॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Shrimad bhagwat katha(bhag-9)/brahma ji ko chaturshloki bhagwat ji ka updesh/bhagwat ji ke 10 lakshan ka varnan

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh shri Harivansh vrinda Vaneshwar tav va padarvindm prema mrtak makrand ras purnam hadar pitam madhupati smar tap magramas ma Shyam param shital ashraya chalte hain Shrimad bhagwat mahapuran bhagwan shri Sukhdev ji virajman hai bahut se divya mahapurush parikshit ji ko ghere hue hain parikshit ji ko sangi rishi ka shaap hai sat din mein bhayanak tasar payega aur apne vish ki agni mein tumhen bhasm kar dega dekho jo bhagwan ka bhakt hota hai kaisi bhi bigad jae paristhiti uska bal banka nahi hota jaise Duryodhan ne sakuni ke kapt bhare pase se maharaj yudhishthir ko parajay karke 12 varsh ka vanvas ek varsh ka gyaat vas lekin us samay bharat ke divya Maharshi brahm rishi yah sab yudhishthir ji ke saath the jab dharmatma purush kabhi sankat mein hota hai to mahatma jan unka saath dete hain aaj parikshit ko shastron divya mahatma ghere hue hain aur Paramhans avdhut shiromani shri Sukhdev ji maharaj uchcha asan par virajman hai parikshit ji ne prashn kiya bhagwan ved mein aap shreshth hai

main janna chahta hoon ki jab brahma ji ne kal prasang tha devra sh narad ji ne prashn kiya tha ki aapse bhi badhkar koi paramatma hai kya jo aap dhyan karte hain tap karte hain jap karte hain aur is srishti ka adhar kya hai yah srishti kaise bani ham tatv se janna chahte to kal aapne suna devrshi narad ji kin-kin baton ko brahma ji se pucha kaise brahma ji ko bhagwan ka darshan hua kaise brahma ji ko gyan hua yah main sunna chahta hoon he Paramhans shiromani Sukhdev ji aap mujhe aisa updesh kijiye ki main apne asakti rahit man ko sarwatmak mein tanmay kar ke y apna nashvan sharir chhod du jo log bhagwan ki lilaon ka shraddha ke saath roz shravan karte hain aur gayan karte hain pahli baat unke andar ku bhav bhi aa jae to narak nahi jaenge jo roz bhagwan ki leela katha sunte hain thode hi samay mein unka ku bhav nasht ho jaega aur unke hriday mein bhagwan apni bhakti prakashit kar denge bhagwan shri Krishna ki jab koi katha sunta hai to pravesht karan randhe swa naam bhav saroruh aha dhuno samal krishna salil

sya yatha sarat jab koi kano mein bhagwan ki charcha sunata hai dhyan purvak ham use sunte hain to thode hi dino mein Karna chhidron se bhagwan katha shabdon ke antargat baithkar hamare hriday mein pahunch jaate hain aur bhagwan prakashit ho jaate hain hi bhagwan prakashit hue to jaise shrad ritu ane par jal ka gandlapenta vasnik ekdam nirmal ho jaata hai katha sunne matra se bhagwan pravishta karan randhan swa naam bhav saroruh uske hriday mein bhav prakt kar dete hain kan randh se swayam bhagwan hriday mein jakar prakashit ho jaate hain dhauta atma purush Krishna pad mulam namanti mukt sarv parle paan swa sharanam tha jab bhagwan hriday mein pravesh kar jaate hain man nirmal ho jaata hai tab uski aisi dasha ho jati hai va kshan kshan mein rota hai kshan kshan mein aandit hokar nachta hai kshan kshan mein hriday se gata hai badi adbhut dasha ho jati hai wah phir ek kshan ke liye bhi kabhi bhagwan ka vismaran nahi kar sakta us samasth klesh se chhutkar aise vishram ko prapt hota hai jaise pardesh gaya hua aadmi ghar ane par vishram

prapt karta hai hamara ghar kya hai Vrindavan ghar wale kaun hai Priya pritam sachar ham bhul se maya ke bhram mein phaskar sharir aur sharir sambandhi mein apna moh kar liye yahi hamari durgati ka karan hai sabki mamta tag batori mam pad man bandh bar dori hamko bhi yah jeevan mein karna hai ki ekmatra mamta Priya pritam ke charnon mein bhagwan waise to jeev ka is panch bhuti sharir se koi sambandh nahi hai jaise vastr waise hai yah par agyaan ke karan ham ise main aur mera man liye kaise jeev maya mein aasakt ho jaata hai ye kya hai bhagwan ki maya parikshit ji kah yadyapi jeev ka is panchbhut sharir se koi sambandh nahi phir bhi va main mera man yah kya hai maya yah kya baat hai prabhu ki jo jeev hai wah paramatma swaroop hai nirvikaar phir bhi wah vikar ko prapt ho raha hai uska panch bhauton se koi sambandh nahi phir bhi panch bhauton mein main mera ki hue prabhu aapne pehle bataya ki virat bhagwan se hi loko ki rachna hui aur lok palo ki rachna hui ab ham aapse prashn karte hain ki mahakalpa aur unke antargat

avantar kalp kitne hain bhut bhavishya vartman kal ka anuman kaise kiya jaata hai kya sthul deha bhimani jeev ki ayu bhi nischit hoti hai ya ghatai badhai ja sakti hai yah jo deha amani jeev kya iski ayu nischit hai isko ghataya badhaya ja sakta hai kya anusthan ke dwara jise Mrityunjay mahamrityunjay aadi he brahm rishi kal ki sukshm gati hai to uska main varnan sunna chahta hoon samay ka truti se lekar ke parartha tak prabhu main janna chahta hoon ki jeev kis karm se kaun si gati ko prapt hota hai ye devta manushya aadi yoni yaan teen gunon ke phal swaroop prapt hote hai satogun rajogun tamogun to kaun sa karm karne par jeev ko devta banna parta hai kaun sa karm karne par Rakshash banna parta hai kaun-kaun si yoniyon mein ja yah aap divya drishti sampann mahapurush main janna chahta hoon prithvi patal disha akash grah nakshatra parvat nadi samudra dweep yah sab bhagwan virat ke sharir se prakt hue aapne piche suna to bhagwan is brahmand ka bhitar aur bahar ka pariman kya hai nap

kya hai kitna bada hai brahmand bahar se kitna hai bhitar se kitna hai main mahapurushon ke charit sunna chahta hoon yugo ke bhed janna chahta hoon yugo mein kaun kaun sa dharm hota hai kaun se yug mein kaise prani hote hain unka swabhav kaisa hota hai yah main janna chahta hoon tatv ki sankhya kitni hai tatv ka swaroop kya hai aur tatv ka lakshan kya hai bhagwan ki aradhna kitne prakaar se ki ja sakti hai jo Yogeshwar hai unki kya gatiyaan hoti hain prabhu pralya ke samay jeev kahan chala jaata hai phir iski utpatti kaise hoti hai pakhand kise kahte hain kaise jana jae ki ismen pakhand hai uski utpatti kaise hoti hai atma ka swaroop kya hai atma kaise bandhan ko prapt hoti hai aur atma ka moksh kaise hota hai atma ka swaroop kya hai uska bandhan kya hai uska moksh kya hai bhagwan to param swatantr hai apni maya se va kis prakaar kada karke partantra jeev ke rup mein bandh jaate hain bahut dhyan se sunoge to bhram khatm ho jaega bhagwan param swatantr hai wah apni maya ko sweekar

