॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

seva ka karya karte hue krodh bhi karna parta hai, yah kitna uchit hai?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

kavita Agarwal ji Radhavallabh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aapka kahna hai ki aap bahut sari sansthaon mein jude hain jahan seva karya inko karna parta hai. Phir jab inko seva karya milta hai to kabhi-kabhi aisa hota hai ki krodh bhi karna parta hai. Uske bhav se kabhi-kabhi aisa bhi ho jaata hai ki seva bhav se aham bhi jagrit ho jaata hai aur krodh bhi ho jaata hai. Jaise Janmastmi aur Radhashthami jaise ma bade parv hote hain. Mandir aadi mein seva lagta hai to aparadh banne ka bhi dar hota hai. To maharaj ji is paristhiti mein apne aham bhav ko aur apne krodh pe kaise kabu paen?

aham bhav to karna hi nahi chahiye kyonki jab bhagwan ne seva di hai to sevak ko ahankaar karne ka adhikar kaise hai? Swami ka pratyek vidhan sevak ko dainya hokar karna yahi uttam bhav sevak ka hai. Sevak agar sukhanubhuti ya dukhanubhuti seva mein karta hai to sachchi seva nahi mani jati. Sevak sukh cha man bikhari vyasni dhan shubhagti vibhichari sevak ka to agar uttam karya ho jaata hai to Swami ki kripa agar truti ho jati hai to hamari asavdhani krodh dusron par karne se apni hani hoti hai. Haan yah jarur hai ki kabhi-kabhi krodh ka natak karna hota hai.

krodh nahi hota hai. Jaise kisi se teevrata purvak hamen karya karana hai. Samay kam hai. Hamen utsav mein sammilit hone ke liye aae hue logon ka swagat karna ya kisi bhi ka to ham us samay avesh mein aise krodhavesh ka darshan karate hain. Aap shighr kijiye kaha andar jalan nahi honi chahiye. Andar unke prati dves bhav nahi hona chahiye. Aur aham ki to koi gunjaysh hi nahi. Seva mein aham kaisa? Seva mein aham kaisa? Agar jaise kai bari krodh kar rahe hain to krodh mein aisa lagta hai ki shayad aham se hi krodh ho raha hai.

aapko ye dekhna hai aapka hriday jalne lagta hai kya? Nahi hriday nahi jalta hai. Bas phir krodh ka natak to jaise guru hai wo apne shishya ke prati kar sakta hai. Jaise kai logon ke upar sevadhikar hamen mila hai. Agar wo sahi nahi ho sakta to ham uske upar kar sakte hain. Krodh ka natak. Krodh ka natak karna aur krodh hona usmen antar ho jaata hai. Jab ham kisi par krodh karte hain to dosh darshan karke karte hain aur usse ghrna dves ye hamare andar dosh aa jaate hain. Agar yah sab nahi hai aur krodh ka ham natak kar rahe hain to koi baat nahi hai kyonki hamen karya pranali ko theek-theek karane ke liye aisa karna padega aur ahankaar ki to koi gunjaysh hi nahi kyonki Swami kai bari jaise vidyarthi hain jinko ham sikha rahe hain kara rahe hain to bahut kai bari dant ke ya phat haan isse koi fark nahi parta hai kyonki hamara is samay guru ka bhav hai unko jo shiksha deni hai unko sahi dhang se uska gyan ho jae isliye ham krodhavesh kar sakte hain usmen usmen koi baat nahi to wah koi aparadh nahi hai.

lekin ham uske prati ghrna nahi karenge. Uske prati dves nahi karenge.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
  • jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…