॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

yadi ye 3 baten hain to aapki sadhna purn mani jaegi ! // 23/08/26

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

jai jai shri Ram manushya jeevan keval keval janm maran se mukt hone ke liye mila hai. Agar ham savdhaan na rahe to yah amulya jeevan nasht ho jaega. Prayah sabka man panch gnyanedryo ke saath bas bhogon mein rat rahna hi jeevan mana gaya hai. Prayah khana pina [gala saaf karne ki aawaz] dekhna sunna bhogna arth prapt karna, sundar laukik vishyon ka sangrah karna itna hi keval jeevan mana gaya. Lekin jab mrityu hoti hai to sab chhut jaata hai. Jeev akele kiye hue paap karm ya punya karm ko saath lekar jaata hai.

ham kya karen jisse sansaar mein rahte hue janm maran ke bandhan se mukt ho jae chinta shok bhay dukh mrityu isse ham mukt ho jae jagatguru bhagwan shri Krishna chandra ji jo kahte hain jara maran mokshay mama yat te brahm tadu Krishna madhyatmam karm chakhilam jara budhapa bahut dukhmay hota hai. Indriyan bhogon ki taraf lalayit hoti hai aur bhogne ki samarth nahi hoti. Ki ye avastha se man theek nahi hota. Man bhajan se theek hota hai. Agar socha jae ki budhapa aa jaega. Ham nishkam ho jaenge. Ham nirvikaar ho jaenge.

aisa nahi jara maran mokshay mamasit budhapa aur mrityu dukh aur chinta shok aur vishad inse bachne ka upay bhagwan kya kah rahe hain? Mam ashrit mera aashray lo bhagwan ke aashray ke bina dukh ki nivitti nahi ho sakti. Mrityu bahut dukhmay hoti hai. Janmat marat dusa dukh hoi. Lekin jo bhagwan ka bhajan karte hain bhagwan ke ashrit hai. Bhagwan kah mamashit bas keval bhagwan ke aashray se bach sakte ho. To kya jo bhagwan ka aashray liye hue bhajan karte hain unki mrityu nahi hoti? Hoti hai. Lekin unki aur sansarik purush ki mrityu mein antar hai.

jo bhagwan ke ashrit hota hai unki mrityu aisi hoti hai jaise garjaj hathi ke gale se chhoti malli ki mala tut ke gir jae aur use pata bhi na chale. Aise hi anandmay mrityu hoti hai. Mrityu mahotsav ho jati hai jab mamashitya bhagwan ke ashrit ho jaata hai. Koi rog shok budhapa ye sharir ke hote hain. Atma ke nahi hote. Jab aap bhajan karenge to bhagwan ke dwara aapko yah gyan prapt ho jaega. Mrityu mahotsav ho jati hai jab ham kishori ji ki sharan mein hote hain, ladli ji ki sharan mein hote hain.

hamari sari samasyaon ka samadhan ekmatra bhagwan ki sharanagati hai. Agar Priyalal ki sharan mein nahi hai to aap rupaye se apni bal buddhi se samasyaon ka samadhan nahi pa sakte. Ek samasya mitegi dusri khadi ho jaegi. Isliye bhagwan kah rahe hain mama nritya. Ham kab bhajan karenge? Kab ashrit honge? Balyvastha hamari khel mein chali jati hai. Hamen shuddh nahi rahti ki hamen kya karna chahiye, kya nahi karna chahiye. Aur jab jawani ki avastha aati hai to aisa tufan aata hai bhogon ka. Kyon kab jawani vyatit ho gayi pata nahi chalta.

jab budhapa aata hai to jo jeevan bhar kiya hai usi ka chintan hota hai. Isliye Prahlad ji ne kaha balyvastha se hi abhyaas bhagwan ki sharan mein hokar bhajan karne ka kar le. Agar balyvastha se nahi kiya to aaj sun rahe ho ya jab se santo ka sang suna unke vachan sune to bhagwan ka aashray lekar bhajan shuru kar do. Prya logon ke man mein do vibhag rahte hain. Ek sansarik karya aur ek bhajan. Wo bhajan ko samjhte hain mala lekar baithna ya thakur seva karna pragat mein ya ham koi granth padh rahe hain. Keval itna hi bhajan samjhte hain.

itna hi bhajan nahi hai. Bhajan ka tatparya hai bhagwan ke liye jeevan arpit kar dena. Ab chahe aap kisani karo, vyapari ho, aap nokri karte ho, aap kuch bhi karte ho, bhagwan ke liye karo. Bhagwan ke hoke bhagwan ke liye jo kuch kiya jaata hai wah bhagwat prapti kara deta hai. Ismen yah kriya bhagwat prapti kara degi aisi baat nahi hai. Agar mala chal raha hai aur aapka aham nahi mita to aap bhagwat prapti nahi karenge. Aur ek kisani kar raha hai aur danya bhav mein hai. Naam jap karta hai aur bhagwan ko sab kuch arpit karta hai.

krishnapanmastu wo bhagwan ko prapt ho jaata hai. Mama nritya bhagwan ke aashray se hi janm maran aur nana prakaar ke dukho se ham mukt ho jaenge. Jo nitya nirantar bhagwan ko saath liye rahta hai. Wahi mahatma hai. Chahe grihasth ho, chahe virakta ho, chahe stri ho, chahe purush ho. Bhagwan ko saath liye rahne ka matlab kya hai? Jahan bhagwan ka naam hai wahan bhagwan hai. Anubhav karayenge aapko ki wah saath hai. Pahli baat to samjh lo koi kan koi kshan aisa nahi jahan bhagwan na ho. Sarvam khaldam brah lena nastik kinchna sab jagah bhagwan mein sab bhagwan mein hai sab mein bhagwan hai ye baat bilkul pakki samjh lo sab mein bhagwan hai virajman hai aur sab bhagwan mein bhagwan itne virat mahan hai ki ham unke rom kup mein virajman hai dikhrava mate ta adbhut rup akhand rom [gala saaf karne ki aawaz] rom prati lage koti koti brahmand bhagwan ke ek rom kup mein karodon brahmand udte rahte hain jaise trishrenu mein aap dekho jharokhon se surya ki kiran aati hai chhote-chhote kan udte hain aise bhagwan brahmand nikhaya nirmit maya rom rom pratived kahe to ek brahmand hai.

us brahmand mein ye bharat desh hai. Us bharat desh ke kisi kone mein ham hai to bhagwan mein hi hai. Sab bhagwan mein aur bhagwan sab mein yumam pashyati sarvatra sarvam cham pashyati tasya na pranasyami sach na mein prannasati jo sab jagah mujhe dekhta hai aur sabko mere mein dekhta hai main usse kabhi alag nahi rahta to pahli baat mukh mein ho Ram naam Ram tere hath mein bande tu tu akela nahi Ram tere saath mein bhagwan ka naam jap karne wale ke saath bhagwan hai aisa anubhav hone lagta hai. Ab bhagwan ko lekar ke unki smriti ko lekar ke aap jo karm karenge wah bhagwat arth karm hoga aur wah aapko dukho se sankat se vipatti se nana prakaar ke shok se aur jada mrityu se budhapa aur mrityu se bacha lega.

isliye bhagwan ka smaran karte hue bhagwan ke liye karm kiye jae to ham janm aur mrityu se moksh ko prapt ho jae. Bhagwan kahte hain ki main sabko swatah prapt hoon. Mere liye koi prayas karne ki zaroorat nahi. Prayas uske liye kiya jaata hai jo bahut dur ho. Bhagwan hamare hriday mein hi baithe hue hain. Swata siddh bhagwan hamare hriday mein hai. Bas smriti ki avshyakta hai. Agar hamara koi prayas hai to wah smriti hai. Har samay bhagwan ke smaran mein rahna. Bhagwan ki yad mein rahna. Agar hamari smriti sansaar mein hi hai to na ham sadhak hain na ham bhagwat prapti kar payenge hamen uthte baithe chalte phirte Radha Radha Radha Radha smaran karna hai to jo swatah prapt bhagwan hai wah hamare hriday mein hi prakashit ho jaenge.

sabse pahla darshan hriday mein hota hai. Kisi ko bhi bhagwat sakshatkar hota hai to bahar nahi pehle hriday mein hota hai. Phir jo manas netr hain in netron se nahi hota. Manas netr ur ke nayan nihar un netron ka prakash jab in netron mein hota hai to charachar jagat mein bhagwan dikhayee dete hain. Jad chaitanya kachu nahi dikhta jahan dikhta Shyam khade bihal vikal sambhar tan ki Naina ghumat rup bhare prabhu bas jaate hain. Jis vyakti ko jis jad vastu ko wo dekhta hai to apna Shyam sundar dikhayee deta hai. Dusra nahi jit dekhun tit shyammay yah smriti se prapt hota hai.

jo sadhak chahe wo grihasth ho ya virakta bhagwan ke liye iska koi bhed nahi hai. Purush napunsak nariva jeev charachar koi sarv bhav bhaj kapt taj mohi param priy soi param priy soi wo param priy chahe stri ho purush ho napunsak ho koi bhi ho purush napunsak nariva jeev charachar koi charachar jeev koi bhi ho jo bhagwan ka bhajan karta hai wo bhagwan ko priy hota hai aur jis par bhagwan ki kripa hoti hai to sankat, vipatti, dukh yah ate nazar aaenge par prabhav nahi dikha payenge. Uska hriday nirantar anand mein bana rahega.

jab tak hamare hriday mein dukh nivitti ki baat nahi aati tab tak bhagwan ki sharanagati nahi hoti. Mama nritya bhagwan ka aashray nahi hota. Rupaye ka aashray hota hai. Logon ka aashray hota hai. Apna aashray hota hai. Bhagwan ka aashray nahi hota. Sabse kathin baat hai bhagwan ka aashray hona. Mahapurushon se prashn kiya gaya ki bhagwat prapti ke liye bhagwan ka aashray lekar nirantar bhajan karna avashyak hai. Parantu meri sadhna mein itna dum nahi ki main bhagwat prapti kar sakun. Mujhe lagta hai ki teevr yog jab hota hai tabhi bhagwat prapti hoti hai.

par ham logon ki chal se lagta hai ki bhagwat prapti nahi hogi. To unhone jo khas uttar diya kaha pahli baat bhagwat prapti ke liye ham bhagwan ke hain. Ismen kaun sa jap tap karne ki baat hai? Jaise gita mein bhagwan ne kaha mamo jeev loke jeev bhuta sanatna mam tu mera hai bhagwan ko ham apna kyon nahi man pa rahe hain bhagwan hamare hain shri Krishna hamare hain. Shri ladli jo hamare hain. Ham kyon nahi man pa rahe? Kyonki hamari manyata mata pita putr patni parivaar rishtedar natedar inme phas gaye.

isiliye ham apne bhagwan ko apne pyare ko apna nahi man pa rahe. Kahne ko hai keval apna hriday se nahi man pa rahe. Jaise hriday se ham maa ko maa mante hain. Pita ko pita mante hain. Putr ko putr mante hain. Patni ko patni mante hain. Aur hriday se pyar hai. Ham unka smaran karte nahi lekin wo kabhi bhulte bhi nahi. Yah hai apna manne ka phal ki ham patni putra aadi ko chintan karne nahi baithe. Aise dhyan lekin kabhi bhulte bhi nahi. Aise jab ham bhagwan ko apna man lete hain to bhagwan ka bhajan swat hone lagta hai.

to sabse pahli baat hai sabko ye manna chahiye bhagwan mere aur main bhagwan ka Priyalal mere aur main Priyalal ka. Bilkul pakki baat samjh lijiye. Itna manna hi keval aapka param mangal hona shuru kar dega. Param mangal main prabhu ka hoon. Prabhu mein ye goswami tulsidas ji ne bade anubhav se kaha hai. Bigdi janm anek ki ab sudhre aaj ho Ram ko main bhagwan ka hoon. Yah baat jab hriday mein baith jaegi main bhagwan ka hoon to dheeredheere ye mamta hat jaegi nirmamo ye jo sansaar ke rishte nate sambandho mein mamta hai yahi hamari durgati ka karan hai moh ke karan aap man nahi pa rahe inheen mein bhagwat bhav karke nate sneh Ram ke man patni mein putr mein parivaar mein agar bhagwat bhav ho jae ya ye sab prabhu ke hain aisa man liya jae nath sakal sampada tumhari main sevak samet sut nari to bandhan kat jae lekin do mein ek baat nahi manne ke liye tayyar hai ham jaban se keval kah rahe hain hriday se ham nahi man pa rahe.

agar aisa man le ki sharir ke sahit jitne rishte nate hain wo sab bhagwan ke hi hai. Sab mein bhagwan hai. To mamta nasht ho jae. Yah mamta itni ghatak hai ki sab kuch chhodkar ke rajya parivaar sab kuch chhodkar ke gandki nadi ke kinare bhagwan ka bhajan karne ka anusthan liye hue bharat ji ke hriday mein mrig ke bachchhe se mamta ho gayi to agla sharir mrig ka mila. Itni khtrnak hai mamta aur ham sabse mamta ki hui hai lekin bhagwan se nahi aur bhagwan ki prapti ke liye dukho ki nivitti ke liye bhagwan se mamta karni hogi mamta nitya vihar mein samta sab sansaar mein sab mein sambhav bhagwat bhav aur pyar to keval ladli lal se priyal se aisa kaise ho sakta hai?

iska upay kya hai? Sant sang. Kyonki bina sant sang ke hamari mati prabhu mein nahi lag sakti. Yadi hamen santo ka sang mile to hamari mati jo hai wo prabhu mein lagne lage. Prabhu mein lagne ka matlab hai satsang sunne wala naam japak hona chahiye. Naam jap mein lage. Satsang sunne wala bhagwan ki katha sune. Satsang sunne wala apne ghar mein chahe wo virakta ho ya grihasth ho apni kutia mein ya apne ghar mein thakur ji virajman karke unki seva karne wala hona chahiye. Jo bhagwat katha sunta hai, bhagwat naam jap karta hai, bhagwat seva karta hai, uske paap nasht ho jaate hain.

man nirmal ho jaata hai aur nirmal man jan so mohi pava mohi kapt chhal chhidr na bhawa. To hamen agar lag raha hai ki hamari sadhna bhagwat prapti nahi kara paegi to as rahe main bhagwan ka hoon aur sahi baat yah hai ki sadhna se bhagwat prapti ho bhi nahi pati hoti hai bhagwan ke aashray se ant mein yah anubhav mein aata hai jaise hariram vyas ji ne anubhav kiya kan ke bal bhajan ko kan ke achar par vyas bhrose kunwar ke sovat pav pasar bharosa manushit mere ashrit jo priyal ke ashrit hai uska kalyan nischit ho jaata hai.

isliye aapko ek saral baat bata rahe hain. Kuch bane na bane thodi-thodi der mein agar yah yad karte raho ki main prabhu ka aur prabhu mere to phir aap chamatkar dekh lo is baat ka is baat ka aap chamatkar apne jeevan mein dekh lo. Thodi-thodi der mein yad karte raho. Main shyama Shyam ka shyama Shyam mere main bhagwan ka bhagwan mere jo bhagwan ke ashrit hota hai agar usse galat karm bhi ho jaate hain paap karm bhi ban jaate hain to bhagwan ke aashray ke sambandh ke karan bhagwan uske sare paap kshma kar dete hain.

isiliye gita ji mein bade jor ki baat yah kahi sarv dharman parityaj mamekam sharanam braj aham tam sarv papbhy mokshasyam mas yadi tum samasth dharm ka aashray chhodkar keval mera aashray lo bhagwat dharm mere ashrit ke sare paap main swayam nasht karta hoon hamare dwara kuch achhche karm hote hain, kuch bure karm hote hain. Ham is prapanch se nahi nikal payenge. Hamari buddhi kabhi bhagwan ki taraf jati hai, kabhi bhogon ki taraf jati hai. Hamara man kabhi thodi der bhagwan mein lagta hai to kabhi sansaar mein lagta hai.

aise man se aisi buddhi se bhagwat prapti nahi hoti. Purn rup se bhagwan mein sthit man buddhi ho. Mat buddhim niveesh hamse nahi ho payega kya karen aise ho jao kisi ke tapasya bal hai kisi ke bhajan bal hai aashray bal [gala saaf karne ki aawaz] jisko bhagwan ke aashray ka bal hai ladli jo ke charnon ka aashray hai wo is sansaar se nikal jaata hai to pahli baat main bhagwan ka hoon bhagwan mere jara maran mokshay isse mukt hone ke liye mam ashritya mere ashrit ye baat baithan lo ismen badi kripa ki baat kah raha hoon ye sambandh manne matra se maya apne aap hat jaegi bhram apne aap hat jaega ja su kripa sab bhram mit jai girja soi kripalu raghurain bhagwan ka aashray lete hi maya kanpne lagti hai.

maya hat jati hai. Maya gupt ho jati hai. Maya lupt ho jati hai. Isiliye bhagwan ne kaha hai devi sa gunam ma maya dattaya mamev ye prapaddyate maya menta tarte jo keval meri sharan mein hote hain wo maya se tar jaate hain. Bhagwan ka aashray aur bhagwan ka naam jap aur santo ka sang. Agar ye teen baten hamare jeevan mein aa jae to hamara kalyan ho jae. Hamara mangal ho jae. Sab logon ka swagat hai. Aap itni dur yahan yamuna ji ke pavan puli par padhare to prarthna hai koi nasha mat kijiye. Koi gande aacharan mat kijiye.

ganda bhojan mansa aadi mat khaaiye. Aur bhagwan ko apna mankar naam jap karte hue jo jiska kartavya hai apne kartavya ka palan karte hue apne karmon ko krishnarpanamastuu karte hue jeevan vyatit kiya jae to jeevan bada anandmay mangalmay hoga. Bhale rog ho, bhale vipatti ho lekin wo aapko parast nahi kar paegi. Yadi bhagwan ka aashray seem ki chap sake ko tasu bal rakhwar Ramapati jasu jiske rakshak bhagwan hai uska koi bal banka nahi kar sakta. Isliye naam jap karo aur bhagwat aashit raho. Shri Radha lal ki jai

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi