॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #1345

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji Radhe-Radhe aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji 16 varsho tak jo galat aacharan mata-pita aur patni nahi chhuda pai wah sabhi galat aacharan aapki ek video ne do varsh pehle hi chhuda diye. Tabhi se aapka man vachan karm se guru rup se varnan kiya hai aur lagataar aapke dikhae marg par chalne ka prayas kar raha hoon. Naam bhi jap kar raha hoon. Maharaj ji shri ji ke prati jo bhav aapke hain ve sabhi bhav grihasth jeevan yapan karte hue kya hamare andar aa sakte hain? Aa jaenge kyonki grihasth ya virakta ek rahni hai.

pyar pyar to wahi hai. Agar aapka jo patni mein pyar hai, putr mein pyar hai, mata-pita mein pyar hai aur bhi jahan pyar hai wo sab samet ke shri ji ki taraf chala jae to wo shri ji ka waise hi pyar aapke andar aa jaega. Sabki mamta tag batori, mam pad man hi bandh bar dori. Ab virakta mein hai ki sab kaat diya keval prabhu keval prabhu sab sambandh kaat diye sab pyar hata diya har sukh nasht kar diye nahi chahiye mujhe mujhe prabhu chahiye ekdam lakshya prabhu to wo baat aa jati hai to wo baat grahasti mein lani padegi patni mein prabhu putr mein prabhu mata-pita mein prabhu sabki seva kar rahe hain par pyar prabhu ke nate nate neh Ram ke maniyat suhad suse sev jano.

abhi ham apni patni man rahe hain. Phir manenge bhagwan is rup mein aae hain. Is rup mein aae hain. To phir bhajan ban jaega. Phir wo bhajan prem prakt kar dega shri ji ke prati. Jab prem prakt ho gaya to jahan ho wahi shri ji ka anubhav hone lagega. Pothi padh padh jag bua pandit bhaya na koi aur dhai akhar prem ke padhe so pandit hoe. Prabhu ko prapt karne ke liye prem chahiye. Prem ramah keval prem pyara jaan le so jaan nihara. Ae janne wale yah baat jaan lo ki bhagwan ko keval prem pyara hai.

agar tum prem se pukaroge apnapan bhagwan mein karoge prem to avashya milenge. Prem se prakt hoe main jana. Hari vyapak sarvatra samana prem se prem ki mahima hai ab wo prem hamara bat gaya stri mein putr mein parivaar mein sab jagah prem bat gaya ab ham aarti to kar rahe hain lekin prem nahi bhagwan se bhog laga rahe hain prem nahi isliye hamko bhagwan dikhte nahi hamen murti dikhti hai hamen chavi dikhti hai nahi kahan so kahan jahan prabhu nahi jab sarvatra bhagwan hai to photo mein bhi bhagwan hai murti mein bhi bhagwan hai patni mein bhi bhagwan hai putr mein mein bhi bhagwan hai sare jagat mein Siya Ram mein sab jag jani to yah drishti hamen prapt karni hogi shri ji ki prapti ke liye chahe ham grihasth ho chahe virakta ho ye bina drishti prapt kiye ham srishti ka samadhan nahi kar sakte koi hamen gali dega koi hamen pujega koi hamen accha kahega koi pakhandi kahega aur hamen sab mein bhagwan dekhna hai na kisi ke achhche mein accha manna hai na bure mein bura manna hai itni badi yogyta chahiye aur wah naam jap se aayegi.

satsang suno, naam jap karo, seva karo, sabko sukh pahunchao, bhagwan prasann ho jaenge. Sthiti de denge. Guru ji ek sawal hai mera bhi. Jaise ham zyada se zyada kitni mala karaen kah hamari jo baat rahti hai wo swason ki mala mein rahti hai. Ek bhi shwas khali na jae. Ab tum chahe mala se japo chahe counter se japo, chahe samay se japo tumhare upar hai. Ek bhi shwas khali na jae. Bas hamari itni baat bachpan se abhi tak rahi hai aur yahi ham sabko kahte hain. Man lo aapko ham bole ki 20 mala japo. Ab 20 mala ke baad aap swatantr ho gaye na aapse man wo kam kara lega ki 20 mala mein pani fer dega.

hamko har swa accha 20 mala ke baad mala rakh diya. Ab sansaar ka chintan ho raha hai. Mar gaye to gaye na gadhe mein kyonki anta mati sogti ham har swas mein bol rahe hain Radha Radha Radha to ham har samay alert ekdam tayyar ham par maya aakraman nahi kar sakti aur hamara sharir chhutega to abhi main shri ji ko prapt ho jaaunga. To hamari baat agar samjh mein ave hamari ichchha yahi rahti hai ki sab log is baat ko samjho. Chal rahe hain Radha Radha Radha rasoi bana rahe Radha Radha Radha paros rahe hain Radha Radha Radha bartan dho rahe Radha Radha Radha jo kam kar rahe hain bina mala ke Radha Radha kahne mein kya pareshani hai bhagwan se kaho tum gin lo jap ham rahe gin tum lo wo to sab gin rahe hain ek-ek second ke baad jaan rahe hain to hamen lagta hai ki har samay japne ka prayas karna chahiye Gurudev ek prarthna hai ji aapka satsang sun ke aapka kirtan sun ke bahut accha lagta hai.

lekin jis din aap subah-subah aisa bol dete ho ki moh mrityu mrityu wo pura din tension mein chala jaata hai. Nahi marna to hai is lok mein is lok ka kya naam hai? Mrityu lok to kasaeevade mein chahe jitna hari ghas dali jae unko pata nahi hai. Number ane par gadasa chalega. Aise kal ke kasai vade mein ham band hai. Sabko marenga. Samay par kal kahte hain samay ko. Samay par mrityu apna kam karegi. Agar ham mrityu ko tension manenge to baat nahi banegi. Hamen mrityu par bhi vijay prapt karni hai. Jaise bolte ho na prabhu tab nahi ab bolenge to hai hi.

ab satya nahi bolenge to kya bolenge? Le ham ye thodi kahenge ki sharir amar hai. Hamara na tumhara marna to hai hi. Gurudev bhagwan jinse prem karte hain na unke bare mein agar yadi aisi chijon sunte hain to pida to hoti hai. Par bachchha ab sharir to jaega jaega ki nahi jaega? Ram ji apne sharir ko antardhya kiya. Shyam ji ne apne sharir ko antardhya kiya. Acharya aur bade-bade siddh purushan ne sharir ko antardhya kiya to bachchha sharir to jaega. Ye mrityu lok hai. Yahan sharir jaega. Ab pata nahi kal ka satsang mile ki na mile.

yahan to bada gadbad hai na. Phansi wale ko to pata hai kal 12:00 baje tak jinda rahega lekin apne ko bharosa nahi hai ki tadap ho jati hai Gurudev haan ab yahi to samasya hai na yahi samasyaon ka samadhan prapt karne ke liye ham adhyatma se judte hain ki sharir ka rag apne nasht kar den ham bas satsang ke dwara ab hamko koi mrityu ka dar nahi jaise koi kahe na ki jab tumhen mrityu ka bhay nahi to abhi jaise ki de koi ekdam aise ekdam ho jaega to aapko bhayabhit kaise ho gaye? Yah agantuk bhay hai.

yah vichar bhay nahi hai. Vichar bhay se mukt ho jaata hai. Agantuk bhay rahta hai. Ek din Swami magnanand Saraswati ji bat vriksh ke niche baithe isi ki charcha kar rahe the. To ek agantuk sant the. To unhone kaha jab wo siddh ho gaya hai to use koi bhay nahi hota. To unhone kaha nahi Swami ji agantu bhay ho jaata hai to unka hamari samjh mein nahi aata hai jab uski buddhi nirbhay ho gayi hai to bhayabhit kyon hogi ab wo siddh purush the magnanand Saraswati ji ek baj aaya aur bat vriksh ki sukhi dali par baitha wo jharjhar jharjhar karti unke bagal ekdam aise chauki se gir pare kaha Swami ji agantu bhay se bhay lagta hai bole pata nahi ye kaise ho gaye bole wahi baat main kah raha hoon vichar bhay se to mukt ho sakte ho agantuk bhay se nahi jaise ekdam bandar aake ki de aap andar baithe ho lekin aap ek aise ho jaoge wo agantuk bhay hota hai to jaise apne log vichar bhay mrityu ka hai ab uska nahi hai ki hamen marna hai iska dar nahi hai ab agantu bhay ekdam aa koi chaku aise kar de to vichar to hua nahi na to ekdam aise ho jaega par vichar ka jab usi ka vichar ho jaega ab nirbhay ho jaega kaat lo to bhagwan ki bhakti se ham mrityu par bhi vijay prapt karte hain.

mrityu ka bhay bhi marne se sab jag dara mero man anand kab mar ho kab bhat ho purn parmanand bhagwan ka bhajan sab bhayon se mukt kar deta hai. Abda ji Radha vallabh shri Harivansh maharaj ji Radha vallabh shri Harivansh Gurudev meri alpabuddhi mein yah vichar sphurrit hota rahta hai ki chidanand swaroop prabhu jab manushya rup mein avtrit hote hain to ham sabhi ke udhar ke liye prakt leela karte hue kya virah ya pida ki sachchi anubhuti karte hain jaise ki ham sabhi karte hain yah sochkar hamen kasht hota hai ki kisi tarah se santushti nahi mil rahi guru ji inka kahne ka matlab jaise leela kar rahe hain aise to us samay unko kasht ho raha hai kya kyonki bhagwan sacchidanand hai to jo bhi karte hain wah satya hi hota hai.

to us samay satya bhav se bhavit hokar waisi pida se yukt hai. Bhagwan waisi hi pida se yukt hai. Satya hai na bhagwan ki leela natak nahi hoti. Trikal satya hoti hai. Abhi dekhna chaho aur aap mein bhajan shakti ho to abhi dekhoge bhagwan usi tarah hai. Jaise treta mein utar liya, Dvapar mein utar liya. Aise ab bhi Vrindavan mein leela ho rahi hai. Par hamare liye wo netr milne chahiye. Wo hriday netr mile, prem netr mile to ham dekh pave in maya janit netron se trigun maya ka keval khel de sakte hain.

bhagwan ka nahi bhagwan ke dekhne ke liye divya leela ke liye divya netr chahiye. Wahi rishi muni bhajan se prapt karte hain. Raat din bhajan mein dube hue hain. Bhagwan kripa kiye. Gyan netr khol diye. Prem netr de diye. Usi se wo baithe-baithe sab kuch dekhte rahte hain. Samjh paye? Us usko sun matlab soch karke ham matlab andar pida jaise ani chahiye. Ye pida tumhare mangal ke liye hogi. Agar tumhen pida pehle pida nahi aati thi. Par Radha naam lagbhag dedh varsh se jap rahe hain. Aapke anushasan mein anubhav kar rahe hain aapke anushasan ko.

ji ji kintu guru ji kabhi-kabhi purv mein kiye gaye papon ki matlab jaise asmaran hota rahta hai. Nahi nahi unko kato unko kato wo agyaan ke dwara hui jo galtiya hain unko kato na accha mano na bura wo kat jaengi jaise aap bhajan kar rahe ho aapki smriti mein koi baat aa rahi wo chalne do tum roko mat aur usko priy mat samjho priy baten aa rahi hain to priy mat samjho apriy baten aa rahi to apriy mat samjho wo apne aap delete ho jaega apriy mana to ruk jaega aur priy mana to ruk jaega aur wo delete hona hai aniwarya hai.

wo nasht ho jaenge tab hamare hriday mein nai leela sajan hogi bhagwan ki. Ab jo is samay chal rahi aapka chintan aapka bhav yahi gadh ho jaega to aap rone lagoge. Ek bar mahaprabhu chaitanya dev ko tirth yatra mein the to ek sitaram ji ke upasak ne nimantran diya ki maharaj hamare to itne akinchan phate purane kapde unke aise to mahaprabhu bahut dravit the aur kaha jarur to unhone kaha 11:00 baje kar to us ghar gaye jab uske to rone ki awaz ai to andar gaye dekha koi nahi keval wo akele baithe ro raha hai koi tha hi nahi to mahaprabhu ne kaha kyon ro rahe ho?

to aur badi jor se rone lage. Bole Siya ji ko Ravan ne aphrn kiya. Usne hamari mata ko chhwa. Usne kyon aisa kiya? Bade chilla ke mahaprabhu ne kaha siyaju ka sparsh hi nahi kiya. Jo siyaju thi wo agni mein virajman ho gayi. Siyaju ki chhaya chhaya ko Ravan ne le. Jab bahut samjhaya aur granth lakar pramanit tab uski bhavdhara mein aaya phir rasoi banai wahan prabhu ko pavaya bhakton ke bhav hote hain doob gaye ek bhakt ko dekha to gita ji ko aise liye hue bas ro rahe the to gita mein koi bhav rone wala to hai nahi gita to gyan ganga hai usmen rone wala to koi bhav hai nahi to dekha ki kis baat se ro rahe to unse pucha ki gita mein tumhen aisa kya dikhayee de raha hai ki tum ro rahe ho to unhone ki ham [gala saaf karne ki aawaz] jab gita kholte hain to mujhe dikhayee deta hai ki arjun unche sthan par baithe hain aur bhagwan jahan arjun ki paduka hai wahan sarathi bane baithe hain to rona aata hai ki tum kitne kripal ho apne bhakt ko kitne unche pad pe aur aap kahan baithe ho bhagwan sarathi bane baithe hain bhai ye dekhkar mujhe rona aata hai ab alag-alag bhakton ke bhav hai wo bal gita le aise rote rahte the ki bhagwan kitne kripal hai to yah bhav hai bhakton ke.

yah apne bhav kahin zyada vyakt nahi karne chahiye. Inko chhupa le to ye badhte chale jaate hain. Phir ekant mein rona ane lagega. Ashniya ho jaega. Aisa kaise hua? Aisa wo dhire-dhire leela mein pravesh hone lagta hai. Uska hriday pavitra ho jaata hai. Badi kripa hai. Guru ji aapki hi kripa se sambhav hai. Ham yah samjha andar isko gupt rakhiega. Gyanendra Yadav ji Gorakhpur se maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Gurudev main sansarik bhog mein itna lipt ho chuka hoon ki main adhyatma ki or nahi jud pa raha hoon.

kabhi puja karta hoon. Kabhi nahi kar pata hoon. Ismen regulriti nahi ban pa rahi maharaj ji kiska? Haan priyata sansaar ki jab ho jati hai to bhagwan mein ek phormeliti si hoti hai. Priyata to bhogon mein hai na. Bhagwan mein kaise banavti bhagwan se aur sachchai se bhogon se jis din sachchai se prit karne lagoge kami nari piyari jim lobhi jim priydam to us samay sthiti badal jaegi ham bhagwan se priti nahi karte hain priti 10 20 jagah nahi hoti ek jagah hoti hai kahin jo ye 10 20 jagah priti karte hain vechari purush hote hain wo preetivan nahi hote jo preetiman hota hai wah ek jagah priti karta hai prem galiyat sa tame do na samay bahut jagah priti kaise ho sakti hai Bhogeshwar prasakta naam tap chetsa

vyavsayatmika buddhi samadh vidhte jiska chit aprit kar liya hai bhog aur ishwar ne wo kabhi paramatma prapti ka chintan hi nahi kar sakta ki main bhagwat prapti karun aur jab bhagwan se priyata nahi hai to phir phormeliti to jaise aapko hamse priyata na ho to aae pranam karna jo bhi bhav aaya wo kiya lekin hamari priyata nahi aur priyata hai to kuch kriya na ho ek drishti mein kriya ho jati hai hamare hamare Baba ye priyata bahut kam ki chij hai to kya hamare bhagwan aisi priyata aati hai kya accha padaarth dekar bhagwan ki yad aati hai kya achchhi paristhiti dekar bhagwan ko aap naman karte hain kya buri paristhiti mein bhagwan ko aap pukarte hain kya bhagwan aapke antarik hriday mein apna pyar sthaapit kar rahe hain to in sab baton ka uttar aayega nahi imandari se dekho imandari se ham log ham log jo hai pura jeevan isi mein vyatit kiya hai jaise aap aarti kar rahe hain puja kar rahe hain aapka chintan kahan hai jahan priyata hai to aap dekho aapka aapki priyata kahan hai pakdna aap hamari

baat ko jab aap aarti kar rahe ho puja kar rahe ho ya aap mala jap rahe ho ya aap koi bhi Bhagvati karya kar rahe ho to us samay man aapka kahan kya prabhu mein hai? Kya aarti mein hai? Kya bhog laga rahe? To prabhu ko aap pawa rahe hain? Nahi nahi. Wo man wahan hoga jahan priyata hai. To priyata kahan hai? Usi samay diary mein note kar lo. Priyata jahan hogi wahin man hoga. Theek pehchan us samay hogi jab prabhu ke bhajan mein lagoge. Aarti kar rahege, bhagwat karya kar rahege jab to us samay tumhara man jahan hai wahan priyata hai.

pakda aapne kahan priyata hai. To bas us priyata se ham aur priyata badha den. Ham hatane ki nahi kahte aur badha den. Jaise man lo patni mein priyata hai. Phir anya jagah kisi stri mein priyata nahi honi chahiye. Abhi maharaj ji shadi nahi hui. Nahi hui to phir priyata kahan hai? Bhagdaud zindagi mein laga rahta hai. Kamkaj ke vishay ismen priyata nahi hoti. Yah to dhan kamane ke liye hota hai. Priyata hui dhan mein to dhan kiske liye priy hai? Bhogon ke liye. Aur bhog jab abhi sansaar mein tabhi grih istemal aa jaata hai jab pani grahan sanskar hota hai.

aapki ayu kya hai? 29 varsh ka varsha jab krishi sukhani samay punika ka pitali to samay to nikla ja raha hai abhi byah ka ab bhale ek sal do sal aur man lo aap nahi waise hamen lagta hai uttam byah ka samay 20 se lekar ke 28 ke beech tak ho jana chahiye uttam baat ye hai ki itne mein ab 30 aur 32 aur 35 aur 40 ye koi byah ke samay ismen to ladka jawan hone lagte the. Byah karne ka man hai kya? Abhi do-ti sal baad hi hai. Abhi do-teen sal baad grahasti ka uchit samay yog hota hai. To badhiya hai. Naam jap kar rahe ho?

naam jap karte ho? Koi nasha to nahi karte? Haan. To bas nasha nahi karte. Naam jap karte ho to dhire-dhire sab sadgun aa jaenge. Naam mein bahut badi samarth hai. Kya naam jap karte ho? Radhe Radhe Radhe. Haan chalo japo. Radhehe japo. Koi granth padhte ho? Nahi. Satsang sunte ho? Kabhi-abhi pahli bar aaj suna. Kafi ajeeb ho aap. Bhagwan ki srishti mein ajeeb ajeeb jal hai. Pahli bar satsang suna. Accha chal aaj mera janmdin bhi hai to naya janm man lo leva satsang se jab bhagwan atishay kripalu hote hain tab sadhu sang milta hai jab drav din dayalu raghav to sadhu sangati paie to ek kam kiya karo aaj se 30 minute hamko satsang ke liye do roz satsang suno mobile se 30 minute satsang ke liye do aur 24 minute ekant ke do shanti se baith ke 24 ghanta mein jab tumhen samay mile to Radha Radha likhte hue dekho likho bhala Radha andar se likha Radha Radha andar bola Radha bahar likha Radha aankh khol ke aankh band

karo 24 minute ye karo aur 30 minute satsang suno aur koi paap karm na banne pave ismen savdhaan raho phir badhiya age bhagwan aapka mangalmay jeevan kar denge wo mangal bhavan hai jaise bhi thoda bhi bhagwan mein lag jae to jeev param mangal ko prapt ho jaata hai yah pakka samjh lo aur nasha nahi karte isliye bahadur aadmi ho bahut achhche aadmi ho haan nahi karte bas papacharan na hone pave paap aacharan se phir sammalinta aa jati hai koi aise nahi nahi aisa kuch andar dekh lo jahan ho to use kaat do ab lo nashani ab na nasho

aaj janmdin hai aapka to naya jeevan jio bhagwan ke charnon ka aashray lekar mangalmay jeevan jio haan ji shri Harivansh maharaj ji. Aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji. Man ki indriyon ne aisa itna prabal rup le liya hai ki wah kisi bhi manav sharir ko unke kapton, dhanrashiyon aur prasiddhata pe jaj karta hai. Maharaj ji isse kaise sanyam pe layen? Matlab samne wala kitna amir hai, kitna achhche kapde dale hain ya uska stetas kya hai? Us pe isko anklan karta hai. Phir usse baat karne ka ya baat nahi karni hai.

usko anklan karta hai. Rajogun vrittiya hai man ki. Yah koi khas vritti hai kya? Rajogun vritti hai. Jab tak naam jap nahi karoge tab tak yah sab kuda karkat bana hi rahega. Bhagwan ka smaran karne se hamare hriday mein satwikta badhti hai. Aklan kya kar sakte ho? Bahari dikhave ko aklan kahta hai kya? Kya jane? Aise kaise? Sadharan aadmi ek paijama aur kurta pahne hain. Arabon rupya uske paas hai. Kya janoge tum? Bahari dikha ek hamne aadmi ko dekha kheti likhane jaata tha waise kabar ki tarah bore mein note bhar ke koi poochne wala nahi tha aklan kaise laga sakte ho wo to bahari do char vyaktyo ko dekhkar aise aklan laga sakte ho bhajan karo sahi gyan drishti aayegi aur sab mein bhagwan ki bhavna karo ye pavitra drishti ye sab gandi baat hai isse tum vastvik nahi aklan laga sakte kya aklan lagaoge kaise aklan lagaoge aap hamen batao laga sakte ho pakka aklan to phir ye to vyarth ki baat rahi naam jap karo maharaj ji

kis baat pe aklan lagana chahiye aur kis baat ka aklan lagana chahiye agar samne wale ko dekhna hi hai to bhagvatik sadgunan ka aklan lagana chahiye nirbhay nishchintita nishokta daya ye jo daivi sampada ke sadgun hai hamko yah dekhne chahiye aur phir uska sang karna chahiye kusang ka tyag karke sant sang sant ka matlab hota hai jo sat mein sthit hai usse hamen sang karna chahiye wo buddhi hai nahi aklan karne ki to yah to papi log bhi aisa pahne ghume milenge to hamara papi se sambandh banae kya baat karen kya use mitrata ka vihaar karen kya nahi aisa nahi hai hriday ka accha ho wo zyada accha hai sabse bada dhani hai jo hriday ka accha hai wahi to dhani hai ye bahari to maharaj ji uski pehchan bahari lakshan se kaise karen jab tak bhajan nahi karoge to tumhari buddhi pahchanane layak kabar tolne wale taraaju se sona nahi tola jaata sone tolne ke taraaju alag ate hain.

aise hi jo bhagvatik sadgun pakdna hai to pehle bhagvatik bano na. Naam jap karo, shastr swadhyay karo, satsang karo, gurujanon ki seva karo, mata-pita aadi ke anushasan mein raho to tumhari buddhi pavitra hogi. Tab pavitra aur sabse badi baat hai sab mein shri bhagwan baithe hain. Tat suno maya krit gun aur dosh anek gun ya ubhay na dekhi dekhi sva vivek. Gun dosh donon mat dekho. Sab mein bhagwan dekho. Yah uttam baat rahegi. Gun dosho ki satta nahi hai. Bhagwan ki satta hai. Tat suno maya krit gun dosh anek gun ya ubhay na dekhi dekhi sva vivek tej Sharma ji Radhe Radha maharaj ji aapke shri mukh se kafi bar suna hai ki bhagwan ka naam jap va aashray se sabhi papon ka nash ho jaata hai.

lekin kai bar yah bhi suna hai ki karmon ka phal avashya mein bhoktavya bhaiya karm ka jo phal hamare paas aaya praarabdh bankar usko ham bhog lete hain aur jo sanchit karm wo bhasm ho jaate hain. Jo kraman wo sambhal ke karne ki paap na ban pave ham mukt ho jaate hain. Praarabdh bhog jo aaya hai wo chhuta hua baan hai. Lekin jor mein rakhe hain wo bhasm kar sakte hain. Ham jo chhut gaya baan laksh ved kar diya wo to dard hai hi hai. To praarabdh hai aa chuka hai. Bhajan aaj ham kar rahe hain aur praarabdh janm se pehle rach chuka hai.

ab usko bhogna padega. Jaise naam jab karta hai log usse hamen sahne ki samarth milti hai. Sahne ki samarth milti hai. Praarabdh nahi nasht hota. Praarabdh bhogna parta hai bade-bade siddho ko aur sanchit karm bhasm ho jaata hai aur kraman nishphal ho jaata hai aur praarabdh ko bhogne ki samarth bhagwan dete hain. To bhajan ki samarth sahati hai aur apni dincharya puri karati hai. Ham koi nirash nahi, koi hatash nahi, koi udas nahi. Yah bhagwan ke bhajan ka prabhav hai. Samjh pa rahe hain aap? Aapko thandi nahi lagti.

jitne se kam chal jae utne se chala lete hain. Ab kyonki pehle ganga kinare rahe na to ganga kinare bahut bhishan thandi hoti aur us samay hamne kabhi sweater sal kambal inka prayog nahi kiya. Maharaj ji bahut kasht hota hai par aap nahi ab matlab ab jaise ban hai ek ban apne itne se kam chal jaata hai to ham chala rahe hain kam ab jaise bahar nikelnge to ek bar mehsus hoga ki yahan thandi hai bas phir khatm chintan mein agar ham prabhu ka chintan kar rahe hain to phir in sab thandi garmi matra spasht kote sheetoshna sukh dukhda agma pitas tas bharat bachpan se iska sahai hai bhookh pyas garmi sardi mar dular donon sahe hain to ab bhagwan ki kripa se wo paripakva bhav ban gaya hai.

to isliye usmen koi tumhen dekh ke lagta hoga sardi lag rahi hai. Haveli lag rahi hai. Rua khada hai kya kahin? Hain? Haan ko dekhte hain na to phir aisa lagta hai ki ham bhi nahi pahne. To wahan pe rahte to nahi pahnte. Vrindavan mein do din se to matlab pahnna hi para hamko. Nahi pahnna padega. Praarabdh badla ja sakta hai naam jap se yar badla ja sakta hai par hamen lagta hai ki jaise machchar marne ke liye Brahmastra ka prayog kiya jae to bekar hai nahi Brahmastra ka prayog machchar marne ke liye bhajan ka prayog praarabdh praarabdh to bhog ke kat sakta hai ham bhajan karte hain bhagwat keval bhajan pe dhyan den bas bhajan pe dhyan do bhagwan tum pe dhyan denge tum bhagwan pe dhyan do bhagwan kahte hain na anannya chintan to mam ye jana parpasate nityabhukta naam yogkshm vamya main tumhara dhyan dunga yog aur ka tum mera chintan karo ji to kahin maharaj ji hain kahin maharaj ji yahan bhagwan ji ka hi rup to nahi hai ab ye to hamen pata nahi hamen to yah pata hai hamen to yah pata hai ki bhagwan ke ek tuchch daso ka das bhagwan ke das mera sawal yah tha ki bhakti kaise karen aur sansaar mein rah ke bhakti kaise karen?

dekho bhakti to ek hi tarah se hoti hai. Jeevan shaili do tarah ki hoti hai. Ek grahasti mein rahkar jeena ek virakti mein rah ke jeena. Lekin bhakti to aisi hi hogi. Jab bhakti ka rang chadega to nahi khanpan te bhave hai nahi komal vasant suhave hai sab vishay lage te khara hai hari ashik ka mag nyara hai narayan hari bhajan mein panchon suha vishay bhog nidra hansi jagat priti bahu baat chahe wo grihasth ho chahe virakta ho jab tak apni mamta bator kar sab jagah ki bhagwan ke charnon mein nahi samarpit kar dega akhand bhajan nahi karega tab tak bhagwat prapti kathin hai chahe koi bhi ho bhajan se bhagwan ki prapti hoti hai.

chahe virakta ho chahe grihasth ho rahne alag-alag hai. Ham maang ke khate hain. Aap aap mangne wale ko khavate hain. Antar itna hai. Ham maang ke khate hain aur aap mangne wale ko khavate hain. Aap mehnat karte hain. Ham bhajan mein mehnat karke aapko bhajan dete hain. Aap anya mein mehnat karke hamko bhojan dete hain. Donon ka ek dusre se aap hamen bhiksha dete hain. Ham aapko shiksha dete hain. Donon ek dusre ke purak hain. Par bhagwan ki prapti donon ko tabhi hogi jab akhand bhagwan ka chintan hoga. Nirantar bhagwan ka chintan ho.

to grihasth mein aisa karen apne karmon ko bhagwan ko samarpit kar de roz ke roz aur adhik se adhik naam japne ki cheshta karen to isse bhagwat bhakti badhegi aur bhagwat samarpan hoga to bhagwat prapti ho jaegi. Maharaj ji dukh mein bhakti zyada hoti hai. Sukh mein kam ho jati hai. Haan aisa haan aisa upay hai. Agar sukh mein bhagwan ki dular vritti dekho ki ham par kitna dular hai bhagwan ka to bar-bar unki yad aayegi nahi. Dekho kitna dular hai. Log thandi mein kapde nahi hai. Kamp rahe hain. Mujhe badhiya kapde bhagwan ne diye.

mujhe badhiya makan diya. Mujhe badhiya parivaar diya. Badi kripa hai bhagwan ki. Bada dular hai. To bar-bar bhagwan ka smaran ave. Jab ham sukh bhogne mein to phir bhagwan ka bhi smaran ho jaega aur sukh jitne unko sabko prasad bana le bhagwan ko arpit karke chahe vastr ho chahe rupya ho chahe jo bhagwan ko Swami bana le swayam sevak ban jae to sukh purvak bhagwan ki prapti ho jaegi dukh mein to bhagwan ka sumiran hota hi hai aur sukh mein ho sukh dukh mein sumiran sab kare sukh mein kare na koi jo sukh mein sumiran kare to dukh kahe ko ho santo ne kaha na to sukh mein to aur badhiya sumiran hona chahiye kyonki chakacha koi

pareshani rahe to aur Radha Radha Radha Radha dukh mein to pareshani yukt Radha Radha sukh mein anand yukt Radha Radha donon mein ho jaega abhyaas karo abhyaas bhogon ke milne par bhagwan chhut jaate hain ye galat baat hai bhogon ke milne par aur bhagwan ka dular lagna chahiye nahi ki dekho bhagwan ham par kitne prasann hai hamari koi asuvidhaa hi nahi sab suvida kiye to ham aur jape Radha Radha Radha Radha Radha Radha maharaj ji aapke duniya bhar mein itne shishya hain lakho hazaron main bhi unmein se ek hoon maharaj ji bahut pyar karta hoon aapse mujhe lagta hai ki kya mere guru ye jaan payenge ki main itna pyar karta hoon unse kya main unko jana paunga kabhi kya tum ye jaan paoge guru tumko pyar karte hain tabhi tum guru se pyar karte ho to ye jaan paoge ki guru tumko pyar karte hain tabhi tumhare hriday mein guru ke prati pyar aaya hai aapki taraf se nahi hai guru ki taraf se hai Gurudev Gurudev bhav mein acharya aur Gurudev ko prasadi khila sakte hain ki anamyai khilana paryapt prasadi

kaise khila sakte ho bhagwan rahte hain bagal mein to bhagwan ko khwa ke jaise haan aise haan aise aise aise ye ye uttam baat hai koi kabhi-kabhi bhav mein aata hai ki Gurudev ko bhi acharya ko aman hi khilaen nahi nahi nahi Gurudev ko pasand aayega pehle isht ko phir acharya ko phir Gurudev ko ye Gurudev ko pasand aayega nahi haan bahut sundar bahut sundar man mein jaise ichchha aati hai to main phir kahti hoon ki nahi mere ko ye kuch nahi chahiye aur thode din baad wahi chij puri ho jati hai to shri ji aur thakur ji kahin mujhse naraz to nahi ki wo ichchha jaldi-jaldi puri kar dete hain.

nahi waise chahiye ki ismen hamko harshit nahi hona chahiye. Jab hamari ichhao ki purti ho to hamen apne upar prashnavachak chinh khada kar dena chahiye ki ham kya bhakt hain? Prabhu ko sukh dene ki baat nahi sochte. Apne sukh mangne ki baat sochte hain aur shri ji main kabhi mangu bhi to aap pura mat karna aisa prarthna karna chahiye hamen raji nahi hona chahiye nahi hamara man mangta rahega udhar wo purti karte rahenge aur chhupte rahenge wo chhupte rahenge aur ham apni kamnao ki purti mein pura jeevan barbad kar denge aur kamnao ka kya astitva ye kabhi tikti thodi hai abhi ek kamna purti hui dusri khadi ho gayi tisri to ham ek bhakt thi unhone bhagwan se kaha tha ki yadi main swarg mangu to mujhe narak bhej dena yadi main sukh sukh mangu to mujhe dukh de dena.

he nath aap mere man ki kabhi puri mat karna. Usse uttam baat yahi hai ki ham prabhu se prarthna karen ki mere man ki purti na karna. Aapke man mein jo wahi karna ji Shyam jivni sharan ji nam maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji meri umr 14 sal hai. Main akhand brahmcharya ka niyam lena chahta hoon. Uske liye mere ko kya palan karna padega ki bahut kathin hai bachchha. Bahut kathin hai. Pahli baat to har samay gurujanon ki nazar mein hone chahiye aap. Dusri baat sansarik padhai wale bachchon ke beech mein nahi hone chahiye.

aap gurukul mein hona chahiye. Bina gurukul mein wo bhi guru ki nazar mein gurukul mein kusang na ho jae. Ekant sevan brahmcharya ke palan ke liye satvic ahar asuvidhaa yukt jeevan gurujanon ki kathor agyaa mein rahna tab jakar ke kahin nahi to abhi to bachchha ho abhi se thode dino mein aise jaise ghoon lag jaata hai na lakdi mein andar khokhla kar deta hai aise vasna durvasan man sada parikarshati wo purv janm ke sanskar purv janm ki kamnayen aapko girama shuru kar dengi ye kahte hain maharaj ji ki hamko yahi chhod aur yah bahut matlab Radha naam bhi jitna ka baten karte hain aur dusra puri chatrasi roz padhte hain.

ji lekin ab inko akele kaise nahi ismen ye sab samjhne ki baat hai ki ghar mein ya parivaar mein ya school mein akhand brahmcharya ka mahaul nahi milega. [gahri sans lene ki aawaz] aur bina mahaul ke ham akhand brahmachari abhi mobile rakhen naye ladkon se baat karen to akhand brahmachari akhand shabd bahut bhyawah hai unki soch hai bas hamen lagta hai ki brahmcharya shabd rakho akhand shabd chhod do akhand bhagwan ke upar chhod do ki aap jaise rakho ham to chahte hain akhand lekin akhand bhagwan ko samarpit kar do aur brahmcharya mein raho jab tak byah na ho brahmachari raho bhagwan bhagwan ki ichchha hogi to grihasth mein le jaenge.

bhagwan ki ichchha hogi virakta mein le jaenge. Aise chalo. Kyon? Apne jeevan ko bhagwan ke upar saump do. Wo sab sambhal lenge. Raj ji brahmcharya mein jaldi nahi utha pata subah. Sara brahmcharya man lete hain par subah jaldi nahi utha jaata. Aur thandi mein to bilkul nahi. Ek lota thanda pani rakh liya kar. Asli baat accha lagan lagi to phir ye sab baten hat jati hai. Lagan nahi lagi na isliye kai sal ke ho aap 16 haan to itne teen varsh ho gaye the hamen Baba bane hue 16 varsh mein teen trikal snaan ganga ji trikal prat ka hamara abhyaas ratri mein 2:00 baje uthne ka raha hai.

ab to aur jaldi ho gaya hai. Us samay jaise ganga kinare torcha nahi hai, bijli nahi hai to 2:00 baje ratri ke uthna aur thodi der bhajan mein baith ke phir ganga [gala saaf karne ki aawaz] ke kinare jana, snaan aadi karna aur ganga snaan is samay ek dubki lagao to pata lagega sir hai ki nahi. Itna thanda pani hai. Aapko lagta nahi ki abhi thoda sa aur so jaun. Jaise hi so nahi nahi hamen kabhi nahi laga. Kabhi nahi laga. Hamen yahi laga hai ki agar hamen ek jhapki lagi aur ghadi mein dekha to kai bar bhram hua hai ki ghadi galat hai kya?

yah abhi kah rahe 20 minute hua hai aur mujhe lagta main ghanton so chuka aur baithkar bhajan karne ka man hota adhik se adhik bhajan karun sone ka ye kabhi zindagi mein nahi aaya ki aap aram se aisa kabhi zindagi mein aaj bhi nahi bachchha bimar sharir hai 8:00 baje log sulate hain 11:00 baje uthkar baith jaate hain aur 11:00 baje se din chal rahi hai 11:00 baje tak chalegi kabhi aram vishram Ram kaj kinne bin moh kahan vishram Gayatri ji maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji main jo bhi karya karti hoon nokri karti hoon usi mein doob jati hoon.

kho jati hoon. Naam jap chhut jaata hai. Karya ke chhod dene se ya samapt ho jane se naam jap phir shuru hota hai. Man phir shant aur aandit hota hai. Par main kisi bhi paristhiti mein naam jap nahi chodna chahti. Maharaj ji iske liye mera margdarshan karen ki main kya karun? Abhyaas jitna hamara naam jap ka sudridh hoga utna hi jab ham yuddh karte hue naam jap karne ki agyaa ko dekhte hain bhagwan ki mahamar yuddh se to hamen lagta hai yuddh se badhkar to koi sansaar ka karya bhayav hai nahi usmen apni gardan bachani samne wale ki katni hai aur usmen bhi bhagwan ka smaran karte rahna to hamen lagta hai ki hamara abhyaas abhi kamzor hai to ham us abhyaas ko pusht karne ke liye do karya karen.

pahla karya jo karya ham kar rahe hain badi ekagrata se karen. Us karya ko bhagwan ko samarpit kar den. Do ghante, char ghante, aath ghante jo karya mein lage wo bhagwat arpit karm kar den. Dusri baat us aath ghante ke karya mein kya hamko bilkul ek minute bahirmukh nahi hue. Ek minute hamko us karya se sochne ka avsar nahi mila. Mila lekin hamen naam mein sahi priyata na hone ke karan ham naam ki jagah aur kuch sochne mein samay laga diya. Agar ham 5 minute mein ek bar Radha naam bole to ham bahut jaldi kawar kar lenge 24 ghante ko panch minute mein ek bar pakdo kiska hai prashn?

panch minute mein ek bar Radha naam sab koi pakdo ek bar bolna hai panch minute Radha khatm. Phir agle 5 minute mein ek bar bolna hai Radha yar itna to kisi bhi kam mein kiya ja sakta hai. Kampyutar chala ek second rok liya Radha phir panch minute chhuti phir ek bar bolo Radha kuch din baad aap dekho agar Radha mein na ho jao to hamen batana Radha Radha kyonki har panch minute mein chintan chalega ek bar Radha bolna hai saikadon bar Radha bol paoge aap pehle man ko phansana sikho to koi bhi karya aisa nahi hai jo karya karte hue bhajan na kiya ja sake jaise kai bar hamne kaha ham aapse baat kar rahe hain bade dhyan se aapka prashn sun sunte hain aur dhyan se uttar de rahe hain to kya is samay

bhajan rahit hai kya ki baat kar rahe hain to bilkul free baat kar rahe hain nahi hamare dimaag mein wo chal raha hai ek andar ka chintan hota hai aap yahan baithe ho lekin andar ka chintan chal raha hai us andar ke chintan mein naam pet kar do bas bahar hanste khelte khate pite uthte baithe wo andar chalta kam hi nari piya jim lobhi jim priy dham tim Raghunath nirantar priy lago mohe Ram abhi abhyaas karo kitne din ho gaye bhajan karte bachpan se karti hoon tab tak to abhyaas pusht ho jana chahiye tha par mera wahi beech mein main kho jati hoon kisi bhi sab log kho jaate aap thodi kho jaate hain sab khoe hue hai koi jaga hua hai har samay nahi to bahut savdhani se agar aap ye pida mehsus karen tad vismaran param vyakulte bhagwan ka vismaran hone par hriday ashniya ho jae to chalne lagega.

phir chalne lagega. Aap abhyaas karo par bahut dhanyavaad hai ki aap bhajan ke liye pida mehsus kar rahe aur mehsus karo. Tad vismarnan param vyakul teti bhagwan ka vismaran hone par hriday vyakul ho jae. He nath main kaise aapko bhul gaye? To abhyaas yog yukt chet sana nigamna yadi ham abhyaas aisa kar le to hamara chitt aur nahi jaega. Bhagwan ka chintan karte hue sab karya kar sakte hain. Sab karya kar sakte hain. Jab ham baat kar sakte hain to sab karya kar sakte hain. Jab arjun ji yuddh kar sakte hain to ham sab karya kar sakte hain.

bhagwan ka chintan karte hue rachna ji Delhi se Radhe-Radhe maharaj Radhe-Radhe maharaj ji maharaj [gala saaf karne ki aawaz] ji jeevan mukt samjh aata hai. Bhagwat prapt bhi samjh aata hai. Kintu bhagwat bodh sampann evam bhagwat prapt mahapurush mein kya antar hai? Bhagwat bodh sampann jo tatv bodh sampann mahapurush hai wah sarvatra tatv ka darshan karega lekin jo bhagwat sakshatkar kiye hue jaise Ram rup ka to jad chetan jag jeev ja sakal Ram mein jaan usko sab mein Ram dikhayee denge gopiyon ko Shyam dikhayee dete hain lekin tatv gyani ko brahm tatv nazar aata hai bhagwat tatv nazar aata hai wo rup ka nahi wo tatv ka hota hai samjh rahe bhagwat darshan sakshatkar aur tatv darshan mein itna antar hai jo vidya vinay sampann brahmin gavastani suni supakecha pandita

samadna jo vidya vinay sampann brahmin mein gay mein hathi mein kutte mein chandal mein ek hi tatv ko dekh raha hai wo gyani hai premi sarvatra apne prabhu ko dekhta hai jaise Gopiya nahi kah rahe jit dekho tit shyammay hai aur goswami ji kah rahe Siya Ram mein sab jag jani yah bhed hai tatv ko darshan karta hai ye rup darshan karte sab mein prabhu ka rup samaya sab mein usi ka rup samaya aur ek ek kan mein jahan drishti jati hai wahan apne prabhu ko dekhta hai samjh pa rahe hain aap haan ji jo bhagwat prapt hamen aisa lagta tha jinko olredi sakshatkar ho chuka hai prabhu ka sakshat aur bhagwat bodh sampann jinko jaise hamne kahaniyon mein ya granthon mein padha hai jismen upar se prakash ya akashvani hui ye koi filmi stail nahi hai ye tasma shastram prmanam shastr praman hona chahiye.

bhagwat tatv darshan vedant darshan ke anusaar hota hai. Aur yah bhakti ke anusaar bhagwat sakshatkar hota hai. Sab apne hriday mein bhi prabhu ka darshan sam mein bhagwan ka darshan hota hai. Samjh pa rahe hain aap? Yah sakar bhagwan ke darshan ki baat hai. Bhagwat sakshatkar aur tatv bodh wo nirakaar tatv ki baat hai. Wo sarvatra vyapt hai. Bijli ki tarah uska koi naam nahi koi rup nahi. Sarvatra ek hi tatv hai aur inka naam hai aur rup hai. Bole mere Ram ji sab mein virajman. Mere Shyam ji sab mein virajman hai.

Ghanshyam ji sab mein virajman. Samjh rahe hain na aap? Tatv wahi hai. Baat ek hi hai. Lekin ek nirakaar tatv ka darshan sarvatra karta hai aur ek sakar prabhu ka darshan karta hai. To use kaha gaya bhagwat sakshatkar. Use kaha gaya tatv bodh. Tatv bodh moksh padvi. Bhagwat sakshatkar prem padvi. Apne pritam ke rup mein rup chhake ghumat rahe tan ko tanik na bhan narayan drig jal bhay prem pehchan prabhu ki rup madhuri chintan mein aur wo tatv chintan mein sarvatra [gala saaf karne ki aawaz] ek hi tatv hai shant ho gaya maharaj ji ek hi mahapurush ko donon anubhav ho sakte hain.

nahi ek ek samay mein nahi ho sakte. Ab wo jaise tatv bodh ho gaya. Ab agar wah chahe to wah prem marg mein ja sakta hai. Chahe par chah mitti tabhi to tatv bodh hua to chah hoti nahi. Ab aise swabhavic bhagwan koi rup ka akarshan kar de. Jaise Madhusudhan Saraswati ji tatwabodh mein sthit mahapurush hai aur bhagwan jab Murli manohar ne apna rup dikhaya to kahne lage bansi vibhushit kara neerda peetambra darbi fala dashtat purn sundar mukhat darwind netra krishnat param kimap tatv maham na jane Krishna se bhi koi badhkar tatv hai aisa main nahi janta aur pehle tatv bodh mein the to tatv bataya na ki Krishna se badhkar koi tatv main aisa nahi janta.

ab unke chitt ko shri Krishna rup ne akarshit kar liya. Maharaj ji tatv ka pura gyan to haan pura tatv ka gyan to rahta hai. Maharaj ji jaise aap aap Banaras mein the to wahan bodh aur gyan donon hua maharaj ji ab aap is ye wale kshetra mein aapne purnata hasil ki to wo anubhav to hai hi maharaj ji par hamen zyada pareshani isliye nahi padi ki ham bhagwan shiv ke sakar rup ki bhi upasna mein ruchi rakhte the. Ham keval nirakaar tatv mein nahi rakhte the. Bhagwan shankar ke rup mein to rup mein ane mein hamen zyada pareshani nahi padi.

nahi ekdam shushk hriday rahta hai. Jo gyani ka hriday hota hai usmen karuna maitri nahi hoti. Karuna aur maitri nahi hoti. Ye upasna ka rang hota hai maharaj. Haan. Kyonki karuna kis par karen? Maitri kisse karen? Ab koi hai nahi to kisse karuna maitri karen? Ye sab vrittiya nahi rahti. Yah premi mein rahte hain. Karuna maitri ye sab milte hain. Adwashta bhut naam maitra karunach nirmamo nirhankar sam dukha sukha sabhi jo kisi bhi prani mein koi dosh darshan nahi karta ya sab mein ek hi bhagwan ko dekhta hai.

sabse mitrata aur karuna ka vihaar karta hai. Mitrata ka vihaar karta hai par mamta nahi hai. Karuna ka vihaar karta hai par ahankaar nahi hai. Nirmamo nirankara aur jo sukhdukh mein saman bhav wala hai aur kshamvan hai. Bhagwan kah rahe mujhe bahut priy hai aisa mahapurush par ye bahut kathin baten hain. Pravachan kar lena alag baat hai. Sthiti ana bahut kathin baat aati hai. Wo keval bhajan se aati hai. Gurujanon ke charnon ka aashray raat din bhajan to sthitiyan banti jati hai. Maharaj teen tarike se ham log bhagwan ke darshan kar sakte hain.

jaise ek to sab mein hamne bhagwat bhav kiya. Inme bhi bhagwan hai. Sab mein bhav karna alag baat hai. Bhagwat sakshatkar karna alag baat hai. To bhagwat sakshatkar jab hota hai to unki kant aap do shabdon mein kuch eksaplen karenge ki pehle ye pehle shabd mein kahte hain anirvchaniyam. Do shabd to ho hi nahi sakte. Pahla hi shabd hai anirvchaniyam. Anubhav gamya bhaje jeh santa kya aata hai? Anubhav. Wo sirf anubhav ka swaroop hai. Jo bhi varnan kiya jaata hai wo bahari baat hoti hai. Jaise hamne kaha hamare prabhu ki naveen jaldhar kant to kya naveen megh ki kant jo prakritik badal hai wo chidanandmay ka se joda ja sakta hai kya?

jaise varnan aaya Ram ji ka rup kaisa bole ke kanthav neelam jaise mor ke gale ki kant to kya mor ke gale ki kant dekh li to Ram ji ke kant dekh li kya? Nahi Ram ji ka chidanand rup hai. Chidanand mein deh tumhari vigat vikar jaan adhikari aur mor prakritik hai. To tero rup kahat nahi ave. Jaise hit Harivansh kachuk jas gawe. Aapka rup kahne mein nahi aata. Vani ki samarth nahi ki aapka rup varnan kar sake. Phir bhi vani ko pavitra karne ke liye prakrit shabdon ko jod karke unke rup ki kalpna bhavna aise ki jati hai.

bakaya wo anubhav gamya hai. Vani ki samarth nahi ki bol sake. Bole kaise bhagwan ke netr hain? Kamal dal to kya kamal dal ko dekh liya to bhagwan ke netr dekh liye. Priyaju ke netr kaise hain? Bole khanjan meen mrigaj mad metat kaha kaho nainan ki baten khanjan pakshi ke netr machhli ke netr aur mrig shavak ke netr bole inke abhiman ko metne wale priyaju ke netr khanjan meen mrigaj mad metat kaha kaho nainan ki baten to kya inke dekhne se Priyaju ke netr dekh liye kya jin netron ka ek bar bhaar para to lal jo murchhit ho jaate hain wo netr mrigaj mrig shavak ya meen ya khanjan upma mein hi nahi ate par ab karen to kya karen agar ham kuch ishara dena chahte to prakritik hi baat kahni

padegi aur wah jamti nahi hai bole surya ka prakash kaisa to kaagaz mein ham bana ke dikha den aisa aisa to abhas to hamen ho jaega lekin sahi mayne mein ham nahi dekh payenge abhas to ho jaega ki surya aisa aisi kirnen hongi jaise bijli hai ek bijli ki kant agar ham kaagaz mein utare to abhas to dila sakte hain ki badal mein bijli aisi hoti hai lekin kya wo bijli ki kant vastvik aa pai kya nahi aa pai na to ek prakritik bijli ki kant nahi aa pai aur pita arun anant tal latam anant bijliyon jaisi kant priyaju ke shri ang ki kaise aa paegi ham kah rahe hain jaise ham surya ko darshana chahe to kaagaz mein usi rang se rang kar jaise surya ki kant to hamen abhas ho jaega ki surya aisa hota hai abhas ho jaega aur ham kalpna kar sakte hain kalpna kar sakte hain na bhavna kar sakte aise hi jitne chitra hai bhagwan ki bhavna hai.

bhagwan ka jo swaroop hai net neti kah ke ved varnan karte hain. Koi aisa hai pura nahi kah sakta. Wo keval anubhav gam hai. Aur jinke hriday mein aaya to wo kah rahe hain ki nainan ke rasna nahi. Netron ne dekha par netron mein agar vani hoti to jyon ka tyun bolna chahte aur vani ke Naina nahi. Ab vani bolna chahti par dekha nahi. Jo bola wo dekha nahi aur jo dekha wo bola nahi to bada antray isi mein ho gaya. Aur bole jo hriday mein wo mukh mein late late bilkul adhura rah jaata hai. Kaise varnan karun to anirvachniy bhagwat swarup anirvachniy prem swarup kishori lal saini ji Jaipur se maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam.

maharaj ji kya karan hai ki manushya padha likha samajhdar va buddhiman hote hue bhi apna kam niklne ya purn hone ke baad karya karne walon ko bhula deta hai ya muhn fer leta hai. Aisa hi bhagwan ke saath bhi karta hai. Ye kiska mein pida hoti hai. Aapka swarth ki vritti rahti hai. Swarth ki purnata ke baad ye uprati dikhayee deti hai. Jab tak swarth nahi banta tab tak Prita yah to sansaar ka khel hai. Kisi ek vyakti ka hi vishay nahi hai. Yah sansaar ka vishay hai. Koi birla hi aisa hota hai jo paramarth ko samjhta ho.

nahi sab swarth mein hai. Aapse mitrata karenge. Aapse sambandh banayenge. Swarth ki purti ke liye sambandh khatm. Jahan swarth khatm. Jahan swarth ki purti hona band. Wahi sab sambandh bigad jaate hain. Chahe pati patni ko ho, chahe mata-pita putr ka ho, koi bhi sambandh ho. Aap sansaar mein dekho na budhe mata-pita ne jinhone apna jeevan bachchhe ko de diya. Sharir ka rakt doodh bana ke pilaya. Maa ke hi doodh se to bachchha palta. Ab jab wo vridh ab zaroorat hai uski to usko gali ke bahar nikal dete hain ya marte hain ya anathalay mein bhejte hain.

swarth parwastha buddhi bhrasht hai. Bina bhagwan ke bhajan ke buddhi shuddh nahi hoti hai. To sansaar ke rupya paisa swarth purti ke liye jahan swarth mein badha padi to jise pujya mana jaata to usi ko mar dete hain. Jise pran pyara mana jaata to usi ke saath dhokha kar dete hain. Yah swarth buddhi hai. Yah swarth jab tak nahi jaega tab tak yah swabhav bana hi rahega. Aur yah prayah koi birla hota hoga jo adhyatma samjhe. Nahi prayah swarth ka yahi khel chalta rahta hai. Ek bar Dronacharya ji Dronacharya naam suna hai?

Dronacharya ji aur drupad drupdi ke pita drupad ye jab haan yah jab padh rahe the gurukul mein to Dronacharya ji aur drupad sathi padh rahe the. Gurukul mein raja aur rajkumar aur garib bada sab ek saath padhte the. To unhone kaha suno hamare pita raja hain. Drupad ne kaha aur phir age chalkar main raja banunga. Jab main raja banunga na to tumhare pita kya hai? To unhone kaha hamare pita to rishi hain. Main to akinchan rishi ka putr hoon to rishi hi rehunnga. To bole jab tumhen avshyakta ho to mere paas aa jana.

to unka dost ho, mitra ho aisa kahna uchit hai. Lekin kya tum yad rakhoge us samay? To unka kaha avashya avashya to jab kripi ke saath vivah hua Dronacharya ji ka aur ashwatthama prakt hua tab unko avshyakta lagi ki putr ki seva ke liye jaise gau hai thoda dhan hai, aishwarya hai to pehle rishiyon ke paas to kand mul phal jangal mein rahna aur dhanur vidya ke parangat praveen Dronacharya ji the. To yah drupad ke yahan gaye to drupad se suchna hui. Naye raja bane the. Suchna unke pitaji padhar gaye to suchna hui ki koi rishi aaya hai.

unhone kaha ki kya yachna kar raha hai? Bole kah raha hai maharaj drupad hamare mitra hain. Main milna chahta hoon. To jab samne aae to pehchan gaye Dronacharya par mrig charm laga hua hai aur kahan wah raja ke pad mein to unka dost pahchana bole tumhen sharm nahi aati dost kahte hue main ek raja aur tum ek bhikshuk to unhone nahi ham tum gurukul mein pare shayad aapko dhyan bole main padhta hoon gurukul mein bachchhe rup mein ham padhe hain lekin is samay main raja hoon to unhone kaha hamari hamari dosti sweekar nahi ki tumne.

bole dosti ho hi nahi sakti. Ek nirdhan garib se aur ek raja se dosti kaise ho sakti hai? To unhone kaha main aisa nirdhan nahi hoon. Main dhanur vidya ka sabse bada dhani hoon. Aur yahi prashn tumse karunga. Pandavo ko shiksha di dhanurwed ki. Aur guru dakshina manga ki drupad ko bandi bana ke lao. To arjun ne drupad ko bandi bankar charnon mein dala. Kaha dost aap sweekar karte ho kyonki tum charnon mein pare ho hamare aur pura drupad rajya mere adhin hai kyonki jo vijay ho wahi raja ab bolo jao tumhare pran bakhashte hain tumhen rajya bakhashte adhe rajya ka kar hamko diya karo aake tabhi unhone Dronacharya ke marne ke liye yagya se drishtadyumna ko prakt kiya tha to swarth ki purti hone par bhul jaata hai vyakti ki ham iske dost hain ya hamara kya sambandh hai?

yah swarth bahut malinta buddhi mein paida karta hai aur yah bina bhagwan ke bhajan ke nahi jaata hai. Jab tak bhagwan ka bhajan nahi hoga tab tak ye swarth nahi mitne wala. Sur nar muni sabki yah riti swarth lagi kare sab priti. Aur swarth rahit jag jug upkari tumhare sevak asurari bole swarth rahit do hi hai he bhagwan aap aur bhagwan aapke premi bhaktjan nahi to sara jagat swarth parwash hai swarth bana to Radhe-Radhe bolegaa swarth nahi bana to tumse baat bhi nahi karega wo sir jhuka ke nikal jaega aisa sansaar ka swaroop hi hai ye kab tak chalta rahega ye samay chakra anadi anant us jamane mein to aadmi dod teenti00 sal chal de aaj to 50 60 sal ka jeevan hota hai.

abhi aur aayega 20 25 sal mein dan jaenge. Mouka hi nahi milta. Us time to badla le lete the. Abhi kal badla ki to baat chale. Nahi arjun bhoosh ko pakar laya raja ko. Aaj to mouka hi nahi milta kisi ko. Nahi ab 80 sal ki ayu to lagbhag hai hi hai. Ab aise aacharan gande hote ja rahe hain ki ab apni ayu ab 13 14 sal ka ladka hastmaithun karega. 18 20 ke bachchhe ye girlfriend boyfriend vybhchar karenge. Ye samarth honge jake. Nai fasal hai. Galeth par gehun ki hai. Galeth samjhte ho na? Aur fasal kaat le to kya hath lagega tumhare?

kuch nahi. To naye bachchhe hain. Ab inko chahiye ki 20-25 tak brahmachari rahe. Phir grihasth mein jaen to ye safal grihasth baenge. Ab 20-25 tak ekdam khokhla ho chuke jaise ghun lakdi mein lag jae. Ab unka jeevan kya hai? To pehle itni gandi baten to nahi thi. Aaj ke 50 varsh girlfriend boyfriend ye to nahi. Aapke jamane mein the kya? Girlfriend boyfriend haan to mobile nahi tha gandi baten sikhne ke chans nahi the to ek ganv mein dekho to 10 20 ladka aise nazar ate the hashtap ab charbi hai hashtapushta nahi hai jo mote hai na to wo charbi hai use hashtapushtata nahi kahte to kaise abhi to aur age samay aayega saij ghatta chala ja raha hai bal buddhi ghatti chali ja rahi hai vichar ghatte chale ja rahe hain kalyug ka aur prabhav badhega naam jap kar lo isse badhiya ho jaega.

naam jap karo apna kalyan kar lo to sabka kalyan ho jaega.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
  • jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…