॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Uddhav ji dwara shrikrishna lilaon ka smaran/ vidur ji evam maitrey ji ka milan // 27/06/26

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hrid itam madhupte smarta mugram nirvai param shital mashyam param shital may chalte hain Shrimad bhagwat mahapuran jo bhagwan ka sakshat vangmay swaroop hai. Prasang chal raha hai. Shri dharm ke murtiman avatar vidur ji maharaj sampurn tirthon ka bhramn karte hue jab yamuna ke pavan kulin par aae to wahan Uddhav ji ko rote hue dekha. Brihaspat shishya jo sampurn gyan se yukt hain. Bhagwan shri Krishna ke mitra jo sampurn bhakti se yukt hain. Aur shri Krishna prem ke murtiman swaroop jo gopi jan hai unka satsang jinko prapt hua aise premi mahabhagvat is tarah udas khinn aur rote hue yah dekhkar vidur ji ko bahut hi ghbarahat paida hui ki aisa mahabhagvat kisi vishesh paristhiti mein wo vishesh paristhiti sabse vishesh ho sakti hai kyonki sadharan dwandon mein to bhakt jan hi nipat lete hain.

ninda stuti man apman labhan sukh dukh yah to bhagwat swaroop hai. Bhagwan ne Uddhav ji ko kaha hai ki Uddhav ji mere se anu matra bhi kam nahi hai. Aise Uddhav ji Uddhav ji ne dekha maha bhagwat dharmraj ka swaroop sakshat vidur ji khade hue hriday se lagaya vidur ji ne kaha Uddhav ji aapki sthiti dekhkar ke hamen badi ghbarahat ho rahi hai. Aap bataiye kya baat hai? To unhone bhagwan ki lilaon ka gayan karte hue bataya ki aaj main shri Krishna se pragat mein rahit ho chuka hoon. Arthat bhagwan shri Krishna antardhya ho chuke hain.

aur aapne jin jin ka prichay pucha kaurwanshiyon ka yaduvanshiyo ka sab padhar gaye. Bhagwan ke kal ne sabko samet liya hai. Main un bhagwan se rahit ho chuka hoon jinhone chhathav din hi Putna jaisi raaksasi ko wo padvi di jo dhaay maa ko di jati hai. Inse badhkar kaun dayalu hoga? Jo vish pilane aa rahi hai. Usko param pad de rahe hain jo maa ko milna chahiye. Tanavarta aghasur, bakasur, dhenukasur, pranambasur in sab ka udhar karne wale main shri Krishna se rahit ho chuka hoon. Kali deh mein aisa vish pyas se vyakul hokar gaue, bachhde, sakhajan, gwal bal ye sab jal piye aur sab ka pranant ho gaya.

bhagwan ne dekha ki are tum mere leela vihar ki bhumi ko dushit kar raha hai. Apni amritmai drishti se ek kshan mein samasth sakha gwal bal bachra sabko jivit kar diya. Unko aisa laga mano main so ke utha hoon. Kisi ko yah bhan nahi hua ki hamara sharir pura ho gaya tha. Bhari vish aisa kali dah ka vish tha ki upar se agar pakshi ud jae to giraj ke mar jae. Aisa dhua uthta rahta tha vish ka. Bhagwan us dah mein kude Kaliya ke man ka mardan karke usko agyaa kari yahan se ramnak dweep jao aur sampurn kali deh ke jal ko vish rahit amritmay kar diya.

ek drishti matra se bhagwan ki amritmay drishti hai. Shri bhagwan ne bade-bade tapasvi jan muni jan brahm rishi jan Paramhans jan aur yahan tak ki swayam brahm vidya jo gopi bani akar ye gopi koi sadharan nari nahi hai. Ye divya mahatma hai jo gopi sthiti ko prapt hue hain. Aap aisa samjho jaise rashtrapati pad hai koi stri purush nahi wo pad hai usmen koi bhi ja sakta hai hamare bharat ka koi bhi adhikar wo ek pad hai usmen koi bhi ja sakta hai aise hi gopi ek pad hai gopi bhav ek pad hai jaise sakha bhav to lagta hai keval purush ja sakte nahi koi bhi balak vridh stri purush koi bhi bhagwat sakha bhav kar sakta hai.

koi bhi dasy bhav kar sakta hai. Yah padwiyan hain. Mahan prem ras marg ki yah padya hai. Bhav sthitiyan shant bhav dasy bhav sakhya bhav vatsalya bhav gopi bhav bhagwan ne un rishi muni un shruti ki richave un paramhansa ke jinke hriday mein kanta bhav prakt hua. Unko banseenath se mohit karke adbhut raas sukh pradan kiya. Brajvasyon ko sukh pradan karte hue shri bhagwan pragat leela mein 11 varsh tak braj mein Uddhav ji vidur ji se kahte hain iske baad bhagwan shri Krishna apne mata-pita Devki vasudev ko sukh pahunchane ki ichchha se baldev ji ke saath akrur ji ke dwara Mathura padhare.

wahan shatru samuday ke Swami mahabalwan kans ko kans koi sadharan balvan nahi tha. Kuliya ped hathi dason hazar hathiyon ka bal rakhta tha. Usko apne adhin kiya. Bade-bade rajaon ko parast aise khelte hue kar de. Tab Jarasandh jaisa mahabalshali raja jo 20,000 rajaon ko bandi banae hue tha. Apni do putriyon ka byah kans se kiya. Rijh kar aisa mahabalshali bhagwan kans ko unche simhasaan se kes pakar kar ghaseete hain. Kyon? Isne Devki ji ka sarvpratham kes hi pakda tha gala katne ke liye. Jab akashvani hui ki athwan putr teri mrityu ka karan banega.

to aaj jisse putr hoga usi ko nahi rakhunga. Bhagwan ne simhasaan se patak diya. Patakte hi uske pran chale gaye aur usko kes pakar kar ghaseeta. Wahi bhagwan Sandipni muni ke dwara apna shishyat pusht karne ke liye ek bar ucharan kiye hue sangopang charon vedon ko dharan karte hain. Kaun bhagwan padh rahe hain? Jinki swason se vedon ka pradurbhav hua hai. Jaki swas ved shruti so hari padhe. Yah achraj shishyatwa jo log kahte hain bina guru ke kya kalyan ho sakta hai? Unko udaharan lena chahiye.

kya jagatguru bhagwan shri Krishna ko kisi ke shishya banne ki avshyakta hai? Kaun sa gyan prapt karna hai? Kaun sa mantr jitne mantr jitne gyan sab aapke hi to hain. Kya bhagwan mariyada Purushottam shri Ram ko kisi ko guru banane ki zaroorat hai? Lekin yog vashishta mein dekhiye guru pad mein Vashisht ji virajman aur bhagwan shishyatwa sweekar karke gyan prapt kar rahe hain. He shri Ram aap aisa samjhiye. Vashisht ji samjha rahe vishvamitra ji ki agyaa par bhagwan pushp lene ja rahe hain. Sandhya vandan ke liye charan chap rahe hain.

vivid agyaon ka palan kar rahe hain. Kya bhagwan ko kisi ki agyaa palan karne ki zaroorat hai? Jo samasth rishi muni bhagwan ki agyaa ka palan karte hain. Ved bhagwan ki vani sakshat vangmay bhagwat swaroop hai. Kaun aisa hai jo ved ka palan na karke bhagwat prapti kiya ho. Prarambh mein sabko ved anushasan mein chalna hota hai. Phir ek sthiti prem ki aati hai jo vedan sanasta jo ved ka bhi tyag kar dete hain. Par chalna wahin se hota hai. Prarambh wahin se hoti hai. Gyan ki purnata vedant se hoti hai.

prem ki purnata ved ke bhi sanyaas se ved ka bhi sanyaas. Bhagwan niche baithe hue hain. Sandipni muni upar baithkar ke vedon ka gaan kar rahe. Ek bar mein sare ved bhagwan ne kanthsth kar liye aur dakshina swaroop se unke padhare hue putr ko lakar ke pradan kiya. Bheeshmak Nandni Rukmani ke saundarya se unki prarthna se unke bhav se prerit hokar bhagwan wahan gaye aur Rukmani aur unke sab mitrajan Shishupal aadi sahaykon ke saath sabke sir par pair rakhkar gandharv vidhi ke dwara shri Rukmani ji ka haran karte hain aur gandharwa vidhi se vivah karte hain.

jaise Garud amrit ka kalash le aae. Rukmani ji ne kaha tha ki aapko isi vidhi se mujhe sweekar karna hai. Agar aap nahi ate hain brahmin ke dwara khabar bhezi thi to koi Shishupal aadi sparsh bhi nahi kar sakte. Main apne sharir ko pura kar dungi. Phir janm lungi, phir bhajan karungi aur aapka hi varan karungi. Bhagwan ne Rukmani ji ne jaisa chaha tha vaisa hi kiya. Hamare prabhu ka swabhav hai. Jaise jo log samjhte hain na ki bhagwan makhan chor. Bhaiya jiske 9 lakh gauve ho to wahan Baba ke yahan kund bane the.

doodh ke dahi ke ghee ke agar lala din bhar naye-naye kundon mein nahaye to bhi kam lala ka nahana kam ho sakta hai dahi kam nahi ho sakta doodh kam nahi ho sakta ghee kam nahi roz hazaron dason hazaron sankhya mein to keval gop gan seva mein the gaun ki aisa vaibhav nand Baba ka aur unka ladla aap vichar karo jara chori to tab ki jati hai abhav mein abhav ho to chori kare to phir yah kyon leela mein suna jaata hai aaj hogi makhan chori leela aisa kyon kaha jaata hai isliye kaha jaata hai ki gopi janon ne bhagwan se yah yachna ki jab wo aati aur bhagwan ki bal lilaon mein chhaki hui Yashoda maiya ko dekhti to vichar karti ki kya kabhi mera mera aisa saubhagya ho sakta hai.

main sundar gay ka doodh du. Phir uska dahi jamaun. Phir usko biloun phir makhan nikalun aur unche par tangu. Aur lala chupke chupke ave aur phir wo chori chori pave aur phir ham use dant lagave to jaise maiya ke samne bhayabhit hote hain waise mere samne bhayabhit. Par mere saubhagya aise kahan tha prapadte ta bhajamyam mere bhagwan bhakt ke liye kya nahi kar sakte jab rath aa sakte hain charan chap sakte hain apna pran bisar sakte hain to us gopi janon ki bhavna purti ke liye wo chori chori jana sakhaon ke saath braj ke bandron ko bula lena aur ramavtar mein 14 varsh bhagwan kabhi nagar se bana hua bhojan nahi paya.

adesh tha 14 varsh vishesh udasi vishesh udas jeevan vyatit karna. Bhagwan ne paduka nahi pahni. Bhagwan kabhi kisi nagar mein nahi gaye. Kisi nagar mein nahi. Jab Sugriva ji ne bahut prarthna ki. Vibhishan ji ne prarthna ki. Lakshman ji ko bheja rajya abhishek ke liye. Bhagwan nahi gaye. Yahan sakha swaroop apne bandron ko bulate hain. Sab aaspas khidki ke lag jaate hain. Bhagwan unko pawate hain. Bhagwan sakhaon ko pawate hain. Anand utsav manate aur ye gopi chhup kar dekhti jab dekhte haan kha chuke ab bhagne wale hain.

bas aap samne aa jaate prabhu waise darapne ki leela karte hath pakadti chal bahut praveen banta hai na aaj maiya se dant lagaungi. Tere hath jodu gopi maiya ke paas na le ja. Yahi sunne ke liye yahi sunne ke liye prabhu bhay ka swaroop dharan karte hain. Vinay karte hain. Gopi anand magan ho jati hai. Koi koi to bahut hi praveen hai. Itne pe nahi chhote. Aaj to maiya ke paas le hi chalungi. Ab age ja rahi to bade budhe jab ate hain to pehle pratha thi ghunghat ki. Ghunghat ab hath sakha ko ek bulaya aur dhire se hath badal diya.

aap jakar pehle se hi shayan ki leela ki. Ab wo gopi darwaza khatakhtati maiya haan idhar lal jo bolte hain maiya bahut bhookh lagi hai. Bole dekho darwaze par koi aaya main dekhti hoon. Aur wo aise kahti thi mera lala chori nahi karta. Mera lala bada sidha hai. Dekho aaj pakar ke lai hoon. Yashoda bhaiya hans rahi hai. To bhaiya tumhen hansi kyon? Bole kisko pakar ke lai? Mera lala hai. Are mera lala to andar so raha hai. Pure braj mandal ko anand mein duboe prabhu bhagwan chori karenge. Bhagwan ko kisi vastu ka abhav hai.

are aap us swaroop mein mat mano ki sacchidanand tribhuvan pati bhagwan are to akele ladka hai nand Baba ke kuch kami hai wo 10 20 50 man roz makhan bante kami hai wahan Baba ke 9 lakh gau nau lakh gaue aur aise to nand Baba keval aur nand Baba ke bhai hai aur sabki gaye hain. Are lala ke paas kabhi kya hai hamare prabhu apne bhakton ko sukh pradan karte hain. Rukmani ji ne jaisa chaha waise hi bhagwan ne usi vidhan se Rukmani ji ko sweekar kiya. Swayambar mein sat bina nathe hue bailon ko kabje mein karke nagini jiti satya se vivah kiya.

is prakaar man bhang ho jane par murkh rajaon ne shastr uthakar Rajkumari ko chheenna chaha to bina ghyal hue bhagwan shri Krishna ne sab rajaon ka man mardan kar dala. Bhagwan ek sadharan purush ki si leela karte hue Satyabhama se tumhen kya pasand hai? Tumhen kya lake du? Har jagah hamare prabhu mein yah yatha mam prapaddyate aap socho yah to Satyabhama ji mangalmay bhumi ka avatar hai aur bhagwan trilochan ji ke yahan sadharan vesh mein naukar bankar jaate hain aur bahut samay tak seva swayam sacchidanand bhagwan karte hain.

ye to Satyabhama ji hain. Bhagwan madhvdas Baba ko soch hi soch bar-bar ho rahi. Swayam Jagannath ji Pitambar ka sapha bandhe hue langoti bar-bar dho ke Baba ki faila rahe hain samudra se. Kya hai? Jab ham bhagwan ki is prem bhavna ko nahi samjhte to bhagwan ne to aisa kiya. Ham agyani jeev ek sadharan bhav lagakar bhagwan Satyabhama ji ke samne se he pran priy aapko kya pasand hai Satyabhama ji ne kaha swarg se kalpavriksha parjat hamare yahan angan mein hona chahiye theek aisa hi kiya indra thoda indrani ke kahne se ki kalpavriksha to swarg mein hi rahega indra ne kaha ki dekho prabhu hain bole bole nahi jaega.

indra ko vivash hokar bhagwan se pratikultaa karni padi. Thodi der mein indra ko samjh mein aa gayi ki inke age ham to Garud mein rakhkar ke swarg se kalpavriksha Satyabhama ji ke angan mein indra ne atyant krodhit hokar dev sainikon ke saath bhagwan par aakraman kiya. Nischit nischit bhagwan jab apne ko chhupa ke leela karna chahe to koi nahi jaan sakta. Par bhagwan ne ek kshan mein samasth devtaon ko yah anubhav kara diya ki wo shaktiheen hai. Bhagwan kalpavriksha lakar Satyabhama ji ke angan par lagaya. Vishal sharir jo akash ko bhi dhak de.

bhagwan ne us bhamasur ko Satyabhama ji ko saath le gaye the ki ek bar ye bole ki maro itna prhar bahut balshali uska jab aayega prasang to itna suraksha vyvastha koi ja hi nahi sakta tha bina bhagwan ke 16100 rajkumariyan bandi bankar rakhi thi pure vishv ki dev kanya nag kanya yaksh kanya nar kanya sab aise bhagwan ne aise bhamasur ka udhar kiya aur unke putr bhagdatta ko rajya abhishek kiya unhin ke putr ko rajya abhishek kiya aur jab antapur mein pravesh hue to 16100 raj kanyaen jo bandi banae hue the dekhte hi bhagwan shri Krishna ko anand mein magan ho gaye aur sab ne ek swar mein kaha prabhu vishv mein koi hamen sweekar nahi karega kyonki asur swabhav wala ye bhaumasur hamen bandi banae hain to koi nahi sweekar karega ab ham aapki sharan mein hai to bhagwan ne 16100 rajkumarion ko Dwarika palki mein bheja aur inke saath ek saath itne rup dharan karke ek saath bhagwan ne vyas 16108 ye 16100 wo rajkumariyan hain jo bhamasur ne bandi banaya tha aur jinhe koi sweekar nahi karta

kyonki ye asur swabhav ka bandi banae hue kaun sweekar karega bhagwan jisko koi nahi aur jo bhagwan ki sharan bhagwan ne apne Priya banaya bhagwan ki nij shaktiya hai bhagwan ne 16100 100 rup dharan kiye 16100 jagah ek hi muhurt mein 16100 se pani grahan kiya ek hi muhurt mein kar to makar tu man tha kar sarv samarth bhagwan narad ji ko yahi laga tha ki 16108 sal mein to 365 din hote hain bhagwan kab kiske paas jaate honge to jis mahal mein gaye divya shakti sampann narad ji jis mahal mein gaye bhagwan us mahal mein mile kahin sandhya kar rahe hain kahin dhyansth hain kahin bachchon ke saath dular kar rahe hain kahin kisi ko updesh kar rahe hain kahin mantriyon ke saath salah kar aur jismen jaate to anjane bankar bhagwan aao aao narad ji kab padhare aap bade bhagya aapke to ashcharyachkit hote na 10 mahal chhod ke jane lage sab mahal mein bhagwan tab unka achint shakti bhagwan aapki mahima ko koi par nahi pa sakta.

bhagwan ne un sab se das putr utpann kiye. Are ham sab unhin ke utpann kiye hue hain. Sabke pita bhagwan hi hain. Ek sankalp matra se anant bramhandon ka srijan ho gaya. To 10 10 putro ko prakt hona koi badi baat hai. Kalaywan jalasan shaal aadi ye aise mahabali jinko keval bhagwan hi dusra koi nahi. Bhagwan ne alaukik shakti ke dwara in sabka udhar karwaya. Vidur ji aaj main un bhagwan se rahit ho gaya. Wah mere prabhu antardhan ho gaye. Jinhone sanlasur dwid yah dwid jo vanar hai ye bhagwan Ram ki sena mein tha.

duvidh mayand neel nal Angad gad viktas dajad mukh ke har nishat sath jamwant balras ye dwid bahut bada balvan jab bhagwan Ram ki bhujao ko dekhta to usko lagta ek bar in bhujao se hamko to lakshman ji badi drishti se dekha ki prabhu ki taraf tu dekh raha hai. Are tere liye to ham hi kafi hain. Wo bhagwan shri Ram ji aise to lakshman ji chup isiliye agla avatar bade bhai ke rup mein liya ki tum bar-bar tum hamen daba dete ho ham nahi manenge. Balram ji ke rup mein jab Balram ji ke rup mein aae to duvidh jo hai bada updrav machae puri ki puri Dwarika dubone ke liye samudra se jab aise karta to jaise wo jwaar bhata le jaate ki prant ka prant doob gaya.

aisa kar duvidh aisa thodi vanar tha ki chhota-mota dal se kud gaya. Ravan ki nagri mein pravesh karne wale chhote vanar nahi hote the. Ravan aisa mahabali nahi tha jidhar jakar bhuja thok deta tha. Lok ke lokpal khali ho jaate the. Aise vanar the bhagwan ke paas. Padh ke age bhagwat mein hi aayega. Abhiman mein akar ke Balram ji rasmay anandmay vilas mein the. Prant ka prant aise dubo raha tha. Aise karta to prant ka prant baadh aa jati samudra ke pani se. Balram ji ne dekha lakshman rup mein tumko nahi samjha paye lekin is bar ham tumhen paramdhaam hi bhejenge.

ham zyada samjhana nahi jante. Balram ji zyada samjhana nahi jante. Age prasang mein aayega. Hastinapur gaye. Ek prasang mein yahan tak to samjhaya. Nahi samjh mein aaya. Turant hal musal ka chintan kiya mara hal aur kaha apni puri Hastinapur ko chaknachur karke ganga mein doob aaj bhi aise ganga ki taraf jhuki hui Balram ji sheshavtar dwidh ko mar ke ghase mein ki kisi astrashastra ki zaroorat nahi thasa prhar kiya khun baman karte hue jao bhagwan ke paas anand lo jake samrasur bana sur mur balwal dantwat aise aise krishna avatar mein ek do koi thodi the bade mahan mahan balshali asur bhagwan ne apni shakti ke dwara hi prerit karke nimit kisi ko banaya Balram ji ne ya amuk jin wo bhagwan hi yoddhaon mein kisi ko swayam mara kisi ko nimit bankar dusron se jaise Jarasandh ko bhim se par bhim keval nimit matra hain.

dikha diya tha. Kai din ho gaye. Kuch fark nahi para. Jara sundar ratri mein bada dharmatma bhi tha. Jis samay wo prat kal brahmano ko dan kar raha us samay koi akar gardan bhi maang le to de de. Na shabd nahi tha. Brahmin hi bankar to gaye the. Shri Krishna chandraju aur arjun ji aur bhim ji. To usne bhujao mein pratyancha ki ragad aur chal dekh ke kaha ki tum log kapt kar rahe ho. Brahmin to ho nahi. Pakka brahmin nahi ho. Mangne aae ho to denge jo tum chahoge kyonki mere bhay se bhayabhit hokar brahmin ban ke aae ho.

isliye main wapas to jane nahi dunga lekin main pakka kahta hoon tum brahmin nahi ho. Kya bata sakte ho apna prichay aap kaun hai? Bataya haan tum jo kah rahe ho sahi hai. Main tumhara purana dushman hoon. Bhagwan shri Krishna ran chhod bhagwan leela kiye the. Ye kaun arjun ye koi veer hai? Ye koi hamse ladne layak ye vrikodar mahabali bhim. Haan ye yodha hai hamare. Aao kai din tak bahu yuddh hua. Raat mein swayam seva karwata ek rishtedar ki tarah bhojan vyvastha sab koi chhal kapt nahi aur din mein bhaykar yuddh jaise badal garajte hain aise ghase ka prhar hota tha ek dusre ka kai din jab ho gaye to Bhimsen ne ishare se bhagwan se kaha ki nas nas tod diye isliye ab bas ya to aap izzat bachao nahi is mahabali Jarasandh ke age ab meri bas nahi rahegi gayi.

bhagwan ne kripa drishti se bhim ko balvan kiya aur kaha faad do aise nahi mare marega. Faad diya phenk diya phir wo jud gaya. Ab to bhim aur dar gaye ki mare hi nahi marega prabhu. Ab to bhagwan ne phir usko viparit disha mein kyonki jara naam ki raaksasi ne joda tha. Ye prakt hi hue the do rupon mein. Ek phal par usko do rupon to do rupon mein garv hui kaha jio jio to Jarasandh jara naam ki raaksasi ne sandh kiya isliye Jarasandh naam para tum marwaya kisi se ho lekin samarth to inhi ki rahi hai aapke bhai maharaj vidur ji jo Dhritarashtra hain aur pandu ke putro ka paksh lekar ke bhagwan ne kurukshetr mein pahunchi hui sena jisse bhumi kampayamaan ho rahi thi.

mahabali Karna Dushashn shakuni ye sab bhim ki gada arjun ka gandeev yudhishthir ka bhala nakul sahdev ke astr in sab se mare ja chuke hain. Sab mare ja chuke hain. Dron Bhishma arjun Bhimsen ke dwara yah vipul sanhaar inhi ke dwara hua kyonki prithvi ka bhaar haran karne ke liye avtrit bhi the. Abhi to mere ansh rup pradyumna aadi ke bal se bade hue yadwon ka dus dal bana hua hai. Bhagwan ne vichar kiya to brahmano ke hisaab se apne vansh ka sampurn vinash karva dala. Bada vichitra khel hota hai.

inki leela vichitra thi. Samwadi sab Yaduwanshi balak aapas mein vinod kar rahe the. Sab navaywan aur wahan hazaron mahatma bhagwan ke darshan ke liye aaya karte the. To Dwarikpuri mein vas karte to ekant mein vas kar rahe the to sab ne kaha aaj inki pariksha lete hain mahatmaon ki. Yah kuch jante hain ki aise hi to sa ke pet mein aise bandh karke jaise garbhvati mahila ho aur sundar poshak dharan karwakar sa bade sundar the jamavti ke garb se prakt hue the bhagwan shankar ki aradhna se dekh lo leela dekho bhagwan shri Krishna ne saambh ke prakt hone ke liye bhagwan shankar shankar ki aradhna ki aur unse var rup mein sa prakt hue the.

kyon? Kyonki jo samran leela jo vinash leela hai to to samai se shuru hui bahut dheeredheere gaye aur jo bhi log yuvak sab Yaduwanshi the to kaha he rishiyon dandvat pranam kiya. Yah hamare kul ki kul vadhu hai garbhvati hai. Yah santan balak hogi ya kanya aap kripa karke wo to trikalak ke rishi sab dekhe uphash kar le bhagwan ke ladle bachchhe hokar ke ye aisa uphash karte hain ekdam krodh aaya bhagwat ichchha jaise bhagwat ichchha se kabhi abhadr vihaar nahi hua yahi to hota hai bhagwan ki jab leela honi hoti hai to kisi ka bas nahi chalta ye aise unke andar ko jaise kabhi kisi mahatma ko jai vijay ne nahi roka hoga kabhi pata nahi us din kya sanak sanandan sanatan Sanat kumar ko rok diya khas baat ki unke paas jhola bhi nahi kapda bhi nahi digambar rahte hain nang dhadang panch varsh ki avastha aur charon digambar rahte hain aur koi vegweg bhi le liye the ki pehle check karo khao par unko krodh aa gaya sanakaad ko aur shraap de diya jai kabhi krodh nahi aaya donon baten jai jai vijay ko kabhi shanka kisi par nahi hui aur shanka ho gayi aur sanakaad ko kabhi krodh nahi aaya.

brahm bodh sampann mahapurush to unko krodh aa gaya aur saanp de diya aur jab baad mein pura nirnay nikla to mam ichchha kah deenadyala to inheen ki ichchha se sa ke udar mein wo banda gaya kadhai aaj aur wo dikhaya gaya drishya ke garbhvati hai to kya hoga to rishiyon ne kaha ki isse wahi hoga jo tumhare vansh ka vinash hoga. Fatafat khol ke dekha to ek itna bada musal ab sab bhagwan se kisi ne salah nahi li. Maharaj ugsen ke samne gaye puri ghatna sab lajja yukt hokar kahi. Are unhone kaha brahm rishiyon ka saanp ise to koi nahi taal sakta.

to ye hua ise ghis ke samudra mein phenk do. To ghiskar samudra mein fenka. Ek chhoti si kil jaisi bachi. Use machhli kha gayi. Use machhuare ne pakda aur us vyyadh ne baan ke nok mein wahi lagaya jo bhagwan ke shri charan mein mara. Dekho rishiyon ka sahab aur wah erek naam ki ghas ke rup mein wah sab jo talwar ki tarah thi sab madhupan kiye hue lala lal ankhen madhu ka matlab aap dekhna shahd bhi hota hai. Madhu mein vrikshon ne aise pradan kiye hain ras jismen madakta hai jismen ek unmattata chadhti hai to madhupan kiye hue upar se saanp sab madhupan karke matvale ho gaye aur aapas mein usi ere koi thappad koi ghuse koi erek naam ke ghas se wo talwar jaisi thi kaat kaat ke pure Yaduwanshi maharaj hamare prabhu bade karunamay hai.

uttara ke udar mein jo Abhimanyu ne purwansh ka bij sthaapit kiya tha. Ashwatthama ke Brahmastra se ek tarah se wo nasht hi ho chuka tha. Bhagwan ne use bachaya. Badi-badi ashvmedh yagya yudhishthir ji ne bhagwan ke bal se hi ki. Vishwatma bhagwan Dwarikpuri mein rahkar lok aur ved ki mariyada ka palan karte hue sab prakaar ke yog ki sthaapna ki. Sankhya yog aadi ashtang yog sab kyonki aise mahabhog mein rahte hue bhi wo param yogi rahe. Jinki madhur muskan snehmay chitvan sudhamay vani nirmal charit samasth shobha aur sundarata ke nivas apne shri vigrah se lok parlok aur samasth yadwon ko aandit kiya.

wahi bhagwan se main vanchit ho chuka hoon. Wo bhagwan hamare saath aisa kiya ki main thaga gaya. Yogeshwar bhagwan apne bhakton ko sukh dene ke liye avtrit hue. Kaise main maharaj batau ki aaj main unhee prabhu ke vanchit ho chuka hoon. Pritam prabhu Shyam sundar mujhe thag liye. Kya divya vishuddh chidanandmay sundar Shyam sharir oo shanti bhari ratnari ankhen reshmi Pitambar dur se hi chitt ko lubhayaman karne wala swaroop vidur ji ye main antim shobha aapko bata raha hoon apne prabhu ki ek peepal vriksh ke niche bai jaang par daya charan rakhe hue bhojan pan sab ka tyag karke anand prafulit us samay main wahi tha.

us samay mahan sthiti ko prapt bhagwat siddh shri maitrey ji loko mein swakshand vicharte hue wahan pahunche. Badi unchi sthiti ke mahatma maitre ji wo anand aur bhakti bhav se bhagwan ke samne naman kiye. Main wahi paas baitha tha. Bas yahi the Uddhav ji, maitrey ji aur bhagwan. Ye jab bhagwan paramdhaam padhar rahe. Shri bhagwan kahne lage main tumhari antarik abhilasha janta hoon. Yah baat vidur ji ko Uddhav ji bata rahe hain. Yamuna ke pavan tat par baithe hue. Main tumhari antarik abhilasha janta hoon. Isliye main tumhen wah sadhan bata raha hoon jo sabke liye atyant durlabh hai.

Uddhav tum purv janm mein Vasu the. Vishv ki rachna karne wale prajaptiyon aur vasuon ke yagya mein mujhe pane ki ichchha se tumne meri badi kathin aradhna ki thi. Isiliye tum Uddhav ke rup mein janme hua karo. Yah tumhara antim janm hai. Kyonki jise mera anugrah prapt ho jaata hai uska antim janm hota hai. Ye apne ko pata chalta hai. Jaise bhojan pakar chhak jaya jaata hai na to kaha jaata hai ab main chhak gaya. Kisi dusre se praman nahi liya jaata. Ye bhaiya ham chhak jae tum baitho hamen bata dena ki tum chhak gaye.

wo apne ko lagta hai. Aise hi jab apna kam ho jaata hai na aata hai hamara kam ho gaya. Wo andar se bhagwan bata dete hain. Jise mera anugrah prapt ho gaya uska antim janm hai. Uddhav ab main is mrit lok se apne paramdhaam ko ja raha hoon. Yahan ekant sthal hai. Tum mere anannya premi ho isliye mera darshan paya. Bade saubhagya ki baat hai. Purv kal mein arambh mein maine apne nabhi kamal par baithe hue brahma ko apni mahima ke prakt karne wale jis gyan ka updesh kiya wahi main tumhen bata raha hoon.

vidur ji Uddhav ji kahte hain vidur ji mujh par to pratikshan un param purush ki kripa varsh karti thi. Us samay unke is prakaar aadar purvak kahne se main ro para. Gadgad vani ho gayi. Ashrudhara bahne lagi aur maine hath jodkar kaha Swami mujhe koi gyan nahi chahiye. Mujhe aapke charnon ka sanidhy chahiye. Main aapke bina nahi rah sakta ki aap antardhya ho jae. Hamen gyan vigyan prabhu mujhe dharm, arth, kam, moksh charon nahi chahiye. Ye gyan aap mujhe mat dijiye. Mujhe gyan nahi chahiye. Mujhe kisi ki ichchha nahi hai.

bas ek kripa kar do ki aap mujhe kabhi mat chodo. Main aapke saath rahun. Aap mujhe saath le chalo. Yahi yahi bhakt ka hriday hota hai. Yahi premi ka hriday hota hai. Mujhe aur kuch dharm arth kam moksh yah sab nahi. Mahaprabhu hariv chandra ji yahi kah rahe hain. Dharma chaturshty vijaytam kim tata vatya sakanteshwar bhakti yog padwopita murdhani main bhagwan ki ekantik bhakti ko bhi namaskaar karta hoon. Nahi aap kya chahte ho? Kya sthiti hai? Yo Vrindavan shiv kashchan ghanya kishori man ta kare rasamritad param chit nam rochte mere chitt ko aur kuch nahi accha lagta bas maharani ji ke charnon ko dular karna unke samip rahna mujhe aur kuch accha nahi lagta aise Uddhav ji maharaj kah rahe mujhe nahi chahiye dharm arth nahi chahiye mujhe yah gyan aapka mujhe kam moksh yah sab nahi chahiye mujhe aapke saath rahna hai.

mujhe aapke saath aapka sanidhy chahiye. Yah sab nahi chahiye. Prabhu aap nishpriy hokar ke pyar karte hain. Kisi nishpriy sthiti aapki aur aap pyar kar rahe hain. Ajnma hokar ke aap avatar le rahe hain. Kal rup hokar ke aap Dwarikpuri ke liye bhag rahe hain. Mathura puri chhodkar swatmaram hokar 16108 patniyan ye sab auron ki buddhi ko chakkar mein dal sakta hai. Meri buddhi ko nahi. Dev main janta hoon aapka swaroop abadh akhand hai. Phir bhi aap mujhe bulate the salah ke liye. Ye dusron ki buddhi mein chakkar dal sakta hai.

meri buddhi mein nahi hoon. Main janta hoon. Main mohit nahi ho raha hoon. Aapki in baton se main mohit nahi ho raha hoon. Swameen aapka jo swaroop gun rahasya hai samgr gyan hai jo brahma ji ko bataya tha maitri ji bhi paas baithe main to bilkul ichchha nahi sugamta purvak sansaar samudra se par hone ke liye jo aapka naam hai aapka aashray hai wo hamen prapt hamen koi aur gyan ki zaroorat nahi ye mere hriday ka bhav tha. Maine nivedan kar diya. Uddhav ji ne kaha tab param purush paramatma bhagwan shri Krishna ne us samay maitri ji aur Uddhav ji hi hai keval updesh kiya.

jo ekadshi skand aayega usmen bhagwan Uddhav ji ko updesh kar rahe hain. Pujypad param guru bhagwan shri Krishna se atma tatv ki uplbdhi prapt karke prabhu ke charnon ki vandna ki, parikrama ki aur mere dekhtedekhte antardhan ho gaye. Main virah se vyakul bhtak raha hoon. Vidur ji jo main unke sanidhy mein anand prapt karta tha wahi mera hriday aaj unke bina virah vyatha se atyant pidit hai. Ab main yahan tik nahi sakta kyonki adesh hua tha badrika ashram jana aur wahan mera chintan karna. To ham apne prabhu ke adesh se badrika ashram ja rahe hain aur wahan bhagwan nar narayan donon rishiyon se hamen milna hai.

bhagwan ne aisi agyaa ki hai aur wahan pahunchkar kathin tapasya ke dwara bhagwan ki aradhna karni hai. Is prakaar Uddhav ji ke mukh se apne priy bandhuon ke vinash ka aashay samchar sunkar vidur ji ko bada shok hua ki kurav sab ke sab vinash ko prapt hue par param gyani hai. Turant gyan ke dwara us shok ko sambhala. Bhagwan shri Krishna ke parikon mein pradhan maha bhagwat Uddhav ji badrika ashram ki or jane lage. Tab kuru shreshth vidur ji ne shraddha purvak pucha Uddhav ji Yogeshwar bhagwan shri Krishna jo gyan us samay prakt kiya kya wah ham sunne ke adhikari hain?

kya aap kripa karke mujhe sunaenge? Uddhav ji ne kaha ki ek baat to rah gayi batane ki. Jis samay bhagwan yah gyan de rahe the usi samay unhone aapki bhi yad ki aur maitrey ji ko agyaa kari ki yah gyan vidur ji ko de dena. Mrit lok chhote samay aapki smriti ki. Vidur ji to bhav magan ho gaye ki bhagwan jab antardhya ho rahe the tab tab hamara smaran kiya. Maitre ji se kaha ki yah gyan jarur vidur ji ko de dena. Bahut samay tak vidur ji bhavavesh mein dube rahe. Bhagwan ne antardhya hote samay hamari yad ki.

puri raat bit gayi. Ek kshan ke saman prat kal hua. Chal pare donon mahapurush apnep. Raja parikshit ne pucha bhagwan Sukhdev ji se ki brishkul aur bhoj vansh ke sabhi rathi yuddh patiyon ke yuddh pati nasht ho gaye. Yahan tak ki saanp yaduvanshiyo ke sampurn nash ka tha. Trilokeenath bhagwan shri hari ko bhi antardhya hona para. To Uddhav ji kaise bach gaye? Ye to bhi yaduvanshiyo mein hai. Ye kaise bach gaye? Parikshit ji ne prashn kiya to shri Sukhdev ji ne kaha yahi to hari ki samarth hai. Hari ki ichchha ko koi bhi rishi muni saap vardan koi bhi nahi kaat sakta.

shri hari ne apni hi ichchha se brahmin ke saap brahm rishiyon ke saanp rup kal ke bahane apne kul ko apne dham pahuncha diya. Apne shri vigrah ke antardhya karne ke pehle yah sab bhagwan muskurate hue dekh rahe the. Shri charan mein charan chadaye dahina aur muskurate hue dekh rahe the pura vinash ho raha hai. Tab jab ek ek paramdhaam pahunch gaye tab apne swaroop ko antardhya kiya. Bhagwan ne yah vichar kiya tha ki mere vishuddh gyan ko keval grahan karne ka adhikar Uddhav ji ko hai is samay sache gyani Uddhav ji hai Uddhav ji anu matra bhi bhagwan se kam nahi hai bhagwan ne swayam anubhav kiya are wo jisko apna de de to usmen kya Uddhav ji atma vijyi hai jeevan bhar mein kabhi ek bar bhi kisi vishay par Uddhav ji vichlit nahi hue ki kisi bhog ne unhen akarshit kiya ho.

isliye sache gyan ke adhikari Uddhav hai aur bhagwan ne sankalp kiya ki yahi rahe to koi saap nahi lagu hua Uddhav ji ke isliye kartum akartum anytha kartum sarv samarth sashwara wo jo chahe kar sakte hain vedon ke mul karan jagatguru bhagwan shri Krishna chahte the isliye Uddhav par koi saap lagu nahi hua aur Uddhav ji ko agyaa kari badrika ashram mein jao aur samadhi yog ke dwara meri aradhna dhana karo. Jitna shesh samay hai aradhna mein vyatit karo. Kuru shreshth parikshit param brahm paramatma bhagwan shri Krishna ne leela se hi apna shri vigrah prakt kiya aur leela se use antardhya kar diya.

unka antardhan hona bhi dheer purushan ka utsah badhane wala hai. Param bhagwat Uddhav ji ke mukh se unke prashansniy karm is prakaar antardhya hone ka samchar jankar ke bhagwan paramdhaam jaate samay mujhe smaran kiya. Is baat se jab Uddhav ji chale gaye to chilla chilla kar vidur ji rone lage kyonki us samay to gambhir shant ho gaye. Jab Uddhav ji chale gaye to vidur ji rone lage. Iske pashat siddh shiromani vidur ji yamuna tat se chalkar phir ganga kinare pahunche. Wahan pata chala ki amuk jagah maitrey ji rahte hain.

param gyani maitrey muni haridvar kshetra mein ekant mein virajman the. Bhagwat bhakti se shuddh hriday wale param gyani vidur ji unke paas pahunche. Aur pranam karke pucha vidur ji ne kaha bhagwan aapko sampurn gyan de gaye hain. Main aapse kuch prashn karta hoon. Yah sab jagat mangal ke liye vidur ji ko kisi gyan ki zaroorat nahi kyonki sakshat param gyani dwadash bhagvato mein dharmraj hain. Sampurn gyan hai bhagwan ka sampurn gyan. Bhagwan sansaar ke sab log sukh ke liye karm karte hain. Vidur ji ne prashn kiya ki sansaar ke sab log jitne bhi karm hote hain unka lakshya hota hai sukh mil jae.

parantu unse na to unhen sthai sukh milta hai aur na kabhi dukh dur hota hai balki usse dukh ki aur vridhi ho jati hai. Atah aisa kyon hota hai? Is vishay mein aap kripa karke bataiye ki kya karna chahiye? Kyonki sabka lakshya hota hai sukh. Sukh prapti ke liye kiya jaata hai karm. To jo chah ki gayi wo sukh to mila nahi sthai. Aur dukh badhta chala gaya to kya karna chahiye jisse sthai sukh mil jae sada sada ke liye sukhi ho jae kabhi dukh na bhogna pare jo log durbhagyavash bhagwan shri Krishna se vimurkh hain adharm paraayan hain atyant dukhi hain unhin par kripa karne ke liye aap jaise bhagwat bhakton ka is sansaar mein avatar hota hai aur wo avtrit hokar bhule hue praniyon ko bhagwan ki raah batakar param sukh ka marg dete hain.

maitrey ji mujhe us shantipra sadhan ka updesh kijiye jiske anusthan se bhagwan hriday mein prakashit ho jaate hain. Apne swaroop ka bodh ho jaata hai. Aproksha anubhav wo main aapse updesh chahta hoon. Aur maharaj triloki ke niyanta param swatantr bhagwan shri hari jo jo avatar lekar leela karte hain. Akarta hokar bhi unhone kalp ke arambh mein srishti ki rachna ki. Ise sthaapit kiya. Jeewo ki jeevika ka vidhan kiya. Phir in sabko samet karke vritti shunya hokar yog maya ka aashray lekar shayan karte hain.

to yog yogeshwarashwar bhagwan shri Krishna sampurn brahmand ki rachna karte hain, palan karte hain, lay karte hain. Main samjhna chahta hoon kaise karte hain. Bhagwan sadaiv apne bhakton ki raksha ke liye, premion ke liye, bhumi ke liye, devtaon ke liye, gau ke liye wo avatar lete hain. Main shri hari ke leelamrit ka pan karte karte kabhi tript nahi ho paya. Isliye main aapke shri mukh se sunna chahta hoon. Main sunna chahta hoon bhagwan ki vibhinn vibhutiya kaun-kaun si hai? Kaun-kaun se rupon mein bhagwan apni vibhutiyon ke rup mein is jagat mein virajman hai?

bhagwan shri Krishna ji ke kathamrit ka pravah samasth papon ka nash kar deta hai. Main swappa sukhdayak dharmon ke vishay mein kuch nahi janna chahta. Main tirth pad bhagwan shri Krishna ke gunanuvad se kabhi aaj tak tript nahi hua. Isliye bahut pyas hai. Narad aadi mahatma gan aap jaise sadhuan ke saman mein bhagwan ke naam ka kirtan bhagwan ki katha ka kirtan karte hain, gayan karte hain. Jab naam kirtan aur katha kirtan manushyon ke shravan indri mein pravesh karta hai to unke sansaar chakra ka nash karke bhagwat prapti kara deta hai.

sidhe bhagwat prapti bhagwat charcha sunna naam kirtan karna naam kirtan sunna bhagwan aapke to mitra hain bhagwan shri Krishna dan vyas dev ji bhagwan ke gunon ki ichchha se unhone charon vedon ko saransh mein karke mahabharat ke rup mein rach dala. Manushyon ki buddhi bhagwan ki kathaon mein lag jae to aur kisi dharm ke chakkar mein padne ki zaroorat nahi. Usi se kalyan ho jae. Sa shraddha dhas vivardhaman virakti manyatra karo push hare padanusmriti nivtas samasth dukhayma sudhte jab koi shraddhaalu ke wahan satsang ho raha hai bhagwat charcha ho rahi chalta hai ek ek kadam yagya ke saman hote hain aur wah jab jakar wahan katha sunta hai to uske hriday mein umang aati hai, utsah aata hai, anand aata hai.

wo us anand ke bal se vishay anand ka tyag karke vairagya bhav ko prapt hokar bhagwat charnarvind ke nirantar chintan mein anand magan hone ke liye vikal ho jaata hai. Aur us purush ki vikalta sare papon ka nash karke dukho ka tatkaal ant karke bhagwat prapti ke yogya bana deti hai. Mujhe to sochni ki bhi sochni agyani purushan ke liye bada khed hai jo apne pichle papon ke karan jahan bhagwan shri hari ki katha hoti hai wo katha sunne nahi jaate vimurkh rahte hain vidur ji kah rahe hai tan cho soch vido soche hare kathaya vimukha naghan chhino devo nimastu maythavad gati smriti naam bade sochneey log hain jinko bhagwan ki katha ki amuk jagah ho rahi aur sunne nahi gaye khed hai pichle paap unhen bhagwan ki katha mein jane se vimurkh kar dete hai kal bhagwan unke amulya jeevan ko nasht kar rahe vani deh aur man se wo vyarth bakwad, vyarth cheshta, vyarth chintan karke durgati ko prapt hote hain.

he maitrey ji aap deenon par kripa karne wale hain. Atah bhaura jaise foolon mein se ras nikal leta hai. Usi prakaar in laukik kathaon mein se sarwabhauta param kalyankari pavitra kirti bhagwan shri Krishna shri hari ki kathayen aap hamko sunaaiye. Jinke sunne matra se is sansaar sagar se udhar ho jaata hai. Maitrey ji shri vidur ji ke poochne par uttar de rahe hain. Sushesh charcha age shri Radha vallabh lal ki jai

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi