॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

in 3 baton ko samjhe bina bhakti ka rang nahi chadta ! // 11/05/2026

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

vrindavnshvri tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugram nirvai param shital mashyam nirvapay param shi tal mashray [achanak zor se sans lene ki aawaz] param sacchidanand ghan anand samudra prem samudra gyan vairagya bhakti aishwarya anant shaktyon ke Swami prabhu shri Krishna chandra jo arjun ji ko nimit bankar aisa amritmay updesh kar rahe hain. Yadi ham shraddha vishwas purvak shravan karen, ekaagr buddhi se mahatva bhav rakhkar manan karen aur apne aacharan mein utare. Apni dharana baname.

[gala saaf karne ki aawaz] bina dharana ke jeevan vyarth hai. Charachar jagat maya ke dwara thaga ja raha hai. Hamari ek ek shwas vyarth ja rahi hai. Hamen kuch prapt nahi karna hai. Astitva mitana hai. Yadi jeevan mukt parmanand ka anubhav karna hai to astitva mitana hai. Sadhna ke dwara buddhi ko nirmal karke yah jana jaata hai ki jo hamara jivtv bhav aaya hai wah sharir ko lekar aaya hai. Sthul sharir sukshm sharir karan sharir swabhav antahkaran dharm panchbhut rachnatmak yah deh [nak se ki jane wali aawaz] isi mein aham aur mam yahi bhav hamari durgati ka karan hua hai.

nahi to atma swaroop mein na kabhi fark para hai na kabhi fark padega na abhi koi fark hai. Vismriti ke gart mein maya ka dalna swabhav hai. Smriti ko jagran karna bhakti ka prabhav hai. Yadi bhakt hain to aapko apne swaroop ka smaran, apne aradhya dev ka smaran, sharir sansaar bhogon ka vismaran. Yadi mayakrit rachna mein satyatwa bhav rakhkar vichran kar rahe hain to aapka mahatva sudridh. Aapka deh bhav sudridh. Bhogon mein sukh buddhi sudridh to janm maran bhi sudridh. Andar se janchie. Koi lakho karodon mein ek chahta hai jeevan mukt hona.

un chahne walon mein kisi birle ko hi marg milta hai. Koi birla hi us marg par chalta hai. Koi birla hi us tatv bodh ko prapt hota hai. Bina shant bhav aae kisi bhi marg mein age badhna nahi hota. Shant bhav sarvam khalmidam brahm ne nanast kinchan shant ho gaya ekmatra prabhu ke siva na kuch sthan hai na rahega ekmatra brahm swaroop atma ke siva na kuch sthan hai na rahega yah anubhav ab iske upar bhav deh ki leela hoti hai dasy bhav shakya bhav vatsalya bhav kanta bhav sahachari bhav shant bhav hi nahi aaya to phir anya bhavon ka kaise pradurbhav hoga?

kyonki shant bhav hi in jitne bhav hain bhagwat inki niv hai. Niv nahi to mahal kaise tayyar ho jaega? Shle upasak mahatva ko mitata hai. Deh bhav ko mitata hai. Aur yahan aisi ulti vayu chal rahi hai ki ham pura prayas karte hain ki hamara mahatva badhe. Hamen log jane ham kuch hain. Bas yahi hai maya ka prabhav. Yahi hai jeeni maya. Jo bade-bade sadhako ko vidvannon ko bhi fansh ke rakhti hai. Kisse mahatva, kiska mahatva, kaisa mahatva? In prashan ka uttar apne hriday mein dhundhie. Kiska mahatva? Kisse mahatva?

kaisa mahatva? Abhi samjh mein aa jaega. Par itni fursat kahan deti hai maya ki aap hriday desh mein baithkar iska chintan kar sake. Bas bahar hi bhatkte rahna. Dekho shri dham Vrindavan ke vas ka amog phal hai. Kalyan ho jana yahan ka prabhav hai. Tumhari durgati nahi hogi. Par tum shri ji ke samip pahunchkar pyari ju pyare jo ko dular karo. Yah keval rasik sang se hi hoga. Kishori ji ki charan raj mein jinhone apne jeevan ko shaan diya hai. Nikunj ki dhul mein jinki skamta nasht ho gayi hai. Pyari jo pyare jo hi jinke jeevan hai bas yah keval rasikon ki kripa se unke agyaa palan se unke dwara di hui upasna se hota hai.

nahi to bahut si gatiyaan hain. Durgati se bach gaye iska matlab Premanand mein doob gaye aisa nahi hai. Bahut si sadgatiyon ka varnan hai. Shri bhagwan kah rahe hain piche jo utsav ke pehle prasang chal raha tha ki wah param purush paramatma sare jagat ko vyapt karke virajman hai. Wah anannya bhakti ke dwara prapt kiya jaata hai. Bhakt tanyaya labhya wo anannya bhakti ke param labh swaroop jo sarvatra vyapt paramatma hai usko prapt karna hai. Jo usko prapt ho jaata hai uska punarjanma nahi hota hai.

kyonki tarang samudra mein hi thi. Samudra hi tarangayman tha. Vayu vikar nasht hua. Samudra hi hai. Aise hi ek hi parbrahm paramatma tatv krida ke liye vivid rupon mein khel raha hai. Jab yah bhav aapke andar jagrit hoga to rag dves mitega. Deh bhav mitega to aap bhi wahi hain. Tasmit tajne bheda bhav brahmvid brahm bhavti janat tum hoe jai ab bhagwat swaroop hokar wo bhagwan ke saath divya lilaon ka ras aswadan leta hai. Upasak dhairya purvak is marg mein chale. Yah anannya bhakti ka marg koi saral marg nahi hai.

bo hi kathin hai. Bhajan dhag dharbo bhajan ka swaroop keval mala chalana hi nahi hai. Astitva mita dena hai. Mahatva mita dena hai. Vidya rup mahatva kul dhan joban abhiman takantak dekhe jahan rahan bhakti nidan jahan vidvta ka jankari ka abhiman hai dhan ka abhiman hai jan ka abhiman hai kul ka abhiman hai apna mahatva hai prabhav hai prabhuta hai bhakti wahan tikti hi nahi hriday mein kora dum chhaa jaata hai mahapurushon ne khub janch karke baat kahi hai. Rahan bhakti nidan swang sab nagar nar ke vishyan hath bikay na rijhwan bhartar ke wo aise swang karne lagta hai jaise vaishya shringar karti hai dusron ko lubhayaman karke dhan lene ke liye aise hi jo vidya rup mahat kul dhan jon abhiman mein fas gaya wo keval swang karta hai bakaya wo rijhata vishay purushan ko hai bhartar hari ko nahi bin vivek vairagya bhakti bin satya naye ko mano bhagwat vimurkh kapt chaturi so pakhand jano se savdhaan anannya bhakti koi khilwad nahi hai aur isse saral koi divya sadhan bhi nahi hai.

saral unke liye hai jinhone apne ko anannya bhakti mein bech diya hai. Priyal ke naam ke badle apne ko bech diya. Hamen jo naam mila, mantr mila, upasna mili, hamara astitva khatm. Guru pradatt naya janm yah guru ke charnon mein nyochhavar upasna se vasna ka nash vasna nash hote hue divya bhav ki prapti yah sab sahaj saral ho jaata hai aur jab aham ki prakriya se sadhna hoti hai to bada usmen vighna parta hai. Bahut prakaar ki aisi badhae khadi hoti hain ki upasak sambhal nahi pata. Parat Khagesh lage nahi bara.

girne mein der nahi lagti. Kiya karaya sab dhuladhrit ho jaata hai. Isliye anannya bhav se jo bhagwan ka bhajan karte hain unko paramatma prapt ho jaata hai. Arthat usko yah anubhav ho jaata hai ki barf ke reshe reshe mein jal hi virajman hai. Jal hi barf rup hai. Barf hi jal hai. Arthat bhagwan hi srishti rup dharan kiye hue hain. Ye srishti keval bhagwan hi hai. Dusra koi nahi vasudeva sarwamti vasna vasudevas vasitam bhatrayam sarvabhut nivasosmi Vasudev namostute Vasudev hi apni ichchha se sarvabhut rup virajman hai.

dusra koi nahi wahi banne wala wahi banane wala yah guru kripa se bodh ho jaata hai. Anytha anya sadhno mein gatiyaan hain. Par jahan se wapas nahi hona hota wah gati ekmatra shri bhagwan hi hai. Unka marg keval anannya bhakti hi hai. Swayam shri bhagwan varnan karte hain yatra kale tana vatta maha vattam cha yogin prayitam kalam vaksha bharat he bharatwanshiyon mein shreshth arjun jis kal mein sharir chhodkar gaye hue yogi upasak anavatti ko prapt hote hain. Arthat piche laut kar nahi ate aur jis marg se gaye hue avritti ko prapt hote hain arthat punarjanma hota hai us marg ko ham varnan karte hain.

tum suno prabhu kah rahe hain jis marg se jane par punah ana nahi hota. Jivit avastha mein kisi se koi mamta nahi rah gayi aur kisi se koi dves bhi nahi hai. Aap mukt ho rahe hain. Sharir ke sammaan mein, sharir ki anukulta mein, sharir ke sukh mein koi rag nahi hai. Sharir ke apman mein, sharir ki pratikultaa mein, sharir ke dukh mein koi dukh nahi hai. Wah jeevan mukt ho jaega nahi hai. Hai abhi jeevan mukt hai. Yah bhagwan ki kripa se anannya bhakti jab hriday mein jagrit hoti to ye sthiti hoti hai. Yah buddhi ke vichar se nahi hoti.

yah sthiti hoti hai. Jaise hamari sharir sthiti hai to dekho hamen kuch vichar karna parta hai. Sare ke sare agyaan ke jitne bhi kshetra hain sab prakashit hai. Kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar, bahirmukhta sthiti usmen lagana thodi parta hai. Dimaag ki apman, sahna hai, dukh sahna nahi sthiti hai. Wo anannya bhakt ke hriday mein sthiti aati hai. Anannya bhakt wahi hai. Kahin ek jagah to nishtha le le. Hamari kahin nishtha nahi. Jab jahan jaisi anukulta mili waise ban gaye. Ye anannya bhakt ka swaroop nahi.

anannya bhakt ka swaroop hai. Pran chahe chale jae hamari nishtha na tutne pave. Nishtha na jane pave. Nishtha ka jagran hi bhakti ka vishuddh swaroop hai. Hamari deh nishtha hai aur koi nishtha nahi hai. Bas deh sukhi rahe nirog rahe. Sammaan yash kirti yah deh nishtha hai. Do char mala kar liye to lagta hai bahut bade sant hain. Bahut bade bhakt hain. Hamara swaroop bhakti ka yahi hai ki ham rah na jae. Aap kahan khade ho? Pura astitva bojha liye khade ho. Na hamen tan ki parvah hai na man ki parvah hai.

samjho pehle anannya bhakt ka swaroop kya hai? Hamara tan hamara man hamara jeevan samarpit hai. Ye sweekar karo na. Jab samarpit hai to jaise chalave waise. Ab hamara astitva khatm. Ek bhram bana rahta hai ki main sadhna ke dwara kuch prapt kar lunga. Ismen kuch nahi milta kyonki mudhta chupi hui hai. Bata rahe hain ki aapke swaroop mein na pehle koi fark tha na ab koi fark hai na age koi fark padega. Sadhno aur asadhnon ka swaroop mein koi fark nahi parta. Aapki swikrati jahan ho gayi bas wah hatana hai.

aapki swikrati ek desi sharir mein ho gayi hai. Aapki swikrati ek antahkaran mein ho gayi hai. Aapki swikrati manyata mein ho gayi. Agarh yah jab tak nahi chhutega to sadhna kya kar legi? Aur usmen pushta hoti rahegi. Yah baat sabki samjh mein nahi aayegi. Guru kripa patr ko hi yah baat samjh mein aayegi. Are kuch nahi karna pyare. Yah karne ka rag mitane ke liye sadhan bataya jaata hai. Tum brahm swaroop ho. Bhagwat swaroop ho. Tabhi priyaju ki seva mein pahunchoge. Is dehdhari jivtv bhav wala kahin jhaank nahi sakta.

tejo rup nikunje kal netrad pindasthitam tejo rup tum is panch bhautik sharir ko main sweekar karke Priya ki dasata bhul jao bahut chadhai ka marg hai chadh nahi paoge barsane ladli ji ke darshan karne ke liye jab jana hota hai aur apni tange kam nahi karti hai to palki ki vyvastha shri ji apne nij janon se karvaaye hue hain. Wahin ke vasi jan palki palki mein chadh ke jao unka abhyaas hai chadne ka nikunj tak pahunchne ke liye hamari tange majbut nahi hai brahma ki bhi majbut nahi hai jinhone hamen banaya hai auron ki to baat jane do palki par baith ke jana hota hai kaun si palki akshar akshar jab shyama Shyam ke ras ka andar jaata hai na Shyam shyama pragat pragat akshar nikat prakt ras shravat ati madhur vani raso upasna raso upasna ka bhav raso upasna ki paddhti riti hriday mein Gurudev ki kripa se virajman hai aur ek ek akshar shravan indri se andar jakar swaroop ki rachna ki to bhav rupi palki mein baithkar sajni swaroop hokar shri ji ke paas pahuncha jaata hai.

yah tumhare bas ki baat nahi hai. Vyas suvan prasad deh mansi gadh chit jab hamare bas ki baat nahi hoti to aise ho jaata hai. Sab ang gunheen ho koi mere mein kya sadhan karenge? Ab char Gurudev ke dwara diye gaye nishthaon ke vishesh bhav apne Vrindavan ras ke dham nishtha naam nishtha guru nishtha isht nishtha ye charon mein ek keval pakar lo koi pakar lo ek jaise chaddar phailao uske char kone ek kona sudridh pakar lo kheencho pura chaddar aa jaega pure ke pure pure bhav aapke hriday mein jagrit ho jae.

ek nishtha koi pakar lo. Ab sabse sahaj aur saral nishtha dham nishtha lagti hai. Par hai nahi. Bahut saral lagti hai. Dham vas karna kya hai? Par dham vas karne ke liye jab ham man mein sochte hain aap sab dekhna to sabse pehle man ghabra deta hai. Man bhay pradan karta hai. Phir dhan ki as hoti hai. Phir vyvastha ki baat hoti hai. Phir yahan ka jo jal bicha hua hai. Aap aisa na samjho. Yah bhagwat dham hai. Pragat yahan maharathi virajman hai. Maya ke pragat maharathi rashtrapati bhavan hai. Vishesh suraksha hai. Yahan kam krodh ke sainik nahi swayam subhat wo virajman hai.

rag dves murtiman hokar virajman hai. Kyonki chuke to mar ke gira diye jaoge. Ab hamko yahan aisa chahiye jo hamen guide kar sake. To wah hai rasik jan jo dham nishth dham premi hain. Wah hamen rahni batte bina rahni ke prem desh mein pravesh nahi hai. To pehle to dham nishtha karne ke liye vichar kar lo ki main mara bas yahi se nishtha dham ki aayegi. Jinda ho to tum dham nahi rah sakte. Jinda koi bal hai tumhare andar? Bole haan hai ki nahi? Bank balance parivaar rupya rahte hue bhi nahi rahoge dham mein nahi rahoge rag dves mein rahoge kam krodh mein rahoge dehabiman mein vichroge dham mein nahi vichroge dham chintan nahi hoga ki mere ladli lal kaise nat nikunj mein ban ke kunjan kunjan dolit nahi rahoge ye khub mahapurushon ke anubhut vachno ke anusaar bol rahe hain dham nishtha ke liye pehle main mara man mariya tan bas mein kina man hi mar tan har ke na man mar pa rahe ho na tan har pa rahe ho ab sahyog ki zaroorat hai wo sahyog Vrindavan ras ke rasik jan karte hain rajrani karti hai yahan ki vayu karti hai lata pata karte hain par unhin ke upar dhyan rakhna jo main mara astitva mitane ke liye tayyar ho chuke hain.

gala katane ke liye tayyar ho chuke hain. Yahan sarvasv bhav keval gore charnarvind mein kahin koi anya koi aashray, koi bal bilkul nahi. Ek bar ek pad shri jeev goswami ji ke padhne mein aaya. Aise padh rahe the to ek pad dekha sakhi ho Shyam rang rangi pura pad dekha Gadadhar bhatt ji ka o yahan hamne kabhi naam to suna nahi Gadadhar bhatt ka arthat hamare braj mandal ke antargat to hai nahi to Shyam rang mein kaise rang hai bina braj raj ka sevan kiye swamini ji ke charan charnon ka aashray liye rasikon ka sang kiye koi shringar ras mein kaise rang sakta hai ye shringar ras ka bhav ras kaise rang sakta hai sadhu samagam satya kari kare kalank bichho parshuram paras parsi bhyo kanak ja loh ye bina paras ke sparsh ke loha sona kaise ho gaya?

ho hi nahi sakta. Sadhu samagam rasik janon ka sang paras sang hai. Agar aap apna astitva rakhte hain to ye kalank hai is sharanagati mein. Yahi samjh mein nahi aa raha. Bada vichitra maya ka jalak. Bahut jab sukshta se vichar karo to lagta hai keval hari bachave to bach sakta hai. Jaise bhagwan ne kaha na mame prapaddyate maya menta tarte anytha bahut sukshm hai. Aisa mar ke gira deti hai ki bas hath masalte rah jati hai ki ab to ham pakar hi nahi sakte. Gaya nikal gaya. Yah kalank hai sharanagati mein. Anya kisi bhi tarah ka bal chikh chikh ke kah rahe savdhaan ho jao jeevan vyarth chala jaega koi bhi anya aashray mat lena kuch bhi anya aashray liya to aapka marg badal jaega bas ek bharoso ek bal ek as ek vishwas apne aradhya dev ke charnon ka aur yah tabhi jagrit hota hai sadhu samagam satya kare jo santo ke vachno mein apne jeevan ko samarpit kar deta hai.

wahi is labh ko prapt kar pata hai. Jab shri jeev goswami ji ne ki bina anannya prem ke Shyam rang mein ranga nahi ja sakta. Aur anannya premion ke sang ke bina anannya prem aata nahi. Vidvan ki lekhni alag hoti hai. Premi ki lekhni alag hoti hai. Jo buddhi se kalpna karke likha jaata hai wo ek line pankti padhne par hi pata chal jaata hai ki yah buddhigat hai aur ek hota hai bhavat sthitigat. Mahapurushon ke jitne bhi pad hai jo vaniyan hai yah buddhigat nahi hai. Yah sthiti hai. Wah dekh rahe hain.

wo dekh ke use likh rahe hain. Gadadhar bhatt ji ka pad bata raha tha ki wo hain. Usi mein hai. Wo range hue hain. To aise kaise rang sakte hain? Anannya prem yah durlabh vastu hai. Sabse durlabh vastu hai. Kagbhund ji par jab bhagwan shri Ram prasann hue tab kaha jao vigyan sahit param bodh gyan ko tum prapt ho aur bahut vardan diye. Ka bhushan ji shant rahe. Phir kaha prabhu yah to sab hamari koi chah hi nahi thi. Hamari jo chah hai wo aap kripa karke de dijiye. Kya bole anannya bhakti bhagwan apne mukh se nahi bole the anannya bhakti chhupate hain ka gh bole bahut chatur ho tum anannya bhakti aa gayi to ye sab ladka bachchha hai gyan vairag vaibhav sab [nak se ki jane wali aawaz] chahe 14 vidyaon ka gyani ho char ved kanthsth ho 18 puran kanthsth ho nau ras t shastr yah sab ko kanthsth kiye ho par zaruri nahi ki usmen anannya bhakti aa jaegi.

agar anannya bhakti nahi hai aur yah sab hai ismen jo varnan kar rahe hain. Anannya bhakti nahi sab hai to yah sab vyarth ho gaya. Uski buddhi aisi hai jaise gadhe ki pith mein int lad do ya swarn lad do. Ya ved rakh do usko bhaar se keval matlab hai. Isi bhav ko goswami ji kah rahe hain jog kujog aur gyan agyanu jahan nahi Ram prem pradhanu yadi prem lakshna bhakti ka jagrit nahi hua to wah yog kujag hai wah gyan agyaan hai jiske hriday mein anannya bhajan nahi aaya anannya bhakti nahi ai uska jeevan chahe jitna bada abhi bataya sab ved puran sab kanthsth ho to kah sakte hain bahut gyani hai.

ek bar pujypad shiv Baba ji maharaj ganga kinare bhramn kar rahe the to Kanpur ke age ek jagah bhagwat ho rahi thi. Wo yog vashishta par pravachan kar rahe the. Baba bhi baith gaye. Unmatt bhesh mein rahte the. Har samay bhagwadakaar vritt brahmaakar vritt baithe itna sundar adhyatma ka varnan yog vashishta ke dwara Baba ki milne ki ichchha hui jab wo pravachan se hate to mile aur kaha ki satya batana jo tum bol rahe the kya tumhara anubhav hai ismen to unhone kaha nahi maharaj main to keval shastr ka gyan varnan karta hoon.

mujhe iska swad nahi mila hai. Bole haan theek hai. Par purnata to tabhi hogi na jab aap iska anubhav karoge. Bole ham grihasth hain. Pravachan karte hain. Apne sanyam niyam se rahte hain. Jeevan yapan ho raha hai. Par aisa abhi tak lakshya hi nahi bana ki mujhe tatv bodh karna hai. To pujya Baba ne kaha ki zaruri nahi hai ki wo shastr ka gyan rakhne wala hai to brahm bodh ho hi gaya hai. Zaruri nahi ki 18on purannon ka vakta hai to use anannya bhakti prapt. Nahi ho sakta hai ki wo shabd na bol pa raha ho par anannya bhakti se chhaka ho.

ho sakta hai wah bodh ki baat na bata pa raha ho lekin tatv bodh ko prapt ho. Khas baat hai prabhu ke charnarvind ki anannya bhakti ka hriday mein ana. Jab yah shri jeev goswami ji ne is par vichar kiya sakhi ho Shyam rang rangi aha dekhi bikae gayi wah murti surat ma [chikne ki aawaz] pagi sakhi ho Shyam rang rangi sang hu to apno supno soi rahi ras khoi jag ho age dekhi pare sakhi ne nyaro hoi ek jo meri akhiyan mein nish raho kar bh gay charavan jat suno sakhi sodho kanhaiya kaun kaso kaho kaun pati ave kaun kare bakwad kaise kah kaho jat Gadadhar gunge ko gun swad sakhi ho Shyam rang rangi Shyam rang rangi pad sun ke gosai ji patr de pathae ubhay sadhu veg dhaay ke reni bin rang kaise chadho ati soch badho kaagaz mein prem madho tha leke aae hain pur dhing kup tahan baithe ras rup lage puchhbe ko tin hi so naam le batae hain raho kaun thor sir mor Vrindavan dham naam sun murcha hoe gire pran paye hain jeev goswami ne pure pad par vichar kiya ki yah koi tukbandi nahi hai.

jeev bhav nasht nahi hua. Deh bhav hai. Buddhigat jo pad rachna hoti hai wo rasikon ki sabha mein adaraniy nahi hoti. Jo swaroop bodh sampann samadhi mein dekh rahe hain wah pad yah jo Swami ji maharaj hitaj maharaj hariram vyas jo shri bhatt devacharya jo harivyas devacharya ye jo mahmmahim ye dekh rahe hain jo dekh rahe hain wahi likh rahe hain kalpna nahi hai ya pad padh ke unke kuch shabd churakar unko likh lena ye koi jo dekh rahe hain ye sthiti hai tab tak kalam nahi chalani chahiye jab tak aap chalane yogya ho.

jab kalam chalane yogya na rahna tab yah lekhni uthti hai. Samjh mein ai pahli? Jab tak aap mein likhne ki yogyta hai tab tak lekhni mat uthana. Jab likhne layak nahi rah jaoge tab jo lekhni uthegi wah asli lekhni hoti hai. Kyonki swayam baithkar likhata hai. Uski samarth kahan hai? 2020 ghanta bhai ji keval soch ka patr marjan kar rahe hain. 20 ghante use kalam khol ke rakhi hosh khatm. Kya likh gaya? Baad mein khud padh rahe hain. Kya likh gaya? Shyam sundar ne kya likha diya? Jab tak main likhta hoon tab tak wah lekhni nahi hai.

jab wah likhta hai to main hota nahi hai. Is pad ki antarik vritti ko dekhkar ki jab so rahi hoon to swapna mein wo samaya hai. Aur jab jag rahi to samne to wo kaun Shyam sundar hai jo gay charane jaate hain. Wo to mere ankhon ke samne jagrit swapna sushupti mein jagrit hai ya swapna hai ya sushupti hai wo har samay mujhe kabhi chhota nahi to gay charane kab gaya bole kisse kahun koi vishwas nahi manega kaso kaho kaun pati ave ab agar baat karenge to varta matra lagegi kyonki koi kaise jaan sakta hai Gadadhar ji kahte hriday ki baat yah to gunge ka gur swad jaisa muhn ka swad anwat brijeshwari shri ladli ji ki charan raj ke bina aur unke rasikon ke bina koi Shyam rang mein rang jae asamabhav kahan ke

hain pad rachyita pata chala amuk nagar ke theek hai patr likha jeev goswami ne ki main inse milna chahta hoon kaise Shyam rang mein rang gaye hai to sthiti gadh par bina Vrindavan ke bina Vrindavan ki raj ke bina Vrindavan raj ke premion ke aisa kaise ho sakta hai anaradhya Radha padam bhoj renu manashit vrindav tad padam as tad bhav gambhir chitan kuta Shyam sindhu rasasyavga shri swamini ladli ju ke charan kamal ki raj ka sevan kiye bina unki aradhna kiye bina rajosevi rasikon ke bina aur jo charan chinnon se yukt bhumi is Vrindavan dham ka aashray vas liye bina koi Shyam rang mein kaise rang sakta hai?

arthat nahi ho sakta hai. Ascharya hai ye bol rahe main Shyam rang mein rangi hoon. Par pad bata raha hai ki Shyam rang mein rangi hai kyonki vani kaise rang chadha hua hai kitna chadha hua hai vani bata deti hai anubhavi janon ko jo usi rang mein range hain. Prapanch mein range hue janon ko prapanch ki vani samjh mein aayegi aur bhagwat rang mein range hue janon ko bhagwat vani shri Radha padarwind ki aradhna prem dham Vrindavan ka aashray rasikon ka sang yah banata hai Shyam rang ka deevana Shyam rang shringar ras madhury ras iska deevana hi mahadhury ras ka adhikari banta hai jakar Shyam ras sagar mein avgahan karne ke liye jo chala hai usko yah teen baten atyant avashyak hain.

bina in teen baton ke Shyam rang mein koi rang hi nahi sakta. Radha padam bhoj renu mahaprabhu Harivansh chandra jo kah yo brahm Rudra sukh narad Bhishma mukhya ralakshito na sahsa purushas tas ye bade bade ishwar koti ke mahapurush jinko sahsa apne dhyan mein nahi la pate unko adhin karane ki samarth sadya vashikaran churn manant shakti tam Radhika charan renu manusmarami Radha padam bhoj renu aise shri Krishna ko tatkaal vashikaran mantr jaise fenke aur adhin ho jae aisi samarth anant shakti sampann ye Vrindavan ki raj rani hai kyonki maharani ji ke charan chinnon se yukt hai.

pahli baat shri kishori ji ke charan chinnon se chinhit is raj ka sevan. Dusri baat shri dham ka dridh aashray aur vas. Tisri baat Vrindavan ke rasikon ka sang. Tabhi yah durlabh shringar ras mein pravesh hota hai. Shyam rang mein tabhi yah sthiti ki jag rahi ho to samne wo khade hain. So rahi hoon to bhav mein wo hamare samne hain. Swapna mein to unke saath khel rahi ho. Jagrit swapna sushupti sphurat mein wahi sphurat ho rahe hain. Aradhya dev ye punarjanma ke bhajan se nahi hota hai. Ki purv mein purv janm mein bhajan kiya.

ab age bhi bhajan karen. Yah nahi yah rasikon ke sang se rajrani ki kripa se dham ki kripa se hota hai. Shri jeev goswami ji ne Priya pritam ka prem rang tabhi to chadta hai jab rangne wala ho. Vichar rangne wala kaun? Vrindavan ke rasik jan aur yahan kabhi naam nahi suna. Gadadhar bhatt ji kisi rasik mahapurush ke sharan mein ya kisi ye kaise rang hai rang yahan hai rang ka bhajan yahan hai aur rangne wale yahan hai aise kaise man mein itna bhav jaga prem mein bhar ke patr likha is Shyam rang mein tum kaise rang gaye bina Vrindavan raj ke bina Vrindavan vas ke bina Vrindavan ke rasikon ke sang ke hamen iska bada aashcharyamay bhav aa raha hai ki aap range ho yah to pakka hai par kaise rang gaye ye sabhi dhamo mein sarvshresht dham Vrindavan hai.

jitne bhi dham hai sabko apne aradhya dev ka sarvshresht bhav hona chahiye aur aradhya dev ke dham ka bhi sarvshresht bhav hona chahiye. Par sabne jis dham ki raj mangi hai wah keval Vrindavan dham hai. Koi bhi kahin bhi agar raj rani ki kahin bhi maang dekhi gayi hai to braj raj ki shabd aayega braj raj. Pure tribhuvan mein bhagwan ke vivid dhamo mein kahin ka koi bhi upasak ho jab raj rani ki baat aayegi to braj raj ki baat aayegi. Kyonki yah prem dham hai. Bhagwan ke aur bhi avatar janm leela dham hai. Maha mangalmay hai.

mahamay mein koi kam nahi kyonki bhagwan ke par yah prem dham vrinda vipin aisa hai ki kisi bhi marg ka pathik ho. Yahan akar ke apne aradhya dev ka prem isi rajrani se prapt karta hai. Jo vishuddh premi hoga anannya premi hoga to ye rajrani ananyata aur vishuddh prem pradan karti hai. Agar brahm bodh chahiye to bahut jaldi ho jaega. Shri Ram charnarvind ka prem chahiye to yahi se ho jaega. Aaj bhi sant hain. Wo keval Radha charan upasak hi nahi hai. Bihari ji ki aarti mein ate the. Mauni Baba vishal shri Siyaram ji ka tilak dharan kiye hue daudte hue ate.

vridh the daudte hain Sudama kuti ke paas rahte hain. Shaligram bhagwan ki bahut seva karte hain. Wo kahte hain ki jis din se Vrindavan ki rajrani ka sparsh hua pata nahi kya ho gaya. Aise bhul gaye ki ab koi aur hai kahin aur jana hai. Aaj tak wahi khud bihari ji ke samne khade ho gaye ki Baba aaj tak Barsana jana nahi hua. Vrindavan dham se 24 varsh pehle ke lagbhag pujypad shri Mathura das Baba ji aae the braj bhramn ke liye Siyaram ji ke upasak aajeevan Vrindavan ko jeevan samarpit karke yahi bhakton ke charit gaan karte hue apne prabhu ko prapt hue narayan Swami sanyasi the yahan ki raj ka prabhav para Shyam sundar ke diwan ho gaye kitne koi bhi kahin se bhi yah raj rani bawra bana deti hai.

bavro so ras mein phire khojat neh ki baat Vrindavan jaisa sirf Vrindavan patr lekar ke jeev goswami ka unke nij jan gaye jis nagar mein Gadadhar bhatt ji ka vas tha pehle bahar hi shauch aadi jaya jaata tha kun aadi mein snaan hota tha prat kalin wahan wahan pahunche to kuan mein baithe hue datwan kar rahe the. Unse pucha ki kahu kah bhatt shri Gadadhar jano mano hi pati chah pheri ke javae hain diyo patr hath leo shish so lagae chahe banchat hi chale begi Vrindavan aae hain mile shri gosai joos so ankhen bhari dhar ai nir sudhina sharir dhari dheer wahi gaye hain padhe sab granth sang nana Krishna katha rang ras ki umang ang ang bhav chhae hain.

ham bhai Gadadhar bhatt se milna chahte hain. Vrindavan se aae hain. Pujypad prat smaraniya shri ji goswami ji ne unko pad murchhit ho Vrindavan murchhit ho gaye laga ki kya ho gaya inko kuch uttar hi nahi diye murchha khade hain koi aaspas tab dusre log jab kuan mein jal lene aae bhai inko kya ho gaya tumhare ganv mein koi Gadadhar bhatt ji rahte hain unke liye ham pa bole ye Gadadhar bhatt hi to hai jo murchhit ho gaye dekhkar ashcha Vrindavan naam sunte hi ham Vrindavan se yah hai aashray. Bole Vrindavan ka aashray kaise lena chahiye?

aise jeevan hai Vrindavan, pran hai Vrindavan, sarvasv hai Vrindavan. Jaise koi priyatma apne mane hue pritam ka chintan kar rahi hai aur uska sandesha aa jae ki tumhen unhone bulaya hai to kaisa aaj tak hamne dekha nahi keval suna aur sunkar unko man liya aur unke liye jeevan samarp unka sandesha aaya hai kya halat hogi uski jisne apna jeevan samarpit kar kar diya jiska pritam hai Vrindavan jisne Vrindavan se prem kiya hai hamara sarvasv Vrindavan pran Vrindavan jeevan Vrindavan ham Vrindavan se aae hain sandesha leke sunte hi murchhit ho gaye jab yah pata chala ki yahi shri Gadadhar bhatt ji hai tab unka wo jo patr padhkar ke ascharya hua tha wo baat chali gayi ki jo itna Vrindavan unka premi hai.

itna gadh aashray hai. Unke liye aisa prem durlabh nahi hai. Jal se mukh prakshaln kiya. Murcha dur hui. Wo uthkar baithe. Patr diya ki pujya shri ji goswami ji ne aapke liye bar-bar hriday ko sambhal rahe hain ki Vrindavan ka premi apni smriti mein mere ko laya. Meri yah keval ladli ji ki kripa yah dham ki kripa Vrindavan ke rasikon ka chitt koi dharmashala thodi hai ki aapka chintan ho jae aapke vishay mein wo soche nahi wo shri ji ka nij ghar hai usmen itni fursat nahi hai wahan ki tumhara chintan ho agar hota hai to keval ladli jo aap par baras rahi isliye hota hai wo koi dharmashala nahi hai jo chintan aaya ate rahe jaise aap hai agar aapki anannya nishtha jagrit nahi hui anannya bhav anannya prem aradhya dev mein nahi to dekho jahan hai wahan swabhavic chalta rahta hai pratiphal anavrat chalta rahta hai jab tak chetna hai dekh lijiye kisi vyakti ka kisi vastu ka kisi sthan ka rag dweshatmak chintan chalta rahta hai dekh lo aise hi anannya bhakt ka Priyaju ka naam, Priyaju ka rup, Priyaju ki leela, Priyaju ka dham, unki divyta har samay anavrat nirantar chalti rahti hai.

usmen karta nahi hota hai. Yah sthiti ki wo buddhigat nahi jaise aap train mein baithe ho to aap har samay yad thodi karo mujhe kahan jana hai. Wo kahan jana hai. Aap batte rahna mujhe kahan jana hai. Wo baitha hai yad gaadi chal rahi hai. Yatra ho rahi hai. Jana kahan hai? Yad bhi nahi kar raha hai. Kahan jana hai ye bhul bhi nahi raha hai. Wo rat thodi raha hai ki mujhe mugal saray jana hai. Wo mugal saray jana hai. Mugal nahi ja raha hai. Kahan jana hai? Yad bhi nahi kar raha hai aur bhula bhi nahi hai. Aisi kuch sthiti hoti hai.

wo bhajan kar bhi nahi raha hai. Kyonki karta rah nahi gaya to ho kya raha hai? Anavrat bhajan ho raha hai. Ab yah kaise yah sthiti mein hota hai? Pehle to tumhen sthiti lane ke liye naam swas do bilak chalat hai. Inko bhed nako ko bhave shas naam hi shasa naam swas ko bhed mitave yahan tak aapka adhikar hai. Mitave aap karo. Phir age rom rom aur rag rag bole. Ab adhikar khatm. Main karta gaya. Ab rom romo rag rag bole tab kach swad naam ko pave isi tan mein Vrindavan isi tan mein priyal ki divya leela nirantar anavrat chalti rahti hai jin upasako ne bhed mita diya naam shas ek ho gaya naam prannon mein bas gaya har nas nadi bol rahi Radha Radha Radha bas sun raha hai wo bhagwat dham se aae hue sant jan aur wahan ke premi hamare liye patr likha ashubh pravah ho raha kaisi bhav sthiti hui hogi apne pyare ka patr jisko kisi se prem ho vastvik bhog vasna janit nahi deh bhav janit nahi prem ho asakti ho ki jiya na jae jab uska sandesha aata hai to wahi janta hai kaisa lagta hai kya de du nihal ho jaata hai.

hriday ka ek ek rom prafulit hokar ke dravit hokar apne aradhya dev apne pritam ki taraf Vrindavan ke rasik hamara chintan kar le bas ho gayi sari baat ho gayi sari baat jab unke dhyan mein Priya pritam ho aur aapka chintan aa jae kate karm bandhan sansari usi samay janm maran ke sanskar sare bhasm hote hain tabhi to kaha jaata hai ki rasikon ka sang karo kabhi kripa kor ho jae ki jab priyaju se baat kar rahe hain us samay aapki baat chhid jae ladli jo aapka ek jan hai bas ho gaya haan bhav mein bhare hue waise hi lota balti sab chhod di chal pare yah hai Vrindavan ka samarpan ab pritam ka bulawa aaya hai to ghar mein thodi laut ke jakar bata bataya ki ham ja rahe hain Vrindavan.

suno ab dekhna tum sab ham ja rahe hain Vrindavan. Wahin se kua se hi chal pare. Shri dham Vrindavan umagte hue aae. Anand magan wo donon sant jan hai jo pujypad shri ji goswami ji ne bheja tha. Shri Vrindavan dham ki yah dham hai mere pritam ka. Kaisa lagta hai jante jab pahli bar Varanasi se aae Mathura station jeevan mein pahli bar to usmen kaha shri Krishna ki nagri mein aapka swagat hai station mein likha tab kaisa lag raha tha aisi umgan aisa bada leela hota hai thakur ji ka ye to apne paas rahta nahi tha sanyaas mein to sparsh karna bhi nahi aise hamen baithaal diye the Mathura kahan hai kabhi jeevan mein dekha nahi tha to kuch log baithe aise charcha kar rahe the unmein se galat bol rahe the shastr ke vishay mein to thoda message bole unmein prabhavit the

panch nikala paise kahan ja rahe ho Mathura haan Mathura to ham bhi chal rahe hain to ham kaha chalo abhi poochne ki zaroorat nahi hogi ki Mathura aae to hamen bata dena to kahan rukoge hamen pata nahi waise tumhen jana kahan hai tum kaha chale to Vrindavan ke liye Vrindavan mein kahan raman reti naam suna tha Vrindavan ka nahi wo Gokul ki raman reti wo raman reti accha accha to ratri aap hamare saath ruk jaiye theek hai to hamen yad hai wo station mein utre parivaar unke saath tha wo laye aur jahan hamen bithala bahar wahan likha hua tha radheshyam gesta haus Mathura to garda to rahte hain to wo andar gaye hamen kaha baithiye ham aapko bula lenge bulaya nahi gardan gaye Baba chalo unko wo kah rahe the ki to shayad unke parivaar wale ne kaha ho ki jawan Baba ji hai aur tum aisa ho karna bhi chahiye sansa aisa kar bhi lena chahiye to kaha bole kaun hai ham kaha ham nahi jante to aise kaise tumhen ismen rakh lenge gesta haus mein to wo kah rahe the isliye ham yahan baith bole chalo to ham kaha jae kahan matlab kuch prichay ho to kuch

nahi kuch nahi bilkul nahi bahar nikle to pan khae lota hath mein aise liye hue jai shri Krishna accha laga koi Krishna to bol raha hai ratri ke samay 11 ke lagbhag jai shri Krishna kahan se aae ho aisa saundarya tha swaroop ka shiv swaroop jata tripun lal bhash kamdal hath kahan se aae ho Baba to kashi se bole haan nazar aa raha hai kashi se aae ho kahan rukoge hamen pata nahi wo ek aise aise laye the yahan se aa Baba tu main Dwarika jiska niji pujari hoon aa are mahal jaisa unka ghar tha le gaye ham kaha andar to nahi jaenge ham to ye bahar aae kitne prakaar ke bhog laye ghato ghato mein rahne wale ko jab ye aur malai yah wo itne dher sare wo chak paya bole Baba so jao subah jab prakash hoga jahan kahoge bhej denge ham kaha nahi yahan se yamuna ji jane ka marg bata do to bole subah yahi se sab log jaate hain yamuna ji to ham kaha hamara niyam 2:00 baje uth ja ham yahan se nikal jaenge aap hamen yamuna ji pahunche snaan kiya phir wahan se pucha ki yahan darshan kahan to Mathura janmabhumi kuch bhakt jan Mathura

janmabhumi ja hi Keshav dev ji ko dekha pahla darshan lalit tribhangi shri lal ji ka nahi to sadaiv shivling ka darshan aur aradhan aur ananyata bhagwan shankar ki je dekha matlab jaise bahut janm se bichhda hua koi vaisa na chilla chilla ke rona aaya kyonki pahli bar prabhu ka yah rup dekha aur wo matlab jab wo ghaseetna chahte hain na to kuch unki leela hi alag hoti hai. Ab baith gaye. Ab to jab rona shuru hai to wah bhakt nagri hai. Sab Mathura puri badi mahima hai shastron mein nitya nishdin shri hari ka vas Shyam sundar ka bataya jaata hai.

mahaprabhu ke anubhav mein dube hue sevak ji bhi kah rahe hain Mathura nitya Krishna ko vas nishdin Shyam na chhadat paas tas sakal leela kahi. Ab to andar se tulsi ki mala aur prasad aur itne rupaye hamare samne jama ho gaye. Koi 100 koi panch koi 10 koi to pujari ji the ham kaha ham rupya to sparsh nahi karte aap ham le lo kaha Baba ruko do char din ab kaha nahi hamen to Vrindavan jana hai to bole accha Vrindavan jana hai to ek kaha Vrindavan jana hai aap inki vyvastha to oto mein baitha diya Vrindavan atal lachangi ek ek chij ab yad atal lachangi to us utre wahan se to Baba aap kahan jana ham kaha raman reti raman reti to ab ye raman reti apni hai na ye sundrapur rod wali ise raman reti hamen pata nahi tha to usne kaha riksha wale se kaha kitne rupya loge to 1015 jo bhi raman reti Baba ko utar diya ekadshi ka din tha parikrama chal rahi pahla Vrindavan mein prash ekadshi ke din tha parikrama aisi bhid hoti hogi Vrindavan mein to ham saath saath chal rahe the.

kahan jana hai koi pata nahi. Ek mauni Baba the padhar gaye. Bade achhche sant the. To hamari taraf dekhe aae aise wo bhi sanyaas vastr mein the. Matlab bada priyata dikahti wo hamen pata nahi kashi se aae hain. To accha Shyam kha lenge wo usko bulaya. Kaise tumhen batayen ki kai din matlab yah jo pragat Vrindavan aap dekh rahe hain kai din mahadev ki kripa se matlab kaisi divyta kaisa bhav jab prabhu ke dwara akarshit kiya jaata hai to parthiv drishya nahi rahta ye chidanand hai yahi yahi Vrindavan chidanand hai pahli drishti mein hi Vrindavan kuch Gadadhar bhatt ji ne jo swaroop dekha vikal ho gaye Vrindavan ko Vrindavan ke bhav se ana kabhi manoranjan aur shahar bhav se mat ana pujypad shri nivarkacharya ji maharaj shri ji maharaj jab ate to gaadi se pehle utar kar Vrindavan ko pranam karte rajrani mathe par lagate phir age badhte bahut ye Priyaju ka mahal hai bahut jitna tum aadar karoge jitna bhav se dekhoge utne Vrindavan prakashit ho jaega.

yahan koi stri purush nahi rahte. Ye sab bahya drishti hai. Yahan keval sakhiya hai. Bina kripa ke aap man se bhi nahi soch sakte. Tan se ane ki to baat jane do. Aap hamari ladli ji ke nij kripa patr hain. Tabhi aap aae hain. Yah mat socho ki ham paise se aae hain. Shri Radhika kripa bin sabke. Par yahi ki aap kripa ka aadar nahi karte. Aap paise ka aadar karte ho. Aap vihaar ka aadar karte ho. Aap prichay ka aadar karte ho. Aap shri ji ki kripa ka agar aadar karo to aapko baat samjh mein aa jaegi. Shri Gadadhar bhatt ji ko kitna sukh mila hoga jab jeev goswami ji ke darshan kiye honge.

ye sab mahmmahim matlab prabhu aur inme koi antar nahi. Pujya shri rup ji maharaj, shri sanatan ji maharaj aur unke yah vansh mein bhi hain. Anup ji ke putr hain shri ji goswami ji aur waise shishya hain. Dekho kaisi nishtha jab aisi mahima ko prapt hai to nishtha kaisi ek digvijay aaya tha aur pujypad shri rup goswami ji ke paas pahuncha rup goswami ji ki buddhi ko kya kahna jis buddhi se mahaprabhu chaitanya dev akarshit hokar swayam kripa karne ke liye gaye inke paas aap socho aur inhi ke bal se rajya chal raha tha.

aise waise buddhiman bhi nahi the. Wahi buddhi jab shri Krishna charnarvind mein lagi to uski mahima ka kya varnan karna? Bhala koi digvijay inko parast kar sakta hai. Aae aur sahaj mein likh diya. Dekho sant aur bhagwat premi mahatma jan sadaiv dyata ka hi poshan karte hain. Abhiman ka kadpi nahi. Ab koi na samjh paye unki danyata ko abhiman karke unko parast mane to uski buddhi ki laghuta hai. Sant jan to sadaiv dyata ka kyonki hamari pyari jo pyare ju ko danyata priy hai to swabhavic aa jati hai.

banavti nahi swabhavic hoti hai dainyta. Unhone apni parajay ke dastakhat kar diye. Aur bade garv se ki rup ji rup goswami ji ko hamne parast kar diya. To pujya shri jeev goswami ji aa rahe the yamuna snaan karke jab unhone to aap hamare guru ji ko parast karne ki baat karte hain. Kaisi tumhari dhurta buddhi hai ki itne bade mahapurush ko tum parastik shabd se prayog kar rahe ho. Are main unka tuchch sevak hoon. Baith jitna tu shastr swadhyay jitna vyakaran sab baith hamare samne ek kshan mein muhn band karva de.

ji goswami ji ne uske abhiman ko dhul dhul se kyonki guru kripa patr mein swabhavic wo samarth hoti hai. Jab gaye aur rup ji ko pata chala ki yah us vidvan ko parast karke aa rahe hain. Tab kaha aisa kyon kiya? Unhone kaha prabhu aapke prati parajay shabd mujhe bardast nahi hua. Tumne mahaprabhu ki baat nahi samjhi. Tumne hamari baat nahi samjhi to tum hamare shishya kaise hue? Mahaprabhu kah tanad pishu niche tumne kaise usko parast kar diya? Tanad pishu niche tum usse nicha nahi ban sakte the.

hamare hriday mein kya isko sukh milega? Ye phool gaya na ki main jit gaya. Bas ye sukhi hua na kya chala gaya? Tumne usko parast kar diya. Jao ham tumhara tyag karte hain. Bolo kya aparadh tha? Koi aparadh tha? Koi aparadh nahi. Aisa pratyek shishya ko karna chahiye. Apne guru ki ninda, apne guru ki avhelna, apne guru ki laghuta ki baat sunkar tum uske saath baith jao. Aisa kaise ho sakta hai? Jeevan Gurudev ko samarpit shabd nahi. Ab wo jab guru ne kah diya ki ham tumhara tyag karte to phir jeevan kya rah gaya?

bahut udas jab vishesh bhookh lagti to ata mangkar ghor kar pe le do udar phool gaya ab ata pachne ki thodi ek bar do bar jab bhookh lage tab ata maang ke pani se ghor ke bimar pare to ek jagah bhiksha mangne pujya shri sanatan goswami ji gaye awaz lagai to thoda vilumb are mai de de vilumb ho raha hai to bole tere se to accha mera Baba hai jo aata hai ata gh ke pita hai ab kuch kuch din se aa nahi raha. Kaun aisa sant hai braj mandal mein jo aise vairagya se itni teevr o jab pata chala ki wahan wahan gaye to dekha jeev ye halat kya to ro pare ki guru ji ne tyag diya hai ab jeevan kya ab to bas jab tak pran chal rahe hain chal rahe hain to pran hi chodna ek hai guru ji ne jab tyag chalo saath chalo waise avastha mein shri pujya sanatan ji bade the par vairagya prakaran mein pehle shri rup ji ne isiliye pehle bola jaata hai rup phir sanatan waise bade the sanatan sanatan ji gaye aur kaha ki aap kya mahaprabhu ki

agyaa ka palan kar rahe hain agar aapne inko dand diya ki mahaprabhu ki agyaa ka palan nahi kar rahe tanad suni to aapne kya palan kiya jive daya mahaprabhu ka vachan hai ki jeev par daya karo ye kya jeev nahi hai ye daya ka shuru aap halat dekh rahe ho iski kya aparadh tha sweekar karo to unka jab agyaa ho rahi to swikrati kaisa samarpan kaisa samarpan donon baton mein dekho kaisa samarpan kya pran rakhne ki kya mahatva hi nahi rah gaya jab guru se vilakta to aur yahan bhav dashaen kahan hai sharir mein bhogon mein kaise priyal ki prapti hogi bada sukh mila ji goswami se milkar ke priyal ke prem ras ki baten hui hariram vyas ji adbhut vidvan jab mahaprabhu se mile tab unko laga ki abhi tak hamari padhai jitni thi sab adhuri rahi aur priyal aise hi jo prem rang chadha hua tha usmen aur gadh prem rang ki.

ab lagne laga ki inke age jab ham mahapurushon se to phir lagta hai apni bhakti apna gyan apna prem bahut laghu lagta hai. Kaise prem mein mat wale shish shyama Shyam ke hain. Jab tak bhagwat smriti ka tar nahi banta tab tak priyal ke chintan mein priyal ki bhakti mein kya sukh hai yah aap anubhav nahi kar payenge. Sara ka sara paramarth akhand chintan mein hai aur is par koi dhyan nahi deta. Chilla chilla ke har rahe hain. Jab pocho kahan ho? Are ho kahan tum? Thikane pe tum nahi rahte. Kriya kar rahe ho to aapka antarik chintan chalna chahiye.

aur jab nishkriya baithe ho tab to chintan chalna hi chahiye. Par aap log janch karke dekho is baat roz satsang sunte ho. Roz prayah wahi baten kahi jati hai. Par aap akhand chintan ki taraf dhyan dete hain. Yahan se nikle masti se baten karte hue. Phir free man ko jab tak akhand chintan mein nahi lagaoge tab tak baat nahi banegi. Shri jeev goswami se milkar premashupat karte hue shri Vrindavan ki prem charcha hui. Jeev goswami ji ne kaha ek bar apne mukh se jo pad likha tha sunao. Ashwapat karte hue prem vikal hokar ke sunane lage.

jab unki vani suni itna akarshan shri Krishna prem ka to unhone kaha ab tumhen ham seva dete hain. Tum roz bhagwat charcha sunaoge Vrindavan vasiyon ko. Roz shri Krishna charcha sunaoge. Kyonki tumhari vani mein hamne shri Krishna ka kripa amrit dekha hai. Tumhari vani aisi hai ki jo sunega wah nischit Krishna bhakti se yukt ho jaega. Nischit vishyon se vairagya ho jaega. Jab gurjan adesh karte hain na to aur rang aa jaata hai. Bina gurujanon ke adesh ke koi bhi anusthan nahi karna chahiye.

ki ham amuk anusthan ya amuk katha ya amuk shishya bana kuch bhi log kalyan ki baat har baat unki agar unki agyaa hai ki katha kaho to tumhen koi bhrasht nahi kar sakta tumhari katha ka rang aisa hoga ki shri Krishna prem rang chadhe jao lok kalyan ke liye shishya banao aur mangalmay bhagwan ka koi badha nahi pahuncha sakta guru agyaa honi chahiye manmani to aise haeejan ki tarah prakash yash badhta hai phir nasht ho jaata hai. Lekin jo guru kripa prasad to wo lokar mein kalp kalpantar tak chalta hi rahta hai.

dekho guru kripa prasad se agr devacharya ji ne adesh kiya bhakt charit gao to sanatan ke liye bhakt charit nahi kaise pata chalta hai in mahapurushon ko yah kalpna karke nahi likha hai dekha aise dikhayee de raha hai aur wo mahapurush apni sari baat bata rahe wo likha hai adesh hua ki aap bhagwat charcha kijiye shri Krishna charcha kijiye ab shri Krishna Krishna charcha nitya hone lagi. Katha ka aisa rang badha ki shastron log dur dur se akar ke shri Gadadhar bhatt ji jab bol sab mat wale ho jaate hain. Ab jab bhagwat charcha sunenge to siddhant bhi hota hai aur siddhant sunenge to unmein phir brahmcharya sanyam aadi hota hai.

to naam ho kalyan sinh jat raj poot poot baith aae katha so abhut rang lago hai nipat nikat vas dho raha pravas ganv has parihas tajo tiya dukh pago hai jani bhat sang so anang vas dur bhai karo le ke nai aae kam jago hai mangat phirat hoti juvti aur garb bhavti kale rupaiya 20 ne kaho rago hai Vrindavan ke sameepit dharora ganv wahan ke ek rajput sardar kalyan sinh unhone jab Gadadhar bhatt ji ki katha ki mahima suni ki satsang hota hai bada akarshankari wo aae aisa prabhav para ki ab wo katha ka hi chintan karte hue phir dusre din ka phir ab wo to katha ke rasik ho gaye.

unka hriday yah nischay karne laga ki ab mujhe koi bhog nahi chahiye. Ab shri Krishna chahiye. Yahi hai. Satsang ka yahi phal hai. Bhogon se rag hatne lage. Deh bhav mitne lage. Shri Krishna anurag badhne lage. Ab patni jo thi unki naye hanste na bolte ghar jaate gambhir mudra mein apna prasad paya. Chal diya. Ekant baithe naam jap kar rahe hain. Katha ke vishay mein chintan kar rahe hain. Ab grahasti mein to sab leela hoti hai. Ab wo kam vedna se pidit hui. Inke samip gaye na baat kiye na dekhe na bole. To usko laga ki Gadadhar bhatt ji ne to hamara sarvnash kar diya.

ye jab se katha mein jane lage tabhi se aisa hai. Ab kya karun? Hamare patidev hamare hath se nikal gaye. Hamare kam ke nahi rahe. Ab kaise wapas karun? Nischay kiya. Aisi yukti rachungi ki jo katha vachte hain na inhi ka muhn kala karungi. Tabhi ashradha hogi. Unse ashradha hogi to phir hamari baat ban jaegi. Yah bada vichitra khel hota hai. Shri Tukaram ji maharaj jab kirtan karke bhagwat yash karte to sab supra anand magan to Tukaram ji se bhav nahi rakhte the par kisi ne jo un par bhav rakhte kahte ek din chalo na unko le unko to aisa akarshan hua ki shishya ban gaye ab wahi baat ab yahan narad Sikh je sun nar nari avas bhavan taj ho bikhari mud mudao raj lagao pile pahno chalo hato karo bole grahasti koi baat nahi chalega pati patni donon vairagya le lo raho ekant bhajan karo shri ji ka chintan karo patni ne socha ki Tukaram ne to hamara jeevan kyonki yahi jeevan hai grahasti ka khao piyo bahut hi katu swabhav ki thi pati ke charan pakde aur kaha aapka to udhar ho gaya na ye kya ye to gali dene wali pair pakar rahi.

kaha dekho ek bar ham par bhi kripa karo apne guru ji ko lao aur hamen bhi to kaha guru ji bade dayalu hai. Avashya aa jaenge. Lao na kal. 10 liter pani ka bhagauna rakhkar ke aag mein chadha diya. Tukaram ji aae vinay ki thi unse ki hamari patni jo bilkul nastik hai aapki kripa se astik ho rahi aur aapke charan darshan agar aap ghar padharoge wo shishya ban gayi to main nihal ho jaaunga kyonki bhakti mein bada virodh karti hai phir donon bhakt ho jaenge sahaj sant karunamay aa gaye asan par bithala ai pranam kiya aho bhagya aap padhare jaise dushman ko nahi dekha jaata aise yahi hai jo hamara sab sukh nasht kar diya baitho maharaj pati se kaha ki baithe kya kar rahe ho kuch seva vyvastha mein lago jo hi wahan paas se hate kyonki charan pakde hue paas se hate 10 kilo pani ghanton pehle chadha diya pani aise khaul raha tha khaulta hua pani laye upar se Tukaram ji ke dal diya hamne vani padhi Tukaram ji ki wo vitthal se kah rahe dekh lo kaisa jal raha ho matlab bhaykar pida yah payment milti hai dusre ke hriday mein bhakti sanchar karne ki.

kya gadase se kaat diya jaata hai. Galiyan milti hai, ninda milti hai, sharir kasht milta hai. Tabhi to kaha gaya hai santo ke liye ki chalte phirte Tirtharaj hain. Isiliye to sara jagat unke charnon mein jhukta hai. Ab us stri ko jo kalyan sinh ki patni thi, koi upay nahi sujha. Kya karun? Kaise ashradha paida karun? To kalyan sinh ki stri nahi jiska kalyan hona hota hai uske liye maya sochti kya karun kya karun ab ye to hath se nikla ja raha hai har jal phenkegi jo phisaddi hote hain wo phesal jaate hain jo dridhi hote hain wo age nikal jaate hain [nak se ki jane wali aawaz] wo baithe soch hi rahi thi ki ek maang rahi thi kuch de do kuch de do aur garbhvati thi bulaya bulaya accha kya chahiye tere ko?

bole aaj ka bhojan bhojan nahi 20 swarn mudrae dungi. Tumhare bachchhe ka bhi theek se palan poshan jab tujhe jo zaroorat padegi dungi. Tu sun jo main kahun wo karenge. Are unka 20 swarn mudra hai aur roz bhojan aur vyvastha tum jo kaho kaho tum jo kaho aur wo bhikh mangne wale koi kalyan sinh ji ke stri ke man mein nischay hua tha ki jab tak katha vachak ke prati shraddha nahi hogi tab tak hamari baat nahi banegi. Dhyan rakhna kalyan ke marg mein yah jo badha pahunchane wali vritti hai wah sabse pahla ham chikh chikh ke kahte hain tumhara connection kategi.

agar hari guru se sambandh bana hua hai to tribhuvan mein koi bal banka nahi kar sakta. Aur jab buri dasha ane ke pehle buddhi badli jati hai. Connection kata jaata hai. Ab raudegi maya phir dekh lena. Tabhi kahte gaya gaya usko lagta hai gaya kahan tumse matlab hi nahi Radha naam sudha rasam ka tyag karke jo kuch ghanton mein malmutr ban jaata hai un rasd ki tushti ke liye is sharir ke poshan ke liye moh ke poshan ke liye priyal ke bhav ko tyag kar rahe ho priyal ke marg ko chhod rahe ho ye maya ki chal nahi tumhari samjh mein ai par samjhe tab na jahan se prakash aa raha hai wahan to tumne parda kar diya to andh andhkar mein wo lut legi.

tum jaan hi nahi paoge. Sadhu jag mein kamini si re raja rank savan ke ghar mein baghin ho ke paisi re basti chhan kare banwasa chavat sukhe pat re dav pare tanhu ko mare de chati mein lat re gyani guni sur aur pandit ye to sarv saye re sudhe hoe pare phansi mein tiriya hath bikane re teen lok mein ko na chhada de daad tar mara re haridas har sumiran lage to bhagwan ubara re nirantar bhajan karne wale ko ye maya thaas nahi sakti nahi to bhai bade bado ki jataon se apne charan saaf karvaaye wo maya hai bhagwan ki bahut vichitra hai

matlab bas trahima keval hari mame prapadte maya mein tam tarte jab kam ka prabal veg hota hai to lagta hai bhagwan to age mil hi jaenge bhajan karne par par yah durlabh baat thodi milegi hamare bhagya khul gaye ulta vichar aur jo chatur upasak hota samjh raha hai maya ne prashn upasthit kiya hai mujhe sahi uttar dena hai tab hamare age ki bhumika banegi par wahan baat hi nahi samjh mein aati ab Gadadhar ji katha kah rahe the aur usne 20 swarn mudrae dekar kaha tum jakar unse kahna ki yah to de diya ab samay aa

raha hai iske prakt hone ka aur aap katha ba rahe ho vyvastha kaun karega sabha mein bolna jake ab wo bikhari 20 swarn mudra dekh ke usko laga ki is tarah kahne mein kya hai ham sabha mein wo to galeegli mangte ghum rahi gada Gadadhar bhatt jo ki katha mein prakash kaho aho kripa kari ab meri sudhi lijiye da laudi sang lobh rang chit bhang kiye diye le batae boli mero kam kijiye to bole aap baithiye jo jaap nit karo paap nahi mero gayi darshan dijiye shrota dukh paye bhakhe jhuthiya mar nakhe sanchi ka rakhe suni tan man cheejie kalyan sinh ji ki patni ke samjhane ke anusaar bhikharni ai Vrindavan aur jab bhari sabha mein rang jama hua tha bhagwat charcha ka usi samay akar ke boli maharaj kya updesh sabko de rahe ho kuch hamare vishay mein socha yah jo aapne garb dharan karwaya hai, garbhvati kiya hai, ab iska samay aa raha hai aur aap yahan katha baat kabhi dobara pucha nahi.

aap hamse baat nahi ki to kuch to vyvastha aap kar do. Bhikharni ka lobh aisi galat baat bolwa raha tha. Sab sabha san rah gayi. Unmein jo kachu the kaha aisa sabke samne to gyan vairagya bhakti ko bikhari ko garbhvati kar diya are aise leela aise hai sab pakhand ka bolbala hai uthe chal diye jo sache the unhone kaha isko jaan se mar dalenege ye hamare guru ji ke prati aisa kaise bol gayi ye dhurta hai ye koi chhal hai koi natak kiya ja raha hai main ise jaan hahkar mach gaya ab rangbhang to ho gaya. Gadadhar bhatt ji ne kaha shant shant shant sab shant raho.

kaha aao aao baitho. Main to nitya hi tumhara smaran karta hoon. Kya tumhen pata nahi kisse baat kar rahe ho? Jaan rahe ho yahi to baat hoti hai na. Main to nitya hi tumhara smaran karta hoon. Kisse baat kar rahe ho? Chhalia Shyam sundar se. Main to nitya hi tumhara smaran karta hoon. Kya tum jante nahi ho? Badi kripa ki to jiska smaran karte hue is rup mein aaya aao bahut accha kiya mujhe darshan diye aap akar ke baitho jisne ye diya hai wahi vyvastha karega kaisi chaturi se bol rahe abhi bhakti ki jisne ye diya hai wahi vyvastha karega aur main to roz tumhara smaran karta tha ab koi samjh nahi pa raha hai ki matlab maharaj ji to aisi baat kar rahe jaise purv parichit ho kya kuch hai kya chakkar bada vichitra hai maya yahi aise point hai jinme bade bado ko phisla diya jaata hai yahi aise point hai jahan se bhagwan ki bhakti janit jo prakash ho raha hai usmen andhkar phailane ka maya ye uske amog baan hai bhagwat kripa se vyarth ho jae to ho jae nahi to amog baan hai ek baan mara pura ka pura yash dhul dhosit kar diya.

shrotaon ke man mein bada hi andar dukh ho raha hai. Shant shant kah ke baithaal to diya par kahne lage mera hriday ab bhi kah raha hai. Koi chhal kiya ja raha hai. Ye koi natak kiya ja raha hai. Par ye maharaj aisa kaise bol rahe hain? Ki main tumhara smaran karta tha. Jisne diya matlab jisne diya wahi palan karega. Tum baitho na. Matlab agar mere prati sambodhan kar rahi thi ki aapne to aap kah kya rahe jisne diya wahi palan kar logon kya le rahe baat satya hai na mil rahi hai na baat koi koi kahta ki ye satya kah rahe hain kyonki maharaj bhi bol rahe hain jo samarpit chitt ke the chilla chilla ke rone lage ki main apne pran de dunga lekin ye baat bardast nahi kar sakta ab hahkar mach gaya puri katha mein us bhikharni ki baat sunkar sab ne yah nischay kiya jo wahan baithe hue the ki ya to ham apne pran tyage ya iske pran le kyonki jo mujhe roz bhagwat charcha mein aisa ras dekar unmatt kar raha hai.

jinki vani mein aisa ras hai. Agar wah vishay sevan karte hote to aisa kaise ho sakta hai? Iska matlab yah chhal kiya ja raha hai aur sab shrota mana rahe hain ki ya to abhi mere pran nikal jae ya mujhe adesh diya jae to main ise mar du phaat jae bhumi to samae jae shrota kahe bahe drig nir hoe adhir sudhi gayi hai Radhika vallabh das pragat prakash bhas bhyo dukh raas sun so bulaye la hai saanch kah dijiye nahi abhi jeev leeje dar save kah diyo sukh leo sangya la hai kali tarwariya mari ve kalyan gayo dayo parab bodh hamen kari daya nahi hai sant sadguru ki yadi pratishtha mein hani pahunchne wali ho to shishya janon ka aisa hi kartavya hota hai.

wah sab shrota jan kah rahe hain ki yah dharti phat jae aur main dhas jaun. Mujhe yah shabd ab dobara sunne ko na mile. Mera marna hi uchit hai. Main apne guru ki aisi ninda nahi sun sakta aur dukhi hokar netron se aansu bahane lage. Ek Radhika vallabh das naam ke bade hi suljhe hue sant the. Unhone uski halat dekhkar ke samjh liya ye bikhari ne aur drama kar rahi hai. Unhone Gadadhar bhatt ji se kaha bas do minute mujhe kuch iski hani nahi karunga bas do minute samay de dijiye aur pakda bikhari ka hath aur ekant le gaye aur kaha ki theek bata de to jeevan dan de denge agar jara bhi jhooth boli to kaat ke phenk denge tujhe aur kitni dum usmen tatkaal wo ro ke bolne lagi ki main to 20 swarn mudraon ke karan aisa kalyan sinh ki patni ne mujhe aisa aisa aisa chal sabha mein bol sabha mein laye to unhone bataya ki kalyan sinh ki patni 20 mudrae dikhayee swarn mudrae di aur unhone kaha aisasa bol dena bas tumhen keval bol dena hai to maine akar bol diya hai aisa ab wo dari hui jab apni sari baat bataai to kalyan sinh to wahan babula ho gaye unhone talwar khinchi aur bhag pare ghar ki taraf ki aisi dushta patni jakar abhi tukde-tukde kar denge shri bhatt ji ne roka.

yahi satsang suna hai abhi tak. Yahi satsang ka phal hai ki tum krodh dharan karke hinsa par utar jao. Are bhai hamara karya hai apne marg mein dridh rahna. Maya ka karya hai hamare karya mein badha pahunchana. Agar ham badhit ho gaye to parast ho gaye na. Hamen gussa nahi karni. Hamen parast nahi hona. Hamen apne prabhu ke marg mein ye dekho dhyan rakhna. Yah jeevan mein hota hai. Aisa hi hota. Bahut se aise udaharan bade pare hain. Upasak ko chahiye chahe jaisi paristhiti ho. Yadi prem marg mein bhagwat marg mein chale ho to dusre ka ahit na hone pave aur apna kadam na rukne pave.

yah siddhant jeevan mein dharan karna. Aur yah bal milta hai bhagwat kripa se. Yah koi mansik bal nahi hai. Yah bhagvatik bal hota hai. Jiske bal se aisi kshamta hoti hai ki ninda karne walon par bhi kripa kiya jae. Amangal karne walon ka bhi mangal kiya jae. Isiliye is kripa ko prapt karne ke liye Vrindavan dham garaj raha hai. Yahan ke rasik jan yahan ki rajrani aapko aisa samarth bana deng. Koi bhi maya ka prabhav aapko parast nahi kar payega. Sadaiv shyama Shyam ke nirantar chintan mein rahie aur lakshya samne rahe ki mujhe isi janm mein bhagwat sakshatkar karna hai.

nischit ho jaega aapka lakshya hi aapko bhagwat prapti hai. Lakshya vihin jeevan kis kam ka jab man aaya mala chala le jab man aaya manmani aacharan aisa nahi ye janm mila hai kasauti par kas ke jalne ke liye jaloge to swarn jaise chamakne lagoge priyal ki seva mein pahunch jaoge shesh charcha shri Radha vallabh lal ji

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi