ekantik vartalaap evam darshan #81 · 24 january 2023
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
raju ji Vrindavan se vallabh [nak se ki jane wali aawaz] pujya Gurudev aapke charnon mein koti-koti pranam. Gurudev main pichle sat aath sal se aapka satsang sun raha hoon. Gurudev aapki kripa se Vrindavan dham ka vas bhi mila. Gurudev vyapar ke liye yahan hotel end restorent satvic vyanjnon ka khola bat Gurudev din mein vyapar mein itna vyast rahte hain ki brahm muhurt mein bhi nahi uth pa rahe. Shareerik rup se bhi aswasth hoon. Man bhi malan ho gaya. Dham vas shri ji ne bhajan ke liye diya tha.
kuch ho nahi pa raha. Samay bhag raha hai. Man karta hai vyapar sab band kar du. Margdarshan karen maharaj ji. Vyapar aur bhajan marg ko ek saath kaise chalaun? Chala sakte hain. Achhche se chala sakte hain. Yadi bhajan mein jaise dhan mein mahatva buddhi hai. Aisi yadi naam mein mahatum buddhi ho jae to aap vyapar chala sakte hain. Dekho sharir se sari sevae hoti hain. Agar aap man lo jis vishay ko kah rahe ho ki to tumhare yahan kitne log ate honge. 1000 500 hain. Yahan din bhar dekho bhid lagi rahti hai. Phir to hamara bhajan hi bekar ho jae.
nahi ho jae. Aise hi aae hue atithi ko bhagwan ka swaroop mano. Achhche se accha bankar pavao. Jo uski paisa hota hai paisa le lo. Naam jap karte raho. Yah bhagwat bhajan ho jaega. Aapka uddeshya hona chahiye ki itne rupon mein bhagwan pane ate hain. Andar se kahna nahi kisi se. Bahari vihaar to sansaar jaisa hi karna hai. Andar se rakhna hai. Achhche se accha pavitra bhojan banao. Uttam unko pavao. Jo tumhare paise lage hain jo tumhare paise seva mein chahiye utne jodkar unko bol do aur baka shesh samay Radha Radha Radha Radha jo naam aapko guru ne ji us naam ko jab hamen to lagta hai bahut anand hai bas usko kya hai ki aapne mahatva buddhi dhan ki kar li aur vyakti dekh rahe ho aur vyapar dhan ke liye kar rahe ho ab gadbad ho gaya agar aap use mane ki Vrindavan dham mein rahkar aae hue bahari jo bhi hain unki sukh suvida ke liye sevae aur wo aae hue prabhu hi hai hamare aur bhagwat bhav karke sabko
pavaie achhche se accha usse uchit arth lijiye aur naam jap kijiye to aap dekhoge yah prashn khatm ho jaega jab utho jab chetna ave man lo aap din bhar seva mein lage ho aram se so jaiye jab utho jab chetna ave naha dho ke bhagwat smaran karte hue apne vyapar mein jaiye use bhi bhajan man lijiye jab sham ke aap apna hotel ya jo bhi ho band karo to ek minute aise shant hokar pranam karo bhagwan ko he prabhu jo din bhar seva hui wah aapke charnon mein samarpit karte hain na iska phal yahi mile ki aapko main bhulun nahi
har samay aapko yad rakhun prabhu aap dekh lo aap kripa karke apne charnon se hamen laga hamara man kabhi aapse dur na jae har minute ko unko samarpit ho jaega ab kya hai ham log bilkul alag ho gaye bhajan ko ek alag samjh liya aur sansaar ko alag samjh liya to aap jitni der us kam mein lagte ho bhajan ka koi bhav hi nahi hai to phir chubhega to hai hi kyonki dham aae ho bhajan ke liye to accha nahi lagega. To isko sudhar kar lo. Accha ab Baba ji ho to chalo maang lo kha lo bhajan karo. Ab jab grihasth ho to arth chahiye na.
arth ke liye vyapar hai to vyapar karna hi hai to us vyapar ko bhajan bana lo. Aap dekho karke dekho to beech-beech mein naam bolo. Aaj ka satsang jo tha usmen kaha ki panch minute ka antar le lo. Panch minute mein ek bar bol do. Krishna bol do. Ek bar Radha bol do. Aapka bhajan ho jaega. Panch minute mein ek bar. Panch minute kafi samay hota hai. Ek bar bol diya Radha. Panch minute ke liye fursat phir kam mein lage phir 5 minute mein bol diya Radha aap karke dekho ek minute bhi nahi chhutega ek din aisa aa jaega par bhai abhyaas karna padega atmaseen ho jaata hai maharaj ji kabhi-kabhi ye lagta hai ki galat raste pe chal rahe hain lobh mein chal rahe hain aise ki to aap usko sweekar kiye ho na galat rasta isliye aapke man mein hai sadan kasai ji [nak se ki jane wali aawaz] mans bech rahe hain kyonki unke kul ka kam hai aur bhajan kar rahe to jante ho bade-bade sant wahan jaate hain unse satsang karne aur kam kya kar rahe hain?
mans bech rahe hain. To tumhare yahan to mans bhi nahi bik raha hai. To baat samjho. Agar wah apne karm ko karte hue bhajan kar rahe to wo bhi siddh ho rahe hain. Agar aap apne karm ko karte hue bhajan kar to aap kyon nahi aandit ho jae. Matlab aapka uddeshya theek nahi ho raha. Aapka bhav theek nahi ho raha. Isiliye karya to wahi ho rahe hain. Par bhav theek na hone ke karan aapko anubhuti nahi ho rahi. Anand nahi. Dekho shri mahmmahim rayda das ji chamde ka karya chaurahe par baithkar paduka gathte the. Ek pandit ji jaate the wo [gala saaf karne ki aawaz] kabhi apna jo unka nitya karya hota hai aredas ji aap kabhi to ganga nahane chalo to kahte hamare paas samay nahi ganga snaan karne ka.
are bole bhagat bante ho samay nahi ganga snaan ka. To suno ham to ja nahi pa rahe. Aap roz ganga snaan karne jaate ho. Do kela ham garib aadmi zyada to hamare paas hai nahi ganga ji ko de dena kah dena raidas ji ne diya hai pandit ji gaye nahaye [nak se ki jane wali aawaz] aur ganga ji se kaha ki do kelas ganga ji ka hath prakt hua aur kela hath mein liye bade ashcharyachkit ho gaye matlab ganga ji ne apna ek kangan utara swarn aur kahas ji ko de dena jake wo to ashcharyachkit ho gaye ki ham roz roz ganga naha rahe hain niyam se kabhi ganga ji hamse ye baat aur wo to kabhi ate hi nahi ganga aur dekho unko kuch to hai matlab kuch to andar hai ye chamatkar kaise socha ki dene ki zaroorat kya hai itna mahnga kangan hai chupchap apne pandita inko denge jake redas ji ko ab wo jis gali se chale to ghum ke wahi redas ji ke darwaze khade ho jae jis marg se chale wo wahi khade ho jae har [nak se ki jane wali aawaz] gaye unhone phir gaye redas ji ke paas room kha ganga ji ne ek kankan diya hai aapko.
bole jab hamne kela diya to ganga ji mein hath prakt ho gaya. Unhone apne kar kamal mein aapka kela aur yah kankan to samjh gaye the ki inke andar lobh aa gaya hai. To kaha dekho pandit ji hamko kankan ki zaroorat nahi. Tum hi wo kankar rakh lo. To ab unhone us kankar ko becha to achchhi dharashi mein mila. To ek nagar seth ne kharida. Ab wo kankar unki nagar seth ki patni ki mitrata thi rani se. Wo jab wahan gayi to kankar dekhkar lubhayaman ho gayi. Divya kankar unhone kaha yah kankar hamen de do. Jitna dhan chaho jitna tum de diya aur wo kankar le raja se kaha dusra hath ka kankar aise hi banwao.
ab wo divya kankar diya hua wahan unke kahan se prapt hua? Pata chala to kram se pata chala ki pandit ji ko ganga ji ne pandit ji se kaha dusra kankar ganga ji se lao. Ab wo pareshaan ho gaye kyonki unke power se thodi nikla tha. Redas ji ke paas gaye. Bole raja ka hukum hai aur raja ki badi vichitra gati hoti hai. Kaha do minute mein puraskar de do minute mein phansi mein chadha de isliye kank to kaha theek hai aise kathauta mein hath kiya dusra kankan nikal ke diya le jao to kaha pandit ji to pandit ji ne kaha ye to ganga ji ne diya to bole ye bhi ganga ji hai yahi aa gayi man changa to kathauti mein ganga naam jap kar rahe bhagwan ki seva kar rahe hain to jante ho usmen kya tha hath chamda dhote the usmen matlab baat samjh li hai aur usi se aise chamatkar bade-bade siddho ko usi pani se ek bar gorakhnath guru gorakhnath ji
gaye chamatkar ke usmen vishay mein prasiddh hai bade siddh yogi the to redas ji us samay bhav [nak se ki jane wali aawaz] mein baithe hue the to gaye to sant dekha pranam kiya guru gorakhnath ji se baat hui phir aise bhav mein aae aise chamde ko jal liya aur kaha lo aise khappar lama diya khappar mein dal diya ab socha ki ab hai to sant par yah hai to chamde ka pani isko kya piye Kabir das ji ke ghar gaye to wahan kamali ji thi to unhone kaha ek khappar mein pani phenk kar isko dho ke le aao bole kaisa pani
bole redas ji ne diya tatkaal wo pi gayi usko aur phir dho ke pi gayi phir usko khappar de diya ek din ye apna chamatkar dikha rahe the jahan unka byah hua tha kamali ji ka ki koi hamare khappar ko bhar de to koi us khappar mein kuntal dalon anaj dala gaya wo jo khappar bhar de usi ke yahan bhiksha paye gaye to sab pure nagar mein akar siddh yogi the gorakhnath ji kamali bar nikal ke aae aur unhone kaha ki aise ghunghat kyonki sasural thi aise char dane bhare aise dal do khapar to unka kaha ye siddhi kahan se prapt hui to unhone kaha ye usi chamde ke pani ki hai siddhi bole ek ek tumhare man ki bhi vritti ko main jaan rahi hoon itna chamatkar ab wo phir gaye aur redas ji se kaha bole ab chamde ka pali ab wo baat nahi hogi jo bhav mein samjho sare chamatkar bhagwan ke naam mein naam jap rahe ho aap apna kam kar rahe ho wo bhagwan ki puja ho gayi par hamare bhav nahi tikte na is baat mein ki hamari bhagwan ki ham samjhte hain ki bhagwan ki puja ek alag department aur sansaar ka kam ek alag department
to phir hamara bhajan nahi banega. Hamko bhagwan ki puja aur sansaar ke karya donon ko ek mein lana hoga. Tab phir ek ho jaoge to anand ka anubhav hone lagega. Chandni ji Delhi se Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Maharaj ji pardosh darshan karne se mana kiya jaata hai satsang mein. Par bahut bar kuch dekhne ya sunte hi sochne se pehle hi galat vichar ya dosh drishti ho jati hai. Maharaj ji bahut samjhane par bhi yah dosh drishti bani hi rahti hai. Maharaj ji kripya margdarshan karen.
kya karen maharaj ji? Ham kabhi shuddh sone ka abhushan nahi ban sakta. Usmen milavat karne par hi wah akar dharan karta hai. Dhyan rakhna jaise swarn hai na sidhe pure swarn ka usmen milavat hogi. Thodi milavat karne par hi wah akar dharan karta hai. Kundal, kankan yah sab usmen milavat aise jitne akar dharan kiye gaye hain, ismen teen gunon ki milavat hai. Shuddh brahm jaise swarn aur thodi milavat to anya dhatuon ke milne se rup uska hota hai. Aise hi shuddh brahm aur usi se prakt trignatmika maya uske milavat se nanaat dikhayee de raha hai.
ab ismen milavat to hai hi teen gunon ki tamogun raaksasi swabhav hinsa madira mans nind pramad ye sab rajogun bhog vilasita ichchha kam vaibhav ye sab satogun shant bhakti ye sab tino in tino gunon se jo atit ho jaata hai wo shuddh brahm ko prapt hota hai. Shuddh brahm prapt karne ke liye hamen dikhayee dete hue bhi hamko un dosho ko nahi dekhna hai kyonki unko dekhenge to unki satta hamen satya manani hogi jab aap swarn samarpit karte ho to payment swarn ka milta hai milavat ka nahi jitna milavat hoga wo kaat lega ki aapko dekho ye hai to har aapne bhale 10 lakh ka kharida ho par ab ham har nahi kharid rahe ham swarn kharid rahe hain usmen jitna sona ham bakaya us nikal ke tumhen de sakte utne ka paisa denge.
to jab ham khareedne jaate hain to milavat ke paisa unhen bechne ya kharid aise ham ab bhagwat prapti karne ja rahe hain. To ab kya jad chetan gun dosh mein vishv ki kartar sant hans gun gaye pe parihrivar vikar. Jaise doodh pani mila ke rakh do to hans keval doodh piega pani chhod dega. Aise hi tumhen bhagwat prapti agar karni hai to aapko dusron ke dosho ki na charcha karni hai na dusron ke dosh dekhne satya vastu to hai hi na sab jagah sab jagah satya vastu to usi satya vastu ko dekhiye ki ye teen gunon ka maya ka vilas hai kahin raaksasi leela ho rahi kahin rajsi leela ho rahi kahin satvic leela ho rahi par leela jisse ho rahi hai wo shuddh satva hai wo tatv hai hamen usi ki prapti karni hai to agar idhar dosh dekhti rahogi to dosho ka hi chintan hone ke karan dosh ki hi prapti hogi.
bhagwat chintan karoge to bhagwat prapti hogi. Isliye mana kiya jaata hai ki tumhen dosho se nivraat hona hai. Bhagwat prapti karni hai to naam jap karo aur dosh dikhayee de rahe hain to ham bhi kah rahe hain milavat hai. Tabhi ye nana to bana hai. Milavat ke bina ban nahi sakta. To hamko asli chij leni hai ya milavat leni hai. Milavat lete lete to janmajanma vyatit ho gaye. Aur ye hota hi rahega. Ise tum band nahi kar sakte. Tum apne dimaag ko isse hata sakte ho. Sansaar mein kya ho raha hai? Ab ham Radha Radha Radha jap rahe to ham Radha mein hain.
aur hamare pdos mein koi mans kha raha hai. Koi kuch kar raha hai, koi ladai jhagda kar raha hai. Ye to kar ab ham soche ham Radha Radha le to bharat mein band sab Radha bole to tumhara bhi band ho jaega. Kyonki sab kar hi nahi sakte. Sabka ek apna swabhav apna mind apna maya ka khel sab chal aapko sudhna hai sabko nahi sudhna hai yah jo lag gaye na ki ham sabko sudhar denge wo khud bah jaate hain sudhar le dekho bhagwan bhi avatar liye sab sudhre kya bhagwan swayam avatar liye bhagwan ne kaha ki hamara avatar hi hota hai dharm ki sthaapna karne ke liye duston ka vinash karne ke liye par aisa to nahi hua ki bhagwan ke avatar ke baad dusht hue hi nahi hai.
wah srishti hai. Teen gunon se rachi hai. Thodi der ke liye hai. Thodi der ke liye jis samay bhagwan virajman samne jo hai wah sab theek ho jaega. Lekin iske baad iske baad phir wahi hua. Phir wahi shuru to bhagwan phir avatar liye agle yug mein. To nasht to nahi ho gaya ki ye dayand ho gaya. Khatm. Ab nahi hoga. Koi Rakshash nahi paida hoga. Koi dusht nahi paida. Aisa to nahi hua na? Kyonki teen gunon se rachit hai. Wo apni srishti hogi. Ek tamoguni, ek rajoguni, ek satoguni. Hamko kya karna hai?
hamko yah sab vinash kar dena hai. Kahan se? Apne andar se. Srishti ka lay pura nanatwa ka lay keval ek bhagwan. Ab sansaar nahi ab bhagwan. Uma kahun main ab anubhav apna sat hari bhajan jagat sab sapna. To sapne ki baat ko ham satya mankar yadi gaenge, dekhenge, varnan karenge to hamara jeevan bhi swapnik hi ho jaega. Isliye hamen lagta hai ham yah nahi kah rahe ki sab nirdosh hain. Ham yah nahi kah rahe hain. Hai maya ke khel hain. Teen prakaar ke hain. Aap kis khel mein khelnaa chahte hain? Agar aap usi khel mein jaate hain to prashn ka koi astitva hi nahi raha.
agar aap us khel mein nahi jaate to hamen nahi dekhna. Bazar mein lagi hai sab. Kahin bakra kat ke bech raha hai. Kahin murga kat ke bech raha hai. Aapko aloo le li to sidhe aloo mandi mein jao. Ab aap ye thodi kah sakte ho ki yahan se ham tabhi nikelnge. Jab ye sab dukanen band ho jae kyonki ye sab mujhe nahi chahiye. To aapko kya kaha jaega? Pagal aadmi hai. Nahi kaha jaega. Haan uski dukan hai. Wo apna beche tumhen kya khareedna hai? Bole hamen shri ji ke liye itr to yahan khade ke ho sidhe jao la itr ki dukan mein itr lo apna kam karo.
yah srishti baja raha hai. Koi kuch kar raha hai, koi kuch kar raha hai. Bhagwan jane kaun kya kar raha hai. Hamen kya kar raha hai. Hamen bhagwan ka marg hai to hamen naam japna hai. Ye kah de ki sansaar mein dosh hi nahi to aisa nahi hai. Iski rachna hi dosh aur gunon se hai. Donon se milkar ke iski rachna hai. Kisi mein keval gun hi gun nahi hai. Kisi mein keval dosh hi dosh nahi. Mahapapi mein bhi koi gun hai aur mahan mahatma mein punyatma mein bhi maya janit koi na koi aisa leela bani kyonki iski rachna hi aisi hui hai.
iski rachna hi aisi beech satsang mein to kabhi-kabhi Vivekanand ji kahte hain ki auron ki to baat ye jo shraddhaalu log hain inke man mein aisa aa sakta hai ki aisa to kahte beta jis din na mange to jaan lena sharir chhut jaega kyonki rajogun se sharir chalta hai. Agar shuddh satvic bhav ka avesh aae ki chhut jaega. Ye ruka hi rajogun se hai. Haan. Kabhi kahte pakoda lao. Waise to bade-bade siddho mein aise kuch dekhe jaate hain baten to wo keval sharir ko rakh rahe hain kyonki usi dharm se tike gaye. Iski rachna hi hai.
to isliye hamen chahiye ki hamen apna marg chayan karna hai. Aap sansaar ke sudhar ke liye avatar nahi liye. Aapko jimmedari nahi di gayi. Sansaar aapko apna sudhar karna hai. To aapka marg yah hai. Udhar mat dekho. Udhar dekhoge samay nasht hoga. Aapka vichar dushit hoga. Aapka marg ruk jaega. Baat yah hai ki kahin bhi hamen dosh nahi dekhna. Uska matlab hamari dosh drishti khatm ho. Dosh to hai bazar laga hai. Kya khareedna hai tumhen? Hamko aur kuch nahi khareedna kyonki ham pareshaan ho jaenge aur sab dekh ke hamen sidhe jo khareedna wahi jaenge.
aap nazar nichi karo. Wahan pahunch jao. Wahan se saman lo chale jao. Aise chala jaata hai sansaar mein. Ye sab kuch hai. Aap kya dekhoge? Bhakton ka prem dekhoge. Majeera baja ke ga rahe hain. Aur wo udhar gali dekar to aapko dekhna kya kya dekh le aae ho? Wo dekh raha hai to phir wahi dekho. Yah dekh raha hai to yah dekho. Dikhega wo sab kuch. Tumhen kya dekhna hai? Bole hamen aur kuch nahi dekhna. Ab to netr Priya pritam ko dekh to chalo band karo idhar dekhna. Isliye kaha jaata hai dosh darshan band karo. Kyonki jahan aap dosh dekh rahe ho wahan hai.
wo hai. Aisa nahi kah sakte ki wahan wo nahi hai. Wo hai jise tum dekh nahi pa rahe. Jise tum dekhna chahte ho. To jo tumhen dikhayee de raha hai use kato. Wo hamne nahi dekhna. Hamen wo dekhna hai jo sab mein wo hai. Wo sab mein hai. Papi mein bhi hai. Mahatma mein bhi hai. Gau mein bhi hai. Sab mein wo virajman hai. Bhagwan ne gita ji mein nahi kaha. Vidya vinay sampann brahmin gasta supakecha pandita sab mein hamko wahi dekhna hai. Ye thodi dekhna hai. Ye to chal hi raha hai. Ye to jab se srishti rachi gayi chal hi raha hai.
koi rok nahi paya. Koi nahi. Mahapurush avtrit hote hain. Kuch kal ke liye bhakti ka ekdam utsah vardhan hota hai. Phir ant dhyan ho gaye. Phir wahi shuru ho jaata hai. Phir koi mahapurush avtrit hota hai. Phir ye chalta rahta hai. Ye banta bigdta parivartnshil hai. Ek ras ye kabhi rah nahi sakta. Mujhe lagta hai ki apne ko sudhara jae. Hamara dosh darshan ham hi ko rok dega. Hamen prabhu ke darshan karne dosh darshan nahi.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…
- ekantik vartalaap evam darshan #1398 — ajay Mishra ji Pune maharashtra se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev main sabhi devtaon ki puja karta hoon parantu meri shri Ram ji mein shraddha hai. Main shri Ram ji ke prati eknishtha…