Radhashthami 2024 - shri Radha ju ki janm leela // 11/09/2024
pujya maharaj ji ke Shrimukh se yugal leela ka ras — upar video mein sunen.
pura pravachan
Radha Radha Radha Radha dha Radha Radha Radha tasy ras sar vilas murte ranand kand parmad bhut som lakshma brahmadarshan kaikya mev mam janamni janm ni kaikya mein mam janamni janamni shyaa prem kabhi moksh nahi chahta apne aradhya dev ke samip hriday se nirantar unke sanidhy ka anubhav chahe bar-bar mujhe janm mile shastron bar janm mile karodon bar janm mile lekin har janm mein meri ladli meri swamini ho pratyek shwas unke charnon mein arpit ho pratyek cheshta en nhi ki seva ke liye ho bas hamen aur koi chah nahi tas apaar ras sar vilas murte ranand kand parmad bhut saumy lakshma brahmadev bar-bar janm ho har janm mein hamari swamini ho shri ladli ju aur hamara hriday unki dasata se yukt ho kaun hai yah ladli ju bole tasy apaar ras sar vilas murte jo apaar prem ras hai wo to hai lal jo priti ras sindhu sar sampad vimla murti mati shri ladli ja ras sindhu shri lal ju ke prem ka sar rup hai priti murti mati to priti ras sindhu murti mati ras samudra shri
lal ju ka jo sar prem allad hai wahi jab rup dhar kiya to shri ladli ju tasy apaar ras yah aisa apaar ras hai Vrindavan nitya vihar brahmadev hain brahma ji bhi is ras se pritam ka nitya vihar ekantik ras hai wahan na devair na brahmadev nanya bhagwan ke jo das aadi bhakt bhav shrad bhav sakhya bhav wale inka bhi pravesh nahi shri Priya pritam ki ras mahima ka par to kya brahma ji to lal ju ke bal Govind rup ki hi mahima ka par nahi pa paye aur sakha aur bacchhron ka jab aphan kiya to kampa kayman hokar teen parikrama karke stuti karke brahm lok ko padhare dhairya nahi tha hriday mein kampa kayman ho rahe the phir maha madhury ras prem ras ki sar Rupa shri la li inki mahima ka par kaun pa sakta hai tasy apaar ras sar vilas murte jise ved kahta hai raso vaisa rasam hariva lava Anandi bhavtu wah ras samudra paramatma jab sar rup prem rup dharan kiya to ladli ju ke naam se pukara gaya koi aur nahi hai wahi param tatv hai shri rani ju ke rup mein tasy apaar ras sar apaar ras ke
sar ki jo murti shri ladli jo hai yah prem vilas may hai pratiphal inki rup madhuri leela madhuri shri charan se jo kanti prakt hoti hai nakh kanti ye sab premay prem ki adbhut murti hamari shri ladli ju maharani ju anand kand anand ka mul shri lal ju maharaj aur anand ka sar shri ladli ja maharaj anand kand parmad bhut som lakshmi jo anand ke mul hai us shri lal ju maharaj aur anand ki param ek mahamai koi anirvachniy sthiti wo kaun hai pradan karne wali jo anirvachniy prem ki ek sthiti hai udasi bhav hai shri ji ka sakhi bhav hai kinakri bhav hai bahut hi saumy gambhir swaroop mahan yah kaun baat jo abhi aur abhi aur ahi aur hai koi udaharan tribhuvan mein nahi jisse ham apni maharani ji ka udaharan de sake isliye kahte koi anirvachniy aisi hamari shri ladli jo ham par kripa karen hamara bar-bar janm ho par ladli ju ke charnon mein anurag hokar ho unhin ka naam gaye unhin ka jas gaye unhin ki das das ki thesak hamare hriday mein bani rahe purna anurag rasam murti talta bham
jyoti param bhagavto rati madra hasam yat pra durasta kripya baswan shat kinakri bhavitavya jo purn anurag ras ki murti hai prem hi prem hamari shri ji prem hi prem yah keval Harivansh pratap sakhiyon ke pratap se hi rup ka prichay milta hai nahi to pyaro dum chham ten achchhi suka di naam ki adhyan gam anurag ras ki murti aisa rup hai ki keval bas rote raho anand mein pulkit tan ro mavli anand nain sudhar kuch nahi ek bar rup prakashit ho jae maharani ja ka to na kaho so bol na koi vihaar
bas apni kuvar kishori ko jiyat nihar nihar bas jeevan shri ji ho jaate hai unhin ko dekh dekh dekh ke jeena purna anurag ras murti purn anurag ras ki murti pyari jo talta bham aisi kanti Priya ju se prakt ho rahi abha pita run chha manat talta bham pit aur arunima liye hue anant bijli ki jaisi kanti purn prem ras ki murti jinke shri ang ki abha anant bijliyan ki kanti jaisi aur jati param bhagavto rad dasya bhagwat tatv ki koi rahsyamay jati rahasya sabke prichay mein na ane wali y ladli bahar ke an dwaar ke mohin janat jo sakhiyon ki sharan mein nahi hai jo Vrindavan ki raj ka sevan nahi kiye jo rasing nahi kiye rasmay vani ka adhyan nahi kiya bilkul nahi jaan sakte ladli ju kya hai mahaprabhu Harivansh chandra ju kah rahe hain bhagwat tatv ki koi rahsyamay jyoti jyoti param bhagavto rati ma rahasyam shri ji ke shri charnon ki aisi tejam kanti prakt hoti hai isi kanti mein isi tej mein jo lay ho gaye unka moksh mana jaata hai brahm tej ko jyoti jahan Yogeshwar dhare dhyan tahi ko
awran yahan nahi pave ko jaan koi jaan nahi pa raha hai tej kahan bole ladli ja ke charan kanti ka tej hai nak se prakt hue tej mein hi brahm yogi jan leen ho jaate use moksh kahte hain is tej awran ko par karane ki samarth sakhiyon ki hai tab unke netr tejo rup nikunj kalan netra aadi pind sthit tab unke netr tapat manat nain kunj rav lokan yah sukh kaat bane na yah jo kripa Harivansh ki rahsyamay jyoti bhagwat tatv ki shri pyari jo hai Radha tatv ka gyan keval Vrindavan ki raj rasik aur sakhiyon
ki kripa se hota hai koi kitna bhi bada aur sab shastron ka swadhyay karne wala Radha tatv ke vishay mein Radha tatv rahsyamay vishay hai jo param tatv sab tattwon ke tatv shri Krishna aur shri Krishna ka jo allad hai anand hai prem hai wo param ta shri ladli isliye kah rahe jyoti param bhagavto rati mad rahasyam bhagwat tatv ki rahsyamay premay koi jyoti jo ab koi nahi rah gayi ab prakt ho ra yat pradu st kripya shah Bhanu jo kripya kripa karke barsa mein vrishabhan ji ke mahal mein prakt hui yat pradu kripya vrishabhan gehe syaat kin karri bhavitavya ki main unhin ki dasi banu janm janm ladli ju maharaj ki dasta mile vrishabhan gahe maharaj shri vrishabhan ji yah purv mein bahut sadhna ki bhajan kiya tap kiya tab hamare brajdham mein vrishabhan ke rup mein prakt hue kalavti aur such ne purv janm mein aisa bhajan kiya jo avarnaneey hai vani ke dwara varnan kiya nahi ja sakta mahabhagya putr bhagwat ansh swaroop suchandra ji the ye param sundar chakravarti samrat aur bhagwan ka vishesh ansan mein prakashit
hua ayma pitro ki teen mansi kanya utpann hui thi tino param sundari aur mahan samarth se yukt kalavti ratnamala maina pitr ne swaiccha se kalavti ji ka shri hari ke ansh bhut mahan saundarya aur vaibhav se yukt chakravarti samrat suchandra ke hath mein diya aur maina ratna mala ko videh raj Janak ke hath mein aur menka ko Himalay ke hath mein arpit kiya ratna mala jo Janak ji ki bhaar aati unse shri Sita ji menka se Parvati ji kalavti aur suchandra ye donon tapasya ke liye nave saran mein gomti nadi mein snaan karna jal mein khade hokar mantr japna aur ekant nam saran van mein bhagwan ki vishuddh aradhna bhagwan prasann hue brahma ji ko adesh kiya jao inki kamna ki purti ke liye inko vardan do devtaon ke 12 haj varsho tak tap kiya brahma ji aae aur unka shri bhagwan ne adesh kiya hai tumhari jo ichchha ho var mango par inke sharir mein deemak chadh chuki thi sharir hi nahi rah gaya tha deemak ka pind matra tha donon ke itna bhari tap kiya suchandra aur kalavti ji ne brahma ji ne
divya kamdal ka jal dala to divya tanu dari donon us deemak se bahar nikle brahma ji ko pranam kiya brahma ji ne kaha tumhen jo ichchha ho so mango suchandra ji ne kaha mujhe sansaar ki koi ichchha nahi rah gayi bas mujhe brahm bodh ho jae moksh prapt ho jae jahi Radha ki baat suni suchandra ki to sadhwi kalavti ji ke man mein bada dukh hua unhone brahma ji se kaha pitamah mere andar ichchha thi ki main sarvshresht ek sundar kanya prapt karun jo bhagwan pradan karne wali ho mujhe moksh nahi chahiye mere pati ne moksh manga main sahdharmini hoon jahan pati wahi meri sthiti main mukt nahi hona chahti yadi mere pati dev ko aap moksh dete hain meri gati moksh ki hoti to main abhi aapko saap de dungi aap is baat ko samjh lijiye aur mera saap kabhi vyarth nahi jaata kalavti ji ne kaha pati naram daivat param smrit yadi maya tada mein ka gati bhave evam bina na jeevam yadi moksham pradas to tum shapam pradas pati vikshep vahla main aapko saaf agar hamare pati ko moksh padvi di brahma ji
ne kaha devi main bhayabhit ho chuka hoon tum jo chahte ho wahi main dene aaya hoon jaise aapka saap kabhi viphal nahi hota aise mera vardan bhi viphal nahi hoga isliye tum abhi divya loko ke sukh bhogo aur kalantar mein prithvi par shri yamuna ji ke pavan samip mein braj chaurasi kosh barsane mein aapke pati ka janm hoga jo vrishabhan kah jaenge aur aap kirti naam se prasiddh ho aur aap jo man mein chahe waisi hi kanya aapko prapt hogi tum donon ke yahan paripurn tam bhagwan sacchidanand shri Krishna ki sakshat hriday swaroopa allad swaroopa prem swaroopa unki Priya prakt hongi jinka naam shri Radha hoga aur jab tum Radha ju ki darshan seva sukh phir tumhare andar moksh abhilash bhi nahi rah jaegi vrish Bhanu ji ke rup mein jab tum janmo Radha kishori moksh abhila bhi nahi rah jaegi brahma ji divya mogh va dekar ke antardhyan ho gaye kalavti ji hi kirti da ke rup mein aur suchandra ji hi vrish Bhanu ke rup mein kalavti ji Garg samhita ke anusaar raja bhal ke yagya kund mein prakt hui kannauj
mein kanak desh kannauj us divya kanya ko sampurn purwajanma ki baat aath idhar babhanpur mein barsane mein sur Bhanu ke ghar sund ka janm hua jinhe shri vrishabhan ji ke naam se jana gaya inko bhi purv janm ki smriti thi gop mein sarvshresht Kamdev ji ke saman sundar vrish Bhanu ji param buddhiman mahmmahim shri nand ray ji ne bichauliya ban kar ke shri vrishabhan ji ka aur kirti ji ka byah racha shri vrishabhan ji aur kirti ji barsane mein bade sukh purvak rah rahe bahut hi divya mahal kyonki jahan priyaj prakt ho rahe waha kaun si siddhi kaun si Riddhi kaun si nidhi sab Riddhi siddhiya nidhiyan chaai hui prakaar parkha yukt chatur dwaar samanwit karra kajla kare dwari dwari manohar jo vrishabhan bhavan hai khai aur par koton se yukt bahut vishal mahal jiske pradhan char darwaze aur charon par mano kajal ka pahar ho aise garjaj khade hue hain dodo garjaj charon dwaar par raj bhavan ki manohar ka kya varnan karen vayur veg manor veg chitravarna turang mai har chamar sanyuktam pulsan mandpa daram
mano man ke veg se chalne wale ghode vayu ke veg se chalne wale shastr ghodo mein sainik taynaat charon dwaar par bade bade garjaj aur vayuveg aur moveg se chalne wale ghode sundar sundar har abhushan dharan kiye hue sevak jan vichitra varn wale ashv ki shobha aur bacchhron ke saath lakho karodon gao ke jhund ke jhund aur dhurandhar bade-bade balvan bail jo badi shobha pa rahe hain hazaron ki sankhya mein unki raksha karne wale gopal jan koi Vanshi koi ved dharan kiye hue geet ga rahe barsane ki badi adbhut shubha vrishabhan va ke bhavan ka nirman vishwakarma ne swayam puri chaturi laga kar ki kyonki isi bhavan mein Shyam sundar ki pran Priya shri ladli jo prakt honge bhavan mein aise parkote hain aisa lagta hai hazaron surya ek saath prakashit hue itna tejon mein parkote vrishabhan mahal ke hai aur lakho ki sankhya mein das dasiya hain har samay kahin Veena taal mridang aadi baje baj rahe kai manohar gop sundriyan gaan kar rahi ant ki divya vishal chhata us bhavan mein hi sundar upvan bhi hai mahal ke andar hi
upvan hai bagiche hain alag-alag kunje hain kahin anar kand mandar neembu ki unche unche bade vriksh lahra rahe to kahin ket ki malti madhvi mogra ye sundar latae khili hui hai mahal ke andar hi sundar nikunj hai jo kalp vriksh ke pushpo ki gandh ko bhi mat karte aise sugandhat us nikunj mein bhare parag pan karke gunjari mand sugandh vayu chal rahe aur bahut sundar kund bhi hai jismen hazaron dal wale kamal hai koi asht dal koi hazar dal wale vivid rang ke mahal ke shikhron mein kokila mor sukh sarika y adbhut jas gaan kar rahe hain foolon ki jagah jagah shastron lagi hui hai aur bahut hi sundar sundar sugandhat jal wale kai sarovar hai kahin saikadon phuhare chhut rahe hain kai sundar kundal kardhni har dharan kiye hue saikadon sundriyan sevarat hai raj mandir kesriya rang ke sukshm wastron se sajaya gaya hai parwateey pushp jal pushp sthal pushp in sabse shringar kiya gaya hai pura mahal malti ki makrand ki bunde wahan jhar rahi hain par yah sab sukh hone par bhi vrishabhan ji ko vishesh allad nahi ho raha hai unke
hriday mein ek asantosh sa hai samasth Brajmandal ke mahan vidvan brahm rishiyon ko bulaya aur kaha bahut samay vyatit ho gaya mujhe purv ki smriti hai ki mujhe vardan prapt hai ki bhagwan shri hari ki hriday radh Radha mere yahan prakt hongi par ab to jeevan ka bahut samay vyatit ho gaya jinka naam Radha hai krishnan aradhya iti Radha shri Krishna swayam jinki aradhna karte hain wo Radha sa ae vayam purush swaymev samaram tatpa bhuto tasma swaymev saradh makat ato loke ved shri Radha geete lok mein aur shastron mein isiliye unko shri Radha kahte hain kyonki swayam param purush paramatma bhagwan shri Krishna unki aradhna karte hain aur waise hi wah shri Krishna ki aradhna karti hai anadi ray purush ek vasti wah param purush anadi paramatma ek hai par uske hriday mein jab apni hi aradhna karne ki ichchha hui anadi ray purush ek vasti tadev rupam dwidha vidh samaram tatpa bhut tasma tam Radha rasika nanda ved vido vadanti aisa shastr kahte hain ki wahi parbrahmma paramatma bhagwan shri Krishna apni aradhna
ke liye jab vikal hue to unhin ke hriday ka prem murtiman hokar Radha rup mein hua Radha rasika nandam ved vido vadanti shri vrishabhan ji samasth brahm rishiyon se prarthna karte hain ki hamen ab wo sadhna batao aradhna batao upasna batao jisse hamare man mein jo yug yugantar se ichchha chali aa rahi hai ki bhagwan shri Krishna chandra ji ki Priya hamari putri bane wah kab samay aayega mangal ha mangti jahan nij mangal ki bhikh aiso utsav janm ko anat kahu nahi dakh jahan mangal bhi mangal ki bhiksha mangta hai
aaj unka param utsav hai shri ladli juga Mathura nikat jamun tat pavan rajti raval nagar suhavan kirti Bhanu bashi nap dampati geh laksh das jin go sampati mathur mandal mein param pavan Vrishabhan pur Barsana ismen shri vrishabhan ji virajte hain kuch dur par yamuna ji ke pavan tat par ek mahal hai jahan snaan aadi ke baad vastr parivartan karna barajna phir wahan se barsane ana shri kirti ji aur vrishabhan ji ka nij mahal Barsana hi hai 10 lakh gao ki seva hoti hai 10 lakh gao ki seva jahan shri ji avtrit ho wahan
vitt ki arthat dhan ki vaibhav ki kya mahima koi varnan kar sakta hai par itna sab kuch hone par bhi vrish Bhanu ji bahut vinay van aur kinchna matra vaibhav ka aham nahi dharm vit gun shil nidha vinay van nij nagar pradhana mah bag upvan ban Swami bharya kirti man anugami adbhut ishwar hai adbhut dharm ka palan karne wale hain badi vinay hai bade sheelwan hai mahal ban bag upvan sabke Swami hai aur keerat ji man ke anusaar chalti vrishabhan ji ke man ke anusaar chalti hai tavan sab gop samaja as dharmajeevan praja koi bhi wahan garib nahi sabke yahan adbhut ishwar sab vinay sampann jas raja tas praja saral chit mane gau deva bani gopal karat nit seva yadyapi shastron ki sankhya mein gau palak phir bhi apne hath se wo swayam gau seva karte hain bahut kal yahi bhat batayo go seva phal avsar ayo rishi muni pandit vipr pujari to sati sab kirti satka bade bade rishi muni brahm rishi jan brahmin jan bhagwat pujak jan in sabko roz nimantran hota hai aur bhavan mein bula sabka aadar sabka charan dhona argh pad aadi arpit karna
bhojan pawa dakshina dena yah bahut swabhav hai kirti rani ka rishiyon ki prerna se ek vrat thana nitya prati yamuna ji jana snaan karna yamuna mein khade hokar ke bhagwat mantr japna aur akanksha karna shri hari ki Priya ka hamare yahan pradurbhav ho vrat vrash Bhanu ek dridh thana nit prati karat jamun anana roz niyam varsho y niyam chala niyam ka prabhav bahut bada jor ka hota koi niyam le dirgh kal tak kare to safalta nischit hath lagti hai pyari ja ke prakt hone ke liye aradhna yamuna ras
rani ki yamuna ji mein niyam purvak snaan karna aur yamuna ji mein hi khade hokar ke bhagwat mantr japna dhire-dhire kirti rani ji ko aisa anubhav hone laga ki mere garb raha ab to aur prasannata hui jab tak ja sakti thi vrishabhan ji ke saath roz yamuna ji jati jab jane mein asmarth ho gayi to vrishabhan ji apne niyam ki purti aur bahut prasann ki jarur mere manobhav mein jo yug yugantar se shri hari ji ki Priya prakt hongi hamen lagta hai ki wahi avsar aa gaya kyonki putr to ho chuka tha shri dama naam ka putr pehle se hi virajman tha aisa nahi tha ki santan par bahut samay se smriti purv yugo ki bhi ki jo kalavti ke rup mein suchandra ke rup mein bhavna bani thi ki bhagwan sacchidanand prabhu ki Priya hamare yahan janm le unke liye anusthan tha bhadrapad ki shukla ashtmi bhadra bhadav ka mahina Shukl paksh ashtmi tithi aur din somwar samay prat kalin mela shastron mein jab madhyan vel ka aata hai hamare rasik jan nahi karte kyonki aisa sukumar tatv madhyan mein tapti hui dhoop
mein nahi prat kalin bla prasang bhi hai bhadra Shukl ashtmi prabhata lakho pravah jat jal jaata bhaad ka mahina Shukl paksh ashtmi achanak mantr jap kar rahe the snaan ki hui yamuna ji mein ke dekha ek bada adbhut tejo mein kamal ek adbhut akarshan khinche hue se Baba us kamal ke paas pahunche vrish bhan ji jaise avish chitt avish chitt mane koi vichar kam nahi kar raha khinche hue se gaye aur kamal ko god mein utha liya ek adbhut tej matra dikhayee kuch abhi nahi dikhayee kamal aur tej to pravish dhar gehi kanj prasuna laute Bhanu mod hiy duna abhi tak to anand tha bhavna thi ki jo hamare yug yugantar se bhavna thi ki aisi priyaj ka janm hoga aaj aisa lag raha hai mano mujhe priyaj mil gayi apaar anand ashta chitt hai koi vichar kam nahi kar raha us kamal ko god mein liye hue aur idhar mahal mein vayo vridha gopika en kirti rani ji ko ghere hue hain pure nagar mein suchna hai ki prasav pida ho rahi hai santan prakt hone wali hai adbhut jyotirmay prasuti ka grah ho raha hai pehle se hi tejon mein
keertida rani ko aisa mehsus ho raha hai ki bas abhi santan prakt hone wali hai gopika vayovriddh aaspas baithi hui hain itne mein divya pushp liye hue shri vrishu Bhanu ji mahal mein padhar hain divya pushp jagmag dwit kari mohe bhat chhata nihari aisa divya pushp hai prem vivas hokar shithil hokar ke kanj prasan gahe kar mahi chale harsi grah kirti pahi ati sugand tirang dat leene Bhanu samo ani dharyo sanman kari keerat ji ki god udhar prasav pida ho rahi thi idhar divya suman lekar ke kamal lekar ke samip pahunche aur kaha dekho aaj yamuna ji mein bada divya kamal jehi kamal god mein diya usi samay unko anubhav hua ki meri santan hui gop sundriyon ne dekha adbhut bijli ki Shri kant gaur van chhoti si nanni si ladli mano karod karod chandrama ki kanti li hue sab ne dekha jo god mein pushp diya unko anubhav hua santan hui dekha to shri ladli ju nrip Bhanu dulari kirti kumari pragat bhai vrish Bhanu lali ladli hamari jag ujiyari janu bik sa mridu kanj kali nrip Bhanu dulari kirti kumari pragat bhai
bras Bhanu lali ladli hamari jag ujiyari jan bik sa mridu kanj kali rasraj bihari ki nij pyari lad prem swaroopa ho ati hi sukumari raval wari pragat prem ras Rupa ho nikunj nivasini hari hi a vasini Radhe Krishna anandmai vibhu aaj anant vyapak digant so mul prem braj pragat bhai prem swaroopa ras adhara he bhakt janan hitkari ho kali kal mas harini bhav taran Giridhar pran pyari ho nap Bhanu dulari kirti ku mari pragat bhai vrish Bhanu lali ahi pati shruti sharad gavat narad shiv sukh dhyan agam ho ahi pati shruti sharad gavat narad shiv sukh dhyan agam ho chavi chhail chavi ati al beli gaur suvarna surya ho lawanya anupa Krishna swaroopa rasik jivni shri Radha shish rup rangili sughad sajeeli sumirat vinsat sab badha yah nain dhanya yah bain dhanya jin dekha jinne gun gaya ye braj anannya ye braj raj anannya jahan pragat jisko apnaya shri ladli jo prakt hui keertida rani ko sundar kanya hui hai pure mahal mein barsane mein ek kshan mein suchna pahunch gayi wahan pehle se hi jaise bhramar gandh pakar
ke pushpo ke samip aa jaate hain aise hi kar bhajan sangi ju Garg muni ye bade-bade mahatma kar bhajan ji sangi ji Garg ji Durvasa ji bade-bade vishv ke jitne ishwar koti ke mahatma hai ye pehle hi barsane aa gaye the je bhi suchna mili ladli ju prakt hui vrishabhan ko anand mein nimgn dekh kar ke sab mahal mein apne aap bulane ki zaroorat nahi padi akar ke bhay achraj grah dekhi paraspat kahat saban prati bodh ri kar bhajan sangi ja Garg muni lagan nachhatra bal sadri bahut anand mein anand sab rishi padhare lagan vichar rahe kah rahe hain bada ascharya hai iske grah nakshatra dekhkar sudhi bhaad shubh mas ashtmi anuradha ke shodhi priti jag balo karne lagan dhanush bar bodri balika ka naam hoga Radha vidyut lahri sa ang aabh hone ke karan yah Gaurang Radha naam se jagat mein vikhyat hogi samasth rishi apne netr sarthak kar rahe hain ladli ju ke darshan karke Vrishabhan ji se kah rahe ki kuch samay pehle jo nand bhavan mein anand um ka tha uska duguna anand tumhare bhavan mein umak raha hai samasth rishi sammaan prapt karte hain
vrish Bhanu ji se yat kinchit varnan karke piyaju ka mahmmahim swaroop aur darshan karte hain phir charnon ki vandna karke vrish bhanpur barsane mein alag alag lataon ke niche baithkar pyari ja ki mahima ka chintan karte hain idhar Veena ki jhankar par hari gungan karte hue dev narad ji jab se brijeshwar nand ke yahan nand nandan shri Krishna ka pradurbhav dekha tab se wah khoj rahe the pure braj mein ki inki priyaj ka kahan avatar hua kahin na kahin achint gati devesh narad ji ko khinch rahi thi pratyek brajvasi hon
ke darwaze par jaate kuch der khade hote dhyan sth hote wahan ki raj lagate phir dusre ghar aise pure braj chau kosh mein devesh narad khoj rahe the Priya ju ka kahan pradurbhav hua shri kishori ji ko dhundh hue devsi braj ke pratyek grah ke samne thhar thhar karke dhyan sth hote raj lagate mathe pe bajwas ki charan dhuli devsi ka sarvagya gyan is samay kam nahi kar raha tha prem vikal the devesh shri kishori ja ka anusandhan kar rahe the par pata nahi pa rahe the Radha kishori ke darshan ki prabal ichchha mano devesh narad ye sadhan bata rahe hain ki braj ki thiyo mein bhramn karna braj vasiyon ki charan dhuli mathe par lagana tabhi is brajdham ki maharaj rani ki kripa se maharani ka prichay mil sakta hai nahi anytha nahi bina Vrindavan bajar ka sevan kiye nahi vyakul hokar braj ki galiyon mein laute devra sh narad achanak suchna mili vrishabhan ji ke yahan kanya prakt hui hai Vrishabhan bhavan ke samne khade hue devra sh narad ke hriday mein ekdam akarshan hua aur hriday mein hua pravesh karo devesh narad ji
vrishabhan bhavan ke darwaze par jakar khade hue unki ek adbhut dasha ho gayi ek dasi sakhi jati hai aur vrishu Bhanu ji se kahti hai dasha ujjwal anuragi beena kandhe dhare gawe drigan jal dhare Baba ek sant aae hue hain dasha uj anuragi ujjwal anuragi prem mein Veena kandhe dhare gawe dragan jal dhare kya gawe Radha Radha naam badan kahe ati anuragi ayo ik brahmachari bina kaan dhare ati chakat so chahu dis nirakh mudit hot man bhari wo kabahu aandit kabahu nirat ye dasha sakhi vrish vanu Baba se bata rahe mala kanthi tilak tan chhape mere ajir ayo nachat ang hot romanchit magan bhyo ap bap jo bulayo beshuddh sthiti hai Radha Radha ga rahe kandhe pe Veena dharan kiye hue hain Baba koi aise sant padhare hain vrishu banu ji samjh gaye devrshi narad ji hai daudkar bahar aae dekha devesh narad ji charnon mein laut gaye vidhivat pad dargad se puja ki devrshi narad ji ne pucha koi sant hui hai haan apne sundar putr shri dama ko lakar charnon mein pranam karte hain balak ko dekhte hi sparsh karte hi netron mein premas bhar rahe hain
narad ji apne upar utri vastr se ankhen puchi aur kaha yah to nand nandan ka pran priy sakha hai ham pooch rahe hain koi kanya hui aapke yahan devsi narad ji abhas to mujhe yahi hua hai ki hari Priya ka yahi avatar hua hai rash Shabri shri Radha yahi prakt hui par ye to balak ko laye vrish man ji ne kaha haan bhagwan wo to abhi abhi prakt hui hai isliye nazdik nahi laye aapko wahan chalna padega ascharya ki baat devesh narad ji ko ek adbhut akarshan hriday mein ho raha hai kano mein ek amrit jaisa shabd ki haan haan ek kanya prakt hui wah samjh gaye itna prem mad itna akarshan ye to hari priyaj prakt hui hai mujhe shighr ek bar ek bar drishti us kanya par dalne dijiye kahan hai shighr le chalo main darshan karna chahta hoon ascharya bhare narad ji piche piche vrish Bhanu ji age age aur jab wahan pahunche to ek chhote se palne mein ladli ji ko jeehi drishti padi palne par shri la narad ji ka dhairya tut gaya aur ve daude sashtang dandvat ki ekdam bhavna hui parmanand sindhu mein doob rahe hain devesh narad ji
adbhut prem kyonki prem mein li ka pahla darshan div narad ji ko apne aap ko sambhal nahi paye do ghadi tak 48 minute tak to dhyanat mudra mano murchhit ho gaye ho aisi dasha do ghadi ke liye to unki dasha ho gayi mano shilakhand murti ho gaye ho jab bye gyan hua to apratim saundarya nihar kar vismay ki sima na rahi wah sochne lage ki aisa saundarya to tribhuvan mein maine kahin nahi dekha meri abadh gati hai main brahm lok Rudra lok indra lok kahin bhi ja sakta hoon kahin bhi jaata hoon tribhuvan mein kahin aisa saundarya nahi dekha bhagwan shri hari mahadev yah sab mahmmahim bhagwan shri hari ne jo Mohini rup dharan kiya to mahadev ji dekh kar ke mohit ho gaye lekin main is rup ko jo dekh raha hoon mere hriday mein jo bhagwan shri Krishna ke prati apaar prem umad raha hai aaj tak kabhi nahi bas yahi yahi bhagwan ki Priya hai yahi rase swari hai antar hriday se vikal ho gaye aur ashubh pravah dev sh narad ke prem vyvastha badi to vrishabhan ji se kaha ki kuch kshan ke liye tum mujhe ekant kar do main is
balika se ekant mein kuch kshan darshan karna chahta hoon unhone socha koi anusthan mangal vidhan hamari ladli ke liye jo agyaa kah ke vrishu Bhanu ji devesh narad ko pranam karke ekant ho gaye devesh narad ji ekant pakar shri ji se prarthna karne lage he nikunj devi he mahayog may he maha prabha mai mere mahan saubhagya uday hua jeevan bhar hari naam ki kirtan kiya hari bhakti ki uska phal mila ki aapke darshan ho gaye tum mere drishti path mein ai rase Shabri he devi y tumhare divyang atyant mohan hai inse prem ka madhury nirjhar jhar raha hai rasa anand ka srijan ho raha mere hriday mein main anant kal tak bhagwata anand mein duba rahne par bhi jo ras nahi mila va aaj aapke darshan se prapt ho raha hai he nikunj devi tum netr made hue ho phir bhi sukh ki varsha kar rahi ho tatvam vishuddh satwas shakti vidya atmika para parmanand sandoha dad vaishnav param kalya ascharya vi bhave brahm rudra di durgam yogeendranam dhyan patham navam sparas kar chit ichchha shakti gyan shakti kriya shakti swe
satu tavan samatra mitwa Manish mein pravartate anand rupini shakti shwari na sanshay twaya cha kreetesh nam Vrindavan vane kamare va rupen t vishwasya cha Mohini tarunya vaisa patam ki date rup mad bhutam he devi tum brahm ho tum sacchidanand brahm ke sat ansh sthit chandni shakti ki charm pranati karne wali vishuddh satva may tum sambit shakti sanvit ki charm parinti vidyam ka parashakti gyan shakti anand ansh ki lad shakti lad ki charm parinti maha bhav swaroopa ascharya vaibhav may yah sab tumhari ek kala ka
tumhare sampurnata ka gyan to bhagwan Rudra ko bhi yogendhr ganon ko bhi muneendra ganon ko bhi tumhen dhyan path mein nahi la sakte meri buddhi yah kah rahi ki sab tumhare ansh matra jitni shaktiya hai shri Krishna chandra ko adhin karne wali unki pranesh vari shri Radha tum hi ho ab mujhe koi sanshay nahi raha o kya aisa ho sakta hai he shri ji main aapke us vishv mohan kishor avastha ke rup ko dekhna chahta hoon jise dekhkar shri Krishna adhin ho jaate hain narad ji ka kanth bharaya aur rudan karne lage hai shri ji aisi keval anand mein rote raho prabal ichchha prarthna karne lage ki main aapke us kishori rup ke darshan karna chahta hoon shri ji ke kishori rup dekhne ki prabal utkantha badhti gayi ab barambar pranam karna shuru kiya devesh narad jine aur prarthna kiya narad ke antar hriday mein mano shri kishori ji ke darshan ke liye itni virag prakt hui prabal itne mein hi drishti padi to dekha shri Lalita ju vishakha ju champak lata ju chitra ju tung vidya ja indra lekha ja rang devi ja
sudevi ju asht sa chariya prakt ho gayi aur wo nau kishori rup sachar jehi sakhiyon ko dekha devra shad ji ne ek divya jyoti madhya mein dev sa nar abhi dekh bhi nahi paye ki murchhit ho gaye shri ji ka charanamrit dev narad ji ke mukh mein dala jante ho na kishori ke darshan ka adhikar kaise prapt hua braj raj ka sevan lal ju ke utsav mein sammilit hona brajvasi ke darwaze par jana lautna raj lagana usse Vrishabhan bhavan ka darshan aur wahan asht sachar ke darshan aur shri ji ke charanamrit se shri ji ki dekhne ki samarth narad ji ko ai sakhiyon ne kaha shighr hi utho devesh narad apne netron ka param labh lo jo tum kishori ja ke is tarun avastha ki pratham jhaki ka darshan karna chahte tarunya pratham pravesh samay yas maha madhuri aap darshan karo nahi ek kshan mein antardhyan ho jaenge phir bal rup ho jaenge narad ji ne jo shri ji ka rup dekha bar-bar charnon mein lat rahe hain jai Krishna manohar jai Vrindavan priy jai bhru bhang lalit jai venu rava kul jai va kritu tans jai gopi vimoh jai kumkum lipt
jai ratna vibhushan isi samay drishya badla aur narad ji ne phir dekha palne pe ladli kuch kshan ke liye jo kuch kshan ke liye devsi narad ji ke samne prakt hui ladli unki atho pair seva ka saubhagya socho jo yahan piche varnan ki aapka jo swaroop hai na bade bade ke dhyan mein ane wala nahi hai kalchar vi bhave brahm rudra durgam yogindra naam dhyan patham natam is pras kar chit yogindra naam dhyan patham natam wo kishori rup ek kshan ke liye devesh narad ji ke samne prakt hua sab sakhi antar dhyan kishori ja ka va rup antar dhyan aur chhoti si ladli shri Radha ju ka ja wo rup antar dhyan ho gaya palne wali ladli ju ke darshan awaz di vrishabhan ji ko vrishabhan ji aae dwaar par khade Vrishabhan ji pratiksha kar rahe the narad ji ne jab awaz diya to av purat kanth se devesh narad ji ko dekha vrishabhan ji ne pucha ki aapki bole is balika ka prabhav aur swabhav hi aisa hai ye jo meri dasha hai is balika ka swabhav aur prabhav hai tumhare bhagya ki sima nahi vrishabhan ji jahan inke charan ankit hai
wahan lakshmi sahit bhagwan narayan sadaiv virajman rahte hain narad ji ne narad ji vikal hai Veena mein bar-bar Radha Radha Radha ascharya ki shri ji ne abhi tak netr nahi khole the jab devesh narad ji ne ucharan kiya jai Krishna mano harini jai Vrindavan priy jai bhru bhang lalit jai venu rava kulo jai va kritu tans jai gopi vimoh jai kumkuma lita jai ratna vibhushan shri shri Krishna naam sunte hi ladli jo ne akh khol ladli jo ne akh khola pritam ka jas sun kar ke ladli ju ka pran priy hai usi ka y sun kar vrish man ji ko laga kiy anusthan ekant mein kar rahe the tabhi meri ladli ji ne netr khola narad ji shri ladli ji ke charnon mein pranam kiya aur bar-bar jai Krishna mano harini to ladli ju muskura dete netr khol diye muskura diye ab to bas pure vrish bhanpur mein jo bhi ladli ji ke paas aata to jai Krishna mano harini bas Vrishabhan Nandini muskura deti kilkari mar da jo bhi aata ab brash bhan ji ke harsh ka par nahi shri ladli ji ne akh khul di muskura rahi jo bhi ladli ja ke
samip aata to bas jai Krishna manohar jai Krishna mano harini devesh narad ji gaye braj ke samasth brahmano ko bula kar ke purush sukta ka gaan shri Vrishabhan ji kara rahe apne log bhi purush sukta ka gaan karte hain hari Om ma sahasra shar purkha sahasra sahasra pat bhav sarv savat sangal Puru khay vedam sarwam jad bhut ja bham uta matatwa se sano jad na rohti tavas hi mato jaya Puru pad viva bhuta tripa dasya mrit devi tripa du ud Puru pado seha bhavat pun vivam ma nane abh tato barad jayat virajo adhi Puru saja to atya pashat bhumi math pura tasma jaj sarv hot samdam pram pashuta chakra yyaa naran gram tasma sarwat chaha sama jare chhare tasma tama dayat tasma daswa ayant kech bhaya dat gavo hajat gare tasma tasma jaata ajaya tam janam praksha Puru jat makat ten deva ayant sadhya na mukham ki masya ki bahu ki maru pada uch brahmano mukh maash bahu rajan kat rus pad shad ajat chand ma manso jat cho suraj ajat shrota davay pran mukha nirat nadat sh savarta padam bhoom sat loka jat pu havi deva jatan basanto sa da sarad
sapta san pari sa samdha kata deva janat vana avnam pasu jajan jajan may jant deva stani dharma prathma sa teh na kam mahi man sa chat jatra purwe sadhya sank deva hari o ha Om brajvasi brahmin jan akar ved path kar rahe hain ab samasth brajvasi jan bhet le lekar ke Baba ke yahan padhar rahe Priya ju padhare aur phir sab utsav manate hain badhaiyan gate hain shri ji ke ladli ju ke pradurbhav ke maha mahotsav ki aur iska phal hoga ki ham sabko ladli ju ke naam mein aur ladli ju ke charnon mein asakti ho jae
jivya pe Radha Radha naam ho aur hriday mein gore charnarvind ki thesak ho to abhi ham apni pehle maharani ji ko padhara ate hain aur phir utsav manate janm utsav manate hain pyari ji ka shri Radha vallabh lal
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- ananyata se hi hoga sab kuch prapt ! // 26/09/26 — ham log bhagwan ke sharanagat jan hai. Priya lal ke sharanagat jan hai. Lekin sharanagati ka rahasya na janne ke karan bahut varsho tak ya janm pura vyatit hone tak hamara jo bhagvatik anand hai wo spurit…
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…
- aisa kuch kama lo jo mrityu ke baad bhi saath jaega / Gokul mein Nandlala ka janm // 21/09/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvai param shital mashryam param shital mashryam krishnay Vasudevay Devki nandnay cha nand gop kumaray…