॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #1388

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

pratik ji maharashtra se shri Harivansh guru ji shri Harivansh maharaj ji maharaj ji jaise ki aapne kafi bar bataya hai ki hamare sanchit punya aur paap ke anusaar hamare vartman mein sukh aur dukh ka nirnay hota hai. Maharaj ji main yah janna chahta hoon ki hamare sanchit paap aur punya khatm hue ya phir jalda se hi khatm hone wale hain. Is baat ka vartman mein kya lakshan aur sanket parinaam swaroop dikhayee dete hain? Is purnaen kam ho jaengi. Paap ki kamnayen nasht ho jaengi. Koi chinta nahi, koi shok nahi, koi bhay nahi, koi uddignata nahi.

ek nirbhay, ek nishchintita, ek nishokta aur bhagwan mein tanmayata ye lakshan prakt hote hain. Bilkul nishcint jab udhar khatm ho jaega na idhar nishchintita paryakta hogi kab? Jab puri navdha bhakti hamare jeevan mein apna rang laegi. Shravan kathan sumiran sevan chit lavah archan vandan arudasantan sakhya aur atma samarpan ye nav lakshan bhakti badhai tab ti prem lakshna pai jab bhagwat prem prakt hota hai bhagwat tanmayata hoti ek adbhut anand na kuch chah na kisi se milne ki ichchha na koi pad na koi jine ki ichchha na koi marne ki chah ek alaukik sthiti to sab sanshay khatm ho jaate hain sab sanchit karm bhasm ho jaate hain.

bas hriday apne pyare ke liye vikal rahe to samjho ab hamara kam ho gaya. Anya koi chah na rah jae. Nirantar apne prabhu ke liye vikalta aa jae. Yahi jeevan ka sanket hai ki ab akhiri jeevan hai. Yahi hamara akhiri janm hai. Jab hamare hriday mein kisi bhi tarah ki koi chahna kisi tarah ki koi kamna na koi vasna nahi swatmaramam vishay mrig trishna bhramti atmaram purush kabhi vishay mrig trishna mein bhramit nahi hota. Wo apne prabhu mein hi laga rahta hai. To yah pratik hai ki ab hamara akhiri janm hai. Hamare sanchit karm bhasm ho gaye.

ab jaise apne logon ka hai ye vishay hi nahi rah gaya. Sanchit karm praarabdh karm krama iska vishay nahi hai. Koi matlab nahi hai. Prashn hai to yahan chintan ja raha hai. Nahi to theek thikane pe lage hue hamen. Ab jo hi joi pyaro kare so bhave pyare ka jo manave so kare. Jaise mana jo manave so bulva de. Jo manave so dikhwa de. Jo manave so khwa de. Jaise manave waise chala de. Jis tarah se chahe waise mujhe rakhen. Khatm khel apna astitva mita dena hi sadhna hai. Apna mamtv prabhu mein samarpit kar dena hi aradhna hai.

prabhu ke siva aur koi nahi hai. Ye dimaag mein baith jae. Yahi sacha gyan hai. Vasudevit samatma sud durlabh prabhu prabhu prabhu prabhu man mein prabhit mein prabhu buddhi mein prabhu sab jagah mere shyama Shyam shyama Shyam meri Radha Radha Radha Radha dimaag mein bharna hai jo kuda karkat hai wo sab delete ho jae nikal jae andar Radha Radha Radha bas chup ho jae apni sthiti kabhi kisi se kahe nahi dusri sthiti mein hamen jo age badhna hai uski jankariyan rakhen apni sthiti kisi se batae na jo age bhagwat ki sthiti ab jankari ab is sthiti mein wah apne aap samjh mein aa jaata hai.

ab is sthiti mein ham pahunch rahe hain is sthiti mein pahunchna hai. Duniya se nahi duniya se matlab jo duniya se apne ko alag kar liya hai wahi bhagat hai. Ye baat samjh lo. Samite so ashik aur faile so jamana jo fail raha hai wo duniyadari mein phas raha hai aur jo dharm karm sabse pind chhuda ke apne prabhu mein chipak gaya chitt prabhu mein chipak gaya man prabhu mein bas sune na kan ki kahi kahe na apni baat narayan va rup mein magan hai din raat virah kamdal kar liye bairagi do nain mangat daras madhu kari chhake rahat din rahan bas apne prabhu se matlab na kan so bol wo na koi vihaar apni kunwar kishori ko jayat nihar nihar bas apne ladle prabhu ki taraf chittritti maharaj ji to

kya shri ji ko jaise naeenai chijon pawane ki purn hoti hai jaise aja pizza paag pawa dete hain aaj bargar pawa dete hain to wo bhakti ke andar aa jaata hai ab bacha ye man ki baten hain shri ji ko pizza bargar nahi chahiye aap samjho ek satvic sadhak ke andar aisi ichchha prakt nahi hogi to shri ji ke andar kaise ichchha prakt hogi shri ji bhavotsaven bhajta ras kamdhenu pehle hamara swaroop prakt ho shri ji ki seva wala aur phir shri ji ki seva mein unke charnon mein mahawar laga rahe hain unke kesh paas sambhale unko darpan dikha rahe unko chvar kar rahe hain unko sundar bhav yukt bhog laga rahe hain pavitra ye pi pizza bargar pavitra chij hai kya bachchha jo bazaron mein banti hai banane walon ke bhav nahi hai wo bhagat thodi hai wo kaise apvitra banate hain hamara to shraddha hi nahi hai hamari shraddha hi nahi in vastuon mein banane wala kaisa tha uska bhav kya tha wo kitna pavitra hai ye vastue sab hamare dimaag mein jakar kam paida karti hain rajogun paida karte hain rag paida karte hain na

in vastuon ko khana chahiye na in vastuon ka bhog lagana chahiye. Roti daal sada bhog lagao. Aapko agar accha to khir hai, pua hai, gujiya hai, kadhi, chaval, roti, daal ye sab pavitra chijon pizza, bargar aur chaumeen, paumeen ye shri ji maharaj maharaj ji jaisa ekadshi ka vrat rakhte hain jo log kya unko bhagwat prapti hoti hai? Haan. Ekadshi ka vrat rakhen aur nirantar naam jap karen. Naam jap jarur karen. Maharaj ji niranjan naam japi karte hain. Kashi ka haan badhiya hai. Phir bhagwan ki taraf jitna chittritti gayi antim samay bhagwan ka smaran aa gaya to sab theek ho jaega.

maharaj pariviarik sansarik ke saath rah ke ham Radha rani ke aapke charnon mein kaise alag jae? Agar ham alag jaate hain to samaj bolta hai ki nahi hamne kabhi kaha kya ki sanyaas le lo. Sanyaas nahi jaise ki usi mein leen ho jana aur to kshamta hoti hai. Ham is samay baithe do karya kar rahe hain. Andar hahkar macha hai. Tum jaan rahe ho bahar shant baithe hain. Andar hamare kya ho raha hai tumhen pata hai. Aur jahan ham hain wahan ki baat jaan jao to nihal ho jaoge. Ham baithe tumhare beech mein baithe hain bilkul svasth baithe hain to aise thodi hai kshamta milegi aur ek tanmayata hai to tanmayata karte hue hal bhi jot sakte ho tanmayata karte hue prashn ka uttar bhi de sakte ho tanmayata mein rahte hue har kam kar sakte ho kya gopeej ki sthiti chhoti moti thi Uddhav ji jaise mahagyani jinki charan dhul chahte hain wo kya karte the bachchhe ko khila rahe pati ki seva kar rahe hain.

ghar leep rahe hain. Dhan koot rahe hain. Doodh do rahe hain. Dahi jama rahe hain. Lekin vritti kahan hai? Krishnakar. Log pagal bolna shuru kar rahe hain. Logon ko lag raha ho ki bhajan karne wale pagal hote hain. Aise hote hain. Sthitiyan hoti hain. Shri Sukhdev ji ne Janak ji ko guru mana. Aur Janak ji raja hai. Sukhdev ji ke sharir mein langoti bhi hai. 16 varsh ke digambar mahapurush aisa vairagi aisa gyani mahatma tribhuvan mein nahi ho sakta. Sukhdev ji jaisa unke guru ji kaun jante ho? Janak ji aur Janak ji raj darbar mein simhasaan mein baithe hain.

to yah koi na samjhe ki gyani ya bhagat pagal ho jaata hai. Samyak rup se vihaar ka nirvah karte hue bhi bhakti mein chala ja sakta hai. Aisa nahi ki bhakti koi pagal bana de. Nahi ladke bachchhe parivaar sab aise gopijan bahut siddh mahapurush hain. Unki santan bhi hoti hai. Unke parivaar bhi hai unka aisa nahi bhakti ke rahasya ko nahi samjha isliye aisa lagta hai. Vatsalya ji shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji sahi phaisla kaise len? Jab duwidha ho ya ek samannya jeevan mein shastr se pramanit hona chahiye.

phaisla ya kisi sant mahapurush ke vachno ke dwara pramanit hona chahiye. Jo pahunche hue mahapurush hain jo bhagwan ke nij jan hai sahi phaisla wahin se aur dusri baat apna hriday sahi phaisla deta hai. Dekho aap kuch galat socho tatkaal uttar aayega galat hai. Aata hai aata hai aap logon ke hriday mein ki nahi aata hai? Aap kuch galat karna chaho andar aata hai nahi ki galat hai mat karo. Sahi phaisle ke liye andar bhagwan baithe hue hain wo aapko updesh karte hain. Bahut dheeme swar mein hota hai wo. Wo aisa nahi hota. Band karo nahi matlab ye karne ja rahe ho galat hai aapko lagta hai mere vichar hain wo aapke vichar nahi hai wo bhagwan ke vichar hai aapko do jo diye ja rahe hain lekin apne logon ko baat mante nahi kuch bhi galat socho turant uttar aayega galat hai mat karo galat hai mat karo aur jab sahi hoga to hriday shital ho jaega aur prasannata aa jae to jaan lena sahi hai jab hriday jale aur andar se ho ki na karo to jaan lo ye karya galat hai ya santo ke vachan ya shastr pramanit ya hriday pramanit hriday mein dekhna hoga man

harsh se bhogon ko bhogna chahta hai aur hriday ke aradhya bhagwan hriday se mana karte hain galat hai galat ja rahe ho galat dekh rahe ho galat sun rahe ho galat bhog rahe ho andar aayega dekh lena to jab wo aae ki galat hai to man lo galat hai phir mat karo to kisi se poochne ki zaroorat nahi hriday mein bhagwan baithe hain sabko updesh de dete hain maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji ye prashn jo hai ye kah rahe hain ki diksha ke baad agar bahut vybhchar ya aise nashe aadi mein the kripa se satsang suna aur

chhod diya aur sharanagati mili phir jab kisi kusang vash phir unhin vishyon mein jana ho jae to durgati ho jaegi haan maharaj ji bahut sare aise prashn aa rahe hain durgati ho jaegi pakka ho jaegi agar aapse paap bante rahe aur aap sharanagat ho gaye aur ab nashani ab nash nahi karunga karunga to sab maaf ho jaenge aur agar phir karne lage to durgati ho jaegi pakka kyonki ab to rajistarda paap ho rahe hain guru bankar paap kar rahe ho rajistarda paap hai sansaar mein paap hue guru ki sharan mein aa gaye kshma ho

gaye ab guru ki sharan mein akar sharanagat hokar paap karoge rajistarda paap ho jaenge unko bhogna hi padega likha hai unhone ki jalan ho rahi hai sansarik jalan se keval nahi mitne wale ye to narak bhogna padega aise koi khilwad thodi hai tum manmani nahi paap karo. Ab aap sori bol do kisi ka katl karke to sori mani jaegi kya? To aise hi jante ho ki yah paap karm hai aur phir guru ki sharan mein hue ki ab nahi karunga aur phir jaan ke paap kar rahe to sori bolne se thodi hoga. Jalan hone se thodi hoga.

unko bhogna padega. Unko bhogna padega. Abhi hosh mein ho jao. Abhi bhagwan se prarthna karo aur naam jap karo. Mantr jap karo. Gande aacharan na karo to shayad kripa ho jae. Nahi to phir ye to bhogna hi padte hain. Vajr ke saman majbut paap ho jaate hain. Inko bhogna parta hai. Phir sharanagat hone ke baad har jeev ko samjh lena chahiye. Aise guru mantr nahi lena chahiye. Jab tak apne mein control na ho tab tak guru mantr nahi lena chahiye. Ya manmani aacharan karo guru bana ke tab to harebhre aur honge aur bhog bhogna padega tumhen aur dand bhogna padega.

guru bana ke paap karo to dand nahi bhogna padega. Kam se kam paap hue tab guru bana liya to mukt to ho gaye lekin guru bana ke paap kiye tab to phir aur hi pareshani hai. Haan koi bhul chuk se kabhi ho jae wo baat alag hai. Janbujh ke balatkar karo nasha karo gande paap karo to phir yahan bhi bhogna padega aur wahan bhi bhogna padega. Shri Harivansh maharaj ji maharaj ji sharir ki ayu 24 varsh hai. In 24 varsho mein hamne keval galat hi aacharan kiye hain aur prabhu kahte hain ki nirmal man jan so mohi pava. Aur ham sharir man buddhi se atyant malin hai.

aise mein to jab hamen pata hai ki yah galat kiya hai to jaise ganda patr ho jaata hai to sabun dal ke dhote hain phir raj laga ke use shuddh kar lete hain to shuddh kar lo. Bhagwan ki leela katha naam jap naam kirtan achhche aacharan ke dwara apne jeevan ko pavitra kar lo. Hamse jo galtiya hui unki punravriti ham na karen aur bhagwan ke naam jap naam kirtan bhagwat leela katha vrat upvas inke dwara ham apne ko pavitra kar le apni jo galtiya hai unko tyag den abhi theek ho jaega aisa thodi ki patr ganda ho gaya to phenk den uska marjan karte hain usko ham dho dete hain to hamara jeevan man lo ganda ho gaya hamse koi galti ho gayi hamse papacharan ban gaya to uska prayashchit hai abhi jaldi-jaldi kar lo manushya sharir hai svasth sharir hai to us paap ko mita ke nishpap ban jao.

bhagwan ka chintan karo. Kyonki agar nishpap na hua jaata to bade-bade vaishyagami bade-bade chor, bade-bade hinsak mahatma ban gaye. Hamara itihas kahta hai bhakton ke charit kahte hain to ham to 100 200 gram hai. Jab kilo do kilo walon ko pavitra kar diya to 100 50 gram wale to pavitra ho hi jaenge. Aham to sarv papbhy mokshyami mascha bhagwan kahte meri sharan mein ho jao. Main tumhen pavan kar dunga. To bhagwan ki sharan mein hokar naam jap karo. Naam kirtan karo. Bhagwan leela katha suno. Bhagwan ki leela katha gao.

bhagwan ki seva ghar mein virajman karo. Pavitra ho jaoge. Ji shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aap kah rahe hain ki pichle aath salo se aap raktadan kendra laga rahe hain. Usmen kafi logon ko fayda bhi hua hai. Maharaj ji ye kah rahe hain ki kabhi-kabhi man itna udas ho jaata hai ki rakt ki dalali kuch log karte hain maharaj ji. To arop sab par lagae jaate hain. Log hamen bhi shanka ki drishti se dekhte hain. Aise mein man maharaj ji vichlit ho jaata hai ki ham ye galat itni pareshani aa jati hai ki hamne 24on 24on ghante seva ki hai hamne.

lekin thakur ji ki asim kripa se lekin pareshani kya hai ki jo log galat karte hain unke chakkar mein log hamko bhi itna galat samjhne lag jaate hain ki hamara phir man bahut vichlit ho jaata hai. Nahi vichlit hona chahiye kyonki aap sahi hai na to vichlit hone ki zaroorat nahi. Accha logon ka kahna bhi sahi hai kyonki log galat karte hain man lo rakt lete hain dan ke rup mein aur usko bech dete hain to phir ab logon ki to drishti wahi hogi to agar ek aapke department mein koi galat hua kahte hain na ek machhli mar jae to pura talab ganda kar deti hai to apne ko sahna ki apne bhai kisi bhai ke dwara galti hui to apne ko bhi galiyan par rahe lekin apne to sahi hai apne ko tutna nahi hai kyonki kabhi-kabhi aisa hota hai ki paisa disha dene par bhi rakt nahi milta aur wo atyant avashyak vishay nahi to uske pran chale jaenge.

man lo jaise operation hua ab rakt ki zaroorat hai. Ab yah rakt to aisa hai ki grup ke anusaar ji yah thodi ki kisi ka rakt kisi ke bhi chadh usko milna chahiye. To agar aap 50on vyaktyo ka rakt liye hain to kisi na kisi ka grup mil jaega aur uski pran raksha ho jaegi. To yah bahut uttam karya aap kijiye. Bas yah hai ki jab hamare upar phool barse to phule na aur jab gali barse to bhule na ki hamara kartavya hai parhit main galat nahi hoon isliye koi mujhe galat kahe to tutna nahi yadyapi bura lagta hai par bura ko sah jao haan age age badho aise bharat ji nepal se Radhe Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji main aapke charnon mein koti-koti pranam karta hoon.

maharaj ji atma paramatma aur jeev ka beech mein kya sambandh hai? Kaisa sambandh hai? Ek ek hi hai. Jab apne swaroop ko bhul ke deh bhav se bhavit ho jaata hai to use jeev kahte hain. Jab apne swaroop ka bodh ho jaata hai to wahi atma hai aur wahi paramatma hai. Atma aur paramatma mein kinchin matra bhed nahi hai. Atma aur jeev mein jo bhed buddhi ki gayi wo dehabiman ke karan ki gayi. Wo apne swaroop ko nirvikaar swaroop ko avinashi swaroop ko ajnma swaroop ko bhul karke vikari vinashi aur janmane marne wale deh aur antahkaran mein tadatma bhav ko prapt hone ke karan use jeev kaha gaya aur jab wo guru charnon ki aradhna karke brahm gyan prapt kar leta hai to brahmavi brahm bhavti kyonki wo brahm hi tha koi sadhna se brahm nahi hua uska bhram nasht ho gaya jo deh bhav tha ja kripa sab bhram mit jai girja soi kripalu raghurain jeev apne sahaj swaroop ko jab prapt hota hai to brahm swaroop hi hota hai paramatma swaroop hi hota hai atma swaroop hi hota hai jeev sangya dehabiman ke karan usko di gayi nahi wo nirmal chidanand ghan atma hi hai samjh pa rahe hain aap samjh pa rahe hain aap bhajan karoge tab samjh paoge abhi deh bhav mein sthit ho to kaise atma swaroop ko samjh paoge jo atma hai wahi akhand paramatma hai jo paramatma hai wahi atma swaroop mein hai.

jo jeevtma hai wah bhram ke karan deh bhav ko prapt hone se jeevtma kaha gaya. Nahi to paramatma hi hai dusra koi nahi hai. Bhagwan arjun ji ko kah rahe hain matta partram nanyat kinchitta Dhananjay he Dhananjay mere siva kuch aur nahi hai. Upnishad kah rahe hain sarvam khalmidam brahmane nanast kinchna sab kuch brahm hai. Brahm ke siva kinchin matra kuch nahi hai. Eesha vasmidam sarvam yat kinch jagtam jagat is jagat mein ek ek kan keval ishwar hi hai. Ishwar ke siva aur kuch nahi. Vasudeva sam mahatma sud durlabh keval Vasudev hi Vasudev hai dusra koi hai hi nahi vasna vasudevas vasitam bhatram sarvabhut nivasma Vasudev namostute dusra agyaan se kalpit hai jaise swapna mein kuch na hone par bhi sab kuch bhasta hai tab tak jab tak jag nahi jaata aise hi jagrit mein jo kuch nan bhas raha hai ye agyaan nidra mein aur jis samay wo jaga to keval ek hai dusra ek ko brahm dviti nast samjh pa rahe hain aap satya ji Himachal pradesh se Gurudev aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji naam jap prarthna dhyan in tino sadhno ke dwara aur bhagwan ke prati samarpan sharanagat hone par bhagwat prapti ho jati hai.

Gurudev mujhe to sharanagat hone ki vidhi bhi gyan nahi hai. Maharaj ji kaise hua? Haan sharanagat ki koi vidhi nahi hai. Jab kahin koi aashray dikhayee na de tab bhagwan ki sharanagati hoti hai. Asran sharan asran koi hamen sweekar hi nahi karta. Wah bhagwan vidhi paida karte hain. Sab tarah se jab samjh mein aa jaata hai ki main nirbhal ho gaye to mahabal ka aashray jagrit ho jaata hai. Suneri maine nirbhal ke bal Ram. Draupadi ko jab tak ye tha mere pati hain. Bheeshma aadi mahapurush hai. Lekin jab dekha pati sir jhukae bheeshma aadi koi virodh nahi kar rahe to bhagwan ka aashray nahi liya.

apni bhujao ka aashray liya. Jab dekha bhuja bhi to dant se pakar liya. Jab dekha dant bhi dhokha de dega to akhiri ab koi hai hi nahi. Ab koi hai nahi to tab pukara he Govind Dwarika vasin Gajendra ne uski hathi hathniya pooch pakar ke aise soond se nikal rahe. Hazar varsh tak swayam lada. Jab dekha hathi hathniya chhodkar chale gaye. Ab grah ghasit kar jal mein le gaya. Ab swayam mein shakti nahi rahi. Tab use purv janm ke bhajan ke anusaar indrad naam ka raja tha. Use smriti ai. He hari aur Gajendra strotra ka jo gaan kiya bhagwan aae aur to sharanagati sahi mayne mein koi sikhne padhne ki chij nahi hai.

aisi paristhiti jab Ravan ne lat mari vibhishan ko jab dekha ab koi aashray nahi. To chal gaye. Shravan sujas suniyo prabhu bhanjan bhav veer trahi trahi aarti haran sharan sukhad Raghuvirr jab hamko sare raste band dikhayee dete hain aur ek rasta khula dikhayee deta hai bhagwan ka to jeev apne aap sharan ho jaata hai aur iski paddhti yah hai ki gurujanon ka sant janon ka aashray le to shravan sujas jab bhagwan ki mahima sunte hain sansaar ka dukh dekhte hain to anand sindhu bhagwan ki taraf badhne ki jo ichchha hoti hai wahi sharanagati jo aap bolenge wahi naam jap jap karo naam jap karo sab kuch theek ho jaega isi se Radha Radha Radha sab kuch theek ho jaega pran ke pati bhi dukhi hai thoda sa unka khanpan bechari tum apna sambhalo apne apne karm ko sab koi bhogta hai ko kan ke sukhdukh kar data nij krit karm bhog sun bhrata he pati putra aadi ye pyau mein jaise milte hain 10 log aise mile hue hain samay ane par sab apnep nikal jaenge yahan na koi kisi ka pati hai na koi kisi ka putr hai na koi kisi ki patni hai ek natak maya ka chal raha wahi sacchidanand bhagwan sab rupon mein hai.

apne swaroop ko bhulkar maya akarshit isliye bar-bar janm bar-bar maran nana prakaar ki yoniyon ka bhog bhogna par raha hai. Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji aaj tak hamne kabhi madira aadi ka sevan nahi kiya aur apne man ko santulit rakha hai. Jab bhi kisi dost ya office dost ne hamen majbur kiya hai. Parantu jab ham apne rishtedaron ye sab ke karan hamen jad, buddhi aur pichhdi soch ka kahte hain to is sthiti mein man ko sambhalne ke liye kya karen? Nahi aap galat aacharan na karen to aapko jad buddhi ka kaha jaega kya?

mujhe lagta hai ulta hai. Jad buddhi wah log hain jo aisa karte hain. Vivekvan wo hain jo nahi karte hain. Akhirkar kahin na kahin satya ka aadar to hota hi bachchha. Bhale koi pramadwash tumhen galat kah de lekin unke bhi hriday mein aadar hota hai. Agar satya jad buddhi hota hai to hamare paas ekantik mein prashn uttar karne koi aae hi na. Jad buddhi se kya baat karen? To isliye hamen lagta hai ki koi hamen murkh kahe ya jad buddhi kahe ya purani riti ka kahe. Dekho kuch logon ka bhav yah hota hai ki agar ham anda nahi khaenge, mans nahi khaenge to svasth nahi rahenge.

agar ham prasann hai, satvic ahar hai aur sundar vichar hai to hamara tan bhi svasth rahega aur man bhi svasth rahega. Aap accha dur se dekh ke batao kya ham aapko lagte hain kidney failure hai? Nahi. Aap vichar karke dekho. Kyon? Kyonki ham har samay prasann rahte hain. Ham ek minute bhi kabhi kidney failure ban ke nahi baithe. Ab 1:00 baje ratri se hamari dincharya chal rahi ya kya kidney failure ki chal rahi? Har samay hamara dimaag bhagwan ki tarah. Kya aap nahi laga sakte? Aap bhi waise lagaiye. Dukho se ladna padega.

dukho ko jitna padega. Ye sansaar dukhalayam hai. Sangharsh karna padega. Sangharsh hamara jeevan hai. To ham aise anandmay bane. Yah ham isliye udaharan de dete hain ahankaar pushta ke liye nahi ki jinko lagta hai manda khakar ke mans kha ke balvan baenge. Brahmcharya pavitra ahar to sankalp bal aur sharir bal donon bal pusht hota hai. Kisi ne kaha ki maharaj ji yahi prashn kiya tha ekant mein ki aap aur aapke chele bade ashtapushta hai. To sanyam agar sanyam hai, niyam hai to dekho bimar hote hue bhi pavitra aur sanyam ke karan hamko khud mehsus hota hai ki main balvan hoon.

mujhe yah mehsus nahi hota ki kidney failure aise. Nahi hamen khud mehsus hota hai mujhe bal hai aur agar abhi sanyam bigad jae aur bhagwan ka bharosa chhut jae to depression mein pahunch jao. Itna kasht rahta hai. To ham ye kah rahe hain ki agar hamko koi murkh kahe, jad kahe aur ham sahi dhang se chal rahe to hamen hilna nahi chahiye. Hamen apne marg se hatna nahi chahiye. Hamen balvan hona chahiye. Aur bahut sundar jeevan jaega. Yadi aap aise chaloge sharab pine wala, mans khane wala, vybhchar karne wala aaj bhale svasth dikhayee de raha hai lekin kal durgati ko prapt hoga.

aap aaj bhale dukhi ho lekin kal aap sadgati ko prapt honge. Kal aap accha jeevan vyatit karenge. Isliye hamko achhche acharno mein dridh rahna chahiye. Samne wala ninda kare to bhi. Agar samne wala ninda kar raha ho main galat hoon to sudhar karna chahiye. Bura nahi manna chahiye. Samne wala ninda kar raha main galat nahi hoon tab to muskurana chahiye. Phir shok nahi karna chahiye ki wo kahe jad buddhi to apne ko vidvan dikhane ke liye ham sharab pi len. Ham mans kha len. Aise gande aacharan nahi karna chahiye.

kafi bachchhe to maharaj ji isi usmen aa jaate hain. Dabaw mein akar bhi galat aacharan karne lagte hain. Nahi galat hai. Galat hai. Wo bachchhe wo bachchhe kam buddhi wale hain. Praveen buddhi apne jeevan ko ganda na karen. Adhikansk waise star ke ho gaye hain na maharaj ji? Dekho sharab jo hai ek to shastr nishiddh hai. Shastr rokta hai aur dusri baat usmen labh kya hai? Prayah hamne sharabi janon ko apne dharm se chit hote dekha hai. Jab aap sharab ke nashe mein hoge to aapka bartaav theek nahi hoga. Aapke aacharan theek nahi honge.

aapka charit pavitra nahi hoga. Aur naliyon mein to pare aap dekhte hi ho. Naliyon mein pare aap dekho naliyon mein pare dikhayee dete. Paisa gaya, swasthya gaya, izzat gayi. Bhala aisa kyon? Jab hamare shastr rokte hain to sharab nahi pina chahiye. Aur jab tak byah na ho tab tak brahmcharya se raho. Byah ho jae to ek patni vrat dharan karo. Ye jo chala hai na girlfriend boyfriend ye bahut narak hai. Bahut apvitra jeevan puri grahasti ko choupat kar dene wala jeevan hai. Man lo jo bachchi bachchha do char bachchi bachchon se sambandh rakhte hain wo kabhi byah karke ek mein tik payenge kya?

unki gandi aadat bani rahegi. Unka jeevan vyarth ho jaega. Grahasti sambandh tut jaenge. Isiliye naye-naye byah hote hain. Divorce ho jaata hai. Yah koi jeevan hai? Are jeevan hai ki chalo ab lo nishani ab na nash ho. Ek do bar galti ho gayi. Ab pati prapt ho gaya to ab bahut dharm se rahe ya patni prapt ho gayi to dharm se rahe. Lekin aajkal sharab pina aur naya-naya vybhchar karna aur jaise bane waise dhan kamana. Yahi uddeshya rah gaya hai. Grahasti ke liye brahmcharya kya niyam hona chahiye maharaj? Masik dharm ke aath din baad ek bar keval sanyog kar sakta hai.

Shastri paddhti ke mahine mein ek bar mahine mein ek bar ek shishya ne apne guru ji se pucha ki hamara byah hua to kaise chale? Unka varsh mein ek bar unka kaha aisa to nahi rah payenge grihasth mein to unka chha mahine mein ek bar unka kaha yah bhi nahi rah payenge tab phir ye Shastri paddhti bataai mahine mein ek bar Shastri paddhti hai mahine mein ek bar ab socho aajkal naye-naye bachchhe kitne aake bata gaye ki panch bar hastmaithun aath bar hastmaithun ye jinda rah rahe hain yahi badi baat hai ek man dravit padaarth sahit ek man kahte hain 40 kilo ko 40 kilo ann aur pani aur doodh sab kuch milakar jab pachta hai tab ek bar santan utpann karne ki yogyta ka virya banta hai aur jo log aise nasht karte hain unki jivni kya hogi isliye wah brahmachari hi mana jaega grihasth jo ek patni vrat hai wo mahine mein ek bar sanyog karta hai santan utpatti ke liye shastr agyaa jo hai shesh samay brahmachari santan utpatti ka uddeshya nahi hai phir nahi karna chahiye vybhchar ke liye adesh nahi hai.

nahi shastriya adesh nahi hai. Baka usko paap lagega nahi. Ji agar wo mahine mein ek bar sanyog karta hai to paap nahi lagega. Paap ka adhikari nahi hai. Lekin shastr adesh nahi hai. Shastr adesh keval santanotpatti ke liye hai. Shesh samay brahmcharya rahkar bhagwat aradhan karte hue apne kartavya ka palan karna. Aur santan ho jane ke baad phir to purn brahmachari haan purn brahmachari kyonki brahmcharya grihasth vanprasth sanyaas arthat hamare char purusharth hai dharm arth kam moksh to hamara lakshya moksh prapti bhi hai.

wo indriyon ka vilas jab band hoga tabhi to ham mukt avastha ki taraf ja payenge. To hamko ye chahiye ki 40 tak hisaab kitaab barabar kar le grahasti ka. Iske baad bhagwan ki prapti ka pura kamar kas ke lag jana chahiye. Grahasti mein bhi rahe to to phir baat ban jati hai. Ab to 30 40 mein to byah log karna shuru kar diye. 30 mein to byah karna aur hamen lagta hai ki 30 tak to 10 12 varsh ka ladka bachchha ho jaata tha. To wahi theek hai. Aap jab vriddhavastha ki tab padarpan kar rahe to grahasti sambhalne layak ho gaye.

ye hamara jo kram tha Shastri wo bahut badhiya tha. Bahut badhiya tha. Usse bahut mariyada ab jaise ladke aur ladkiyaan nai avastha ko prapt hui. Unka byah ho gaya. Unko mil gaya jeevan sathi to isliye bhatakna vybhchar karna ye ho nahi paya jeevan mein aur wo aajeevan apne pati ko bhagwan mankar nirvah kiye ya apni patni ko pran mankar nirvah kiye. Ab kya ho raha hai? Ye jo boyfriend breakup boyfriend breakup ye hai kya? Matlab ye hai kya? Kitni gandi baat hai. Apne sharir ko ham apvitra kar rahe hain.

abhi bachchhe hain jante hain nahi. Khule living relation kya hai? Khule mein dekho liv in relation kya hai? Vybhchar khula vybhchar ye hamara dharm to nahi hai. Bharat desh ka dharm nahi. Bharat desh ke shastron ka bharat desh mein to ek ek bar hath pakda panigrah aajeevan nirvah kiya. Aur kitna sundar hai. Kam se kam aap aap yah to kah sakte ho mera ladka hai. Ab pata hi nahi hai na jab aap kahin se mil rahe ho aap kahin mil rahe ho to hamare pitro ko jal kaun dega? Jab hamari santan hi nahi to jal kaun dega?

jab kul parampragat isiliye bahut pavitra rakha jaata tha shariron ko ki hamari hamara uddeshya santan utpann karna keval bhog ke liye thodi hai. Ab yah sab koi baten manna chahiye to bhagwan ki kripa ko ki aap log kripa karke sun rahe hain sant baten nahi kaun tv dekhe gandi baten dekhe manmani aacharan kiye sadhu samaj ya shastr sammat baat sunna hi logon ko pasand nahi ye to bhagwan ki kripa hai ki is samay log sunna chalu kar diye ki chalo sun rahe hain aur man bhi rahe hamen lagta hai man bhi rahe hain sudhar bhi rahe isliye ham bada ehsan mante hain apne deshwasiyon ka ki hamari baat sun rahe hain man rahe hain hamare upar ehsan kar rahe hain.

hamara jeevan dhanya ho raha hai ki aapka jeevan dhanya ho gaya to hamara jeevan dhanya ho gaya. Hamara bolna sarthak ho gaya.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • ekantik vartalaap evam darshan #1400 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
  • jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…