man ek ladki ki or bahut akarshit ho gaya hai galat adte aa gayi hain, kya karu?
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
Radha vallabh Radha vallabh shri Harivansh maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji bhajan aur dincharya mein alas pram aapki agyaa ullanghhan aur dosh drishti ho jane ke karan ab bhajan bilkul nahi ho raha aur man ek ladki ke prati gadh ho gaya hai jiske karan man jalta rahta hai aur sare durgun aa gaye hain wo buddhi bahut kharab ho gayi hai haan bachchha ab galat karoge to galat to hoega ab jawan avastha aa rahi idhar-udhar mata bahno ki taraf gandi drishti karoge to patan to ho hi jaega hamari baat mano to bhai sudhar sakte ho.
baat na mano manmani aacharan karo to baat nahi banegi. Aur dekho yah matao bahno ki taraf gandi drishti hai. Bahut patan ka karan hai. Bahut patan ka karan hai. Aur age chalkar ke phir ismen jo vyarth chintnon ke dwara phir aisa nahi hai ki sab prem hi karte hain. Kuch blackmail bhi isi mein ho jaate hain. Phir ladke kya hote hain? Disturb ho jaate hain ya bachchyan hui wo disturb ho gaye to phir ek upay akhiri suna matlab unko sujh milti hai ki sharir jo hai chhod den bachchhe nahi sab hamen lagta hai yar hosh mein chalo apne mata-pita ke anusaar jab samay ave to phir byah kar lo aur grahasti mein jao ye boyfriend girlfriend is jahr mein phasoge to phir aise asar nahi parta prabhu iska asar aise le ye avastha aisi hai ab pyar se samjh jae to samjh kaise tumhari bahan ki taraf taraf koi dekhe to tumhen kaisa lagega aur tum kisi ki bahan ki taraf dekh rahe ho to kaisa lag raha hai?
are jab ham kah rahe hain ki jawan ho gaye mata-pita hain unki bhi jimmedari hai. Tumhara kahin koi mitrata aisi ban jae to apne mata-pita se suchna de unko samarpit karo. Apni donon baten aur donon jagah pavitra se ho to pani grahan sanskar karke apna ghar grahasti basao. Wo to theek hai. Ye gandi pravritti jo chal gayi vybhchar pravriti. Accha dekho jaise ek bachchi hai ek bachchhe se boyfriend se phir breakup phir boyfriend ya ek bachchi bachchha bachchi se breakup phir ise kya kahte hain to aap socho kaise jeevan rahega aur aaj ye ek matlab normal si baat ho rahi hai nahi ho rahi normal matlab kisi ki bahal ki taraf dekhoge uske parivaar ke samarth log hue to bhai vyabhichari ki puja phool aur agarbatti se to hoti nahi hai to hamen lagta hai ki chhod do achhche bachchhe bano gandi baat mat karo hain chhodoge man jao to bachchha mangal hai theek hai aur naam jap karo matlab aise gande karyo ki taraf kadam mat badao nahi to bahut tarah se [nak se ki jane wali aawaz] phir vikshep ho jaata hai bahut tarah se vikshep ho jaata hai bahut darna chahiye ye jo purani paripati bahut achchhi paripati thi ki ghar ke bade budhe sadasya sab jake var dekhe ya kanya dekhe aur Shastri paddhti se milakar phir byah hota tha.
bada matlab ek bade aur unmein samarpan bhi hota tha. Jin jisko pati rup mein varan kiya aajeevan aisa bhav hota hai na aur aajkal ke lav marriage hota hai aur char chha mahine mein talak ho jati hai. Nahi ho jati lav marriage kaha jaata hai. To hamen to lagta hai adhnikta jo fail gayi hai vybhchar ki isko chodna chahiye. Ye ismen pavitra nahi hai. Pati patni mein pavitra prem mein jeevan lamba grahasti ka vyatit ho wo dhanya ho jati hai. Grahasti bhi dhanya ho jati hai. Ab pati patni mein prem nahi pati kisi aur ko chah raha hai.
patni kisi aur ko chah rahi kal ashanti to wo ghar grahasti nahi basegi. Usmen ashanti hi bani rahegi. Aur aaj ke jo naye bachchhe hain ab inka kaise swabhav banega? Ek pati ek patni mein kaise banega? Jab 14 jagah breakup ho chuka hai to kaise ek pati ko usmen bhi breakup aayega na usmen bhi breakup aa jaega jeevan mein to hamen lagta hai ye hamari bharatiya paddhti nahi hai isko chodna chahiye aur hamen dharm purvak chalna chahiye sadhna ji Kanpur se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji jab kisi manushya ki koi sakratmak aur prabal ichchha hoti hai jismen kisi ka ahit shamil nahi hota to ye kah rahe hain ki puri kaynat use pura karne mein lag jati hai ye satya ya asatya yadi satya hai to iska kya chij yah kah rahe hain ki jab kisi ki koi sakratmak aur prabal ichchha hui jismen dusre ka ahit nahi hai to nahi dusre ki ahit nahi lekin dharm yukt hai ki vasna yukt hai yah to dekhna padega na aur dusri baat hai tum mein utna tap hai us kamna ke kaynat kyon lag jaegi ko kan ke sukhdukh kar data nij krit karm bhog sul bhrata yahan jo aap karoge avashya mein bhoktuvi kritam karm Subha shubham aapko bhogna padega aur aap kamna kar rahe hain to wah dharm yukt hai ya dharm virudh hai?
dharm yukt hai to aapke andar utna tap hai ki nahi us kamna ki purti ke liye yah bhi baat dekhi nahi hai. Dharm yukt hai aap chah kar rahe ho lekin aapke andar tap nahi hai to aapko nahi prapt hoga. Nahi maharaj ji purnat dharm yukt hai. To uske liye aapke andar tap hona chahiye. Aapke andar tap hona chahiye. Jab tap hoga to uska parinaam aapko milega. Sahyog koi nahi karta is srishti mein. Srishti ek dukan hai. Yahan se lekar devta tak jitne bhi devi devta hain aapko utna anusthan karna padega jitni aapki kamna ki purti ka hai swaroop.
agar nahi to phir nahi purti hogi. Agar purti ho jati hai to aapka punya jama hai. Us punya se hui hai. Nahi vartman ke anusthan se hi uski purti hogi. Jaise log kahte hain maine bhagwan se manga bhagwan ne diya nahi. Kyon de de? Kyon de de? Aapne bhagwan ko kya mana hai? Aapne apnapan bhagwan se kya kiya hai? Agar bhagwan ka pura srishti hai to tumne anusthan kiya utna jitna manga. Anusthan kiya hota to pura hua hota. Anusthan karo usse purti hogi skamta ki aur agar nahi ki ham bhagwan ko apna mante hain to mangne ki zaroorat kya hai?
wo sarvagya hai wo sarvshaktiman hai. Jitni vyvastha kar rahe usmen raji raho. Jo jo pyaro kar rahe swayam bhav hai to donon siddhanto ko samjhna hoga. Hamari baat samjh pa rahe ho? Kyonki jahan prashn kar rahe ho sidhe adhyatma ka uttar hai. Maharaj utna tap karna padega. Haan, sadhan aise mil jae, to phir sab bhagwan ke hain. Bhagwan sabke bairi hai kya? Inko de denge aur dusre ko nahi denge. Puri kaynat inke sahyog mein ho jaegi. Dusre ke matlab prakriti se hai. Prakriti sahyog ji. Prakriti sahyog thodi karti hai.
prakriti prakriti kise kahte hain? Samjho. Akash, vayu, agni, jal, prithvi tabhi sahyog hoga jab tap hoga. Iske alawa nahi iske alawa hamen batao na sab chah rahe hain sab kamna kar rahe hain sabki purti ho rahi prakriti sahyog kar rahi kya phir yah chijon sabko mil rahe hain vayu jal prithvi akash tej andar jo andar hamare ann jaata hai pachta hai na wo agni ke dwara pachta hai vaishwanar agni sabke udar mein virajman jathragni ke rup mein ye sab prakriti ka apna system chal raha hai hamari jo kamna hai usmen jab tap hai bhajan hai sadhan hai to ham prakriti rupi dukan se le sakte hain anytha nahi.
yah prakriti paramatma ki hai. Iska utna hi bhog kar sakte ho jitna tumhara tap hai. Jitna tumhara bhajan hai jitna tumhara punya hai anytha nahi. Hai to puri prakriti mein agar samarpan hamare raja rani ke prati phul hai. Agar ham usmen tap usmen tab bhi punya dekha jaega. Jab samarpan hai to maang kaisi? Tumhara kya rah gaya mangne ka adhikar? Tan samarpit man samarpit pran samarpit apna sarvasv samarpit to jo jo rakhat ho tyun tyun rahi tumhari maang kaisi badle ke badle mein kuch nahi mangna right samarpit ho samjh rahe jaise hamare sab kuch Radha rani hai to unse apne liye jaise ki kisi aur se apna kya rah gaya apna kya rah gaya bahut shabd adhyatma shabd pe tikta hai samarpan kiska tan vang manobhi ramlesh tavita sharir ka man ka vani ka apne ka jab apne ka samarpan to maang kiske liye wo khud jimmedar hain yogkshm vahamya hamam
kya un par vishwas nahi to phir maang kaisi samjh pa rahe ho ab ye baat hai ki maine samarpan nahi kiya lekin mana hai ye apne hain aap maang sakte ho ab uske liye sadhan kya hai aapka hamari baat samjh pa rahe ho haan bilkul adhyatma andhera nahi hota hai ekdam clear marg hota hai aur usmen kisi ke tyun kyon ma tark nahi chalta sidha kya hisaab kitaab hai samjh pa rahe hain aap samjh nahi sake maharaj ji jap karte hain na jap karne ke baad mein do char din sahi chalte hain chalne ke baad aisa aata hai ki ek sankhya roz badh jaata hai uthte hain jap karte hain uske liye margdarshan aur aur jap badhte badhate jao aur jaise koi rupya tumhara baton mein laga ke chheenna chahe to aap apna hath ek rupaye mein hi rakenge nahi rakenge aise hi jab tumhare andar baat aa jaegi ki mera bhajan nasht karne ke liye mujhe krodh dilaya ja raha to aap krodh nahi karoge bhajan ko pakde rahoge Ram Ram Krishna Krishna kah dete hain maharaj ji aap jano ham nahi jante to phir chinta mat karo Radha Radha Radha Radha Radha aapke
darshan hoga bahut pyas hota nahi ho paye phir maine kaha maharaj ji ab aap sabko bulate hain mere ko kyon nahi bula rahe to aapne khatak se mere ko ye to shri ji ka unhee ke unhin ke kripav bal se
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…