ye sab baten agar aapke andar hain to aap pakke Harivanshi hain //29/03/26
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
jai Harivansh jai Harivansh jai Harivanshas jai jai shri Harivansh jai Harivansh jai Harivansh jai Harivansh jai jai shri hariv [gana gane ki aawaz] guru Harivansh pran Harivansh jeevan Harivansh sarvasv Harivansh guru Harivansh pran hari jeevan hariva Harivansh jai Harivansh jai Harivansh jai Harivansh jai jai shri Harivansh jai hari jai hari jai jai Harivansh jai shri Harivansh [gana gane ki aawaz] shri Harivansh savdhaan Harivansh dharmi apne dharm ko samjho dharmi hokar ke yadi dharm ko na samjha to chalne mein kathinai hogi. Jo dharm so prit nahi so kaha bhyo jo dharm jukayo agar Harivansh dharmi se prem nahi karoge to Harivansh dharm ko samjh nahi paoge aur Harivansh dharm jahan virajman hai bhagwat dharmo jit ke nij prema thahrant sabke upar bhagwat dharm bhagwat dharm ke upar bhi dhvaja phahra rahi hai Radha vallabh lal ki nij prema thhar isliye sar bhajan Harivansh ko dhyan se suno ki aap jis dharm mein dixit ho us dharm ka kya swaroop hai kya mahima hai shri Harivansh sujas gay so ras sab rasik kanu pai shri hariv sursis sab phal po kiyo sukrit sabko phalo kiyo sukrit sabko phal sit sab ko sit sab ko bhyo shri Harivansh ke dwara jo vani ji ka gaan kiya gaya hai iske gaan matra se is ras ki prapti ho jaegi.
Shyam shyama pragat pragat akshar nikat pragat ras shravat ati madhur vani so jubani rasik nitya nishidin ratat kahat aur sunat ras riti jani chaturasi ji sput vani sudhanidhi gaan karna aur shravan karna bas isi se sab kuch prapt ho jaega hamen aur koi sadhan ki zaroorat nahi hai. Naam mantr vani Harivansh mahaprabhu ke dwara diya hua nij mantr Harivansh mahaprabhu ke shri mukh se nikli hui Shrimad chatulasi ji spat vani aur Shrimad sudan ji itna hi hamari daud honi chahiye. Yahi hamari daud ka vishay hai.
guru pratap se itna hi rah gaya hai. Pare hain to ya to nij mantr chal raha hai ya chaturasi ji ka koi pad chal raha hai. Guru pratap se hamara ismen koi bal nahi hai. Wo apne aap koi na koi pad chal raha hai. Ya chaturasi ji chal rahi hai. Chaturasi ji badi samarthyshali hai. Gate raho ichchha jagrit ho jaegi dekhne ki ki jinka ham yash gaan kar rahe hain wo kaise hai. Ye sab baten avishwasneey hai. Aap log vishwas karen ya na karen. Hit dham mein Sohni laga rahe the. Aapne dekha hoga ek aise kunjakar gali hai aur pad chal raha tha.
aavat se vribhanu dulari rup chaturman ang romach chilla chilla ke rone ka man ho raha tha achanak drishti gayi to drishya badla wo sundar kunj wo jo idhar champa ke ped khade the beech mein kunjakar gali hai dekha gal mein yahan diye Sohni alag giri aur ghanto pare rahe ghanto usanand ratri mein 11:00 baje honge Madan terror aur hit dham ke kone mein ek chauki bani hui thi purane log jante usmen ek tamal ka vriksh tha pad ga rahe the manjul kalkunj desh Radha hari vishad raka nav kumud bandhu shrad jamini saval kanak tamal ki us chauki ke niche gal bhaiya devi Priya pritam khade aur baith gaye 12 ek baje raat tak wahi pare rahe kacha marg tha parikrama marg kaise tumhen hriday ki baat batave ye kripa aur ham jab tulna karenge to bauna aur akash phal ki tulna aayegi ki jaise bauna apna akash phal kabhi prapt nahi kar sakta.
par akash hi jhuk kar hath mein aa jae. To kripa se yah baat hui hai. Ek bar maat ganv ka ek charwaha wo seekh gaya tha rasikon ki krishi ke gayan se to bade jor se ga raha tha. Bani shri Radha mohan ju ki jori bani shri Radha mohan ju ki jori indra Nilmani Shyam manohar sat Kumbh tanu gori bani shri Radha mohan jhuki badi masti se chal waha piche se napuron ki jhakar piche mud ke dekha to galaiya di hui Priya pritam to kaha aap kaun hai wo jante nahi itne sundar aap kaun hai kaha ham Harivansh jodi hai jo aap ga rahe ho na bani shri Radha mohan ji ki jodi wahi ham hai wo to matlab bhagwan Bhagvati abha mein wo to kamp raha tha prabhu ka sundar bole jao Madan te Harivansh chandra jo unse kah do ki Radha mohan ji ko bhookh lagi hai kadhi chaval khir phulka ye to tumhari gay ham dekhen bhaga bhaga aaya Madan ter mein aur Harivansh mahaprabhu ke charnon mein gira kaha Radha mohan jo aae hamari gay dekh rahe hain aur wo unhone ginaya hai khir, kadhi, phulka, chaval ye aaj bhi bhog lagta hai iska.
Radha vallabh ji mein kuch bhi bhog lage par kadhi khir phulka aur mahaprasad iska jarur bhog lagta hai. Radha mohan jug ki jori indra neelam mani Shyam manohar sat Kumbh tan gori itne se bhagwat sakshatkar ho gaya usko aap chaturasi ji naam vani jahan Shyam shyama aap chaturasi ji ga rahe ho chaturasi ji ka pad chal raha hai shyama Shyam aapke saath hai ichchha karuna karenge to hamare netron ke samne wo aa jaenge hamen chinta nahi karni aur dekho agar hamara bahut malin hriday hai aur wo na bhi samne aae to chhut 84 bhramte 84 lakh yoniyon mein to jana hi nahi hoga 8ra ji ka path karne wale ko chhut mahapurushon ke acharyon ke vachno par vishwas karke hi ham bhagwat marg par chalte hain.
chhut chaurasi bhramante abhi kal tha yaras magan mite bhav tras chhut chaurasi bhramante aur nirakh jugal kishor ek do bar ki baat nahi saikadon aise anubhav guru pratap se guru ji ki kripa se aise chaturasi ji ke wo dekho dusron ko ek ascharya hoga apna ahar hai jab abhyaas ho jaata hai to jahr bhi jahr ka kam nahi karta hai. Ek mahatma ek tola roz jahr khate the. Sankhya odiya Baba ne jab suna to wahan gaye aur kaha ham apne samne dekhenge. To unhone 10 gram taul ke ek tola 10 gram hota hai. Sankhiya dhatura jahr dala aur peesa aur pura dho ke pi gaye.
to unhone kaha mahatma ji itne mein to 10 20 aadmi mar jae. Aapko kuch nahi hota. Bole nahi bole pehle din ek bij lekar aise ghasa tha aur chata tha aur ek mahina ek bij ko ghas ke chatte rahe. Phir dusre din to aaj ham 10 tola jahr kha jaate hain aur koi fark nahi parta. To samjh rahe ho abhyaas ka itna bada kripa prasad chaturasi ji nij mantr itna majbut hriday ko kar deti hai ki jahan prabhu ki ek bhawnatmak jhanki murchhit kar de wahan ab apne logon ka to bahut hi hriday vaisa kar diya jaata hai ki jhanki ki kya baat hai unko snaan karvana hai unke shri angon ko pochhna hai unke shri angon mein sundar uptan lagana hai sundar angrag lagana hai sundar chandan lagana hai ab wah murchhit ho jae to karega kaun itna bada bal mahabal Shrimad chaturasi ji aur nij mantr
pradan karta hai bas bar-bar usko kahat ratat sunat ras reet jane kahat Harivansh Harivansh Harivansh japat Harivansh Harivansh vani Harivansh vani ka jap hota hai chaturasi ji ka ab chal rahi jo pyar kare soi bhave bhave jo soi soi kare andar pura aur lekar aaj dekh pyari rang ab do dhai ghante kisi se bolna nahi chup shant ekdam ekant mein baithe ab jaise yamuna kinare hai to ye sab sevarat hai kaha ek kursi mein baithe rahte hain chupchap shant baithe apna chal raha hai to shri Harivansh sujas gaiyo pakka pakka vishwas karo so ras sab rasikan payo kiyo sukrit sabko phal anek janmon ka kiya hua punya phal aapko prapt ho gaya yadi aapki chaturasi ji mein rati ho gayi vastvik shabd jab kripa hogi to pran ram rahi Harivansh vani aur kuch nahi pran ram rahi Harivansh vani bas Shrimad chaturasi ji nij mantr aur jugal seva itne apni daud rah gayi hai.
chaturasi ji spavani sudha di ek hi baat hai. Mahaprabhu ki vani mahaprabhu dwara diya hua mantr aur mahaprabhu dwara di hui seva bas itna hi hamara hai aur kuch ham nahi jante aur kuch nahi mante. Donon baten hain. Age ab dekho yar ras mein vidhi nahi nishedh tahan na lagan gahan ke ved tahan kudin din kachu nahi is ras mein jo Harivansh sharanagat hai ismen shastr kahta hai yah karo shastr kahta hai yah na karo ye sab hamare bas ki nahi rah gayi nabha ji ne likha hai Harivansh mahaprabhu ke liye vidhi nishedh nahi das ab jaise sandhya ke samay maun hokar paschim ki taraf mukh karke aur us samay surya ko argh dan karte hue gay Gayatri jap karne ka vidhan shastrokta hai.
na swadhyay ka hai na pane ka hai na kuch gane ka hai. Us samay chup maun dharan karke Gayatri jap ka shastrokta vidhan sandhya ke samay ab hamare yahan shastrokta vidhan ke age ki baat vedatit baat hai ki shankh ghanta jo bhi apne vaishnav janon ki artiyon mein prayog hote hain khub dhyan mandira mridang aadi vadya bajte hain aur shri ji ka aarti ka saubhagya apne log prapt karte hain aur uske pehle sandhya bhog lagta hai aur bhog ko turant pane ke liye adesh hai. Bhog jab mila so pa liye jis samay surya ast hota hai uske aadha ghante matlab 48 minute do ghadi kahin kuch khanpan ke liye sab ye nishedh kiya gaya hai.
surya ast ho rahe hain. 48 minute idhar 48 minute udhar [gala saaf karne ki aawaz] ye beech mein baithkar ke jap ka vidhan kiya gaya. Itne mein to apna bhog prasad ho jaata hai. To ya ras mein vidhi nahi nishedh shastr kya kahta hai? Kaho dusron se kaho ham Harivanshi hain. Hamne samjha ham Harivanshi hain. Isiliye is ras ko jaldi jo kaho Harivansh ras birlo samjhanhar aap ye samjhe trikal sandhya karte the. Trikal sandhya prat madhyan aur sayam mooj ki mekhla 108 moonj moonj ki pavitri moonj ki pavitri choti pe kushasan par baithkar ke trikal sandhya Gayatri ka anusthan matlab guru kripa se aisa jeevan nahi raha bahut Shastri paddhti se balwashya dev ki kiye bina bhojan nahi pana havan karke balwashya pura din bhar lage rahte naisthik brahmcharya ka jeevan aur sanyaas ka jeevan ham apne mukh se kya prashansha karen aur ab jo jeevan hai wo hamara jeevan nahi hai hamari ladli ka jeevan hai ab hamse kaho ki aap kya ho to ham kal kah rahe the ki ham poster likhwa sakte hain ham kuch nahi hai kya sadhna hai kuch nahi ham apne ko nahi kuch kah sakte kya kah sakte hain bas itna jarur kah sakte hain ki ham shri ji ke hain bas bas iske age kuch nahi kah sakte ho.
hamari jo sadhan ke abhiman the, jo sadhna ki thesak thi, jo ham garv se bolte the, wo sab hamara kuch nahi hai. Ab hamare paas kuch nahi hai. Ladli ju ke siva kuch nahi hai. Bas hamari jo kuch hai wo ladli jo hai. Koi sadhan nahi hai hamare paas. Na kisi sadhan ka bal rah gaya hai. Sab mein dhul dal di gayi hai. Jahanjahan abhiman tha sabko choor kar diya gaya hai. Kuch nahi rah gaya hamare paas. Jo ham kabhi ek thesak mein bolte the wo sab thaske hamari bah gayi shri ji ki kripa se sab bah gayi koi thesak nahi rah gayi hai ki ek hi thesak rah gayi hamare mai shyamaju ko rajyas mein vidhi nahi nishedh bahut si vidhiyan hai shastr ki ham ek bhi vidhi ka palan hamari vidhi hai shri ji aur sab nishedh hai hari Harivanshi dhyan se sun le hamari vidhi hai keval shri ji subah se sham tak pata nahi hai kaun sa din hai kaun sa yahan chintan hi nahi hai ki aaj kaun sa din hai kaun sa war hai kaun sa tithi kaun sa nakshatra hai koi matlab hi nahi subah se sham tak apni dhvani mein lage rahne ka marg Harivansh mahaprabhu ne de diya aur tahan na lagna grahan ke ved bhai yah mesh vrish aadi lagan ki yah lagan hai.
yah shubh lagan hai. Yah ashubh lagan hai. Apne wo kritika aur Rohini nakshatra ye mesh vrish ye sab are bada ismen yahan grah nakshatra inka sab kisi bhi tarah ka koi bhi mahatva nahi hai. Subah se sham jaise aaj taise kal taise parso jaise narson hamare 12 mahina ek hi din ek hi tithi ek hi bar hai Radha Radha Radha ya ras mein vidhi nahi nishedh are aisa nahi karna chahiye dekho yah to maha prem hai karmabai ji ke man mein aaya prem karti thi thakur ji se ki sab koi thakur ji ko shayan tak to bhog lagata hai lekin shayan se jagne tak itne mein bhookh nahi lag jati hogi to subah to bahut vilumb ho jaata hai mangala bhog lagne mein to wo 3:00 baje khichdi bina nahaye dhoe bina kulla mukhari kiye
teen baje khichdi bana deti thi aur thakur ji ko bulati aur thakur ji kripa sindhu hai jab unke bhav ko dekha bhav ka bhukha hoon main bhav hi ek sar hai to wah bhav se prerit hokar akar god mein baithkar khichdi pate thakur Jagannath ji ab wo subah khwa pya ke bartan sab marjan karke sab aise karke phir snaan karne jati to ek din prasiddh tha karmabai badi bhakt hai bhagwan ka bhajan karti hai to ek sant mile Shastri paddhti se chalne wale to unka surya uday ho raha hai badi bhagat kahlati ho ab nahane ja rahe ho to ek bar to chup rahi phir unhone kaha suna nahi are snaan ka samay teen char baje snaan karna chahiye bhajan karna chahiye to unhone kaha Swami ji ham kaise teen char baje snaan karen 3 baje to thakur ji ko ham khichdi ka bhog lagate apni bhav ki baat bata di are unhone kaha mahat aparadh bina snaan kiye bina pavitra hue thakur ji ko mahat aparadh isiliye kahte dusron ki suno mat mahat aparadh karmabai bahut bhole swabhav ke bhakt hote hain dar gayi to maharaj pehle snaan tilak Shastri paddhti
ab unhone shuru kiya ab snaan sab karke jab rasoi banai to panch sab lagbhag bach gaye bhog ab bulaya thakur ji aae to ek kaval paya tle wahan mandir ka parda khulne ka samay aa gaya bhag gaye gaye to khichdi mukh mein lagi hui thi kyonki pavaya abhi pura tha nahi achman karaya nahi tha to jo pat khola to Jagannath ji ke parsad ne kaha jai jai bhog to ab padhraenge khichdi kaise ukhne lagi tab unhone kaha ki karmabai ke yahan ham roz prasad bhog arogne jaate hain. Wo ek Shastri karmkandi aaya hai Baba ji uski buddhi ko bhram mein dal diya hai.
karmabai se kah do ham tumse waise hi prasann hai jaise tum banati thi bina nahaye dhoe banao aur hamen ye ya ras mein vidhi nahi nishedh yahan bhog lagane mein ye nahi kaha tastu govindamnabhyasi kuch nahi hamare ladli lal banaya Radha vallabh shri hariv Radha vallabh shri koi mantr nahi yahan apvitra apvitra keshway nam narayan nam Radha vallabh shri Harivansh shri Radha shri Radha shri Radha ya ras isiliye koi manega thodi dekho isi prasang mein age chal ke kah rahe hain stuti karahu dehu ko gari har na apni maniyo chahe tum hamari baat ki stuti karo ya hamen gali do ham tumhari baat sunne wale nahi har manne wale nahi ham chalenge Harivansh dharm mein hi Harivansh man lo bade kiye sukrit sabko fale anek janmon ke sukrit phlibhut ho gaye hain hai kisi ki himmat ki grahan par raha ho aur bhojan kar le yahan pangat lagti hai jab grahan par raha hota hai tatiya sthan mein pangat lagti hai kunj bihari shri haridas aur chak pate hain.
hamko matlab hi nahi hai to padha karo. Hamara jo grahan par raha hai wah to raat din parta rahta hai. [gala saaf karne ki aawaz] Priya rupi chandrama ko Shyam siddh kar rahe hain. Ham to har samay isi chandra grahan mein hi rahte hain. Isi surya grahan mein rahte hain. To yahan ras mein vidhi nahi nishedh. Koi bhi Shastri vidhi vidhan hamare ras mein nahi hai. Subah mangala se le swayam swayam se le mangala chaturasi ji nij mantr bas ham na kuch din jane age varnan kar rahe hain. Ta na lagan grahan ke ved koi ye lagan aadi mesh vrish aadi ya grahan surya grahan ya chandra grahan hamare yahan nahi manne inka koi ye to lok vihaar mein mandir bandhak rakhte hain.
lok vihaar lok samaj ke karan ye band rakhte nahi aisa nahi hai hamare thakur ji ke liye koi grahan nahi kyonki ham nitya Vrindavan upasak hai aur bhagwan gita ji mein bole hain na taste surya na shashanko na pavka yatwa na nivte tadham param jo tej jagat mein surya aur chandra aur agni se prakashit hota hai in tino ka pravesh is Vrindavan dham mein nahi na taste suryo na shashank na pavka surya shashank mane chandrama pavka mane agni ye tino tejon ka pravesh jahan nahi hai tadha param wo dham swayam prakashit hai to ham swayam prakashit dham mein shri Priya pritam ke atho pair upasna karte hamare yahan kabhi chandra grahan surya grahan hota hi nahi hai to bole vihaar vihaar to tumhen karna hoga nahi vihaar ki to dhajhiyan uda di hamne yahi isiliye to is dharm jo kaho Harivansh ras birlo samjhna birlo kaun jo sharanagat hai are bahut bilkul apne dharm mein sudridh kahin kisi bhi tarah ki koi manyata nahi ta kudin din kachu nahi aaj bada kudin hai aaj bada sudin hai amuk tithi hai amuk
tarikh hai aaj dan hamare hamare liye kudin din sab barabar hai kyonki wahi hamari dincharya hamare liye na koi sudin hai aur na koi kudin hai sab mangalmay din hai na grahan na nakshatra na shubh aur na ashubh na din na kudin na vidhi na nishedh nahi shubh ashubh bole bili rasta kaat gayi ashubh ho gaya are mar dala bili ko kisi ne suchna ai thi. Bili rasta kaat gayi to kar khadi ki aur gher karke us bili ko mar dala. Ab ashubh ho gaya. Bili mein bhagwan nahi hai kya? Bole khali balti dekh li ashubh ho gaya.
bole chal diya se chheenk aa gayi. Bada ashubh ho gaya. Bili ka rasta kaat gayi. Shri Harivansh mangal hai. Ye inko dikhaya ki dekho ye bili rasta kaat rahi hai. Aur age jab aae na to pushpo se swagat ho raha tha. Dhol nagade baj rahe the aur pura mangal mein ham kaha bolo bili rasta kaat gayi. Kya hua? Kuch chale shri hariv nahi shubh ashubh man apman. Nahi shubh ashubh. Aaj bada shubh din hai to hamko kya de dega? Kyonki ham to raat din Priya pritam mein lage hain. Aaj bada ashubh din hai to hamara kya le lega?
ham tha Priya pritam mein lage hue hain. Yahan na shubh hai aur na ashubh hai. Barabar badi kripa hai. Kailendar rakhte nahi. Jo kailendar rakhte hain wo silendar hote nahi. Sarendar sarendar sharanagat aur jo sarendar hote hain wo kailendar nahi rakhte. Ab hamen pata hi nahi ki din kaun sa hai, war kaun sa hai, nakshatra kaun se sachchi kahta hoon. Mujhe nahi pata ekadshi ka pata Vrindavan ki bhid se lagta hai. Parikrama marg se aur koi kitni tarikh koi aise bata de ki aaj ye tithi hai. Aaj ye tarikh hai to pata nahi brihaspativar ka jarur pata lagae rakhte ki kab hai brihaspativar kyonki guru ji ke yahan jana hai.
nahi shubh ashubh aur man apman jo bahumaan kare ko mero ke bahumanat na hi bai jo apman kare ko ku ke apman nahi lagta bole aisa kya pa gaye kaun sa jadu pa gaye ki tumhare upar man apman ka koi prabhav hi nahi parta bole shri Harivansh gira ras sagar maj magan sab nidhi pai chaturasi ji rupi samudra mein ab hamari jo man rupi meen hai kalole karta rahta hai man apman ka koi prabhav nahi jo bahumaan kare ko mero kiye bahumanat na badhai aur jo apman kare ko ku ki apman nahi lagtai nahi shubh ashubh man apman aur nahi anat bhram kapt saya yahan jhooth ki baat nahi yahan jhooth nahi chalta jhooth mat bolo is ras mein jhooth mithyavad nahi jhooth nahi jaise hai waise shri ji ke hai anant mane jhooth aur bhram aur anant ka shabd jhooth bhi hota hai aur anant ka shabd aur bhi upasna hota hai.
jaise jai shri Harivansh anat sach nahi an to agar ham use anit lete hain to jhooth aata hai aur anant lete hain to anya aata hai to hamen na anya ka aashray lena aur na jhooth bolna hai aur bhramit hona nahi apni upasna mein purn vishwas karke rakhna hai nahi to aur log milenge to bhramit kar denge isiliye hamari sangoshti kisi se nahi ho sakti to bhram apne upasna mein bhram nahi hona chahiye. Bhram nahi rahna chahiye. Sanshay mita dena chahiye. Jis marg mein guru chalte hain usi marg mein hamen chalna chahiye.
accha aap log aae ho kya? Hamari upasna samjh kar. Aapko shri ji lai hai to chupchap chale chalo na. Kahe ko beech mein puchte ho ki kahan le ja rahe ho? Are ruko hamen batao. Jab shuruaat mein nahi pucha to beech mein kahe poohe chupchap chale chalo saath mein chale chalo ham nikul jaenge to tumko bhi nikuj le jaenge tumhen chinta kahe ki sochna to pehle chahiye tha byah hone ke baad dekha ki dulha to kala hai to kya ab to zindagi par karni padegi ab ye thodi ki dulha kala hai to chhodkar dusre gore ko varan kar doge nahi ab to Harivansh pativrat hai jinke sukh sampatti dampatti jo ham Harivansh pativrat wale hain to nahi shubh ashubh man apman nahi anat bhram kapt sayan aur
snaan kriya snaan kiya hari Om ma mantro ka yahan kuch nahi snaan karte samay agar yamnashtak yad hai to gao nahi to Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh shri snaan kriya mein jo Shastri paddhtiyan hai hamare yahan sweekar hai jal liya aur shuru ho gaya brajadhraj nandna budagat chandrana lep gandhwa ya Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh se snaan kriya aur jap anusthan bole ham anusthan kar rahe hamare yahan jap ka anusthan prambhik dasha mein ham bhi sammaan karte hain is baat ka ki mala lekar ke jap karna chahiye.
lekin jab mantr mein ruchi ho jaegi to aapko ham sachchi baat kahte hain. Mala bhaar rup jaan parta hai. Aur ab kai kai mahine ho jaate hain mala prabhu ka sparsh nahi hota. Yadyapi priyata itni hai ki Madhav se kahte hain mala mat bhulna. Har samay mala jholi apni baig mein rakhna. Ham kabhi bhi maang sakte hain. Par kai kai mahine ho jaate hain nahi mangte hain. Samay nahi mala ghumane ke liye ganna karna usko ghumana chumna itne sab samay nahi hai ye sab samay nahi hai chalo kya ganna karna yahan koi ganna nahi hai yahan sumiran Priya ji ka nirantar ka hai itne lakh mein itne karod mein mil jaengi yah koi baat nahi hai yahan to ek bar jin naam li hit so hai ati din tako sang na chhar dhruv apno kar mala hath mein nahi hai lekin aapko vishwas karo ya na karo koi minute koi second khali chala jae shri ji se prarthna karte hain aisa wo durbhagya kabhi na ho
prayas itna hai andar ka ki ek second ya ek minute khali chala jae aisa durbhagya kabhi na ho ya chaturasi ji ya nij mantr ya naam teen mein se koi na koi chal raha hai ham bhale chupchap baithe to bhram nahi karna apne mein apne upasna mein bhramit nahi hona bhramit karne wale bahut mil sakte hain aisa nahi hai aisa hai aisa hai aisa nahi shuddh jo hamari vani ji hai jaise tasmat shastram prmanam se to yahan ved rasik ki vani rasikon ki vani ke anusaar chalo [nak se ki jane wali aawaz] kapt andar kuch
hai bahar kuch hai ye sab apne bahut nirmal hote hain Harivanshi bahut nirmal ye kapt shaan chaturta chaturi ye sab ye sab nahi bilkul saral swabhav naman kutilai hamse galat ho raha hai ham kar pa rahe nahi galat kar pa rahe hain hamari shri ji aisa abhi kripa nahi kiye. Jis din wah break laga denge us din aankh uthakar ke bhi ham galat ki taraf nahi dekhenge. Ab kya karen? Ham vivash hai. Hamse galti ho rahi hai. Ye nahi nahi nahi ham kasam khate hain. Ham aisa nahi aisa nahi. Ham galat hain. Hamse galti ho rahi hai ya galti ho gayi hai ya age bhi ho sakti hai.
ab ye keval swamini ji sambhal sakti hain. Aap chaho kshma karo. Aap chaho dand de do. Ham aise hain. Ham kuch kah nahi sakte. Hamare mein koi bal nahi hai. Aur jab bal tha tab garajte the is baat ke liye ki aisa nahi ab nahi kah sakta. Aisa nahi ho sakta hai. Aisa bhi ho sakta hai. Aisa bhi ho sakta hai. Kyonki ab joi joi pyaro kare soi mohi bhav hai. Mere mein samarth nahi hai ki main kuch kar sakun. Kuch kar sakun. Ab mere mein samarth nahi hai. Mere se jo karaya jaega jaise hoga jo kuch hoga. Bas ham dekh rahe hain.
agar gali dilwani hai to hamse bura karva diya jaega. Aap hamen gali doge. Agar sammaan dilana hai to aisa kuch karva diya jaega ki aap hamen sammaan karoge. Ye sab bahari baten hain. Lekin kapt aur chaturi ye hamare rasikon mein nahi hoti. Sidhe saral swabhav man kutilai aur kah rahe hain snaan kriya jap tap nahi jo jap hai wo anusthan rup mein hamare yahan nahi hota aur nirantar Priya pritam ko pukar hoti hai jo mantr hai mano ham pukar rahe hain Priya pritam ko hamare yahan sankhya ka waise prayah aap dekhna hamare rasikon ko aap yahan dekhna hamare guru ji ke gale gale ke niche wo hilta nazar aayega aise jab dekho tab wo matlab nirantar nirantar mantrakaar mala nahi aur guru kripa se aisa hi prasad unke charnon ka mila ki shuruaat mein ham bahut koshish ki lekin jahan mantr mein ruchi hui to mala apne aap beech se chhod ke rakh diya wo mala nahi chal paya.
aap log aisa mat kijeyega. Hod nahi karni chahiye. Nahi jo ho raha hai wah bhi band ho jaega. Bhajan jo ho raha hai wo bhi chhut jaega. Aap logon ko dekho kaksha ek aur phd to aap matlab ab aaj aap abhyaas kar rahe ho aur wo abhyaas ham 11 varsh se kar rahe hain. 11 varsh ki avastha se aur jab tap bahari tap nahi hamare yahan. Antarik tap hai bahari tap jaise itr nahi lagana sugandhat dravy nahi lagana tapasya ke antargat aata hai hamare yahan sugandhat dravy na lagae to aparadh hai prasadi karo agar na ho to prasadi karke lagao kyonki seva mein jaoge na to shri ji ka prasadi karke itr rakho aur pehle aise lagao aur laga ke phir seva mein jao dusra mala na pahnna ye tapasya ke antargat aata hai.
sugandhat dravy na lagana aur mala na pahnna. Hamare yahan hai prasadi mala milte hi turant kanth mein dalo aur garv se pahan ke chalo chati phula ke hamari shri ji ka prasadi mala. Tisra chandan sugandhat dravy mala chandan ye tapasvi ke liye nishedh hai hamare yahan garv se lagao shri ji ka prasadi chandan hai aur prasadi jo abhushan hai prasadi vastr hai to ab pan tapasvi tapasya mein pan nishedh hai yahan garv se pav shri ji ne paya hai na khub anand se chba chba ke pav mantr japte hue kyonki pan aur prasadi kabhi jhuthan nahi mani jati jaise Radha vallabh ji ka apne shri ji ka bhog mila muhn mein dal liya to ab yah nahi ki jhutha hai muhn mantr nahi chalega khub chakacha
chalega jhutha wo hota hai jo shri ji ka jhutha nahi hota jo shri ji ke dwara usht hota hai wo amrit hota hai jhutha nahi mana jaata hai charanamrit pa ke bhi mantr jap sakte ho aur prasad pa ke bhi mantr jap sakte ho prasadi bole tapasya bhi ab jara yahan aur sevak vani ke piche age prakaran mein aayega shri Harivansh alap tap na samjhe kya hai prasiddh tap shri Harivansh prasiddh dharm samjhe na alap tap chhoti tapasya wala Harivansh dharm ko nahi samjh sakta aur yahan kaha gaya snaan kriya jap tap nahi ab uska
aur iska jod karo wahan kah rahe hain bina kathin tapasya ke is ras ko prapt nahi kiya ja sakta. Aur yahan kah rahe snaan kriya jap tap nahi. Wahan kah rahe sevak ji kah rahe hain shri Harivansh prasiddh dharm samjhe na alap tap samjho shri Harivansh kripa sev dharmin aur jap aur yahan snaan kiya jap tap nahi dharmi ka jap karo. Dharmi ka sevan karo. Yahi sabse bada tap hai yar ek bar jeevan mein aise ho jae kyon kya me ye sab sab hata ek bar aise ho jae sharanagat shri ji ka aur shri ji ke janon ko ek bar aise koi kyon me nahi dekho jhaatke mein par ho jao aur kyon kiya to daldal mein phas gaye nikalna mushkil hai niklne ki alag-alag prakriyaen prabhu kaise kya prerit karte hain kya bas tum kyon na karo to is maya prapanch se pakka pakka nikal jaoge aur kyon mein kiya to chahe jitne achhche se chalo daldal mein phas jaoge pakka daldal mein phas jaoge to se sevhu dharmin aur jap dharmin jo dharmin shabd hai wo sev aur jap donon ke beech mein laga hua hai.
Harivansh upasak ki seva karo aur Harivansh upasak ka jap karo. Matlab bahut badi baat hai jo apne Gurudev ka chintan karte ho, Gurudev ka jap karte ho. Dharman jap bahut badi baat hai. Jo kam se kam thodi der hi baithkar apne Gurudev ka dhyan, Gurudev ka chintan, Gurudev aur jinki Gurudev mein asakti hai. Unko kya kahna hai? Uthte baithe chalte phirte apne guru ka dhyan bana rahta hai. Sabse badi tapasya hai Harivansh dharmi ki seva aur Harivansh dharmi ka jap unka sumiran karna. Jap ka tatparya sumiran karne se hai.
unka dhyan karte hi unka sumiran karna bar-bar. Waise Shastri agyaa bhi dhyan mulam guru murti puja mulam guru padam mantr mulam guru vakyam moksh mulam guru kripa balhari hai jo apne guru seva mein thodi bhi seva ban jae thoda bhi guru ke kam aa jae hamara jeevan to balihar ho jae dhanya ho jae jeevan ki unki agyaa mein aa jae unki agyaa par chal de gyan dhyan tha sakal prayas suno rasik Harivansh vilas shri Harivansh hi gay ho kah rahe gyan sankhya yog ka jo gyan hai sarvam khidam brahmane nanast kinchan wo apne aap aapko prapt
ho jaega prayas karne ki zaroorat nahi hai ye krura papino nasta sambhas dash sartya param swara buddhim isse badhkar koi gyan hai kya ki chahe krur ho papi ho dusht ho sambhshan yogya bhi na ho lekin sakshat shri Radha vallabh lal ji hai ye meri dridh mati hai ismen virajman hai aisa nahi kaha sakshat Radha vallabh lal hai ye meri dridh mati hai ye krura ap papino nasta sambhas drishya ye sar vastutya nireeksh vastutya nireeksh param swara ma param swadhya buddhi mam meri dridh mati hai ki sakshat shri Radha vallabh lal hai nireeksh aisa tum bhi dekho aisi agyaa Harivansh mahaprabhu ki isse bada brahm gyan kya ho sakta hai sabko apne isht ke rup mein dekhna lekin sankhya yogad gyan yahan prayas hai yahan uska koi matlab nahi hai yahan koi matlab nahi hai yahan Radha naam dhyan karo wahi Radha rup jagrit ho jaega yahan jo dhyan hai wo Priya pritam ke charnarvind ka Priya pritam ke naam ka dhyan hai aur koi dhyan nahi.
hamen gyan kya hai? Hamare Priya pritam. Hamara dhyan kya hai? Priya pritam. Vidhi kya hai? Priya pritam. Nishedh kya hai? Sab kuch. Priya pritam ke siva sab kuch nishedh. To gyan dhyan tha sakal prayas. Suno rasik Harivansh vilas. He rasik janon suno main aise Harivansh ke pratap ka vilas ka varnan karta hoon aur shri Harivansh hi gai ho shri Harivansh ka hi gaan karunga. Ab sevak ji maharaj kah rahe hain jahan Harivansh prem unmad tahan kahan swarth niswad vad vivad tahan nahi jahan Harivansh sharanagati hai aur Harivansh naam ka Radha vallabh shri Harivansh naam ka sharanagat mantr ka nij mantr ka jap hai wahan ek prem prakt hota hai.
jab koi vidhi ki baat kahi jae aur na mane to bole bade unmadi ho tum. Baat nahi man rahe to yahan age varnan kar rahe haan hai ham unmadi hai jahan Harivansh prem unmad tahan kahan swarth niswad ye niswarad swarth ki kamna hamare Harivansh dharmi mein nahi hoti jahan Harivansh naam janit Harivansh sharanagat mantr janit nij mantr janit chaturasi ji janit yugal seva janit rati utpann hoti hai wahan swarth nahi hota ek tamatar agar pakta hai na yamuna kinare to use yamuna ji mein dho ke daud se ullasit hote hue jab Radha peeju ko bhog lagate hain to yahan ek karod
ke tamatar ka bhog lagane par wo sukh nahi prapt hoga kyonki pasina chubate hue use seencha gaya hai aur usse jab ek phal hota hai to daud ke ek phool hota hai na gulab ka phool ko Radha mohan ji ko le jana Radha peeji ko le jana aur wo jab shringar karke dharan karte ho jab dekhte hain na to kya hai Harivansh upasak ko Radha peeju Radha mohnaj Priya pritam ke liye ham jo kuch kar rahe hain Priya pritam ke liye apni baat to khatm ho chuki hai ham snaan kar rahe hain to Priya pritam ke liye pavitra vastr dharan kar rahe hain to Priya pritam ke liye ham chandan tilak laga rahe hain to Priya pritam ke liye darpan dekh rahe hain to Priya pritam ke liye ab jake seva mein lage sab kuch Priya pritam ke liye ho raha hai kahan kahan swarth niswad ye beswad swarth ki baten Harivansh dharmi mein nahi hoti jahan Harivansh ke prem ka anuvad hota hai wahan niras swarth ki charcha swarth ka karya ye sab nahi hota hai aur Harivansh dharm nahi to swarth rahega nahi swarth nahi rahta aur ab ye
dharm aisa hai ki ismen vad vivad ki jagah nahi hai. Jaise koi akar vad vivad karne lage. Are badi vichitra vichitra dashaen hoti hai. Badi vichitra dashaen hoti hai. Ab jo log nahi jante wo log ninda karne lagte hain. Tum hamare ghar ki baat kya jano yar? Tum jo kuch karke sab pana chahte ho usse ham khel rahe hain. Tum jo sab kuch karke pana chahte ho usse ham khel rahe hain. Yar tum kya jaan rahe ho? Tum kya samjh pa rahe ho? Bole siddho ki baat alag hai. Tum koi siddh ho kya? To pankti mein kiski khade hain ham?
pankti mein kiski khade hain? Hamare age jo hamare gurjan hai unke age jo gurjan hai wahi to sab siddh hai to ham unki pankti mein khade hain siddho ki pankti mein ham siddh nahi hai lekin ham siddho ki pankti mein khade hain aur siddho ke adesh se chal rahe hain aur hamari wahi siddhi hogi jo sevak ji ki hai jo dhruvdas ji ki hai. Pakka man lo vishwas ham paunchenge to thoda chhota kad karke nahi shri ji bulaenge ki chhoti sakhi chhota kad karo dhruvdas ji ka bada kad karo inka chhota kad nahi wahi rup wahi thesak wahi seva wahi guman yahan kah rahe hain vad vivad taj aap apne dharm ki sthaapna karo to guru ji ne bataya ki raja mansinh bade sanatan dharmavalabi the.
to unhone hamare pujya shri rup goswami se kaha ki aap ekadshi nahi mante. Aap sanatan dharm ki vidhiyon ko nahi mante. Tithi tyoharon ko nahi mante. Jo vidhi nishedh hai wo aap nahi mante. Aap pramanit kijiye aapka dharm kya hai? To rup goswami ji muskura diye. To usne kaha aap pramanit kijiye nahi aapko ham bandi bana ke bulaenge. To yahan kya praman de? Chati ke vishay ka kya praman de? Yahan rasikon ki vani ka usko pata nahi hai. Wo ved aur gita se praman manega. Aur hamara dharm jo prarambh hota hai wo sarv dharman parityaj mamekam sharanam braj yahan se prarambh hota hai.
ab kaise koi samjhe sarv dharman parityaj mamekam sharanam braj to vad vivad tane agar koi vad vivad karne lage to maun hokar har mankar chal dena chahiye. Apne mat ki sthaapna karne ke liye jhagda nahi karna chahiye. Kisi ko dukh dena, kisi ko kasht dena nahi. Ham har mante hain. Hamare hriday ka vishay hai ye. Ham tumse vad vivad nahi karte hain. Lekin ham jis dharm mein chalte hain. Ham usi dharm mein chalenge. Ham vad vivad nahi karenge. Sevak ji ka adesh hai. Vad vivad tahan. Kisi se apne mat ki sthaapna ke liye hamen vad vivad karne ki zaroorat nahi hai.
hamen apne dharm mein na bhram rakhna hai na sanshay rakhna hai. Khub dridh vishwas karke chalna hai. Isiliye Harivansh dharmavalabi kisi aur ki baten sunega to usmen sanskar aur ban jaenge. Yah jo aap baat sunoge to yah sanskar baenge aur aur baten sunoge to ham jo sunte hain uska manan hota hai aur wahi hamara sanskar banta hai. To hamare koi aur sanskar na bane. Dekho hamen hamara jo dharm hai pateet dharm hai. Hamko apne pati ko rijhana hai. Dusra ka pati bada sundar hai, bada chatur hai, bada vidvan hai, bada gyani hai, bada hamen use kya hamara pati jaisa hamare liye hamara parmeshvar hai.
hai mera pati mere liye parmeshvar hai. To hamara jo dharm hai ab ham to is dharm ke gyata nahi ki gyan karke aae ho. Hamko usi parbrahmma paramatma tatv ne is dharm mein ghaseeta hai. To jab hamen prabhu ne ye dharm diya hai to ab is dharm ka palan karenge. Isi ke anusaar chalenge aur bacha liya yar bade prapanch se bacha liya. Mahaprabhu ne kabhi-kabhi ham yamuna kinare sochte hain bade-bade jal se bacha liya. Shastr jal se bacha liya aur sidhe atho pahar Priya pritam ke dular mein lage rahna shesh charcha age Shri hari
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- bhajan ka sacha swaroop ! //27/09/2026 — guru nishtha ke liye aapne ya guru samarpan ke liye jo abhi batchit ki hai to bade chode mein aur khule mein aaj sab charcha karte hain. Ham log kahan asfal kyon ho jaate hain maharaj ji kyon aisi accha…
- ananyata se hi hoga sab kuch prapt ! // 26/09/26 — ham log bhagwan ke sharanagat jan hai. Priya lal ke sharanagat jan hai. Lekin sharanagati ka rahasya na janne ke karan bahut varsho tak ya janm pura vyatit hone tak hamara jo bhagvatik anand hai wo spurit…
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…