॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

dainyta hi durlabh sthiti ka dwaar / bhajan ke baad bhi Bhagwad prapti mein vilumb kyon? // 29/03/2026

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

vrindavnshvri tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvapay param shital mashyam param shital maya jahan jahan charan parat pyari ju tere tahan tahan man mero karat phirat parchhai pyari ju shyama ju jahan jahan charan parat pyari ju tere tahan tahan man mero karat phirat parchhai bahut murti meri chanvar dhuravti ko bi khwa ek kab arsi le ja aur seva bahut bhantin ki jaisi ye kahe kusi ye karo ja ruchi jano ja shri haridas ke Swami shyama ko Shyam ko bhale manavat dai upa shri haridas ke Swami shyama ko bhale manavat dai jahan jahan charan parat pyari ju tere tahan tahan man mero karat phirat parchhai tahan tahan man mero karat phirat parchhai ye bhagwat marg buddhi ke dwara nahi jana jaata buddhi ke dwara aap apne aap ko bhi nahi jaan sakte phir aap jinke ansh hain unko kaise jaan sakte hain buddhi prakritik hai.

keval prakriti ko bhi ek sima tak jaan sakti hai. Asim prakriti ko nahi. Phir aisi anant shaktiya jinki hai un paramatma ko kaise buddhi jaan sakti hai? Bina sadhan ke padh likhkar keval shastron se koi bhagwan ya bhagwat tatv ka bodh ya nirnay nahi kar sakta. Agar aisa hota to jitne bhi maha bhagwat tapasvi jan rishi jan brahm rishi jan inhone phir vyarth mein itna tatiksha ki itna kasht saha sanyam se rahe aap manmani bhojan karen manmani aacharan karen aur brahm tatv ko jaan jae bhagwan ko jaan jae tumhari buddhi shraddha aur vishwas se paripakva ho jae asamabhav jab tak aapka kisi mahapurush se antarik sambandh nahi hoga.

jab tak aap kisi mahapurush ki agyaa mein sadhan paraayan nahi honge. Tab tak aapki prakritik buddhi paramatma tatv ka nischay karne ki yogyta hi nahi rakhti. Bhogeshwar prasakta naam taya chet vyavsayatmika buddhi samadh na vidhte shri bhagwan ke vachan hai jiska chitt bhog aur aishwarya ne aprit kar liya hai uski buddhi kabhi paramatma prapti ki yogyta hi nahi rakhti usmen nischay hi nahi ho sakta aur aisi bahulyta hai jo bhagwan ko bhi ek kalpna mante hain aur maya ki kalpnatmak vritti ko satya mante hain.

isliye upasak savdhaan jo shri bhagwan ke tatv ko nahi jante, jo shri bhagwan ki mahima ko nahi jante, jo shri bhagwan ko nahi mante, hamen unmein bhi bhagwat bhav karke unse duri bankar rakhni hai. Sharir bhale samip rahe kisi sambandh ke karan lekin chitt keval chit chor prabhu ko de. Tabhi jeevan sarthak ho sakta hai. Nahi to maya ne aise parde laga rakhe ki aapko bhram ho jaega ki bhagwan hai bhi ki nahi. Aise bhramtmk purushan ka sang apne sat marg mein bahut badi badha khada kar dega ki aradhya dev pe hi sanshay ho jaega aur sanshyatma vinashyati uska patan nischit ho jaata hai kyonki is phislan wali maya mein koi rokta hai to vishwas vishwas hi kan-kan mein virajman sarvatra virajman paramatma ko prakashit kar deta hai.

vishwas jitna dridh hota jaega utna hi paramarth pusht hota jaega. Satsang se shraddha aur vishwas badhta hai, pusht hota hai aur uski raksha bhi hoti hai. Kusang se shraddha vishwas nasht ho jaata hai. Paramarth dhak jaata hai. Bhagwan kalpna lagne lagte hain. Isliye upasak aise janon se dur bana ke rahe jinke sang se kumti ka badhava hota hai. Jake sang kumti mati upjey karat bhajan mein bhang tajo re man hari vimukhan ko sang ye jo hari se vimurkh jan hain ye bhagwan ke rahasya ko nahi jante hain kyonki bhagwan ke rahasya ko janne ke liye bhagwan mein abhinnn hona sansaar ke rahasya ko janne ke liye sansaar se bhinn hona atyant avashyak hai.

to sansaar mein abhinnn hokar bhagwan se bhinn bhav rakhkar kabhi koi nahi jaan sakta. Na sansaar ko na shri bhagwan ko. Yah siddhant hai. Sansaar ko janna hai to iska tyag karke jana jaata hai. Aur bhagwan ko janna hai to tanmaya abhinnn hokar jana jaata hai. Ye bhagwan se bhinn sansaar se tanmaya kaise jaan payenge? Na sansaar ko na bhagwan ko. Isliye upasak ko bahut savdhani ki zaroorat hai. Jake priy na Ram vaidehi tajie tah koti baireesham yadyapi param snehi yadyapi wo param sambandhi hai snehi hai par wo prabhu se shraddha bhav nahi rakhta hai to hamen andar se uska bilkul kisi tarah ka sammaan priyata yah nahi rakhni agar ham tanik bhi sammaan denge to wah hamare paas baith baithega hamare kano mein jo nahi padna chahiye aise shabd sunaega.

agar ham priyata rakhte hain to uska asad bhav hamare par aakraman karega. Nirliptata hi paramarth ki siddhi hai. Jo jitna nirlipt arthat mamta rahit asakti rahit hai wah utna hi paramarth mein sudridh bhav se chal payega. Isliye upasak kalikaal hai. Satsang milna durlabh hai. Kusang ki bahutayat hai. Satmarg par chalna bahut kathin hai. Asat ka drama bahut hai. Maya ki nautanki bahut hai. Lekin sataarg mein chalna bahut kathin hai. Samyak bodh hona yah bahut durlabh baat hai. Kisi ek ang ko jaan ke anya ki ninda karna yah alpagyon ka swabhav aur prabhav hota hai.

jahan prem ras mein pravesh pane ke liye ved ka bhi tyag hai. Lok ki tyag ki kya baat? Vedan sanyasta swayam bhagwan ki swason se bhagwan ved ka pradurbhav hua. Wahi bhagwan shri Krishna chandra ji ke rup mein kah rahe hain. Trigun vishya veda nigun bhav arjun jahan ved trigun ke antargat ki baat karte hain unka tyag kar do aur trigunnatt ho jao vedatit ho jao. Samyak bodh na hone ke karan wah ek siddhant ko pakadkar anya sab ki ninda karne lagta hai. Wah alpgya hai. Kahin bhi kisi bhi siddhant ki ninda karne ki avshyakta nahi.

kyonki sab siddhant, sab marg, sab upasnaen usi ek paramatma ki hai. Apni upasna ko apne liye sarvshresht man karke tanmayata purvak usmen lago to aapko pata chal jaega ki ek hi hai jo anek rupon mein bhas raha hai. Agar ham kisi ki ninda karte hain to ham apne aradhya dev ki karte hain. Apni atma ki ninda karte hain. Nahi samjh pate agyani jan isliye sang bahut soch samjh ke kiya jae. Kisi bhi rup mein kusang ho sakta hai. Koi bhi ho jo hamari mati ko hamare isht ke naam rup leela dham seva swadhyay inse vilag kar de wo bhari kusang maya kusang faila rahi hai.

bhakti ka satsang gyan ka satsang ashtang yog ka satsang karm yog ka satsang bhagwan ne kyon varnan kiya? Ek hi baat kah dete alag-alag mati hai, alag-alag swabhav hai. Uske anusaar wah sadhna sweekar karega. Pahunega usi paramatma ke paas. Rasaswadan ka bhav bilag hai. Tatv mein nahi. Ye agyani jan ek paksh ki baat jankar anya pakshon ki avhelna aur ninda karte rahte hain. Aise janon ki baat nahi sunni jo sadhan paksh mein dridh hai wo savdhaan rahe ki kahin sadhna ka ahankaar na aa jae. Nahi bhrasht hone mein der nahi lagegi.

jo aashray paksh mein dridh hai wah nishcint ho jae kyonki aradhya dev usko sambhate hain. Aashray paksh se jo sadhna banti hai bahut hi param pavitra sudridh aur danya hoti hai. Isliye aashray guru ka aashray bhagwat charnarvind ka aashray atyant avashyak hai. Sadhan karne mein aham surakshit rahta hai. Aham surakshit rahne mein tatv bodh ki taraf vritt hi nahi jati. Deh bhav mein rahti hai. Bahut avasthaye bit jane par sharir ki apna prichay keval bahari deh bhav se hi diya jaata hai. Main amuk main amuk main amuk kya sadhna ho rahi?

sadhna ho rahi isi upadhi ko mitane ke liye aap shuddh hain. Aap brahm hai gyan marg aap shuddh hain. Aap bhagwan ke nitya parsad hain. Bhakti marg phir upadhiyan kyon? Kyon ye joda jaata hai? Main amuk hoon. Main amuk hoon. Main amuk hoon. Inhi ko mitane ke liye to sadhna hai. Shuddh paramarth ka swaroop samjhna guru kripa hi kevalam guru kripa patr kabhi dehabiman malin vritti ko sweekar hi nahi karta. Kabhi kisi upadhi ko sweekar nahi karta. Upadhi sweekar karne ka matlab hai janm maran ka bhav pusht kar lena.

koi bhi upadhi ho yahan se lekar brahm padvi tak isliye satsangi upasak satsang ke dwara apni buddhi ka marjan karen aur aham ko dainya mein parivartit karen tabhi rang aayega. Kisi bhi tarah ka aham hriday mein hua to paramarth dhaka rahega. Aap baten kitni bana le gyan vigyan ki. Bade-bade mahapurush jab apna prichay batte hain to soch ke hriday dravit ho jaata hai. Kaise prichay batte hain? Hanuman ji kaisa prichay vibhishan se batte hain. Asmay adham sakhas moh par rakh ye bol rahe hain. Jin mahapurushon ne apna prichay diya tachchha param adhma pran garma ye prichay hai.

ham prichay kah dete hain upadhiyon ka. Yah upadhi hi to updrav hai. Yah padwiyan hi to param pad se bhrasht kiye hue hain. Jab tak ham koi bhi pad sweekar karte hain sharir bhav se to param pad ka adhikar kho dete hain. Pad milna alag baat hai. Swikrati karna alag baat hai. Pad seva ke liye hai. Swikrati paramatma ki hai. Pad ki swikrati to asweekriti ho jaegi paramatma pad ki ek sukshm vishay hai. Dekho mahmmahim shripad Prabuddhanand ji ki antarik sthiti sarv sadhan heeno yah mahima hai. Kh main samasth sadhno se hin hoon.

satsang ka manan kijiye. Dhruvdas ji kah rahe sab ang gunheen ho tako jatan na koi ek kishori kripa te jo kachu hoi so hoi sarv sadhan heeno vrindane krishya yah kop praptaya dev Radha priy rasotsavam samasth sadhno se main hin hoon par maine ne ekant bhav mein Vrindavan ka aashray le liya. Ekant bhav kahte hain sirf sirf keval Vrindavan ka aashray. Bas Vrindavan ki kripa se praptaya dev Radha priy rasotsavam mujhe shri kishori kishor jo ki prapti hui. Vrindavan ki kripa se aashray Vrindavan ka liya.

yah badi durlabh baat hai. Dham ka aashray bahut durlabh baat hai. Iska prichay aapko prya nahi milega. Dham param kripalu hai. Jiski god mein swayam Priya pritam khelte hain. Yadi dham ka aashray ho jae. Yahan aashray shabd par jor diya. Sanshraya aashray vas to kisi kisi ko milta hai saubhagya par aisa nahi ki jisko vas nahi mila use Priya pritam nahi mil sakte use prem nahi mil sakta wo divya Vrindavan ki lilaon mein pravesh nahi pa sakta aisa bilkul nahi hai samasth sadhno se hin ho dusre bhav mein lekin usne ekantik bhav se Vrindavan ka sampurn sampurn hriday se aashray le liya hai to uske hriday mein ek adbhut drishya yah kopi wo koi ras koi sambodhan kare wo koi ras kaun sa ras bole rasotsavam jo maha raas ras se yukt hai jo maha prem vilas se yukt hai kinka bole Radha priy shyama Shyam ka shyama Shyam ka koi ekantik prem koi ekantik rasotsav ras vilas us upasak ke hriday mein prakashit ho jaata hai jo ekantik bhav se ekantik bhav koi milavat nahi keval Vrindavan ka bharosa Vrindavan ka aashray ismen dainyta ki bahut avshyakta hai.

agar abhiman ka nash ho jae to bahut jaldi bhagwat prapti ho jae. Yahi age bahut bada pahar ki tarah khada hai. Us taraf shyama Shyam idhar beech mein pahar ahankaar ka bahut kadva hai. Ye bahut kadva. Jahan yah jagta hai to kadva hi kadva rahta hai. Swayam ko jalata rahta hai. Dusron ko jalata rahta hai. Aise iski baat hoti hai. Aise iske aacharan hote hain ahankaar ke. Iski galit hone ki vritti ekmatra mahapurushon ke paas dusre ke paas nahi. Yadi sant mahapurushon ka aashray le liya jae aur unke charnon ki raj ka sevan kiya jae.

unki agyaa mein raha jae to ahankaar nasht ho jae aur kisi se nahi hoga. Rah ganit tapsan naj na nirupan ga nandsa jalag surya bina mahtad rajo abhishekam chahe jo aradhna kar lo ye aur pusht hota hai maine itne varsh jal mein khade hokar mantr japa maine ye main main main tniki sangati rahit jat kul mad saban sahi sant sevak sada bhajat je shri Harivansh jo rasik mahapurush hai unke sang se ahankaar nasht ho jaata hai. Unki agyaa ka palan unki charan raj ka sevan dainyta jo priyal ko bahut priy hai wo jagrit ho jati hai.

tabhi divya tatv ka anubhav hota hai. Dekho agar Vrindavan vas ho raha kisi bhi tarah ka koi abhiman hai to aap keval prakritik drishya dekh sakte hain chidanand ne Vrindavan ke tatv ko rahasya ko leela ko aap nahi samjh payenge rahte hue bhi to Vrindavan i vidhi bas taj ke sab abhiman tante neecho aapko jane soi jaan Vrindavan mein jo apne ko tan se bhi nich samjhkar samasth abhimanon ko tyag deta hai. Wahi Vrindavan ke rahasya ko jaan pata hai. Isiliye sarv sadhan heenopi apne ko shripad kah rahe hain. Koi sadhan nahi hai mere mein.

arthat sadhan to sab hai par abhiman nahi hai. Sab ang gunheen hoon. Na yog hai na gyan hai na bhakti hai na prem hai. He priyaju hamen to sirf aapka bharosa hai. Agar kuch bhi banega to aapki kripa se banega. Shri dhruvdas ji kaisi uttam sadhna hai, aradhna hai, sthiti hai par swikrati dainyta ki hai. Ham chhoti si koi sadhan vritt to aham mein phule rahte hain. Kaise ham jaan payenge Priya pritam ke prem ras ko? Thoda sa bhajan hota hai to ham mahapurushon mein bhi hod vritt jagrit kar lete hain apne andar ki inme to yah nahi hai jo mere mein hai tumhen kya pata tum mein jo hai vastvik unmein nahi hai wo agar tum apne ki mita doge tab tum unko jaan paoge aham jab tak wo vastu nahi aati tab tak aham rahta hai aur jab tak wo aham karne layak vastu aati hai to aham nahi rahta hai ye adhyatma hai parma paramarth hai bahut pavitra buddhi pavitra vichar dainya bhav iske dwara yah jana jaata hai.

shripad kah rahe hain ab dekho kaise aashray liya jaata hai. Tajantu swajna bas sthiti isi mein jagrit hoti hai. Duradpas wahan varnan kar rahe hain mahaprabhu swajan jisko hamne swa se jod liya wahi hamen bhagwat prapti mein badha pahuncha dega. Swa ko bilkul alag rakhna hai. Iske saath kuch nahi jodna hai. Yahan tak ki deh tak ko bhi agar deh ko bhi jod liya swa se to swabhiman jagrit ho jaega. Swa ko bilkul surakshit rakha. Jis upasak ne koi bhi sparsh swa ka nahi yadyapi nahi hai. Par swa ki swikrati se wo bandhan ko prapt hota hai.

shankar sahaj swa rup sambhara to lag samadhi akhand apara sva ko sambharo sva ko faila diya hai. Swa ko jod diya hai. Jana swajna ye mere hain. Yah mere hain. Bas yah mere hain. Isi ko wapas karne ki sadhna hai. Swa ko sametne ki bikhar par man simtat na indran leeni jit. Isiliye kuch bhi paramarth ka anubhav nahi dikhayee de raha. Aapko apne hriday mein tabhi nana prakaar ke prashan ki jhadi lagti hai. Nahi to na sochti na kakshati na koi soch rah gayi na koi chah rah gayi. Aisa parmanand ki baadh hriday mein aati hai.

dekho himmat karke tajantu swajna bahut saral bhasha mein goswami tulsidas ji kah rahe hain janani Janak bandhu sutara tanu dhan dham suhad parivara sabki mamta tag batori mam padm nahi bandhi bari dori samdarshi ichchha kachu na haras shok bhay nahi man ma as sajjan mam ur bas kah lobhi hriday bashu dhanu jaise jisne in sva ki mamta ko samet kar mere charnon mein laga diya main use samdarshi bana deta hoon uski koi bhi ichchha nahi rah jati na harsh na shok na bhay use sparsh nahi kar sakta use bahut jaldi main mahatma bana deta hoon aur usse itna pyar karta hoon jaise se lobhi hriday mein dhan ki priti rahti hai.

shri bhagwan kah rahe ye aise thodi bandhan mukt hua jaata hai. Tajantu swajna ye jo hamari mamta hamari asakti hamara apnapan swapan sharir mein sharir sambandhi mein sharir ke bhogon mein sampatti mein hai isko smetna hoga. Sidhe shabdon mein paramatma ke siva jo bhi tumhen priy lag raha hai wah sab maya hai. Prakriti hai. Prakriti kabhi tumhari ho nahi sakti. Kabhi nahi ho sakti. Jaise ye sharir tumhara kabhi nahi ho sakta. Rok lo. Balyvastha se yauvan avastha ai. Yauvan avastha se jaravastha mrityu avastha rok lo.

kuch bhi tumhare hath mein nahi hai. Keval tum is sharir se vivek purvak satkarma karke mukt ho sakte ho aur gyan purvak paap karm karke durgati ko prapt ho sakte ho. Itni chhut tumhare mein hai. Vivek ke dwara sva ko smetna hi sataarg hai. Dekho kitna kathin hai. Aur jinhone gurujanon ki hriday se sharan mein le li. Hriday se samarpit kar diya. Gurujanon ne hriday se sweekar kar liya. Donon baten jinhone hriday se Gurudev ki sharan le li Gurudev ne hriday se sweekar kar liya sare bandhan kaat diye tumhen pata bhi nahi chalega ki kaise itna bada pahar jo mamta asakti ka tha kaise chhut gaya tajantu swajna pahla aashray ke liye kitna kathin hai aap dekh lo keval baten banana gyan vairagya ki nahi apne priyjanon ki mamta ka tyag kar pana bahut kathin hota hai.

20on sal dur rahne par bhi hriday mein sukshm rag bana rahta hai. Wo jab bhagwan ya Gurudev uska operation karte hain tabhi wo rag rahit hota hai. 20on sal dur rahne par na sambhshan na baat na chit na dekhna na sunna na khabar phir bhi wo sanskar bana rahta hai. Jab bhagwan operation karte tab lagta aa yah to keval kripa se dur ho sakta hai. Ham samjhte hain ki hamare duri rahne se dur ho jaega. Nahi kripa se guru kripa hari kripa tab sab rag shant ho jaate hain. Kammam kitna bada vishay hai ye kam. Yah bahut bada hai.

phir bhi kahte hain baten bana lena bahut saral hai. Isse mukt hona bahut kathin hai. Yah sukshm se sukshm aur vishal se vishal hai kam. Jab sadhna mein tanmayata hoti hai to sukshm rup dharan kar leta hai aur hriday mein chhupa rahta hai. Jab tak bhagwat sakshatkar nahi hota is shatru ka sampurnatya nash nahi hota. Jahan bhagwan ka sakshatkar hua, nij swaroop ka bodh hua, bas phir badha nahi mano bhuna hua chana phir usmen ankuran nahi utpann ho sakta. Aise bhagwat sakshatkar kiye hue mahatma ke hriday mein kabhi kam spit nahi ho sakta.

aapko lagega ki jaise kamna yukt cheshta se yukt rahta hai ki bina kamna ke wo koi karm hi nahi karta. Aise wo karm karte tumhen dikhayee denge. Lekin wo nirlipt kamna rahit karm hai. Tum kamna se yukt hokar ke to tum use kaise jaan sakte ho? Ek kamna yukt hokar ke pa raha hai aur ek nirlipt hokar pa raha. Pate donon dikhayee dete hain. Isiliye wahan likha vishya grahan munchwa kamam pehle tajantu swajna phir kammam ye param pad arudh mein hone ki sthiti kammam piche aap gita ji mein sun chuke hain.

gyanyon ka nitya vairi maha papatma kabhi na tript hone wala arjun ye tumhara shatru hai. Se mar dalo kam ko. Kam ko mar dene ka matlab hai nishkam ho jana. Kam aham mein rahta hai. Antahkaran dharm mein aham ka galit hona kam ka sthan hi khatm ho jana. Aham ka sthit rahna kam ka. Kam ke saikadon hazaron lakho rup hain. Kabhi wah man rup mein prakt hota hai. Kabhi pratishtha ki chah mein kabhi kamini ki chah mein kabhi kanchan ki chah mein vishesh iski hazaron vrittiya hai. Isko samjh pana vivekwanon ki baat hai.

jo bhagwat ashrit hai. Sadharan vyakti to samjh hi nahi sakta ki ise kam kahte hain. Wo kam ko keval jnendriay cheshta ko hi keval kam samjhta hai. Deh vritt chama deh vritti jeevan nirvah ki vritti iska bhi tyag paramarth aise tabhi to jinka paramarth mein pravesh ho gaya wo hath utha ke kahte keval bhagwat kripa guru kripa meri to samarth hi nahi thi ye keval guru kripa se hua hai deh vritti ke nirvah ki bhi vritti ka tyag kam vasna ka tyag samasth samasth kamnao ka tyag swajan sambandhi ki rag vritti ka tyag dekh lo is tab aap janna chahoge tab aap mukt hona chahoge is sansaar se is vritti ke baad manmani bhogachran aur

nirnay karne ke liye buddhi ko samjhte hain ki wo bhagwan ka nirnay kar legi hai bhi ki nahi hai ham to kai bar kahte hain chodo bhagwan ki baat tum kahan ho kaise ho dekha hai bade buddhiman bante ho is sharir mein tum rah rahe ho nap lo apne hath se koi 10 20 hath ka nahi hai nap lo sa ti teen hath ka hai ismen rahte 20 varsh 40 varsh 50 varsh ho gaye bhagwan ko janne ka tumhare paas bhav hi nahi hai tum apne ko pehle jaan lo ki tum ho kaun bas wahi mans ke is danche par apna abhiman kiye bhramit ho rahe ho.

apne ko jaan paye tum kaun ho. Phir tum sacchidanand janne ki koshish karo. Apne ko jaan jaoge to prabhu ko jaan jaoge. Prabhu ko jaan jaoge to apne ko jaan jaoge. Donon ki ek hi vridhi hai. Mam darshan phal param anupa jeev pav nij sahaj swaroopa. Aur agar apne ko jaan gaye to brahmavi brahm bhavti jaan jaoge brahm ko brahm ko jaan gaye to apne ko pao nij sahaj swaroopa paramarth ka pata nahi keval baten banane ko paramarth mana jaata hai tajantu swajna kammam deh vritt matwa ye hai param pad ka adhikari upasak jisne jisne swajan sambandhi ke sambandh ka tyag kar diya andar se bhale unke saath rahta ho.

jisne kam vritti ka sarvnash kar diya. Kinchin matra koi bhi kamna hriday mein spurit hi nahi hoti. Jo apne sharir nirvah ki vritti ka bhi tyag kar diya. Wah mahapurush wo param pad mein arudh mana jaata hai. Dekho kitna kathin hai yah sadhan. Ab dusra lift ka sadhan. Yah sidhi ka sadhan. Ham jaise bhi hain, kami hai, kroadhi hai, mohi hai, lobhi hain. He shri ji aapki hai. He Gurudev aapki hai. Ab yahan wo chhorne ki baat nahi aayegi. Wo chhudata hua chala jaega. Pharsta, second, tharda floor nikelte chale ja rahe hain.

shant ras, das, sakhya, vatsalya, kanta, sahachari pad wahi jake gate khula. Usko pata chala main kahan hoon? Bole sahachari bhav mein kripa bas yah koi halchal nahi aap baith chuke hain lift mein lift chal rahi hai. Radha Radha Radha Radha man kram vachan trishuddh sakal mat ham shri hit Harivansh upasi chal raha hai. Nahi aapne parivaar ke rag ka tyag kiya mujhe kuch pata nahi. Nahi aap nishkam hai mujhe kuch pata nahi. Nahi aapne deh vritt ka tyag kiya mujhe iska bhi pata nahi to aapko pata kya hai Gurudev mere shri ji mere ise kahte hain aashray ashrit hai to ashrit ke samasth badhaaon ko aashray data nivaran kar deta hai bahut praveen kripalu shri bhagwan hai bahut gyan samudra hai jo ham janm janm mein nahi tyag pate wo ek second mein chhudrva dete hain ek second mein isliye bharoso dridh in charan kero sab bade bade har karke yahi phir bole pehle daud lo thak jaoge phir akar bolna hari sharanam hari sharanam tumhara sara gyan vigyan jab purn ho jae tab bolna hari sharanam hari sharanam aisi koi vritti nahi hai jiske andar ki wo parivaar ke rag ka tyag kar paya.

kam vijay ho gaya. Wah deh bhav ka tyagi ho gaya. To kah rahe hain ek niyam le lo na Vrindavan seemant padam mein chalat kwachit kam ho jaega. Vrindavan ki sima ke bahar ek kadam bhi nahi rakhunga. Apne pran yahi tyag dunga. Yah jeevan Vrindavan ko samarpit hai. Isi raj mein murunga ho gaya kam. Naam, rup, leela, dham charon barabar hai. Charon chidanand hai. Kisi ek ko pakar le to par ho jaega. Charon ki prapti ho jaegi. Dham mein charon virajman hai. Naam bhi, rup bhi, leela bhi. Bhagwat prapti ki badi sukshta hai.

agar tum Vrindavan vas nahi kar sakte to bataya tajant swajna kamam deh vritt chamastava bole bahut kathin hai. Bole Gurudev ka aashray le lo. Unki agyaa par chalo. Apne man ki vritti unke agyaa ke anusaar bana lo. Aisa to nahi ki aap manmani aacharan karen aap ashrit mane jae aisa nahi hota ashrit ab joi kahe kare ham soi ayas liye chale nij dasi ab kah do ye to bahut kathin hai agyaa par chalna to phir param pad milna bhi to kathin hai maya se mukt hona bhi to kathin hai dukho ki atyantik nivitti maha sukh ki prapti ke liye manav deh mila hai in teen mein to ek karna hi padega ya to aap tajantu sajna kamam dehastu inka tyag kar do samarth nahi to akhand Vrindavan vas karo ek kadam bhi Vrindavan ki bhumi se bahar nahi jaaunga chahe mar jaun yah bhi nahi ho sakta to phir kisi rasik ka aashray lekar unki bataai hui upasna paddhti se jahan rah rahe ho wahi Radha Radha rato koi ek sweekar karo jisse tumhara param mangal ho jaega sa mein na mata sach mein pita na sa mein na bandhu sach mein sakha naam sa mein na mitram sach mein gururna yo mein na Vrindavan vasma se shripad kah rahe hain wo mera pita pita nahi hai.

wo mata mata nahi hai. Wo mera bhai bhai nahi hai. Wo sakha mitra mera nahi hai. Wo mera guru bhi nahi hai. Kaun? Jo mujhe Vrindavan vas karne mein badha pahuncha de. Vrindavan vas mein sahayak na ho aur badha pahuncha de ya bhagwat prapti ki marg ki vritti mein badha pahuncha de bhajan marg mein badha pahuncha de to sa mata sach mein pita na wo meri maa nahi bharat ji ne kaha papini aaj ke baad kabhi tera mukh nahi dekhuga aur jeevan mein kabhi maa nahi kahunga param pavan mahmmahim shri kaikei ji ke bharat ji ne aise shabdon ka keval prayog kiya.

prannath shri Ram ji ko mujhe nimit bankar 14 varsh ka vanvas bhagwat vimurkh kar diya. Sarvnash kar diya. Ayodhya vasiyon ke us mahan hriday ko jinko aisa saubhagya mila ki Ram ji ki nagri mein unko 14 varsh tak tadap kar jeena padega Ram ji ke liye. Ye keval inse hua. Isliye aise kathor shabd sach mein pitana wo mera pita nahi hai. Daitraj kahkar Prahlad ji sambodhan karte hiranyakashyap ko pehle pita shri kahte the lalkaar karke vibhishan ji jahan kabhi aankh nahi milaya wahan chati mein gada mari thi Ravan ke samrangan mein jab bhagwan shri Ram ji ka yuddh ho raha hai Ravan se us samay vibhishan ye Ram pratap bal bhagwat drohi aise gaye wo mera koi nahi hai sambandhi jo mujhe bhagwat prapti mein badha pahuncha de.

mujhe dham vas naam jap bhagwat seva bhagwat leela katha mein badha pahuncha de. Wo pita pita nahi wo mata mata nahi wo bhai bhai nahi wo mitra mitra nahi wo surat surat nahi wo guru guru nahi guru bal taj kant braj bit tan bhed mangalkari bhagwan se milane ke liye bhagwan se jodne ke liye bhagwan ki mahima ke liye hai jo gurjan hai wo bhagwan se jodte hain bhagwan ki mahima mein sthit karte yadi naam rup leela dham se vimurkh kar de to kya bahut ye vivek ka marg hai. Bahut vivek ka marg hai. Jahan kahin bhi rag prabhu se badhkar ke hoga wo tumhen prabhu se vimurkh kara dega.

pakka pakka kara dega. Akhiri aakraman inhi sambandho ka vairagya mein hota hai. Param pad tak to aakraman hota hi rahta hai. Akhiri aakraman sabse bada aakraman janani ka hota hai. Maa ki mamta ke age sab ki mamta gaud hoti hai. Pradhanata maa ki mamta hoti hai. Kyonki mamta ki murti uske garb mein raha hai sharir aur uske rakt ka dugdh ban ke pan karke jivit hua hai sharir jab wo samne hoti hai to wo jo akarshan hota hai us akarshan ke age kisi ki nahi chalti bade bado ki nahi chalti ye bhagwat pratap hi us mamta se mukt kar pata hai prabhu karuna karte hain aur us mamta se us upasak ko bacha dete hain to usse kya hua?

maa ko bhi param pad mila aur upasak ka to param kalyan ho hi gaya. Sacha putr wahi jo apni maa ko param pad mein pahuncha de aur wo maa ke moh ka tyag karne par hoga na ki maa ke mohasakta hone par hoga. Jab tak hamare andar kisi ka bhi moh hai tab tak ham vastvik bhagwan ke charnon mein prem nahi kar sakte. Pujypad shri odiya Baba ji se Akhandanand ji maharaj ne kaha kripa karke maharaj ji bataiye ki bhajan to sab kar rahe hain par pyare shri Krishna ka sakshatkar kyon nahi kar pate? Bada sundar prashn hai ki bhajan to sab kar rahe hain par sakshatkar sabko kyon nahi hota hai?

Baba ne kaha sansaar sukhmay pratit hota hai isliye sansaar sukhmay accha lagta hai. Yahan ke bhogon mein sukh mil raha hai. Isliye thoda bhajan bhi ho raha hai. Bhogon ka swad bhi ho raha hai. To vyakulta nahi aa rahi hai. Jab sampurn lok ke bhog vishwat lagne lage. Brahmaadik ke bhog sab visham lagat narayan braj chand ki lagan lagi hai jai. Dekho khas baat pakdo hamen bhagwat darshan kyon nahi ho raha hamen yahan kuch accha lag raha hai abhi prabhu ke siva jab rud swaram rajan Krishna darshan lalsa chilla chilla ke rona aa raha hai ki ab jiya nahi ja raha prabhu aapke bina hriday ki baat kuch accha nahi lag raha daras bin dukhan lage nain prabhu mil jaenge aisa bhav prapt karne ke liye sabse pehle bhagwat bhakton ka sang karna chahiye.

bhagwat bhakton mein yadi prem ho gaya to bhagwan achhche lagne lagenge. Yah baat side wala marg mat pakdo. Sidha marg pakdo. Hamara sidha bhagwat prapti ka marg hai. Das dasoham. Jaisi dharivansh prapanch banch sab kal vyal ko khayo yah ji jaan Shyam shyama pad kamal sangi sir nayo Priya pritam ke premi bhakton ke charnon mein apne sir ko navana arthat unki agyaa mein rahna sevak ji maharaj kah rahe shri Harivansh kahi jo kripa kar sancho prabodh sunete shri Harivansh jo kahi Shyam shyama pad kamal sang sir nayo ten vachan manat guru drohi nish din karat apno bhyo to it vihaar ut paramarth beech hi beech jo janm gavayo jo dharm sang priti karat nahi kaha bhyo dharm jo kaha karo

shri Harivansh upasak sang jo prit surang tarang bhyo sevak ji maharaj kah rahe ae guru drohi apne Gurudev ki baat nahi man raha bhagwat premi mahatmaon ki agyaa ke anusaar nahi chal raha to na tera vihaar banega na tera paramarth banega karo shri Harivansh upasak sang jo priti tarang surang bhyo jo shri Priya pritam ki prit rang mein jiska hriday doob raha hai aise rasik ka sang karo pratham maha bhagvato ka milna durlabh mil jae to agamya maha sangst durlabh ho agamya ho unki agyaa par chal pana bada kathin hota hai swarth buddhi unki agyaa par badha pahunchati hai apni swarth buddhi apni buddhi ki manyata unki agyaa mein badha kar isiliye sevak ji maharaj kah swarth sakal taji guru charan bhuji gun naam sun kath santan so sang kari kal vyal mukh par kaph pit baat bhar bhram kat anannya kahe ki je laj dhari ai sevak ai sharanagat apne swarth ka tyag karke guru charan bhuji gun naam suni kath santan sang kari agar tum sharir bhav mein to ye kaph pitt baat ka bana hua sharir dhal jaega nasht ho jaega rog ka

mandir pata nahi kab kaun sa rog aa jaega aaj tum chalne phirne layak bolne layak chaitanya ho khub naam jap kar lo khub bhagwat seva aradhna mein lago kal aisi sthiti aa sakti hai ki uthne layak na rah jao isliye savdhaan bhagwat bhakton mein yadi prem ho gaya to prabhu se prem hone mein der nahi aur priyaju sambandh ko bahut mante hain. Ye meri sahachari ki sharan mein hai. Is baat se priyaju sweekar kar leti hai. Hit sajni jo ki sharan mein hai. Isi baat se ham logon ki chati phuli rahti hai. Ki priyaju sambandh sweekar karti hai.

