॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

varsha ritu ki adbhut shobha / Rishabhdev ji ka apne putro ko amulya updesh aur avdhut vritti grahan karna

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

Vrindavaneswari tvai padarvindm prema makrand raso purnam haditam madhupte smarta mugram nirvai param shital mashyam nirvapyt param shital mashray param sacchidanand ghan Premand swaroop navni nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladlele pranaaradhy shri Priya Priya pritam jo samasth sahachari vrind khag mrig pashu panchhi lata raj rani yamuna ras rani samasth brajvasi parinamay shri ladli ji ki kripa se apne logon ko nitya bhav utsav mein dubne ka avsar mila hai. Dekho salo mein kabhi-kabhi koi varsho mein ya jeevan mein ek do bar Vrindavan ane ka aapko nitya nirantar raj ka sevan karne ka saubhagya [gala saaf karne ki aawaz] jo dev durlabh vishay hai wah hamen prapt hai.

shri dham Vrindavan ka sanidhy vas rajrani mein baithkar ke naam japne ka mantr japne ka saubhagya shri Priya pritam ki rasmay charcha mahapurushon ki charcha siddhant sunne ka saubhagya Priya pritam ki seva Priya pritam ke janon ki seva ka saubhagya kise bhagwat prapti kahte hain? Ise hi bhagwat prapti kahte hain. Ham bhagwat prapti mein bilkul virajman hai. Bas jo hamen mila hai usmen hamari rati ho jae. Abhi ham ise mahatva buddhi waisi nahi jagrit kar paye. Mein shri dham mein naam mein prabhu ke leela charit gayan shravan mein prabhu ki seva mein prabhu ke janon ki seva mein aisa lagta hai sadhan hai.

yah sadhan nahi hai. Yah sadhan ka phal hai. Dham sadhan nahi hai. Sadhan ka phal hai. Sadhu samagam sadhan nahi hai. Yah sadhan ka phal hai. Samasth sadhno ka phal hai prabhu ka prasann ho jana aur jab drav din dayalu raghav to sadhu sangati paie jab bhagwan prasann hokar dravit hote tab sadhu samagam milta hai to hamen jo kuch mila wah sab phal mila hai bas iska rasaswadan karna hai abhi ham is phal se anbhigya hain. Rasaswadan vishyon ka karna chahte hain. Isiliye premay dham mein rahte hue, premay upasna karte hue bhi prem ka sparsh nahi ho raha.

kyonki vishaynand ki chat lagi hai bahut janmon se. To is janm mein bhi jo hamen param labh kripa se mila isko ham gaud dekh rahe hain. Mukhya dekh rahe hain vishay sevan aur jis din mukhya baat aa gayi Priya pritam bahut sadhan nahi karne padte. Chitt kab samarpit hona hai. Jahint samarpit hua apnapan hua meri shri ji mere lal jo bas ho gaya kam yah merapan apnapan itna gadh ho jae ki iske alawa aur koi rah na jae. Siddhvastha hai. Gyan mein sthul sukshm karan tino ka sakshi bhav jab swikrat hota hai aur wah siddh ho jaata hai tab chitt ki vrityio mein koi smaran hi nahi rahta hai.

koi bhi vritti nahi rahti. Vritti ka lay ho jana hi moksh kaha jaata hai. Koi chintan hi nahi. Sat na sat chintan jaise gadh sushupti avastha aise jage hue gyani purush ki samadhi avastha tab wo jeevan mukt mana jaata hai. Koi is puran hi nahi bina sankalp ke cheshta ho rahi bina karta ke cheshta ho rahi. Jaise dhalan mein gaadi ko band karke chhod do. To na tel kharch hoga na usko start kiya gaya par wah yatra chal rahi hai. Aise brahm gyani ki yatra hoti hai. Bina sankalp ke bina chintan ke ham mahatva buddhi nahi rakh pate apne sadhan ki jo hamen phal vritti mili us par mahatva buddhi nahi yadi dham mein mahatva buddhi naam mein mahatva buddhi priyal mein mahatva buddhi to aur kachu na suhaye tinko jugal seva sukh pagi raat din keval Priya pritam shripad Prabuddhanand ji kah rahe hain shri gandhwa pad kamal yo das lasalme taj sadhan updo madotra [gana gane ki aawaz] tasmat papo yadi cha sukriti nindito vandititova vrindaranyam sushranmay kunth Radha prakasham bahut badhiya nishtha ka varnan kar rahe hain.

dhyan se suno. Kah rahe shri gandhwa pad kamal das lasal taj y sadhan upro madotra gandhwa hamari ladli jo ko kahte hain. Priyaju ka ek naam gandhwa hai. Yadi shri priyaju ke charan kamlo ke dasy ka swadhi nahi hai. Priyaju ke das ras se seva sukh ka swad nahi liya hai. Radha tatv ka anbhigya hai to kitna bhi bada vidvan ho uske updesh par ham dhyan nahi dete hain. Kyonki hamen chahiye jo Radha das Radha rup Radha ras ham Vrindavan vasi prem upasi yadi shri ji ke dasy sukh ka swad nahi liya hai usne kabhi shri ji ke tatv se anbhigya Radha tatv se to kitna bhi bada vidvan ho ham uske updesh par dhyan nahi dete uske updesh shta sadhan ko kabhi sweekar nahi karte.

yah baat samjhna us vidvan se us gyani se jo hamen phal milta hai hamen wah nahi chahiye. At papi ho ya punyatma nindni ho ya bandni yadi wah Radha ji ke charnon ka aashray liye hain. Priyaju ke charnon ka aashray lekar Priya charcha karne wala hai to main ati uttam bhav se uski sharan leta hoon. Samjho yadi priyaju ke charan dasy sukh se anbhigya hai. Radha tatv se anbhigya hai to koi kitna bhi bada mahapurush bol raha ho ham sunenge. Par hamen uske updesh aur sadhan se koi matlab nahi. Uske dwara jo milne wala phal hai usse mera koi sambandh nahi.

moksha aadi anya lok aadi agar wah priyaju ka jas varnan karne wala hai Priya charnon ka aashray liye papi ho punya atma ho nindni ho ya bandni ho mujhe isse matlab nahi Radha kishori ke jas ka gayan karne wala Radha charnarvind ka aashray lene wala main uski atattam bhav se sharan leta hoon. Jo Vrindavan ka ashrit Radha upasi hai wo kaisa bhi ho main uski sharan leta hoon. Bhav yahan hai kisi priyal ki upasna wale upasak ko apni nishtha paripakva rakhne ke liye anya sadhan ka updesh aur anya sadhan updesha usse bhi hamara koi sambandh nahi.

isiliye mahaprabhu Shrimad Radha sudanidhi mein kahte hain vrindan sarv mahta apay durad Vrindavi manusro pranay cheta bade-bade sadhan aur sadhyon ka mahapurushon ka aashray bhi chhodkar tum Vrindavan ka aashray lo kyonki Vrindavan mein jinka swabhav hi hai satarni krit swabhav sudhar saugam sajjan purushan ko tar dene ka swabhav hi hai jinka ka aise shri Radha kishori ji virajman hai. Aise Vrindavan ka aashray lo. Samasth sadhan aur sadhyon ka aur sadhan ka updesh karne wale mahapurushon ka bhi aashray chhodkar Vrindavan ka aashray Vrindavan ke premi janon ka aashray to usse jo sajjanta aayegi, vinay aayega, dainyta aayegi, usse priyaju ki kripa prapt hogi.

isi janm mein wo nikunj ras ko prapt hoga. Y saundaryam yadyo ye bhawa ya vaid ya Gaurang bhang ya draksha varn vanyasta no bhave radhikayantu mere hriday mein aur koi bhavurit na ho keval Radha kishori jo yat saundaryam yad vayo ye cha bhawa ya vaidya ya Gaurang bhangya jinka adbhut saundarya jinki adbhut avastha jinke adbhut bhav jinki adbhut pravinta chaturyata aur jinke shri ang ki adbhut Gaurang shobha unki bhav bhangiya bas yahi mere hriday ment ho aur koi bhav aur koi vichar mere hriday mein sphurrit hi na ho.

kunje kunje tiranga viharto yatra Radha braju vrikshe vrikshe cha yatra pravilsat maha divya gandh prasam pushpe pushpe mad krit madhupkulam shama namgham mogham janma sarvam tav yadi bhajse na Vrindavan tat jahan kunj kunj mein galavya diye hue shri Radha aur braj shri lal jo maharaj ati anand mein vibhal hokar ke vichran kar rahe hain. Vriksh vriksh se adbhut sugandh aa rahi hai. Khile hue pushpo ke guchchhe un pushpo par pushpe pushpe madandheekrit madhubkulam bhavre gunjar kar rahe hain aur amritmai bunde gir rahe saghan kunje badi adbhut shobha kunj ki rimjhim rimjhim varsha ho rahi ekdam tejomay kantimay patte sab jhuke hue phool khile hue kabhi bijli tadak rahi hai kabhi megh baras rahe hain bhavre gunjar kar rahe hain mayur kokila aur Priya pritam bhavna karo adbhut janani ghan arudamini [gana gane ki aawaz] chatik pik sukh bolti murni chatik pik sukh bolti morni Shyam ghta kajar hoon te kari umdi umdi ai chahuni garajni ghan arudamini megh garaj rahe bijli chamak rahi charak pik shuk aur mor inki awaz gunj rahi hai Shyam ghta kajal hu teri rimjhim rimjhim bunde moron ki awaz bhavna karo aaspas mayur ke jhund ke jhund aa gaye.

dalon par baithe hue sukh sarika kokila ye ya [chikne ki aawaz] aa [chikne ki aawaz] bahut priy [chikne ki aawaz] varsha ritu hai Priya pritam ko bahut priy donon ke shri angon mein bahut chhoti chhoti bunde nani nani bundni barasni lagyo taisi ye rochak pawan jhakorni hit dhruv pyari pyar so jhulat peeh jhulavat nainni korni ek dusre ke netron mein netr dale aise vilok rahe hain ek dusre ke netron mein jaise bahut samay ki pyari chakori chandrama ko dekh rahi ho ya chakor do chakor do chandrama nagar nav kishor mithun manas chor donon ek dusre ke chitt ko cura rahe hain.

netron mein netr ek tak aplak nani nani bunde ho rahi. Chatak pakshuk mor bol rahe adbhut latae hain jhoom jhoom karke sugandh shital mand vayu bhavnon ka gunjar charon or se ghataen umad kar ke aa rahi hai. Bijli chamak rahi hai. Aur chhoti chhoti bunde shyama Shyam ektak netron par netr milaye hue lalit lata tar nani nani bunde par bhajat rang le do pritam pyari lalit lata nit tare aisi latae lalit hain sundar hai pyari hai ki karodon kalp taru milkar ke Vrindavan ki ek lata ki samanta nahi kar sakti Vrindavan ki lata sam koti kalp taruna aise patton ki kant hai Vrindavan dwiti patr ki upma ko kachu na koti koti Baikunth tem kahe jae yah Vrindavan hai lalit lata nitre sundar lata hai Priya ji tab ek dusre ke netr mein

netr milaye nani nani bunde pare sukhad bunde badi badi dukh dene wali nahi chot lag jae ati sukumari ladli pi kishor sukumar aisa nahi chhoti chhoti phahiya baras rahi nani nani bunde par bhajat rangeele do pritam pyari do bhade hain donon prakaar ki varsha mein ek to megh ki varsha aur ek prem varsha ek dusre ke netron mein jo prem baras raha hai usmen donon bhi rahe aur upar se jo megh baras raha hai usmen bheej rahe hasi hasi baten kare bhaj mul ansh dhare pat pat pit tan surang kasumbhi sari rimjhim rimjhim dheemi dheemi bunde jo giri unse vastr shri ang mein sparsh kar rahe shri angon ka darshan ho raha hai aur hans hans kar Priya pritam baat kar rahe hain bhuj mul ansh dhare mano manal bhushan bhushit bhuj Shyam ansh par dari aur lal priyaju ke gale mein donon galavhiya diye hue lata ke niche khade hain.

nani nani bunde baras rahi jinse nilambr aur Pitambar kuch gila ho gaya jo shri angon ki shobha ko aur prakashit kar raha hai. Aur hans hanskar Priya pritam baat kar rahe hain beevi badan chavi rahi kachu phavi upma na jat kachu man mein bichri yugal sarkar ke mukharvind par chhoti chhoti nani nani bunde aise itni sundar shobha ho rahi ki upma kahte nahi banti kaise upma devlok bhulok rasatal sun kavi kul mat darie sahaj madhuri ang ang ki kah kaas patrie kaise upma de tribhuvan mein koi upma hai hi nahi rasik ubhay udaar gavat rag malhar hit dhruv suni tan det pran wari lalit lata nit nani nani bund pare bhajat rangeele do pritam pyari ab yugal sarkar malhar rag ga rahe hai aisi adbhut gayan shaili Priya pritam ki hit dhruvdas ji kahte sab sakhiya pran nyochhavar kar rahi donon yugal sarkar kabhi gaan karte hain kabhi hansi hansi baten karen kabhi baten karne lagte hain.

do jal bheet atke baat saghan kunj ke dwrae thade ambar lapte gatan lataon ke niche se baat karte hue yugal sarkar kunj dwaar par aae. Shri lalitaju ne dekha inke vastr to nani nani bundon se bhi gaye hain aur inko shuddh bhi nahi hai. Yah baat mein magan hai. Ek dusre ki rup madhuri pan karte hue hans hans kar baat kar rahe hain. To Lalita lalit rup ras bheeni bund bachavat patan vrikshon ke bade bade patte aise Priya pritam ke upar karke bundon se raksha kar rahi Lalita jo shri ladli lal ki bundon se raksha kar rahi bacha rahi patton ke dwara Vrindavan ke bade patte lekar aise Lalita lalit rup ras bheeji yugal sarkar ki wo paraspat chitvan aur hans hans kar baten karna is par bheeji hui ismen dubi hui iska rasaswadan karti hui shri Lalita jo patton se bunde ki o bata rahi jai shri hit Harivansh paras par pritam milwat rati ras ghatan paraspat pritam milwat rati ras ghatan shri hit sajni jo kah rahi hai ki ek dusre se Priya pritam shyama Shyam prem kel ke netron se jo dav pech ho rahe hain wo sakhiya hi janti hai.

ek dusre se prem kel ke dav pech laga rahe hain. Lalita ji rup ras mein bheeji hui patton se bundon ki raksha kar Priya pritam ko bacha rahi aur ladli lal paraspat baat kiye hue ras mein bhi hui hai. Shripad kah rahe hain kunje kunje tiranga daha viharto yatra Radha brajendu kunj kunj mein naveen naveen rang kabhi jhula ho rahi aur rituen aisa nahi ki samay varsha chal rahi to varsha hi chalegi. Jis samay jis kunj mein jaisi Priya pritam ke sukh ki vridhi karne ki bhavna sakhiya karti waise hi kunj ritu ko dharan kar leta hai.

vrikshe vrikshe chayatra pravilsat maha divya gandh prasunam vriksh vriksh ke niche alaukik leela mano Priya pritam ki antarik ichchha hai ki ham donon ekant mein baat karen to wahi lata ekdam aise chhaa gayi ki wahan kisi ki drishti hi nahi ja sakti. Aur aisi lata ke andar tatkaal bhavna hui ki raas kare to aisa vishal swaroop ho gaya. Usi ke niche raas prarambh hua. Vriksh vriksh chatra prasti jahan jaisi bhavna waise hi lata rup dharan kar leti hai. Ye divya chidanandmay latae hain. Shital mand sugandh pravahit ho rahi hai.

pushp pushp ke parag ko pan karke bhare matvale ho rahe hain. Mogham jan sarvam tav yadi bhajse na Vrindavan tat tumhara jeevan vyarth hai yadi tumne aise Priya pritam ka bhajan nahi kiya aise Priya pritam ka aashray nahi liya aise Priya pritam ki seva nahi ki raat din ham apne shyama Shyam mein aasakt chitt wale bane naam kirtan naam jap mantr jap vani gayan seva wa isi se ham asaktit ho jaenge. Dham mein ho to phir kahna hi kya hai? Agar dham mein nahi to dham ka aashray lekar par naam vani seva hi hamara jeevan ho jae.

naam vani seva jiske ye teen baten jeevan mein hai wah trigunnatt hokar Priya pritam ke nikunj mein nischit pravesh karega. Chalte hain Shrimad bhagwat mahapuran bhagwan rishbh dev ji jinke 100 putr sabse bade maharaj bharat ji jinke naam se is ajnab varsh ajnab khand ko bharat desh kaha gaya. Bharat ji se sab jo chhote putr hain sab mahapurush hain. Nau to nau khand ke raja hue aur ek nau nau Yogeshwar hue aur 81 yagyik brahm rishi hue bhagwan Rishabhdev ji ke putr samasth praja ko aur apne putro ko bhagwan Rishabhdev ji updesh kar rahe hain.

bahut dhyan se sunna chahiye. Param mangalmay updesh hai rishbh uvach nayam do deh bhaja triloke kastan kam narahte vibhuja ye tapo divyam putrakay satam shuddh dhasmat brahm shaukhyam twantam mahat seva dwaar mahur vimukt tamo dwaram yitam sang sangam mahantaste samiti prashata vimanyava suda sadhwo bhagwan Rishabhdev ji ne putro se kaha is mrit lok mein manushya sharir dukhmay vishay bhog prapt karne ke liye nahi mila hai. Yah vishay bhog to kutta suar aadi ko bhi prapt hai. Pakka samjhiye. Jaise aap stri sahwas kar sukh lete hain.

aise har pashu pakshi ko sukh prapt hota hai. Jaise aap nind ka bhojan ka aise sabko milta hai. Nidra bhay ahar maithun ye sabko saman sukh prapt hai. Ye mrty lok mein manushya sharir dukh mein vishay bhog bhogne ke liye nahi hai. [gala saaf karne ki aawaz] yah vishay bhog to sukar kukar ko bhi prapt hai. Suar kutta ko bhi prapt hai. Is sharir se divya tap karke paramatma prapti karne ke liye hamko bheja gaya hai. Tapasya tapasya kya? Kam ka veg, krodh ka veg, bhookh ka veg, vani ka veg, varsha, garmi, sardi sab kuch sahna.

bhajan na chodna kisi bhi paristhiti mein man apman ninda stuti sab vegon ko sahna dwandon ko sahna yahi tapasya hai tatiksha sahnseel swabhav yahi tapasya hai kisi se koi shikwa shikayat nahi jaisi paristhiti ham usmen raji hain. Har kasht ko sah rahe hain. Is sharir se divya tap hi karna chahiye kyonki bina tapasya ke antahkaran pavan nahi hota. Baat samjh lo bina tap ke shri Harivansh prasiddh dharm samjhe na alap tap samjho shri Harivansh kripa sevo dharm jap sevak ji maharaj kah rahe yah nikunj ras chhoti moti tapasya wale ko prapt nahi hota badi tapasya jiski ho shri Harivansh prasiddh dharm samjh na alap tap thode tap wala Harivansh dharm ko nahi samjh sakta yadyapi ye prasiddh dharm hai prem dharm samjho shri Harivansh kripa Harivansh kripa se samjh sakte ho kya Harivansh chandra jo ne kaha Shyam shyama pad kamal sang sir nayo ten vachan manat guru drohi nish din karat apno bhyo to it vihaar nat paramarth beech hi beech jo janm gavayo jo dharm so priti karat nahi kaha bhyo dharmi jo kaha karo shri Harivansh upasak sang jo priti tarang surang bhyo sevak ji maharaj kah rahe Harivansh dharm ko chhote tap wala nahi samjh sakta mahan tapasvi samjh sakta to mahan tap kya hai?

bhagwat premi mahatmaon ka sang, unki seva, unki agyaa mein chalna, unka sumiran karna. Shri Harivansh prasiddh dharm samjh na alap tap samjho shri Harivansh kripa kya sevhu dharman jap jo rasik jan hai bhagwat premi mahatma hai unki seva unka sumiran unki agyaa palan isi param tap ke dwara aap prem dharm ko samjh payenge bhagwat prapti kar payenge to is sharir se divya tap karna chahiye kyonki bina tap ke ant antahkaran pavitra nahi hota aur bina antahkaran pavitra hue brahmanand ya bhagwanand ki prapti nahi hoti.

shuddhasmat brahm saukhyam tantam jahan antahkaran shuddh hua anant sukh pradan karne wale shri bhagwan ka sakshatkar ya brahmanand donon jo chahe wo prapt kar sakta hai. Mahat seva dwaar mahur mukt stamo dwaram yotim sang sangam mahapurushon ka sang hi seva agyaa palan bhagwat sumiran ismen rati pradan karta hai aur isi se moksh ya prem ki prapti hoti hai aur jo vishay purushan kami purushan ka sang hai usse narak ki prapti hoti hai mahat seva dwaar mahur vimukt tamo dwaram yotam sang sangam jo yoshit jo stran hai jo kami purush hain aise kami aur kamini ka sang karne se narak ki prapti hoti hai aur bhagwat premi mahatmaon ka sang karne se seva sumiran swadhyay bhagwat aradhna mein rati hoti hai jisse moksh ki prapti hoti hai ya prem ki prapti hoti hai mahantaste samchit prashamanya suda sadho maha mahapurush kaun hai?

jinke sang se bhagwat prapti ho jati hai. Jinke sang se moksh prapt ho jaata hai. Un mahapurush ke lakshan kya hai? Bole mahant taste samchit jinkit samta ko prapt ho gaya hai. Man apman mein dukh sukh mein apne yahan to tisri bhumika mein hi samta aa jati hai. Shatru mitra samjani man apman sam dukh sukh labh nahan yah jo kripa Harivansh ki kripa ki tisri bhumika mein sthiti aa jati hai pratham bhumika mein mukh varnat Harivansh chitt naam Harivansh rati man sumiran Harivansh yah jo kripa Harivansh ki Harivansh sharanagat hokar nirantar sumiran mein magan ye pratham bhumika ka phir vihaar mein sab jeevan so priti riti niva apni shravan kathan pratiti yah jo kripa Harivansh ki dusri bhumika vihaar mein sabse prem ka vihaar kisi se koi badle mein chah nahi aur apne vani ji ke

shravan kathan mein dridh vishwas dridh pratiti dridh vishwas tisri bhumika satramitra samjani dushman mein aur mitra mein saman bhav man apman sam man mein aur apman mein sambhav labh hani mein sambhav sukhdukh mein sambhav ye tisri sthiti tisri bhumika jagrit ho gayi chauthi bhumika bhagwat prem mein dube hue rasik mahapurushon ka nirantar sanidhy prapt hona nitik dharman sang rang badhat nit nit saras to nit nit prem abhang yah jo kripa Harivansh ki aur panchvi bhumika mein nirakhat nitya vihar pulkit tan leela mein pravesh mahapurush kaun hai jo kripa prakaran mein tisri bhumika hai wo samchit naam kinchin matra kisi mein kabhi bhi vishmata ta nahi na kisi se rag na kisi se dves sab mein ek apne aradhya dev ko dekhna yahi kshamta hai sarvan vastut nireeksh param swadhya Buddha mam mere Radha vallabh lal sab mein virajman hai to samchit prashantta kaisi bhi sthiti ave hriday mein halchal nahi honi chahiye chahe jitni sukhad sthiti ho ya dukhad wahi shant shanti sthiti wahi bhajan paraayan sthiti ye mahapurushon ke lakshan

hai. Sabke prati saman bhav kisi bhi paristhiti mein udwagin ya shobh grasit na hona bhagwat vismaran na hona har samay bhagwat smriti mein duba hua shant sthiti chahe jitni bhayav sthiti ho chahe jitni sukhad ho na sukhad mein harsh hai na bhayava mein udwignata hai ekmatra shant sthiti shakarkaram to prashant ta param shant phir age vimanyava vimanyava krodhheen kitna bhi koi gussa dilae kabhi gussa na jab prashant hai to usmen gussa aa hi kaise sakta hai jo samchit prashantta to apne aap sthiti aa jaegi viman goswami ji mano isi ki tika kar rahe hain.

Uma Ram charan rat big kam mad ko nij prabhu mein dekhah jagat to ke san karah virodh sarvatra jab apne bhagwan ko dekh rahe to kisse virodh karega kisse krodh karega to prashanta samchit jo sarvatra apne prabhu ko dekhta hai. Har paristhiti mein bhagwat smaran paraayan shant rahta hai aur krodhheen hai. Krodh kamna se aata hai. Jab hamari kamna mein badha padti hai to krodh jagrit ho jaata hai. Aur jab kamna ki purti hoti hai to lobh jagrit ho jaata hai. Vimanyava krodhheen shada sadho ye jo sabka mangal kaise ho aise swabhav wala hai jiska sadaiv yahi chintan rahta hai ki sabka mangal kaise ho wo mahapurush hai jo samchit jo prashata jo krodh re vimanyava aur jo suda sabka suhad hai sarvabhut hate ta sabka mangal chahta hai.

sabka hit chahta hai. Sabka kalyan chahta hai. Sabka hit chintak sadho sadachar paraayan charit jiska pavitra hai. Aise mahapurushon ka sang moksh ka khula hua dwaar hai. Aise mahapurushon ka sang nischit bhagwat prapti kara deta hai. Jo samchit hai, jo prashant hai, jo krodh rahit hai, jo sabka hit mangal sochte rahte hain aur jinka charit pavitra hai, nishkalank charit hai, yeva mai se krit shadartha janu deham bhartikeshu gahe sujayatmaj raat matsu na prit yukt yavad loke jo keval mujh paramatma mein hi prem karna mera hi chintan karna ekmatra jinka purusharth hai unhen mahapurush kahte hain.

mahapurush kise kahte hain? Piche bataya jo samchit hain, prashant hai, krodh rahit hai, sabka hit chintak karte hain aur jinka charit pavitra hai. Aur jinki ekmatra bhagwan mein sthiti hai. Har samay bhagwan ke chintan mein jinki sthiti hai. Vishyon ki hi charcha karne wale logon mein stri mein aasakt, putr mein aasakt, dhan mein aasakt aur sab samagriyon se bhare hue gharo mein jo aasakt hai aise logon ka sang narkgami banata hai. Aur jo ekmatra bhagwan mein aasakt hai. Wahi bhagwat prapti kara sakte hain. Aise hi mahapurushon ka sang karna chahiye.

agar aise mahapurush grihasth hue grihasth mein bhi to wah vishay charcha karne wale swabhav wale nahi honge. Wo stri putr dhan aadi mein aasakt nahi honge. Wo bhog sampann gharo mein aruci manne wale honge. Wo keval sharir nirvah ke liye dharm purvak karm mein pravatt hote hain. Unki koi phalakanksha koi kamna nahi hoti. Ga jaya jara mat na priti yukt yad loke na unki stri mein asakti hai na putr mein na dhan mein na ghar mein na parivaar mein phir bhi wah ghar parivaar mein rahte hue dharm purvak aacharan karte hain phal ki akanksha rahit sthiti nunam pramatta kurte vikarma yadi indriy prit pranoti na sadhu manne yat atmano maspi klesh dayas deha ye jo manushya bhagwat premi mahatmaon ka sang nahi karte unki buddhi kumti ho jati hai.

use hoti sabke andar do buddhi hoti hai. Kumti aur sumati. Par jab ham sadhu sang karenge to kumti ko dabakar nasht karke sumati jagrit ho jati hai. Aur jab ham sansarik purush ka sang karenge to sumati ko dabakar kumti badh jati hai. To jab kumti badh jati hai kusang se to manushya pramadwash pramad kahte hain na karne yogya karya ko karna aur karne yogya karya ko na karna. Pramad vash wo kukarma karne lagta hai aur jab uski kukarma mein pravriti hoti hai shastr virudh papacharan ko kukarma kahte hain.

uski yah pravriti indriyon ke tript karne ke liye hoti hai. Par tripti jab kuch ho tab na ho. Tripti hoti nahi. Ab wo paap pe paap karm karta chala jaata hai. Bhagwan Rishabhdev ji kahte hain putro main ise accha nahi samjhta kyonki atma ko yah asat dukhdayak bandhan inhi karmon se prapt hua hai. Is sharir ko main man karke indriyon ko tript karne ke liye shastr virudh kukarma papacharan karne se jeev ki durgati ho jati hai. Jab jeev ko atma tatv ki jignyasa nahi hoti tab wah dehabiman vash rahta hai.

deh ko hi apna swaroop manta hai. Main manta hai aur deh ko jab tak main manta hai tab tak wo laukik karmon mein aur vishyon mein fansa rahta hai. Bilkul sidhi baat hai. Aur uske man mein karm ki vasnaon ki baadh rahti hai. Yah kar liya, wah kar lenge, yah bhog liya, wah bhog lenge. Aisa itna jama kar liya, itna ho jae, itna aur mar gaya aur sab aise hi para raha. Isi se isko janm maran ki prapti hoti hai. Phir samjhiye jisko atma tatv ki jignyasa nahi hoti, main kaun hoon? Mera lakshya kya hai? Main yahan kyon aaya hoon?

kab tak yah bhatakta rehunnga? To use sharir mein main buddhi rahti hai. Atma jignyasa na hone ke karan. Aur sharir mein main buddhi hone ke karan wo indriyon ke bhogon mein aur karmon mein fansa rahta hai. Aur uske hriday mein bahut si karm vasnae, bhog vasnae jiske karan bar-bar deh, bandhan, janm, mrityu use prapt hota hai. Is prakaar agyaan avidya ke dwara apne atma swaroop ke dhak jane se karm vasnaon ke vashbhut huit wo karmon mein hi ghumta rahta hai. Jab tak mujh paramatma mein mujh bhagwan mein nirantar chintan karke priti nahi hogi tab tak ye deh bandhan chhut nahi sakta.

evam man karm vasam prate avidya mane priti nayavan ma Vasudev na muchte deh yoge na tavat is avidya ke dwara agyaan ke dwara atmjyan na hone par use yah mehsus hota hai main stri hoon main purush hoon aur isi isi se karm vasnaon se uska chitt bhatakta rahta hai. Jab tak mujh Vasudev bhagwan mein priti nahi hogi tab tak ye aavagaman ka bandhan nahi chhutega. Yah jeev paaglon ki tarah cheshta kiye ja raha hai. Kiye ja ye pata nahi har cheshta ka phal hai. Tumhen bhogna padega. Bas kiye ja raha hai.

jab tak vivek drishti ka aashray lekar indriyon ko bhogon se nahi hataega. Indriyon ki maang ko mithya nahi manega. Indriyon ki maang ko ham satya mante hain. Sukhmay mante hain. Tabhi hamare aacharan bigad jaate hain. Jab ham indriyon ki maang ko mithya mane. Yah vyarth fasane wali maang kar rahe hain. Jab tak vivek drishti ka aashray lekar indriyon ki cheshaon ko mithya nahi dekha mithya nahi mana tab tak use atmjyan ki smriti nahi hoti aur wo agyaan vash vishay pradhan sharir mein ghar mein stri mein putr mein aasakt hokar tarhatrah ke klesh uthata rahta hai.

waise hi bhagwan ki maya ka bada vichitra bandhan hai. Phir stri aur purush inka jo dampatya sukh bandhan hai ye to bahut vichitra hai. Pandit jan kahte hain gyani jan ki jad chetan ki ek granthi to bandhi hai hi hai jo na hone par bhi bahut jor ki bandhi hai. Aur upar se aur dampatya sukh ki stri purush ki aisi asakti prakt hoti hai bhagwan ki maya ki usko pata nahi minute ka aur vada karte hain bole sat janm tak hamara aap kaho phir kahte hain sat janm nahi janmajanma tak matlab pura kal pura system inke adhin ho gaya pura system adhin hai wo kah rahe ki ham ab tumhara saath nahi chhodenge ek janm nahi aur sat janm janm tak aur sat janm nahi janm janm tak ham tumhara nirvah karen.

matlab itna bada wo mahapurush ho gaya ki pure system ko rok karke janmjanm usi ke saath rahega. Ek jagah saath rah sakte ho. Donon milkar bhajan karo aur bhagwan ka chintan karte hue donon sharir chodo to ek hi jagah pahunch jaoge. To ek hi jagah pahunch jaoge. Yah dampatya bhav stri purush ki asakti bada abhed bandhan abhed bandhan dehabiman rupi ek ek sukshm granthi to pehle se hi hai isi karan jeev ko deh mein indriyon mein ghar mein kheti mein putr mein swajan mein dhan mein main merapan ho gaya yahi bandhan hai kuch nahi abhi sharir chhut jae kuch nahi tumhara kuch nahi.

jis samay bhagwan ka vismaran karke jeev deh mein aasakt ho jaata hai to ghar mein aasakt, khet mein aasakt, putr mein aasakt, swajan mein aasakt, dhan mein aasakt. Aisi asaktiyan paida hoti hai main mere ki. Bhagwat prapti ki to baat jane do. Ganv gali mein tum dekho baithe. Yahan to Vrindavan mein ye to bhagwat dham hai. Ganv gali mein kahin bhagwat charcha nahi. Koi bhagwat prapti ka lakshya nahi. Bas wahi rupya paisa beta beti wahi bas yahi bhagwan ki prachnd maya. Jis samay satsang milta hai tab yah granthiyan dheeli hone lagti hai tab granthiyan dheeli jab satsang milta hai agar tabhi kaha gaya hai ki sut daradhan lakshmi papiyon ke ghar ho sant samagam hari katha tulsi durlabh do tab ye hriday granthi dheeli hoti hai usi samay ye jitne bandhan hai sab katne ko daudne lagte hain kahan kahan bhag ke jaun?

kaise kya karun? Kaise hamen pind chhute aur bhagwat prapti ho. Yah andar bhav. Sansaar ke bhut ye ahankaar ko tyag kar jo bhagwan ke bhajan mein lag gaya wahi chatur sujan hai. Wahi mukt ho jaata hai. Wahi param pad prapt karta hai. Hanse guru maktan vi krishnaya dwaand tityach sarvatra jantu vyasnagat jigyasya tapse nivatya is sansaar sagar se jo par karane mein kushal hain dhairyvan hai jo udyam paraayan hai aise santo ka sang karna chahiye sansaar sagar sagar se par karane mein kushal kaun sa anusthan kaun si seva kaun sa path kaun sa bhajan aise chalo aise chalo aise mahapurush ko apni atma guru swaroop se varan karna chahiye hanse guru ma bhaktanwatya sabke atma swaroop bhagwan hi Gurudev hai Gurudev hi bhagwan hai jo sansaar sagar se par karne mein kushal dhairyvan udyam aise sabke atmaswup guru swaroop se varan karen.

bhagwat prapti ke liye Gurudev ka varnan karna bahut soch samjh ke. Kisi ke pravachan sunkar prabhavit hokar guru nahi banana chahiye. Bahut samay tak intazar karna chahiye. Milna julna darshan sambhshan aur jab yah lagne lage ki yah mere bhagwan hain bas jab guru bana le phir dosh darshan na kare phir wahan apne durgati ka karan upasthit na kare droh na kare sahsa kisi ko guru baname nahi aur guru baname to guru aur bhagwan bhagwan aur guru mein tanik bhi bhed nahi to wahan dosh darshan ki sambhavna hi nahi hanse guru mai bhakt vishnaya dwandya mujh guru swaroop mein sadaiv bhakti bhav bhaktavatta ek ek vritt shri sadguru swaroop bhagwan mein arpit karni chahiye.

unki agyaa mein sone se jagne tak jagne se sone tak pratyek cheshta guru agyaa mein honi chahiye. Bhagwan ki prapti Gurudev ki kripa se hai. Guru kripa hi kevalam Gurudev hi bhagwan hai. Bhagwan hi Gurudev hai. Unki agyaa mein jeevan samarpit kar de. Wo dhanya bhav koi birla hi hota. Manmani to manmani to pura srishti chal rahi. Guru mani koi birla hi hoga. Aur jo guru mani hoga wo bhagwat paraayan hoga. Sarvatra jantu vishnavgatya jigyasya tap seha nivatya mat karmabh mat kathya cha nityam mat dev sand gun kirtan mein nir samya sam putra jiha saya de gatma buddhi mere paray ho jae aur bhogon ki trishna ka tyag kar de.

bhoge hue bhogon ka jo smaran hota hai aur phir bhogne ki ichchha hoti hai usi ka naam trishna hai. Mere paraayan rahe. Trishna ka tyag kar de. Sukh aur dukh mein saman bhav rahe. Har yoni mein dukh uthana parta hai. To yah jo hamen manushya deh mili ismen ham dukh bhog kar pavitra ho rahe hain. Bhogna chahiye. Ghabrana nahi chahiye dukh se. Jitna dukh milega utna hi ham pavitra hokar bhagwan ki taraf badh rahe hain. Tatv jignyasa se tapasya se sakam karmon ke tyag se mere liye hi karm karne se meri kathaon ko roz sunne se mere bhakton ke sang mera naam kirtan karne se kisi se bhi srishti mein vair na karne se samta se shanti se sharir ghar aadi mein main mere pan bhav ko tyagne ki ichchha se roz shastr swadhyay se kuch samay ekant sevan se pran indriy aur man ke sanyam se shastr aur sant purushan ke vachan sunkar unmein yatharth buddhi rakhne se purn brahmcharya se kartavya karmon ko nirantar savdhaan hokar karne se maun se meri hi satta dekhne se, anubhav gyan sahit tatv vichar se, yog sadhna se in sab sadhno se jo varnan kiye gaye ahankaar ka nash ho jaata hai aur ling sharir leen ho jaata hai.

wo moksh pad bhi prapt kar leta hai. Koi sadhan pakar lo. Itne sadhan batae bhagwan rishbh dev ji ne. Pahli baat sant mahapurushon ka sang moksh pradan karne wala kamini kami vishay purushan ka sang narak pradan karne wala kaise sant mahapurush hote hain to bole samchit prashant krodh rahit sabka kalyan chahne wale aur sadachar paraayan arthat pavan charit aise santo ka jab sang kiya jaata hai to hamare hriday mein bhagvatik sadhan uday ho jaate hain. Ham Sadgurudev ka varnan karen. Atma swaroop Sadgurudev meri atma Sadgurudev bhagwan Sadgurudev bhagwan meri atma hai aur anannya bhav se unki bhakti karne se bhagwan ke paraayan se bhoge hue bhogon ka tyag karne se sukh dukh mein saman bhav har yoni mein dukh bhogna hai to manushya yoni mein dukh bhog karke bhagwan ko prapt kar lenge anya yoniyon mein jana hi nahi padega is vichar se tatv jignyasa se tapasya se sakam karm ke tyag se bhagwan ke liye hi karm karne se bhagwan ki roz kathayen sunne se bhakton ke sang naam kirtan karne se bair tyag se kshamta se shanti se sharir ghar aadi mein main merepan ke bhav ka tyag karne se adhyatma shasta shastron ka swadhyay karne se kuch samay ekant sevan ka swabhav banane se pran indriy aur man ke sanyam se sant purushan ke vachan par bilkul satya buddhi rakhne se purn brahmcharya se maun se sarvatra bhagwan ki satta dekhne se yah yog sadhna se ahankaar nasht ho jaata hai.

ling sharir leen ho jaata hai. Aur wah param pad ka adhikari hota hai. Manushya ko chahiye savdhaan rahkar avidya ke dwara bandhe hue hriday granthi ko gurujanon ke updesh se shastr gyan se kaat dalo. Isi janm mein kaat dalo. Kya hriday granthi hai? Main stri hoon, main purush hoon. Waise main avinashi chaitanya paramatma ka ansh hoon. Par agyaan ke karan main apne ko stri purush man raha hoon. Yah hriday mein granthi jo par gayi hai ise Gurudev ke dwara di hui upasna se kaat dalo. Shastr ke vachno ka manan karke ise mita do.

main na stri hoon na purush hoon. Main bhagwan ka ansh bhagwat swaroop hoon. Kyonki yahi granthi jad chetan granthi isi mein sare karm karne ka utsah karm sanskar vasnae bhog vasnae isi mein rahti hai. Isi mein ahankaar rupi dehabiman rupi mahal mein ye karm rahte hain. Karm sanskar rahte hain. Bhog vasnae rahti hai. Yahi aur jab dehabiman nasht ho jae to sab sadhno ko chhod de. Ab karta bhav bhi gaya sadhan ka. Ab jo ho raha hai wah gunanugun warte aur wo apne swaroop mein hai. Jisko ho athva mere anugrah prapti ko param purusharth manta ho to meri is agyaa ka palan karen.

Rishabhdev bhagwan agyaa kar rahe hain ki mere param pad ko prapt karna, meri kripa ko prapt karna to meri agyaa ka palan karna. Wahi raja raja hai jo apni praja ko bhagwan ke bhajan mein laga de. Yah baat samjhna hai. Putra shishyas napo gururwa malok kamo manograh im viman ran shishya datt gyan na yot [gana gane ki aawaz] karmasukarma mudha yadi raja ho to apni praja ko yahi updesh karen ki bhagwan ka bhajan karte hue apne kartavya karm ka palan karo. Isi janm mein bhagwat prapti kar lo. Yadi guru ho to apne shishya ko yahi shiksha de ki apne kartavya ka palan karte hue nirantar bhagwan ka bhajan karo.

nahi to is jeevan ka koi labh nahi hai. Yadi pita ho to apne putro ko yahi shiksha de. Agyaan ke karan yadi shishya apne guru ke anusaar na chalkar karmon ko param purusharth mane to un par zyada krodh na karen samjha bujhakar phir unko lave aur sansaar ke andhkup mein na girne de unhen bhagwan tak pahunchave guru wahi hai jo bhagwat prapti kara de pita wahi hai jo bhajan mein lagave raja wahi hai jo apni praja ka kalyan kar de unhen vishay shakti yukt kam karmon mein phasne na de dat ke fatkar ke dular ke jaise mane waise jaise koi andha purush kisi andhe kue ke marg mein girne ja raha ho to netr wala use kaise girne dega age jakar daud ke bachaega aise guru apne shishya ko pita apne putr ko raja raja apni praja ko bachhae.

sansaar rupi andhe kue mein na girne de. Unhen bhagwan ke bhajan mein lagakar unka kalyan karen. Ye sansari log nahi jante ki apna sacha kalyan kis baat mein hai. Ye log to itna jante hain ki yah bhog mil jae, yah rupya mil jae, yah pad mil jae, ye jamin mil jae. Bas itna inko pata nahi hai ki sacha kalyan kis baat mein hai. Yah log to kshnik sukho mein kuch chand rupyon mein bhari bair than lete hain. Ek dusre ki hatya kar dete hain. Ye vishay bhogon ke liye praytn karne wale murkh log hain.

inko narak na jane de. Inko dukho ki prapti ke marg mein na jane de. Ghere inko pyar se dular se dat fatkar ke jaise bane inhe bhagwan ke marg mein lagave aur jo murkh bilkul hi baat nahi mante to phir anyonya vaira sukh les het ran dukham cha ved mudha in murkhon ko mudhon ko bole jahan sukh ka les bhi nahi aise ghor dukh mein narak ki prapti hoti hai. Bacha le in praniyon ko bacha le. Bhagwan rishbh dev ji updesh karte hain kastam swayam tadabh vipashchit avidyaya mantre vartamanam drishtava punastam saghna kum prayoj yatham guru nasyat swajno nasyat pita na sasya janani na sasya dum na tatsya na pati sasya namo cha samap mrityu idam shareeram mam dubhyam satam hridayam yatra dharm pash krito mein yad dharm ato mabham prahurya tasmat bhavanto hriday na jaata sarve mahya samm sanabham akstashta buddhya bhartam bhajam susham ta bharnam praja jaise gadhe mein daldal mein koi girne ja raha ho to aankh wala purush use girne nahi dega.

use bacha lega. Waise hi yah agyani jan avidya mein phaskar paap karm ki or dukh ki or ja rahe hain. Kaun aisa dayalu sant hoga jo inko bachhae na janbujhkar use kaun girne wale marg mein jane dega ya jane ki prerna karega. Isliye wahi guru guru hai jo apne shishya ko bhagwat sambandhi updesh karke mrityu ki phansi se bacha le. Wahi swajan swajan hai jo apne swajan ko bhagwan ke bhajan mein laga de. Wahi pita pita hai jo apne putr ko bhagwan ke bhajan mein laga de. Wahi mata mata hai jo apne putr ko bhagwan ke bhajan mein laga de.

wahi dev dev hai jo param dev prabhu mein laga de. Wahi pati pati hai jo apni patni ko bhagwan ke bhajan mein laga de. Agar nahi to guru guru nahi. Wo swajan swajan nahi. Wo pita pita nahi. Wo mata mata nahi. Wo dev dev nahi wo pati pati nahi. Maine jo yah avatar dharan kiya hai, yah buddhi gamya nahi hai. Yah buddhi se atit hai. Shuddh satya hi mera hriday hai. Main sadaiv param dharm mein sthit hoon. Maine adharm ko bahut piche dhakel diya hai. Isiliye mujhe rishbh kahte hain. Mahan balshali. Putro tum sab mere ansh ho.

yah apne 100 putro ko nahi kah rahe. Ham sab unhin ke putr hain. Putro tum sab mere ansh se prakt hue ho. Mam wo gita mein bhagwan shri Krishna mano na ham grihasth hain ham stri hai ham purush hai yah wo papacharan karke durgati mamo tum mera ansh bhagwan kah rahe hain yahan bhagwan rishbh ji kah rahe hain tum mere ansh ho mere se prakt hue ho isliye irshya matsar chodo maha bhagvato ki seva karo putro tumse sabse bade jo bharat hain ye maha bhagwat hai. Inki seva karo. Inki agyaa mein raho. Yahi tumhara prajapalan karya bhi karenge.

anya sab bhauton ki apeksha vriksh shreshth hai. 84 lakh yoniyon mein anya sab yoniyon ki apeksha vriksh shreshth hai. Vriksh mein bhi chalne wale jeev shreshth hai. Unmein bhi keetad shreshth hai. Keetad se bhi pashu shreshth hai. Pashu mein phir manushya shreshth manushyon mein bhi pramath gan shreshth pramthon mein bhi gandharv shreshth gandharwon mein bhi siddh shreshth siddho mein bhi devta shreshth devtaon mein kinnar shreshth unse asur asur se jo aadi devta un devtaon se indra devta indra devta se brahma ji aise brahma brahma ji ke putr daksh Prajapati aadi sarv shreshth pad par jo brahma ji bhagwan shankar aur bhagwat premi mahatma mujhse bhi shreshth hai.

bhagwan ne ye baat kahi mere pujya kaun? Bole brahm rishi bhagwat premi mahatma sab bhauton mein vriksh shreshth unmein chalne wale jeev shreshth usmen keetad shreshth usmen pashu shreshth pashu se bhi manushya shreshth manushyon se pramath gan pramthon se gandharv gandharv se siddh siddho se devta devta ke anuyay kinnar aadi asur asuron se phir shreshth devta jo aadi devta aadi devtaon se indra devta indra devta se daksh Prajapati aadi brahma ji brahma ji se bhagwan shankar bhagwan shankar se shri hari parantu mere se shreshth hai bhagwat premi mahatma jan jo brahm rishi jan hai kyonki main unko apna pujya manta hoon.

isliye in brahm rishiyon se badhkar ke tribhuvan mein koi nahi hai. In mahabhagavton se badhkar tribhuvan mein koi nahi hai. Isiliye main sabse zyada prasann hota hoon. Jab brahm rishi sant vaishnnon ke mukh mein achhche-achhche padaarth pavaye jaate hain. Jaisa main waise prasann hota hoon vaisa agnihotra aur yagno se prasann nahi hota. Bhagwan bahut sundar baat kah rahe hain. Apni praja ko apne putro ko updesh kar rahe aur mere se shreshth vaishnav sant jan bhagwat premi brahm rishi jan to jo achhche achhche padaarth bhog bana ke santo ko vaishnav janon ko brahm rishiyon ko pavaya jaata hai.

bhagwan kahte hain usse main bahut jaldi prasann hota hoon. Main vaisa bhog agnihotra ya yagya mein vaisa tript nahi hota jaisa bhakton ke mukh se tript hota hoon. Jinhone is lok mein adhyan aadi ke dwara meri meri ved Rupa sundar puratan murti ko dharan kar rakha. Jo har samay ksham dum satya daya tapasya tatiksha gyan aadi gunon se sampann hai. Bhajan paraayan hai. Un brahm rishiyon se badhkar tribhuvan mein koi nahi hai. Main brahma aadi shreshth ye sab swarg moksh dene mein samarth kintu mere akinchan bhakt aise nishkriya hote hain ki mujhse bhi kuch nahi chahte.

rajya aadi vastuon ki to baat kya ve swarg moksh kuch nahi chahte isliye in bhakton se badhkar ke koi nahi matta parat parasmat swarg pavarga na kinchit em kis tare te manch naam bhakti bhaja bhagwan kahte hain main swarg moksh sab kuch dene mein samarth hoon. Par mere akinchal bhakt mere se bhi koi chah nahi rakhte. Ye raj aadi bhogon ki to baat jane do. Isliye sarvshresht tribhuvan mein mere akinchan bhakt hai. Jo akinchan bhakton ki seva karta hai. Main bahut jaldi akinchan use hi kahte hain jinki jeevan mein prabhu ke siva aur koi nahi.

akinchan mein koi garib ya aise phate purane kapde aisi pehchan nahi. Akinchan amrish ji ko bhi kahte hain chakravarti samrat lekin jo prabhu ke siva jinka koi nahi antarik wahi akinchan pura bhala parivaar hai. Akinchan hriday ka vishay hai. Tum sampurn charachar bhauton ko mera is sharir samjhkar shuddh buddhi se pad pad par unki seva karo. Mere bhakton ki seva karo. Yahi meri sachchi puja hai. Main isse bahut jaldi prasann hota hoon. Yah baat samjhni hogi. Man, vachan aur drishti aur indriyon ki cheshaon se sakshat meri samasth sadhna ka phal hoga.

mere bhakton ka pujan, charachar jagat ka pujan. Agar mujhe nahi prasann kar paya to is mahamoham mein kal paas se apne ko chhuda nahi sakta. Chahe jitna sadhan kar le meri prasannata se hi wo khula kah diya hai. Bhagwan ne khula kaha devi hasa gunmai mam maya dutya mamev prapadte maya menta tarte ye gunmay maya ko par karna bada kathin hai meri sharan mein ho jao main par kar dunga yahan bhagwan rishbh dev ji kahte hain ki yadi aap meri sharan mein hokar meri baat man lo ki bhakton ka pujan karo bhakton ka sevan karo bhakton ka sang karo charachar jagat ko mera sakshat swaroop samjho to main prasann ho jaaunga.

main prasann ho gaya to tumhen is mrityu paap se mukt kar dunga. Aur agar main prasann nahi hua to bina pani maha vimohat kritant paas vimukt mi jab tak main prasann nahi hota tab tak tumhen koi maha vimoh se is maha moh se kalmay paas se tumhen koi chhuda nahi sakta. Shri Sukhdev ji kahte hain he rajan parikshit bhagwan Rishabhdev ji ke putr yadyam swayam bhagwadakaar sthiti ko prapt mahapurush the to bhi logon ki shiksha dene ki uddeshya vritti se maha prabhavshali param shravat bhagwan Rishabhdev ji ne aisa updesh kiya.

bhagwan Rishabhdev ji ke 100 putro mein bharat sabse bade the. Ve bhagwan ke param bhakt aur bhagwat bhakton ki bhi seva karne wale the. Rishabhdev ji ne prithvi ka palan karne ke liye maharaj bharat ji ka rajya abhishek kiya aur upshamsheel nivitti paraayan mahamuniyon ki bhakti gyan aur vairagya rup param hansochit dharmon ki shiksha dene ke liye aap virakta ho gaye. Keval sharir matra parigreh sab kuch chhod diya. Keval sharir digambar ho gaye. Nang dhadang sab chhod diya. Wastron ka tyag karke sarvatha digambar ho gaye. Bal bikher liye.

paaglon ka sa vesh kar liya. Aur apne mein sthit agnihotra ki agniyon ko leen karke param sanyasi ho gaye. Aur brahmavarta desh se paaglon jaisa bal bikher lena digambar hokar ke maun brahmavarta desh se bahar nikal gaye. Wo sarvatha maun jandh mook bar pishacho madak va avdhut vesho bhi bhashno jana naam git maun vat bav wah pure maun pure maun ka matlab kisi bhi tarah baat na karna na achchhi na buri na bhagvatik na prapanchik jad jad purush andhe purush bahre purush gunge purush pishachwat paaglon ki si sthiti aise avdhut shiromani apne ko bankar vicharne lage bhagwan Rishabhdev maharaj bharat ko rajgaddi par bithe diya ab wo kabhi nagron se nikelte ganvon se kabhi kisanon ki bastiyon se bageechon se pahadon se jahan jaise sharir chal raha hai bas chal raha hai raste se nikelte to jaise hath hathi ko makkhiyan satati hai.

aise hi murkh log jaan nahi paye kaun hai? Koi int marta, koi gali deta, koi jaise pagal ab nang dhadang digambar bhesh aise log bahut tang karte hain. Dekho koi dhamki deta koi marta koi peshab karta koi thuk deta koi int marta koi dhul phenkata koi pakar kar ke unke mukh ke samne adhovayu chhota koi badi galiyan deta koi mar mar karke tiraskaar karta ye hai ye vichran mein sab milta hai akele ganga kinare jaise vichran kiye to yah jeevan mein kafi samgri mili hai. Milti hai. Bhagwan dete hain paripakva karne ke liye dete hain.

tabhi sthiti paripakva hoti hai. Bhagwan Rishabhdev in baton par bilkul dhyan na dete. Bas yahi ki ye bhram hai. Yah bhram hai. Main sharir nahi hoon. Yah sab bhram hai. Yah ek swapna hai. Yah satya nahi hai. Mithya sharir mein unki ahmta mamta tanik bhi nahi thi. Isiliye dhul phenkna peshab kar dena marna pitna ye sab sab shant bhav se sah shant bada kathin hai. Bada kathin hai. Sahna kahna baat alag hai. Jab char thappad aur galiyan padti ho. Koi karan nahi. Akaran aise mar raha hai koi to us samay aapka vichar kya chal raha hai?

kya vichar chal raha hai bhagwan ne sab yah sab bhram hai yah sab asatya hai yah sab mithya hai ve karya karan rup sampurn prapanch ke sakshi hokar paramatma swaroop mein sthit isliye akhand chitt vritti se bina koi bachav paksh kiye sabke beech se nikelte kabhi ganv se nikal le kabhi pahar se kabhi janglon se sharir ki koi raksha nahi jo jaisa prhar hua use sah liya garmi sardi bhookh pyas sab yadyapi abhi tak to bahut sukumar sthiti mein rahe chakravarti samrat bada to rup to chhipta nahi bada sundar rup chaudi chati lambi lambi bahen mukh ki banavat badi sukumar par avdhut vesh aur netr to kamal dal jaise kuch lalima liye hue santap harni drishti bade sundar kan kapol nasika to kabhi-kabhi is rup ko dekhkar koi kai log mohit bhi ho jaate hain.

piche chalte hain kahte hain ki hamen to lagta hai pagal nahi par bilkul maun kisi ki taraf dekhna nahi. Koi bol raha hai to sunna nahi. Tabhi upar likha ju bar pishacho madak va avdhut vesho vibhasmano jan naam git mat babhav ganga kinare aise santo ke darshan hue aise santo ke darshan bahut kripa ek se ek mahapurush ek se ek mahapurush ghunghrali jo late thi ab wo jata ke rup mein ho gayi. Avdhuton ke shiromani bhagwan Rishabhdev ji dhul dharit malin deh vichran kar rahe. Bhagwan ne phir vibhatsa vritti dharan ki. Ghrinaspad ghrinaspad vritti vibhatsa vritti log nazdik hi na jae aisa rup bhayavna ghrinaspad phir iske baad ajgar vritti let gaye chalna hi ab jo aa jae so aa jae khane ko na mile to ye vritti hai paramhansa ki mahapurushon ki ek mahapurush agar agar purane inme se ho to yahan chaurahe par pare rahte the bhagwan das ji maharaj unko pagal se zyada kisi ne kuch nahi samjha aur wo siddh mahapurush avdhut vritti ko prapt mahapurush the pure lakshan unmein the pure lakshan phata purana kapda kabhi pahne kabhi pure digambar chaurahe par pare puri varsha ho rahi aise hi pare sardi ke samay aise pare koi kambal uda gaya koi kambal utha le gaya badi achchhi sthiti thi inme se kisi ne dekha bhagwan das ji ko pagal se zyada unko koi nahi samjhta tha aur yah siddh bilkul siddh baat ke wo siddh mahapurush hai ek pahli pahli bar jab ham sanyaas vesh mein the to inko dekha kyonki kashi aur ganga kinare prya to hamare man mein aaya ki lakshan se to pure lag rahe hain ki ye avdhut mahapurush hain.

to Radha raman ji se hamen kuliya mili. Bas usko kamdal rakhte kamdal mein rakha aur man mein aaya ki he Radha raman ji yadi ye satya siddh mahapurush sthiti ko prapt hai to hamare kamdal ko khole aur ye kuliya se aapka prasad le bas ham hamara sanshay nahi tha par logon ke kahne se aisa lagta tha ki nahi nahi pagal to nahi ye to siddh purush hai aapse satya kah rahe beech raman riti mein ek ped tha chabutra tha jo purv ke jan hai wo jante hain wo rod banne par hat gaya usi pe us din baithe mano intazar kar rahe nang dhadang aise bilkul saral bhav se

aae gale mein hath dala aur bangali bhasha mein kuch bole bangali sharir tha ab hamen bangali aati nahi kya bole hamen pata nahi aur hamara kamdal khola kuliya nikali aise do bar chata usmen rakha dhakkan band kiya bas usi samay sashtang dandvat ki kisi se praman ki zaroorat nahi Radha raman ji ne praman diya wo siddh mahapurush the aisi avdhut chyaa bilkul yathavat bilkul yathavat mahapurush ke bina aisa puri varsha ho rahi digambar aise pure aise sardi mein kambal odha gaye ek do kutte bhi aaspas so rahe kambal

mein wo bhi so rahe waise kuch din to yahan likha bhi raha hai bhagwan das chauraha phir to iske baad bhagwan Rishabhdev ji ne ajgar vritti dharan ki sosh charcha age shri Radha vallabh lal ki jai hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi