॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

sab koshish karta hoon phir bhi galti ho jati hai, karodon ka karja ho gaya hai, kya karun?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

Radhe-Radhe Gurudev bhagwan ji Gurudev aapke charnon mein pranam Gurudev main aapka satsang vartalaap keval 10 11 mahine se YouTube ke madhyam se dekh raha hoon. Aapki vani se sab buri adte aur vybhchar chhod diya hai. Jeevan mein hamesha stragal aa jaata hai. Samjh nahi aata kya karun. Kahan jaun? In teen char sal mein main shunya ho gaya hoon. Abhi bhi mere sir par bahut sara karaj hai. Maharaj ji main kya karun? Radha Ram koshish bhi kar raha hoon. Is vishay mein hamari samarth nahi hai. Kyonki aapka vyapar kaise chale, aapka karja kaise mite.

aapne jo apne manoranjan ki vishay vilasta ki us samay aapne hamse adesh thodi liya tha. To jo ham karm karte hain use hamen bhogna parta hai. Ab aaj Radha naam nai fasal tayyar ho rahi hai. Ab kisan aaj bo de aur kah de ki hamko 40 ma do char din mein katne ko mil jae. Bar-bar khode to bij bhi nasht ho jaega. Usko ek dana nahi milega. Panch chha mahine mehnat karke wah apni fasal ko surakshit jab lagta hai tab 40 man ek bigha mein kaata hai. Aaj aapne bhakti shuru ki hai. Aap soche ki hamara karja mit jae. Ham jo chahe wah sab prapt kar le asamabhav.

kyonki jab sharir nirman hua tha tab hamare kuch paap aur kuch punya donon se mishrit sharir bana tha. Aur jab ham is sharir mein aae to kuch punya aur kuch paap phir ban gaye. Shubh ashubh ban gaye. To avashya mein bhoktuvi kritam karm shubhashubbam aapko apne karmon ko bhogna padega jo aap karm karte hain. Ab jo hamare sanchit karm hai ham unko bhasm kar sakte hain bhajan badha ke lekin praarabdh bhog bade-bade santo ko bhogna parta hai. Bhogna parta hai na. To hamare paas aise upay jaise aisi charchaen ki amuk karya karo aapka karja mit jaega.

amuk karya karo aapko nokri mil jaegi. Amuk karya karo aapka mukadma jit jaega ya amuk karya karo aapke liye sab kam aisi hamare yahan charcha nahi hoti hamare yahan charcha hoti hai ki aapko shyama Shyam ki prapti kaise aur shyama Shyam ki prapti ke marg mein chalne matra se sari kamnayen apne aap purn ho jati hai sataarg mein jaise mul ko pakdo na mul mein jal chadha do to dal mein patte mein pushp mein phal mein sab jagah pahunch gaya aise hamari jo charcha charcha hoti hai wah mul ki hoti hai.

bhagwat prapti ki hoti hai. Jeev bhagwat prapti karke param sukh ko prapt karen. Isliye hamari charcha hoti hai. Ab hamko totka tona aur jantur ye sab aata nahi ki aap ye jantur bandh lo. Kuch dino baad aapka karja mit jaega. Aise to aisa to hamare paas kuch aisa jugad hai nahi. Aur mujhe lagta hai ki agar naam jap karte rahe to is janm ka karja kya anant janmon ki bigdi ban jaegi. Vishwas karke par ham yah nahi kah sakte ki isse tumhara karja maaf ho hi jaega aur ham yah jarur kahte ki is janm ka kya karodon janmon ka rin mukt ho jaega dev rin pitr rin rishi rin matri rin sabse yadi ham naam jap karen aur priyaju ko pukare to unki kripa se sab kuch sulabh ho sakta hai.

par apne ko ab aacharan theek karne padenge. Ab aacharan sudharne padenge. Piche ki kheti bahut kharab hai. Age ki fasal hamari achchhi hai. Milegi. Par abhi jo piche ka boya hua hai use hamen katna padega. Itna gyan hai nahi aap mein itna tap hai nahi bhajan hai nahi ki use aag laga do. Gyan ke dwara sab karm sanskar bhasm kar diye to phir avashya mein bhoktavya phir bhogna padega. To dhairya rakho. Karja lekar ke apni unnati ke liye jo chala jaata hai bahut dhoke ka khel hai. Karja lekar agar vyapar kiya jae, karja lekar vasnaon ki purti ki jae to hamen lagta hai ismen mudhta hi hai kyonki vyapar mein hani ho gayi to karja wo ho gaya aur upar se hani ka dukh bhogo to dehateeti bhasha mein kahte utne pair pasaro jitni lambi chadar ho to apni chadar se zyada pair kyon pasar diye?

kisi se salah nahi li kisi mahapurushon se karja to bilkul lekar vyapar aadi nahi karna chahiye nahi ek karja chhupane ke liye dusra liya dusra lene ke liye tisra liya to ek aise ek galti chhupane ke liye dusri ki dusri chhupane ke liye tisri isi mein to ham phayl hote jaate hain isi mein to ham bante jaate hain ab sudhar kar lo ab sudhar kar lo sab sudhar jaega bhagwan bade kripalu hai unka aashray lo naam jap karo achhche aacharan karo mehnat karo kam kharche se jio paisa bachakar karja pura karo hain ham to aisa koi jadu aisi asha rakhte ho maharaj ji aap hriday ho mera aap mera jeevan ho aap jo salah doge wo mere liye pran priy hai ab asli baat mein hamne kabhi karja liya na kabhi niptaya manga khaya aur bhajan kiya to accha is vishay ka vigyan hai le ab ham matlab is vishay mein ghuse hote to hamen sab pata hota ki yar aise se aise ham to yar manga hai khaya hai aur zindagi mein bhajan kiya to wahi bhajan ki baat batte shastron ki baat batte aur to hamen sansaar ka gyan aap logon se ho raha hai.

bahut bahut sansaar ka gyan aap logon se hua hai. Nahi ham ganga kinare ka aadmi hamko zyada gyan nahi tha. Zyada buddhi hamari jo sansarikta ko jaan paye wo aap logon se jaan paye. Ye naye-naye bachchhe jo sab sadhu bane inke dwara hamen jankari ho pai. Nahi to bahut ekdam ekantik jeevan tha. Ab ye to bhagwan ki leela hai ki wah seva der karvana chah rahe isliye nahi to ekantik jeevan tha mangna khana bas raat din apni shri ji ke isliye mujhe lagta hai bhaiya agar aap hamen hriday mante ho to ham aapko ye jarur batte hain ki bhagwan ka aashray aur bhagwan ka smaran ye sab dukho se bacha leta hai.

hari smriti sarv vipad vimokshanam bhagwan ki smriti samasth vipattiyon se bhagwan ka vismaran hi samasth vipatti hai kaha Hanumant vipatti prabhu soi jap to sumiran bhajan to naam jap karo achhche aacharan karo aur bhagwan ka bharosa rakho aur mehnat karo jo [gala saaf karne ki aawaz] arth aap vilasita mein kharch karte ho use kam karo aur karja patao dhire-dhire pareshaan hone ki zaroorat nahi theek hai haan kyonki matlab jise ham isliye bol diya ki abhi kai lakh lakho log sunte hain to kisi ko yah lagta ho ki Baba hamko kuch rakh de denge kuch jantu bandh denge to hamara kuch hamare yahan keval bhagwat charcha hoti hai aur na aisa koi totka na kisi tarah ka aisa kuch par naam jap karo bhagwan ke ashrit raho sataarg mein chalo achhche aacharan karo isi se sab theek ho jaega aur hamen vishwas nahi hai hamare liye to Baba aapki vani hi jantu hai hamari vani hi rakh hai hamare maharaj ji ek samay aisa bhi aaya tha atmadeh ka bhi khyal aa gaya tha bat aapki vani aur aapka smaran usne sambhal liya maharaj haan nahi nahi aap age badho

adhyatma mein aap dukhi mat ho ye hamari ladli jo aisi hai aisi kripalu hai ki aap khud dekhna wo sab baak bana deti hain jisse jeev ka nistar ho jae param mangal ho jae ham sab adham hi hain ham sabse galtiya hoti hain par wo prabhu agadh gyan samudra ladli jo kripa samudra hai unhin se kam banta hai aap chin chinta na karo jisne akar prabhu ko to wo har upay unhin ke hath mein hai. Kahte hain na upar wala jab deta hai to chhappar faad ke deta hai. Le kahan se kaise vidhan bana deta hai wo bla deta hai. Aap nishcint rahie bilkul aandit rahie.

bhagwan ke bhrose rahie aur naam jap kijiye. Bhagwat ashrit rahie. Koi rasta aisa nikal aayega jisse har samasya ka samadhan ho jaata hai. Dekho mile to aap ho aaj lekin milne ke pehle hi samasya ka samadhan shri ji ne karva diya ki nahi aap kah rahe atma karne ki ham soch rahe the ham aisa galat soch rahe the jab satsang mila to aap badal gaye aap aaj to samne baithkar sun rahe ho to vishwas karo age aur hamara prakash hoga age unnati hogi aur aaj dukh hai to yah rahega nahi agar aaj sukh hai to abhiman mat karo yah bhi nahi rahega jaise din nahi rahta raat aati raat nahi rahte din aise sukh dukh ka chakra chalta rahta hai.

aap bahut savdhaan hokar rahie. Naam jap kijiye. Koi vyasan mat kijiye aur kisi bhi tarah kisi ko dukh na pahunche. Bas yah dhyan rakhiye to malik itna kripalu apne aap aisi vyvastha kar dega ki sab chalta hai. Bilkul aap vishwas kijiye. Ye sab srishti bhagwan se hi chal rahi. Ham log ahankaar mein hai isliye hamko karna lagta hai ki maine kiya maine kiya. Sab kuch karta dharta hari hi hai. Wahi kar rahe hain. Yah baat samjh mein aa jae to ham abhi nishcint ho jae. Abhi nishcint ho jae.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
  • jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…