Gurudev hamari sakhi hai. Priyaju ki priy sakhi aur unki charan dasi unki agyaa mein is sambandh se Priyaju soe Priyaju tak pahunch bade-bado ke liye hamari kaise ho jaegi to hamari priy sakhi jo Gurudev hai unke kripa prasad se hamara sambandh priyaju se aur isi sambandh ka nirvah Priyaju karti kyonki hit sajni jo ne Priyaju ke antar ki baat jankar kahi Shyam shyama pad kamal sangi sirnayo nahi sidhe bol deti Shyam shyama ke charnon ka aashray bole nahi Shyam shyama pad kamal sangi arthat rasik arthat sahachari bhavapan mahapurush unke charnon ka aashray sidhe priyajon ko dravit kar deta hai bhakt ki kripa aur bhagwan ki kripa ek hi hai bhakt kripa kar diye mano shri bhagwan ne kripa kar di bhakti ki kripa se hi prichay bhagwat kripa ka milta hai ab moh bhav bhros hanumanta binu hari kripa mile nahi santa bhakt ki kripa hui mano bhagwan ki kripa varsha ho gayi.

jahan bhakton ki kripa hui ki bhagwat sakshatkar mein deri nahi rahti. Bhakt kripa unki agyaa mein aksharsha chalna yah sabse kathin baat hai. Kyonki man ko marna padega. Unki agyaa mein chalane par. Aap man ko marte nahi. Aap man ko sajate hain. Man ko pusht karte hain. Kya zaruri hai bhagwat darshan hona? Pujya Swami ji pooch rahe hain ki kya zaruri hai? Accha bhagwat darshan ho jaega to kya labh hoga? Kya labh milega? Bhagwat darshan bahut zaruri hai. Aavagaman chakra se mukt hone ke liye in dukho se mukt hone ke liye.

samuh ka samuh paap karm hamen dand dene ke liye tatpar hai. Unse bachne ke liye paap paramanu bam ki tarah samjho phutta chala jae. Ye karm ka bhog ye karm ka bhog ye janm janmantar phailta chala jaata hai aur usko nasht karta jaata hai. Koi pooch raha tha ki bhai bhagwan ke yahan to bahut narak bhogwae phir yahan janm de kasht de. Aisa ek paap karm hai. Agar is srishti mein bharat mein tum ek koi paap karm tumhara prakashit ho jae ki ek hinsa ki, ek vybhchar kiya, ek chheda to uski saja dekh lo jake kanun mein.

bole 20 varsh ki jail aur ₹1 lakh jurmana. Iske baad jurmana kyon jab usko saja di ja rahi hai to jurmana kaise de? Usko to saja de di. Nahi nahi kanun hai upar se hai jurmana tumne aisa kiya sat sal ki jail 500 jurmana dena padega aise hi narak bhog aur iske baad punah tiryak yoniyon mein janm aur uska dand ye jurmana khel tamasha samjho lakho paap aise hain jo tumhare prakashit nahi hue hamare prakashit nahi hue agar bhagwan ki prapti nahi hogi to ek ek second ke karm ka bhog bhogna padega ye kab tak chalta rahega jab se srishti rachi gayi aaj tak chal raha hai to isliye mujhe manushya sharir se tatv bodh ya bhagwat prapti atyant avashyak hai.

yah kam karne ke liye ham aae hain. Bhagwat bhakton ke sanidhy se bhagwat gunanuvad sunne se yah prashn hi khatm ho jaega ki mujhe bhagwat darshan kyon karna avashyak hai. Kyonki atyant avashyak hai. Samjh mein aa jaega. Jab tak kisi mahapurush ka darshan nahi milta, sanidhy nahi milta, unki agyaa mein nahi rah jaata, tab tak sukh dukh mein sansaar bahut pyara lagta hai. Agar bhagwan aa jae to wo yahi mangega. Agar santo ka sang nahi mila ki agar aap bhagwan ho kuch kar sakte ho marna zaruri hai to sharir chhutwao phir yahi janm de do aur phir main apne parivaar ko sambhalta rahun.

bar-bar aisa karo mujhe koi pareshani nahi. Aisi mand malinta buddhi mein chhaa gayi hai ki bhagwan pyare nahi lagte. Sansaar pyara lagta hai. Isiliye kah rahe jab kisi mahapurush ka sanidhy mil jaega to prashn khatm ho jaega. Kyon bhagwan ke darshan karna chahiye? Apne swaroop ka bodh ho jane se. Tum manav nahi ho. Tum stri nahi ho. Tum jad chaitanya nahi ho. Tum swayam wahi ho jiski khoj kar le ja rahe ho. Gyan tum swayam bhagwat ansh ho. Chaitanya ghan ho satchidanandmay ho maha sukhmay ho yah janne ke liye manav deh mila jaan lo nahi anya yoniyon mein nahi jaan paoge jaan gaye to janat tumhen tumhen hoe jai kyon nahi jaan pate ham kyon nahi janne ki ichchha hoti kyonki karm jal mein ham phas chuke hain kya karm jal hai shri bhagwan arjun ji ko kah rahe hain ki jo vivekvan hota hai wo is karm jal ko janta ta hai karmano bodhavyam bodhavyam cha vikarman akarmanas bodhavyam gahna karmano gati he arjun karmon ka tatv jaan lena chahiye makdi ki jal ki tarah fail ke khalne mein bada accha lagta hai.

makdi usi mein khelti hai. Jal phailati ja rahi hai aur usi mein khelti jati hai. Ham jal phailate ja rahe hain karmon ka aur usi mein khelte ja rahe hain. Kabhi sukar kutta bankar, kabhi nali ke kida bankar, kabhi devta bankar, kabhi manushya bankar yah kab tak chalta rahega? Karm ko tatv se jaan lo. Akarm ko tatv se jaan lo. Aur vikarma ko teen prakaar batayen. Karm, akarm aur vikarma. Kyonki karmon ko bhogna hi parta hai. Chahe jahan bhag ke jao. Kisi ne prashn kiya tha ki aapne kaha Devraj indra ne Ahilya ke saath galat vihaar kiya to aapne yah nahi bataya usko dand kya mila.

kyonki dand ka vishay nahi chal raha tha. Vishay chal raha tha ki bhogakarshan kitna prabal hota hai ki hazaron lakho apsraon ka Swami bhi Devraj indra bhi ek muni ki kutia mein jaata hai aur wahan aise gande bhav se Gautam rishi ka vesh dharan kar kar Ahilya ji ka to usko jante ho kya dand mila tha usko 1000 bhag ho jae turant shraap mila tha tujhe bhag se bhag mane yoni tujhe yoni se bahut pyar hai tu tu Devraj indra hai. Tu jo chahe kar sakta hai to dekh main abhi tujhe dand deta hoon. Gautam rishi ne kaha sahasra bhagdhari ho ja.

pure sharir mein hazaron yoniya ho gayi aur har yoni se mahan durgandh ab baith tribhuvan pati bankar ke charnon mein laut gaye. Hazar yoni pure sharir mein yoni yoni aur durgandh yukt ghrinaspad ghor nark samjho ghor nark charnon mein gir gaye maharaj truti ho gayi aap bhagwat swaroop rishi ho aap bade dayalu bahut vinay ki tab ka bhog tab tak jab tak bhagwan ramavtar mein nahi ate jab shri Ram avatar lenge to unke darshan ke liye brahmad sab devta upasthit honge tu bhi upasthit hoga tab yahi bhag hazar netr rup mein parinit ho jaenge.

yah dand mila tha. To jante ho simhasaan mein baithe se sharm aati thi aur mahal mein rahte the. Amravti Puri mein nikalna mushkil tha kyonki hazar bhag khula unke sharir mein bane hue the. Karmano gahno gati gahan hai karm ki gati bhogna padega. Ekmatra shri bhagwan kshma kar sakte hain. Dusra koi nahi. Aam sarv paap mokshya macha bhagwan kahte hain karm ko jaan lo akarm ko jaan lo aur vikarma ko jaan lo waise antahkaran ke bhav ke anusaar ek hi prakaar ka karm hote hue teen bhav ho jaate hain. Karm, akarm aur vikarma.

sakam bhav se hi sab koi karm karta hai. Dhyan rakhna aisa kiya jae to yah labh milega jab andar yah bhav aata hai use sakam kahte hain. Usi se karm ki prakriya shuru hoti hai. Koi bhi karm kare dhyan dena bahut sukshm vishay hai. Tabhi samjh payenge. Bhagwan swayam kah rahe hain ki bahut gahan hai karm ki gati ko janna. Koi bhi karm tab hota hai pehle skamta aati hai. Aisa karne se yah labh milega. Aisa karne se yah phal milega. Aisa karne se itni unnati ho jaegi. Aisa karne se yah sukh milega. Andar labh, sukh, unnati aisi bhawnaen andar baithti hai.

tab hamara karm hota hai. Bina iske karm har prani se nahi hota. Sabse aise hi karm hote hain. Jan sadharan se koi bhi vyakti nahi hai jo bina kamna ke karm karta ho. Pehle kamna jagrit hoti phir karm hota hai. Main aisa karunga to aisa chalo chalte hain. Amuk tirth chalte hain. Wahan avgahan karenge paap nasht ho jaenge. Punya banega. Pehle phal samne laya jaata hai. Phir karm ki bhavna hoti hai. Use sakam karm kahte hain. Sakam karm manmani nahi shastragya ke anusaar kiya jae to use karm kahte hain.

agar manmani ho gaya to use nishiddh karm kahte hain. Paap karm. Shastragya ke anusaar kiya jae to wo karm kaha jaega. Karm ko bhogna padega. Dhyan dijiye shastragya ke antargat sakam bhav ke dwara kiya hua karm karm kaha jaata hai aur karm bhogna parta hai. Akarm yah siddh purushan ke dwara hota hai. Akarm mane bhuna hua chana. Bij boya gaya lekin jagega nahi. Karm ho raha hai lekin uska phal nahi hoga. Wah bandhan karak nahi hoga. Kyon nahi hoga? Kyonki phaleksha ka tyag, sharir aur sansaar ki mamta ka tyag aur asakti ka tyag arthat nirlipt mahapurush ke dwara jitne karm hote hain sab akarm hote hain.

