॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

bhakt Ramdas ji ka charit | An AI Short Video | Pujya Premanand Govind Sharan Ji Maharaj

▶ YouTube

pujya maharaj ji ke Shrimukh se bhakt-charit — puri katha upar video mein sunen.

pura pravachan

ek bada sundar prasang hai. Inka naam hai bhakt Ramdas ji. Aur dakshan mein godavri ke kinare ek kankavti naam ki nagri thi. Wahan ye Ramdas ji rahte the. Aur ye apne kul parampara ke anusaar jo grahasti ki seva hai wahi seva karte the. Atyant dayanya aur atyant garib. Sidhe pure sharir mein theek se pahne ke liye vastr bhi nahi the. Khane ke liye koi aisi vyvastha nahi thi. Agar aaj wah seva na karen jo unke kul ki hai to dusre din unke yahan rasoi nahi jalegi. Aisi koi anya ki bhi vyvastha nahi thi.

roz ka roz kamana aur apne parivaar ka bharan poshan karna. Ai hui atithi ki seva karna aur satsang se bada pyar tha unko. Yah dampatti ekmatra keval bhagwat ashrit koi sampatti nahi kisi bhi tarah ka kisi se koi vihaar nahi kyonki vihaar log dhani mani se karte hain. Garib akinchan se nahi karte hain. Inke ek ladka tha aur yah sadaiv apne kul ki jo seva hai wah juta ganthne ki wo beech bazar mein jakar baithe kisi ke phate purani jo paduka hai usko silte ya kahin aisa sanyog ban jaata to nai paduka bankar bechte jo usse milta usse apne parivaar ka poshan karte aur satsang jaate satsang mein sabse piche jakar baithe aur jo vaishnav bhagwat charcha charcha karte ye unke mukh ki taraf takte rahte koi padhe likhe to the nahi to jo baat samjh mein aati aati nahi to bas sunte aur jab bhagwan naam kirtan hota to nachne lagte unka sahas bhi nahi hua ki un vaishnnon se kah sake ki aap hamen diksha dijiye.

bas satsang mein jo naam kirtan hota usi naam ko unhen pakar liya. Bas man mein bar-bar Krishna Govind Krishna Govind aisa bolte pad naam se shastr swadhyay naam se itna hi hari main jaiso taiso tero aur satsang mein niyamit jakar baithna kuch samjh mein aae ya na aae jab naam kirtan hota to bada anand milta aur wahi Krishna Krishna Govind Govind hari hari aur bichbich mein aa bhar ke hari main jaiso taiso tero main jaisa hoon vaisa aapka hoon main jaisa hoon he hari aapka hoon teen prani swayam patni aur putr jo is seva se unko arth milta usse parivaar ka poshan koi atithi padharta us atithi ki seva aur jo satsang mein jaate hain niyamit bas unke hriday mein ek baat baith gayi kaise kaise is jagat ke malik ko rijhaun na to mere mein koi yogyta hai na padha likha hoon na dhan hai na pavitra hai main kis kisi yogya nahi kaise rijh kya mere se kabhi prabhu rijh sakte hain bilkul bilkul anpadh koi shastr ka gyan nahi koi koi pavitra ka gyan nahi koi paddhti ka gyan nahi aap dekhiye prabhu keval bhakti se prasann hote jante bhi nahi ho ki bhakti kise kahte hain.

age inke prasang mein dekhiyega ekdam bhole bhale jante bhi nahi ki bhagwan ki koi bhakti bhi hoti bas satsang mein pahunch jana jaise satsang ho raha hai pahli bar gaye baith gaye accha laga ab wo beech-beech mein jaise juta ganth rahe hain to beech-beech mein ekdam ruk jaate aur pukar uthte hari main jaiso taiso tero hari main jo to kaisi badhiya baat isse badhkar koi baat hi nahi koi baat hi nahi main jaisa hoon aapka hoon hari main aapka hoon jaisa bas bar-bar Krishna Govind Krishna Govind Krishna Govind bichbich mein aa barkar hari main jaisa hoon aapka hoon hari main jaiso taiso tero yah baat unko itni pyari lagi hari mein jaiso taiso tero ab ye isi ko gungunate sadaiv isi ko gungunane lage hari main jaiso taiso tero nirantar is pankti ko gungunana aur wo apne karya ko karna unke hriday mein is pankti ka marm utra to wo bar-bar isi ka gaan karte hue isi ka chintan karte hue iske marm ko prapt ho gaya.

marm ko prapt hone ka matlab bhagwat sambandh hriday mein aa gaya. Main hari ka hoon. Hari main jaiso taiso tero ye pankti gungunana sachmuch chamatkar ho gaya. Uske man ki sthiti ka parivartan is sutra ne kar diya. Hari mein jaiso taiso tero. Ramdas ji ka ek vishuddh saral bhav hari mein jaiso taiso tero. Kabhi-kabhi wo aansu bahate hue yah gaan karne lagte hain. Hari mein jaiso taiso tero. Ab ek din ki baat ki ek chor mandli kisi dhani mani bhakt ke ghar mein gaye jo grihasth bhakt hote hain khub dhan sampada thi to unke yahan shaleegram bhagwan simhasaan mein the simhasaan swarn ka tha chhattar bhi swarn ka to choron ne sab kuch churaya simhasaan chhattar sahit Shaligram bhi cura liye to simhasaan aur chhattar to bechne ke kam mein aa gaya.

Shaligram bhagwan unke kis kam ke? To usne swabhavic jiske bat mein pare the simhasaan aur chhattar aur bhi sab samagriyan thi jo aapas mein bant li thi. Us chor ne vichar kiya ki ye patthar hamare kis kam mein aayega? To ja raha tha. To dekha bazar mein wo juta ganth rahe the. Ramdas ji bhav mein bar-bar aise ganthte ganthte ruk jaate aur he hari main jaiso taiso tero kaisi rasmei sthiti aha ab wo chor vichar kiya ki wo jaise juta gathne mein kuch zyada ho jae dhaga ya chamda to use katne ke liye unke paas jo aujar hote hain unko patthar se ghaste hain.

to usne vichar kiya ki patthar yah mere kam mein to ane wala nahi kyonki uske andar koi bhav hi nahi tha ki bhagwan hai. To usne Ramdas ji se kaha ki suno hamen agar tum juta de do to tumhare ghasne ke liye hamare paas ek bahut chikna patthar hai ham de de. To Ramdas ji ne jo naye jute banae the wo use de diye. Bilkul saral swabhav ke bholebhale bhakt aur wo shaleegram bhagwan unko de diye aur yah kah ke diya ki patthar tumhare ghisne ke kam mein aayega. Ab wo dekha to ki ye chikne hain par jab usmen apna wo aujar ghasa to aur badhiya dhar nikli uski.

usko laga chalo jute ke badle mein accha patthar mil gaya. Badhiya hai. Ab usmen ghista aur kabhi-kabhi aansu bahate hue he hari main jaiso taiso tero dekho sukshta ki baat hai uske aansu girte Shaligram mein. Ab jab jor se ghasna hota to hath mein rakh ke thodi ghaste banta hai. Phir wo kuch aur mudra hoti hai. Ismen spasht likha hua hai wo mudra. Donon charnon ke beech mein Shaligram ji ko phasa ke phir ghaste. Aap jara dekhiye bhav ka vishay kaisa hota hai. Ab wo hriday mein bada anand milta kyonki bhagwan chakra chinh se chinhit Shaligram bhagwan ko isse koi matlab nahi hai.

ye to kya kar rahe? Bade bade rijwan aur bade leela bihari hai. Ab chor ke dwara diye hue Shaligram ka yahan ye prayog ho raha hai. Dusre ki paduka gathna usmen dhaga badhe to usse jo katte hain wo yantr unka usko usmen ragadte. Yah ek din koi pandit ji u apni paduka theek karane aae to jab drishti gayi to unhone dekha ki are aise shubh chinnon se yukt jismen chakra ka chinh bana hua hai aise chinh se to sakshat Shaligram hai. Brahmin ne kaha tumhari buddhi mari gayi hai. Ye tum kya kar rahe ho?

to unhone kaha apne patthar se apne aujar ki dhar niklne. Brahmin samjh gaya mudh aadmi isse kya baat karen? To unka kaha tum jitne rupaye chaho main tumhen rupaye dunga. Ye patthar hamen de do. Ye patthar hamen bahut avashyak hai. De do. Samjha ki isko samjhaen ki ye bhagwan hai to iske kya samjh mein aayega jab aisi halat hai ki donon pair rakhkar phir ismen apna aujar ghista hai. Ye to sakshat Shaligram bhagwan hai. Brahmin ne socha ki jaise bandar ko hira mil jae to kya jane aise kya jane bechara.

unhone kaha ki tum jitna rupya chaho main tumhen de sakta hoon. To yah hamen patthar tum de do. Mujhe accha laga. Yah patthar mujhe de do isliye main le raha hoon. Ab usne kaha ki mere to bahut kam mein aae hain ye patthar. Lekin tumhari ichchha hai to maine na paise dekar liye hain aur na tumse paise lena hai. Aap le jao. Koi baat nahi hai. Brahmin yah sunkar ke aandit hua aur usne wo Shaligram bhagwan le liye. Brahmin se kaha ki jo main mehnat karta hoon juta gaath karke usse jo milta hai mere parivaar ka usse bharan poshan hota hai.

mujhe is patthar ke badle mein koi dhan nahi chahiye. Le jao. Koi mujhe haveli nahi banwani. Koi mujhe sukh purvak nahi rahna. Kyonki agar sukh purvak rehunnga to main bhul jaaunga prabhu ko. Isiliye main janbujh ke utna hi kamata hoon jitne se roz udhar bhar jae. Itna kah ke Ramdas ji ne wo patthar de diya jo Shaligram bhagwan hai. Pandit ji ne dekha durlabh sadgunan se yukt Shaligram bade aandit hue. Ghar mein aae. Sundar jal se dugdh se abhishek karaya. Sundar simhasaan mein virajman kiya. Sopchar mantro se pujan kiya aur yah vichar kiya ki bhagwan meri is cheshta se prasann honge kyonki wahan kya sukh pa rahe the aur yahan ham unko kya sukh pahuncha rahe mantro se ucharan karna panchamrit se snaan karana tulsi ji upar virajman karna aadi aadi jo paddhti se seva puja hai ab pandit ji ki is prakaar ki seva puja se thakur ji asantusht ho gaye ab leo na jane kaun se gun par dayanidhi rijh jaate hain.

aha pandit ji puri puja vidhi jante the par hriday se prabhu ke prati apnapan nahi tha. Bhakti nahi thi prem nahi tha. Aur ye ab aap samjh lo kis koti ke bhakt hai. Kuch gyan hi nahi hai. Parantu inke hriday mein hai ki main prabhu ka hoon. Prabhu mere hain. Kabhi-kabhi aansu bahate to wo aansu jo Shaligram bhagwan ke upar girte usse bada pandit ji ka panchamrit nahi aur jo aah bhar ke pukarte Krishna Krishna Govind Govind he hari main tera isse badhkar ved mantr achhche nahi lage thakur ji ko. Thakur ji ne swapna mein ek vaishnav ka rup dharan kiya aur un brahmin se kaha ki tum sidhe hamko un Ramdas ke paas pahuncha do.

haan kaha ki yah tumhara sosochar pujan yah panchamrit abhishek aur yah tumhara simhasaan mein virajman karna mujhe bilkul accha nahi. Mujhe uski sukhi roti aur aah bhari pukar ne kharid liya hai. Mujhe wahin pahunchao. Ab jab swayam swapna mein bhagwan aisa adesh kar rahe hain to uske to hosh ud gaye brahmin ke ki ham to jise samjhte the ki wah to anpadh hai gawar hai. Prabhu itna use pyar karte hain. Ab hath mein sundar vastr par Shaligram bhagwan ko liya aur bhagwan se kaha ki aapko pata hai ki aapke upar wo aujar ghista hai.

chandan tilak lagane ki baat jane do. Simhasaan mein viraj wale pair rakh ke aap pe aujar ghista hai tumko wo fasal hai. Aur ye swarn upchar pujan panchamrit se snaan ye sab prabhu ne kaha jab wo aansu bahate hue naam bolta hai na Krishna Govind he hari main tera mujhe itna sukh milta hai ki ved mantro se mujhe sukh nahi milta. Aur jab wah mere upar pair rakhta hai to mujhe aisa lagta hai wah atmsamarpan kar raha hai. Pura ye yahi hai inse kaun par pave sarvlok maheshvar jitne bhi gyan ke sutra hai sab inheen se prakt hue inse koi pandit kya par pa sakta hai?

bole jab wo charan rakhta hai dabata hai charan se aise to mujhe lagta hai ki pura apne aap ko samarpit kar raha hai. Atmsamarpan kar raha hai. Mujhe bahut sukh milta hai. Tumhare chandan aur kasturi ke lep aur itr se mujhe jo sukh nahi milta uske ghasne se sukh milta hai. Ab raji aap raji to phir kiski kya bas chale? Thakur ji raji. Ab wo jo brahmin tha jisko yah garv tha ki main unche kul mein hoon aur main puja ka vidhan janta hoon. Meri dasata se meri puja se Shaligram bhagwan prasann ho jaenge. Aaj wo bahut danya hua ki mere durbhagya ke aaj tak mujhe wah prapt nahi hua jo Ramdas ko prapt hai.

kyonki swayam thakur ji wahan jana chahte hain. Yah vichar karke Shaligram ko lekar ke Ramdas ji ke ghar jana nischay kiya usne aur man mein bahut jalta ja raha tha ki main brahmin hoon lekin adambri hoon. Mere andar wo baat nahi ai jo us dainya bhakt Ramdas ke hriday mein ai. Bar-bar Shaligram ko hriday se laga ke vikal hokar kahne dekho yah hai kisi bhi tarah se bhakt ka sang ho jae kisi bhi tarah yah Ramdas ji ke darshan ki dekho ye darshan ka prabhav ab wo dainya hokar ja raha hai kya prabhu kabhi mere bhi hriday mein bhav aayega jaisi Ramdas ki bhakti se aap prasann kya kabhi mere andar bhi bhakti aayegi meri puja aapko pasand nahi to prabhu mere ko bhav de do jisse main Ramdas ji jaisi bhakti kar sakun ab aae baat ye brahmatwa ka abhiman ved gyan ka abhiman dhur dhurit ho gaya isiliye likha hai tniki sangati rahat jati kul mad sab nasai bhagwat premi mahatma ka sang hote hi jati ka abhiman kul ka abhiman vidhwata ka abhiman ye sab nasht hone lagte dekho nasht hua abhiman ab wo dara hua sa brahmin Shaligram bhagwan ko ek kapde mein rakhkar ke Ramdas ji ke ghar aaya aur dekha to hosh ud gaye.

Ramdas ji ke ankhon se aansu chal rahe hain. Bar-bar mukh se nikal raha hai. Hari main jaiso taiso tero. Hari main jaiso taiso tero malin vastr hain. Phate purane kapde hain. Sharir mein apne aap anubhav ho raha hai ki kitni krishta hai kyonki khanpan ki samgri uchit hai nahi. Aur ab ye jo rog badha hai hari mein jaiso taiso tero. Ye zyada kam nahi karne deta. Kyonki man mein jab anand ki unmattata hoti hai to kaun bahari logon se baat kare kaun bahar jakar ke baithe jisse char log akar khade ho wo ekant ghar mein baithe bas bar-bar pukarna accha lagta usko yah bhi pata nahi ki bhakti hai ye bhi pata nahi bas bar-bar hriday mein yahi accha lagta Krishna Krishna Govind Govind he hari main jaiso taiso tero asuon ki dhar bah rahi hai dheeredheere wahi geet ga raha hai he hari main jaiso taiso tero ye brahmin gaye jab dekha to bole oo dhanya hai dhanya hai tumhare

mata-pita ko dhanya hai Ramdas tum to bade mahatma nikle ham to samjh hi nahi paye ki tumhari aisi unchi sthiti hai tumhare adhin bhagwan hai ab wo dhire-dhire uske netr khule wo apne bhav se bahar aaya tab unhone kaha ki yah jin par tum patthar samjh ke apna aujar ghiste the avjar nahi main us samay bataya nahi yah sakshat Shaligram bhagwan hai tribhuvan pati swaroop mein virajman hai sare vishv ke Swami hai ghat ghat mein virajman hai sabki gati hai sabke aashray hai inke sharanagati hone se jeev bandhan mukt ho jaata hai tumhari saralta tumhare prem se rijh gaye hain.

jab main inko le gaya inko panchamrit se abhishek kiya vaidik stotron dwara inki stuti ki inki seva ki inko bhog lagaya sab lekin inko pasand nahi aaya inko tum pasand aae mere swapna mein ek vaishnav rup dharan karke aae aur mujhe aisa adesh kiya ki mujhe Ramdas ji ke paas bhej do. Wo ro para ki main to mahan papi hoon. Ramdas ro pare. Are main mahan papi hoon. Main to samjh nahi paya ki bhagwan hai aur main inke upar aisa krit karta raha hai. Main to bahut aparadhi hoon. Chikh chikh ke rone laga. Main kitna nirdayi kitna nich hoon.

dekho maine kya kiya. Bas brahmin to khada ka khada rah gaya. Bhav mein doob gaye aur he karuna samudra prabhu main kaise aapko rijha paun. Tum mujhe kitna pyar karte ho aur main kitna nich hoon. Aise pukarne laga rone laga. Anannya bhakti se bhagwan ji jaate hain. Bar-bar brahmin unko dhanyavaad karta ki tumhare andar jo bhav aaya hai na yah bahut kripa se aaya hai. Brahmin ke vachan sunkar ke Ramdas ke hriday mein thodi sheetalata ai. Brahmin ke charnon mein naman kiya. Jo hi brahmin gaya to Shaligram ki murti lekar hriday se lagaya aur khub rone lage.

prabhu main jaan nahi paya ki aap bhagwan ho. Aap Shaligram bhagwan ho. Ghar mein le gaya phata purana jo bhi kapda ho aise bichhaya asan par Shaligram rakhe aur jo rukha sukha uske ghar mein hota thakur ji ko bhog lagata aur gadgad kanth se prabhu ko pukarta kai din aise seva ke baad uske hriday mein baat ai ki yadi tum bhagwan ho main to janta nahi pandit ji kah gaye main to nahi janta ki tum Shaligram bhagwan ho yadi tum bhagwan ho to mujhe darshan do jab aap itna pyar hamse se karte hain ki unke ghar tumhen ruka nahi gaya aur tum wahan se wapas aae ho to prabhu main din hoon.

main nich hoon, main agyani hoon. Main durjan hoon, main patit hoon. Lekin hoon to prabhu aapka hi. Prabhu mujh mein koi pavitra nahi, koi sadachar nahi. Aur aise pavitra brahmin ke yahan se aap aae to mujhe laga ki aap mujhse pyar karte hain. Aap jab mujhse pyar karte hain to ab chhupa chupi ka khel band karo. Dikhao kaise hote hain bhagwan kaise ho tum mujhe to pata nahi lekin aap ab mere hriday mein bechaini ho rahi ki aapka swaroop kya hai prabhu aap kripa karo main tumhen pratyaksh dekhna chahta hoon he karuna sindhu he din bandhu he patit pavan aisi pukar karne laga ki he kripa sindhu Krishna he karunamay bhagwant main to tere hath bik gaya he prabhu he mor mukut dharan karne wale he vaijyanti mala dharan karne wale he kripa sindhu Pitambar dhari aap mujhe darshan dijiye apni kripa se aap darshan dijiye main to

patit hoon nich hoon par sharanagat hoon sharan gahe ki laj rakhiye prabhu ab mere hriday mein badi vikalta ho rahi main aapka darshan chahta hoon Ramdas ro ke prabhu se prarthna karne aisa prem samudra umda ki sab kuch bhul gaya bihal vikal hokar ke yah vikalta prabhu ko kheenchti hai us avyakt satta ko vyakt karti hai ye vikalta hai yahi hai par maya ka parda ude hue hai jab ham aise vikal ho jae jaise machhli jal ke bina tadapti hai aise hamare andar vikalta ho aur raha nahi ja raha dekho kaisi sthiti aa gayi ab jiya nahi ja raha vikalta ho gayi chikh-chikh karke apne ghar mein ro raha Shaligram thakur ji samne hain.

ro ke kah raha mujhe darshan chahiye. Sab bhul gaya. Kabhi-kabhi to aisa bhav aa jaata ki nach nach ke rijhata ki mere nritya se rijh jao. Aa kaisi shobha phate purane kapde hain. Krish sharir hai. Haan aur bhav mein bheena hua samne kapde mein virajman Shaligram nachnach ke ye bhav ki isi nritya se rijh jao. Prabhu mujh garib ke paas to kuch rijhane ke liye nahi hai. Kabhi roro ke prabhu mere rone se rijh jao. Aisi bhavna se wo vikal hokar prabhu se pukarne laga. Ab to prem ke jo asht satvic bhav hain uske hriday mein uday hone lage.

kabhi hansta kabhi rota kabhi chup shant baith jaata. Kabhi gaan karta kabhi he hari main jaiso taiso tero. Aisa pukar uthta. Uske hriday mein itni jor se lalsa jagi ki prabhu ka viyog isse asay hua aur prabhu ko asay ho gaya rukna yah hai bhakt ki samarth asah ho gaya prabhu ko bhi rukna ab prabhu nahi ruk sakte vikalta ho gayi aha prabhu vikal ho gaye ab wo gadgad kanth se he bansheedhar he Madan mohan jorjor se pukarne laga he banseedhar he Madan mohan tumhare charnon mein bar-bar namaskaar hai. Mujh garib ki pukar suno.

kahan ho anandmay kahan ho Shyam sundar mujhe darshan do. Aise pukarne laga. Prabhu yadyapi main samjh raha hoon ki jaise chhota sa balak chaand ko khalne ke liye mange. Aisi meri baat hai. Kahan main nich adham kahan bade-bade tapasvi rishi jo aapko dular karte rahte hain dhyan ke dwara kaha main apvitra par prabhu main hoon to aapka na main kshudra hoon. Din hoon nich hoon. Jaisa bhi hoon aapka hoon. Par ab mere hriday mein ek hi hai. Aapke darshan nahi milenge to main pran tyag dunga. Main nahi ji sakta aapke bina.

kya karun? Mujhse jiya nahi ja raha. Yah yah sthiti hai. Kaisi kripa hoti prabhu ki apne bhakton par prabhu ke bina jiya nahi ja raha. Ye ye matlab ab is baat mein keval vani ladakhdati hai. Ye keval prabhu dete hain. Bhajan sadhan sab ek taraf ye baat ab jiya nahi ja raha. Wo hriday mein aisi vikalta ek kam to baitha hua pukarta rahta hai. Ab jiya nahi ja raha. Ye ye baat jinke hriday mein aa gayi bas milan nazdik hai jab jiya na jae nahi khanpan te bhave nahi komal vasant suhave sab vishay lage te khara hai hari ashik ka magn ab kuch accha nahi bas ab jeevan hai to hari se hai agar nahi mile to jeevan nahi aisi vikalta hai hriday mein ab main tumhare liye hi ji raha hoon bas hamara jeevan prabhu ke liye prabhu yadi aap na aae to is jeevan ka ant ho jaega kyonki ab kuch sunai nahi de raha.

maine to kabhi jana hi nahi ki tum prabhu ho. Dekho maine aapka nirader kiya par aapne pyar kiya. Maine nirader kiya. Maine jana hi nahi ki tum Shaligram ke rup mein chor ke dwara mere paas swayam aae ho. Maine jana hi nahi. Maine to aujar ghisa. Aapke upar charan rakhe. Aapko mana hi nahi ki aap bhagwan ho lekin aap mujhse pyar karte ho. Main usi pyar ki duhai dekar kah raha hoon ki aap mere se mil jao. Mere se mil jao. He kripa sindhu tabhi mere andar yah himmat ai ki main aisa kah sakun ki mere se mil jao.

deenadyalu mera sahas aapki kripa par nirbhar hai. Bolo aap ek sadachari vedagya brahmin ke yahan jakar bhi santusht nahi hue. Mujh maile kuchele aacharan wale ke ghar aae. Prabhu isiliye mera sahas ho raha hai. Aap ek bar mere netr gochar ho. Yadi darshan na dena hota to ye aapne lalak kyon lagai? Ye aapne lalak kyon lagai? Aap kyon aae mere paas? Kyon mujhe satsang mein le gaye? Kyon wo baten sunai? Kyon apna naam apni jibhya pe laye? Kyon aisi leela ki? Main to jaisa tha vaisa para rahta. Lekin aapne hi ye lalak lagai.

aap hi mujhe age badhae to ab aap mil jaiye. Prabhu main jaisa hoon tumhara hoon. Ab mil jaiye bas bar-bar yahi ek bar sanvre ye apna chaand sa mukhda mujhe dikha do mera chitt vikal ho raha hai he mere Manmohan karuna ki varsha kar do is deenheen kangal ke paas kuch aisa nahi hai jisse main tumhen rijha paun is prakaar vikalta hui bhakt ka vishuddh bhav bhagwan ko adhin kar leta hai isi vishuddh bhav ki sthiti mein koi bhi vikar uske hriday mein nahi tikta kam, krodh, lobh, moh, dum ye sab nasht ho jaate hain.

hriday ekdam dravit, nirmal aur asuon ki dhar ke rup mein hriday bahne lagta hai. Ramdas ji ki prem bhari pukar sunkar ke us sarveshwar prabhu sthir na rah sake. Wo ek vaishnav ka rup banaya aur Ramdas ji ke ghar pahunche. Ramdas ji ke to aansu chal rahe the. Prabhu se pukar rahe the. Wo masti mein jhoom raha tha. Kabhi-kabhi nash parta. Kabhi-kabhi ashv pravah karte hue kuch badabdata jo samjh mein bhi nahi aata. Kabhi-kabhi Shaligram ki murti utha ke hriday se lagata, chumta apne netron mein lagata, kabhi-kabhi murti lekar nachne lagta, kabhi murti ko rakh ke sashtang dandvat karne lagta.

aise aur bhagwan wahan khade hain. Vaishnav rup prem dasha ka nireekshan karke muskurate hue usse bole are bhaiya yah tu nach kud kyon macha raha hai? Kuch mil gaya kya tere ko? Yah badabda kya raha hai? Yah kam dhanda chhod ke kya ye hath mein kya liye hai Shaligram ke liye? Prabhu vaishnav rup mein ghar gaye aur aisa pucha Ramdas ji ko awaz sunai di to bahya chetna hui. Aankh khol ke dekha koi vaishnav hai. Sashtang dandvat pranam kiya. Samne dekha divya murti dwadash tilak lagae hue koi vaishnav khada hai.

vineet bhav se hath jodkar kaha prabhu main to mahamurkha aur apvitra nich prani hoon. Mere se aparadh hi bante rahte hain. Main kya aapke prashan ka jawab du ki main kisko liye hoon? Kya badabda raha hoon? Kya bol raha hoon? Man ka kutila hoon. Vidya buddhi bilkul hai nahi. Pavitra ka to lesh nahi hai. Par yah jab se mile Shaligram dikhaya aur kaha yah jab se mile tab se mere hriday mein kuch ho raha hai. Bechaini ho rahi mujhse ab jiya nahi ja raha. Vaishnav ne kaha ki tum inhe bhagwan samjhkar pujte ho.

haan haan bhagwan hai. Aisa brahmin ne bataya hai. Isiliye mere andar ek akanksha ho gayi ki main bhagwan ko sakshat dekhna chahta hoon. Mujhe darshan nahi hue. Mujhe lagta hai ki mujhe puja vidhi nahi aati hai. Koi mantr aadi nahi aata. Jaisa man mein aata hai waise seva karta hoon. Jo man mein aata hai vaisa bolta hoon. Kya deenadyalu prabhu mere par rijh jaenge? Wo vaishnav se aisa Ramdas ji puchte hain. Ramdas ji aisa kahte kahte chilla chilla kar rone lage ki mujhe na puja vidhi aati hai na vastu puja ki hai na koi shastron ka gyan hai.

kya prabhu mere se rijh jaenge? Vaishnav vesh dhari bhagwan ne ashwasan diya aur kaha ki bhai yah to theek hai jo tum kar rahe ho. Lekin bhagwan ke darshan ki baat tumhare hriday mein ai. Ye theek nahi hai. Bhagwan ye vaishnav rup mein aae. Are bade-bade devta yogi muni jan kitne kal tak tapasya karte hain, dhyan dharte hain, samadhi mein rahte hain. Wo darshan nahi pate to tum jaise manushya ko kaise bhagwan darshan denge? Meri baat mano. Ye darshan ki baat to chodo aur apna kam dhanda karo. Thodi der bhajan sadhan kar liya karo jaise kar rahe ho.

vaishnav ki in baat ko sunkar ke mano Ramdas ka hriday phat gaya ho. Unki ankhen khuli ki khuli rah gayi ho. Aa barkar to kya mujhe bhagwan nahi mile? Aa ye ye priti hai. Yahi bhagwan dekhna chahte hain ki kaisa mere bhakt mein mere milan ki vyakulta hoti hai. Ankhen khuli ki khuli rah gayi. Vaishnav kah rahe hain bhagwan ka darshan bada durlabh hai. Yogi munio ke samadhi bhav ko prapt mahatmaon ke dhyan mein bhi jo nahi ate wo mujh jaise nich ko kaise darshan denge baat theek kah rahe brahmin devta vaishnav devta wo vikal ho gaye aansu girane lage aur kahne lage dev aapka kahna satya hai main bilkul adhikari nahi hoon ki mujhe bhagwat sakshatkar par kya karun ab mujhse jiya nahi jaata ye ye khas baat hai jiya na jae prabhu ke bina raha na jae main nich hoon, papi hoon.

mere paap aur nichta ko dekhne par lagta hai ki kabhi bhagwan mujhe nahi milenge. Par prabhu pata nahi mere hriday mein ek anand ki lahar uthti hai. Aisa lagta hai prabhu milenge. Aisa lagta hai prabhu milenge. Kyonki mere hriday mein aisa aata hai. Prabhu mujhe pyar karte hain. Aisa lagta hai mere ko. Yadyap main kisi yogya nahi hoon. Par hriday mein aisa lagta hai prabhu milenge. Aisa lagta hai ye daya ke samudra prabhu mujhe jarur darshan denge. Mujhe aisa lagta hai jaisa rup rang unka ho jaisa unka shastron mein varnan kiya gaya ho.

jaise suhagini stri keval apne pati ko hi dekhti hai. Aise he vaishnav devta mera hriday keval keval prabhu ke liye hai. Ab bina darshan kiye mujhe chain nahi. Mere hriday mein lagta hai ki wo mujhe milenge. Mere Swami bade karuna sindhu tum bhale aisa kah rahe ho chahe jo kuch ho mujhe darshan milenge aur aisa kah ke nachne laga mujhe milenge avashya milenge. Ye yahi yahi bar-bar satsang mein jaise kahte hain nischay karo isi janm mein bhagwat prapti hogi. Koi akar kahe to is baat se mat talna. Mujhe isi janm mein prabhu mile.

aapka yah bar-bar chintan nischay prabhu ko vivash kar dega aur aapse prabhu ka milan ho hi jaega. Ramdas ji nachne lage phir vikal hokar ke pukarne lage aur prabhu khade hue dekh rahe hain uski bhav dasha ko jaise suteekshan ji ki bhav dasha ko bhagwan shri Ram chhup karke dekh rahe hain. Mithe swar mein phir bole vaishnav swaroop bhagwan beta Ramdas tera jeevan dhanya hai. Dekh main vaishnav bhash mein tere ko dekhna chahta tha ki tu mere pyar mein kitna vikal hai. Dekh mere ko dekh jab aisa kaha to aankh khol ke dekha to vaishnav nahi the.

wo vaishnnon ke aradhya dev the bhagwan Shyam sundar. Anant anant koti suryon jaisa prakash jinke shri charan nakh se prakashit ho raha tha. Achanak aankh kholte hi aankh mund gayi. Itna tej usne dekha ki Madan mohan tribhangi lal bansi adhu par dharan kiye hue lalit tribhangi swaroop se bade anand mudra mein virajman hai aur Ramdas ji ki aisa sundar rup wo to anand samudra mein doob gaya ki abhi tak mere se bhagwan hi baat kar rahe the roz milte roz vaishnav janon ko aap bhi pehchano na kisi na kisi rup mein akar wo thatoliya karta hai kisi kisi na kisi rup mein aake roz milta hai pakdna roz pariksha karo kahin is rup mein mere prabhu to nahi aa gaye kahin is rup mein main chuk na jaun mera pritam kisi yahi to vaishnavta hai sab rupon mein jhankna mera pritam aaya hai is rup mein aap nischit dekhna ek din wo pakar jaega aur wo jaise Ramdas ji ke samne apni us chhad mein bhash ko hata diya aise hi hata dega wo kisi rup mein ro jaata hai vaisa nahi hai karuna ka samudra hai wo ruk nahi nahi ruk sakta wo tumhare paas hi hai.

roz tumhen dular karta hai. Sachchi maniye jis din aisi vikalta ho jaegi us din wo parda hata dega aur aisa hi sukh milega jaisa Ramdas ji ko mila. Samne dekha sacchidanand ghan vigrah prabhu shri hari shri Krishna chandra pura ghar prakash se yukt hai. Ab to uchal para aandit ho gaya. Wo sari ki sari vyakulta anand mein badal gayi. Maha amritmay sukh bar-bar pranam kar raha hai. Aa samne nau kishor thakur lalit tribhangi virajman hai. Bar-bar pranam kar raha hai. Bar-bar shri charnon ko sparsh kar raha hai.

stuti karna chahta hai par aata nahi hai kuch. Isliye aise kuch bolne ki cheshta karta hai. Prabhu utne mein hi mand mand muskura rahe hain. Phir achanak bhagwan antardhya ho gaye. Ab to punah darshan ke liye chhataptane laga. Bhumi par lautne laga. Badi hi tanmay sthiti ho gayi. Yog viyog ki sanandmay avastha mein duba hua nirantar kabhi dekh raha hai bhagwan uske samip hai. Kabhi dekh raha hai antardhya aisi vikalta. Ek bar darshan hone ke baad phir kabhi aisa nahi hota ki prabhu netron se ujal ho jae. Bas jaate hain netron mein.

aisi hi anandmay sthiti mein uska sharir pura hua aur wo nitya parsad swaroop dharan karke prabhu ki nitya seva mein upasthit ho gaya. Isiliye devrshi narad ji kahte hain ki bhagwat prapti ke liye bhagwat milan ke liye koi aisa nahi ki aap uchh kul mein janme ho to hi bhagwan mile ya vedon ke parangat vidvan ho ya bade dani ho tapasvi ho aadi aadi ho to tumhen prabhu mile. Prabhu keval keval apne bhakti bhav se milte hain. Hriday mein prabhu ke prati apnapan ho aur tadpan ho to nischit prabhu mil jaenge.

shesh charcha age shri Radha vallabh lal ki jai

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi