॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

shadi na kar brahmcharya se rahe to kin baton ka dhyan rakhen ? Bachchon se maharaj ji ki prarthna !

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

anjali ji Gurugram se shri Harivansh prabhu shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aapke pravachan se itna to gyan ho gaya ki yahan se kabhi bhi jana par sakta hai ant mein kisi bhi prani se moh karne se koi fayda nahi hai to keval bhagwan ke marg pe hi chale to kyon fanse maharaj ji age sansaar mein aisa bhav aata hai to nahi par agar sansaar mein bhagwan ne hamen kartavya diya hai to kartavya ka nirvah karna chahiye jaise mano bhagwan age hamara byah kara de to hamen apne pati ko bhagwan mankar sevan karna chahiye.

parivaar ki seva karni chahiye. Manushya jeevan paropkar ke liye mila hai. Ab agar byah praarabdh mein nahi hai to brahmcharya rah ke nirvah kijiye. Agar byah hai to virodh nahi karna chahiye. Hamko grahasti mein jakar ke parivaar ka poshan karna chahiye. Agar vivah mein nahi ja rahe to brahmcharya mein chalna hai to Gurudev ek kalyug hai. Aap aisa mujhe margdarshan karen ki main is raste pe kaise prabal rup se chal pa hai kathin par asamabhav nahi hai. Yadi ham apne pe sthit rah aur ham kusang na karen. Khanpan pavitra rakhen to kuch samay baad man shant ho jaata hai.

phir man sansaar ki taraf nahi jaata. Par hai kathin. Matlab asamabhav nahi hai par saral bhi nahi hai. Brahmcharya rahna koi saral nahi hai. Bahut kathin karya hai. Mahina 15 din sal chha mahina iske baad jab man apna swaroop dharan karta hai bhagta hai sansaar ki taraf. Dekho ham ek chij batayen aapko. Ham sabke andar ek kamzori hai. Hamen koi pyar kare. Aap sab koi batao. Sabke andar ek kamzori ki hamen koi chahe beta hi pyar kare chahe patni pyar kare chahe matlab hamen koi pyar kare par yahan wo pyar milta nahi hai wo pyar keval bhagwan se milta hai jo ham chahte hain ki niswarth koi hamara sahyog karen hamen pyar karen to yahan sab swarth se pyar karte hain.

koi niswarth prem karne wala to hai nahi. Wo keval paramatma hi hai aur unse hamara lagav nahi, bhagwan se lagav nahi aur sansaar mein ham pyar chahte hain to dhokha milta hai. To hamen chahiye ki apne man ko bacha ke hari ke charnon mein sav mana Krishna padarwind bhagwan ke charnon tak pahuncha den to manushya jeevan ki sarthakta ho jaegi aur yah kamzori bahut girati hai. Hamen koi pyar kare yah kamzori koi ham jo baat kahte hain ham apni man ki padhai ki baat kahte to man mein ab jaise maa pita bhai bandhu parivaar sabko chhoda ab koi hamara nahi bachpan se Baba ji bane to man mein ek jagah bachi par hamko aaj tak koi aisa nahi mila jo hamko pyar kare wo apne liye hamko pyar karna apne liye hamen pyar karega hamare liye hamko koi pyar nahi karta to ye baat ham anubhav ki kah rahe hain.

aap to man lo ghar grahasti sansaar mein ho. Ham to lakho karodon khopdiyan dekh dali. Lakho bachpan se lakho karodon ko lekin bhaiya hamara jo man maang raha tha wo kahin nahi mila wo Priya ji ke charnon. To isiliye hamen lagta hai ki sabke man mein aisa hoga jab hamare man mein hai ki koi to apna ho. Yah dhundne par keval bhagwan ke hi charan samjh mein aae aur koi samjh mein nahi aaya ki koi apna hai ya koi hamen pyar kar sakta hai. Sab apne swarth ke liye pyar karte hain. Hamare liye koi pyar karne wala hai to bhagwan tumhare sevak asurari swarth rahit jag jug upkari goswami ji ne likha hai swarth rahit jag is sansaar mein jug mane do upkari upkar karne wale hain.

kaun? Tum aur tumhare sevak asura bhagwan aur bhagwan ka premi bhakt nahi to sur nar muni sab hi ki riti swarth la kar maharaj ji ye ye baat aap zyada achhche se anubhav kiye hain maharaj ji kyonki aap bachpan se akele rahe hain maharaj ji ghar grahasti wale jo ghar grihasth mein hain maharaj ji unko to lagta hai mere pita mere se bahut pyar karte hain mere beta mere se pyar karta hai meri maa bahut to wo anubhav hi nahi ho pata jeevan nikal jaata hai maharaj ji aur baad mein dukh pe dukh dukh pe dukh itne jhaatke lag jaate hain jab jab tak anubhav hota hai to aap jo anubhav kar pa rahe hain ki hai aisa hi hai maharaj ji bat wo anubhav ki baat hai maharaj ji Kabir das ji ka jo hai na man bhula bhula phire jagat pe kaisa nata re mat kahe ye putr mera wo hamara bahan kahe ye veera hans akela jai man bhula bhala phire jagat janani anubhav karke bilkul bilkul jaise aapne kaha hai ki agar vivah nahi karna to grihasth mein rah ke parivaar ke sanrakshan mein apni sadhna kijiye ab man lijiye virakta vesh nahi le sakte.

abhi samay aisa kalyug ka hai. Lekin grihasth mein bhi aisa sanrakshan nahi hai. To phir kya kahan jae? Nahi samasya ye hai na ki jaise man lo kyonki pita man lijiye sharir ke bade bhaiya man lijiye nahi man apne ko hi surakshit rakhna padega bhagwan ki kripa se aur parivaar mein hi rahna padega. Ab samay aisa nahi ki matlab aap anyatra kahin apne naam jap se apna sanrakshan swayam kijiye. Bhagwan aapke sanrakshan mein hain. Bade-bade sadhiyan hui hain jinka sanrakshan bhagwan ne kiya hai. Dekho agar ham fisalne wale nahi hai to hamko koi phisla nahi sakta.

aur agar ham mein phislan hai to hamen koi bacha nahi sakta. Donon baten samjhna padega. Aapko katarta purvak apne sanyam ko bachana hoga. To koi aapko gira nahi sakta. Bhagwan rakshak seem ki chap sake ko tasu ba rakhwar Ramapati jasu bhagwan jiske rakshak usko kaun chu sakta hai lekin agar ham hi phisalna chaenge to bhagwan phir bachayenge nahi yah bhi baat hai phislo to phir phislo agar ham nahi phisalna chahte to phir koi mata-pita kitne din rahenge parivaar kitne din rahega pura jeevan to aapko hi nirvah karna hai accha kahin man lo kisi ashram mein bhi kahin raho to wahan bhi to phesal sakte hain agar aap ghar mein nahi phesal sakti to aap kahin nahi phesal sakti aur ghar mein phesal sakti to kahin bhi phesal sakti.

isliye apni phislan ko rokna hai na ki sthan parivartan karna hai. Mujhe lagta hai sthan parivartan se theek nahi uddeshya parivartan theek hai. Uddeshya parivartan karke apne ghar mein rah jae bahut accha hai. Dusre ki suvida mein aur dusre ke sanrakshan mein rahne se accha hai. Apne parivaar mein rahe. Namak roti khain. Unki galiyan bhi bardast kar le. Apne sanyam se chale. Are ji aapka bhi prashn tha kah rahe ki bahut sare bachchhe bade chhote matlab aapki vartalaap sun ke maharaj ji ghar chhod ke aa jaate hain.

phir matlab unko ham samjhate hain ki bhaiya aap apne ghar mein rahie to maharaj ji unke liye aapka kya nahi ghar chhorne ke liye ham kisi ko bhi nahi kahenge kyonki kalyug hai aur pure jeevan bhar sanyam se chalna bahut kathin hai. Ghar mat chodo. Koi bhi ghar se mat bhago. Ghar mein rahkar bhajan karo. Mata-pita ki seva ham kya kah rahe hain? Abhi hamari baat ko samjho. Hamara man khojta hai ki koi hamara ho. To usi parivaar ke beech mein rahkar ke yadi apne man ko bhagwan mein laga do to kitna badhiya ho. Ab ham logon ne jo kasht saha hai tum soch bhi nahi sakte ki wo kasht aise kaise garmi, sardi, barsat, bhookh, pyas, mar, gali sab saha hai.

sab saha hai. Ab jo ham logon ki babagiri hui wo babagiri aaj ki kya hai? To hamen lagta hai bhagne se kam nahi banega. Ghar mein rahkar bhajan karne se kam banega. Apne mata-pita ki agyaa mein raho. Kabhi koi bhi bachchha bachchhe bhag ke na ave. Hamari baat man lo kyonki tumhara galat prayog ho sakta hai. Tum kisi galat hath mein par gaye to tumhara jeevan barbad ho sakta hai. To tumhen chahiye ki apne mata-pita ke sanrakshan mein raho aur bhajan karo. Satsang sun lo. Kisi se zyada lagav mat rakho. Sant mahatmaon ke vachan se lagav rakho.

sant mahatmaon ki baat sunie. Duri hokar apna bhajan karo. Aaj ka jo samay hai wah bhajan karne se banega. Kahin kisi ke ashram mein jane se ya kahin kisi bhag ke jane se banne wala nahi. Yah baat samjh lo. Bilkul kahin kisi bachchha bachchi ko ghar chhodkar nahi bhagna chahiye. Hamari prarthna hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
  • jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1398 — ajay Mishra ji Pune maharashtra se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev main sabhi devtaon ki puja karta hoon parantu meri shri Ram ji mein shraddha hai. Main shri Ram ji ke prati eknishtha…