agar bhagwan har samay hamare saath hain, to ve hamko dikhayee kyon nahi dete?
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
ashish patel ji shri Harivansh Gurudev Gurudev yadi bhagwan sarvda hamare saath hain to unke darshan mein sabse bada avrodh kya hai deh bhav sharir ko main manna isi mein main sare vikar rahte hain jo antahkaran chaturshty mein man buddhi chitt ahankaar hai to wo ahankaar ye hai ki main purush hoon main stri hoon main dhanvan hoon main vidvan hoon main gyanvan jo bhi yah ahankaar hi bhagwan ke darshan mein badhak hai. Jab ham sant sang karke shastr swadhyay karke aur sadhna ke dwara is ahankaar ko mita dete hain to bhagwat sakshatkar ho jaata hai.
bhagwan ke sakshatkar kar mein ye agyaan ye avidya yahi trignatmika maya ka racha hua jo sharir isi pe main buddhi ho jana yahi bhagwat darshan mein badhak hai. Komal ji Haryana se shri Harivansh Gurudev Gurudev aapne ek satsang mein kaha tha ki ham shishya ya koi bhi jo aapko sunne wale aapko apne liye pyar karte hain. Aapke liye nahi maharaj ji aise mein kaise aapke liye pyar kaise ho? Hamare liye pyar aisa nahi ki sab hamare liye kuch pyar karte hain. Apne liye sab pyar kiye. Imandari se batao itne log baithe ho.
aap mere liye aae ho ya apne liye aae ho? Aap kah sakte ho jhuthi baat ki aapke liye aae hain. Lekin aap apne liye aae ho. Apne prashan ka samadhan, apna kalyan, apna mangal, apna sukh vidhan aur apne netron ki tripti. Ye bahut unchi baat kah rahe ho. Agar aap hamse bahut pyar karte hain to aapke netr sukhi honge isliye aap aae hain. Aapko darshan se sukh milega isliye aae hain. Aapko satsang milega isliye aae hain. Aapka kalyan hoga isliye aae hain. Lekin main Premanand ke upar balihar hoon. Aisa honge.
aisa ham nahi kahte ki nahi honge kyonki bhagwan ki srishti hai. Aise hain. Aise bhi hai lekin prayah sab apne sukh ke liye ate hain. Dekho hamne bahut dekha hai. Mere pran to hai nahi. Maine to apne pran guru ko de diya. Aur ye guru ki vastue jaise guru ko vastr de de wo mathe par bandhe chahe charnon mein raund de wo barabar aisa koi balihar hone wala isht aur guru ka premi hota hai. Isiliye bhagwan ne apne premion pe are chalwae. Muradhwaj par ara chalwaya ki nahi ki dekh bhala tum mere liye pyar karte ho ya apne liye pyar karte ho.
hamare liye pyar karne wala bahut kam mila. Bahut aisa nahi hai par bahut kam ae gunon ki puja karte ho hamse prem nahi karte jo hamse prem karne wala hoga wo kahega wo unki ichchha ki baat hai lekin mere param brahm paramatma mere Gurudev hai mere liye ye sab koi mahatva nahi rakhta wo shri ji ka chintan karen aur sansaar ka chintan karen mujhe isse koi lena dena nahi ye mere param brahm paramatma aisa koi birla hi hoga aisa koi birla accha bole suna hai bole are bole accha bole yar kya sab sansaar hi aise hi hai aur shraddha khatm ho jaegi khatm ho jaegi na isiliye kahte hain aap apne se pyar karte hain aap mere se nahi mere se pyar karenge to main kisi bhi sthiti mein hoon aapka pyar mere se kam nahi hoga kyonki aap mere se pyar karte mere gunon aur avgunnon se nahi ye birla baat hai dekho kah dena hath utha bata dena alag baat hai.
lekin ye birla baat hai ki ham apne Sadgurudev mein kabhi dosh darshan na karen. Ham Gurudev ko sakshat param brahm samjhe. Gurudev ki agyaa mein pran tyag de. Yah koi birla hi baat hoti hai. Yah koi birla hi jan hota hai. Aur jo aise jan hote hain bhagwat prapt jan ho jaate hain.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…