agar bhagwan ki kripa hone par sab dur ho jaate hain to kya isse akelapan nahi ho jaega?
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
reshma ji? Radhe-Radhe. Radhe-Radhe maharaj ji. Maharaj ji aap kahte hain ki jab krishna ji ki kripa hoti hai to wah aapko dhire-dhire duniya se dur kar dete hain. Lekin jab sabse dur ho jaoge to akelapan hota hai. Iske liye kahan akelapan hota hai? Tumne dekha kahan hai? Kabhi dur hui ho? Keval kalpna kar rahe ho. Ham akele hain. Ham akele bachpan se dur hain. Ham akele hain. Abhi to aap aapse itne log nahi milne ate honge jitne log hamse milte hain. Yah to bahari hai aur antar mein hamare prabhu hamare saath hain.
har kadam har pal hamare saath hain. Itna sundar prabhu itna sundar Priya jo hamare saath hain hamen aur kiske saath ki zaroorat hai? Yahan jitne sathi sab maran dharma hai. Kab mar jae kab bichd jae kuch pata nahi. Wo avinashi pritam hamare saath to ham akele ki tum akele ho. Tum pati putr parivaar ke saath rahte hue bhi akele ho kyonki koi tumhara sathi nahi hai. Na wah tumhen janta hai na tum usko jante ho. Sab pardesi ki tarah rah rahe ho. Jante ho apne putr ko kaun hai? Apne patni ko jante ho kaun hai?
apne pati ko jante ho kaun hai? Kisi se koi prichay nahi. Mane baithe hain. Jaan jao to bhagwan hai. Bhagwan hai. Pati rup mein bhagwan hai. Putr rup mein bhagwan hai. Patni rup agar ye jaan jao to tumko bhi wahi gati hogi jo bade-bade santo ko hoti hai. Par ye to jante nahi. To akelapan kya sacha pocho to akelepan aapko khata hai. Hamen thodi akelapan khata hai. Hamare to bahar tumhare to char parivaar honge. Hamare to 400 parivaar hain. Tumhara koi nahi hai sansaar mein. Nahi hai hamara hai pritam hai hamare bhagwan hai hamari Priya jo hai hamare ladle tumhara koi nahi hai tum jinko dekh rahe hain sab maran dharm hai kabhi bhi mar sakte hain pure ke pure ek saath mar sakte hain hamare pritam nahi marenge ye sharir chhutega tab pritam milenge aisi baat nahi sharir rahte hi pritam ka sanidhy anubhav hota hai par bhajan karo bhajan jeevan mein nahi hoga to yahi lagega jitne sant mahatma hain vastvik jo bhagwan ke marg mein hai unko akelapan khata hai wo akele ki taraf bhagte hain dur hamse mil mat.
kyon? Tum miloge to usse milne mein badha par jaegi. Mujhe akela rahne do jisse main apne pyare ki yad mein kho jaun aur pyara hi aake mere se mile. Abhi akelepan ka matlab nahi samjha hai. Asangta abhi har bhajan nahi to kaise janoge adhyatmik anand ko? Bhagwat anand ko kaise janoge? Tum sansaar se tulna karogi to adhyatmik anand aur vishay anand bahut antar hai. Ek andhkar hai aur ek divya prakash hai. To andhkar se sochoge to phir ab jaise bachpan se ham ghar se nikle the. Kisi ka pyar nahi mila kyonki 13 varsh ki avastha mein ghar se nikle to ham kya pyar ke bhukhe hain?
itna prabhu ne pyar diya hai ki nihal kar diya hai. Kadam kadam par unka pyar kadam kadam par unka dular aur wahi prabhu itne rupon mein ab bhi pyar kar rahe hain. Ghanton se khade hain keval is baat ke liye ki yahan se nikal jaenge to ham dekh lenge. Baba ji hai. Baba ji ko kya dekhna hai? Par ye pyar bhagwan pyar to yah hamen lagta hai ki aapka abhi agyaan hi aisa anubhav kara raha hai ki agar ham sab kuch chhod denge to ham akele ho jaenge. Akelapan lagega. Maharaj ji ismen jaise bhagwat ji mein aapne bola tha ki uska main sab kuch haran kar leta hoon.
