pehle ashran ho jao, phir sharanagati ka bhav samjh paoge !! // 30/03/25
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh shri Harivansh Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirva param shital mashyam nirvai param shital maya Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha shri Radha vallabh lal ki jai jai param sacchidanand ghan anand samudra prem samudra gyan vairagya bhakti aishwarya anant shaktyon ke Swami prabhu shri Krishna chandra ji jo kripa karke kaise hamen parmanand ki
prapti ho kaise ham janm sansaar ki is maha bhyawah dukh klesh ashanti mrityu aadi chakra se mukt hokar avinashi pad par us Nityanand pad par pratishtit ho jahan na koi ashanti hai na dukh hai na bicharna hai na marna hai yah rahasya keval prabhu hi jante hain. Agar koi mahapurush brahm rishi muni yogi jaan paya to inheen ke janae soi jane jeh dehu janai jo prabhu ki vani ka manan chintan aur aacharan mein utara wahi prabhu ki vani ka param labh prapt kiya. Keval sunkar vahwah karne wale dekhte rah gaye.
lakshya tak nahi pahunch paye. Yah vah kahne wala marg nahi hai. Yah swikrati karke chalne wala marg hai. Prabhu ne kaha maiya shakta mana Parth yogam yajan madashray. Yah sabse badi baat hai ki apne hriday se prabhu bina prashn kiye baat kah rahe hain. Ismen atishay prem hai. Prashn ka uttar piche de diya. Tapasweeyon se bhi, gyanyon se bhi aur karmakandiyon se bhi yogi shreshth hai. Isliye arjun tum yogi bano. To kaun sa yogi? Shri bhagwan kahte hain jo mere mein samarpit chitt wala anannya aashray lekar shraddha purvak mera bhajan karta hai nirantar wah sarvshresht yogi hai mere mat mein prashn ka uttar ho gaya ab prabhu apni taraf se kripa karke bol rahe maiya shakta mana par he pyare arjun jo mere mein asaktit ho gaya hai.
asakti usi se hoti hai jisse apnapan hota hai. Apnapan jisse hota hai usmen mahatva buddhi ho jati hai. Jahan mahatva buddhi hui wahin man ashakta ho jaata hai. Mayashakta man Parth tumhara man mere mein aasakt ho jae mere aasakt ho jae yah badi baat hai prabhu mein asakti ye bina bhagwat premi mahatmaon ke sang ke yah sthiti nahi aati hai jab prabhu kripa karte hain to satsang dete hain aur satsang se asat ka tyag hota hai. Asat ke tyag se sat mein mahatva buddhi hoti hai. Mahatva buddhi hone se man nirantrta banae hue manan karne lagta hai.
jahan manan prarambh hua phir asakti aa jati hai. Wo mashakta mana ho jaata hai. Yogam yanjan madashray. Yah yogam yanjan ka bhav tabhi samjh mein aayega jab madashray ho jae. Hamara janm siddh sambandh prabhu se hai. Koi lagae jore ka nahi hai. Keval mana hua sambandh nahi hai. Hai ham prabhu ke hi ansh hain. Ismen kisi bhi tarah ki koi sadhna karke anubhuti karne ki baat nahi hai. Yah keval sweekar karne ki baat hai. Ham prabhu ke hain. Pehle bhi the, ab bhi hain. Age bhi rahenge. Par yah baat hamne maya ke is prabhav se vismrit kar di.
bhul gaye. Sare updeshon ka ek hi parinaam hota hai. Akhand smriti prapt hona. Nashto moha smriti labdh tat prasadyat he achut aapke kripa prasad se moh ka nash ho gaya aur aapki akhand smriti prapt ho gayi he arjun ji bhagwat vani gita ka shravan karne ke baad bol rahe hain moh ka nash ho gaya akhand smriti prapt ho gayi aapke kripa prasad se he achit upa upasak kisi na kisi ka aashray lekar hi jeevan vyatit karta hai. Dhyan se sunie. Bina aashray liye ji nahi sakta hai. Iska swabhav hai. Stri ke aasakt aashray ya purush sharir ke aasakt aashray ya amuk nashe ke ya amuk padaarth ke ya amuk padvi ke ya apne sharir ke kahin na kahin ek aashray nahi anek aashray liye hain.
iska swabhav hai aashray lena. Dekh lijiye aap. Iska swabhav hai aashray lena. Yah bina aashray ke ek kshan nahi rah sakta. Jab usko koi aashray nazar nahi aata hai to mrityu ka aashray le leta hai. Marna accha hai. Mera koi nahi. Par wo rasta nahi janta ki anya aashray ka tyag karke ek maha aashray mahabal hai. Wah hai shri hari. Agar inka aashray le le to avinashi ka bachchha avinashi pad mein pratishtit hai. Use aisa anubhav ho jae. Kisi na kisi ka aashray lena jeev ka swabhav hai. Yah bahut dhokha hai hamare saath.
ham apne sharir ka aashray le lete hain. Man ka aashray le lete hain. Buddhi ka aashray le lete hain. Indriyon ka aashray bahar to faila hua hai. Aashray faila hua hai. Mitra ka aashray, pati ka aashray, putr ka aashray, dhan ka aashray, vidya ka aashray kya-kya aur hamen yogam yanjan madashray keval shri bhagwan ka aashray lena hai. Ye sadharan baat nahi hai. Kahne mein to aa gaya lekin ye sadharan baat nahi. Fail par man simtat nahi indra leni jit indriyon ne hamen apne adhin kar liya aur man anya aashray mein itna fail gaya hai ek ek vritti dekho sab vritti ashrit hai kisi na kisi vishay kisi na kisi vyakti sthan ham iske bina nahi ji sakte ham iske bina nahi ji sakte hamara astitva kya rah gaya log itni mudhta mein hain ki wah samjhte hain shastr ki paradheenta ishwar ki paradheenta guru ki paradheenta ya vayovriddh sadguru dev ke saman jo sant jan gyani jan hain inki paradheenta nahi swatantrata theek hai to aap dekho kisko aap swatantrata kah rahe indriy tumhen parast kiye hain.
indriyon ki paradheenta tum apni swatantrata mante ho. Man bhogon mein manan karke sankalp karke ghum raha hai. Ise tum swadheenta mante ho. Chhote-chhote vishay tumhen parast kiye hain. Tum mrityu ke adhin, kal ke adhin, vishay ke adhin, sharir ke adhin, man ke adhin, indriyon ke adhin. Tum kah rahe ho hamko swatantrata priy hai. Sabko swatantrata priy accha lagta hai. Swatantr hona accha lagta hai. Par inki partantrata se hato tab janoge swatantrata kise kahte hain. Inki partantrata se hatne ke liye ishwar ki adheenta ishwar swaroop sadguru dev ki adheenta atyant avashyak hai.
yadi aapne bhagwat premi mahatmaon ki shastr ki adheenta sweekar nahi ki to maya ki adheenta ko jaan hi nahi paoge kyonki iska swabhav hai adhin ho jana ye kisi na kisi vishay vyakti vastu sthan mein adhin ho jaata hai. Aaj subah hari Ram vyas ji ki vani mein ki yadi Gurudev bhagwan ki avhelna karke manmani sadhna aacharan kiya jae to hriday ka dag nahi jaata hriday ka dosh nasht nahi hota aham pusht hota rahta hai aur jo keval Sadgurudev ki adhinta sweekar kar leta hai to usko vishesh sadhna nahi karni padti jaise deepak se deepak jal jaata hai to pehle wale deepak mein koi kami nahi hui aur dusre wala deepak pehle wale deepak ki tarah hi prakashit ho jaega.
aise hi sadguru dev apne hriday ka bodh, hriday ka prem adhin shishya ke hriday mein prakashit kar dete hain. Adhin jahan bilkul koi bhi man abhiman ki gandh nahi rah jati. Apne ko kathputli ki tarah unke hath mein samarpit kar deta hai. Jaise chaho he nath waise nachao bas maya ka nachna band. Hari guru ki eenta maya ki eenta se mukt karke swatantr tumhen kar degi. Param swatantr kar degi. Agar aapne hari guru shastr ki adheenta sweekar nahi ki to tum kabhi swatantr nahi ho sakte. Manmani aacharan swatantrata nahi hoti.
yahi paradheenta hai. Man jo chahta hai tumse kara leta hai. Aur tum apne ko swatantr man rahe ho. Shri bhagwan kah rahe hain jeev ka swabhav hai kisi na kisi ke adhin ho jana. Ye kisi na kisi shabd ko hatao. Madashray bhagwan kah rahe keval mere ashrit ho jao. Yah jo adhinta hai wah apne a ko khoj raha hai. Pyar ko khoj raha hai. Hamara pritam kahan hai? Jo hamare andar chah hai wo khojta hai. Galat jagah vishyon mein, vyaktyo mein, pad pratishtha mein, dhan mein, vidya mein khojta hai. Shayad mere hriday ki tripti ka yah sthan ho.
par yah khoj bahut samay se chal rahi. Abhi tak vishram nahi mila. Matlab hamara rasta galat hai. Hamen prabhu ke sanmukh hona hai aur sansaar ki taraf pith karna hai. Prabhu ke sanukh abhi ham prabhu ki taraf pith kiye hue hain aur sansaar ki taraf khoj kar rahe hain. Abhi ham bahar bhtak rahe hain. Lauto. Apne anshi ki taraf lauto. Jab tak aapke lakshya mein aapke aradhya dev nahi honge tab tak tum chah karke bhi bina sambandh jode nahi rah sakte. Dhyan se suno jab tak tum shyama Shyam se apna sambandh jo hai use sweekar nahi karte aur keval usi sambandh ko sweekar nahi karte.
keval wahi sambandh tab tak tumhen kahin na kahin phasna hi padega. Pakka kahin na kahin phasna padega. Sharir prakriti ka ansh hai aur aap paramatma ke ansh hain. Prakriti ki kisi bhi vastu vyakti sthan se aapki tripti kabhi na hui hai na ho rahi hai aur na hogi. Kyonki aap paramatma ke ansh hain. To aapko prabhu se hi tripti hogi. Jahan hamare a mile to hriday kah parta hai ab kachu nath na chah nahi na swatmaramam vishay mrig trishnam bhramayti atmaram purush kabhi vishay trishna mein mrig trishna mein bhramit nahi hota.
aap sharir ko main mane hue hain to prakriti se racha hua sharir prakriti ki taraf hi aapko ghaseetega. Prabhu se vimurkh kar dega. Bahut sundar baat yahi ho raha hai. Phir wah manne lagta hai yah ki mere sharir ki manchahi bhog samgri mile. Yahi bhagwat aradhna ka phal hai. Yahi sadhna ka phal hai. Bas mere ko jo chahiye wah milta rahe. Mere ko, meri indriyon ko, mere man ko, mere sharir ko. Bhul gaya use kya chahiye? Wo dusron ki chah ko apni chah man liya. Prakriti ke bane hue sharir se, prakriti ke antahkaran se, prakriti ke akarshan ko apna akarshan man liya.
mujhe yah chahiye nahi. Sachchi maniye yahi fasav hai. Yahi jad chetan ki granthi hai. Apne ko prakriti ka man karke arthat sharir man karke aur sharir ki avashyaktaon ki purti ko apni chah man ke ham pura ka pura janm nasht kar dete hain. Andar se yahi rahta hai ki agar meri chahi vastue milne lage, chahe bhog milne lage to main nihal ho jaaunga. Aap vishwas kijiye jo aap chah rahe hain wah kisi ko sab kuch prapt hai lekin wah aapse zyada jal raha hai kyonki uski aur badi chah ho gayi hai jisko aap dekhkar akarshit ho rahe ho usi vastu ko bhogne wala kisi aur vastu ki taraf dekh raha hai kyonki wahan usko tripti hi nahi mili kyonki hai hi nahi.
isliye is rashi ko bhagwan jante hain. Aur bhagwan adesh kar rahe hain yadi aap shanti chahte ho, anand chahte ho, sukh chahte ho, dukh se bachna chahte ho to madashray yah bade prem ki baat hai. Aap bhagwan ke ashrit ho jaenge to kuch badh thodi jaega bhagwan ka ki bhagwan chah ke kah rahe tum mujhe pranam karo. Mera gungan karo. Are unka gungan to ved karte karte bhagwan shesh ji bade-bade mahapurush karte karte abhi tak ant nahi paye hain. Wah anant hain. Wah to hamare kalyan ke liye hamare anand ke liye bol rahe hain.
aapko sarvopri prabhu ki sharanagati sweekar karni hai. Aashray sahara avlamban ekmatra keval prabhu ka vishwas ekmatra prabhu ka prabhu ka naam hai asran sharan pehle asran ho koi tumhara nahi hai raksha karne wala koi tumhari chahat ko purn kar sake aisa tribhuvan mein na vastu hai na vyakti hai na sthan hai na pad pratishtha hai pehle asran ho ham log asran nahi hote to phir sharan kaise ho jaenge shri hariram vyas ji kahte hain asran sharan Shyam ju ko bano asar sharan Shyam ju ko bano bado virad patan ko pavan ye bhakt niha bikano asran sharan Shyam juko bano sukh narad jako yash gavat shiv viral cha uganu hit hi ko hit manat nagar ganat narak no ashran sharan Shyam juko bano daya sindhu deenan ko bandhav pragat bhagwat kahano rajdhani shri Vrindavan jako lok chatur das sthano aise thakur ho sevak kaise aur mano vyas kalank lage to janani jo na pitah pehchano asran sharan Shyam ju ko bano hari Ram vyas ji kah kah rahe hain jo asran ho gaya wo phir prabhu ki sharan hota hai.
asran koi bharosa nahi koi sahara nahi kisi par vishwas nahi paye jaan jagat mein sab jan kapti kutila kalyugi tanchu manig punj brajapti chhanat hit Harivansh kar gayi kanchu ye jagat ka aashray kanch ka aashray hai prabhu ka aashray manig punj hai anand samudra pehle to asran ho na. Hath tabhi donon uthte hain jab kuch pakde nahi rahte. Koi bal nahi hota. Tab yah jo mudra hai atma samarpan mudra hai. Lok mein bhi pata hai. Koi bhi jab aise kar deta hai to iska matlab hota hai ab yah purn rup se asmarth ho gaya hai. Tab aise hota hai.
ghutne tek kar aise kar dene ka matlab hai khatm. Astitva khatm. Astitva mitana bhakti mein yahi sadhna ka phal hai. To dekho ham aashray liye hue hain bahut janon ka. Isliye hamari sharanagati purn nahi ho rahi hai. Koi aashray nahi. Andar se dekho. Yah koi aashray jo pakde chodo. Yah aapne pakda hai. Aapko chodna padega. Yah socho ki koi ashirwad de dega to chhut jaega. Nahi aapne pakda hai satsang se aapko bal milega chodna aapko hoga jo kisi ka bhi aashray nahi lekar prabhu ki taraf chal parta hai prabhu uske hath mein apne ko de dete hain bikano bik jaate hain wo itne maha premi hain bado virad inka bahut bada pran hai ye ki jo anya ashrayon ka tyag kar inki sharan mein aa jaata hai.
chahe jitna bada papi kyon na ho, hinsak ho, patitki ho, shastradhi kaisa bhi aparadhi ho, bhagwan ka pran hai ki use pavan kar dete hain. Use mahatma bana dete hain. Aur aisa uske piche piche dolne lagte hain. Aisa bana dete hain. Yah hamare prabhu ka swabhav aur prabhav hai. Jo jaan gaya usko phir aur kuch suhata nahi. Ek bar shri Swami Akhandanand ji ne pujya shri bhai ji se kaha badi prasann mudra mein bhai ji virajman the. Kaha bhai ji aap koi apne man ki ek baat kah do. Bhai ji thodi der chup rahe aur kaha Uma Ram swabhav je jana tah bhajan taj bhavna aur bas aansu chalne lage bhagwan shiv Uma se kah rahe hain ki he Uma jisne bhagwan shri hari ka swabhav jaan liya wo bhajan kiye bina rah hi nahi sakta Uma Ram swabhav jeh jana tah bhajan taj bhavna borad patitan ko pavan bhaktan hath bikano wo ascharya ki baat hai anant shaktyon ka Swami bhakton ke hath mein bik jaata hai bika hua jaisa chahe vaisa karvawe to bhakt tabhi hua jab koi chah nahi rah gayi tabhi hari bik gaye itna bada bal hota hai bhakton ka jinka yash Paramhans shiromani shri Sukhdev ji bhakti ke acharya devrshi narad ji vaishnavacharya bhagwan shankar aur jagat ko rachne wale bhagwan brahma ji ye sab jinke prabhav ko apne hriday mein dharan karte hain aur mahima ka gaan karte hue thakte nahi hai.
aaj tak ant nahi paya. Wah hamare prabhu bhakton ke hath bik jaate hain. Prabhu hit ko hi mante hain. Aap prabhu se apnapan kar kar liye. Isse bada koi dan nahi. Isse badi koi tapasya nahi. Isse badi koi sadhna nahi. Dhyan se sunie. Prabhu mere hain. Yah asakti aapke hriday mein aa gayi. Bahut badi baat ho gayi. Prabhu apna tan, apna jeevan, apne sage sambandhi, apna mana hua aishwarya, sampatti, man, pratishtha ye sab dhul ke saman. Prabhu keval hamare dhan, prabhu hamari izzat, prabhu hamare jeevan, prabhu hamara sarvasv.
yah baat, yah baat jiske hriday mein aa gayi, prabhu bik jaate hain. Bahut bade-bade tapasvi hue hain. Badi kathor sadhna karne wale mahapurush hue hain. Padha hai unke charitra ko. Mahabharat mein bahut se aise maa are jataon mein ghonsla ban gaya hai. Chidiya akar ke ande bachchhe jataon mein de rahi hain. Hath uthae khade hain aise murti ki tarah. Par kahin unke jeevan mein nahi paya gaya ki prabhu bik gaye inke hath. Aisa nahi paya gaya. Yah to keval bhakton ke jeevan mein dekha jaata hai. Hit hi ko hit manat nagar ganat rank na rano.
yah raja hai ya bikhari hai. Yah pavitra hai ki apvitra hai, papi hai ki punya atma hai, vidvan hai ki murkh hai yah sab bhagwan nahi dekhte. Bas jisne yah man liya ki prabhu mere andar se andar ki baat hai. Ye yahi sab sadhna ka phal hai. Agar yah thesak aa gayi jise apne log prya kahte rahte hain. Hamare mai shyamaju ko raj. Yah bahut badi baat hai. Chhoti baat nahi hai. Jaban ki baat nahi kah rahe. Hriday ki baat kah rahe hain. Abhi hriday mein to kam ka rajya, krodh ka rajya, lobh ka, moh ka ye sab rajya hai.
ham jaban se kahte hain hamare mai shyama ko raj aur jis samay ye baat gale se hriday mein pahunch gayi nihal ho jaoge. Itni baat ye aapko pyari jo pyari ju ka sakshatkar karva degi. Bas yah baat andar baith jae hamare mai shyama ko raj to aapko dikhayee dega ki shyama jo aur shri lal jo kaise aapko dular kar rahe hain. Ye aapko anubhav mein ane lagega. Yah hriday mein aa jae bas baat. Ye hriday ki baat hai. Hriday mein to bahut kuda karkat jama hai. Prarambh kar diya hai vani se ki hamare mai shyama ko raj to abhi anubhav nahi hoga.
accha hai. Anubhav nahi hoga. Anubhav gaye jab baat hriday mein pahunchegi ki hamare mai shyama ji ko raj andar daya sindhu deenan ko bandhav pragat bhagwat kahani samasth shastron mein inki karuna daya ka varnan kiya gaya hai. Jo abhiman rahit hokar anya aashray rahit hokar prabhu se apnapan kiya prabhu usko ghar parivaar jaisa sambandh hota hai na wahi hamare bade bhai chhote bhai bilkul usmen koi prabhuta nahi dikhayee deti ye hamara aise hi uska prabhu se sambandh ho jaata hai wo prabhu ki prabhuta ko lekar ke are akhil koti bramhandon ke ishwar mahan prabhu aisa mere Krishna mere prabhu ekdam sahaj bandhav ekdam jaise ghar parivaar ke jan aise prabhu apne mahapriy lagne lagte hain.
ek apne prabhu ho jaate hain. Yah mahima jo prabhu ki eeshwareey mahima hai yah jab tak rahti hai tab tak prem ka prakash nahi ho pata. Kyonki itne mahan ishwar wo hamare saath khele. Aisa kaise ho sakta hai? Par yahi bhakti ka chamatkar hai ki ishwar ki eeshwarta ka vismaran kara diya aur jeev ke jivtv ka aur donon ko saman karke prem rang mein nacha diya. Prem rang mein duba diya. Ishwar ko bhi aur jeev ko bhi. Yah sarvshresht hari Priya bhakti ka chamatkar. Inki rajdhani hai Vrindavan. Ye jo anant brahmand off hise hain.
yah rajdhani hai. Nij mahal hai Vrindavan. Aur dekho kripa karke hamko office mein nahi rakha hai. Hamen nij ghar mein rakha hai. To bole aise thakur ko ho sevak yah thesak aise thakur ko ho sevak kaise aur mano. Ab ham kisi aur ko nahi man sakte apna. Main aise hari ka sevak yah garv hona hi chahiye. Yah garv param pavitra karne wala hai. Auron ko bhi aur aapko bhi prakriti janny kisi bhi kriya vastu vyakti sthan ka garv nindniy hai. Prakriti janny mujhe amuk shastr kanthsth hai. Yah abhiman hua. Mujhe amuk pad mila hua hai.
aap jante hain main kaun hoon? Main amuk amuk amuk hoon. Yah nindni hai. Bandhni nahi hai. Prakriti janny jitna bhi abhiman hai chahe kisi vastu kaho, vyakti kaho, sthan kaho, pad pratishtha kisi ka bhi wo tyajya hai. Aur paramatma janny abhiman ye shuddh hai. Ye param sachchidanandam mein hai. Ise sweekar karna chahiye. Main prabhu ka prabhu mere main hari ka das hoon vishyon ka gulam nahi prakriti ka gulam nahi main prabhu ka das hoon ye main prabhu jahan aisa juda ismen param pavitra hai aur jahan ye main juda main dhanvan main vidvan main rupvan main gunvan main mahan ye apvitra ho gaya prakriti janny cheshta ko sharir ko vyakti ko vastu ko apne aham mein baitha liya to apvitra ho gaye.
yahi mal hai aur prabhu ko baitha liya aham mein yah nirmal hai. Ye aam jaise Prayagraj mama ki jab charcha o hamare jija hai Ram ji ham unke sale hain. Ab hamko kya karna hai? Hamari jeeji Janaki ji hamare jija Ram ji akhil koti bramhandon ka Swami hamara bano hi hai hamen girda lagae baithe rahte the koi kahe ki are prayagdas mama tum to kabhi mala liye bhajan kar are mala bhajan wo kare jiske prabhu na ho hamare jija Ram thesak yahan ki sakhiya isi thesak mein to rahti hai Vrindavan ki nitya vihar ki hamare mai shyama ko raj kaun shyama aadmi bole ja ke adhin sada hi sanvro ya braj kosh anant koti bramhandon ka Swami jinke bhakut vilas mein nachta hai wo hamari shyama ye baat ye rajdhani Vrindavan jako lok chaturdash thano aise thakur ko ho sevak kaise aur mano vyas kalank lage to janani jo na pitah pehchano main shri hari ka hoon Priya lal ka ho.
yah thesak hriday mein tabhi aayegi jab aap main kisi ka nahi hoon. Koi mera nahi hai. Asran bano tab sharanagati pusht hoti hai. To prabhu kah rahe hain ki jo keval mera as bharosh vishwas sahara mahapurushon ne kaha jaki hai upasna tahi ki vasna tahi ko naam rup leela gun gaiye. Yah hai bhagwat aashray. Yah anannya param dharm paripati Vrindavan bas anat na jaiye soi vyabhchari an kahe an kare tako mukh dekhe darun dukh paie vyas hoi uphash tras kiye as achat kit das kahaie tum kaise apne ko hari das kahla sakte ho yadi tum kisi se bhi asha rakhte ho to tum hari ke nahi abhi aap hari ke aashray mein nahi madashray nahi hua yogam yajan madashray bhagwan jo adesh kar rahe hain aap abhi us pankti mein nahi hai kisi se asha nahi asha hi param dukham narashyam param sukham asha shri ladli lal se asham vrishbhanujayas agar kisi vyakti vastu kisi se bhi hamari asha judi hai to abhi hamari sharanagati pusht nahi hui.
sachchi maniye koi tumhari asha puri nahi kar sakta. Jab tak prabhu ka aashray nahi loge sansaar chakra rukne wala nahi. Koi bhi kuch bhi kar lo. Chhutwe ke jatan vishesh bandhe jao. Abhiman purvak ki hui sadhna aur bandhan pradan karti hai. Ja ki hai upasna tahi ki vasna. Agar ham sharir ki upasna karte hain to bhogon ki vasna hamen dekho jala rahi hai. Yadi ham prabhu ki upasna karen to milan ki vasna jag jaegi. Kab dekhuga? Kya prabhu hamse kabhi baat karenge? Kabhi kya priyal ko main bhar netr dekh paunga?
andar vasna jagrit yah vasna jagat vandni vasna hai. Kaise jagrit hogi? To age upay bata rahe tahi ko naam rup leela gun gaiye. Yah siddh sadhan bhi hai aur yahi sadhya hai. Bade-bade siddh jan ji isi ka rasaswadan karte hain. Tahi ko naam tahi shabd par dhyan dijiye. Ham jiski upasna karte hain hamari jibhya se keval keval usi ka hi naam jap kirtan hona chahiye. Jaise ham Vrindavan vasi yugal upasi shyama Shyam ke to bas hamari jibhya anannya ho jae. Haan jugal naam ki anannya ho jae rachna hamari. Dekho hamne rasik mahapurushon ke bhavon ko sukshta se unki kripa se dekha.
ek bar hit dham mein kirtan ho raha tha. Radha vallabh shri Harivansh shri Vrindavan shri vanch to jo gayak jan the bahari se bulaye gaye the to Radha vallabh itna antray wo aa gaye aur unse kaha hamen sahan nahi hota aap itna beech mein antray kyon karte hain to bole alap lena hota hai to bole Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh ke beech mein antarray mat dalo unko ek saath lo sabke samjh mein to nahi aayega na ki bol to rahe koi Radha bol ke thoda antarray karke vallabh bola unko sahan nahi ho aake bole hamse ye kya hai itna antray kyon karva
rahe ho naam mein sukshta par ekant mein chintan karne par tab pata chala o ho kitni priti hai priyal mein sahachari bhav ki kitni thesak hai ki naam ke beech ka antarray inko sahan nahi ho raha rup ke antray ki to baat jane do na Radha vallabh ke beech mein itna antarray unko sahan nahi wo akar shikayat kar rahe hai aap itna sah kaise rahe hain ye to unse kaha tha unka alap lena parta hai to unhone Radha vallabh ek saath bolkar alap lo na Radha bolkar ke alap le rahe ho phir ruk ja rahe ho phir vallabh bol rahe aap yah sabki samjh mein nahi aayega.
unka kitna hriday asakti se yukt ho chuka hai. Itna dur naam kyon kar diya Priya aur pritam ke beech mein antarray yah sahachari bhav hai. Pragat mein antarray naam ka nahi sah pa rahe to socho mansik seva mein leela mein antarray kaise sah payenge? Jaise mahapurush tahi ko naam rup leela gun gaye yah nishtha pakdo aap Vrindavan mein akar ke Priya pritam ke charnarvind ki sharanagati liye hain. Yah aapki baat nahi hai. Aapko Priya pritam ne pasand kiya hai. Ab aap apni pasand ko swaha kijiye. Aap apni pasand ko jala daalie.
Priya pritam ki pasand ko sweekar kijiye. Kitna antray hai upasna mein ki aap shyama Shyam ke charnon mein judkar idhrudhur bhtak rahe hain aur baten sun rahe hain. Ninda stuti kar rahe hain. Ninda stuti sun isi mein samay barbad karna hai kya? Are chupchap apne aradhya dev ke naam ko pakdo. Unke charnon ka aashray lo aur unke leela mein pravesh karo. Aae ho prabhu hi to laye na aapko. Agar aapne chayan kiya hai, aapko yah ahankaar hai to aapki samarth nahi thi ki aap yahan tak aa sake. Pakki baat. Agar aap yah baat sweekar karte hain ki priyal ne swayam hamen sweekar kiya hai, to phir aapka sanshay kaisa?
jahan aapko jod diya jis naam rup mein aasakt ho jao. Hari Ram vyas ji kah rahe hain yahi hai anannya param dharm paripati. Yah hai anannya marg. Agar aap shri dham Vrindavan ka aashray shri Priya pritam ka aashray unka naam unka rup unki leela unke gun ke alawa kuch sweekar karte hain soi vyabhchari anak hai wo vyabhchari bhakti mein wo vybhchar hai avyabhcharni bhakti bhagwan ko aise adhin kar leti hai jaise pativrata apne pati ko hamare aradhya dev ke naam ki aisi thesak honi chahiye. Samne wala apne aradhya dev ka naam le raha hai.
to ham apne aradhya dev ka naam le rahe hain. Ham apne hi aradhya dev ki jai bolenge. Hamare hi aradhya dev sab rupon mein hain. Pakka pata hai par hamen guru ji ne jo naam diya bas usi ki jai bolenge. Unke anant namon mein ye sab naam hai. Par jo guru mukh se mila hua aradhya dev ka rup unka naam unki upasna uski anannya nishtha yah anannya dharm hai. Yah anannya param dharm paripati is marg mein hamen chalna hai. Soi vyabhchari an kahe an kare tako mukh dekhe darun dukh paie. Wo vyabhchari hai jo apne aradhya kisi dev ke siva aur kisi ki baat kare aur koi upasna kare.
bole aise ka mukh dekhna bhi dukhad ho jaega. Kya dukhad ho jaega? Upasna mein badha par jaegi. Upasna mein badha par jaegi. Hamen unhin se milna hai. Unhin se baat karni hai jo isht mile aur man mile mile bhajan ras riti. Rasik mandli mein ya tan ko ni ke dhang lagao dampati yash gao harshavo hit so rijh rijhao. Baat samjho hari Ram vyas ji kah rahe hain vyas ho uphash chahe jo kuch kar lo yadi rasik ananyon ki paripati marg mein nahi chale to uphash hi hoga hriday ka dag nahi jaega ahankaar nahi mitega chahe kuch bhi karke dekh lo uphash hi hoga jaise sevak ji kah rahe guru seva taj kare jaan ya adharm ya sabhan kan nar karm mein agar guru agyaa ka ullanghhan karke ke manmani aacharan kar rahe ho to chahe jitni badi sadhna ka anusthan kar lo wah adharm hi hoga.
wo rasikon ki sabha mein tumhen baithe ko nahi milega. Yah adharm yah sabhan kan na rachan mein hai vyas hoi uphash aur uphash ke baad kya milega? Tras kiye aapko dukh milega. Sukh ke liye jo aap sadhan kar rahe ho nahi prapt ho payega. Wo hari guru ki adhinta se prapt hota hai. Hari guru charan seva anusar ho as achat kit das kah kisi aur se as kar rahe ho aur aap kahte ho ham shyama Shyam ke das hain. Kaise tum das ho yahan? Jab tak aap rasik ananyon ke marg mein nahi chaloge tab tak aap ras ko kaise anubhav kar payenge?
to ham jane to ki rasik anannya kise kahte hain to bole tei rasik anannya janie jinko vishay vikar na harisho rati te sadhu maniye jo kisi bhi tarah se sansaar ke kisi bhi bhog mein sukh ka kahin bhi anubhav nahi kar rahe ekmatra sukh ha hari Radha hari arthat Priya pritam jo Priya pritam ke naam mein sukh man rahe Priya pritam ke rup mein sukh Priya pritam ki leela gayan shravan mein aur Priya pritam ki seva mein bas itna jeevan itne mein fursat nahi hai. Bole wahi rasik anannya hai. Shyama Shyam ke naam rup gun leela dham ke siva dur srishti aadi varta tei rasik anannya janie ab adesh kar rahe hain ki tniki sangati patit su uddhare jo barak ghar ie yadi aise rasik santo ki sangati prapt ho jae parmanand ki prapti prem ki prapti nischit barak ek bar yadi hriday mein inki baat aap sweekar kar lijiye ek bar hriday ko inke charnon mein samarpit karke agyaa mein le aie to bole chahe jitne patit ho tum rasik ban jaoge tniki sangati patit so uddhare jo barak barak ek bar ek bar unko hriday rupi ghar mein aap laie to tinke charamodak so apne nakh Sikh gatin sanwe aise rasik sant mahapurushon ka charamodak pan karen mathe par dharan karen tniki pavan juthan jevat tabah hari hi ie aise rasik mahapurushon ka ishta pane se itna hriday dravit ho jaata hai ki hari us hriday mein khalne lagte hain.
tinke vachan shravan sunit chhin man sandeh bhanive kah rahe hain ki aise rasik mahapurushon ke jab ham vachan sunte hain updesh sunte hain to koi sanshay nahi rah jaata sare sanshay mit jaate hain tniki jeevan dhan Vrindavan jeevat marat bakhanie aise rasik mahapurushon ka jeevan Vrindavan aur maran bhi Vrindavan to aise rasik mahapurushon ka aashray lene wale ka bhi jeevan Vrindavan ban jaata hai aur vishram bhumi bhi Vrindavan ban jati hai. Vyas Radhika ravan bhavan binu tei kyon pahchanie jab tak Vrindavan se prichay nahi hua to rasikon se prichay nahi hoga aur rasikon se prichay nahi hua to Vrindavan ke chidanand rup ka prichay nahi hoga.
nain chat disat nahi yah maya kar rup. To shri bhagwan kah rahe hain sansaar ka kahin kisi bhi tarah ka sahara bharosa aashray asha aapke hriday mein na rah jae. Dhan sampatti vaibhav vidya buddhi yogyta kutumb inka jo tum aashray liye hue ho yah sab nashvan hai. Mitne wala hai. Parivartnshil hai. Sada nahi rah sakta. Aur yah tumhari maang puri nahi kar sakte. Kaun? Sansaar ki sampatti, dhan, vaibhav, vidya, buddhi, yogyta, kutumb ye tumhari manyata jo baith gayi ki inse hamen sukh milta hai. Yah tumhen sukh pradan nahi kar sakte.
isliye jo inka aashray liye hue hai, wah dukh nivraat nahi kar sakta. To aao bhayabhit ho jao kal se mrityu se dukh se rogon se durgati se prabhu ki sharan mein aa jao to prabhu tumhen aise pyar karenge jaise prannon se pyar kiya jaata hai jo sabheet awa sharnai rakh ho tai pran ki nai prabhu ke vachan hai aur yah kinchin matra kabhi parivartan nahi hota yah koi prakriti ka aashray nahi hai paramatma ka aashray prabhu ka aashray yah nitya hai yah atal hai prabhu ka aashray koi nai baat nahi hui pehle ham prabhu ke the ab bhi prabhu ke age hi prabhu ke bhul gaye bhul mita di aashray keval keval prabhu ka hi lena chahiye keval prabhu ka aashray avlamban adhar sahara yahi prabhu chahte hain aapse keval prabhu ka aashray.
prabhu kahte hain ki man bhi mere mein aasakt ho jaega aur aashray bhi mera jab ho jaega to tere ko mere se prem ho jaega aur mere ko tere se prem ho jaega. Prem hua ki tere mere donon gayab ho jaenge. Tere mere tab tak rahte hain jab tak prem prem gati sa tame do na samae brahmavi brahm bhavti ab wo abhed bhagwat swaroop hokar bhagwat prem mein mat wala main bhagwat premi hoon iska bhi vismaran ho gaya lay ho gaya pratyek vidhan mein prasann raho tumhare man ke virudh jab prabhu vidhan bheje to nach pado ki wo kitna dular karte hain prabhu mera kitna khyal rakhte hain ki meri sammati ke bina meri chah ke bina unhone vidhan kiya bada mangal hi hoga kyonki hamari chah mein dhokha hai lekin
prabhu ka vidhan mangal hoga upasak nach parta hai bade kripal ho namdev ji ki kutia mein aag lag gayi kuch logon ne jhulaste hue kambal ye aadi bahar rakhe bada kasht sah kar agni mein pravesh karke bacha ke samgri nikali jab namdev ji aae to nach pare o mere ghar prabhu padhare agni rup se aur un logon ki taraf tumne swagat karna chahiye atithi ka tum to nikal liye sab samgri sab samgri phenk di wo prabhu aae nach rahe logon ne kaha bavare ho gaye itni mehnat se nikala sab aag mein phenk chalo bhogne do inko aise prabhu ke vidhan mein nach padna.
wah vidhan kaisa hai? Pratikul hai, dukhad hai. Bhakt ki drishti mein prabhu ka vidhan hai na. Bas yah baat dikhayee deti hai. Kya hai? Nach pare. Thandi ka samay ab ratri mein usi jo kutia thi usi ki rakh mein se let gaye. Shant ho gayi thi. Let gaye. Thodi der mein sharir kanpne laga. Vitthal vitthal vitthal vitthal naam chal raha hai. Upar se thakur ji ne apni shayan wali poshak uda di aur wo so gaye. Sundar aise vishv brahmand ke sugandhat patte tan parag se yukt Garud ji ko second mein sari vyvastha karni thi.
bhagwat parsad shri lal maharaj apne hath se kutia se subah hua kilomeetron tak sugandh fail rahi thi aisa akarshan sab log khinche o ye to inki kutia namdev ji se kaha hamen kya pata tha ki tumhare paas aise chatur kareegar hain raton raat aisi kutia ka nirman sundar ho gaya suno ham bhi banwana chahte hain sab bole ham bhi ban bole haan bole kitna rupya lagta hai bole bole free are bole to tu pura ganv banva lega bole haan pure ganv mein aag lagao pure ganv mein aag lagao kisi ke ab kuch nahi bachna chahiye ham bula lenge apne kareegar ko aag kaun lagega bas yahi nahi ho paya yahi nahi ho pata bhakt hi aisa kar sakta hai nach pare agni ko dekhkar mere prabhu aae dekho unka kitna mangal vidhan kyonki unko pata hai mere prabhu mujhe pyar karte hain koi hai vidhan aisa atah kisi bhi vastu, vyakti, paristhiti aadi ka kinchin matra sahara nahi hona chahiye.
yah badi baten hain paramarth ki. Abhi sab ulta hai. Agar prabhu ka sahara ham liye hain, bhajan kar rahe hain to hamen manokul vastu mile, vyakti mile, paristhiti mile, puja pratishtha mile. Jai ho. Aur agar iske viparit hua to ankhen chadh jati hai. Prabhu ki taraf dekhne lagte hain ki salo se aarti ghuma rahe hain. Phir bhi hamari ninda ho rahi. Log hamara apman kar rahe hain. Prabhu aisa kaise yah sharanagati nahi hai. Yah aashray nahi hai. Yogam yanjan prabhu ke saath akhand sambandh ko yogam yanjan kahte hain. Pehle bataya madashray mere ashrit ho jao.
to tumhara jo akhand sambandh hai wah jagrit ho jaega. Hai us sambandh ko jo sweekar kar leta hai uski pehchan ye hoti hai ki wo siddhi asiddhi mein saman rahta hai. Ye bade kam ki baat hai. Is par dhyan dijiye. Wah purnata apurnata mein siddhi asiddhi mein wah saman rahta hai kyonki usko param labh sambandh se hai. Sadhna ki siddhi asiddhi se nahi. Abhi jhoom padoge baat agar hriday mein pahunch jae. Kan mein to pahunch gayi hai. Par hriday jalenga jab tak ki hriday mein nahi jaegi. Yah baat hriday mein pahunch jae.
hamara sambandh shyama Shyam se hai. Ismen kabhi ghata nahi parta hai aur antim sambandh hi kam aata hai. Durgati ya sadgati sambandh se hoti hai. Sansaar ka sambandh rishte natedaro ka sambandh sweekar kiya to antim samay kar lo sadhan lekin antim samay wahi final mein tumhare samne hoga jahan sambandh hoga. Sadhan bhajan bahut badhiya kar rahe the bharat ji. Sambandh sweekar kar liya hiran se. Sab sambandho ka tyag kiya. Hiran se sambandh sweekar kiya to agla janm hiran ka hua. Sambandh is turant isi ke baad shabd likha hai ki jo is sambandh ko sweekar kar leta hai wo siddhi asiddhi mein sam rahta hai kyonki hamko isse lena dena nahi tabhi abhiman nahi hota.
tabhi dridh bharosa rahta hai kyonki usko bharosa sadhna ka nahi hai. Sadhan theek siddh to badhiya nahi purn to badhiya to kam kaise banega shyama Shyam se shyama Shyam wo unki kripa ki bat jo hota hai aur jo kripa ki bat jo hota rahta hai use koi parast kar sake aisa kaise ho sakta hai aisa nahi ho sakta jaise sinh singhini ke beech mein baithe hue uske shravak ko koi pida nahi pahuncha sakta aise shyama Shyam ke ashrit ko koi pida nahi pahuncha sakta ahankaar hai isiliye vikar abhi hamen raundte hain.
nahi to jis din ham purn samarpit ho jae ho gaya khel. Hamara khel inse hai. Sadhna se nahi hai. Ham kuch nahi kar payenge. He nath nath anathan hit samarth mohan se ye andar ki baat hai. Bahar ki baat nahi. Bahar to tumko aaj se aise rahna hai. Ji andar ki baat hai. Aap jaise rakho jaise chalao. Sadhan ki siddhi asiddhi mein saman yah wahi kar sakta hai jo ashrit hai. Agar thoda bhi ahankaar hai to thoda sa safalta milne par aap chati phula lenge aur thodi si asflata ho to aap muhn hilga lenge. Lekin jo shyama Shyam ka sambandh hi hai wahi safalta asflata mein saman rahega kyonki usko pata hai hamen isse kuch chahiye nahi.
ye safal ho to badhiya na safal ho to badhiya. To chahiye kya? Wah chahiye wo unhin se chahiye. Bane to raghuvar bane yah ga lete hain lekin ise pate nahi hai. Agar pa le to abhi jhoom pare ham. Yah bhagvatik shabd hai. Abhi jhoom padenge kyonki yah udhar se hona na to udhar takte rahenge. Bat jota rahta hai upasak kripa ki. Wah siddhi asiddhi mein sam rahta hua upasak bhagwan naam jap dhyan kirtan bhagwat leela gungan rup chintan yah swabhavic uska hone lagta hai kyonki wo bhagwat ashrit hai na uski cheshta keval keval Priyalal ke anukul hoti hai.
abhi sari cheshta sharir ki anukulta ko lekar hai. To ham sharir ke ashrit hain. Jab upasak prabhu ke man wala ho jaata hai prabhu ke ashrit ho jaata hai. Yogam yanjan prabhu ke man wala aur madashray prabhu ke ashrit tab usko kuch abhyaas nahi karna parta. Bhajan ka abhyaas dhyan ka abhyaas nahi chhaa jaate hain. Jinke ashrit hue chhaa jaate hain. Priya pritam unka rup unka naam koi bhi yog bakaya nahi rahta. Sab yog uske andar kyonki yogendron munidron ke guru mahayogeshwar shri Krishna aur Priya jo inka ascharya liya to sare yog apne aap jagrit ho jaate hain.
koi kah sakta hai ki apne aap kaise jagrit ho jaate hain. Dekho guru kripa hari kripa ye itni samarth hai. Bhagwan shankaracharya ji ki seva mein rahte the. Ek sant bhagwan langoti dhona kapda dhona snaan karne ke baad unhee ki sharir seva mein to snaan karke adya guru aae virajman hue to mukhya mukhya jo param vidvan upnishdon ke tatv ke rahasya ko janne wale shishya jan the unhone kisi gadh adhyatma ka prashn kiya to unka wo trotkacharya ji shayad unka naam tha unka wo trotak ji aa jae phir wo to bole prabhu unke samne kya varn matlab padhe likhe bilkul nahi the unka unke samne varnan karna kya matlab wo to padhe likhe nahi hai Upnishad
ka na gyan hai na tatv ka gyan hai aur waise hi keval sharir seva mein aapki rahte kabhi hamne dekha nahi shastr swadhyay karte unko nazar mein aaya guru ke sharir ki seva karna ek sadharan baat hai aisi baat nahi muskura diye bhagwan shankaracharya ki tumhen bahut gyan ka abhiman hai jab wo langoti vastr aadi prakshaln karke dho ke faila ke aae to unka trutak jo ji bole is sutra ki vyakhya karke inko bata do sanskrit wahi acharya padvi par vira sanskrit se ekdam sab ascharya guru kripa hi kevalam upmanya ji ka charit aata hai sadguru dev ke paas gaye unhone kaha ki hamare yahan to seva pradhan hai to kuch varsh aap seva seva karo phir aapko shastr swadhyay karna bataenge ji jaisi age to gay charao tum ye gaushala hai jangal mein le jakar inko charao aur aisa nahi tha ki sham ke wapas ho jae mahino janglon mein hi aise jab aae to khub hasht pusht tum hasht pusht kaise ho kaha Gurudev gay ka doodh pi lete hain yah gay hamari hai.
hamari agyaa ke bina tumne kaise le liya? Galti padi. Haan chalo phir aae hasht pusht. Kaise? Madhuri maang lata hoon. To bina guru ko samarpit kare bhiksha ann pana dosh hai. Na hamne adesh kiya aur na tumne samarpit kiya. Kaise bhiksha ann maang rahe ho? Ji. Phir gaye. Phir kaise hashtapushta ho? To bole prabhu jo bachra phen girate hain unko chat ab shastron gaen to bole hamare bachhde bade kripalu hain wo aisa to tumhara ye pine ki bhavna unke udar ko khali rakhna hai arthat wo bade kripalu tumhen dekhkar chhod de aaj se pen bhi nahi khana ji ab to sab band ho gaya tha unko pata nahi tha akode ke patte chba liye to ankhen andhi ho gayi netr ki jyoti chali gayi aur ek andhe kue mein gir gaye.
jab wahan gire to unhone andar se pukara ab pukara Gurudev nahi aashay ye tha Gurudev ka ki kuch bhi karne ke pehle hamara smaran hamari anumati avashyak hai. Ab pukara Gurudev unko vishilta hui Gurudev upmanya sankat mein hai. Kahan hai? Shishya sahit gaye. Wah andar se Gurudev aise pukar accha nazdik gaye. Unhone suno ham tumhen mantr bol rahe hain. Is mantr ka ucharan tum karo apni jibhya se. Isi samay jo devtaon ke vaidya hain ashvini kumar wo turant aa jaenge. Bolo mantr jo Gurudev ne mantr mantr bola.
ashvini kumar aa gaye. Unhone ek pue ki rachna ki ayurveda ke anusaar aur kaha ise pao turant antar aur bahar donon drishti khul jaegi. Yah netr bhi khul jaenge hriday ke bhi netr khul jaenge. Pao to unhone kaha nahi abhi tak galti hoti rahi. Gurudev ko samarpit karo aur wah adesh karen to ham pa sakte. Ab aaya siddhant. To unhone kaha nahi tumhare Gurudev ke hi mantr se main jagrit hua hoon. Unhin ka adesh bole nahi pehle Gurudev Gurudev prasann ho gaye yahi chah rahe the unhone hi pua khaya Gurudev ke adesh hue netr andar ke netr prakashit hue bahar aae aur kaha Gurudev sabse badi baat mil gayi ki bina guru agyaa ke ek vritt bhi nahi uthni chahiye jao charon ved tumhare hriday mein prakashit to unhone vyakaran padhna nahi para balka balko balkah sampurn vedrit guru kripa to guru hari hi to hai na to hari kripa se kaun sa yog nahi tumhare andar jagrit ho jaega wo to maha yog Yogeshwar shri Krishna hai jo bhagwat ashrit ho gaya jiska man prabhu ke charnon mein samarpit ho gaya sare yog jagrit ho jaate hain asanshyam samagram mam prabhu kah rahe hain jo mere ashrit ho gaya mere mere man wala ho gaya.
wah mujhe samgr rup se jaan leta hai. Sagun, nirgun, sakar, nirakaar, avatar, avtari wo sab jaan jaata hai raas se. Abhi ek din ekantik mein ek prashn kiya tha ki wah hamare pujya jan jo hai wah kahte hain ki murti puja ki ninda karte hain. Sakar bhagwan ki ninda karte hain. Unke naam rup ki ninda karte hain aur wo kahte hain bhagwan to nirakaar hai. To aapka kya ismen ray hai? To hamne to zyada ham padhe likhe nahi to ham kaha na unki sakar mein sthiti na nirakaar mein sthiti agar aap hamse puchte to unki bekar sthiti hai.
bhaiya kisi ek paksh ko jaan loge to wahi sarvatra virajman hai. Ham bhagwan ko chode pehle apni taraf ave. Hamara swaroop nirakaar hai. Ye hamara swaroop thodi hai akar. Hamara kya swaroop hai? Jo ham man lete hain wahi hamara swaroop hai. Hiran mana hiran ban gaye. Suar mana suar ban gaye. Manushya mana manushya ban gaye. Jo ham chintan karte hain wahi ham apne swaroop ko dekhte hain. Vastut hamara swaroop yah sab nahi hai. Koi rup nahi hai. Hamara koi rup nahi. Jo hamara main hai wah koi rup nahi hai. Wah arup hai.
ham jis rup ka arop karte hain bhavna karte hain wahi hamara rup ho jaata hai. Puran stri ka chintan kiya to agle janm stri pehle purush tha phir stri ban gaya. Swaroop mein to koi antar nahi hua na. Tum jaisi bhavna karte ja rahe ho vaisa aap badte ja rahe ho. Bhavna badal rahi hai na ki aap badal rahe ho. Aapki bhavna badli to aapne apne ko stri rup mein dekha. Aap stri man liye, purush rup mein dekha, purush man liye par aap na stri hai na purush hain. Aapka jo swaroop hai wah na sukshmadarshi se dekha ja sakta hai.
kanch ke shishe mein band kar do aur jab wah aapka swaroop antardhya hoga to aisa nahi dikhayee dega ki yah ja raha hai. Nikal gaya. Ye jo jise kahe ki shisha chatak jaega. Nahi wo koi prakritik vastu thodi hai ki shisha bhedega to chatak jaega. Wo shishe ki bhi atma hai. Wo shisha bhi jo hai usi ki atma hai. Wo leen ho jaega. Uska koi rup nahi. Agar vayu niklegi to chatak jaega. Par wo vayu nahi hai. Wo nahi nahi nahi wo hai. Hai wo sabse pare hai. Aur sab mein bhare hain. Sab mein bhare hain. Wo sabse pare hai.
yah pahli wahi samjh sakta hai jo samgr rup ko jaan gaya hai. Dekho bhagwat rishi ji ne is jhagde ko kaha hai. Yah jo jhagda karte hain na paramatma nirakaar hai. Bole nahi sakar hai. To wo kah rahe hain ki jako jaisi lakh pari taisi gawe soi beethi bhagwat milan ki nischay ek na hoi nischay ek na hoi kahe sab prathak hamari shruti samriti bhagwat saakh gita de bhari bhupti shravan saman lakhe nij par tako jako jaiso bhav sapose taso tako to hathi dekho arni nij man ke anuman kan pooch pad pith ga karo savan parman karo savan parman bitora sup paat tar jhagre sant mahant nigam agam puranwar bhagwat rasik anannya drishtivar kije sathi jin dekho gun rup ang ha mein hari hathi bhagwat rasik ji kah rahe shri hari ke pahunchne ka jisne jaisa bhav kiya vaisa hi mere hari ne use anubhav karaya.
goswami ji likh rahe jaki rahi bhavna jaisi prabhu murti dekhi tin taisi. Par ninda karne ka adhikar tumhen kahan se mil gaya? Agar tum nirakaar ke upasak ho to pahli baat to samjh lo ki upasna sakar ki hoti hai. Upasan jo apne aradhya dev ke samip rahta hai. Nirakaar ek bhav hai. Upasna nahi. Uski aarti, puja, geet gana, nachna, pranam, namaskaar yah sab nahi hai. Wo antarjami tatv sarvatra virajman hai. Anubhav aur moksh. Lekin yah anubhav kahan se hota hai? Sakar se. Sakar ke bina nirakaar ka anubhav nahi ho sakta.
koi kahe kaise? Jaise. Us marg se aae hain. Usi marg se aae isliye bhagwat kripa se uska bhi prichay hai. Jitna prabhu ne karaya. Prano Om aa u ma ye kya bana? Akar bana na. Kisko bhaj rahe ho? Koi bhi nirakaar upasak iske bina age nahi badhta. Om sanyaas ka akhiri mantr hai. Om kya aaya samne? Aaya na ye kya aaya? Akar hai na? Kahan se mila? Akash se. Brahmanand swaroop Gurudev bhagwan se. Nirakaar hoke. Nahi nahi wo to sakar baithe hue unke pranati hui unki sharan mein hue to unhone hamko jinki sharan mein hue kaun tha sakar jinke charan pakde nirakaar ke pakde kya sakar jinko mala pahnai nirakaar ki ki sakar koi bhi upasna batao jismen guru ke charnon ka aashray na liya gaya ho to guru nirakaar the kya sakar the bole to nirakaar bole kya shabd hai sakar bole sweekar kiya to kisko sweekar kiya?
sakar ko. Phir kahan pahunche? Usko anubhav mein jaan gaye. Jab jana to koi aur nahi tha. Main hi tha. Yah nirakaar upasna ki baat bata raha hoon. Jab jana to koi aur nahi tha. Wo main hi tha aur main tha khatm. Ab main bacha. Ab main wahi brahm swaroop hai. Aur wo kahan hai? Wo sarvam. To ninda kiski? Murkhta ki. Virodh kiska? Agyaan ka. Isiliye na sakar ki upasna na nirakaar ki bekar ki upasna hai jo kisi ki bhi ninda karta hai kisi ko bhi apmanit karta hai kisi ka bhi virodh karta hai ki murti pujae bhagwan naam sab sanakaad jaise brahm gyani hari sharanam aur ye brahm gyan bin nari nar kare na dusri baat kauri lagi lobh was kare vipr gur ghaat yah hai brahm gyani bhagwan bachave aise updesh se bhagwan shankar hi samasth gyan ke samudra chahe jo jahan gyan ki baat aayegi wo shiv hi bol rahe hain aur shiv charanamrit dharan kiye hari hari ratte rahte hain.
vah aaj ke gyani hamne jitne bhi Paramhans mahapurushon ko dekha Om namo naraynay he narayan pran swaroop main aapko namaskaar karta hoon. Jahan aapas mein mile hari Om tatsat hari jo Om swaroop hai wahi tat hai wahi sat hai kya gyan prapt ho raha hai bhagwan ke rup ki ninda upasna ki ninda naam ki ninda bhagwan bachave inko kaun si durgati hogi pakki baat aisa nahi ki ham vaishnav hai to itne hi bhagwan mahadev ji ke chela rahe hain gyan marg mein bhi rahe hain ham bilkul Rudra kripa rahi hai aisa nahi raha hai ki matlab jeevan to hamen unki kripa se wo gali bhi pata hai.
yah sabse badhiya baat rahi ki dod gali ghuma ke bhagwan ne idhar lagae. Aao dahine aao ya baye aao jidhar aao udhar ke dav pech mahadev ji ki kripa koi bhi upasna kisi ki bhi ninda karne ka adhikar nahi batati. Wahi jal jab gadh rup ho gaya to akar dharan kar liya. Barf barf ke resh reshe mein jal hi hai. Aise hi bhagwan sakar ho ya nirakaar ho phir ved ki baat galat ho jaegi. Ekam bahu shyama chahe ek nirakaar man le chahe sakar man le chahe nirakaar sakar donon man le wahi hai uske siva koi hai. Sarvam khalmidam brahm ne nast kinchan kahan tera gyan gaya jo kisi ki bhi ninda karta hai wo gyani ho hi nahi sakta.
agyani hai. Gyani to dekhta hai vidya vinay sampann brahmin gasta supakecha pandita samad bhagwat vani isse bada kaun guru hoga? Isse bada kaun guru ho sakta hai jo ye gita sutra de rahi hai. Meri samjh mein nahi aata. Bhagwat rasik ji kah rahe hain ki ye sab andhe hain. Khuli baat samjho. Ye aise mahapurushon ki baat hai sabko anguthe mein rakh ke surapti narpati lokapti jinke bhave ghas sambhal ke bole wo jisko lok vihaar sambhalna ho aur jisko prabhu ko sambhalna ho wo prabhu sambhate hain jo bulwate hain wo bola jaata hai jo pawate hain wo paya jaata hai jo dikhwate hain wo dekha jaata hai bole andhon ki nagri hai jahan jhagda shuru hai ye kya hai bole andhon ki baat kaise bole hathi dekh andhan nij man ke anuman panch chhah andhe khade the to unhone kaha bhaiya ek samne kya bole hathi
hai bole kaisa hai jara apna apna anubhav karke batao to ek ne kan mein hath aise lagaya bole sup jaisa hathi aur dusra pakde the jaangh are bole khambe jaisa hathi hai to tisre ne pith pe are bole ye to bitora jaisa hai sab apne apne anubhav bata rahe ho aankh wala dekh ke hans raha hai wo lad rahe hain bole bole sup jaisa hathi bole nahi khmbe bole tum khambha jaisa kaise kah sakte ho thappad chal rahe hain bole kin ke bole andhron ke theek bhasha samjho paramatma kaisa bole ye to koi drishti wala dekh ke bata sakta hai tum to andhe ho jo gyanabhiman mein hai jo avidya ke khel mein ramit hai jo sharir bhav mein ram raha hai wo andha hai wo kya jane paramatma ke swaroop ko jo netr wala hai wo dekh raha hai ki tum jo bol rahe ho wo hathi ka ek ang hai.
wo jo bol raha hai wah bhi hathi ka ek ang hai. Wo wo bol raha hai wah bhi hathi ka ang hai. Lekin sampurn hathi ko tum nahi jante ho. Jab sampurn hathi ko jaan jaoge to jhagda khatm ho jaega. Aise hi kah rahe hari rupi garjaj ko koi drishti wala hi dekh sakta hai. Jaise kisi sujh wali aankh ne pehchan ki kan-kan mein jhanki bhagwan ki. To yah jo shri bhagwan kah rahe ki jo mere ashrit ho jaata hai aur mere man wala ban jaata hai asanshyam samagram mam wo pura mujhe jaan leta hai. Bahut hansi ki baat hoti hai ki koi paramatma gyani kisi se ninda kaise kar sakta hai?
jhagda kaise kar sakta hai? Jab mera hi prabhu sab jagah hai. Yah siddhant chahe bhakti se chalo, chahe gyan se chalo, chahe yog se chalo. Yah siddhant sabke jeevan mein aata hai. Ekmatra paramatma hai. Yah jhagda kaise hota hai? Isliye aise sampradaywad mein nahi phasna chahiye jahan jhagda chale. Yah janm jhagda ke liye nahi hai. Dekho kaisi-kasi agyaan ki vrittiya aa jati hain. Jahan hamare hari ka koi bhul se bhi naam le le to hamen charan chune ki ichchha honi chahiye. Uski charan raj mere prabhu ka naam isne ucharan kiya aur wahi jin prabhu ke ham upasna kar rahe hain jinko apna pran man rahe hain unhee prabhu ka dusra naam lene wala anant naam hai dusre bhav se upasna karne ham usko pida pahunchaen uski ninda karen usko chhota samjhe usko apmanit karen to kya hamare aradhya dev hamse prasann ho jaenge kyonki hamare hi aradhya dev hain wo hamare hi prabhu dusra naam rup liye dharan kiye virajman hai uske bhav mein yah to bilkul hamari samjh mein nahi aata jo kisi vaishnav ki ninda karte hain, kisi upasna ki ninda karte hain ya sakar nirakaar ke jhagde karte rahte hain.
ye sab andhe hain. Gyanandh hain. Ye nahi jaan pa rahe hain. Inke gyan ke netr nahi khule hain. Dekho bhakt hai to Siyaram mein sab jag jani. Gyani hai to sarvam khalmidam brahm. Premi hai to chid chid lakshanam sarvam Radha krishnamyam jagat sarvan vastutya nireeksh param swadhya Buddha jhagda kahan hai to ye kyon nahi jaan pa rahe kyonki ye apne man wale hain ye maiya sakt mana nahi hai ye apne ahankaar ke ashrit hai buddhi gyan ke ye bhagwat ashrit nahi kyonki bhagwan kah rahe asanshyam samagram mam sanshay rahit hokar wo purn rup se mujhe jaan leta hai jo mere ashrit mera bhajan karta hai hamare pritam inka naam isiliye ham kai bar satsang mein kaha hai ki jahan naam ki mahima
rup ki mahima dham ki mahima leela ki mahima seva ki mahima na gai jae aur thukra diya jae iska nishedh kiya jae to chahe wo brahma ji bol rahe ho hamen pranam karke chal dena chahiye kabhi ek shabd unke nahi sunne chahiye jahan naam ki ninda ho rahi bhagwan naam ki dham ki bhagwat seva upasna ki bilkul baat samjh lijiye yah bada hi amangal baat hogi koi bhi aaj tak bina bhagwat aradhna kiye gyani nahi bana shuddh gyani mila jitne bhi shastron mein padhe wo sab bhagwat premi mahatma paye gaye Sukhdev ji Janak ji ye gyanyon ki ganna mein baat karen sankadi ji bhagwan shankar ji aur bhi bade-bade bade mahatma ye sab gyan samudra lekin sab bhagwat aradhna mein tanmay hain.
aur aajkal ham aise gyani hote hain ki bhagwan ki ninda karte hain. Bhagwan ke naam ki ninda karte hain. Unki leela ki ninda karte hain. Unke upasna ki ninda karte hain. Pata nahi kaun kiska inko gyan ho gaya hai. Inko kaun sa gyan ho gaya hai ki bhagwan sarvlok maheshvar jagatguru jinki vani ke anusaar hamen gyan hota hai. Chahe wah Upnishad ho chahe ved ho yah bhagwat vani hi to hai. Jinki vani hai us vani ke sahare unki tum ninda kar rahe ho jinhone vani prakt ki hai. Kaisa gyan hai tumhara?
are adya guru bhagwan shankar swayam apne mathe par charanamrit dharan kiye hue hain. Jinka ganga ji charanamrit hai. Un prabhu ki tum avhelna karte ho. Unki seva unki murti puja ka tum tiraskaar karte ho. Hamen lagta hai yah sab maya ke mare hue jan hai. Jinke hriday mein bhagwan ke charnarvind ki aashray vritti nahi hoti. Sahi gyan nahi hota. Aadi guru bhagwan shankaracharya ji kah rahe hain ki swarupanusandhan mein bhakti rev garsi swayam bol rahe hain gyan ke acharya hote hue ki vishuddh gyan prapt karne ke liye bhakti marg shreshth hai.
usi se prapt hota hai. Aap dekho jaise ham bhagwan ki shri vigrah ki puja karte hain. Aise sanyasi narayan dand rup wo jo dand hai usko narayan ka bhav karke jaise ham murti mein bhav karte hain. Ko atho pahar usko god mein liye rahte hain. Dand narayan ko tarpsn karte hain. Usi marg se snaan karate hain. Pujan karte hain. Mantr anusthan karte hain. Prannon se bhi adhik pyar us dand narayan ko karte hain. Aradhna ho rahi hai. Gurudev ko bhagwan ka rup man ke aradhna karte hain. Tab vishuddh gyan prapt hota hai.
aajkal ham pata nahi kaise gyani ho rahe ki bhagwan ke naam ki ninda karte hain. Bhagwan ke rup ki ninda karte hain. Dekho jahanjahan bhagwan ke avatar hue mahadev ji wahan wahan darshan karne gaye. Dekho na nandalay mein dekho to Vrishabhan ke dwaar par dekho to avdh naresh chakravarti samrat dashrath ji ke bhavan mein dekho to darwaze par khade darshan pata nahi kaise gyani ho ki tum bhagwan ke avtaron ka khandan karte ho bhagwan ke rup ka bhagwan ki seva ka kaise jagat mangal hoga kaise tumhara anand hriday se abhishikt hoga ab dekho aaj ke aise gyani wo bata rahe the shri ji ke naam ko kahte hain ki nahi nahi yah kisi puran mein nahi likha.
tum kitne gyani ho? Radha Upnishad padh ke dekho. Brahm vaivar puran ko padh ke dekho. Are ved jis sutra ko kah raha hai raso vaisa rasam landi bhavti to wahi rasik mahapurush kah rahe ras hi ki murti do rasik ladli lal. Kahan ho? Kup manduk ki tarah tum ho. Kue ke idhar bat se idhar uchhle to tumhen laga ki samudra wale mendhak ki baat ham kaat denge. Samudra ka ek mendhak sanyog vasata kue mein pahunch gaya. Bole Radhe-Radhe kahan se aae? Bole samudra se. Kue ke mendhak ne kaha samudra jante ho ki kitna bada hoga?
to bole tumhari soch mein kya hai? Idhar se kuda idhar bole itna samudra bada hoga. Phir idhar se kuda itna bada hoga. To usne kaha jeevan bhar aise kudte raho to bhi tum samudra ki tha thodi pa jaoge. Kup manduk samudra ki tha pane ke liye to samudra ka ugahan karna padega. Prem samudra Radha naam ki tha pane ke liye aao rajdhani Vrindavan mein aur raj lagao jaise kisi ek se kaha tha ki aao ham tumhen nacha denge aao to tum aao aur pao to phir wahi gaoge jo ham bol rahe hain kyonki ham bhi udhar aise aae hain.
dham ke bade-bade siddh gyani aae hain shripad prabodhanand ji maharaj jo hazaron ko moksh pad bhi pradan ki aur wo kah rahe hain ki Vrindavan ke nali ka kida bana do lekin bahar ka brahma nahi shri Krishna prem mein unmat hokar bahar nahi rahna chahta Vrindavan mein agamya gaman karke oh gazab kar diya yah hai koi aisi alaukik baat hai jo agam nigam puran agochar yah aisa nahi hai isliye hamen lagta hai aise logon ka bhi sang na kiya jae jo hamare aradhya dev ke naam rup leela dham ki avhelna karen. Wo chahe brahma ke saman ho.
ye dekho brahma gyani bante hain. Kamp gaye kiski jinke hath mein makhan mishri ka kaval hai. Aur kahin idhar ka koi to phir brahma ki gati hi nahi. Kamp gaye bhag gaye. Bhag gaye. Chauthi parikrama nahi kar paye maharaj. Stuti kar bhag pare. Kamp rahe the hamare Govind ki mahima ko dekhkar aur Govind atript lochan chakor pe ab pahunch hi nahi unki wo bol raha hai aisa se aisa ye sab baat bhut vivash matware te nahi bole vachan bichare tinkar kaha suni nahi kanha Radha Radha Radha Radha apne aradhya dev ke prati pran samarpit karke unke ashrit hokar bas Radha vallabh lal ki jai
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- ananyata se hi hoga sab kuch prapt ! // 26/09/26 — ham log bhagwan ke sharanagat jan hai. Priya lal ke sharanagat jan hai. Lekin sharanagati ka rahasya na janne ke karan bahut varsho tak ya janm pura vyatit hone tak hamara jo bhagvatik anand hai wo spurit…
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…
- aisa kuch kama lo jo mrityu ke baad bhi saath jaega / Gokul mein Nandlala ka janm // 21/09/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvai param shital mashryam param shital mashryam krishnay Vasudevay Devki nandnay cha nand gop kumaray…