhana, vak madhuri ke dwara akarshan karna yah sahaj ho sakta hai. Lekin vritti ko brahmaakar kar pana, krishnakar karna ya bhagwat prem mein dubna ye bilkul alag hai.
bilkul alag hai. Is prem ki unchai par chadkar priyal ke seva sukh mein nimgn hona hai to aur badi baat ho gayi. Sabse badhiya unchai dhruv ji ko mili atal padvi. Par unka hriday jal gaya jab bhagwan ne tathastu kaha. Ki are maine prabhu se unki seva na mangkar atal pad bhi prapt ki. Iska matlab mere mein abhi chah rah gayi thi isliye main prabhu ki seva prapt nahi kar paya. He nath aap ek karuna aur karo. Apne premi maha bhagvato ka sang pradan karo jisse hamara hriday aapki seva layak bane. Kyonki truti ho gayi hamare andar.
chah thi. Maine narad ji maharaj Gurudev ka mantr to sweekar kiya sang sweekar nahi kiya agar sang kiya hota to aapka prem mangta ye atal padvi nahi isliye mujhe maha bhagvato ka sang pradan karen jab ye deh bhav galit hota hai tab yahan kuch hai nahi jaise swapna mein ek man ke siva koi nahi aise hi us upasak ko jagrit mein apne prabhu ke siva kuch bodh nahi hota kyonki hai hi nahi kuch nasto vidhte bhav is asat ki satta hi nahi hai ye bahut kripa se samjh mein aata hai jo upasak guru pradatt bhajan mein andar hi andar har samay ekaagr hokar laga rahta hai uska bhav badal badal jaata hai.
bahut jaldi badalta hai. Ab bhav desh se pyari ju pyari jo ki seva mein nimgn smar shri mad Vrindavan mati mahanand rasdam sada premde hrid nav kishor parichar maha anandkari Vrindavan ki naveen naveen kunj nikunjon mein wah apne Priya pritam ki paricharyaa mein magan rahti hai. Jo bhav deh ko prapt ho jati hai kya ajam shagandh vyajanwar tambul mridupad sushwa Divya bharan vasna pranayno maha premave pulak ras ghaa tanu sada Radha dasi smar hriday seva vid dhati dhanya hai uska jeevan bahut dhyan se sunie hamari is shri Priya pritam ki jodi ko yadi aap chvar kar rahe hain ye koi sadhna nahi hai ye adhin karne ka mantr hai mano aap Priya pritam ko adhin kar badi bade udaar hai.
aap samjh nahi sakte udaar hriday kaisa hota hai. Jismen kinchin matra bhi koi chah nahi hoti usko udaar hriday kahte hain. Aur aise udaar hriday ki thodi bhi seva to wo seva ke bojh se dabne lagta hai. Jaise param udaar Raghunath ji hanuman ji se kah rahe hain. Prati upkar karo ka tora kaisi badi baat kah rahe sanukh hoe na sakat man mora tumhari seva ka itna ki main uske badle mein kuch nahi kar sakta mera man sakuch karke tumhare samne sakuch jaata hai aise udaar Swami hai phir udaar udarta ki samudra to Priya jo hai aap vyajan kar rahe hain pankha ho gayi prapti ka bahut bada karya ho gaya seva bahut badi vastu hai bade bhagyashali hai jinki thodi bhi bhagwat seva mein ruchi hai jaise mandir banva dena shri vigrah virajman karna seva mein kisi ko laga dena yah ek alag baat ho gayi.
aap bahut dhani hai. Aap vaibhavshali hain. Char sevak laga diye, paise diye, wah seva kar rahe hain. Aap punya atma honge. Lekin aap premi nahi mane jaenge. Aap amrish ji se badhkar dhani nahi hai. Chakravarti samrat maharaj amrish apne hath se pocha lagate. Apne hath se shri ang ki seva karte. Ek din unki anupasthiti mein unki naveen jo rani thi wah seva mein wo akar bole seva ki chori nahi aapko agar seva priy to alag se thakur virajman karo sari vyvastha kar dete hamari seva mein nahi to unki seva mein sudarshan chakra rahta tha unko pata nahi tha amrish ji ko swayam ki dasata mein bhagwan adhin ho jaate hain tum paisa laga ke arabon ka mandir bankar ke lakho sevak rakh do.
wah baat alag ho gayi aur swayam paricharyaa mein virajman wo baat alag ho gayi. Ajam shagandh vyajanta mridupat mala ka nirman karke granthan karke ye hath dhanya ho gaye isi se bhagwat prapti ho jaegi dhyan dijiye ek seva aapko bhagwat prapti kara degi danya bhav se meri Priya Priyaju ye mala dharan karegi. Ye andar chintan chal raha hai aapka. Yah Chandrika hai mathe par dharan karegi. Priyaju ye baju band hai. Bhujao par dharan karegi. Aapka chintan chal raha hai. Aap mala goonth rahe hain ya goonth rahi hain. Yah sidhe bhagwat prapti kara.
ismen sadhan nahi dekha jaata hai. Ek hota hai vivid prakaar ki sadhna karke phir wah bahut lamba janm janm muni jatan kara aur yah seva ek seva sidhe bhagwat prapti kara degi. Ek seva aap iski chinta na karen. Kalyan bhagwat prapti hamari Priya ji bahut karunamay udaar. Hamara bal isiliye prabal hai ki nek hoon na ris kahun bhul na ho sake. Rahat prasann sada hi mukhas se hamari aisi Swami abhi aap prarambh mein ek pad suna tu jas koti brahmand viraje Radhe karodon bramhandon mein aapka yash vyapt ho raha hai kishori jo bole karodon bramhandon mein kaise kaise praman dijiye kaise bole anant bramhandon ke adhipati lal jo aapki paricharyaa mein isliye jinke charan rakhne ki chauki ko brahma shakad shivad matha rakhkar vandan karte hain.
wo prabhu aapki paricharyaa mein isliye tu jas koti brahmand viraje Radhe shri shobha varan na jae agadhe swamini jo aapki shobha kaise koi jane Radha tatv kya hai bina Vrindavan raj aur rasik ki kripa ke koi jaan hi nahi sakta nitya malya ahobagy jo nitya mala bankar shri ji ko arpit karte hain. Seva se sidhe bhagwat prapti hai. Aap baat samjh lijiye. Bahut karunamay yugal sarkar hai. Mere liye mala banai. Aapko pata nahi jab aap phool uthte hain gunthan karne ke liye use grathit karte hain. Use mala rup dete hain.
wah usi samay aapke bhav aur aapki kriya donon ko dekh rahe hain. Bahut pulak karke udharan karte hain. Jab kaise jana ki pulak kar wo pulkit hai to yahan pulkan aa jati hai. Jab yahan pulkan aati hai to pata hai hamare Swami pulkit hai. Swami pulkit hai to sadhan nahi dekhte. Yah ghar ki dasata hai. To dasata do prakaar ki hoti hai. Ek bahar ka das laya hua jo vyvastha uski manokmana purti arth aadi ke dwara ek hota hai ghar jaya das jisko payment se matlab nahi hoti arth se nahi matlab hoti wo keval seva sukh ke liye hi hota hai.
apne Swami ko prasann dekhkar wo garwit hota hai. Aandit hota hai. Yah jo aur sevae karte hain yah ghar jaydas nahi hai. Kuch to bahut vinod bhari baat hoti hai jo seva shabd se hi bahishkrit hai. Jaise he prabhu aap hamara amuk kam kar dijiye. Main aapko chappan bhog lagaunga. Ghus nahi sahab aap ek kam kar dijiye. Itni se aisi aisi vyvastha aapki kar denge. Jara dekho na hansi ki baat hai ki nahi. Anant bramhandon ka bharan poshan karne wale prabhu ko pralobhan de raha hai. Ab wo chappan bhog lagega to lacha ke wo kam pura kar denge.
jahan dekho na kaisa mudhta chaai hai. Bhagwan hamara yah kam kar do aapko itne rupaye denge. Aise ₹151000 chadhaenge aapke upar. Are maa lakshmi charan chapti rahti hai. Bavare dene lene ki wahan baat mat kar. Ghar jai seva ki yahan baat ho rahi hai. Yahan baat samjhna. Ye jo ham kah rahe hain ek seva bhagwat prapti kara degi. Yah bahar se aae hue naukar ki baat nahi hai jo payment par hai. Yah to uphasaspad baat hai ki bhagwan aap hamara kam kar do. Main aapko aisa karun ise seva na puja ise nahi. Ye uphasatmak baat hai.
aap vichar karke dekho tumhari buddhi kya hai? Is baat par vichar kijeyega. Aap bhagwan ko hamare kya samjhte hain ki aap 100 gram sona ek kilo sona chadha denge rupya paisa chadha denge bhog chadha denge aise nahi socha jaata anant bramhandon ka srijan palak jhapkte ho gaya wo prabhu hai bada badhiya avsar mila hai seva ka jab ham apni vastu man ke prabhu ko samarpit karte hain to bhi seva nahi mani jati jab ham seva karke kuch chahte hain to bhi seva nahi mani jati. Dhyan rakhna yah jo ham seva ki baat kar rahe hain ki ek se hi bhagwat prapti isliye iski vistar se baat kar rahe hain nahi to lagega ki keval prabhu ke liye prabhu ke hoke prabhu ki prasannata ke liye seva ho rahi hai.
bole aap chvar karke aa rahe hain. Bade bhagyashali kya bhagya ye sharir unka man unka pran unka jeevan unka mera kuch astitva hi nahi hai ye to unka sab kuch hai hamen kya payment mil rahi hai mujhe chvar karne ko mil raha hai yahi mil rahi hai aise upasak ko jo bika hua prabhu ka hai ek seva use bhagwat prapti kara degi nitya malyarpan karna yah hamare Vrindavan ka ek pushp aur ek karod ka bahar se laya hua pushp samanta nahi kar sakta. Dhyan rakhna bahar se ek karod ka pushp mangao aur Vrindavan ki kisi lata ka ek pushp to jo hamare Priya lal Vrindavan ke ek pushp se prasann honge wo bahar ke ek karod se nahi wo nahi ate wo rang biringe bade mahange mahange phool wo hamare Priya lal ko pasand nahi param pavan braj 84 ko bhumi mein prakt hua jo pushp hai aur dainya bhav se arpit kiya jaata hai.
gandh priyal ke shri angon mein itr hai. Sugandhat chandan hai. Yah jab ham lep karte hain ki mere swamini meri swamini prabhu jara si baat mein aap dekho yah to nitya seva hai. Yah to priyal ki seva hai. Mathura padharte hain sarkar. Wahan kubri us chandan ki seva kans ki karti thi. Raj darbar mein chandan pesh kar. Bhagwan ne kaha mujhe chandan degi. Uski koi shraddha nahi ki wo akar ke bhagwan ko chandan lep kare mere Swami aur pranam na kuch nahi chandan kahan le ja rahi hai maharaj kans ke ye chandan mujhe degi dekha bahut sundar haan tum purush bhushan ho bahut sundar ho chandan tatkaal bhagwan ne shri charan ka sparsh kara ke jhatka wala ekdam sidhi sundar divya rup ab to Pitambar pakar liya kahan ja rahe ho bole aaenge ham aapse milenge aapse jab Uddhav ji ke saath gaye to Uddhav ji ko wo sarwshcharya ho raha tha ki ye prabhu munio ke dhyan mein na ane wale isko yah saubhagya mila keval ek bar chandan lagane ka saubhagya ek darji ne ab sakhaon ke jo jaise kapde the sab waise wo kaat ke silkar bilkul fit kapde mein kul parampragat ishwar badhta rahe aur antim samay mere dham ko aae Sudama naam ke mali ne mala dharan kara di ek ek bar ki seva mein bhagwat prapti kul parampragat aishwarya badhta rahe aisa wo hamare hamare prabhu hain.
hamare prabhu ke bhi prabhu hai prem aur prem ka murtiman swaroop hai ladli. Aap kahenge prabhu ke prabhu haan agar prabhu ko koi adhin kar paya hai to prem premadheen kaha gaya prabhu ka aur wo prem ka murtiman swaroop hamari Priya jo hai aur Priya lal donon ko aapne mala arpit ki. Ek bar mala arpit kiya to bhagwat mein padh ke dekh. Ek bar chandan arpit kiya to aap padh ke dekh lijiye. Ek bar vastr poshak sudhar di to aap padh ke dekh lijiye. Jabki kisi vishisht bhav seva mein nahi ki wo bhavwesh mein dasy bhav sakhya bhav kanta bhav sachar koi aise bhav ka vishesh jo nitya prabhu ko chandan arpit karta hai gandh arpit karta hai vyajan pankha karta hai barsane mein ladli jo ki pankha seva mein Baba vridh rahte unki tang mein phoda hua aur usne cancer rup rakh liya seva se nahi hatte the bahut kasht rahta to kisi bhagat ne dekha to kaha ki aap chalo ek bar Mathura chalna padega wahan kaha pankha seva bole aap jahan ladli ji ka madhyan mein sahan hoga
ham gaadi le aa jaenge aapko Mathura le chalenge aur aapko seva ke samay upasthit kar denge to raji jab aaj doctor ko dekha to unka kaha hai to pair katega ye theek to hone wala hai nahi kaha nahi nahi phir ham shri ji ke paas nahi ja payenge pankha nahi kar payenge nahi nahi ham marenge par shri ji ke seva karte karte ye sab nahi karenge koi dawa nahi hamen chode shri ji ke paas chhod de pankha ratri mein jab shri ji sahan kar di to bahar ho gaye tandra se ai ladli jo ai Baba to kahan pida hai aise
dekh Baba khade hokar dekh koi pida nahi tere chetna ai khade hue ekdam fit kahin koi kasht le kartum anytha karat swamini ki seva mein zaroorat hai. Sachchi man ye to unka leela vilas hai ki panch bhautik nashvan shariron ki bhakton mein pida dekhi jati hai. Wo keval bahari antarik jo maha sukh milta hai usko kaun dekh pata hai? Tambul dan shri swamini ji ko ye apni seva paddhti mein hai. Bhog pavaya asman karaya aur pan ki bidi yugal sarkar ko arpit ki. Mridu madhur pad sanvahnam jab ham shri ji ko shayan kara rahe hain.
upar se vastravishtit kiya bhav mein se baith gaye. Priyaju ke charan chap rahe. Lal ji ke charan chap aapko lag raha hai ki khilwad ho raha hai. Isi se adhin ho jaenge wo. Jab ekant mein shant bhav hokar hriday se ek din dekhna aapke aise jo aap kar rahe hain ki charan chapne ke usi mein shri charan aa jaenge. Satya vastu prabhu hai. Koi kalpna nahi hai. Mridu mridu pad sanvahnam phir priyal ki ham uttapan seva karke phir unko sundar poshak sundar mala dharan karana aise jo karta rahta hai wah maha premavesh mein ek din doob jaata hai.
maha premavesh mein pulak sharir hokar ke deh bhav rahit hokar ke wo shri ji ki sakhiyon mein sammilit ho jaata hai. Radha dasiyom mein sammilit kya bataya sadhan? Shri ji ki seva paricharyaa kab aisa hoga kripa drishti dase hari hari kada tayo rih praptya kantam pratdin madsur vilap aisa ham par kab kripa hogi ki main he yugal sarkar aapki dasata se yukt hokar ke ashubh pravah karta hua ekant ant mein haan meri swamini haan mere pritam vilap karta hua aapki seva mein rahun andar hi andar prem vikalta aur seva mein duba hua ye vrindavnadheeshwari ki seva anant janmon ke mano sukrit phlibhut ho gaye yadi aapki shraddha ban jae aapki bhavna ban jae prayah
dehabiman hone ke karan sadhan bhav mein tyag aadi ki taraf jismen wahwahi usmen to ruchi sadhak ki ho jaegi par jo shri ji ki ekantik paricharyaa jise koi nahi janta koi tumhen badhai nahi badhai Priya pritam denge wahan ruchi nahi ho pati jismen char log dekhe usmen ruchi ho sakti jismen Priya pritam dekhe usmen ekantik ruchi hona ye badi vishesh kripa ki baat isiliye kah rahe kripa drishti dase hari hari kada san mat tayo is das par kabhi aisi kripa drishti karo he hari he prabhu he priyaju ki aapki dasata ki ruchi ho jae bas aur kuch nahi aapki dasata ki ruchi ho jae swayam acharya charan apne kar kamal se Vrindavan ke vrikshon se lataon se giri hui sukhi lakdi binte the aur rasoi banate the.
ek bar narmal ji aae. Unhone dekha ki pujya Sadgurudev bhagwan apne Pitambar mein lakdi bina ye ham log jo pit vastr dharan karte hain apni swamini ke shri ang kant ka bhav karke aur sada basant rahit Vrindavan basanti rang Vrindavan ki shobha aur hamare pritam preetambar dharan karte hain. Puri upasna hai ye guru pradatt hai. Koi manmani nahi ki ham pila aise man mein aaya aur dharan kar liya. Aise nahi narmal ji ne dekha ki pujya acharya charan apne Pitambar mein lakdi se laga mere Gurudev bahut wo dhani mani unhone kaha jai jai aap rahne do na wo ham dheemar ko bol denge wo been karke dher sari lakdiyan jama kar dega aap mahaprabhu ne kaha hosh mein ho aap kya bol gaye?
mahaprabhu ke hriday mein dukh pahuncha. Is baat se param rasik mahapurushon ki kripa se mujhe meri swamini ki seva mili aur meri swamini ki seva ko aap dheemar se karwane ki baat karte ho. Tum shishya ho hamare. Jao main tumhara tyag karta hoon. Aaj ke baad hamare samne mat ana. Rajogun lekar Vrindavan ate ho. Jante nahi ho. Swamini ki seva ko dheemar se karwane ki baat tumne kar di. Jab shri ji ne swayam mahaprabhu ji se kaha ki iska koi dosh nahi aapke sukh ke liye kah raha shabdon mein truti ho gayi.
agar kah dete prabhu aap virajie ham bhi in karke ekatrit to kahin tak baat bahut uchit thi. Par bheemar se karwane ki baat jab hariram vyas ji aae mahaprabhu us samay bat loi chadhai hui thi shri ji ki rasoi amniya karne ke liye suchna mili ki koi bahut prakand vidvan digvijay pandit orchha ke raja ke guru hariram vyas ji aapse varta karna chahte hain. Pehle ko aa gaye. Mahaprabhu ne batui utar ke rakh di. Kaha ki ham prashn to baad mein karenge par prabhu aapne batoi kyon utar di? Bole aapse baat karni hai na.
bole hathon ka kam hai baat karna. Hathon se seva karna aur mukh se baat karna to hathon ka kam hathon se hone dijiye aur mukh se baat kijiye. Bole yahan nahi hota. Ye yahan nahi hota. Yah vihaar nahi hai. Yah premopasna hai. Aur tatkaal ek pad ki rachna jo Shrimad chaturasi ji mein yah jo ek man bahut thaur kar jara vichar kijeyega kis koti ka bhav hai ki ham mukh se bol bhi nahi sakte. Us samay jis samay ham shri ji ki rasoi to usi mein pura dhyan meri priyaju paengi. Ham us bhav mein dube hue hain.
ham tumse baat karte hue aise ki rasoi chidhi hui hai. Tujhse baat nahi seva mein nahi hamari Priya jo payenge ham bhav mein barkar dube hue hain. Shripad kah rahe hain. Aisa kab ham par kripa hogi. Badi khas baat pujya pad odiya Baba ji bata rahe. Kal iska bada rasaswadan hua. Baba kah rahe hain ki aap jab acharya parampara se judte hain to usse vishesh labh yah milta hai ki us acharya parampara mein jitne upasna karke siddh hue mahapurush jab aap unke upasya dev aur upasna ko sweekar karke imandari se bhajan karte hain to jitne siddh mahapurush un sabki kripa usko prapt hoti hai.
tabhi wah bahut shighr bhav desh ko prapt ho jaata hai. Ye bada ananddayak vachan mila. Jab ham acharya param jaise ham hit jo maharaj jis acharya mahaprabhu Harivansh chandra ji se jude to jitne parampara mein siddh mahapurush hue unko wahi mantr mila hai. Wahi upasna mili jo hamko kripa prasad se mili. To jab ham apne upasya dev ki priyata shri Radha vallabh lal ji ke apne bhav mein jitna hamare andar ham seva shuru karte hain to sab acharya parampara acharya se lekar parampragat jitne siddh hain sabki kripa prapt hoti hai jisse wo us mahan ras ko prapt kar pata hai.
jitne bhagwat swaroop ho gaye un sab ki shakti uski sahayata karti hai upasak ki jo acharya parampara se isiliye acharya parampara se judne ka bahut bada mahatva hai. Manmani bhajan karne ka phal hai Gurudev ki prapti jo acharya parampara se hai. Yah naveen kalpna karke jo chhote-chhote samuday to yahan pujypad Baba kah rahe hain ki samudramay upasna ye koi sarovarmay upasnaen nahi hoti ki chhote-chhote acharya parampara se hona chahiye. Isiliye bhagwan acharya rup mein avtrit hote hain. Parampara prakashit karte hain. To jahan jude wah acharya parampara se jude.
kisi ki vak madhuri usse prabhavit hokar nahi. Pahli baat shabd brahm ka gyan aur param brahm ka bodh atyant avashyak hai. Jahan hamen judna hai. Shabd brahm to wo apni anubhutiyan bata sakta hai. Param brahm usko anubhut hai. Agar anubhut nahi bhagwat prapt nahi brahm bodh nahi to kya bata wo phir pakar mein nahi aayegi baat nahi banegi. Acharya parampara se guru mantr upasna paddhti karne wale par acharya parampara ke samasth siddho ka kripa prasad prapt hota hai. Jo tumhen mantr mile aur upasna ki nishtha mile usmen pakke ho jao.
pakke kisi bhi sthiti mein ab na mantr chhutna hai na upasna chhutni hai. Yah pakka samjh lo tab pakke ho jaoge. Chahe koi kitni bhi hamare samne ninda karen, kaisi bhi paristhiti rakh de, ham mantr aur apni nishtha se na dagamgae. Jaise sapt rishi akar Parvati ji se kahte hain ki tumhen mahadev ji mein kya gun dikhayee diya aur aisa aisa par unki nishtha koti janm lag ragar hamari barhu shambhu nat kumari aur mantr Gurudev narad tajo narad kar updeshu aap kahe sat bar maheshu donon baat mantr nishtha guru vakya aur upasna nishtha jo isht Gurudev ne diye unki upasna paddhti sahit yadi ye do baat pakki ho jae to har samay aapki swabhavic bhajan vritti jagrit ho jaegi.
jab tak yah pakki nahi hoti tabhi tak akhand bhajan nahi hota. Akhand bhajan ki jo vritti jagrit hoti wo aise upasak pe hoti ki vishay bhogon ki upsthi mein indriyon ka vishay bhog na karne ki pravriti hona. Bilkul nahi. Ruchi nahi. Har vishay upasthit ho aur tumhare andar bhogne ki ichchha na ho use kahte hain bhajan ki vritti jagrit hui narayan hari bhajan mein pancho anusat vishay bhog nidra hansi jagat priti bahu baat to dekho abhi bhajan kahan hai hamara kahan bhajan ki vritti hai kahan nishtha paripakva hai kahan mantrakaar vritt hai prabhu ka naam wanchha kalp taru hai phir upasak kyon maang karta hai mat maang karo wo wanchha kalptar wo dekh rahe hain aapko jo zaroorat hai apne aap kar denge gane ki mangne ki bilkul zaroorat nahi wo koi alpgya to hai nahi ki ham apni baat nahi kahenge to wo sun nahi payenge dekh nahi payenge ham nahi mangenge to wah jaan nahi payenge nahi sarvagya hai sarvatra hai sarvshaktiman hai.
unka vidhan param mangalmay hai. Agar wanchha karni, asha karni to ek hi baat ki karo ki aap mil jao. Aap mil gaye to sab mil gaya. Akhil koti bramhandon ka Swami mera ho gaya to sab brahmand ki. Vaibhav sampatti bhi to meri ho gayi. Aur sahi pocho to ichchha hi khatm ho jati hai. Bhagwanand ka smaran hote hi na sochti naka. Koi chah nahi, koi ichchha nahi, koi shok nahi. Upasak ki sabse badi uplbdhi hai. Upasna mein yah milti hai ki satat smaran kiska chal raha hai yah dekhna hai. Agar aapka satat smaran bhagwan ka chal raha hai to aap bhagwan ke upasak ho.
priyal ke to priyal ka aur bhogon ka to bhogon ke upasak ho. Bhash koi bhi ho. Dekho ek baat andar se samjhni hai ki yah vah vah upasna ka phal nahi hai. Nahi hai yahan ki sthiti upasna ka phal hai. Bahar ki nahi prakriti rajya nahi hai. Ye bhagvatik hai. Upasna ki siddhi yahan dekhi jati hai. Yahan nahi dekhi jati. Bahar antar dekhi jati hai. Antar mein sthiti kya hai? Nirantar bhagwadakaar man apman ninda stuti aadi mein sham sthiti theek hai ye bahar ki to iska kya bharosa parivartnshil sansaar parivartnshil sharir kya bharosa hai iska ye tikau chij nahi hai ki man le ki jeevan mein hamare sadhna aur bhajan ka phal hua ki hamara naam ho gaya ye agyaan ki vritti yah sadhna ki vritti nahi hai.
yah upasak ki vritti nahi hai. Yah jignyasu ya gyani ki vritti nahi hai. Yah ghor agyaan ki vritti hai. Char alpgya purushan ke dwara diya gaya sammaan aur usse ham yah man le ki ham mahan ho gaye. Ye alpagyata hi hai. Agyaan hi hai. Sneh bhara nirantar smaran upasak ki upasna ki paripakva avastha hai. Ye bahut bachna chahiye. Sammaan se, lokapriyta se, lok rijhave se. Iska koi astitva nahi hai. Koi astitva nahi hai. Aapko lagta hai kuch to hai. Kuch nahi hai. Jaise lagta hai ki 100 log to pranam karen.
kuch to hai. Bilkul nahi ho sakta. Kuch nahi ho sakta. Aisa bhi ho sakta hai. Kitne hazar ki bhid lagti hai. Film wale jo bana hota hai kya thietar kahte hain. Kitne hazar kya hota hai usmen? Kitne hazar logon ko aap dekho din bhar wahan ana jana logon ka chalta rahta hai. Teen ghante ka show chalta hazaron log hote kya hota hai kuch nahi jhuthe pe jhutha to hazaron log mansik buddhiman to hai hi wahan hai to kuch to hoga kuch nahi vyarth ka paisa vyarth ka samay vyarth ka chintan vyarth ki leela usmen raji hai to 100 log hamen pranam kar diye namaskaar kar diye ham man liye ham kuch ho gaye kuch nahi hai kuch nahi kuch nahi zero bole bada yash hai jab tak punya tab tak hai punya khatm to apne aap samjh mein aa jaega kya ho sthiti punya aur prabhav sammaan man inse nahi
hoti char log jaan bhi nahi sakte bagal se nikal jae siddh mahapurush unko pata thodi chalega kabhi sammaan aur priyata ko apni sadhna ki sthiti na samjh le sadhna ki sthiti sneh bhara aradhya dev ka smaran aur dwandon mein samta ye prapt hua to sadhna ka phal mila ye sab nahi kuch nahi bhai kuch nahi jaisa kah rahe hain vishwas karo kuch nahi chamdi aur damdi ka chamatkar punya uska chamatkar chamatkar yahan ka siddh mahapurushon ka yahan ka hota hai hriday ka laut kar apne hriday mein dekho sammaan sukh
de raha hai haan apman bura lag raha hai haan kuch nahi mila aapko adhyatma ka kuch nahi mila ye tumhare punyeon ka hai khel tumhare liye sansaar mein koi ninda ka patr hai? Bole haan hai. Koi prashansha ka patr hai. Haan kuch nahi hua tumhen. Koi gyan nahi hai. Koi tumhare andar adhyatma nahi jagrit hua. Agar ninda ki jati hai to is sharir ki ninda ki jati hai to man aur indriyon ki jo vishaygami hai. Prashansha ki jati hai to satya sacchidanand bhagwan mein sthiti ki. Bas aur to charachar jagat bhram mein bhtak raha hai.
iski kya ninda? Yah sab bhagwat swaroop khel ho raha hai trigun maya ka. Manushya sharir bahut malin hai. Isse ek hi ujjavalta hai bhagwat prapti. Sabse bada labh hai manushya sharir ka. Bhagwat prapti. Yah nahi hua to bahut hi ganda hai kuch nahi. Bhagwat bhajan hokar bhagwat prapti nahi hui to is sharir ki durlabhta jo varnan ki gayi hai wah bhogon ke liye nahi hai. Jab upasak upasna mein lagta hai to usko bhinn dalne ke liye sabse bada shatru khada hota hai jiska naam ahankaar hai. Abhiman jahan abhiman hua to uska prichay hai ki aap mein abhiman hai ki nahi.
jab dusron mein dosh darshan hone lage to aap mein guna abhiman ho chuka hai. Isiliye dusron mein dosh darshan hote hain. Dosh darshan karne wala ninda karke hi rahega. Wo dusre ki ninda karega. Dusre ka apman karega. Upasna sabse chhota banna sikhaati hai. Aur wo apne ko guni mankar jab dusron ki ninda karta hai to upasna mein kiya karaya. Sara tap sukrit nasht ho jaata hai. Bahut dhyan se ise satsang kahte hain jo sat se sang kara de. Upasak upasna mein dekhta rahe ki kahin kisi baat ka ahankaar to nahi hai.
abhiman to nahi badh raha. Uska prichay yahi hai. Aap ninda karo ya na karo. Dusron ko dekh ke yadi dosh darshan hone lage to apne mein guna abhiman jagrit ho gaya aur wo aapko giraega pakka giraega. Bahut savdhani ki zaroorat hai. Tumko yah nahi dekhna kya asatya hai, kya asatya hai. Tumko tark mein nahi phasna. Tumhen jo guru ji ne upasna di param satya hai. Usi mein chitt ko samarpit kar do. Jo vishyon se prem karta hai wah Priya pritam ka premi nahi hota. Jo Priya pritam ka premi hota hai wo vishyon ka premi nahi hota.
vishwas karo yah jeevan keval prabhu ke prem ke liye prapt hua hai. Agar hamare is jeevan mein bhagwat prem nahi hua to kaisa phir jeevan ka matlab kya raha? Prem kahan se prakt hota hai? Bhagwat bhakton ke charit padhna, bhagwat bhakton ka sang karna, nirantar bhagwan naam jap karna, sharir poshan ke liye bhagwat prasad pana, swaroop poshan ke liye guru mantr japna, bhagwan ki lilaon ka gayan shravan karna. Isi se prem ka pradurbhav hota hai. Kal ki charcha mein suna arjun ji se bhagwan kahte hain mere divya karm hai.
mere divya janm hai. Inka jo gayan karta hai, shravan karta hai uska dobara janm nahi hota. Are bhagwat prapti koi kathin vishay nahi. Ham chah karen. Bhagwat prapti ki chah na hone ke karan ham vishyon ki chah mein phas gaye. Hamara janm to bhagwat prapti ke liye hua hai. Keval yah baat agar hamare hriday mein baith gayi shri bhagwan kah rahe hain ki hamare janm karm ko divya jaan le. Janm karm cha div punarjanma arjun uska punarjanma nahi hoga. Age ke shlok mein jo varnan karen ab yah baat bahut dhyan dene yogya hai ki bhagwan ke janm karm ko divya kaun jaan sakta hai jo jaan lega uska janm nahi hoga to jaan kaun payega vitrag bhay krodha man maya mampashrita bahwo gyan tapsa puta mad bhav magta veet rag bhay krodha veetrag rag jiska bit chuka hai khatm ho chuka hai use veetrag kahte hain.
kisi bhi vastu vyakti sthan se koi rag nahi hai. Yah bhi katha bhagwan ki padhne se, sunne se, chintan karne se rag nasht ho jaata hai. Yahan ham ek prarthna karna chahte hain ki Shrimad bhagwat ki katha, gita ji aur bhi pauranik siddhant, vaidik siddhant in par vichar karna chahiye. Padhna, sunna aur vichar karna. Par nau nivraat nikunj ki rasmay lilaon par vichar karne ka adhikar tab tak nahi jab tak hamara purush bhav ya stri bhav shithil na ho jae. Kyonki yadi aapke andar purush bhav aur stri bhav hai to kahin aap un lilaon ka prakritik lilaon se jod na kar de.
nahi to aparadh ban jaega. Hriday malan ho jaega. Ho sakta hai ki aapki bhavna mein fark par jae. Bahut dhyan se sunna. Aap pad gaiye. Khub unmattata prem ki badha dega. Aap dekh lena kuch aise shlok hain jo Vrindavan mahimamrit mein jinko hamne nahi gaya kyonki sab adhikari nahi. Kuch pad hai aise jinko nahi keval ga sakte hain unka arth nahi. Kyonki us koti ki dasha hriday mein honi chahiye. To gita ji aur bhagwat ji inka to vichar karen, chintan karen. Nikunj ras mein siddhant ka chintan karen aur lilaon ka keval gayan karen.
chintan ka adhikar deh bhav shithil hone par hota hai. Dhyan rakhna. Nahi to man bada vichitra hai. Phir adhikar na hone ke karan aap anadhikar chintan kar sakte hain. Wo theek nahi rahega. Hamari baat ko samjhne ki cheshta kijiye. Ham Vrindavan mein hai isliye khub uchh swar se ga karke kabhi-kabhi thodi vyakhya bhi sparsh kar lete hain. Bakaya bahar to vyakhya ya sabka adhikar nahi hota hai. Sthiti ka ek bar pujya Radha Baba Swami shri hitas maharaj Vrindavan ke apne shri Radha vallabh ji ke anannya upasak to Radha pyari tere nayan salol ye pad gaya to Baba rok diye gita vatika mein aur kaha sab adhikari nahi iske sunne ke aap sab mein wahan 10 panch log baithe honge unhone kaha Baba ham to Vrindavan vasi ham to mike se gate hain hazaron ke beech mein gate Baba ne kaha yah to bahut gupt baat hai.
bole Baba yahan gupt hogi lekin Vrindavan to mahal hai maharani ji ka aur wahan sab rasik jan hi hai. To in pado ki vyakhya na padhna. Naye upasak ko arth sahit vani nahi khareedni chahiye. Siddhant jab tak paripakva nahi hoga aap siddhant bhagwat aur gita ji ka sweekar kijiye. Mantr upasna nikunj ki aur vani gayan kijiye aap pahunch jaenge wahi hamari baat man lijiye pratham sune bhagwat bhakt mukh bhagwat vani ye pahla sutra hai bhagwat aur gita ji ke vichar se paripakva hui buddhi deh bhav jiska shithil ho chuka hai aur ras gayan se ras ki utpatti wo age badhta hai.
aise pado ka agar arth chintan karenge to anarth bhi utpann ho sakta hai aapke manas patal par. Isliye prarthna hai naye sadhak ko arth ki taraf dhyan nahi dena chahiye. Uski samarth nahi pad gao shlok gao wahi aapko sthiti pradan kar denge. Veet rag bahut sundar baat hai. Leela ka nirvikaar swaroop anubhav dekho. Agar gopi prem mein tanik bhi koi aisi baat hoti to Paramhans shri Sukhdev ji jo laut kar apne pita ka mukh nahi dekha. Jab pukar rahe the mata ko to dekha hi nahi. Wo bhala aise vilas ko kabhi ga sakte the.
vichar karo. Brihaspati shishya Uddhav vande nand brajasta pad vibhishan sa antim samay stav ka gayan karte hain Bhishma ji us samay gopi janon ka chintan karte hain bhagwan ki us leela vilas ka kya hai ye gopi prem koi aisi rahsyamay prem vritti hai jo bade bado ko samjh mein ane wali nahi hai isliye gayan karen gayan se aap raas panchadhyay ke phal stuti ko padhie. Usmen likha hai yah shlok puran yad vikeem brajwadh bhadam cha Vishnu is shlok mein hai ki jo shri Krishna ki is raas leela ka jo gopi janon ke saath bhagwan adbhut sukh varsha kar rahe hain iska jo gayan karega path karega wo hriday rog se rahit ho jaega ye hriday rog ko nirmul karne wali leela arthat kam ka sarvnash karke prem prakashit karne wali Shrimad chaturasi ji ki phal stuti mein likha hai bhavjal nidhi ko nav aur kam pavak ko pani kam rupi agni ko shant karne ke liye leela jal hai chaturasi ji ka gayan nishkam karke prem prakt karta hai.
yahan prarthna hai. Arth ki taraf drishti mat le jana. Agar arth kabhi aap padh bhi le to usko chintan mein mat aao. Usko chhod do. Jab tak aapki bhav dasha theek nahi hai. Abhi aapke andar kam aata hai. Aapke andar nana prakaar ki vasnae aap nahi samjh payenge. Aap use prakritik bhav se agar dekhenge to baat theek nahi. Kyonki Priya pritam sacchidanand mein aapki buddhi prakritik prakritik bhav sacchidanand par aropat karna phir wah bigad jaega. Isiliye yahan prarthna karte hain navni nikunj ke pado ka gayan chintan bhagwat gita ji ke siddhanto ka deh rag ko shithil karke phir chintan jo prakt hota hai wo asuon se bheege hue kapol wala hota hai.
gadgad sur Naina sajal dampati ras rahe bheen isliye upasak ko chahiye ki jab tak deh bhav shithil na ho jae tab tak aise aiseise shlok ras bhare hain jinko aap bilkul nahi samjh sakte isliye bhagwan ki avatar leela bhagwan ke updesh dekho shastron mein hamne paya ki jab apne shisyo ko updesh Gurudev karte hain to unse kahte hain ki dekho bhai mere updesh se jo mera aacharan na milta use kabhi sweekar mat karna. Mere updesh se jo mera aacharan ya shastr ki agyaa se jo mera aacharan na milta ho use kabhi anuran mat karna.
kyon? Kyonki tumhari sthiti nahi hai. Tum anuran karoge parast ho jaoge. Mera jo tumhare liye updesh hai, shastr ki jo agyaa hai, uske anusaar chalna. Aap socho jagatguru bhagwan shri Krishna ki leela ka koi anuran kar sake. Jaise raas leela ka nahi bhagwan itni gopiyon ke saath nritya kar rahe hain. Bhagwan ke is divya prem vilas ko tum raas kisko sambodhan kar rahe? Bole raas racha ke aa raha hai. Ghor aparadh bhare shabd bol rahe ho. Bhagwan raas jo kar rahe hain wah atma swaroop ka vilas hai. Wah kisi vyakti ya stri purush ka nahi hai.
bhagwan ne jo kuch leela aisi ki jinka anuran swabhavic karke ham prem magan ho sakte hain. Kuch leela hain jinka gayan karke prem mein magan ho sakte hain. Kuch leela hain ki padh sunkar ke ham garwit ho sakte hain. Mere prabhu aise to raas leela ke pehle bhagwan ki jaise leela ek aati hai Govardhan leela phir raas leela chalo raas leela tum karne ke anuran karne ki baat karte ho chalo Govardhan leela karo nahi bhagwan jo leela karte hain unka anuran karo Govardhan leela karo ab bhi 21 kilometer ke maharaj hain giriraj ji shri Krishna chandra guru jo leela kar rahe hain wo gayan karni hai.
anuran karne ki samarth kis mein hai? Kis mein hai? Bhagwan shankar ne halahal jahr nikla samudra manthan se. Yahan rok liya. Tum ek kulla pani rok ke dikhao. Pani aur halahal jahr rok liya. To samarthyavan mahapurushon ka aacharan wahi anukarneey hai jo shastr sammat hai jinka wo adesh kar rahe hain ki aap aisa kijiye har baat anukarneey nahi hai kyonki wo kis dasha mein kis sthiti mein hai isiliye yahan bhagwan kah rahe mere janm karm ki divyta ko kaun janega aur jo janega uska punarjanma nahi hoga to bole veet rag jiska rag nasht ho chuka hai meri priyaju mere lal dekho pragat mein dekhne wale ki drishti mein aur vartman ki sthiti mein bada antar ho sakta hai.
aisa nahi hai ki aap jo drishya dekh rahe ho wo drishya vaisa hi ho. Aapki dekhne ki kya shaili hai? Ek bar yahi baat Akbar se jab kaha beerbal ne ki dekhi hui baat galat ho sakti hai. Apna chintan jaisa hota hai waise hi drishya dikhayee deta hai. Usko bhi samjhna chahiye na ki jo hamen dikhayee de raha hai wahi satya hai. Aisa kaise ho sakta hai? Jab ham dekh rahe hain to satya kyon nahi hoga? To kabhi aisa aapke samne prashn ave to batana. Phir ham aapko uttar denge. Ek din jo badshah ki saiya lagata tha uske man mein aaya ki jeevan vyatit hota ja raha hai foolon ki saiya lagate hue badshah ke liye takiya panch minute let ke dekhte hain badshah thodi aa jaega is samay leta to socha inka jo chaddar hai itna sugandhat aur mulayam jara dal ke dala aur aankh mund ke panch minute anand lete so gaya bhaiya kahan charpai mein sone wala kahan badshah ki saya mein aur darbar mein unko vilumb tha to jo unki patni thi wo wahan gayi aaj maharaj bina kuch khae piye baat kiye hamen lagta hai koi serious maitar raha hoga thkit hokar ke so gaye parshwa mein wo so gaye ab badshah aaya to dekha meri saiya mein koi purush aur hamari patni talwar khinchi to kaha usne kaha tha beerbal ne ki drishya jhutha ho sakta hai.
usko bula ke kahte hain ek drishya kahan se jhutha ho sakta hai? Main satya dekh raha hoon. Bulaya aur kaha ki tum kahte the drishya jhutha ho sakta hai. Dekhne wale ki kshamta ke anusaar drishya dikhayee de. Main dekh raha hoon meri patni kisi gair purush ke saath padi hui hai. Jhutha hai. Bole maharaj jhutha bhi ho sakta hai. Jhutha hi hai. Main aisa nahi kahta lekin jhutha bhi ho sakta hai. Ab kaun purush hai hamen to pata nahi lekin aap do minute khambe ki aad mein rukie. Rani ko aise ji bole aap kiske saath so rahi? Bole maharaj ke saath baat nahi ki.
bole thake the so rahe the isliye jagaya nahi. Paras mein so gaye. Theek hai aap jaiye. Ham maharaj ko jaga ke la rahe hain kyonki bhojan nahi paya inko pavana hai. Haan theek hai. Parda hataya to wo phool bicha le. Wo to ghabra raha tha ekdam. To kaha malik jaan bacha lo. Mujhe aisa aisa aaya isliye nahi to kiske saath? Bole hamare saath to koi nahi tha. Badshah parde ke aad mein sun bole chupchap bhag ja agar badshah jaan gaye to bhala bole sarkar dekha donon nirdosh the yadi aap marte to donon ki hatya aap kar sakte the lekin donon nirdosh the hamari drishti prakritik drishyon ka phaynal nahi kar sakte phir sacchidanand ka kaise to hamen apni drishti sudharne veet rag jinka rag bit gaya hai arthat param vairagywaan bhagwat leela ka rasaswadan isliye param vairagywaan Paramhans shiromani Sukhdev ji ko Shrimad bhagwat kathan ka adhikari shri bhagwan vyas dev ji ne jankar ke bhagwat de.
jab koi prabhu se vimurkh ho jaata hai to nashvan padartho mein aur sharir mein yah nashvan hai. Ismen rag ho jaata hai. Ab yah rag usse papachran karata rahta hai. Wah bhagwan ki lilaon ko nahi dekh sakta. Hamara sacchidanand prabhu ki prapti ka pehle bhumika samjh le. Jab koi tino ragon se teen prakriti ke gun, teen shariron ki rachna, tino loko ka vaibhav tino ragon se jo mukt ho jaata hai wo bhagwat prapt hota hai. Bhagwat prapti mein bhi bada bhed hai kai tarah ka. Bhagwat prapti mein bhi jo ras siddh mahapurush hai wah gopi bhav ko jo unse bhi sahachari bhav ko aapki dasha kahan hai deh bhav mein ab deh bhav se dekhoge to kya dikhayee dega jaisa chashma hai waise dikhayee dega isliye leela ka vastvik rahasya kaun janta hai bole veetrag kaun veetrag bole jo paramatma se vimurkh hai uska nashvan prakriti ke dwara rache hue vastu vyakti sthan shariron mein rag ho jaata hai.
wah rag jiska nasht ho chuka hai use kahte hain veetrag Paramhans. Yah rag kamna paida karta rahta hai. Rajogun se rag utpann hota hai aur rag se aprapti ki prapti ki chah ka naam hai. Main yah bhog lun. Jo suna jo padha jo dekha wo bhog lun prakriti ka kamna kahte hain. Kamna jahan utpann hoti hai to priy padartho ka bhog bhogne se lobh hota hai. Priy padartho ke bhogne mein badha padne par krodh hota hai. Bhagwan kah rahe hain ki veet rag bhay krodho man maya mam upashit jiska rag nasht ho chuka hai aur jiska krodh nasht ho chuka hai.
kroadhi nahi aur bhay nahi hai. Bhay jab tak aap papa aacharan karenge to bina kisi bhay ke bhi aapko bhay lagta rahega. Dhyan rakhna hridyon mein dekh lena. Agar bhay lag raha hai aapko avyakt bhay kahin aisa na ho jae. Kahin aisa aapka man malin hai aur aapne papa aacharan kiye hain. Wo aapko bhayabhit karte rahenge. Jo bhagwat sharanagat nirmal hriday wala hota hai uske andar nirbhayata aati hai. Nirbhay nishcint nishok bhagwan kah rahe hain jo rag rahit hai aur bhay rahit hai. Bhay ek hi jagah aata hai. Agyaan janit nashvan shariron mein rag bhogon mein rag jisse papacharan to yah sharir na nasht ho jae.
is baat ka bhay bana rahta hai. Kahin bhog samgri na chhut jae. Is baat ka bhay bana rahta hai aur ek man mein avyakt bhay bana rahta hai wo papacharan ka phal wo ek kalpnatmak bhay bana rahta hai bhayava jise aajkal bhasha mein depression kahte hain. Wo bematlab ki baten soch soch kar darta rahega. Lekin bhajan bhagwat aashray ye nirbhay karta hai. Bhay nahi rahta. Jab hamari kamnao ki apurti hoti hai to krodh aata hai. Lekin bhakt ki agar kahin wah kamna wala bhi abhi hai apurti hoti to kripa milta. Badi kripa hui. Bhale nahi diya nahi mera man fansa deta.
purti ho gayi to bahut dular hai. Badi prabhu ki dular vritti hai. Wo prabhu ki taraf hi dekhta hai. Purti mein bhi apurti mein. Isliye na wo to lobh se bandh pata hai na krodh se. Wah to mahan purush hote hain jinme koi kamna nahi hoti lekin prayah kamna se hi bhakti prarambh hoti hai. Jo hamara anisht hone ki ashanka bani rahti hai yah avidya agyaan nashvan padaarth nashvan sharir ki priyata ke karan to bhay krodh lobh mamta ye sabka mul jo hai kamna hai kam hai isi se dosho ki utpatti hoti hai jab tak ye kam hai tab tak bhagwan ki lilaon ko tum kaise jaan sakte ho kaise jaan sakte ho jab tak tumhare sharir se kam krida hoti hai.
tumhare andar man mein kamnayen prakt hoti hai. Tab tak tum bhagwan ke charitra ka rahasya nahi jaan sakte. Kyonki bhagwan kah rahe hain mere jo charitra ko mere karm ko janm ko divya jaan jaata hai uska punarjanma nahi hota. To kaun jaan jaata hai? To bole veetrag bhay krodha jinka rag nasht ho chuka hai jo nirbhay ho chuke hain jinke hriday mein krodh nahi hai aur bhagwan kah rahe man maya mam upashta man mayaha jo mujh mein tallin hai raat din naam jap kar rahe bhagwat dhyan mein mam upashrita mere hi ashrit hai mera hi chintan mera hi aash andar se kisi se koi rag nahi hai.
kisi bhi bhog ki bhogne ki ichchha nahi hai. Us ichchha ki jab vritt nahi to krodh aur lobh ki sambhavna hi nahi. Aur jab ichchha hi nahi to papacharan nahi to bhay nahi. Bhay keval papacharan se hota hai. Nirvikaar hriday kutastha Swami the. Himalay mein bhramn kar rahe the. Ek sher ki garjan hui. Ghurrata hua samne aaya to chhadi liye the pujya padudiya Baba ka aise chhadi laga khade ho gaye bole yar sun tera ahar agar ye nischit ho chuka hai to tu gurra mat ise kha le agar ahar nahi nischit hua hai to tu ja va kuch alag hai kitne nirbhay ki sinh ke samne bhi ekdam aise kyon kyonki veetrag hai sharir se rag nasht ho chuka hai shri bhagwan kah rahe ki mam pashta dekho bahut sundar baat kah rahe dhyan dena apne logon ka swabhav hai bina aashray ke ji nahi sakte kisi na kisi ka aashray sharir ka aashray rupaye ka aashray viparit sharir ka aashray pad ka aashray vivid bhogon ka aashray nasha aadi ka aashray bina aashray ke ji nahi sakta aap ye samjh lo aisi manyata ho chuki ki hai aur aashray agar yah sab chhod de to amar ho jae.
usko lagta hai main mar jaaunga bina iske. Wo amar ho jae. Yahi maya ka bhram hai. Kisi na kisi ka aashray liye rahta hai. Kabhi bhi wah aashray tikau nahi hai. Dhyan dekar dekhiye kya tikau hai. Manushya sharir tikau hai. Nahi bank balance nahi. Koi padaarth padvi nahi. Bahut dhyan dene yogya baat hai. Paramatma ke ansh tumhare andar jo ek aashray lene ki vritti prakt hui hai prakriti se yahi bandhan hai. Aur is bandhan ko tum tabhi chhuda sakte ho jab prakriti ko jisne racha uska aashray le lo. Paramatma ka prabhu ka.
bhagwan ka ansh jab tak prakriti ke kuch bhi aashray rakhega tab tak wah bhay, krodh, lobh, rag inse pitta rahega. Chinta, shok nana prakaar ki. Baat ko pakdo. Gambhirta se pakdo. Tum prabhu ke ansh ho. Prakriti ke aashray se tumhen chain nahi mil sakta. Shanti nahi mil sakti. Amar pad nahi mil sakta. Tum bhatkte rahoge, kleshit hote rahoge, bhayabhit hote rahoge. Bhatakna janm maran bhagwan ke ekmatra ascharya se tumhen vishram milega aur kahin nahi. Jaise goswami ji kahte payo param vishram Ram saman prabhu nahi kahun.
lekin koi bhagwan ka aashray lena nahi chahta. Rupya ka aashray lena chahta hai. Vastu ka bal, pad ka bal, parivaar ka bal, deh ka bal, samaj ka bal. Tab tak bhagwan ke darshan ho jae. Log baten banate samjhte nahi. Are Draupadi ji avatar hain. Draupadi ji koi janm nahi liye. Avatar hain. Shakti ka avatar hain. Yagya kund se prakt hui. Lekin aashray dridh tab hua is ghatna ke baad. Cheerahran ghatna ke baad nahi pandavo ka aashray tha, sabha ka aashray tha, apna bal ka aashray tha, dant ka aashray liya. Jab sab chhut gaya to Govind Dwarika vasin ye chij samjhne kal kuch sant bhagwan aae the.
unse yahi charcha ho rahi thi ki aashray tatv par drishti rakho. Kahan aashray hai tumhara? Andar se dekho. Abhi bhagwat prapt ho jaoge. Bigdi janm mane ki ab sudhre aaj abhi ho Ram ko aashray Ram ka aashray hari ka aashray prabhu ka kiska aashray surdas ji maharaj kah rahe hain apbal tap bal aur bahubal chautha bal hai dam kiska aashray hai inme se apna bal tapasya ka bal dam ka bal vidya ka bal kiska bal hai bole sab bal kahan jagrit hota hai bole hare ko hari jo bhagwan ke ashrit ho gaya, naam ke ashrit ho gaya.
ye jitne aashray tikau nahi hai. Pratyut ye tumhen bhramit karke tumhare samay ko nasht karne wale hain. Jisne dhan ka aashray le liya patan hai. Shastr kah raha hai. Kyon patan hai? Khub bal aa jaata hai andar. Kyonki galat aashray liya na dhan ka. Ab wo mat wala ho jaata hai. Sharab pina, mans khana, vybhchar karna ye udandta hi udandta ane lagti hai. Ab bhagwat ashrit aur dhan aa gaya to uska dhan dusri jagah jaata hai. Kyonki aashray sahi hai. Aspataal khulwa diya, gaushala, sant seva, gaushala, nana prakaar ki dharmik vrityio ke dwara dusron ko sukh pahunchana.
kyon? Kyonki aashray badhiya hai. Keval dhan ka aashray hai to sab dosh aa jaate hain. Itna hi nahi shubh karmon ka aashray ban jaata hai. Sadhna ka aashray ban jaata hai. Apni sadhna roz parikrama lagata hoon, roz ye karta hoon, ye karta hoon. Dekho dikhayee de raha hai bhakt. Bhagwan bhakt ka matlab hota hai bhagwan ka aashray. Ab wo yah jo sat sadhna hain asat nahi hai par inka jo aashray ho gaya wo direct bhagwan ke aashray se ab hamari tange majbut hai to ham parikrama laga rahe hain kal tang tut gayi to to aashray bhagwan ka unke aashray se bhagwat prapti hogi koi inke aashray se thodi lekin agar wo aashray liya hai to phir lagega hamse se koi sadhna hi nahi ho rahi aap asantusht ho jaenge.
ekmatra bhagwan ka aashray tabhi kah rahe bigdi janm anek ab sudhre aaj abhi isi kshan sudhar ho jaega. Abhi isi kshan baat ban jaegi. Anek janmon ki bigdi kya aashray keval prabhu ka mam pasta bhagwat prapti ki sadhna ka bhi aashray nahi. Dhyan de yah bada sukshm aashray keval priyal ka sadhna ban rahi badhiya kal sadhna na bane aise rog ho jae aisi sharir ki sthiti ho jae aisi mana sthiti ho jae to hamen bhagwat prapti nahi hogi kya hogi bole kyon hogi tumse koi sadhan to banta nahi bole hamne sadhan ka aashray nahi liya hamne to priyaju ka aashray liya sarve sadhan vareshu chiram nirasha baat samjhna ye antarik hai adhyatmik bharosa keval val prabhu ka aashray keval prabhu ka isi se bhagwat prapti hoti hai.
purv mein jab pratham pratham bolna shuru hua tha murari se unse yahi aashray tatv par keval charcha hoti thi. Aashray ko samjhiye. Agar aashray sadhan ka to bhog sadhan ka hota hai. Sadhan sukh ka bhog hota hai. Isiliye yah gun sadhan te nahi bada sukshm. Ab jaise alpgya sadhak hai to sochta hai ki phir to sadhna hi nahi karni chahiye to abhi tak aap kar rahe the kya aapse karva rahe the jinke ashrit ho aise bhav mein aao sadhan ho raha hai prabhu ko samarpit ho raha hai nahi ho raha hai to ham to prabhu ko samarpit hi hai hamari bhagwat prapti to pakki hai bhai yah samjh ani bahut kathin ho jati hai ham parikrama lagaya hai to kah sakte hain ki ham bhagwat prapti kar sakte hain kyonki sadhan ka bharosa hai aur agar nahi laga paye to hamare bharosa mein kami ho jaegi.
aap akhri baat samjh lijiye. Yadi aapne andar se aashray hamare priyal ka le liya aur kuch nahi ban raha to bhagwat prapti ho jaegi. Hamari baat samjh lena. Ye ham bahut samjhi sochi hui baat kar rahe hain. Aashray aapka kahan hai? Ek kshan ke aashray ko prabhu bahut bada man lete hain. Dhyan rakhna jab Bali ji ka bhagwan ne prhar karke vadh kiya to akhiri svase Bali ji ki bhagwadakaar thi. Par bhagwan se bada chhupa ke vachan bole. Hriday priti mukh vachan kathora. Aur bhagwan ki taraf dekhkar kaha main bairi Sugriva pyara karan kaun nath mohe mara ham donon bhai hain hamen apne bhai ki har cheshta ko pata hai jaisa main vaisa mera bhai bahut bada bhajnanandi nahi ham jante hain bachpan se sathi hai aur maine kabhi aapka virodh nahi kiya aapne mara kyon mujhe jo sukshm baat bhagwan tum ye jante the ki Sugriva mere ashrit ho gaya hai.
are abhimani mere ashrit ka vairi mera vairi hota hai. To kitne dino ke ashrit hue the Sugriva ji. Koi mala chalai thi, dhyan kiya tha, tapasya ki thi aur nishkam aashray nahi tha. Sakam aashray tha. Bal mara jaega. Main kishkindha ka raja banunga aur aja raja ban gaye ho. Maharaj ji Ram ji pravran parvat par rahe ek din bhi dandvat karne na din mein gaye na sham ke gaye char mahina nahi gaye phir wahan se bhayabhit wale vachan jab bhagwan lakshman ji ko ki jakar bol do ki jo Bali ko wahi baan tu udeer mein hai usmen tab aake dandav nath vishay hari lene se gyan ham aapko baat bata rahe hain praman sahit bhagwan ne jo vachan kahe wo bahut manne aur samjhne wali ki baat tum jante the ki Sugriva mere ashrit ho gaya.
are abhimani tu marna chahta hai. Mere ashrit mere ashrit ka vairi mera vairi mere ashrit ka mitra mera mitra isliye maine tumhen mara. Phir wo age ki jo baat Anuj vadhu bhagini sut nariyon vyavahrik ki baat kahi. Antarik baat jo kahi mera sharanagat mere ashrit anya aashray tikau nahi hai pehle dimaag mein rakh lo yahan tak ki sadhna ka aashray bhi isiliye sarve sadhan var chiram nirasha sadhna ka aashray sadhan ka bhog karwane lagta hai. Sadhan ka bhog kya hota hai? Ek aham mein sukh din mein teen parikrama lagata hoon Vrindavan ki wo aham mein jo aashray baith gaya sadhna ka ye aham bhog kar raha hai uska teen lag gayi to koi baat nahi teen din nahi lagi to koi baat nahi unhee ke to ashrit man lo koi aisi sharir ki avyvastha pramad nahi hoti pramad nahi hota bhakton mein aashray hamara prabhu ka jaisi unki ruchi ho vaisa chalave.
bahut badhiya sadhan ban gaya to hamen koi harsh nahi hai aur koi sadhan nahi hua to hamen koi shok nahi hai. Yah sthiti samjhna bada kathin hai. Jab tak upasak bhagwan ke ashrit nahi hota tab tak wo kisi na kisi paradheenta ko sweekar karta rahta hai. Aur isiliye uska dukh nahi mitta. Anya aashray parinaam dukh dhyan rakhna prabhu ke siva anya aashray barabar dukh prabhu ka aashray barabar sukh dukh ki nishani nahi sansaar mein pragat aashray bhogon ka shariron ka pado ka dhan ka bada akarshan hai stri ka aashray putr ka aashray makan ka aashray bade-bade aashray hain andar jab tak yah akarshan rahega tab tak bhagwan mein akarshan nahi hota aur andar sab akarshan mein wahi Krishna ka hai.
bhagwan ka aashray hote hi tribhuvan ki priy se priy vastu se rag khatm ho jaega. Yah pehchan hai. Koi priy nahi lagega. Wahi priy lag rahe hain. Unke siva vastvik aaj bhi kisi ko koi priy nahi lagta. Agar wah antardhya ho jae to us sharir ko phunk diya jaata hai, jala diya jaata hai, gad diya jaata hai. Kya yah priyata rahi? Priyata to prabhu se hi thi. Bhav gyan tapsa puta mad bhav magta iski vyakhya shri Radha vallabh lal ki jai
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- bhajan ka sacha swaroop ! //27/09/2026 — guru nishtha ke liye aapne ya guru samarpan ke liye jo abhi batchit ki hai to bade chode mein aur khule mein aaj sab charcha karte hain. Ham log kahan asfal kyon ho jaate hain maharaj ji kyon aisi accha…
- ananyata se hi hoga sab kuch prapt ! // 26/09/26 — ham log bhagwan ke sharanagat jan hai. Priya lal ke sharanagat jan hai. Lekin sharanagati ka rahasya na janne ke karan bahut varsho tak ya janm pura vyatit hone tak hamara jo bhagvatik anand hai wo spurit…
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…