wo age unko bhogne nahi padenge. Nirliptata purvak. Wah nirliptata purvak agar shastr vidhan ke anusaar yuddh hai aur kaat rahe hain lakho ko to ek ki bhi marne ki hinsa unke upar nahi aayegi. Vishay grahan munch wa nirlipt mahapurush akarm usse hote hain. Karm karte hue bhi koi karm bandh nahi sakta. Aise mahapurush ko jo nirlipt hai na phal ki akanksha hai na mamta hai na asakti hai uske dwara kiya hua karm akarm ho jaata hai. Bahut sundar bhagwan vivechan kar rahe hain. Dusra hai vikarma.

yah bada bhyawah hota hai. Dusre ka ahit ki bhavna rakhkar jo karm kiya jaata hai, dusre ko dukh pahunchane ki bhavna se jo karm kiya jaata hai, andar bhav hai, dukh pahunchane ka, dusre ka ahit karne ka, dusre ka amangal karne ka use vikarma kahte hain. Iska bada bhayanak dand hota hai. Aur shastr jise nishedh karta hai. Nahi khana chahiye, nahi pina chahiye, nahi karna chahiye. Use nishiddh karm kahte hain. Wah bhi vikarma ke antargat ate hain. Inka bhi bada bhayav dand hota hai. Karm bhi dand deta hai, bhogna parta hai.

akarm phal rahit hai. Koi bhog nahi. Vikarma bhi bhayanak dand deta hai aur nishiddh karm bhi bhayanak dand deta hai. Akarmanas bodhavya jo apne swaroop ka bodh prapt kar liye hain. Wo samjh raha hai ki prakriti ke ansh sharir se gun ke anusaar prakriti mein cheshta ho rahi. Main karta nahi hoon. Yah bodh ka vishay hai. Wo nirlipt hue sab karm shastr sammat ho rahe. Koi bhi karm ka phal use bandh nahi sakta. Akarmanas bodhavyam wo akarm uske karm tatkaal antardhya hote chale ja rahe hain. Koi phal nahi dene wale honge.

chahe shubh ho chahe jo bhi uske koi bandhan karak nahi. Shastr sammat kyonki shuru se abhyaas raha hai to wo nirlipt mahapurush hone ke karan usko koi karm nahi bandh sakte keval ek jisko swaroop bodh ho gaya hai nirlipt hai uske dwara akarm hote hain kiye gaye karm bakaya sab karmon ke pach mein shubh ashubh mein fas jaate hain aur avashya mein bhaktavyam kritam karm shubhash ab yahan agar bodh sampann mahapurush hai to nirlipt rahta aur kal aapki agar yad mein ho charcha mein bataya tha ki agar aapki samjh na aati ho to itna samjh lijiye ki dharm purvak sabko sukh pahunchane wale kartavya karm bhagwan ko arpit kar de to wo bhi akarm ho jaenge.

bhakti ki paddhti ye to sar an dhyaste badhiya baat agar karm phal ke bandhan se mukt hona chahte ho to apne kartavya karm ko dusron ki sukh ki bhavna se karte hue bhagwan ko arpit kar do to wo karm akarm ho jaega kyonki jab bhagwan ko arpit kar doge to tumhen kshamta mein rahna padega jai parajay labhan dukh sukh mein saman bhav jaisa bhagwan kare bhagwan ke aashit aur ya phir atma tatv ka bodh ho jane par nirlipt hue mahapurush ke dwara jo sharir se karm hote hain wo akarm ho jaate hain. Yah akarmanas bodhavyam ye akarm ka gyan hai.

bodhavyam chav vikarman kamna jab upasak ke andar hoti hai to na chahte hue bhi usse paap karm ho jaata hai. Yah kamna kam bada shatru hai. Isiliye unnati nahi ho pati adhyatma mein. Aur jo sansaar mein unko to pata hi nahi ki main paap kar raha hoon. Wah aur khush hote hain ki aaj hamne yah bhog bhog liya. Aaj hamne yah chhal kar liya. Aaj hamne yah kapt kar liya. Kamna se karm hote hain. Kamna jitni badhti jati hai, paap karm utna hi badhte jaate hain. Shastr ke virudh manmani aacharan mein paap hi hota hai.

shabd yad kar lo. Shastragya ke virudh manmani aacharan mein sadaiv paap hi hota hai. Yah vikarma bada bhyawah hota hai aur yah bhari dand deta hai aur yah kabhi nasht nahi hota. Nasht to bhagwan kar sakte hain keval. Yah akash mein chhaya hua shatru samjho. Jis samay iska samay aayega usi samay bhayanak ghatna rup ban jaega. Yah rog rup ban jaega. Kisi ki bhi buddhi mein baithkar aapka ahit karva bada vichitra swaroop hai. Vikarma se bachna hai to kamna vasna man te ati kar dur Radha Radha Radha par hai bahut kathin bahut kathin hai.

kamna ke tyag ke bina ye nishiddha karm paap karm vikarma isse bacha nahi ja sakta. Gahno karmano gati karm ki badi gahan gati hai. Kaun sa karm bandhne wala hai, kaun sa karm mukt karne wala hai iska nirnay karne mein sab samarth nahi hai. Jo bhagwan mein chitt jode hue ya swaroop bodh hai wahi unhin ke dwara nirnay mana ja sakta hai. Ye bade-bade vidvannon mein bhi galti ho jaegi nirnay karne mein. Nirnay mein do hi samarth hain. Ya to bhagwat premi mahatma ya brahm bodh sampann brahm rishi karm kya hai?

samjh gaye? Koi bhi karm karne ke pehle jo phal akanksha se prerit hokar shastr sammat kiya jaata hai use karm kahte hain. Akarm kya hai? Jo tatv bodh prapt mahapurush hain, nirlipt hai, mamta rahit hai, asakti rahit hai, unke dwara hua karm akarm ho jaata hai. Wo phal nahi dega. Wo bandhne wala nahi. Vikarma kya hai? Jo kamna badi hui manmani papacharan hai use vikarma kahte hain. Aur yah bahut bhyawah hai. Yah durgati ka karan hai. Isi se nana prakaar ke dukh bhogne padte hain. Shri bhagwan kah rahe hain jo kamna se karm hote hain wo kamna adhik badh jane par keval paap hone lagte hain.

jaise dhan ki kamna se karm shuru hote hain. Phir dhan ki jab zyada ichchha ho jati hai to beimani, chori, hinsa, chhal kapt iske karne mein koi bhay nahi rah jaata. Akarm hamare karm ho jae. Yah bahut zaruri hai. Akarm uske do hi upay hain. Ya to nirlipt phalashakti rahit mamta rahit yah to swaroop bodh mahapurush mein hota hai. To ek saral upay hai. Apne shastr sammat kartavya karmon ko phal ichchha ka tyag karke shri bhagwan ko samarpit kar do. Radha Radha japo. Nahi bahut yahan jo bhi karoge uska dand milega.

mahaprabhu Harivansh chandra jo kahte hain jaise Harivansh narak gati durbhar yam dwrae katiyat nak chheeke chheek diya uska bhi hai kahan chheeka kis jagah ungli uthyi kis liye ek ek cheshta ka tumhara tumhare kahne se thodi hoga are kahin kuch nahi ye bavare log hain inko kya pata hai jab dand milte hain tab inko samjh mein nahi aata kahan se mil raha hai dand ajar amar ho avinashi ho sharir ko lekar ke dehabiman se baat kar rahe ho koi bhagwan nahi koi nahi. Tumhare aankh mundne se ho jaega kya? Is aparadh ka dand hai.

aise hi yahan jo papacharan kar rahe ho koi bhagwan nahi. Iska jab hisaab aayega tab tumhen pata chalega. Karunanidhan Swami ne yah janm tumhen apni taraf se karuna karke diya hai ki tum mukt ho jao. Upasak ko chahiye ki kamna ka nash karke vikarma ka nash karke akarm ho jae tabhi wo jeevan mukt hota hai. Karmanya karmaya pashcha karmanach karmay sa buddhiman manushyu sayukta Krishna karm krit badi baat kah rahe hain shri bhagwan karman karm pashcha karman cha karmaya jo manushya karm mein akarm dekhta hai sthiti aur jo akarm mein karm dekhta hai wo wo manushyon mein sarvshresht buddhiman hai.

wo yogi hai. Wo gyani hai. Wo sampurn karmon ko karne wala hote hue bhi krit krit jeevan mukt hai. Ye sthiti hai. Karmanya akarm yah pashyat karm karte hue bhi akarm sthiti. Karm karte hue bhi nirlipt rahna. Nirliptata bahut badi siddhi hai. Yahan jo bhi karm hota hai lipt hokar hota hai. Mano adhi aapki parikrama ho gayi. Chalo ab baithkar ke pad gate hain. Ho gaya. Nahi nahi thoda hi to rah gaya. Puri ho jani chahiye. Kyon? Kaun sa phal chahiye? Kaun sa phal chahiye? Nahi. Puri hone par hi siddhi hoti hai.

phal prapt hoti hai. Phal age rakh liya na. Lipt ho gaye. Lipt ho gaye. Ye isi tarah sab shubh se shubh bade se bade karm mein nirliptata ka matlab hai purn hona na hona. Labh hona ya hani ho jana. Jai ya parajay sukh ya dukh sukh dukhe samay kru la labho jaya jai ye nirlipt sthiti hai purnata apurnata se matlab koi sankalp nahi hai swabhavic sahaj hi age shlok mein iska bhi bhagwan varnan karte pura hua karm ya nahi pura hua phal anukul aaya ya pratikul aaya aaya ya nahi aaya isse kisi se matlab nahi nirlip shastr sammat keval karm bina kisi sankalp ichchha ke ho raha hai.

yantravat amuk karm main karta hoon. Is karm ka phal yah hota hai. Aisa lakshya rakhkar ke jo bhi karm kiya jaata hai wah use bandhta hai. Dhyan dijiye. Yahan bhagwan bahut savdhani ki baat kar rahe hain. Amuk karm main karta hoon. Is karm ka yah phal hai. Aisi bhavna rakhkar jo bhi karm kiya jaata hai bade se bada wah use bandhta hai na ki mukt karta hai. Pratyek karm ka arambh aur ant hota hai. Shuru aur vishram hota hai. Isliye uska phal arambh aur ant wala hota hai. Parantu hamari jo dukh nivitti hogi wo nitya pad mein hogi.

jo nirantar hai, anandam mein hai, sacchidanand mein hai, wah ant aadi wala nahi hai. Kriyaen sab aadi ant wali hai. Parivartnshil hai. Unke phal parivartnshil hai. Par jeev phal ki ichchha rakhkar ke hi har karya karta hai. Andar ki baat hai bina phal ki ichchha kiye tum koi karya nahi karoge. Aaj aisa karte hain. Pehle phal aayega uska. Iska phal kya hoga? Yah chalo aisa karte hain. Isliye bhagwan kahte hain karmanya karm ya pashchat jo karm karte hue akarm kar de usko phal dene layak na rakhe tabhi jeevan mukt hoga. Kya akarm hoga?

nirlipt anashakta phal ki ichchha rahit ho raha hai. Ho gaya to jai jai nahi hua to jai jai hamen koi phal thodi chahiye tha. Swabhavic ekdam kitni akhand prasannata param vishram lekin yah baat jab tak sva ka bodh nahi hai tab tak nahi hoga wo bahut pareshaan ho jaega chintit ho jaega phal ki ichchha na rakhne se naya rag utpann nahi hota naya rag utpann na hone se wo bandhan mukt ho jaata hai ye kaise samjh mein aayega bahut kathin hai ye samjh mein ana sadhak sarvatha veetrag tabhi hoga jab uska naya rag utpann na ho.

veetrag mahapurush ke sare karm akarm ho jaate hain. Jeev ka janm, jeev ka maran, jeev ko bhog prapti karmon ke anubandh se hota hai. Isi karmon ke bandhan se jaise kisi parivaar mein balak hua to usmen keval balak ka hi karm nahi hai. Pure parivaar ka saath mein juda hua karm hai. Koi uski maa bana, koi pita bana, koi bhai bana, koi mitra bana, koi padosi shatru paksh ka bhi hai. Jiski jalan hui ki ladka hua hai. Rinanubandh unmein saikadon hazaron lakho ke karm bandhan us balak se jude hue hain.

kisi ka wo rin chukane aaya hai. Aur kisi se rin vasul karne aaya hai. Kisi ka sukh bhoga to sukh dene aaya hai. Aur kisi ka badla lene aaya hai. Saikadon anubandh hai uske. Ek bar janm mein saikadon karmon ke anubandh hain. Anek janmon mein anek logon se kiya hua karm usko bhogna hota hai. Yah lenden ka dukh sukh ka janm maran ka vyapar bahut samay se chalta aa raha hai. Isko band karne ka avsar aa gaya hai. Janm maran se chhutkara milne ke liye hamko manav dev satsang mila hai. Isko band karne ka upay hai.

age ke liye karja lena nahi aur jinko karja de diye hain unka maaf kar den ya wapas le le dukan band karen chale lena na dena magan rahna donon baat karni padegi ya to maaf karo prabhu se prarthna karo ki jinko ham diye hain hamen kabhi nahi lena hamen nahi lena kyonki lene ana padega he nath kshma karo hamne maaf kiya aur hamko maaf karo jinko ho to prabhu samne bhejo aur seva karva do aur ya phir maaf karo. Ab lene dene se hamen mukt karo. Prabhu hi karte hain. Jinse seva karwai hai seva karni padegi.

naya rin lena band karo. Purana rin chuka do. Seva kar do. Seva le mat. Rinanubandh lene dene ka vyapar agar band ho gaya to tum mukt ho jaoge. Janm maran band ho jaega. Jaise dukandar apni dukan khatm karna chahta ho to use do kam karne padenge. Jisko dena hai usko to pakka de do. Dena hi padega. Nahi to dukan hatane ke baad bhi wo lega tumse. Ae tum wahi dukandar ho na. ₹100 lao hamare tumne liye the. Dena padega. Lene mein kshma kar sakte ho ki hamen nahi chahiye. Par dene mein aapko dena hoga.

jisse lena hai use to tum kshma kar sakte ho. Jao hamne maaf kiya. Lekin jisko dena hai wo dena hai. Nahi wo to kahin bhi dukan khatm karne ke baad bhi miloge to tumse le lega. Agar ye lena aur dena donon mita paye is janm mein. Tabhi to jaise koi gali di hisaab hai bhai. Hisaab hai ab hriday mein pida hui na to hamne pahunchai hogi pida Radha Radha Radha kisi ne dhakka mara kisi ne kat vihaar kiya apman kiya bhagwan hamare kisi aparadh ka marjan kar rahe hain isiliye bhakt sahta hai apne liye ab kisi se koi rin na le seva kisi bhi tarah ka kuch bhi rin yah dhyan rakho yahan se jana hai hamen yahan se jana hai sharir se prem na apne karo na kisi aur ke karo yah chhutne wala hai jane wala hai kab jaega ab iska pata nahi sham ke jaega ki kal subah jaega ki dopahar jaega 10 varsh mein jaega ki panch jana hai jab hamen jana hai is desh se to phailava kahe ko phailao samet ke atchi bilkul tayyar marne se sab jag dara mero man anand kab mar kab bh ho purn parmanand samjh mein aa raha hai?

marne wali apkun wali baat ghar mein agar chala de to phir bahut hi haan ye akhiri mrityu honi chahiye. Par ghar parivaar mein baten apashkun mani jati hai. Marne ki baat nahi. Kyon? Kyonki phir papacharan mein rati nahi hogi agar marna dimaag mein rahega. Narayan Swami ne kaha do baat dimaag mein rakh lo. Ek narayan ko dusri mrityu ko kyonki jana hai yahan se to gandi kamai kahe ko karo achchhi kamai bhagwan naam dusron ko sukh pradan karna sansaar se jo tumne rin liya hai ab ham kis kis ko jane kis kis janm se kya liya hai to sarkar kah rahe hain aham tam sarv pape mokshyam mascha shri Krishna ki sharan mein ho jao wo lena dena donon ka hisaab kar denge malik naukar ka rin malik malik chukatata hai.

sevak ka bandhan malik mukt karta hai. Koi bhi gadbadi ho jae to age malik ko ana padega. Agar sahi imandaar malik hai to chati age laga. Ae nahi mujhe mar lo. Isko chhod do. Jo bhi kaho wo main dand sweekar kar isko chhod do. Turant vibhishan pache mela sanmukh Ram sahyo soi sela. Yah hamare Swami ka swabhav hai. Seva bhajan jap dhyan samadhi agar yah apne liye hai to bandhan bahut jor ka bhi rahega samadhi tak aur agar yah jagat mangal ke liye hai to lena dena khatm ho jaega isi se yah bhi apne liye nahi hai.

ab aap yah bhi samjh lijiye kah rahe seva bhajan jap dhyan samadhi yah jagat Jagdish swaroop hai inke liye hai jo bhajan kar raha hoon sarve bhavant sukhina sarve sant niramya agar iska sukh mere liye hai to phir aao phir aao yahan agar ye bhagwan ko samarpit hai bahut samjhna hai bahut samjhna hai ye mahapurushon ke vachan kaise aoge Devraj indra bade-bade devta bade-bade padwiyan, bade-bade vaibhav ye sab sadhan bhajan karne wale ko to mile hain. Mano jo isi desh ke bade-bade pado mein hai. Sab punya atma hai. Inka tap hua hai.

ab jo kiya jaega wo age ki fasal hai. Lekin piche ki bahut jordar fasal hai. Agar mukt hona chahte ho to bhajan bhi apne liye nahi hai. Tad vastu Govinda to lena na dena magan rahna jeevan mukt ho gaya ab aapko lagega jante ho kaise baat karte hain maharaj aaj se ek mala aapke liye ki aapka rog theek ho jae aur 10 hamari ek mala sirf aapko denge isht aur guru ko ek mala 10 mala meri nahi bhaiya mera astitva nahi ab jo kuch ho raha hai sab aapke liye hai. Aap jeevan mukt ho gaye. Yah bada sukshm vishay hai.

bada sukshm vishay jeevan mukt hone ke liye ana na jana. Seva bhajan jap dhyan samadhi yah keval sansaar ke hit ke liye hai. Kahenge mala kyon ghumae? Itna kasht sahakar mala ghuma rahe ho? Kah rahe dusron ke mangal ke liye hai. Yahi hai lena na dena magan rahna. Isi se sab karja mit jaenge. Bhajan karne se sabke karje nipat jaenge. Janm janmantar ke jo hai nahi kahan tak denge ham? Koi peet raha hai, kisi ko peet rahe sab hisaab kitaab ho rahe hain. Kabhi garbhai mein nasht ho gaye, kabhi jawani mein, kabhi yah kitna prapanch hai.

jab tak kisi ke bhi saath sambandh rahega to is prakriti mein ana padega. Ek aur unchi baat hai. Ki ab main bhajan karta nahi. Mera Ram bhajan karte hain. Ye ab matlab santo ki baat ko koi samjh paye bada kathin hota hai. Lekin tum na le ana ye baat abhi abhi se ki ham to bhajan nahi karte. Shri ji hamara bhajan karte hain. Wah bahut unchi sthiti ki baat jeevan mukt mahapurushon ki baat bhala yah baat pachegi ki aaj se jitne mala karenge path karenge bhajan karenge sab ados pdos mein bat jaega tumhare liye nahi rahega ham kyon jae phir vani path mein ham kyon mala chalaen itni pareshani hokar mala chala to mere liye nahi hai iska matlab samjhte ho iska gadh matlab hai ek mala japa aur kah diya ki sabka mangal ho to sabke mangal ka jo phal hai wo aapko bhagwat prapti kara diya.

samjh rahe ho? Ye ye antarik rahasya hai santo ka. Ek rupya phenko aur ek arab rupya ek saath fayda le lo. Fayda hua ki nahi hua? Agar ek rupaye mein ek arab to bharat mein to jansankhya kitni hai? 140 karod hai. Yah to keval manushyon ki hui aur deemak ki deemak ki kitni jansankhya hai? Pashu pakshi ki chinti ki kitne jeev hain. Sarve bhavant sukhin bhajan kiya sadhna hui sarve bhavant sukhin to sabka kripa prasad mila aur wo bhagwan ko prapt ho gaya. Samjh rahe ho bhagwat prapti sabka kripa prasad mila bhul chuk se len den jiske saath ho charachar jagat mein sabka khatm kyonki bhagwan naam jap karke sarve bhavant sukhina ham apna bhajan sabko dete to usse kya hua sabke hriday mein baithe hue mere aradhya dev Radha vallabh lal ji muskura diye hamara kam ho gaya ab samjh mein ai baat agar yah na kahe wo kah de ki sansaar ke liye bhajan karo itna kathin kam bhajan ham dusron ke liye karenge.

ham apne kalyan ke liye karenge. Apna kalyan tabhi hoga jab sabse lena dena khatm ho jaega. Aur wo tabhi hoga jab sabke liye ham bhajan karenge. Pata nahi hamara kisse kya sambandh ka kis janm ka kaun sa rinanubandh hai. To sarve bhavant sukhina sarve sant niramya sabse mukt ho gaye aur bhagwat prapt ho gaye. Yah bada sukshm vishay hai. Jo akarman cha karmaya pahla bataya karm karte hue akarm hamara koi phal ki akanksha nahi jo satkarma ho rahe hain sabka mangal ho akarm hi hai wo use phal nahi de payenge use bandh nahi payenge ab yahan kah rahe akarman karm koi karm nahi kar raha par usmen karm dekh raha hai wah nirlipt mahapurush koi karm nahi kar raha lekin uska mangal ho raha hai pure jagat ka usse wo jahan se nikal raha hai uska jo darshan kar rahe hain jo vayu sparsh kar rahi jo sambhshan ho raha hai jiska pani pi le raha hai jiska bhojan pa le raha hai sabka mangal ho raha hai wo koi mangal ka sankalp nahi kar raha lekin sabka mangal ho raha hai jaise sugandhat vayu bina prayas ke sabki ghan indriyon ko sukh pahunchati hai sansaar mein koi karya karne ke liye pravatt hota hai to uske samne do baten hoti hai.

karna aur na karna. Pravriti aur nivitti jo mahapurush hote hain na pravriti hoti hai na nivitti hoti hai. Ab wo badi unchi sthiti hai. Aise mahapurush akarm mein bhi karm dekhte hain aur karm mein bhi akarm dekhte hain. Arthat nirlipt rahte hain. Nas krite nartho na krite ne kashchan koi bhi prayojan nahi hota. Par swabhavic jagat mangal unke dwara hota rahta hai. Jab tak koi bhi prakriti se sambandh rakhega mukt nahi ho sakta. Ye sab prakriti hai. Sthul sukshm karan tino lok charachar jagat ub gaege sun ke.

ab dekho jara vichar. Aashray kitna mitha hai. Hai na? Yah hai kathinata. Tabhi kaha gaya mukt hona koi khilwad hai par ek sakri gali hai aa jao bilkul nazdik hai hamare bhai shyama jiu ko raj wo sab theek kar denge bahut karunami hai ladli jo jara sa jahan muskura kar pritam ki taraf dekha kaha ane do paas ho jaenge to ab to hamen bharosa ho jana chahiye ki hamen kaha ki ane do nahi hamen to paas karva diya bula liya Vrindavan aa gaye shri ji ka jas sun rahe hain shri ji itna kathin hai dekh lo ek yog ka varnan ho raha kitna kathin hai prakriti ki rachna se kinchin matra sambandh nahi rakhna aur yahan isi mein lage hue hain keval isi mein prakriti ke hi poshan mein lage hue hain bada kathin paramarth ki unnati ko nahi janta prakriti ki unnati ko janta prakriti se kinchit matra sambandh na rahna yah paramarth ki unnati hai andar ki baat isiliye adhyatma bada sukshm hai na pravriti na nivitti aisi sthiti wo mahapurush akarm mein bhi karm aur karm bhi akarm sthiti dekhta hai.

chalna phirna khana pina sthul sharir ki kriyaen ekant mein rahna chintan karna dhyan lagana sukshm sharir ki kriyaen aur samadhi lagana karan sharir ki kriyaen ye tino kriyaen meri nahi hai nirlipt ye sthiti us mahapurush ke dwara sare karm akarm hote hain. Isiliye yogastha kur karman sab buddhiman manushyeshu wahi buddhiman hai jo karm mein akarm aur akarm mein karm ko dekhta hai. Sakta jo siddhi asiddhi mein jai vijay mein labhan mein sukhdukh mein saman rahta hai wo bhagwat prapt mahapurush hota hai.

parantu jab tak kuch pana shesh hai tab tak ana aur jana bhi shesh hai. Shabd dhyan kijiye. Jab tak kuch pana shesh hai tab tak ana aur jana shesh hai. Aur jab kuch pane ki ichchha nahi rakhti hai andarwatti koi buddhi to wo jeevan mukt avastha ko prapt hoti hai. Nashvan sharir se sambandh rakhne wala pane ki ichchha rakhta hi hai. Jab sharir sambandh chhut jaata hai tab paramatma ki prapti hoti hai. Karna janna aur pana ye tino baten siddh purush mein nahi hoti. Karna, janna aur pana ye teen baten siddh purush mein nahi hoti.

use hi jeevan mukt mahapurush na kuch karna baki hai na kuch janna baki hai na kuch pana baki hai wo is ashubh sansaar se mukt ho jaata hai yas sarve samarambha kam sankalp varjita gyan dag karan tamahu panditam budha bhagwan is shlok mein varnan karte hain ki jiska bina kisi sankalp ke kamna ke bina kisi kamna ke sampurn karm ho rahe hain. Wo karm gyan rupi agni mein jalkar bhasm ho jaate hain. Wahi jeevan mukt wahi pandit wahi buddhiman. To ek gyan agni hai aur ek prema agni hai. To agar gyan samjh mein na aa raha ho to bas itna samjh lo ki har karm bhagwan ko arpit kar doge wo tumhen bandh nahi payega.

badi chaturta ki baat hai par maya bhula degi. Arvan karvana bhula degi. Isliye sabse prarthna hai ki prat se lekar swayam tak jo bhi aapse karm ho pehle nireekshan karo ismen gandi baat gandi soch gandi kriya kaun si hui aur usko diary mein likho ki yah shastr virudh baat hamse hui jeevan mein hamse na ho bhagwan se prarthna karo aisi himmat banao usse alag niklo aur jo pavitra aacharan hue wo bhagwan ko samarpit kar do dhire-dhire aapke apvitra bhav nasht ho jaenge. Phir pavitra bhav shri bhagwan mein sthit ho jaega aur jeevan mukt ho.

bahut saral upay hai aur shastr sammat hai. Har karm bhagwan ko samarpit kar ek sthiti aati hai. Jab swayam samarpit ho jaata hai to karm samarpan purn ho jaata hai. Phir wahan nahi hota. Shri krishnapanmastu Radha vallabh arpanmastu ye sab khatm ho jaata hai. Par prarambh mein siddh banne ki cheshta na karen. Agar bhul ho jae to ham kah rahe hain prat se lekar ratri ko jab sayan karo tab pura ka pura jod karke he prabhu subah se uthe se sham tak abhi tak ye sab hua aapke charnon mein arpit hai nath aap mujhe bandhan mukt karke apne charnon ka prem pradan karo apne charnon ka aashray pradan karo aisa karne se ye jo bada sundar vivechan hai par ye samjh pana bada kathin hai to bhagwan ko samarpit kar do.

wo sab samjhte hain. Wo karm bandhan mukt kar denge. Shesh charcha aa gayi. Shri Radha vallabh lal ki jai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi