dharm ke bina “ arth aur kam “ kaise vinash ka karan bante hain? // 30/03/2026
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
vrindavanneshvari tav padarvindm prema makrand raso purnam hriday pitam madhupte smarta mugam nirvapyt param shital mashryam param sheet tal maya kahe te aju atapte se hari kahe te aju atapte se hari latapti paag atapte se band atapti det age sharir kahe te aju atapte se hari atapte pai parat main parkhe jab aavat hai it dhari shri haridas ke Swami Shyam jaan ho paye aaj lal aur re pari Shyam jaan ho paye aaj lal aur pari kahe te aaj atapte se hari bhagwan ki asim kripa se is trigunmai maya se mukt hone ka avsar mila hai.
yah prachnd akarshanmay maya yah samjhne hi nahi deti ki hamare jeevan ka param lakshya sukh kis disha par hai, kis marg mein hai, kin acharno par hai, kis chintan se hai, yah samjhne hi nahi deti. Jo laukik vastu vyakti sthan ka hi keval mahatva rakhte hain. Wah koi bhi ho kahin bhi ho chinta shok bhay depression nana prakaar ki kalpnatmak bhayav vrityio se kabhi mukt nahi ho sakte. Wah koi bhi ho chahe jitna gyan bagharte ho chahe jitna kisi ko utsahit karne ke liye laukik shabdon ka Shastri shabdon ka prayog karen par jab tak aapka chintan aapke aacharan tasma shastram prmanam te shastr pramanit nahi honge tab tak aap chinta bhay shok se mukt nahi ho sakte chahe jitni sampatti ekatrit kar lijiye.
chahe jitna naam yash kirti ho jae purv punya pratap se adhyatma ko na manne wale na janne wale bhagwan ko na manne wale na janne wale trikal mein kabhi sukhi nahi ho sakte. Antat gatva badi durgati hoti hai. Par thodi der ke liye keval chans diya jaata hai. Aap chahe paap aacharan kar lo, bhagwan ki ninda kar lo ya aap sat aacharan karke bhagwan ki upasna karke mukt ho jao. Yah chhut aapko hai. Isliye aap apne samay ko divyta ki taraf badhaye. Pashuta ki taraf nahi. Divyta keval manav deh se hi prapt ki ja sakti hai.
nana prakaar ki bhog samagriyan pashu ko bhi prapt hai. Asuron ko bhi prapt hai. Manav ko bhi prapt hai. Par manav deh se hi keval divya bhagwat prapti ki ja sakti hai. Aur kisi yoni se nahi. Jise bhagwat prapti ho gayi uske liye durlabh kya rah gaya? Atyantik dukh ki nivitti ka naam bhagwat prapti hai. Jahan kinchin matra dukh ki sambhavna nahi parmanand hi parmanand hai. Aur yahi to khoj raha hai har vyakti. Par wo khoj raha hai galat disha mein. Kisi vastu vyakti sthan mein dhan sampatti pad pratishtha mein lokar ki vasnaon ki purti mein sukh manne wala kabhi sukhi nahi ho sakta.
vishwas kijiye yah koi protsahan dene ke liye keval bhagwan ki charcha naam mahima ya shastr baten nahi hai. Yah satya hai. Satya par chalne wala apne satya swaroop ko jaan ke kaivalya param pad ko prapt hota hai. Shripad Prabodhanand ji maharaj kah rahe hain he bhai vidure tragunya dath Vimal vidyamay pare mahanande Vrindavan bhavi sukande ras taru amaryada Radha charan parich charya ras maha mahodwa hadi param dhanyurat bade bhagyashali hain wo jan jo vidya ke prabhav se is avidya trigunmay maya se mukt hone ki ichchha karke shri Radha charnarvind ki upasna kar rahe hain.
vidya samasth hitopdesh vidya hai. Hitopdesh mein samasth shastr puran maneeshiyon ke rishiyon ke brahm rishiyon ke acharyon ke gurujanon ke vachan ye sab hitopdesh hai. Yahi param vidya hai. Isi vidya ke bal se ham avidya ka nash karke trigunmay mayas ke bandhan se mukt hote hain. Shripad kah rahe hain Vimal vidya pare lekin ham jo tumhen prem ras ki baat kar rahe hain yah vidya aur avidya donon se pare hai. Trigunmay avidya ko vidya ke dwara jo jit chuke hain unke liye bhi jo durlabh ras hai wah maha anand Vrindavan bhumi mein jo ras ka mul hai sundar kandhe sukande jo sundar anand ka mul hai prem ras ka mul hai us shri dham Vrindavan jahan amaryada Radha charan paricharyaa ras maha amaryada jo ved ki mariyada hai usse pare prem ki mariyada prem ki ek mariyada hai jo wo kisi ki mariyada nahi rakhta amaryadon milat surat ras piyush jal desh tarang rutang jahan prem baadh mein hai prem uchchhalit hai prem prapti ke liye vedap sanasta sa kevalam avan anuragam labhte devrshi narad ji kah rahe hain jo vedatit ras hai shri kishori ji ke charnarvind ki premmai upasna kishori kishor shri ladli lal ji ki bole aho bhagya hai unke jo vidya se param nirmal vidya se trigunmai maya ka tyag karke moksh padvi ko prapt hue unse bhi mahabhagya unke hain jo Vrindavan bhumi mein vedatit ras ka mul shri priyaju ke charnarvind hain.
un charnarvind ki paricharyaa jinko mil gayi hai. Yah bada gadh vishay hai. Shri Radha swamini ki paricharyaa mil gayi hai. Jo apne priyatam prannath Shyam sundar ke saath nitya vihar paraayan hai. Vrindavan mein inki jinko seva mil gayi hai amaryada Radha charan paricharyaa ras maha ye prem ki ek mariyada hai. Jaise Shastri mariyada hai ki sandhya ke samay surya argh dan karte hue Gayatri jap kiya jae. Yah shastriya mariyada hai. Vaidik siddhant hai. Par Vrindavan bhumi mein prem ki ek mariyada hai ki sandhya kal mein shri swamini ji ki sandhya bhog sandhya aarti karte hue stavan vandna aadi karte hue shri Radha kishori kishor ki upasna mein magan ho jae.
to amaryad vedatit Radha charan paricharyaa rasam yah vedatit upasna hai. Yahan ved rasikan ki vani shri Vrindavan dham isht shyama maharani prem devta bina mile siddhi hoe na karaj bhagwat sab sukhdan prakt bhae rasikacharyaj alag-alag siddhanto ke rup mein bhagwan hi uske pravakta acharya ke rup mein uski sthaapna ki hai. Yah Priya pritam ke prem ras ki upasna ki sthaapna sahcharya nikunj se akar acharya rup mein wo siddhant varnan kiye hain. Yahan pauranik ya vaidik siddhant lagu nahi hai. Dham shri Vrindavan hai.
prem ras dham prem param swatantr tatv hai. Priti na kahu ki kan bichare. Marg apmarga vithit man ko sharat nivare. Yah prem marg aur apmarga nahi dekhta hai. Yah prem keval apne pritam ko dekhta hai. Bas kaun kya kah raha hai yah sunta hi nahi. Shri sundar das ji maharaj bade prem mein dube hue mahapurush hue hain. Wo kah rahe hain na laj teen lokan ki na ved ko kaho kare na shankh bhut pret ki na dev jate dare sune na kan aur ki drishya na aur ichchhana yah hai prem marg kah rahe hain ki amaryada Radha charan paricharyaa ras maha bade bhagyashali hain wo jo vedatit ras shri Radha kishori ke charnarvind ki paricharyaa prapt kar liye hain.
yah sadharan baat nahi jis aap paricharyaa mein lage hain. Yah asdhran hai. Kashu radhuri bhardhuri raang Radhika premlas Radhika niradhti tiya tadakar buddhi se kishori matma kim sukumari ma swamini ki priy sahachari is swaroop mein sthit hokar jo paricharyaa mein lage hue hain wo moksh sukh ke bhi tyagi mahapurush hai mahod dwandwa ha param dhanyurat wo param dhanya hai jinke hriday mein shri Radha kishori ke gore charnarvind spurit ho gaye hain. Jagrit swapna sushupti mein Radha pda chhata vuthe narkeva mangat nyastu Radha mina tatv ek hi hai sab par ras ka rasaswadan ras ki upasna bilkul bilag hai pumtha chatwaro da vidhaya jalaptam sthita sevo syaa bhaj cha vibhuti bhagwat amand nanda plut madhur Vrindavan bane sada Radha Krishna smarti rati sare sukriti wo bade sukritwan hai punyavan hai unke bade punya hue jinko Vrindavan dham ane ko mila jinko Vrindavan mein baithkar Priya pritam ki charcha sunne ko mili jinko vri Vrindavan ka akhand vas mil gaya aur Priya pritam ki paricharyaa mil gayi.
nihal ho gaye. Ab kya chahiye? Isi mein asakti chahiye. Ek phool bhi yadi shringarit karke Priya pritam ki paricharyaa seva mein pahunch jaata hai. Uski barabri koi sadhna nahi kar sakti. Pumtha chatwaro char purusharth hai dharm arth kam moksh jo chahiye wo prapt ho jaega vishwas kijiye priyal ke charnon ki upasna mein adbhut samarth hai yadi tumhen dharm arth kam moksh ye charon chahiye mil jaenge kaivalya param pad bada durlabh hai. Yah keval gyan se prapt hota hai. Jab sthul sukshm karan tino shariron ka tyag chintan rahit apne swaroop mein sthit mahapurush jeevan mukt kaivalya param pad ko aur yah bhakt ko sahaj mein prapt ho jaata hai.
bhagwan pradan karte hain. Mam darshan phal param manupa jeev pav nij sahaj swaroopa sahaj swaroop mein kaivalya param pad ka adhikari wo bhakt ho jaata hai jise bhagwat sakshatkar ho jaata hai. Arth aur kam ye do bhayanak hain. Nasht karne wale. Inheen ko sima mein rakh diya gaya. Dharm aur moksh ki sima mein. Kamna ki purti aisi honi chahiye jisse moksh padvi tak badhe. Arth dharm se yukt hokar kamaya jae jisse tumhari pavitra kamnayen hongi. Adharmacharan ke dwara yadi arth kamaya jae to apvitra vasnae, apvitra kamnayen aur apvitrata ka prichay wo shastr aur sant aur bhagwan ki ninda karega.
vidvan mana jaega, dhani mana jaega, jagat sammaniay mana jaega. Lekin wo apvitra antahkaran ka shastr vaidik siddhanto ki aur brahm rishiyon ki mahatmaon ki avhelna karega uphash karega pakhand bataega ye us apvitra hriday ka prichay hoga jo keval arth aur kam ka hi sevan karne wala hai jo dharm ko nahi janta aur moksh pad ko nahi janta hai arth aur kamna ki keval purti karne ki lalsa wala wo malin antahkaran wala ho jaata hai dharm se arth aur arth se kamna ki purti moksh padvi tak ke liye yah hamari shastr mariyada hai.
yah hamare dharm ki sthiti hai. Pehle dharm phir arth phir kamnao ki purti aur moksh padvi ki prapti. Keval arth aur kamna ka hi utsah badhane wala swayam malin antahkaran ka aur samne man malin antahkaran kar dene wali vritti prakt kar sakta hai. Na ki dharm aur moksh ki. Dharm aur moksh rahit arth aur kam bhav pisach bhav ko prapt kara deta hai. Wah manushya rup mein asur bhav ko prapt hua dikhayee dega. Aur likh le koi bhi ho yah shabd likh le chinta shok bhay depression usse chalega. Wo yadi dharm aur moksh padvi ka tiraskaar karta hai arthat adhyatma brahm rishi aur mahatmaon ki avhelna karta hai to wo antim parinaam note kar le chinta shok bhay depression nana prakaar ki bhyawah kalpna aur mrityu durgati inko prapt hoga aaj purv punya ke pratap se tumhari buddhi praveen ho gayi lekin shuddh nahi shuddh buddhi dharm aaj tak jitne bhi mahan hue hain, kaun aisa hua hai jo brahm rishiyon ki avhelna, shastron ki avhelna, dharm ki avhelna, sanyam ki avhelna ki jae.
hamara dharm shastr kahta hai sabse pahla ashram hai brahmcharya ashram. Phir wah naisthik brahmcharya se vairagya marg ko grahan karta hai ya wah sanyamit brahmcharya se grihasth ashram ko jaata hai aur yahan updesh diya jaata hai protsahan diya jaata hai dharm bhrasht hone ka kya hai keval arth aur kam ki purti pisach vat vritti isko jeevan nash kahte hain motiveshan kahte hain jo aisa utsah jo apni anarth pradan karne wali kumarggami indriyon ko apne shasan mein lekar ke satya marg ka anugami bane use motiveshan kahte hain.
use utsah badhana kahte hain. Bhogon ka utsah badha dena ya vishyon ki priyata ka utsah badha dena isko to patan kahte hain. Isko to girama kahte hain. Par aaj ka samaj isi ko utsah samjhta hai. Kaise arth pisach banu? Kaise bhog vasnaon ka kida banu? Bas isko samjha jaata hai. Agar satya vishay shastr sammat ho uski avhelna ki jati hai. Nahi ye shastr aapko sukhi nishcint nirbhay banane ke liye hai. Ye aapke upar dabaw nahi dal rahe hain. Aapko shasan mein lekar ke maya rupi prapanch ke daldal se niklne ki cheshta batte hain.
kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar inki gulami se mukt hone ki baat batte hain. Koi bhi kahin bhi ho antat dekh lena apne hriday mein chinta bhay shok depression nana prakaar ki durwasnaon ki daud bhag bhala inse tumhara utsah sampann hoga utsah sampann hota hai bhagwat marg se apne kartavya chahe vidyarthi ho chahe krishak kisani karte ho vyapari ho koi bhi udyog karte ho agar aap bhagwan ka naam jap karte hain aur dharm dharm shastr ke anusaar kartavya ka palan karte hain to aap yahan bhi sukhi rahenge aur aapka antim parinaam bhi mangalmay hoga.
shastron ka uphash kar dena, santo ka uphash kar dena ye do minute ki baat hoti hai. Lekin iska parinaam jab aayega to pure ke janm ke janm vyatit ho jaate hain. Aaj buddhi praveen hui hai pavitra nahi. Jab buddhi pavitra hogi tab aap jaan paoge shastr kya hai? Aise hi jo manave so khao. Jaise manave waise bhogo jaise manave waise aacharan karo aur aap shastron ka gyan jaan jaenge. Yah shastr adhyatma ka wo param anand chupae hue baithe hain jo guru kripa se chabi milti hai aur khulti hai to parmanand mein doob jaata hai.
usi anand ki prapti ke liye aap vishyon mein bhi jo lage hue hain khoj kar rahe hain wo isi anand ki khoj karen. Wo vishyon mein nahi hai. Wo paramatma tatv mein hai. Aaj man lo ya antim samay ghutne tek dena dekh lena. Jab tum har jana tab dekhna tumhare liye marg ek dikhayee dega anand ka wah hai bhagwan ki sharanagati wah hai adhyat wo hai shastr sammat marg umtha chatwaro da vidhanjli putam yadi aap bhagwat aradhna karte hain to aapki anjuli mein charon purusharth rakhe hue hath mein dharm arth kam moksh ishwar sabko dekh raha hai bhagwan sabki ek ek vritt ko jaan raha hai.
yah karm kshetra jo boge wahi katoge. Jab aap dharm se chalte ho. Kasht sahakar dharm ka palan kiya jaata hai. Sukh purvak dharm ka palan nahi hota. Sukh purvak jo man kahe wahi kaho wah dharm nahi hai. Jo shastr kahe uske anusaar man ko chalao aur man ki jalan ko so use dharm kahte hain. Jo shastr vidhan ka palan karta hai use dharmatma kaha jaata hai. Jo shastr nishedh ko karta hai wo adhami hota hai. Papachari hota hai. Jo dharm ka palan karte hain. Shastr agyaa mein chalte hain. Bhagwat agyaa ka palan karte hain.
bhajan karte hain. Unke hath mein charon purusharth rahte hain. Dharm arth kam moksh sthita sevat sukhya bhaj vibhuti bhagwat samasth bhagwan ki vibhutiya hath jodkar charon or uski pratiksha karte hain. Agyaa ki kiski jo amaryada Radha charan paricharyaa ras maha jo vedatit ras shri Radha kishori ke charnarvind ki seva mein laga hai charon purusharth uski anjali mein hai aur sthita sevot sukhya bhajat cha vibhuti bhagwat bhagwan ki vibhutiya uski seva ke liye utsahit hokar hath jode khadi rahti hai. Vastvik imandari se jo bhakti mein apne chitt ko dubo raha hai shastr mariyada ke anusaar aacharan kar raha hai uske liye kuch durlabh nahi amandadhi plut madhur Vrindavan bane sada Radha Krishna smriti rati saren sukriti dhanya hai wo jo maha anand pradan karne wale shyama Shyam ki smriti mein dube hue samasth aacharan karte hain.
shastr sammat kya chala jaega? Chahe vyapar mein ho, nokri mein ho, padhai mein ho, kisi karya mein ho, ekagrata purvak ham apna karya bhagwan ki puja man ke kar rahe hain. Shesh samay mein shyama Shyam, shyama Shyam, Radha vallabh, Radha Radha radheshyam naam jap kar rahe hain. Unke smaran mein charon purusharth tumhare hath mein badi-badi vibhutiya tumhari raksha karegi. Jo chahoge wo tumhen prapt ho jaega. Pehle sadhna karo. Papon ka kshay hone do. Naam jap karte hain. Aparadh bhi karte hain.
papacharan karte. Kaise naam prakashit ho? Agar ham naam apardhon se backar ke naam jap karen to naam ka phal swayam prakashit ho jaega. Smaran kanchit seva makhil jan sangam parihran sada Radha Radha tamal sukriti kopi jayati wo is maya par vijay prapt kar lega smaran kanchit seva do baat kahi smaran aur seva virakta nivatt parak bhagvatik seva mein har samay grihasth pravriti parak apne dharmaacharan ki seva jo jahan taynaat hai jis padvi pe jis seva pe imandari se adharm ka tyag karte hue wo seva karta hai wo puja hai smaran aur saath mein smaran prabhu ka hona chahiye.
jaise arjun ji ko yuddh ke liye adesh karte hain. Maman smaran yuddh mera smaran aur yuddh yahan kahte smaran kanchit seva do baat kahi yadi yah do baten jeevan mein hai to upasna ka bahut uncha pad aapko prapt ho jaega. Jaise do pankhon se pakshi unchai par chadta hai. Aise seva aur sumiran ye do pankhe sadhak ke hain. Jinse wo adhyatma ki unchai grahan karta hai. Jan sangam parihran bahut varta karne wale bahut vishay purush sansarikta ka satya bhav rakhne walon ka sang tyag dena chahiye. Jan sangam parihran agar janta jo bhagwat vimurkh aacharan karne wali unke sang ka tyag kar diya jae smaran aur seva apna jeevan bana liya jae aur sada Radha Radha tyamlam amlam ye nirvikaar kar dega aapko Radha Radha Radha sukriti kopi koi maha maha punyavan aisa hoga jo is par vishwas karega para vidya Radha Radha hari ke hriday ka prem murtiman jab swaroop dharan kiya tab Radha kishori Radha kishori advitiy prem ras hai.
age upasna mein jab upasak ki vritt dubti tab pata chalta hai. Bahar se to bade-bade is ras se anwigya hain. Jo sab ras ke gyata hai wah is ras se anwigya sambhavya narad shiv swayambhya brahma ji se badhkar koi rishi hai koi muni hai koi chamatkarik hai unse bada kaun chamatkarik bhagwan shankar se badhkar koi tyagi bairagi gyani bodh sampann maha bhagwat koi dusra nahi adwati hai ye sab shri kishori ji ke charnarvind ki seva unka ka smaran Radha Radha Radha bole amal sukriti nirvikaar koi mahan punya atma aisa jo is naam par priti kar pata hai to jayati wo trikal mein kabhi Radha Radha bolne wala badha koi parast nahi kar sakti jayati kalikaal ke abhadr aur trigun maya par wo jai ko prapt kar leta hai shubh ashubh Durg vidhvans bal tab jayati jayati jag uchchare wo jai ko prapt ho jaata hai.
shri Radha shri Radha agar vani se bolte hain to yah parhej rakhna hoga. Aise logon ka sang tyag karna hoga jo bhagwat vimurkh hai. Mahapurushon ne kaha ki ek bar sinh ka aalingan kar lena wo theek hai lekin bhagwat vimurkh purush ka nahi kyonki wo ek sharir nasht karega wo saikadon janmon ke liye vasnae hamare jeevan mein jagrit kar dega. Aisi vasna jo hamari durgati kara deng jan sangam parihran Radha Radha sada amal sukriti kopi jayati jai ho uski punyavan ki jiske hriday mein Radha Radha Radha sansarg shunya jeevan ek to hota hai bhagwat vimurkh aur ek dusra hota hai upasna ka bhi antar agar anya upasna wale siddhant ko janne wale shastr sammat chalne wale mahat jan hai par wo is upasna ko nahi jante hain.
alag-alag upasna ka swaroop hai. Yadi ham unka sang karenge to unka pata nahi hai is ras ka wo aapke chitt se is ras ki baat ko hata denge. Pakka. Isiliye dhruvdas ji ne kaha hai ki agar hamen sang karna hai to yah jarur hona chahiye. Isht mile aur man mile mile bhajan ras riti tahan nishank hai milie taso kije priti. Nahi to shanka hai aap bhrasht ho sakte hain. Apni upasna se gir sakte hain. Isht milna chahiye. Ras riti upasna paddhti milni chahiye aur phir man milna chahiye. Hamare bhagwan ke anant avatar hai, anant rup hai, anant leela hain.
to marg bhi anant ki prapti ke anant hai. Sab sahi hai. Par hamko jo kripa se mila hai. Ab ham is marg ki pushta ke liye isht mile aur man mile mile bhajan ras riti. Jahan tahan ann khaat sakhi kahat aap gat sakal divas dwaand jat raat sarv sovah raat bhar vishay vilasit aaya sone mein gayi din mein nana prakaar ki bhog samgri sangrah mein chala gaya aur jahan manaya wahan bhojan paya jisse manaya usse mil rahe hain baat kar rahe hain bole jeevan barbad kar rahe hain agar hamen jeevan sarthak karna hai to hamen hamen isht priyata rakhni hogi.
hamen shri ji ka prasad pana hoga. Shri ji ke prasadi vastr dharan karne honge. Arpit matra karne se hamari bhavna pavan hone lagegi. Khanpan to kijiye rasik mandli ma jinke aur upasna tha uchit dranae rasik mandli mein yatan ko ni ke dhang lagao dampati yash gao harsao hitso rijh rijhao hamare bhagwan nirakaar bhi hain sakar bhi hain sagun sakar nirgun nirakaar sab kuch hai sab upasak hamare bhagwan ke nirakaar ke bhi hain sakar ke bhi sabko pranam hai. Lekin ham jis upasna mein chal rahe apne upasya dev ki upasna siddhi ke liye apne upasya dev ke hi satsangiyon ka sang karen.
nahi to usmen badha par jaegi. Aapki upasna mishrit ho jaegi. Vybhchar dosh utpann ho jaega. Upasna mein avyabhcharni bhakti jo prem lakshna wah aapke andar jagrit nahi hogi. Isliye upasak savdhaan hai. Prasang chal raha hai. Hamare bhagwan prakriti ko adhin karke apne janon ko sukh dene ke liye avatar dharan karte hain. Kal charcha hui thi. Itna sundar rup prabhu ka hai. Jo dekhe so inka ho jae. Kal charcha hui thi Mathura vasni sakhiyon ne jab prabhu ke saundarya rup lawanya ko dekha to unko gopiyon ka bhajan sarvshresht laga.
gop kim charan yad rupam lavan saras man siddham dag pawan savam dura mekant dham yas sa shri Shri ras dhanya hai braj ki gopiyan pata nahi kaun sa sadhan tap kiya jo apne netron ke donon se sada inki rup madhuri ka pan karti rahi. Inki azaan bahon mein unka hriday samarpit raha. Kaisa saundarya prabhu ka? Inke saman tribhuvan mein koi nahi hai. Sakhi ye koi sajane savarne ya gahne kapde abhushan se nahi hai. Ye to swayam siddh rup hai inka. Dekhtede tripti nahi hoti. Ye nitya naveen parmanand ki baadh la raha hai hriday mein rup.
nireekshata uttam pujna manchasthita nagar rashtr ka napu praharsha vegolitena pap ta naynadnam pav chakshurabhyam lahant jeeya jint nashabhyamant bahu bhi jis samay prabhu rang manch par pahunche kans ke to jitne wahan baithe hue the rashtr ke jan samuday sab prabhu shri Krishna chandra jo Balram ji ko dekhkar akhand prasannata ko prapt ho rahi hai. Brahm sakshatkar ke baad hi prapt hoti hai. Brahm bhuta prasann atma jitne baithe the sab bhagwat prasannata ko prapt ho rahe. Sabke netron se ashv pravah ane laga.
mukh kamal khil gaya. Sabka utkantha se gala avrudh ho raha hai. Sabke romach ho rahe hain. Kyon? Kyonki netron ke dwara shri Krishna ki mukh madhuri ka pan kar rahe hain. Aisa dikhayee de raha hai. Shri Sukhdev ji kah rahe hain parikshit mano ve unhen netron se pi rahe hain. Jibhya se chat rahe hain. Pivant chakshurabhyam lahant iya jint nashabhyam mano wo netron se pi rahe hain. Jibhya se chat rahe hain. Nasika se sungh rahe hain aur bhujao se aalingan kar rahe hain. Aisa sabko sukh prapt ho raha hai.
jab jab bhagwan avatar dharan karte hain wo sacchidanand bapu hota hai. Bhagwan shri Ramchandra ji ke saundarya ko dekhkar videh raja Janak vishesh videh ho gaye. Murt madhur manohar dekhi bhay videhu videhu vishkhi aa brahmanand mein dehateet avastha ko prapt Janak ji maharaj aaj vishesh videh ho rahe hain. Murti madhur manohar dekhi bhay videhu videhu basekhi sahaj virag rup Manu mora thkit hot jimi chand chakora mera man sahaj vairagya mein hai. Sahaj vairagi aaj Ram rup ko dekhkar jaise chandrama ko dekhkar chakor chakit hota hai.
aisi sthiti ho rahi maharaj Janak ki yah rup prabhu ka yah to param gyan shiromani jinko bilkul gyan nahi van mein rahne wale kol bheel jab bhagwan shri Ram ko dekha aisa rup kya pavaun kya seva karun dona mein jal bharte koi ek phal rakh leta hai jangal ka koi kand koi mul daud daud ke samne ate hain prabhu ki taraf karah joharu bhet dhar age prabhu hi biloh ati anurag chitra likhe janu jahan tahan thade pulak sharir nayan jal ba koi bhakti nahi hai koi gyan nahi hai prabhu ke rup ka prabhav ate hain johar karte charnon mein vandna karte hain jal phal aise rakh dete hain mano chitra se likhe hue ho mano chitra mein banae hue khade ho aise bhagwan ki rup madhuri ka pan kar rahe hain.
chitra likhe janu jahan tahan thade pulak sharir nayan jal ba sabke netron mein aansu bah rahe sharir mein pulkavli ho rahe yah to bhagwat kripa patr hain jo bhagwan se var rakhte hain unke hriday mein rup ka kaisa prabhav parta hai? Suprakha jab nak kan chhedan ho gaya apne bhaion ke paas gayi kharad dushan ke paas aur kaha aisi aisi paristhiti mein mujhe yah dand diya. Unka naam Ram hai. Wah bahut garv kar rahe hain. Unke paas ek sundari stri hai. Isi karan mere ko nak kan vihin kar diya. Unhone kaha aisa kaun hai jo mere se bhayabhit na hota ho.
kyonki khardushan Ravan ke saman balshali hai. Ravan ne swayam jab suna ki khardushan mare gaye to kahta khar dushan mosam balwanta mar sake ko binu bhagwanta wo to mere saman balshali unko bhagwan ke siva koi mar hi nahi sakta. Yah jab gaye bhagwan se yuddh karne ke liye khar dushan to dekha Janaki ji ko to lakshman ji ne gupt sthan par kar diya tha. Ram ji maharaj virajman the. Dekhte hi bhul gaye ki main unko dekh raha hoon jinhone hamare bahan ke nak kan kate hain. Aisa laga ye bahut sundar hai. Dekhne yogya hai.
aapas mein baat karte hain ki bhai dekh lo har netr nag asur sur nar muni jete dekhe jite hate ham ke jitna bhi sansaar mein sundar dekha gandharv nagsur kinnar sab koi aisa nahi jinko bhujao ke bal se jita na ho mara na ho inka rup pata nahi kya ho raha hai mujhe khardushan kah rahe mujhe gussa nahi aa rahi ki inko maru ham bhari janm sunhu sab bhai dekhi nahi a sundar tai ham sachchi baat kahte hain bhaion janm bhar mein aisa koi sundar nahi bade sundar jo bhagwan se var karne aae wo bhagwan ke rup ki prashansha kar rahe hain.
in sabko param pad mila jo munio dwara vanchhit hai. Tatparya jab bhagwan avatar lete hain to divya sacchidanand buta hai. Wo atma swaroop bapu hota hai. Premi virakta gyani murkh bairi asur Rakshash sabka param udhar karne wala tanu hota hai bhagwan ka. Sabko akrishta karke param pad mein arudh kar dena. Sambhav maya jo bhagwan se vimurkh karne wali maya hai wo trignatmika hai. Lekin bhagwan ki jo atma maya wo yog maya hai. Param divya satchidanandmay bhagwan ki satchidanandmay shakti hai. Bhagwan isi yog maya se apni mahima apne rup apne tej ko utna jitna dekh sake utne darshan karate hain nahi bhagwan anant tejo kamp rahe hain arjun jab bhagwan ne thoda sa divya drishti di kamp rahe hain isi yog maya ka aashray lekar bhagwan braj mein raas leela prakashit ki bhagwan pita ratri shrad phul mallika vikshu mansakre yog maya mushrit lekin nat nikunj mein nahi ye avatar leela ki baat kar rahe hain.
bhagwat vimurkh mul purush ke age do parde rahte hain. Ek to rahta hai apni mudhta ka trignatmika maya ka aur dusra bhagwan ki yog maya ka. Apni mudhta rahne ke karan wo bhagwan ko bhagwan manne ke liye tayyar nahi. Ek ne prashn kiya ekantik mein bhagwan ka astitva kya hai? Bada vichitra hai. Kaise varnan karen? Jiska itna malin antahkaran hai ki bhagwan ke astitva par prashn kar raha hai usko kaise uttar den? Kyonki yah marg to prarambh hi hota hai. Sashtang dandvat pranipaten aur shraddha vishwas prashnaya usko bhagwan ke astitva ka bhi sanshyatmak bhav hai.
kaise? Ab koi yahan tark karne ave to tark ke liye thodi gunjaysh hai. Yahan tark ke liye koi sadhu mahatma thodi apna samay de raha hai ki wo digvijay hone ke liye koi prakand vidhwata ka jhanda gadne ke liye baitha ho. Are wo apne aradhak bhav se aradhya dev mein sadaiv duba hua hai. Kripa karke tumhare ko samadhan dene ke liye avsar de raha hai. Na ki kisi vastu vyakti yash kirti pranam namaskaar ki chah hai. Bhagwan ke astitva kaisi malinta badh rahi naveen avastha ke bachchon mein bhagwan ke astitva par prashn uth raha hai.
pita ka sahi prichay keval mata bata sakti hai. Na to koi padosi bata sakta hai na koi rishtedar na koi natedar na koi bhi aur na tum hi jaan sakte ho. Tumhara pita asli mein kaun hai? Keval maa janti hai. Bhagwan ke astitva ka prichay prapt karane ki samarth keval sadguru dev mein hai. Keval bhagwan mein hai. Soi jane je dev janai. To Sadgurudev pradatt naam mantr upasna mein lago. Astitva ka prashn nahi karna padega. Apne aap jagrit ho jaega. Upasna nahi karoge to yah samjh mein nahi aayega ki bhagwan hai bhi ki nahi hai.
yah dekho bhagwat vimurkh mudh purush ko do parde tange hain jisse wo nahi ja ek to apni mudhta jisse wo ye samjh nahi pata ki bhagwan hai bhi ki nahi. Bada vichitra hai. Bada vichitra samay aata chala ja raha hai. Bhagwan par sanshay hai. Dusre is trignatmika maya ki chakachaundh jisse bhagwan tak drishti hi na ja paye. Bhagwan jab prakt hote hain to inka shaman karte hue yog maya ke dwara aisa rup dharan karte hain. Aisi baat karte hain jisse ham samjh pave ham dekh pave. Nahi to bhagwan ko dekh pana, unki samarth ko samjh pana samarth nahi hai.
bhagwan sarvatra vyapt hain. Kahan dekh pa rahe ho? Apaar balshali hai. Draupadi ne pukara yahan bhagwan ka cheer avatar ho gaya. Kahin nahi likha tha ki bhagwan ka cheer avatar hoga. Yah likha padhi se alag bhi bhav hai. Bhagwan ka ek minute ke liye bhi avatar hota hai. Aapne pukara tatkaal kisi ke andar bhagwan jagrit hue. Raksha ki antardhya ho gaye. Phir wo sadharan vyakti dharm ki sthaapna karne ke liye kisi ke bhi hriday mein bhagwan ka avatar ho jaata hai. Kisi ke bhi hriday mein cheera avatar ho gaya. Vastr mein bhagwan ka avatar ho gaya.
yahan se pallu nahi hata. 10,000 hathiyon ka bal rakhne wala Dushashn murchhit hokar gir gaya khinchte khinchte. Lekin yahan se pallu nahi hata paya. Bhagwan apne aishwarya ko apne samarth ko kam karke prakt hote hain. Kisi yog maya se dhak kar samarth nahi kisi ki bhagwan ko dekh sake. Sampurnatya isiliye aaj tak koi rishi muni sampurnatya jab baat aati hai to aise hath utha dete hain. Ved bhi jinko neti neti kahte hain to phir jo jitna gyan hota hai ved se hi hota hai. Mul sabke ved hain. Mudhta ke karan trigun maya ke prabhav se Dushashn, Duryodhan, Karna aadi yah kabhi nahi jaan paye ki shri Krishna swayam bhagwan hain.
aur yah bhi nahi jaan paye ki jiske paksh mein shri Krishna hai unka yahan se pallu nahi hata paye to ham kya bigad sakte hain par apni mudhta se bhagwan sandhi karane gaye the to bhi nahi mana apni mudhta ka arop karke bhagwan ko nahi mana bhagwan gaye the sandhi karane phir bhi nahi sarvnash ho gaya jeev ki yahi durdasha hai yadi jeev kisi bhagwat premi mahatma ka aashray le le to yah mudhta nasht ho jae agyaan nasht ho jae lekin wo mudhta ane nahi deti wo mudhta sharan mein nahi hone deti kyonki padvi ghat jaegi wo sammaan ghat jaega ki are ye gaye kyonki mudhta baithi hui hai wo swayam dur nahi kar sakta.
mudhta dur karne ke liye bhagwan ke premi maha bhagwat jan virajman sansarg matra se mudhta ka nash daras parasnash bas nij sang karo din sant darshan sant sambhshan matra se mudhta ka nash aur unki agyaa par chal dene par paramatma tatv ka bodh bhagwan ka sakshatkar bhagwan ke darshan tabhi hote hain jab bhagwan bhagwan ke premi jan aap par rijh jae aur bhagwan apni maya ka parda hata de tab hote hain. Isiliye kaha gaya bhagwat kripa se bhagwat sakshatkar hota hai. Sadhna karte karte jab ham rone lagte hain rudam rajan Krishna darshan lalsa to rijh jaate hain.
parda hata dete hain aur darshan de dete hain. Apna agyaan mitana. Ab agyaan jaise hamare mal bhare hath donon hain. Ab ham inko kahan dhoen? Koi nirmal hath wala nirmal jal se dale to ham dhul jae. Aisi hamari mudhta chhaa gayi. Yadi bhagwan ki kripa se param vivekvan gyani bhagwat premi mahatma gurjan mil jae hamari shraddha ban jae to hamari mudhta nasht ho jae. Jo apni mudhta ka nash kar chuke hain. Bhagwat premi mahatmaon ka sang karte hain. Bhagwan ki un par vishesh kripa hoti to wo darshan nahi leela mein pravesh pa jaate hain.
wo leela ko dekh sakte hain. Anubhav kar sakte hain. Bina bhagwan ki kripa ke is maya ka parda nahi hatta aur maya ka parda nahi hatta to phir bhagwan ka bhav hi nahi rah jaata. Aisi vichitra maya hai. Avatar ka arth hai niche utrna. Bhagwan itne mahan apne janon ko anand dene ke liye avtrit hote hain. Niche utarte hain. Bhagwan ke saman sirf bhagwan hain. Koi bhi sadhu mahatma rishi muni sadhna karke upar uthta hai. Hamare bhagwan apni mahima se niche utarte hain. Isiliye bund tab tak bund hi rahegi jab tak samudra mein leen nahi ho gayi.
samudra mein leen ho gayi to ab bund nahi raha. Sindh ho gaya wo lekin alag rahkar wo bund bund hi rahegi. Dhyan rakhna sindhu mein sama gayi to wo sindhu ho gayi. Bund ye bund hai jab tak ye bund sindhu mein nahi sama jaate to bund hi rahenge. Sadhna se tapasya se yog se upar utha jaata hai. Hamare bhagwan kripa karke niche utarte hain. Avatar lete hain. Sacchidanand swaroop paramatma apne anannya bhakton ke liye avatar lete hain. Unko sukh dene ke liye, atydhik kripa karne ke liye, unke saath khalne ke liye, unke saath varta karne ke liye wo chhote bankar apni mahima se utar kar ate hain.
dusre logon ko prabhav ya mahatva to bade hone par hota hai. Par hamare bhagwan ka prabhav aur mahatva chhote hone par hua. Bhagwan jitna chhote ban gaye utna hi prabhav itne bade bhagwan apne bhakt ke charan chap rahe hain. Apne bhakt ke rath ko haak rahe hain. Apne bhakt ke liye naukar bane hue hain. Utarte hain. Unki mahima yah hai aur yahan jo jitna bada hota hai uska prabhav hota hai. Anant hokar bhagwan simit rup dharan kar lete hain. Nand nandan asim vyapt anant brahmand uske ek rom kup mein hai. Aisa mahan hai wo dikhrava mate tan adbhut rup prachnd rom rom prati lage koti koti brahmand ek ek rom mein karod karod brahmand kaise inko pata chalega jo mudh atma hai ki bhagwan kya hai are bahut hi vichitra hai.
pehle to ek Shishupal tha. Yahan galeegli Shishupal paida ho rahe. Par wah keval bhagwan mein hi tanmay tha. Isliye bhagwat prapti ho gayi. Ye vishyon mein tanmay hokar ke bhagwan ke prati astitva ka hi ye bada shok ka vishay hai ki aaj ki samaj bhagwan par astitva astitva par sanshay ho raha hai. Kitni badi malinta kalyug ne dal di. Bhagwan anant bramhandon ko apne ek rom kup mein dharan brahmand nikhaya nirmit maya rom rom pratived kahe bhagwan ki asim anant kripa hoti tab wah avatar dharan karte jan sadharan ko darshan dene ke liye jiske samne jaisi samarth hoti waise samarth rakhkar bhagwan prakashit hote hain jo bilkul bhola bhala hota hai uske saath bilkul bholi waisi leela karte hain.
jo bahut praveen hota hai usse param praveen hokar ke gwal bal hai to kabhi wo ghoda ghoda khelte to bhagwan unke upar chadhe kabhi wo bhagwan ke upar chadhe wo ghoda bane hue hain. Yah dekhkar bade-bade brahm rishiyon ke dimaag chakra jaate hain ki jo dhyan mein ane wale nahi unke saath tabhi to brahma ji ki bhi buddhi kam nahi ki. Jab aise bulaya sakha ne apne muhn ki chhach unke mukh mein dal di tab laga yah brahm hai. Tab pariksha ki bhavna aa gayi aur bacchhron ko sakhaon ko aphrn kar liya. Phir jab dekha wahi swayam brahm sakha aur bachra bana hua khel raha hai.
bhagwan ke prabhav ko janne wale gyani mahatma log to apne us atma swaroop prabhu mein mast rahte hain. Par bhakton ke liye bhagwan sadharan se sadharan leela unke saath karne mein nahi sakuchate. Bhakton par vishesh kripa bhagwan ki hoti hai. Gyanyon ke atma swaroop bhagwan hai. Lekin bhakton ke personal unke jaise hain. Bade bade rishi muni yogi tapasvi sant mahatma bhagwan ki lilaon ko jankar ashcharyachkit hote. Wahi bhagwan apne antarang bhakton ke saath aise khelte jansadhaaran ki tarah. Aisi leela aap tribhuvan mein kahin nahi sunenge.
ek brajwasini nau vadhu ko gopi ne kaha vayo vridha gopi ne ki 11 chhariya yahan gobar dalna hai upla banana hai aur zyada padhe likhe to the nahi ek bhara socha bhul jaoongi to udhar aa rahe the Lalaju maharaj to bulaya kanha khada kiya ek tikki do tikki jab 11 tikki ho gayi bole haan 11 chha jao ye param brahm paramatma hai braj ka 11 chhiya girne ke liye chehre par gay ke gobar ki 11 te tikki laga di. Kaise bade-bade brahm gyani gay charate samay gwal bal khelte samay aise aisi baten kar rahe ki bade-bade jo inke prabhav ko janne wale buddhi kam nahi karti.
bhagwan mahan balshali rakshasaon ko chutki mein ek kshan mein mitti mein mila dete hain. Nasht kar dete hain. Aur chhote-chhote balkon se darte hain. Kanhaiya tu danv nahi dega. Chal aaj se tumhen khel mein sammilit nahi karenge. Bahar nikal kan pakdte hain. Rote hain. Kahte hain nahi khel mein sam wahi aur unhin ke beech mein agasur bakasur bade-bade balshaliyon ko chutki mein mees ke phenk dete hain. Sakhaon ko thodi lagta hai aisa kuch. Unhone mera kanhaiya hai. Bhagwan aisi leela karte hain jaise koi vidvan pita hai aur jab balak uska ladakhdati vani mein bolta hai to wo waise hi bolta hai.
to tutla ke balak ki jaisi bolta hai to tatla wo bada vidvan hai. Par balak ko prasann karne ke liye aise hi mere shri bhagwan apne bhakt ki kshamta ke anusaar waise rup waise leela waise sambhshan waise hi khelte hain. Shri bhagwan kahte hain he arjun yada yada hi dharmasya gir bhavti bharat abhanam dharmasya tadatma shajamya he bharatwanshi arjun jab jab dharm ki hani aur adharm ki vridhi hoti hai tab tab main apne aap ko sakar rup mein prakashit karta hoon. Waise main sarvatra vyapt hoon. Yada yada hi dharmasya dharm ki hani aur adharm ki vridhi jab hoti hai to bhagwan ko bechaini hone lagti hai.
bhagwat premi dharmatma sadachari nirparadh nirbhal in par jab nastik papi durachari balvan manushya atyachar karte hain. Sadgun sadacharon ki ekdam dhajhiyan ud jati hai. Durgun durachaar atydhik safal dikhayee dete hain. Vridhi ko prapt hote hain. Tab tab bhagwan jab dekhte hain kisi sant mahatma yogi muni se ab kuch nahi sambhlega. Tab aap padharte hain. Jab jab avshyakta padti tabat bhagwan avatar lete hain. Ek yug mein jitni bar avshyakta aur avsar prapt hota hai utni bar avatar lete hain. Jaise samudra manthan mein bhagwan ne kai avatar dharan kiye.
usi samay Ajit rup se devtaon ke saath milkar samudra manthan kar rahe hain. Kakshap rup se mandrachal ko niche dharan kiye hue shastra hazaron bhujaye se upar pakde hue hain. Amrit lekar ke dhanwantri rup mein prakt hote hain. Daitya log amrit le jaate hain to Mohini rup dharan karke amrit devtaon ko pilate hain. Ek hi leela mein kai avatar dharan kar liye. Adharm ki vridhi aur dharm ka hraas hone ka mukhya karan hai nashvan padartho ki or akarshan. Jaise keval mata putr paida nahi kar sakti. Pita ka sanyog atyant avashyak hai.
aise hi yah prakriti swayam rachna nahi kar sakti. Ismen pita paramatma ki avshyakta usi ke sanyog se ye sampurn bramhandon ki rachna hui hai. Prakriti aur paramatma yahi asli mata-pita hai sabki srishti ke. Ye jo sharir dekh rahe hain jitni rachna dekh rahe hain ye do se bana hua hai. Paramatma tatv aur prakriti ke dwara. Har jagah aapko do milenge. Koi aisa kan nahi jahan donon ho. Sab jagah paramatma tatv vyapt hai. Koi jagah aise murde mein bhi vyapt hai. Murde mein ven ke sharir ko matha to bhagwan nikal aae.
prathu bhagwan ka avatar ho gaya. Khmbe se bhagwan narsingh rup mein nikal aae. Dhan jaat ko bhang ka silbatta diya tha. Usse bhagwan prakt ho gaye. Kutte se naam de bhut se bhagwan ko koi aisi jagah nahi jo bhagwan na ho aur prakriti ye jitna hamare netron se dikhayee de raha man se socha ja raha hai sab prakriti ke antargat hai. Gochar jahan lagu manujai so sab maya jano bhai do se hi bana hua hai. Bina paramatma tatv ke prakriti kuch nahi kar sakti. Jaise halogen hai bijli se hi chamkega ismen chahiye bijli power chahiye bijli gayi andhera chhaa jaega aise prakriti ek yantr hai karan hai par iska karan paramatma hai jitna jad chaitanya sundar dikhayee de raha hai iski sundarata mein shri Krishna hi virajman hai paramatma aur prakriti donon se bana hua hai wo avinashi nirlep aur ye vinashi parivartnshil prakriti ka jitni rachna hai wah kshan kshan nash ko prapt hota rahta hai.
badalta rahta hai. Wo ek rup kabhi nahi rah sakta prakriti ka aur paramatma kabhi parivartnshil nahi hota. Sadaiv ek rup rahta hai. Aise hi bhagwan ka ansh jo wo ek rup avinashi chaitanya ghan aur yah sharir sab parivartnshil pehle nahi tha. Baad mein nahi rahega. Ab bhi nahi hai. Yah badal raha hai. Ek ek kshan kinchin matra bhi apne swaroop mein parivartan nahi ho paramatma jiska parivartan wo prakriti kinchin matra ek ras nahi rah sakti parivartan hi parivartan jab koi anitya utpatti vinasheel prakrit padartho se sukh bhog ki ichchha karta hai to usse paap banne lagte hain.
patan hota hai. Aur aise jinka hriday patan ho jaata hai. Wah bhagwan aur bhagwan ke vakyo ko sweekar nahi karte. Papatma purush jo pe dusht hriday soi hoi more sanmukh aao ki soi papvant kar sahaj subhav bhajan murt bhav na kaun jahan adharmacharan badhne laga papacharan badhne laga kalah vidroh dosh vibhchar nana prakaar ke badhne lage to phir bhagwan usko rokne ke liye agar kisi rishi muni ke andar baithkar kam chal jaata hai to bhagwan aisa bhi karte hain. Rishi muni ke andar baithkar kam chalne ka matlab koi bhi rishi muni paap ko nasht karke usko sauharda bhav satya bhav mein sthit karta hai.
kabhi wo papi ko nasht nahi karta. Dhyan rakhna. Yah hai kam chalna. Agar parivartan hua to hua aur nahi hua to ab wahan bhagwan parivartan karne ke liye nahi ate. Phir paritranay sadhu naam vinashay dushkata sadhu dushkriti ka vinash karke uske andar sadhuta bharta hai. Jab tak bhagwan ki mahima kripa andar rahi to aisa vistar karta hai. Jab bhagwan dekhte hain ab yahan bhi kam nahi chalega. Na mantr se na updesh se ab kam nahi chalta. Hamare sadhu mahatmaon ka inki tapasya badi hai. Inka Rudra rup bada hai.
to phir bhagwan swayam avtrit hote hain. Unko sadhuta dene ke liye nahi vinashay dushkritam dushkrit karne walon ka vinash karne ke liye prakt hote hain. Satayug, treta yug, Dvapar yug, kalyug in charon yugo mein dekha jae to dharm ka kramash hraas hota chala jaata hai. Jab dharm ka sampurn has hone lagta hai kisi bhi bhagwan avtrit ho jaate hain. Tadatmanam sajamyam jab jab dharm hani aur adharm vridhi ko prapt hota hai to bhagwan avatar dharan karte hain. Kai avtaron ke swaroop hain. Karak mahapurushon ke rupon mein jeevan mukt mahapurushon ko bhej dete.
jao sambhalo. Jaise ek samay bade-bade mahapurush ek saath pair prakt hue alag-alag pranton mein prakt hue sambhal rahe hain. Har jagah apne apne sima mein bhakti ka prakash karke adharmiyon ki vrityio ka parivartan kar rahe hain. Jab aisa bhi hota hai ki karak purushan se kam nahi chalega. Bhagwan phir swayam avit hote hain. Kabhi-kabhi aisa bhi hota hai kisi sant mahapurush ke hriday mein prakashit hokar ke dharm ki sthaapna adharm vrityio ka nash karte hain. Vyaktyo ka nahi adharm vrityio ka kabhi karak purushan ke rup mein jab kisi se karya nahi chalta jaise kans ka updrav Jarasandh bhaumasur jab krishna avatar kitne bade-bade samrasur bade-bade ye kisi mantr aushadhi yog bal tapasya ke dwara kabu mein nahi kiye ja sakte the.
chapal dantwat bade-bade krishna avatar ramavtar mein bhi tab sab rishi muni devta bhagwan brahma prithvi gau ka rup dharan karke prabhu ko pukarte hain ki ab mere bas ki baat nahi rah gayi tab bhagwan tadatmanam sajamyaham prani matra ka param mangal karne ke liye dharm ki sthaapna ke liye bhagwan apne ko prakashit karte hain. Hai sarvatra bhay prakt kripala din daya wo prakt ho gaye paritray sadhu naam vinashay cha dushkata dharm sansthapanthay sambhwa yuge yuge sadhuan ki raksha bhakton ki raksha karne ke liye paap karm karne walon ka adharm aacharan karne walon ka vinash karne ke liye aur dharm ki bhaleebhanti sthaapna karne ke liye main yug yug mein prakt hua karta hoon.
arjun ji se kahte hain paritranay sadhu naam sadhu manushyon ke dwara adharm ka nash aur dharm ka prachaar hota hai. Isliye bhagwan sadhuan ki raksha ke liye avatar dharan karte hain. Sadhu kise kahte hain? Jo sadaiv dusron ka hit karne ka swabhav rakhta hai. Jo swayam bade se bade kasht ko sahakar dusron ka mangal karta hai. Jo sadaiv bhagwan ke naam rup gun prabhav leela mein nirantar duba rahta hai. Aur dusron ko prem purvak naam smaran naam kirtan bhagwat leela aadi mein lagata hai. Aise bhagwan ke bhav mein dube hue ashrit janon ko sadhu naam pad kaha gaya hai.
jiska ekmatra paramatma hi hai use sadhu kahte hain. Jiska ekmatra paramatma prapti uddeshya hai use bhi sadhu kahte hain. Jiska nashvan sansaar ke bhogon ka uddeshya hai use hi asadhu kahte hain. Asat parivartnshil vastuon mein jiski kamnayen badh chuki hain. Jyonjyon kamnayen bogi jati tyun tyun asadhuta badhti chali jati hai aur sadhuta ksheen hoti jati hai. Sadhuta lupt ho jane par adharmacharan bura nahi lagta. Dhyan rakhna jiska pavitra hriday thodi bhi galti karega to jalenga. Aur wahi jab galti par galti galti par galti karta jaega to phir uski jalan khatm ho jaegi.
sadhak ko mehsus hota hai mere se galti ho gayi. Wo jalta hai rota hai aur jab bhaykar papacharan hone lagta hai to use garv hone lagta hai ki main aisa bhogta karta hoon. Usko koi glani nahi hoti. Jaise koi kahte hain ki hamko to koi glani nahi hui. Hamara to koi kyonki tumhara malin antahkaran ho gaya. Isliye dekho joj bhogon mein vritti badhti chali jati hai to papacharan badhta hai. Papacharan badhne se sadhuta lupt hoti hai. Asadhuta ka mul wo mudhta wo kamna badhti chali jati hai. Hriday malin ho jaata hai.
usko glaan bhi nahi hoti. Pashchatap bhi nahi hota. Sadhu purush pashu pakshi vriksh manushya devta pitr sabka hit sabka anand sabka sukh chahte hain. Wahi sadhu hote hain. Yadi sachchi baat tum santo ke man ke bhav ko jaan jaoge to unke charnon ko pakar loge. Yah viparit dusht log bahar se keval mridu bolte hain. Inke andar keval dusron ko dukh dene ki baat rahti hai. Sukh lutne ki baat rahti hai. Yahan kahte hain ki yadi bhagwan sadhu purushan ki raksha kiya karte hain to phir sansaar mein sadhu purush dukh kyon pate hue dekhe jaate hain?
iska samadhan hai ki sadhu wahi hai jo sharir dhan sampatti man badhai aadi ki raksha nahi chahta. Apne bhav ki dharm ki raksha chahta use sadhu kahte hain. Aur bhagwan ki bhi drishti mein sharir aur man badhai dhan sampatti ki koi mahatva nahi hai. Mayakrit hai. Bhakt bhi nahi chahta aur bhagwan bhi isko jante hain. Isliye bhagwan uske bhav ko dridh karte hain. Paristhiti ko nahi. Ek kamzor hriday wale paristhiti ka sudhar chahte hain. Bhakton mein sansarik padartho ka mahatva uddeshya pehle hi prarambh mein nasht ho gaya tha.
sharir ka bhogon ka sammaan ka inka pratikultaa dukh paristhiti jaise jaise aati hai bhakt mein akhand prasannata badhti chali jati hai. Ye andar ki baat andar ki baat samjho. Jaise jaise dukh pratikultaa hoti hai waise waise adhyatmik anubhutiyon ki taraf age badhta hai bhakt dusre log dekhte hain ki use bada sankat hai vipatti hai dukh hai lekin uski anubhutiyon ko nahi wo bhagwan pradatt hai vastav mein pratikultaa wahi hai jo bhagwan se vimurkh kar de wo pratikultaa wo dukh vipatti nahi jo bhagwan ke anubhav mein dubo de sansarik rag asakti se patan hota hai.
isliye bhagwan apne bhakt ki pratikultaa, vipatti, dukh aadi par dhyan nahi dete. Uske bhav ko dridh karte hain. Adhyatma ki unchai badhate hain. Isliye bhagwan bhakt ke paas ai hui pratikultaa surakshit rakhte hain. Kahin fas na jae. Anurag mein anukulta mein sansaar ke rag anurag mein age badhe. Isliye pag pag par bhakton ke jeevan mein pratikultaa dekhi gayi aur unko kabhi nirash udas thodi dekha gaya. Vinashay dushkritam dusht manushya adharm ka prachaar karta hai. Dharm ka nash karta hai. Dusht ki pehchan jo shastr virudh acharno ko sthaapit karta hai.
shastr vidhan ka khandan karta hai use dusht kahte hain. Koi bhi ho jo shastr vidhan ka sammaan karta hai aur shastr nishedh ka tyag karta hai use dharmatma sadhu kahte hain. Mahatma kahte hain. Bhagwan unka vinash karte hain. Jo shastr vidhan ka uphash karte hain aur nishedh ki sthaapna karte hain. Yah nahi karna chahiye to kahte karo. Koi bhi ho parinaam dekh lena. Parinaam dekh lena. Vivekvan parinaam ka intazar karte hain. Tum kya bo rahe ho yah nahi dekhte. Jab katoge tab tumhen bataenge kya kata tumne.
jo manushya kamna ke atydhik badhne ke karan jhooth, kapt, chhal, beimani, durgun, duracharon mein lage hote hain. Unka swabhav ban jaata hai shastr ki ninda karna, sadhu ki ninda karna. Sadgun, sadachariyon par atyachar karna, unko dukh dena. Bhagwan kahte hain aison ka vinash main swayam karta hoon. Takar kal rup mein bhrata unke liye main kal dand ban jaata hoon. Dushkartam dushkriti karne walon ka vinashay dushkartam vinash karta hoon. Maharaj bhagwan to sab praniyon mein sam hai. Unka na to koi mitra hai na bairi hai.
phir wah to bole samoham sarwabhute name dwashya na mein priy phir ye kya leela hai are unke liye jaise mahatma taise duratma wo to sab mein virajman hai. Unke liye na to koi dves ka patr na koi rag ka patr hai. Samadhan uttar sampurn praniyon ke param shrriddha hone par bhagwan kisi se bhi bair nahi karte. Par dhyan rakho bhagwan ka ek vachan hai. Wah apne sharanagat ka pakshpat karte hain. Ham bhakt paradheeno astantra jo bhagwan ke bhakt se var kar leta hai. Bhagwan usse var kar lete hain. Suno suresh Raghunath Subha nij aparadh risa na ka jo aparadh bhagat kar kar Ram rosh pavak so jai bhakt bhaktiman bhagwan ka aparadh kar doge to kshma kar denge lekin bhakt ka aparadh kar doge to pakki dushmani than lenge dukhiya ko na sataie dukhiya dega roye jab dukhiya ke mukhiya sune to teri gati kya hoe ek kal ke thappad mein sab fail jaata hai ye to abhi jawani hai aur buddhi chal rahi hai to jo chaho bol lo samay aayega bolne layak nahi rahoge prarthna karne layak nahi rahoge bhagwan ka swabhav hai.
unka aparadh kar doge kshma kar denge. Bhakt ka aparadh karoge sidhe var bhagwan le lenge. Kaun nipat sakta hai hamse? Bhakton ko kasht dene wale, ninda karne wale, aparadh karne wale, duston ko swayam bhagwan apna dushman mante hain. Paap ka vinash bhakt karte hain aur papi ka vinash bhagwan karte hain. Yah paap ka vinash bhakt karte hain. Papi ka nahi papi ka vinash bhagwan karte hain. Agar bhakt ki sharan mein aa jae to papi rahega hi nahi. Kyonki paap nasht hua tabhi to wo sadhu hriday ka sang kar payega. Sadhu sang matra se sant daras jim patak tare sadhuan ka paritran bhagwan jis kripa se karte hain usi kripa se yukt hokar duston ka vinash karte hain.
kyonki sadhuan ke paritran mein bhagwan ka jitna pyar hai utna duston se bhi pyar hai. Kya duston ko markar param pad dete hain. Sadhuan ko pyar karke param pad dete hain. Kyonki wah var karte hain isliye unko aise bhagwan udhar karte hain. Bhagwan kisi ke prati bhi tanik bhi amangal bhavna nahi par bhakt ke droh karne ke karan jahan kisi bhakt ko kasht diya jaega phir bhagwan use chain se nahi rahne denge samay par hota hai ye tatkaal thodi hota hai ki tatkaal tumhen de ganga kinare ek param mahmmahim sthan hai pujya Swami shri atma prakash ji maharaj bahut hi mahan tapasvi bhajnanandi akhand brahmachari dhani ghat un logon ne darshan kiye asthi matra hoe rahe sharira aur tejomay aisa lagta bhuvan Bhaskhar rambag se nikal rahe itna dekho to tejomay niche ka dekho to asthi matra hoe rahe sharira langoti jara sachla aisa hanuman ji maharaj virajman hai jab wah ramayan ki chaupai bolte the to aisa lagta tha brahmlok se awaz nikal rahi param pavitra to ratri mein kuch chor aae kyonki sone ka chhattar ye sab hanuman ji maharaj ka bahut si aisi abhushan samagriyan thi Swami ji ko pita dandon se asht matra hriday ka bade-bade Kanpur ke adhikari jan pran samarpit karne wale the.
bahut unka prabhav tha. Jaise us unka vihaar ganv ki bhasha thi. Ure kalektar aise baat ure kalektar rod ban jaega ye wala ban jaega. Haan sarkar ha sarkar ye banva de aise ganv ke baad bilkul saral swabhav naman ko tilai Paramhans subah je pata chala Swami ji ko main pura ka pura alag-alag bade-bade sab officer log Swami ji bas aap ishara bhar kar do Swami ji jante the trika lag gaye the unhone kaha nahi kisi ne nahi mara nahi maharaj ye dekho aapko itni chot lagi bole hamare karm ka phal hanuman ji ne diya koi karm bole Swami ji ye sab baten baad mein ham sunenge aap thoda bole ham jante hi nahi to jante ho kuch mahine baad un logon ki jo durdasha hui ki chilla chilla ke kah rahe the ki hamne Swami ji ko mara hamne ye samgri luti hamne amuk jagah becha Swami ji se kah do mujhe kshma kah de chilla chilla ke wo vidhvans leela hanuman ji ne shuru ki chilla chilla ke apne aap bolne lage agar sadhu maun ho jae to bhagwan ke hriday mein aag paida ho jaegi aur wo usko yah kripa manao ki sadhu sabha mein gali de de, dand de de to bach jaoge.
nahi malik agar swayam mein dushmani le le to nirvah karna mushkil ho jaega. Bhagwan ka bahut karunamay swabhav hai. Par jab unke ladle bhakt ko koi satata hai to phir Ram rosh pavak sujh rahi. Dharm sansthapnarthay sambhwam yuge yuge bhagwan dharm ki sthaapna bhagwan dharm ko sakshat dharm swaroop hai isiliye agar chain se rahna shanti prapt karna hai mangal mod sukh prapt karna dharm ka marg khojo dharm kise kahte hain uske anusaar chalo param dharm ka marg sweekar karo dharm ka aashray lena hi bhagwan ka uddeshya hai sansthapna karne ke liye bhagwan acharya Gurudev ke rup mein prakashit karte hain.
jab uski hani hoti hai tab punah prakt hote hain. Vinash leela karte hain. Phir dharm sthaapna karte hain. Sambhwam yuge yuge avshyakta padne par pratyek yug mein kai bar avatar le lete hain. Ek yug mein jitni bar zaroorat padti hai utni bar kabhi karak purushan ke rup mein kabhi sant mahatmaon ke hriday ke rup mein kisi bhi sant ke hriday mein baith gaye bhari prakash bhari prachaar wo bhagwan kar rahe hain. Bhagwan kabhi naimitik avatar kabhi ansha avatar kabhi kala avatar vivid avtaron ke rup mein lekin sant mahatmaon ka yah nitya avatar hai.
bhagwan to sarv samarth hai. Phir santo ki raksha karna, duston ka vinash karna, dharm ki sthaapna karna iske liye avatar lene ki kya zaroorat hai? Ek sankalp se anant brahmand prakt hue. Tum duston ka vinash sankalp se hi kar dete na. Samadhan bhagwan avatar ke bina sab kuch ek kshan mein palak jhapkte kar sakte hain. Lekin jin bhakton ne akanksha ki ki yar bankar hamare saath khele, kant bankar hamare saath khele, lala bankar hamare angan mein ghutnan ke bal chale. Iski purti sankalp se nahi hogi. Iske liye to avatar lena padega.
vishesh kripa karne ke liye apne bhakton ko sukh pahunchane ke liye bhavnusar bhagwan avatar dharan karte hain. Avatar kal mein bhagwan ka darshan hota hai, sparsh hota hai, vartalaap hoti hai aur jo bhagwan leela karte hain, unko jo gata hai, shravan karta hai, chintan karta hai, updesh karta hai, aacharan mein lata hai, wah sab bhagwan ko prapt ho jaate hain. Sada sabka udhar karne ke liye bhagwan ka avatar hota hai. Bhakton ko sukh pahunchane ke liye udhar hota hai. Duston ko param pad pradan karne ke liye bhagwan ka avatar hota hai.
bhagwan ke liye koi kartavya nahi hai. Unhen kuch pana nahi hai. Wo keval apne bhakton ke aavahan par avtrit hote hain. Isliye sabko chahiye ki dharm ke dwara apne jeevan ke kartavyon ka palan karte hue bhagwan ka smaran karen. Isi se param sukh param shanti ki prapti hogi. Jo bhagwan ke naam jap ko nishedh karen. Jo bhagwan ki mahima ki avhelna kare shastron ko jhutha batae. Kan mein anguli dalo uthkar chal do. Us sabha mein mat baithna nahi to paap lagega. Aur us purush ki durgati jo hogi agar tum jivit rahoge to dekh lena pakki baat hai shareerik durgati mansik durgati aur antat gatva parinaam durgati isliye bahut savdhaan hokar ke chala jae nirantar bhagwan ka naam gun rup leela dham ka aashray aur aacharan hamare dharm shastron ke anusaar hona chahiye tabhi jeevan mangalmay ho jaega abhi avsar hai nikal chalo age aapko avsar bhi nahi milega.
buddhi hi itni pavitra ho jaegi ki bhagwat prapti ki chah hi nahi rah jaegi. Satsang milna durlabh ho jaega. Isliye abhi avsar hai. Khub naam jap karo. Apne ko bachao kusang se aur bhagwan ki prapti kar lo. Is janm maran ke chakra se chhutkar atyantik maha sukh ko prapt ho jao. Shesh charcha age shri Radha vallabh lal ki
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- bhajan ka sacha swaroop ! //27/09/2026 — guru nishtha ke liye aapne ya guru samarpan ke liye jo abhi batchit ki hai to bade chode mein aur khule mein aaj sab charcha karte hain. Ham log kahan asfal kyon ho jaate hain maharaj ji kyon aisi accha…
- ananyata se hi hoga sab kuch prapt ! // 26/09/26 — ham log bhagwan ke sharanagat jan hai. Priya lal ke sharanagat jan hai. Lekin sharanagati ka rahasya na janne ke karan bahut varsho tak ya janm pura vyatit hone tak hamara jo bhagvatik anand hai wo spurit…
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…