iska vastvik rahasya kya hai maharaj ji? Rag haran kar lete hain. Bhagwan uski asakti ahankaar rag haran kar lete hain. Jaise amrish ji chakravarti samrat maha bhagwat hai. Pura aishwarya vaibhav bhagwan ne aphrn kar liya kya? Nahi. Lekin uska unko abhiman nahi hai chakravarti samrat pad ka us sampatti ka unhen garv nahi hai. Us vaibhav ka unko garv nahi hai. Aur jinke garv hai bhagwan dekh rahe hain ki ab operation karna padega to sampatti bhi hata dete hain. Garb bhi hata dete hain. Aur jinko dekha ki ye marij kam layak hai.
garb hata dene se kam chal jaega to sampatti nahi hatate hain. Aur jab dekha ki marij zyada badh chuka hai. Ab iska marja dur karne ke liye to phir bhagwan uska vaibhav bhi antardhya kar dete hain. Aur uska para jo ahankaar ka tha wah down jab down hua to bhagwan ki pukara bhagwan ki sharan mein hua wahi mangal shuru ho gaya uska bahari vyakti pariviarik janon ka koi matlab is wo nahi andar ka hi sara system andar ka rag bahar se aap ekant baithe ho sabka rag bhara hua hai to koi aap mahatma thodi ho ghar mein baithe ho kisi ka rag nahi to aap mahatma ho bhai andar ki baat sudhar andar hona bahar se kya bahar kahin bhag ke chale jao to kya tyaga andar ka rag tyaga is par mera rag nahi station mein jaise baithe hain sarkari station apna kam kar rahe hain.
gaadi ai chal diya bas intazar hai. Gaadi ai chal diya apna kam kar rahe hain. Apni vastu thodi hai. Apne to shri ji hain. Apne to lal ji hain. Apne to prabhu hain. Aapne kya kiya? Apne ghar ko apna man liya. Char parivaar ko apna man ke itna usi mein doob gaye ki bas jo kuch ho to inheen ko sukh mile. Jaise ek aadmi doodh mein chemical mila raha hai. Gandi gandi chijon mila raha hai aur usse kaho ki yahi doodh apne bachchhe ko pilao. Nahi pilaega kyonki janta maine kitni gandi vastue aur dusre ke bachchhe ke pranghatak vastue bech rahe ho tumhara nash nahi hoga to yah buddhi bhrasht ho jati hai rag se aur agar rag rahit hai to samaj ka upkar karta hai mangal karta hai ki jo chij ham nahi kha sakte dusre ko kaise de sakte hain ye jo asakti hai ye jo rag hai yahi paap karata hai aur isi ko dur karna avashyak hota hai jo isse dur rahta hai wo grihasth mein rahte hue sant hai sant keval bheshdhari thodi hote hain.
nahi dekho vibhishan ji koi sant ka bhash nahi dharan kiye. Aacharan sant ke hain. To bhagwan kah rahe tum sari ke sant priy more dharo deh nahi an ho re. Tumhare jaise santo ke liye main sharir dharan karta hoon. Bhagwan kah rahe hain vibhishan ji ko. To aacharan pradhan sant sant matlab aacharan. Aur agar kahin bhash bhi hai aur aacharan bhi hai to sone par suhaga samjho. Sone par sugandh samjho. Aur bhash hai aacharan nahi to kal nemi Rakshash vesh dharan kiya tha aacharan nahi the hanuman ji ne mar dala tha agar vesh nahi hai aur aacharan hai to wo sant hai vesh hai aur aacharan hai to phir kya kahna hai jagatguru hai aur agar vesh hai aacharan nahi to asant hai wo sant keval vesh dharan matra se nahi ho ka ji
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…