॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #1336

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

dangat Sharma ji Radhehe maharaj ji atma ka swaroop kya hai? Kya atma swatantr hai? Ishwar ka swaroop aur ishwar swatantr hai? Haan atma param swatantr hai. Atma ek hai. Bahut rupon mein wah bhas rahi hai. Jaise ek karod ghade rakh diye jae aur usmen surya ka pratibimb pare to surya ek karod nahi ho gaye. Surya ek hi hai. Ghadon ke hisaab se wo chhota bada usmen bhas raha hai. Aise hi atma tatv ek hai. Ye sab ghade hain. Jad chaitanya eko brahm dwiteeyo nast atma tatv ek hai. Anekta ki bhasta jo hai isi anekta ko jo hai mita de.

wahi mahatma hai. Wahi vidvan hai. Wahi gyani hai. Jo ye mithya bhram ho gaya. Nanaat mein yah nanatwa ka bhram mit jae to anubhav ho jae ki atma ek hai. Ek ko brahm dviti nast. Dusra kya ismen prashn hai? Atma swatantr hai kya? Haan param swatantr param swatantr ishwar wahi ishwar hai. Wahi atma hai jo atma aur paramatma mein bhed manta hai. Wah agyani hai. Wo agyani hai. Wahi ek hai. Matta partram na kinch Dhananjay. Mere siva dusra koi nahi. Bhagwan shri Krishna kah rahe hain. Unhin ko gyani jan brahm kahte hain.

yogi jan parmeshvar paramatma kahte hain. Bhakt jan bhagwan kahte hain. Premi jan ladle kahte hain. Wo ek hi hai. Do nahi hai. Ek hote hue ek ko ham bahu shyama main ek bahut rupon mein ho jaun. Wahi khel raha hai. Dusra nahi hai. Wo param swatantr hai. Usko koi shasan mein sab uske shasan mein hai. Usko sab uske shasan mein hai. Sab kya hai? Maya. Maya kya hai? Bhram. Wah apne aap mein apna shasan karta hai. Apne aap mein apne aap se khelta hai aur apne aap se apne aap ka vinash kar leta hai. Samjh rahe hain? Bahut vichitra khel hai isko jo jaan gaya.

koi ascharya samay sunta hai. Koi ascharya mein dekhta hai. Koi ascharya mein anubhav karta hai. Anubhav kar liya to mukt ho gaya. Anubhav nahi kiya to khub gyan bol lo aur khub gyan sun lo. Aur pachne mein fanse rahoge maya ke hi. Yah bada vichitra khel hai maya ka. Aisa ho sakta hai ki atma ka gyan hai par bodh nahi hai. Ho sakta hai bhakti ka pravachan ho raha hai lekin bhagwan se prem nahi hai. Yah antarik baat hai. Ho sakta hai tum pravachan na kar pate ho lekin tumhen atmabadh ho. Tumhen atma prem ho.

ye matlab ye aisi akath kahani hai ki samjhne mein bhi nahi ate. Bhagwan Gurudev jisko anubhav kara de wahi atma pravchne labh medh bahuten na pravachan se aur na bahut buddhi se aur na bahut sunne se ise Gurudev kripa kar de moksh mulam guru kripa shuddh gyan ho jae jad chetan ki granthi ka jo bhram baith gaya hai ye nasht ho jae maharaj ji satya aur asatya kya hai? Shanti ka asli strot kya hai? Haan pahli baat to satya aur asatya iska nirnay vivek karta hai. Brahm satyam aur jagat mithya pura total Uma ka hoon main anubhav apna sat hari bhajan jagat sab sapna total pehle sweekar karen to aap lage kahan ho satya mein ki mithya mein imandari se dekho dular mithya ka kar rahe ho ki satya kya koshish satya ki hoti hai lekin satya kya hai wo pata hoga to us taraf jaenge ham nahi pata to guru hai sabko pata hai dekho bhagwan itna gyan to sabko de agar koi mar gaya ho pdos mein aur ro raha ho aur aapse kaha jae thodi der samjha do to aap samjhane ki samarth rakhte

hain ki ye dekho bhai ye mrityu lok hai yahan sabko marna padega sabko jana padega yahan kuch satya nahi hai aur jab murda le chalte hain to gramin bhi bolte hain Ram naam satya ka prichay sabko pata hai Ram naam satya hai bolte hain na ki satya kya hai dekho ye pure jeevan bhar hamare jo kandhe pe hai asatya karya ve laga raha to kam se kam marne ke samay sab Ram naam satya jo bhagwan mein sthit hai wo satya mein sthit hai aur jo jagat prapanch mein sthit hai wo asatya mein sthit hai ye andar ki baat hai andar ki

baat hai ho sakta hai sant bhash mein asatya mein sthit ho sakta hai tum pa shirt mein satya mein sthit ho iska bhed nahi jana ja sakta ise to keval guru bhagwan jante aur bhagwan jante hain samjh rahe ho? Satya aur asatya ka nirnay vivek se hota hai. Aur vivek jab jagrit hoga wah satsang se hoga. Bin satsang vivek na hoi aur Ram kripa bin sulabh na soi. To vivek itna praveen hota hai ki tatkaal satya ka anubhav aur asat ka tyag karata hai. To sat ka kabhi abhav nahi hai. Kahin bhi abhav nahi hai. Aur asat ki kahin satta nahi hai.

na sate vidyate bhav nabhav vidyate sata. Ab aap vichar karke dekho jab aap bhojan karte ho jab aap pani pite ho jab aap bhog bhogte ho jab aap nana prakaar ke vihaar karte ho to aap use natak rup mein karte ho ya satya rup mein to us samay satya lagta hai bas yahi yahi agyaan ki sthiti hai yahi agyaan ki sthiti hai aur gyani wahi hai waise hi vihaar karega lekin jaise role mein swang mein wo char ghante ke liye raja rani bane piche paisa liye na rani se matlab na raja se samjh rahe na waise hi yahan hamara vihaar hai pati putr parivaar nata sab

aise lekin wo ek swang hai wo apne ko janta hai ki main yahan na purush hoon na stri hoon main param brahm paramatma swaroop hoon aur wo kahta nahi hai vihaar aise karta dikhayee dega agyani jaisa lekin sthiti uski paramatma mein rahti hai yah satya hai ji shanti ka asli srot kya hai shraddwan labhte gyanam bahut dhyan se sunna shraddha late gyanam tatpara sahitendra gyanam labdh param shanti machte jo shraddwan purush sant mahatmaon ka satsang karta hai shastr swadhyay karta hai use jo gyan prapt hota hai us gyan se apne indriy aur man ka sanyam karta hai aur indriy man ka sanyam karke jab atma bodh rupi gyan prapt hota hai to param shanti prapt ho jati hai.

dusre shabdon mein bhogon ka tyag karne se shanti hoti hai. Tyaga shanti anantam jo bhog ka tyagi hai to aap dekho apne ko man samjhata hai bhog bhog le to shanti mil jaegi samjhata hai na imandari se dekh lo jab jis bhog ki ichchha jagrit hoti hai to man kahta hai is bhog ko bhog le to yahan shanti mil jaegi jhanjhat khatm hogi lekin jhanjhat khatm nahi hoti jhanjhat aur badh jati hai tyaga shanti antam bhagwan kah rahe hain tyaga shantim to shanti ki sthiti atma bodh mein hai vishyon ke tyag mein hai satya vastu paramatma atma hai.

sampurn paramatma ka bhav ho jae to yah jagat bhi sarvam khalmidam brahm hai. Nahi to yah mithya mano pehle aur brahm mein satya sthiti jagrit karo. Atma param swatantr hai. Wo sabka param prakashak hai. Uska koi prakashak nahi hai. Wo sabka adhar hai. Uska koi adhar nahi hai. Wo swayam mein hai. Samjh rahe ho? Aur wahi wo aap hain. Bas itni baat samjh jae to jeevan mukt ho gaye. Wo kah bahut hai kathin. Kahla kahna saral hai kaat kathin samjhat kathin aur sadhan kathin vivek bahut kathin marg hai aise kah dena bahut sharir mein pida ho phir main brahm hoon samjho ab gyan ka prayog jab apne upar vipatti ave sharir par nana prakaar ke kasht ave phir bhi muskurahat surakshit rahe to gyan surakshit hai nahi to chahe jitna ki main sharir nahi hoon aur aapko report di jae ki cancer sir akhiri stej pe hai.

phir aapki photo khinchi jae. Sara gyan ek kone mein bah jaega. Nahi bah jaega. Haan use kahte hain vachik gyan. Agar shuddh bodh hai to us samay bhi aap sthiti mein rahenge. Isko jana to tha hi ek nimit banna hai. Chala jaega. Ye chala jaega. Main to avinashi hoon. Mrityu bhi mera kya bigad sakti hai? Gyan ka matlab yah hai. Accha khane ko mil raha hai, pahne ko mil raha hai to main brahm hoon. Kah lo. Aur jab pratikultaon ki mar ave us samay bolo ki main brahm hoon tab baat samjh mein aayegi. Jeev aur jagat mein kya sambandh hai maharaj?

bhram bhram ka sambandh hai. Jasu kripa sab bhram mit jae girja swai kripalu raghurain. Jaise ek kanch ke mandir par khada hai. Kanch kai quality hota hai. Ek bada rup dikhata hai. Ek chhota rup, ek bhayav rup. Ab wo jo mandir mein khada hai kanch ke mandir mein apne bahut se rup dekh raha hai. Ab kisi rup se preyta kare kisi rup se nafrat kare to kya hai uska? Bhram hi to hai na. Wahi to hai na. Aise ek paramatma swaroop hai. Aur usi ko ham apni patni man rahe hain. Apne putr man rahe hain, mitra man rahe, kisi ko shatru man rahe, kisi ko nich man rahe, kisi ko bada man rahe hain.

to ye hai kya? Hamara hi to bhram hai ki satya vastu to nahi hai na satya vastu jab jaan jaoge to phir vidya vinay sampann brahmin ga hastani suni chapacha pandita sam darshana sab mein ek hai wahi main ek hoon khatm khel bhram ye jo jeev jagat ka sambandh hai ye bhram se hua hai agar ye bhram nasht ho jae jise agyaan kahte hain avidya kahte hain ahankaar kahte hain to jeev jeevan mukt ho jae samjh pa rahe hain aap ramdeen Tiwari ji Bhopal se Radha vallabh Siya shri Harivansh maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji ye das Swami shankaracharya ji maharaj ji se dixit hai maharaj ji se tarak mantr ki diksha mili Ram naam mein swabhavic ruchi prem hai maharaj ji main teen varsho se YouTube ke madhyam se aapka pravachan niyamit sun raha hoon.

maharaj ji manas mein aaya hai ki soi jaan dehit tum hi tum hi hoi jai. Maharaj ji tumhari kripa tum hi raghunandan janat bhagat bhagat ur chandan. Prashn yah hai maharaj ji ki bhagwat prapti kripa sadhya hai ya purusharth sadhya hai? Kripa sadhya hai to prabhu aisi praytn hamara aur kripa bhagwan ki kyonki hamare mein jo praytn karne ki bhavna bhi ai na wo bhagwan ki kripa se. Aaj satsang mein kah rahe the kayar purush bhagwat prapti nahi kar sakta. Hamara prayas purusharth aur bhagwan ki kripa aur jo purusharth ban raha hai wo bhi bhagwan ki kripa se.

kyonki ham Ram Ram bol rahe hain to Ram ji ki kripa se. Ham sant samagam satsang mein aae to Ram ji ki kripa se jab drah din dayalu raghav to sadhu sangati paie to hamara jitna bhi purusharth hai wo bhi kripa se ho raha hai par ham purusharthasheel rahenge kripa ka bharosa aur purusharth mein purn hamara dridh nishtha ki hamare chahe pran chale jae galat aacharan nahi karenge achhche aacharan karenge aur jitna samay avyartha kalatwam ek kshan bhi hamara khali nahi jana chahiye bhagwan ke smaran se aur koshish karta hoon. Haan bas praytn hamara kripa bhagwan ki praytn hamara ab ye ki galat acharno ki taraf jaise jo vrittiya hain unko sahan kiya jaata hai.

unke dwara aacharan nahi kiye jaate. Vrittiya uday hoti hai. Sahan kar lo to dhire-dhire shant ho jaenge. Jo hamare andar kupravrittiyan hain jo hamari kubuddhi ke dwara prerit hai unko nasht karna hai. Satmarg ki vrityio ke dwara asat marg ka daman karke aur phir sataarg ka jo phal hai ahankaar rahit ho jana. Yah sab bhagwan ki kripa se ho raha hai. Aisa bhakt ko anubhav hone lagta hai. Uska laukik aur parloulik jo bhi vihaar aur paramarth hai wah sab dekhne lagta hai. Bhagwan karva rahe hain. Swayam bhagwan hriday mein baithkar karva rahe hain.

mere dwara kuch nahi ho raha. Wo jeevan mukt mahapurush ho jaata hai. Janat tumhen tumhen haan tumhen ho jae. Matlab wo rammay ho jaata hai. Uska man Ram mein, buddhi Ram mein, chitt Ram mein, ahankaar Ram mein, usko jad chetan jag jeev jat sakal Ram may nahi sakal Ram main jaan bando sabke pad kamal sada jor jug pal wo bhagwat swaroop ko prapt ho jaata hai. Jo jitna naam jap karta hai aur bhagwan ki agyaa ka palan karta hai utna hi uske upar kripa utarti hai. Dekho goswami ji ne kaha purn kripa ka patr kaun banta hai?

to bole man kram vachan chhadi chaturi bhajat kripa kari hai raghurain jo man se vachan se karm se chhal kapt chhodkar bhagwan ka bhajan karta hai bhagwan us par nischit kripa karte hain aur bhagwan ki kripa hui ki wo bhagwatmay ho gaya unhin ki kripa sachchi maniye kisi ka ek bas bas nahi hai. Bas wo ahankaar ke karan sara ka sara dand milta hai. Nahi agar ahankaar galit ho jae to bhagwat swaroop hai. Har karm uske nishphal ho jae. Koi phal pradan shubh ashubh mein bandhne wale karm sab nishphal ho jaenge. Wo bhagwat prapt ho jaega.

jab tak phal hai tab tak bhagwat prapti nahi hai. Yah bada sukshm vishay hai. Karmon ka jab tak phal hai tab tak bhog hai. Jab karm nishphal ho gaye to unmein koi phal to laga le ki shubh ashubh dukh sukh ab wo bhagwat prapt ho jaega. Jab tak shubh ashubh hai tab tak bhagwat prapt nahi hoga aur jahan shubh ashubh donon nasht hue wo bhagwat prapt ho jaega. To bhagwan ki badi kripa hai aap par jo bhagwan ke naam mein jeevan ko samarpit kar rahe hain. Dainya hokar abhiman rahit hokar age badho. Ji maharaj ji jab satvic bhav mein subah rahte hain puja path karte to anand mein rahta hoon.

us din nikalne ke baad phir wo sthiti nahi rahti. Haan kyonki maya ka bhi to apna prabhav hai. Jaise bhakti ka prabhav hai. Aise maya ka prabhav koi chhota-mota prabhav nahi bahut bada prabhav hai. Agar ham pahredar sat angrakshak saath rakhen to hamko ek rahta hai na ki hamara garda hai. To naam paharu divas lisi samjh rahe nala har samay hamare saath pahredar hai. Naam Ram Ram Ram Ram Ram na Janaki ji ke hai na naam paru divas nish dhyan tumhare kapaat lochan nij pad jantit jah pran ke aur dusri baat maha bhagwat hanuman ji jab ham kisi kam ke liye chale ji to turant pehle prabhu ka smaran karte hain har samay par us samay vishesh ki prabhu is samay main aapke karya ke liye ja raha hoon.

aap aisi kripa karo ki yah karya karte hue aapka vismaran na ho aur yah jo karya hai wo aapke charnon mein samarpit pravish nagar keej sab kaja hriday rakh kaushal raja sab mangal hoga bhagwan mangal bhavan hai na sab mangal bhagwat smriti se yukt jo bhi kriyaen ki jati hai wo sab puja ho jati hai guru ji mere sadguru bhagwan brahmaleen ho gaye ek dedh sal ho gaya unke baad aap mein chavi dikhti hai unki chavi bas bhav se jo bhajan kar rahe ho na pahli pahli bar aapke darshan sakshat ho rahe hain. Astha nagar ji kota Rajasthan se shri maharaj maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji man jaise vatavran mein rahta hai vaisa hi vihaar karne lag jaata hai maharaj ji aise mein kaise apne marg par chale naam naam pahru divas nish dhyan tumhare kapaat dekho lanka mein naam jap karke vibhishan ji surakshit hai lanka mein maha bhagwat vibhishan ji hain jiska praman swayam bhagwan de rahe hain vibhishan ji se kah rahe tum sakhe sant priy more dharo deh na tumhare jaise santo ke liye main avatar dharan karta hoon.

vibhishan ji ko bhagwan shri Ram ji ne sant kaha. Vibhishan ji ko bhagwan shankar ne sant kaha. Jab Ravan ne lat mari aur vibhishan ji ne hath jodkar kaha tum pitu saris bhale moh mara to Kailash se bol pare bhagwan shankar Uma sant kahi bai jo mand karat jo kare bhalai ye dekho ye vibhishan sant hai to lanka mein jab sant ho sakte hain naam ke pratap se to phir aap vichar karo lanka mein Janaki ji kaise surakshit hai naam paru divas nish dhyan tumhare kapaat lochan nij pad jantit jah pran ke naam raksha kar raha hai. Isliye har jagah jahan bhi jao chahe jitna bada kusang ho yadi naam jap chal raha hai to tumhare upar koi asar nahi hoga.

aur agar naam jap nahi hai to phir to asar ho hi jaega vatavran ka. Jaisa sang hota hai vaisa hi rang chadta hai. To naam jap na bhulna aur kisi bhi sang mein chale jao. Ham kah rahe hain agar tum dost ke saath film dekhne ja rahe ho. Ab tum counter pe ang utha rakh lo. Radha Radha Radha ek bhi rang nahi chadega. Aur aapko jalan hogi ki main inke saath kyon aa gaya aur naam jab chhod do to aapko accha lagne lagega. Naam jap karoge to jo asat kriyaen wo achchhi hi nahi lagegi. Aap dekh lo naam jap karte hue aap Radha Radha Radha mat chodna aur koi bhi bhog ho aap dekho to aapko koi swad nahi milega kyonki asliyat prakash par raha hai.

ab rassi mein saanp samjh mein nahi aayega kyonki prakash hai. Rassi rassi samjh mein aayegi. To ye bhog asat hai. Jab naam chintan hoga to koi bhi bhog aapko sukh nahi de payega. Keval natak matra rahega. Wahi Paramhans hai jo bhogon ki ichchha nahi karta aur bhogon ko natak matra bhogta hai. Jaise man lo grihasth hai. Ab wo pariviarik sab sukh hai. Wo keval natak matra karta hai. Wo jeevan mukt ho jaega. Grahasti mein rahte hue bhi sant hai jo ichchha karke rag purvak bhog bhoga jaata hai wahi bandhan karak hota hai jo ichchha rahit bhagwan ke chintan se yukt wo bhog bhogte hue bhi bhog usko kabhi parast nahi kar sakte wo bhog rag nahi paida kar sakte asakti nahi paida kar sakte to jo rahim uttam prakriti ka kar sakat kusang chandan vish vyapat nahi lapte rahat bhujang chandan mein saanp lapte rahte hain to chandan apna gun sheetalata usko deta na ki vish chandan mein aa jaata hai.

to aise yadi ham naam jap kar rahe hain uttam swabhav wale hain to ham kisi bhi vatavran mein rahe koi fark nahi parta. Agar naam jap nahi to fark par jaega. Vatavran ka apna prabhav hota hai. Bhojan shuddh aur naam jap aap sansaar par vijay prapt kar lenge. Agar naam [nak se ki jane wali aawaz] jap nahi bhojan ashudh hai to phir waise hi buddhi ho jati hai. Waise buddhi ho jati hai. Omendra khatri ji Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji nirantar prayas karne ke baad bhi agar parinaam viparit aae aur viparit parinaam ane ke baad bhagwan ka nirantar vichar aae to kya hamen aur us taraf pryasrat rahna chahiye ya phir wo prayas chhod dena chahiye.

ab ismen yah dekhna padega ki wo aapka dharm hai karna jise aap wo kah rahe hain wo kriya kya dharm hai karna to phir uska prayas karna chahiye. Chodna nahi chahiye. Apne dharm ko swadharmo nidhan shrey par dharmo bhayav apne dharm ke karya ko chhodkar dusre ke karya ko karna bhay pradan karne wala hai. Apna dharm jaisa bhi hai apni jo dharm purvak kriya hai agar ham ek bar har rahe hain do bar har rahe hain to barabar harenge nahi ham jeetenge kyonki din hai to raat hai raat hai to din hai agar ham hare hain to vijay bhi hai wo milegi hamko ham bhagwan ke ansh hain aur ham bhagwan ka naam jap kar rahe hain to hamari vijay hogi hamen apne wo dharm jo tumhare kul dharm se chala raha hai dharm se yukt hai us kriya ko nahi chodna chahiye sumit kumar Sharma ji jarmani hamare bhai Sharma ji upar aaenge Radhavallabh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji nokri ke karan shareerik rup se videsh mein rahta hoon lekin man se aapke hi shri charnon mein evam Vrindavan dham mein rahne ka prayas karta hoon.

maharaj ji mera prashn hai ki videsh mein main mera maine yah kiya maine wo kiya iski bahut pradhanata hai. Karya kshetra mein bhi isi vikar ka badhava prachaar prasar evam dikhava kyonki wahan ka agar kuch adhyatma bhi hai to bas swarg nark tak hai. Iske age nahi hai. Agar yahan wahan koi jeevan muktata prem param pad ki baat hogi to bharat ke kisi rishi ka shishya hoga. Bharat ke kisi rishi se juda hoga. Nahi vishv mein kahin swarg nark se badhkar baat nahi hai. Jo moksh padvi hai, jo jeevan muktata hai, maha [gala saaf karne ki aawaz] prem hai, wo bharat ke rishiyon ki shodh hai.

bharat ke rishiyon ne use jana hai aur use prapt kiya. Agar vishv mein kahin hai yah shabd to bharat ke rishi se juda hua hai. Chahe wo parampragat juda ho, kahin bhi juda ho. To ab sab jagah ahmta ka hi khel chal raha hai. Ahankaar vimudhatma karta mante maine ye kiya main karunga. Ahankaari purush ki yahi bhasha hoti aur isi mein sukhi hona chahte hain. Isi mein sukhi hona chahte hain. Navam navam bhogon ko bhogna aur yahi zindagi ka rahasya man lena. Iske baad marne ke baad sab yahi rah jaega. Phir tumhara kya hoga?

iski koi khabar kisi ko nahi hai. Iski to agar jinko satsang hai unko chinta hone lagi hai. Nahi to jinko satsang nahi mila to budhe ho gaye usi mein fanse. Unko bas itna hi dikhayee de raha accha khane ko mile accha bhog agar indriyan bhi kam nahi kar rahi to bhi lipsa to bhi trishna to bhi bhog to ham yah kahte hain ki yadi satsang nahi sune aap aur yadi aapne bhajan ka abhyaas nahi kiya to yahi sab hai isi mein pura vishv lipt hai jo satsang sunte unke vivek jagrit hai to kam se kam aap is ahankaar mein na fanse.

aise bahut se videsh mein rahte hue bhakt hain ki jinki sadhna sunkar aur bhakti sunkar ke hriday mein garv hota hai. To jinko satsang prapt ho gaya, jinko gyan prapt ho raha hai, wah to nahi to accha se accha khao, accha se accha bhogo, bas mar jao. Itna hi to hai na. Khub kamao, khub khao, khub bhogo, mar jao. Bas itna hi hai. Lakshya itna hi hai. Iske age koi lakshya nahi hai. Ye bharat ki rishiyon ki anubhutiyan hai ki ye to pashu mein bhi hai. Pashu mein bhi nahi. Accha accha khao, soo, bhogo, mar jao.

din bhar isi mein to lage hain. Pashu keval pet bharne mein lage hain aur bhog bhogna aur nind mein so jana itne karya agar itne karya manushya mein to pashu aur manushya mein antar kya raha manushya ka karya hai kamao parivaar ka poshan karo sharir ko pusht rakho aur man ko bhagwan mein lagao jeevan ka uddeshya bhagwat prapti jine ke sadhan bahut hai jine ke sadhan hai ye bhog rag sab jine ke sadhan lekin ji kiske liye rahe bhagwan ke liye paramatma atma ke liye abhi jeevan sudhar jae abhi mangalmay ho jae to aap dhanyavaad ke patr ho ki aisi vilasita ki jagah mein rahkar bhagvatik aacharan aur bhagvatik chintan se yukt ho to isliye ham sabke beech mein rahe lekin rang kisi ka hamare upar na chadhe tabhi satsangi kahe jaenge kyonki sab jagah jana padega aisi bhi jagah jana padega jahan vilasita hi hai to Ravan ki lanka mein jaisi vilasita thi wo bahut vichitra thi par vibhishan ji ke upar koi rang nahi chadha.

hanuman ji ke upar koi rang nahi chadha. Wahan ki rahi vasini trijta ke upar koi rang nahi chadha. Trijta bhi to bhagwan ki mahan bhakta thi. Koi rang nahi chadha. To jo bhagwan ka chintan karta hai to kahin bhi rahe uske upar rang nahi chadega. Uska rang bhale chadh jae. Par bhagwan ka chintan hona. Agar chintan hone laga vishyon ka tab to rang chadh jaega. Tab to rang chadh jae. Hamare desh mein prem priyata kitna pavitra jeevan hota hai. Socho ki wo pani grahan kiya aur donon ek ho gaye. Na wo uski taraf raha anya ki taraf na wo anya ki taraf aur bahut badhiya jeevan mangalmay santan.

ab duty karke aa rahe ho. Man tumhara prafulit hai. Ab tum ghar mein gaye duty karke pata chala kahan? Wo bole dusre ke saath gayi. Ab kya tumhara hriday kahega? Ya tum kisi aur ko saath le aa rahe ho dekh rahi dusre kya kahega hriday kya kahega to aaj hridyon ki bahut safai ho rahi hai mata-pita ke prati jo hamara bhav hona chahiye jo patni ke prati bhav hona chahiye jo putr ke prati bhav hona chahiye jo vishuddh vishwas sabke beech se vishwas to gayab ho raha hai pata nahi ki putr maa ki hatya kar dega ki pita ki hatya kar dega pata nahi pati patni mein kya sambandh bada matlab matlab dekho prabhav aap dekho nahi bole bete ne apni maa ka gala kaat diya aisa kaise ho sakta hai jiska hamne doodh piya jiske ham udar mein rahe hain us maa ko aise kaise kar sakte hain buddhi badti chali ja rahi bhrasht hoti chali ja rahi isliye prem mein sukh hai putr ka prem patni ka prem mata-pita ka prem ab us ghar mein dekho kitna anand rahega ab yahan ghar kya ho rahe hain kalah ki jagah ban rahe hain irshya dves kalah vibhchar char nana prakaar ki apwitrataen ham apne samay ki baat kah rahe hain.

jab bachchhe the to bijli ganv mein nahi thi. Sham time deepak jala ke wo botal mein kerosin dal ke wo kapde ki baten aur ramayan padhi jati thi. To 10 20 log baithkar sunte the. Roz ramayan jo bade log hote the unke lalten hoti thi. Nahi praya aur deepak ek botal mein tel bhar liya aur kapde ki baten laga li aur usi se ramayan hoti thi. Sham ke roz aarti hoti thi. Subah 4:00 baje mata ji nikal kar dehri ke paas chauk puti thi aur deepak jalati thi. Sab mangal baten aaj kahan rah gaya? Aaj to sab matlab adhnikta badhti chali ja rahi.

subah 2:00 baje 4:00 baje log sote hain. 8:00 baje 10:00 baje jagte hain. To kab subah ho gaya unko pata hi nahi chala. To hamara shastr kahta hai ki brahm muhurt ke samay yadi nahi jaga jae. Surya uday ho raha hai aur aap so rahe hain to aapki ayu, aapki shri mane lakshmi, aapki pavitra buddhi ye sab nasht ho jaegi. Kisko parvah hai? Isiliye dekho kya buddhi rah gayi? Prat kal uth ke hamne dekha hai jitne pavitra bhav wale the na sab surya ko argh dena, Gayatri mantr japna, pavitra aacharan ab kahan bachchhe uthte hain?

11 12:00 baje uthte hain. Yah sab videshi baten apne desh mein aa gayi hain. Unka anuran wah hamara anuran kar rahe hain. [gala saaf karne ki aawaz] wah choti rakhane lage hain. Wah dhoti aur wah pahnte hain. Apne unka anuran kar rahe hain. Ham unko mahan samjh rahe hain. Aur wo hamare acharno ko dharan kar rahe hain. Aap dekho jake prabhupad ji ki kripa aisi hui hai ki hazaron angrej log Krishna Krishna japte hain. Nahi japte hain. Bahut santo bharatiya santo ki videshon mein badi kripa hui hai ki khub naam jap kar rahe hain.

dharm se chal rahe hain. To hamen lagta hai ham bharteeyon ko sudhna chahiye. Apne ko pehle sudharo phir ek-ek bachchhe ko sudharo. Ek-ek vyakti ko sudharo tab vishv guru banega. Hamare aacharan bhi sudhrane chahiye. Hamari pavitra surakshit rahni chahiye. To hamara bharat waise aapko batayen vishv guru hai. Kuch aise aacharan hain jo ab naye bachchon ke dwara nahi to hai. Jo anubhutiyan bharat mein ke rishiyon mein wo kahin anubhutiyan nahi hai. Isliye bahar to keval kamao khao bhogo aur maine ye kiya maine ye kiya.

bas yahi ahankaar ki baten hain. Maharaj ji aaj subah aapne satsang mein bola tha ki sirf mere ladle lal ye chij wo nahi to phir iske age puja vidhi kya chij hai? Puja vidhi to apne aap shuru ho jaegi. Hamen agar ham jhaddu laga rahe to puja fawda chala rahe to puja apne adhikar ke anusaar jo kartavya kar rahe hain wo puja ho jaegi. Jab ye hriday se man loge mere ladli lal hai. Puja ka matlab keval aarti ghumana ya bhagwan ko chandan lagana nahi. Puja ka ek ang wo hai. To bhagwan ki agyaa ka palan arjun kar rahe hain to yuddh bhi puja ho gaye.

hamare paas jo army ke ate hain unko yahi samjhate hain ki tumhari puja ye nahi ki na dho ke mala le baitho. Nahi jis samay jahan jaisa adesh hua waise taynaat aur rashtr ke prati purn samarpan aur andar se Radha Radha Radha aur yah baat ki main prabhu ka hoon. Ye garv rahna ki main prabhu ka hoon. To sab karm puja ban jaenge. Aapka bolna stuti ho jaega. Aapka sona samadhi ho jaegi. Aapki chalna parikrama ho jaega. Aapke har karm puja ban jaenge. Jab aap ye kahoge main ladli lal ka ladli lal mere baat samjh rahe hain aap?

aur phir samay mile to aur puja karo bhagwan ki. Lekin har karm puja ho jaega jab aap bhagwat samarpit ho jaenge. Ji Radha Raman ji phirojabad se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji mera prashn yah hai ki jaise ki aap jan bolte hain ki jab bhi hamare man mein kuch bhi galat vichar aae ya phir man kuch bhi galat gatividhiyan karne ki cheshta kare to hamen Radha Radha naam ka chintan shuru kar dena chahiye. Waise pehle se hi karna chahiye. Dushman aae tab ham bandook bhare. Aisa nahi pehle hi lod karke ham darwaze ke chhed mein lagae ki aaya ki goli mara.

pehle hi ham Radha Radha shuru kiye aur jahan aaya to delete hua wo kuch nahi kar payega. Lekin maharaj ji kya hota hai jaise nirantar jap bichbich mein karte hain lekin kai bar jab man mein kuch galat baat aati hai to us kuch us kuch matlab kuch samay ke liye man Radha naam ko chhod ke us chij ki nahi man chhod de to koi hani nahi hai tum na chodna naam nahi uska kam hai naam chhudrva dena samjhna us samay uska karya hai naam ko bhulwa dena ekdam bhulwa dena yah bahut badi hani ho jati hai us samay wo apna aisa sanskar jaise aap kisi bhog sukh ka chintan kar rahe hain kisi ka bhi khanpan koi bhi bhog sukh hai sab indriyon ke to jahan man aapke samne pesh kiya koi ghatna ya naveen baat sunkar bhogne ki kalpna to us samay aapko bhagwan se alag kar dega dhato vishay sangasteshu paja ab tumhare andar vishay ka dhyan jo jagrit hua aur prabhu ka vismaran hua ab bhog bhogne ki ichchha bhog bhogne ka sankalp kamna uski apurti mein jo krodh aur purti mein lobh matlab hani hi hani hai.

lobh aur krodh donon mudhta mudhta mein smriti bhram smriti bhramsa buddhi nash buddhi na pranasthati sadhak bhajan hin ho jaata hai. Pranasthati ka matlab nash ho jana. Nash ka matlab adhyatma ke marg se gir jana. Samjh pa rahe ho aap? Us samay hamko dat ke bhajan karna chahiye. Jis samay dushman aaya us samay thodi dheer chhod diya mast-shastr. Bhai har samay ham bandook tange ghum rahe ho jab dushman aae to phenk diya to fayda kya hua dushman ke samne to hamko dat ke ladna chahiye ab jab kam Radha Radha Radha wo kahega chup raho hamari baat suno aur wo kalpnatmak seen aapke samne laaega aapko andar sukh ka sparsh karaega aapko lagega ek bar bhog ke dekhun ek bar chakh ke dekhun ek bar sun ke dekhun ek bar bas wo ghasit lega aur Radha Radha nahi Radha Radha Radha Radha Radha wo jala aayega aapko ek jalan mehsus hogi usi ko sah gaye to age badh jaoge

aur nahi sah gaye to ghasit ke piche aise dal dega ki phir bhajan mein man hi nahi lagega us samay ladna chahiye bachchha par us samay ladne ka dhyan nahi rahta us samay wo jo hamare samne samgri phenk raha hai manoranjan ki us par ham lag jaate hain wo dana chugne lagte hain nahi hamen jal nahi dikhayee deta hamen dana dikhayee deta hai haan vishay chuga jin chug chugat kachuk sukh hoe phir phansi aisi lage te sam dukh na koi jaise panchhiyon ko jal nahi dikhayee deta dana dikhayee deta hai aur jab dana ko chugne ko baithe to jal ne fansh liya aise hi hamko vishay sukh dikhayee deta hai lekin usmen jo bandhan hai wo hamen nahi dikhayee deta wo to baad mein bhogna padega koi vastu koi vishay jo priy lagta hai wo fansh leta hai phansne ka matlab yah hota ekant ant mein jiska bhagwan se alag chintan hone lage us vastu ne vyakti ne hamko fansh liya jiska bar-bar chehra ave jiski seen ave bar-bar chintan ho to jaan lo ki bhagwan se vilag ye maya hai aur isne mujhe fansh liya maine kaun si chuk ki jo phas gaya tab aapko dikhayee

dega us samay bhagwan ko bhul gaye aur ise satya man liya isi ke karan phas gaye to bahut kathin hai bhai yuddh koi saral hota hai koi yuddh saral hota hai ham kah rahe kushti ka dekh lo yuddh chuk gaye to dhobiya pachh chhat se mar dega koi bhi yuddh ho to ab maya ke saath ho raha hai yuddh ham balvan hai aisa nirbhal nahi hamare saath bhagwan ka bal hai bhakti ka bal hai jaise bhagwan ki maya hai mam maya aise bhagwan ka ham bhi hain mamwa ansho jeev loke bhagwan kah rahe na tu mera ansh hai to ham kamzor party nahi hai ham

parast kar sakte hain par ham bhul jaate hain apne bal ko aur uske pralobhan mein aa gaye haan uske ke pralobhan mein aa gaye. Ye matlab kabaddi ka khel samjho. Hamko maya ki pali mein bolne jana hai. Kabaddi ka siddhant hota hai agar sans tut gayi aur pale tak nahi le paye to aut ho jaoge. Donon baton mein sans tut gayi to aut. Pale tak nahi laye to aut. To hamko Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha sab kam mein karna hai maya mein jana hai vyapar nokri sab vihaar lekin andar Radha Radha sans na tutne paye aur apne pale pe ana hai main bhagwan ka das hoon har kriya har varta shuddh honi chahiye bhagwan ke charnon mein samarpit karna yah hamen dhyan rahe to yah pale pe ana nahi to agar sans tut gayi aur ya bhagwan ka vismaran ho gaya to phir aut tumhara lakshya gaya to aut bahut sansaar mein dane maya daalegi pehchan mein nahi aati aur pehchan usi ke hriday mein hoti hai jo naam jap karta hai.

hazaron bar galti hoti hai. Ek do bar nahi hazaron bar galti kyonki vipaksh jordar koi sadharan thodi hai. Pachad lagane mein ek jara sa chuk hui ki dhobiya pachad mara. Accha chitt gira ja ke baad mein pata chalta hai accha pehle to lagta hi nahi ki ye hamara yuddh ho raha hai. Maya se yuddh ho raha hai. Aisa lagta hi nahi. Haan bahut vichitra hai. Bahut vichitra aur ek bar daldal mein gira to phir nikalne layak nahi rahta. Bahut vichitra hai aur badhiya hai. Abhi jawan sharir bhagwan tumhare upar kripa kiye hain ki tumhari buddhi paramarth ki taraf lag rahi.

achhche se chalo. Theek hai. Harna koi badi baat nahi hai. Har ke pare rahna badi baat hai. Harna koi baat nahi. Yahan to harna to harne pe hamen ek utsah rakhna chahiye ki main hara kyon? Point kya hai harne ka? Hamen dhundna chahiye aur us chhidr ko band kar dena chahiye. Accha mera chintan chhut gaya tha. Maine isko mahan man liya bhagwan se. Isko sukhad man liya isliye main chuk ho gayi. Ab agli bar dekhenge. Ab wo ek do din tumhare samne aise prashn nahi rakhegi. Achanak rakhegi. Jab tum bhul chuke hoge.

achanak rakenge phir fansa legi. Phir lagega ab phir har gaye. To nirash nahi hona. Wo 1000 bar haraegi to ham 1000 ke baad bhi khade hokar bhagwan ke marg mein chalenge. Aisa pathik jeetta hai. Har karke nirash hone wala is marg mein nahi chal ki aaj 10 bar prayas kiya 10on bar har gaye. Ab hamse to nahi hone wala. Nahi nahi harna ho sakta hai. Lekin rukna nahi hai. Kadam age badhana hai. Samjh rahe hain aap? Karan ji Vrindavan. Akshay patel ji Australia se maharaj ji aap donon ka ek jaise prashn the sharanagati pe maharaj ji karan ji ka prashn hai ki maharaj ji waise to yah sawal puchna sharanagati pe sawal uthana hai par main ye sawal apni sharanagati ko aur dridh banane ke liye pooch raha hoon maharaj ji Priya pritam ke sharanagat bhakt ke kya lakshan hai aur maharaj ji ek dusre pooch rahe hain ki kal ka satsang bada hi advitiy aur avismarneey tha uske anusaar bhagwan ki purn sharanagati uttam masti mein ham bol rahe the na apne hriday ki baat bol rahe the dekho agar lakshan poohe jaenge to phir wah kasauti ho jati hai.

aur jab hamen sharanagati honi hai to sabse pehle hamen sweekar karna hai ki ham kisi lakshan yogya nahi hai. Apbal tapbal aur bahubal chautha bal hai dam sur kishor kripa te hare ko hari naam sab bal hare ko hari naam bachchha jab hriday mein ham dekhte hain ki hamare mein koi samarth nahi hai na abhi apki ahankaar galit nahi hua isliye hamari baat nahi samjh paoge kuch bhi tumhare hath mein nahi hai sachchai se dekho sachchai se sharir ki rachna tumne nahi ki hai ki hai kya nahi ki man ki rachna tumne ki hai kya ye sukshm sharir swabhav ki rachna tumne ki kya aur tum kaun ho prabhu ke ansh ho to tumne bhi apni rachna nahi ki accha ismen tumhara keval kora ahankaar hai nahi hai kya tumhara hamen bata do bilkul matlab spasht ham varnan kar rahe ab dekho ek rom agar gir jae to dobara laga nahi sakte.

gond se bhale chipka lo lekin laga nahi sakte. Matlab aapki samarth kuch nahi. Keval aapko swatantrata di gayi hai. Karm aur adharm jo kukarma inme tum kya pasand karte ho? Kya karna chahte ho? Agar in donon ko nahi pasand karte ho to bhajan karke bhagwan ki prapti kar sakte ho. Itni chhut di gayi bas aur iske alawa tum kuch nahi kar sakte. To jab vichar karke dekha gaya ki karm jo hai shubh karm wah bhi fansane wala hai sukh mein aur ashubh karm dukh mein bandhne wala hai aur bhajan akhand prasannata deti hai. Ab ham bhajan karna chahte to man bhajan nahi karta kyonki uska purvabhaas gande acharno ka hai aur sharir mein itna rag ho gaya ki main purush hoon to hamara akarshan ban gaya hai bhogon ki taraf.

ab yahi bandhan chhutane ke liye hamen jo gyan chahiye wo hamare paas hai nahi. Pakki baat dekho bachchha lakho gyanyon mein koi ek aisa hoga jisko bodh ho. Jo jankari hai uska prayog ho. Lekin jankari sabko hai. Prayog nahi hai. Koi lakho mein koi ek aisa hai jisko bodh ho ki main chidanand bhagwan ka swaroop hoon. Main sharir nahi hoon. Jara si pida sharir mein aayegi sara gyan dhul dusri ho jaega. Ab hamko jab pata chala ki na ham mein wah gyan hai, na ham mein wah prem hai, na ham mein koi sadgun hai.

he prabhu main aapka he nath main aapka sachchai se dekho agar ham kahe ab lakshan uske bata rahe hain. Shri Krishna anukul pratikuls visarjan matra bhagwan ki agyaa par chalna aur unki agyaa ke pratikul sab tyag kar dena bhala hai aise pura jeevan ho gaya hai lekin agar kahe hai pura to ham bhi aise kah denge ki jaise wo chala rahe hain waise chal rahe hain. Ham yah nahi kah sakte ki nahi aise kyon aise karte hi prashn aa jaega maya ka aise karte narad ji ko aaya ki main kam vijay prashn aa gaya aur har gaye uttar nahi de paye bhagwan ko shraap de diya aise maya mohit ho gaye to bachchha sabse bada lakshan hai ki ham mein koi lakshan hai hi nahi samjh rahe hain sabse bada lakshan hai sharanagati ka ki ham mein sharanagat kab hota hai jeev?

sharanagat kab hota hai? Jab apne ko purn asmarth man leta hai. Tab tak sharanagat ka natak hota hai. Jab tak ham mein koi samarth hai dikhayee deti hai tab tak sharanagat ka natak hota hai. Aur jab apne mein koi samarth nahi rahti tab sachchi sharanagat hoti hai. Atankwadi ho chahe dakait ho chahe koi sharanagat kab hota hai? Sarendar kab hota hai? Jab usko charon taraf har raste band nazar ate ho aata hai ab shoot kar diye jaenge aise ho jaata hai na to aise hi hamare charon taraf dekhne par andhera hi andhera hai na ham kam vijay hai na krodh vijay hai na lobh vijay hai na moh vijay hai na ahankaar vijay hai na matsar vijay hai ye D vikar jit anag akama bhagwan ka sharanagat bhakt kaisa hota hai D vikar ye jo chhah vikar hai kam krodh lobh moh man matsar jit inko jit leta hai aur anag nishpap hota hai.

akama usmen koi kamna nahi hoti hai. Agar ham lakshan varnan shuru karenge na to ekko lakshan ham mein nahi hai. Imandari se dekho. Nahi accha chhah urmiyon par vijay prapt kiye hota hai. Chhah urmi jara, shok, moh, bhookh, pyas, mrityu in par wo vijay prapt kiye hota hai. Aur in chhah par vijay prapt kiye hota hai. Man, panch gyanendriay. Chhah dosho par vijay kam krodh lobh moh mad matsar shok moh jara mrityu bhookh pyas ye chhah aur man aur panch gyanendriay ye chhah apne mein hai bhala hai ekko imandari se batao na bhookh tumhare kabje mein na pyas tumhare kabje mein na budhapa tumhare kabje mein na shok tumhare kabje mein hai na mrityu tumhare kabje mein kya kabje mein kuch nahi na man kabje mein na panch gyanendriay kabje mein na ham ye kam krodh lodi vijay hain.

ab inko dekho phir param akinchan priy harik kere akinchanta Priya pritam prabhu ke siva kuch hamara nahi bhala aisa hai hriday mein nahi vani se bol sakte hain hriday se nahi aniket amani unke ghar nahi hota arthat ghar mein ahmta nahi hoti parivaar mein mamta nahi hoti sabki mamta tag batori mam padamne bandhi bar dori ekko koi lakshan nahi agar lakshan ke to pure shastr bhare pare hain un titaksha sahnseel har kasht ko sahna garmi sardi barsat ko sahna bhala hai kahan sahenshilta hai abhi sardi shuru hui hai dekho sab log badhiya-badhiya kapde pahnna shuru kar diye kyonki sardi ko sahan karne ki samarth kathin hai koi khilwad thodi hai sardi sahan karna apne log jaise ganga kinare pura jeevan ho sahte hue aur yah keval isliye hai ki ham yahan hai nahi ganga kinare abhi nahi tha khule khule aise sahna to ekko sharan jab ye sab kar chuke hain tab ham kah rahe hain ki ham sharanagat ham mein ek ko chal rahi kyon wahi sab karvaaye the wahi samarth diye the abhi kal se kaho shuru ho jae to ham sweater ke upar sweater pahan

le wo samarth diye to aise ham rah rahe hain to hamen lagta hai sharanagati ka sabse pahla lakshan hai ki main kisi layak nahi hoon yah andar baitha lo. Dusra lakshan ki he nath aapko jaisa banana ho aap bana lena. Tisra lakshan main kabhi bhi kisi bhi tarah se dig sakta hoon. Aap mujhe pakde rahna. Ham pakki sharanagati wali baat bata rahe hain. Main kabhi bhi kahin bhi dig sakta hoon, gir sakta hoon. Aap mujhe pakde rahna. Jaise sharanagat ka maha bhagwat ka lakshan hai. Tribhuvan ki rajya lakshmi dene par bhi jo adhe pal ke liye bhagwan ko na bhule wah maha bhagwat yahan thode se bhog mein prabhu ko bhul sakte hain.

accha bhojan mile to prabhu ko bhul jaenge. Khate samay prabhu ko bhul jaenge aur bhog aur to aur balvan hai. Phir prabhu ko bhul jaenge. Apne logon mein ek aur lakshan nahi. Ham yahi ki sakal ang gun hin ho sharanagati sakal ang gunheen ho tako yatan na koi ek kishori kripa te jo kachu hoe so hoi ab mere mere mein koi gun nahi he shri ji main aapki sharan mein hoon ab aapke banae banegi mere banae nahi banegi Radha Radha Radha wo sab sadgun sampann ho jaega. Sab daivi sampada aa jaegi kyonki ahankaar hin hai.

par usmen kabhi yah dikhayee nahi dega ki mere mein sadgun hai. Dusron ko dikhayee dega. Usse puchoge to ro ke yahi kahega main to bahut nich hoon. Haan ye jarur hai ki mere prabhu ne ham par kripa ki hai. Main unka sharanagat hoon. Bas itni baat hai. Bakaya main to bahut nich hoon. Yah baat hai. Agar ham soche ki sharanagati ke lakshan padhkar ke ya sunkar ham un par chal pave to aise samjho nahi. Ham kal ki charcha mein kaha tha do prakaar ki sharanagati hoti hai. Ek hoti hai bandriya ke bachchha ki sharanagati, ek hoti hai bilaiya ke bachchha ki.

bandriya ka bachchha swayam chipka rahta hai. Jaise khel bhi raha hai pith mein baitha hai aur bandriya ko chhalang lagni to halka ishara deti hai aise ki savdhaan aur mari chhalang agar chuk gaya to dhamma se beech mein gireega chhut diya uska koi usmen aur bilaiya ke bachchha mein aisa nahi isharavishara kuch matlab nahi apne muhn mein dabao aur jahan le jana wahan rakhe aao ye badhiya sharanagati ki hamko ishara mat dena ham to myau bolenge waise baithe rahenge jahan baithe hain tumhen jahan pahunchana hai jo sadgun dena hai jo gyan gyan dena hai jaise yogya banana hai aap bana lo prabhu meri samarth nahi shuddh sharanagati aur bas naam jap na chhute har samay sharanagati mein raho har samay sharanagati ka matlab jaise aapka man kah raha hai ye galat karna hai to aap mein samarth nahi to aapke samarthyavan par drishti jani chahiye prabhu par prabhu dekho mera man kam se yukt ho raha ho galat marg mein le ja raha hai nath aap bachao he prabhu he karunamay meri samarth nahi main bach paun Radha Radha Radha zyada param mangal hoga.

kuch bhi ho jae tumhara param mangal hoga. Kyonki aapne pehle report ki bhagwan se. Ab wo na bachhae. Ek baat kah raha hoon. Kisi karanwash to aap jahan giroge wahan bhagwan ki god hogi. Tumhara patan nahi ho sakta. Tumhara nash nahi ho sakta. Tumhari avnti nahi ho sakti. Us yo hote hue bhi aapki unnati hogi. Samjh rahe ho hamari baat? To hamen bhagwan ka aashray do baten pakar lo. Hriday se bhagwan ka aashray aur jaban se naam jap mangal ho jaega. Sab lakshan aa jaenge. Sab sadgun aa jaenge. Sab samarth aa jaegi.

dekh

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
  • jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…