॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

mahapurushon ke vachan hain, dhyan se sunna.

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

bahut dhyan se sunie. Yah bade mahapurushon ki baten hain. Tere bhav, teri vrittiya, tere aacharan shuddh nahi hai. Yahi to hota hai. Mera bhav shuddh nahi. Meri vrittiya shuddh nahi. Mere aacharan shuddh nahi. Sun lo dhyan se. Sharanagati mein tere bhav teri vrittiya tera aacharan shuddh nahi hai. To kya hua? Tu inki chinta mat kar. Inki chinta main karunga. Inki chinta main karunga ki mere is bhakt ka bhav shuddh nahi. Abhi ise theek karna hai. Iski vrittiya theek nahi. Ise theek karna hai. Main kyon chinta karun?

main kyon karun? Kyon kara hai? Aisa kyon kara hai aapne? Nahi. Hamare aaspas kripa ka phra hai. Tum hamen dekh bhi nahi sakte. Tum hamen chu bhi nahi sakte. Baat karne ki to baat jane do. Agar baat kar rahe ho hamse hamen dekh rahe ho hamen chu rahe ho to wo chhwa hai isliye chu rahe ho. Wo baat karana chahte isliye baat kar rahe ho. Wo dikhana chahte isliye dekh sakte ho. Nahi tum hamen dekh bhi nahi sakte. Ham prabhu ki vastu hain. Ham prabhu ki vastu hai. Dusre adhyay ke satav shlok mein gita mein arjun ne bhagwan ki sharan hone ki baat kahi.

phir athav shlok mein kahte hain ki is bhumandal ka dhandhan se sampann nishkantak rajya milne par bhi athva devtaon ka adhipatya milne par bhi indriyon ko sukhane wala mera shok dur nahi ho sakta. Mano ek taraf to kah rahe hain ki shishya sadhi tam prapnam ab aap jo kahenge wahi karenge aur bhagwan bol nahi paye aur aap kah rahe ki mujhe yuddh nahi karna ye kya sharanagati hai bhagwan bol bhi nahi paye theek usi ke age ke shlok mein bol diya pehle mein kaha shasta sam tam prapannam ab chup ho jao bolne do bhagwan ko lekin unhone spasht kaha ki prithvi ka rajya kya devtaon ka raj bhi mere shok ko nahi sukha sakta.

isliye ki main yuddh nahi karunga. To bhagwan jab bole to hanste hue bole vah sharanagat vah main nahi karunga. Vah sharanagat pehle kahte shishya sadhi mam tam prapannam main shishya hoon aur aapka sharanagat hoon. Ab iske baad aapka na kahna ye to bilkul kahin bhi kisi tarah uchit nahi hai. Main aapka hoon. Aap jo kahe jaise kahe mujhe isse matlab nahi hai ki aap kya kah rahe hain. Aap jo jaise jo bhave jo pyaro kare soi moh bhave ye bahut badi baat hai. Nashvan padartho ke sambandh se kisi ka shok dur hua hai kya?

ho sakta nahi. Hone ki sambhavna nahi. Parantu meri sharan lekar jo tu shok kar raha hai yah badi bhari galti hai. Tu shok kyon kar raha hai? Meri sharan hai to vishwas kar aaj se maine tera bhaar apne sir par le liya. Ek ek shabd amrit hai. Aaj se vishwas kar maine tera bhaar apne sir par le liya. Hamari shri ji hamare lal yadyapi jo brahm Rudra sukh narad Bhishma mukhsa purushas tas itne mahan hamare liye hamare lal jo hamari Priya jo jab aapki sharanagati pusht ho gayi tab baat hoti hai sharanagat hone ke baad bahut dhyan se sunna is lok ki chinta ya parlok ki chinta sadgati ki chinta ya durgati ki chinta bilkul nahi honi chahiye.

mera sadgati hogi ki durgati hogi. Lok banega ki parlok banega? Bigdega ki banega isse koi matlab nahi. Sharanagat bhakt is thesak mein rahta hai. Prabhu mere aur main prabhu ke. Yah itna bhav dridh ho jaata hai. Itni swikrati jor ki ho jati hai ki uska chinta, bhay, shok, shanka ye sab jad se nasht ho jaate hain. Mere dosho ka adhar kat jaata hai. Aham, ahankaar jismen dosh rahte hain, wah kat jaata hai, mit jaata hai. Jitne bhi dosh ate hain, bhagwan ki vimukhta par ate hain. Bhagwan ke sanmukh hone par sansaar aur sharir ke ashrit jitne sanskar hai sab mit jaate hain dheeredhi jo prabhu ke sambandh ki dridta par drishti rakhta hai.

sambandh ki drishti isht aur guru ke sambandh ka koi bhi andar chintan nahi hai. Main ka chintan hai. Main kar raha hoon, main kar raha hoon. Uska phal ye hoga. Main aise hoon, main aise bahut gun vishay hai. Jab gopiyon ne gale tak jal mein khade hokar ke sadhna ki aur bahar nikalkar devi ki balukamay murti bankar he katyayni he mahama he mahayogini aap ham par prasann ho aur mujhe nand nandan pati ke rup mein prapt ho. Dehabhmani kabhi nand nandan ko apne pati pritam ke rup mein prapt nahi kar sakta. Prabhu ne dekha ye to tayyari puri kiye hain meri prapti ki aur unmein sab kumariyan hi thi.

kuch aradhna aisi bhi ki thi jinke pati the kyonki raas mein jab jane mein roka to usmen aata hai ki patiyon ne roka to sharir chhodkar ke raas mein pahunch gayi. Sambandh dekho ham tumhari dasi hain. Tum hamse hansi thitoli aisi mat karo. Gopiyon ne sambandh yahan sambandh par drishti kahan hai? Mere guru ji mere isht dev kitni drishti hai? Is sambandh par kitna jor hai aapka? Aapko apne karm par vishwas hai ya sambandh par vishwas hai? Yah baat dhyan deni hai. Karm par vishwas hai. Yah apne kriya par vishwas ya sambandh par vishwas?

aho bhagya aaj puri dincharya ka phal to mil gaya ki mujhe seva mil gayi. Mujhe agyaa mil gayi. Agyaa mil gayi. Ayas liye chale nijda dasi. Sambandh ka dridh hona. Chinta bhay shok pariksha viparit bhavna chinta bhay shok pariksha shanka viparit bhavna ye chhah chijon nahi rahti sharanagati mein chinta bhay shok shanka pariksha viparit bhavna sharanagat itna pyara ho jaata hai ki jaise jaise aapko kaho ki pida dena chahte to yahan de do, yahan de do, yahan de do. Dil mein mat dena. Bahut sukumar jagah hai. Jaise hota hai na pith mein mar lo, gal par mar lo lekin dil pe chot mat marna.

bahut sukumar jagah hai. Aise sharanya sharanagat ko apne dil ki tarah rakhta hai. Ye dhyan rakhna. Agyaa de hi nahi sakte. Aise kyonki wo aise hai purn aise hai. Ham jo kahenge wah karenge to ham wahi karenge jisse uska mangal hoga. Uska kalyan hoga. Usko param pad ki prapti hogi. Jo wo kar sakta hai. Aisa kah hi nahi sakte ki jo uski kshamta ke bahar ho. Chinta hai agar bhay hai agar shok hai agar shanka hai pariksha viparit bhavna abhi sharanagati nahi prabhu ne mujhe sweekar kiya ki nahi pata nahi nishcint hona jab bhakt apni mani hui vastuon sahit ek ek shabd samjhna hai jab bhakt apni mani hui vastuon sahit apne tan tan ko apne man ko samarpit kar deta hai tab usmen laukik parloulik kinchit matra bhi chinta nahi rah jati jeevan nirvah kaise hoga mere to aacharan aise mera kalyan kaise hoga mere mein to koi bhav dasha nahi hai mera kaise kya gati hogi

bilkul chinta nahi ye jaise ghar mein log rahte hain unko koi chinta hai kya gyani sansari log kalyan moksh sab kuch nahi khae piye amma bappa parivaar ekdam aise prabhu se bilkul jasta aise hi prabhu se khae piye nache gaye kude hari sharanam bhagwan mast sadhna ye wo wo karva rahe ho nahi padhe chinta din dayal ko moh man sada anand jo so pratipalsi Ramdas Govind chinta din dayal ko moh man sada anand ja so pratipalsi jisne paida kiya hai wahi pratipalan karega bhagwan ke sambandh ki dridta jab ho jati hai to sansaar aur sharir se bilkul sambandh khatm ho jaata hai bilkul hukum par jaisa bilkul jaisa wo rang aa jaata hai.

wo rang sharanagati ka aa jaata hai. Tab jine ki asha aur marne ka bhay karne ka rag aur pane ka lalach sab mit jaata hai. Koi hamari dincharya nahi. Aap hi hamari dincharya ho. Koi hamen param pad nahi. Aap hi hamare param pad ho. Isse bada koi labh nahi ki aap kripa karke hamko dekh rahe hain. Hamse baat kar rahe hain. Bahut itna hi par kahan jana hai aapke paas? Aap hai hamare paas. Ekdam bilkul beparwah sthiti bhakti ke man mein baat kahan se aati hai? Mere aacharan shuddh nahi. Meri vrittiya theek nahi hai. To aap pakdo is baat ko.

mere aacharan theek nahi samarpit ho tum mere aacharan ye sharir to prabhu ka hai ismen mera kya mere aacharan kahan se aa gaye meri vrittiya theek nahi hai man to prabhu ka hai meri vrittiya ka matlab kya hai baith ke achhche se samjh lo ye sadhna se nahi hota ye samjhne se hota hai tabhi kaha hai tat swarg pavarga sukh dhari talayak kang tulantae sakal mil jo sukh lav satsang satsang se hazaron varsh tapasya ke baad jo baat aati hoti hai wo ek second mein aa jaegi satsang se isliye satsang ki barabri swarg aur moksh aadi marta loko ke bhogon ki samanta nahi rakhi gayi ye sabse bada hai satsang meri vrittiya aisa kyon mana tumhari vrittiya kahe se theek nahi tumne vrittiya mani to sharanagati kisse ho mere aacharan theek nahi to sharir se hi hota hai na phir sharir ko tumne arpit hi nahi kiya to kya dhote raho bojha karm karte raho uska phal milta rahega parinaam to shri ji milna ya bhagwat prapti hona ye to nahi ye mahan dosh hai meri vrittiya theek nahi mere aacharan theek nahi vrittiya theek

nahi hai itna bada dosh nahi jitna bada dosh yah hai ki meri vrittiya theek nahi hai are yar ek second mein sab theek ho jaata hai. Wah prasann hai to sab theek hai. Aap prasann ho to man, buddhi, indriyan, sharir aadi mein jo merapan hai yahi sabse badi kamzori hai. Yahi sabse badi galti hai. Ise shri ji ko de do. Apne man ko, apni indriyon ko, apne sharir ko, apne shri ji ko de do. Kyonki jab main bhagwan ki sharan mein ho gaya, jab sab kuch unke samarpit kar diya to sab kuch mein man bhi buddhi bhi ab ye mere kahan rahe?

vastav mein sharanagat ko man buddhi aadi ki ashuddhi ki bhi chinta nahi karni. Meri vrittiya theek nahi hai. Aisa bhav kabhi nahi ana chahiye. Kisi karanwash yadi aisa bhav aa jae to ar bhav se rona chahiye. Nath dekho bachao bachao aapki vastu koi apni man raha hai. Aapki vastu koi apni vrittiya theek nahi ye gadbad baat nahi hai. Gadbad baat hai. Meri vrittiya theek nahi. Abhi aapki vastu koi meri man raha hai. Swami bachao. Prabhu ko pukarna chahiye. Sarv samarth prabhu aapko samarpit karne ke baad main chinta kyon karun?

waise samarpan ke baad chinta nahi rah jati hai aur nahi karni chahe hamne apni saikil kisi ko de di. Ab uski chain kharab ho jae, breth kharab ho jae. Ye uska matlab bhaiya aur uska chain kharab hai. Aapse koi kahe wo jo aapne saikil di thi uski chain kharab to kahoge. Ab hamara koi matlab nahi raha usse. Wahi jiski saikil jisko de diya wah hamara usse koi sambandh nahi aise sharir se man se buddhi se yah hai sharanagati hamara isse koi matlab nahi bhagwan ne bhi kah diya ki tu chinta mat kar sarwadh paritaj mamem sharanam braj aham tam sarv pape mokshyami macha main tumhen samasth papon se mukt karke macha param pavitra kar dunga.

nishcint ho jao. Bhagwan ke charnon mein pare raho. Mast aashray lekar. Jab baat samjh mein na ave to kah do nath yah bhi sab aapko samarpit hai. Dekh lena aap he nath ye sab aapke hath ki baat hai. Mere hath ki baat nahi hai. Ye nishcint ho gaye punah bole man bahut dandta kar raha hai. Karne do dori to unke hath mein hai. Kar jatan vivid vidhi ati se prabal ajay tulsidas bas ho ta prabhu berak bar

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…