karke kis tarah se partantra jeev ke rup mein ho jaate hain bhagwan main aapka sharanagat hoon main aapko barbar pranam karta hoon aap meri bhookh pyas ki chinta na karen mere pran aise nikalne wale nahi ab to keval brahm rishi ke saap se hi nikelnge takshak ke katne par main aapke shri mukharvind se bhagwan ki amritam leela katha pan kar raha hoon na mujhe thakan ho rahi hai na nind aa rahi na bhookh na pyas son kaad rishiyon jab raja parikshit ne santo ki sabha mein bhagwan ki leela katha sunane ke liye is prakaar prarthna ki tab bhagwan Sukhdev ji bade prasann hue aur bhagwan shri Sukhdev ji ne kaha parikshit jaise swapna mein dekhe jane wale padartho ke saath swapna dekhne wale ka koi sambandh nahi tha na hai na rahega sab jhutha swapna theek aise hi jagrit avastha mein yah deh de ke sambandhi bhog aur deh ke rishte nate na the na rahenge aur na hai vartman mein keval agyaan ke karan jaise swapna dekhta hua purush accha ya bura dukh ya sukh ka anubhav karta hai jagah to kuch nahi aise hi jab gyan hoga to ye

sab kuch nahi hai anubhav swaroop atma maya ke bina drishya padartho ko kaise dekh sakti hai yah maya ka swaroop hua main apne swaroop ko bhulkar deh bhav se aur y sab rishte nate bhog aadi mein fas gaya yah main hoon yah mera hai va aisa manne laga jab ye gunon se shabdha hokar moh utpann karne wali maya ke adhin ho gaya aur moh se yukt hokar maya mein raman karne laga tab wah atma main aur mera mein fas kar ke durgati ko prapt ho gaya yadyapi avinashi amal chaitanya ghan anand swaroop wah kaun tatvam se twam as tum hi ho wah kahke sambodhan kiya ja raha hai wo ta tat mane wah jise tum twam as tum hi ho tatv masi tum apne ko bhul gaye ho aur deh bhav mein aa gaye ho bhagwan brahma ji jab prakt hue unko bhi gyan nahi tha aadi guru tino lon ke jab kamal par baithe to koi gyan unke andar nahi tha bilkul dhyan se suno na srishti prakt karne ka na main na tu koi gyan nahi tab unhone gyan drishti prapt kar main kaun hoon ye kamal kaun hai mera uddeshya kya hai mera kartavya kya hai is

prakaar unke andar chintan prarambh hua ye gyan ki pratham bhumika hai jab prashn uday hota hai main kaun hoon mera kartavya kya hai yah jagat kya hai yah sambandh kya hai yahi se marg nikalta hai yahi se bhagwat marg prakt hota hai mera kaun hai mera uddeshya kya hai mere jitne kahane wale to sab maran dharma hai phir mera kaun hai kis liye aaya hoon mrityu lok mein ye jab kisi ki paramarth yatra prarambh hoti to inheen prashan se hoti hai brahma ji ke andar yah prashn utpann hue usi samay mahan samudra se ek awaz ai vyanjan ka sava akshar aur 21van akshar ta pa ta pa teen bar tap karo tap karo tap karo brahma ji ne vakta ko charon or dekhne ke liye aise kiya to char mukh ho gaye kahan se awaz ai par awaz ai par awaz kisse ai yah nahi jaan paye par unhone kaha ki mujhe agyaa hui hai ki tap karo isliye main apne man ko tapasya mein lagata hoon brahma ji tribhuvan ke sabse bade tapasvi hain pratham tap ghor tapasya ki 1000 divya varsh paryant chitt ko ekaagr karke prannon ko rok karke

man ko sanyam mein karke karmendra gnyanedryo ko was mein karke aisi tapasya ki ki amogh gyan prakt ho gaya 1000 divya varsh tak man ko ekaagr prannon ko rok liya chi ko ekaagr karmendra aur gnyanedryo ko vash mein karke 1000 divya varsh tak tapasya ki unke andar amok gyan prakt ho gaya sab log apne mein dikhayee dene lage bhagwan prasann hue tapasya se to brahma ji ki drishti mein dikhayee dene laga bhagwan ka divya dham tasmai sva lokam bhagwan sabhaji sandar saya mas param nayat param bhagwan

ka swadha brahma ji ke divya netron ke samne prakashit hua isse pare koi lok nahi bhagwan ke dham mein na klesh hai na moh hai na mrityu hai na bhay hai na kisi bhi tarah ka dukh hai dukh naam ki chij nahi ek bar jise bhagwan ke dham ka darshan ho jaata hai wah itna mahan ho jaata hai ki devta bhi uski bar-bar stuti karte hain sura surarchita bhagwan ke dham mein na rajogun hai na tamogun hai na mila hua satogun hai na kal ka pravesh hai na maya hi kadam rakh sakti phir maya ke bal bachchhe kam karodh de to pravesh kaise kar sakte hain dekha bhagwan brahma ji ne ki divya parsado se surakshit hai bhagwan ka dham bade-bade rishi muni devta sab namaskaar kar rahe hain dham ki taraf sir jhuka rahe hain ab dham ke andar drishti pravesh ki to dekha ujjwal abha se mahan tejo mein Shyam sharir sat dal kamal ke saman komal netr pile rang ka divya bijli jaisa Pitambar ang ang se raas raas saundarya bikhar raha hai komalta saundarya mano murtiman hokar virajman ho aur aise hi bhagwan ke sab parsad hai jaise

bhagwan ka swaroop aise bhagwan ke parsad sabki charchar bhujaye mahan tejasvi divya astr liye hue bhagwan ke parsad sab divya mani mein suvarna prabha mein abhushan dharan kiye hue tejon mein dham ki bhumi chavi adbhut kahin munge ki kahin vaidurya mani ki kahin kamal ke saman kahin ujjwal sphatik mani ke saman aisi bhumi dham ki sabke kano mein kundal mastak par mukut kanth mein divya malaen jaise akash bijli se chamak uthta hai aise brahma ji ke netr bade tejomay ho gaye bhagwan ke vaikunth dham ka darshan vaikunth dham ke parsado ka darshan ab dekha ki mahalakshmi sundar rup dharan kiye hue apni dasiya ke saath vibhutiyon ke saath bhagwan ke charan chap rahe hain bhagwan ki madhur madhur lilaon ka gayan karte hue bhagwan ke charan chap rahe hain lakshmi ji unmat ho rahe hain bhagwan ke charnon ke sparsh se aur saundarya se brahma ji ne dekha ki divya lok Baikunth dham mein bhakton ke rakshak mahalakshmi pati yagya pati vishwapti bhagwan virajman hai aur bhagwan ke ekdam nazdik jo parsad hai wah sunand nand prabal aur

arhan aadi yah bhagwan ke saman balshali vaibhav yah mukhya mukhya parsad gan bhagwan ki seva kar koi chamar dala raha hai koi wajan dala raha hai koi chhattar liye wah sab bhagwan ke mukh kamal ki taraf ek tak chitra vriti se dekhte rahte kya adesh ho kya ishara tatkaal seva ho ankhon mein lal lal doriyan badi mohak madhur chitvan aisa lagta hai ki prabhu apne premi bhakto ko apna sarvasv bhi dan de denge shir par mukut kano mein kundal kadhe mein Pitambar vaksha sthal mein sunahri rekha sundar char bhujaye aur bhagwan bahumulya asan par virajman hai bhagwan ke paas purush prakriti maha tatv ahankaar man da indriyan shabda di panch tan matraen panch mahabhut ye 25 shaktiya murtiman hokar hath jode khadi hai usi man se sampurn srishti ka man banta hai unhin 10 indriyon se sampurn srishti ko indri milti hai yah murtiman vaikunth mein bhagwan ke samne hath jodkar khade purush prakriti maha tatv ahankaar man 10 indri panch shabd tan matrae shabd sparsh rup ras gam aur panch mahabhut yah 25 shaktiya murtiman

hokar bhagwan vaikunthnath ke paas aaspas hath jode khadi hai samgr aishwarya samgr dharm kirti shri gyan vairagya ye chhah nitya siddh rup dharan ke hue bhagwan ke samne hath jode gyan vairagya kirti shri dharm ishwar yah sab murtiman hokar sarveshwar bhagwan anandmay swaroop mein chhake hue virajman hai brahma ji ne jahi darshan kiya to rona aa gaya hriday labalab anand se bhar gaya ankhon se asar chalne lage sharir pulak ho gaya netron se premas dhara bahne lagi brahma ji ne bhagwan ke un charan kamlo

mein jo Paramhans ki nivitti marg se prapt ho sakte hain sir jhukakar pranam kiya brahma ji pyare apne aradhya dev bhagwan vaikunthnath ke prem mein itne anand nimgn hai ki ab kuch hosh hi nahi hai vichar karke dekho ki shiv Shri pati adya palal chahi man pravesh tin ho ko nahi yahan vaikunth nath ke darshan se halat brahma ji ki ho rahi hai aur shiv Shri pati vaikunthnath yadyapi lal chahe jahan gal baya diye hamare Priya pritam Vrindavan nau nivat nikunj mein wahan kya dasha hoti hogi premi ki brahma ji ki dasha hai koi shuddh nahi ankhon se adhara bah rahi hriday an se labalab bhar gaya yah keval dhyan hi nahi hai y sakshatkar hai bhagwan bahut prasann mudra mein brahma ji ka hath pakda y keval dhyan nahi hath pakda aur mand muskan se alankrit vani mein kaha brahma dekho meri agyaa ka palan karne ke karan tumhare hriday mein samasth gyan uday ho chuka hai bhagwan ki agyaa palan tap bas lag gaye tapasya mein tumne gyan prapti ke liye tap kiya to srishti rachna ki puri samarth aur

pura gyan tumko prapt ho chuka hai tumne hamari agyaa mani aur hamen dekha nahi aur hamari agyaa man li isliye main bahut prasann hua apne kalyugi bhakton par bhagwan bahut prasann hai kyonki itne bhari vighna mein itne bhari adharm ka hahkar macha hua hai aur hamne bhagwan ko dekha nahi koi prichay batane wala nahi aur keval unka bharosa vishwas karke jeevan samarpit kar diya aur chal diye to bhagwan is baat se bik jaate hain brahma ji se kya kah rahe tumne mujhe dekha nahi tha par meri agyaa palan ki isliye main bahut prasann hua aur apna sampurn vaibhav tumhen dikha raha hoon dham ka aur sampurn srishti prakt karne ki samarth aur athah agadh gyan tumhare andar prakashit ho chuka hai khas baat pakdo bhagwan ko bina dekhe bhagwan ke liye sarvasv samarpit kar rahe ho wo dekh rahe hain ek ek second ka hisaab hoga vyarth nahi jaega tumhara samarpan dekh lena jo log man mein kapt rakhkar dikhave ke liye yog sadhna aadi ka main unse kabhi prasann nahi hota tumhara kalyan ho ab jo

tumhari abhilasha ho mujhse vardan mango kyonki main muh mangi vastu dene mein samarth hoon brahma ji jeev ke samasth kalyankari sa sadhno ka vishram mera darshan pana hai jaise tum pa rahe ho yah darshan aisa nahi hota ki bhav mein keval ho raha hai bhagwan ka sparsh bhagwan ne hath pakda brahma ji ka bhakt jan sparsh karte bhakt jan gale lagte hain tumhari jo ichchha thi sane jal mein ki kiski vani thi wah meri thi maine kaha tha tumne agyaa ka palan kiya isliye mere divya lok ka tumhen darshan hua jo bada hi durlabh hai tapasya mera hi swaroop hai tapasya se dural shakti hriday mein jagrit ho jati hai brahma ji ne kaha bhagwan aap samasth praniyon ke antahkaran mein sakshi rup se virajman rahte hain bhagwan kahan rahte hain sabke antahkaran mein virajman hai sabke jahan man buddhi chitt ahankaar hai wahin virajman hai chitt mein bhagwan virajman chitt mein bhagwan Vasudev ka sthan hai he bhagwan aap sabke antahkaran batao itne nazdik hain aur phir bhi durlabh hai unka darshan kyonki ham

bahirmukhi vritti diye hain yah gyan aapse hi hamen prapt hua ki maine antahkaran mein aapka sakshat kiya nath aapne kaha ki vardan mango to main aapki kripa se aapke nirgun rup aur sagun rup donon ka gyan to pehle hi prapt kar chuka hoon Swami aapki agyaa kabhi vyarth nahi hoti yah jagat ki utpatti palan sanghar ye aapki ek krida hai main marm janna chahta hoon ki aap kaise jagat ko prakt karte kaise palan karte hain aur kaise iska vinash karte hain jab aap natak mein dekhte ho nat kalakar jadugar apne ko kai hisson mein kaata hai to aap taliya bajaate ho ki rote ho baith ke jab apne wo jan ko kaata hai kapda dal diya ganv mein dekha hai aple hamne to dekha tha bachpan mein aise ek aadmi ko lita diya aur kapda dal diya aur aise aise karke paan chha tukde kar diye alag-alag sab taliya baja rahe hain kyonki sabko pata hai sahi nahi hai yah uske mantr ka jadu hai jo hamari ankhon mein jo chahta va dikta hai aise kiya rupaye ki gaddi itna bada samarth shali hota to do do rupaye mangte

thodi ghumta ye aankh bandh kar ke ek chhota jadugar hamare samne bhram paida kar sakta hai ki jadugron ke bap hai bhagwan indrajal kitna bada apne aap se apne aap mein apne aap ka srijan karta hai apne aap ka palan karta hai jo is rahasya ko jante hain unko to brahma ji kahte hain main rahasya janna chahta hoon bhagwan aapki agyaa hai ki main sajag hokar srishti rachna karun aur rachna ke abhiman mein banu to prabhu aisa kaise ho sakta hai karta bhav aa hi sakta hai nath aapne vardan mangne ki baat kahi to mujhe wah gyan dijiye jisse main srishti rachu aur uske karta bhav mein na aa kabhi abhiman na ho jae savdhani purvak keval aapki agyaa ka palan karun bahut sundar bhagwan ne gyan diya hai agar samjh jaoge to aap bhi nihal ho jaoge bahut bada nahi hai char shlok mein jan diya hai ab use pakar lena bhagwan kah rahe gyanam param guh mein yad vigyan samanwit sa rahasyam tadam cha gahan gadat maya brahma ji tum mere bhakt ho meri agyaa ka palan karte ho isliye main atyant gopni apne swaroop ka gyan mein tumhen de

raha hoon tum ise grahan karo yah gyan bada gopneey hai meri kripa se hi keval gyan hota hai padhne likhne se nahi hota kisi sadhna se nahi hota meri kripa se hota hai ab jo gyan de rahe hain use sun lo ise baitha lena guru kripa se bachpan mein bachpan mein jab chale the usi samay ye baat baith gayi thi dimaag mein to uski shuruaat jaise bachchha the usi bhav se hui thi kutte ko dekhte to ismen bhagwan hai kutta bhagwan kaise ho sakta hai yar upar ka khol kutta hai andar to bhagwan hai na ismen aise shuru kiye the nazdik aayega to danda to marenege to dande mein bhi to bhagwan hai bahut ladai ladni padi thi ab us samay uttam gyan to tha par uski shuruaat bada us shuruaat mein hi bada anand prarambh hone laga tha brahma ji ko bhagwan kah ahwa same vagra nanya diyat sad sat param pashcha dah yad ta yav sat so mah teertham yat pratit na pratit chaat mani dat vidya dat mano mayam yatha bhaso yatha tam yatha mah bhutani bhute sucha vache swan pravishta pravishta tatha te sunte suv taav dev jigyas tatv jigyas natma

anwat reka byaam yyaa sarvatra sarvda tan matam sama parme samadhi na bhavan kalp vikalp shu nav hati kar chit bhav suno brahma ji jab tum bhi paida nahi hue the to keval main hi tha srishti ke purv mein keval main hi main main mein kuch nahi juda tha keval main mere na sthul tha na sukshm tha na karan tha na agyaan tha na maya kuch nahi main hi main jab srishti nahi rahegi main hi main jab srishti nahi thi purv mein to main hi main aur jab srishti hai nahi rahegi to main hi main to beech mein jo kuch pratit ho raha hai va main hi main dusra kuch nahi mata par taram nanya kinch dasti Dhananjay he Dhananjay mere siva kuch nahi main hi main hoon bas isi ka anubhav karna hai bada anand prarambh mein hi bada anand bhagwan hi bhagwan sab mein bar bar anubhav kar sab mein bhagwan jo srishta ke baad kuch bachega wo main brahma vastav mein na hone par bhi jo kuch yah dikhayee de raha hai na ye netr dosh hai jaise netr dosh ho jae to do chandrama dikhayee dene lagenge hai to ek hi par netr kharab hai to do dikhayee de ra jo

dvait bhas raha hai mere mein maya main morat tor ye keval agyaan mujh paramatma mein do chandrama ki tarah yah jagat mithya hai jo dvait dikhayee de raha hai main hi main keval bhagwan hai main sab mein virajman hoon par meri maya ke karan main nahi dikhayee deta aur sab kuch dikhayee deta hai jaise praniyon ke panchbhut rati chhote bade shariron mein mein akash aadi panch mahabhut un shariron ke karya rup nirmit hone ke karan pravesh bhi karte aur pehle se un sthano mein un rupon mein vidyman to pravesh bhi nahi karte aise hi ham praniyon ke sharir ki drishti mein unmein atma ke rup mein pravesh kiye hue hain aur atma drishti se ham kahin pravesh bhi nahi kiye hue hain yah sharir mein jaise panch bhauton se bana hai ab kaha jae mein panchbhut pravesh nahi karte to pravesh kya karenge wah panch bhut se bana hua hai to bole is jagat mein bhagwan pravesh nahi karte pravesh kya karte bhagwan hi bane hue hain jagat baat ko samjho pravishta pravishta tatha tes nate swaham ve mere mein nahi main unmein nahi hoon kyon kyonki

main hi main hoon do nahi hai ve aur main nahi keval main hi main hoon yahi samjhna hai bhagwan ka yatha mah bhutani bhute sucha vache swan pravishta pravishta tatha tete kah rahe wo mere mein nahi aur main unmein nahi hoon kyonki unmein aur mere mein yah do shabd nahi hai keval main hi main hoon pehle bata chuke main hi main hoon to main mein kya pravesh karen jal jab barf rup hua to usmen jal hi jal hai aur kuch nahi hai to bhagwan jab jagat rup bale to keval bhagwan hi bhagwan hai kuch nahi hai wahi hai wahi trigun hai

wahi panchbhut hai wahi da indri hai wahi chatur antahkaran hai wahi sab kuch bane hue hain ho gaya gyan isi se jeevan mukt ho jaata hai yah anubhav ki baat hai ye anubhav mein pura jeevan lagta hai pura jeevan bhagwan hi bhagwan bhagwan mukt ho gaye kuch nahi hai keval bhagwan ek bhagwan anek rupon mein anek ko ek mein samet le wahi sadhna bhagwan ne kya kiya ek ko ham bahu shyama ek se bahut rupon mein ho jae tumhen kya karna hai bahut rupon ko ek mein samet do bas sawal hal jeevan mukt paramdhaam pahunch gaye isse pind nahi chhut raha yahi bahut bada rog hai sharir ra brahma ji samjh paye mere atirikt kuch nahi hai bade leela bihari sab rupon mein bhagwan hai par aise aise unke rup hai ki manna hi nahi par bhagwan kaise ho sakte hain nahi wahi sab hai yahi jaan gaya su mahatma sa mahatma su durlabh vasudeva saramti sa mahatma su durlabh ye bhagwan nahi hai bhagwan nahi hai yah nishedh paddhti do prakaar se jana jaata hai vyatirek aur anvay anvay vyatireka byaam yyaa sarvatra sarvda pehle kya karen ki nahi

mein ave ye nahi nahi parivaar maya moh rupya paisa ye sab maya moh bhagwan ka hatte hatte jab bhagwan mein chittritti tanmay hui phir sarvam lamdam brahm siddhant chalta hai brahm satyam ye jagan mithya yah jhutha hai yah satya nahi hai satya par sawal hal karna hai brahm satyam jagan mithya aur jab satya chintan mein pahunche to bole sarvam khal vidamte badhkar koi gyan nahi hai bhagwan purnata sachchi maniye badi purnata hai ganga ki reti mein Padmasan laga kar ke jab yahi baat ka chintan hota na romach hota kai kai ghante shant ganga ekdam brahm swaroop hai brahm drav kaha hi gaya hai ganga ji ko bahut vishuddh gyan ki prapti ganga ji ganga ji se paramshakti ganga ji ka kinara chhodkar hamko kahin koi tirth jana ya kahin koi kuch accha nahi lagta tha bas jeevan mein agar hamare kahin kuch tirth sthan hue to sab ganga ji ke kinare Chitrakoot isliye gaye kyonki Vrindavan wahin se kashi se Chitrakoot Chitrakoot se Vrindavan nahi kahin aur nahi kahin nahi gaye vishv mein bas wahi ganga ka kinara bas yahi lagta

tha purnata hai ganga ji kaise tumh bata kaise kaise bhav prakt karti yahi baat ganga ji ki kinare ye ye jo hai yahi ganga kinare ki aradhna iske baad hai yah jo Vrindavan ki padhai hai na yah vasudeva smiti ke baad hai y degree hai y kaka matra wali padhai nahi hai yah degree hai yah upar ki degree sabse upar ka maha madhar ras shri ji badi kripalu hai ki apne adham ko aise maharas mein nimgn karne ka avsar diya agar itna jaan loge to brahma ji tumhen moh nahi hoga itna jaan lo ki main hi main bhagwan hi bhagwan hai moh nahi hoga bas ye janna hai andar vihaar nahi karna vihaar nahi karna janna hai drishti rakhna vihaar nahi karna agyani jo hote hain na wo vihaar mein utar jaate hain to bhrasht ho jaate hain unko bodh nahi ho pata jaisa vihaar waise hi karna hai lekin drishti sab mein rakh li ek hi paramatma ye to maya ka natak ho raha hai ek hi paramatma swang jaisa hai vaisa pita ho to pita ka swang karo putr ho to putr ka shishya to shishya guru to guru jo swang

mila waise hi karo lekin hai wahi bas yah drishti rakhna hai vihaar mein nahi vihaar mein utarna murkhta hoti hai wah gyan nahi hota vihaar mein utar jaise vidya vinay sampann brahmin gavit sni cha supa kecha pandita sandarshana vidya vinay sampann brahm rishi mein chandal mein kutte mein hathi mein gay mein ek hi drishti rakhni hai ki sab paramatma hai par vihaar nahi karna vihaar mein alag-alag hota hai kai bar charcha hui vihaar mein bhed drishti rahti hai jo kahte hain ki are wo to gyani

nahi wo bhed drishti rakhte to wo murkh hai jo is baat ko nahi samjhta sam drishti darshan karni hai sam vartan nahi karna sam vihaar nahi ho sakta nahi ho sakta bilkul nahi ho sakta ek ghar hi mein dekh lo beti hai bahan hai mata hai ye stri sharir hai tino mein bhagwat buddhi rakhni lekin vihaar mein ek param pavitra beti hai ek param pavitra bahan hai aur ek ardhangini hai aur ek maa hai vihaar mein bhed ho jaega charon ke vihaar alag alag honge lekin brahm charon mein ek hi virajman hai to vihaar drishti alag alag rahe ek guru ji ne yahi sunaya shishya ko sab mein bhagwan hai kyonki shastr ye sabse bada gyan hai ab ek hathi pagal hathi chala raha tha mahavat ankush se usko vash mein kar raha tha vash mein nahi hota chillaya Baba ji bhag mera hathi pagal mar daelga sab mein bhagwan hai guru ji ne kaha hai jai bhagwan hath aaya utha patak diya aise sab ab wo lad ke gaye guru ji ke paas uka kya ho gaya beta bole durdasha bole to kisi ne roka nahi bole nahi rok to raha tha mahavat jo hai bahut

duri se chilla raha tha Baba ji bhagna mera hathi pagal hai to bole hathi mein bhagwan dikha mahavat mein nahi dekha mahavat mein nahi mahavat chilla raha tha ki bhagwan va bhi to hai chilla rahe the bhag duri hathi pagal to aisi murkhta na kare sab mein bhagwan hai par vihaar mein bhed rakhna hai hai nahi vihaar mein bhed rakhna hai sab mein bhagwan hai vihaar mein bhed rakhna hai drishti sam rakhni sam drishti ki baat ai sam vartan ki baat nahi sam darshan karne ki baat bhagwan shri Sukhdev ji kahte hain he parikshit lok pitamah brahma ji ko is prakaar updesh dekar ke tatkaal dham parsad bhagwan sab antar dhyan ho gaye kuch nahi abhi tak bhagwan ka sparsh kar rahe the bhagwan se varta ho rahi thi aise hi hota hai brahma ji bar-bar prayas karne lage nav rup nav dham nav parsad bhagwan ne hata liya apne aap ko tav anjali bandhkar punah usi dham aur bhagwan ko pranam kiya aur jaisi srishti purv mein rachna ki thi wah puri kala unke hriday mein aa gayi dharm pati Prajapati brahma ji ne sari janta ko prakt karne ke liye bhagwan

ki aradhna ki thi devesh narad ji maya pati bhagwan ke maya ka tatv janne ki ichchha se bade saumy hokar brahma ji se yah varta kai se chal rahi shri Sukhdev ji suna rahe parikshit ji ko aur suti ji suna rahe sonak ji ko aur bhagwan brahma ji suna rahe hain devra se narad ji ko brahma ji aur bhi prasann hue aur phir devesh narad ji ko 10 lakshan wale is mahmmahim bhagwat puran ka updesh kiya shri Sukhdev ji maharaj kah rahe parikshit is bhagwat puran mein sarga visarga sthan poshan ti manwantar

eeshan katha nirodh mukti aur aashray in 10 ka varnan kiya gaya hai inme jo daswa aashray tatv hai isi ka theek theek nischay karne ke liye upar ke nau ka varnan kiya gaya hai yah daswi baat aa jae to mukt ho jae aashray main bhagwan ke aashray mein priyaj ke aashray are yahan tak kah diya hariram vyas ji ne ki kahu ke bal bhajan ko koi bhajan bal rakhta hai koi jitendri aad sadachar vrat lekin ham to kuvar ke bhrose mein hai sovat panv pasar kahu ke bal bhajan ko kahu ke achar vyas bhrose kuvar ke sovat pav pasar iska bhi theek theek chintan hua aashray tatv ka bas hamen lagta hai ki purv se hi gyan ka marg to tha lekin aashray tatv par bahut jor tha isiliye bhakti ka yah rang aaya ya ana tha to aashray par jor diya tha prarambh mein hi aur is aashray tatv par yah jo theek theek baat kahi ja rahi ki theek theek is aashray tatv ko samjhne ke liye hi yah nau upar ka varnan kiya gaya hai hai aashray tatv phir nauda bhakti ki navam bhakti par drishti gayi atma samarpan aashray atma samarpan sarvatra bhagwan teen baton ko bahut ganga

kinare manan hota usi ka bhav kahin na kahin andar hriday mein tha to kaisa hoga Vrindavan yah prakt hua raas dikhayee mahadev ji ne kaha chalo jahan jo jahan ka hai wahi bhed dete hain bade kripalu ab varnan karte hain ki sarga visarga sthan poshan uti manatri sanu katha nirodh mukti aur aashray yah kise kahte hain jo ved hai unka tatparya hai theek theek aashray tatv mein sthit karna jitne shastr hain wah ghumakar aashray tatv mein sthit karte hain koi atma ashrit hai atma swaroop mein sthit koi bhagwat ashrit hai

par aashray tatv hi hai mahatmaon ne iska anubhav kiya hai jab ishwar ki prerna se gunon mein chobh hota hai uska rupantran hota hai akasha aadi panchbhut shabda aadi tan matra indri ahankaar maha tatv ki utpatti hoti ise sarga kahte hain y jo tattvo ki utpatti hoti ise sarga kahte hain us virat purush se utpann brahma ji ke dwara jo vibhinn charachar srishti hon ka nirman hota usko visarga kahte hain pratiphal nash ki or badhne wale srishti ko ek mariyada mein sthit rakh wale bhagwan Vishnu ki jo shreshtha siddh hoti uska naam sthan hai sarga visarga sthan apne dwara surakshit srishti mein bhakton ke upar unki jo kripa hoti hai bhagwan ki uska naam hai poshan manon ke adhipati jo bhagwat bhakti aur praja palan rup shuddh dharm ka anusthan karte hain use manavcha mantar aur phir uti jeevan ki ve vasna jo anant kal se dabi hui hai wah jab uthti hai to aise karya karwati jisse bandhan ho jaata hai use uti naam se kahte hain jeevan ki vasnaon ke karan jo hone wale karm hai unko ti kahte

hain bhagwan ke vibhinn avtaron ke aur unke premi bhakton ki jo vivid kathae hain unko i katha kahte hain jab bhagwan yog nidra sweekar karke san karte hain tab jeev ka apni upadhiyon ke saath leen ho jana nirodh kaha jaata hai agyaan kalpit kar tatv bhogat natma bhav ka partyag karke swaroop paramatma mein sthit ho jana ise mukti kahte hain aur charachar jagat ki utpatti aur palan aur pralya jinse hota hai va hai bhagwan va hai parbrahmma bhagwan bhagwan ka hi sabki purnata hai aashray bhagwan ka jo netr aad

indriyon ke abhimani drashta jeev hai va indriyon ke adhishthatri surya ke rup mein jo netr golka aad se yukt drishya deh hai wahi un donon ko alag alag karta hai tino mein ek ka bhav ho jae to do ki uplbdhi mein bhi drishya nahi dekha ja sakta netr golak net ra aur surya tino ki upsthi mein hi drishya dikhayee dega ek bhi ka abhav ho jae to darshan nahi ho sakta drishya nahi dikhayee de sakta isi prakaar sabke adhishthatri virajman hai unhin ka aashray lena chahiye dusre ka aashray nahi ek matra sansaar se par hone ka upay bhagwa ka aashray hai piche varnan hua tha ki virat purush ka pind jal mein para jal ko kahte hain nar Shastri bhasha mein jal ka ek naam hai nar aur usi nar mein pare rahne ke karan 1000 varsh tak para raha tha piche dhyan hoga to isiliye us jo usmen chaitanya ghan paramatma pravesh kiya to uska naam hua narayan wo virat purush bhagwan narayan narayan bhagwan ki kripa se hi dravy karm kal swabhav aur jeeva aadi ki satta hai narayan bhagwan ke siva kisi ka koi

astitva nahi hai sab unhin se prakt hue sab narayan ki navi kamal se brahma brahma se to mul sabke narayan hue aur narayan mein kaun pravesh kiya tha bhagwan shri Krishna jab bhagwan shri Krishna ne dekha 1000 varsh tak wah pind para raha chetna nahi ai to aap swayam usmen pravesh hue tab naam hua narayan arthat bhagwan shri Krishna ke ansh se hi us nar mein shayan karne wale mahan narayan naam se kahe gaye nar mane jal unti bhagwan narayan ne yog se jagkar jab anek hone ki ichchha ki to wahi akhil brahmand ke anant jeevan ke rup mein ho gaye wahi bhagwan hi bhagwan hai dusra koi nahi yah jo dusra dikhayee deta yahi maya hai bas yahi sab baten padh ke sun ke man shant ho jaata kahan bhatko ga wahi wahi hai dusra koi shant ekdam tabhi pahla bhav kya aata hai apne bhakti mein shant bhav phir das sakhya vatsalya kyonki hamare bhagwan ka swaroop kya hai shantakaram to sabse pahla bhav upasak ka hai shant bhav wahi apne ko teen bhagon mein vibhakta kar diya adhi dev adhyatma adhbhut parikshit sacchidanand bhagwan

ne aapko ko hi virat rup mein aur virat rup se apne aap ko hi is jagat rup mein prakashit kar diya sonak ji ne pucha maharaj yah to baat aap bataai ki piche aapne ek baat kahi thi va chhut gayi aapne ham logon ko bataya tha ki vidur ji Hastinapur tyag kar tirth yatra ke liye gaye to kin kin tirthon mein gaye aur suna ki vidur ji ki Uddhav ji se varta hui thi Uddhav ji to bhagwan ke bade gyani bhakt kya varta hui phir suna ki vidur ji maitre ji se mile the to maitre ji to bahut uchh koti ke mahapurush hai to unse jarur koi tatv varta hui hogi wo ham sunna chahte hain sonak ji ne sut ji se prashn kiya bhagwan shri Sukhdev ji ne parikshit ji se bhi yahi kaha kyonki wo bhi prashn kiye the jo piche prashn kiye the unmein bahut se prashn the to usmen yah bhi prashn tha ki bhagwan ke tatv ka swaroop ka varnan bhagwan ke avtaron ke swaroop ka varnan bhagwan ek hokar ke apni maya ko kaise vistar karte hain to kaha parikshit jo tumne piche baat puchi thi wahi purv kal mein ghatit ghatna

ko ham bata rahe hain ki vidur ji ne samasth sukho ka tyag kar tirth yatra kyon ki maitri ji se mile Uddhav ji se mile kya varta hui jab yah ghatna us samay ki hai sarveshwar bhagwan shri Krishna pandavo ke dut bankar gaye tab unhone Duryodhan ke mahal mein ek bhi koi vastu sweekar nahi ki khanpan vihaar ki aur bina bulaye vidur ji ke ghar gaye pavitra atma vidur ji ko apna mana prabhu ne aur Duryodhan ne vivid prakaar se bhagwan se kaha bahut si samgri aap bhagwan ne kaha dohi bhav se bhojan paya jaata hai to yahan donon baten nahi tum mein priti nahi ham mein bhookh nahi aur usi samay vidur ji ke ghar jakar kah bahut bhookh lagi hai lao vidu rani chilka pawa hai aur gada phenk deti hai parikshit ji ne pucha prabhu maitre ji to asdhran mahapurush hai vidur ji ka samagam kahan ho gaya aur maitre ji jaise mahatma vidur ji jaise prashn karta to sadh shiroman bada sundar uttar hoga ham sunna chahte hain bhagwan Sukhdev ji ne kaha parikshit raja Dhritarashtra apne anyay putro se bahut

mohit the jante the ki anyay kar rahe hain lekin dashak wahi karte the jo Duryodhan kahta tha wah apne bhai pandu ke anath balkon ko laksha bhavan mein jalane ke liye bhej diya tha aag lagva di par bhagwan ki kripa aur vidur ji ki pravinta se wo bach gaye phir unki putr vadhu maharaj yudhishthir ki patrani Draupadi ke kes ghasit hua Dushashn sabha mein lata hai Draupadi ke asar dhara chal rahi hai kintu Dhritarashtra ne apne kukarmi putro ko us samay bhi nahi danta wahan bhi dashak aur kya batayen satya paraayan dharmraj yudhishthir ko chhal purvak anyay purvak jue mein hara diya gaya aur unhen vanvas diya gaya vanvas bhogne ke baad phir laut kar jab aae aur apni pik sampatti mangi to unhone unka hissa dena aswikar kar diya jab is vishay par bhagwan shri Krishna karo ki sabha mein hit bhare sumdhur vachan jakar ke bole jo bheeshma aadi ko to amrit jaise lage par kuru raj ko va vish jaise lage phir bhi Dhritarashtra ki buddhi kam nahi ki aur putr moh vasad bhagwan ki baat nahi mani kyonki sare punya unke

nasht ho chuke the mante bhi to kaise jab vidur ji ne dekha ki bhagwan ki agyaa ka ullanghhan ho raha hai to vidur ji ne Dhritarashtra se kaha jise vidur niti kahte hain maharaj ajad shatru mahatma shi ko unka hissa de dijiye aap ashniya aparadh kar rahe hain bhagwan ki bhi baat nahi man rahe Pandav vanvas karke aae phir bhi unka hissa nahi de rahe hamen bahut dar lag raha hai ki Pandav agar krodhit ho gaye to maharaj aapke vansh ka vinash ho jaega yah bhim saap ki tarah sans le raha hai bas bhagwan ki agyaa ka

intazar kar raha hai iski phuphkar mein tumhare eko putr nahi bachenge maharaj ham aapko batae dete hain aapko pata nahi hai ki pandavo ke paksh mein akhil koti brahmand nayak y shri Krishna hai yah paramatma hai ye yad var ke aradhya dev koi manushya nahi hai yah parbrahmma paramatma hai Dwarika mein virajman rahkar hi tumhen nasht kar sakte hain ane ki zaroorat bhi nahi prithvi ke bade-bade raja ya bade-bade brahm rishi devta yah usi paksh mein rahte hain jis paksh mein bhagwan hote hain sur nar muni

prasannata upar sui vijay vinay gun sagar tas sujas trilok ujagar ja par kripa Ram ki hoi ta par kripa kare sab koi jise tum apna putr mankar pal rahe ho maharaj jiski ha mein ha mila rahe ho yah Duryodhan murtiman dosh hai dosh yah dosh tumhare ghar ka nash kar dega yah itna mahan doshi hai ki bhagwan se bhi dves karta hai yah bhagwan shri Krishna se vimurkh shri hin adrma aacharan karne wala kul kalank mera agar chachan aapko sunai de raha ho to aap is dusht ka turant isi samay tyag kijiye aur Hastinapur se nikalva dijiye vidur ji mahan neetigya dharmraj ka sakshat swaroop hai sadhu jan bhi vidur ji ka aadar karte bhagwan bhi aadar karte yah baat sunte hi Dushashn Duryodhan Karna sakun sab krodh se yukt ho gaye aur Duryodhan to bahut hi kadua bola are kutila dasi putr ko yahan kisne bulaya updesh dene ke liye iski jaan to mat lo lekin isko turant isi samay nagar se bahar nikal diya jae maharaj Dhritarashtra sun rahe hain ek bhi shabd nahi bole yah bade bhai ke samne aise kano mein vishaile

shabd vidur ji ne kuch bhi bura nahi mana samjh rahe the ki bhagwan inka vinash karvana chahte hain isliye aisi inki bhasha nikal rahi Dhritarashtra ko pranam kiya aur samne dwaar par dhanush baan rakh diya aur Hastinapur se nikal pare ab aise rajya mein nahi rahna jo bhagwat vimurkh jahase duston ka bolbala adharm ka bolbala ho kaurvon ko vidur jaise mahatma updesh dene wale bade bhagya se mile the jehi Hastinapur se chale to sabke punya nasht ho gaye kurav paksh ke apman kar diya vidur jaise mahatma

ka sadhu avagya turat Bhawani kar kalyan akhil kehani vidur ji Hastinapur se chalkar bhumandal ke tirthon mein vichran karne lage jahan shri hari brahma Rudra aadi in mahan ke dwara jo tirth sthaapit hai un tirthon mein vichran kiya jahan jahan bhagwan ke pavit van parvat kunj nirmal jal sarovar un sab mein snaan karna waha anusthan karna aise vidur ji tirthon mein vichre aur aise bhesh mein rahte koi y jaan na paye ki vidur ji hain sadharan jo bhojan mil jae shuddh vritti se bhumi mein sayam karna sharir ko

malna nahi bas aise snaan kar lena aur kathor vraton ka palan karte hue bhartvrsh ke pratyek tirthon mein vichran kiye jab ve prabhas kshetra mein pahunche tab tak bhagwan shri Krishna ki sahayata se maharaj yudhishthir sarvnash ka khel khel chuke the karo ka vinash ho chuka tha aur wah chakravarti samrat pad par Hastinapur mein virajman ho chuke the yudhishthir ji pravas kshetra mein mein jab suchna mili ki kaurvon ka vinash ho gaya to Saraswati nadi ke paas jakar chupchap maun hokar baith gaye vidur ji kafi der bhagwat chintan karte hue apne man ko sambhala phir wahan se trit ushna Manu prithu agni asit vayu sudas gau guh aur shradh dev naam ke prasiddh 11 tirthon ka sevan kiya avgahan kiya iske baad bhagwan ke anek mandir anek tirthon ka sevan karte hue har samay bhagwan ka naam jab shri Krishna chandra ju ka wahan se phir chale saurashtra saveer mats kur jangal hote hue yamuna ke kinare aae toy dekha ki yamuna kinare bahut hi ashubh pravah karte hue Uddhav ji virajman hai bada ascharya hua ki aise bade

mahatma aur aansu pravah ka rahe hain Uddhav ji ko dekha vidur ji ne yah bhagwan ke prakhyat sevak mitra basap ji ke shishya param gyani shant swabhav vidur ji nazdik gaye de Uddhav ji ne dekha gadh ha ligan kiya vidur ji ne ashru dekh kar ke samjh liya kuch to aisa hai jo nahi sunna chahiye par Uddhav ji se pucha Uddhav ji puran purush Balram ji aur bhagwan sacchidanand shri Krishna jinki nav kamal se brahma ji prakt hue aur brahma ji ki prarthna se yah prakt hue sakushal hai na vasudev ji aadi sakushal hai satta vrishan bhoj das Vanshi Yadav ugr yah sab sakushal hai maharaj yudhishthir apne arjun aur shri Krishna rupi donon bhujao ki sahayata se ab nyay purvak praja ka palan kar rahe sakushal hai bolo Uddhav ji yah donon parivaar sakushal hai shri Sukhdev ji kahte hain ki jab vidur ji aisa poochne lage to Uddhav ji aur rone lage apne Swami ka smaran aa jane se kuch bhi uttar na de sake balyvastha se bhagwan shri Krishna mein aasakt the Uddhav bhagwan ke saath rahe hain ab to vridh ho gaye hain

balyvastha se bhagwan ki chintan mein bhagwan ke hi gungan mein ab to vridh ho gaye bhagwan ke saath rahte aur vidur ji ke poochne par to aur phaphak kar rone lage vidur ji ka hriday ghabra gaya Uddhav ji shri Krishna ke charnarvind makrand ke sudha sarovar mein bol na sake anand magan hokar tiv bhakti ke dwara unki badi unchi sthiti vridh sharir sharir mein romach mande hue netron se premas dhara vidur ji aise Uddhav ji ke darshan karke bahut krit krit ho rahe kuch samay baad Uddhav ji bahya dasha ko prapt hue

aur vidur ji se kahne lage vidur ji jo aap pooch rahe ho ham un prabhu se vanchit ho gaye hain bhagwan shri Krishna rupi surya ast ho gaya hai vidur ji main kya kushal sunaun ab yah manushya log bada bhaga ho gaya hai aur Yaduwanshi to nitant abhage bhagyaheen ho gaye kyonki jab shri Krishna ke saath rahte the unhone pahchana hi nahi ki parbrahmma paramatma hai jis tarah samudra mein amrit tha par machhliya nahi pehchan paye ki samudra mein amrit hai aise hi Yaduwanshi log bas bhagwan ko ek shreshth yogi samjhte yah nahi samjh paye ki sarwatmaka taryanche nahi samjh paye aaj main unhin bhagwan se vanchit ho gaya Uddhav ji kah jinhone kabhi tapasya nahi ki thi un logon ne bhi darshan bhagwan ka paya vidur ji aaj wahi tribhuvan mohan rup antar dhyan ho gaya hai ab bhagwan prakt mein apne rup ko nahi rakha antar dhyan kar liya mere netr hi chhin gaye aur Uddhav ji rone lage bhagwan ne yog ka prabhav dikhane ke liye manav lilaon ke yogya jo divya shri vigrah prakt kiya tha bada hi sundar bada hi naynabhiram

maharaj wah rup ab antardhan ho chuka hai bhagwan ne leela sanvran kar li hai dharmraj drishti ke rajas yagya mein jis jisne bhagwan ke us Naina bheeram rup ko dekha triloki mein sab koi lubh man ho gaya unka prem purn hasna vinod bhari baten karna leela mein dekhna maharaj chitt ko cura liya jaise koi kathputli chalane wale ke anusaar chalti hai waise jisne ek bar rup dekha wah kathputli ban gaya unka bade-bade mahatmaon ke dwara aradhan karne yogya rup ajnma bhagwan ne vasudev ji ke yahan janm lene ki leela ki sabko abhay dene wale hone par bhi kans ke bhay se braj mein jakar chhipe rahna anant parakrmi hone par bhi kalaywan ke samne Mathura Puri ko chhodkar bhagna jab main leela yad karta hoon to main bechin ho jaata hoon mujhe yad hai jab Devki vasudev ki charan vandna karke unhone kaha tha pitaji mataj kans ka bada bhay rahne ke karan mujhe aapki koi seva na ban saki isliye mere aparadh ko kshma karke aap prasann ho jaen yah baten jab main yad karta hoon to he vidur ji mera chitt vyatit ho

raha va paramatma hokar kaise bol rahe the jinhone kal rup apni bhrikuti vilas se prithvi ka sara bhaar utar diya un shri Krishna ke pad padm parag se yukt aisa kaun hoga jo unko bhul sake aaj main unse rahit ho gaya hoon aap logon ne rajaswi yagya mein pratyaksh dekha tha ki gin kin kar galiyan de raha tha shishpal bhagwan shri Krishna ko aur jab bhagwan ne sudarshan chakra se prhar kiya to usko wah gati mili jo bade-bade yogi munio ke dwara vanchhit hai bhala aise shri Krishna ka main kaise virah sa sakta hoon hamare samne bhagwan ka mukh raha hamare samne bhagwan ki sab baten krida rahe ab wah sab chali gayi ab kaise jeev bhagwan paramdhaam ko chale gaye hain are wah tino loko ke adhi swar unke saman koi nahi to unse badhkar kaun ho sakta hai vidur ji mujhe wah drishya yad hai jab simhasaan par maharaj ugrasen aur unke niche khade hokar hath jodkar kahte he dev agyaa kijiye main kaun si seva aapki karun wo mere chitt ko bahut lubhai man karti hai kahan bhagwan aur kahan agrasen hath jodkar kahte he

dev agyaa kijiye mujhe wah bhi yad hai jab papni Putna ne apne stan mein halahal vish lagakar shri Krishna ko mar dalne ki niyat se unhen doodh pilaya to usko bhagwan ne wo param gati di jo dh ma ko milti hai bhagwan shri Krishna ke atirikt aur kaun dayalu hai jiski sharan grahan karen main un asuron ko bhi bhagwan ka bada kripa patr samjhta hoon jinhone vair bhav se sahit bhagwan shri Krishna ka sada chintan to kiya ranbhumi mein sudarshan chakra dharan kiye hue daudte hue bhagwan ka darshan karte hue pran tyag kiya un asuron ko bhi main bhagwan ka bhakt manta hoon brahma ji ki prarthna se prithvi ka bhaar utar kar use sukhi karne ke liye kans ke karagar mein vasudev Devki ke y bhagwan avatar lete hain kans ke dar se pita vasudev ji ne unhen nand Baba ke braj mein pahuncha diya wahan ve Balram ji ke saath 11 varsh tak braj leela karke pha yamuna ke upvan mein hare vrikshon mein kal karte hue pakshi ke jhund mein bachhde chalate hue gwal bal ki mandli mein brijvasan leela karte hue kabhi rote kabhi

hanste kabhi khelte aise brajvasi ko 11 varsh tak sukh diya braj mein bail bacchhron gauo ko charate hue apne adhar par basuri bajakar gopiyon ko bajwas ko bada sukh dete hue kans ne unhen marne ke liye maya manmana rup dharan karne wale rakshasaon ko bheja agas aur bakasur bhagwan ne khel khel mein mar dala jaise balak khilone ko todphod dalta hai kali nak ka daman karna vish ko amrit bana dena gwal balo ko punah jivit kar dena bhagwan shri Krishna ke in lilaon ka bahut hriday mein ab wo antardhan ho

gaye maharaj nand Baba ne jab indra ki puja to bhagwan ne rukwa karar Govardhan puja karai bahut gussa ho gaya indra aur vinaskaari pralyankari jal barsaya bhagwan ne khel-khel mein Govardhan parvat ko sat din sat raat utha kar ke brajvasi hon ki raksha ki maharaj sandhya ke samay jab sare Vrindavan mein shrad ki chandrama ki chandne chhitak gayi shri Krishna sammaan karte hue gopiyon ka aavahan kiya aur gopiyon ke saath prem mein raas vihar kiya aise mein shri Krishna se rahit ho gaya Uddhav ji ne vidur ji se

vinay ki aur age bhagwan ki vivid lilaon ka gayan karte hue Uddhav ji apne hriday ko santusht kar rahe hain su shesh charcha ga shri Radha vallabh lal ki jai

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi