॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

mujhe naam jap karte samay nind kyon ane lagti hai?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

yogita ji pranam maharaj ji maharaj ji naam simran karte anand mein hote hue bhi nind mein chali jati hoon. Abhi anand nahi aaya. Anand mein aur nind mein antar hai. Nind hai tamogun ka lakshan. Indriyan anand mein tik nahi paye isliye tamogun mein chale gaye. Nahi to nind mein bhi bhajan ka anand rahta hai. Jab anand aata hai na to nind mein bhi bhajan hote hain. Aur bhajan mein nind aa jae. Yah tamogun ka hai. Iska matlab anand nahi. Jaise aapko bhojan bhookh lagi aur aap bhojan pao bhala so jao. Aap film pasand ki bhala dekhne baitho.

teen ghante so jao to hamen batana. Kyon anand aa raha hai na? Anand aa raha hai na tabhi kaise so sakte ho? Anand aa raha hai? Aapka cricket priy khel ho aur chal raha ho aur phir so jao to hamen dikhao. Nahi so. Kyon anand aa raha hai? Kyonki aapke man ke anukul vishay chal raha hai. Bhajan ko man mein anand nahi mila isliye nind mein chala gaya. Agar man ko bhajan ka anand mila hota to nind mein nahi jaata. Jab bhajan ka anand milega to panch baten theek ho jaengi. Narayan hari bhajan mein panchon swad vishay bhog nidra nind hansi majak bahubad bhog ye sab accha nahi khanpan te bhave hai nahi komal van suhave hai sab vishay lage te khara hai hari ashik ka mag nyara hai tum sachchi mano na matlab 24 ghante mein 15 minute letne par aisa lagta tha ham bahut so gaye 15 minute ekdam rooth ke baith gaye laga 15 minute hai yar ye ghadi kharab hai kya aisa dimaag mein chhaya hua tha bhajan karna to nind 15 minute lete ekdam jab tamogun nahi to phir nind kahan se tamogun mein hi nind hai nidra alasya pramadam tat tamas mudahartam pramad aur tamogun nind alasya ye tamogun ke prabhav se aata hai na rajogun na tamogun to nind kahan satvic bhajan karte-karte nind mein chale jana hai.

tamogun ki pradhanata ka lakshan hai. Yah nahi hona chahiye. Khade ho jao. Khade hokar bhajan karo. Tahal ke bhajan karo. Bhajan ke samay nind nahi. Nind ke samay bhajan karo. Lekin bhajan ke samay nind nahi. Jaise ab so rahe hain to sone jae to Radha Radha Radha. Hamen sone ki chinta nahi. Ham Radha Radha karte hue kab so gaye? Phir jab jagenge to Radha Radha karte hue jage. Apni dincharya mein lage tab aise bhajan hota hai. Aise nahi ki bhajan mein anand aa raha hai to nind mein chale gaye. Anand mein kaise nind aa sakti hai? Hamen jara batana.

aapko udaharan kai diye kuch bhi aap kahin bhi anand lag raha ho aapka manoranjan koi chal raha ho serial ho aap dekho bhala so jao. Bilkul nahi soe kyonki anand aa raha hai na. Nind mein anand hi aata hai. Nind mein ek anand hota hai. Sansaar ke chintan ko chhodkar ke chha ghante bilkul indriyan pusht ho gayi. Unko ek anand aata hai. Ek naya jeevan sa milta hai. Chha ghante nind mein kya hota hai? Sansaar ka chintan nahi hota. Aise hi jis manoranjan ko aap dekhte hote hain to anya sab chintan bhul jaata hai. Wo anand aata hai.

aur agar bhagwan ke chintan mein sab chintan bhul jae to parmanand aa jae. Wahi to ham kar rahe hain. Apne log wahi to kar rahe ki bhagwan ke chintan mein itna tanmay ho jao ki sab chintan bhul gaya to parmanand ki baadh aa jae. Abhi kya hota hai? Sansaar ka chintan hota hai. Sansaar visham hai. Visham mein do paristhitiyan sukh aur dukh labh aur hani jai aur parajay to ham isi mein thapede kha rahe hain. Aur bhagwan sam hai. Sam mein ek ras parmanand hai. Agar hamara chitt bhagwan mein jud jae to har samay parmanand bana rahe. Jaise char panch ghante nind mein gaye sansaar ka chintan chhuta kitna accha lagta hai.

jab jagte hain to kitna phresh mehsus hota hai. Kyon? Kyonki panch ghante sansaar ka chintan chhuta. Aur agar jagte hue panch ghante sansaar ka chintan chhod do to tum yogi ho jaoge. Tum akhand parmanand ka bhog karne lagoge. To karen yahi prayas hai jab ham Radha Radha Radha usi ka chintan usi ko dekhna usi ko sunna to dekho phir kitni unnati hoti hai antarik aur bahya donon sansaar ka chintan hi hamen klesh deta hai dekho jo sansaar ke chintan mein zyada dubte chale jaate hain wo depression mein pahunch jaate hain aap sansaar ka chintan karte raho to dekho aapka dimaag thak jae wahi rag wahi usne aisa kyon kaha usne hamne to uske saath yah kiya yah puri ganit chalte chalte wo bhatt ho jaata ab wo doob jaata hai.

matlab bematlab baithe-baithe kuch nahi koi nahi. Wo depression mein pahunch jaata hai. Agar ham naam jap karenge to apne ko ham bacha sakte hain. Aap gaur se dekhna nind ka sukh kya hai? Chha ghante sansaar ka chintan chhutna. Jab nahi nind lete na to aap dekho har nas nadi aapki bhari ho jati hai. Thak jati hai. Aisa lagta hai yar sona chahiye. Kya sona hai? Matlab sansaar ka chintan chha ghante bhulna hai. Aath ghante bhulna hai. Mujhe sansaar bhulna hai. Vyasan mein kya hota hai? Nashe mein kya hota hai? Buddhi mand ho jati hai.

chintan ladkhda jaata hai. Bas is baat ka sukh hota hai. Uski buddhi chintan rahit ho rahi hai. Chintneey shakti khatm ho gayi hai. Isliye wo sukh ka anubhav kar raha hai. Yahan achal vihar mein jab ham rahte the to hit dham ke samne nali bahti thi. Ye parikrama marg pakka nahi tha. To ek jo sharabi to nali ke saikil liye to bar-bar aisi ko to hamen pata nahi tha ki sharab piye unhone kaha kya bhaiya wo nali ko aise dekhta aur aise phir age wo akhirkar ladkhda ke nali mein gir gaya phir bhi use koi shok chinta nahi hai uski jo vani nikal rahi hai wo aisi nikal rahi jaise badshah ki kya hai chintan khatm shubh ashubh ka chintan sansaar ka chintan u ladkhda chahe bhang khae ho ye jitne nashe hain ye sab sharir ko ekdam shithil karna aur buddhi ka chintan hata dena.

bas isi ka anand aur socho agar yahi kam aap jagrit avastha mein bhagwan mein laga do to buddhi pang ho jae to wahi samadhast mahapurush kahe jaate hain. Wahi yogi kahe jaate hain. Wahi bhagwan ke priyjan kahe jaate hain. Dekho na ek bindu par apne chitt ko lagakar dekho. Thodi der agar aapko shakti grahan karni hai to ham aapko bata koi ek bindu tay karo. Jaise baithe hain koi ek bindu tay karo aur usi mein netr laga do aur bas Radha Radha Radha aankh khuli muhn band ab aapki ankhon se pani jhalne lage to aise kar liya phir usi pe laga do phir jidhar chintan karoge ek tar chintan jaega ise tratak kiya kahte hain yog mein kitne apne paas sadhan hai jisse ham ekagrata ko sametkar bhagwan ke charnon mein chintan mein lagaen abhi anand aa jae mantr antar tona aur ye jo ate hain na wo kaipsul jaise kya kahte hain unko jantur inse kam nahi banne wala tumko haan

gyan vigyan sampann hona padega ye sab chu chhachha ye sab natakbaji se nahi nikalna dekho jaise naam jab bhi chal raha ho chintan bhi dusre aa rahe ho to kya man ke do vibhag ho jaate hain haan man ke do vibhag hain hai hi jaise buddhi ko do vibhag hai na Ravan se vibhishan ji kah rahe hain kumti sumati sabke urahi nath nigampur haan jahan sumati tahan sampatti nana jahan kumti tahan bhi matlab sumati aur kumti jaise hoti hai haan aise hi suman aur kuman hota hai sundar jo man hota hai wo aapko achchhi salah dega aur kuman jo kumarggami man hota hai wo usi samay galat salah dega usi samay jaise aapse kah raha hai ye bhog lo bahut accha hai to andar se aayega nahi yar phas jaoge bahut galat hai usi mein do vibhag hai achhche wale mein man indriyana manasma aur bure wale man ko accha bana do to nirmal man ho gaya bhagwan prakt vichar bure nahi ate kam ko kaise karna wo dimaag mein chalta rahta hai aur naam jap bhi chalta rahta haan to aapko katna hai delete karke ek ko chalana hai yahi buddhimani hai use rokna hoga hamen

isiliye kahte hain jaise naam jap karo to naam ke aksaron ka dhyan karo ise dabal phasana hoga ye dabal patri par dauda hai rag dves pe dauda hai to ise phansana hoga Radha ab andar se ucharan kar rahe hain Radha samne likha hai Radha, ham padh rahe hain, dekh rahe hain, sun ab isko bhagne ka avsar nahi milega to zyada der ismen tikega nahi dekhna aap. Aur agar tikne lage to phir dekhna aap anand ane lagega phir ruchi badhne lagegi. Ye dabal bhagna chahta hai. Ye do kam ek saath karna chahta hai. Ismen kshamta hai.

ye bhagwan ki aarti bhi karega aur bazar bhi wo aayega. Usi samay bhagwan ki aarti karta ja raha hai. Sochta ja raha hai bazar jana. Wahan mirch lani hai. Wahan aloo lani hai. Wahan ye kar ye sab karta rahega. Dekhne mein lagega bhakti ho rahi hai. Chintan hatte hi lagta hai ki main naam jab bhi chal raha tha mere haan nahi wo do kam kar sakta hai. Isiliye ham dabal usko phansate hain. Likho aur ucharan karo aur suno to usse mangal ho jaega. Ji.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
  • jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…