Shrimad bhagwat katha (bhag-4)/ narad ji ke purv janm ki katha / bhagwan dwara parikshit ji ki garb mein raksha
pujya maharaj ji ke Shrimukh se bhakt-charit — puri katha upar video mein sunen.
pura pravachan
Vrindavaneswari tvai padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugram nirvai param shital mayam param shital maya shri Vrindavan to hi kar pranam shri Vrindavan to hi kar pranam rang bhari keli [gana gane ki aawaz] karat jahan nit nit rang bhare shyama Shyam rang [gana gane ki aawaz] bhare shyama Shyam shri Vrindavan to hi kar pranam rang bharo Yamuna tir suhayo rang bhare rajat dham rang bhari kunj lata [chikne ki aawaz] taru pallav shobha abhiram shri Vrindavan to hi kar pranam rang bhare khag mrig rang bhare druman pe te rat Radha Radha naam rang bhari lalit ragini gavat rang bhari sah chari ba tohe karo pranam shri vrinda Vrindavan to hi karo pranam bhori hriday rang mein boro bhori hriday rang mein boro dehu prem nishka he rang bhar shyama Shyam dehu priti nishkam shri Vrindavan to hi kar pranam sabse pratham paramdhaam nij mahal chaitanya ghan swaroop anand kand ko bhi anand pradan karne wala mahmmahim shri Vrindavan dham aapko bar-bar pranam karte hain.
jahan prem rang mein bhari hui kunjon mein premay keli rang bhare shyama Shyam karte rahte hain. Jahan aaspas prem swaroopa yamuna ji pravahit hai. Jahan rang bhare samasth sahchariya virajti hain. Jahan adbhut adbhut prem rangmai latae taru pallav pushp bhramar khag mrig pashu panchhi sab aur sab jahan rang bhare Radha Radha Radha aisa pukarte rahte hain. Yahan ke patton se bhi Radha naam ki dhvani yahan ke khag pashu panchhi sab Radha yash gayak hain. Radha yasho mukhar mat khagavli ke rang bhare arthat prem rang mein bhare hue yahan ke khag mrig pashu panchhi sab Radha Radha pukarte rahte hain.
aur lalit rag raginiyon ki param praveen swamini ji ki sahcharya swamini ji ko prasann karne ke liye adbhut bhav adbhut rag raginiyon se gayan karti rahti hai. Bhori sakhi kahti he Vrindavan he Vrindavan ke khag mrig pashu panchhi he Vrindavan ki taru lataon he Vrindavan ki yamuna maharani rasrani rajrani ham par kripa karo hamen keval priti chahiye Priya lal ki aur kuch nahi mera hriday vyakul hokar shyama Shyam ke liye pratiphal tadpata rahe rota rahe yah priti chahiye aho bhagya jinke hriday ki samasth kamnayen upasna ki dhara ke pravah mein bah gayi aur ek chah rah gayi shyama Shyam ki priti ki shyama Shyam ki seva ki shyama Shyam ke sumiran ki shyama Shyam ke milan ki aho bhag dhanyati dhanya ho gaya par ye priti hamare hriday mein kaise utpann ho yah to param pavitra raat din priyal ke dham mein rahkar priyal ki upasna badi adbhut riti se kar rahe hain.
bhana ji bhori sakhi to inke hriday mein to priti hai hi apne adham jo indriyon ke vilas mein vichar rahe hain. Kaise priti ho priyal se? To shripad Prabodhanand ji kah rahe hain ta krit kukarma kote rapi chandala maha adhmasyasya chinta nahi karni kah yadi tumse ta krit tumhare jo karm hai wo kukarma koti rup karodon prakaar se papmay hi hai aur sabse nich purushan dwara bhi dhikkar yogya tumhare karm hai to bhi tumhen ab chinta nahi karni. Yadi hamari baat tumhare kan tak pahunch rahi hai to tumhen chinta nahi karni.
eeshop na sharanam ishwar ki kabhi sharan nahi hui. Kabhi naam jap nahi kiya. Karodon kukarma kiye aur nich purushan dwara bhi dhikkar yogya hai. Aisa bhi hai. To kah rahe haan vrindaranya kim vidhas mein kya aapke paas mere kalyan karne ke liye vidhan nahi hai. Arthat aise bhi purush ka param kalyan shri dham Vrindavan kar dega. Vishwas mano dham mein apaar samarth hai. Jaise jang bhare lohe mein kabhi aisi kamna hi nahi ho sakti ki kisi raja maharaja ka mukut bankar lage. Lekin paras ke sparsh se wo saubhagya prapt kar lega.
aise hi alay ban basat sang paras ke ayas kanak saman bhay jaise loha jang bhara paras ke sparsh se swarn jaisa bankar chamakne lagta hai aur abhushan ke kam mein aata hai. Bhala loha swarn jaisa kaise ban sakta tha? Ye paras ka chamatkar to ye dham ka prabhav ki jo karodon kukarma karne wala wo narak jaega. Jo kabhi bhagwan ka sharanagat nahi hua, kabhi bhajan nahi kiya, keval papacharan aur nich purushan dwara bhi dhikkar yog. Aise kuch karm hai jin karmon ko nich purush bhi dhikkarte hain ki dhikkar hai. Yadyapi main papi hoon.
lekin ye Mishr mujhse bada papi hai. Kyonki ye nikrisht karm kuch aise hain. Jaise bal hatya, sote hue purush ki hatya, garb hatya, brahm hatya. Ye aise bade-bade paap hain jinhe nich purush bhi kahte hain inko narak mein bhi thor nahi milegi. Arthat narki purush bhi usko dhikkarte hain. Yadi aisa bhi purush yah kamal ki baat chamatkar ki baat dham ka aashray aur vas sweekar kar le to shripad prashn vachak karte hain Vrindavan se ki Vrindavan kya aapke paas uske kalyan ke liye koi vidhan nahi arthat pakka vidhan hai.
dham ke vas matra se pahar ke pahar paap aise bhasm hote hain jaise ek diya silai laga de to pahar laga ho rui ka to wo bhasm ho jaata hai. Aise dham ke vas se dham ki dham chidanand hai. Koi jad desh nahi hai. Ye chidanand hai. Jaise Priya pritam waise hi dham waise hi sahchariya waise hi lata khag pashu panchhi yamuna ji sab ye chidanand vapu ati durlabh pad asa vasahit tu durghata tv mein yah sunkar ab mere hriday mein durlabh asha jagrit ho gayi kya akhand Vrindavan vas karunga jab yah mahima suni ki indriyan jiski papacharan rat hai, man bhi papacharan rat hai.
aise gande aacharan ki nich purush bhi dhikkar de. Kabhi ishwar ki sharan mein nahi hua. Kabhi charcha nahi suni, kabhi naam jap nahi kiya. Agar aisa purush bhi Vrindavan vas kare akhand to Vrindavan dham use param pad pradan kar dega. Ismen koi sanshay nahi. To kah rahe hain ati durlabh pad asha ab hamare hriday mein ek durlabh asha jagrit ho gayi hai ki main akhand Vrindavan vasi banu par shahi tu durghatat to mein kintu mere jaise ke liye to bada durlabh hai Vrindavan vas kyonki na indriyan pavitra hai na man pavitra hai na vyvastha hai kaise ho krit sarwendra shatru kaha meri indriyan hi meri dushman hai.
mera man hi mere dushman hai. Galat phasa rahe hain. Galat aacharan karva rahe hain. To vrindanya kim nume bhavita kya Vrindavan meri asha purn nahi karega? Main Vrindavan ki sharan mein hoon. Ab to Vrindavan hi meri asha purn karega. Sachchi mano ek hota hai vyvastha se Vrindavan vas aur ek hota hai Vrindavan ki vyvastha se Vrindavan vas bas keval Vrindavan ka aashray to aap dekho ye Vrindavan ki vyvastha hai. Ye Vrindavan ki vyvastha hai. Agar apni vyvastha se rahte to kitna bada kar lete aur Vrindavan ki vyvastha se rahe to dekho kaise rakh rahe hain.
koi bhi yah mat socho ki mere paas vyvastha nahi hai to Vrindavan kaise vyvastha karega jaise hamari ki aise karega pakka man lo par bharosa dridh pariksha par pakka pariksha kya ab pran tyag denge lekin Vrindavan nahi chhodenge sampurnata jor se hath pakar liya ki ab tum jane ki sochoge bhi to ham tumhen nahi jane denge aise Vrindavan prakta ye koi na soche ki hamari vyvastha nahi to Vrindavan kaise bhag jinke paas vyvastha hai unse badhiya vyvastha Vrindavan karega. Bas dhairya rakho. Kisan bhi fasal bota hai to chha mahine mein tayyar hoti hai.
sinchai ho sab mehnat kar aap dhairya rakho. Thoda thokre khao. Footpath ka sevan karo. Idhrudhur jaise samay vyatit karo. Ro haan Vrindavan. Phir jis din sun lega Vrindavan wo aisi bhari vyvastha karega koi tribhuvan mein nahi kar sakta aisi vyvastha kya sharir vas ki vyvastha bhajan ki vyvastha priyal ke milan ki vyvastha Priyalal ke samip pahunchane ki vyvastha anant janmon ki bigdi bana deta hai shri dham Vrindavan bada kripalu hai. Chalte hain Shrimad bhagwat jo bhagwan ka vangmay swaroop hai. Ved dhatu padvi paras durant veeryas rathang pan yo maya santyavatya bhajet tat saroj gandham jo Murli manohar bhagwan shri Krishna ka aashray le leta hai.
anant shakti anant parakram saved dhatu pad paras darant veer rathang pan koi aaj tak aisa nahi hua ki sampurn rup se bhagwan ki samarth ko bal ko aur mahima ko jaan sake. Isiliye ved bhi swayam neti neti kahte hain. Naiti itna hi nahi hai. Isiliye bhag anant mahimam mein jo unka gyan jo vairagya jo bal jo aishwarya jo prem wo aaj tak koi tha nahi pa paya. Bhagwan sare jagat ke rup mein bhi hai aur isse pare bhi hain. Unke swaroop ko unki leela ko utna hi wah jaan sakta hai jitna bhagwan janate hain. Sampurnatya to bhagwan bhi apni mahima ko purn rup se nahi jante.
jaise naam ki mahima ke liye kaha gaya kaho kahan lage naam badhai Ram na sakat naam gun gai aise prabhu ka rup aise prabhu ki leela aise prabhu ke anant mahima swayam bhagwan hi to shesh ji ke rup mein hai anant mahimashaali bhagwan shesh hi hai bhagwan aur mahima 2000 jibhya se varnan karte rahte hain par nahi pate swayam bhagwan ki hi buddhi shakti se to Saraswati ji prakt hui lekin wah bhi mahima ka par nahi pati. Swayam bhagwan hi apush ved ke rup mein prakt hue. Par ved bhi neti neti kah rahe hain. Anant mahima shri bhagwan ki hai.
jo nitya nirantar niskapat bhav se bhagwan ke charnon ka aashray lekar naam jap karta hai. Aur seva karta hai. Soi jane je dehu janai bhagwan swayam usko phir apni mahima jitna utna hi par pata hai. Jaise machchar se lekar Garun ji tak anant mahimashaali akash mein udte hain par koi par nahi paya. Aisi apneep buddhi ke anusaar bhagwat pradatt buddhi ke anusaar bhagwan ki leela mahima naam mahima dham mahima gun mahima rup mahima ka sab rishiyon ne gaan kiya par itna hi hai aisa nahi anant mahima hai dhyan dene yogya baat hai jo nitya nirantar niskapat bhav se bhagwan ka naam jap karta hai bhagwan ke charnon ka aashray lekar unki seva bhavna mein wah dhanya dhanya ho jaata hai.
anant mahima, anant parakram, anant gyan, anant prem aise bhagwan uske adhin ho jaate hain jo niskapat bhav se mohi kapt chhal chhidr na bhawa. Niskapat bhav se bhagwan ke liye bhagwan ka bhajan karna. Ise niskapat bhav kahte hain. Saral shabdon mein bhagwan se kuch chahna ye alag baat ho gayi. Bhagwan ko chahna ye alag baat ho gayi. Bhagwan ke liye bhagwan ka bhajan karna. Bhajan ke liye bhajan karna. Bhajan kiye bina jiya nahi jaata. Bhajan kiye bina rah nahi sakte. Yah hai niskapat bhav ka bhajan. Bhagwan ke charnon ka aashray niskapat bhav se nirantar naam jap aur unki seva isse bhagwan adhin ho jaate hain.
anant mahimashaali sut ji maharaj kah rahe hain sonkadashyon aap log bade saubhagyshali hain. Dhanya hain. Kyonki manav jeevan vighna badhaaon se bhara hua hai. Aaj tum masti kar lo. Kal masti karne layak nahi rahoge na sharir rahega na samay rahega na vyvastha rahegi bada vichitra hai bada vichitra yah manav jeevan sangharsh vipatti apman dukh duwidha se bhara hua hai sansaar mein tumhen dukh duwidha sangharsh se keval ek bacha sakte hain bhagwan shri Krishna kyonki unhin se yah prachnd maya shaktishali hai. Unhin ki shakti se to jo anirvachniy prem bhagwan se prapt ho gaya to na dukh na duwidha na sangharsh na vipatti sab anandmay ho jaata hai.
par yah prem naam japak bhagwat ashrit bhagwat seva paraayan usi ko prapt hota hai. Teen baten khas bhagwan ka aashray nitya nirantar naam jap aur bhagwat seva badhiya badhiya anandmay jeevan ho jaega paramanandmay jeevan phir is janm maran rupi sansaar ke bhaykar chakra mein tumhen nahi ana padega. Sut ji maharaj kah rahe hain he rishiyon aap bade saubhagyshali hain. Aapka jeevan dhanya hai. Teen baten pakar lo pakar lo niskapat bhav se nirantar bhagwan naam jap aur dridh bhagwan ke charnon ka bharosa aur jo bhi kar rahe ho ye bhagwan ki seva apne kartavya ko bhagwan ki seva badhiya use phir is sansaar chakra mein janm maran ke chakra mein nahi ana parta baitha lo hriday he rishiyon rigwedi shaunak ji aur 88,000 rishi ye sab baithe hue hain.
ye jo ham aapko suna rahe hain ye bhagwan shri Sukhdev ji ne parikshit ji ko sunaya hai. Shaunak ji ne kaha maharaj kis sthan par yah katha shri Sukhdev ji ne parikshit ji ko sunai. Karan kya tha? Muni shreshth shri Krishna dwaipayan bhagwan vyas dev ji ne is Paramhans samhita ki rachna ki. Shri Sukhdev ji maharaj to bade yogi samdarshi bhedbhav rahit aur sansaar nidra se jage hue mahapurush hain. Wo prayah aise chhip kar ke chalte hain ki log unko pagal samjhte hain. Badi unchi sthiti shri Sukhdev ji maharaj ki.
ek bar jab vyas ji piche piche ja rahe the Sukhdev ji ke to wahan nadi mein kuch yuvatiyaan snaan kar rahi thi to age Sukhdev ji digambar nikle to unko koi lajja nahi ai par vastr pahne jab vyas ji nikle to sab jhat se bahar akar vastr dharan kar liya ashcharyachkit hokar ke vyas ji ne yuv vatiyon se pucha aisa bhed kyon mera jawan putr 16 varsh ki avastha digambar tumhen koi sankoch nahi lekin mere ko vridh ko dekhkar ke vastr dharan kiye hue ko dekhkar lajja kyon to unhone kaha maharaj aapki gyan drishti amog hai par aapki drishti mein abhi stri purush hai parantu aapki putr ki drishti mein brahm ke siva kuch nahi hai.
isliye mujhe koi lajja sankoch nahi hua. Aur aapki drishti mein stri purush hai isliye lajja lagi aur hamne vastr dharan kiya. Vyas ji se unchi sthiti shri Sukhdev ji maharaj ki. To yah aise mahapurush kaise parikshit ji ke paas pahunch gaye aur katha sunae kyonki aise uchh koti ki avastha ko prapt jo avdhut vesh mein pahchane hi na ja sake to kur jangal desh mein jana Hastinapur mein phir wahan jadwat vihaar wale mahapurush ko pehchan lena Pandav nandan rajshi parikshit aisa saubhagya kaise uday hua ki mahan Paramhans shri Sukhdev ji unko updesh diye.
mahabhag main sunna chahta hoon. Shri Sukhdev ji grihasth ke gharo mein agar kabhi bhiksha yatan ke liye gaye to bahut vinay karne par utni der ruke jitni der gay dhoi jati. Isse zyada kabhi nahi ruke. Phir sat din rukkar katha sunala aise mahapurush ko sut ji hamne suna hai Abhimanyu nandan maharaj parikshit bhagwan ke bade premi bhakt the. Unke janm mein bhi bada aashcharyamay prasang ghta. Ye Pandav vansh ke gaurav badhane wale samrat the. Bhala inko shraap kyon mila? Aise bhagwat premi aise dharmatma raja aur phir yah sarvasv tyag karke amran anshan vrat lekar ganga kinare baith gaye.
are maharaj maharaj parikshit itne balvan raja the ki shatru paksh ke raja inke charan rakhne ki chauki mein akar ratnnon ke dher samarpit karte the. Inhone dushtaj lakshmi parivaar ka moh tyag kar ganga kinare bhukhe pyase rahkar pran tyagne ki ichchha ki. Mujhe lagta hai ki jo bhagwan ke ashrit hain sansaar ke param kalyan hriday samriddhi ke liye hi wah jeevan dharan karte hain. Unka apne sharir se koi swarth nahi rahta. Phir wo sharir tyag ki baat kyon soche? Yah main janna chahta hoon. Sut ji aapko ved vani chhodkar anya samasth shastron ka purn gyan hai.
isliye is samay jo ham aapse prashn kar rahe hain aap kripa karke bataiye. Shruti ji ne kaha is samay vartman chaturyugi ke tisre yug Dvapar mein Maharshi Parashar ke dwara vash kanya Satyavati ke garb se bhagwan ka kalavtar yogeeraj shri krishnan vyasdeo ji ke rup mein janm hua. Bhagwan vyas dev ji suryoday ke samay Saraswati ke pavan jal mein snaan karke phir ekant sthan par baithe hue the. Bhagwan vyasdeo ji bhut bhavishya vartman sab kuch aise dekhte hain vartman ki tarah jaise hatheli par anvla rakha ho charon taraf dekh sake aise anant bramhandon ko dekh sakte hain wo bhut bhavishya vartman tino kalon ke gyata hai.
badi drishti achuk thi. Unhone dekha ki ek kalyug sab ki buddhi bhrasht karega. Bhagwat prapti mein badha pahuncha dega. Dharm ka hraas ho jaega. Dharm sankarta fail jaegi. Vastuon ka pavitra aur unmein jo jivni shakti wo sab raas hoti chali jaegi. Sansaar ke log shraddhaheen hote chale jaenge. Sab shakti rahit hote chale jaenge. Sabki buddhi kartavya ka kya theek theek nirnay karne mein asmarth ho jaegi. Yah kalyug varn aur ashram vyvastha ko bhang kar dega. Dekh lo kar raha hai. Logon ki bhagyaheenta badhti chali jaegi.
divya drishti se dekhkar sansaar ka kaise mangal ho yah vichar mahapurushon ka hriday ek baat mein keval dukhi hota hai ki kaise sansaar bhagwat prapt ho jae. Kaise jeev dukh se par hokar anand samudra bhagwan mein doob jae. Vyas ji soch rahe ki vedokta chaturhotra karm logon ka hriday shuddh karne wala hai. Is drishti se hamne yagno ka vistar kiya. Ek ved ke char bhag kiye. Rigwed, yajurwed, samwed, atharwaved itihas purannon ki rachna ki jo pancha ved, rigwed ko pail rishi shamgan ko jaimini rishi yajurwed ke ekmatra snatak vaishampayam ji atharwaved mein daru nandan sumant muni ji itihas aur purannon mein ugrashwad ji kah rahe hain mere pita rom harshan ji in sabka maine vibhag kiya.
vyas dev ji Saraswati nadi ke kinare baithe chintit ho rahe hain. Par kalyug aayega to ved ko padh pana siddhant samjh pana bada kathin hai. Isliye kalyan ho jae. Aise acharno mein sab chuk kar baithenge kyonki gyan nahi rahega. Ab unka bhi kalyan ho jae jinki zyada buddhi kam nahi karti. Man chanchal hai. Indriyan bhogon mein lagi hain. Bhagwan vyas dev ji ne vichar kiya vedon ka sar hamne pure mahabharat mein rakh diya. Koi aisa sutra nahi, koi aisa shlok nahi, kisi bhi gyan, vairag, bhakti ka jo mahabharat mein na racha gaya ho.
sab kuch hai. Puri shakti laga ke hamne jeevan ke kalyan ke liye mahabharat ki rachna ki. Phir bhi aaj mere man ko shanti nahi mil rahi. Aisa lag raha hai ki sahaj saral marg bhi jagat ke kalyan ke liye hamne prakt nahi kiya. Vyas ji man hi man aisa vichar karke bade khinn ho rahe hain. Vyas ji soch rahe hain meri khinnta kab kaise mit sakti hai? Maine niskapat bhav se brahmcharya vrat dharan kiya. Vedon ka swadhyay, gurujanon ka, agniyon ka sammaan mahabharat ke rup mein pura ved ka rahasya khol diya.
main brahm tej se sampann hoon aur samarth hoon. Phir bhi aaj khinnta kyon? Hamen lagta hai ki bhagwan ko priy bhagwan ki prapti karane wala sahaj saral marg hamne abhi prakashit nahi kiya. Isiliye mera hriday khinn ho raha hai. Bhagwan vyas dev ji is prakaar jab khinn hokar soch hi rahe the to dekha Veena ki jhankar karte hue narayan narayan devesh narad ji devrshi narad ji ko aaya dekhkar vyas ji khade ho gaye aur devrshi narad ji ka pujan kiya sukh purvak Veena pani bhagwan narad ji ko virajman kiya pujan kiya vyas ji ki taraf dekhkar narad ji ne kaha vyas ji aapka sharir evam man donon karm aur chintan se santusht hai na aapke sharir se karm aur aapke man se chintan donon sahi hai na kyonki aapka is samay khinn avastha dikhayee de rahi hai ya aapka chintan ya karm isi se khinnta udasinta hoti hai.
donon sahi hai na? Aapki to jignyasa purn ho chuki hai. Aap brahm bodh sampann mahapurush hai. Aapne jagat kalyan ke liye mahabharat ki rachna ki. Ved ka vibhag kiya. Sab sutra khol diye mahabharat mein. Sanatan brahm tatv ko bhi khubchara hai aapne. Jana hai, anubhav kiya hai. Phir aapka jo aaj ham darshan kar rahe hain, theek nahi lag raha. Ye akritartha purush ki tarah aap khinn kyon dikhayee de rahe hain? Vyas ji ne kaha aapne mere vishay mein jaisa dekha theek vaisa hi main khinn hoon. Mera hriday santusht nahi hai sab karke.
pata nahi kya karan hai. He devrshi narad aapka gyan agadh hai. Aap sakshat brahma ji ke manas putr hain. Isliye main aapse apni khinnta ka karan janna chahta hoon. Aap surya ki bhanti tino loko mein swakshand bhramn karte hain. Kahin roktok nahi. Yog bal se aap pran vayu ke saman sabke bhitar antkarnon mein kya ho raha hai jaan sakte hain. Sabke sakshi yoganushthan niyam dwara param brahm aur shabd brahm donon ki purnata ye aap mein hai. Isliye aap kripa karke bataiye ki mera man khinn kyon hai?
bhagwan vyas ji ne kaha narad ji ne kaha vyas ji ek shabd mein bol du. Aapne bahut ghuma ghumakar sab charchaen ki lekin sidhi bhagwat prapti ki bhagwan ki charcha nahi ki jo ek matra bhagwan ki charcha jo bhagwan ki prapti kara de isliye bhavtadit prayam yasho bhagavto amlam ye vaso na tat manne ta darshan khinam aapke darshan ki khinnta ka karan maine jaan liya. Aapne ekmatra sahaj aisa upay nahi racha jisse bhagwan ki maha mahima ka gaan karte hue bhagwat prapti ho jae. Aapne dharm ka, arth ka, kam ka, moksh ka sabka varnan kiya.
vedant moksh ka hai. Lekin shri Krishna prem prapti shri Krishna ki sahaj mein prapti aisi mahima ka varnan thoda thoda varnan sab hai maharaj jis vani se chahe wo ras bhav alankar aadi se yukt kyon na ho jagat ko pavan karne wale bhagwan shri Krishna ka yash gaan nahi hota wo vani apvitra mani jati hai wo sunne yogya nahi mansarovar ke kamni kamal van mein vihar karne wale hanson ki bhanti bhagwat dham mein vihar karne wale bhagwat charnarwinda Paramhans kabhi aisi vani nahi sunte iske viparit jismen sundar rachna bhi nahi hai dushit shabd bhi hai parantu jiska pratyek shabd bhagwan shri Krishna se judta hai wah vani jiske kan mein padegi sare papon ka nash kar degi.
kyonki sant purush aisi hi vani ka aadar karte hain, shravan karte hain, gaan karte hain, kirtan karte hain. Jis nirmal gyan ka aapne varnan kiya jisse moksh ki prapti ho jati hai. Yadi bhagwan se prem na ho, bhagwan ki prem lakshna bhakti udit na ho to wo gyan kis kam ka? Goswami ji ne bhi kaha hai. Jog kujog gyan agyanu jahan nahi Ram prem pardhanu maharaj jo sadhan siddhi donon dashaon mein amangal rup hai wo kamna kamya karm jo bhagwan ko arvan nahi kiya gaya aisa nishkam karm ye sab vyarth hai bhagwan se sambandhi mahabhag vyas ji aapki drishti amog hai aapki kirti pavitra hai aap satya paraayan dridh vrat hai isliye isliye aap sampurn jeevan ko kaise bandhan mukt kiya jae isliye khinn hai wo hoga keval achint shakti bhagwan shri Krishna ke leela charitra ka gayan aur shravan karne se jo manushya bhagwan ke naam aur rup leela gun dham ke siva aur kuch bolna chahta hai usi samay maya use fansh leti hai.
sevak ji maharaj kah rahe hain tab sukh Harivansh gun naam rasna ratat aur bahuvchan ati dukh dani hani Harivansh ke naam antar pare labh Harivansh uchcharat vani usi samay dukh gher lega jab bhagwat charcha ke siva prapanch ki baat karoge phasa lega koi na koi aparadh vani ka ban jaega kisi kisi ki ninda, kisi ki avhelna. Devrshi narad ji kahte hain jab koi manushya bhagwan ki charcha ke siva aur kuch bolne ki ichchha karta hai usi samay bhagwan ki maya usko chakkar mein fansa leti hai. Uski buddhi apvitra ho jati hai. Jaise hawa ke jhakoron se dagamgati hui dongi ko kahin bhi thaharne ka thor nahi milta.
aise bhagwat vimurkh buddhi chanchal hokar maya mein bhramit ho jati. Use kahin thor nahi milta. Bhagwan anant koi vicharvaan viveki purush sansaar ki varta chhodkar bhagwan ki charcha karta hai. Sansaar ki baten sunna band karke bhagwan ki baten sunta hai aur wah parmanand ka anubhav karta hai. Isliye jagat ke kalyan ke liye ab aap bhagwan ki lilaon ka gayan kijiye. Badi jor ki baat devrshi narad ji yahan kah rahe hain takt swdharm charna bhujam hare bhajan pako pate tato yadi bahut jor ki baat hai yatrava bhadrabhushya kim ko vartha apto bhajta swadharmat jo apne dharm ka tyag karke bhagwan ki sharan mein hua wo mar gaya.
koi bhajan sadhan nahi bana. Jaise aaj suna aapne aur sham tak sharir pura ho gaya. Koi bhajan sadhan nahi bana. Bhajan na to paripakva hua na sadhan bana. To bole kya uska amangal ho sakta hai? Abhi koi sadhna nahi bani. Koi bhajan paripakva nahi hua. Kya amangal ho sakta hai? Nahi itne matra se bhagwat prapti bhagwan ki sharan mein ho. Takt swdharm charna bhujam hare. Yah baat samjhna hoga ki ab to sarv dharm paritaj hai. Mamem sharanam jo bhagwan ne adesh kiya ab main wahi sweekar karta hoon takt swdharm charnam bhujam hare ye andar ki baat hai aaj satsang suna aur man mein nischay kiya ki ab sab dharm karm bhagwan ke liye ab to mere jeevan ka ekmatra lakshya shri Krishna chandra wo mar gaya koi sadhan bhajan nahi hua bhajan na pako pate tato yadi na bhajan hua na koi paripakva avastha ai to kya hoga yatra vabhadra mabhdushya kya uska mangal ho sakta hai bole kadpi nahi sidhe sharanagati ka phal sidhe sharan ki prapti aur jo
dharmanushthan khub kar raha bhagwan ki sharan mein nahi bhagwan ka bhajan nahi karta to bole kya kabhi uska mangal ho sakta hai nahi kyon aise aise aparadh ban jaenge man lo ek vaishnav ninda ban gayi to pure jeevan ka swadharshthan sab chat liya sadhu avagya turat Bhawani kar kalyan akhil ke hani bhaktan ninda ati buri bhul kare jin koi ke sukrit bahu janm ke kshin mein dare kho hoe kaun sa labh mil jaega yadi hari se vimurkh hokar dharmanushthan karta hai aur hari ke sharanagat ho gaya sab dharmon ko bhagwan ke charnon mein samarpit kar diya aur sharir chhut gaya koi bhajan paripakva nahi hua to bhi use bhagwat prapti hogi kyonki wo bhagwan ki sharan mein takt swdharm charnam bhujam hare bhajan pako pate tato yadi pakka nahi hua siddh nahi hua kuch sharir chhuta bhagwan ko kyon bhagwan ki sharan mein tha bhagwan ka ubhay bhat te donon sthiti mein lao chahe wo kamna se ho chahe nishkamna se chahe jaise bhav se ho agar mere sharan mein aa gaya to bhagwan kah rahe koti vipr badla jahu aae sharan tajo naheenta isliye buddhiman purush
ko chahiye ki bhagwat anand ki prapti ke liye dukh nivitti ke liye ekmatra bhagwan ki sharan le lo. Bhagwan khud gita ji mein kah rahe hain devi hasa gunmai mam maya dattaya mame prapaddyate maya mentam tarantte jayghosh hai tar jaega wahi baat devrshi narad ji kah rahe hain tinke se le brahma tak uncheeneechi yoniya sab karm ke phal swaroop hai yah swayam prapt nahi hoti. Karm ke anusaar prapt hoti hai. Lekin bhagwan ki sharan mein ho jae to sharan matra se bhagwat prapti maya mukti sharan ho jae hriday se ho jae.
sansaar ke vishay sukh mein to chita chinti pashu pakshi ko bhi wahi bhog sukh mil raha hai jo tum manushya sharir mein karm ke anusaar sab lekin is karm ke chakra se nikal ke parmanand ki anubhuti ye to takt swdharm charnam bhujam hare ye bhagwan shri Krishna ke charnon ke aashray se hogi. Bahut dhyan dene yogya baat hai. Isse bahut pushta hoti hai. Vyas ji bhagwan shri Krishna ke charnon ka aashray le liya. Sharanagat ho gaya wo jal. Par usmen bura bhav andar abhi hai bahut bahut jor ki baat hai. To bhi wo sansaar mein janm mrityu ke chakra mein nahi aayega.
nav jano jat kathan chana braje Mukund sevya nad sanskriti smaran mukundgah punar vihate na rasagro yat badi baat hai badi baat hai isi se masti aati hai bhagwan shri Krishna ke charan charnarvind ka sharanagat sevak ho gaya aur usmen davat bura bhav hai. Bura bhav dharm viruddhachran to bole kya wo anya manushyon tarah durgati ko prapt hoga. Bole na wo janm mrityu sansaar mein nahi aayega. Yah hai hamare prabhu ke lat na prabhu chit chuk kiye ki karat surat se bar ki jai Gosh hai sanskriti chakra mein ab nahi aa sakta bura bhav bhi hai par bhagwan ka sharan isiliye kaha gaya hai ki bhagwan jo gita ji mein kah rahe ki sadhu samantavya use mano sadhu hai sadhu ko sadhu manne ke liye nahi kaha jaata.
jo sadhu nahi hai usko sadhu man meri sharan mein aa gaya paches duracharo bhajte ma anannya bhag sadhu samant samita ab wo durachari durachari gati ko nahi jaega wo mere ko prapt hoga yah hai bhagwan ki sharanagati oo sab siddhant ek taraf bhagwan ki karuna ek taraf vyas ji jo bhagwan shri Krishna ke charnarvind ki sharan mein aa gaya dawa ka bhi bura bhav uske andar hai to wah janm mrityu sansaar chakra mein nahi aayega bura hote hue bhi wo bhagwan ko prapt ho jaega kyon kyonki bhagwan ka aashray liya mukadma mein phansi ki saja pakki vakalt pakki nyayadhish pakka dastakhat pakki lekin rashtrapati ne maaf kar diya ab kya karoge ab jaj ye thodi kahega ki ghanton salo se ham dimaag lada karke phir isko nirnay kiya aap radda kyon kar rahe hain?
wakil kahe ham bahut vakalt ki hai aur yah pakka doshi hai. To rashtrapati kahenge pakka doshi hai par hamne maaf kar diya. Aham tam sarv paap mokshya macha ye hamare akhil koti bramhandon ke adhipati bol rahe hain sarv dharm parityaj mam ekam sharanam ek chati phool jati hai baat sunkar nahi to ek ek karm ka bahut bada bada hisaab hai yahan kah rahe hain vyas ji jo bhagwan shri Krishna ke charnarvind ki sharanagati sweekar kar li usmen dawa bura bhav da kahte praarabdh praarabdh ke anusaar bura bhav to kya wah janm mrityu sansaar chakra mein aayega kabhi nahi jit gaye jit gaye ham jit gaye isiliye kahte hain bhagwat prapti ko samjho aap jisne bhagwan ke charan kamlo ka ek bar aashray le liya phir bhagwan use kabhi nahi chhote ye mangal baat aur jise chaska lag gaya bhagwan ke bhajan ka bhagwan ki leela katha sunne ka usko kalyan kalyan ki fikr nahi kalyan to uska ho gaya jo bura bhav wala bhi hai lekin bhagwan ka sharan aashray le liya apchuracharo kaisa mangal bhagwan ki sharanagati hai maine to aapko ishara bataya hai aap to khud sab kuch jante hain devrshi narad ji kah rahe hain vyas ji aap apni amog drishti ka prayog kijiye.
aap bhagwan Purushottam ke kala avatar hain. Aapne ajnma hokar ye janm dharan kiya hai jagat mangal ke liye. Ye tapasya vedadhyan yagya anusthan swadhyay gyan dan tirth yatan sabse bhagwat prapti nahi. Shri Krishna leela gunon ka gayan karke shri Krishna ke sharanagat hokar shri Krishna ka naam jap ye bhagwat prapti karaega. Main tumhen apne purv charit ko batata hoon. Devarshinath ji kahte hain yah pichle kalp ki baat hai. Yug ki nahi kalp ki baat hai. Mujhe tino kal ka gyan hai. Main vedwadi brahmano ki ek dasi ka ladka tha.
yah pehle bahut sundar gandharv the. Upwarhan jo devrshi narad ji apni katha suna rahe ki main purv janm mein dasi putr tha. Uske pehle upwarhan naam ke gandharv the. Wah bahut hi sundar the. Inko itna sab pasand karte chahe koi bhi ho inka darshan karna inse sambhshan karna chitrarath gandharv ne 50 divya sundar apni putriyon ko upavran ko bya tha. Bade hi sundar the ye. Ek bar brahma ji ne bhi inko apni sabha mein gane ke liye bulaya. Upavran ko bhagwan ka yash gane ke liye ab us sabha mein to gaye bahut rupvan the jo dekhe lubhayaman ho jae to ye bhagwan ka yash na ga ke jo apsraen aur sab to rup saundarya sansarik gane lage brahma ji gaye sabha mein bulaye gaye ho hari yash gaan karne ke liye tumne sansarik rupon ka gayan kiya.
isliye tum dand ke adhikari ho. Jao nich yoni ko prapt ho. Tumhen garv hai apne is rup ka. Jao tum nich yoni ko prapt ho. Shaap sunte tatkaal sharir ksheen ho gaya. Nasht ho gaya. Aur ye kalantar mein dhrumil gop ki patni kalavti ke garb se prakt hui. Kisi karan se dhrumil gop jab padhar gaye to kalavti inko ek lekar sadhu sevi brahmin the unke yahan dasi bhav se rahkar inka palan poshan karne lagi to wahi kah rahe hain ki main pichle kalp ke apne purv jeevan mein vedwadi brahmano ki ek dasi ka ladka tha.
varsha ritu mein chaturmas jaise chal raha hai to mahatma jan ek sthan par char mahine tikte prayah aisa tha pehle se wo sthan dekh lete the ki jahan char mahina bhiksha milegi aur wo char mahina varsha mein ek jagah rahte the wo jab dev uttashni ekadshi aati hai tab phir sab chaturmas purn karke bhram karte the. To aisa hi un brahmin ke yahan chaturmas karne bade mahatma jan aae. Un brahmin ne mujhko meri balyvastha thi. Devrshi narad ji kah rahe un santo ki seva mein niyukt kar diya. Dekho sant sabha mein aparadh kiya.
brahma ji ki sabha sant sabha to hai to nichi gati ko prapt hui. Ab yahan sant seva to sarvottam gati ko prapt honge. Mujhe sant seva mein niyukt kar diya gaya. Yah bada saubhagya hota hai jab sant seva ka avsar mile. Unke charan dhone ka, unko paros ke pawane ka, unki juthal pattal fenken ka, unki pattal se jhuthe kinka lekar bada jo bhagwat premi mahatma ye sansarik log uphash karenge. Mat sunna ye sansaar ke rajoguni log nahi jante hain battul bhut vivas matware ye te nahi bole vachan bichare tinkar kaha sune nahi kanha aho bhagya santo ka charanamrit mile santo ki jhuthi pattal se ek ek kan utha ke pane ka aap khud anubhav karke dekh lena kaisa hriday hota hai rone ka man hoga prabhu ke liye jab santo ki juthan milegi yadyapi main balak tha par main santo ke samne bahut saumy hokar rahta.
chanchalta nahi karta. Balak tha isliye hamari indriy vishay bhog sambandhi koi cheshta hi nahi thi. Aur khel kud mein meri rati nahi thi. To sant mujhe bahut pasand karte hain kyonki shant bhav rahna, unki agyaa mein rahna, unki seva mein to sab sant hamen seva dete hain. Ae pani le aao. He aisa mera shil swabhav dekhkar samdarshi sab santo ne ham par badi kripa ki usht lep anumodito dwijay sm bhaje tad pa kilwish dekh lo mujhe santo ki jhuthi pattal phenkna unke patr marjan karna aur usmen laga hua juthan nikal ke ekatrit karke khana isse kya hua bhaje tad pa kil vish jitne paap the sab bhasm ho gaye ye badi baat hai ye badi baat hai sab janon ko yahi samjhate zabardasti aa gaye chalo sant seva mein chalo sant seva karo chahe aapko dona pattal phenk kuch bhi karo sant aa rahe hain aap hi trisho sant aae unke charan dho ek rumal se pochho, ek unki aarti karo, ek chandan lagao, baitha lo, bhagwan ki tarah unko pavao aur jab pa ke chale to usse juthan uthao.
ek ek kinka uthakar ekatrit karke pao. To kah rahe satkashma bhanje tad pasta kil vish sare paap bhasm ho gaye. Jo bartanon mein patr mein lagi hui juthan hoti usko ekatrit kar leta aur ekant mein use pata to bhagwan ke liye rona aata hai. Hriday se sare paap nasht ho gaye. Ab to roz yahi saubhagya milta chaturmas santo ki katha sunna baithkar unki juthan pala unki seva karna to meri bhagwan shri hari mein apaar ruchi ho gayi. Ruchi pura jeevan vyatit ho jaata hai. Uddeshya shri bhagwan bhale ho lekin ruchi bhog rahti hai.
ruchi sansaar rahti hai. Ruchi bhagwan mein ho gayi. Ye santo ka juthan santo ke vachnamrit shravan ka. Pyare vyas ji santo ke sang mein jab bhagwan ki leela katha hoti to main ekagrata purvak sunta aur rota kyonki hriday pavitra ho raha hai. Meri bhagwan mein apaar priti hone lagi. Bhagwan mein ruchi mahatmaon ki seva se meri buddhi bhagwan mein achal ho gayi. Ye bahut badi baat. Buddhi ka bhagwan mein achal ho jana. Ab us buddhi mein shuddh gyan jagrit hua. Balak hi hai abhi. Yah sampurn sansaar asat hai.
yah brahm swaroop mein kalpit hai. Yah satya nahi hai. Main aisa dekhne laga. Yah bahut unchi sthiti. Is prakaar shrad aur varsha in do rituon mein tino samay mahatmaon ka charan dhona mahatmaon ki juthan pana mahatmaon ke vastr dhona unke paas baithkar bhagwan ki charcha sunna merit se rajogun tamogun ka pura nash aur vishuddh trigunnatt bhakti ka pradurbhav ho gaya taswam menu raktas prasitas sa hat sa shraddhadhanas balas dasya anuchras cha mera santo mein bada anurag ho gaya badi priti ho gayi main vinay purvak sant hoon santo se yadi kuch lena hai to dainya jaise bhagwan ko dainya priy se santo se main vinay purvak bartaav karta sant jan meri meri shraddha, mera sanyam, meri vinamrata, agyakarita ye dekhkar ke bahut prasann hue.
jab jane ka samay hua to main sab santo ke charnon mein laut kar roya ki ab kaise jiunga. Char mahine aapka sanidhy charanamrit vachnamrit uchchhishtamrit unmein se jo ek mahapurush the ekant le gaye aur unhone bhagwan ke gurtam gyan ka hamen updesh kiya jiska updesh age bhagwan ne Uddhav ji ko kiya hai ekadshi skand mein bhagwan shri Krishna ke maya ke prabhav ko main jaan gaya. Ab to kuch accha nahi laga. Kaise bhagwan mile? Kaise bhagwan ka darshan? Satya sankalp vyas ji Purushottam bhagwan shri Krishna ke prati samasth karmon ko samarpit kar dene se aur nirantar bhagwan ki smriti se tino tapon ka nash karne wala shuddh gyan prakt ho jaata hai.
wo mere hriday mein prakt ho gaya. Ab to janm mrityu chakra mein dalne wali maya ka mere upar koi prabhav nahi. Badi prasannata hriday mein para bhakti ka pradurbhav. Ab prabhu ka naam, gun, smaran bas yahi chal para. Prabhu ka naam jap rahe, prabhu ki leela gayan kar rahe, prabhu ka smaran kar rahe hain. Kabhi-kabhi ekant mein he prabhu main aapko namaskaar karta hoon. He pranadhar aapka kaise sakshatkar hoga? Aise prarthna karta. Ab mujhe santo ki kripa se brahm gyan aur para bhakti bhav Rupa donon ka prichay prapt ho gaya tha.
vyas ji ne kaha narad ji jab wah gyanopdesh dene wale mahatma jan chale gaye tab phir aapne kya kiya us samay aapki avastha to bahut chhoti thi phir aapne antim samay sharir kaise partyag kiya aap is samay puri yad rakhe hue hain kal to sab smriti ka nash kar deta hai aapko purv kalp ki smriti kaise piche yug ki nahi purv kalp ki devrshi narad ji ne kaha jab mujhe gyan dene wale mahatma gan chale gaye to main bhagwan ka naam jap bhagwan ka dhyan bhagwan ka smaran karte hue bahut chhoti avastha thi samay vyatit kar raha tha main apni maa ka iklauta ladka tha wo mujhe bahut pyar karti thi yah mujhe pach nahi raha tha yah mujhe pach nahi raha tha ki maa mujhe pyar kar rahi main hi uska sahara tha iklauta ladka maine bhagwan se prarthna ki prabhu maa ke sneh paap se mujhe mukt karo dekho janani Janak band sutara tan dhan dham surad parivara sabki mamta tag batori mam pad man bandh bar dori meri yogem ki chinta maa bahut karti har samay khaya ki nahi khaya aisa vaisa aur ye mujhe bahut akharta kyonki mere dhyan
mein vikshep parta kathputli jaise nachane wale ki ichchha ke anusaar nachti hai. Bhagwan vyas dev ji se devrshi narad ji kahte sansaar chakra jinse chalta hai wo ishvaro ke ishwar bhagwan shri Krishna maine bhi socha bhagwan ka jab vidhan koi hoga tabhi mukt ho paunga. Abhi panch varsh ki avastha thi. Mujhe desh kal ka kuch gyan nahi tha. Ek din mujhe suchna mili ki meri maa gau dhone ke liye ghar se bahar nikli thi. Raste mein sarp ne kale sarp ne das liya. Ab sarp ka kya dosh pair chu gaya hoga. Kal ki prerna usne das liya.
maa padhari maine socha mahamangal ho gaya. Ye lo yah hai bhakton ka hriday. Mahamangal mein joi joi pyaro kare soi mohe bhave. Ab to koi rok tok nahi na koi pyar kar bhakton ko dar kisse lagta hai jante ho nafrat karne walon se nahi pyar karne walon se jo bhagwan ke premi jan hote hain wo apman tiraskaar ninda karne walon se kabhi darte nahi lekin pyar karne wale se darte hain shraddwan jo kahin hamari chittritti idhar na chali jae narad ji ne kaha mahamangal mahamangal bada anugrah aur chal pare uttar disha ki or bas chalte hi gaye nagar ganv desh khane khede nadi in sabko par karte hue age dekha bada shital jal jo jalashay vishal hai kamal khile hue hain pakshi kuk rahe hain bhare mara rahe hain balak panch varsh ka akela hi itna lamba lamba marg tay karke narkat, bans, setha, kush, keechak aise jangal mein wahan saanp, ullu, siyar, bhaykar jeevan ka ghar par mujhe bhay nahi laga kyonki maine jaan liya tha ki wahi hoga jo shri Krishna rache hain.
mujhe jor se pyas lagi thi, balak tha hi, indriyan shithil ho gayi thi, bhukha bhi tha. Ab us badhiya sarovar mein snaan kiya aur jalpan kiya. Thakavat mit gayi. Paas mein dekha vishal ek peepal ka vriksh tha. Wahin jakar asan lagaya aur baith gaya. Bhayav jangal par jaisa sant mahatmaon ne mujhe bataya tha bhagwan ka swaroop waise hi man hi man dhyan karne laga. Ekant bhakti bhav vasheekritit dwara je bhi ar bhav se bhagwan ko pukara mere netron mein aansu sharir mein romach aur bhav mein bhagwan prakt ho gaye bhagwan ye vyas ji us samay mujhe kaise tumhen batave jo anand prakt hua bhagwan ke prakt hone par rom rom pulkit ho gaya hriday shital shant ho gaya.
anand ki baadh aa gayi. Aur mujhe tanik bhi dhyan nahi raha. Main kaun hoon, kahan hoon, kaisa hoon. Bhagwan ka aisa sundar rup mera man lubhayaman ho gaya. Bas abhi anand le hi raha tha ki sahsa rup antardhya ho gaya. Ab to asan se uth khada hua. Vikal ho gaya. Chilla chilla kar rone laga. Bahut bar asan lagaya dhyan dharne ki cheshta ki par wah rup nahi aaya. Bar-bar vikal hokar bhagwan ko pukara. Ab is rup ke bina main ji nahi sakta. Atript ho gaya. Ashanti badh gayi. Kaise prabhu ka rup ab dobara dekhiye.
van mein bhatakne laga to akashvani hui. Khed hai is janm mein tum dobara darshan nahi kar sakte. Adh kachre yogi ko mera darshan asamabhav. Yah maine tumhara chitt lubhayaman karne ke liye apni taraf se darshan diya hai. Ai nishpap balak tum bas isi rup ka dhyan karte hue nirantar mera naam jap kar aur sharir ki ayu puri hone ka intazar kar. Ab tujhe koi vasna nahi fansa paegi. Alpakal mein sant seva se tumhari chittavatta param pavitra ho gayi. Isiliye sant seva se prabhavit hokar maine tumhen darshan diya.
yah tumhen lubhayaman karne ke liye ab tumhara yah sharir jab chhutega to tum mere divya parsad devesh narad ke rup mein janmoge. Prakt hoge. Yah bhagwan ne kaha. Tumhara dridh nischay kabhi nahi tutega. Srishti ka pralya ho jane par bhi tumhen ek ek baat ki smriti rahegi. Main har samay tumhen dekh raha hoon. Tum nishcint rahna. Bas mere dhyan mein, mere bhajan mein sharir chodo aur aao main divya parsad rup tumhen pradan karunga. Maine akashvani jis disha se hui thi jhuk kar pranam kiya. Bas lajja sankoch chhodkar bhagwan ke naam ka kirtan karta hua samay vyatit karta.
kab sharir chhute? Sp matsar yah sab nasht ho chuke the. Ab to kal ki pratiksha karta hua keval vichran karta. Bhagwan ki kripa se mera hriday Krishna prem se bhar gaya. Jaise bijli kaudti aise achanak mrityu ai aur mere sharir ko nasht kar diya. Ye bhi sharir nasht hua to sidhe bhagwan ke samip gaya aur bhagwan ne mujhe divya chidanandmay devrshi narad sharir diya. Yah panch bhautik nahi hai. Yah chidanand hai. Tribhuvan mein kahin bhi vayu ke saman devrshi narad ji jaate aur kabhi mrityu nahi honi. Praarabdh karm panch bhautik sharir mein hote hain.
chidanand mein nahi. Sabko chidanand milta hai jo bhagwan ke nij janan hote hain. Jaise dasy, sakhya, vatsalya, gopi, sahachari ye sab chidanand zaruri. Jab bhagwan narayan karanon pranay kalin samudra ke jal mein sahan karte hain. Us samay bhagwan brahma ji sari srishti ko samet ke jaise dukandar apni puri dukan ko samet ke ghar jaata hai. Aise sab samet ke bhagwan ki swas ke saath unke udar mein jakar puri srishti le shayan karte hain. 1000 chatur yugi bit jane par jab brahma ji jagte hain tab srishti karne ke liye tino lok tino loko ke jeev sab bahar aa jaate hain.
phir dukan faila di. Ye aise hi chal raha hai. Main bhagwan ki kripa se Baikunth se lekar anant jitni rachna hai sab mein bina rok-tok ke vichran karta hoon. Mera kabhi ek kshan ke liye bhi bhagwan ka bhajan nahi chhutta aur bhagwan ne mujhe apne kar kamal se swar brahm ye Veena di hai. Aur is Veena mein sa re ga ma pa dh ni sadaj ra rishbh ga gandhar madhyam pancham dhavat aur na nishad ye sato swar sato rag ye sab virajman hai is Veena mein daj rishbh gandhar madhyam pancham daivat nishad sa re ga ma pa dh ni ye vibhushit divya Veena hai.
ismen main bhagwan ke naam ka aur lilaon ka gayan karta rahta hoon. Aur jab chahta hoon usi samay prabhu prakt hokar mujhe darshan dete hain. Jab jab jahan pukara bhagwan wahi hai kaisa saubhagya ye bhajan ka phal turant bulane par turant akar bhagwan hamen darshan dete. Devrshi narad ji kah rahe turant ahut mein sheeghram darshan yati chetas he Krishna to usi samay jis samay pukara to kah rahe hain ahuti mein sheeghram darshan yati chetas usi samay sheeghrata purvak bhagwan ate hain. Jin logon ka chitt nirantar vishay bhogon ki kamna se atur ho raha hai.
unke liye baat samjhna bhi bada kathin hoga. Lekin yadi wah bhi naam jap karne lage bhagwan ki lilaon ka gayan karen to mera apna anubhav hai ki isi se unko bhagwat prapti ho jaegi. Ye kam aur chot lobh ki moh ki krodh ki aisi bar-bar de rahe hain hriday mein bhagwan ke naam jap se leela gayan se jaisi shanti milti hai waisi kisi aur sadhna se nahi. Bar-bar is baat ko pakar lo. Yam niyam aadi yog margo se waisi shanti nahi milti. Vyas ji aap nishpap hain. Aapne mujhse jo kuch pucha tha wo apne janm aur sadhan ka rahasya aur aapki atma tashti ka upay maine batla diya.
shri sut ji kahte hain sonkad rishiyon devrshi narad ji vyas ji se is prakaar kahkar jane ki anumati li aur Veena mein tan chhedte hue swachhand vichran karte hue bhagwan ka naam narad ji har samay bhagwan ka naam wo dhanya bhag hai us maha bhagwat ko jiski jibhya par naam chal raha hai aha aho devesh dhanya y kirti sarang dhanna gayan madhya nidam tantrya ramatyaturam jagat har samay Veena mein narayan narayan narayan narayan aur bhagwan ki lilaon ka gayan dhanya hai ye devrshi narad jo sarang pani bhagwan shri hari ki kirti unka naam har samay anand magan hokar gate hain aur tribhuvan mein jidhar jaate hain udhar mangal karte tritap ka nash karte hain shri shaunak ji ne pucha sut ji sarvagya evam sarvshaktiman bhagwan vyas dev ji ne jab narad ji ka yah vachan suna phir unke chale jane par unhone kya kiya shri sut ji ne kaha brahm nadi Saraswati ke paschim tat par samyapras namak ek ashram hai wahan rishiyon ke yagya chalte hi rahte hain wahi vyas ji ka apna ashram hai.
uske charon or ber ka sundar van hai. Us ashram mein baithkar unhone achman kiya badreevan aur swayam apne man ko samaahit kiya. Unhone bhakti yog ke dwara apne man ko purntya ekaagr aur nirmal karke aadi purush paramatma aur unke aashray mein rahne wali maya ko dekha. Jis maya se mohit hokar yah jeev tino gunon se atit hone par bhi apne ko trigunatmak man leta hai aur is manyata ke karan bhari dukh bhogta hai janm maran aadi is anarthon ki shanti ka sakshat sadhan hai keval bhagwan ka nirantar chintan pakdo sampurn maya se bachne ka ekmatra upay hai nirantar bhagwan ka bhajan nirantar chintan parantu sansaar ke log is baat ko nahi jante hain.
yahi karan hai ki unki durgati hoti hai. Baat pakar lo. Isiliye bahut saral bhavon se bhagwan ki mahima bhagwan ke siddhant jismen bhare pare hain. Aise Shrimad bhagwat ki samhita ki rachna ki bhagwan vyas dev ji ne. Iske shravan matra se Purushottam bhagwan shri Krishna ke prati param premay bhakti ho jati hai. Jo nirantar bhagwan ki bhakti se hriday bhara rahta hai. Uska prichay hota hai ki nirantar bhagwat smaran paraayan bhakti ka kya swaroop hai? Devrshi narad ji ne bataya. Tadpita akhilacharita ta smaran param vyakul har samay bhagwan ke smaran mein itna magan hai ki smaran chhutne ka abhas matra ho jae to param vyakul ho jae aur har aacharan bhagwan ko samarpit yahi param bhakti yog hai.
jo yah bhakti yog dharan karta hai to uska shok nasht ho jaata hai. Moh nasht ho jaata hai. Bhay nasht ho jaata hai. Vikar nasht ho jaate hain. Wo nirvikaar ho jaata hai. Is mahan bhagwat samhita ko apne priy shri Sukhdev ji ko kyonki yahi adhikari dikhayee diye bhagwan vyasdeo ji ko. Chauk ji ne pucha Sukhdev ji to atyant nivatt paraayan hai. Wah atma mein raman karte rahte hain. Unko padhne likhne ka granth abhyaas ka kaise bhav aa gaya? 18,000 shlok padhe kaise? Wah to apne swaroop mein raman karte hain. Shri sut ji ne kaha jo log vastvik gyani hain jinki avidya ki ganth khul gayi hai aise atmaram purush bhi bhagwan shri Krishna ki hetu rahit bhakti kiya karte hain.
kyonki bhagwan ke gun hi aise hain. Bhagwan ke gun bade-bade siddh atma ramon ko bhi akarshit kar lete hain. Shri Sukhdev ji to bhagwan ke bhakton ke atyant priy aur swayam bhagwan vedavyas ke putr hain. Bhagwan ke gunon ne unke hriday ko apni or khinch liya aur wah vivash hokar ke Shrimad bhagwat ka adhyan kiya. Aapne prashn kiya tha ki maharaj parikshit ne rajya lakshmi tyag karke kyon ganga kinare amran anshan vrat liya? Jis samay mahabharat yuddh mein kurav aur Pandav donon pakshon ke bahut se veer veeragti ko prapt ho chuke the.
Bhimsen ki bhaykar gada ke prhar se Duryodhan ki jangha tut chuki thi. Tab ashwatthama gaya nazdik aur kaha priy mitra ab main tumhara senapati hoon. Tumhari jarur kamar tut gayi hai lekin tilak karo. Ab jitne bache hain main pandavo sahit sabka vinash karunga. Aisa hi hua. Wo apne Swami Duryodhan ka priy karya samjhkar jitne so rahe the sabko kaat dala tha. Ashwatthama ne. Bahut se veer bache the. Bahut se viron ko ratri mein sote samay sabko drisht damnad sabko aur yah Draupadi ke putro ko Pandav samjhkar kata tha aur yah bhagwan ne bachav paksh kiya pandavo ko uthakar ke apne shiv ki taraf le gaye aur wahan Draupadi ke putr soe hue the to samjha ki ye panchon Pandav kyonki jyon ke tyun waise hi maharathi the.
ye sote hue sabko kaat dala. Draupadi ke panch putro ke sir kaat ke Duryodhan ke paas laya aur kaha main pandavo ka sir le aaya dekho to unka kaha bhim ka sir lao to bhim ka sir bhim ke jo putr the un panchon mein unka diya dabaya to phat gaya unka bhim ka sir aisa nahi hota tab dekha ki ye to putr ab to kaha hai tumne to hamara sarvnash kar diya hamare vansh ka bhi vinash kar diya. Are hamari dushmani pandavo se thi. Tum sote hue Draupadi ke putro ko kyon mar dala? Badi ninda ki ashwatthama ki.
je Draupadi ko pata chala wo to atyant dukhi ho gayi. Unki ankhon mein aansu bahne lage. Arjun ne unko santwana di. Kalyani savdhaan. Tum veer mata ho. Par main tumhare aansu tabhi pochhunga jab sata tai ka sir dhanush se katkar tumhare samne rakhunga. Tab tum us par pair rakhkar apne putro ki antyashti kriya karna. Arjun ne aisi baat kahi. Bhagwan shri Krishna se kaha chalo sarathi bano aur main kavach dharan karta hoon aur bhayanak gandeev dhanush ki pratyancha chadhakar guru putr ashwasthama ke marne ke liye daude aparadhi to tha hi sote hue ye veer purush ka lakshan nahi sote hue ko nahi savdhaan karke yuddh karke mara jaata hai ye to bahut nindniy karm to nindniy karm se bada bhayabhit tha ashwatthama.
jab dekha ki bhagwan shri Krishna sarathi aur rathi arjun aur gandeev mein pratyancha chadhakar lalkarte hue aa rahe hain. Tab prannon ki raksha ke liye bhaga. Jahan jahan bhaga wahan wahan bhagwan shri Krishna rath ko usne dekha ki ab to mara gaya main. To apne bachav ke liye ekmatra sadhan Brahmastra ka sandhan kiya Dronacharya ji dwara pradatt lekin Brahmastra sandhan karna sikhaya tha wapas karna nahi isko wapas karna arjun ko sikhaya tha yogya shishya putr se bhi adhik pyara hota hai Brahmastra lautane ki vidhi use nahi malum thi par pran sankat aa gaya to tatkaal achman kiya aur dhyansth hokar Brahmastra ka sandhan kiya.
Brahmastra turant prachnd tej. Ab to sidhe arjun ki or Brahmastra. Arjun ji ne hath joda aur bhagwan shri Krishna se kaha shri Krishna tum sacchidanand swaroop paramatma ho. Main janta hoon tumhari shakti anant hai. Tum hi bhakton ko abhay dene wale ho. Jo sansaar ki dhakti hui aag mein jal rahe hain. Jeevan ko ubarne ke ekmatra tum hi lakshya ho. Prabhu tum prakriti se pare rahne wale aadi purush sakshat paramatma ho. Tum apni swaroop shakti se bahirang evam trigunmay maya ko dur bhagakar apne advitiy swaroop mein sthit ho.
tum apne prabhav se maya mohit jeevan ke liye dharma aadi rup kalyan ka vidhan karte ho. He prabhu yah aapka avatar prithvi ka bhaar haran karne ke liye anannya premi bhakt janon ki raksha ke liye unke chintan ke liye he su prakash param bahma paramatma shri Krishna dekho ye bhaykar tej meri or aa raha hai ye mujhko bilkul pata nahi ki kya hai aur ye kya karega bhagwan ne kaha daro mat ye ashwatthama ka chalaya hua Brahmastra hai. Wo pran sankat upasthit hone par iska prayog to kar diya par lautalna nahi janta.
aur is Brahmastra ko koi dusra astr daba sake. Aisa aaj tak koi astr nirman nahi hua. Tum shastr vidya ke parangat ho. Tatkaal achman karo aur Brahmastra ko shant karne ke liye Brahmastra ka hi prayog karo. Arjun vipakshi viron ke marne mein bade praveen the. Bhagwan ki baat sunkar achman kiya aur bhagwan ki char parikrama ki aur Brahmastra ke nivaran ke liye Brahmastra ka hi sandhan kar diya. Ab donon Brahmastra jab bhaykar pralyagna prakt ho gayi. Jab donon Brahmastra takrae praja jalne lagi.
sabne samjha mano pralya kalin samay aa gaya hai. Bhagwan ne ishara kiya to donon Brahmastra ko shant karke arjun ne wapas kar liya kyonki arjun ko dekho Dronacharya ji ne ashwatthama ko yah vidya nahi sikhai. Ye arjun ko sikhai. Phir arjun krodh se lal hokar daud pare aur ashwatthama ko jakar pakar liya. Jaise koi balvan pashu ko bandh leta hai. Aise bandh liya aur uthakar laye rath ke piche ke hisse mein patak diya swasthama ko. Bhagwan shri Krishna ji bhi bahut kupit ho rahe the. Kaha arjun isko chodna bilkul nahi.
isne raat mein soe hue nirparadh balkon ki bhi hatya ki hai. Dharmata purush asavdhan matvale pagal soe hue balak stri sharanagat rathheen pagal aadi ko kabhi nahi marte mahat aparadh hai aisa nahi marna chahiye aur isne wah sab kar dala yah dusht hai krur hai yah jita rahega to aur bhi mahan paap karega mere samne tumne Draupadi se pratigya ki thi ki jisne tumhare putro ka vadh kiya uska sir utar kar launga. Yah atatatai hai. Vadh kiya hai. Isne apne Swami Duryodhan ko bhi dukh phuchaya. Arjun dekh rahe the ki bhagwan badi muskurahat ke saath agyaa de rahe hain.
iska matlab kuch rahasya hai. Bhagwan bar-bar kah rahe hain atai hai isko mar dalo. Bhagwan rathagrah arjun rathi path pe piche ashwatthama bandha hua ashwatthama ko pashu ki tarah bandhkar nindit karm karne se bahut khinn man udas Draupadi ji ne je hi aisa dekha to unhone kaha nahi nahi hamare guru putr ka aisa apman nahi hona chahiye namaskaar ashwatthama ko pranam kiya aur kaha tatkaal bandhan mukt karo guru putr ka is prakaar apman bilkul nahi. He arjun rahasya sahit sare dhanurwed unka upsanhar jin Gurudev ne diya wahi Gurudev hi apne atma putr ke rup mein viraj hamko guru ke saman iska aadar karna hai.
Draupadi ji ne kaha nahi nahi jaise main aaj dukhi ho rahi hoon aise iski maa kripi bhi dukhi hogi. Main nahi chahungi. Chhod do ise. Chhod do. Arya putr tum dharmagya ho. Guru vansh ka kabhi apman nahi kiya jaata. Guru vansh ki sadaiv puja karni chahiye. Chahe jitna bhari paap ban jae. Kabhi dand nahi dena chahiye. Kabhi vyatha nahi pahunchani chahiye. Main dukhi ho chuki. Ab main aur kisi ko dukhi nahi karna chahti. Iski mata dukhi ho yah main nahi chahungi. Jo uchh shrankhal balvan se bhi chahe jitna bada balvan ho yadi wah gurukul ka apman karta hai, guru vansh ka apman karta hai to shokagni ke dwara wah ek na ek din bhasm ho jaata hai.
Draupadi ki baat dharm aur nyay ke anukul thi. Bilkul kapt nahi. Karuna aur mamta se bhari thi. At raja yudhishthir ji ne bhi in baton ka anumodan kiya. Nakul shahdev satyaki arjun bhagwan shri Krishna wahan upasthit sabhi nar nariyon ne Draupadi ki prashansha ki. [gala saaf karne ki aawaz] Bhimsen ne kaha ki ye sab baten ek taraf rakho. Jisne sote hue bachchon ko kaat dala na apne liye na apne Swami ke liye balki vyarth mein mar dala. Tum sab hato. Ise ghuse se mar dalta hoon. Ko Bhimsen bhagwan ne Draupadi ki bhi baat suni.
Bhimsen ki baat suni. Arjun ki taraf dekhkar ke kaha bhagwan shri Krishna bole arjun meri donon agyaon ka palan karo. Draupadi ki bhi baat rah jae aur bhim ki bhi baat rah jae. Shastr mein do agyaa hai. Aata tai ko mar dalna chahiye. Koi bhi ho. Aur ek agyaa hai ki kitna bhi patit nich ho par brahm rishi ki hatya nahi karni chahiye. Meri agyaa ka palan karo. Arjun bhagwan ke hriday ki baat taad gaye. Talwar nikali ashwatthama ke sir ke bal mood diye. Brahm mani thi usko nikal liya. Shri hin tatkaal ho gaya.
brahm tej rahit ho gaya. Rassi se uske bandhan khole. Aur apmanit karke nikal diya. Ja tujhe jeevan dan dete hain. Yah sabse bada apman mrityu tully hi hota hai. Mudh dena, dhan chhin lena, kathor vachan karke dhakka kar markar bahar nikal dena. Yahi mrityu tully dand bhi hai aur mara bhi nahi. Donon baten ho gayi. Ab antyashti kriya apne putro ki pandavo ne ki. Jalanjli arpit ki. Gangajal mein snaan kiya. Bhagwan shri Krishna aur dhaumyadi munio ne pavitra itihas sunakar unko santwana pradan ki.
bhagwan shri Krishna yudhishthir ko raas tilak simhasaan arudh sab kam theek ab ho gaya. Ashvmedh yagya kara diye. Jane ka vichar hua. Yudhishthir se aur bade bujurgo se bhagwan ne kaha ab ham Uddhav aadi ke saath Dwarika. Sabne vivash hokar ke bhagwan se prarthna ki ki ab aapko jane ki anumati kaun de? Aapke darshan matra se sukh milta hai. Par jaise aapko sukh mile bhagwan ke liye daruk ne rath sajaya chhattar chvar aadi jaise bhagwan baithe hi ja rahe the ki awaz ai pra pahmam pahimam maha yogin dev dev jagat pate nanyam tad bhay pa yatra mrityu parsparam prabhu prabhu raksha karo raksha karo aapke atirikt koi nahi hai ki is lok mein mujhe bacha sake kyonki yahan sab paraspat ek dusre ki mrityu ke nimit ban rahe hain.
prabhu yah dekho koi tejomay baan mere garb ki or dauda raha hai. Uttara ke garb mein maharaj parikshit the. Swamin mujhe bhale mar dale lekin mere garb ki raksha ho. Main aapki sharan mein hoon. Bhaktavatsal bhagwan ne drishti dali to dekha ki yah nich mana nahi Brahmastra ka prayog garb shishu par kar diya ashwatthama ne aur udhar panch baan sandhan kiye pandavo kyonki vansh nahi rahne denge pandavo ko bhi nasht karne ke liye panch baan aur ek baan uttara ke garb mein virajman maharaj parikshit ke nath ke liye Brahmastra ka prayog pandavo ne dekha bole bole prabhu ye panch baan tejon mein hamari or aa rahe hain.
sab ne astr utha liya. Bhagwan ne kaha tum sab shant ho jao. Dhyan kiya sudarshan chakra ka. Ye amog astr hai bhagwan ka parsad hai. Aur sudarshan chakra ko raksha mein laga diya. Pandavo ki koi bhi astr shastr ab chu nahi sakta. Dekho yah kathayen hi nahi hai. Inko jeevan mein utarna hai. Har paristhiti mein yadi ham bhagwan ka aashray liye rahenge to bhagwan hamari raksha karenge. Pakka sudarshan chakra se nij janon ki raksha ki. Yog Yogeshwar bhagwan shri Krishna ne jab dekha ki pandavo ki vansh parampara jisse chalne us parikshit ke upar Brahmastra to turant apne maya ke dwara kavach rakh diya garbhsth shishu ko kavach mein sudarshan chakra ki raksha mein pandavo ko Brahmastra amog hai koi shastr usko nahi rok sakta phir bhagwan shri Krishna ka tej sudarshan ke samne ate hi panchon baan shant ho gaye.
yah koi ascharya ki baat nahi. Bhagwan sarwshcharyamay hai. Bhagwan nij shakti maya se swayam ajnma hokar sansaar ki srishti palan aur lay karte hain. Bhagwan shri Krishna Brahmastra ki jwala to sudarshan se aur aap andar sukshm rup rakh ke garbhsth shishu parikshit ki raksha ke bada saubhagya parikshit ji ka garb mein bhagwan ke darshan ho gaye. Brahmastra ki jwala se mukt kar diya. Pandavo ko bhi aur garbhsth shishu ko bhi. Phir bhagwan ne santwana di aur kaha ab chale. Jab Kunti ji ne dekha ki bhagwan ja rahe hain bhagwan ke samip ai aur bhagwan se stavan karne lagi jo stavan wo age charcha shri Radha vallabh lal ki jai hai.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- bhajan ka sacha swaroop ! //27/09/2026 — guru nishtha ke liye aapne ya guru samarpan ke liye jo abhi batchit ki hai to bade chode mein aur khule mein aaj sab charcha karte hain. Ham log kahan asfal kyon ho jaate hain maharaj ji kyon aisi accha…
- ananyata se hi hoga sab kuch prapt ! // 26/09/26 — ham log bhagwan ke sharanagat jan hai. Priya lal ke sharanagat jan hai. Lekin sharanagati ka rahasya na janne ke karan bahut varsho tak ya janm pura vyatit hone tak hamara jo bhagvatik anand hai wo spurit…
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…