॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #1319 · 7 july 2026

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

Radha Radha Radha Radha Radha [gana gane ki aawaz] Radha Radha Radha [bardbanane ki aawaz] Radha Radha Radha Radha Radha Radha [bardbanane ki aawaz][gana gane ki aawaz] Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha [bardbanane ki aawaz][gana gane ki aawaz] Radha Radha Radha Radha Radha Radha [bardbanane ki aawaz] Radha Radha [bardbanane ki aawaz] Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha [gana gane ki aawaz] Radha shri Radha vallabh lal ki samasth sant hari bhaktan ki Vrindavan dham ki satgurudev bhagwan ki jai amit Agarwal ji Lucknow se Radhe Radhe Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji apne vikaro par kam kar raha hoon bat kabhi-kabhi lagta hai kyon man ko mare chhota sa jeevan hai kyon auron ki tarah ham bhi karen mrityu haan to narak ki vyvastha kar le.

man ko na mar karke manmani aacharan karke is chhote se jeevan mein anant kal ke liye durgati ki vyvastha kar le. Ye buddhimani hogi kya apne liye? Agar ham apne man ko nirvishay karke paramatma mein sthaapit kar dete hain is chhote se jeevan mein to anant janmon ki bigdi ham bana lete hain aur agar ham apne man ko chhut dete hain. Manmani bhog bhogte hain to phir hamari durgati nahi ho jaegi. To hamko apne anant janmon ko banane ki fikr hai ya bigadne ki hamko ismen chhut deni hai. Aap vivekvan hain.

aap vichar karke dekhiye mana kastan indran prakriti sthan karasti hamare ko janm mila paramatma ke sthan mein inko lagana hai. Man aur indriyon ko to hamen jeevan jeena hai to vishay bhogna hai. Vishay ke bina sharir chal nahi sakta. To hamare liye bhagwan ne dharm yukt vishay banaya hai. Nahi banaya. Hamare paas agar grihasth hain to patni hai. Hamen pyar karne ke liye putr hai, parivaar hai, rishte sambandh hai, bhojan sab vyvastha hai. Ab ham dusre ki patni ki taraf kyon dekhen? Ham dusre ke putr ki hani karke apne putr ko dhani banane ki kyon soche?

ham kisi se irshya kyon karen? Kisi ki ninda paap aacharan ke liye man ko rokne ke liye yah chhota shabd bahut bada atank faila dega man mein. Chhut dene ki baat matra se yah hamara man aisi jagah fansa dega jahan se nikalna mushkil hai. Bhale ham nahi ruk pa rahe hain lekin ham rokne ka prayas karenge chhut nahi denge jo aapne kaha ki ham is par kam kar rahe hain arthat ham pryasrat hain. Par yah jo buddhi ki ek chhoti si baat ki yar mauj kyon nahi lete? To mauj kise kahte hain? Kya maut ko tum mauj manoge?

masti leni hai to dekho Krishna Krishna bol ke dekho Krishna mein apne chitt ko laga jab unki rup madhuri samne aati hai to aisa lagta hai hriday phatega wahi hamare pritam hai wahi hamare ansi hain ham apne jeevan ko accha ham ekdam ghar jaisi baat kar rahe hain sansaar mein sabse bada sukh kya hai ab ham aapko ek-ek sukh mein dikha rahe hain rupaye ka koi sukh nahi hai sukh hota hai usse bhogon ka dhyan rakhna agar rupaye ka sukh ho to 10 20 truck aapke samne ab 2000 ke note dal diye jae. Bhala aapko itna bhi sukh ho to batana.

₹00 jaisa bhi sukh nahi hoga kyonki usse kuch nahi kharida ja sakta. Matlab rupya keval yogyta uski vishay khareedne ki hai. Theek hai? Vishay ab ham vishay mein ate hain to sabke man mein kha pi ke rupya kama ke sab kuch dekh sun ke ek baat mein man atakta hai. Bhog sab dekh lo aap apne man ki. Yah ham shastr sammat baat kahte hain ki sab sukho mein sansarik unmein kam age hai. Isiliye sabse pehle kam hai. Sabse pehle kam hai. Aur bhagwan ne kaha hai ye nitya bairi kam isi ko kam ko hi bairi bhagwan ne kaha hai. Ab ye kam sukh kahan hai?

kaun sa ang hai? Aap vichar karke dekho. Jin angon ko ham sparsh karke kai bar sabun se hath dhote hain, raj lagate hain. Un angon mein kahin wah sukh hai jo main chah raha hoon. Aap vichar karke bahut ekdam khula operation ham kar rahe hain. Pure sansaar ke sukh ka kendra yahan maya rakhe durgandh yukt ghrinit mal mutr ke dwaar unhin se ham paida hue hain. Unhin se paida hue aur phir wahin jane ka rag hamara pusht ho raha hai. Kaun sa sukh hai jisko tum chahte ho ki thodi zindagi mein maje le len. Aap hamen in sukh ke alawa batao kaun sa aisa sukh hai?

kaun sa aisa hriday mein aapke hai ki agar yah mil jae to main sukhi ho jaun. Aap batao dhan jitna bhi aata hai utna bhi kam lagta hai. To bhog jitna bhi bhog lo utna bhi kam lagta hai. Yahi maya hai. Yahi maya hai. Jab tak aap bhagwan shri Krishna chandra ji ke charnon ka aashray lekar nirantar bhajan mein nahi lagoge tab tak devi hesha gunmai mam maya ma prapaddyate mayata aap sachchi manna matlab kuch bhi kahna maya kriti hai kyonki vani maya mein hai. Aaj tak mujhe koi rup nahi dikhayee diya is vishv mein aur aaj tak mujhe kahin bhi kuch bhi aisa nahi laga ki yar yah chij aaj tak nahi lagi.

bachpan se bhagwan ke marg mein jidhar dekho gaur se dekho to bas ya to wah jiska hamne lakshya kiya hai aur agar wah nahi to aisa dikhayee deta hai jaise makan mein aag laga di jae to khandhar kuch nahi hai kya hai aap vichar ek udaharan mein ek kam wali raja ke yahan kam karti thi tab raja kam wali bhi alag hoti hai wo to khud raja maharaja ki tarah sab vaibhav hota hai ek ladka tha uska ek din wo apni maa ke saath mahal tak gaya wahan wahan Rajkumari ko dekha. Rajkumari ko dekhte hain ekdam. Ab wo kah to kuch nahi paya.

wapas laut aaya aur udas hokar let gaya ki main kam wali ka ladka aur Rajkumari kahan khana na pina ek andar aag lag gayi. Kai din ho gaye. Maa ne pucha beta tu sachchi batana kya tujhe ho gaya hai? Agar tujhe pareshani ho to maharaj se kah ke raj vaidya dikhwaun. To unka rog mujhe kuch nahi. Maa shayad aap purn nahi kar sakte. To unka maa hoon ek bar jaan ki takat lagaungi. Aap batao na. Bole Rajkumari ko dekhkar main aasakt ho gaya hoon. Ab main Rajkumari ke bina ji nahi. Bole beta Rajkumari shabd bolenge to hamari gardan uda di jaegi.

Rajkumari ham kam wali hain. Par ham prayas karenge. Tum utho. Rajkumari sudheer kam wali thi. Rajkumari se mili ki jai jai hamari pran raksha ho. Ham aapse ek baat karna chahte hain. To wo bahut suljhi hui thi Rajkumari ji. Unse kaha hamara putr ek din aaya tha. Aapko dekhkar ashakta ho gaya hai. Aap use mil nahi sakte aur main mila nahi sakti. Aur wah pran tyag dega. Mera akela putr hai. Kya koi upay nikal sakta hai jisse uski pran raksha ho? Bahut namrata se vivek se prarthna ki. Nahi to to hukum ki dekho aisa Rajkumari ne kaha teen din baad rajkumar ko mere isi kamre mein le ana.

jai jai chali gayi. Usne khub soch wali dawai khai. Teen din barabar soch soch soch aur sone ke ghade mein band karva di soch. Ab gayi to ankhen chipat gayi. Gal teen din mein soch man lo 10 20 soch roz ho to teen char soch mein khade hona mushkil ho jaata hai. Ab wo padi thi Rajkumari. Usko bulaya ladke ko to pura kamra durgandh yukt tha. To kahan Rajkumari bole wo bistar mein pare Rajkumari dekha bole wo sundarata kahan hai? Bole sone ke gade mein gada khola do unka bole yahi chamak raha tha jo gal chamak rahe the na wo yahi chamak raha tha uski asakti khatm hui lekar hamen nahi chahiye Rajkumari usne vivek se kaha phir aushadhiyon ke dwara apne ko pusht kar liya accha sharir mein sundarata kis baat ki hai malmutr ki sundarata hai panch bhautik sharir hai kya ham sacchidanand bhagwan ki prapti ke liye jo janm hua isko ismen kho den ye bhi buddhimani hai nahi ye buddhi buddhimani nahi ham bina vishay ke nahi ji sakte sharir

nahi rah sakta isliye dharm yukt vishay ka bhog bhogo jo grahasti mein ho khanpan aapki ek bhagwan ne vyvastha ki hai us vyvastha ki sima mein raho agar sima ke viparit to phir ashanti kalah bahut koi bhi bhagwan se vimurkh hokar kabhi sukh shanti ko prapt isliye prabhu kabhi man ko chhut mat dena dharm yukt chalo jo aap grihasth mein ho jo aapko dharm yukt bhog mile unko bhogo bhagwan ka prasad mankar aur naam jap karo aur jahan adharm ki baat ave wahan dar jana kyonki adharm kabhi kisi ko sukh shanti se nahi

rahne deta wo uska nash hi kar deta hai Hastinapur mein koi kami nahi thi keval adharm ghus gaya kaurvon ke vansh ka vinash ho gaya nahi ho gaya nahi dharm se rahte donon bhai kya pareshani thi wo indraprastha ke raja wo Hastinapur ke raja khub anand lekin wo kaha soog ke sava to kaat ke phenkwa diya bhagwan dharm se chalo sukh purvak rahoge dubai se Radhehe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji jab se maine hosh sambhala hai man kram aur vachan se kisi ka bhi bura nahi chaha hai maharaj ji adhyatmik karm

achhche se karte hue bhi hamesha nakaratmak parinaam milta hai jaise ki main apne karya kshetra nahi aap galat shabd mat bolie hamesha kisi ka ek jaisa nahi rahta to hamesha aapka nakaratmak parinaam kaise aa sakta hai papi se papi purush ko bhi sukh ki vidhan ki vritti hoti hai. Aap dekh lijiye papi se papi bhi purush ka aisa nahi hai ki wah dukhi hoge. Uske bhi jeevan mein anand aata hai, sukh aata hai, ullas ka avsar aata hai. To aap itna to mat kahiega ki pure jeevan ka parinaam yah hai ki ham dharm se chalte hain.

koi paap karm nahi karte par nakaratmak hi uttar aata hai. Aisa nahi. Sakratmak aur nakaratmak donon ate hain. Din hi din kisi ke jeevan mein ho aisa nahi. Raat bhi hai aur raat hi raat kisi ke jeevan mein ho aisa nahi kyonki ye prakriti ka niyam hai isliye ham bina kisi nanunach ke ye aapki baat katte hain ki aap jo hai nakaratmak soch hi aapke samne ya nakaratmak parinaam hi aapke saath aisa nahi hai. Kyonki srishti ka ek kram hai. Kabhi sukh, kabhi dukh, kabhi anukulta, kabhi pratikultaa, kabhi labh, kabhi han, kabhi man, kabhi apman ye sabke jeevan mein aata hai.

sabke jeevan mein aata hai. Kisi ka ek jaisa jeevan bhagwan jab avatar liye unka nahi chala to manushya ka kya chalega samjh rahe ho na kitna sundar badhiya janakpur se byah ho ke aa raha hai Ram ji ka dashrath ji anand magan phule puri Ayodhya phuli ab yah hua ki kal subah rajya abhishek kar diya samay ke 14 varsh ka balwas nischit ho jaata hai ho jaata hai nahi to isliye bhai ham pehle isliye ki aap aisa kahengi to sabko lagega ki kya yar parinaam hai wo dharm se chal rahi aur parinaam nakaratmak aata hai. Aisa nahi aisa bilkul nahi hai jo hamare purv janm mein kuch shubh aur kuch ashubh use nikaalkar ye sharir bana hai.

ab kuch shubh aayega kuch ashubh aayega. Kya aapke jeevan mein shubh nahi aaya? Ab aap aisa nahi kah sakte ki nahi aaya. Shubh aata hai to ashubh bhi aata hai. Hamko dhairya purvak ashubh se ladna hai. Sukh sukh mein to kisi ko ladna parta nahi hai na. Wo to anand bhog karta hai. Lekin ashubh mein ladna hai. Harna nahi hai. Us samay ladna yahi hai ki Radha Radha Radha aur buddhi ke dwara apne ko bachana hai. Ham kahin doob na jaen. Us dukh mein us vipatti mein na doob jaen. Dekho iska naam mrityu lok hai. Kabhi aisa ho sakta hai aapke priyjan mar jaen.

mrityu lok hai na priyjan bichd jae kabhi aisa hota hai priyjan mil jae to hamko bahut sambhal ke chalna hai is mrityu lok mein ki hamare priyjanon ka viyog ho sakta hai maran ho sakta hai iska naam mrityu lok hamari priy vastue hamse chhin sakti hain ye mrityu lok hai yahan pata nahi kab kahan kaisa isiliye ham kahte hain naam jap karo Radha Radha Radha Radha aur he prabhu bachao bada bhayav sansaar hai bada ab wo chain se sone sone ki janjir pahne ja rahi hai aur dusht aaya pakar ke aise muhn bhara wo gir gaye 400 500 1 lakh ki janjir hogi aur uska jeevan nasht hath tut jae pair tut wo motorcycle mein baithe nahi aise log khinch lete ab kitni ghatnayen aisi hain jo vyarth ki matlab jeevan leela ko nash karne ab wo aram se masti se ja raha hai kinare-kinare uska driver ka pata nahi kya hua gaadi chadh gayi piche aise yah bada dukhalai sansaar hai.

bhagwan ne likh diya hai aur yah nashvan hai. Dukhalayam ashasvatam. Isliye naam jap karo. Dukh se ladna sikho. Sukh mein bhulo mat. Aise apni jeevan yatra ko kato. Jo karm hamne kiye hain wahi hamare parinaam mein aaenge. Pakka samjho. Uske alawa nahi aa sakta. Ab ham manushya janm paye hain to naya ek aisa karm karen ki sab karmon ko daba de. Wo hai bhajan. Bhajan ek aisa mahan karm hai jo tumhare paap aur punya donon ko nasht kar dega aur tabhi bhagwat prapti hoti hai. Bhagwat prapti kara dega. To ab jaise aap kahe ki aapki donon kidney theek hai na?

ham bachpan se kisi jeev ko mara ho aisa yad nahi aur bhajan ke siva kuch kam nahi aur donon kidney phayl hai. Vichar karo aap agar ham agar dava pesh karen to karne ka adhikar rakh sakte hain. Lekin hamko gyan hai is baat ka isliye dava nahi pesh karna hai. Hamare karm ka phal hamko prapt hua. Lekin hamare prabhu ka prasad svasth kidney wala itna karya nahi kar sakta jitna phayl kidney se karya karva rahe prabhu nahi karva rahe ye bhagwan ki kripa hai aur ye hamara karm hai kal to guru bhagwan ek dedh lakh log the haan aaj usse zyada kahte meri juban thak gayi to ham yah batana chahte hain ki hamare karm hamko girama chaenge purv ke lekin yadi hamara bhajan hai bhagwan ka aashray to ham aapko yah karm raund nahi payenge.

yah baat hai. Dekho manushya jab bhagwan se vimurkh hota hai to paap hi karm banta hai. Kaun aisa grihasth hai jisne bhrun hatya na karai ho, garb hatya na karai ho. Koi birle grihasth hoga. Ab vichar karo. Ab uska kitna bura dand hai. Ab yah to pata nahi hai. Koi birla aisa hoga jo bachchha nasht na karwata. Birle aise hamen to birla mein bhi dhundna mushkil par jaega. Nahi to kai tarah se jeev ka nash hota hai. Kai tarah se nash kiya jaata hai na. Ab aap kahte hain hamne kaun sa paap kiya? Bahut sukshm vishay ham bata rahe hain.

jis samgri se garb mein pahunch jae to santan hoga ki nahi hoga? Usi samgri ko vyarth mein nasht karte ho. Kya usmen jeevanu nahi tha? Kya usmen jeevtma nahi hai? Kya usmen santan nahi hai? Usko agar garbhashay mil jae to akar dharan kar lena wo bhi paap hai. Usko aise nasht karna paap hai. Kaun manta hai? Kis tarah se vihaar ho raha hai? Aap jara sukshta mein dekhna. To hamare bhagvatik kanun mein to sab hai na. Aur jab dand milta hai to bole maine kaun sa paap kiya? Are ganna karo papon ki.

to jaise tum kah rahe ho ginte ginte jaban thak gayi. Jaise papon ki ghana karte karte java phir bhi bhagwan ham par kitni kripa kiye ki hamen svasth rakhe hamen sab vayu mil rahi akash prithvi jal sab surya chandra sab mil rahe hain ab bhi chaand se naam jap karke apna pura register khali kar do pure register ko delete karva do wo naam bhajan se hoga isliye chinta mat karo aap bahut sukhi ho aise aise dukhi log hain jinke na hath hai na pair hain na bhojan ki vyvastha hai footpath mein makkhiyan bhinbhina nahi bhagwan un par bhi kripa karte hain.

aap par to kripa hai hi. Negative soch ko badal lo. Positive soch kar lo. Kunti mata ji ne bhagwan jab dwarikadish pandavo ko rajya diya aur chalne lage to bhagwan se prarthna ki ki prabhu mujhe pag pag par vipatti dijiye. Bolo kaun aisa mangega? Vipatti se sab tharate hain nahi darte hain. Kunti mata ji ne kaha vipda santna ek ek kadam par vipatti nahi to bhagwan ne kaha yah chij kya maang li bole prabhu aaj sampatti mil gayi to aap pith karke Dwarika ja rahe ho aur jab vipatti thi na to aap daudte hue aa rahe the mujhe aapki sammukhta chahiye jo vipatti jo dukh aapki yad karae aapka darshan karae wo sampatti se badhkar aur wo sampatti jismen aap pith karke Dwarika jao aag lage aisi sampatti nahi mujhe pag pag par vipatti to vipatti to bhagwan se milane ke liye aati hai yadi ham vipatti mein dekhen to apna koi nazar nahi aata.

ye baat sahi bol rahe ho maharaj ji. Kal jab main ai thi to aur sab galat bol rahe the. Ravi ranjan ji Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji shri Harivansh maharaj ji kripa ka asra aur sharanagati ke raste ke alawa jeevan mukti ka koi aur adhar kya hai? Haan hai sadhna ne abhi bataya na aapko ye sadhan chaturshty gyan ke dwara moksh prapt karne ka hai aur dusra hai ashtang yog yam niyam asan pranayam pratyahar dhyan dharana samadhi ismen hai sab kathin marg hai bhagwat prapti ko koi saral marg thodi ab ismen yam niyam asan pranayam yah sab brahmachari ke dwara hi ho sakta hai.

jo brahmachari nahi hai wah pareshaan ho jaega. Ismen safal nahi ho payega. Samjh pa rahe hain? Kyonki Padmasan siddhasnon mein baithna pranayam ka sanyman karna ismen brah yam mein brahmcharya aata hai. Pehle brahmcharya to aaj to iski bahut dhajhiyan ud rahi hain. Maharaj ji usmen ye tha ki matlab jab sadhna ya kisi marg pe aap chalte hain. Sab kuch to anant hi dikta hai. Sansaar ka vistar anant janm janmantar ka bandhan anant nahi swapna ko tum anant kyon man rahe ho? Swapna ko anant man rahe ho to phir anant ko kya manoge?

Uma kahun main anubhav apna sat hari bhajan jagat sab sapna ved kahta hai brahm satyam jagan mithya mithya ko anant dekh rahe ho to ulti buddhi ko phir aap kyon badhava de rahe hain? Sat buddhi ko badhava dijiye. Wo sat anant hai. Yah ant wala hai. Deh ant wala hai. Atma anant hai. Srishti ant wali hai. Aur srishti rachyita anant hai. Aap ulti buddhi ko kyon dharan kiye hue? Wahi anant mein to sharanagati ka hi rasta dekh aap dekho sharanagati ki taraf aur srishti ki taraf donon ko ek mein mat ghaseeto. Aapka shabd jo hai wo ek paksh mein hona chahiye.

dusre paksh ko hamen badhit karna hai. Tabhi gyan hoga. Anvay vyatirek hai. To sharanagati nahi hai to tyag bina tyag ke sharanagati nahi hoti hai. Dekho vibhishan ji lanka ka tyag kiya apne sudat parivaar janon ka tyag kiya sarvasv tyag kiya aur phir bhagwan ki sharanagati. Sharanagati kab hoti hai? Jab sabka tyag ho jaata hai. Aise jawan kaise kahne se sharanagati nahi hoti. Draupadi ki sharanagati pusht kab hui? Jab sabka tyag ho gaya. Dekha pati bhi gardan jhukae. Sabha mein bhi koi bchane wala nahi. Apna bhi bal kam nahi kar raha.

sab chhuta aise ise sharanagati kahte hain. Arjun kab sharanagat hue? Jab samjh liya karpanya dosho prat swabhava prachchhamit dharm samudh cheta sharir kamp raha hai. Buddhi kam nahi kar rahi. Mera shrey kya hai? Tab bhagwan ki sharan mein rahe. Jab purn rup se hamare paas chor kab? Dakait kab sharanagat hota hai? Jab ek bhi goli to bandook rakh deta hai. Aise jab ek bhi aapka koi bal na ho ek bharoso ek bal ek as vishwas ek Ram Ghanshyam hit chatak tulsidas jise anant kaha gaya wo godi mein bhi khelta hai. Jise anant kaha gaya wo hamara mitra bhi hai.

jise anant kaha gaya wo hamara pritam bhi hai. Jise anant kaha gaya hai. Wo ek-ek shariron mein vas kar raha hai. Jise anant kaha gaya wah chinti mein bhi vas kar raha hai. Wah itna on mahto mahan hai ki chahe jitna bolte raho sab thoda hi hai uska lekin srishti ye ant wali hai. Antwant mein deha to antavte brahm satyam jagat ise anant nahi kah sakte. Yah ant wali hai. Anant to bhagwan hai. Ismen jo chhupa hua hai wah anant hai. Yah jo dikhayee de raha hai yah ant wala hai. 60 70 80 varsh mein iska pata nahi chalega.

namo nishan na bhuto na bhavishyati to ye ant wala hua na lekin jo ismen atma hai wo pehle bhi tha ab bhi hai age bhi rahega. Samjh pa rahe hain aap? To kripa se sharanagati mil sakti hai maharaj ji kripa se sharanagati hoti hi kripa se hai. Kripa se hi hoti hai. Dekho aapke upar kripa hui manushya janm mila. Aapke upar kripa hui buddhi hui. Aapke upar kripa hui sant samagam mila. Yahan aap apne bal se thodi aae. Bhagwan ki kripa se aae. Ab ma bhav bharosh hanumanta binu hari kripa mile nahi santa. Ab jo charcha ho rahi ise sweekar kar lo to sharanagati ho jaegi.

hamara kuch nahi hai. Dekho aapke samne ham pura operation karte hain. Ismen ham kahin hain kya is rachna mein? Yah jo hamara dhancha hamari body hai ismen ham kahin hain kya? Koi batao ham kahin hain jaisa mere prabhu ne karm ke anusaar racha vaisa racha na prabhu ne. Hamare anusaar banta to shayad kuch aur banta. Lekin prabhu ke anusaar bana hai. Theek hai? Andar jo hamara man buddhi chitt ahankaar hai ham hai kya usmen kahin rachna mein hamara jo swabhav bana hai ham hai kya kahin us rachna mein aur jo ham hain swayam ham hai in tino se alag usmen ham kahin hai kya wo bhagwan ka ansh hai total mila ke dekho to aap kuch nahi ho keval bhagwan ka sara khel hai yahi baat jab samjh mein aa jati hai tab sharanagati ho jati hai lekin ahankaar vimudhatma karta manyate maine ye kiya main karunga maine dekha main dekhuga maine bhoga main bhogung yahi uske janm mrityu ka

karan hai jab shuddh gyan ho jaata hai tab ye dikhayee deta hai main to kuch hai hi nahi main to kuch hai hi nahi ismen main kya hai aur waise bhi dekh lo yantran mam maya jo chahti hai maya wo bade bado se karva leti hai gyan bagharna alag baat hai gyan ki batchit karna lekin gyan ka prayog hona yah bahut kathin baat hai wahi janta hai jo sadhna mein hai jo sadhan mein nahi wo kya jane in baton ko ab bhai hamara man aaya samosa chatni kha liya lekin usse pocho jisne apni jaban par ligam lagai hai aur phir man kah raha hai samosa chatni aur phir wo use sukhi roti de raha hai phir wo jo man jala raha hai usko adhinta kahte hain use use sah gaya man ko adhin kar le bahut kathin hai man ko adhin karna isiliye bhagwan ki kripa se ham sahaj mein par ho jaate hain bhagwan shankaracharya ji se shisyo ne pucha apaar sansaar samudra madhya madhyato mein sharanam kimasti is apaar sansaar samudra mein main doob raha hoon ismen main kiski sharan jaun tab unhone kaha guru kripalu kripya vyadet Vishveshwar padaj dirgh naga nauka bhagwan

ke charnarvind rupi dirgh jahaj ka sahara le lo to is sansaar samudra se par ho jaoge man vachan karm se ham bhagwan ke the hain rahenge bas bhul gaye ham bhagwan ko bhul gaye puri gita sunne ke baad arjun ko kya mila smriti nashto moha smriti labdha tat prasadanuta satsang se kya milta hai gyan smriti main bhagwan ka hoon bhulkar sansaar mein lag gaya sharir aasakt hokar nana prakaar ke kukarma paap karm karne laga meri Durg ab lo nashani ab na na aaj tak kiya ab nahi karunga Ram kripa bhav nisha sirani jage puni na dasai ho ab lo nasali dekho Ram kripa ismen bhi dekho Ram kripa bhav nisha sirani jage pun na das ho ab lo nishani to ismen ham jage kya hai baat samjhna to pad mein kah rahe hain payo naam Charu chintamani u karte na khas ho abalo nasani ab na hamne bhagwan ka naam rupi chintamani pa liya.

ab hriday rupi hath se ise girne nahi denge. Arthat har samay japenege. Bas isi se par ho jaoge. Bhagwan ka naam jap yadi nirantar to par ho gaye. Ab ismen hamara prayas aur bhagwan ki kripa donon sa agar aap sun liye aur kuch aacharan mein na utaro to kripa ki avhelna ho gayi aur sun liya aur sweekar kar liya to ismen aapka prayas aur bhagwan ki kripa safalta prapt honi shuru ho jaegi. To hamen sharanagati bhagwan ki kripa se milti hai. Par hamara prayas pura hona chahiye. Yah baat hamara agar kayarta rahi to phir nahi nahi jaise kripa ka matlab hai halwa aapke samne aa gaya par khana to aapko padega na to khane wali prakriya aapko kripa karni padegi apne upar nahi ab jaise bhagwan ne shastr sant samuday se sab aapko gyan diya to sweekar karke chalna to aapko padega to apni kripa sabse jor ki hoti hai sab kripa se jor ki kripa apni kripa hoti hai hamare upar bhagwan ki kripa sant kripa sabki kripa kru hai.

apni kripa hamare upar nahi hai to phir hamara patan hoga nischit aur apni kripa hai ki jo suna chal diya to phir bhagwan ki kripa gher legi aapko charon taraf se gher legi. Vikas ji Radhe-Radhe Gurudev aapke charnon mein koti-koti pranam. Gurudev mera prashn hai ki main wakil hoon. Kaunsling karta hoon. Matlab logon ko samjhata hoon. Kai bar mere paas jo bahut pareshaan hote hain wo marne ki baat karte hain ki isse to accha hai mar jaun. Na chahte hue bhi to ham keval abhi age prashn aur padhna hamne itna aap logon se prarthna karna chahte hain jahan tak awaz hamari pahunche agar marne ke baad koi vishesh vip vyvastha ho to ek bar jhanjhat khatm ho vip vyvastha mein pahunch jae.

lekin marne ke baad vyvastha nahi hai. Badi buri avastha hai. Atma hanan gati bahut bura aparadh hai. Apne bharat mein bhi kanun sarkari kanun mein bhi hai. Yadi aap hatya karne ka prayas karte hain aur aapki report ho jati hai to aap aparadhi mane jaenge. Matlab aap sharir ka prayog kar sakte hain. Sharir ko nasht nahi kar sakte. Sarkari sampatti hai aur ye bhagvatik samp Bhagvati sampatti mein to bahut bada aparadh hai. Yera durgati ko prapt hota hai. Pret yoni ko prapt hota hai. Bhai hamari abhi chhoti samasya hai aur ham mar jaate hain aur hamari sab samasyaen samadhan ho jati hai.

lekin samasya ka samadhan nahi bhari samasya mein phas jaenge. Kyonki samasya ke samadhan ke liye to hamen manushya sharir mila tha. Manushya sharir mein ham bhajan karke, sadhan karke, achhche karm karke, dusron ko sukh pahunchakar ham apne papon ko nasht kar sakte hain. Apni samasyaon ka samadhan kar sakte hain. Lekin markar koi samasya ka samadhan nahi hota. Wo bhari durgati mein par jaata hai. Ye sharir se chhut jaega. Lekin anya jo usko sharir aur durgati prapt hoti hai. Ab wo batane to aata nahi hai na. Baat yah hai na ki agar batae akar sabko to samjh mein aa jae.

shastr aur mahatma jan jo kahte hain wo baat manani chahiye. Atma se sharir purnata karne se koi bhi labh nahi. Bhari nuksan, bhari hani hai. Accha abhi hamen jo sampatti vipatti jo bhi paristhiti hai usko ham vivek ke dwara nipta sakte hain. Bhai man lo ham phayl ho gaye phir dobara padhenge. Ham padhai mein kayarta na karen to ham padhenge. Nischit paas honge. Ham ek bar man lo kisi khel mein phayl hote hain to ham abhyaas karenge. Raat din abhyaas karenge. Ham mare kyon? Hamari kisani ki kheti kharab ho gayi.

ham agli bar phir prayas karenge. Ham jite hain na to ham kuch bhi kar sakte hain. Mar ke ham kya kar sakte hain? Phir to hamari durgati ho jaegi. To achhche se samjhana chahiye aapko ki marne se kisi ki koi bhi samasya ka samadhan nahi hai. Jeev ko badi durgati bhogni padti hai. Jite hue ham har samasya ka samadhan kar sakte. Aaj ham garib hain. Kal ho sakta hai bhagwan koi hamare karm ka aisa hisaab laga den ki badhiya dhani ban jae. Wo to der nahi lagti. Bade-bade dhani ko footpath mein ate der nahi lagti.

footpath wale ko dhani bante der nahi lagti. To ham samasyaon se lade. Hamara manushya jeevan samasyaon se ladne ke liye hai. Samasyaon mein mitane ke liye apne ko nahi hai. Isliye bilkul ye baat sab puri samaj ko samjhni chahiye ki sukarna karna bahut badi galti hai. Isse kahin kinchit matra samasyaon ka samadhan nahi. Bhari durgati ko pret yoni ko prapt hota hai jo atmhtyaa karta hai. Us samay to jis samay kuch aisa vakya hota hai us samay to itna depression hota hai to koi soch nahi rahe. Haan waise chahiye aise logon ko chahiye ki aise logon se mile jo log buddhi star mein jaise aap kahte hain ki ham unko samjhane ka haan karya karte hain to bahut achhche tarike malum hai samjhane walon ko kyonki wo isi baat ki training lete hain to mujhe lagta hai ki yadi thoda adhyatma se jud jae thoda vivek se jud jae thoda bhagwan ka sahara le le to is bhari samasya ka samadhan ho sakta hai.

guru ji main college ke bachchon ko dekha aajkal. Haan haan wo hamari bhi hriday hamare bhi hriday ki pida hai ki hamare jo naujawan bachchhe hain ismen bhari samasya kya hai bachchha ki vasna ka jo khel hai yah baudhik star ki shakti ko nasht karta hai ab wo vyasan mein utarte hain aur vybhchar mein utarte hain aur kai tarah ka aisa fasav hota hai jo wahi janta hai jo fansa hai ab jaise aapne do ladki se pyar kar liya ya wah do ladke se pyar kar le. Mitrata hote hote donon se ho gayi. Ab ek blackmail kar rahi use chodo.

wah kah rahi agar usko hamko chhoda to ham tumhen bakhshenge nahi. Ab wo jal raha hai andar hai. Ki ab iska samadhan mummy papa samaj koi hai nahi. Ab wo andar usko lagta hai yar jaata hai. Ladki hai. Ab usko blackmail kiya ja raha hai. Usko pehle boyfriend bane phir blackmail kiye. Phir uski galat kai kai bachchhe aise kai bachchhe hain ya vyasan mein utar gaye ab arth chahiye ab vyasan ke bina jiya nahi ja raha isse accha kal aisa kai aisi samasyaen paap aacharan ke karan ho jati hai jo bahut hi buri sthiti hoti hai ladte ladte wo dimaag mein har jaata hai aur parinaam phir use nazar aata in gaurav tanwar ji Radhe Radhe ji Gurudev jeevan ko khushhal kaise banaya ja sakta hai haan bachchha manushya jeevan to khushi mein hi dubne ke liye mila hai par jab tak ham shastr virudh aacharan karenge tab tak bhay chinta shok vishad udagnata ye bani rahegi aap andar dekho galti karoge na chahe jitna gupt karo wo galti tumhare upar savar ho jaegi tumhen bhayabhit karegi.

tumhen chinta mein daalegi. Tumhen shok mein dal samasya mein dal degi. Khushhal jeevan goswami tulsidas ji kah rahe hain. Tab lagi kushal na jeev kahun sapne hoon man vishram. Jab lagi bhajat na Ram kahun shok dham taj kam jab tak jeev kam aadi gandi cheshta inko chhodkar bhagwan ka naam jap nahi karta tab tak us swapna mein bhi kabhi shanti aur vishram nahi prapt kar sakta. Hamare yahan hi to dhruvdas ji bade mahapurush hue. Wo kah rahe hain jo chahat hai nitya sukh wahi khushhal rahna nitya sukh ar man ko vishram hit dhruv hit so bhajat raho pal pal shyama Shyam yadi nitya sukh chahte ho khushhal hona chahte ho to ek ek kshan shyama Shyam shyama Shyam Radha Radha Radha Radha param khushhal ho jaoge.

kaisi bhi vipatti ho aap khushhal rahoge. Jaise bhari kasht ka sanyog hai. Kidney phayl khushhal hai ham dukhi nazar ate hain kya? Khushhal kyon? Kyonki bhagwan se jude. Haan khushhal tabhi rah sakte ho jab bhagwan ka bhajan karoge. Bhagwan ke ashrit rahoge. Gandi baat nahi karoge. Aandit hone ke liye jaban ka pakka, man ka pakka aur langot ka pakka. Dehateeti bhasha mein ham aapko bata rahe hain. Narsi mehta ji kah rahe hain kanch vaach man nishchal rakhe dhan dhan janani teri re. Jo grahasti hai apni patni ke siva kisi ki or gandi drishti se nahi dekhta.

man ko sadaiv pavitra rakhta hai. Bhagwan ke naam mein sharir se pavitra aacharan karta hai. Apne aap khushhal rahoge aur jara sa paap ho jae to abhi hriday mein jalan hone lagegi. Kuch nahi hai. Koi nahi janta par hamara dimaag hamko giraega. Hamko dabaega. Hamko niratsahit karega. Isiliye paap karm nahi karna chahiye. Ek jab ham shanpur mein the to ek dakait aaya tha. Wah itna bhayabhit tha ki patta khurke to kaha bhai yahan kaun jangal hai tapaswiyon ka sthal hai ganga kinara paap karm dur se dekhne se accha lagta hai ki badhiya gaadi hai badhiya bandook tange hain badhiya lekin unke andar jo chal raha hai aur ek garib aadmi dharm se chalta hai uske andar shanti hai sukh hai thoda soch dhan ka bhale ho jae parivaar ke liye lekin wo chain se so jaega.

namak roti se pet bharega. Wo shant rahega aur jo papacharan karta hai aap aap to nahi jante ho kyonki aap jaise koi bada aadmi dikhayee de to aapko lagega bahut sukhi hai. Lekin jab ham logon se milta hai na tab lagta hai yar inki kitni durdasha hai. Log samjhte hain 10 gaadi piche chalti hai. Itna badhiya kapda hai. Sab bade aadmi hai. Tab lag kushal jeev kaho sapne man vishram. Swapna mein bhi use shanti nahi mil sakti. Isliye khushhal jeevan, dharmamay jeevan. Bhagwan ka naam jap karte hue achhche aacharan karo aur dekh lo khushhal rahoge, mast rahoge.

aap vichar karke dekho na. Dekho khushhal vastuon se nahi hua jaata. Khushhal dimaag se hua jaata hai. Agar hamara dimaag positive ho jae to ek baniyan mein bhi aap khush rahoge. Aur negative ho jae to bahut bade-bade company ke kapde bhi ave na to bhi pahan ke jaloge aapko aapse badhkar dikhayee dega tab lagega mera kya hai to jaloge aur jab aapka positive hai na to ki bhagwan hamko kam se kam sharir to svasth diye hamen bhagwan ne svasth banaya kitni kripa wo positive chintan karta hai jisko khushhal rahna hai na uska positive chintan hona aniwarya hai aur bina nishpap hue positive chintan nahi hota.

chintan sadaiv negative bhagta hai kyonki usko dand milna hai na. Yahi chintan jab negative zyada ho jaata hai to depression mein chala jaata hai. Bematlab bhayabhit rahta hai aadmi. Bematlab usko ek hi baat sunai deti hai. Matlab kahin mujhe koi hamne dekha hai na hamare paas to sab tarah ke log ate hain. To ek the wo bas yahi kahte the. Ek taraf khud marne ke liye tayyar. Ek aur depression ki dawai 10 ki chal rahe. Kya hai? Chintan bigad gaya na. Ab usi chintan mein Radha Radha Radha Radha aur yar hamen koi marne nahi to bhagwan hai na mere bhagwan positive hai na ki yar ek din to marna hi hai aur jis din marna hai us din koi bacha nahi sakta.

aaj se ham kyon uske liye pareshaan ho? Ham dharm se chale. Ham naam jap karen. Ham khush rahe. Sabse badhiya baat hai prasann rahna. Khush rahna. Yah positive se hoga. Aapka chintan sakratmak hona chahiye aur iske liye aap mein power chahiye wo hai naam Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha bada anand rahega jap ke dekho par aaj hi nahi mil jaega anand samay lagega jaisejaise aapki malinta hategi waise waise aap khush hone lagoge swabhavic khushi hai itne bade bhagwan hamare hain. Kitni khushi ki baat agar koi abhimantri ya koi aise aapse hath mila le aur kah de chinta mat karna main hoon jab kabhi zaroorat aur wo kabhi phone na uthave kabhi na mile phir bhi aapki chati chaudi ho jaegi aur bhagwan kah rahe hain yogkshem vahamyaham tum keval anannya chinto mam tum mera chintan karo pura theka main leta hoon par hamen vishwas nahi hota bhagwan ki baat par vishwas nahi hota tumse sachchi kah rahe hain ek ek kshan bhagwan tumhen dekh rahe dekh rahe hain tumhen aur ek ek baat tumhari sun rahe hain.

par jab tak tum sahi aacharan nahi karoge tab tak tum nahi jaan paoge ki bhagwan tumhen dekh rahe hain aur bhagwan tumhari sun rahe hain. Jaise ek bhi aisi baat nahi jiska uttar na milta ho. Ek bhi aisi baat jaise koi bhi baat kisi bhi tarah ki laukik parloulik samasya jara sa aur andar rekha ai to samne parinaam uska turant lagta hai bhagwan ne meri sun li meri baat pahunch gayi bhagwan tak kyon kyonki bhagwan ke siva hamara koi hai nahi bhagwan hi hamare jeevan bhagwan hi hamare pran to aapke bhi to jeevan bhagwan hai par aapne apne jeevan ko maya mein de diya isliye aap bhagwan ki baat nahi sun pa rahe ye nahi samjh pa ki bhagwan mujhe de.

ye sachchi batayen. Itna anand hai ki ab jaise aapko gulab jamun pavave poohe kaisa hai? Bole mitha kaisa mitha hai? Bole bahut mitha. Phir iske baad kya bol paoge? Nahi yahi kahoge maharaj kha ke dekh lo age wali baat. Are aise bhagwan kitna pyar karte hain. Tumhen hriday se kah rahe hain ki agar hamko wo baat na to ham mike se kah dete ki dekho bhai agar anubhav bhagwan na karate na to ham mike se kah dete lekin jab andar se bhagwan tabhi laga ki vastvik sukh aise dukh mein anand rahta hai. Har samay kyonki bhagwan se chitt juda hai na.

accha ek dar hota hai marne ka aur wo dar khatm ho gaya kyonki hamko unhin ke paas jana hai jinka jeevan bhar yad karte rahe chintan karte rahe isliye khush hai sabse bada bhay mrityu ka wo bhi khatm ho jaata hai jab ham bhagwan ka bhajan karte hain khushhal jeevan jeena hai to bhagwan ke bhrose ho jao par pariksha hogi pariksha hogi aisi paristhiti mein bhi kabhi man ne yah nahi kaha ki chalo ghar chalte hain bhari se bhari kasht lekin bhagwan ke marg mein chalna to aaj bhagwan dekh rahe ho na laukik aur parloulik donon khushiyan charnon mein lutti hai parlok ka to koi sanshay nahi raha aur lok mein aap dekho aaj hamari kya dasha hoti na ladka na bachchha na rishta na nata kisi se koi matlab nahi bachpan se to aaj ye sab paida hue kahin aur hain aur sab prannon se bhi adhik pyar karte hain khush khushhal jo khushi shabd hai jo prasannata shabd hai wo keval bhagwan se brahm bhuta prasann atma na sochti naga ki aap sachchi samjh lo pariksha mein keval pakke hona chahiye ki aapki pariksha hogi kya sacha pyar bhagwan se karte ho

aur jahan aisa ho gaya to bhagwan ki Priya hai maya lakshmi ji kaun hai bhagwan ki Priya hai na haan wo phir mata ki tarah dular karti hai mata ki tarah dular karti hain isliye bahut bhagwan ka aashray lo. Paap na karo to khush rahoge, prasann rahoge aur age se age bhagwan vyvastha karte rahenge. Bhagwan hi vyvastha karte hain. Puri srishti to bhagwan hi ne rachi hai na. Ham accha ye batao tumhara sharir kisne racha hai? Bhagwan ne to racha na. Tum thodi isko banaya hai. To usi bhagwan ke ashrit ho jao. Badhiya anand rahega.

har samay khush rahoge aur wo har baat sambhal dete. Sudama ji ko kai kai din bhojan nahi milta tha aur Sudama puri bana diya. Jaise Dwarikpuri thi aise Sudama puri thi. Bhagwan sab kuch karne mein samarth hain. Unke ek chhote se sevak hain kuber. Chhote se sevak hain. Aise anant bramhandon mein kitne wo bhagwan keval aapse kuch nahi chahte kyonki sab kuch bhagwan ne diya hai. Aapka pyar chahte hain. Bhagwan kahte hain na bhav ka bhukha hoon main aur bhav hi ek sar hai. Bhav se mujhko bhaje to bhav se beda par hai.

ham bhav karen bhagwan par. Apnapan kar le bhagwan to ham sadaiv khush rahenge. Arvind gaur ji norwe shri Harivansh Gurudev shri Harivansh Gurudev aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji inka prashn hai ki ek aise desh mein rahte hain jahan garmiyon ke dino mein june, july, August mein jo teen mahine rahte hain usmen surya bhagwan 21 se 22 ghante uday rahta hai maharaj ji aur do se teen ghante hi raat hoti hai. Aisa kuch hota hoga nahi pahadon ka kram hai na jahan jo usmen maharaj ji kah rahe hain ki jaise brahm muhurt mein uthne ka to wahan ham kaisa vidhan banain ki hamari Shastri paddhti aur dekho chhah ghanta so ke jab utho to use brahm muhurt man lo jab aap chha ghanta so chha sat ghante grihasth ko mehnat karne wale aadmi ko sona chahiye to jab aap utho bhor bhaya hamare liye ab wo aap apna kram dekh lo aur usi samay brahm muhurt wali apni seva shuru kar do kyonki donon ulta hai matlab garmiyon mein to 21 22 ghante dhoop hoti hai aur thandi mein jaise abhi november december hai to 21 22 ghante raat hoti hai doti nahi nahi aap chha ghante shayan va ke baad brahm muhurt man lo dekho jis kshan ham bhagwan ka bhajan karte hain wahi kshan pavitra jis samay jis din jis mahine jis jeevan mein bhagwan ka sumiran hai wo sab pavitra hai param pavitra tithi ki param pavitra kshan param pavitra jeevan usi ka usi samay jo bhagwan se jud gaya.

samjh rahe hain na? Brahm muhurt har samay hamare liye hai kyonki ham brahm ka har muhurt mein chintan karte hain. Yahan jo ek paddhti bataai gayi hai wo sadharan ki aap utho argh aadi do. Ham har samay usi brahm mein rahte hain. Isliye har muhurt brahm mein samarpit hai. Hamara har muhurt brahm mein hai. To jab jago tab Govind ka smaran karo. Tab unke chintan mein raho. Jab sone ja rahe ho tab unke chintan mein shayan karo. Jab jago unke chintan mein jo samay mila usi ko brahm muhurt mankar ke aradhna mein shuru kar do.

theek hai? Hamko aradhna karni hai samay ki nahi paramatma ki har samay bhagwan ka smaran bhagwan ke smaran jaise tum bachchha hai na apvitra pavitrova sarwangto yah smare pundri kaksham savayabhyant suchi apvitra ho ya pavitra jo kamal nayan bhagwan shri Krishna ka chintan karta hai usi samay pavitra ho jaata hai bahar aur bhitar donon jagah savayabhyant suchi jab pandit pavitra janm karya karate na mangal to kahte lo jal Om pavitra pavitro sarwangtoya pundri kakshayantrache jal chhidk le upar pavitra ho gaye to ab uska arth ye hai apvitra pavitrova apvitra ho ya pavitra ho sarwavasthangtopwa kisi bhi sthiti mein ho jis samay kamal nayan bhagwan ka sumiran karte ho savayabhyant suchi wo bhitar aur bahar se param pavitra ho jaata hai.

yah to bahya kuch seva ke liye niyam hai. Nahi to wah param pavitra hai jo har samay bhagwan ka chintan kar raha hai. Tirth kurti teerthani wo jahan charan rakh de tirth ban jaenge. Khub bhagwan ka naam smaran karo. Wahi samay sarthak hai. Jis samay bhagwan ki smriti chal rahi hai. Bhagwan ki leela katha sun rahe. Bhagwan ke premi sant janon ka sang kar rahe. Wahi samay sarthak hai kyonki wahan kram aisa nahi jaisa apne bharat mein hai to jab jago tabhi brahm muhurt man karke apni din charcha karen maharaj ji ismen ek prashn tha maharaj ji maharaj ji jaise jo sadhna mein lagna chah rahe hain upasna mein bat raat ko jinki dyuteej hoti hain ya aise hote hain to wo bhi aisa man le ki jis samay ham jage to ham bhajan mein lage haan ab jaise koi 4:00 baje tak to mehnat karke aaya hai ab wo alasya mein hai to let jae bhagwan ka smaran karke aur char ghante so le iske baad jab uthe tab phir wahi prat kalin wali dincharya karen.

bhagwan ham sachchi aapse kahte hain in sab baton ka mahatva hai bhagwan ki smriti se. Agar bhagwan ki smriti nahi hai to ye sab karmkand jitna bhi kiya yah punya ban sakta hai. Bhagwat prapti nahi kara sakta. To bhagwat prapti ke liye har samay bhagwat smriti mein akhand smriti mein rahna hai. To ham har samay bhagwan ki aradhna mein rahe to ye sab baten khatm ho jaengi. Wo satsang mein aata hai na Gurudev to dosh ka dar lagta hai. Dekho satsang kya hota hai? Satsang hai medical store. Medical store hai. Yog, saank, gyan, bhakti, vairagya sab sab kuch usmen chal raha hai.

isiliye doctor se likha ke medical store se dawa lo to labh milega. Aur medical store se to phir pareshani aa jaegi. Kyonki bhakti yog ka kabhi varnan ho raha hai, kabhi sankhya yog ka varnan ho raha hai, kabhi ashtang yog ka varnan ho raha hai, kabhi karm yog ka varnan ho raha hai. To aap sab sunkar pareshaan ho jao kyonki sab ek sadhak thodi dharan kar sakta hai. Aapko ye dhyan rakhna hai aap bhakti yog ke path ke pathik hain. To jab satsang mein bhakti yog ki baat ave to samjho ye dawa hamari hai. Aur nahi aise pura medical store hai.

bhagwan ki mahima hai. Sun liya chal diya. Samjh rahe ho? Nahi aise pareshaan ho jaoge. Kahin pareshaan ho jae. Ab jab ashtang yog ka varnan hoga to Padmasan aur siddhasan mein sadhak ko itne minute baithna chahiye pranayam karna chahiye yah niyam wo wo becharey pareshaan hai ki subah mangala karen ki Padmasan laga ke baithe hain thakur ji ki mangala karen ki padmas to tumhen kaun kah raha hai tum bhakti yog ke ho to apne marg ko samjho wo to ashtang yog ka varnan ho raha hai aur kabhi sankhya yog ka varnan hota hai sthul sukshm karan sab maya krit hai to sakshat brahm hai bole ham to brahm ki aradhna das bhav se kar rahe hain to phir gadbad ho jaega ham satsang sune vivekvan hokar mere marg ki jab baat aayegi to use ham sweekar karte hain.

nahi bhagwan ki charcha hai ham sun lete hain. Samjh rahe ho na? Haan jaise abhi karmabhumi ka bhi aaya tha ki bharat hi karmabhumi hai. Phir dare ki ham videsh mein kam kar rahe hain to phir ham hamare karm nahi sakal bhumi gopal ki ya mein atak kaha. Samjh rahe ho na? Ye sab bhagwan ki bhumi hai. Jahan ham bhagwan ko pukarenge wahi bhagwan naha jaenge. Aap jis desh mein rahte ho wahan se agar pukaroge to Vrindavan dur thodi hai. Tumhare tumhare samne Vrindavan dikhayee dega. Ye jad vastu thodi hai. To chaitanya sacchidanand aur sacchidanand ghan sarvatra hota hai.

kahin se bhi uski yad karo waise hi aapko anubhav mein aayega. Theek hai? Haan. Wo to prasang vasa jaise chal raha hai prasang to phir bharat bhumi ki to mahima hai hi hai. Bharat ki samanta thodi ho sakti hai. Jahan ganga yamuna Ram Krishna hari ka avatar aur bade-bade pavan mahatma jo siddh jeevan mukt Paramhans ye jeevan mukt kahin nahi milega. Bhagwat [nak se ki jane wali aawaz] prapti kahin nahi swarg nark yahi do ki charchaen hain. Yah bharat ka hi gyan hai. Agar kahin bahar prakashit hai bharat ka jeevan mukt hona, jitendra hona, brahmcharya dharan karna, patirat dharan ye sab bharatiya sanskriti hai.

yah anyatra nahi prapt hogi. Par ham bharatiya hokar ke bahar kam kar rahe hain to ham apni bharatiya sanskriti ka hi palan karen to ham bharat mein hi aaenge. Bhagwan ki sharan mein jaenge. Theek hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
  • jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…