ekantik vartalaap evam darshan #1373
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
vinod sinh ji Radhe-Radhe maharaj ji sharir man kahta hai ki jo abhi jimmedari mili hai use pura karna hi grihasth jeevan ka dharm sharir to jad hai to kuch kahta hi nahi man jo kah raha hai ki jo jimmedari mili hai uska kartavya ka palan karo badhiya hai bas saath mein naam jap karte raho. Kiska prashn hai? Par dimaag phir bhi shant nahi rahta. Wah kahta hai ki puja path bhagwan ka naam to antim dharm hai. To sahi dharm kya hai? Ashant kar lo narak jake jab bhog bhag ke phir jab phir kabhi kisi kalp mein kisi yug mein manushya janm mile tab phir kar lena.
are bhai ye manushya janm to nipat gaya. Ab kitna rah gaya hai. Kai sal ke ho 42 sal. 42 sal. Agar man lo ham itna hi aur plus karen to ab down wala aayega. Upar wala to niche gaya. Ab to down hone ka aayega. Agar ab 42 sal aur jio aap man lo kah rahe ki itna hi plus kar baka 42 second ka bharosa nahi hai. Par agar itne aur jo to ab down wala aayega to hamko wo samay bata do jab bhajan kiya jae. Hamesha hi karna chahiye. Hamesha karna chahiye. Yah buddhimani ki baat hai kyonki ham kabhi bhi mar sakte hain. Ham mrityu lok mein hain.
ismen sankoch ki baat nahi ki marne ki baat ham kabhi bhi mar sakte hain. Bharosa nahi hamari swason ka kya bharosa hai is zindagi ka. Saath deti nahi hai kisi ka. Samma bujh jaegi jalte jalte. Dum nikal jaega aadmi ka. Bhojan ki thal samne kaval uthaya. Usi mein muhn bhara gir gaye. Gaye koi bharosa hai ham kab mar jae to ham Radha Radha Krishna Krishna hari hari jap rahe hain aur ham marne ki tayyari mein jab prabhu bulawe ham naam lekar bhagwan ke dham mein chale gaye antim mein bhagwan ka naam nikle usse param mangal hota hai aur jo kahte hain vriddhavastha mein bhajan hota hai to ham aapse kahte hain ki agar jawani mein abhyaas nahi kiya to budhape mein bhajan kar hi nahi sakte jaise hamne kabhi pistol chalana sikha nahi to hamko ko aap de do to ham int ki tarah marne ka kam to kar sakte hain lekin ham goli chala nahi sakte.
hamen pata nahi kaise kahan bhara jaata hai, kaise chalaya jaata hai. Abhyaas hi nahi kiya. Jab ek sadharan yantr pistol ko chalane ke liye abhyaas ki avshyakta hai. To asdhran kam man ko bhagwan mein lagane ka abhyaas nahi kiya to budhape mein nahi hota. Phir budhape mein wahi hota jo jeevan bhar kiya hai. Jin logon ko lagta hai budhape mein bhajan kar lenge. Nahi nahi bilkul dhoke ki baat hai. Jawani mein abhyaas kar lo to budhape mein ho jaega bhajan aur jawani mein abhyaas nahi kiya to budhape mein bhajan nahi hone wala.
dekho na budhe budhon ko. Maharaj ji kya keval bhranty hai ki budhape mein bhajan hona chahiye. Yahan bhajan ki koi umr hai? Nahi bhajan ki koi umr nahi hai. Jab marne ki koi umr nahi to bhajan ki kya umr? Kabhi bhi mara ja sakta hai. Garb mein bhi log mar jaate hain. Bachchhe mar jaate hain. Paida ho ke mar jaate hain. 5 varsh ke mar jaate hain. 10 varsh ke mar jaate hain. To jab hosh sanvar jae usi samay se bhajan shuru kar do to kalyan ho jaega. Ham kah rahe bhajan karne mein kya pareshani hai? Radha Radha andar se bol rahe paisa lag raha hai kya?
tumhari samasyaon ka samadhan ho jaega. Tumhari buddhi shuddh ho jaegi. Tumhare sankat nivraat ho jaenge. Tumhari ayu badh jaegi. Sab labh hi labh tumhen. Kharch ek ka nahi. Aisa dhanda kaun hoga srishti mein jismen lagat ek paisa ki nahi aur sab labh hi labh hai. Wah hai bhagwan ka naam aur yah lok parlok sab jagah jaega aur yahan ka rupya to bank mein jama rah jaega. Accha iska abhyaas keval karna hai. Dekho log kahte hain hamare paas samay nahi bhajan ke liye. Ham unse puchte hain ki 12 ghanta mehnat karne wala koi birla hi hoga ki lagataar 12 ghanta mehnat kar raha hai.
ham aadha din de dete hain tumhen mehnat ke liye 12 ghanta chha ghanta sone ke liye de dete hain 12 chha 18 aur 18 aur do ghante bhojan ke liye de dete hain 18 aur do 20 ab bache char ghante ek ghante manoranjan ke liye de dete hain ab bache teen ham 12 ghante mehnat karne wale ki baat kah rahe hain aath ghante waise prayah hote hain par ovartaim bhi karta ho to 12 ghante 12 ghante mehnat mehnat karne ke liye chha ghante sone ke liye aur do ghante bhojan ke liye do teen bar jo bhojan karo do ghante de diye aur ek ghante manoranjan ke liye ab kai bache teen ghante teen ghante bhajan kar lo mahatma ho jaoge nahi ho jaoge beimani karte hain log ki hamare paas samay hi nahi hai bhajan ke liye ham kahte hain 12 ghante bilkul bhajan na karo do ghante bhojan mein laga do chha ghante sone mein laga do shesh jo bacha ek ghante manoranjan mein laga ho teen ghante tum bhajan kar lo lekin chahe 10 ghante aise phaltu kharch ho jae 10 minute bhajan mein nahi lagenge aur jab baat karo to kahte hain ham grihasth hain.
are grihasth to har samay tum bail ki tarah thodi lage rahte ho. Bhajan ke liye bahut time hai. Yadi ham imandari se karen. Log ganv mein baithe taash khelte rahte hain. Beech mein hukka rakh liye pite rahte hain. Prapanch ki baten karte rahte hain. Maya aise samay ko nasht kar rahi hai. Agar aap savdhani se apne samay ka vivah kar len to aapke liye bhajan ke liye bahut time hai. Phir uthte baithe naam jap kar le. Do-teen ghante aap bhajan karoge to bahut bhajan ho jaega. Do-teen ghante bahut hota hai. Ham kah rahe hain 24 ghante mein agar 24 minute shuru kar de bhajan karna to uske jeevan ka utthan ho jaega.
apne aap pata chal jaega ki dekho 24 minute bhajan karne se hamare jeevan mein kitna parivartan aa gaya. To yah koi na soche ki jawani mein bhajan na karenge to budhapa mein ham nahi budhape mein phir nahi hone prapanch hi hota hai. Agar ham in vikaro ko dekhte hain to yah avasthagat shant nahi hote hain. Ye bhajan ke bal se shant hote hain. Agar bhajan jawani mein karke shant nahi kiya to budhape mein gandi harkat, gande chintan, gandi baten bani rahegi. Pakka bani rahegi. Aur itne kitne aise praman hain jo bilkul bhajan nahi karte.
prapanch mein lage hue apna jeevan vyatit kar dete hain. Aap dekh lo sabke gharo mein hai. Bhajan usi ka hoga jo pehle bhajan karta raha hai. Naam jap bhi bhajan hi hai. Naam jap hi bhajan hai. Naam jap hi bhajan hai. Arpit Mishra ji Kanpur se shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji adhyatmik prakriti ke liye ahankaar ka tyag kaise kiya jae? Jabki samajik jeevan mein atmasammaan banae rakhne ki bhi avshyakta hoti hai. Atmasammaan aur ahankaar atmasammaan jante ho kise kahte hain?
dehabhmani jeev deh ko atma man raha hai. Use sammaan samjhta hai. Atma apman koi kar hi nahi sakta kyonki atma ke siva koi hai hi nahi. Ek hi atma hai. Jaise hazar ghadon mein surya hazar dikhayee dete hain to hazar surya thodi ho gaye. Surya to ek hi hai. Aur danda mar ke hazar ghade phod diye to kya surya par danda laga kya? Wo to ghade ka to atma ka kabhi apman ho hi nahi sakta. Wo surya ki tarah sab mein prakashman hai. Usi ke prakash se sab sanchlit ho raha hai. Atma kahin hai thodi operation karke dekh lo.
aaj tak koi aapka ultrasound exra ya koi siti scan aadi kahin pakar paya ho na. Antahkaran ko pakar paya to phir atma se to antahkaran prakashit man pakar paya kya ki ye man hai ye buddhi hai ye chitt hai ye ahankaar hai hamara dehabiman jati abhiman kul abhiman vidya abhiman ye man pratishtha ye sab avidya janit hai. Kisi bhi tarah ahankaar karne ki zaroorat nahi hai. Jo sammaan hai wo kalyat ghor garam neechapman sudha man lo kisi ne aapko gali de diya. Aap muskura ke chal diye. Yah hua aapka atmjyan ki aap dehabiman rahit purush hain.
dusre ke dwara kiye hue apkar, tiraskaar, apman aadi ko aap muskura kar sah kar chal diye. Jo dehabhmani jeev hoga wo do gali dega wo char gali dega. Jo adhyatma marg ka pathik hai to usko sammaan kalyat ghor garam sammaan ghor vishay nicha apmanam sudha nich purushan dwara kiya gaya apman amrit ke saman hai kyonki wo debhman ka nash karke amritatwa pradan karta hai yam hin vyathyate pursham purush sab sam dukha sukhadhram so amritat kalpte jo man buddhi chitt ahankaar ko paramatma tmaa mein sthit rakhta hai.
wahi dhairyvan hota hai. Jiski jnendriay aur rasendriy kabje mein hai wahi dhairyvan hai. Aisa dhairyvan purush hi man apman dukh sukh labh hani inme vichlit nahi hota. Inki vyatha se vyathit nahi hota aur jo vyathit nahi hota sukhdukh mein saman bhav rakhta hai wah amrit pad ka adhikari hota hai. To jaise kaha jaata hai swabhiman ki raksha ye vyavahrik shabd hai adhyatmik nahi hai. Swabhiman ki to ham to sva atma swaroop aham jo main hai wo brahm swaroop hai. Ab uski kya raksha karna wo to avinashi hai hi hai.
nain chhinti shastraan nain dati pavka na chain kled na shosh maruta uska to na agnay astr na vaywastra na varunastra ye kuch kar nahi sakte to wo to surakshit hai hi hai baat aati hai dehabiman ki ki ab hamare koi dehabiman mein to phir chot lagti hai antakran to sansari purush hai vyavahrik purush aur adhyatmik purush to nahi hai adhyatmik purush man apman se upar uthne ki cheshta karta hai ya upar utha hua hota hai aur [nak se ki jane wali aawaz] sansari purush isi mein to jaan ki baji laga dete hain log jitni jail bhari hai ye sab abhiman se bhari vidya ka ahankaar rup ka kul ka jati ka dhan ka vivid prakaar ka jo ahankaar hai isi se sab jail bhari hui hai to ye dehabhmani jeev ki baat hai bhari sabha mein mahapurushon ka apman hota hai wo muskura kar chal dete hain ye unki kshamta hai adhyatma ki ye kshamtaheen purush hote hain jo apman hone par vichlit hokar ke punah apman kar dete hain.
apman karne wale ka adhyatma ki to itni kshamta hai ki ek hath mein koi chandan lagave aur ek hath mein koi pitai kare. Donon ke prati saman bhav rakhe wo adhyatma ka pratik hai. Samjh pa rahe ho aap? Prajakta upasni ji shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aapke shri mukh se suna hai ki yah jo nikunj ras hai yah singhni ka doodh hai. Yah ek to sone ke patr mein thahrega aur dusre bachchhe ke pet mein. To maharaj ji bachchha banne ke liye hamen kya karna padega? Sharanagat sharir se, man se, vani se, kriyon se ek-ek vritti bhagwan ke charnon mein jae.
hamara prabhu ke siva koi nahi hai. Jaise ek bachchha chhota sa maa ke hi adhin rahta hai. Aise hamari sharanagati ho. Ajat pakshayu matram khga. Jaise chhota sa bachchha pakshi ka ghonsle mein baitha hua jiske pankh nahi jage wo apni maa ki vaat jota rahta hai. Aise hi jo keval acharya kripa guru kripa ki vaat jota rahta hai. Naam jap karta hai. Galat aacharan nahi karta hai. Apne guru ke adhin rahta hai. Unki agyaa mein rahta hai. Wahi bachchha hai. Aur swarn ke patr hain. Lalita vishakha aadi sakhiya. Kiska prashn tha?
haan. To bachchha banne ka matlab hai tanwang manobhal soham ta vashita sharir se man se vani se nirvikaar hokar ke priyaju ki sharan mein ho jana yah hai acharya ka bachchha ban jana yah guru ka bachchha ban jana purn rup se bhagwat sharanagati hi bachchha hai jo apne ko asmarth samjhkar bhagwan sarv samarth ki sharan mein chala gaya wo jit gaya aur jo apne ko kuch samjha wo har gaya maya use parast kar deti bhagwan ki sharanagati nirbhay nishok nishcint kar deti hai. Isiliye bachchha banne ki baat hai. Kyonki prem bahut durlabh vastu hai aur ye guru kripa se aati hai.
ye sadhan se nahi aati. Yah sa yah gun sadhan te nahi hoi tumhari kripa pav koi. Bhagwan ki kripa guru ki kripa acharya ki kripa se koi birla prem patr banta nahi. Bhagwan se prem kahan? Sharir se prem aur sharir sambandhi se prem, sharir sambandhi bhogon se prem, bhagwan se prem to bhagwan ki kripa se hota hai. Wo jab kripa karen to ho sakta hai nahi. Itni itni chhoti-chhoti maya ki asaktiyan hain ki jeev unhin ko nahi kaat pata. Sampurn maya ki asakti to ba jo tambaku khate hain wo tambaku nahi chhod sakte.
jo bidi pite hain bidi nahi chhod sakte. Chhoti-chhoti vastue bandhe hue jeev ko hain. Kahin aur sharir bandhan, bhog bandhan, kam, krodh, lobh, moh, mad, mats puri bazar lagi hui. To bachchha ban gaya to bhagwan ki kripa rupi god mein baithkar maya se nikal gaya. Aur jo thoda sa bhi apne ko kuch samjha use cheking kiya to maya use phayl kar degi. Isiliye kah bachchha ke pet aur ghat kare vinash. Ye Lalita sakhi upasna hai sinhin ko chheer. Hai sinhin ko chheer. Kundan ke vasan kahe bachchha ke pet aur ghat kare vinashan wahi jit sakta hai jo acharya guru ka bachchha ban gaya wahi maya par vijay prapt kar leta hai naval kishor ji faridabad se Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev hamare teen sharir sthul sukshm karan Gurudev saja kis sharir ko milti hai narak aadi mein ya kahin bhi man ko sara ka sara dukh sukh ka bhogta man hai.
dekho swapna mein aapne dekha kabhi aap dukhi sukhi hue swapna mein aapko koi dukhad swapna ya sukhad swapna to jeevan mein ate hi hain. To sthul sharir to saiya par soya hua hota hai. Aur jo swabhav hai wo satoguni rajoguni tamoguni hota hai. Wo bhogta nahi hota hai. Bhogta hota hai sukshm sharir jismen man hai, buddhi hai, chitt hai, ahankaar hai, panch gyanendriay hai. Jo sukshm sharir hai wo inse bana hua hai. Man, buddhi, chitt, ahankaar, panch gyanendriay aur jeevtma jo uske saath laga hua hai sukshm sharir ke to bhogta hai man, buddhi.
aur bhul se jeev apne ko bhogta man baitha hai. Isliye wah jab tak antahkaran ka bandhan nahi tutega tab tak uska janm maran nahi chhutega. Narak swarg nahi chhutega. To isiliye agar man bhagwan mein lag gaya to phir kuch nahi bhogna padega. Wo mukt ho gaya. Man vishyon mein laga hua hai to phir bar-bar janm marna padega. Sukshm sharir ko bhogna hota hai. Sukshm sharir ko wahi nark mein jakar jaise yahan sthul dev pa gaya manav ka to nark mein jakar sukshm sharir jeevtma saath hi laga hua hai. Wo jakar ke yatna deh prapt karta hai to narak ke bhog bhogta hai.
swarg mein jakar dev deh prapt karta hai to swarg ke sukh bhogta hai. Yahan mrityu lok mein akar manav deh ko prapt karta hai to yahan ke dukh sukh bhogta hai. Bhogta hai sukshm sharir. Apne swabhav ke anusaar wo karm karwata hai. Karan sharir hai swabhav wo karm prerit karta hai. Karta hai sukshm sharir aur jeevtma usmen aasakt hai. Wo yadyapi alag hai. Par usmen aasakt hone ke karan usko dand bhogna parta hai. Sukshm sharir ke saath use janmna parta hai. Sukshm sharir ke saath use marna parta hai.
na marna hone par bhi jaise swapna mein hamare lathi chalai ja rahi to na lathi hai na chalane wala hai aur na pit raha hai. Lekin phir bhi usko pida hogi. Jab tak jagega nahi tab tak pida hogi usko. Aise hi jab tak bhagwan ki prapti nahi hogi tab tak ye sukshm sharir sukh dukh aur janm maran ka ye jo avidya janit chakra hai ye bhogna padega. Ye bhogta rahta hai. Agar guru ji aise mein patni agar mana kare ki prabhu ka naam jap ya mandir jana yar andar andar bhajan karo. Patni ke hriday mandir mein bhagwan ko dekho.
andar andar Radha jap karo. Andar kya soch rahe ho? Patni trika lag gaya hai kya hamen batao trika lag to nahi ki tum kya soch rahe ho agar wah mata-pita ki seva na karen phir phir ham nahi manenge phir to dushtata ki had ho jaegi phir dushtata ki had ho jaegi phir Vrindavan manate hain to unko narajgi hoti hai mandir jaate hain tab khair is par to ham sahyog de sakte hain ki matlab mandir nahi jane ko to ham patni ke hriday mandir mein bhagwan dekhte hain andar andar bhajan karte hain lekin tum patni ho to unhone janm diya hai agar patni aisa kahe kisi ki bhi ki mata-pita ki seva nahi karni to uski baat na mano.
mata-pita pahla adhikar pahla adhikar patni ka nahi pahla adhikar mata-pita ka hai ki jinhone mujhe paida kiya aur jinhone mujhe pati banne layak tere banaya unki seva nahi chhodenge. Unki seva na chode chahe jitna hi baat ban jae. Kabhi bhi unhen aam kama ke leke ate hain. Agar ham kabhi bhi [nak se ki jane wali aawaz] unhen paisa rupya dete hain to unhen dukh hota hai. Nahi mata-pita ki seva karo bachchha. Dhanyavaad. Patni ko bhi sukh do. Patni ka bhi aadar karo. Patni ko bhi paisa do uski kamna purti karo kyonki wah adhang hai lekin mata-pita sarvpratham hamen lagta hai wo patni kaisi hai aajkal patni aisi aati hai man lo budhe mata-pita hai agar tum donon jawan pati patni unki seva nahi karoge to kiske paas jaenge wo kal tum budhe hoge tumhare bachchhe tumhara aisa thodi der tum apne mata-pita ki jagah khade hokar dekho aur tumhara putr tumhare saath kare to ek beta hai haan to wo phir agar dekho jo aap mata-pita ko sukh pahunchaoge to aapko sukh pahunchaega agar mata-pita ko dukh pahunchaoge to phir tumhare ko dukh pahunchaega.
ek budhi maa ko mitti ke khapre par daal roti deti thi. To ek din khapra thoda zyada aise hil gaya to ladke ne kaha mummy tutne na pave. To unhone kaha kyon? Bole aaj dadi ko deti ho na kal isi mein ham aapko denge. Wo bachchha dekh raha hai tumhare aacharan bhagwan uski aisi buddhi karenge jaisa tum apne sas sasassur ke saath karoge na waise tumhen bhogna padega. Nahi mata-pita bhagwan hai matri devo bhav pit is baat pe ham nahi manenge apne mata-pita ki seva karte hue uska bhi poshan karo usko bhi rupaye do uski bhi kamnao ki purti karo lekin aisa nahi ke paas rahta hai ham to kahte nahi ki hamen paisa chahiye mata-pita ko kharch ke liye haan bilkul de pehle hissa karke de do man lo ₹1000 milta hai to 200 mata-pita ko de do 800 bhale tum rakho lekin 200 to de do unko bhyo vridh hai unka palan poshan to hona chahiye na aur jab sharir aswasth ho to unki daud ke seva karo kisi ki baat mat manna.
sas sasur ko bhi kya dhyan rakhna chahiye? Kyonki ek paksh to yah hai bilkul sahi hai aur aisa hona chahiye. Dusre paksh mein kahin-kahin wahan se bhi gadbad ho jae. Us bahut zyada gadbadi hoti hai. Jo sas sasur hain unko chahiye ki ham apni beti ke saath kaisa vihaar karenge? Agar hamari beti hoti is jagah to ham kaisa vihaar karte? Theek. Apni bitiya jaisa vihaar karna chahiye. Sasassur ko. Sasassur ko bahu man ke use naukrani man karke ya dusre ki beti man karke apmanit nahi karna chahiye.
uska shoshan nahi karna chahiye. Apni beti ko jaise ham pyar se aise agar bahu ko rakhen to hamara jeevan mangalmay ho jaega. Lekin kuch sas sasassur aise hote hain jo ai hui kanya ko dusre ke yahan se jo ai hai apni bahu bani hai. Uske saath bahut galat bartaav karte hain. Haan aise bahut se hamne khud sune hain ki wo galat vihaar karte hain. Nahi karna chahiye. Nahi durgati hogi. Yahan nahi durgati hogi to bhagwan ke yahan durgati hogi. Tumhare yahan wo ai hui kanya hai. Agar tum uska aadar nahi karte ho uske saath matlab kathor vihaar karte ho, galat vihaar karte ho to tumhari durgati ho jaegi.
pahli baat to yahi ho jaegi aur yahan bachegi to narak mein ho jaegi. Isliye bahut savdhaan rahna chahiye. Aisa nahi hai ki ai hui grih lakshmi ko sataya jae. Jo nau vadhu aati hai wo grih lakshmi hai. Hamare kul parampara ko chalane wali hai. Wo koi sadharan nahi hai. Agar usko aap apmanit karenge aur jiske gharo mein stri ko dukh diya jaata hai unke gharo mein kabhi lakshmi nahi tikti. Ye dhyan rakhna jahan striyon ko mara pita aur matlab unko nicha dikhaya jaata hai. Un gharo mein kabhi stri sampann nahi ho sakte.
wo stri sampann sukhi nahi ho sakte. Isliye devi swaroopa hai. Striyon ka aadar karen. Par striyon ko jarur chahiye ki wo apne sas sassur vayo vriddhon ki seva ke liye apne pati ko mana na karen. Swayam seva karen. Agar swayam ruchi nahi hai to phir pati ko karne den. Wo vyvastha kar raha hai jaisa bhi uske virodh mein na rahe. Nahi to aapka jeevan narak ho jaega. Aapke ladke aapke saath jab aisa vihaar karenge to phir jeevan bahut nark ho jaega. Aaj tum vayo vriddhon ko dukh dogi to kal tumhare liye tumhare bachchhe tumhari santane tumhen dukh dengi.
sharir svasth hai yar. Khub mata-pita ki seva karo. Parivaar ko sukh purvak chalao. Manushya jeevan bada durlabh hai. Durlabh deh mili to anand luto. Yahan klesh ashanti nana prakaar ki galat aacharan wali vrittiya ye sab tyago. Anandmay jeevan vyatit karo. Are ji ismen sabse zyada role pati ka rahta hai. Patni ki taraf aur mata-pita ki taraf. Pati ka bahut zyada role hone ke karan donon unke donon ke beech samanjasya bithane ke liye uska kya role hona chahiye? Bahut bahut sundar baat hai kyonki dekho pati ko bahut dhairyvan hona chahiye kyonki wo bhi inko sunaenge ye bhi inko haan bahut dhairyvan hona chahiye usko chahiye ki uchit baat patni ki sah le aur jab anuchit baat ho to hat jae mare nahi pite nahi gali galauj nahi kare aur mata-pita jab uchit ya anuchit donon bole to usko sah jae kabhi unko gali galauj na karen kabhi ulat kar jawab na de patni ki uchit baat sah jae anuchit baat mein chal de.
mata-pita ki uchit anuchit donon baten sah jae. Wo chahe gali de, chahe apman karen kyonki ham unke putr hain. Unke das hain. Unki baat sah kar unki seva karen. Mata-pita mein jab tak ham bhagwat bhav nahi karenge tab tak seva nahi banegi. Jaise aap seva karo. Iske baad koi rishte natedar aaya to use kahenge bilkul seva. Man lo ham kah rahe hain wo ninda kar den aapki to bhi aapko unko marna nahi hai. Gali galauj nahi karna. Chupchap muskurakar waise hi seva karni hai jaise pehle kar rahe the. Isse tumhara mangal ho jaega aur patni ko bhi pyar dena chahiye.
marna pitna theek nahi hai. Agar wah anuchit vihaar karti hai to hamara rukh badal jana hi uske liye marne jaisa hoga. Agar thoda bhi buddhi rakhti ho apna rukh badal liya to usi se usko dand mil jaega. Usi se usko jalan hone lagegi aur wo sudhar karegi aur sabke liye hai bhagwan se prarthna aur naam jap. Naam jap karo bhagwan se prarthna karo mere parivaar ko sukh mile mere parivaar ki buddhi theek rahe to isse accha rahega maharaj shri sant samaj ke vishay mein aap kuch na kuch bola karie maharaj isse isse ninda stuti hoti hai aur wo hamara vishay hai nahi ham sabko bhagwan mante hain isiliye to ham aapse kah rahe hain ki aap aapko duniya sunti hai wo chahe grihasth ho chahe sant ko aur aapka baat ninda ki nahi hai kyonki sant ninda se pare hota hai maharaj shri par haan par ismen kya jaise ham kisi sant ke vishay mein bole ki ye aacharan pakhand hai aur wo aacharan mein hue to unko chuhega aur baat hona chahiye haan usse kya hoga ki jo bhagvatik marg mein chal rahe hain unko to support milega aur jo bhagvatik marg mein nahi chal rahe samaj unka tiraskaar karegi.
nahi to achchhi baat hai maharaj ji jab ham raste mein hamare kanta lagega tabhi ham raste ko dekhenge. Nahi kuch log isko vyapar bana rakhe hain. Unko isse koi fark nahi parta. Nahi maharaj shri padega. To ji hamare man ki vedna thi aur jignyasa thi ki maharaj shri se ye baat kahenge jarur kyonki aapko ji lagbhag lagbhag pure vishv mein aapko suna jaata hai. Ji ji ab to hamara aapki ek vishesh kripa hai aap par haan hamara ek uddeshya hai ye krura ap papino nachta sambhas drishya sar vastut nireeksh param swadhya buddhim swadhya buddhim jo krur hain papi hain dusht hain galat aacharan wale hain unmein bhi mera Radha vallabh lal sakshat virajman hai.
to ab jaise koi sadhak akar apne acharno ko puchta hai to usko updesh de dete hain ki yah aacharan galat hai. Ye aacharan theek hai. Bakaya jahan koi shuru kiya kisi ki nindaspad baat tahan ham chup ho jaate hain. Kyonki tere bhave jo kare bhlo buro sansaar narayan tu baith ke apno bhavan bahar. Jab ham apne andar to hamen kamia hi kamia dikhayee deng. Dusre mein prabhu so anannya gati jake asamti na tare Hanumant main sevak sachrachaar rup Swami bhagwant mera bhagwan aur main sevak charachar jagat mere bhagwan ka swaroop hai. Ab kahin tamoguni rool ho raha hai.
kahin satoguni kahin rajoguni. Ab in gunon ki leela ham dekhte nahi hain. Ham trigunnatt leela ka chintan karte hain aur sab mein trigunnatt tatv ko dekhte hain. Agar wo pakhand ki leela kar raha hai to mera bhagwan hi hai. Wo dushtata ki leela kar raha hai mera bhagwan hi hai. Ye krura jo krur hai dusht hai papi hai nich hai. Vidya vinay sampann brahmin gavastani suneech supakecha pandita samdarshana ek taraf bahut nindniy karm ho raha hai. Ek taraf bandhneey ho raha hai. Donon ke beech se ham gujar rahe hain.
na nindniy ka fark na bandhni ka fark. Ab jab koi samne akar prashn kare ki mere in acharno mein kaun se aacharan shastriya paddhti se virudh hain aur kaun anukul hai to uttar dene mein prasannata ho jae. Sarvbhaum bolne mein ki kisi ko aisa na mehsus ho jae ki ye apman karte hain santo ka. Maa ki vishesh kripa hai to phir ninda kis baat ki aap pare hain maharaj shri hamara yah agarh aur nivedan aaj se ham is baat par dhyan rakenge. Sirf nivedan kisi tarah ka wo nahi hai. Ji aap to sirf Radha rani ke sevak hain aur param swatantr hain.
kyonki aap margdarshak hain. Sant samaj ke baad shaivya ya vaishnav ki nahi ham kar rahe hain. Haan samaj ki baat kar rahe hain maharaj shri wo chahe aap mein ho chahe ham mein ho. Bilkul ye hamari ye hamari jignyasa hai bahut samay se abhi ham Kumbh se laute to yahi jignyasa hui ki aaj hamen maharaj shri se milna hi milna hai. Ham Agra se chal ke aae jarur aaj se is baat par ham dhyan rakenge ki jab koi prasang aayega aisa to santo ke lakshan ka varnan aur in lakshan se vilag jo chalta hai wo pakhand hai chahe koi bhi ho badh jaegi maharaj shri haan aap bolne lagenge to sankhya badhegi ji ji aap kahne lagenge to kuch chijon aisi hoti hai na chah ke bhi karna parta hai haan hamari samaj jab praveen ho jaegi to usko savdhaan hona padega haan samaj jab ye jaan legi ki sadhu ka kya lakshan, pakhand ka kya lakshan, damb ka kya lakshan hai.
to jab ye praveen ho jaenge to apne aap unko sambhalna padega ki inki drishti mein paini ho jae na. Ab ye bhole bhale hain. Jaise chahe waise inko mod saka to wo pakhand aur dum apna jalwa dikha raha hai. Accha sadhu na isko bolegaa to aur kaun bolegaa? Grahasti ki to takat nahi ki sadhu ke vishay mein kuch bol sake. Isiliye maharaj shri ji to aur aap bolenge agar aapko dekh ke ek nahi 10 bolenge maharaj shri ji jis din aapne shuru kiya ji to braj ke jitne bhi katha vachak hai bolna shuru kar denge maharaj shri aapka sab anusaran karte hain ji aur jab bade manch se bola jaega ji to kahin na kahin to kuch na kuch to usmen sudhar nahi to bhagwan ne aapko prerit kiya hai to jarur is vishay mein hamari bhi badi vedna hai ji ji aap jarur kyonki ye sab anusaran karte [gala saaf karne ki aawaz] samaj jo hai wo sant ka anusaran karta hai.
bilkul bilkul aur jab sant jaata hai to aapas mein ye log kahte hain ki dekho Baba log kya kar rahe hain. Bilkul bilkul to jo 10 waise hain aur do us beech mein jo mahatma hote hain na ji badi vedna hoti hai wo sab sunkar ke hatna parta hai. Bilkul bilkul bilkul bilkul bilkul kuch kah bhi nahi sakte kyonki unki baat sunte sun ke hi rahte hain kyonki sant to sant hai ji ji ji fark nahi kuch parta hai to phir aapko maharaj shri in sab chijon mein fark to padega hi nahi kyonki kripa Radha rani ki hai to koi kuch bhi kahe usse kya hota hai ji nahi avashya aapki prarthna avashya shri ji avashya bulwaengi haan shri ji avashya bolwaenge kripa hai jo hai ya devi sarwabhute buddhi rupan sinta wahi aapko buddhi de rahi wahi idhar buddhi deke bulva degi.
adarsh Tiwari ji Radhe-Radhe maharaj ji Radhe-Radhe maharaj ji prabhu ko pane ke liye aapke jaisa sangharshasheel jeevan jeena padega kya bhaiya maya ko prapt karne ke liye kya sangharsh kam hota hai kya aap batao aap log batao rupya prapt karne ke liye yahan ka pad prapt karne ke liye bhojan karne ke liye ya kuch bhi karne ke liye kuch karna hota hai na sangharsh ek kisan aadmi kitni kitni mehnat karta hai tavanna paida kar pata hai. Ek apne pad mein jo pahuncha kitni mehnat padhai kya-kya sab kasht sahte hue wah pahuncha phir sampurn jagat se upar jo pad hai na parmeshtha na mahendra dhashtam na sarvbhaum na rasadhipatyam na yog siddhi apan bhav jahan na brahma ka pad na Devraj indra ka pad na sarvbhaum samrat ka pad na yog ki siddhiya na moksh sukh wo bhi sab ek taraf ho jaata hai aise bhagwat prem pad param pad ko jo prapt karna chahta usko kitna sangharsh karna padega?
sangharsh ka tatparya hai avidya asat ka tyag. Yah sharir bhi avidya grasit hai. Ye main nahi hoon. Ye panch bhautik sharir hoon. Main sacchidanand bhagwan ka swaroop hoon. Main bhagwan ka ansh hoon. To ab hamko iske dwara jo akarshan hai nana prakaar ke bhog vilastaen, nana prakaar ki man, apman, nana prakaar ka akarshan isi ko tyagna to sangharsh hai. Agar isko tyaga nahi to phir kaise? Aap socho ek army mein jane wala aadmi kitna sangharsh karta hai. Kitni daud bhag unchai phir itni training phir aisa aisa tab jakar ke ek army ka jawan banta kamando ko usse zyada usko praveen hona padega.
angrakshak ko usse zyada praveen hona padega. To ab bhagwan ka parsad banna hai. Samjho bhagwan ka use parsad banna hai to usko kitna sangharsh jhelna padega? Wahi pad hai jis pad mein jana us pad ke anusaar sangharsh agar phayl ho gaye to us pad ko to nahi prapt kar sakte lekin aap koi gire hue aadmi bhi nahi ho bhagwan ke liye chale ho aur gir gaye ho to aap koi sadharan nahi ho wo bhagwan ke param pad ko nahi prapt kar saka to aisa nahi ki sadharan adamiyo ki tarah usne sadhna ki hai to uska phir janm hoga yashaswi dhanvan kulvan ke yahan janm hoga aur phir bhakti ka ang wahi purv sanskar usko siddh kar dega.
to is marg mein chalna to sangharsh hi hai. Lekin ham ye kah rahe maya mein jeena kya kam sangharsh hai kya? Koi bhi vastu prapt karni to kya sangharsh nahi karna parta? Kya manushya jeevan hai hi sangharsh mein har kadam ek naya prashn, ek nai samasya, ek nai jang nahi hai. To jab ladna padega to asliyat ke liye lade. Nakli ke liye kyon lade? Nakli to apne aap mil jaegi. Agar asli mil gaya to asli hai bhagwan aur nakli hai maya ke dwara racha hua jagat Uma kahun main anubhav apna sat hari bhajan jagat sab sapna ye swapnik jagat hai asliyat mein bhagwan ko prapt kar le to to sangharsh to karna hi padega lekin maharaj ji praarabdh se dar lagta hai ki praarabdh mera kaisa hoga praarabdh jaisa hoga vaisa wo aa jaega usse kya dar hamare kiye hue karm hi to hain pata nahi kidney phayl hogi lever phayl hoga ya bistar to kya hoga?
hamari tarah garjan karna. Agar kidney phayl ho jae to bhi Radha naam ke bal se sab kuch ho jaata hai. Are bada anand rahta hai bachchha aur wo rahta keval iske karan bhagwan ki sharan mein aur agar ham sharir ki sharan mein hote iski to abhi ham depression mein hote pehle samarpit ho jao. Abhi tumhara sharir par ahankaar [gala saaf karne ki aawaz] hai ki main hoon isliye lagta meri kidney na phayl ho jae. Aur agar ye aham samarpit ho jae to jaise joi joi pyaro kare so hi moh bhave hamne to sharir pran man prabhu ko de diye ab jaise chaho waise rakho ye bhagwan ke bal se chalta hai ye bhagwan ke
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…