ekantik vartalaap evam darshan #1326 · 14 july 2026
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
maharaj ji mera ek prashn hai ji mujhe pata nahi kya ho gaya koi char panch mahine se aapse aisa ishq aur lagav ho gaya ki main apne aap ko rok nahi pata hoon. Ek to bhagwan aapka Radha ji ka abhi meri aankh ka operation hua tha main bada ghabra raha tha jaise hi operation thietar pe gaya to bhagwan Krishna bansuri le khade nazar aae saath aap aur Radha Radha main bolta raha mujhe pata nahi laga bas bas lekin aapse jo ishq ho gaya hai ye kaise pura hoga dekho pura hi to ho raha hai savle baithe ho ye itna hi nahi hai agar sahi mayne mein ishq ho gaya hai to ye akhiri janm bhi kar dega.
yah janm maran ke chakra se bhi hata dega. Ma sangst durlabho agamyo amoghas nischit bhagwat prapti kara dega. Har wakt aapka rup ankhon ke age aur Radha ji ka rup ankhon ke age chalta rahta hai. Bhagwan ki kripa se par ise gupt rakho. Ise chhupa ke rakho. Do dilon ka prem yadi mukh pe aa jae to bahar nikal jane par wo halka ho jaata hai. Isko chhupa ke rakho to andar hi andar wo badhta rahega. Jitna prem main aapse karta hoon kya aap bhi utna hi mere se karte hain shayad aapse zyada kyonki aapki drishti mein sharir hai aur ham hamari drishti mein aap mere bhagwan hain to main bhagwan se kitna pyar karta hoon ye aap nahi jaan sakte hain.
jinke liye jeevan samarpit hai. Main unhin se baat kar raha hoon. Main unhin ko dekh raha hoon. Aap mujhe sant man sakte hain. Aap mujhe achhche sadhak man sakte hain. Lekin bhagwan aur main tumhen sidhe bhagwan manta hoon. To aapko main kitna pyar karta hoon yah kaise jaan paoge? Haan, aapka naam nahi janta. Aapka rup pahli bar dekha. Aapka koi prichay nahi. Lekin aapka prichay main janta hoon ki mere isht dev hain. Mere isht dev hi sab rupon mein hai. Isliye ham aapko hi nahi kyonki aapke andar jo tatv virajman hai usi ki jeevan bhar aradhna rahi hai.
aur ham jab dekhte hain to mujhe wahi nazar aata hai. To aap jab dekhoge to aapki drishti alag hogi. Lekin itna jarur lagega ki aisa lagta hai inke paas baithe se ki ye pehle bhi mile hain aur ek apne se lagte hain kyonki ham aapko apna isht dekhte hain aur agar sant se pyar ho jae to kapil dev bhagwan ne kaha ki jo asakti sansaar ke bandhan ka karan hai wahi asakti jab sant mahapurushon se ho jati hai to moksh ka khula hua dwaar ban jati hai. Tab mata ji mano ishare se pucha kaise sant hai wo jinki asakti se bhagwat prapti ho jati to titwah karunika suda sarwadeh naam jo sahnseel aur samasth praniyon ke prati suhad bhav rakhne wale karuna swabhav jinka hai jinka nirantar bhagwan mein chitt rakha hai masakta mana jo mere mein aasakt man wale hain takt swajan bandhwa apne parivaar ke sukho ka tyag karke ekmatra mere mein aasakt hai aur meri katha shravan karna mera naam kirtan karna mere mein hi dube rahna aise santo ki asakti sidha bhagwat prapti hai unki ki asakti matlab sidha bhagwat prapti.
jaise aap is dhyan karoge to ye to mandir hai. Ye jo aap dekh rahe ho iske andar jo baithe hain jaise aapne kaha ham dekha to mujhe bhavna mein aisa laga ki shri Krishna khade hain. Pakka ham aapki baat jhooth nahi man rahe kyonki is hriday mandir mein wahi donon baithe hain. To agar mandir ka dhyan karoge to mandir mein jo virajman isht devta hai wah to pakka ismen koi yah dhancha panch bhautik hai to sara khel jaise aapke andar asakti paida karna aapko aisa anubhav karana ye mere sab bhagwan ka khel chal raha hai aur unke aasakt unke siva mera koi nahi hai wahi jeevan hai wahi jeevan sathi hain wahi hamare sadhna hai wahi hamare sadhya hai ye jo leela ho rahi hai ye keval unke bal se ho rahi main iske yogya nahi hoon.
meri itni samarth nahi ki main kisi ki buddhi dharm mein laga sakun ya bhagwan mein laga sakun. Par jinki samarth se yukt hoon unke ek sankalp se anant bramhandon ka srijan hua. Isliye bahut chhoti baat hai. Wo to bahut samarthyshali agad gyan sampann hai. Ye unhin ka maharaj ji hazaron log kahte hain aap sapne mein aae to maharaj ji hamare prabhu jaate hain. Hamare prabhu jaate hain. Hamko to sapne mein bhi samay nahi hai. Prabhu ke siva kisi aur ko soche. Jaise ham yahan se hate to ek delete mara sab khatm.
bas keval hamara jo chintan wahi chal raha hai. Hamen ek bar bhi dobara yah yad nahi aayegi ki inhone kya kaha tha. Ab agar prabhu ko yad dilani hai inka kam banana hai to hamare chalne lagega inka rup inki baat aur us samay jab bhagwat chintan karte hue chalega to inko apne aap pahunch jaega. Jo yahan se pahunchna hai wo pahunche. Ab ye wahan tanmay hokar rone lagenge. Kab milun Baba se kaise milun? Kyonki haan ye wo apne aap ye bhagwan ka khel hai. Yah ham antarik baat kahte hain. Jo sapne matlab sapne mein kuch bolte hain ya aap kuch adesh karte hain to maharaj ji usko wo hamare bhagwan karte hain.
ham anwigya hain us vishay se wo bhagwan karte hain jakar. Kumar ji hazaron log aise ate hain nahi ham apni taraf bilkul hamen to jo bhagwan bulva rahe hain wo bol rahe jo dikhwa rahe hain wo dekh rahe bilkul aise samjho bilkul yantravat kathputli bhagwan ke hath ki kathputli bas aap itna samjh lo kathputli se pyar karoge to nachane wala to dekh hi raha hai wo tum par kripa kar dega bas baat itni man mein yah tha ki mujhe pata nahi maine theek kiya ya galat kiya char panch din pehle main raat ko 3:00 baje utha aur aapka dhyan kiya to darshan aapke hona aasan nahi tha kyonki main Delhi se aaya hoon.
to mere man mein yah tha ki Radha agar tere man mein shakti hai aur yah sache sant hain to mujhe inke kisi tarah arenjment karke mujhe inke darshan kara de. Aur do din ke andar andar mujhe phone aaya ki aapko maharaj ji ke darshan karne hain. Main kaha meri ankhen bhar ai aur main rone lag gaya ki ye kaise maine man mein dhara aur maharaj ji ne mujhe bula liya. Nahi shri ji aapne hamari shri ji se kaha na to shri ji ne kiya hai shri ji aur bas shant raho andar hi andar naam jap karo aur apne ko sabse chhota samjho to mahan ban jaoge tanadap suni chain taruri se suna apne ko bahut din samjhe to bhagwan ke darbar mein pyar milta hai yahi darbar din ko aadar riti sada chali ai yahi din pyare ved pukare drav su bhagna karnal Gautam kapur ji jai shri Ram jai shri Ram maharaj ji jai shri Ram maharaj ji main Ram ji ka bhakt hoon aur unki pratdin aradhna karta hoon saath hi main shankaracharya ke adwait vedant ka anuy bhi hoon.
bhakti marg aur gyan marg alag hokar bhi gantavya to atmaswarup param tatv ek hi hai. Yah main janta hoon. Par age ah kya chalkar donon margo ka anuyai hone ke karan koi dves to nahi utpann hoga? Abhi padhe ho anubhav mein nahi hai. Satya hai na ye baat? Haan ji. Satya hai anubhav nahi kuch nahi hai. Haan isiliye soham aur dasoham is par aapki kuch samjh hui hai? Haan abhi main bhakti marg ke hisaab se das hi hoon aur soham ko prapt nahi ho paya hoon. Prapt ho jaoge. Bas ek hi pakde raho das bhav.
mam darshan phal param anupa jeev pav nij sahaj swaroopa bhagwan shri Ram kah rahe hain jisko mere sacchidanand vapu ka sakshatkar ho jaata hai wo apne atma swaroop mein sthit ho jaata hai mam darshan phal param anupa jeev pav nij sahaj swaroopa aur bhagwan shankaracharya ji kahte hain swaroopa anusandhan bhakti rev garsi atma bodh ke liye bhakti shreshth hai. Ismen bhagwan ka [gala saaf karne ki aawaz] kripa prasad aur bachav paksh rahta hai. Aur shuddh gyan marg mein chalne mein aap bhrasht ho jao. Koi aapko bchane wala nahi.
aur girte hue der nahi lagti. Gyan ke panth kripan ke dhara aur parat Khagesh lage nahi bara. Jo nirvigghn panth nirbhai so kaivalya param pad lai. Aur kaun sa aisa gyan hai jo bhakt ke hriday mein prakashit nahi hota? Kaun sa aisa bhakt hai jo gyani nahi hai jo premi nahi hai. Lekin gyani premi nahi hota. Is rup mein bhagwan ki dasata mein usko prem nahi. Kyonki agar wah dvait sweekar karta hai to uska gyan hi siddh nahi hoga. Jo Ram hai sab mein rama hai wahi main hoon. [nak se ki jane wali aawaz] jo Krishna hai sabka akarshan wahi main hoon.
jo paramatma hai param brahm hai atma hai wahi main hoon. Samjh rahe hain na usmen dvait to kisko pranam? Kiski seva? Kisko namaskaar? Jab dusra hai nahi to phir kisko namaskaar? Kisko pranam? Kiski gatha? Apne atma swaroop mein apne raman karne wala atmajnani maitra karun ye do uske swabhav mein nahi hote aur bhakt jo hota hai usmen mait karun vach kyonki usmen maitri hoti hai nate neh Ram ke manat sud sushavya jahan lo karuna hoti hai ismen lekin jo gyan marg hai usmen safal hona bahut kathin hai.
[gala saaf karne ki aawaz] kyonki gyan marg ke jo sadhan hai unko samjhiye. Pahla hai vivek. Sat aur asat ka nirnay karne wala vivek. Dusra hai vairagya. Lok parlok ke samasth bhogon se vairagya. Tisra hai t sampatti. Sham indriyon ka vijay dum man ko kheenchkar vishyon se hatakr swaroop mein sthit karne ke liye bilkul achanchal nirvikaar dum man ka daman kar dena tathaksha ghor sahnseel sardi garmi barsat man apman kisi bhi dwaand mein tanik bhi vichlit na hona samadhan lakshya mein bilkul sthit aur mumukshta aisi shraddha prabal ki jo shastr sant kah rahe hain yathakshar aur mumukshta ab bas jiya nahi ja raha mujhe brahm bodh chahiye ye jab sadhan chatushta 63 sampatti ke saath hote hain tab gyan marg ka sadhak hota hai
aur phir samasth indriyon mein devta akar ke baithe hain jo hain indriy dwaar jharokhan nana baithe devta kar kar thana aavat dekh vishay bari turte dekh ki vaad ubhari vishay bhog ki priyata kabhi gyani nahi banne deti jo isse upar uth gaya to phir Riddhi siddhi pere bahu ai buddhi lobh dikhave bhai hoe buddhi jo param sayani tin chit anhit jani riddhiyon siddhion ko bhi jo cross kar gaya ab wo age jakar apne swaroop mein sthit hota hai bahut kathin hai aur jo gyan marg se kathin bhakti mein bahut saral kaise ismen bhagwan ka support rahta hai aur ismen dainyta rahti hai.
agar usse koi chuk hone wali hoti hai to karo sada tin rakhwari jim balak rakhe mahatari bhagwan uski raksha karte hain aur har baat uske andar hoti hai. Gyan bhi hota hai, vairagya bhi hota hai, bhakti bhi hoti hai, sab kuch hota hai. Samjh rahe ho aap? Maharaj ji bhakti marg main samjhta hoon ki train ka injun hai aur gyan marg piche piche lage dabbe hain. Gyan marg mein hi jaegi to sirf neerasta rahti hai. Bhakti marg saath mein ras deta hai. Usse hi prapshan hoti hai. Aisa hi hai. Neerasta to is koti ki nahi rahti.
sarasta to rahti hai kyonki wah bhi brahm ras hai. Aatmand hai. Akhand hai. Vigyanaghnand hai. Par ek sima tak rahti hai. Yah asim hai. Wah simit hai. Ras to hai kyonki jitna bhi anand hai wo hamare swaroop mein hi hai. Hamari jo atma hai na wo anand swaroop hai. Abhi ham deh bhav mein fanse hain. Atmanand mein aaenge to Akhandanand honge. Lekin jo sabki atma hai. Samjh rahe ho na? Jo atma ki atma hai wah paramatma usko jab ham apne guru ke rup mein isht ke rup mein chayan karte hain to vishesh pyar hota hai.
vishesh sukh milta hai. Isiliye jo prem hai yah sukshmatram anubhav swarup prakshan vardhmaanam agar atmjyan ho gaya atma premi nahi to kuch nahi hai. Atmarti chahiye atma premi chahiye. Atmajnani to lakho mein koi ek hota hai lekin lakho atmagyaniyon mein koi ek atma premi hota hai. Aise bhagwat premi to aur hi birla hai. Bade-bade gyanyon ke chitt mein shobh utpann kar diya bhagwan ke rup ne. Paramhans shri Sukhdev ji maharaj ko ek shlok baha peedam natvar pu karanyo karankaram vibhad vasa kanak kapisam vaijti chamalam randhan venu radhar sudhya puran go ye jo rup aaya na to brahmanand phika lagne laga aur bhagwan ke ras bhare 18000 shlok kanthsth kiye aur wo jab unke guru jante ho kaun hai Paramhans Sukhdev ji ke Janak ji aur Janak ji jab Ram ji ke kishor rup ko dekhte hain to kahte hain in vilokat ati anurag barbas brahm sukh mal tyaga vishvamitra ji mahagyani hai na vishvamitra mahammuni gyani unse ishare se pooch rahe hain ki ye kya sahaj virag rup man mora shabd sparsh rup ras gandh vijay mera man aaj is rup mein brahmanand ka tyag karke aasakt ho raha hai ye kya ho raha hai kya wo sacchidanand param brahm paramatma to vishvamitra haan kah ke bolne hi wale the ki Ramchandra ji bhagwan ne dekha ki prabhu to unka haan dashrath ji ke putr hain hamari yagya raksha ke liye aae hue hain.
ye aise hi hai aisa gyanyon mein shiromani Janak ji ke swayam vachan hai ki in vilokat ati anurag barbas brahm sukh man tyaga aap samjho to kuch aisa hai prem mein jo bade-bade gyani jan bhi gyan ras ko chhodkar prem ras mein isiliye khub bhagwan ka naam jap karen. Har granth har vani har sant naam se hi uncha utha hai. Jiske jeevan mein naam nahi to gyan bol bhale lo sthiti gyan ki nahi hogi. Kah rahe ki naam jap to nahi karte. Baki guru vani simiran bhajan Guruvani kya kahti hai aap guru vani ko padh ke Guruvani jo kah rahi hai usko manna bhi to bhajan hai.
Guruvani kya kah rahi hai? Sabse pratham guru shri nanak sahab ji haan kya kah rahe nanak naam jahaj hai chadhe so utre par kah rahe na naam guru vani aap padh ke dekho dason guruon ki vani guru kripa se padhi hai har guru ki vani mein yahi updesh hai naam ab naam jap na karo to guru vani ka path ka labh kya liya Ramcharitmanas bhi padhte hain maharaj hare wo to khula naam ki jai jaykar kar rahe kahne ka tatparya yah hai ki main Ramcharitmanas Kabir ji ke bhajan aur Guruvani ka shravan aur manan karta hoon. Jab shravan ke saath manan karta hoon to mera bhav badhta hai.
ji aap ye batao manan ka swaroop kya hota hai? Jab Guruvani kah rahi hai hamko uttar ki disha mein jana hai. Is nadi mein gote lagana hai. Hamne manan kiya ki uttar disha mein jana aur nadi mein gote lagana hai. Aur hamne bol diya sabko lekin gaye uttar disha. Gote lagae to fayda kya hua? Manan kya kar rahe ho guru vani ka? Guru vani ka manan karke hi bol rahe hain. Hamare hi guru hain. Hamko to aaj tak aisa nahi laga ki kisi aur ke guru hamko to apne guru dikhayee diye. Waheguru waheguru ham to jaise waheguru waheguru bolte waheguru ka Khalsa waheguru ki fateh.
ham aise hath uthakar bolte waheguru ka Khalsa waheguru ki fateh. Kyonki waheguru ne jis par kripa kar di to kam krodh lobh moh mad matsar par fateh ho gaye. Aur kripa kya hui? Naam dhvani chal rahi. Tera kiya mitha lage hari naam padaras nanak mange tera kiya mitha lage hari naam manan karo iska tera kiya koi bhi dwaand mein vichlit nahi ho sakte tera kiya mitha lage lekin akhiri line kya hai hari naam padaarth nanak mange kya de do mujhe hari naam de do har samay naam japta raho he bhai naam nahi jap nahi karoge na to ham aapko kah rahe hain aap baad mein dekh lena shunya 0 barabar shunya aur ek shunya 10 ek do shunya 100 aur ek teen shunya 1000 ek char shunya 10000 ek shunya ka kitna bada mahatva
hota chala jaega naam hai ank aur sab sadhan hai shunya karke dekh lena aap to shuruaat kiye honge 10 panch varsh se yahan yahan hosh jab chadha tha na tab se aise guru mil gaye the jo 2:00 baje raat ke jagah ae uth bachchha dekh kisan bail jotne ja raha hai kheti tu baith mala lekar naam jap kar tab se ab to 55 sal ki ayu hone ja rahi hai 13 varsh ki avastha se bhagwan naam aap dekh lena pakki baat hamko Banaras ke jane ki baat Banaras ki mahima sunkar to ham kabhi jae ek bar dekhen to jo guru vani kah rahi naam sadhu sang
ka phal kya hai naam do hi baten pai gayi hai guru vani ji mein bahut jor se lalkaar lalkaar ke kah sadhu samagam sadhu seva aur naam jap aap batana hamen tisri baat apne guruon ki jo vani hai usmen do baat bahut jor ki hai sadhu samagam sadhu seva aur naam jap sab santo ki dasata aur naam jap yahi guru vani adesh karti hai jahanjahan dekho do hi par adesh dekho itna tak kah diya ki tum man lo bhagwan ke shri vigrah ki puja kar rahe ho aur naam jap nahi chal raha mandir mein tum bhagwan man rahe ho bahar kisi ka apman kar rahe ho kuch nahi hone wala guru vani ji nahi manti guru vani ji is baat ko nahi manti ki tum mandir ke bhagwan ko pujo aur bahar bhagwan jo sab mein unka apman karo kuch nahi hone wala sab mein paramatma virajman hai wo tumhare mein bhi virajman hai yahi anubhav karne ke liye santo ka sang karo naam jap karo ab dekho guru vani ji yahi kahti hai na kahti hai na Ram Ramcharitmanas kya kahti hai yahi do baten pakar lo more man prabhu as vishwasa Ram te adhik Ram kar dasa aur kalyug keval
naam adhara sum sum nar utre para pura sara ka sara updesh isi mein ham pura jeevan dekha isi mein naam jap swas naam do bil chalat hai inko bhed namo ko bhave swas naam naam hi swasa naam swas ko bhed mitave tab to bahaduri hai laga ke dekho man naam mein abhi abhi kuch dino ke pehle us mal nasht karega paap paap ki pravriti nasht karega phir anand chhaa jaega phir anand chhaa jaega isliye hamari prarthna hai bahari Shurvirr to ho hi antarik Shurvirr bhi bano andar ke shatruo ko bandook se nahi pachhada jaata vivek se pachhada jaata hai bahar ko to goli mar sakte ho andar ko nahi mar andar to guru ki boli maregi andar ke shatru ko guru ki boli maregi aur bahar tumhari goli maregi to andar ki goli hamare khud guru guru ne diye hai naam jo Ram Ram hare hari Krishna Krishna Radha Radha wo mala chale bas phir par ho gaye hamari baat samjh mein aa rahi koi sanshay nahi ji Govind Sharma ji Radhe Radhe ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji main Jaipur raj darbar ke adhin prachin mandir ke pujari ki seva
mere ko prapt hai aur shri Radha rani aur mere Radhe dev ki kripa se janm se jeevan tak bahut sare chamatkar hue hain shri ji ki kripa se aur maharaj ji par phir bhi man bhautik vishyon ki taraf akarshit hokar kai bar vishay bhog karva leta hai jo uchit nahi hai maharaj ji maharaj ji ek guru ne shishya ko mantr diya pret siddh karne ka pret siddh ho gaya to usne kaha kam batao to unhone kam bata diya ab wo pret jaldi se kar liya phir kaha kam batao to kaha kitna kam bole kam nahi bataoge utha patak denge tumko guru ji ke paas gaye guru ji pret kya siddh hua wo kah raha agar kam nahi bataoge to utha ke patak denge.
unka ek danda bans gad do aur kaho ki ismen chadho utro. Jab kam hoga to ham tumhen bata denge. Wo pret hai man. Agar ise kam nahi bataoge kam mein nahi lagaoge na to utha patak dega bhogon mein. Wo danda hai naam. Ram Ram Ram Ram Ram Ram chadao utar isko aur kam mein jo kam ave tab kam mein lagwao man ko aur nahi to lagao isi naam mein. Agar bigad de to hamen batana. Agar ise naam mein nahi lagaya to uthakar patak dega chahe jitna koi ho jo gyan kar chit apai bariyai vimoh bas kar bahut vichitra bhagwan ki maya hai isliye hamari baat man lo sab log man lo agar sukhi hona hai lok mein parlok mein shanti prapt karni hai to naam ko pakar lo naam ko jo naam priy lage ya jo guru ji ne diya hai usko har samay manan karte raho andar hi andar chalate raho andar andar chalate rahoge to to ye man tumhare kabu mein rahega.
nahi to ye man bahut kathin hai. Himalay ko utha lena sahaj ho sakta hai. Lekin man ko rok lena kathin hai. Agar wo than le ki mujhe ye karna hai to chahe iske baad goli mar di jae wo bardast kar lega par wo karega. Aap dekh lo na. Us man ko agar koi rok sakta hai to bhagwan ka amuk balshali naam rok sakta hai. Nahi to apne logon ka jeevan usi naam ke bhrose se tum age badhkar ke chale. Nahi to kadam chalne deta 18 20 22 24 25 30 ye avastha jo jawani ki hoti hai na ye ladkhda kar sansaar bazar mein dal deti hai aur wahi ek naam bhagwan aise naam pahru divas nish Ramcharitmanas naam pahru divas nish dhyan tumhare kapaat lochan nij pad jantit jah pran ke bat raat din naam ka phra hai to sahi dhang se chal paoge naam jap karo raat din khali man hani ka Hanumant vipatti prabhu soi jab to sumiran bhaj yahi vipatti wah bhogon mein gira dega agar naam jap nahi to bhogon mein gira dega naam jap karo naam jap karo naam jap se hi param mangal ho jaega aa brahm stambh paryantam sarvam mayamyam jagat satyam satyam punah satyam hare naam kevalam hare naam hare naam hari naam kevalam kalau nav naste naste gati anytha bhagwan ke naam mein apaar samarth bhi naam japna ek sheetalata usi sheetalata ke bal se ham kam krodha aadi dosho par vijay prapt karte hain.
nahi to prabhu dusre ko updesh dene mein hamari buddhi kam karegi. Lekin apne man ko updesh dene mein phayl hai. Dekh lo. Imandari se dekh lo. Dusre ko ham brahm gyan updesh kar sakte hain. Ashtang yog updesh kar sakte hain. Bhakti ka updesh kar sakte hain. Lekin gande aacharan mein lage hue man ko sambhal sake. Itni samarth hamare mein nahi. Yah samarth naam pradan karega. Naam bal pradan karta hai. Tabhi is par vijay prapt ki ja sakti. Nahi jankari kisko nahi prabhu yah galat hai. Jankari phir wo kyon nahi bachta jab janta hai galat?
kyonki usmen bal nahi. Adhyatma bal nahi. Wo adhyatma bal kya hai? Dham. Bar mathe ghat hoe bar tate bar tel bin hari bhajan bahut siddhant ape bina bhagwan ke naam ke bhajan ke sansaar se tar nahi sakta pakki baat hai hamare bhagwan ka naam ek Pranav bhi hai to vedanti jan sanyasi jan Pranav jap karte hain to chahe onkar kaho chahe Ram kaho chahe hari kaho naam to usi paramatma ka hi hai bina uska chintan kiye hamari gati nahi hone wali pakki samjh lo to khub naam jap jap karo aur satvic bhojan karo aur bina bhagwan ko arpit kiye koi bhi chadhava mat khana.
jaise paisa aaya charnon mein vastr aaya charnon mein phal aaya to pehle thakur ko bhog lagao phir wo agar wah sidhe ghar chala gaya to paap ka kam karega. Wo nuksan ka kar dega. Isliye jaise sevak ho na shri thakur ji ke to sab kuch samarpit karke hi prayog karna [khansne ki aawaz] aur naam jap bhagwan ka aur jo aapke samne ave pehle usko man se pranam karo nahi to dosh drishti kam drishti phir nahi bach paoge thakur ji phir nahi bachayenge kyonki thakur ji ke samne jo aaya usko ek bar pranam karo bas pranam karke pavitra buddhi kar lo kahin sab bachat nahi sabko pavitra drishti se dekhen jaise ham apni bahan ko apni maa ko aise kisi ki maa bahan hai to ham unko usi bhav se dekhen.
agar ham kam bhav se dekhenge to phir bhrasht ho jaenge. Phir paramarth adhyatma sab bakwas rah jaega. Phir bakwas ho jaata hai. Baten gyan ki baga karo. Papacharan to bakwas hi to ho jaata hai. Bhai astr hai to shatru ke marne ke liye hai na. To gyan hai to agyaan ko nasht karo. Ye agyaan hi to hai. Kam vasna, krodh, vasna, lobh, moh, mad, matsar yahi to in par vijay prapti kiye bina koi gyani ya bhakt ya mahatma thodi ho jaata hai. In par vijay prapt kiya jaata hai. Agar hamara man ka kam aadi dosh se rahit ho gaya to brahm swaroop man ho gaya.
indriynam manyasmi bhagwan kahte indriyon mein manmay ho to naam jap karo. Bhagwat prasad pao. Kisi mata bahan ki taraf gandi drishti na karo. Dekho man mein bal aa jaega. Adhyatma mein bal aa jaega. Mandir mein jaate agar rahte honge to wahan bahut sare log pranam karte hain namaskaar karte hain to usse bhi bhajan chhin hota hai. Haan apne ko na mane thakur ji ko mane thakur ji ko pranam kar rahe hain. Apne to pair chhuave nahi sammaan kalyat ghor ganam neechapmanam sudha agar ismen pair pujwane mein phas gaya na jo to phir wo phir paramarth ka pathik nahi ban pata.
pair pujwane se bachna chahiye. Agar unki shraddha hai wo sashtang dandvat karen to hamari bhi to hamse zyada shraddha to unki hai hamen bhakt man ke sashtang dandvat kar rahe ham bhakt hain unko dandvat nahi kar pa rahe hain to hamare to abhiman hai wo to shraddwan hai hamen uski shraddha ko pranam karen bhaiya tumhari mahan shraddha tumne atho ang faila ke bhakt ko dandvat kiya bhagwan ke nate se ham bhagwan ke hain aur ham tumhen namaskaar na karen to hamari to ahankaar mein vritti ho gayi na to hamko usko man samjhna chahiye jo pranam karta hai jo pranam karwata hai ushma ki manta nahi.
mahanta uski hai jo pranam kar raha hai. Wo apne ahankaar ko chhodkar dainya ho raha hai. To hamko bhi aise dainya ho jana chahiye. Aur pair aadi to chhuvana hi nahi chahiye. Duri rah kar ke grihasth mein ho aap? Haan to bas thakur sevak karo. Pair pujwana nahi. Jo samgri ave bhagwan ko arpit kuch bhi ave arpit karke hi uska grahasti mein prayog karna. Aman kabhi prayog mat karna. To byah bhi ho gaya hoga. Haan to anya mata bahno ki taraf kam drishti mat karo. Agar kam vedna aati hai to dharm yukt hokar apni patni se wo dosh nahi wo paap nahi hai wo koi tum naishthik brahmachari thodi ho haan to wo aisa bas parai mata bahno ki taraf gandi drishti na ho ki mandir mein rahkar idhrudhur chal chalo to phir nar hi jana padega thakur ji nahi bacha payenge thakur ji ke mandir mein rah ke papacharan to aur bahut bada nahi kheti bilkul upjau ho to jo dalo bambul dalo aam dalo sab upjau to mandir to bhagwan ka bahut pavitra hai wahan aisa aisa sthan nahi hota.
wahan aisa kuch nahi hota. Lekin kahin bahar kahin gaye hain aur koi dhan ka lobh deta hai kahin jake kisi ka to wo wo kam vasna hai ki are ye dhan ka lobh de raha hai. Koi kya de raha hai? To unse bachne ki koshish karte hain. Lekin phir bhi man unki taraf akarshit hota hai. Dhan nahi le. Mandir mein aisa kuch nahi. Haan theek hai. Lekin bahar koi akarshit karta hai to un vishyon par ja. Ab jaise man lo ham kah rahe hain koi dhan de de. Thakur ji ke charnon mein chadha diya. Unke abhushan hai. Unki poshak, unka bhograg koi baat nahi.
usmen koi fark nahi. Apne bhog ke liye ₹1 lena ghatak ho jaega. Aur thakur ji ka mandir unke liye chadha raha hai to kya hai? Kuch nahi. Badhiya sundar mukut badhiya abhushan badhiya unki phir jo prasadi bachi wo apne parivaar ki seva mein prasadi aman har chij thakur ji ko lagao. To ismen badha nahi padegi. Shyam nandan tripathi ji Radhe-Radhe. Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji main kuch samay se mish mishrit prakaar ki anubhutiyan kar raha hoon. Main atma swaroop ki anubhuti aur abhyaas kis prakaar karun?
iska sahi tarika kya hai? Kabhi main sharir mein sharir aur aap to anubhutiyan kar hi rahe ho. Kiska prashn hai? Aap kya anubhutiyan kar rahe ho prabhu? Prabhu ji kabhi main aisa anubhav karta hoon ki main is sharir aur sharir aur man se alag iske andar atma hoon aur paramatma se main iska sakshi hoon. Main iska dekhne wala hoon. Aur kabhi main aisa anubhav karta hoon ki main paramatma mein utpann vikar jo ahankaar hai uske upar jo awran hai sharir aur man ka paramatma mein paramatma mein paramatma mein jo utpann ahankaar hai uske upar ye chola hai jo sharir nahi nahi galat galat andar hoon main paramatma ke rup mein anubhav kartana hoon abhi gurujanon ka sevan karo gurujanon ke charan raj ka sevan karo rah ganit tapsa naj na nirapna grah na chhandsa na jala surya bina mahtad rajo abhishekam kisi mahapurush ke dasata sweekar karo pehle aham ki jadta
ka jo deha abhiman ka jo swaroop hai wo galit ho guru ji kabhi main aisa anubhav karta hoon ki jaise Jatayu antim kshanon mein bhagwan ki bahon mein tha us prakaar mein bhagwan ki bahon mein aisa main jab anubhav karta hoon asal baat koi ek clear anubhav nahi hai aapka na bhakti marg ka clear anubhav hai na gyan marg ka anubhav hai is accha nahi hai ek clear marg hona chahiye na kis marg ko to yahi to ham to abhi kah rahe hain ki mahapurushon ke charan raj ka sevan karo guru jaisa batayen vaisa chalo Gurudev batayen gyan marg to gyan marg prem marg to prem marg ye apni manmani siddhi prapt nahi hoti.
aap pure jeevan bhar karke dekh lo. Jab aapko koi thos anubhuti mil jae to hamen bata dena. Chahe shiv viranch sam hoi guru binu bhav nidhi tar na koi jab guru charnon ka aashray liya jaata hai tabhi brahm anubhuti bhi hoti hai. Na atma pravchne na labhya na medya na bahuten abhi to na aapko uska pravachan karna bhi nahi aata. Aapko uska gyan bhi nahi hai. Yah kuch baten hain jinka anuman aap kar rahe ho. Anubhav jo hota hai wo guru kripa se hota hai. Main anubhav kar raha hoon atma ka. Aisa nahi hota anubhav. Jaisa jab main aisa anubhav karta hoon to ek bahut shanti ye satogun hai.
ye satvic pravriti hai na ki brahm bodh hai. Aap matlab agar aap vishwas karte ho to is abhi satogun ka pura satogun kaha jaega to fail padoge anand mein aur gunatit hai atmabodh jo satogun ke sukh ka bhi tyagi wo bhuma atma sukh ka adhikari hota hai. Main aath sal se Shrimad bhagwat ka path to kar raha hoon. Niyamit rah Ganesh tat tapsa tapasya na yagya na ved na grihasth dharm na surya chandrama ki upasna se kisi se nahi atmabadh hota. Ye guru charnon ki aradhna se hota hai. Hamari baat man lo. Kisi mahapurush brahm gyani mahapurush jo brahm bodh sampann ho.
bhagwan se pehle prarthna karo ki mujhe sadguru ki prapti karao. Tab phir baat banegi. Bhai thos anubhutiyan jo hai alp sukho mein alp anubhutiyan hai. Ek jhaddu maregi maya to sab anubhutiyan kone mein lag jaengi aur bhog mein chhachit gir padoge. Hamari baat samjh lo kyonki ham log usi marg ke yodha hain. Ham log us marg ke sunne aur padhne wale nahi hain. Us marg ke yodha hain jo ek-ek vritti ko dekha. Ek-ek vritti ko aur kaise phisalti hai aur kaise sambhate hain ye donon baten dekhiye.
jaise aap aapke haan mein haan mila sakte hain. Lekin aap haan mein haan milwane to aae nahi ho hamse. Milwane aae ho. Aap to sache baat samjhne aae ho na. Tabhi to aapne prashn kiya. Nahi to jignyasa ki zaroorat kya hai? To prabhu pehle sadguru ka bhagwan gita ji mein kahte hain pranipaten sa prya brahm bhut mahapurush ka milna bada durlabh hai. Pravachan [gala saaf karne ki aawaz] karta mil jana ye sab bahut saral baten hain. Gharghar hai pravachan karta. Lekin brahm bhut mahapurush milna bhagwan kahte hain ki bahu naam janm namte gyanvan mam prapaddyate vasudeva sarmit sa mahatma sudurlabha jisko sarvatra Vasudev ki anubhuti ho gayi aisa mahatma milna durlabh hai.
devrshi narad ji kahte hain maha sangst durlabho bhaiya yahan to galeegli gharghar to phir maha sangst durlabh ho pahchanana bahut kathin hai brahm bodh ya bhagwat premi sadhan marg mein chalna balance bana ke chalna jab man aaya vishay bhog liya jab man aaya to wo ek alag hai anubhuti ek alag marg hai to mujhe pahli prarthna aapse karni hai ki bhagwan se aap prarthna karen ki kisi brahmanubhut mahapurush ka aapko sakshatkar ho. Aap unse mile unka darshan ho aur phir unke sharanagat ho jae. Bilkul kore kaagaz hokar apni koi anubhuti nahi.
ab wo kahara se jo bata wahi chal de to aap brahm bodh mein pahunch jaoge. Nahi gyan panth kripan ki dhara parat khag lage nahi bara jo nirvigghn panth nirbahi so kaivalya param pad lai aise aise bachchha ban jao god mein baith jao par ho jaoge to pahla jab tak Gurudev na mile tab tak bhagwan ka koi naam chayan karo. Japte ho na? Jo naam japte ho use nirantrta mein lao. Batane ki zaroorat. Par yah bina guru ke kam nahi karega. Ye jo dwadshakshar mantr hai, panchakshar mantr hai, ashtadsha mantr hai, yah guru pradatt hone chahiye.
aap hamari baat manna. Ham aapke mitrvat prarthna kar rahe hain. To aap aise guru ka chayan karo aur abhi naam jap karo jaise Vasudev ka hi mantr hai to Krishna Krishna Krishna ya Radha Krishna jo aapko priy lage naam jap karo abhi mantr nahi jab Gurudev mile tab mantr jap karo to sahi anubhuti honi shuru ho jaegi. Hamen to sabse yahi kahna hai ki bina guru kripa ke bhav bandhan se mukt hona asamabhav. Asamabhav matlab apne jeevan ki baat kah raha hoon. Jahan aise pahar aae hain ki jinko main hata nahi sakta. Aur jab [gala saaf karne ki aawaz] guru charnon mein baith ke roya gaya to phu aise ud gaye.
guru prasad se haan moksh mulam guru kripa moksh mulam guru kripa to sab prashan ka uttar pahla ek hai ki Gurudev ka varan karo. Jab tak Gurudev nahi milte nirantar naam jap karo aur shastron ka swadhyay karo. Gita hai, bhagwat hai, yog vashishta hai. Padho unko shastron ko padho to usse buddhi ka marjan hoga. Pavitra buddhi Gurudev ke vachno ko grahan karne mein samarth hote hain. Theek hai? Maharaj shri aapne bola ki guru pradatt jaise inhone jo mantr bola to wo usmen kya fark hai?
jaise inhone padh liya usse jap rahe hain aur guru pradatt japne anubhuti nahi hoga. Prakash nahi hoga. Uska prakash nahi hoga. Uska prakash nahi hoga. Jo mantr ka prakash hai wo nahi ho sakta. Haan. Isiliye bhagwan bhi Sandipni ji ko guru mana na. Ram ji ke bhi kulguru Vashisht ji the aur shiksha diksha ke guru vishvamitra ji bane na. Jake swas ved shrutichari unko guru banane ki zaroorat hai. Bhagwan ko guru banane ki zaroorat hai. Banaya na har vishay ka guru banaya. Phir hamen manushya hai bina yah ek mariyada hai anubhav hi nahi hoga aap dekho gita ji bhagwan aise shuru kar diye jab arjun ji nitya sakha hai bhagwan ke khub hansi majak hote khub ghar ke hain waise bhi bua ke ladka hai aur waise bhi mitra hain aur waise bhi nar narayan ke avatar hai nahi gita ji kab shuru ki jab shishyastem sadhimam prapannam yahan se gita ji shuru hoti jab arjun ji kahte hain he jagatguru bhagwan main karpanya dosho prat swabhava prachchhamit dharm samudh cheta apne ko jab sabit kiya ki main mudhit wala kayarta rupi dosh se yukt ho gaya hoon kya mera kalyan hai kis mein yah main nischit nahi kar pa raha hoon aap nischit karo main aapka shishya hoon aapki sharan mein hoon yahan se gita ji prarambh hoti hai Maharshi aap jaise kah rahe hain wo to param satya baat hi hai.
ham usko tatkaal grahan karen to usmen kalyan nischit hai. Par maharaj ji ismen kahin na kahin adhinta bhi ek bahut samjh aa rahi hai ki wah aham jo prakashit hone wala jo badhak tatv hai aham wah keval aur keval guru kripa se hi nasht hoga. Haan ismen haan nahi ismen guru vakyam bhi hai. Mantr mulam guru vakyam aap samjho hamara shastr jo kah raha hai. Jaise aap aise Ram Ram jap rahe ho aur jab guru ke mukh se nikla ki Ram kaho. Aap dekh lena agar yahi mantr guru se mile phir aap japna tab aap hamko batana ki fark kya tha aap dekhna guru kripa hi matlab aap jahan baithe ho yahan sab guru prasad hi hai guru kripa hi hai to ham to pura ka pura jeevan guru kripa se bachpan se lekar abhi tak to hamare to jeevan mein guru kripa hi hai aap aap sab sant jan bata sakte ho ki bina guru kripa ke kuch hai to mujhe to aisa lagta hai ki guru ki sharan lena.
ab jaise yah bata de koi ki aap kisi brahm gyani mahapurush ko avyakt ko guru man lo to dekho hamko aisa guru chahiye jo hamen dular bhi de hamen dant bhi sake. Ab bilkul bilkul aap sahi ho. Ab wo upar se dant sabha mein lagae ho. Aap aise baithe ho. Jai jai jai jai. Aaj to apaar kripa hamare upar to ahankaar galit ho gaya. Matlab hamne to koi galti nahi ki. Hamne to apneep anubhutiyan batani chahiye. Wo abhi bakaya pura ka pura hai nahi bakaya. To kabhi-kabhi prakt mein gurjan aisi pratikultaa rupi aushadhi marte hain ki char char ahankaar ho jae wo guru se hi hoga.
bas mantr mulam guru vakyam wo kya kah rahe hain? Bas hamen chupchap prashn nahi karna. Guru ke vachan jaise nikle waise waise agar wo kah de na khade raho to khade raho. Sharanagati yah yah unki kripa se aayegi. Nahi bahut jor ki sharanagati hai ki aapko jo pasand hai wahi main baat kahunga. Wahi aacharan karunga. Aur agar aap din ko raat kahenge to main apni ankhon ko jhutha manunga ki Gurudev kah rahe hain raat hai. Mujhe din dikhayee de raha hai. Meri ankhen jhuthi hai. Gurudev jhuthe nahi. Gurudev ki baat satya hai. Aise sharanagati ye jab aa jati hai to brahm bodh apne aap ho jaata hai.
kyonki kabhi granthi padi hi nahi jad chaitanya ki. Guru prasann sah anukula miti sakal kalpit bhay sula kalpnatmak jo bhay ka shul tha wo mit gaya jaise swapnik dukh hota hai na jagne par mit jaata hai aise guru prasann hue karuna kari to unki prasannata se agyaan timir ka nash hua to dikhayee diya ki koi bandhan hi nahi tha ham to jeevan mukt the rahenge samjh rahe ho aap kabhi bandhan hua hai kya atma ka hai to kiska moksh? Bhav bandhan aur bhav mukti donon agyaan hai. Kyon prabhu? Ek bar odiya Baba se pucha pujya Swami khatlal nandal ji ne ki jeevan mukt avastha prabhu to unka avidya unka ye to avidya ka nash hone par hoti hai.
to bole kya wo bandhan yukt tha kya atma tatv jo jeevan mukt hua? To bandhan bhi aur jeevan mukt bhi donon avidya ke hi naam yah anubhut mahapurush bol sakte hain. Padha likha turant bolegaa ki avidya ka nash hone par jeevan mukt hota hai. Jeevan mukt hota hai ki jeevan mukt tha keval hai ki anubhuti karni hai bandhan ka bhram nasht hua na bandha to nahi tha na. Goswami ji sanket mein kah rahe hain jad chetan granthi par gayi yadyapi mrisa chutati kathinai ye chhutta hai guru charnon se guru charan bina mahtad rajo abhishekam ye nash nahi hota agyaan agyanas gyanjan salakya chakshur militam tasmai shri guru nam ham parmanand swaroop hai the rahenge ye bhram se deh bhav sthul sukshm karan aur isi ke bandhan se hamara janm maran ho raha hai.
ajnma ka janm ho raha hai. Amar ka mrityu ko prapt ho raha hai. Jo amar hai wo mrityu ko avinashi mrityu ko prapt ho raha hai. Jo ek hai use anek bhas raha hai. Jo advitiy brahm sukh hai wo bhogon ki taraf lalayit ho raha hai. Bas yahi bhram hatna hai. Guru kripa hai. Keval accha kuch bhi kar lo ahankaar bakaya hai. Hamen vishwas nahi hota kisi ke brahm gyan ke updesh par bina sthiti ke hain. Sthiti agar dekhni hai to thermometer apni jeb mein rakho. 15va adhyay ka shlok nirman amoha jit sang dosha adhyatma nitya vinivatta kama dwaand vimukt sukh dukh sang gachchhant amudha padmabhyam tat ye thermometer hai apne andar dal lo chahe bahar dal lo agar yah hai to param pad ke adhikari ho chuke ho arthat brahm bodh ho gaya hai aur agar ismen truti hai to abhi kuch nahi ho yah thermometer hai bhagwan ne bola hai man ka kinchin matra bhi sparsh mein kinchin matra bhi kahin na apne sharir mein moh na kisi ke sharir mein ho nirman amoga aur kisi bhi
bhog ki takat nahi uske hriday mein ichchha jagrit kar de jit sang dosh aur kyon wo atma swaroop mein nitya sthit rahta hai kaise bole vinivrittama uski sari kamna shant ho chuki hai dwandar vimukt har dukh sukh man apman labh hani har dwaand ko usne dur phenk diya hai sukhdukh sang gayi wah gyani mahapurush bhagwan ko prapt hota hai aur main yah kiya mujhe yah main to ahankaar vimudh atma karta to wo abhi mudhta pind nahi chhodegi jab tak Gurudev bhagwan nahi milenge isliye bhagwan arjun ji ko pura updesh diya to arjun ji ko prapt kya hua nashto moha smriti yah moh ka nash Gurudev ki kripa se hota hai isliye hamen sabse prarthna hai ki agar paramarth ke school mein aapko unnatisheel vidyarthi banna hai to Gurudev ki sharan le.
bina Gurudev ke aaj tak kabhi kisi ko kahin bhi koi gatimti nahi prapt hui. Mati kirti gati bhuti bhalai jab je jatan jahan je pai so jano satsang prabhav lokhu ved na an pau. To aapka is vishay mein koi sanshay hai? Bahut achhche bhagyashali ho. Bhagwan ke marg ke pathik ho aap chalo par Gurudev ka sahara le chalo jab arjun ji lakshagrih se bhag ke vanvas mein gaye na to ek chitrasath naam ke gandharv ne un par prhar kar diya to arjun ji to hast lagho praveen to vijay prapt ki to unka aaj to vijay prapt kar li lekin age tum vijay nahi hoge kyonki tumhare saath guru nahi rahe hain to dhaumyacharya ji ko unhone usi samay guru ke rup mein varan kiya aur phir age Gurudev zaruri hai.
bade-bade mahapurushon ke age Gurudev hote hain. Aur Gurudev jiske age hain to maya naam ki koi chij nahi hai. Gurudev ki kripa drishti aise bada maya ka prabhav hai. Ham Gurudev ko manushya mante hain. Ham Gurudev ko bolte wo sant mante hain. Lekin guru sakshat parbrahmma ye nahi man pate. Agar yah man le to sachchi pocho koi sadhan karne ki zaroorat nahi hai. Param brahm ki kripa drishti padte hi maya malkanath par hamari shraddha us kot ki nahi na Gurudev ko brahm nahi man pate. Yadyap sarvam khalmidam brahm to Gurudev to murtiman brahm hai hi par wo manna nahi ho pata.
ham kai aise sadhako ko dekhte hain. Apne guru ji ki avhelna kar dete hain. Nahi nahi guru sakshat parmah khade raho. Jab tak Gurudev nahi kahenge khade rahenge. Baith jao baith jao baith gaye matlab Gurudev ka swaroop bhagwan se bhi badhkar hai ek taraf bhagwan hai ek taraf Gurudev to hamari pahli dandvat Gurudev ki hogi bhagwan ki nahi hogi nahi guru Govind do khade ka keke paye balhari guru apne Govind dev aur sabse prarthna hai bhai aap kripa karke idhar aae ho to hamari prarthna hai koi nasha mat karo jaise vivid prakaar ke vyasan aur mans aadi ka bhakshan mat karo.
aap manushya hain. Aapki badi durlabh yoni hai. Yah gande acharno ke liye nahi. Isliye vybhchar par stri ki taraf gandi kam bhavna inka tyag kar do aur Radha Radha japo aap dekh lena aapka jeevan ye parlok sakal sukh pavat meri so bhaiya Krishna gun son meri shpath hai Harivansh mahaprabhu kahte hain main kasam kha ke kahta hoon yadi tum bhagwan ka bhajan karoge to is lok mein parlok mein sadaiv sukhi rahoge aur agar bhagwan se vimurkh rahoge to shanti nahi mil sakti kuch bhi ho kuch bhi ho ek sakhi ai thi. Unhone kaha maharaj ji main keval yah poochne ai hoon ki vishv ki koi aisi chij nahi jo hamare paas na ho.
to main khush nahi hoon. Kyon? Tum kaha shri Krishna nahi hai tumhare chij mein. Tumhare jeevan mein shri Krishna nahi hai. Isliye tum kabhi khush nahi rah sakti. Chahe jitna bator lo. Chahe jo kuch kar lo. Lekin tab lage kushal na jeev kahun sapne hu man vishram. Jab lage bhajat na Ram ko shok dham taj sab log bade bhagyashali ho shri dham Vrindavan aae ho hamen lagta hai ki jaise bhi hain bhagwan ke ham log hain to sant samagam yah durlabh vastu hai yah durlabh vastu hai mat sangastu durlabho bhagwan ka milna nischay ho jaata hai jab bhagwat premi mahatma ka milan ho jaata hai hamare jeevan ki unnati usi din se shuru hoti hai jab sant samagam kam ho jaata hai.
durlabh manusho deho deh naam kshanbhangura tatrap durlabh manyat vaikunth priy darshan bhagwan ke pyare janon ke darshan hona sabse durlabh baat hai. To ab aapke jeevan mein yadi koi kami ho to un kamiyon ko chhorne ka sankalp karo. Dhire-dhire apne un kamiyon ko jo bhagwan se dur le ja rahe hain jo hamare manushya jeevan ko kuda karkat ki tarah barbad kar rahe hain. Vyarth ka samay nasht ho raha hai. Yadi ham bhagwan ka bhajan nahi karte. Ham sab vipattiyon se bachna chahte hain. Lekin sutra nahi jante ki vipatti se bachna kaise hota hai.
hari smriti sarv vipad vimokshanam kaha Hanumant vipatti prabhu soi jab to sumiran bhajan na hoi. Khub naam jap karo mast raho. Man ko svasth rakho. Sharir aswasth bhi rahega to koi fark nahi parta. Agar man bimar hai to sharir svasth bhi rahe to koi fark. Bahut pareshaan rahoge. Aur ab man ki bimari badh rahi hai. Yahan tak ki use depression mein pahuncha rahe. Kyon? Overthinking. Naam jap hai. Duniya ka prapanch soche chalae de rahe. Sab urja shakti nasht hoti chali ja rahi. Ab wo tik gaya usi mein. Overthinking mein.
ab wo soch soch ke soch-sach ke bhay yahan tak ki marne ki tayyari, sharir chhorne ki tayyari he itna anandmay jeevan aapka ho sakta hai. Aap soch nahi sakte. Jo tum soch rahe ho kisi ke paas bahut hai. Lekin wo bahut pareshaan hai. Aapse to koi apni pareshani kahega nahi. Apne log Baba ji hain. Apne se sab batte hain. To dhanya bhag hai ki jinke jeevan mein bhagwan ka adhyatma ka pravesh ho gaya. Aur naam jap karo aur Gurudev ki sharan mein raho. Unki agyaa ke anusaar raho. Nischit is maya bandhan se mukt ho jaoge.
nischit nahi to kuch bhi karo aham pusht hota hai. Bhagwat prapti thodi honi aham pusht ho raha hai. Aur Gurudev ki kripa se jo anubhav lagta hai Gurudev ki kripa se Gurudev ki kripa kripa shabd aur maine kiya shabd ismen bahut antar hai. Achhche se achchhi sadhna hone par maine kiya shabd use isi bhav samudra ke paksh mein rakhta hai. Aur koi sadhna nahi adhin hai. Keval guru ki seva mein hai. Wah paksh adhyatma ka ho gaya. Ye sukshm baat ham aapko kah rahe hain. Sukshm baat kah rahe hain. Bas yah baat samjh ke guru sharan hokar ahankaar ka tyag kar jo naam mantr mile khub bhajan karo.
jeevan ka labh bhajan hai. Tumhara rupya tumhara sharir tumhare sab yar mitra yahi rah jaenge. Ye chand din ka sharir hai. Kab mita pata nahi. Aur phir jo 83999 yoniyan hai unmein hamko balat jana padega. Agar manushya janm mein bhagwat prapti nahi ki. Isliye ham kah rahe hain chalo na bhagwat prapti sahi to itna to naam rupi dhan aa hi jae ki ham phir manushya bane aur phir bharat ki seva karen. Khub naam jap karke bhagwat prapti karen. Aapse
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…