॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

kaise pahchanen ki jeevan mein bhakti ka uday ho raha hai ? // 30/05/2026

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

vrindavanneshvari tav padarvindm prema makrand raso purnam had itam madhupte smarta mugram nirvapay param shital mashryam nirvapay param shital maya prabhu shri Krishna chandra ji jo kripa karke aisa amritmay updesh kar rahe hain. Yadi ham shraddha aur vishwas purvak shravan karen, manan karen aur apne aacharan mein utare to isi janm mein hamen shri ladli lal ka kripa prasad prapt ho jae. Ahetu ki bhakti prapt ho jae. Anannya bhakti prapt ho jae. Prabhu kah rahe hain purush par Parth bhakt labhyaya yashya bhutani sarwadam tatam he prathandan arjun sampurn prani jiske antargat hai jo sampurn praniyon ko vyapt bhav se jaise jal mein barf barf mein jal barf gadh ghaneebhut jal jal barf draveebhut ek hi baat sampurn jagat ko vyapt karke sampurn jagat ke antargat sukshm se sukshm mahan se bhi mahan wo prabhu virajman hai.

chahe nirakaar upasak ho, chahe sakar upasak ho, tatv anubhav ek hi paramatma ka hota hai. Chahe kisi bhi sampraday kaho, kisi bhi upasna kaho jab adhyatma ki unchai par pahunchta hai to tatv rup se wah ek hi hota hai. Chahe Ram bole, Krishna bole, shiv bole, hari bole, maa bole jo bhi bhav se bole wo ek hi param tatv hai. Kyonki wo sab rupon mein wahi virajman hai. Aisa vishuddh tatv gyan aur vishuddh prem kaise prapt hota hai? To bhagwan kah rahe hain bhakt labhas ananyaya meri anannya bhakti se hi wo aisa tatwabodh aisa prem prapt kar sakta hai.

mata dehuti ji ne bhagwan kapil dev ji se kaha ki yah anannya bhakti prapt hoti hai bhagwat premi mahatmaon ke sang se aur wah mahatma kaise hote hain yah bhi sun liya ab prabhu anannya bhakti ka swaroop kya hai bhagwan bole chitt ka ek ek vritti se nirantar apne aradhya dev mein samarpit hona. Jaise ganga yamuna ki akhand dhara samudra mein ja rahi hai. Aise hi anand samudra prem samudra prabhu mein hamare chitt ki ek ek vritt teevr gati se prabhu ke charnon mein samarpit hoti rahe. Ek ek vritt ek vritt bhi prabhu se anya na use anannya kahte hain.

jiski karmendirya aur gyanendriay donon karunamay aradhya dev ke charnon mein samarpit ho jati hai. Arthat karmendriyon se jitni bhi cheshta hoti hai wah keval apne aradhya dev ke liye iske do vibhag hain. Ek hai jo bhi ham vyavahrik karya kar rahe hain dekhne mein vyavahrik hai par wah ham kar hari ke liye rahe yah pravriti marg grihasth dharm ke antargat aur virakta nivitti marg vihaar ki bhi pragat vritti wo keval prabhu meny honi chahiye kinchin matra prapanch ka pravesh nahi jismen dhamba vas naam sankirtana vani gayan naam jap yugal seva yah pragat mein aise bhagvatik karm yah nivitti marg par pravriti marg mein vyavahrik nokri pesha aadi karte hue bhi wo prabhu ko samarpit jiski karmendirya aur gyanendriay donon aradhya dev ki prasannata ke liye hi bartaav karti hain.

uski ek ek vritt prabhu mein lagne ke karan wo anannya bhakti ko prapt ho jaata hai. Sahaj saral lag raha hai. Hai bada kathin. Kyonki maya ka akarshan hamari ek ek vritti par prhar karta hai. Kahin ragatmak akarshan hota hai to kahin dweshatmak akarshan hota hai. Jab rag dves donon khoie tab khojie pad nirvaan. Donon ka tyag karne wala hi akhand bhagwat smriti ko prapt hota hai. Na kisi se rag na kisi se dves. Prabhu kah rahe hain yah jo meri anannya bhakti hai yah janm janmantro ke jitne paap jama hai aur jitne shubh jama hai donon ko bhasm kar deti hai.

bhagwat prapti agar punya hai to bhi nahi hogi. Paap ka to sawal hi nahi ki usmen to bhajan vritti mein hi badha par jaegi. Jab shubh aur ashubh paap aur punya donon bhasm ho jae tab bhagwat prapti ho. Shubh ashubh Durg vidhvans bal tab jayati jayati jag uchchare ye shri bhagwan kar dete hain. Wahi acharya rup se hai. Wahi Gurudev rup se hai. Wahi bhagwat premi mahatmaon ke rup se hain. Yah kripa bapu hai hari ke. Sharan nirapak pad ramit sakal ashubh shubh nansh to det sahaj nishchal bhagti su jai jai shri Harivansh jai jai guru Harivansh ye acharya charan kripa karke sab janm janmantro ke shubh ashubh bhandar ko bhasm kar dete hain.

tab inke nasht hote hi deh bhav nasht ho jaata hai. Swaroop bodh hua jo upasna jis bhav se kar rahe hain sahachari bhav gopi bhav jo jis wahi swaroop ka bodh hua main shri ji ki sahachari hoon. Sakhi hoon. Main lal ji ka mitra hoon. Sakha hoon. Main shri Krishna ki kanta hoon. Jo jis bhav se wah swaroop bodh ho jaata hai. Yah anannya bhakti atyant durlabh bhakti hai. Prabhu kah rahe hain iski prapti ke liye jab chittritti ka ek ek kshan keval prabhu mein uske upay bata rahe hain ki jo meri charan seva mein priti rakhta hai seva bahut badi baat hai.

prabhu ki seva ahobagy bina prabhu ki kripa ke koi prabhu ki seva kar hi nahi sakta hai. Par prabhu ki seva prabhu ki prasannata ke liye honi chahiye. Prabhu ki seva ko ham beche na to anannya bhakti prapt ho jae. Jaise ham apne thakur ka shri ji ka shringar is bhav se yadi karenge ki bahut sundar lage jisse log prabhavit ho ye antar ki baat hai badal gayi seva wahi ho rahi phal vritti badal gayi agar apne ladle ke sukh pahunchane ke liye seva kar rahe hain to seva wahi hai badal gaya bhav ab anannya bhakti hogi agar yah hai ki shringar karke anya janon ko lubhayaman karen jisse hamen manchahi pranam namaskaar arth bhog vyvastha badal gaya bhav prabhu ki charan seva keval prabhu ki prasannata ke liye yah antar ki baat hai bahar ki nahi antar ki baat hai yadi ham prabhu ka shringar karke dhan chahte hain.

logon ko rijhana chahte hain. Wahwahi chahte hain to bhav badal gaya. Prabhu ko shringarit karke seva karke unko sukh pahunchana chahte hain. Bhav badal gaya. Anannya bhakti tabhi prapt hoti hai jab prabhu ki seva prabhu ke liye ho. Prabhu ki prasannata ke liye ho. Meri prasannata ke liye hi meri seva. Prabhu swayam kah rahe hain. Accha jab prabhu prasann hue to bacha kya? Ja par kripa Ram ki hoi ta par kripa kare sab koi. Jab malik prasann hai to anant aishwarya uske charnon mein khud jhukega. Usko chahiye ya na chahiye.

wo sab an mange age avego. Bina chah kiye apne aap bas aapki nishtha aapke aradhya dev mein honi chahiye. Kisi vyakti ki prasannata mein nahi. Yah vyakti raji ho jae aisa to bahut bada kalank hai bhakti mein. Kisi vyakti ko raji karna yah theek nahi hai. Apne bhartar ko raji karna hai. Aradhya dev ko raji karna hai. Vyakti ko nahi. Aur dusra upay jab kabhi ek dusre se mile to prem purvak keval mere naam mahima, meri gun mahima, mere parakram ki charcha, mere rup ki charcha, meri kripa ki charcha karen.

anya varta nahi. Anannya bhakti prapt karne ke liye pahla sadhan nirantar apne aradhya dev ki seva bhavna mein rahna. Keval aradhya dev ko sukh pahunchane ke liye unki prasannata ke liye dusra jab ham kisi se mile to apne Priya ji ki apne lal ji ki mahima ka varnan naam mahima dham mahima gun mahima rup mahima isi ki charcha honi chahiye. Jo meri charcha mein sukh milta hai wah sayujya moksh ki bhi ichchha nahi karta. Arthat wah moksh padvi mein bhi sukh nahi hai jo bhagwat charcha mein hai. Isiliye jeevan mukt hue mahapurush bhi bhagwan ke leela charitra ka gayan aur shravan karte rahte hain.

jo meri charcha karte rahte hain to main kripa karke unke netron mein jhalakne lagta hoon. Par yah niyam ho jae ki ham vani se apne prabhu ke siva aur koi charcha nahi karenge. Un sadhu janon ko jinki ek ek vritt mere charan chintan mein lagi hai. Main apna wo manohari saundarya madhury yukt rup unke netron mein prakashit kar deta hoon. Nayan ki putri hi Shyam sundar ban jaate hain. Priyal ban jaate hain. Jo hi meri unko jhanki hoti hai unka hriday dravit ho jaata hai. Bahne lagta hai. Netron ke asuon ke rup mein romach rup mein kampayamaan hriday dravit ho raha hai.

yah prabhu karte hain. Unka rup karta hai. Itna hi nahi jab unka hriday dravit hokar mere mein aasakt hone lagta hai to main prakt hokar unse sambhshan karta hoon. Kaisi mahima pashyti te ruchram santa prasann wakt lochna rupani Divya var pradani sakam vacham spati wo mere saath batchit karne lagte yah premi janon ka jo ekantik vilshan hai prabhu ke saath wo bahya drishti se ya bahya buddhi se nahi dekha ja sakta. Pure hriday mein prabhu ka adhikar hota hai. Na hone par maya nanatwa darshan kara rahi hai aapko aur bhakti is nanatwa ka aphrn karke jo hai uska keval darshan karati hai.

jidhar dekhta hai yugal sarkar dikhayee dete hain. Bas unhin se sambhshan hota hai. Man hi man baten kar raha hai. Samne virajman hai. Koi dhyan dharne ki zaroorat nahi. Prabhu kah rahe hain main unke netron mein piy murti nainan base te ras rahe samae. Aradhya dev sama gaye jidhar drishti dalta hai. Keval aradhya dev. Wah mere se sambhshan karta hai. Jo bade-bade tapaswiyon ke liye bhi atyant durlabh hai. Bhagwan kah rahe wo mera anannya bhakt mere se sambhshan karta hai. Mere darshaneey mukharvind ang pratyang mera sundar has mera vilas meri manohar chitvan meri premmai amrit vani wo nihal ho jaata hai.

uska man, uski indriyan sab mere mein phas jati hai. Deh kutumb te jae chhut sab hi vidhi to ab na chahne par bhi param pad uske charnon mein lutta ghumta hai. Yah hai anannya bhakti ka prabhav. Sampurn agyaan nasht ho gaya. Atho vibhuti maya vinasta mashwar ashtang man pravattam Shri ma Bhagvati vas prayti bhadra pashchame tevte take samasth vidya maya agyaan nasht ho ab brahmlok tak ki bhog sampatti asht siddhiya vaikuntha aadi loko ka aishwarya ye sab usko gher leta hai. Log jaise kahte hain na ki Baba logon ke paas tum pata nahi kya hai ki mari sampatti ghum rahi.

bhagwan kah rahe suno jab anannya bhakti jagrit hoti hai to brahmlok tak ka vaibhav vaikunth ka aishwarya asht siddhiya na chahne par bhi use ghere rahti hai. Uske andar inki ichchha nahi hoti. Wah mere dham mein pahunch ke samasth vibhutiyon ka Swami ho jaata hai. Yah bhagwan ke vachan hai. Akhil bramhandon ke Swami rijh gaye to bacha kya? Jab wahi adhin ho gaye to kaun sa vaibhav bacha? Kaun si siddhi bachi jo aprapya ho jiske prapt kar lene ke baad kuch bhi prapt karna baki nahi rahta wo hai bhagwat prapti.

wah anannya bhakt ko nischit nischit prapt hoti hai. Mera anannya bhakt ekmatra mujhe hi apna priy priyatam manta hai. Apni atma manta hai. Apna putr, mitra, guru, sud, isht dev sab kuch mere ko hi manta hai. Aa wah mere aashray mein rahta hai. Mere bhakt jan param shant divya lilaon mein pravesh pakar mere saath mere dham mein nirantar rahta hai. Jahan kal ka bhi pravesh nahi hai wah mera paramdhaam hai. Mata ji imam lokam tathwa mumatma bhayanam atma Manu ye ray pashwo gaha jo log is lok aur parlok in donon loko mein saath jane wale vasna mein ling ling deh ko sharir ko dhan pashu putr parivaar grah aadi ko anya bhog samagriyon ko sabko mere charnon mein tyag dete hain.

mere charnon mein samarpit kar dete hain. Unke hriday mein yah anannya bhakti jagrit hoti. Kuch nahi. Prabhu ke siva mera kuch nahi. Jab tak hamare hriday mein yah samarpan vritti nahi aati tab tak baat nahi banti. Mahaprabhu shri Harivansh chandra ji ke shishya shri haridas ji kai is naam ke mahapurush hue hain. Mahaprabhu chaitanya dev ke parikram mein haridas ji maharaj pujya shri Lalita avatar shri Swami ji maharaj shri Swami shri haridas ji maharaj aise hi mahaprabhu ke shisyo mein bhi shri haridas ji ka naam aata hai.

inke liye nabha ji likh rahe hain ki dhanya hai inki mata jo aisa putr janma haridas bhakt nihit dhani janani ek janu amit maha gun gop sarbit soi jane dekht ko tuladhar dur aashay un mane de damamo paj vidit Vrindavan payo Radha vallabh bhajan pragat pratap dikhayo param dharm sadhan sudridh kalyug kam dhenu mein gano hari das bhakt nihit dhan janani ek jan dhanya hai us mata ko jisne ek aisa putr paida kar le. Kaisa jo bhagwan ka bhajan paraayan jab lakshman ji maharaj mata sumitra ji ke charnon mein pranam karke kaha ki mujhe agyaa kijiye.

mere prandhan prabhu 14 varsh ke liye vanvas ja rahe hain. Main unki seva mein samarpit pratiphal unki seva mein samarpit yahan kaise rah sakta hoon? Aap agyaa kijiye. Aansu bhar ke mata ji ne kaha putravti yuvati jag soi aaj mujhe putravti kahlaane ka tune adhikar de diya. Nahi wo maa maa kahlaane yogya nahi hai. Jiska putr parihit ki bhavna se rahit hai. Sushukh wanchha mein papacharan karta hai. Isse to accha hai putr na ho. Jo adharm paraayan hai. Papacharan karta hai. Samaj ko dukh deta hai. Jab Kashyap ji se dati ji ko garb raha.

aur Kashyap ji ne kaha tumne bada anarth kar diya. Tum apni kam vedna ko sambhal nahi pai aur sandhya ke samay aisa mere se karm karva diya. Putr to hoga par samasth jeevan ko kasht dene wala devadrohi hari virodhi hoga. Kyonki samay theek nahi tha. Sandhya kalin samay yah keval bhajan ka samay hota hai. Unhone kaha yadi aisa putr hoga to garb se hi nahi nikalne dengi. Hiranaksh hiranyakashyap garb se hi nahi nikalne dengi. Garb badhne laga. Rok liya garb ko. Daivi shakti sampann mata hai. Agar devadrohi hari vidrohi putr ho to main garb mein garb to dharan ho gaya par main garb hi prasav nahi hone dungi.

andar hi puri ay unki vyatit karva ke nasht kar dungi. Bahar nahi nikalne dungi. Tab unhone kaha aisa nahi tumhara saubhagya bhi uday hoga. Tumhare putr ka jo putr hoga wo mahabhagvat hari ko adhin karne wala hoga. Bhakt raj Prahlad to phir kaha yadi aisa saubhagya hai to prasav hone denge putr na sahi poutr to bhagwan ka bhakt hoga janani jan to as jane kah data ke so sabko sukh dene wala sabki raksha karne wala bhagwan ka bhajan karne wala putr wahi hai putr putravti juvti jag soi jakar sut Ram bhakt hoi natar bal bayani Ram vimurkh sutte bani bhagwan ka virodhi putr paida ho to baajh rah jana accha hai.

mata ji ne kaha yadi Ram vanvas jaate hain to aaj main putravti kahlaane yogya hoon ki tum unki seva mein ja rahe ho. Dhanya hai jao tum. Aise hi kah rahe hain ki dhanya hai us janani ko jo bhagwat bhajan karne wale balak ko prakt ek hi kafi hai. Aur jo apne bhajan prem se hari ko adhin kar liya aise haridas jaise putr ko janm dene wali mata ko kotisha naman kotish pranam hai. Ye apne guru vachno mein bahut anannya kahin bhi kisi ke jeevan mein yadi chamatkar prakt hota hai divyta ko to usmen guru ki bhini kripa drishti hoti hai.

unki mandmand jo muskan hoti hai usi muskan se wah maya par vijay prapt karke divyta ko prapt hota hai. Harivansh mahaprabhu par anannya nishtha haridas ji ki thi. Jo apne hriday mein chhupa ke rakhte the. Baat hriday ka prem vani se kahne par bahut halka ho jaata hai. Unke gunon ko to koi premi hi samjh sakta hai. Kahne ko to wo vaishy kul mein janme the. Parantu jahan bade-bade sadhako ki siddho ki pahunch nahi. Us gadhtam rahasya Radha vallabh lal ke prem mein unka pravesh tha. Kava bhav rahasya pargamti shri Radhika prasa danke ki chot par unki ananyata prakashit hoti thi.

yadyapi unka sharir kashi bhagwan vishvanath ji ki nagri mein rahta tha. Kashi mein rahte the. Parantu unki anannya nishtha Harivansh mahaprabhu ke charnon ke prabhav se shri dham Vrindavan mein thi. Kyonki ab nij dharm apno kahe tahan nitya Vrindavan rahit bahut prem sagar jahan kashi mein rahte the shishya the Harivansh mahaprabhu ke aur nishtha shri dham Vrindavan ki har samay Vrindavan ka chintan Vrindavan ki raj jeevan thi arthat kashi mein rahte hue roz Vrindavan ki raj ko lagana samjh lijiye aap kahin bhi bahar aap hamare shri Radha vallabh lal ji ke charnon ki upasna se jude hain to yah jeevan mein baat pakar lijiye.

aapka ghar hai Vrindavan aur aapke tan mein Vrindavan raj lagi honi chahiye aur aap Radha vallabh lal ka charanamrit roz pijiye aur Radha vallabh shri Harivansh japiye to kahin bhi aapka sharir chhute aap yahi aaenge. Jaise bharatiya raj karmchari ka sainik ka kahin bhi sharir chhute sasamman tiranga mein lapte kar use bharat mein hi aise hi kahin bhi tumhara sharir par wo braj raj lagi hai charanamrit pite ho Radha vallabh shri Harivansh bolte ho to nitya dham ladli ke mahal mein aapko ana hoga vishwas kijiye unhone mahaprabhu ki kripa se nischay nischay kar liya tha ki main bahar mar hi nahi sakta kyonki Vrindavan hamara ladli ka nij mahal hai to wahi sharir chhodunga.

shri bhatt devacharya ji bhi kahte hain ki yahi asha rakhni chahiye. Kahin bhi raho ladli se prarthna karte raho ki jab hamara sharir aapko aisa lage ki to aap phir dham bula lena aur wahi chhudrva dena. Jeevan ki puri yatra safal ho gayi yadi pran chhute jai shri bhatt dhul dhar tan yah asha ek kan sharir mein laga ho to use shri ji ki prapti ho phir yahan sharir chhod raha hai uski durgati kaise ho sakti hai unki pratigya thi nishtha thi ki mere bhagya ka bal nahi chalega praarabdh ka bal nahi chalega yahan ladli ke charnarvind ka bal chalta hai nahi to praarabdh hamare kahan the aise jo hamen prapt ho raha hai.

yah to meri ladli ka bal kam kar raha. Mere bal shri Vrindavan rani main apna sharir dham mein chhodunga. Ye ghoshna koi man vachan karm se jo samarpit wahi kar sakta hai. Nahi bhay lag jaega ki baat jhuthi na ho jae. Pata nahi kahan sharir chhut jae. Kya bharosa? Kya bharosa? Are nahi hai bharosa. Kal bhi nahi hamare sharir ko nasht karega. Sharir nasht hoga to Vrindavan mein hoga. Nishtha nishtha bina man vachan karm ke samarpan ke aap aisa bol hi nahi sakte. Aapka hriday nahi sweekar kar sakta. Shri Radha vallabh naam ke bhajan ka adbhut prabhav prakt karke dikha diya.

anannya Harivansh dharm ki sud nishtha mein kabhi wah vichlit nahi hue. Is kalikaal mein manorath purn karne ke liye kamdhenu ke saman haridas ji the. Jo unke samip aa jaata jo unko pranam namaskaar sambhshan uski kamnayen purn ho jati. Jaise kamdhenu kalptar ka sevan karne walon ki ka kamnayen purn hoti hai. Aise bhagwat premi mahatmaon ko bhi kamdhenu kahte hain. Wahan yah nahi hota jao puri ho jae. Nahi tum aa gaye ho. Itna hi kafi hai. Na tumhen kahne ki zaroorat hai na unko ashirwad dene ki zaroorat hai.

yah darbar aisa hai. Apne aap ho jaega. Tumhen chinta nahi karni. Agar tumhari nishtha hai, tumhari bhavna hai to ye har samay apni jibhya se Radha vallabh, shri Harivansh, Radha vallabh, shri Harivansh nirantar japte rahte the. Ek kshan ke liye naam chhutna inke liye ashay nahi tha. Yah kashi mein rahte the. Par kahin kisi se koi anya sambhshan nahi. Anya kahin darshan ke liye bhi nahi. Yah anannya nishtha jab jagrit hoti hai to phir kuch accha nahi lagta. Apne Radha vallabh lal ki seva se inko avkash hi nahi tha.

yah apne dharm mein dridh the. Chatur bhakt wahi hai jo guru pradatt upasna ko dridta purvak pakar le. Apne bhavon ko gambhir rakhe. Sahaj mein koi jaan na pave. Shri haridas ji ke hriday mein dusron ko sukh pahunchane ki cheshta ka bhav bhara rahta tha. Sukh deve ko chavchit sab sohit nishkam ya sudharma Harivansh ko naam gira vishram yah Harivansh dharm hai dusron ko sukh pahunchana man se vachan se karm se hamare dwara kisi ko dukh na pahunche ek din ye ekant mein vichran kar rahe the to jangal mein dekha ek sinh ek gay ko daboch karke baitha hua je bhi dekha to Sukhdev ko chavchit hath joda aur kaha prabhu yadyapi mujhe pata hai ki jo main kahne ja raha hoon usmen aapki baat puri nahi hogi kahan aapka itna ahar aur kahan yah hamara chhota sharir par main prarthna karta hoon ki aap is gay ko chhod dijiye aur mere sharir ko pa lijiye sinh se koi uttar unhone kaha accha aisa lagta hai ki aapka pet nahi bharega.

mera putr jawan hai. Bas mujhe kuch samay dijiye. Main apne ghar pahunchun aur putr ko le aa jaun. Tab tak aap gay ko mat pana. Mere ko aur mere putr ko paoge to shayad aapki bhookh mit jae. Sinh ne gay ko chhod diya. Aur khada ho gaya. Bole bas shighr gati se gaya yah bhakti ka chamatkar. Main apne putr ko lekar ke saath aata hoon. Phir aap aram se pa lijiye. Turant wapas hue. Dekho bete se jakar kaha ki ham vada karke aae hain. Ek sinh se aisa aap hamare saath chalo aur uske ahar bano chalkar ke. Tumhari ruchi hai hamari agyaa palan karne mein aansu aa gaye aur kaha aaj mera janm lena sarthak ho gaya kyonki ek to aap pita aur dusre bhagwan ke mahan bhakt aur tisre gau raksha ke liye aap mere ko samarpit kar diye mera jeena sarthak ho gaya main abhi chalta hoon ye mera ahobagy bhala koi apne pita ki ye baat manega ki sinh ke samne jakar samarpit ho ja chal diye samne gaye sinh waise hi khada kaha prabhu yah sharir aur putr ka sharir donon aapka bhojan hai aap pa lijiye aapne kripa karke hamari prarthna suni gay ko chhod diya aap pa lijiye badi jor se dahad mari Manu jaise unke upar aakraman kiya ho aankh mun ke Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh shri Harivansh ye koi bachav paksh se nahi sahaj samarpit kiya.

apne prabhu ka smaran karte hue yah sharir inka ahar ban jae. Jab dahad ke baad koi sharir mein halchal nahi hui sinh ke dwara karne par to aankh khulkar dekha samne to chaturbhuj bhagwan narayan. Unhone kaha jante ho ki hamare hriday mein koi fark nahi padega. Phir aisi leela kyon kar rahe ho? Yah yah to hamen pata hai ki kisi bhi rup mein ho aap hi ho. Isiliye hamne aapse prarthna ki thi. Par yah yah aap kyon jante ho na hamare hriday ki nishtha ki ham aapko pranam bhi nahi karenge. Yah yah hatao do bhuja aur lalit tribhangi rup aur akele nahi priyaju ke saath prabhu muskurae jab muskurae to dekha nikas kunj thade bhay bhaja baras parans shri Radha vallabh mukh kamal nirakh nayan Priya pritam aa charnon mein laut gaye aur kaha Priya pritam ne ki tumhari is nishtha se main bahut prasann hoon.

aradhya nishtha aur dusri acharya nishtha. Acharya ki agyaa hai sab so hit. Gay ke hit ke liye tumne apne prannon ko samarpit kar diya. Haridas ji Priya pritam ke prem mein magan hokar ke shri Vrindavan dham ki hi lilaon ka chintan karte rahte the. Inki char betiyan thi. Vichar kiya ki inka byah karenge. Sansarik purushan ko denge. Hamare ghar mein bhakti ke sanskar hain. Pata nahi age kaise sanskar ho. Inka jeevan vyarth chala jaega. To bhagwat premi mahatmaon ke yahan virakta bhesh se unko shri ji ki seva ke liye samarpit kar diya.

hamen sansari purushan ko nahi dena. Aisa unki antarik nishtha ki apni charon kanyaon ko sant seva mein virakta bankar ke shri ji ki seva ke liye samarpit kar diya. Shri haridas ji santo mein apne Radha vallabh lal ko dekhte the. Shri hariram vyas ji jo bhi mahan bhagwat premi jan hue hain. Dekho kashi ki itni badi mahima hai. Kashyam marnan mukt kashi mein sharir chhut jae to moksh padvi ki prapti hoti hai jo bada durlabh pad hai. Swayam bhagwan shankar ji kashi marat jantu avloki jas naam bal karo vishoki koi bhi jantu bhi marta hai tarak mantr dekar moksh pad pradan karte hain.

yah mukti ki aur gyan ki khan hai. Kashi Bhawani aur bhagwan bhav arthat Uma aur bhagwan shankar sadaiv wahan pragat mein virajman rahte hain. Mukti janm mah jaan gyan khan ghaan kar jahan bas shambh Bhawani so kashi se kasna kashi mein sharir tyagne par kaivalya mukti hoti hai. Par haridas ji ke hriday mein bilkul aisa bhav nahi. Unka tha ki Vrindavan raj mein hi sharir chhute. Main Vrindavan ke siva kahin sharir nahi chhod sakta. Vrindavan ras hai hi aisa. Sharan shri Vrindavan ki jai. Yugal bihari charan kamal so nishdin neh lag sharan shri Vrindavan ki jaie seva kunj samip baith ke dampati dhyan samay hoe bhavna siddh sahaj hi nirakh nain hul sharan shri Vrindavan ki jaie le le sheet rasik santan ke badha bhookh bhag shital sundar jal Yamuna ko peepi pyas mitay Radhe Shyam naam rat rasna asu dagal bah saras madhuri piy pyari ke prem pulak gun gaiye sharan shri Vrindavan ki jai shri Vrindavan ki sharan sweekar karna chahiye.

yugal bihari biharni ji ke charnon mein raat din akhand smriti Vrindavan rajrani pradan karti hai. Prem padaarth ati dur hai binu se raj rup Vrindavan ki raj ka Vrindavan ke rasikon ka lataon ka sevan kiye bina Priya pritam ka akhand smaran prapt nahi hota kyonki akhand smriti hi prem hai. Seva kunj ki kisi kunj ke samip baithkar ke shri priyaju ka dhyan pritam ju ka dhyan isi se isi raj se siddh bhavna hoti hai. Bhav deh ki prapti hoti hai. Yahan ke vas ka adbhut prabhav hai. Agar aisa saubhagya ho jae ki santo ki jhuthan prasadi pane ko mile.

aho bhagya jab priyaju ko bhog lag gaya aur sant pa liye aur thoda bhi kinka mil jae to unka uchchishta hi mana jaata hai. Yamuna ji ka achman yamuna kinare baithkar pad sunana mantr jap karna aho bhagya yugal sarkar ka naam ratte hue aansu bahate hue Vrindavan ki galiyon mein ghumna yah jeevan ki param sarthakta hai. Shri haridas ji ke hriday mein Vrindavan ke prati amog nishtha thi. Bas yahi tha kabhi aisa na ho ki hamara sharir Vrindavan se alag chhute. Chahe lakho kos dur ho. Aap agar Vrindavan nishtha hai to Vrindavan aapke nazdik hai.

chinta mat karna kyonki chidanand dham hai. Koi jad desh nahi hai. Ek din haridas ji ko laga ki ab mere pran chhutne ka samay aa raha hai. Sanket ho jaata hai bhagwat premion ko mahapurushon ko ki ab jane ka samay ho raha hai. Unhone tatkaal apne premi janon ko bulaya aur kaha mujhe Vrindavan le chalo. Mere sharir chhutne ka samay aa raha hai. Main kashi mein sharir nahi chhodunga. Radha vallabh shri Harivansh shri Vrindavan shri vanchand is naam ka sab kirtan karte hue mujhe Vrindavan le chalo aisa hi hua sab kirtan karte hue Vrindavan ki taraf unko le chal diye pratiphal sharir asmarth hota gaya to aavat hi magh maj chhut gayo tan pal so kiyo Shyam ban pragat dikho hai ay darshan kiyo isht guru prem bhar nem paro puro jae cheer ghat nahayo hai pache aae log shok karat bharat nain bain sab kahi kahi tahi din ayo hai bhakti ko prabhav ya mein bhav aur ano jin bin hari kripa yah kaise jat payo hai kashi se unke sharir ko jai jai Radha vallabh shri Harivansh shri Vrindavan Shrivan chandra kirtan karte hue la rahe the to raste mein hi dekha ki sharir pura ho gaya kashi se nikalkar beech raste mein jab vishram ke liye ruke to dekha haridas ji ka sharir pura ho gaya sharir chhut ab to sab log bade udas ki aisi nishtha thi ki Vrindavan mein sharir chhodenge.

par chalo Vrindavan to le hi chalte hain. Wo sab kirtan karte hue Vrindavan ke liye chale. Aur jis samay yahan sharir chhuta tha usi samay haridas ji cheer ghat mein snaan karke aur Radha vallabh lal ji ke darshan kar rahe the. Shri haridas ji ne Radha vallabh lal ji ke darshan kiye aur jitne premi jan rasik jan the sabko pranam namaskaar mile aa gaye haan bole kashi se chale the aa gaye aap sabke sap prem sabke saath samaj mein baithe jo purv parampara se samaj chal rahi aaj bhi Radha vallabh ji ko samyasmay ritu ke anusaar leela ke anusaar pad suna banae jaate hain.

ab jo samaj hui iske baad unhone kaha ki ab hamari jo antim ichchha thi ki hamara sharir isi raj mein pura ho. Hamen lag raha hai Radha vallabh lal jo hamen bula rahe hain sabke beech mein idhar wo pura parikar shav le aae aur akar rone lage ki haridas ji ki antim ichchha thi ki Vrindavan mein sharir chode unka sharir to raste mein wo kaisi baat karte ho kal aae the haridas ji to cheer ghat mein snaan kiya Radha vallabh ji ke darshan kiye samaj ke phir yahan pran chhute 100 to yah hai bole wo to yahan sharir chode hain bole yah hai Radha vallabh lal ki nishtha chidanand bu Vrindavan dham ki nishtha ek kshan ke liye bhi antar nahi para yahi shri ji ke darshan karke sharir chode prakt hue wo dikhayee de raha hai panch bhautik mayakrit leela jaise gopi janon ko unke patiyon ne rok liya to jo gopijan chali thi.

unke pehle wo shri Krishna ke paas wahan mili. Gopiyon ne dekha hoga wah gopi to shri Krishna ke samip pehle se hi hai. Bhakti mein ananyata aur nishtha bhavmay divya sharir nirantar Priya pritam ke samipita ka anubhav yah prapt hota hai Radha vallabh lal ji ki anannya nishtha se. Yah sadharan bhakti to bhi bhagya se milti par prayah sadharan bhakti ki sthiti mein hi sab rahna chahte hain kyonki usmen vishay sevan karne ko milta hai aur vishay sevan mein sukh ki bhavna rahti hai. Isiliye chidanand divya sukh ki baat hi nahi samjhte hain.

kaisi mudhta hai ki dekhkar ke lagta hai ki haan hari aapki hai maya prachnd. Aap na chahe to koi gali nahi chal sakta. Aapki pakki baat hai. Jo isi janm mein bhagwat anand ki prapti karna chahta hai. Us upasak ko chahiye apni anannya nishtha mein rahe. Yah anannya nishtha haridas ji ki ek bar santo ke saath Jagannath Puri mein gaye. Saath mein apne Radha vallabh lal ji ki seva paddhti dekho kahin bhi jao apni seva paddhti saath rakho. Agar badi seva paddhti to Radha naam bhi rakha jaata hai saath mein. Badi seva paddhti wahi virajman kar di.

Radha naam lekar ke jahan bhi bina seva ke nahi chhota sa Radha naam sampurn seva hai. Wo apne Radha vallabh lal ji ko lekar Jagannath Puri gaye the santo ke saath. Apne thakur ji ko jo bhog lagate the wahi pate the. Anya prasad jo milta mathe par rakh ke prabhu Jagannath Jagdish hai Jagannath ka bhat aur jagat pasare hath inki bhakti aur inke nishtha se sab parichit the. Bade prabhavshali sant hain, bhakt hain. Is bhav se Jagannath ji ka prasad samarpit kiya gaya. Par inhone pranam kiya aur liya nahi. To Jagannath ji ke jo sevak the wo bigde.

ye kya hai? Jagannath ji ke prasad ko aap to wahan kuch jo vign jan the unhone kaha nahi aap aisa mat bolie ab ye nishtha inki apni hai. Are to prabhu ki hi to upasna karte hain. Jagannath ji ka prasad nahi liya. Bada santushtata hui Jagannath ji ke parsado ki ki kaise ye bhakt hain. Ek taraf bhakti ki itni uchh avastha inki ham sunte hain. Dusri taraf ye bartaav badi mahima hai Jagannath ji ke prasad ki. Wahan ke raja ek bar pase khel rahe the. Raj manoranjan chausar Jagannath ji ke parsad prasad laye to aise pasa khalne mein aise kar diya phir dhyan aaya ki baya hath Jagannath ji ke prasad unhone kaha ki rajan aap hosh mein baya hath kaise prasad ke liye badha diya tab unko dhyan aaya bada pashchatap hua prasad to liya par andar jal gaye prabhu ke prasad ke liye baya hath utha daya kis kam ka katwa diya daya hath hath katwa de tu kis kam ka jab tu hari ke prasad Jagannath ji ke aisi badi mahima hai aisa nahi par ye ladli ke ladlon ki kuch anannya nishtha ka hi ab asantusht hokar ratri mein Jagannath ji ko shayan karaya aur shayan kiya to Jagannath ji swapna mein akar ke bole ki aap aisa mat samjho ki hamare prasad ka apman karte hain.

nahi wo priyaju ki nishtha wale hain. Aur jin priyaju ka adhramrit uchchhisht main bhi palana chahta hoon. Un priyaju ke uchchhisht pane wale ke liye aap aisa na soche ki wo prasad ki avhelna karte. Nahi wo ladli ke anannya sahachari hai. Ye jo priyal ki Vrindavan nitya vihar ki upasna hai. Ismen shri kishori ji ke charnarvind ki thesak mein bhari hui jo upasna vritti hai ismen yadi hamari ladli jo paras mein virajman nahi to phir wo jo ladli ke nij jalan hai wo swad nahi le sakte. Prabhu hain Radha sang bina nahi Shyam siddhant hai mano manal bhushan bhushit bhuj Shyam hans par dari jaisi hit Harivansh jugal karni gaj bihrat ban piya pyari jahan pyari jo bas ye Vrindavan rajrani ki kripa se rasikon ki kripa se bhav aata hai isi anannya nishtha se ham apne aradhya dev shri Radha vallabh lal ji ke atyant gadh prem nitya vihar ras ko prapt kar sakte hain.

anannya bhakti mein tumhari pariksha bhi ho sakti hai. Aisa nahi ki kore kore aap chale jao. Kaun pariksha kar sakta hai? Jab aap prabhu ke jan ho to pariksha kaun kar sakta hai? Prabhu hi karenge. Dusra thodi karta hai. To pariksha kyon karte hain? Kyonki wah dikhate hain ki mere premi bhakt ka yah swaroop hota hai. Wo to jante hi hain. Sabko dikhate hain ki dekho meri anannya bhakti ka swaroop udaharan kya hota hai? Aisa bhakt hota hai. Jo jivit hi lagkar ho jave sokar ko khavega. Koh moh se takkar leve tab phakkad pad pavega phakkad mane shant jadu jahir chakkar makkar chhod swaroop samavega yuglanya anup madhuri sun sunae sarsavega bole jo jivit mara hua ho gaya koi prabhav nahi tumhare man ka bhi apman ka bole wo priyal ke prem mithas ka swadi hota hai jo kam aur moh se takkar leta hai wahi phakkad hai.

nahi to phakkad kis baat ke hain? Kami aur mohi aur phakkad bada antar ho gaya na nirmohi nishkami hi phakkad kahla sakta hai. Are bole bade phakkad mahatma hai. Kya koi fikr nahi phikar phaar phakni kare tako naam fakir koi chinta apni rah jae to yar Baba ji kahe ke phir apni chinta khanpan vishram kalyan apni chinta santo ko chinta hoti hai jagat mangal ki apni ye maya ka jadu chakkar makkar uske upar nahi chalta jo phakkad hota hai kyon har samay yugal rup madhuri ka naam gungan chintan karta rahta hai bhakti ki pehchan hai ki bina naam ke wo ek kshan bhi nahi rah sakta kai bar guru Gurudev bhagwan ko dekha shant baithe hain aur jahan koi aaya to kya pehle nahi chal raha pehle ekdam ab koi aaya koi baat kare koi ekdam ekdam andar man se bhi aur vani se bhi aap gaur se dekhna yahan hilta nazar aayega maharaj ji ke bas aisi mudra aur nirantar khatra koi baat karega koi bole naam chal raha hai shant mansik chal raha bina kirtan ke, bina naam jap ke ek kshan bhi nahi rah sakta.

bhakt anannya bhakti ki pehchan hai. Sabhi jeevan ke prati nirmalta ka vihaar keval sant hi kar sakte hain. 68 teerath tahan base jahan hari katha prasang saras madhuri bhakti ko nishdin barse rang papi sune na hari katha uu ke uth jae parsa avgun ur dhare sune na phir pachtae kalyug keval kirtan karno barno ved saras madhuri hari mile satguru deeno bhed ved 68 tirth wahan vas karte hain jahan bhagwan ki charcha hoti hai. Jahan naam kirtan hota hai. Wahan baithe matra se hriday mein bhakti ka rang chadh jaega. Jahan akhand naam kirtan bhagwat charcha bhagwat gungan wahan ke paramanu bhakti yah dham hi waise hi mahmmahim yahan bhakti nrityati aur phir naam kirtan bhagwat charcha to phir kya kahna hai?

bole aisi jagah jakar ke jo papi jan hain un par bhi kripa hoti hai. Wah pahunch jaate hain kripa se par wahan jane par do baten hoti hai. So gaye dhyan rakhna kis line mein baithna chahte ho aap dekh lo. Papi sune hari katha unge kah uth jae. Puri katha nikal gayi. Pata hi nahi chala ki kya prasang tha. Parsa gun udhre sune phir pachhitae. Accha bhagwan ne banaya hi hai. Gun aur dosh se mishrit. To agar aap avgun dekhna chahoge to bhrpur milenge aur gun dekhna chahoge to bhrpur milenge aur bhav se bhagwat darshan karna chahoge to bhrpur milenge.

jaki rahi bhavna jaisi prabhu murti dekhi tin taisi. Aap jis bhavna se dekhoge aapko milega. Kyonki aapki drishti hi srishti hai. Aap jaisa dekhna chahoge vaisa aapko dikhayee dega. To jo keval naam kirtan aur bhagwat charcha sunta rahta hai usne sadguru ke bhed ko jaan liya. Sadguru ne jo upasna ka bhed wo jaan gaya. Naam japna, naam kirtan aur bhagwat gungan yah samarth bhagwat prapti ke liye hai. Yatha chaturabh kankam pareekshate nighshan chhedan tap taad tatha chaturabh purush pareekshate surten sheelen kulen karna kasauti par kasne katne tapane aur pitne se khare sone ki aur nikhar vritti aati hai.

aise hi kis prakaar ki vidya ka jagran hua hai iske hriday mein. Kaisa yah jitendra hai? Shil aacharan kaisa hai? Kis koti ka hai? Yah pariksha se hi jana jaata hai. Ek bar shri sant darshan aur bhakti mahima ka prachaar karne ke liye shri raghavdas ji naam ke ek mahatma bhramn kar rahe the. To ek the dhani mani bhakt swabhav ke the. Unhone unko roka. Wah sadhuan ko bahut achhche-achhche padaarth pawate the. Badi seva karte the. Par wah bina pariksha liye kisi bhi sant par shraddha nahi karte the. Khavaenge piyaenge sab karenge.

par pariksha aise raghavdas ji ko bade aadar se thahraya. Ek kirtan the. Kirtan karte the. Bhagwat jas gate the. Lok mein vichran karte the. Sundar bhojan pavaya. Sundar shayan ki vyvastha ki. Aur phir apni stri se kaha shringar karke jao inke charan dabao jake wo purn shringar karke raghavdas ji ke paas gayi aur kaha agyaa ho to charan daba den to unhone aswikar kar diya avshyakta nahi hai tab unka pati bhi wo jo bhagat the wo aa gaye vinamrata purvak kahne lage ki ham jaise grihasth ko pavan karne ke liye aap jaise sant bhagwan bhagwan padharte hain to hamari ruchi hai.

hamen bada sukh hoga. Yadi hamari patni pair dabae aur aap dabwa le to agar aap meri seva sweekar nahi karenge to main samjhunga ki main bada abhaga hoon aur main santo ka kripa patr nahi hoon. Aur ankhon mein aansu bhar liya pati ne. Santo ka hriday bada komal hota hai. Unhone kaha nahi nahi aap dukh mat pao. Yadi aapko sukh milta hai daba lijiye. Unki patni charan dabane lagi aur aap apne prabhu ka dhyan karte hue samadhast ho gaye. Nidra samadhi sthiti wo 12 ek baje tak dabati rahi. Wahan koi fark nahi.

chali gayi. Bhagat ji ne yahan pair pakar kar kaha ki aap kuch din rukie. Theek hai. Ab wah 20 din ruke. 20 din roz unki patni aati charan dabati. Koi fark nahi. Waise hi swaroop sthiti patni ne kaha koi bhi kisi bhi tarah ka koi vikar hamne unmein nahi dekha. 21va din usne kaha maharaj ab jab itni kripa ki to ek bar hamari patni ko gale se lagakar ke god mein baith jaiye. To ham samjhenge ki aapki hamare upar badi kripa hai. Raghav das ji ne kaha jo agyaa prabhu bhav kiya he jagan mata amba aap hi sab stri rupon mein kaha maa aur aise gale se lag gaye aur god mein baith gaye.

wah bhagat charnon mein bole maharaj yah ham sab pariksha ke liye kar rahe the ki aapke andar kam vikar aata hai ki nahi aata hai. Unhone kaha dekho yah tum bahut galat karte ho. Agar jara si bhi kahin tumhare andar dosh drishti ho gayi sant sab sab kiya karaya tumhara mitti ho jaega. Tum aisa avsar hi kyon dete ho? Nahi. Seva karo, dur shayan karao. Ho sakta hai koi jitendra na ho aur wah sadhan path par abhi chala hai. Agar wah jara bhi harkat kar dega to aapki sadhuan par nishtha aisa thodi ki sab siddh hote hain.

are koi abhi chala hai paramarth mein. Abhi use pura paramarth ka pata hi nahi hai. Kam krodh aadi apna prabhav dikha rahe hain. Ab wo siddh thodi hai. Ho sakta hai usse chuk ho jae. To aisa aap avsar mat dijiye. Pariksha to samarthon ki ki jati hai. Sab koi samarth thodi hota hai ki bhash rakh liya to sab samarth chal rahe hain samarthon ke marg mein. Pahunchna to hari kripa se hota hai. Atah agar hamari bhavna aur bhakti par tumhari shraddha hai to hamara adesh hai aaj ke baad kisi bhi sant ki pariksha mat lena. Yathashakta duri bankar ke seva karna jisse tumhara mangal ho jaega.

ek bar yahi raghavdas ji ko kisi raja ne bulvaya ki mahan sant hain. Sabha mein khub sammaan kiya. To wahan sabha mein brahmin jan bhi baithe the. Unko laga ki Baba ji ka itna sammaan aur ham to sabha mein roz baithe hain. Kuch chand rupaye de dete hain. Raja aisa sammaan kyon nahi karte? Ham mein kya kami hai? Hamara sammaan aisa kyon nahi karte? Ab ek sundar mahal mein raghavdas ji ko roka. Raja to us brahmin ne raghavdas ji ka apman karane ke liye ek vaishya ko jakar ek dupatta diya gamchha. Aur swarn mudrae di aur us mahal mein tike hue hain.

wahan do char din aao jao darwaze ke aaspas tak bas aur sabha mein phir akar ke yah anguchha wapas karna tum aur yah bolna ki maharaj kal ye anguchha aap jab hamse mil rahe the to aapko chhut gaya tha to yah dene ai hai. Phir iske baad jitni aur swarn mudra kahoge ham denge. Ab vaishya to dhan ki lobhi abhi sabha mein baithkar ke raja ko updesh kar rahe the. Usi samay theek brahmin ke dwara bhezi hui vaishya ai bole maharaj raat ke aap jab hamse mil rahe the to aap bhul gaye the anguchha to ye anguchha le lijiye. Unhone nisankoch hokar koi khandan nahi kiya.

kahan accha hamari bolne ki aadat hai na raja ko laga aisa kaise ho sakta hai sabha mein ab ek are ham samjhte hain na sab pakhand chalta hai koi shraddwan hota hai ye jo lakho log ye ek bhed kud jae na to chahe wo age jakar doob jae lekin saikadon bhed va se kudegi ise kahte hain bhediya dhasan wo ek pranam kar raha hai usse pocho tum kyon pranam bole wo wo pranam kar raha hai. Are wo kyon pranam kar raha hai? Tumhen pata hai? Nahi pata. Wo pranam kar raha hai. Ham pranam kar rahe hain. Aisi shraddha lakho mein hoti hai.

koi ek shraddwan hota hai jo apni nishtha se ki ek bar sir jhuka diya kata sakte hain. Lekin ab nahi nishtha. Ab dekho na nishtha to kisi birle ki hoti hai na. To us sabha mein saikadon are ham kahte the na ki sab aise hi chalta hai. Raja bade asmanjas mein par gaye ki maine itna yash suna hai in mahatma ka aur inke darshan se bhi aisa lagta hai ki aisa nahi ho sakta. Koi shadyantra to nahi hai. Sabha se bade nirash hokar raja uthe aur wo bilkul prasann baithe hain. Bilkul unhone aisa khandan nahi kiya ki kab ang ochha tere ko to main janta bhi nahi hoon.

are tu kaisa hamare upar blem laga rahi aisa aisa bhakt swabhav nahi hota socha bhagwan jab leela kar rahe hain to ham bhi usi leela mein sammilit hai haan haan hamara bolne ka swabhav hai rakh de raja ekant gaye aur apne mantriyon ko parsado ko bulaya aur kaha us vaishya ko hamare samne hajir karo bol maharaj ko janti hai tu to maharaj main maharaj ko kyon janungi maharaj se hamara koi prichay nahi bole phir wo jo aapke sabha ke mukhiya pandit ji hai unhone hamen itni swarn mudrae di thi ki yah bol de na jake to wahi ham kah rahe chal sabha mein bol chal ke jab wo sabha mein khade kiya aur unka kaha maharaj kshma kar dijiye hamare dwara apman mana gaya kyonki yah hamare rajya ki vaishya hamare pandit to bole agar aap ham par prasann hai rajan to pandit ji ki jo dakshina chal rahi hai wo chalti rahe aur kabhi inko is pad se na hataya jae aur kabhi inko kasht na ye hai ye sadhu swabhav bhav hai.

anannya bhakt ko kabhi bhi kisi bhi tarah ki yadi viparit paristhiti ave to apne prabhu ka khilwad samjhna chahiye. Dekho bhagwan bade kripalu hain. Yah yash pratishtha ek bahut bada vish hai. Jab vish ka injection lagta hai to vish ke hi injection se uska jahr nikala jaata hai. Saanp kaata hai na to usi ke jahr se usko nasht kiya jaata hai. To jab yah vish chadta hai to ninda rupi vish ka injection lagaya jaata hai. Kyonki bhagwan ka bhakt vishaile padaarth se yukt nahi ho sakta. Sammaan kalyat ghor garlam sammaan kya hai?

ghor vish hai. To ab ek zahrila injeshan lagta hai. Phir tayyar rahna jisko ye nasha chadh raha ho ki hamara bada yash ho raha hai. Bahut pranam bahut namaskaar. To ek injection special tayyar kiya ja raha hai. Pehle se tayyar rahna aayega. Aa raha hai. Lag raha hai lagega. Jaise ek laga bole to kam kshamta wala hai abhi kuch fark nahi para bole aur bharo dabal karo use dabal kshamta ka lagao aap dekho vish ko utarne ke liye jaise vish aise santo ki jivni padh ke dekh lo apman rupi jahr ka injection diya jaata hai man rupi jahr ko hatane ke liye kyonki jab tak man rahta hai tab tak bhagwat sakshatkar nahi hota nirman amoha jit sang dosh man rahit moh rahit hi sang dosh rahit hi dwaand par vijay prapt karne wala kamnao ka tyagi atma swaroop mein sthit mahapurush hi jeevan mukt Paramhans hai anannya bhakt hai isliye nirantar naam jap karte hue kisi se bhi kisi bhi tarah ka dves aadi na karte hue apne Priya lal ke charnon mein isi janm mein hamen prapt karna hai.

aisi nishtha rakhiye. Shri Radha vallabh lal ki ji

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi