॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

kya bistar mein baith kar naam jap karna chahiye ? Aur mantr jap?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

sneha ji Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji bistar par baithkar ham naam jap kar sakte hain kya? Haan jarur kar sakte hain. Shauchalay mein bhi baithkar kar sakte hain. Apvitra pavitrova sarwavasthangto ya smare pundrikaksham savayabhyant sooch vaay aur abhyantar se param pavitra rahta hai. Jo bhagwan ka naam jap karta hai. Guru mantr nahi jap sakte. Jis vistar par grihasth dharm ka prayog hota hai us vistar par guru mantr nahi jap sakte shauchalay mein guru mantr nahi jap sakte apvitra dasha mein guru mantr nahi jap sakte lekin naam aisi dasha mein bhi naam japa ja sakta hai shauchalay mein bhi naam japa ja sakta hai us bistar par bhi baithkar naam japa ja sakta hai kapil ji sikandrabad shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji goswami tulsidas ji maharaj ji kahte hain ki ja par kripa Ram ki hoi ta par kripa karen sab koi maharaj ji lekin maharaj ji phir bhi dekha jaata hai ki log purv mein bhi aur abhi bhi bhagwat prapt mahapurushon se bhi dves karne lag jaate hain.

maharaj ji aisa iska bhav ya iska rahasya kya hai? Dekho dves karna bhi kripa hai hamare liye. Aapki drishti mein aisa lag sakta hai ki akpa hai. Wah vyakti us bhagvatik purush ke upar akripa kar raha hai jo dves kar raha hai. Lekin bhagvatik drishti se dekho to kripa kar raha hai. Wo dves karke jab pratikultaa aur apman karega tab usko apni sthiti ka anubhav hota hai. Jab hriday shant aur nirvikaar hota hai to wah uski sthiti ka anubhav karane mein sthiti ko paripakva karne mein sahyogi hua to kripa hui ki nahi man lo aap apman karte hain aur hamari muskurahat jyon ki tyun rahti hai.

hamare hriday mein koi halchal nahi hoti to aap hamari sthiti ka bodh karane wale hue na to aap kripa ki na hamen hamare upar isliye akpa hai nahi sab par bhagwan ki jo kripa hai wo sab tarah se aati hai. Bhagwan ki kripa anukulta mein bhi hai aur pratikultaa mein bhi hai. Sammaan mein bhi hai. Apman mein bhi hai. Aadar nirader ninda stuti sab mein bhagwan ki kripa ko jo dekhta hai wahi vastvik dekhta hai. Jo aisa nahi dekhta abhi uski drishti theek nahi hai. Samjh pa rahe hain? Ek shishya jo unse samarpit hai uska kya kartavya hai?

agar koi unke guru ki ninda karta hai to kan mein ungli dal ke chal dena chahiye. Kyonki sansaar ki alag-alag drishti hai. To wah apni drishti mein hai. Lekin ham dekh rahe hain hamare bhagwan is rup mein bhi hain. Hamare bhagwan is rup mein hai. To ninda aur prashansha yah sabki hoti rahti hai. Bhagwan se lekar ke bhagwat bhakton se lekar sabki. To unmein se jinki daivi buddhi hoti hai, wah to shraddha karte hain. Aur jo asuri buddhi ke log hote hain, wah apne aap dves karte hain santo se. Wah buraian dhund ke buraiyon ka varnan karte hain.

apni maansikta ki buraian to hamare jaise Gurudev ki koi ninda kare to sant shambhu shri pad apwada kahe suni tha as mariyada kati jibh tas jo basai shravan mund nat chale parai to hamko dusra paksh accha lagta hai to kan mund nat chale parai shravan mund nat chale kan mein anguli dale Radha Radha wahan se chal de wo uska vichar hai uski dharana hai hamko apne bhav se chal chal dena chahiye. Aaj tak kabhi ek paksh nahi mila. Do paksh sadaiv rahe. Isiliye iska naam duniya hai. Bhagwan shri Krishna ko bheeshma aadi mahapurush parbrahm paramatma tatv dekhte the.

aur Duryodhan wahi Duryodhan bhagwan ki ninda karta tha. Bhagwan ko bandi banane ki socha. Kya kya nahi bhagwan ke prati usne bhav kiya. To jaisi buddhi hoti hai devi ya asuri waise hamara darshan hota hai. Jo asuri purush asuri vritti ke hain ve santo ka apman karenge. Ve ninda karenge avhelna karenge. Jo daivi sampada wale hain ve sammaan karenge aadar karenge. Bhagwan ke saman unhen pujya manenge. To hamko janna hai ki asuri vritti ka hai. Aisa mankar chhod dete hain. Jaise pagal aadmi gali de to ham us par dhyan nahi dete.

aise koi guru ki ninda kare, sant ki ninda kare ham uski baton par dhyan nahi dete. Chal dete hain baat bhut vivas matware te nahi bolah vachan bichare tin kar kaha suni nahi kanha jo buddhi shuddh nahi hai to kuch bhi bol sakte hain kuch bhi bol sakte hain to isliye hamko unki baten nahi sunni chahiye wahan se chal dena chahiye na krodh karna chahiye na jawab dena chahiye uttam baten bahut sare charit aapke shri mukh se sune hain to bhakton ke charit mein bahut badi-badi pratikultaen aati hain ek anya samannya jeev se bahut bade star ki tulsidas ji maharaj ji ho Meera ji maharaj ho namdev ji sukhu bai matlab wo ek waise sachchi baat samjho ye pratikultaa karne wale dande hain aur inke upar phahrata hai bhakton ka jhanda agar pratikultaa na ho to itni khyati santo ki na ho santo ki khyati hi hoti pratikultaa se agar Meera ji ko unka devra itni pratikultaa na deta to Meera ji ki mahima prakashit nahi hoti.

hiranyakashyap Prahlad ji ko itna kasht na deta to mahan bhaktaraj Prahlad ki itni mahima prakashit na hoti. To thodi der ke liye hamen dikhayee deta hai ki ye bhakt ko nicha dikha rahe hain. Lekin sahi baat mano to bhakt ko uncha phairane wale wahi log hote hain jo unki kadi ninda karte hain. Unka kada virodh karte hain. Wahi prakashit kar dete hain. Ye bhi bhagwat prerit bhagwat prerit hote hain. Nahi to kiski samarth hai? Seem ki chap sake kotasu ba rakhwal Ramapati jasu bhagwan ke das ka koi bal banka bhi kar sake kiski takat hai ek taraf bhagwan bhakti ki raksha ka kavach bante hain aur dusri taraf dusht ko power dete hain ki gali do ninda karo unhin ka bal hai nahi to kiski samarth hai vaishnav aparadh bhakt aparadh sant aparadh sadhu avagya turant Bhawani kar kalyan akhil ke hani usi samay uska nash ho jae lekin bhagwan usko bal dete hain kyon bhakti ki mahima prakashit karne ke liye ki mere bhakt mein itni samarth hoti hai.

yah tabhi samjh mein aata hai jab koi virodhi virodh karta hai. Phir uske hi ant mein dekha jaata hai ki maharaj ji jo virodh kar raha hai wo uska bhi patan ho jaata hai maharaj ji haan kyonki virodh karne se thoda lamba samay likhta hai. Haan nash to bilkul bilkul sir wo to vaishnav ninda ya vaishnav aparadh vajr ki leek hai use bhogna padega. Wo kisi prayashchit se nasht nahi hota. Use avashya mein bhoktuvi kritam karm subhasubham yah bilkul bhogna parta hai. Isliye bahut savdhaan rahe santo ko pahchanana bahut kathin hai.

santo ke kai parivesh hote hain. Bataya nahi jaise ek sant hai jo nange ghum rahe hain. Shri Sukhdev ji aur ek sant hai jo raja bane baithe hue hain. Janak ji ek sant hai jo keval durwankur doodh ka ras pite hain. Durvasa ji aur ek sant hai amrish jo chakravarti samrat hai. Durvasa ji ko bhi bhram ho gaya ki amrish aisa kaise ho sakta hai aur sudarshan chakra har samay amrish ji ki suraksha mila sant vesh se nahi nahi sant sthiti kahte hain vesh matra mein to bhulava bhi ho sakta hai chhalava bhi ho sakta hai lekin sant sthiti hoti hai chahe gasth ho chahe bilkul bilkul wo pat shirt mein bhi hai aur sthiti hai to wo sant hai dekho vibhishan ji rajmantri hain aur Ravan ke bhai hain aur bhagwan ke jab samne aae to kaha tum sareekhe sant priy more dharo deh nahi an ni hore aap jaise

santo ke liye main sharir dharan karta hoon bhagwan ne vibhishan ji ko kaha to wahan vibhishan ji ka koi lal pila vesh nahi tha wo apne raj mantri swaroop se the lekin hriday sant hai isliye bhagwan ne kaha tum sari ke sant priy more pramanit kar diya bhagwan shiv ne ki vibhishan ji sant hain jab lat mara Ravan ne aur unhone kaha tum pitu saras bhale mohe mara Ram bhaje hitnath tumhara to bhagwan kailashapti bol uthe Uma sant kahi bai karat mand jo kare yah sant hai vibhishan yahi sant ki mahima hai ki wah mand kar raha hai wah uski bhalai kar raha hai

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
  • jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1398 — ajay Mishra ji Pune maharashtra se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev main sabhi devtaon ki puja karta hoon parantu meri shri Ram ji mein shraddha hai. Main shri Ram ji ke prati eknishtha…