॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

janie brahmcharya kya hai aur iske nasht hone par aapki kya dasha hogi ! // 03/06/26

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam haditam madhup te smarta mugram nirvai param shital mashyam nirvai param shi shital mashray param sacchidanand ghan Premand swaroop navnit nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke lalit ladlele pranaaradhy yugal sarkar shri shyama Shyam samasth hit parikar nij parikar hamari indriyon ka manushya hit pravah jo vishay akarshan vishay chintan vishay bhogon mein hai. Isiliye hridyastha prabhu ka sakshatkar nahi ho pa raha hai. Jab tak hamari yah pravriti nivitti mein nahi badlegi tab tak Bhagvdanand ka anubhav nahi hota.

sacchidanand sukh pradan karne wale shri Gurudev ke vachan shastr inka ham prayog man sammaan ke liye vidvta ka abhiman badhane ke liye karte hain. Jabki yah pravriti ko nivitti mein parivartit karne ke liye hai. Jo hamari mana kastan indriyan prakriti sthan karshti usko mod karke prabhu ki taraf yah aap mein samarth hai. Yah prabhu ne aapko shakti di hai. Aap us shakti ka durpayog kar rahe hain. Isiliye aapke hriday mein parmanand swaroop prabhu virajman hai phir bhi anubhav mein nahi aa rahe. Shripad prabuddhand ji maharaj kah rahe hain devopna kritatma vritt shri Krishna chandre rasuvatta Vrindavan kapit chit vritt kim Shyam tyakta param pravatt dav yog se bahut kripa ho gayi hai.

hamen shri dham Vrindavan mein raj mein baithkar mahmmahim siddhant aur prabhu ke naam rup leela ya bhakt aadi ki mahima sunne ka bahut bada labh mila hai. Ab hamen apni pravriti ko badlna hai. Yah jo deh ko lekar indriyon ke saath bhogon mein vichran karna hai. Yahi khas bandhan hai. Shripad kah rahe hain ab prabhu prasad se mera jaise jeevan nirvah hoga ham ye chinta chhote hain. Jo hamen kartavya ka adesh mila hai uska aksharsha palan karte hain. Ab apne nirvah ki bhi chinta ham prabhu ko samarpit karte hain.

yah purn sharanagati ka swaroop hai. Dapapnan kritma vatta jo apne jeevan nirvah, apni avashyaktaon ki purti ke liye hamara man, hamara tan, hamari buddhi isi mein lagi rahti hai. Ab ham yahan se hatakr ise prabhu ke chintan mein lagate hain aur chhod dete hain apna sara bhaar us mahan ishwar ke charnon mein. Kyonki rasavishtit karne ke liye chitt rasmay ho jae. Iske liye hamen chintan badlna hoga. Agar ham apna chintan isi tarah chhut dete rahe vishyon ka, rag dves ka, vyakti, vastu, sthan ka to hamara samay nasht ho jaega.

hamen anubhuti nahi hogi. Bina anubhuti ke aapki swikrati se kiya hua jo bandhan hai wo chhutega nahi. Jab chitt rasavishta hota hai to swayam bandhan mukt ho jaata hai kyonki uski swikrati khatm ho jati hai. Deh se deh ke bhogon se deh ke sambandhi se. Shri Krishna chandreti rasanuvatta ab ham jo chah rahe hain jo khoj rahe hain jo pana chahte hain anant janmon se ab mujhe pata chala wo shri Krishna chandra ji the ham jo sukh pana chahte hain wo sukh sindhu shri Krishna hai ham jo pyar pana chahte wo prem samudra prabhu shri Krishna hai jo ham aishwarya chahte hain to aishwarya ke samudra shri Krishna hai.

jo ham ras chahte hain wah shri Krishna hai. Rasghan mohan murtim ab dusri or nahi. Shri Krishna chandreti rasanuvatta ab jo sukh bhog ki lalsa thi. Ab samjh mein aaya ki abhi tak isiliye tript nahi hue kyonki wahan wah sukh nahi hai. Wah sukh to shri Krishna chandra jo mein hai. Vrindavankarit vatta jisne shri dham Vrindavan ka aashray liya aur satsang ke dwara yah jana ki hamari chitt ki vritti kahan arpit honi chahiye to pata chala shri Krishna Priya pritam murari padarpit chittritti jaise gopi janon ki thi yugal charnarvind ki nirantar seva vritti yah sahachari bhavpanna mahapurushon ka hota har samay Priya pritam ke hi chintan mein unhin ke sukh sampadn mein Priya pritam ke sukh ka vichar to tab ave jab apni deh aur indriyon ke sukh se nivraat ho.

isiliye kal jo charcha hui thi brahmcharya ki wah ek hi indriy ka brahmcharya nahi hai. Samasth indriyon ka brahmcharya wo tabhi hota hai jab man aur buddhi donon prabhu ke chintan mein hoti hain. Brahmcharya ka purn arth hai nirantar brahm chintan mein magan rahna. To jab tak indriyan vishay abhilashi hokar vishyon mein vichran karti rheng tab tak bhagwat chintan nahi ho sakta hai. Hamen savdhaan hona hai. Ek ek indriy ke vybhchar pravriti ko mitana hai. Yah sadhno ke dwara hota hai. Kripa se hamen sadhan mila hai.

vani ka jo dosh hai naam gun kirtan se nasht ho jaata hai. Shravendra jo dosh yukt hai yah naam gun kirtan shravan se nasht ho jaate hain. Netr jo hai sant darshan bhagwat shri vigrah darshan aur sab mein bhagwat bhav se netr pavan ho jaate hain. Isi tarah samasth indriyon ko ekmatra paramatma swaroop mein lagana hi purn brahmcharya hai. Pradhanata rasendriy aur jnendriay ka khel zyada nachata hai. Agar aap rasendriy aur jnendriay mein sanyamta nahi baratte to ye aapko parmatmand ka anubhav nahi hone denge.

jab tak prabhu ke sukh ka anubhav nahi hota bhagwat anand ka tab tak lakh kasam kha lo. Yah aapko vichlit karti rheng indriyan shastron mein na tap tap itya brahmacharyam tapottam udhreta bhavestu sadevo nat manush yah mahan purushan ke vachan hai acharya mahapurushon ke aur swayam bhagwan shambhu gyan samudra unke bhi vachan hai. Brahmcharya arthat virya sanchay isse bada utkrisht tap koi nahi. Sabse badi tapasya hai. Virya sanchay. Isse badhkar tapashcharya tino loko mein aur vivid shastron mein koi bhi nahi pai gayi.

sabse badi tapashcharya veer sanchay jo balyvastha se veer sanchay kiya koi aisi asat kriyaen nahi ki aur bhagwat chintan paraayan raha to wo urdha reta ho jaata hai. Ret kahte hain virya ko reta urdha mane urdhagami adhogami niche patit nahi hua yah akhand virya dharan karne wala koi manushya nahi ho sakta wo sakshat dev ho jaata hai bhagwat swaroop ho jaata hai wo manushya dhara se upar uth jaata hai usmen divyta aa jati hai dev divyta aa jati hai koi bhi aisi siddhi nahi jo brahmachari ko prapt na ho par uska prayog karega to phir bhagwat prapti mein badha aa jaegi hoe buddhi jo param shayani chintan chit anhit jaan apna han kar degi isliye unki taraf siddhion ki taraf nahi dekhte jab antahkaran pavitra aur bhagwat chintan paraayan to apne aap jaise diwal ka parda piche kaun baitha nahi dikhayee dega lekin drishti divya ho jae to tribhuvan ki koi bhi vastu dekh sakte ho koi parda uski ankhon mein nahi rahega.

wo divya ho jaata hai. Jo veer sanchit karke udharta akhand brahmachari uski divya drishti ho jati hai. Brahmcharya ki mahima shastron mein bahut varnan hai. Parantu aaj hamara samaj hamara man is mahmmahim brahmcharya ka vismaran karke nichta ki bhog bhumi mein utar gaya hai. Nichta ki bhog bhumi mein utar gaya hai. Yah man bhogon ka das ho chuka hai. Yah apne swaroop se dalit durbal nindniy ho gaya hai. Iska jo pad hai swabhavic wo paramanandmay hai. Yah apne pad se bhrasht ho gaya hai. Yah bhogon ko bhogte hue itna durbal ho gaya ki nindniy acharno mein utar gaya hai.

iska bhaykar dushparinam usko dikhayee nahi deta hai. Ismen tanik bhi sandeh nahi ki manushya ke ullas, utkantha, tej, divyta iska nash keval brahmcharya hani se hota hai. Brahmcharya ka jo hraas hai brahmcharya nash hamara sampurnatya nash us satya marg mein nahi chal sakta jo vyabhchari hai use shubh gati nahi mil sakti shubh gati vyabhchari prashn hi nahi uthta kuch nitya nij janon se Baba ki puj odiya Baba ki aisi saras varta hoti rahti thi ek din ek usmen mahatva vidwaj jan aae aur bada gyan shastron ka rakhte the.

Baba se kaha Baba aap bata sakte ho meri kaun si gati hogi? Baba ne aise dekha bole shubh gati to tumhari kai janmon mein nahi hogi. Kabhi to apman jaisa laga shastron pharrate bharne ki zaroorat nahi wo to brahm bodh sampann mahapurush the isi shabd ka ucharan kiya shubhagti vyabhchari ab aap iska chintan karna unse kaha sir nicha ho gaya kyonki wo drishti se dekh rahe hain. Aapko gyan bahut hai lekin aapne apni indriyon ka sanyam nahi kiya. Gyan ka matlab keval vani se bolna nahi hai. Man se manan karke usko aacharan mein utarna hai.

hamara sukh, arogyata, tej, vidya, bal, samarth aur swatantrata ye sab brahmcharya ke upar nirbhar hai. Brahmcharya hai to hamara jeevan anandmay hai. Yah hamare jeevan ka adhar stambh hai. Adhar stambh tut jane par keem kitna bhi kimti bhavan ho dhah jaata hai. Waise hi virya nash hone par sarvasv nash ho jaata hai. Hamare brahmcharya ka bahut bada hamare manav jeevan par prabhav hai. Maranam bindu paten jeevanam bindu dharnat shastr kahte hain bhagwan shankar kahte hain ki jo virya ko nasht kar raha hai wo mara hua purush hai.

aur jo virya ko sanchit kar raha hai wahi param jeevan wala kaha jaata hai. Mahan jeevan wala kaha jaata hai. Isko dharan karne wala kabhi akaal mrityu se nahi mar sakta. Brahmcharya jeevan jiska hai usmen kabhi koi abhav nahi khatakta hai hriday mein. Yah hota to theek hai. Abhav nahi. Itni santushtata, itni sheetalata, itni sahanshakti, itni gambhirta bhishan sardi garmi varsha ganga ki kabhi hamen yad nahi ki jukham bhi hua ho bukhar aaya kabhi nahi ye to purv karmu maa ke garb se hi kidney ki aisi rachna hui ye koi imphekshan nahi hai ye garb se iski rachna hui ab wo purv karm parast kar raha hai kabhi kahin kabhi koi nirasha nahi hui kabhi hatash nahi mein ek naveen utsah kai kai din bhojan na milne par kabhi aisa nahi ki aise baitho ek naveen utsah brahmcharya ek mahan bal mahan tej hai jo kabhi tumhen jhukne nahi dega tutne nahi dega brahmcharya ke abhav mein sukh ka prichay unnati ka prichay asamabhav asamabhav brahmcharya islok parlok brahm sukh sab pradan karne mein samarth hai.

is lok parlok aur brahm sukh bhagwat sukh samarth hai pradan karne mein. Brahmcharya charon purusharthon ka mul hai. Dharm, arth, kam, moksh. Bole nahi chahiye. Hamen to prem chahiye. To jagte bhyo phire bairagi Vrindavan ras mein anuragi. Abhi shripad ne kaha ki dapan kritma vritt shri Krishna chandre rasanuvatta vrindavankarpit chittavatta agar tum bhogon ka chintan karoge to Priya pritam ka chintan ban payega kya kriyaen bhagwat bhale kar lo thodi chintan aapka wahi vishay hoga to chintan parinaam lata hai bhagwat prapti ka jo bhav sthiti aati hai wah chintan se aati hai chahe dharm ka palan ho ya arth ka palan ho ya kamnao ki purti ho ya kamnao ki nivitti moksh yah brahmcharya pradan karta hai.

yah mukti data hai. Virya bahut hi anmol vastu hai jo paise se kisi bhi tarah khareedi nahi ja sakti. Isi ke bal se aap devta ban sakte hain. Isi ke bal se aap brahma ban sakte hain. Isi ke bal se aap brahm swaroop hokar mukt ho sakte hain. Bina brahmcharya dharan kiye hue koi uttam padvi ko prapt nahi hoga. Shastr sakshi hai iske. Veer bhrasht purush kadap pavitra nahi ho sakta. Dharmatma nahi ho sakta. Mahatma nahi ho sakta. Bina brahmcharya ke bhale punya pratap se indra pad bhi prapt ho jae to wah tuchch pad dalit ho jaata hai.

bhrasht ho jaata hai. Jaise maharaj nahosh bhog pravriti sachi ji ke prati bhrasht ho gaye. Pad dalit ho gaye. Indra pad se aur ajgar bane. Samannya manushya ki to badhi kya hai? Brahmcharya bahut badi hamari nidhi hai. Brahmcharya sampurn vidyaon ko prakashit kar deta hai. Brahmcharya samasth vaibhwon ka Swami bana deta hai. Brahmcharya samasth durbhagya ko mitakar saubhagya pradan karta hai. Brahmcharya param shreshth padvi brahmcharya param swatantr sthiti brahmcharya sampurn unnati ka bij hai. Samasth siddhiya brahmachari ka swayam varan kar leti hai.

kal charcha hui thi ki asht prakaar ke maithunon se brahmachari ko bachna chahiye. Iske alawa bhi aur bahut se aise sadhan hai jinse apne brahmcharya ka nash na janne ke karan wo kar baithta hai. Ashtamaithunon mein pahla bataya gaya tha jo hamne padha, jo hamne suna, jo hamne chitra dekha, jo hamne usse hamare andar kamottejna paida hoti hai. Aise na padhna chahiye, aisa na dekhna chahiye, aisa na sunna chahiye. Dusra jis sharir ke dekhne se hamare andar kam prakt hota hai, drishti bachaie. Uske ang sang se dur rahie.

kamottejak gane kamottejak kamik yah mat padhie. Tisra jin shariron ke prati hamare andar kam bhav aata hai unke saath kisi bhi tarah ki krida mat kijiye. Hansi majak khel kud mat kijiye. Chautha chor drishti se kam bhav se kisi ko dekhna. Yashta maithunon ke antargat wah to nahi dekh raha par ham chhup karke unke ang pratyangon ko dekhkar kam bhavna se yukt ho rahe hain. Pancha ekant mein baithkar ke kamottejak baat karna. Chhathwa aisa shringar karna jo kamottejak ho. Aisi cheshta karna jo aapke brahmcharya ka nash karne wali ho.

ashleel baten, ashleel drishya, ashleel kalpanaen, ashleel cheshta. Satva kam bhav ka abhipray rakh ke bahari sadgi dikhate hue jin shariron se kamkarshan unse sambandh rakhna. Bada bhav pavitra dikha rahe hain, pair bhi chu rahe, hath bhi jod rahe hain. Wah andar apni vasna ko pusht kar rahe hain. Athwa pratyaksh mein sambhog karna. In asht maithunon se to dur hi rahna hai. Aur in asht maithunon ke alawa ek bhishan mahamari ki tarah faila hua rog hai jise hast kriya kahte hain. Angrezzi mein jise mastarbeshan kahte hain.

isse balkon se lekar ke bade tak ka yah sanhaar kar raha hai. Mahamari kaun si mahamari? Yah hast main hoon. Yah hast kriya isse badhkar nashkari koi rog nahi hai. Bahut dhyan dene yogya baten hain. Aaj sharmaya jaata hai baten apne bachchon se poochne mein ya apne shisyo ko updesh dene ka yahi samay nahi hai. Upasna ki niv to majbut honi chahiye. Tab to upasna ka mail khada hai. Are kaisi baten kriyaen kar rahe ho. Tumhen sharm nahi aa rahi. Gande acharno mein utar rahe ho, sharm nahi aa rahi. Aur unka nivaran kaise hona hai?

is baat ke sunne aur bolne mein tumhen sharm aa rahi hai. Kaisi mudhta chhaa rahi hai. Yah karal kal ke panje mein fansa karke jivit rahne par bhi murde ke saman kar deta hai. Yah bada durbhagya ho raha hai ki aaj hamari samaj isse pidit hoti chali ja rahi hai. Hit dham mein sayan kal ke samay kuch samay charcha hoti thi. To jo purane hain unko yad hoga 70 75 varsh ke unhone mike mein kaha tha ki purv bachpan ki abhyaas aaj tak nahi chhut pa rahi mujhe bacha lo. Bada ascharya hua tha ki itna samay jab is brahmcharya ke vishay mein charcha hui unhone suna to wo kyonki kahin na kahin pavitra hriday mein thi to bol pare mike mein khade hokar ki itni ayu hai par main aisi galti aaj bhi karta hoon ab mujhe bacha lo.

is maha rog ka ana sahaj hai. Par isse pind chhuda lena bahut hi kathin hai. Kisi doctor ki na kisi dawa ki koi samarth nahi. Isko chhuda sake. Bahut gaur se sunna aur prayah isko bahut halke mein lekar ke apne jeevan ko nasht kiya ja raha hai. Ye sabse badi crurta apne saath tum kar rahe ho. Yadi hast kriya ke dwara apni jivni shakti ko nasht kar rahe ho. Aapki nas nadiyon se jivni shakti nichud rahi hai. Yah tumhara nash kar degi. Is kriya se jitni hani uthani padti hai, wah ham varnan nahi kar sakte.

yah anishtakari kriya khilwad mein seekh jaate hain. Bachchhe ek 13 varsh ka bachchha kuch chinh hote hain jo pehle se gurujanon ki kripa sadhan karne par prichay mein aa jaate hain ki yah stri sahwas se veerpat hua hai ya hast maithun se hua hai. Dekha pehle to mana kiya nahi. Phir jab aur jor diya ki bhai ismen tumhen labh mil jaega agar aap sweekar kar lo. Haan din mein teenti charchar bar bachchon ka kam khilwad unko unko khilwad lag raha hai. Aisa lag raha hai ki bahut accha marg mil gaya jisse ham sukhi ho jaenge.

durdasha yah ho gayi ki 13 aur 14 varsh ka bachchha wah itne bade rog se grasit ho gaya ki lav shanka karte hi jo mahan shakti uska patan ab na bhajan mein ruchi na kisi seva mein ruchi paaglon jaisi baat tumko samjhaya ji kya smriti ka lop ho raha hai koi utsah nahi ek jeevan mrit tully bachchha hai yar bachchha jahan kahin koi gunjaysh nahi jaise agni ke upar chala jae to kaise chala jaega ekdam pair aise aise ye avastha kishor avastha hai brahmcharya purn jo ekdam uchhalta hua jeevan tej kaisa bhi koi ho kishor avastha badi sundar avastha hoti hai prakash aata hai kyonki us samay tak galat sambandh aaj to kishor avastha prarambh hone se hi ye durdasha mobile kushang ye sab bahut nasht kar raha hai.

ise khilwad samjha jaata hai. Aur durbhagya ki baat ki jo hamare salahkaar hain wo unko kahte hain isse relax ho jaoge. Wo angrezzi ka shabd hai haan kaun sa jo bhi station ho phir station bole usse mukt ho jaoge hosh mein hosh mein ye un mahapurushon ke vachan hai jo brahmaakar vritti mein sthit hai jaise kisi lakdi mein ghun lag jaata hai aur khokhli ho jati hai aise hi sharir jajar ho jaata hai bahut bahut savdhani ki zaroorat hai. Matlab is hast kriya ke dwara age chalkar ke wo nitant napunsakta ko prapt ho jaata hai.

nashon mein aisa durbalya aisi kamzori aa jati hai ki sahwas ke liye socha matra khatm ho gaya. Sahwas ki yogyta khatm ho jati. Grihasth marg mein chalne layak nahi rahta. Santan utpann karne ki samarth nahi rahti. Bahut savdhani ki zaroorat hai. Ise khilwad mat samjho. Kisi bhi aushadhi mein, kisi bhi doctor mein koi bhi aisa upay nahi hai jo ise chhod sake. Aapki swikrati hi ekmatra hai. Satsang hi ekmatra hai. Bhagwat chintan, bhagwat kripa hi ekmatra upay hai ki is mahan rog se aur ye vayral ki tarah fail raha hai.

jaise korona vayral nahi tha aise fail raha hai. Chhote-chhote bachchhe jo abhi jante bhi nahi wo itne se sanskar par raha hai. Accha lag raha hai. Ab wo jeevan bhar agar abhi to nahi abhi sudhar jae. Nahi jeevan bhar nahi rok sakta. Nahi rok sakta. Ya to sadguru kripa ho jae aur bahut shasan ho aur wo swayam us shasan ko sweekar karen to nikal sakta hai. Bade-bade is mahamari se nahi nipat sakte. Iske liye koi injection nahi tayyar hua abhi tak ki aap jao rog khatm. Yah swayam swikrati mein baitha hua mahamari hai aur yah vayral ki tarah fail raha hai.

naveen pidhi ka sarvnash aur kuch mahanubhav aise hain ki isko bata rahe hain to nechural hai. Swabhavic hai. Prakrit chalta hai. Ye koi are sarvnash ko tum sirf prakritik bata. Swabhavic bata rahe ho. Nahi bahut savdhaan aap log durbhagya ka nimantran mat den. Yah durbhagya hai. Aisa durbhagya hai ki aapki dincharya hi nahi ho sakti. Kabhi bhi vyabhchari ki ek jaisi dincharya bahut kal tak nahi ho sakti. Do char din prayas karega gir jaega. Brahmcharya kabhi bhi dincharya mein fark nahi padne dega.

chahe jaisi sthiti ho. Chahe sharir nahi uth pa raha to uska chintan Bhagvati ko nahi lagega. Isliye samanyata jise ham bahut saral samjh rahe hain, bahut sukh samjh rahe hain. Isko aap savdhani purvak bahut dhyan dijiye. Bahut dhyan ka isliye vishay hai ki ye niv hai hamare adhyatma ki hamare paramarth ki. Sharir ke bhitar bataya tha kal bhi ek manovah naam ki nadi hai. Is nadi ka karya mathani jaise nahi doodh dahi ka manthan kare to makhan nikal deti hai. Ye itni chintan se garm ho jati hai nadi. To veer pure sharir ke rakt ke saath hai.

usi se aapki haddiyan majbut hoti hai. Usi se aapka sharir balishth hota hai. Usi se aapke man ko pavitra vicharon mein chalne ki samarth milti hai. Ye jo kahte hain na ki ham nahi chal pa rahe hain. Ham bhajan nahi kar pa rahe hain. Aap kami ko pahchanie. Sharir ke bhitar jo manovah naam ki ek nadi hai yah manthan karya karti hai. Je aap kamashakta hue chintan kiye to pure sharir se jaise dahi ke manthan se wo ghat nikal le waise ye manovah nadi kam karti hai. Wo pure sharir ke nas nadiyon se aapke jo veer shakti usko ekatrit kar leti hai.

chahe sharir dhari koi bhi ho stri ho purush koi bhi ho usko ekatrit kar leti hai. Puri nas nadiyan kamp uthti hai. Jab uska akarshan wo aap samjh nahi pa rahe. Wo aap samjhenge aithan ho rahi hai aap aise wo pure nas nadiyon ko nirjeev kar rahi shaktiheen kar rahi hai. Sir se pair tak har ang hil jaata hai. Sharir ka manthan karke wo ekatrit karke bahar kar degi. Ab kriya karo ya na karo. Durbalya, prameh, swapna dosh ye nischit uske sharir mein prakt ho jaate hain. Sharir ke rakt mein ek safed aur dusre lal kit hote hain.

safed keeton mein bahari aae hue prakritik prhar rogon ke prhar se ladne ki samarth hoti hai. Jo hast kriya ya anya ashtamaithunon ke dwara veer shakti ka nash karta hai to safed kit ye nasht hone lagte hain. Ab jo ladne ki samarth thi prakriti se garmi sardi barsat man apman ninda stuti aur rogon se wo ksheen ho gayi. Ab chidchida swabhav ho gaya. Ekdam nirashta suta ab kya karen? Sharir nasht kar de wo depression mein pahunchne lagta hai. Samjho adhiktar hamari durdasha ho rahi hai. Dhyan dekar sunna agar wo shubh jo rog nashak safed hai virya aap nasht nahi karte to itne balvan ho jaate hain ki ek bar vish ko bhi wah pcha dalenege.

itni usmen samarth hai. Aapki hani nahi hone denge. Joj aap yah nich cheshta karte hain. Tyun tyun hi yah jo aapko sabal banane wale wo nasht hone lagte hain aur uske karan bhayanak rogon ka srijan hone lagta hai. Manushya ke sharir mein aur dimaag mein aur snayu par aisa prabhav parta hai. Age chalkar pakshat ho jaata hai. Granthivat jitne jodan mein dard paagalpan ya aur rogon ki utpatti hone lagti hai kyonki wo jo ladne wale kit wo sab nasht ho jaate hain. Vybhchar sarvatha nindniy hai aur sabse mahan nindniy hai ye hast kriya.

kyonki ismen kisi dusre ki zaroorat nahi hoti hai. Bahut savdhaan bahut nich pravriti hai aur iska vayral ki tarah jaise virus hota hai wo vayral ho jaata hai na aise ho raha hai. Aise jisko dekho sukh ka sadhan mane hue hain. Naveen avastha apne ko nasht kar rahe aur praman unko mil jaata hai. Aise bahirmukh logon se jo kahte hain ki haan aap ka hriday theek rahega. Aapka swasthya theek rahega. Aap dimaag se ekdam shant ho jae. Kaisa nich uttar hai. Kaisa updesh hai? Nash karne wala. Tasmat shastram prmanam te karya karya vyvasthit aapne ved padha hai ayurveda.

kaun si daktari aisi kahti hai ki aisa karne se aap svasth ho jaoge. Shastr pramanit dharm pramanit updesh hona chahiye. Chhote-chhote bachchhe naveen bachchhe jab yah sab padhte hain aur yah sab sunte hain dhikkar hai jeevan ko jo hamare naveen pidhi ko barbad kiya ja raha hai. Aise natak sinema aise usmen jismen hamari jo sanyam ki vritti hai wo sab nasht ho jae. Is kriya ke dwara sabse pahla dhakka hriday par lagta hai. Iska dhakka bar-bar lagne se yama hriday rog aur smriti ka nash ye shuru ho jaate hain.

ise raj kshma kahte hain. Yahi rog hua tha. Vichitra vere ko do patniyon ke sanyog mein bavare ho gaye. Samjh nahi paye siddhant ko. Bhayanak hriday rog hriday ka kamzor ho jana jara si baat mein ghbarahat paida hona dar jana utsahheen ho jana kya baat hai ekdam koi baat nahi be matlab kalpna mein par ye aapke brahmcharya nash ka lakshan hai aisa abhaga manushya jita hua bhi mrityu tully hai. Mastishk mein bijli ki tarah iska prabhav parta hai. Brahmcharya nash ka wo ekdam ksheen karta chala jaata hai. Yaddashta nasht ho jana, sharir mein ek ajeeb si pida hona, khali khaleepan mehsus hona, subuddhi ka purn rup se hraas ho jana, pratibha na rah jana, tej na rah jana, utsah na rah jana aur pagal sa vihaar hona yah shuru ho jaata hai.

brahmcharya nash se. Mastishk kamzor hote hi ankhon ki jyoti ladkhda jati hai. Aise dekhiye avasthagat baat alag hai. Abhi brahmcharya rah ke aap dekho ye to prakritik netr hai. Aapke divya netr khul jaenge. Kan mein sunne ki shakti, dant ke masudon ka phool karke danto ko jo rokne ki shakti, sharir ki shakti ye sab nasht ho jati hai. Kyonki brahmcharya sabka adhar hai. Bahut jaldi bal jhadna, bal pakna jaise raja ke nasht hone par sampurn sena bandi bana li jati hai. Aise hi sharir ka raja hai brahmcharya veer.

iske nasht hone par har indriy har nas nadi parajit ho jati hai. Aankh, nak, kan, jibhya, vani, pair, tvacha, anten aur indriyan ye sab asmarth hone lagti hai. Pachan shakti par bahut bura prabhav parta hai. Ab ye nash nahi to aur kya? Jite ji nash hai. Hast kriya se sampurn sharir dheela, phika durbal, kamzor aur rogon ka pradurbhav hone lagta hai. Mukh ki kant hinta badhti chali jati hai. Mukh prasann tan tej viraja keen Ramchandra kar kaja ya chehra dekho vaisa lagta hai jaise sab ud gaya. Kuch nahi rah gaya.

bas keval sajavat sajavat rah gayi hai. Pavitra jitendrita bal adhyatma chintan kuch nahi. Shunya bas wahi vartman bhogon ka chintan kaise bhogun bhoge hue bhogon ka chintan bas aap dekh lo apne hriday mein jhaank karke sampurn jeevan vishaynand mein phas jaata hai. Indriy durbalta ke karan agar wo grihasth mein bhi gaya to wo grihasth mein bhi apne dharm ka palan nahi kar pata. Kyonki uski jo shakti hai wah nasht ho chuki hai. Santti sukh se bhi hath dho baithta hai. Phir jo usko jalan aur shok hoti kyonki wo jo kartavya karna chahiye grihasth ka wo nahi kar uski samarth nahi rah gayi.

ab wo apni baat to bata nahi sakta kisi se. Ab jo andar jalan ho rahi uska nirakran kahin nahi hai. Savdhaan ho jaiye na vairagi aur na grihasth kuch nahi rah paoge yadi ye gandi baten aap nahi tyag paye. Bolo aise aadmi ki sukh ki asha kya hai? Aur ant mein iska parinaam mahapap narak milta hai. Aisa thodi hai ki aap sochoge mera sharir main jo chahun kar lun. Nahi nahi aapko diya gaya yah bhagvatik hai. Aapko prabhu ki taraf se mila hai. Jaise aapka sharir hai abhi report kar diya jae ki aap apne sharir ko nasht karna chahe aapko dand milega is baat ka.

aap sharir ka sadmarga mein prayog kijiye. Aap iska asat marg mein aap isko nasht karne ka adhikar nahi rakhte. Yahan bhi to phir bhagvatik vidhan mein tumhara itna adhikar kaha ki tum ise manmani nasht kar do. Durbal chitt ho jaata hai. Sanyam bilkul nahi rahta. Jab kabhi usko iska dosh anubhav mein aata hai sunne mein to pratigya karta hai. Par aisi hazaron pratigyan wo roz karta hai. Roz todta hai. Kyon? Kyonki ubal hi nahi rah gaya hai. Jo is vasna se pidit hai. Agar thoda bhi hriday satvic hai to sharminda rahta hai.

uski ek ajeeb sthiti andar rahti hai. Khulkar kisi se baat nahi kar sakta. Aankh milakar baat nahi. Aur jo malin hriday ka hota hai wah itna akad karke itna raaksasi pravriti ka ho jaata hai bilkul dheeth ye do vrittiya aati hai jo brahmcharya hinta hoti ya to itni sharmindgeegi thoda sa bhi hriday agar satvic hai wo glani aur ya phir itni dushtata jo anand mein hasmukh hona chahiye wo udas ekdam tejheen uski surat dekhne par lagta hai rone wala hi hai. Swabhav mein rukshata hoti hai. Chidchidapan kroadhi nishtej ankhen andar dhasne lagti hai.

yahan khaleepan hone lagta hai. Ek khaleepan ek kala sa chinh bahut bahut savdhaan. Yah itna bhayanak rog hai ki jawani mein bhi vriddhavastha ke lakshan prakt hone lagte hain. Kisi bhi karya mein man na lagna, pare rahne ki ichchha hona, thodi mehnat karne par haphte rahna, age kya karna? Aise vichar karne ki shakti nasht ho jana. Bahut jaldi krodh akar ke avesh mein kuch aise vachan bolna kriyaen karna dekho na sunne ko milta mata-pita ko pita aisa kiya vaisa kuch chintaon ki baadh aa jati hai kuchintaon ki uske hriday mein ek bhay ek jalan ek ghbarahat bani hi rahti hai thodi si baat usko pahar jaisi malum hoti hai vichar ke dwara kaat nahi pata hai bar-bar jhooth bolna uska swabhav ban jaata hai.

bar-bar bhookh lagna ya jathragni ka mand par jana ye do dosh hote hain. Ann na pachna ya to bar-bar aisa lagna ki khao. Aur malbaddhata ate hain jab veer shakti hin ho jati hai to mal ko pakdne lagte hain. Unmein samarth nahi rah jati. Pachne ki ya mal niklne ki to kabjiyat bani rahti hai. Nind ka ya to nahana aur ya ana to Kumbhkaran jaise sona pare hain. Aise do uthte samay niratsah alasya ankhon ko bahut bhareepan hona nahi khulne dena. Aisa jab aap sanyam se chalenge na ghadi ki alarm ki zaroorat nahi hoti.

theek samay mein netr khule aisa nahi aise nahi ek divyta aati hai abhi aap udhar kadam sahi dhang se nahi rakh rahe isliye hai alahram bajte rahte hain shor hai paramarth mein ya vihaar mein bhi aapko chalna hai to aapka sanyam bahut aniwarya hai. Ab bachchhe kahte hain hamari smriti kam nahi karti hai. Padhai mein man nahi lagta hai. Aisa kyon nahi lagta? Aap dekho apne acharno ko dekho. Padhai yah to itne tablet itna sab ek bar bol dijiye kabhi bhi jeevan mein pooch lijiega use dobara padhne ki sunne ki avshyakta nahi ek bar agar aur agar ham nahi sunna chahte to aap halla machate raho baad mein pocho to na hamne vartman mein suna na baad mein uski smriti rahegi jahan smriti lagi wahin lagi hai ratri mein jo swapna dosh hota hai inheen galtyon ka parinaam hota hai yadi aap aisi koi galti na karen to kal charcha mein bataya tha swabhavic kabhi haan jaisa wo jo santanotpatti wala wo nahi jo hast kriya se yukt ho gaya hai wo anubhav karen laghushank ke pehle ya baad mein dekhna jo jivni shakti hai wo aapko raas hoti dikhayee degi bund bandbund nikelte dikhayee di.

kitna sarvnash kar rahe ho. Baad mein tum socho ham ye vitamin kha lenge wo kha lenge. Kuch chale uski purti nahi ho sakti. Uski purti nahi ho sakti. Age ismen aata hai ye jo ayurvedic ausdhiya di jati hai ye balishth hoti hain. Aur ye kyonki aapki pravriti galat hai. Wo balishth hokar aapko aur kamottejna pradan karegi. Tum rok kaise paoge? Sanyam nahi. Isiliye koi aushadhi nahi hai. Aap swayam aushadhi hain. Uske aapka dridh nischay aur kuch vyayam, pranayam, ahar shudhi aur naam jap, naam jap isse aap shasan mein la sakte hain.

is baat ko kaun apne bachchon ko baithaal kar samjha raha hai? Agar wo nahi hai to savdhaan ho jaenge ki agar koi aisi baat batata hai to mata-pita ne mujhe pehle sikha rakha hai ki yah bahut nashkari kriyaen kabhi aisa nahi karna. Aap batte hain kyonki aapko fursat kahan hai? Aap apne manoranjan mein mast hain. Aapko yahi lagta hai khilana pilana hi keval bachchon ka pyar dular hai. Nahi kabhi baitha liye. Unki dincharya dekhiye. Aap unse pehle is mahan durgunom ka agah kijiye ki aisi aisi baten age koi tumhen sikha sakta hai ya tum mein hai to nahi.

jankari karni chahiye. Agar kabhi aisa ho to mat aisa mat karna jo navyuvak hain. Hath pairo ke jodon mein dard malum de raha hai. Shithilta ho rahi dimaag mein ek sanasni bani rahti hai. Aapko ye ashleel chitra dekhna accha lagta hai. Gandi baten karna accha lagta hai. Yah sab usi hastra kriya ka parinaam hai. Jinko bar-bar ek swabhavic laghu shanka lagti hai. Ek bar-bar yah aapka lakshan hai ki aapne brahmcharya ka nash bahut achhche se kiya hai. Koi bhi ho grihasth ho virakta ho koi bhi ho hath pair mein kampan hona chehre par muhase ubhar ana ekdam uth ke khade hue andhkar sa chhaa jana smaran shakti ka lop ho jana ka atyant chanchal rahna durbalta pratigya puri na karna koi bhi karya pura na karna dimaag mein har samay mein gussa garmi chhana netron mein jalan hona kshan mein gussa kshan mein shant matha kamar merudand chati inme dard hona ye bilkul dhyan se sun lijiye reed ki haddi jhuka kar baithe mein aram mehsus karna ye sab shiv brahmcharya nash ke lakshan hai brahmcharya aapko aise baithe hi nahi dega dekho jara si ekagrata ka aayega to bilkul savdhaan are mahan shakti hai.

mukh se durgandh aur sharir se durgandh ane lagti hai. Jo apni is brahmcharya shakti ka nash karta hai. Durgandh yukt sharir ho jaata hai. Nak ke kinare aisi halkeehalki jhaiyan ane lagti hai. Aise yahan halkeehalki jhaiyan padne lagti hai. Kale dag jinhe kahte hain. Ye chinh hai brahmcharya ka nash karne ki. Awaz mein komalta nasht ho jati hai. Rukshata aa jati hai. Swabhav mein apriy swabhav ban jaata hai. Koi bhi koi bhi tumhare paas baithna nahi chahega. Wahi baithega jo tumhare lakshan se yukt hoga.

kisi bhi marg mein usko kamyabi prapt karne ka utsah nahi rah jaata. Kal ek navyuvak bhai kah rahe the ki agar vachan sunne ko na milte to hamne to than hi liya tha ki ab apne sharir ko pura kar denge. Bacha liya aapne hamare bade bhav se gadgad hokar kah rahe the ye jaise aap sun rahe ho to aapko chot pahunchayenge shabd ye aapko uthane ki koshish karenge agar aapne pakar liya shabd ka sahara to uth jaoge koi aushadhi nahi bacha sakti aap swayam bach sakte ho aap mein abhi bhagwan ne samarth di hai abhi bach sakte ho agar aapne abhi apne ko nahi sambhala socho socho jara aap itni kimti mahan vastu ko khilwad mein nasht kar rahe ho.

kya chahte ho? Kya chahte ho? Grihasth mein santan utpatti ke liye adesh hai. Vybhchar ke liye thodi adesh hai. Pratyek mata pita guru bade janon ko yah kartavya ka palan karwane ke liye chahiye ki unko apne paas baitha le. Chahe putr ho ya putri shishya ho ya shishya usko yah baat samjhave ki brahmcharya hi aapko laukik parloulik unnati dilaega. Ismen lajja sankoch karna bilkul mudhta hogi ki ham apne bachchon se aisi baat kyon karen ya yah samjhna ki main aisa boluga to kahin koi aisa na soche.

matlab guru hai updesh kar raha hai. Kahin yah na soch baithe ki log kya kahenge ki Ram Krishna hari ki charcha chhod ke kya charcha kar rahe hain. Shareeram vyadhi mandiram yah tabhi banta hai jab aap brahmcharya ka nash karte hain. Atah mata-pita se, gurujanon se sabse prarthna hai ki sankoch lajja chhodkar apne priyjanon ko paas baithalkar chahe bachchha ho ya bachchi ho sanyam ki shiksha jarur batayen ki kaise ham apne jeevan ko bhavishya ko aap kya samjhte ho achhche-achhche padaarth pawa diye khub paisa laga ke unki suvidhae de diye lekin wo jo achranheen ho rahe hain jo wo jivni shakti ka nash kar rahe hain.

kis unnati mein jaenge? Jab andar brahmcharya hinta aati hai tab nasha karne ki ichchha hoti hai. Kyonki vikshiptata sahi nahi jati hai. Wo ganja, charas, drugs ye wo ab un us nashe ki uttejna mein aur nasht hota chala jaata hai. Nasht hota chala jaata hai. Aap apne brahmcharya ka nash kiye. Aapke andar us vikshiptata ko sahan karne ki samarth nahi rahi. Aap nashe par utar gaye. Ab nasha aapko sarvnash ki sthiti mein pahuncha diya. Yah bahut gambhir vishay hai jeevan ka. Keval pharratedar shlok bolkar unke arth kar dene se samjh mein nahi aayega.

pehle aap apne acharno ko sudharie. Apne jeevan hi shakti ki raksha kijiye. To bina updesh ke bhi andar se aap unchai par chadne lagenge aur chahe jitna updesh de lo aur chahe sun lo. Agar aacharan pavitra nahi hai to jahan ho waise hi rahoge. Kyonki aacharan pavitra hi aapko uthaegi. To isliye mata-pita ya guru ko brahmcharya ka spasht varnan karne mein kabhi lajja nahi malum honi chahiye. Aur badi durbhagya ki baat ho rahi hai ki ghar parivaar ke log to koi aisa bata hi nahi rahe aur adhyapak bhi iski taraf nahi bol rahe.

adhyapak agar 15 minute ka samay keval dainik dincharya ki pushta ke liye diya jae to hamare naveen pidhi ki jo ujjavalta hai wo prakashit ho jae. Ab hamare to samay mein aisa padhaya nahi gaya tha lekin naveen bachchhe jo jude unhone bataya ki ye sab vishay padhaya jaata hai. To uske sanyam ka shabd nahi aisa to kuch nahi bataya gaya hai. Kya hai? Kya hai ye jeevan? Aap us jeevan ko patan ki taraf le ja rahe hain. Yah vidya hai. Vidya to vinay sikhaati hai. Vidya to sanyam sikhaati hai. Vidya to bhavishya ko ujjwal karne wali vastu hoti hai.

kyon vidya ko kalankit kiya jae? Agar aap bachchon ki nasha pravriti jo badh rahi usko nahi roka gaya. Vybhchar pravriti badh rahi usko nahi roka gaya. To hamen lagta hai vidya ka matlab kya raha? Vidya jo hai wo gambhirta sanyam vinay yah pradan karne wali hoti hai. Vidya udandta aaj ka vidyarthi apne mata-pita ki avhelna karta hai. Shastr vakya ki avhelna karta hai aur swayam apni avhelna karta hai. Apne jeevan ko patan gart mein gira raha hai. Chahe wo bachchha ho chahe bachchi ho. Kaise?

to uchit hai lajja tyag karke chahe 15 minute ka hi keval ho lekin dainik dincharya kaisi honi chahiye vidyarthi ki yahi hamare gurukulon mein sikhaya jaata tha yahi sanyam bartaav karne ke karan wo grihasth mein rahte hue bhi raj rishi kahlate the raja hai par wo rishi shabd unke age raj rishi wo grihasth hote the par band nahi hote the aaj ham kis dasha ko pahunchte chale ja rahe hain. Are tum na grihasth ho na virakta ho. Tum bhagwan ke nij jan ho. Manushya sharir bhagwan ki prapti ke liye hua hai. Haan tumhen bhagwan ne grihasth marg diya.

kisi ko virakta diya hai. Apne apne kartavya ki puja karte hue bhagwan ko prapt karo. Yah manushya jeevan ka param labh hai. Apni koi bhi gupt baat apne gurujanon se chhupani nahi chahiye. Yah apni taraf gurjan mata-pita apne janon ko samjhaen aur apni savdhani ki koi bhi galti wah tumhari galti nahi hai. Tumhara man buddhi tumhari indriyan tumhen galat fansa rahi hain. Tum nirnay nahi kar pa rahe ho. To tum apni baat apne priyjanon se gurujanon se jo sahi salah de sake unse aap rakho. Daro mat.

aap use chhupao mat, ghabrao mat ki agar ham aisa kahenge to hamare prati gandi drishti ho jae ki ye to nich aisa nahi hota. Jaise doctor hota hai ham usko apni baat batte hain to sahi dawa deta hai. Aise hi gurujanon se jab apni kami batte hain to kripa karte hain. Wo aradhya dev se prarthna karte hain. Wo hamen aise updesh dete hain jiske karan ham aise daldal se upar uth jaate hain. Par ham wo poohe bhi to ham chupana chahte hain. Itna priy mante hain man buddhi ko. Man buddhi ke dwara hamara jo patan karaya ja raha hai ham usko itna chhupa ke rakhte hain ki karuna karke yadi gurjan poohe bhi to ham use jhooth bol dete hain ki nahi nahi aisa kuch nahi hai nahi aap itna saath mat dijiye is dushtata ki pravrittiyon ka ki aapka bahut patan ho jae aur aap punah chadne layak na rah jae adhyatma marg mein kai log yah samjhte hain ki yadi ham samaj mein brahmcharya ki baat, hast kriya aadi ki baat, shishu maithun aadi ki baat karenge to kahin log ham par aisa na soche ki ye kaise shabdon ka ucharan kar rahe hain.

bilkul nahi. Lajja nahi karni kyonki jo nahi jante hain, wah is baat ko jankar savdhaan ho jaenge aur jo galat karte hain, wah apne ko bchane ki cheshta karenge. Kusang mein para hua bina satsang ke nahi nikal sakta. Buraiyon ko dabane ke liye achchai kya hai? Yah jankari honi avashyak hai. Isiliye sadachari aur brahmachari banne ke liye jo sadguru ke vachan hai, santo ke vachan hai, shastr ke vachan hai unko suno. Usmen lajja ka bhav mat rakho. Yadi gurjan achhche dhang se apne shisyo ko samjhaen to prabhav parta hai.

yadi mata-pita apne balkon aur balikaon ko baithalkar samjhaen to accha prabhav parta hai. Yadi school mein kuch hi minute jo adhyapak jan hai is vishay par prakash daalen to uska prabhav parta hai. Jitni dhatu paushtik ausdhiya li jati hain wo sab shodh ke dekhi gayi unmein balwardhak hota hai aur aapki vritti kamo tejak hai to wo bal aapke andar kam vridhi hi karega jake bahut dhyan dene yogya baat hai ki ye ayurvedic aushadhi le lete hain ye le lete hain to aapko aapki gati galat hai isliye power jaega aushadhiyon ka galat dhang se hi prayog ho jaega koi bhi aisa aisa vaidya samarth nahi hai jo tumhen is hast kriya ko rokne ki aushadhi de de.

bahut sundar baat hai. Tumhen koi brahmachari bana sake aisi koi aushadhi nahi. Ekmatra man ko prabhu mein lagakar naam jap karo aur jo sanyam bataya ja raha hai vaisa karo. Sab theek ho jaega. Sab theek ho jaega. Tum samarth ban jaoge apni indriyon ko rokne ke liye. Upasak pehle bhojan par sudhar kar rahe. Bhojan aur buddhi ka paraspat bada ghanishtha sambandh hai. Satvic ahar nisandeh aapko is kriyon se vijay prapt karva dega. Dhyan se sunie. Satvic ahar jab aap bhojan pa rahe ho us samay naam jap jarur chalna chahiye.

agar us samay galat drishya dekh ke galat baten chintan karke bhojan paoge to uska prabhav aapko aur galat mein laga dega. Bhale satvic bhojan hai. Dhyan dijiye bhojan ke samay jarur bada anand milta hai. Jaise aap prasad pa rahe ho aur aapka abhyaas fit hai. Ab laga diya pratham yathmati Pranav shri Vrindavan tiramya shri Radhika kripa binu sab bada pad hai. Dekht nav nikunj sun sajni lagat hai yati charu pad ka andar chal raha hai aur ab pra chalo nahi hai aisa aapka abhyaas Radha Radha Radha us samay vyarth ki varta us samay vyarth ka chintan vyarth ke drishya dekhte hue bhojan galat sanskar par raha hai satvic ahar aapne paya par vichar aapka satvic nahi hai adharmic vichar hai dusht bhav hai to satvic vyarth ho jaega bhojan wo usi ko support karega.

bhojan ke samay bilkul savdhaan raho. Wah aapki nas nadiyon mein phailkar vaisa hi prabhav phailaega jaisa aap chintan kar rahe hain. Bhojan ke samay jaisa vichar hota hai. Theek vaisa hi aapka swabhav banta hai. Mahapurushon ka swanubhav purn siddhant hai ki bhojan ke samay savdhaan. Bhojan mein jo ras banta hai wah nas nas mein phailta hai aur jis chintan se chintit hokar paya waise hi prabhav parta hai. Sthul bhojan ka sukshm vichar par prabhav parta hai. Kai guna prabhavshali prabhav aapke chintan ka parta hai bhojan mein. Bahut shuddh bhojan ho, satvic bhojan ho par aapka vichar bhojan karte samay sahi nahi.

aapka chintan sahi nahi. Isliye dekho sant janon ka jab kabhi prasad pane pehle naam kirtan hota hai. Phir bahut se jai jaykar lagte hain aur bichbich mein jorjor se Radhe Shyam ki gun ki aapka chintan bhagvatik rahna chahiye. Dekho na hamen lagta hai 10 minute to keval jai jaykar hi hoti hai. Ayodhya Mathura ki jai pure jitne apne thakur ji sabki jai jaykar wo rasgulla ki taraf dekh raha hai par jai puri ho tab na jai jai bolna hi padega aur kirtan karo ye kitni sundar pranali hai bhojan bahut satvic bahut ye jeevan bada ujjwal bhavishya karne ke liye mila hai bhojan ke samay pavitra uchh nirbhay shant aur bhagwan naam jap aise bhav hone chahiye upasak aapko jise brahmcharya rahna hai do samay bhojan halka ya ek bar bhar pet 24 ghante mein paryapt hai brahmachari ke liye do bar to halka keval do hi samay bhojan karen pahla bhojan ka samay 10 baje se lekar 1:00 baje ke beech mein dusra sandhya hone ke baad 8:00 baje tak iske baad nahi agar iske baad aap pate hain to aapki aapki dincharya mein fark padega.

wo aapke kai dosh prakt kar dega. Dekho jeevan ko yadi aap mangalmay prakasheel banana chahte hain to mahapurushon ke vachan manne padenge. Koi bhi bina sad aacharan kiye sukh shanti ko nahi prapt hota. Aaj hamari sab dincharya nasht ho gayi hai. Aur ham chahte hain sukh shanti anandashwar vaibhav aur aacharan ho rahe hain. Dukh aur ashanti aur daridrata ane wale aur aap chah kaisi aacharan kaise bhojan do samay bahut dhyan se pahla 10 se 1:00 baje tak aur madhyan mein bhojan pane ke baad chahe 15 minute hi ho aap vishram kijiye daen baye karavat sidha aisa din agar aapko raat mein sone se paryapt nind ho jati hai to phir din mein sone ki zaroorat nahi naam chintan karte hue phir aap baith jaiye phir apni dincharya mein lagie sham ke 8:00 baje tak bhojan ho hi jana chahiye kyonki kyonki ghanta adh ghanta tahalna apni dincharya aur phir aap shayan kijiye phir aap jag jaiye samay se agar aapko bhagwat marg mein sanyam purvak chalna hai to aapko sudharna hoga hamen lagta hai pra jo apne sadhako ki dincharya hai shayad isi ke antargat hi hai agar aapka do bar bhojan mein vikshep parta hai to ek bar bhojan achhche se pa lijiye thoda madhyan mein vishram bas Radha Radha aur agar chal jae to jaise milta hai aadha aadha liter doodh ya 250 gram jo bhi sham ko usko pi lijiye.

matlab brahmachari ko zyada kisi padartho ki takat ki zaroorat nahi hoti. Wo swayam mein itna ab anavashyak aap dalte rahoge anavashyak to phir aapka chintan bhi bigad jaega. Aap nahi sambhal paoge. Bahut sanyam ki zaroorat hai. Bahut garma garam bhojan brahmachari ko nahi karna chahiye. Usse aapke brahmcharya par fark par jaega. Taja bhojan hai par dhua nahi uthna chahiye shant yah garma garam jaise bilkul nahi bhojan hamesha satvic taja sada hona chahiye jo jaise roti ye sab mathri aadi jaise ek do din mitha aadi ek do din lekin jaise roti aadi ye sham ki bani subah nahi pai ja sakti kyonki kyonki usse phir buddhi mein pramad aur tamogun badhne ki cheshta basi ann nahi hai.

accha bhikshavitti mein ye badi samarth hai ki hamari jholi mein mangne par jo aaya wo brahm swaroop hai. Uska koi in satogun rajogun tamogun se koi uska prabhav nahi. Ye bhikshane mein bahut badi samarth thi. Radheshyam bola koi panch din ki sukhi roti de de. Wo hamare liye amritmay wo nahi hoga ki ye to basi hai kya? Kya tamogun paida karegi ki nahi wo mahaprasad swaroop ho jati hai lekin agar suvida hai to tajan bahut garma garam nahi satwikan aur kam kam se bahut labh hota hai. Aapki sari jivni shakti hathon mein pachne mein lag jati hai.

accha ek bar pach nahi paya dobara phir utna hi jaad liya to bhajan kya karoge? Thoda jo jivni shakti hai usko aap ishwar ke dhyan mein chintan mein lagane jis din aap vrat rahte ho jo ekadshi to aap dekho us din zyada bhajan hoga alp agar aap ann ko utna hi simit paye jo aapke bhajan mein vikshep na dale ye thoos thoos ke yahan tak bhale kyon tum sharir ho kya tumhara vishay ye hai kya are samjho bekar ko is thaile ko mota karte chale ja rahe ho ye thaila hai uthne mein pareshani chalne ne pareshani badi samasya dincharya karne mein ab itna bada pet ho gaya to dincharya kaise karen kaisi dincharya hogi kahe ko itna kha rahe ho bole wo ghatane ki dawa le rahe kisi dawa ki zaroorat nahi hai sidhe moong ki daal ubalo do roti shuru karo ek mahine mein agar tumhari charbi na kam ho jae to hamen batana roz subah tahlo thoda vyayam karo agar jankari ho to jo yogi jan aapko pranayam ki paddhtiyan bata aur satvic bhojan apne aap theek ho jaoge.

pana hai pizza bargar pana hai tumko sansarik koi ab charbi badhti chali ja rahi age piche na uthne ki samarth na baithe ki bhai vridh ho gaye ho to baat alag hai yahan to jawan jawan ke aise matlab ye pet nikalna matlab apne jeevan ko khokhla kar dena hai bolo apni dincharya ko kaise kar paoge ab itna mota sharir banane se koi labh nahi hai aap samjhte ho svasth sharir use nahi kahte ki jitna mota ho gaya svasth sharir aapki dincharya purti yukt honi chahiye. Wo uchit ahar se yuktahar vihar bhagwan ke vachan hai.

ye jo shabd likhe hain ye achhche padartho ko thoos thoos kar khane ka swabhav ye aapko sanyam mein nahi rahne dega. Badhiya kaju padi, kishmish padi khir hai. Ab hatao. Are kisko pila rahe ho? Kisko ye Rasendra ke santo ne kaha hai ghati niche mati bas itne itna ka khel hai itne ke niche gaya sab bekar ho ab phool raha hai gas ban rahi kabz ban rahi dakar idhar ghum rahe udhar kahe ko pareshani mol le li chhoti katori jara sa Radha Radha swad bhi ho gaya prasad bhi ho gaya sharir pushta ke liye brahmachari ko kaju badam pista halwa rabri rasgulla ki nahi avshyakta prarthna man lijiye nahi zaroorat hai wo apne aap mein ek mahan bal dharan kiye hue hai par ab yahi samasya hai ki na sanyam samjh pa rahe ho na ahar ko samjh ye ahar tumhara vishay nahi hai aapko theek prannon ka poshan karne ke liye utna jal utna ann utna paushtik ahar dena hai jisse hamara man hamare karyo mein hamare anusaar chale jo shastr agyaa hai bahut namkeen, lal mirch, garam masala, kachori, pakri, bahut mithai, chai, kophi, pyaaj, lahsun ye indriyon ko bhaykar chanchalta pradan karte hain aur veer shakti ka nash karne mein bahut inka yogdan hai.

pujya padudiya Baba se kisi ne kaha ki Baba ham to jahan bhiksha mangte hain wahan prayah pakwan hi milta hai. Baba ne kaha koi baat nahi agar char roti pate ho to do kachori le lijiye bas ho gaya koi pareshani nahi hogi. Char ki hai do pa lijiye. Ek bar pujya Baba bahut se sadhak jan Baba to kuch aisi kacchi aur moti puri banwai aur kuch halki ekdam bahut paki hui puri banwai paki hui piyon ko pehle parosa gaya unke upar kacchi pu rakh di gayi ek ek dod aur Baba khade ho gaye aa bhai pao sab to kuch jo sadhak sanyami the to upar se shuru kiya aur kuch sadhak jo swad wale the upar ke hata ke Baba khade ho kyon aisa kiya Baba wo niche wali paki thi aur thandi ho jati ghar jao bahu le garam garam banva pao Baba ji banne layak nahi ho agar rasendriy ki triptata rasendriy ki purnata ki tumhari bhavna hai to tum jnendriay ko nahi rok sakte ho ye vairagya marg hai swayam Baba bahut mahapurushon ne bhagwat prapti ke liye swayam kasht ko varan kiya.

giriraj mein koi bahut bade dharmatma purush aae the. Sab santo ko bhandara kar rahe the aur udhar Baba bhi pahunch gaye. To sanyasi mahatmaon ke charan dhokar waise hi acharya paddhti se pavaya jaata tha. Aur jo bahari bhikshuk aise hote the unko line mein khada kiya jaata tha. Baba line mein khade hue jake aur unko moti roti di jati thi aur wahan khir, pakri, kachori ye sab aise chalta tha. Wahan dakshina bhi di jati. Unko keval moti roti di jati thi. Ye kai din aisa unhone sadavrat ki tarah to Baba us line mein khade hue char roti unko moti moti mili aa gaye aur ekant mein do roti pai aur do roti jamin mein aise gad di aur jab pata chala ki pujypad budhiya Baba ji aae hue hain to wahi dharmatma seth aur sab angur aur seb ki jhabiya badi-badi leke jahan Baba the wahan aa gaye pranam sashtang Baba ho bhagya aapke Baba charan padhra aae andar bole ham to le aae hain aapke yahan se kab Baba bole le aae hain aur do pa chuke hain aur do kal payenge aur

aise raj hatai aur kaha do are Baba aap bole yahi tumhen ham samjhana chahte the ki aapko kya pata kaun sa mahapurush kis ye kyon bhed janit bhojan dete ho ek ko aise aur ek ko aise ek din pavao lekin kam se theek hai mana unko sammaan se baith ke unko khade khade lekin wahi chij do jo sabke liye Baba kaise mahan purush do roti pai do purane santo ko dekho aisi jeevan yapan haan dekho wahi Baba jo ek kaval pakar 18 18 ghanta Padmasan mein baithe the jab paripakva avastha 7070 gharo mein ek ek din mein jaate the bhavna pushta ke liye Baba hamara nimantran hua gaye ek do kaval paye aise jara jara sab paye aise ham abhi bhagwat prapt nahi hue hain to ham logon ki indriyan man buddhi sansaar ki taraf ja rahi hai ab hamko sanyam ki avshyakta hai yadi sanyam ka ham bartaav nahi karenge to sun lo bhojan ke pehle achhche se hath dho muhn mein kulla karo aur laghu shanka lagi ho to laghu shanka jao bhojan ke pehle pavitra ho bhojan pate samay naam chalna chahiye ya pad chalna chahiye ya achhche koi sant mahapurushon ke jo charit hain

unka chintan karna chahiye khade bhojan nahi pana chahiye lete bhojan nahi pana chahiye. Chalte hue nahi pana chahiye. Prat kal kal charcha hui thi. Jo jalpan hai wah bada aushadhi ka karya karta hai. Brahmachari ko bal bhog nahi karna chahiye. Socho bhaiya brahmachari ko bal bhog nahi karna. 10 se ek ke beech mein aur 8:00 baje tak sham ke bhoj itne mein mar thodi jaoge. Are yar kai kai din bhojan nahi mila hai. Kai kai din ganga ka kinara hai. Ganv jane ka swabhav nahi tha. Bas akash vritti ka sahara tha ye agar aap bal bhog nahi karoge to aap kya pareshani ho jaegi 10 11 wo to milega hi aapko hamare to jeevan mein tha ki pata nahi kab milega kahan milega koi bharosa nahi kabhi itna gur koi de diya kabhi wo jo ganga kinare bari lagate hain wo he Baba dopretha loge bhagwan diye aise man ke ganga ji ne to gora pa liya bada aapko to nischit hai ki aapko milega bhojan phir aap bal bhog kyon bal bhog pach nahi paya raj bhog dal liya wo pach nahi paya to aap bimar ho jaoge kabz ho jaegi gas banegi aapka bhajan mein man nahi lagega to phir wahi pramad ki sthitiyan aayegi bhojan hone ke baad 100 200 kadam chalna chahiye tahal karke din mein 15 20 minute vishram ratri mein bhojan ke baad aadha paun ghanta naam jap mala uthao chat mein ya kahin jaisa ho aram se bhagwat chintan karte hue tahlo yani turant pa ke phish hai.

kal bataya tha upasak ko teen liter pani pina hi chahiye. Usse peshab ke dwara bahut si jo sharir ko kasht dene wali wo pitt aadi ye sab tayyar wo nikal jaate hain. Kabz ki bimari pani ki kami aur garishta padartho ke pane se hoti hai. Yah nahi hona chahiye. Tabhi aap brahmcharya jal pite samay dhire-dhire aram se pina chahiye. Gat gat gat aise nahi Radha Radha naam lete thoda thoda panch minute mein dhire-dhire pyas ki pani se hi bujhae pyas ko soda vatar leman ya thande pey padaarth jo sheeshiyon mein ate hain ye brahmcharya sanyami bhagwat marg ye sab chijon le bhai aapko amrit pan karna hai Radha naam sudhar samat bahut savdhaan prakriti ke virudh chalne se kabhi koi sukh ka anubhav nahi kar sakta.

bahut savdhaan. Bhojan ke samay aapko pani nahi pina hai. Ye abhyaas aapki dincharya mein bahut badha pahuncha dega. Yadi aap bhojan ke saath pani pite hain, gas banna shuru ho jaegi, kabz banna shuru ho jaega. Aap pareshaan ho jaenge. Agar aapko bhojan mein pani ki avshyakta lagti hai to aap aadha ghante pehle thoda pani pi lijiye. Bhojan ke aadha ghanta pehle aur bhojan ke samay bilkul mat pijiye aur bhojan ke aadha ghanta ek ghanta baad aap sab ke pani pi lijiye utna jitna swas aur bhajan karne mein pareshani na pare. Khade-khade pani nahi pina chahiye.

ratri mein sone ke samay garm doodh nahi pina chahiye ki aap garam garam doodh pi rahe. Nahi usko ekdam shant kar lijiye doodh ko jab dhuan na rah jae. Agar doodh bhi pina hai to pine ke baad 20 30 minute tahalna chahiye. Ye nahi ki doodh pi ke aap so gaye. Sanyam mein nahi rah paoge. Prat kal uthte hi suryoday ke pehle yadi aapko suvida ho jae ek tambe ka patr rakho aur usmen jal puri ratri bhara rakh lo aur wo piyo to aapko bahut sanyam mein sahyog milega aur rogon ke nash mein sahyog milega. Taamb patr mein raat ka rakha hua jal.

yah nitant satya hai ki koi bhi nasha karne wala brahmachari nahi rah sakta. Jo tambaku aur bhang, ganja, apheem is tarah ke koi bhi nash wo brahmcharya nahi tikne denge. Isliye koi bhi nasha na karen. Alasya apne kartavya karm mein na karen. Hriday ko bar-bar shital karta rahe. Aisa chintan karen. Santusht kenva aise chintan mat karo ki hriday tumhara jalta rahe. Yadi ham jo suni hui aaj satsang ki baten hain inko apne jeevan mein utare aur pahli jeevan ki prarthna hamari ki aapki pahli sidhi brahmcharya hai.

yadi aap ye hast kriya ya kisi bhi tarah se gandi adte purv sanskarwash kusangwash hain to aap chhod dijiye. Himmat kijiye. Ek bar jalie, ek bar niyam le lijiye. Main aisa nahi kahun. Khanpan kijiye aur sone ka ek nischit samay rakhiye. Aur jis samay aap aisi harakton ko karte hain wo samay aap mala lekar baithiye. Jab tak gadh nidra ka avesh na ho tab tak aap apne ko swatantr mat chhod dijiye ki pare pare chintan phir gadbad ho jaega. Bilkul aisa hi kiya gaya hai jeevan mein. Haan. Bhojan ke baad chalne ke baad vajrasan mein baithkar jab nind ai to kabhi koi mala liye kabhi mala rakh ke aur guru kripa se jab aisi bhavna ban jati hai nirantar mantr naam jap chal raha hai wo baat alag hai par aapko apni dincharya ab aap sone ja rahe hain aram se darwaza band kiye let gaye aur mobile hath mein sarvnash ki sthiti aap mein aa hi jaegi kyonki ekant mein man bahut balvan hokar indriyon ke saath bhogon ka chintan karta hai ye bilkul bilkul savdhani rakh lijiye.

balvan indri gramo vidvan ap karshti jahan ekant honge mobile hath mein hai wo aapki durgati karne ka bahut bada sadhan ban jaega. Pahla kam kamre mein jab jao switch off kar do. Bilkul jaisa kahe mala uthao ya koi mahapurush ka charit us samay padho. Wo aapko thappad ki tarah lagega. Aur charit padh ke usi ke chintan karte hue so jao ya mala lekar ke jap karte jab nind aae tab so jao. Koi aisi cheshta mat karo jo tumhare utsah ko tumhari jivni shakti ko nasht karke narkgami bana de. Bahut badhiya avsar mila hai.

nikal chalo pyare bar-bar aap dekh rahe ho ki aapki durdasha kar rahi cheshta. Aap jo kahte ho main chhod nahi pa raha. Uska karan hai aapka nischay. Aap nischay theek nahi kar pa rahe. Aur naam jap karo aisa nischay hoga. Aap ye satsang sunkar manan karo. Aisa nischay hoga ki nischit bhagwan ki kripa se aap is jeevan mein sanyam purvak bartaav karte hue bhagwat prapti kar pave. Shri Radha vallabh lal ki jai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi