Harivanshi banne ki pahli sidhi // 24/04/26
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
jai Harivansh jai Harivansh jai Harivansh jai jai shri Harivansh jai Harivansh [gana gane ki aawaz] jai [hausla badhane ki aawaz] Harivansh jai hari jai jai shri hari [gana gane ki aawaz] guru Harivansh pran Harivansh jeevan Harivansh sarvasv Harivansh guru hariva pran hariva jeevan sarwaman jai Harivansh jai Harivansh jai Harivansh jai jai shri Harivansh jai Harivansh jai Harivansh jai Harivansh jai jai shri hariv jai jai shri sevak vani jo teva prakaran pake hit dharmi arthat sache sache radhavallabhi sache Harivanshi kaise hote hain? Kya unke aacharan hote hain?
kinhen sache Harivanshi kahte hain? Sadhan vivid sakam mati sab swarth sakal sab niti gyan dhyan vrat karm jate sab kan mein nahi moh pratiti jitni sadhna hain jo sakam mati ke dwara ki jati hai jo apni swarth purti deh bhav se apni indriyon ki tripti ke liye kiya jaata hai. Hamare yahan wo sab aniti hai. Uska tyag hai. Jo gyan hai, dharm hai, vrat hai, karmkand hai, tapasya hai, sakam jap hai ye sab bhagwat prem pradan nahi kar sakte isliye kan mein nahi moh pratiti in par mujhe vishwas nahi hai jab vishwas nahi to inki bhakti nahi bin vishwas bhagat nahi to ham gyan dharm vrat karm jite inki bhakti nahi karte rasik anannya nishan bajayo ek Shyam shyama pad priti rasik rasikacharya mahaprabhu shri Harivansh chandra ji ne danke ki chot mein ekmatra shri shyama Shyam ke charnon ki priti hi varnan ki apne sharngat ke hriday mein sthaapit ki jagat mein vistar kiya.
prem ras ki anannya bhav se upasna karne wale anannya rasikon ko ekmatra shri shyama Shyam ke charan kamlo ki priti ka hi updesh kiya matra shyama Shyam bas yah jodi avichal Vrindavan nahi an sukaj hamen nahin an su kaj agar hamara kuch bhi chahat hai kuch bhi hai to shyama Shyam se hai ann se nahi hai na na raho hi am thor gopi jan kahte hain hriday mein jagah hi nahi rah gayi to kya karen agar jagah hai to hata do ekmatra Shyam shyama pad priti shri Harivansh charan nij sevak jo shri Harivansh ka sharanagat hai nij sevak hai wo vichle nahi chhan ras riti vichlit na ho aise sang milenge aisa pralobhan milega aapko aisa anubhav ho sakta hai ki hamara parivartan nahi hua parivartan ki chinta mat karo ek second mein ho jaega hamen nikunj jana hai aur kya parivartan hona hai?
ham nauka mein baithe hain chale ja rahe hain. Hamen aur kya anubhutiyon ki zaroorat hai? Sab anubhutiyon ka anubhuti hai. Shri Priya pritam ke charnarvind ka aashray wo hamara hai. Pahunchna hai nikunj wo pakka hai. Harivansh pratap se hamare kisi sadhna se nahi. To jeevan bhar kuch anubhav na ho to bhi hamen apne marg mein chalte rahna hai. Kuch anubhav nahi hua. Phir bhi chalte rahna. Pahunch jaoge wahin pahunch jaoge. Jaise beech mein lift mein anubhav nahi hota ki ham kahan pahunch rahe hain. Lekin jab khulta hai darwaza tab samjh mein aata hai.
aise hi ham kripa rupi lift mein baithe hue hain. Prarambh mein to anand aaya kyonki lift chali to jhatka laga. Pata chala upar chal rahe. Beech mein pata hi nahi chal raha hai. Beech mein wah anand hi anubhav mein nahi aa raha. Aur jab pahunche to anand samudra nau nivatt nikunj mein pahunch gaye. Yah pakka vishwas ka vishay hai. Vishwas ke bina bhakti nahi hoti. Yah marg vishwas mein hi tika hua hai. Hit dhruv jo vishwas hai tab sudhre baat na tar maya panth mein phire jutkar khaat nirantar Priya pritam ke charnon ke siva aur kisi ka aashray hamare hriday mein na ho.
dekhte rahna hai bas shyama Shyam shyama Shyam jo chahat hai nit sukh aur man ko vishram hit dhruv hit so bhajat rahu pal pal shyama Shyam shyama Shyam badi udaar jodi hai Priya pritam ki ati udaar vi sundar surat sur sukumar jaise hit hari vansh karo din do achal vihar bilkul anannya ho jao Priya pritam ke kisi se kuch hamara koi sambandh nahi aur aparadh isliye nahi lagega ki chid chid lakshanam sarvam Radha krishnamyam jagat [gala saaf karne ki aawaz] unke siva koi hai nahi aur unhin ke anannya ho rahe hain aur unki ananyata ke liye unke anya har svaroopon ka man se pranam karke tyag kar rahe keval unke is rup ka galbiya diye hue yugal sarkar nau kishori nau kishor to bichle nahi chhade ras riti anya marg sab bhagwan ki taraf hi ja rahe hain.
hamara marg kya hai? Hamko to dekhna hai na. Prasad mane kripa. Sadhan ka phal kripa. Kripa ko thukra ke sadhan pakdna. Gyan dharm vrat karm jite sab kan mein nahi moh pratiti rasikan nishan bajayo ek Shyam shyama pad priti ek din mahaprabhu chaitanya dev ji 4:00 baje prat kalin sarvbhaum bhattacharya ke yahan gaye wo abhi uthe hi the kalo mahaprabhu aur wo itne niyamavli wale brahmin ki pura argh tarpsn sab snaan argh tarpsn aadi karke sab je prasad diya wo pa gaye unka bhrashtacharya aaj aap jit gaye maya par vijay prapt kar bhagwat prasad milte hi use bhagwat prasad mein nahi dekha jaata ki puri hai ki kachori hai ki roti hai ki phal hai ki ann prasadam bhagwat prasad sirf prasad hai.
ab pranam karke jo aapko anukul pare ho aap kaha sab le lo thoda thoda sab le lo aur pa lo. Prasad pana hai. Hamara vrat hai prasad pana. Prasad ka kabhi prasad ko dekh to char parikrama prasad ki karen. Pehle jaise dali ai Radha vallabh ji ka raj bhog aaya to jo laya hai char parikrama karke pranam karke rona aa jaega rona aa jaega hriday prem se bhar jaega jo hriday prem se nahi bhar raha uska karan hai chhed hai kamnayen kamnayen kahin na kahin koi na koi anya kamnayen hain aur ham wo aadar nahi kar pa rahe apne isht ka prabhu ki prasadi mili chati se lagakar ro rahe hain.
mala mili use jeevan pran mankar ke ro rahe hain. Mere prabhu ne mujhe mala di. Ek Shyam shyama pad priti. Apne isht ka prasad, apne isht ka charanamrit, apne isht ka naam, apne isht ki charan raj, apne isht ka dham, apne isht ke premi jan ye sab pran priy lage to samjho hamari upasna pakki chal rahi hai. Shri Harivansh charan nij sevak vichle nahi chhan rasti. Sudarshan chakra keval hath mein hi nahi hai. Lal ji ke priyaju ke charan mein virajman. Charan chinnon mein chakra virajman hai. To jo in charnon ka aashray rakhta hai wah abhay rahta hai.
sharanagat abhay virad hamen nahi ki hamare priyaju ke hath mein neel kamal hai. Hamare priyaju ke charan chinnon mein itni samarth hai. Wo sab kar lenge. Kisi ke aur ki samarth ki zaroorat nahi hamen. Hamare gore charnarvind hi sarv samarthshali hai. Wah sab raksha kar aur kahe ki raksha karni? Unko apni raksha karni. Apni vastu ki raksha kar li. Ab wo raksha karen ya na karen unki vastu hai. Unki vastu ham unki vastu hain. Ham unki ho gayi hain. Hamara koi astitva nahi hai. Wo gale lagave ya pairo se ro de ya tiraskaar karen ya nazdik bulawe ya narak bhejen ya param pad bhejen.
mere ko is chapter se koi lena dena nahi. Ham unke hain. Bas yah baat baithane ki hai. Abhi nirbhay ho jaoge. Abhi nirbhay ho jaoge. Abhay ho jaoge. Ham unki hain bas. Shri Harivansh dharm pragat nipat ke taki upma ko na. Sevak ji maharaj kah rahe yah sarvopri dharm hai. Sahachari bhav sarvopri isse badhkar koi nahi hai. Purannon mein shastron mein gopi bhav se badhkar ke nahi. Panch bhav ki hi prayah charcha hai. Shant bhav, dasy bhav, shakya bhav, vatsalya bhav aur gopi bhav. Panch bhav ki shastron mein purannon mein charcha hai.
lekin yah agam nigam puran gochar ye sahachari bhav hai. Jisko Harivansh mahaprabhu ne prakt kiya. Swami haridas ji ne prakt kiya. Yah shri Harivansh ka dharm prakt dharm hai. Gupt riti hai. Par ise prakt kiya hai unhone. Yah rahsyamay hote hue bhi rahasya mein koi janta hi nahi sahachari bhav koi nahi janta aur aisa nahi ki yah bhav keval hamare hi sampraday mein hai jab bhakt namavli padhte hain to agradas nabhad sakhi sab Ram Sita ki agr devacharya ji nabha ji aadi ye sab sahachari bhav se sitaram ki upasna karte hain.
agradas nabhad sakhie sab Ram Sita ki aise apne sampraday mein atho pahar se priyal ko dular karte hue sahachari bhav se ye sahachari bhav shyama Shyam ka hitju maharaj ne prakt kiya hai shri Harivansh dharm pragat nipat taki upma ko nahi shri Harivansh ka dharm pragat dharm atyant rahsyamay hote hue bhi uske aacharan mein koi aisi kriyaen nahi hai jo shastr virudh ho. Jin kriyon ko ved nishedh karta hai, shastr nishedh karte hain, sant nishedh karte hain. Wo kriyaen prakt hai. Hamare prem dharm ke anusaar hai.
lekin vam marg nahi hai. Vedatit marg hai. Lekin ved ke pratikul marg nahi hai. Jo shastr puran hai unse upar ka marg hai na ki unke virudh marg hai. Virudh marg sharab pina mans khana gande aacharan karna gande vam marg mein gande ye sab bhav to bole shri Harivansh dharm pragat nipatta ki upma hai. Ham iska udaharan nahi de sakte ki Harivansh dharm jaisa amuk dharm nahi gopi janon ke bhi hriday mein shri Krishna ke aalingan ki ichchha rahti hai. Shri Krishna ka dharamrit pan karne ki ichchha rahti hai.
shri Krishna se ekant mein milne ki ichchha rahti hai. Lekin sachariyo ko shri ji aur lal ji ko ekant mein milane ki ichchha rahti hai. Shri lal ji ko jab dekhte hain na ki indra neel mani Shyam manohar sat Kumbh tan gori donon simhasaan mein virajman to ashirwad deti hai ya kanak bel mano tar tamal so arujh rahi to ashirwad deti hai unko sukh milta hai unke milane mein lal lalna mil to ha siravat mor taki upma ko na anya koi dharm aisa nahi jisse udaharan diya ja sake to ab is dharm ki prapti ka upay kya hai to bole sadhan tako sab nav lakshan takshin veg vicharat jah na iski sadhna hai shravan kathan sevan sumiran chit laav
archan bandhan aur dasan sakh aur atma samarpan ye nau lakshan bhakti shyama Shyam ki keval keval shyama Shyam ki shyama Shyam ka hi kathan shyama Shyam ka hi shravan inhi ka archan vandan dasan sakhya atma samarpan sab inhi ka anannya hokar navdha bhakti keval shyama Shyam ki bole takshin veg vicharat chahna tu tatkaal vichar kyon nahi karta arthat apni upasna ko nau bhakti se purn karke nau prakaar se shri shyama Shyam ka sevan karo shravanam kirtanam smrnam pad sevnam archanam vandnam dasyam sa atma
nivedan atma nivedan purn bhakti hoti atma nivedan jo ras riti sada aviruddha prasiddh virudh tajat kyon tahna jo pe dharm kahavat ho to dharm dharm samut kana shri Harivansh mahaprabhu dwara jo sthaapit ras riti hai wo aviruddha hai. Kisi ka virodh nahi karte. Jo ras riti sada aviruddha ved shastr puran agam nigam sabka phal hai prabhu se prem ho jana sansaar ke rag ka tyag ho jana aavagaman se mukt ho jana wo sab kuch ye ras riti pradan karti hai janm maran chakra se hata deti hai sansaar se ghor vairagya andar prakt kar deti hai jagte bhyo phire vairagi aur Vrindavan ras mein anuragi aur prabhu se apaar prem kara deti.
yahi to aviddha shastr ke aruddha baat hai. Shastr ke virudh kuch hamare dharm mein nahi hai. Shastrateet ras hai. Shastr ke upar ki baat hai. Shastr ka phal hai prem ho jana. Wahi prem ki baat to kah rahe hain. To bole jo ras riti sada aviruddha Harivansh chandra jo dwara sthaapit ras riti sada nirwirodh hai jiska virodh anya kisi ras riti ke saath nahi hai. Prasiddh virudh tajat kyon tahina jo bhakti virodhi aacharan hai unka tum tyag kyon nahi kar dete ho agar samjhna hai ki kya bhakti virodhi aacharan hai to iske liye Shrimad bhagwat hai Shrimad bhagwat gita ji hai shri sevak vani ji hai inko samjhiye to bhakti virodhi aacharan apne aap dur ho jaega aaenge uske aacharan mein to Shrimad bhagwat mein varnit prasiddh bhakti paddhti ka pathan kijiye, shravan kijiye, manan kijiye aur bhakti virodhi acharno ka tyag kijiye.
hamare dharm ke sahayak granth hai. Shrimad bhagwat aur shri bhagwat vani gita ji. Prambhik sadhak ko bhagwat ka aur gita ji ka adhyan karna hi chahiye. Jisse uski buddhi prakhar ho jati hai aur wah samjh jaata hai ki sab shastron ka sar prem hai aur prem ke virodhi baton ko samjh karke unka tyag karke wo apni ras niti mein sthit ho jaata hai. To sevak ji kah rahe prasiddh virudh tajatna jo shastron mein prasiddh hai ki nahi karna chahiye wo baat tum kyon nahi samjh rahe ho uska tyag kijiye jop dharm kahavat ho to dharm dharm samut kana yadi tum Harivanshi kahlate ho Radha vallabhi kahlate ho to Harivansh mahaprabhu ke dwara sthaapit ki hui jo dharm ki ras riti hai use bhaleebhanti kyon nahi samjhte ho jo pe dharm mein so nahi priti pratiti pramanat an na ivo ek hi riti saban sohet samiti samet saman na manwo yadi Radha vallabhi hokar ke Harivanshi hokar ke harivanshiyon se prem nahi hai keval harivanshiyon se jaise sabse to milte hain jaise milte hain.
lekin jab ghar wale milte hain to kaise milte hain? To ye ghar wale hain. Harivanshi ye ghar wale hain. Yadi hit dharm ke dharmiyon se prem nahi to apni nishtha ko pramanit karne ke liye anya sadhanao ki baten nahi dekhi jati. Aap Harivanshi hain. Is baat ka praman tab jab aap Harivanshi ko shri hariv hriday shital ho gaya. Ye Harivanshi hai Radha vallabhi ye shyama Shyam ka upasak hai. Ye dekhkar hriday mein priti umad jae uske liye. Kya karun? Kya aaj jaise hamare ghar koi bahut bada atithi aaya ho to ham ullasit hokar uski seva karte hain.
aise ham Radha vallavi Harivanshi atithi ki bhavna man lo andar koi aaya to yahan tak ki shri ji ki seva chhod dete hain. Dhruvdas ji ne varnan kiya hai ki yadi bhagwat premi mahatma ghar aa raha hai. Aap shri ji ki seva kar rahe ho to shri ji ki seva chhod di. Hath jodkar khade hokar unki agwani karo. Unki seva karo. Unko baitha lo. Phir unse anumati lo ki shri ji ko snaan kara de. Ek minute [gala saaf karne ki aawaz] mein phir aapke paas baithe hain. Aisi mahima Harivanshi upasna ke jo Harivansh dharmi jan hai unka aadar unki priti ki hai.
shri sevak ji maharaj kah rahe hain hit dharm dharmi dharm hone ke nate dharmiyon mein anannya nishtha chahta hai. Dharmiyon mein anannya prem chahta hai. Jo upasak dharmiyon se prem na karke upasna ke kisi ang par ya angon par jaise naam jap vani path aadi kya unko kya matlab hai inse guru bana liya naam jap kar rahe vani path kar rahe hain apne se bole praman nahi mana jaega unka ye prayas vyarth jaega aur koi unki adhyatmik pragti nahi hogi jo log ye kahte hain ki ham to sab logon se ek sai prem karte hain.
unko yah samjhna chahiye ki wah log jo priti samiti samta ki baat karte hain to unko anya sabke saman hit dharmiyon ko nahi samjha ja sakta. Sab tha milbo ek so gyani ki yah riti ye gyani ki riti hai. Lekin bhajni soi vivek so kare samjh ke priti ye premi jan sabse priti nahi karte sabka aadar sabka seva sabka sammaan lekin Harivanshi janon se vishesh priti baat su baat mile na praman prakriti virudh jugat ko thani wo shri Harivansh ke naam prem dharm dharm samjh kyon janbo jo log sabse ek saath prem karne ki cheshta karte hain ve dekhenge ki sabki baton se unki baat pramanit nahi hoti.
arthat sabka siddhant alag-alag hai. Iske karan hamara apna siddhant pusht nahi hota hai. Sabse hamara siddhant nahi pusht hota hai. Isliye baat so baat mile na praman. Baat se baat ka praman nahi hota. Baten bana rahe ho. Sab jagah ek hi bhagwan hai sab jagah hamen pata hai hamen pata hai search param swadhya buddhi mam lekin ye hamari upasna ki nishtha hai ki ham apne isht ke siva bole isht sarvatra hai wo aapki buddhi mein jo baitha hai wo hamare andar mein pehle se samjh mein aa chuka hai hamari jo buddhi hai wo yah nirnay kar chuki nirnay karke is rup mein aasakt hui hai ab is rup ki aradhna hogi.
yah samta sab sansaar mein mamta nitya vihar mein isliye hamari prakriti virudh jugat ko than wo ab wo apni mitrata nirvah ke liye apni nishtha ko radheshyam kar dete hain. Swaha kar dete hain. Nishtha ka hi to chamatkar hai. Nishtha ka hi chamatkar hai. Dwarikadish ke darshan nahi kiye vitthal das ji ne. Jagannath ji ka prasad nahi paya rup goswami ji ne nahi itne tejasvi goswami bahut tejasvi sakshat harivant mahaprabhu ka pratirup mane jaate hain ruplal goswami ji to ab sahsa koi unko aise to dant nahi sakta tha ki aapne prasad kyon nahi paya to Radha ke paas shikayat hai ki Vrindavan se goswami aae hain radhavallavi unhone mahaprasad ko se mathe se laga liya unhee ko de diya liya bhi nahi masta laga liya leke ham kya karen to pratya ek kaval dala prasad ka hai ki kam se
kam lekar ek dana to muhn mein dal lo to aadar ho jaega par unhone mathe mein lagaya muhn mein nahi dala raja ke paas shikayat ye kaise vaishnav raja ka adhikar hota hai sabse jankari karne ki prashn uttar karne ki unki kshamta nahi hui ki goswami ji ko darbar mein bulaye unse baat karen to unka Jagannath ji se pooch liya jae na to ratri mein unke kuch aise sevak jan hai jinko sulaya jaata hai koi baat Jagannath ji adesh karne ki koi baat hoti hai to aisa kiya jaata to Jagannath ji ne unko swapna mein adesh kiya ki bhaiya ham jinki juthan khate hain unki juthan khane wale shri ji ka adhramrit par kar le bole ye rasikanya hai ye shri ji ke jan hai inse mat bolo bolo inko mat bolo.
ye jo kar rahe hain theek kar rahe hain. Ye ladli jo ke anannya jan hai inki sab unko bade aadar se bade bhav se dekha ki kis bhav se hamen dekhna ham sahachari hai swamini jo ki agar hamari swamini isliye hamara zyada vihaar nahi ban pata. Apne logon ka jo vastvik to vihaar nahi ban pata ki aao baitho jalpan khanpan khanpan to kijiye rasik mandli ma jinke aur upasna tahan uchit dhruv na spasht varnan kiye sakhi kahat aap gat jahan tahan ann khaat sakhi kahat aap gat shri ji ki keval juthan sakhi kahat aap gat jahan tahan ann ann khaat jahan tahan ann khaat jahan tahan ke paywe bhajan tej ghat jae nishtha nahi rahegi nishtha ka hi to sara chamatkar hai nishtha ka hi hai to un sabke saath tatv vichar karke apne dharm ki sahaj prakriti ki vridh yuktiyan thanni padegi haan mein haan milani padegi ham shreshth nahi hai lekin ham shreshth marg ke pathik hain to hamare marg mein jo niyam kanun hai ham apne niyam kanun se chalenge.
accha aisa nahi ki koi naya ho. Anadi kal se shyama Shyam nitya vihar kar rahe hain. Koi aaj se kar rahe hain kya? Unhee ki upasna to hai jo anadi hai anant hai jinki mahima ka gaan ved neti neti kah ke kah rahe hain raso vaisha wahi ras ki hi murat do rasik ladli lal ras hi sosat ras bhare nain vishal jin logon ko shri Harivansh naam se prem nahi hai wo Harivansh dwara sthaapit dharm ko hit dharm ko samjh nahi sakte jai jai shri Harivansh jai jai shri hariv Harivansh naam se prem ho hi jaega apne to prichay nahi unhee ki kripa se shri Harivansh ke naam na prem dharm dharm samjh kyon janbo pratham naam Harivansh hit rat rasna din naran priti riti tab pai aru Vrindavan pratham naam Harivansh hit jab naam rat karo karoge Harivansh naam to aap ras riti jagrit ho jaegi.
shri Harivansh vachan pramanik sakat sang sab jo basarat sanskriti maajh bariyai ke payo jo manush deh vathakat darat sakat hari vimurkh aur shaak upasak phir bhul gaye sab ki tum kaun ho tum Harivansh ho tum Priya pritam ke anannya ho Priya pritam mein bhi priyaju ke anannya shri Radha charan pradhan pradhanata kishori jo ki agar kishori jo nahi hamari drishti nahi hai hamari drishti hamari bhavna hamari shraddha hamari ladli ji ko lekar ke hamari shri ji ko lekar ke isiliye bhagwat rishik ji se kahte hain nark swarg apvarg as nahi tras hai ek bar kudo na pyar mein ye jo dar bana rahta hai samaj ka aur ye sammaan pratishtha bhav sab ye un logon ki hai jo samaj ko lekar chalte hain jo dharm ko lekar ke chalte hain hit dharm ko lekar unko nahi hogi.
prem ko lekar ke jo chalte hain unke andar parvah nahi hoti. Yah jo ashiki hai prabhu se itni sasti nahi hai. Ismen sauda pura prannon ka dena parta hai. Bandgi tere bas ki nahi hai. Kya hai saude? Ashiki itni sasti nahi hai. Ashiki itni sasti nahi. Ye ashiki ka marg khula ekdam ashiki shyama Shyam se prem. Keval shyama Shyam se prem. Sakat sang sab jo vishal kai kai din bhukhe rahe jab vichran kiye hamare bade-bade mahapurush us ganv ka pani bhi nahi piya jis ganv mein ek dixit nahi hai agar vaishnav diksha liye hue hai tab to us ganv ka pani pi lenge nahi ganv ka bhi pani nahi piya khane pine tabhi to rang nahi aa raha na rang nahi aa raha manmani aacharan manmani sab anannya nishtha pativrata jaise se waise hi dharm hai.
to isiliye birla hi is dharm ka nirvah kar pata hai. Lekin birla wahi hoga jo satsangi hoga. Ab jo aap sun rahe ho ye vyarth thodi jaega. Ye aapke dimaag mein baith jaega. Ye dimaag mein baith jaega aur ye aapko unnati pradan karega. Aapko apne dharm mein dridh karega. Arba ras riti priti chitna tarah jit visham sansaar keerta jag vistare yah sab hoga. Prem lakshna bhakti bade anand hitkari aur Vrindavan vas sakhi sukh ke adhikari ye jo charchaen hain ye aapko ye sab kuch pradan kareng are aap jab prem kar liya to phir kya lena dena kya lena dena ye to shyama Shyam se prem hai aur sansaar mein dekho jabki wo malin hai malin mein phir kya lena dena kisi se phir nikal padte hain sansaar ko chhod ke har kasht pane ke har dukh sahenge, har kasht sahenge lekin aapke siva ham ji nahi sakte.
nikal padte hain. To aise ham prabhu se ek bar pyar karen. Apne shyama Shyam se pyar karen. Anya shabd hari Ram vyas ji ne bahut sundar sundar varnan kiya hai sakat ke liye ki nahi bole sinh se bhet lo. Sakat ko chuo mat. Sinh ke gale lag lekin sakat ke gale mat lag jo bhagwat vimurkh hai bahut andik isiliye sache radhavallavi ka ye prakaran hai pake dharmi matlab sache Radha vallabhi ka sanskriti ma bariyai ke payo jo manush deh vatha kat darat bole jo tumhen manushya deh diya hai shri Radha vallabh lal ji ne badi kathinata se diya hai.
sanskriti ke chakra ko rog ke beech se nikal liya. Sanskriti maj jo chakra chal raha hai bar-bar punarp jannam punarp maranam punarp janani jathare shayanam ye chal raha hai. Use rok diya aur beech se nikal diya. Manush deh ab vritha katar ab bekar kyon kar rahe ho yar? Iska labh lo. Manushya deh ka labh hai shri ji ke anannya ho jana. Isht ke anannya ho jana kyon na karat dharm in ko sang jani bikat aa vicharat jo pe dharm marammi ho to dharm na sokat antar parat apne dharm ki jankari ke liye apne dharm ki pushti ke liye apne dharm ki siddhi ke liye tumhen apne hi dharmiyon ka sang karna chahiye.
so kyon nahi karte ho? Dharmiyon ka sang karo. Anya ka nahi. Aur sab baton ko samjh karke bhi apne dharm ke virudh baton mein kyon man lagate ho? Jab jante ho ki hamare dharm mein sweekar nahi hai to mat sweekar karo. Wo naraz hoga uske liye ham narajgi ki prasannata ke liye ji rahe hain ki shri ji ke liye ji rahe hain ham apne shri ji ke liye ji rahe radheshyam shri hari yadi tum samajhdar ho jop dharm marammi marammi mane maram ko samjhne wale ho to dharm so katantar par phir apne hit dharmiyon se tum duri bana ke kyon rakhte ho unka sang karo unka sang karo jo pe dharm dharm kaho jo karo jo dharm dharm kaho jo karo to dharm sang bote ap punarbhav swarg jo nahi barabar to sukh mat kaho kabte yadi tum hamari Radha vallavi upasna ki dharm ki baat to sabse bada dharm hai shri shyama Shyam ke charnon mein prem prem karne walon ke charnon mein prem karna.
hit dharmi se prem karna sabse bada dharm hai. Isi se shri ji ki prapti ho jaegi. Jo dharm dharm kaho jo karo to dharm yahan sabse bada sadhan kya bataya gaya? Dharman sang bote. Sabse bada sadhan hai hit dharmiyon ka sang karna. Jo Radha vallavi hit dharmi hai unka sang karna. Bole iske barabar na swarg hai na moksh hai to phir mrty lok ke sukho ki kya baat kahe yadi dharmiyon ka sang hua to wah sukh milega jo moksh mein bhi nahi hai aur swarg aur mrityu lok ki to baat hi kya kaho kahe praman vachan bisarat premi anannya bhae jab te tab shri Harivansh ka jo kripa kari sancho prabodh sunyo ab te shri Harivansh ju Shyam shyama pad kamal sangi sir nayo tena vachan manat guru drohi nish din karat apno bhyo shri Harivansh chandra jo ke dharm ke anuyai premi anannya banne ke baad yah batao ki tum shri Harivansh ki pramanik baton ko kyon bhul rahe ho?
yadi tum Harivanshi ho to Harivansh ki agyaa ka ullanghhan kyon kar rahe ho? Apne jeevan kal mein shri Harivansh chandra ji ne apne sharngat ko pragat mein updesh kiya hai ki hit dharmi ki upasna karo. Jaise hari Ram vyas ji ko updesh kiya tha. Kaha ki sancho prabodh sunote suno Harivansh mahaprabhu ne kya updesh kiya tha shri Harivansh ji ne kaha kripa karke ki ye maine apna mastak shri shyama Shyam ke charan kamal sangi rasik janon ke charnon mein jhukaya hai yahi tumhen karna hai pure jeevan hari Ram vyas ji ne isht mana bhakton ko Shyam shyama pad kamal sang sir nayo shri Harivansh jo kahi Shyam shyama pad kamal sang sir nayo ten vachan malat guru drohi jo apne guru ki agyaa ka palan nahi karta use guru drohi kahte hain aur guru
drohi ko nark ki prapti hoti hai apne Gurudev Harivansh chandra ju ne agyaa kari Shyam shyama pad kamal sangi sir nayo ten vachan manat guru drohi nish din karat apno bhyo apne manmani jo accha lagta hai raat din wahi karte ho Harivansh chandra ji ki agyaa ka palan nahi karte Radha vallabh lal ko hriday dhyan mukh naam Shyam shyama pad kamal sang sir nayo nijmantra chaturasi ji apni manmani karte ho iska matlab hai tum guru drohi ho tumhara patan ho jaega tum nasht ho jaoge aur tumhari durdasha
ho jaegi hit vihaar na ut paramarth beech hi beech jo janm gavayo na vihaar ke rahoge na paramarth ke rahoge beech hi mein beech mein tumhara janm vyarth nasht ho jaega jo dharm so priti karat nahi kaha bhyo dharm jo kaha ab sevak ji maharaj karo shri Harivansh upasak sang rang jo shart hai jo priti tarang surang baho ab aur savdhani Harivansh upasak sang mein ye nahi ki Harivanshi kanthi tilak lagae hai aur manmani aacharan karta aap uska sang karo nahi karo shri Harivansh upasak sang jo priti tarang surang bhyo karo shri Harivansh ki riti sab kul lok virudh jui sahyo tum jo mahadhury ras ujjwal shringar ras ke prem tarang mein baha hua upasak hai unka sang karo karo shri Harivansh upasak sang Harivansh upasak sang karo kaisa jo priti tarang surang baho jo Priya pritam ke mahadhury ras mein har samay chhaka hua hai.
Priya pritam ke prem rang mein duba hua hai. Aise upasak ka sang karo. Agar matlab mahaprabhu ki baat manani sabse bada sadhan sabse badi agyaa Shyam shyama pad kamal sang sir nayo. Agar yah baat nahi to ten vachan manat guru drohi mukh mein Radha vallabh shri Harivansh sir hit dharmiyon ke samne jhuka hua hamare ghar ke hain hit dharmi atho pahar naam vani mein rat puri ras riti hai karo shri Harivansh ki riti sab kul lok virudh jui sahyo kul riti ved riti iske virudh tumhen hit dharm ras riti ka palan karne ka bhai kul riti ko chhoda ved riti ko chhoda aur hit dharm ko sweekar kiya lok virudh kul virudh bhai kul ke karm alag hai lok ke karm alag hai ved ka alag karm hai in sab ke virudh virudh ka tatparya hai in sabka tyag ab inka tyag karke tum hit dharmi hue ho aur hit dharmi ki agyaa ka palan nahi karoge to kaise tumhen vastu ki prapti hogi karo shri Harivansh ke naam so priti ja naam pratap dharm lo jo dharm dharm swaroop lo basro jin shri Harivansh kaho jiske jiske pratap se tumne dharm ki prapti ki hai us shri Harivansh naam se priti karo.
shri Harivansh chandra ji ne apne dharmi dharm ka jo swaroop batlaya hai usko kabhi bhulo nahi. Naam vani shyama Shyam ke anuragi janon ka sang atho pahar seva yahi hamari ras riti hai. Khub naam se prem karo. Shri Harivansh dharm janat priti ki granthi ta mili kholat shri Harivansh dharm maajh dharm mein suhat dharm le bolat samajhdar upasak shri Harivansh dharm ke gyata rasik janon ke samne hi apni priti ki gathri kholta hai. Arthat apne prem sambandhi charcha anubhav yah sab vyakt karta hai nahi to gupt rahta hai.
apni priti ko hriday mein gupt rakhna chahiye. Yahan tak ki ham jisse pyar karte hain, wah bhi na jaan paye ki ham itna pyar karte hain. Yadyapi hatkar ke charcha hai. Par ek sakhi bai ji se hanuman prasad podar ji se bahut pragat mein kabhi mili nahi thi. Unki chavi dekhi aur unki vani padhi. Naveen avastha ki thi. Usne bahut hriday se than liya ki yahi hamare pritam yahi hamare sarvasv ab dason varsh ho gaye. Akele kamre mein rahna raat din naam jap karna. Bhai ji ki keval chavi rakhi aur unhin ki aradhna man mein tha ki kya kabhi ek bar main bhai ji ko dekh paun bas ek bar pragat mein dekh lun jeevan mein hamari aur koi asha nahi rahegi.
to bhai ji ne tirth yatra ki ek train nikali thi jismen sab bhakt jan milkar ke aaj amuk jagah aaj amuk jagah to ek jagah train ruki bhai ji utre akele aur sabko roka ki aap log rukie yahi train apni thi kyonki wo koi sarkari hisaab se chal nahi rahi thi to bhai ji ke hisaab se chal rahi thi tirth yatra ki train bhai ji sidhe uske ghar gaye darwaza khatakhtaya. Aaj tak kisi ne darwaza uska nahi khatakhtaya tha kyonki ghar mein itna surakshit vyvasthit rah rahi thi. Usko laga aa gaye. [gala saaf karne ki aawaz] premi ki yahi sthiti hoti jaise viduradi ki navyuvti thi.
darwaza khul dekho dhoti kurta chashma laga. Ab uski kya dasha hui hogi? Wo to wahi janti hai chilla chilla kar rone lagi kyonki asha purti hui na bhai ji ne se lagaya dhan baitho aur kahe ki main kaise aapka pujan karun matlab na sharir mein samarth rah gayi hai na buddhi kam kar rahi hai karna chahiye par kaise karun mujhe kuch pata nahi thodi der bhai ji baithe tirth yatra mein dekha apni chavi simhasaan par rakhi hai. Bhai ji ne kaha hamen janti hai to kaha kalyan se padh ke aur yah photo hamen aapki mili isliye aradhna aapka lakshya kya hai?
kaha aapko prapt karna aur wo kar liya. Aap hamare yahan aae. Ab mujhe aaj ke baad kuch nahi chahiye. Shyama Shyam sab kuch mujhe mil gaye. Bhai ji se kaha ki main aapke charnon mein nivedan karun. Bhai ne kaha meri asha purti karoge? Haan. [nak se ki jane wali aawaz] aaj ke baad dobara mat ana. Kya prem kya gazab ka prem kaha aaj ke wakt bhai ji ne kaha kyon aap aoge koi jaan jaega ki ham aapse prem karte hain aap aoge char log aaenge gita pres ke saath aaenge hamari baat chhapegi main nahi chahti ki hamare aur aapke prem ko koi jaan sake keval aap jano aur keval main isliye aaj tak main aapki chavi ke sahare jiti rahi age bhi pure jeevan bhar jiti rahungi.
aap dobara kripa mat kijiye. Ek bar meri asha thi wo le aae aapko yahan tak. Ab dobara bhai ji uska varnan kiya. Pad ratnakar mein pad bhi likha uske liye aisa prem aisa tat sukh bhav aisa ekantik prem to kah rahe hain ki shri Harivansh dharm mujhe janat priti ki granthi tah mili kholat wahi baithkar apne prem ki baten nahi to prem ki Priya pritam ab koi Harivanshi to uske hriday mein kitni umgan hogi. Hamari Priya ji ka kitna bal hai. Hamari Priya ji ka kitna pratap hai wo ekdam shri Harivansh dharm ma dharm suhat dharm le bolat shri Harivansh dharmi ka Harivansh dharmiyon ke beech mein hi shobha pate hain.
ve apne dharm ki baat kah sakte hain. Apne dharm ki charcha kar sakte hain. Nahi to yah dharm jo hai kul riti, lok riti, ved riti in sabse upar ka hai. Jo inka palan karte hain unke beech mein ham kaise baithkar ke is upar ki charcha kar sakte hain? To ye baat kaise samjh mein ave? To bole shri Harivansh dharm kripa kare. Tasu kripa ras madak dolit. Shri Harivansh ki vani samudra ko meen bhyo jo agadh kalolat jab kisi par Harivansh dharmi rijh jaata hai aur us par kripa karta hai hriday se to us kripa ras mein uske madakta chadhti hai Priya pritam ki wo mast ban jaata hai kripa se hi hua hai bhaiya.
nahi to hamara parivartan hona bahut kathin tha. Bahut kathin tha. Hamne apne swabhav aur swaroop donon ko jana hai. Bahut kathin tha. Is dushman ke upar ham aise chadhe rahe jaise jisse bahut dushmani ho na aur usko girae pa jae to phir uski chati par chadhe. Aise zindagi bhar iski chati par chadhe rahe. Man par man pe ab use free kar diya hai. Shri ji ke hawale karke free kar diya hai. Ab hamen matlab nahi hai ki aap hamse kya karva rahe ho? Kya ho raha hai, kya nahi jo chaho jaise chaho jaise to kabhi-kabhi jab sanyaas ka rukh aata hai tab puri drishti aise dalte hain tab lagta hai isko sanyam ki zaroorat hai.
isko tap ki zaroorat hai. Tab lagta hai kisko? To bole apne man ko apne tab lagta nahi ye to shri ji ko de diya yar to kya zaroorat hai to shri Harivansh dharm kripa kare tasu kripa ras madak dolit Harivansh dharm mein kripa kar de to unki kripa se ras madak dolit ras mein unmatt hokar ke dolta hai aur shri Harivansh ki vani samudra ko meen bhyo jugad kalolat shri Harivansh ki vani kya hai samudra aur rasik upasak ka man kya hai machhli uska man chaturasi ji mein aise kilole karta rahta hai Harivansh ki vani rupi ras samudra ka meen ban ke wo khub anand khub gahraiyon mein jakar ke doob kar ke rup ras madhuri ka pan karta rahta hai khub kilole karta hai vridh sanyam karm sudharma jite sab shuddh virudh pichhanat hai apni apni kartuti karen ras madak shankh na aat hai [nak se ki jane wali aawaz] shri sevak ji maharaj kah rahe hain ki jo is prakaar sache pakke Harivanshi ho gaye hain wo vrat sanyam karm dharm ye sab hit marg ke virudh hai.
yadyapi shuddh hai sabke liye bahut sundar likha vrat sanyam karm sudharma jite sab shuddh sab shuddh hai shastr pramanit hai lekin virudh pichhanat hai hamare liye virudh hai hamen nahi karm dharmsa apni apni kartuti karen ras madak shankh na aat hai apne man mein jo aaya koi sanshay nahi wahi kartut karte hain jo shri ji ko man samarpit hai to man mein aaya ki aaj phool bangla banate hain man mein aaya aaj byala karte hain ye man mein aaya man mein aaya aaj shri ji ko amuk amuk bhog pawate chalo astri ji ko van vihar karate aaj ye man mein aur na soch lena ki apni apni karuti kare ras madak sang hai aisa nahi hai shri ji ke prati samarpit apni apni bhajan kriyaen samajhdar dharmiyon ko apne ras ki mat bana dene wali kshamta par purn vishwas hota hai aur mat vyaktyo ke liye koi vidhan nahi tha jab jis samay jaisa manaya vaisa apni kartut karen rasmadak shankh naam Harivansh gira ras riti prasiddh pratiti pragat pramanat hai bal jaun apan dharm inki je dharm dharm janat hai shri Harivansh vani shri 84 jo mein
varnit ras riti se wo sarwavidit hai. Samajhdar dharmi isi ras riti mein apni pratiti vishwas rakhte hain. Pratham pankti ye hamari kasauti hai. Joi pyaro kare soi moh bhave. Ye kasauti hai. Prashn nahi uthna chahiye. Aisa kyon? Prashn nahi uthna chahiye. Wah samajhdar dharmi chaturashi ji mein varnit ras riti ko jante hain aur usi ras riti se vishwas ko pragat rup se pramanit mante hain arthat spasht rup se wo ghoshit karte hain. Wo cheshta karte hain. Usi mein raman karte hain. Ghoshit matlab nirbhay hokar garjan karna.
mujhe aur kisi se koi matlab nahi. Posit karna, ghoshit karna, nirbhay hokar usi par vichran karna. Atah dharmi dharm ko samjhne wale apne aise dharmiyon ki main balhari jaata hoon jo Harivansh dharm ko jante hain. Harivansh dharmiyon se prit karte hain. Harivansh dharm ka nirvah karte hain. Harivansh dharm sunant jo chati sirat dharman ki dharm sunant prasann hue bolat bolan mithi dharm inki shri Harivansh dharm sunant ye jo aap sun rahe ho ye usi ko accha lagega jo Harivanshi pakka hai chati shital hoti chali anand magan bilkul masti aa jaegi ke aaj apne ghar ki baat sunne ko mili hai.
shri Harivansh ke dharm ko shravan karke jo sache radhavallavi hain, Harivansh dharmi hain, unka hriday shital ho jaata hai. Aur dharm ko sunte hi ve dharmiyon ki sahaj swabhavic mithi bolan mein prasann hokar bolne lagte hain. Apni ras riti ki baat dharm sunant pulkit man ho bali premi dharm inki jo dharm sunae dharm hi janchat chaho kripa jo dharm inki main pakke harivanshiyon ki balhari jaata hoon jinki romavli dharm ka shravan karte pulkit ho jati hai aur main un pakke harivanshiyon ki kripa chahta kahta hoon jo dharm sunkar dharm sunakar dharm prapti ki yachna karte hain.
jo dharm ka updesh karke dharm ki hi chah karte hain. Yahi baat hai. Dharm sunae rupaiya janchat. Dharm sunae pratishtha janchat. Ye nahi dharm sunae dharm hi janchat. Main is dharm ka gaan kar raha hoon. Iska phal yah ho ki dharm hamare hriday mein prakashit ho. Badhe, phule aur fale. Shri Harivansh prasiddh dharm samjhe na lap tap samjho shri Harivansh kripa sevhu dharman jap dharmi binu nahi dharm na binu dharm jo dharmi shri Harivansh pratap maram janah je marmi shri Harivansh ka dharm sansaar mein suprasiddha hote hue bhi alp tap wala ise samjh nahi sakta.
shri Harivansh prasiddh dharm ye suprasiddha dharm hai. Prem dharm hai. Samjhe na tap thodi tapasya wala nahi samjh sakta. Is dharm ko samyak rup se samjhne ke liye shri Harivansh ki kripa se shri Harivansh dharm ke dharmiyon ka seva karna unki aradhna karna sev dharman age likha hai jap dharmiyon ka naam sumiran karna bahut labh mil dega apne dharmiyon ka naam agar agar janna chahte ho to 42 leela ke akhiri bilkul panne pe jai jai shri Harivansh jismen piche likha narvahan ke pran jai jai shri Harivansh haan wo yad ho jae aur roz subah subah kaho bahut labh milega usse Shri nag haridas ji ke pran jeevan dhan jai jai shri Harivansh bahut sundar bahut to Harivansh dharm ko samjhne ke Harivansh ki kripa manakar Harivansh dharmiyon ki seva aur Harivansh dharmiyon ka kah rahe dharman jap dharmiyon ka sumiran karo dharm dharmiyon ki aradhna karo is rahasya ko shri Harivansh ke pratap se marmi arthat sukshm drishti rakhne wale log hi samjhte hain.
dharmi binu nahi dharm aur na binu dharm jo dharmi shri Harivansh pratap maram jane je marmi dharmi binu nahi agar ye dharm nahi hai to keval kanthi tilak lagane se aur Radha vallabhi nahi ho jaega aur agar Radha vallabhi rasikon ka sang nahi hai to dharm nahi hriday mein aayega dharmi binu nahi dharm na binu dharm jo dharmi shri Harivansh pratap maram jane je marmi dharmi ke bina dharm ki sthiti nahi aur dharm ke bina dharmi ka astitva sambhav nahi. Is rahasya ko shri Harivansh ke pratap se marmi arthat sukshm drishti rakhne wale rasik jan jante hain.
shri Harivansh naam dharmi juti tan sharanya santat rahe sevak nish din dharman mile shri Harivansh sujas kahe shri Harivansh naam dharmi jo jin sharan mein sant rahe seva din dharm mile shri Harivansh sevak ji kahte hain ki jo upasak shri Harivansh naam ke dharmiyon ke prati prem rakhta hai shri Harivansh naam dharmi juti aur unki sharan mein rahta hai tin sharan santat jo Harivanshi pakke Harivanshi hain jo unse se prem karta hai aur unki sharan mein rahta hai. Sevak nishdin dharm mile shri Harivansh sujas kahe. Sevak ji kahte hain raat din dharmiyon ke saath milkar shri Harivansh ke sujas ka varnan karta hai.
is prakaar se teva prakaran pake hit dharmi prakaran vishram ko prapt hota hai. Jai jai shri pake dharmi prakaran ki jai jai shri hit
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- bhajan ka sacha swaroop ! //27/09/2026 — guru nishtha ke liye aapne ya guru samarpan ke liye jo abhi batchit ki hai to bade chode mein aur khule mein aaj sab charcha karte hain. Ham log kahan asfal kyon ho jaate hain maharaj ji kyon aisi accha…
- ananyata se hi hoga sab kuch prapt ! // 26/09/26 — ham log bhagwan ke sharanagat jan hai. Priya lal ke sharanagat jan hai. Lekin sharanagati ka rahasya na janne ke karan bahut varsho tak ya janm pura vyatit hone tak hamara jo bhagvatik anand hai wo spurit…
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…