upasak ki rahni use parampad tak pahunchati hai / prachetaon ko narad ji ka updesh aur parampad ki prapti/19/07/26
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam pitam madhupte smarta mugam nirvai param shital mashyam param shital ma shraya param sacchidanand ghan Premand swaroop navni nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladlele yugal sarkar pranaaradhy shri Priya pritam jo samasth sahachari parikar khag mrig pashu panchhi yamuna ras rani raj rani samasth brajvasi parikar shri ji ke charnarvind ka dridta purvak aashray nirantar naam jap aur acharno ki sanyam purvak pavitra ye nishcha nischit atma bodh aur bhagwat prapti kara dete hain.
is par hamen apne pure jeevan ko samarpit karna hai. Shri ji ke charnon ka dridh bharosa nirantar naam jap aur acharno ki pavitra sanyam isi se bhagwat prapti ho jaegi. Isi se hamare jeevan ka jo lakshya hai wah prapt ho jaega. Zyada bhatakne ki zaroorat nahi hai. Zyada dimaag mein shastron ke prati bahut daud bhag iski zaroorat nahi. Baith jao. Sudho chale apne dharm rasikan so pritam kahe kabahu kal vritha nahi jae. Bas sidha apna marg hai bihari bihari shyama Shyam kaise chalna hai rasikon ka sang karo savdhani ek bhi second vyarth na jane pave to aapke hriday mein ek sthiti aa jaegi shripad Prabuddhanand ji maharaj kah rahe hain barambar mudasji jeevan yuga kan [gana gane ki aawaz] nikunje vish gay charitam drav bhiya sang bhujangadhit shushk patr phal bh tarseka mam pivan shri vrinda vipine kada tarutla eva vasant Shyam sukhi tarut tle eva vasam Shyam sukhi yah bahut badi rasik ki sthiti ka varnan kar rahe hain.
dhanya hai jiske jeevan mein kuch bhi is shlok ka ek shabd bhi aa gaya ho. Barambar mudas jeevan yuga kreede nikunje vish bar-bar ashubh pravah ho raha hai aur uske manas patal par nikunj ki yug yugal sarkar ki koi jhanki koi leela aa rahi hai. Pag dagmag chalat ban bihrat ruchir kunj ghankhor itne mein hi to apaar prem ki umang badh jaegi agar iska chintan ho jae pag dagmag chalat ban bihrat ban Vrindavan kunj nikunjon ki sundar vithiyon mein hamare yugal sarkar kaise prem vivash hokar chal rahe hain. Prem vivash ki ye ladakhdahat hai.
pag dagmag chalat ban bihrat ruchir kunj ghan ko aur shubh pravah ho raha hai. Hamare Priya pritam ka aisa rup hai ki dekhte hi rona shuru ho jaega. Nirakhat nitya vihar pulkit tan romavli anand ashru sudhar yah jo kripa Harivansh ki anandra pravahit hote rahte hain virah asru nahi hai milan ki akanksha wale nahi hai ye samne dikhayee de rahe hain chhuti latan lal man kar ye aake chit chor paribhan chumban alindan yah jab bhav mein dikhayee deta hai to upasak ke hriday mein ufan aata hai prem ka anand ki aisi umag bas ashubh pravah chalte rahte hain to barambar mudsu bar-bar ashubh pravah ho raha hai kiske liye bole jeevan jo hai wo yugal sarkar jiske ban gaye hain aur wo yugal sarkar Shyam Rama Shyam ki leela ka chintan karke ashubh pravah kar raha hai.
bahut sundar sundar leela Shrimad chaturashi ji mein 42 leela mein par ye jab ahmta mamta shri ji ke charnon mein purn samarpit ho jati hai tab yah khel hriday mein prakashit hota hai. Agar thodi bhi ahmta hai thodi bhi kahin mamta hai to yah parda nahi hateega. Aur ahmta mamta je hi Priya pritam ke charnon mein hui to parda hatana nahi parta. Ladli lal hi parda hata dete hain aur samne prakashit ho jaate hain. Kapt rupi maya ka parda ladli lal hata ke swayam samne prakashit ho. Phir kya hota hai?
bole barambar mudas jeevan yuga kreede nikunje vish bar-bar uske ashubh pravah ho raha hai. Pyari jo pyare jo ki rup madhuri leela madhuri samne chaai hui hai aur kabhi gay ta charitam drav nati bhiya kabhi bade dravit hriday se pad gayan kar raha hai. Ek hota hai pad gayan karte karte hriday dravit hona aur ek hota hai dravit hriday se pad gayan karna mere Priya pritam ye itni priyata bhar gayi ki jab unki leela gayan karta hai meri Priya jo mere lal jo mero Vrindavan meri kunj nikunje usko yah thodi hai ki sharir sambandhi bhog sharir sambandhi vaibhav sharir sambandhi rishte nate inka smaran rah gaya ho nahi iska smaran to Lalaju ki mand muskan dekhne matra se hi khatm ho jaata hai.
ai braj nar sunat bansi ro grihapti bandhu bisare darshan Madan gopal manohar manaj tap nivare grihapti bandhu bisare aur phir Mohini ju ki mand muskan mohan ji ko adhin kar le un Mohini jo ko jo dekh raha hai bhav desh mein use aur koi smriti rah jae nahi to mere Priya pritam mere mere shyama Shyam is bhav se dravit hokar pad gayan kar rahe hain aur us pad gayan mein itna apaar sukh hai sachchi kahte hain bas lage raho yahan shripad kah rahe gay ta charitam drav nati bhiya pehle upasak ko ye niyam lena chahiye ki mujhe vani ji gayan karni guru agyaa ka palan karne.
phir kuch samay baad ek bhav aaya ki mujhe sirf sunana hai Priya pritam ko. Hamare priy pritam sun rahe hain. Jaise sut magat bandi jan raja ka yash gate hain. Aise ham apne aradhya dev pranaaradhy jeevan dhan shri yugal sarkar ko unhin ki leela unhin ke gun unhin ke vilas unko suna rahe hain. Phir tisri jo sthiti aati hai wo swad wali aa jati hai. Ab usmen doob gaya. Swad mein main suna raha hoon. Wah sun rahe hain. Yah bhi gayab ho gaya. Bas jo vani ji ga rahi hai usi ka swad ho raha hai.
ye ashav hai. Ashav bahut nasha hai ismen. Mda ghit netram jai hit Harivansh nikat dasi jan lochan chasak rasaso gatkat ye rasas hai Shrimad chaturasi ji Priya pritam ki unmadkari premay vritt ismen bhari hui hai chaturasi ji mein gayan matra gayat charitam drav natiya aur age sangat bhujangad yah bahut suraksha ki baat hai. Jab upasak ka hriday Priya pritam ke charitra mein tanmay hone lage, leela gayan mein tanmay hone lage, tab use sang se bachne ki bahut zaroorat hai. Agar kahin sang ho gaya viparit to aisi sthiti mein bhi badha khadi ho jaegi.
dhire-dhire pad gayan se man hatne lagega. Dhire-dhire leela chintan mein aruci ho jaegi. Leela chintan ki jagah galat chintan mein ruchi hone lagegi. Jab tak deh atma bhav nasht hokar sahachari bhav ki prapti na ho jae. Tab tak upasak ko bahut savdhaan rahna chahiye. Leela chintan hone par bhi leela chintan hone par bhi savdhaan rahna chahiye ki hamara kusang na hone pave. Agar kusang ho jaata hai to dekho barambar mudas jeevan yuga kade nikunj vivash hokar Priya pritam ki nikunj leela ka chintan karte hue bar-bar ro raha hai yah sthiti aur gayat charitam drav nati bhiya wo bahut hi bhav mein dravit hokar pad gayan karta hai.
aisi sthiti par bhi shripad savdhani ka yahan adesh karte hain. Sangat bhujangadav jo bhagwat vimurkh jan hai inke sang ko saanp ke saman samjho aur bhago dur raho inse sangdat bhujangav sang ko bhujang sarp ke sang jaise sarp ka sang hua to uske hath pair to hai nahi muhn hi hai agar wo dular karega bhi to muhn se aur war karega bhi to muhn se to uska war karna ya dular karna donon baten mrityu pradan karne wali kyonki vishdhar hai. Aise hi sansarik purush dular karen bhagwat vimurkh to hamari hani aur war kare to hani to hai hi.
isliye sang bhujangad jo bhagwat vimurkh jan hai inko mansik pranam karke inse duri baname. Inka kabhi sang na karen. Sang ko aise dare jaise bhujang se dara jaata hai. Saanp se aise hai kuch aisa bandhan jo aap baad mein jaan payenge. Kusang ka bahut bada bandhan hai. Jaise satsang ka bahut bada prabhav hai. Aise kusang ka bhi apna ek prabhav hai. Chhud vyadhe mit shushk patr phal bhookh jab tumhen bhookh lage to mit shabd ka prayog kiya thoda. Ismen bahut chetna rahti hai. Jab aap zyada bhojan pate hain to aapko lagta hai main balvan banunga.
nahi galat chintan hai. Wah aapki shakti ko kshan karta hai. Adhik bhojan jo mit bhojan karta hai usmen adhyatmik shakti jagrit hoti hai. Jo adhik bhojan pata hai, charbi badhega, mans badhega, wajan badhega. Lekin jo mit bhojan pata hai wah tamogun par vijay prapt karta hai. Nidra vijay bhi ho sakta hai. Nirantar bhajan mein ruchi badhegi. Aur ek adhyatma shakti ek bahut utsah bhagwat marg mein yah mit bhojan se chhud vyadhe mit shushk patr phal bhookh chhudha rupi rog ko mitane ke liye patta patr phal ya shushk kuch bhi rukha sukha jo mil jae use dalo keval bhookh mitani aapki shakti to aapka brahmcharya hai hi.
aapki shakti bhagwat chintan hai. Dhruv ji ne apni pranwayu rok li to pure brahmand ki pran vayu ruk gayi. Yah shakti itna bada balvan kaun ho sakta hai? Jisne apni pranwayu roki sampurn brahmand ki pranwayu hari ko turant ana para. Panch varsh ke balak dhruv ji bahut sundar mit bhog thoda bhojan kijiye rukha sukha phal patta jaise chal jae jaise chal jae abhyaas se bahut pranayam paraayan aur brahmachari ye kai din tak nirahar rah ke bhi svasth purush ki tarah cheshta kar sakta hai. Lambe samay tak pranayam paraayan prannon ko sanyamit karne wala rechak kumbhk purak purak kumbhk rechak bahya kumbhk antarik kumbhk pranayam paraayan bahut jaldi nishpap hota hai pranayam karne wala jo vastvik paddhti se karta hai aur usmen naam jap mantr jab chhutne na pave aur brahmachari yah bahut kal tak nirahar rahkar bhi svasth st purush ki tarah sampurn cheshta kar sakta hai.
yah piche anubhav ki baat hai. Bilkul na chehre par udasi na nirasha na sharir mein aswasthata purn waise chetna bani rahti kyonki jo ahar se pranayam pusht hote hain usse kai guna pusht pran vayu ka sansodhan karne se pran ho jaate hain. Aur brahmcharya ek amoksha shakti hai. Yah kabhi utsahheen nahi hone deti. Utsah sampann rakhti hai. To pran poshan ke liye rukha sukha patr phal aadi jo mil jae sang se sarp ki tarah darte hue dur lilaon ka gayan aur prabhu ki lilaon ke chintan ki bhavna aise hi karo.
aise pragat mein aisi bhavna karo. Yah kunj hai. Kunj ki beech mein dekho yah vith hai. Marg hai. Pushp pushp ke pavde dale gaye. Sakhiya chhattar liye, chvar liye hain. Vyajan liye hain aur Priya pritam chal rahe hain. Jai jaykar ho rahi. Aisi bhavna karni chahiye. Kuch minute bhavna karoge to wo kripalu hai. Dekhenge bhavna mein dubna chahta hai. Wo ane lagenge bhavna mein. Bade kripalu hai shri vrinda vipine kada tarutla neva was Shyam sukhi vas jaise ban jae Vrindavan vas jaise ban jae en kin prakararen agar hamko do char ghante kisi ki chakri karni pare pocha lagana pare aur Vrindavan vas kar rahe hain to usse bada koi sadhu nahi aap chinta mat karo yah divya dham hai.
yahan kisi ki bhi paricharyaa karke udar poshan kar liya aur vas kar rahe. Bahut badi sadhna ban rahi. Narayan Swami ji aise bhiksha lete hi nahi the. Jaise kisi ke yahan kam ho raha hai to aath 10 ghante mehnat karte aur iske baad char roti sabji le lete hain. Aise siddh mahapurush hue. Kisi ki bhi ham thodi chakri kar li. Udhar poshan kar liya. Vas kar rahe hain. Shri ji ka chintan kar rahe hain. Pratigarh shunya jeevan bada mangalmay. Yah is shlok ka ek bhi shabd agar aa jae to mahamangal ho jae. Priya pritam ke chintan karte hue ro raha hai ya milan ki akanksha mein ya darshan ke anand mein Priya pritam ke charitra ka gayan karke dravit hriday hokar ke ro raha hai.
sang ko bhujang ke saman tyagta hai. Rasendriy sabse balvan indri ye bigad gayi to sab indriyan bigad gayi. Wo rukha sukha khakar khub bhajan karta hai. Jahan jaise vas ki vyvastha ho gayi santusht hai usi mein santusht aae kenva yah sthiti nischit nischit Priya pritam ke kripa patr mein hi aati hai. Ye ahankaari mein to aa hi nahi sakti. Yah jo sharanagat hai Priya pritam ke unhee mein divyta aati hai. Radha krishnanya bhavak gamyam ramyam Divya to nandna vrindaranyam sacchidanand sandra jyoti rupam divya divyam Shyam sab sadhna ka phal hai shyama Shyam ka anannya bhav aa jana sabso milbo ek so gyani ki riti bhajni soi vivek so kare samjh ke priti ye baat samjhna hai Priya pritam ka Radha krishna anannya bhavik gamyam Priya pritam ke anannya bhav wale mahapurush ka hi sang kare anya mahapurushon ki ham seva kar de hawa piya vastr jo bhi seva bane wo bol rahe hain ham sun le apne hriday ki baat ham kabhi na rakhen samne apne hriday ki baat wahi rakhen jahan Priya pritam ke prem ke marg ka pathik hai isht mile aru man mile mile bhajan ras riti tahan nishank hai milie taso kije priti savdhaan rahe nahi anannya bhav mein badha par jaegi.
sab sadhna ki siddhi hai. Apne isht ki ananyata. Shyama Shyam ke anannya bhav mein sthit hone ke liye hamen anya mahapurushon ki samne apne hriday ki baat nahi rakhni. Seva karni hai. Unki sunni hai. Manani wahi baat hai jo hamare isht guru se mile. Isht guru se nahi milti to wah baat ham nahi mante. Sun lete hain kyonki wah bhi ek upasna ki baat hai. Jab ham anannya ho jaate hain to hamare andar bhav jagrit hota hai aur jab bhav jagrit hota hai to bhav deh milta hai aur bhav deh se ramyam Divya nandna de divya anand pradan karne wala Vrindavan uske hriday mein prakashit ho jaata hai aur wah dekhta hai sacchidanand ghan vrindaranyam sacchidanand sandra jyoti swarup Divya divyam shayami oo divyat divya sacchidanand Priya pritam sacchidanand Vrindavan mein aur apne aap ko bhi dekhta hai sacchidanand Priya pritam ke samip bhav de se mano ek taratamy
shlok ka hai jo leela charitra ka gayan karte hue rudan karta hai jo leela leela charitra ka chintan karta hai jo sang se bhujang ke saman bachta hai jo mit ahari shushk ya jaisa bhi mil jae thoda padaarth pa ke jaise bhi vas ki vyvastha ho jeevan yapan karta hai shyama Shyam ka anannya hai uske andar bhav jagrit hota hai aur bhav jahan jagrit hua to apna deh bhav mita sahachari bhav mein sthiti to divya Vrindavan sacchidanand Priya pritam aur kah rahe Divya divyam jo Priya pritam ki seva ka sukh hai usse badhkar koi sukh nahi socho jinke darshan matra ke liye kaha gaya hai pyaro chhamte y sukhad naam dhyangam unko hamen snaan karane ka saubhagya milega unko shringar kar kaisa rup kaisa saundarya yahan moksh sukh bhi kadva lagta hai isliye khub khub leela charitra ka gayan karo.
sang se bacho. Kisi bhi sant mahatma ki seva karne ka saubhagya prapt ho. Khub seva karo. Uske updesh suno. Par chalo apne marg mein. Apne marg se ek bhi koi aisa rai ke sam bhi shabd na sweekar karo jo marg se alag kar de. Rai ke sam chalat hi hot aur ki or. Isiliye isht mile aur man mile mile bhajan ras riti tahan nishank ho milie taso kijiye priti nahi to chup raho ye vani ji ye mantr ji ye naam sab aapko marg age se age dikhate chale jaenge sab jagah milna koi satsang hi nahi hai hamare marg mein badha bhi ho sakti hai isliye bahut kare samujh ke priti kare samujh ke priti bhajni soi vivek so kare samjh ke priti nitya bihar Vrindavan prem ras ka upasak samjhkar sang karen nahi to badha par jaegi aur khanpan to chahe upvas karna pare par anya nahi anya ka nahi ye Vrindavan dham maharani jo ki rasmei upasna ye bahar vedatit upasna isliye ved bhi is raas ko nahi jante yahan ved rassa ki vani ab jo jahan hai.
bahut prakaar ke bhakt hain. Sab satya marg ke upasak hain. Sabki upasna satya hai. Sab pranam namaskaar yogya hai. Par hamen apni ras riti mein khanpan to kijiye rasik mandli mae. Jinke aur upasna tahan uchit dhanae. Jahan tahan ann khaat sakhi kahat apat sakal divas dwaand jat raat sarv sovah thasa. Hamari shri ji ne paya hai ki nahi? Nahi paya nahi paye. Jaise pativrata apne pati ka hi juthan pati hai. Pativrata apne pati ke hi charnon ka sparsh karti hai. Anya ka nahi. To yah Harivansh pativrat hai. Jinke sukh sampatti dampati joke ye hamara patirat dharm ki tarah yugal sarkar ki upasna mein Radha charan pradhan ye upasna shri Radha jug charan nivas yah upasna yugal prem ka yah nij mahal hai aur nij sachariyo ke dwara hi is rahasya ko jana ja sakta hai.
bahar bade-bade vidvan bhi is rahasya ko nahi jaan sakte. Jab apni thesak aa jati hai to koi thesak wala hi samjh sakta hai. Anytha buddhi se shastron ka swadhyay karne wala is rahasya ko nahi samjh sakta. Isiliye bhagwat rasik ji ko likhna para. Bhagwat rasik rasik ki baten rasik bina ko koi ko samjh sake na rasik bina ko ye hamen bahut bada saubhagya mila hai ki hamen Vrindavan dham mein Priya pritam ki rasmei upasna Radha charan pradhan upasna karne ka saubhagya dekho Swami shri haridas jo maharaj kah rahe hain shri haridas ke Swami shyama kunj bihari reejhri ji payan parad sakhiyon ki aradhya bhagwat rishik ji kah rahe isht shyama maharani jugal kishor upasna mein pradhanata isht shyama maharani Harivansh mahaprabhu mere prannath shri shyama
shpath karo tri Shrimad sudha nidhi mein kah rahe tad bhavatsavta param bhavat mein tat prannathe rati mam prannathe tat prannathe rati aapke prannath Shyam sundar mein meri rati priyaju isliye ho ki wo aapke bhavotsav ke liye aapke sukh ke liye lekin mam prannath mere prannath shri shyama ye aapko vedatit upasna hai isliye ved mein bhi nahi milega aur kahin kisi upasna mein jo Priya ji ke charnon ke sanidhy mein nirantar rahti un sachariyo ka jinhone aashray liya hai unhee mein yah bhav milega anytha yah bhav bada gadh hai na dev brahma na khar bhakt na suda isiliye isht mile aur man mile Radha Krishna anannya bhav gamyam bas hamko jeevan mein puri ek baat lani hai Priya pritam ki ananyata ab is ananyata mein mridulta rahe karkasta nahi dhyan rakhna is ananyata ko yadi kathorta mein parivartit kar diya ya varnan karne lage ya aacharan mein utar liye varnan karne ka matlab anya ki avhelna avhelna nahi hai bahut sulajhna hai avhelna to ghor papi ki bhi nahi hai ye krura papino na sabhas drishya sar
param swadhya buddhimam mere Radha vallabh lal hi sab mein virajman hai. Avhelna kisi ki nahi par hriday ki anannya nishtha mein koi fark nahi. Agar avhelna kiya to ananyata kathorta mein aa gayi. Vani se aap agar to phir hua varnan hone laga kathorta ka. Ananyata ka nahi. Katarta nahi sarasta hai. Katarta nahi sarasta hai. Hamari upasna ki sthiti Radha charnarvind mein sahachari bhav ki siddhi hi hoti hai Priya charnarvind se aur isse rasdatri priyaju ke charnarvind ki priyata dekhkar ke ras sindhu ras ghan mohan murtim Lalaju apaar prem karte hain Radha dasiyom se ye bahar ke kya jane aur ham apaar prem karte hain Lalaju se kyon kyonki hamari ladli jo ke sukh hai hamari ladli jo kya kah rahi mu ko to bhavati thor pyare ke nainan mein shyamaju kya kah rahe hain mere tan man pran hoon te pritam priy to ham unki dasi hai to meri swamini ke tan man pran hote te pritam priy to ham unko kitna pyar karenge karodon prannon se badhkar par kiske liye shyama ji ke liye ye ye bhav baitha andar Vrindavan nitya vihar ras upasna ka ekantik bhav Radha Krishna anannya bhavik gamyam ramyam aap socho jin bhagwan shri Krishna ke ek bar jara sa bhi darshan ho jae to bade-bade divyatma mahatma bavare ban jaate hain.
shri Sukhdev ji ko to pehle shlok ke dwara bhawnatmak darshan hue. Aisa thodi ki bhagwan samne prakt ho gaye. Nahi jab gaya barha peedam natvar karan karnikaram vid vasa kanak kapisam vaidti chamala randhan veno radh sudhya puryan gop vrind vrindarnam supad gamnam pravit geet kirti itne siddh mahapurush ki wo shabd jab shravendra mein gaya to samne wahi natvar vap 18 hazar shlok kanthsth kiye jakar ke bhagwan ki leela ras se bhari hui Shrimad bhagwat mahapuran ki rup shabd ke dwara gaya to Paramhans shiromani Sukhdev ji aasakt ho gaye.
ab aap vichar karo yah natvar bu rup hai jo Vrindavan mein aur wah yugal rup jo navni nikunj Vrindavan mein galbiya diye hue hain wah rup wah rup jinke nikash kunj thade bhay bhuja paraspat hans shri Radha vallabh mukh kamal nirakh nain Harivansh kya dasha hogi us upasak ki kya dasha hogi aur wo upasak jo inheen rupon ko snaan karata hai shringar karata hai bhog pavata hai chidanand bapu wo muskura rahe hain baat kar rahe hain khel rahe hain raat din unke saath rahna is saubhagya ko koi nahi jaan payega payega. Yah rahasya hai.
isliye apne logon ko priyaju ne ghaseeta. Samasth upasnaon ke margo se ghasit karke hamen apne nitya vihar ras ab aisi udaar swamini ke anannya ho jao. Isi ananyata mein sab kuch prapt ho jaega. Chalte hain Shrimad bhagwat mahapuran. Prasang chal raha hai. Prachetaon ne 10,000 varsh tak samudra mein khade hokar ke devdhidev mahadev bhagwan shankar ke dwara batae hue Rudra geet ke dwara bhagwan shri hari ki aradhna ki. Kal prasang mein tha bhagwan shri hari Garud par savar hokar ke darshan diye. Prachetaon ne bhagwan ki stuti ki.
sampurn stuti ho jane ke baad bhagwan ne kaha vardan mango mera darshan kabhi nishphal nahi jaata. To unhone kaha prabhu aapse koi vishay padaarth mange wah to aisa hi jaise chakravarti samrat se koi bhusi maang le ya kan maang le tute hue chaval ke bhusi kan maang le samrat se aise hi aapse koi tribhuvan ka bhog mange to aise hi wo wo murkhta hogi jo aapse bhog mange nath ham to aapse mangte hain kya mangte hain ya maya spasht bhrama karmabh tavat bhavat prasang naam sang sya bhave bhave tulya lave na swargam na punrabh bhav bhagwat sang sangas myaa naam kimta yatrate katha mrishnaya praso yata niram yatra bhute no dwego yatra kashchan he prabhu aapki agyaa hai ki aap vardan mango.
to main aapse yahi vardan mangta hoon ki apne karmu ham aapse apne karmon ko nasht nahi karana chahte. Apne karmu sansaar mein jab jab janmu tabat hamen aapke premi bhakton ka sang prapt ho. Karm ke anusaar jahan jahan mera janm ho wahan bhakton ka sanidhy mujhe mile jo aapke premi maha bhagwat hai. Prabhu ham to bhagwat bhakton ke kshan bhar ke sang ke samne swarg aur moksh ko bhi kuch nahi samjhte. Phir manweey bhogon ki to baat hi kya hai? Tulyam lavena na swargam na punabhwam bhagwat sang sangas ma naam kitasha prabhu aapke bhakton ke samaj mein sada sarvda madhur madhur aapki kathayen hoti rahti hai aur un kathaon ko jo apne kano se sunta rahta hai uski bhog trishna shant ho jati hai uske hriday ka vair viro krodh udwag shant ho jaata hai aur ant mein wah bhagwat prapt ho jaata hai jo katha sunta rahta hai.
achhche-achhche katha prasangon dwara nishkam bhav se sanyasiyon ke ekmatra aashray bhagwan shri hari ka bar-bar gunanuvad hota rahta hai. Jahan aapka gunanuvad hota rahta hai wahan sare tirth virajman rahte hain. Param mano aap satsang sun rahe hain. Param tirthon ka avgahan kar rahe hain. Kyonki jo aapke bhakt jan hain agar wah tirthon mein jaate bhi hain to tirthon ko teerthatwa pradan karne ke liye jaate hain. Tesha vichta padabhyam tirth naam pavne chhaya bheetas kim naro chet tavka naam samagam prabhu aapke bhakt jan tirthon ko teerthat pradan karne ke liye vichran karte hain.
bhala aise santo ka samagam mujh jaise sansaar se bhayabhit hue purush ko kaise ruch karna hoga. Prabhu yah aapki ahetu ki kripa thi ki aapke priy bhagwan shankar ka mujhe darshan hua aur updesh prapt hua. Kshan bhar ke sang ka mujhe aaj yah phal mila ki janm maran rup dushadhya rog ko mitane wale shreshth vaidya he bhagwan aapka darshan prapt hua. Prabhu hamne samaahit se jo kuch adhyan kiya apne Gurudev ki nirantar seva sushra ki aur jo apne pujya janon ko prasann kar liya us sab ka phal mujhe mila ki aapka darshan hua he swameen aapki mahima mahima ka par koi bhi nahi pa sakta.
swayambhu Manu swayam brahma ji bhagwan shankar jo tap aur gyan se shuddhit hue bade-bade mahapurush aapki mahima ka gaan karte rahte hain par par nahi pa sakte. Atah prabhu ham aapki mahima ka par kaise pa sakte hain? Jitni buddhi aapne di hai ham aapka yashogan karte hain. Aap sarvatra saman shuddh swaroop param purush hai. He bhagwan Vasudev ham aapko namaskaar karte hain. Shri maitrey ji kahte hain vidur ji prachetaon ki is prakaar stuti karne par sharanagat vsal bhagwan prasann hue aur tathastu aisa hi ho. Apratihat prabhav shri hari ki madhur murti ke darshanon se abhi prachetaon ko tripti nahi hui thi ki bhagwan achanak antardhan ho gaye ye chij yahan Vrindavan upasna mein nahi hai ki wo aae darshan diye antardhya hue yahan chhin chhin bihrat sang chhin chhin chhin nirakhat prem bhari ek bar keval sakshatkar ho ek second ke liye kabhi aap vilag nahi honge.
yahan prachetaon ke abhi netr tript nahi hue the aur bhagwan antardhan ho gaye. Paramdhaam ko chale gaye. Prachetaon ne samudra se bahar nikle to dekha sari prithvi ko unche unche vrikshon ne dhak liya. Jo mano swarg ka marg rokne ke liye itne badh gaye ho. Bade kupit hue vrikshon par ki jab vriksh itne badh jaenge to praja kahan rukegi? Ab unke paas tap rupi bal tha. To prachnd vayu aur agni donon ko sankalp kiya aur chhod diya. Tapasya mein badi samarth hoti hai. Prachnd vayu aur agni ke prabhav se bade-bade vriksh bhasm hone lage.
to brahma ji aa gaye aur kaha prachin bar ke putro shant ho jao shant ho jao. Agyaa hui punah sankalp kiya. Vayu aur agni shant ho gaye. Kafi vriksh bhasm ho chuke the. Vrikshon ne ek kanya ka palan kiya tha. Kal dhyan se agar suna ho pram locha Apsara se jo kanya hui thi chandrama ne poshan kiya tha amrit anguli ke dwara aur vrikshon ne palan kiya tha. Jab vrikshon ne dekha ki agni aur vayu ko shant kar liya to wo kanya lakar ke brahma ji ke prachetaon ko di. Prachetaon ko brahma ji ne kaha yah wahi hai jiske liye bhagwan ne adesh kiya tha ki tum dason ki patni ek hi uska naam marisha aur itni sundar thi ki devta bhi mohit ho jae.
brahma ji ke adesh se 10 prachetaon ne mareesha ji se byah kiya. Inheen ke garb se brahma ji ke putr daksh ne shri mahadev ji ki avagya ke karan apna purv sharir tyag kar janm liya. Inhi daksh ne chakshus manvantar ane par kal kram se purv sarga nasht ho gaya. Bhagwan ki prerna se naveen praja utpann ki. Prachetaon ki agyaa se aapko dhyan hoga jab bakre ka sir lagaya gaya tha yagya pura hone ke baad daksh ji ne ghrna hui us sharir ko tyag diya to inheen pracheta aur marisha ke garb se punah unka janm hua.
yah bade tejasvi janm se aur bade kushal the. Isiliye inka naam daksh hua. Prajaptiyon ke nayak ke pad par punah inko abhishikt kiya gaya. Mareech aadi dusre prajaptiyon ko ye apne apne karyo mein niyukt karne wale hue. Dhyan se suno. 10 lakh varsh tak jawan lekar vishyon ko sevan aisa bhagwan to 10 lakh varsh aise vyatit ho gaye ki pata hi nahi chala prachetaon ko mareesha se byah hokar 10 lakh varsh yahan anubhav karne chale hain. Kuch to balyvastha mein hi samay nasht ho gaya aur piche ke kuch vriddhavastha ke beech mein jo bacha usmen kafi samay nind mein chala gaya pramad mein chala gaya anubhav bhogon ka kya kar paoge kitna kar paoge vivek 10 lakh varsh prachetaon ke jab bhog mein vyatit hue tab unko dhyan aaya ki kitna kitna samay vyatit hua?
bole 10 lakh varsh turant pehle ka bhajan tha na marisha ko putro ko sab sukh samgri ko tyaga aur ghar se nikal pare. Paschim disha mein samudra ke tat par jahan jajalya muni ne siddhi prapt ki thi. Wahan pahunchkar sadhna prarambh ki. Purwa abhyaas isiliye purv mein bhajan to ant mein bhi bhajan unko thode hi dino mein gyan ho gaya ki main atma swaroop hoon. Atma vichar brahm satra mein sthit ho gaye. Ye sabse badi gyan yagya hai. Main atma swaroop hoon. Main sthul sharir nahi hoon. Sukshm sharir nahi hoon.
main karan sharir nahi hoon. Unhone pran man vani drishti ko vash mein kiya. Sharir ko nishcha sthir sidha rakhte hue asan ko jeetkar vishuddh param brahm mein sthit brahmaakar vritti jahan brahmaakar vritti mein sthit the usi samay dekha Gurudev samne virajman devrshi narad ji narad ji ko aaya dekhkar ke pracheta gan khade ho gaye pranam kiya desh kal ke anusaar puja ki asan mein narad ji baith gaye. Tab narad ji ne kaha prachetaon is lok mein tum dhanya ho. Ye bhagwan ka sakshatkar aur brahm bodh donon hai prachetaon ko.
narad ji ne kaha ta janmata karan tadan mano vach nanam yene vishwatma sevyate harireeshwar is mrityu lok mein tum dhanya ho kyonki usi ka jeevan dhanya hai jiska janm jiska karm jiska ayu jiska man bhagwan shri hari mein lag gaya hai. Manushya lok mein tum dhanya ho kyonki manushya lok mein wahi janm dhanya wahi karm dhanya wahi ayu dhanya wahi man dhanya wahi vani dhanya jo bhagwan ke sevan mein bhagwan ke bhajan mein wo samay dhanya wo vani dhanya wo jeevan dhanya wo janm dhanya kim janmabhastave Shukl savitra yagya karm podha shrute tapsa vakam vachit vatta bhi buddhyava kim nipunya baldriy radhsa kimwa yog sakhan nyaas swadhyay yorpi kim vayo har na yatma prado hari jinke dwara apne swaroop ka sakshatkar hota hai.
yadi un shri hari ka bhajan na kiya gaya. Is janm mein shri hari ko na prapt kiya gaya to mata-pita ki pavitra se kya yagya pavitra sanskar yagya diksha in shreshth janmon se kya vedokta karmon se kya devtaon ke saman dirgh ayu se kya sampurn shastr ke gyan se kya tapasya se kya vani ki chaturi se kya smaran shakti se kya teevr buddhi se kya bal se kya indriyon ki patuta se yog se atma atma ke vivek se sanyaas se veda adhyan se vrat se vairagya se kya yadi shri hari ko prapt nahi kiya gaya to sab vyarth ho gaya vastav mein samasth kalyanon ki avadhi hai bhagwan ka darshan aur atma bodh bhagwan ka darshan aur atma bodh ye donon baten prachitaon ko prapt ho gayi hai.
isliye kaha tum dhanya ho. Jis prakaar vriksh ki jad mein seenchne se uske tana shakha upshakha sabhi ka poshan ho jaata hai. Yatha tar mul nishachne tapyati tat skand bhujo shakha pranoharathendriyam tathav sarwaran ma tejya jaise kisi vriksh ki jad mein jal chadha do to pure dal mein patte mein pushp mein sab mein pahunch gaya. Jaise kisi ko bhojan pawa do prannon mein to samasth indriyon mein sharir mein sab mein pushta pahunch gayi. Aise bhagwan shri hari ki puja karne se pure vishv ki puja ho jati hai. Jab Durvasa ji Duryodhan ki prerna se maharaj yudhishthir jab vanvas mein tab gaye to unki avyvastha thi ki itne rishiyon ko ek saath kaise pavaye aur batoi bhi Draupadi ji ne pakar dho ke rakh di.
bhagwan ne ek sheet jab nikala paya to pura vishv tript ho gaya. Kah rahe hain shri hari ki puja matra se sampurn vishv ki puja ho jati hai. Jaise kisi vriksh ke mul mein jad mein pani lagao to pura dal patta sab mein ho jati hai. Ye sara charachar jagat bhagwan shri hari mein prakt hua hai. Shri hari mein vas kar raha hai aur shri hari mein hi lay kar jaega. Yah vishwup bhagwan hi hain. Bas yahi janna hai. Jaise surya ki prabha surya se bhinn nahi hai. Aise ye jagat bhagwan se bhinn nahi hai. Bhagwan hi bane.
hamari jab tak malin buddhi tab tak ye prashn bana rahega ki ye jagat bhagwan kaise ho sakta hai? Koi dusht swabhav wala hai, koi aisa, koi aisa. Ye sab bahari mayakrit darshan hai. Badal, andhkar aur prakash ye akash se prakt hote hain. Akash mein rahte hain. Aur akash mein leen ho jaate hain. Par tino se akash pare hai. Isi prakaar satogun rajogun, tamogun ye bhagwan se prakt hote hain aur bhagwan mein hi leen ho jaate hain. Inka pravah bhagwan se hi chalta hai. Par bhagwan in sabse pare hain. Jaise akash. Atah brahmad samasth lokpalon ke ishwar bhagwan shri hari apni atma hai.
aisa jo manta hai wah gunon ke pravah se mukt hokar jeevan mukt mahapurush ho jaata hai. Dekho sevak ji anubhav kar rahe hain. Bade rasik mahapurush hai. Kaun hai atma? Bole atma Harivansh pragat parmanand. Parmanand swaroop Harivansh hi hamari atma hai. Yahan kah rahe hain shri devrshi narad ji sarv lok palon ke adheeshwar shri hari ko apni atma ke rup mein jo anubhav karta hai wah jeevan mukt mahapurush ho jaata hai. Wo gun pravah sansaar ka mano sanhaar kar dala. Uske liye sansaar hai hi nahi. Bhaktavatsal bhagwan jeevan par daya karne se bahut prasann hote hain.
teen baten mahaprabhu chaitanya dev ji ne sanatan ji ko updesh kari. Jive daya name ruchi vaishnav seva agar naam jap chal raha hai sabke prati daya ka bhav hai aur sadhu mahatma vaishnnon ki seva ka bhav bole isse badhkar koi updesh nahi name ruchi jive daya vaishnav seva isse badhkar koi yahan bhi kah rahe hain devrshi narad ji ki bhaktavatsal bhagwan daya sarwabhute santushtya en kenva sarwendra shant tasu janardan bhagwan uske upar bahut jaldi prasann ho jaate hain jo kisi se ladai jhagda nahi karta chhal kapt nahi karta ninda stuti nahi karta bada pyarmay jeevan bhakt
ka hota hai sabse pyar mein jeevan sab jeewo par daya daya sarwabhute aur santusht ken ye bahut badi baat hai har sthiti mein prasann raho ya har sthiti mein kahe ko jalo kahe ko santusht aae kenva har sthiti mein jaisi bhi paristhiti hai usmen raji raho joi joi pyaro kare soi moi bhave kay ko asantusht hote ho har sthiti mein khanpan vas vihaar jaisi bhi paristhiti bhagwan ne mere yogya diya hai isliye ham raji hai aur sarwendrrip shantyach apni indriyon ko vishyon se nivraat karke shant kar
liya to bhagwan janardan isi se prasann ho jaate. Naam jab chal raha hai dusron par daya ka bhav hai. Kisi se koi rag dves nahi aur indriyon ko vishyon se nivraat karke shant kar liya wo bhagwat prapt mahapurush yah teen aisanaen hain jo jeev ko khai ki tarah gira leti hai. Bhagwat prapti nahi hone deti. Putrana vishna aur lokna abat sakal malatmanya virat medhit bhavnopta jisne sakal enaon se apne ko bacha liya putrana kamini kam bhog vitt rupya paisa sona chandi lok naam ho jae kirti man pratishtha yah vasnae hain teen prakaar ki jo jeev ko nasht hi kar deti akhri tak bach wahi pata jo hari guru sharanagat hai aur nirantar savdhaan naam japak hai jahan ye teen ainaen nikli kanchan kamini kirti to antahkaran apne aap shuddh ho gaya aur antahkaran shuddh hua to wahi bhagwan virajman hai prakashit ho jaate hain bhaktadheenta ko charitartha karte hue hridaykash mein hi bhagwan prakashit ho jaate hain.
jinki teen ashnaen nasht ho chuki hain. Putrashna vitt lok kanchan kamini kirti pracheta ganon bhagwan to apne ko jo sarvasv manne wala hai us par nyochhavar hote hain. Jo bhagwan ko sarvasv manta hai usi par bhagwan apna prem nyochhavar kar dete hain. Param rasagya param kripalu akinchnon ki ananyashra ahetu ki bhakti ke vash ho jaate hain. Bahut sundar jo param dhan shri bhagwan ko manta hai. Aapke paas sampatti kya hai? Bole shri ji dampati sampatti pai hai yah dimaag mein baith jae hamari sampatti kaun shyama Shyam devrshi narad ji kah rahe pracheta ganon jo bhagwan ko hi sarvasv manta hai aise par bhagwan apna prem nyochhavar kar dete param rasagya param kripalu bhagwan akinchnon ke param dhan hai aur ananyashraya anyashray jiska nahi o ke adhin ho jaate hain adhin ho jaate hain jo log shastr gyan ke abhiman mein dhan ke abhiman mein kul aur vidhwata ke abhiman mein unmatt hokar aise nishkinchan sadhu janon ka tiraskaar karte hain.
un durbuddhiyon ki puja to prabhu kabhi sweekar nahi karte aur unki durgati hoti hai. Hota hai aisa aisa hota hai. Jab ab shastr ke gyan ka abhiman hota hai aur khub vaibhav hota hai to unki ek unmattata hoti hai to jo akinchan bhagwat ashrit jan hain unka apman karte hain jakar. Kyon ma tark lekin agar magar aise bahut tarah se jo aise nishkinchan bhagwat premi mahatma sadhu janon ka tiraskaar karte hain. Un durbuddhiyon ki bhagwan kabhi puja sweekar nahi karte. Agar unko lagta ho ki main ekant mein bhagwan ki badi puja karke prasann kar lunga aur aise bhakton ka apman kar dunga to unki durgati hoti hai.
bhagwan unki puja sweekar nahi karte. Devrshi narad ji kahte hain bhagwan kisi ki puja ki akanksha nahi rakhte. Wah swarupanand se paripurn hai. Are mahalakshmi unke charan chapti rahti hai. Wo bade-bade devta brahmad stuti karte rahte hain. Unki parvah nahi karte. Par itne par bhi unke jo din akinchan bhakt hain aise bhagwan unke adhin rahte hain. Goswami shri tulsidas ji maharaj kah rahe hain jo pe kripa Raghupath kripalu ki bair aur ke kaha sare dhyan dijiega hoi na bako bar bhagat ko jo koti upay kare yadi bhagwan shri hari kya das hai nirantar unke bhajan mein hai unki kripa mein duba hua hai to tribhuvan mein aisa kaun hai jo aise bhakt se bair kar sake kaun aisa tribhuvan mein paida hua jo bair kar sake aise bhakt se aur bair karke surakshit rah sake hoi na bako par bhagat ko jo ko koti upay kare karodon upay karke dekh le bhakt ka bal bhi banka
nahi ho sakta kyon kyonki bahut bade shri hari unka wo das hai aur nirantar unke chintan mein hai take nich jo meech sadhu ki so pa teh meech mare ved vidit Prahlad katha suni ko bhagti path pav dhare bahut savdhaan bhakton se bahut savdhaan bhagwan ke jo din akinchan bhakt hain bahut savdhaan ye rakh mein chupi hui aag hai chherd mat do namaskaar bas naam jap karo unke vachan suno inko aisa na samjho are bahut bade ke hain hiranyakashyap panch varsh ke Prahlad ji to kah rahe ved vidit Prahlad katha sun ko na bhagat path pav dhare kya bigad liya tribhuvan pati hiranyakashyap ne bal bhi ek nahi tod paya Prahlad ji ka aur phir faad ke phenk diya narsingh bhagwan ne dahad mein murchhit ho gaya tha tribhuvan pati mahabalshali mahan tapasvi hirankashyap bhagwan narsingh jab khambha faad ke dahad ke nikle to dhaal alag padi thi, talwar alag padi thi.
burchhit para. Bhagwan ne ai uth khada ho. Bahut virata hakta tha. God mein utha ke sab vardan yad dila ke aur faad diya bhagwan ne. Take nich jo meech sadhu ki so paah meech mare jo pe kripa Raghupath kripalu ki bair aur ke kaha sare gaj udhari hari thapyo vibhishan dhruv vichal kabahu na tare amrish ki saap surti kari ajhu maha muni glani gare bhagwan ne grah ka udhar karke gaj ko bacha liya Ravan ka nash karke vibhishan ko lankadhipti banaya aaj bhi avichal padvi par dhruv virajman hai aur uttam aur suruchi donon mare gaye amrish ji ki katha par jara chintan karo to aaj bhi yad karke Durvasa ji glaan se yukt ho jaate hain.
shodho kaha jo na kiyo sujodhan abudh aapne man jare prabhu prasad saubhagya vijay jas Pandav nay bariyai bare kya shadyantra nahi racha Duryodhan ne pandavo ke liye lekin jai saubhagya yash kirti ye pandavo ko mili aur nash ho gaya bhagwat virodh karne wale bhagwat bhakt virodh karne wale kaurvon ka joi joi kup khago par kaha sosat phir te kup par sapne sukh na sant drohi kaha sur tar so pharanni phare goswami ji kah rahe yadi bhakton ke liye kuan khodoge to are dusht usi kua mein girkar tu marega kul samet jo bhakt se sant se var karega swapna mein kahin bhi kisi bhi lok mein sukh shanti nahi pa sakta.
hai ka ke dwa shish ees jo hath jan ki si chare tulsidas Raghuvirr bahubal sada abhay kan na dare goswami ji kah rahe kaun aisa paida hua hai sansaar mein do shish wala jo bhagwan ke jan ki sima ko chu sake. Marna aur pitna to bhagwan ka agar vidhan hai koi ahankaar nasht karana wah baat alag hai bhagwan ka koi vidhan nahi kah rahe kaun aisa do sir wala paida ho gaya jo bhakt ki sima ko chu sake goswami ji kahte ham to bhagwan shri Ram ke bahubal se sadaiv nirbhay rahte hain. Bhagwan ki bhujdand apne janon ki raksha karti rahti hai.
abhyad bhuj dand mul peen sushanukul kisi se dar nahi. To devrshi narad ji kah rahe hain ki jo durbuddhi bhagwan ki puja ka bal rakh ke bhagwan ke bhakton se droh karen. Unko kasht pahunchave. Sadhu janon ka tiraskaar karen to bhagwan unki puja sweekar nahi karte. Unki durgati hoti hai. Kyon? Bhagwan swarupanand se paripurn hai. Mahalakshmi jinke charan chapti rahti, bade-bade devta jinki stuti karte rahte hain. Aise bhagwan bhi apne akinchan bhakton ke adhin hai. Aise karuna sagar shri hari ke bhakton ka sang unki aradhna naam jap bhagwan ka aashray yahi maya prapanch se mukt karta hai.
shri maitri ji kahte hain vidur ji bhagwan narad ne prachetaon ko bhagwan ke bhakton ki mahima aur bhagwan ki aradhna aur atma bodh iska updesh dekar brahmlok ko chale gaye. Pracheta gan paap rupi mal ko dur karne wale bhagwan ka darshan kar chuke the. Je bhi pracheta ganon ne dekhavarshi narad ji gaye apne swaroop mein sthit sharir chhod diya aur sab ke sab bhagwat prapt hue bhagwat dham ko gaye is prakaar narad ji aur prachetaon ka ye mahan milan ye bhagwat sambandhi katha aapko sunai maitre ji vidur ji ko kah rahe shri Sukhdev ji ne kaha yahan tak swayambhu Manu ke putr uttanpad ke vansh ka varnan hua.
age jo ham aapko charit sunaenge wo maharaj priyavrat ka pavan charit. Aaj yahi vishram karte hain. Shri Radha vallabh lal ki ji
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- bhajan ka sacha swaroop ! //27/09/2026 — guru nishtha ke liye aapne ya guru samarpan ke liye jo abhi batchit ki hai to bade chode mein aur khule mein aaj sab charcha karte hain. Ham log kahan asfal kyon ho jaate hain maharaj ji kyon aisi accha…
- ananyata se hi hoga sab kuch prapt ! // 26/09/26 — ham log bhagwan ke sharanagat jan hai. Priya lal ke sharanagat jan hai. Lekin sharanagati ka rahasya na janne ke karan bahut varsho tak ya janm pura vyatit hone tak hamara jo bhagvatik anand hai wo spurit…
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…