॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #1348

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

saumya Mishra ji Agra se maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Are ji prashn aajkal bahut sare damptiyon ka hai. Yah kah rahe hain ki ham patip donon nokri karte hain. Hamari dhai sal ki bitiya hai. Abhi uske palan poshan ki utna samay nahi de pane ke karan ek chinta bani rahti hai na hi nokri mein. Are jinke liye ham rupya kama rahe hain unko samay nahi de pa rahe hain. To rupya kis kam ka? Ham kah rahe hain thoda dhan kam ave lekin apne bachchon ko pyar dular karke agar unko ham sahi rasta dikha sake samay nikalo.

yah aapki vishay nahi hai. Yah bahut bade star se hai. Are use maa ka pyar chahiye. Naukrani ki seva nahi chahiye. Vatsalya aapke andar hai. Aap rupaye kamane mein samay de rahe hain. To hamen lagta hai ki ye ham nahi kahte ki ghar baith jao. Lekin aisa samay ka kram rakho ki thodi der pita ka pyar to thodi der mata ka pyar bachchon ko milna chahiye. Agar pyar nahi doge to kal phir wo jab apne swaroop mein aaenge tab aapko pyar nahi denge. Wo jaisejaise saye honge waise-waise aapke prati unka vatsalya bhav na milne ke karan wo bhav nahi rahega.

phir aap vriddhavastha mein aap chahoge ki aapko pyar mile to nahi milega. Mujhe lagta hai arth hi sab kuch nahi hai. Pyar bhi ek apni samarth rakhta hai. Man lo aapne mata-pita ko anathalay mein bhej diya aur har mahine paise dete raho to kya mata-pita ki seva ho jaegi? Unko apne bachchhe se kam mithi chai bhi achchhi lagegi. Apna bachchha jab pyar karega to wo sukh unko pusht karega na ki paisa ya accha bhojan nahi. Aise hi bachchhe ko maa ki godi ke dwara poshan hota hai. Ab nokri pesha mein tum bachchon ke saath aisa vihaar to kiske liye dhan kama rahe ho?

hamen to lagta hai ki samay dena chahiye. Bachchon ko adhik se adhik samay dena chahiye. Haan adhik se adhik samay dena chahiye. Nokri pesha yahi keval hamara lakshya nahi hai. Paisa hi lakshya nahi hai. Bachchon ko pyar chahiye. Ab wo pyar milega nahi to phir wo akhiri mein jab saye honge na to aapke prati wo nafrat ka vihaar karenge ki aap bardast nahi kar paoge to mujhe lagta hai mata-pita se prarthna hai sab jitne bhi bhartvassi ya jo bhi kan mein sun rahe ho aap apna samay apne bachchon ke liye nikalie nahi bachchon ka bhavishya aur aapka bhavishya sankat mein par jaega aapka bhi bhavishya sankat mein par jaega kyonki aap jawan hi nahi rahenge aap vridh honge aapko pyar ki zaroorat hogi aapne pyar diya nahi to bachchon se pyar mil hi nahi sakta.

aapka karm hai. Aapne pyar nahi diya. Rupya diya hai. Wo rupya aapke samne rakh denge aur pare rahie. Ham aapko samay nahi de sakte kyonki aapne samay nahi diya. Avshyakta vriddhavastha mein hoti hai bachchon ko samay dene ki ki wo bachchhe hamen samay den. Thodi der paas baith jae. Thodi der hamse pyar se baat karen. Wo karenge nahi. Kyonki aapne nahi kiya. Apne bachchon se pyar to wo kaise pyar karenge? Mujhe lagta hai karna chahiye. Samay nikalna chahiye. Rupya ya nokri hi sab kuch nahi hoti.

bachchhe ke sanskar jo apni god mein rakh ke wo naukrani se nahi honge. Naukrani doodh pilaegi, naukrani khavaegi, naukrani rakhegi to bachchha pyar ke liye tarasta rahega. Yah hamen theek kam lagta hai. Hamen lagta hai aap ko sudhar karna chahiye. Apni dincharya mein ki 8 ghante duty mein jana hai to uske beech mein pati ko jab wo pati duty mein to aap donon ek saath nikal gaye. Aisa theek nahi hai. Donon ka kram alag-alag hona chahiye aur bachchon ka sanidhy jarur jarur maa-pita ko milna chahiye. Maa-pita ko bachchon ka sanidhy avashyak hai kyonki usi se sudhar hota hai.

umesh Jain ji Kanada se Radha [gala saaf karne ki aawaz] vallabh shri umesh maharaj maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji guru aur eesta mein dridh aashray ko pakdne ke vishay mein jo hriday ki baat kahi wo arni rachni hai. Ek satsang mein aapne. Gurudev aapne param pujya shri bhai ji maharaj ji ki vani ka sandarbha dikhaya. Koi samjhe na samjhe sabse hamri samjh bhali thakur nand kishor hamare thakur vishbhanu lali yah vakya hriday mein sthaapit ho jae hamari Priya ji hamari lal ji aap aapne kaha ki ladli ji par dridh bharosa kar lo aur ise pakar lo.

