॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Vrindavan dham ki mahima / garbhsth Prahlad ji ko narad ji ne kya updesh diya? // 11/08/26

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugram nirvai param shital mashyam param shital ma shraya param sacchidanand ghan Premand swaroop navnit nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladlele pranaaradhy pranapriy yugal sarkar shri Priya Priya pritam jo samasth sahachari vrind khag mrig pashu panchhi taru lata yamuna ras rani rajrani samasth brajvasi parikar upasak mein jab tak kartva bhav dridh rahta hai tab tak use isht ki kripa bal ka anubhav nahi hota aur aur jab gurujanon ki charan seva se, shastr swadhyay se, mahapurushon ke vachno ka manan karne se aur khub dat ke naam japne se antahkaran pavitra hota hai, dehabiman galit hota hai tab kripa bal uday hota hai.

jahan kripa bal ka anubhav hua to use pratiphal yah anubhav mein aata hai ki hamare man chitt ko Vrindavan mohit kar raha hai. Hamare sampurn antahkaran par Priya pritam ka mohan adhikar hai. Wo zabardasti hriday ko apne adhin kiye hue hain. Wah anubhav karta hai ki unki kripa se unki khel unka rup, unki leela yah chaai hai hamare hriday mein. Jab yah sthiti aati hai ki wo kripa bal ka darshan karta hai, chintan karta hai, manan karta hai, tab wah anant janmon ke sanchit karmon ko bhasm karke priyal ki divya lilaon mein pravesh pa jaata hai.

yah bhumi mohan bhumi hai. Priya pritam mohan hai. Unki keli mohan hai aur unke bhakt jan bhi mohan hai. Mohna aur mohan mohit kar le. Swayam mohit na ho. Yah bhumi yahan ke aradhya dev yahan ki leela yahan ke rasik jan isi mahamohan prem se yukt hai. Shripad kah rahe hain mohan vrindane mohan kunjeshu mohan krutya mohan Radha Krishna mohan ke sada bhajat mohan vrindanya sampurn Brajbhumi mein ek Mohini shakti hai. Ek asakti paida ho jati hai. Yah Brajbhumi ki brajar ki Mohini shakti jiske hriday par utri wo braj ke bina ji nahi sakta.

Vrindavan ke bina ji nahi sakta. Shri bhatt devacharya ji kah rahe hain mohan braj van bhumi sab mohan sahaj samaj mohan Yamuna kunj jahan bihrat hai jubraj Brajbhumi Mohini main jani Brajbhumi Mohini main jani Mohini kunj mohan Vrindavan mohan Yamuna pani braj bhumi Mohini main jani Mohini nari sakal braj ki bolat Mohini bani shri bhat ke prabhu mohan nagar mohan Radha rani mohan Radha rani Brajbhumi Mohini main jani ye sampurn Brajbhumi yah Mohini hai. Chitt ko cura leti hai. Jiska chitt braj raj ne cura liya wah is braj raj ke bina jivit nahi rah sakta.

uske pran virhakul vyakul ho jae. Jaise machhli ko jal se alag kare to ji nahi sakti. Aise brajar sevan karne wala brajar ke bina rah nahi sakta. Ismen Mohini shakti hai. Vrindavan mohan sampurn braj 84 kosh yah divya chidanand bhumi hai. Yah to Mohini hai hi par sampurn braj ka shiromani shri Vrindavan dham hai. Bole jako man vrinda vipin har shyama Shyam swaroop sarovar pariswarath baso pariswarath biryo jako man vrinda vipin har braj 84 kosh Mohini bhumi hai ismen jo Vrindavan hai mukut mani hai aur Vrindavan jiska chit aphrn kar liya wah shyama Shyam ke prem swaroop mein aisa duba ki phir swasukh wanchha jagrit nahi hui swarth sab visar swasakh wanchha deh sukh indriy sukh man sukh lok loko ke bhog sukh aur moksh sukh iska bhi tyag karane ki samarth shri dham Vrindavan mein hai.

jo Vrindavan ka ashrit hai, Vrindavan ka vasi hai to Vrindavan uske man ka aphrn karke shyama Shyam ke prem rupi sarovar mein dubo deta hai. Nirakh nikunj [ubasi lene ki aawaz] nikunje bhi mohit kar leti hai. Aisi kunj nikunje hain. Jo Priya pritam anand samudra hai wah bhi dekhkar ke anand mein umagte hain. To nirakh nikunj punj chavi Radhe Krishna naam u dharyo jako man vrinda vipin har jai shri bhat Radhe ras karai jai shri bhatt Radhe ras karai tah sarvas de nibar jako man vrinda vipin har shyama Shyam swaroop sir pariswarath baso ju jako man anand ghan vrinda vipin har ju nav niv nikunj ki naveen naveen kunj nikunjon ka darshan chavi punj shri kishori kishor ji ka darshan hriday mein shyama Shyam ka naam shri bhatt devacharya ji kah rahe hain jisko Vrindavan ne apna liya jisne Vrindavan ki sharan li to shri kishori jo aur kishor jo Radhe rasik ray jo apna sarvasv shri ang ki seva prem raskeli yah sab pradan kar dete hain.

shripad kah rahe hain Mohini sampurn Brajbhumi Mohini samarth aisi Vrindavan ki ki ek bar mohan kar le man ka to jeevan samarpit ho jae. Phir nark swarg apvarg as nahi tras hai na koi asha hai na koi bhay hai bas Vrindavan ke siva wo ji nahi sakta aisi asakti pradan kar dete hain aur shripad kah rahe hain mohan Radha Krishna ye jugal jodi bhi Mohini hai ye hamare jo sevya hain sevya hamare hain sada [chikne ki aawaz] vrinda vipin vilas nand nandan vrishbhanuja charan anannya upas anannya upasna jab Brajbhumi ki kripa hui to Vrindavan dham prannon se pyara lagne laga aur jab Vrindavan dham ki kripa hui to shri shyama Shyam ne uskit ka aphrn kar liya.

wo shri shyama Shyam ke charnon ka anannya upasi ho gaya. Santo se hamare shiv piy pyare vrinda vipin vilasi nand nandan vrishabhan Nandini charan anannya upasi anannya upasna bahari vihaar mein anya ki upasna to baat jane do kahin kisi bhi tarah se na antar mein anya ka chintan hai aur na bahar se koi anya kriya unhin ke sukh ke liye jo kriyaen sab unhee ke sukh ke liye pratikultaa to swapna mein nahi ho sakti jo anannya charan upasi hai wo pratikuls visarjan shri Krishna anukul apne aradhya dev ke anukul hi aacharan pratikul ka purnat tyag yah anannya upasna santo sevya hamare si priy pyare vrinda vipin vilasi nand nandan vrishabhan Nandini charan anannya upasi to iska labh kya mila bole mast pranay bas sada ek ras sadaiv prem mein dube hue aisa nahi ki prem abhi phir kam ho gaya ya phir badh gaya aisa nahi chhinay ghate chhin badhe so to prem na hoe aghat prem pinjar base priti kahave soe ek ras ek ras hote hue bhi pratikshan vardhmaan par kabhi kam nahi ho sakta.

par upasak ko har samay apne mein prem ki kami ka anubhav hota rahta hai. Nahi to ahankaar aa jae. Isliye prabhu aisa anubhav karate rahte hain ki hamare hriday mein aisa prem kahan? Mat pranay bas sada ek ras vivid nikunj nivasi shri bhat jugal bansi bat sevat murti sab sukh rasi shiv Priya pritam samasth sahcharya kabhi banseevat par adbhut raas vilas kabhi naveen naveen kunj nikunjon mein in sab ko dekhkar ke shyama Shyam ka anannya upasak prem mein unmatt rahta hai. Yadi koi is ras ko prapt karna chahta hai to ananyata atyant avashyak hai.

an kahe anain ur hari guru so rati hoi sukh nidhi shyama Shyam ke pad pave bhal soi shri bhatt devacharya ji kah rahe hain na to vani se anya koi charcha karen aur na anya koi vyakti vastu sthan sukh aadi ki hriday se ichchha karen ekmatra shyama Shyam ka chintan shyama shyama Shyam ke gunon ka gayan shyama Shyam ki seva to bole sukh nidhi shyama Shyam ke hari guru pratap se wo leela mein pravesh pakar shri ang seva ka adhikar prapt karta hai. Shyama Shyam pad pave soi man vach kram kar sada nirantar hari guru pad pankaj rati hoi shyama Shyam pad pave soi shri shyama Shyam ke charnon ki seva shri shyama Shyam ke shri ang ki seva unki ki agyaa mein rahna.

yah saubhagya usi ko milta hai jis par hari kripa se guru charnon mein rati ho jae. Guru agyaa se upasna mein rati ho jae. Upasna se upas dev mein ananyata aa jae. Ho gaya kam. Hari ki kripa se hari guru mein abhed bhav rakhte hue guru agyaa ka palan guru agyaa se upasna mein rati upasna se upasya dev mein ananyata upasya dev ki ananyata hi param pad hai nand nandan vrishbhanusta pad bhaje taje man aa joi shri bhat atak rahe Swami pan an kahe mane sab chhoi shri bhatt devacharya ji kah rahe hain jo rasik Gurudev ki hi agyaa ke anusaar upasna karen apni manmani shastron ke batae hue siddhanto pe na chalkar Gurudev ki agyaa pe kyonki reman rasikan sang bin ranch na upje prem bina Priya pritam ke premi rasik mahapurushon ka sang kiye hriday mein prem nahi aa sakta aur bhagwat rasik rasik ki baten rasik bina koi samjh sake na chahe jitna koi gyani vigyani ho jab tak Priya pritam ke premi rasikon ka sang nahi hoga tab tak ras ki baat samjh mein nahi aayegi yahan ved rasikan ki vani rasikon ki vani hi yahan ved jaise pramanit jagat mein hai aise yahan rasik ki vani pramanit hai.

to rasik Gurudev ke anusaar upasna ki jae to an ka tyag hokar shiv Priya pritam mein anurag ho jaata hai. Wo man uska atak jaata hai. Priya pritam mein uthte baithe chalte phirte sote jagte har samay Priya pritam ka chintan hone ka matlab hai Mohini jodi jugal jodi ne hamare man ko cura liya chanchal chit akarshani hamare chanchal chitt ka akarshan karke apne chintan mein laga liya phir anubhav hota hai ki are to ham to inke janm janm ke the yahi hamare hain. Shri bhatt devacharya ji kah rahe hain tab anubhav hota hai janm janm jinke sada ham chakar nibhor tribhuvan poshan sudhakar thakur jugal kishor janm janmantar se ham inhi ke the bhul gaye maya mein anya sambandho ko sweekar karke ham bhul bhul gaye apne prabhu ko.

aaj Brajbhumi ki kripa se, Vrindavan rajrani ki kripa se, rasikon ki kripa se, Gurudev ki kripa se hamari bhul mit gayi aur yah anubhav hua ki jugal kishor hamare thakur hamare Swami hamare pran pritam Priya pritam jugal kishor hamare thakur sada sarvda ham jinke hain janmjanm ghar jae chakar ghar jae chakar ghar jae chakar ye payment wale naukar nahi hai mujhe ye chahiye ye nahi ye ja hi na chahiye kabahu kachu ye ghar jae chakar ka lakshan hai sukh sukh deve ko chavchit sabsohit nishkam ya sudharma Harivansh ko naam gira vishram naam vani mein har samay lage hue hain.

susukh wanchha ka tyag hai. Sabko Priya pritam se lekar charachar jagat ko sukh dene ki bhavna hai. Swayam mein nishkam mati hai. Yahi hit dharm hai. Sukh deve ko chavchit sab sohit nishkam ya sudharma Harivansh ko naam gira vishram naam mein aur vani ji mein bahut rati kabhi naam chal raha hai kabhi vani ji chal rahe kabhi mantr chal raha hai Priya pritam ka kabhi seva sukh ka chintan chal raha hai anannya bhav ghar jaekar ek hote hain aae kam kiye paisa liye unka ghar alag alag hota hai. Unka sukh alag hota hai. Wah paise ki chakri karte hain.

to jo sakam bhakt hain wah paise ke dwara jaise laya gaya sevak aisi unki seva hai. Lekin jo nishkam bhakt hai wo ghar jae chakar hai. Kuch nahi chahiye. Aapko sukh pahunchana. Ham aapko dekh rahe hain. Aapki agyaa ka palan kar rahe hain. Aapki seva ka adhikar mila. Isse bada sukh aur koi nahi hai. Sada sarvda ham jinke hain janm janm ghar jae chakar jugal kishor hamare thakur kaise karunamay hai chuk pare parihar na kabahu sab hi bhanti daya ke agar chahe jitni aparadh ho vritti wala ho Priya pritam kah diya aashray le liya aur inhe apna man liya to avgun kare samudra samm ganat na apno jani rai ke sam bhajan ko manat Meru saman samudra ke saman paap kar de to Priya pritam mante hi nahi kisne aparadh kiya aur rai ke saman bhajan kar le to Sumeru parvat ke saman bhajan mante.

itne kripalu hai hamare jugal kishor thakur. Chuk pare parihar na kabahu chahe jitni badi galti ho jae kabhi tyag nahi sakte. Priya pritam aise ati udaar vi sundar surat sur sukumar aise udaar Priya pritam hai chahe jitni chuk par jae wo kabhi chhod nahi sakte kabhi tyag nahi sakte sab hi bhanti daya ke aag wo daya ke ghar daya ke samudra hai kabhi chuk par jae aparadh ban jae galti ho jae to kabhi naraz nahi vimurkh bhay nimsho na kripa na akpa jab chit tab waise waise hi muskurate hue dikhayee chuk pare parihre na kabahu swabhav aisa hai inka yahi swabhav jo jaan gaya to inko kabhi chhod nahi sakta bahut karuna samudra hai jab kah

rahe hain dhruvdas ji ki avgun kare samudra sam ganat na apno jaan avgun kiya aparadh kiya galti kari samudra ke saman wo mante nahi kisne galti ki aur chhoti si seva rai ke saman bhajan ko wo Sumeru parvat ke saman mante aise udaar kripalu hamare thakur jugar kishor ji hai jai shri bhatt pragat tribhuvan mein prantan poshan param sudhakar prantan poshan jo sharanagat ho gaya hriday se man liya main Priya pritam ko sari jimmedari Priya pritam le lete sara bhaar le lete yogakshemam bhav mein ham jai shri bhatt pragat tribhuvan mein tribhuvan mein wo prakashit hai Vrindavan mein yahi khel rahe hain bas sharan ho jao naam jap karo netron ka dosh hate trigunmay maya ka to aapko pragat dikhayee denge pran tan poshan param sudha kar param amrit se tript kar denge leelamrit Rupa aadi se aap keval inke charnon ka aashray le kabhi gussa nahi hote hamare Priya pritam swabhav hi nahi hai bahut ladle hain Radha mohan bahut shant gambhir dulare kya kya varnan karen sab adhura varnan hi hai pura to jane mori chati shabd hi

nahi hai ki varnan kiya ja sake. [nak se ki jane wali aawaz] nish din lagi raho yah lalas ye lalsa ye ichchha raat din lagi rahe. Shyama Shyam charan ki seva bina anso upjo alas. Kabhi hamare hriday mein seva mein alasya na ho. Are phir kar lenge. Nahi he Gurudev he Vrindavan dham he rasik jan kripa karo hamare andar seva ki lalsa jagrit ho jae aur seva mein tatparta vilumb nahi yam avsar ke anusaar jo seva hai usmen vilumb nahi are phir thodi der mein kar le kabhi alasya na upje pratiphal tatparta purvak shyama Shyam ki seva kahat sunae sum man vach kram kar uj raho ji jug jas jalas jai shri bhatt aghat ghatna mein dharo sada man mor sulas shri Priya pritam ki jo prem leela hai surat leela hai isi mein hamara man laga rahe atho pair inki seva mein rahe to anyas hi wo gati prapt ho jaegi jo bade-bade yogi munio ke liye bhi vanchhni hai.

anyas sahjah jutih pai sukrit sumal lagae jag jih jape man bach Radha lal Radha lal shri Priya pritam ka khub naam jap khub seva khub leela gayan inhi ke prati ananyata ab hamko chinta nahi hai kyonki mohan Brajbhumi mohan Vrindavan mohan shri Priya pritam aur mohan unki keli vani ke dwara ham ke gayan karen to hamare chitt ka mohan ho jaega. Hamara chitt mohit ho jaega Priya pritam ke naam rup leela dham mein to wah sthiti prapt hogi jis sthiti ki bade-bade yogi muni jan akanksha karte rahte hain.

mohan vrindane mohan kunje mohan krutya mohan Radha Krishna mohan ke sada bhajat Radha das lasad vapurisham Radha pad sevi antoshit Radha rasik ko Radha bane sada nivas jo radhavan shri Vrindavan mein kuch hi kshan vas kar le kuch hi din vas kar le dhanyati dhanya aur manushya sharir milkar kuch hi samay Priya pritam ki seva mein koi seva mil jae bade saubhagyshali thodi Sohni laga di pocha laga diya char pushp ekatrit kar diye koi seva ban jae Priya pritam ki seva Radha dasy Radha pad sevan Radha vanvas to Radha rasikon ke sang se nischit Radha lal ki prapti ho jaegi.

Priya pritam aise darshan dete hain jaise ham aapko dekh rahe hain. Aap hamen dekh rahe hain. Aisi ye baten nahi ki koi bhavna mein dekha man liya ki bhagwat sakshatkar ho gaya. Pragat vapu pragat varta pragat ishare pragat seva pratyaksh anubhav hota hai upasak ko jab inke siva koi anya nahi hota anannya bhav aur purn samarpan to prakt sparsh sambhshan darshan ye sab prakt prapt hota hai. Isliye dhanya hai unka jeevan jo Radha van mein vas karte hain. Radha charnon ki upasna karte hain. Radha seva sukh mein nimgn rahte hain to unko Radha lal ki nischit prapti hoti hai.

chalte hain Shrimad bhagwat mahapuran prasang chal raha hai. Prahlad ji ne apne mitron ko bulaya. Guru ji kahin bahar gaye sandamarka ji ekant mein baithakar updesh diya ki bhaion kumar avastha se shri bhagwan ka bhajan karna chahiye. Ye jin logon ki yah mati hai ki jawani koi bhajan ke liye hai. Budhapa bhajan ke liye hai. To budhape mein prapanch hota hai. Bhajan nahi hota. Dhyan rakhna. Jisne kumar avastha mein Yavan avastha mein bhajan ka abhyaas nahi kiya budhape mein bhajan nahi kar sakta keval prapanch hota hai.

he mitron jaise koi dukh nahi chahta par use praarabdh ke anusaar zabardasti dukh bhogna parta hai. Aise hi tum sukh bhi na chaho to an mange age avego jo pal lage pal ko bina mange bina chahe jaise dukh aata hai aise sukh aayega to tum sukh dukh ki vrityio se upar utho jo praarabdh se nahi milta wo hai bhajan shri bhagwan ka aashray lekar shri hari ka bhajan kar lo kyonki sari vipattiyon se sare sankat se sare akramnon se agar koi bacha sakta hai to hari hari smriti sarv vipad vimokshanam bhagwan ki yad bhagwan ka naam jap ye samasth vipattiyon se bacha leta hai he asur balkon tum apne asur swabhav ko chodo aur bhagwan shri hari ka nirantar bhajan karo kal aapne suna prahhad ji ne updesh kiya Prahlad ji ke mitron ne kaha ki yah updesh to kabhi sandamarka ji ne diya nahi.

to aapko yah updesh kahan se pata chala? To unka hamare Gurudev devrshi narad ji ne diya. To unhone kaha bachpan se to aap hamare saath ho. Kabhi devrshi narad ji se aapka samagam hamne suna nahi. To aapko kab devrshi narad ji guru rup se mile aur aisa updesh kiya. Daitya balkon ne aisa prashn kiya to bhagwan ke param premi maha bhagwat Prahlad ji muskurate hue unse kaha Prahlad ji ne kaha yah us samay ki baat hai jab hamare pitaji tapasya karne ke liye mandrachal parvat par chale gaye tab bade-bade lokpalon sahit indra ne danwon se yuddh kiya kyonki hiranyakashyap jab tapasya mein tha aur parast kar diya danwon ko.

Devraj indra aur lokpal sab aisa soch rahe the ki ab hiranyakashyap kabhi laut kar nahi aayega kyonki wo to itna tap paraayan ho gaya ki cheentiyan use chat gayi hai. Deemak lag gayi hai. Wah nahi aayega. Wo apne paap ke karan hi mano nasht ho gaya. Aisa Devraj indra man rahe the. Devtaon ki badhti hui shakti dekhkar ke daitya log bhag pare. Apne apne sab nivas sthan chhodkar ke chhup gaye jakar. Apni jit chahne wale devta aakraman karke hiranyakashyap Devraj indra ke mahal mein rahta tha. Bhaga diya tha Devraj indra ko.

wahan aakraman karke gher liya gaya ki jo bhi ho parivaar ka nasht kar diya jae. Wahan jo sevak gan the sabko bandhan mein dal diya. Kisi ko mara. Bahut se to bhag gaye the. Aur Prahlad ji us samay garb mein the aur kayadhu garbhvati thi. Wo bhag bhi nahi sakti thi. Bandhan mein unko bhi dal diya gaya. Kayadhu ko bandh liya gaya. Devraj indra ka marna nahi. Kyonki iska kya aparadh hai? Ek to stri dusre garbhvati. Ham devta hain. Aisa aparadh nahi kar sakte. Bandh lo isko aur le chalo ise. Iske garb mein hiranyakashyap ka atyant prabhavshali virya hai.

jab yah garb prakt hoga tab ise mar denge aur kayadhu ko chhod denge. Bandhan mein dal diya gaya. Kayadhu ji ko bandhkar Devraj indra le ja raha hai. Raste mein devrshi narad ji mil gaye aur Devraj indra se kaha ruko. Tumhen pata hai tum jis garb ko marne ki baat kahte ho kal ki bhi samarth nahi ki mar sake kyonki iske garb mein bhagwan ka sakshat param premi maha bhagwat prahallad hai. Devraj indra is nishpap mahatma ka tum bal banka bhi nahi kar sakte. Tumhare mein kisi bhi lokpal ki samarth nahi ki is balak ki hani pahuncha sake.

kyon? Kyonki bhagwan ka mahan bhakt hai. Devrshi narad ji ki baat sunkar ke pranam kiya kayadhu ko Devraj indra ne. Aur kaha ki main is garbhsth bhagwat bhakti ki mahima ko nahi janta tha. Ham to yah samjh rahe the ki papi hirankashyap ka yah veer hai. Koi papatma hi hoga to janm lete hi ise mar dalenege. Lekin yah bhagwan ka bhakt hai. Isliye main garbhsth bhakt ko pranam karta hoon. Aur char pradkshina ki kayadho ko jahan bandhan mein dale tha bandhan mukt kiya pranam kiya. Char pradkshina ki phir pranam kiya.

kyon? Kyonki iske garb mein bhagwan ka bhakt hai. Aisa mankar chhod diya. Devta log chale gaye. Devrshi narad ji kayadhu ji ko apne ashram par leva laye aur kaha beta tum bilkul nirbhay hokar is ashram mein raho. Jab tumhara pati laut aayega tapasya se tab ham tumhen punah uske samip pahuncha denge. Jaise apne pita ke yahan aa jaata hai. Aise kayadhu ji nirbhay hokar devrshi narad ji ke ashram par rahe. Main garb mein tha. Prahlad ji apne mitron se bata rahe hain. Devrshi narad ji baithkar ke Bhagvati ko updesh karte aur lakshya rakhte mera to main garb mein hi seekh gaya tha.

dekho garbhsth shishu par bada prabhav parta hai. Yadi aap sansarik baten ganda bhojan apvitra payenge, apvitra baten karenge, apvitra kriyaen karenge to sab balak par prabhav parta hai. Jis din se garbhsth shishu ho jae us din se mata-pita ko brahmcharya rahna chahiye. Satvic bhojan pana chahiye. Naam kirtan, naam jap aur bhagwat katha varta karni chahiye. Yah jo vybhchar pravriti se yukt jan hai to balak mein gande sanskar aur unke sharir ke angon par galat prabhav parta hai. Jab balak garb mein aa jae to mata-pita ko usi din se brahmcharya dharan karna chahiye.

aur ye charaphre khatte tamoguni basi bhojan apvitra bhojan iska tyag kar dena chahiye. Brahmcharya se rahe pavitra bhojan pave aur roz katha sune bhagwan ki chahe Ramcharitmanas Shrimad bhagwat mahapuran ya aur bhi granthon ki charcha to balak bada sanskari rashtrabhakta hoga. Dekho garbhsth shishu par prabhav para Abhimanyu ji uttara ke garb mein the. Arjun ji updesh karte to chhah dwaar bhhedan chakravyuh ki garb mein hi seekh gaye the. Yahan garbhsth shishu Prahlad ji par prabhav para. Roz narad ji bhagwan ki mahima bhagwan ki bhakti bhagwan ki kripa ki charcha karte.

aisa lagta kayadhu ko suna rahe hain. Par lakshya tha Prahlad ji to garb mein hi Prahlad ji bhagwan ki maha premay bhakti se yukt ho gaye the. Devrshi narad ji bade dayalu sarv samarth mahatma hain. Prahlad ji kah rahe hain unhone meri maa ko bhagwat dharm ka rahasya vishuddh gyan donon ka updesh kiya aur drishti mere par thi isliye garb mein hi maha bhagwat ban gaye Prahlad ji bhagwat dharm ka aur tatv gyan donon garb mein maha bhagwat ban gaye bole bahut samay bit jane ke karan meri mata ko to kuch smriti nahi rahi par Gurudev narad ji ki kripa ke prasad se mere mein kabhi vismriti hi nahi hui.

tatv gyan aur bhagwat dharm donon rahasya hain. Aur in donon ke gyata hai shri Prahlad ji kyonki devrshi narad ji ne garb mein hi updesh de diya. He daitya balkon yadi tum log meri is baat par shraddha karo to wah gyan tumko bhi ho sakta hai. Jis bhakti gyan ke prabhav se mujhe bar-bar mara jaata hai lekin mera ek bal bhi banka nahi hota wahi tumko bhi prapt ho sakta hai. Kyonki chahe stri ho ya purush ho balak ho ya vridh ho jo bhagwan shri hari ka aashray lekar bhajan karega wo nirbhay nishcint nishok sanshay rahit viparit bhavna ka tyag ye ho jaega.

jaise vrikshon mein phool lagte hain, phir phal lagte hain, phir wah badhte hain. Phir wo pakte hain. Phir wo nasht ho jaate hain. Waise hi janm garb mein phir garb ki astitva ki vridhi hona phir sharir rup dharan karna phir maa ke garb se bahar nikalna phir balyvastha phir yauvan avastha vriddhavastha phir mrityu ye bar-bar chakra chalta rahta hai. He mitron jise atmjyan nahi hai wah is chakra mein bar-bar janmata marta rahega. Yah sharir ka hai janmna marna. Jaise phool lagna, phal banna, phir badhna, phir pakna, phir nasht ho jana.

aise hi ye garb rahna, garb se bahar ana, balak, jawani, budhapa, mrityu yah sharir ke lakshan hai. Atma ke nahi hai. Atma nitya hai. Sharir anitya hai. Atma avinashi hai. Sharir vinashi hai. Atma shuddh hai. Sharir ashudh hai. Atma ek hai. Sharir anek hai. Sthul sharir, sukshm sharir, karan sharir. Atma aashray hai. Sharir ashrit hai. Atma nirvikaar hai. Sharir vikari hai. Atma swayam prakash hai. Sharir usse prakashit hai. Atma sabka karan hai. Sabka karan hai. Sharir kriya hai. Atma vyapak hai. Sharir prakt dikhayee deta hai.

atma asang hai. Sharir aasakt hai. Atma awran rahit hai. Sharir mal vikshep awran se yukt hai. Is atma swaroop ko samjho. Jo atma tatv ko jaan jaata hai, wah janm mrityu ke chakkar se mukt ho jaata hai. Yah jo hamara janm maran ho raha hai, iska karan hai atma swaroop ko bhulkar sharir ko main man lena aur sharir ke sambandhi ko mere man lena. Yahi hamare janm maran ka hetu hai. He mitron jis prakaar swarn ki khan mein patthar aadi mile hote hain par paddhti se wo pattharon mein se swarn nikal leta hai.

jis prakaar doodh mein ghee hai paddhti se doodh mein se ghee nikal liya jaata hai. Waise hi paddhti se atma bodh hota hai. Atma bodh prapt karne ke liye sadhan chaturshty atyant avashyak hai. Vivek shat asat ka nirnay karne wale ko vivek kahte hain. Vairagya lok parlok ke bhogon se vairagya sham indriy vijyi dum man ka daman karne wala tatiksha har kasht har apman har dwaand sahne wala uptiti lok parlok ke bhogon mein bilkul koi bhi ruchi nahi bhog buddhi hi nahi sam dum titaksha upti shraddha shastr aur guru ke vachno mein yathavat shraddha samadhan chitt ka apne lakshya mein sthit ho jana mumukshta main mukt hona chahta hoon ye sadhan chaturshty sat sampatti jiske jeevan mein hoti hai wahi atmjyan prapt karta hai aur kuch samjh mein na ave Radha Radha Radha Radha Radha sab kuch prapt ho jaega dekh lena nirantar naam jap karo sab kuch prapt ho jaega.

are Ram Ram nahi kah paye mara mara shuru kiya to brahm rishi ho gaye. Bhai tum Radha Radha janbujhkar ke bhav se japoge tumhen brahm gyan nahi ho jaega. Tumhen sansaar se vairagya nahi ho jaega. Tum sahnseel nahi banoge. Tum mein tatiksha nahi aa jaegi. Tumharit ka samadhan nahi sab ho jaega. Jo atmjyan prapt kar leta hai, wah brahm padvi ko prapt ho jaata hai. Acharyon ne mul prakriti, mahatatwa, ahankaar aur panch tan matraen, shabd, sparsh, rup, ras, gandh in aath tattvo ko maya bataya hai.

prakriti bataya hai. Teen gun prakriti ke hain. Satogun, rajogun, tamogun aur 16, panch gyanendriay, panch karmendirya aur ek man aur panch mahabhut yah sab samuday maya ka hai. Mul prakriti, mahatatwa, ahankaar shabd sparsh rup ras gandh ye aath satogun rajogun tamogun trignatmika maya aur uske 16 vikar panch gyanendriay panch karmendirya panch mahabhut aur ek man yah hai pura samuday jismen ham phas gaye in sabko prakashit karne wala aapka swaroop hai atma aapka swaroop hai aap hai wah is maya ke samuday se teen deh ban gaye.

sthul deh, sukshm deh aur karan deh. Aur isi deh mein apnapan ho gaya. Yahi hamari durgati ka karan ho gaya. Chahe wo sthavar ho, chahe jangam ho. Isi mein mamta hone ke karan durgati ho gayi. Antahkaran indriyan yah anatma vastu hai. Atma nahi hai. Jab guru kripa se bhajan karoge aur vivek gyan jagrit hoga tab anubhav hota hai main atma swaroop hoon. Main deh nahi hoon. Atma sab mein virajman hai. Wah in shariron se bilkul alag hai. Prithak hai. Isiliye koi vaigyanik ultrasound siti scan ira aadi se nahi nikal sakta ki are sukshm sharir ko nahi nikal sakta.

man buddhi chitt ahankaar ko phir karan swabhav aur phir sabse pehle atma tatv ek aae the sadhak ko pooch rahe the ki jab is sharir mein atma hai to kahan hai? Bas itna hi jaan gaye to jeevan mukt ho gaye na. Atma hai to kahan hai? Main dhundna chahta hoon. Main pana chahta hoon. Kisko? Bole atma ko. Kabhi nahi milegi. Kyon? Kyonki wo tum ho. Wo tum ho. Jise khojana chahte ho wo tum ho. To tum jo nahi ho usse pehle alag ho. Tum sharir nahi ho, indriyan nahi ho, indriyon ka vilas nahi ho, man nahi ho, man ka vilas nahi ho.

hato isse. Isi se hatne ki vritti ko to sadhna kahte hain. Aur jab aap hatoge to apne aap se apne aap ka anubhav ho jaata hai. Prahlad ji kah rahe he mitron shuddh buddhi se dhire-dhire in shariron se rag hatave aur in shariron ki utpatti sthiti aur vinash ka chintan karen ki marega sharir nasht hoga. Is utavli na karen to isse kya hoga? Dhire-dhire tumhara sharir rag nasht hoga. Koi bhi karya karen dhire-dhire aram se karen. Utavlapan kar aaj hi ham kasam khate hain aisa nahi karenge to koi tum Bhishma pratigya nirvah karne wale thodi ho.

mahina 15 din do din char din 10 din phir phesal jaoge. Dhire-dhire kramash dhire-dhire vishyon ka tyag karen aur jinka tyag kar de dobara jeevan mein unka kabhi prayog na karen. Yah jagrit, swapna aur sushupti ye teen buddhi ki vrittiya hai. Hamari nahi naam jagrit naam swapna naam sushupti. Kal ek pooch rahe the ki swapna mein aisa aisa uska matlab kya hota hai? Swapna mein ye aata hai wo aata hai. To ye swapna vicharon walon ke paas jao to tumhen kuch mil jaega samjhne ko. Hamare paas to nahi milega.

kyonki ham jagrit ki hi satta nahi mante to swapna ki kya satta mane? Jagrit, swapna, sushupti ye tino buddhi ki avasthaye atma ki nahi. Bole swapna mein wo aisa aisa are sab man ka natak hai. Wahi mahatma ban jaega, wahi guru ban jaega, wahi bhagwan ban jaega. Man ke siva swapna mein kuch nahi hai. Kabhi-kabhi pavitra antahkaran mein bhagvatik sanket usi man are man indriy manaswa man kaun hai? Bole indriyon mein man main hoon. Bhagwan shri Krishna kah rahe hain. Apvitra hai isliye samjh nahi pa rahe.

pavitra ho gaye to bhagwat swaroop ho gaya. Bole swapna mein hamare amuk mahatma hai. Wahi man hai. Bole wo mahatma nahi tha. Are man hi to paramatma hai. Indriyana manasma koi bhi rup dharan kar sakta hai. Jagrit swapna sushupti ye meri avasthaye nahi hai. Yah buddhi ki avastha hai. Aur buddhi se anubhav mein ane wala jo tatv nahi hai wahi paramatma wahi mera swaroop hai. Jaise gandh se uske aashray vayu ka gyan hota hai. Vayu gandh ka vahan karti hai lekin gandh vayu ka gun nahi hai. Gandh prithvi ka gun hai aur vayu vahan karti hai.

waise hi ye teen avasthaye jagrit swapna sushupti ye buddhi ki hai. Ye badalne wali buddhi ki hai. Atma inka sakshi hai. Yah atma ki nahi na jagrit na swapna na sushupti jo tino mein saman sakshi bhav se rahta hai wahi gyani hai. Jagrit mein jitni bhi cheshta ho rahi sthul sharir se ho rahi aur cheshta karane wala satogun rajogun tamogun hai. Gunanugun warte manushya Parth sarvsa aur jo swapna hai wo ek man jo nidra mein nahi duba wo prapanch rach deta hai. Accha bura jaisa sukhad dukhad aur jo sushupti hai usmen buddhi bhi leen ho jati hai ga sushupti mein buddhi bhi leen lekin main soya yah bodh kisko raha wo atma sakshi ye anubhav karata hai aaj maine ye kiya aaj maine ye khaya piya aaj main soya aaj maine swapna dekha to yah bhram se wo man raha hai lekin yahan sanket milta hai ki wo sakshi tino mein jag raha tha jagrit mein bhi, swapna mein bhi aur sushupti mein bhi.

gunon aur karmon ke karan hone wale janm mrityu ka yah chakra atma ko sharir asakti ke karan prapt hota hai. Khas baat ye shareerasakti ke karan durgati ho rahi hai. Ye agyaan mulak bilkul mithya hai. Jaise swapna ka sharir mithya hai. Par swapna mein chaku mari ja rahi to dukh ka anubhav hoga. Kab tak? Jab tak jagoge nahi. Jag jaoge na chaku na marne wala na kahin katne wala koi sharir ka ang. Badhiya saiya mein soya hua hai. Par swapna mein use dikhayee de raha hai ki hamare sharir ko koi kaat raha hai.

na sharir kat raha hai, na koi katne wala hai, na koi pida hai. Par puri pida ho rahi hai. Yah jab tak jagega nahi tab tak pida nahi mitegi. Aise is jagrit avastha mein dehabiman ke karan ye sukhad dukh man apman jab tak gyan mein jagoge nahi tab tak ye dukh dur hone wala nahi. Isliye mitron Prahlad ji kah rahe hain tum logon ko sabse pehle in gunon ke anusaar hone wale karmon ke bij ko nasht kar dena chahiye. Yah sharir tum nahi ho. Tumhare dwara karm nahi ho rahe. Keval tum ahankaar karte ho isliye tumhen bhogna parta hai.

ye yantr mam maya satogun rajogun tamogun se gun prerit karte hue antahkaran mein karm karva rahe hain. Par aap karta bhav se ho gaye isliye aapko avashya mein bhoktuvi karmatham karm shubh shubham phir aapko bhogna padega. Jo sharir rag mita deta hai, karmon ka karta bhav mita deta hai, bhogta bhav mita deta hai, to ise hi yog kahte hain. Dusre shabdon mein ise hi bhagwat prapti kahte hain. Ise hi paramatma se milan kahte hain. Yun to in trigunatmak karmon ki jad ukhad fenken ke liye buddhi vrityio ka pravah band kar dene ke liye vedon mein shastron mein purannon mein bahut se sadhan batae gaye hain.

par sarvshresht sadhan hai bhagwan shri hari ka smaran naam jap unki seva pakar lo. Prahlad ji kah rahe hain yu to maya se mukt hone ke liye shastron sadhan batae gaye par bahut saral sarvshresht nirbhay bhay shunya marg hai bhay shunya isliye ki ismen kar sada tin ke rakhwari jin balak rakhe mhatri ismen bhagwan ka purn sahara hai aur wo raksha karte hain kya khub naam jap karo aur sarvshaktiman bhagwan ki seva unka aashray unke leela gunon ka shravan isse shuddh hokar buddhi atma swaroop ka bodh ho jaata hai.

buddhi shuddh hui to jaise darpan saaf hua to apna pratibimb dikhne laga. Aise anubhav hota hai atma swaroop ka. Buddhi wo aisi praveen gyanmay ho jati hai. Gyan netr prakashit ho jaate hain. Unhee netron se atma swaroop ka bodh hota hai. Yah kaise kiya jae? Ki hamara nirantar bhajan bane hari charan aashray dridh ho jae buddhi shuddh ho jae to kah rahe guru sushya bhakt sarwapan change sadhu bhakt namadhne cha shraddhaya tat kathaya kirtan gun karmana tat dhyana tangarna shri Sadgurudev bhagwan ka varan karke unki prem purvak seva mein rahna unki agyaa mein rahna jeevan mukt hone ke liye atma bodh prapt karne ke liye bhagwat milan ke liye kya karna chahiye to bole guru ka varan karke Gurudev ka aashray lekar prem purvak unki seva Gurudev ki seva guru agyaa palan apne ko jo kuch praarabdh anusaar mil jae bhagwan ko samarpit karke uska prayog karna prasadi karke hi chahe jal pina ho chahe vastr chahe bhojan kuch bhi prasadi hi hona chahiye bhagwat premi mahatmaon ka satsang nitya sunna chahiye nitya satsang aur bhagwan ki aradhna mein bhagwan ki katha varta sunna bhagwan ke gunon ka gayan karna bhagwan ke naam kirtan karna bhagwan ka naam jap karna is sadhno ka anusthan karte karte hriday pavitra ho jaata hai.

bhagwan mein priti ho jati hai aur bhagwan ki kripa se tatv gyan ho jaata hai. Sarvshaktiman bhagwan shri hari samasth praniyon mein virajman hai. Aise sadhan karte karte tumhen anubhav hone lagega sab mein bhagwan virajman hai. Sabka sammaan karo. Kisi ka bhi apman mat karo. Sab mein bhagwan virajman hai. Upasak ev nirjit sad varg kriyte bhaktishware Vasudev Bhagwati yaya sallabhte rati kam krodh lobh moh mad matsar ye chhah bhari shatru hain. Evam nirjit sadavrarga kriyte bhaktashware chhah shatruo par vijay prapt jab tak nahi hoti tab tak na wo gyani hai aur na bhakt hai.

sad vikar jit anagh akama nishakmata aa gayi nishpap ho gaya chhah shatruo par vijay prapt kar li bhagwan hriday mein prakashit ho gaye kam krodh madman na moha lobh nobh rag nahi droha jinke ke kapt damb nahi maya tinke hriday bashu Raghuray shri Prahlad ji maharaj kahe hari sarveshu bhuteshu bhagasta ishwar iti bhutan manasa kam sadhu jo sab mein bhagwan virajman dekh raha hai wahi sadhu hai jo kam krodh lobh moh mad matsar in par vijay prapt kar liya wahi sadhu hai jo bhagwan ki bhakti mein magan rahta hai khub naam jap karta hai wo in dosho par vijay prapt kar leta hai use Vasudev Bhagwati yaya salabhte rati bhagwan shri Krishna mein anannya bhakti, premay bhakti, premay avastha prapt ho jati hai.

kinko? Jo guru ka aashray lekar unki prem purvak seva karte hain. Apne ko jo kuch mil jae sab bhagwat prasadi karke bhagwan ko arpit karke prayog karte hain. Bhagwat premi mahatmaon ka roz satsang karte hain. Bhagwan ki aradhna mein bhagwan ki leela katha sunna gun kirtan karna naam kirtan karna naam jap karna sab mein bhagwan ka darshan karna aur chhah vikaro par vijay prapt kar lena isse bhagwan ke charnon mein anannya premay sthiti prapt hoti hai. Jab bhagwan ke leela charitra ka gayan karte hue aisa udrek ho ki ankhon mein aansu aa jae kanth avrudh ho jae rom rom pulkit ho jae sankoch chhodkar jorjor se bhagwan ke naam ko chilla chillakar gana nachne lagna wo grihagrasta pagal ki tarah kabhi hansta hai kabhi rota kabhi nachta hai, kabhi bhagwan ke bhavna mein logon ke charnon ki vandna karta hai.

bhagwan mein tanmay ho jaata hai. Bar-bar lambi sans kheenchta hua he hari he Govind he jagat pate he narayan aisa pukarne lagta hai. To bhakti yog ke mahan prabhav se uske sare karm bandhan chinn bhinn ho jaate hain aur wah bhagwat swaroop ho jaata hai. Janm mrityu karane wale karm bij bhasm ho jaate hain. Wo jeevan mukt ho gaya. Bhagwan ko prapt kar liya. Nishamya karan gun tulya veer leela tanubhani yada harsh pulka sugdam krot kanth udga ro nritya yada grast kach satya krate dhati vandte janam musakti hare jagat narayan matigtap tada mukt samasth bandhan tad bhav bhavukta saya kriti nirdag bi jano mahsa bhakti prayog samet dhojam aha kabhi-kabhi bhav mein barkar wo roro kar pukar he Govind he Krishna he jagtapte he hari aise mahan bhakti yog ke prabhav se uske janm mrityu karane wale sare karm bij bhasm ho jaate hain aur wo jeevan mukt mahapurush bhagwat prapt ho jaata hai.

he mitron Prahlad ji kah rahe he mitron adhoksha jalam subhatman sharir sansti chakra satnam tad brahm nirvaan sukham vidur budha tato bhajam hriday hadeeshwaram koti priyaso sur balka hare rupasne swasatma sa naam samanyata kim vishyopa ra kalatra pav sutayo gaha mah kunj ko bhutya sarve chha bhangura kur masat Priyam chala bhaion ye sansaar ek ashubh daldal hai yahan jo phas gaya use keval bhagwan nikal sakte hain bas lekin mara bar-bar janma mara yahan se bachne ka ekmatra upay bhagwan swayam kah rahe hain devi he gunmai mam maya mame prapadte maya menta tarte jo meri sharan mein aa gaya bach gaya bhagwan ekmatra bhagwan bacha sakte hain is maya daldal se ekmatra bhagwan bacha isiliye hamari prarthna hai jis sabha mein jis sangoshti mein jis updesh mein jis sang mein bhagwan ke naam rup leela dham ki charcha na ho bhagwan ke atma swaroop ki charcha na ho kabhi mat suno kabhi mat sang karo sahab ye mayakrit hai bina bhagwan ke naam ke koi nahi tar sakta vinishchitam badamte anytha vach mein hari bhajante jab tak bhajan nahi

karoge ye sab bade bade rishi muni bhagwan ka bhajan kar chu chhaa idhar udhar ye sab prapanch hai sab maya ka natak hai kiski samarth hai kiski samarth hai jab Vashisht jaise mahapurush bhi kah rahe hain suno bharat bhavi prabal bilakh kaho muni hani labh jeevan maran jas apjas vidhan ye aaj sansaar ke karm chakra ko badalne ka theka lete hain log ekmatra is daldal se keval shri bhagwan nikal sakte hain. Keval shri bhagwan agar bhakt janon ki mahima gai gayi to isi baat ki wo bhagwan ke naam mein, rup mein, leela mein, charnon mein rati pradan karte hain.

niklne wale shri bhagwan hi hai. Koi dusra aisa nahi ki nikal sake. Jinhone fasaya wahi chhuda sakte hain. Kisi ki samarth nahi. Isliye he mitron Prahlad ji kah rahe hain is sansaar chakra ko mita dene wale shri bhagwan ka aashray lo aur unka bhajan karo. Tum log apne hriday mein hi dekho hridyashwar bhagwan baithe hue hain. Unhin ka bhajan karo. Asur kumaron apne hriday mein hi akash ke saman nitya virajman bhagwan ka bhajan karne mein kaun sa parishram ki baat hai? Kaun sa rupya kharch ho raha hai? Radha Radha Krishna Krishna hari hari kahne mein kya pareshani ho rahi?

lekin papvant kar sahaj subhav bhajan mor te bhav na kaun jo pe dusht hriday soi hoi more sanukh aao ki soi ye paap aacharan ban gaye bhajan mein ruchi nahi hoti. Naam jap nahi kar sakte. Nautanki natak mein bada vishwas hai. Are vishwas kijiye aap dhairya purvak samjhiye. Bhagwan dhanwantri rup lekar ke ayurveda ka prakash kiya. Rogon ki nivitti ke liye aushadhi rupi prayashchit hai. Bade-bade rog hain to doctor hain. Ausdhiya hai. Mantrushthan swayam karke skamta purvak mantrushthan karke kuch matra mein apne praarabdh ko wo bhi jo halka hai use dabaya ja sakta hai.

prabal praarabdh ko koi tapasya ke dwara bhi nahi rok sakta. Nahi titli ki guda mein kanta dalne ke karm ka praarabdh jab bana to suli padi thi mandavya rishi ke aur wahan jaise chhod diya tha waise kati gayi nikli nahi itne bade mahan tapasvi bal brahmachari pure jeevan bhagwan ke bhajan mein mast rahne wale Bhishma pitamah chha mahina banon ki saiya abhi aaj chhaa mein pata nahi kaun sa siddhi inko prapt ho gayi hai bade-bade mahatma bade-bade rishi jan bade-bade bade siddh jan praarabdh sharir ka bhoge he Prahlad ji kah rahe hain he bhai is daldal se nikalne ke liye ekmatra upay bhagwan ka bhajan karo bhagwan ka aashray le lo bhagwan ko rijhane mein kaun se tumhare paisa lag rahe hain kaun sa parishram Radha Radha Radha Radha Prahlad ji kah rahe hain bhagwan ki prapti ka upay na karke bhogon ko ikttha karna Ram Ram Ram kitni badi badi murkhta hai.

kitni badi murkhta hai ki is amulya jeevan mein bhagwan naam to ikttha nahi kiya aur jo ikttha kiya mar ke jab jaoge to pai bhar tumhare saath nahi jaega. Ye dhan ye stri ye pashu ye putr putri mahal prithvi ghoda gaadi khajana bhatibhanti ki samagriyan ye sab yahi rah jaenge. Tumhare saath kuch nahi jaega. Jaega to tumhara shubh karm ashubh karm ya in donon se pare bhagwan ka bhajan. Are is kshan bhangur deh mein bhagwat prapti kar lo. Is lok ki sampatti jaise nashvan hai aise brahmlok tak sab nashvan hai.

maya mein hai. Bhagwan ka naam jap karo. Naam jap se hi param kalyan hai. Apsraon se kalyan nahi hai. Kitne apsraon ko bhoge hai hai karke phir durgati ko prapt hue. Lok ke bhog ek swapnik bhog hai. Isliye he nirdosh mitron asur balko nirdosh isliye ki itne bade mahatma ka sang hai to nirdosh to hai hi aur visham naveen avastha ke tum sab keval paramatma prapti ka upay karo. Anannya bhakti se bhagwan shri hari ka bhajan karoge wah tumhari raksha karenge. Apne ko jo bada vidvan manta hai aur bhagwan ke bhajan se vimurkh hai wah murkh hi hai.

Prahlad ji maharaj kah rahe hain uski uddeshya ki purti nahi hogi. Ulta wo viparit phal mein bandh jaega. Janm maran ke chakra mein chhutwe ke jatan vishesh bandhe yadi bhajan nahi kar rahe ho bahut vidvan ho to tumhari vidvta maya ka par vijay nahi prapt karayegi maya par vijay bhajan karayegi bhajan karm mein pravatt hone ka uddeshya hota hai sukh pana dukh mitna kiska dukh mita sab karm mein lage hue hain uddeshya hota hai sukh pana dukh mitna lekin sabko dukh bhogna par raha hai. Iska matlab wo karm pata hi nahi jisse sukh milta hai.

wo hai Radha Radha Radha Radha. He mitron yahan kamna aur karm karm krit kamna kamna krit karm bar-bar isi mein jeev fansa hua hai. Ye manushya lok mein kamna krit karm karm krit kamnayen jis sharir se ki jati hai. Yah sharir keedon ka bhojan hai. Jala diya jaega to rakh gad diya jaega to kide kha jaenge. Bahar phenk diya gaya to aur durdasha yah sthai nahi hai. Yah mila hai aur chhut jaega. Chhutne ke pehle bhagwat prapti kar lo. Prahlad ji kah rahe sharir chhutne ke pehle bhagwat prapti kar lo. Ye mahal dhan sampatti rajya khajana ye naukar chakar ye sab mayakrit hai koi tumhara nahi hai ye tuchch sharir tumhara nasht ho jaega to phir aur kaun isliye asur mitron vastav mein tumhare keval shri bhagwan hi hai shri hari hi hai garb se lekar mrityu paryant jitni avasthaye sharir ki badti hain unko tum jante ho to tum nahi badle sharir badla hai yah jeev apne swaroop ko bhulkar sharir ko apna main mankar nana prakaar ke karm aur bhog vasnae ye phas gaya ye karm parampara mein phas gaya agyaan mein phas gaya isliye bhagwan shri hari ka bhajan karke apna udhar kar lo arth dharm kam moksh sab bhagwan ke ashrit hai bhagwan shri hari samasth praniyon ke ishwar hain, atma hai, param pritam hai.

ham unko bhulkar panchbhut sukshm aad shariron mein itna phas gaye ki aisa lagta hai main yah hoon aur bhagwan parae hain. Isliye koi bhi ho chahe devta ho, daitya ho, manushya ho, yaksh ho, gandharv ho, koi bhi ho jo mere bhagwan shri hari ke charnon ka aashray lekar bhajan karta hai. Sa trati sa trati sa loka tarti wo apne ko bhi tar leta hai lok ke lok ko tar deta hai daitya bal ko bahut sundar baat kah rahe hain bhagwan ko prasann karne ke liye bhagwat prapti ke liye aisa nahi hai nalam dwajatwam devatwa mitam vaja prannay Mukund na bahuta na danam na tapojya na socham na priytemalya bhakt hari vidambnam tato haro Bhagwati bhaktim kur danwa atman sarvatra sarwabhatmaneeshware bhagwan ko prasann karne ke liye zaruri nahi.

brahmin hona, devta hona, rishi hona, sadachar, gyan sampann, dan, tapasya, yagya, shareerik soch, bade-bade vrat yah bhagwan ko prasann karne ke liye paryapt nahi. Keval bhagwan ka hokar bhagwan ka bhajan karen to aho ghar yyaa warte naam tyam wo chandal jagat pujya ho gaya jiski jibhya pe hari hari aisa naam virajman bhagwan ko prasann karne ke liye kya chahiye bhagwan ka hoke unka naam jap karna sidhi baat koi ho purush napunsak nariva jeev charachar koi sarv bhav bhaj kapt taji mohi param priy soi bhagwan bahut sundar baat Prahlad ji kah rahe hain bade-bade devta hona brahmin hona rishi hona sadachar sampann hona gyan sampann hona dani tapasvi yagya ye sab

bade-badi pavitrataen vraton ke anusthan ye paryapt nahi bhagwan ke liye bhagwan to sirf usse prasann hote priyte amal bhakt harid vidambnam aur to sab vidambna hai bhagwan agar prasann hote hain to priyte amalya bhakt he bhagwan main jaisa hoon aapka hoon prabhu nich hoon patit hoon pamar hoon par aapka hoon aur naam jap kar rahe bas isi se bhagwat prapti nalam dwajatwam devatwa mitam vasuratmaja bahut pran priy baat hai ye prannay mukundas na vattam na bahuta na danam na tapo nijya na socham na vatanach priyte amalya bhakt hari vidambnam bhagwan keval main bhagwan ka hoon ye khas baat hai bhagwan ko prasann karne ki mere to Giridhar gopal dusro na koi yah ananyata aur naam jap preete amal bhakt har vidambnam bhagwan keval prem bhakti se nishkam bhakti se apnepan se prasann ho jaate hain.

bhagwan se apnapan karo. Nirantar naam jap karo. Din bandhu prabhu bade kripalu sare apardhon ko kshma karke yah janm hamara akhiri janm ho jaega. Ab ham karm bandhan se nahi janmenge. Agar janm bhi hoga to bhagwan ki taraf se aaenge. Bhagwan ka yash gaenge bhagwan ki bhakti mein unmatt rahenge aur lok ke lok ko bhakti mein yukt kar denge mam bhakti yukto bhavnam pun shesh charcha aa gayi shri Radha vallabh lal ki

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi