main logon par jaldi vishwas kar leta hoon jiska parinaam hamesha pratikul hi milta hai
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
Manoj Dube ji Prayagraj Radha shri Harivansh maharaj ji main vigat do varsho se ekantik vartalaap sun raha hoon. Maharaj ji main seearpeeeph mein duty karta hoon. Maharaj ji mera swabhav bas jaldi kisi par bhi vishwas kar leta hai. Jiska parinaam hamesha pratikul hi milta hai. Maharaj ji aise mein mujhe kaise rahna chahiye maharaj ji? Haan vishwas to vivek ke nirnay se kijiye. Aisa nahi hai. Sansaar mein vishwas nahi paramarth mein bhagwan par vishwas bina vichar karke karna hai. Lekin sansaar mein binachare je kare te pache pachitae kam bigado apno jag mein ho tasay aise aisa vishwas nahi kar lete pehle buddhi aur vivek lagakar ham uski pariksha lete hain ki vishwas yogya hai ki nahi tab phir vishwas karte hain.
bhagwan aur bhagwan ke marg mein pratham vishwas vichar ki zaroorat nahi bin hi vichar kari shubh jani aur sansaar mein binachare je kare te pache pachtae pehle vichar karo ye aadmi vishwas yog hai ki nahi ye jo bol raha hai satya hai ki nahi iske jeevan mein satya hai ki nahi ye kapt to nahi kar raha hai chhal to nahi kar raha hai ye sanshay karke jankari karke tab vishwas kiya jaata hai aur bhagwat marg mein nahi bhagwat marg mein jo shastr mein likha hai jo gurjan kah rahe hain yatha yathavat waise man lene se wah age paramarth mein badh jaata hai.
mat pita prabhu guru ke vani binah vichar kari shubh jane aur sansaar mein binachare je kare te pache pachhitae kam bigaro apno jag mein ho dhasae to hamen sansaar mein chalna hai to hamen sidhe vishwas nahi kar lena hamen pehle sanshay karna hai ye aadmi kapt to nahi kar raha hai ye aadmi asatya marg ka avlamban lene wala to nahi hai agar ham vishwas kar le mujhe fansa le mujhe galat marg mein le jae sanshay rakhna chahiye paramarth mein sanshay shunya aur sansaar mein sanshay yukt kyonki sansaar duwidha yukt hai. Sansaar chhali hai.
sansaar kapti hai. Paye jaan jagat mein sab jan kapti kutila kalyugi tanchu isliye sanshay rakhna hai. Aap khud anubhav kar rahe hain ki vishwas mein phir mujhe dhokha milta hai. Haan to isliye sanshay rakhna hai. Hamen sab par vishwas nahi karna. Shastr agyaa karta hai. Bhagwan aur paramarth mein vishwas aur sansaar mein sanshay. Sanshay rakh ke jab hamare sanshay ki kasauti se paas ho jae to vishwas nahi to nahi sansaar mein vishwas nahi bhagwan aur paramarth mein vishwas ke bina nahi chala jaata aur sansaar mein sanshay ke bina nahi chala ja sakta ismen chalna padega sanshay le chalna padega haan wo kitna pyar se kyon baat kar raha hai kya aapke paas hai jo usne dekh liya wo aapse pyar kar raha hai wo kuch hai pehle usko samweto kya hai kya itna pyar kyon kar raha hai sahsa pyar kyon kar raha hai kuch hai jo uski nazar mein aa gaya
hai lela chahta hai koi swarth hai koi uski purti hai aise chala jaata hai paramarth mein agar swarth mein agar vihaar mein praveen nahi hui hai to bahut chhalia hai sansaar bahut thagi hai sansaar aur bada nirday hai sansaar dekho vishwas mein kitna bada dhokha ho sakta hai shri jaydev ji bahut bade mahapurush hue sant hue hain unko ek bhagat ne bulaya to us samay swarn ki sarpiyan chalti thi to kai swarn unhone kaha hamen zaroorat nahi le lo maharaj to shraddha karan unhone apne achle mein bandh liya chalo sant seva ho jaegi kisi char log mile dandvat kiye pahli drishti mein dekha ki ye ek hota hai shraddha se dandvat karna aur ek hota hai pralobhan se dandvat karna pralobhan wali dandvat mein alag hi hota hai shraddha wali mein alag hota hai wo pehchan hoti hai santo ki unhone dekh liya ki accha hamare paas asharphiya inke liye dandvat kar rahe hain aur jangal ka rasta tha to ruk gaye.
unhone kaha suno bhai tumhen asarphiyan chahiye na phaltu natak karne ki zaroorat nahi hai. Le lo asarphiyan hamko inse koi matlab nahi. Wo the dusht unhone socha hai bahut praveen aadmi asarphiyan kyon de diya? Iska matlab asarphiyan abhi de diya aur age ye report karke hamko phansaega. To soche dekho dusht aadmi dusht tha. To un charon ne vichar kiya ki yah hamko fansa na pave isliye isko pehle hi ham asarphi de di par un charon ne hath pair kaat ke kue mein dal diye asarphi de di tumhen asarphi mil gayi thi laut jao tum lekin unhone kaha ye bahut praveen hai ye hamare fansane ke liye dusht aadmi dushtata ka hi chintan karta hai aur sidhe saral aadmi sant mahatma to unke hath pair kaat ke kue mein dal diye ab wo bhagwan ke bhakt the jai Jagannath jai Jagannath bhagwan ka smaran kar rahe the.
to ek raja nikla wahan se apne sainik ko awaz sunai di to kue mein gaya jab unko nikala to wo to jaan gaye are ye to jaydev ji hain. Apne rajmal mein le gaye badi aushadhiyon ka lep kiya. Ab jaydev ji se pucha ki bhagwan ki prapti ka sahaj upay kya hai? To unka sant seva yadi roz sant seva ho bhagwan naam kirtan ho santo ki juthan khane ko mile sant jai jaykar karen to nischit bhagwan prasann ho jaate hain to unhone sant seva ki ab un charon choron ne socha unko to pata nahi tha to charon thag jo chor the jinhone hath pair kaat aur un santo ke darshan ke liye jaydev ji baithe the hath pair kate aise asan par baithe aur jo sant jan jaate sabko aise darshan choron ne dekha logon aapas mein ki wahi hai jisko kaat ke kue mein dala tha.
ab jaydev ji ne dekha ki ye wahi hai jinhone kaat jaydev ji ne raja ko bulaya aur kaha ye char log mere bade pujya aur pehchan ke sant hain. Ye jitna jo kuch mange utna inko de dena. Unke to hosh kharab the choron ke ki pata nahi raja se kya kahkar hamko dand de raja gaye pranam kiya khawaya piya aur kaha maharaj khajane ke paas le gaye aap jitna chaho le jao to to thage the gathri bandhi to raja ne socha ki sant to aise nahi hote par maharaj kah rahe hain Gurudev kah rahe hain ki ye sant hai to hamko dosh bhi drishti nahi deni ab wo badi-badi gathri bandh li hai charon ratnnon aur asharphiyon to unka kaha maharaj aap lad ke le jaoge to accha nahi lagega.
hamare aadmi le jaenge. Aap jahan kahoge wahan pahuncha denge. To raj sainik raste mein raj sainikon ne pucha ki aaj tak aisa sammaan hamare Gurudev ne kisi sant ka nahi karaya jaisa tumhara karwaya. Kya tum khas ho? To us dusht swabhav ke the. To unhone kaha tumhare Gurudev jo hai na wo paap karm kiye the. Isiliye unke hath pair katwa diye gaye the. Matlab bilkul jhooth bolte je hi itna jhooth bole so dharti phati aur sab aa gaye kyonki ab nahi sah sakte the. Is itla dand dene ke yogya aparadhi ko bhi sammaan dilaya hath pair katne ke baad bhi aur phir wah unke prati dosh darshan unka to jo dusht hote hain wo akhiri swas tak dushtata karte hain.
un par vishwas nahi karna chahiye. Jaise jaydev ji ke saath hua na aise ya koi bhi ho agar duston ke saath vishwas kiya jae to vishvasaghat hi karenge wo aapki hani hi karenge. Isliye sanshay karna chahiye. Koi bhi vihaar sansaar mein karo to usmen sanshay rakh ke karo aur paramarth mein koi karya karo to vishwas rakh ke karo. Paramarth vishwas layak hai aur sansaar sanshay layak hai. Samjh pa rahe hain aap? Ji.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…