Gurudev shri ji ki kripa aur aapki agyaa ko guru agyaa mante hue maine aapki is baat ko pakar liya. Aapne satsang mein yah bhi kaha ki bharosa to apna hota hai lekin sambandh Gurudev se milta hai. Isi sandarbha mein aapne apne jeevan ki us ghatna ka ullekh kiya jab aapko shri ji ka wah aashray prapt hua jo hriday ko purn vishram de deta hai. Gurudev kripya batane ki kripa karen ki kya mujhe bhi wah sambandh prapt ho sakta hai jisse purn vishram ka anubhav ismen tumhen khas baat batte hain. Jab kahin ka nahi rah jaata hai tab ek rasta dikhayee deta hai.

hari sharanam jab tak kahin ka hai tab tak wah rasta dikhayee nahi deta. Dhyan rakhna wah buddhi se nahi hai. Wah padhe likhne se nahi hai. Jab har tarah dekhta hai andhera hi andhera hai. Koi mera nahi. Mere jeevan mein koi nahi hai. Jo is sharir ko sadhna kahe to mana wo bhi gaya. Jab har raste band ho gaye. Tab ek rasta khula dikhayee diya. Hari sharanam daud laga di. Wah rasta tab tak nahi khula tha jab tak sadhna kar rahe the. Sab wo darwaza band tha. Jab har gaya ki ab kahin ka nahi rah gaya to darwaza khula dikhayee diya.

yah rasta hai hari sharanam. Kabhi-kabhi jab bhav aata hai to wahi bolte hain tum vishwas kar lo keval. Prabhu ke ashrit ho jao. Aashray wale ko nischit bhagwat prapti hoti hai. Par wo ashrit ho to kahan se ho? Wo to aashray deh ka liye hue, indriyon ka liye hue, man ka liye, dhan ka liye, vidya ka liye hue, jan ka liye hue sadhna tapasya ka aashray bhi bhagwat aashray mein badha pahuncha deta hai. Jab Draupadi ji ko laga ki ab koi nahi tab pukara. Jab Gajendra ji ko laga ab koi nahi tab pukara. Aise jab Premanand ko laga ab kuch nahi.

tumse bhi sadhna nahi ban sakti. To ek rasta mila ki ladli bas wo aashray jaise aapne pucha ki aapko kasht nahi hota. Aapko shikayat nahi hoti. Usi aashray mein ham rahte hain. Har samay aandit rahte hain. Har samay apaar anand rahta hai. Ab bol rahe hain to aapko dikhayee de raha hai. Nahi bol rahe hain. Ek apaar anand ye idni kidney inka koi dhyan nahi rahta. Bachchha bhagwat anand jab to ye koi kasht nahi. Ek adbhut anand ek adbhut wo khud aap dekh lo baithe ho. Prashn uttar kya koi dukhi purush de sakta hai kya?

wo to depression mein jaega. Wo prashn uttar karega. Aur yahan ek thodi prashn uttar yahan to subah se chal raha hai. 2:00 baje se sabko dekhna. Sabko pranam. Sabko namaskaar. Sabko prasannata dete hue aake phir satsang karna. Phir ekant karna sab bhagwat anand ye aashray se mila. Agar sadhna kar liye hote to rote hote. Ab bhagwanand se jo sadhna ban rahi yantravat jaise rimot se yantr chalaya jaata hai aise shri ji se chal raha hai. Jaise shri ji chah rahe hain vaisa bol raha hai. Jaise shri ji chah rahe waise to ham dekh rahe hain na aur unhin ki prapti honi thi.

aur unhone jab apne hath mein bhaar le liya to ham nishcint ho gaye. Kan ke bal bhajan ko kan ke achar vyas bhrose kunwar ke sovat pav pasar. Ab nishcint ho gaya. Ab bharosa pakka ho gaya. Samjh rahe? Wah kab hua? Jab kisi kam ke nahi rah gaye. Hari ko kab Draupadi ne pukara? Ab akhiri tha vastr ka jhatka. Gajendra ne kab pukara? Ab akhiri tha ek hi jhatka aur doob ke mar jana. Ab akhiri tha vichar kiya ki brahmin ke ghar mein janm hua. Brahm rishi ke kul mein bada pavitra vihaar jahan bachpan se Gayatri anusthan aur phir sanyaas wo kam to udhar pura hua.

lekin ladli jo ka jo marg hai ye 18 20 varsh pehle ki baat wo unchai jo wo to nahi hui na jo wo wo dasha mein jara chitt jod ke dekho ki bhishan kasht hai aur koi rakhne ke liye tayyar nahi hai. Bhojan nahi hai. Koi pani dene wala nahi. Tab ek rasta mila ladli jhuka aur wo rasta mila to nihal kar diya. Ab aap dekho to bhagwan ka aashray hamko dilae hain. Bhagwan ke aashray se sab kuch ho raha hai. Bas wo aashray tab hota hai sunahri maine nirbhal ke bal ye ana chahiye. Ye sthiti ani chahiye. Sunahri maine nirbhal ke Balram apbal tap bal aur bahubal chautha bal hai dam.

surya kishor kripa te sab bal hare ko hari naam suneri maine nirbhal ke bal wo nirbhal sthiti aa jati hai chilla chilla ke roye the ab jeevan ka kya aur ladli jo aap mili nahi to jeevan ka kya wo us samay jo ar bhav tha usi ne shri ji ke charnon tak bilkul sidha rasta khol diya aur wo khulta hi tabhi hai jab koi anya aashray na ho ab wo kaise wo wo bhagwan vidhan banate hain, wo bhagwan banate hain. Guru ji jaisa hoon aapki sharan mein prabhu ham to ham sab bata rahe hain dibbe mein koi takat nahi hoti.

takat to injun mein hoti hai. Lekin injun se zyada dibba do ke le jaata hai. Nahi le jaata hai. To maharaj ji aapne jaise bola tha aapke bade maharaj ji aapka hath pakda tha ek bar to ek wo andar se wo jo age aa jaata hai na jo gadh bhav maharaj ji aap bhi hath pakar lijiye. Ham hath nahi ham to tumhara hriday pakde hain. Tum chalo ham jaisa kah rahe hain waise chalo. Hath pakdna to ek to chalo kripa hi hai. Hath pakar le. Lekin ham to pura bhaar liye baithe hain. Aap chalo. Aap agyaa ke anusaar chalo. Aapko anubhav hoga ki ham har samay aapke saath hain.

agyaa ka ullanghhan karoge to samjh mein nahi aayega. Agyaa ka palan karoge to hari guru har samay saath rahte hain. Ye anubhav hoga aur yahi anubhav hona hath pakdna hai. Nahi maharaj ji jab agyaa ka ullanghhan hota hai to bada dard hota hai ki apan ne galat kiya. Haan bilkul to yahi sudhar kar dega. Wo jab itna galat hamen bura lagne lagega ki aisa lagega kya karun. Ji maharaj ji ab is sthiti mein uska sudhar shuru ho jaega. Jab galti hamse bardast na ho. Aisa lage yar pran bhale chhut jae lekin ab galti nahi honi chahiye.

phir galti hona band ho jaegi. Jab ham galtyon ko ashniya man lete hain tab wo dur ho jati hai. Aur jab galtyon mein sukh buddhi rakhte hain ki galat to hai par anand hai ismen tab tak ham nahi chhod sakte. Jab ashniya ho jaega ki aap nahi usi samay chhut jaega. Ye pakki baat samjh lo. Ji shiyanshu ray ji Radhehe maharaj ji is kalyug mein danav se manav kaise bane? Is sansaar ka pralobhan aur moh apne upar na chadhe iske liye kya karen? Prakriti aur satsang pehle to satsang kyonki mati kirti gati bhuti bhalai jab je jatan jahan je pai so jano satsang prabhav lokhu ved na an upau lok mein aur ved mein aur koi upay nahi hai.

satsang khub satsang karo. Shastr ka swadhyay satsang hai. Sant ke vachan satsang hai. Aur apne andar achchhi prerna bhi satsang hai. Apne andar bhi achchhi prerna aati hai. Jab ham gandi prerna ko gande darshan ko gande shravan ko gande chintan ko tyag denge to raaksasi bhav dano bhav hat jaega. Hamare andar daivi bhav aa jaega. Danav bhav ki jagah daivi bhav aa jaega. To ham pehle khub satsang sune shastr swadhyay karen brahmcharya se rahne ki koshish karen cheshta karen brahmcharya se rahne pavitra bhojan koi nasha nahi aur kisi ka ahit nahi aur mobile se gandi baten nahi to ham danon se manavta ki taraf badhe ham asat se sat ki taraf badhe ham andhkar se prakash ki taraf badhe ham mrityu se amrit ki taraf mrityuma amritam ghame tamso ma jyotir gam asto ma sadgam hamara marg yahi hai par ham bhul kar baithe to ham asat ki taraf badhte chale ja rahe hain.

dusron se sukh bhogne ki ichchha ka naam danav hai. Aur dusron ko sukh dene ki ichchha ka naam daivi shakti hai. Mano mano daivi shakti hai. Dusron ko sukh dena manavta hai. Aur dusron se sukh lena danavta hai. Ab bas isi mein dekh le ki hamare andar kitni manavta hai aur kitni dan hota hai. To ham satsang sune shastr swadhyay karen paropkar karen naam jap karen isse hamara badhiya jeevan ho jaega. Pranjlal pande ji Radhe-dhe guru ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji main jeevan mein koi bhi karya karta hoon to shuruaat mein bahut man lagta hai par uske baad us kam ko ham lagataar nahi kar pate aur man nahi lag pata to isko lagataar nirantar karne ekagrata param siddhi hoti hai.

ham chahe vihaar ka karya karen ya paramarth ka karya karen. Ekaagr hokar jab ham karenge to ham nischit safalta prapt karte hain. Chahe padhai ho, chahe daktari ho, koi bhi kisani ho, koi bhi karya ho usmen ekagrata aniwarya hoti hai. Aur hamari ekagrata hoti hai indriyon aur man se. Jab hamari indriyan man chanchal hoti hai to ekagrata hoti nahi hai. To indriyon aur man ko shant karne ke liye adhyatma hai. Ye adhnikta mein indriyan man kabhi shant nahi ho sakti. To adhyatma mein thodi der satsang suno.

thodi der naam jap karo. Mata-pita inke charan chuo. Dusron ki seva ki bhavna rakho. To aapke andar adhyatma bal aayega. Adhyatma bal mein ekagrata ki power shakti hoti hai. Wo jidhar apne chintan ko lagega udhar chintan badhta chala jaega. Chahe wo sansarik ho, chahe wo bhagvatik ho. Ekagrata ek punji hai aur wah adhyatma se hi ek milti hai. To thodi der agar aap vyayam karen, 15 minute pranayam karen. Iske baad shant hokar ke 10 minute kisi ek bindu ko netron se dekhen. Ise tratak kriya kahte hain.

kisi bhi ek bindu par. Ab aansu girenge, aankh mein jalan si lagegi. Par yah ekagrata rupi dhan aapka purn rup se sanchit hone lagega. Aap jidhar lagaoge chintan udhar chintan jaega. Jis karya ko karoge bade manoyog se karoge. 10 minute kisi bhi ek bindu ko aise rakh liya aur hataya nahi 10 minute Radha Radha andar japte hue to isse aapki ekagrata pusht ho jaegi. Naam jap satsang thodi der asan thodi der pranayam isse pavitra sharir svasth aur buddhi ekaagr hone lagegi. Ahar pavitra ho, koi nasha na karo aur brahmcharya se raho jab tak byah na ho to ekagrata rupi dhan aa jaega.

ab jo chhote-chhote bachchhe gandi gandi baten karte hain unki sunti shakti down ho jati hai. Unki [gala saaf karne ki aawaz] adhyatma shakti hai nahi to jo vihaar ke liye shakti chahiye wo brahmacharyaheenta mein chali jati hai. Isliye bekar jeevan ho jaata hai. Ek sal se aapko sun rahe hain to kafi impruv matlab behtar hua hai. Haan sudhar to brahmcharya pushta pranayam asan thodi der daud bhag sharir ko zaruri hai. Pavitra ahar aur 10 minute ekagrata jaise man lo ham halogen pe karen to agar aankh ki shakti kamzor hai to is pe zyada der nahi denge hamne to prarambh mein surya ugte hue surya par surya uday ho raha hai jaise-jaise to aise to usse aap khud ye ham anubhav ki baat kar rahe khud aap dekhna sab koi jise ekagrata chahiye 10 minute kisi ek bindu par lagana drishti ab jaise thak gaya aur aansu bah rahe hain to aap phir ekdam khol lo 10 minute aisa abhyaas karo phir hamen batana ki aapki ekagrata lagti hai ki nahi.

jidhar lagaoge udhar ye ekagrata ho jaegi. Theek hai surabh ji Indor se Radhehe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji jeevan mein chunautiyon ka samna karna ya badhae aae to us samay ham kaise usko haindal karen aap ismen kya edwais karenge bhagwan ka chintan karte hue hriday mein bhagwan ka aashray rakh ke kisi bhi vipatti ya paristhiti mein jab aap bhagwan se rasta puchenge to aapko andar hi uttar mil jaega. Par hriday se bhagwan ka aashray ho aur naam jap chal raha ho. Agar naam jap chal raha to koi vipatti vipatti hai hi nahi.

koi dukh dukh hai hi nahi. Kaha Hanumant vipatti prabhu soi jab to sumiran bhajan na hoi. Jis kshan bhagwan ka bhajan nahi hota, sumiran nahi hota, wahi vipatti hai. Aur manushya jeevan sankat se bhara hua hai. Kisi ek vyakti ka nahi pura jeevan sabse bada sankat hai ki 50 60 70 80 varsh mein mrityu aa jaegi. Aur wah sab kuch chhuda degi. Patni, putr, parivaar, makan, dhan, sampatti, yogyta sab chhut jaegi. Phir hamen dusre sharir mein jana padega. Ab wah karmu sharir suar ka hai ki kutta ka hai ki gadha ka hai kya milega sharir phir hamko barabar bhatakna padega jab phir manushya sharir milega tab phir mere kalyan ke marg ke jo sadhan hai aur unko chhodkar phir bhogon mein lag gaye phir aise hamara jab se srishti hui tab se ham bhtak rahe sabse badi chunoti hai maya par vijay prapt karna kam krodh par vijay prapt karna janm mrityu par vijay prapt karna yah chhoti moti vipattiyan, anukulta, pratikultaa ye to sabke jeevan mein aati rahti hai.

agar ham pradhan chunoti sweekar kar len to sab chunautiyon par vijay prapt kar lenge. Hamara lakshya hona chahiye nirvikaar hokar bhagwan ki prapti karna. To rupya, paisa, bhog, samgri sab apne aap aa jaegi. Yah byaj mein aa jaegi. Mul bhagwan ko agar rakh lo to sab byaj mein aa jaegi. Koi bhi vyakti batao jiske jeevan mein sankat na ho. Koi bhi aisa batao jo samasya mein na ho. Koi aisa batao jo chintit na ho. Koi aisa batao jiske kamna na ho. Wo wahi ho sakta hai jo bhagwan mein sthit hai. Dusra nahi.

to jab tak kamna hai, chinta hai, shok hai, vipatti hai tab tak ham sukhi kaise ho sakte hain? To sukhi hone ka upay hai bhagwan ka smaran. Ekmatra bhagwan ka aashray. Sachchi maniye. Matlab aap log wah baat hi nahi samjh sakte jo ham andar se kahna chahte hain. Jaise apne dimaag mein hai ki bina kiye kuch nahi hone wala. To kya puri srishti aapne kuch racha hai? Chodo srishti ki baat. Aap apne sharir pe aao. Aapne kya banaya apne sharir mein? Kya banaya? Aapne bal banae, aapne aankh banai, aapne nak banaya. Sab bhagwan ka banaya hua na?

aapki buddhi itni kyon nahi? Praveen kyon nahi kar di? Bhagwan ne diye na jitni buddhi di jitna bal diya jaisa sharir diya jaisa ghar diya jaisa samaj diya wo bhagwan ne diya ab aap bhagwan ke liye kya kar rahe ho hamen ye batao har chij ka tax hai na itna sundar bhagwan ne sharir diya itna sundar samaj diya itna sundar pyara hamen desh diya bharat bahut pavitra desh hai ganga yamuna dekho kitna mahan desh hai sangam ho raha hai prayag mein dekho na ganga yamuna Saraswati ka aur bhagwan Ram Krishna ke avatar ek se ek mahan purushan ka avatar is dharadham hamen aisa pavitra desh diya ham bhagwan ke liye kya kar rahe hain kuch nahi to ham bhagwan ko apna pita nahi mante Swami nahi mante jaise aap apne pita se paisa 5000 mangenge bole nahi denge nahi aapko dena hoga kaise ham bhagwan se mange kyonki hamare hain na bhagwan hamare pita hain hamare Swami hain hamare isht hai par ham bhagwan ko apna nahi mante.

dekh lo andar se bhagwan ka naam jap nahi karte to hamare ko sukh kaise mil sakta hai? Devi sampdaen to hamko phir nasht karti hi rheng. Sarkari vibhag hai bhagwan ka. Aap hod mat milao dusron se apni. Aap jo hai wo bahut unchai par ho. Aap bahut unchai par ho. Bharat desh mein ek patni vrat. Ek pativrat jo dharm hai jo mariyada hai wah aapko vishv mein kahin nahi milegi. Bharat desh mein jeevan mukt mahapurush sati yatiyon ka desh hai. Aap apni mahima ko khokar wahan pashu aacharan karne walon ko apna adarsh man rahe ho.

wo hamare adarsh hai. Vishv ka adarsh bharat hai. Shantipriy, dharm priy, udarta jo gun bharat mein wo aapko kahin nahi milenge. Agar kahin hai to hamare kisi brahm rishi ki den hai, kisi mahatma ki den hai. To hamen lagta hai chunoti, vipatti inse ham tabhi vijay prapt kar sakte hain jab bhagwan ka aashray ho, dharm ka aashray ho, naam jap ho to ham apne aap vijay prapt hamari buddhi itni pavitra hogi. Jaise bachchhe ne pucha chunoti to hamare samne chunoti hai. Ham har sthiti mein jab tak swas hai apne malik ka jas gaenge aur apne malik ki gulami karenge aur jai bolkar sharir chhod denge.

unka jai bolkar sharir bole ham parajit nahi hai. Ham parajit nahi hai. Agar ham prabhu ki sharan mein na ho to parajit ho jae. Agar ham bhagwan se jude hain to har kasht sah sakte hain. Bhagwan se jude hain to har paristhiti ko jhal sakte hain. Aur agar bhagwan se nahi jude to phir nahi. Phir to patan hi patan hai. Jaise atha samudra mein par jae to marna hi marna hai. Phir koi bachna nahi. Aur agar jahaj ka sahara mil gaya hai jal jahaj ka to ham nikal jaenge. Bhagwan ke charnarvind hai jal jahaj. Aur yah sansaar hai apaar samudra.

bhagwan ke charnon ka aashray mil gaya to kaise tumhen batayen wah age se age vyvastha kiye rahte hain. Wah pratiphal hamen sukh dete rahte hain. Nahi shareerik dukh ke age phir aur koi dukh nahi hota. Har dukh ham sah sakte hain. Lekin sharir ki pida ek din do din nahi jab tak jiyenge tab tak ye chunoti aisi hai jab akhiri shwas hogi tabhi isse chhuti milegi. To hamen har museebat se ladne ka ham apna udaharan isliye ahankaar purn nahi isliye dete hain ki aapke samne pratyaksham kim prmanam agar pratyaksh udaharan mile to aur praman dene ki kya zaroorat agar ham bhagwan se na jude ho to aaj hi hamari durgati ho jae aur bhagwan se jude to mujhe bharosa rahta hai aur wo hamen pyar dete rahte hain.

kartum aktum anytha kartum wo gunge se ved padhwa de lule langde se pahar to unka yah chamatkar hai wahi aapko sukhi kar sakte hain ek bahut bade paddhikari kah rahe the hamare paas sab medal sab paisa sab hai dekhiye mujhe dar lag raha hai murunga ab isse kaise bachun to bhagwan ka aashray bhagwan ke bina aapko antim vishram nahi milne wala ye baat hai Rahul Yadav ji ji Radhe-Radhe maharaj ji guru guru ji pravachan ke dauran hamne kai bar suna hai ki bhagwan se prarthna karo ki hamen brahmabodh guru ki prapti ho.

guru ji ham aap mein sare gun nihit dekh dekhte hain. Apna guru sweekar kiya hai aur than liya hai ki aap hi mere guru rahenge. Parantu aapke is kathan se hamare man mein ek vikar utpann ho raha hai ki kya aap ham sabhi ko apna shishya sweekar kiye hain. Dekho bachchha hamari swikrati se kuch nahi hota. Aapki swikrati se hota hai. Aap swikrati na karo. Aap hamari baat na mano to hamare kahne se aapka kalyan nahi ho jaega. Aapki swikrati se kalyan hoga. Iska udaharan hai jab Eklavya ji Dronacharya ji ke samip gaye aur kaha ki mujhe shishya rup mein aap sweekar karen.

maine aapko guru rup mein sweekar kar liya hai to unka main shishya to nahi sweekar kar sakta kyonki rajkumaron ka yahan dhanur vidya ka adhyan karate hain ham tumko thodi rakenge rajkumaron ke samne aur ek tarah se tiraskaar kar diya par usne apni guru nishtha ka palan kiya Dronacharya ji ko bhar netr dekha charnon mein pranam kiya aur jangal mein jakar mitti ki murti anumanta waise hi Dronacharya jaise jaisi banai aur roz charnon mein pushp arpit karke pranam karke pratyancha chadhata aur jai guru Dronacharya aur shuru karta to arjun se bada shreshth dhanurdhar hua.

ismen hamen dekhne ko mila ki Dronacharya ji ne na sweekar kiya aur na shiksha di. Yah to adhyatma hai. Usmen to jarur shiksha ki zaroorat hai. Pratyancha chadna, divyastron ka sandhan karna, unka sanvran karna bahut gyan ki avshyakta. Sab gyan prapt ho gaya. Eklavya ne guru Dronacharya ji ko guru mana. Dronacharya ji ne shishya nahi mana. To guru ke mane shishya nahi shishya ke mane guru hai. Yadi aap apni nishtha mein paripakva ho to ham kah de ham nahi jante. Tumhen nahi mante to bhi aapko param kalyan ki prapti ho jaegi.

guru ko pata bhi nahi chalega aur shishya unchai par chala jaega. Jaise Dronacharya ko pata nahi tha ki Eklavya is koti ka dhanur abhyaas kar chuka hai. Arjun ashirwad prapt the lekin ashcharyachkit ho gaye Eklavya ke hast laghwon ko dekhkar ke. To hamen lagta hai ki hamen ekaki prem karna chahiye guru se. Aap hamen pyar karte hain ki nahi yah aapka vishay hai. Lekin main aapko pyar karta hoon, karta hi rehunnga. Yah hamara vishay hai. Hamen ismen aapki sahmti ki zaroorat nahi hai ki main aapse pyar karun kya?

to ek kacha pyar hai. Sacha pyar hai. Aap mera tiraskaar kijiye aur main aapko pyar karunga. Aur aajeevan aapko hi karta rehunnga. Jaise Parvati ji koti janm lage ragar hamari baram shata raho kunvari. Karod janmon tak main yahi aradhna sadhna karungi ki bhagwan shankar mere pati ho nahi to har bar kunvari rahungi kisi aur ko pati rup mein varan nahi kar paungi ye hai nishtha agar hamen nishtha chahiye to apni nishtha chahiye samne se nahi ham aapko pyar karte hain ya tiraskaar karo aap ya pyar karo wo aapka vishay main aapko pyar karta hoon samjh pa rahe ho bachchha akash kumar Tiwari ji Radhe Radhe guru maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji Radha rani ki kripa se aur aapki kripa se jab se aapki vani sun raha hoon maine Radha naam ko apna jeevan man liya hai aur ek jeevan mein sakratmak badlav aae hain.

pehle jo man har samay sansarik maya ko prapt karne ke bare mein sochta tha wo aaj is soch mein pareshaan hai ki mujhe isi janm mein bhagwat prapti kaise ho aur agla janm na lena pare. Guru ji ab sthiti aisi hai ki kabhi-kabhi aisa lagta hai ki jo nitya path aadi karta hoon uski jagah keval naam jap hi karun. Maharaj ji kya aisa karna sahi hoga? Haan agar aisi lagan lag jae to keval isi se kam ho jaega. Isi se ho jaega. Jab naam ki priyata badhti hai to sab hatne lagta hai. Apne aap hatne lagta hai. Jis haan wo lagta hai ki jab khas baat yahi hai to itni der ham aur jagah man kyon lagaen?

naam mein hi lagaen. Man thoda darta hai guru ji ki subah matlab hanuman chalisa hanuman ji ki aarti navgrah strot in sab mein bhi subah ke nitya puja mein hamara jo hai ye rahta hai. Abhi abhi jab abhi samjh nahi ai aur swad nahi mila. Donon baten ho jaengi to phir yah sab hat jaega. Samjh aa jaegi ki wahi Radha hai, wahi hanuman hai, wahi Ram hai, wahi Krishna hai. Tatv to ek hai na. Paramatma tatv ek hai. Uske naam alag hai. Aap Radha Radha japoge to hanuman ji gussa thodi ho jaenge. Navgrah gussa thodi ho jaenge.

aur ek sadhe sab sadhe aur sab sadhe sab jae. Jab ham ek mein lag jae aur jab swad aa gaya to phir nark swarg apvarg as nahi tras hai phir nark swarg ki koi parvah nahi rahti aur masti se bhajan shuru ho jaata hai tab use prem ki prapti hoti hai to daro mat nidar ho jao nidar hone ka marg hai ismen dar nahi jab tak aapki astha rahe tab tak aap karte raho jab aapko aisa lage ki ab Radha naam mein priti ho rahi Radha Radha Radha sab theek ho jaega par ji prambhik sadhak bhi is ah vakya ko sunenge. To maharaj ji aapke dwara hi diya hua kuch niyam bhi hota hai ki jaise 84 ji path karna hai to naam aur iska phal hoga ki wo jaise tanmay ho raha hai.

ab jaise hamara man is samay mantr mein lag raha hai. Hamare path ka samay to chhod do path. Chupchap mantr mein lago. Man lag raha hai to jahan lag raha hai wahan hatane ki zaroorat. Ab hamara man path mein lag raha hai aur mantr japne ka samay to ham path mein lagenge. Kyonki man lag raha hai hamko usko support karna hai. Wo to lag raha hai aur use support kar diya to bahut accha path ho jaega. Bahut accha jap ho jaega. Ab man kah raha hai jap karo karo path to swad nahi ban payega. To man jidhar lag jae. Haan vishyon ki taraf man ja raha hai to use ghasit ke lao bhagwat swaroop mein.

lekin bhagwan ke isi abhyaas mein ya to path mein lag raha hai. Ab man lo seva mein man lag raha hai to ham seva mein laga rahe hain. Jap mein lag raha hai to jap mein laga rahe hain. Ab jaise vani ka avesh hai. Vani ka veg aa gaya. Ab gane mein lagega. Ab japne mein nahi lagega. To us samay sadhak ko dekhna chahiye ki gane ka man hai. Tab ham chaturasi ji ga rahe hain. Ab vani ka veg shant ho gaya. Ab bolne ki ichchha nahi. Ab bologe to accha nahi rahega. Man prasann nahi rahega. To ab jap mein lag jao. Antarik man ki sthitiyon ko dekhna chahe uske anusaar chalna chahe maharaj ji aapne bataya tha ki jaise shadi ke pehle bahut sari photo dekhta tha aur shadi ke baad ek hi to main do mahine se aapko dekh raha hoon to main jis bhi mandir jaata hoon to main ab sirf Radha Radhe hi karta hoon ji kyonki hari hi har hai aur sab mere ko kafi 28 naam main bar-bar japta hoon kyonki mera man 28 namon mein yad ho gaya usmen bas ek ye tha ki jo purn chandra vibhana hai ji wo purn chandra vibhana hai ya purn chandra nibhanna hai kyonki purn chandra vibhana hota hai purnima ki chandrama ko susho sushobhit karne wali ji wo nimanna hai ya vibhanna hai purnachandra vibhanna vibhanna aur purnima ki chandrama ko sushobhit karne wali purn chandra vibhanad anan ka matlab mukharvind hota hai.

purn chandra nibhanna haan anand ka matlab mukharvind hota hai. Jinka purn chandrama ke saman mukharvind prakashit ho raha hai. To purn chandra nibhana mein bhi aata hai. Jinka mukh chandra tejomay chandrama ke saman anand mukh ki abha jinke mukh ki kant jinke mukh ki shobha purn chandrama purnima ke chandrama ki kant ke saman aur uska kya tumne kaha purn chandra vibhana ka purnima ke chandrama ko sushobhit karne wale nahi purnima ke chandrama ko sushobhit karne wala arth nahi banta jinke shri mukh ki kant ki abha purn chandrama ki kant ke saman purn chandra nibhanan na anna mane mukh anand mane mukh hota hai.

wo isliye aaya kyonki aapne jab ye jaap batae the to niche kamentsa mein bahut logon ne vibhana likh rakha tha. Usmen kamphyujan ho gaya. Aise waise hamne bola nibhana hi hai shayad purnachandra nibhana purn nibhana nibhna hai haan purn kyonki jo hamne liya hai wo radhopnishad se liya hai radhopnishad hai ek usse liya hua hai ye ramyad devta satya Vrindavan bihari vrinda Radha ram bahuton ko yad ho gaye bahut shri Krishna Krishna Vallabha suta satya satya par Satyabhama achutanand kumar ji Radha maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji aap kah rahe hain ki aap padhai karte hain aur aapke age char chunautiyan hain.

ek hai adhyatmik naam jap karna pariviarik jimmedari adhyan karna aur office ka karya. Maharaj ji main charon chijon ko balance nahi kar pa raha. Ek samay par ek hi kar pata hoon. Aisa nahi galat hai. Ki kaash mujhe nahi dekho pahla hai tumhara naam jap dusra hai parivaar ka poshan. Tisra hai arth kamane ke liye office ka karyakram. To hamen lagta hai sab ek dusre se jude hue hain. Parivaar ka poshan hoga arth se. Arth ki kamai hogi office mein. Ab isko ham agar Radha Radha karte hue kam kar rahe hain to hamen kya pareshani hai?

maharaj ji main adhyan bhi karna chahta aeees ki tayyari karne ke liye mujhe to jitni der aap adhyan kar rahe hain har 5 minute mein ek bar Radha bol ke adhyan karte rahie aur teen ghante char ghante jo adhyan kiya wo baad mein prabhu ko samarpit kar dijiye isse bhagwat prapti ka karya pura hota rahega. Samjh rahe hain? Aise office ka kam jo ekagrata purvak kijiye. Beech-beech mein Radha boliega aur char chha ghante aath ghante office ka kam kiye aur aath ghante wo prabhu ko samarpit kar dijiye. He karunamay bhagwan main 8 ghante se jo office ka karya kar raha tha wo aapko samarpit karta hoon.

isse bhagwat prapti ka yog ban jaega. Naam jap karte hue ekagrata purvak padhai karte hue ekagrata purvak apne kartavya ka palan karte hue aur kuch na kuch arth kamane ki cheshta karni chahiye. Office mein arth milta hoga to phir usse parivaar ka poshan hoga. Aapki padhai ka sahyog hoga aur beech-beech mein naam jap karte rahie aur samay ko bhagwan ko samarpit kar dijiye. Jo 8 ghante 10 ghante ya padhai ka samay wah sabke liye hai. Yah apne samay ko bhagwan ko samarpit karte raho. Isse bhagwat samarpan karm ho jaega aur wahi karm yog ban ke bhagwat prapti kara dega.

kya jaata hai? Man lo aath ghante aap mehnat kiya aur aath ghante mein ek minute hath joda. He prabhu ye amuk samay se lekar amuk samay tak jo main sansaar ke karya mein raha aapka vismaran kiye raha ye karya main aapko samarpit karta hoon. Wo karm samarpan yog ban jaega. Bichbich mein Radha Radha Radha smaran karte rahie. Samjh mein aa raha hai? Koi samasya hai? Nahi maharaj man mein kabhi kab ek tees rahta hai ki jaise ki student life mein the maharaj to aapke ashirwad se Radha rani ke charnon se maining injeeniyring mein golda medlista the.

to man mein lagta hai ki abhi matlab ye to anishchit chij hai. Accha yahi do kam theek se karte hain. Wo to phir man mein lagta hai ki nahi itna accha se udhar padhai kiya. Abhi ma abhi abhi nahi kar pa rahe hain thoda sa pehle jaisa samay milta hai student ma udhar piche ki taraf dimaag chala jaata hai jo dimaag chala jae aap mat jao wapas aa jaega jahan hamara man le jae hamko bhut ki taraf nahi jana bhavishya ki zyada chinta nahi karna vartman ko sambhalna hai to bhut aur bhavishya donon pavitra ho jaenge donon mangalmay ho jaenge jo ham kaha ise karke dekho aap theek hai haan ham ye nahi kah rahe ki aath ghante barabar Radha naam jap karo beech-beech mein Radha Radha Radha smaran karo aur office ka karya bhagwan ko samarpit karo.

padhai ka karya bhagwan ko samarpit karo. Jo arth mile usse parivaar ka poshan karo. Sab samasya ka samadhan ho gaya. Theek hai? Parantu Gurudev usse zyada bhav prakt nahi ho pata na jab tak ham us chij mein chale na. Usse zyada bhav prakt nahi ho pata na jab tak nahi pakka prakt hoga. Aap karke to dekho kitne din se kar rahe ho. Karta hoon. Kitne din se? Ek do sal se. To ye koi samay hua anant janmon ki bigdi agar ham kam se kam hamari sadai bhasha mein kaha jaata hai 12 varsh ek niyam ka palan karo tab jakar ke to samjh mein ave aur agar abhi pran nikal gaye to aap bhagwat bhav se aapka har samay bhagwan ko samarpit ho raha hai wo aap use aisa khilwad mat samjhe jo karm jo vastu bhagwan ko samarpit kar di jati wo akshay akshu aur bhagwat prapti ke yogya ho jati agar aapko fayda na mila hota is karm ka to tumhari buddhi yahan baithe ke liye prerit hi na karti do varsh mein itna to ho gaya hai ki aap satsang sun sunna pasand karte hain.

aap sadhu samaj pasand karte hain. Aap adhyatma ki unnati chahte hain. To ye thodi thodi baat hai. Maya grast jeev agar itna chah liya hai to age ki manjil puri ho jaegi. Ise aap khilwad na samjhe. Parantu jaise ham chahte hain ki bhagwan ki or zyada leen hoe. Bat uske liye thoda time zyada nikalna padega. Nahi time nahi nikalna hai. Time dena hai bhagwan ko pura. Dena aur nikalna alag hai. Niklne ka matlab hota hai sansarik karya chhod ke ham Radha Radha jape baith ke wo to aise nirantar chalta hi rahega.

uske liye jab bhav prakt karna hoga jab are bhav prakt ho jaega fawda chalate hue jhaddu lagate hue kampyutar chalate hue ekdam jab ye tumhare karm samarpan tumhare paap ko nasht karenge na to sadharan se sadharan baat mein tumhen rona ane lagega aur tumhen wahan bhagwan ki kripa dikhayee dene lagegi. Chalo to kuch samay tak dhairya purvak chalo beech-beech mein naam jap karo aur jo karm hai wah bhagwan ko samarpit karo gandi baat mat karna jab ham koi anusthan karte hain to hamko niyam lene padte hain to jaise aapko bhagwat anand ka niyam lena hai to pahli baat kisi mata bahan ki taraf paap drishti mat rakho agar yah karoge to phir ye chalni mein gaya duhe aur dosh da ko de badhiya gay 10 liter doodh deti ho chalni samjhte ho na chalni mein le jao ek bund nahi milega dhone ke baad aap kah do hamare bhagya mein likha hai nahi

patr sahi rakho to doodh tik jaega ab aap yah bhi karo aur wo bhi paap karm karo mata bahno ki taraf gandi drishti rakhna koi nasha karna gande bachchon ka sang karna gande drishya dekhna ganda chintan karna phir nahi baat banegi hamko smetna hai to sansaar ke har karya ko bhagavtam mein banana hai kyonki bina karya kiye koi rah nahi sakta hamko bhi to karna parta hai karya nahi karna parta ham 12:30 11 baje aise jagte hain apni dincharya kar rahe hain ab ye aapke saath baithe hamara karya hai jaise office ka karya hai kisani ka karya aise ham Baba ji hamara karya hai to ham apne karya ko samyak rup se niswarth bhav se koi kam na rakh ke nahi bhagwan ki prasannata ke liye karte sab ho raha hai to unke sahare ho jao unko samarpit karo achhche aacharan karo sab theek ho jaega thoda lamb samay tak dirghakal lambe samay tak aur koi bhi kisan aadmi kheti mein anaj bota hai dusre din thodi kaat leta hai chha mahine lagte hain wo sinchai usko paushtikta dete hue phir wo ek man ki jagah 40 man ann paida karta hai aise hi aap thoda

adhyatma hai thoda intazar karo samay ane par jab phlibhut hoga to aapko lagega ki haan kitna accha hai ye marg ritu ji punjab se Radhe rashi maharaj ji [gala saaf karne ki aawaz] sabhi unhin ki ichchha se ho raha hai to uska phal hamen kyon bhugatna par raha hai? Jab sab tum apni ichchha par karna band kar do. Tumhen bhogna band ho jaega. Kiska? To haan apni ichchha band kar do. Apni ichchha se karoge aacharan to unka bhog tumhen bhogna padega. Tum bhagwan ki ichchha se chal rahe ho ki apni ichchha se? Tumhari ichchhae hain.

mere ko to lagta hai ki andar se jo bhav uthte hain kya bhagwan ki ichchha? Man man man hai jab tak man nahi mar jaata bhagwat anand ko prapt nahi hota tab tak jeev ko karm ka bhog bhogna padega avashya mein bhog tavyam kritam karm subhas karta bano tum bhagwan ke upar chhod do to phir bhogna padega aisa thodi hai accha karoge accha bhogna padega bura karoge bura bhogna padega aur jab man aur ahankaar bhagwan ko samarpit ho jaata hai to jeevan mukt ho jaata hai phir koi paap nahi lagega pure vishv ka bhandara ho jae to koi use punya nahi milega karta bhav rahit ho na to abhi to

karta bhav se ho abhi kahan is bhav mein aa gaye ki jo ho raha hai bhagwan ki ichchha se ho raha hai yahan bhagwan virajman ho gaye prakashman ho gaye ab jo hoga to to uske dwara kumarggami pravriti thodi hogi aur kumarggami pravriti nahi hogi paap nahi hoga to dukh hi nahi milega koi samasya hi nahi hai phir prashn hi nahi hai kyonki bhagwan ke dwara ho raha hai to main karta nahi to prashn kaisa samjh pa rahe hain aap haan to ye abhi is daleel se nahi chalega teri satta ke bina patta nahi hilta to phir narak bhi uski ichchha se bana hai.

rog bhi uski ichchha se bane hain. Pulis department bhi uski ichchha se dande lagega. Ye bhi uski ichchha hai. Ye bhi uski ichchha hai. To matlab yahan chaturi to chale gale. Ek bade vidvan the to bada upvan lagae hue the. Bagichi kuan bavdi sab phool sundar. To ek gay charti hui andar aa gayi. To shayad unka marne ka uddeshya nahi hoga kyonki dharmarthi the to unhone ek patthar ka tukda uthaya aur aise to gay ke mastak mein lagi wo turant giri aur mar gayi. Ab gau hatya prakt ho gayi. Gau hatya samne ai aur kaha pandit ji sweekar karo mujhe tumne abhi gau hatya ki.

wo bade vidvan the. Unhone turant Devraj indra ka vas hath mein hai. Jaise charnon mein Vishnu ka vas hai. Alag-alag devtaon ka. Unka Devraj indra ne mara kyonki hath mein patthar aur patthar se aise ye Devraj indra wo gau hatya Devraj indra ke paas gaye. To indra ne kaha hamne kab gau hatya ki? Bole aapka hath mein vas hai. Brahmin bole shastr mein aisa varnan hai to aapko bhogna padega. Bole chalo hamare saath gupt rup se rahna. Wahan gaye ek seth ke rup mein. Mein bole pandit ji pranam.

kya sundar phool lage hue hain. Kisne lagaya? Bole hamne. Vah bahut sundar ye bagichi hai. Kisne lagaya? Hamne aur ye kuan hamne. Bole gau hatya indra ne. Chadh jao iske upar. Haan. Accha kam kiya to hamne bura kiya to Devraj indra ne. Gau hatya ko turant usko sweekar karna para. To dekho yad chaturai nahi chalegi. Ahankaar jab tak bhagwan mein samarpit nahi hota tab tak yah baat kahne ki keval rahegi. Paap bhi bhagwan ki satta se ho raha hai. Agar manoge to narak bhi bhagwan ki satta se, danda bhi bhagwan ki satta se, rog bhi bhagwan ki satta se.

isliye hosh mein do vibhag kiye gaye hain. Ek paap karm aur ek punya karm. Pehle punya karm karke paap karmon ka tyag kar do. Phir punya karm mein karta bhav ka tyag kar do. Bhagwan ka naam jap karo. Bhagwan ki prapti ho jaegi.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
  • jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…