॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

santon ki kripa se kaisi adbhut sthiti ?/ Uddhav ji ko dekh kar brajvasyon ki virhadsha // 17/12/24

▶ YouTube

shri dham Vrindavan par pujya maharaj ji ke vachan — upar video mein sunen.

pura pravachan

Vrindavan Shabri taiv padarvindm prema mrtak makrand ras purnam dad madhupati smar tap mugroldi param sacchidanand ghan Premanand swaroop nav nivrit nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladle yugal sarkar prana aradhya pran priy shri Priya pritam u samasth sachar vrind kh mrig pashu panchhi taru lata shri yamuna ras rani raj rani samasth brajvasi parkar ke charnon mein koti shah pranam koti shah naman namaskaar pratiphal ayu nasht ho rahi hai hamari swas gini chuni hai aur wo ek ek

shwas kam ho rahi hai jaise anjuli ka jal kitna bhi jor se bandh lo va ek samay khali ho hi jaega aise hi hamari ayu hamari swas khali ho rahi hai jaise patte mein latka hua bund ek samay tutkar gir hi jaega aise hi hamari ayu purn hote hi ye sharir nasht ho jaega isliye sharir nasht hone ke pehle hi bhagwat prapti kar lo agar bhagwat prapti na ho pai aur hamne bhagwat prapti ka prayas kiya to agla janm hamara Shri van kuvan bhakti sampann ghar mein hoga aur ham punah bhagwat bhajan karke bhagwat prapti karenge par yadi is janm mein prayas hi nahi kiya to phir 83 99999 yoya hai unmein hamen jana hi padega ek matra keval manushya yoni aisi hai jisse ham bhagwat prapti kar sakte hain anya yoniyon mein kriy man nahi hai keval sanchit aur praarabdh hai manushya sharir mein kri man hai naya karm kar sakte ho va chahe paap karm ho chahe punya karm ho ya bhagwat bhajan ho isliye bahut savdhani se bhagwat samarpit jeevan vyatit karo ek ek swas badi kimti hai shyama Shyam ke naam rup mein laga do

shripad Prabodhanan ji maharaj kahte hain idam bhagwat arpana chariton phalam cha bhagwat padamini he bhai jeevan ki sarthakta hai bhagwat arvan jeevan kal bas keval itne ki charcha hui thi idam bhagwat arpana charitam tumhara jeevan tumhara charit bhagwat arpit hona chahiye uska phal hai sadhu sang phalam cha bhagwat padanjeekabtahu yadi aapne man se soch liya ki main Priya pritam ka hoon main Priya pritam ke sharan mein hoon to iska phal milega bhagwat padanjeekabtahu agar satsang na mile to aisa lagega aaj ka hamara din vyarth

gaya ham kaise samay katenge satsang ke liye nasha ho jae ruchi ho jae asakti ho jae wah kaise hogi bole bhagwat padmu rati su bhakti man mahapurush ke dwara jab ham bhagwat premi mahatma ka sang karte hain to garmi sardi barsat ye sab kuch suhai nahi deta keval bhagwat charcha suhai deti satya kahte hain hriday us din hamara bahut vyathit hua jab hit dham mein varsha ho rahi thi aur sab sant baithe katha sun rahe the aap log jo purane hain unko yad hoga ki thandi hai varsha ho rahi aur jayo ke tyun sab koi tas se mas nahi keval bhitar 25 log baithe 40 log baith sakte the bahar saikadon log bhajte hue katha tab yah aaya tha ki hriday mein bhagwan kabhi aisi vyvastha ho jae ki shrota jan bhagwat charcha sun sake to aise kuch sarad jan jo vastvik sarad jan hai unhone apne jeevan ki kamai lagai aisa y nahi hua ki dan chanda se bana hoy nahi unhone apna sarvasv nichhavar kar diya jeevan arpit kar diya sab kuch arpit kar diya aise aise bhav bhakt hue y jo saubhagya mila hai Priya pritam ki charan raj mein baithkar satsang

sunne ka agar hamen Priya pritam ki charcha mein ruchi na hui to hamare kisi sadhan ka koi phal nahi mila jaise ismen varnan hai ki bhagwat arpit jeevan ka phal hai mahapurush ka sang aur mahapurush ke sang ka phal hai bhagwat katha mein ruchi aise varnan hai ga Swami ji kah rahe hain ki teerthatan sadhan samudai jog virag gyan ni punai nana karm dharm vrat dana sanjam dum jap tap makh nana bhut daya dwij guru sev kaii vidya vinay vivek badhai jahan lagi sadhan ved bukhani sab kar phal hari bhagti Bhawani sab kar phal hari

bhagti Bhawani teerthatan vivid tirthon ka niyam purvak avgahan karna uska phal kya hua bole bhagwat prapti ki sadhna mein ruchi jignyasa kaise bhagwat prapti ho kaun sa marg hai vivid sadhna yog vairagya gyan nipunta nana karm dharm vrat dan sanyam dum arthat indriyon ka daman jap tapasya makh nana prakaar ke yagya aur samasth praniyon par daya aur brahm rishiyon ki seva guru ki agyaa mein rahna vidya vinay vivek yah sab in sab ka phal hai bhagwan ke charnon mein atu ki bhakti ho jana jahan lag sadhan ved bukhani sab kar phal hari bhagat Bhawani sabka phal hai bhagwan ke charnon mein prem ho jana bhagwan ke naam mein prem ho jana bhagwan ki leela katha sunne mein asakti ho jana agar yah nahi to so sab dharm kam jari jau jaha na Ram pad pankaj bhau yadi prabhu ke charnon mein bhav nahi bana prem nahi hua to sab dharm karm bekar ho gaya sab sadhan kar yah phal sundar prabhu pad pankaj priti nirantar samasth sadhna hon ka sundar phal hai prabhu ke charnon ka nirantar madhur madhur smaran agar bhakti prakt nahi hui to sadhan

sab vyarth ho gaye bhagwan kah rahe hain na ham badan tapsa na dane nache jaya shakya evam vidhu drisht drisht vanas mam yatha bhakt naya sakya aham evam vidh arjun jatu drishma cha tatwe pravesh cha param tap bahut jor ki baat hai arjun ji se kah rahe tum jaisa mujhe dekh rahe ho aisa main ved se tapasya se dan se yagya se bade-bade anushthanon se main dekhne mein nahi aa sakta jaisa tum mujhe darshan kar rahe ho aisa na main ved path se na tapasya se na dan se na yagya se main dekhne mein nahi aa sakta kaise aa sakte ho maharaj dekhne mein to kah rahe keval anannya bhakti se anannya bhakti ke dwara hi tum mujhe dekh sakte ho aur gyaa tum mera gyan prapt kar sakte ho tatwe pravesh tum tatv se mere ko samjh sakte ho mera gyan prapt kar sakte ho tatv bodh ho sakta hai mere ko tum jaan sakte ho main kaun hoon kitna hoon kaisa hoon kisse anannya bhakti ke dwara keval anannya bhakti ke dwara shri bhagwan swayam apni baat kah rahe ki na sadh mam yogo na sankhya dharm Udhav na swadhyay tapas tyago yatha bhakti mamor

jita bhakt mein kaya grah shraddha atma priy sata bhakti Puna man nishtha supa kan sambhwa agar mujhe koi vash mein kar sakti hai to bhakti vash mein kar sakti hai agar bhakti nahi hai to mujhe yog ke dwara gyan ke dwara dharm ke dwara swadhyay ke dwara tapasya ke dwara tyag ke dwara vash mein nahi kiya ja sakta main santo ka priy atma hoon main keval shraddha bhakti ke dwara hi vash mein ho sakta hoon agar meri shraddha bhakti anannya bhakti chandal ke hriday mein jagrit ho jae to wah bhi jagat ko pavitra karne wala ban jaata hai agar meri bhakti nahi to wah koi bhi ho jin hari bhagat hriday nahi ani jivit sav samante pran va jite hue murda hai aur chandal ke bhi hriday mein yadi bhakti aa jae to aho pach to gari yaan yag warte naam tubhyam wo sabse shreshth tribhuvan mein mahan hai jiski jivya par bhagwan naam chal raha hai hriday se bhagwat charnarvind ka aashray hai isliye bhagwan karuna karke jab satsang dete hain ye baat samjh mein aati hai ki jeevan bhagwan ko arpit kar diya jae to uska phal hota hai

bhagwan ke naam mein ruchi ho jana bhagwan ke dham mein asakti ho jana bhagwan ki leela katha mein asakti ho jana shripad Prabodhanan ji maharaj kah rahe fala bhagwat kathamrit ruchi aur phir us katha sunne ka phal kya hua bole shruti naam param phalam Madan mohno yadam Vrindavan hai Vrindavan mein virajman Madan mohan shri lal ju aur Mohini shri Priya ju inko apne netron se dekh pata hai yahan ghatna ghatti hai yahan ghatna ghatti hai gal baiya diye hue yugal sarkar avyakt rup se hamari drishti mein nahi aa rahe par vyakt rup se behran karte hain aur jisko y dekhte hain ki mera anannya hai bas keval anyata dekhte hain jahan dekha mera anannya hai bas wahi parda hata diya maya ka aur sakshatkar ho gaya yahan koi zyada mehnat nahi padti dham hai yahan keval anannya ki baat hai aur wah anannya anannya rasik mahapurushon ke sang se hi aati hai shripad kripa karke kah rahe hain phir uski sthiti kya hoti hai bahut sundar baat hai agar samjh mein aa jae bhagwat samarpit karne ki jahan bhavna hui din dayal prabhu dravit hokar apne

bhagwat premi mahatma ka sang de dete maha sangas durlabh ho yah durlabh baat hai bhagwan prasann hokar ke rupya paisa de dete hain makan de dete hain sundar stri de dete hain putr de dete hain ye ye baat nahi hai sut dara dhan lakshmi papiyo ke ghar hue sant samagam hari katha tulsi durlabh do durlabh baat kya hui mahat sangat durlabh ho sama atma su durlabh bhagwat prem mein matvala sant mil gaya jisko kanchan kamini kirti ne apne aap hath jodkar chhod diya hai ya jisne in tino ke rag ko nasht kar diya hai se bhagwat premi mahatma ke sang se bhagwat katha mein ruchi bhagwat naam mein ruchi bhagwat aa charnon mein ruchi aur uska phal hoga ki Priya pritam ka sakshatkar Vrindavan mein hoga aap chahe america mein rahte ho wahi Vrindavan prakashit ho jaega aapke netron ke samne aur Vrindavan mein adbhut vihar karte hue Priya pritam ka sakshatkar ho phir kya sthiti hoti hai phir sthiti kya hoti to bole jagrat swapna susrupt nitya milan nitya anurag nati nitya shachar naveen divya vayas

nitya smar mad nitya nanya vichitra kel kalan nitya vrinda viti shri Vrindavan nagar man taav nit javlo ab uski jagrit avastha ho chahe swapna avastha ho chahe susrupt avastha ho wah milan ut sava ek mahan utsav mein rahta kya har samay mila hua rahta hai kal kisi ne prashn kiya ki maharaj yadi aapka antim samay ave aur Priya pritam poohe ki aapki antim ichchha kya hai to aap kya mangoge Priya pritam hamse puchenge antim ichchha kya hai ulta baat kar rahe ho ham unse puchenge ki sharir chhutne wala hai jiska naam Premanand hai ab aap batao aapki akhiri seva kya hai hamare ko adesh karo ab wo bechara kya jane hamare ko adesh karo ki is sharir se antim seva kya aapki ban jae kyonki ham to nitya seva mein samarpit hone ja rahe hain ab is anitya sharir se akhiri seva kya ban jae ab samjh paya ho ki na samjh paya ho hamari ichchha aapko sachchi kahte hain na jine ki ichchha na marne ki ichchha na hamko bhakti ki ichchha na shakti ki ichchha aap kahoge kya baat kar rahe ho aap samjho jab

nikunj Shabri ne hamen sweekar kar liya to ab ham unse ichchha karen kya ki hamen nikunj bulao are bhaiya wo hamari property hai ichchha to uski ki jati hai jo aprapya hai ab aprapya nahi hai ab aprapya nahi hai y ham apni tapasya sadhna ke bal se nahi kahte ha hamari antim ichchha kya hai ki hamare Priya pritam bol de ki antim seva yah karke ja aur unse kahay antim seva chal rahi hai aap kya samjh rahe ho jo kaksha nau padhe hain bilkul bolne ki tameej nahi usse pravachan kara rahe jise koi gyan nahi usse prashn uttar kar mu kam karoti vachal pang langte Giri yat kripa tama jiske sharir ki samarth 10 kadam chalne ki nahi usse seva karva rahe yah unki antim ichchha hai yah antim ichchha hai hamari ichchha hamari ichchha to na jane kab khatm ho gayi thi kuch ichchhae thi jab ghar se nikle the un ichhao ka nash ho gaya kaise palan hoga kaun hamen sambhalega kaise lakshya ki prapti hogi yah kuch ichchhae thi y ichchha thodi hoti kam krodh lobh to atak hai y ichchha thodi y to aakraman hai unka

us aakraman ko to unhone sambhala ichhao ki purti unhone kar di ab jo ichchha hai wah ek hi ichchha hai ki man man ki ruchi jaan neh vidhi anusare he yugal sarkar aapki ichchha jankar ye jeevan keval aapko samarpit rahe aapki ichchha kya hai main janu aapki ichchha man man ki ruchi jani ne vidhi anusare aapke hath ka yantr y aapki ruchi ke anusaar chale bas hamari ichchha kya hai ab hamari to sh shyama Shyam ichchha hai aur sahi pocho to ham shyama Shyam ki ichchha rup hi hai samjh pao to samjh pao ham shyama

Shyam ki ichchha rup hain unki jo ichchha hoti wahi cheshta ho rahi tumhe kya pata chahe wah ujjwal ho ya malin wo keval shyama Shyam ki ichchha hai to jagrit swapna susrupt nitya milino nitya ara go nati kya sthiti aati hai jagrit mein swapna mein susrupt mein nitya utsav chalta rah kaun milan utsav chhin chhin barat sang ab ye vishuddh sthiti ki baat hai to sabki samjh mein ave ki na ave jaise Harivansh mahaprabhu kahte jagrit swapna susu s phurat mein Radha pda chhata ab Baikunth narke thava mam gati nan stu Radha bina kaise samjh paoge jagrat swapna susrupt nitya milan ab jagrit mein swapna mein susat mein nitya milan ut sava koi bhi rup rakh ke aao koi bhi baat rakh ke aao aap hi aa rahe ho dusra nahi nitya anurag unnati nitya hi uske anurag ka vardhan hota hai kyonki anurag ka swaroop hi hai pratikshan vardhmaan aur nitya ascharya mein uska jeevan hota hai nitya aash aisa kaise ho sakta hai nitya ascharya mein jeevan nitya ascharya may naveen jeevan aap abhi kya samjhte Ram Krishna Paramhans ji

kaha gale mein cancer ab aapko bolna band bole do ghanta hamara niyam to bolenge do ghanta ham din bhar bolte rahte din bhar bolte rahte kabhi tumhen pravachan sunate to kabhi shri ji ko sunate hain hamara naam jante ho kya hai priy Vadini hamari seva hi hai priy vadan karna sabko sukh pahunchana aur Priya pritam ko sukh pahunchana yahi hamari seva hai ham wahan jakar kya karenge jante ho yahi karna hai ha unke samne unka jas ga kar ke nritya karna hai unko jhana hai unko sukh pahunchana hai aur sab sevae gau hai hamari pradhan seva hai gayan pradhan seva aise hamen rag rang nahi aata lekin swayam sakla kala su kusli kata na kada suras madhuro save pave Swami bol ke isliye kah rahe hain samjh jao hamara jo uddeshya hai voh keval Priya pritam ki prapti ko lekar ke hai yah jo charcha hai ek matra uddeshya Priya pritam ki prapti Priya pritam ki prapti ke marg mein aap chaloge to aapko asakti ho jaegi santo se santo se asakti ho jaegi to Priya pritam mein ruchi ho jaegi

Priya pritam mein ruchi hogi unki katha mein ruchi hogi unke naam mein ruchi hogi wo yahan mil jaenge yahan bahut jaldi milte hain kada wa khelt brajangar vith su hridayam ranto shri Radha bajap kumaro sukriti na aksmaat ko mare prakt kaishor vibhav kisi din dekhna aksmaat jinka kaishor avastha ka adbhut vaibhav adbhut lawanya hai va khelte hue aaenge kada wa khelt brajangar vith su hridayam napar ki jhankar hui drishti gayi dekha yugal sarkar nihal ho jaoge yah Vrindavan dham hai kaun sa sukrit hai jisse Priya pritam darshan dete hain kaun sa tap hai jisse Priya pritam parda maya ka hata dete hain y dan punya teerthatan vrat upvas y nahi hai wah hai bhagwat premi maha ki aradhna shri Harivansh prasiddh dharm samjhe na lap tap samjho shri Harivansh kripa sev dharman jap jo Priya pritam ke prem mein dube hue hain unki agyaa par chalna aur unka naam smaran karna aur unka dhyan karna is sukrit ke phal se kada wa khel to y siddhant Shyam shyama pad kamal sangi sir nayo to kada wa khel to brajangar vith hriday har

shri Radha braj pati kumaro sukriti kabhi tumhare hriday ka haran kar lenge aur usi samay tum dekh paoge hriday rajsi Priya pritam kaise arhe gal nikas kunj thade bhae bhuja paraspat ansh shri Radha vallabh mukh kamal nirakh nayan Harivansh ham aapse sachchi kahte hain hamne kabhi ichchha hi nahi ki ki shri ji hamen darshan de kabhi ichchha nahi ek hi ichchha ki hai ki pata nahi ham adhikari hain ki nahi aapke darshan ke par aapka smaran na chhute bas hamare jeevan ka lakshya raha aapka bhajan na chhute aapka chintan na chhute bas yah

hamne guru ji se bhi kaha tha ek dinse charcha hui to bahut pehle ki baat hai jab pujya maharaj ji ladli kunj mein virajman the y 25 26 varsh pehle ki baat ham kaha maharaj ji hamne kabhi ichchha hi nahi ki bhagwat darshan ki ichchha yahi nahi ki ek second bhi bhajan na chhute isi ka to naam bhagwat darshan isi mein to sab kuch ho jaata hai bhajan vishay hamare yahan sandhya aarti mein ke baad jab vinay gai jati hai chandra mit dinak mite mite trigun vistar visri ho na bahut jor ki baat hai visri ho na visar ho yahi dan mohi dev to jagrit mein swapna mein susrupt mein mil t sava jaise hit maharaj ka s phurat mein Radhika pad aise yahan kah rahe milan utsav har samay jagrit mein hai to milan mein hai swapna mein hai to milan mein hai susupti mein hai to milan mein hai aur nitya anurag unnati uska nitya anurag badhta hai aur nitya shachar naveen wo nitya ascharya naveen naveen uski jeevan shaili ho jati nitya ascharya aisa kaise ho sakta hai aisa kaise ho sakta hai aisa aise ho sakta hai wo Priya pritam ka hai kya

nahi ho sakta nitya hi ascharya mein aur nitya naveen vayas jinka nitya premod madi nitya paraspat vichitra kelie vinodi aur nitya sakhi mandal se ghire hue Priya pritam ko prapt ho jaata hai sakhi mandli mein va sammilit ho jaata hai aur apaar sukh samudra Priya pritam apaar sukh samudra Uddhav ji braj mein aae bhagwan ka sandesha lekar ke bhagwan ko rudan karte dekh kar ke Uddhav ji ko laga tha ki bhagwan rudan kiske liye karte hain ba bhagwan ne u ji ka hath rakhkar apne hath mein kaha Uddhav ye brajvasi

jan bavare hain prem mein ye rudan karte hain to hamen rudan karna aata hai agar hamara rudan rokna hai to in braj premion ko tum jao aur inko samjha do Uddhav ji ke man mein bada fulan ho rahi hai bhagwan swayam kah rahe ki jao to hari Gokul ki priti chalae suno Uddhav mohin bisrat y brajvasi sukhdai y param sukh mere ko dene wale brajvasi jan dekho bhagwan kah rahe vismaran nahi hota jab dekho tab brajvasi hi hamare dimaag mein chhae hue kabhi sakha kabhi maiya Baba kabhi Brijvasi jan kabhi gopi jan kya karen isiliye rona raha hai yah chit hot jaun main abhi yahan nahi man lagat gopi gwal gay ban charan ati dukh payo tyag kya karun man hota hai abhi udkar pahunch jaun hamen hamare braj ki gva gop gan sakha gan gopi jan in sabki bahut yad aati hai aur aapko sahi batau aaj tak pet nahi bhara Uddhav ji se ka jab maiya hamko dant dant karke makhan mishri roti pawa wo pa Mathura mein ko Mathura mein to 56 bhog lag rahe lekin mujhe wah pyar nahi mil raha hai kahan makhan roti kahan sumati jev kahi kahi prem are

nahi abhi itna nahi aur pa lala aur pav yah kaun pavae ke bachat hasan suni tha pat apnone Udhav ji has rahe akhil kot brahmand ka ishwar kaise prem vivas hokar baat kar rahe Udhav braj ko gaman karo tum bade gyani ho ham bina gopika rahni tinke dukh haro jao tum gyan ka prakash karo Uddhav ji ko lag raha tha va moh vasa bhagwan ka dukhit hokar chintan karte isliye bhagwan yatha mam prapadyate mein jaaunga aur gyan ka updesh karunga unki samjh mein aa jaega jog gyan prabodh saban ko jo sukh pave nari puran

brahm sakal par kari dare mohi visar sahi baat pocho to Uddhav ko rangna chahte hain apne prem rang mein bhagwan Udhav se kahte tumhen purn gyan hai yog ka gyan hai va bechari gwali ne purn brahm ka gyan to unhen ya hai nahi isliye tum jao aur unko prichay do mera yadi wah mujhe bhul jae rona band kar de to phir baat ban jae to main nahi ronga agar wo roengi to sakha praveen hamare tum ho tumte nahi mahant sur Shyam hi karan patwat hoe aveg sant he Uddhav tumse badhkar mera praveen koi sakha nahi hai tum hamare ekantik premi ho tum gyani mahan mahant ho tumhara antahkaran gyan se bhara hua hai isliye main tumhen bhej raha hoon tum wahan jao jakar ke gopiyon ko updesh karo aur baad mein kah rahe ki jab lauto ga na tab tum dekhna kya ban jaate ho udho man abhiman badhyo jab bhagwan ne aisa kaha to Udhav ke man mein gyan garv phula aaj jakar ke apna gyan prakashit karne ka avsar milega samasth brajvasi aur gopiyon ke beech mein Udhav man abhiman badhyo jad pati jog jaan ji sacho nain akash

chadh sochne lage ki vastvik main yogi kitna bada hoon aur gyani kitna bada hoon yah to shri Krishna jante hain sachchai isiliye mujhe bhej rahe hain kanhaiya y mujhe bhej rahe Krishna to main braj ki gopiyon ka agyaan dur karke unke andar gyan prakashit karunga yah garv badha Uddhav ke hriday mein wah bajana gop bala kya jane brahm gyan main jakar unko updesh karunga isliye unki ankhen akash chadh gayi akash chadh matlab garv ho gaya ankhen garv yukt ho gayi aur ve man man ap karat prashansha yah mithya sukh bhog manhi man apni prashansha kar rahe ki Brihaspati jeese gyan prapt hua aaj gyan sarthak hoga bhagwan meri sachchai jante ki main kitna bada yogi aur gyani hoon ab garv se bhar kar ke main braj jaaunga aur wahan updesh karunga ay su man leo sir parar prabhu agyaa parman to prabhu mujhe agyaa dijiye sir das prabhu Gokul pathat main kyon kaho ki an mujhe swayam bhagwan bhej rahe apna ekantik jan jaan kar ke to main jakar ke unko gyan ka updesh karunga Udhav ji rath par savar hue aapne kal suna

badi sheeghrata se rath ko sanchan kar to Udhav ji ki bhesh bhusha sakshat shri Krishna ki bhesh bhusha Udhav baith chale braj tan sam hai braj ki taraf rath mod diya Mathura te nikas pare gail maajh mein aae Mathura se us marg mein jo braj Vrindavan ki taraf ja raha hai rath sanchan kaise Uddhav wah mukut mor mukut wah Pitambar jo bhagwan ka prasadi aur waise bhi Shyam ang hai Uddhav pure Shyam sundar lag rahe hain wah mukut wah Pitambar Shyam rup kaachh bas antar itna hai ki bhagu pad ek vanchit aur anga chha na to kaustubh mani

hai aur na bhagu chinh hai bakaya pure shri Krishna lag rahe hain Shyam ang Uddhav ke mor mukut Pitambar waise dharan kiye bas vaksha sthal par kaustuv mani aur bhagu pad chinh nahi hai Uddhav ji maharaj bahut gyan ko abhiman kiye moko hari path mero hi bhajan thaap maya sukh jhutho madhuvan te chal tab Gokul raniyo dekht braj log Shyam ayo anuman Udhav ji ko abhiman hai kis baat ka ki agar main itna uttam gyani na hota to bhagwan mujhko apne premion ke beech mein braj mein na bhejte main jaaunga aur shuddh bhajan ki sthaapna karke aaunga shuddh bhajan gyan yah maya ke sab sukh jhuthe hain main mera tu tera sab jhutha hai deha viman ke karan hi dvait bhas hai nahi to tatwamasi tum wahi ho kiske liye ro rahe ho shuddh gyan shuddh bhajan madhuban se chale aur jab braj mein pravesh kiya to log anuman karne lage ki kya shri Krishna aa rahe hain aisa lagta hai ki shri Krishna wapas aa gaye to sakha log daudte hain vai soi rath dekht sab kahat haras bani suraj prabhu se lagat tarun mus kani aapas mein sab gopiyan hamen lagta hai

hamare shri Krishna aa gaye jaise rath mein gaye the vaisa hi rath hai aur mor mukut Pitambar dharan ki hue Shyam sharir dur se laga bhagwan shri Krishna aa gaye nand gop harshit hoe gaye lene aag nand Baba bade harshit hue lala aa gaya jo bahar nikal kar dekha itne mein Yashoda maiya ne suna shri Krishna aa gaye jaise koi bavri bhage mera lala aavat Balram Shyam sunat dauri chali bam mukut jhalak Pitambar man man anurag nischay aae gopal aandit bhai bal mito virah ko janjal jo vat te kal jo jo sun raha hai bhage sabke vir dukh mit rahe hain prabhu aa gaye prabhu aa gaye nischay aae nischay prabhu hi aae kyonki mor mukut dharan kiye dur se dekh Pitambar dharan kiye hue hain gad gad tan pulak bhyo mukut pit basan nayo man mein kach soch bhyo Shyam kidh ko jab nazdik ja rahe to mor mukut Pitambar wahi dhoti waise hi swaroop savla lekin nazdik jak nahi nahi yah to aur koi hai Shyam sundar nahi sakha daud ke nahi nahi y to Shyam sundar nahi yah to unki poshak dharan ki unke rang wala koi aur hai agar Shyam sundar hote to mein haldhar

bhi hote Balram ji hote sab daud daud kar ke Uddhav ji ke rath ke paas aae vai soi rath vai soi sab saj manav bahuri vichar kachu man suphal sut ayo braja wahi rath hai wahi saj baj hai hamen lagta hai ki akrur ji ko lajja lag gayi aur hamare shri kru ka ko wapas le aae pehle gaman kayo la hari ko param sumati rakho rati raj ajah kiya kaha kiyo chahat ate adhik kans ko ka ye ab kya karna chahta hai Balram ji ko wahan chhodya shri Krishna ko yahan le aaya yah kya karna chahta hai koi sochta hai akrur ji ka ye wahi rath hai akrur ji lekar ke Shyam sundar ko aae par jab wahan nazdik pahunchte to koi sarathi nahi keval Uddhav ji Uddhav ji ko koi sarathi nahi Uddhav ji swayam isliye ki bahut ekantik varta karni hai braj mein ghar-ghar ye baat fail gayi ki Mathura se koi aaya hai aaj braj koi ayo hai koi kahta kaun aaya wahi akrur aaya hai ab kya mar kar ke hamko le jaega hamare pran dhan to le gaya ab kahe ko aaya hai krur koi aisi baten karta hai koi kahta hai dekho dekho wo rath aa raha hai tum theek theek batao kya jo

dino par daya karne wale hari hain wahi wapas aae hain sab milkar ke aapas mein daud pare rath ke samip jab gaye to chal mil samiti sakhi puchhan ko to udho daras dikhay tab pehchan jaan prabhu ko bhat karan jor shir nayo are ye prabhu nahi ye to suna hai prabhu ke mitra Uddhav ji hai sakha jan sab pranam karte hain Udhav ji se abhi rath mein Uddhav ji se puchte hari hai kushal hamare shri Krishna kushal se hain jo jo aa raha hai us sab shri Krishna ki kushal pooch raha Udhav ji nand Baba ke darwaze par rat khada kiya bhid lag gayi nand

Baba ke y kyonki shri Krishna virhi jan hai aho bhagya jinko prabhu se apnapan ho gaya hai apnapan ab jiya nahi jaata aapke bina aho phir ye to prabhu ke sang khele hain khae hain hase hain kude hain prabhu ke sang rahe hain inki virah ki kya mahima ka varnan karen pran hamare tab hi le gayo ab ki karan ayo main jani baat sunat prabhu kripa karn uth yo pehle to hamare pran le gaye the abhay Uddhav ji kya lene aae hain kisi ne kaha ham par kripa karne aae hain kyonki ham sab virah mein jal rahe the Shyam sundar ki kam se kam prasadi poshak to pahne hain hamen unki poshak ke to darshan ho rahe hain yah to Shyam rang wale hain hari rath jatan jare ki anup dikhave ji mag Krishna gaye ut hi te ave ut hi te ave sakhan bulawe dekho manhi vichari mani mukut kirtan pit basan ko Govind ke anu hari soi aa bhushan lage dekhn jab lag nere aae Udhav ji mukh ko milane Krishna sandesh pathai daud daud karke sakha brajvasi jan budhe log ate hain Uddhav ji ke vastr chhute kyonki shri Krishna ke prasadi hai na koi choom raha hai

koi hriday se laga raha hai koi sparsh kitna prem hai hamare prabhu ka prasadi vastr dharan kiye sab prasadi vastr ko sparsh kar rahe hain sachchi baat bhagwan ke nij janon mein jo prem hai wahi prem ka kinka jagrit ho jae to jeen ham unhin ke hain mam van bhagwan kah rahe main unhin ka hoon main bhul kar ke yahan jagat ke bhram mein fas gaya nand Baba Uddhav ji ka hath pakar karke utarte hain mahal mein le jaate hain sevak charan dhota hai Uddhav ji ke nand Baba palang par baitha late hain aur pyar se puchte hain Uddhav kya ham brijvasan ki kabhi shri Krishna kaise kaise jite honge jinki god mein baithkar shri Krishna khele un Baba ki halat kya hogi apne log to keval sahara liye hain sab thodi de paye keval sahara liye unke naam ka sahara liye tab aisa lagta hai ki va jeevan jeevan hi nahi jismen prabhu na ho va jeevan jeevan kis karya ka par Baba ki halat thoda chitt laga ke dekho jinki god mein baithe jinka unki halat kya hogi us maiya ki halat jo subah se sham tak keval lala ki paricharyaa mein lagi wo lala

unki halat kya hogi un gao ki kya halat hogi un sakha ki kya halat hogi un gopiyon ki kya halat hogi jo keval inheen ke liye hai inheen se jivit hai Baba puchte hain ki tum batao kya kabhi apni maiya Yashoda ki yad karte hain aur Yashoda varn mana putr charita cha maiya to aisi bavri hai ki unko y pata hi nahi Uddhav aae wo to apne bhav mein ruk lala ruk la thoda makhan khata ja phir ja Baba dikha rahe ki dekho kya halat hai are wo to Mathura chale gaye phir vikal hokar ro padti hai kabhi palne ke paas jati wahi palna jismen shri Krishna jhulte wahan shri Krishna jhulte phir dekhte hain ye to khali hai shri Krishna to chale gaye unke pratiphal naveen naveen prabhu ki leela aur unhin lilaon mein khoi hui kabhi art bhav mein pukarti kabhi unke piche daudti kabhi has deti hai badi uttam dasha shi Yashoda maiya ki hai Uddhav ji kampa kayman ho rahe aae garv rakh tha gyan ke lekin yahan jab premion ki dasha dekhi abhi to das sakhya vatsalya inheen ka darshan kar rahe hain shri Krishna ki ekek leela ka

chintan karke netron se aansu bahate hue nand Baba aur Yashoda maiya putr sneh ki baadh unke stanon se ab bhi dugdh dhara bahne lagi Yashoda maiya ke Uddhav ji ne dekha Yashoda maiya ki dasha aur nand Baba ki ki ki shri Krishna ke prati kaisa agadh anurag hai ye dekhkar ve prem se vikal hone lage abhi tak prem Uddhav ko nahi aaya ja bhi Baba ka vatsalya prem aur maiya ka prem dekha to Uddhav anand magan ho gaye aur kahne lage he Baba ismen sandeh nahi ki aap donon samasth sharir dhariyon mein atyant bhagyawan hai sarahna karne yogya hai sare charachar jagat ke banane wale unhen gyan dene wale sarveshwar bhagwan ke prati aapke hriday mein aisa vatsalya sne yah putr bhav maine to pahli bar dekha mere prabhu se itna pyar par Baba ham aapko batane aae hain tahi ssa cha baj yoni ramo mukunda purush pradhanam anwi bhute vilakshan sya gyanas che sat mo purano Baba shri Krishna aur Balram sakshat bhagwan hai puran purush hai sare sansaar ko banane wale hain aur swayam sansaar rup banne wale hain arthat

upadan karan aur nimit karan donon prabhu hai bhagwan shri Krishna pradhan purush hai to Balram ji pradhan prakriti hai yahi donon samasth shariron mein pravesht hokar unhen jeevan dan dete hain Baba atyant vilakshan jo gyan swaroop jeev hai uska niyman karne ke karan inhe eesh kaha gaya hai jo jeev mrityu ke samay apne shuddh man ko ek kshan ke liye bhi prabhu mein laga de to uske samasth karm vasna nasht ho jati hain aur wah shighr hi surya ke saman tejasvi brahmam hokar param gati ko prapt karta hai aur unhin bhagwan mein aapka aisa chitt laga hua hai ve bhagwan hai sabke atma hai param karan hai bhakton ki abhilasha purn karne aur prithvi ka bhaar utarne ke liye hi wo manushya sharir mein prakt hue hain unke prati aap donon ka aisa prem bhav he mahatmaon aap donon ke liye ab kaun sa karm karna shesh rah jaata hai bhakt vatsal Yaduvansh shiromani bhagwan shri Krishna chand ju ye bole the ki ham aaenge wah aaenge aur aap donon ko aandit karenge jis samay unhone samasth yaduvanshiyo ke drohi kans ko

rangbhumi mein mar dala aur aapse wapas hote samay kaha tha main braj mein aaunga us kathan ko satya karenge nand Baba Yashoda maiya aap donon param bhagyashali hain aap khed na karen aap shri Krishna ko apne paas hi dekhenge kyonki jaise kaasht mein agni sada hi vyapak rup se rahti hai waise hi ve samasth praniyon ke hriday mein sarvda virajman hai phir bhi Uddhav ji ne yahan apna gyan varnan kiya dekho Baba ek sharir ke prati abhiman na hone ke karan bhagwan ka na to koi priy hai aur na priy hai yah gyan hai keval aisi baat nahi hai agar aap ek aansu shri Krishna ke liye dalenege na to shri Krishna bik jaenge ye gyan hai jab yah gyan hota hai to aansu nahi nikelte isiliye is gyan ko namaskaar aur hamen wah agyaan accha jo yah baat lagti hai ki mere ladli lal bas ye kaun hai kya hai ye sab mere hain jo bhi hai jitne bhi hain jaise bhi hain mere hain mere apne pyare hain bas yah baat ke liye dhanya dhanya hai rasik mahapurush jo aise gyan ka bhi mitiya met karke asakti paida kar diye ki mere

ladli lal vishay purush ka parivartan karna to sahaj hai lekin gyani ka parivartan karna bahut kathin hai ye braj raj gyanyon ka bhi parivartan kar deti hai khalo Uddhav ji gyan bar rahe kah rahe na unka koi priy dekh ke aa rahe hain ro rahe the dekh ke aa rahe hain ro rahe abhi samjh nahi pa rahe udhar wo rudan kar rahe hain to idhar yah rudan kar rahe na unka koi priy hai na unka koi apriy hai man sukh nahi jaega is baat mein unka koi priy nahi hai are unke jaisa koi pyar karne wala hai aapse sachchi ka agar thoda bhi jaan jaoge ki prabhu aapko kitna pyar karte hain to unke jaisa pyar karne wala koi hai hi nahi har Swami mein ek baat hoti ki uska sevak dosh rahit ho gunvan ho lekin hamare Swami aise ki hazaron dosh hone par bhi kabhi tyag nahi jab prabhu ke swabhav ki taraf dekhe to kaise y sab gyan vigyan keval sansaar ka rag tyagne ke liye prabhu ke anurag mein inki koi zaroorat nahi mere prabhu bas prabhu ka swabhav jaan jaoge to keval rote rahoge jab apni nichta aur prabhu ki mahanta

in donon ka hota hai tab lata hai itne mahan hokar itne nich ko sweekar na unka koi priy hai na koi apriy hai par aisa nahi hai isliye aisa nahi ki ham anubhav ki baat kate bahut pyar karte thoda bhi koi naam jap kar raha hai thoda bhi bhajan kar raha thoda bhi aashray liye waise to sabko pyar karte hain par karm parampara jo hamare anant janmon ke karm hai va avashya mein bhog tavy katam karm shubha shubham yah siddhant hai lekin jo thoda bhi bhajan karta hai to mitiya met kar dete hain karmon ka aur bhagwan param sukh pradan karte hain bhagwan ki sabke prati saman drishti hai saman drishti hote hue bhi paksh pate hai apne bhakton ka paksh lete hain apne premion ke adhin ho jaate hain bhagwan ki drishti mein koi apna aur paraya nahi hai nahi hai jo bhagwan se apnapan karte hain bhagwan unse apnapan karte jo bhagwan se apnapan nahi karte unko karmon ke hisaab bhogne hote hain nakar kal rup mein bhrata unke liye na koi uttam hai na adham hai hai bhagwan kahte hain Uddhav ji se hi kaha tha ki na main apne sharir ko

utna pyar karta hoon main apni atma bhagwan shankar ko utna pyar karta hoon na apni lakshmi ji ko utna pyar karta jitna apne anannya bhakto ko pyar karta hu siddhant gyan ka alag hai bhakti ka siddhant alag hai bhagwan sham hai y gyan ki baat hai sam hote hue bhakt ka pakshpat le lete hain Bhishma ji maha bhagwat hai lekin adharm ke paksh mein hai pandavo ke virudh paksh mein hai banon ki saya mein sulwa diya aur ek bhi baan panchon pandavo ka kabhi bhhedan nahi kar paya bhagwan pakshapati bhi hai jo unka aashray leleta hai bhagwan uska pakshpat le lete hain bhagwan ke na to koi mata hai aur na pita hai dekho yah gyan hai prem sukh jae baat sunke na koi apna hai na paraya hai aur na unka janm hai na unki deh hai yah hai gyan na unka koi karm hai yah to dharm sthaapna ke liye santo ko sukh dene ke liye sadhuan ke paritran ke liye jaise bhagwan mats avatar vamna avatar dharan kiya aise hi bhagwan shri Krishna avatar dhar ye zyada gyan accha nahi wah janma hai unmein satogun rajogun tamogun

nahi hai is prakaar ke gunon se atit hone par bhi leela ke khel khel mein ve tino gunon ko sweekar karke jagat ki rachna palan aur sanghar karte hain Baba jaise bachchhe ghumad preta khalne lagte hain to manushya veg ke chakkar lagane lagta hai to usko lagta hai jagat ghum raha hai vriksh ghum rahe par ghum raha hai aise hi vastvik sab kuch karne wala chitt hai parantu us chitt mein ahankaar buddhi ho jane ke karan bhram was use apna main samjh leta hai aur jeev isi ke karan kata bhav se janm maran ke chakra mein pista hai Baba bhagwan keval aapke putr nahi hai ve samasth praniyon ki atma hai pita hai mata hai Swami hai sab kuch hai Baba jo kuch dekha suna jaata hai chahe wah bhut se sambandh rakhta ho vartman se athva bhavishya se sthavar ho ya jangam ho mahan ho ya alp ho wo shri Krishna se prithak nahi hai sab shri Krishna mein hai shri Krishna ke atirikt aisi koi vastu nahi jise ham vastu kah sake vastav mein sab vehi hai vehi paramarth sat ye gyan ki baat Uddhav ji varnan kar rahe hain jo unko bhagwan ki

kripa se hi prapt hua hai par bheja isiliye hai ki is nirmal jal mein shakkar mil jae abhi nirmal jal hai Uddhav ji prem rupi shakkar mil jae to sarwat mitha jal ban jae bhagwan shri Krishna ke sakha Uddhav ye sab baten ek taraf rakhi dete hai sab baten hai dimaag mein sabko gyan hota hai jab bhagwan bhagwat marg mein lekin sab baten bhul jae isiliye bhai ji ka ek pad hai hamen buddhihin bana do he bhagwan hamen bas itna mere lali lal ekant mein baitha rota rahe unse baten karta rahe unko dular karta isse

badi koi sthiti nahi hai isse badi koi sthiti nahi ye sab sadhno ka phal sab gyan dhyan vrat sab ka phal hai ki keval itni asakti ho jae mere ladli lal aur unhin ka naam le lekar roye unhin ko pukare unhin mein ham apne chitt ko lagae bas aur zyada ismen phailav nahi hai yah prem hai prem gali ati sakri ismen zyada nahi bas rasik anannya nishan bajayo ek Shyam shyama pad priti bhagwan shri Krishna ke priy sakha Uddhav nand Baba se aisi baten kar rahe the puri raat bit gayi raat shesh rahne par gopiyan uthi deepak jalakar unhone ghar ki deliyo par vastu dev ka pujan kiya Sohni lagai dahi mathne lagi theek jaise bhagwan shri Krishna ke samay braj ki utsavam sthiti hoti thi gay dhone ka ghar ghar sabab hone laga mathani chalne lagi aur shri Krishna ke mangalmay geet gate gopika sevarat hai bhagwan shri Krishna ke mangalmay charitra ka gaan kar rahi hain gopiyan aur dahi makti ja rahi hai jiski swar lahri pure braj mein fail rahi hai dhire-dhire bhuvan Bhaskhar ka uday hua braja ganao ne dekha nand Baba

ke darwaze par ek sone ka rath khada hai ek dusre se poochne lagi yah rath kiska hai kisi gopi ne kaha kans ka prayojan siddh karne wala y akrur to nahi aa gaya dobara jo hamare kamal nayan pran pyare Shyam sundar ko yahan se Mathura le gaya tha kisi dusri gopi ne kaha kya va hamen le jakar apne mare hue Swami kans ka pind dan karaega ab yahan uske ane ka kya prayojan ho sakta hai brijvasan yuvatiyaan aapas mein batchit kar rahi thi usi samay nitya karm se nivrit hokar Uddhav ji aap pahunche parikshit gopiyon ka tan man pran sab shri Krishna mein gopiyon ki drishti Shyam may jidhar apne tan mein bhi dekhti to Shyam sundar dikhayee dete hain Shyam tan Shyam man Shyam hai hamaro dhan aatho jaav udho hamen Shyam hi so kam hai Shyam hi Shyam ji Shyam binu nati adhe ki sheela kari adhar Shyam naam hai gopiyon ka tan bhi Shyam sundar hai man bhi Shyam sundar hai dhan bhi Shyam sundar hai atho pahar keval Shyam sundar mein hi sthiti hai Shyam hie Shyam jie Shyam bin na hiti hriday mein man mein sab kuch

Shyam sundar bane hue Shyam matlab braj jeevti ka matlab Shyam sundar jaise andhe aadmi ke chalne ke liye uska sahara lathi hi hai aise man buddhi chitt ahankaar tan sab kuch Shyam sundar Shyam gati Shyam mati Shyam hi hai pran pati Shyam sukhdai so bhalai shobha dham hai kaisi sthiti hai gati bhi Shyam mati bhi Shyam pran pati bhi Shyam Shyam se hi sukh se hi shobha Shyam mai hai gopiyan Shyam mai hai sab ekatrit ho gayi dekha rath khada hai kaun aaya hai itne mein nitya karm nivrit hokar Uddhav ji samne se ate hue dikhayee de Baba ke ghar se nikelte hue shri Krishna ke sevak Uddhav ji ki akriti veshbhusha shri Krishna ki wahi kamal dal lochan azaan bahu sharir par Pitambar gale mein kamal pushpo ki mala mani jat kundal mukharvind par muskurahat Pitambar dharan kiye hue mu mor mukut dharan kiye Gopiya kahne lagti y dekhne mein to Shyam sundar jaisa hai parantu hai nahi ye kaun hai kahan se aaya hai isne shri Krishna jaisi veshbhusha ka dharan kar rakhi sab ki sab gopiyan unka prichay prapt karne ke liye utsuk hai pavitra

kirti bhagwan shri Krishna ke charan kamlo ke ashrit samasth Gopiya janna chahti kaun hai Uddhav ji jab unhen malum hua ki y to hamare liye aae hain ye hamare pran pritam shri Krishna ke priy sakha hai tab sab gopiyan jahan virajman thi Uddhav ji udhar gaye hriday to bhagwan ke prem mein duba hai netr Shyam sundar ke rup mein chhake hain ja Uddhav ji nazdik gaye to gopiyon ne netron se naman kiya premi ko sir jhukane ki fursat nahi hoti kisko sir jhukae wo to dube hue netron se halka naman kiya

aur asan dal diya Uddhav ji baith gaye phir Uddhav ji aur gopiyon ke madhya mein jo varta hui va aag itni prarthna jarur karte hain ki is janm ki sarthakta hai jaise bane waise y hamen pyare lagne lage jaise bane waise ham inke sahare ho jae keval ek baat hriday mein ho jae ke jaisa ho aapka ho aapke siva hamara koi nahi yah baat aa jae bhakti ka gyan ka yog ka sadhna ka sabka ek phal hai ki hamen pata nahi ki ham aapke yogya hai ki nahi hai bas aap mere hain bas aap mere hain aapke siva hamara koi nahi hai itni baat aa jae itni baat ke liye sadhna ho rahi dusro na koi mere to Giridhar gopal dusro na koi sadhna isi baat ki koi dusra mere dimaag mein nane pave koi dusra hamare hriday par adhikar na kare keval ek baat hai mere prabhu jaisa bhi hoon aapka hoon aap mere hain isi se bhagwat prapti hoti hai hamara bal keval ro dena hai nirbhal ka bal kya ho sakta hai kisi ko sadhna ka bal kisi ko tapasya ka bal kisi ko hamara bal keval ro dena hai hamse puchoge ki aapke paas kya hai to rona hai rona bas

dusri baat nahi main aapke liye ro sakta hoon wo bhi aapki kripa se wo bhi ham nahi kar pa rahe wo to aap kripa kar rahe ho to aapke liye rona aa raha hai bas itne se bhagwat prapti hai yah sab jitna daud bhag hai sab buddhi ka marjan hai bhagwat prapti keval itne se hai ki bas main aapka hoon aap mere hain he nath jaisa bhi ho aapka koi asha mat rakho hamse ki ham aapke liye kuch ban payenge bas jaisa hu aapka ha aap jaisa banana chaho bana lo main aapka hoon hriday se baat tab aayegi jab pehle vani se shuru karo he prabhu he nath main aapka hoon jaisa hoon aapka hoon phir hriday mein aa jaegi aur hriday mein aa gaye to nishcint ho jaoge nirbhay ho jaoge nik ho jaoge unko aur kuch nahi chahiye kya chahiye unko bachchhe se kya chahiye bachchha bas keval itna kah de ki hamare aap pita ho aap hamare mata ho bhul se jo idhar udhar bhtak raha tha wo laut ave bas itni baat unko hai ye jo ham janani Janak bandhu sut dara tan dhan dham sud parivara ismen ham bhul chuke hain isko samet lo bhul ko aur prabhu ke charnon mein kar lo bas ho gayi bhagwat

prapti aap khud dekh lena bahut jaldi aapko jo bade-bade munio ke dhyan mein nahi ate ho muskurate hue samne dikhayee denge shesh charcha age shri Radha vallabh lal

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi