in 5 baton ke tyag se hoga nirantar naam jap / kans vadh / Devki-vasudev ji se milan / gurukul shiksha grahan
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
Vrindavan swari taiv padarvindm prema mrit makrand raso purnam rad pitam madhupati smar tap mu gram nirva pay param shital ma Shyam param shital maya param sacchidanand ghan Premanand swaroop nau nivrit nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladle yugal sarkar prana radhya pran priy shri Priya pritam ju samasth sachar vrind khag mrig pashu panchhi taru lata shri yamuna ras rani raj rani ja samasth brajvasi parikar ke charnon mein koti shah pranam koti shah naman koti shah namaskaar shri ji ke hetu ki kripa se ek ek shwas vyatit ho rahi hain dham mein naam mein rup chintan mein leela shravan gayan mein to ab hamen aur kuch nahi chahiye hamara jeevan param dhanya ho gaya yadi hamari ek bhi swas sansaar ke chintan mein shastr viparit aacharan mein jo ja rahi hain wah vyarth ja rahi hai isliye kahin bhi ho kaise bhi ho kuch bhi kar rahe ho Radha naam mat bhulo sab theek ho jaega apni samarth sab theek karne ki nahi hai Radha naam sab theek kar dega chinta mat karo chintan karo yadi Radha naam ka chintan ho raha hai
to anant janmon ke sanchit karm bhasm ho jaenge yadi Radha naam ka chintan ho raha hai vartman mein ya age bhavishya mein jo hamse aparadh ba baenge wo likhe hi nahi jaenge anu likhya natan pit padhan madhupati lal ju maharaj uske aparadh hi nahi ginte aur maha prema visham to param deyam vim suti is Radha naam ke jap karne wale ko kya de unke vichar mein hi nahi aata kyonki y maya janit padaarth vastu pad pratishtha ye bhagwan swapak vastu apne janon ko nahi dete to kya karte hain Radha naam japne
wale ke adhin ho jaate hain apne ko rni kahlate hain yah Radha naam yadi hamari shwas pra shwas mein chal raha hai to ab hamen chinta ki baat nahi shripad kah rahe hain kamam vaso bhavtu nar ke chan mahanand kand Shrimadd Vrindavan gun gan pute karan randh gi ante wa smriti path math yaan tiva nanya tha mein shri vaikunthe pa ruchi dum shri satu preth mahanand kand prem sudhras sindhu yadi Radha naam ka chintan ho raha hai Radha naam ka kirtan ho raha hai Radha naam ka jap ho raha hai aur jahan se Radha naam ka prichay mila wah Vrindavan ka aashray hai Vrindavan ka vas hai Vrindavan ka chintan hai to kah ra hamen koi parvah nahi aap narak bhej dena dekh lo kamam baso bhavtu narke chan mahanand kand mujhe wahan bhi maha anand kand ka mul Vrindavan anand mein rakhega kyon kyonki Radha naam japenege agar ham Radha naam japne wale hain nishtha hai to hamen narak bhej do hamen uski koi parvah nahi aur kah rahe Shrimadd Vrindavan gun gan pu karan randh yadi Vrindavan ke mahmmahim shi Priya pritam ki leela gunon ka hamare kano mein shravan karne ka
saubhagya mil raha hai to mujhe Baikunth ka vaibhav nahi chahiye mujhe mahmmahim narayan ki dasata nahi chahiye mujhe apne Vrindavan bihari bihari ju ke yash ka shravan kano se karna hai raj ka sevan karna hai Radha naam japna hai aap narak bhale ved to mujhe Baikunth mat bhejna kitni badi baat mujhe Baikunth ka sukh nahi chahiye narak ka dukh dena aur usi dukh mein ham pukarenge Radha Radha Radha yah premion ki baat hai kyonki narak tab hota hai jab ham bhagwat vimurkh hote hain chahe jahan raho tum narak ke saman dukh bhogo yadi bhagwat vimurkh ho aur bhagwat sanmukh ho to maha dukh narak jaisi paristhiti mein bhi aap anand mein rahenge isliye hamari baat man lo yah dwe akshar para vidya Radha naam yah kabhi mat bhulo Radha Radha Radha Radha aap dekh lena aap kitne anand mein rahenge lok parlok sab kuch sambhal jaega aapke sambhale nahi sambhle Radha naam sambhal dega ek bar hamari prarthna man lo jinke kano mein baat padh rahe ho kisi bhi sampraday ke ho jai ham aushadhi mein sampraday nahi dekhte aise Radha naam bhav samudra se par karne ki
aushadhi aur prem mein dubo dene ki apaar samarth hai isliye Radha Radha Radha har samay ratte raho aap dekh lena aap dekh lena is Radha naam ka pratap kya hai khud anubhav kar lena bahut jaldi anubhav ho jaega yadi papa charan rok diye jae to papa charan karte hue Radha naam jab karoge to bhi udhar karne ki samarth naam mein hai bade-bade vaishya kami papiyon ka bhi udhar naam ne kar diya agar aap papa charan rokkar naam jab karenge to bahut jaldi aapko anubhav mein aa jaega ki Radha naam kya hai kya milta hai badi-badi sadhna hon se jo phal milta hai va Radha naam se jo phal milta hai uski barabri nahi kar sakta Radha use laghu he kar deta hai isliye khub Radha Radha japo chahe jaisi paristhiti ho hamari baat par dhyan dena chahe jaisi paristhiti ho man ki chahe jaisi paristhiti ho bahar ki tum Radha naam jap karoge sab mangal ho jaega dekh lena ye ham apne hriday ki baat apne acharya ki baat aur sampurn Vrindavan vasiyon ki baat kah rahe hain kyonki Radha naam keval Vrindavan ki kripa se hi jivya mein aa sakta
anytha nahi jis par shri Krishna ki asim kripa hai wahi braj mein kadam rakh sakta hai jis par shri ji ki asim kripa hai wahi Vrindavan mein kadam rakh sakta hai aur Vrindavan ka prabhav hai ki tumhen Radha naam rupi mahaprasad dega anyatra nahi agam nigam puran agochar agam mein nigmon mein purannon mein agochar hai Radha rup Radha naam isliye bade kripa patr hai jo Vrindavan ki pavan bhumi mein baithkar bhagwat charcha sun rahe hain Radha naam ki mahima sunkar aap Radha naam ko apni jivya par virajman kar lijiye bas sab ho jaega isi se sab ho jaega kuri kishori ke naam par vishwas kar lo bilkul dridh bhav rakho tumhara kalyan ho jaega mangal ho jaega aur agar shri ji ke rasyio ka sang hokar kahin upasna ka rang chadha to shri ji ki se mil jaegi pujya pad shri odiya Baba ji maharaj naam japak ko kya tyagna chahiye hamare jivya pe nirantar naam chalta rahe iske liye hamen kya tyag karna chahiye bole pahla vyarth bhashan agar naam jab nirantar chalna hai kyonki chintan tabhi hota hai jab hamara vyarth bhashan
hota hai to vyarth chintan hota hai vyarth bhashan bekar ki baten ek log bekar ki baten do do ghante char char ghante baithe aag mein sek rahe hain sardi ka samay aur prapanch ki baat koi ek bar Ram Krishna hari nahi aise logon ke beech mein nahi baithna chahiye aise logon ki baten nahi sunni chahiye vyarth bhashan phir vyarth chintan Baba ne kaha vyarth chintan vyarth chintan prabhu ke siva aur jo kuch bhi chintan hota hai jo bahut soch vichar karte rahte hain bahut mano rajya karte rahte hain bahut kalpna karte rahte hain inka samay bahut vyarth jaata hai phir wah itne thak jaate hain ki buddhi unki negative sochne lagti hai nakaratmak soch itna badh jaata hai depression mein pahunch jaate hain depression itna badh jaata hai ki jeena mushkil ho jaata hai bina naam ke kahin sukh shanti nahi hai vyarth chintan hamara hone na pave to isiliye kahte hain ki jaise Radha japo to Radha hi chintan karo Radha kyonki kishori ju ka rup chintan karne ki samarth to kishori ji hi deti hai to kishori ji ke naam mein wah samarth hai
jo kisho ka chintan karva de samasth kalaon mein gunon mein praveen hamari swamini ja aisi agri hain gun sagar rup sagar vaid chatur ki sagar kripa ki sagar vatsalya ke sagar ke lal ju ko adhin kiye hue hain akhil koti brahmand nayak parat parish jinke gunon mein adhin hai wah naam ham chintan karen y am tamay hai avinashi ra bada ki matra dha bada likh gaya radhana bar-bar likhe Radha Radha Radha to naam ka jap chal raha hai aur naam ka chintan chal raha hai ek din dekhna isi Radha mein rup jagrit ho jaega Priya pritam dekh lena ek din tumhari samarth jaisi bhajan ki badhti jaegi waise waise rup prakashit hota jaega aur rup prakashit hone ka matlab hai chitt ka lut jana aur chitt lut jane ka matlab hai param pad mil jana Priya pritam mein chitt lut gaya to param pad ke adhikari ban gaye to vyarth bhashan chodo vyarth chintan chodo aur vyarth darshan chodo y ankhen bahut charate rahte hain log ankhon ko thoda mariyada mein rakho uchit dekho anuchit mat dekho baat karna to charnon ki taraf dekh ke baat karo
rasta chalna hai to raste ko dekh ke chalo koi baat hai theek hai kabhi aisa hua ek bar drishti chali gayi drishti sambhalo tabhi bhajan hoga drishti charate ghumo to bhajan nahi hoga bhai jinke paas mobile hai bahut sahi dhang se prayog karo uska galat prayog mat karo usmen avgun jo hai unko mat dekho bhagwat marg ke path ko ho netron ko sambhalo jitni avshyakta hai utna hi kholo anytha nahi pura sansaar bhara hua hai usam vyarth darshan se bacho aur vyarth shravan se bacho bekar ki baten sunne aur pancha vyarth bhramn yah panch baten naam japak ko tyag chahiye ab ghum rahe hain bekar ka idhar se udhar nahi chupchap asan laga ker baitho bhajan karo kini kini ka swabhav hota hai asan mein baitho ya gardan jhukao jis lakshya mein ja rahe ho va jao parikrama darshan bas sant samagam to netr jhukae bas sant samagam mein pahunch gaye bahut savdhani ki zaroorat naam japak ko vyarth bhashan vyarth chintan vyarth darshan vyarth shravan aur vyarth bhramn inka tyag kar dena chahiye bhagwan ke naam smaran bhagwat lilaon ke smaran bhagwat swaroop
ke smaran se vyarth chintan dur ho jaata hai bhagwat gunava bhagwan naam kirtan bhagwan naam jap se vyarth bhashan nivitti ho jati hai bhagwan murti mahatma aur Gurudev ke darshan karne se vyarth darshan ka dosh dur ho jaata hai bhagwat katha shravan naam kirtan shravan isse shravan pavitra ho jaata hai vyarth shravan nivrit ho jaata hai bhagwat seva aur sadhu janon ki seva karne se vyarth bhramn nivrit ho jaata hai yah hua naam japak ki savdhani ab ham prem marg ke pathik hain to hamara prem badhe ghate na to kin baton se prem ghat jaata hai pujya pad odiya pahla jo bahut granthon ka swadhyay karta hai wah premi nahi ho sakta jignyasu to ho sakta hai premi nahi premi ko jaise aap Vrindavan ras mein jud gaye to Radha sudha nidhi Shrimadd chatura ji 42 leela yahi apne Priya pritam ke jas ke granth jo inheen ka path karen inheen ka swadhyay kare hamen chalna hai bihari ji ki taraf to hamen chathi kara Agra ke kilometer jaan ke kya zaroorat hai jab hamen bihari ji jana hai to apni disha ki baat ham jane
anya disha ki baat jankar karke koi pravachan karna hai kya to bahut granth nahi padhna chahiye dusra bahirmukhi banai hui pustaken aur tika nahi padhni chahiye ham kahte hain jo hamare sad granthon ki tika prakashit hai usi ka bhav apne jeevan mein dharan kar lo to mahapurushon ki tika padhe anya ki tika na padhe bahirmukhi bahut vichitra vichitra hai jo mahapurushon ko anubhav hua usi anubhav mein ham chale ham apne anubhav na chhape mahajnon gate sa pantha mahajan jis marg mein gaye usi marg mein chalne se bhagwat prapti hogi premi marg mein chalne wale mahan sadhak ko keval mahapurushon ki baten sunni pa chahiye bas anya nahi bahut granth padhna aur bahirmukhi pustake ya tika padhna tisra bahirmukhi ko ksheen karne wala hai bahirmukhi baithkar bhajan hi nahi karte bahar hi keval baten bahar ka hi keval sab rag rang sab mein panch bhautik tatv ek hai sab mein paramatma ek hai wah samjhe na samjhe hamko to samjhna hai hamara siddhant kya kahta hai sanatan sanatan siddhant kahta hai vasudeva sarv miti vasudeva sa
hamko apne bhagwan ki agyaa manani sab mein bhagwan dekhna hai bole jo dushtata karega to ye unki jimmedari hai yada hiday dharmasya glanirbhavti bharat abhinam adharmasya tadatmanam sajam sajam mein ham aham wo kar lenge apne ko unka gu gun gana hai naam jap karna hai aur unki juthan pakar jeevan vyatit kar dena hai dharm sansthapan artha sambhwa yuge yuge yah unka karya hai ham unka gun ga rahe hain isi se dharm ki sthaapna jitni honi deepak apna prakash dikhata hai halogen apna prakash dikhata hai chandrama apna prakash dikhata hai surya apna prakash dikhata hai par sab apurn hai ka surya bhi ek simit prakash dene wale asim prakash bhagwan dene wale jo surya ko bhi prakashit karte samjhna hoga yahan yahan andar ghuso andar dharm ki sthaapna karo bahirmukhi vyakti se apnapan na hone pave premi ko y bahut khas baat rakhni hai kisi apnapan na hone pa apnapan keval shri ji se isi baat mein sab kshma ho jaega avgun kare samudra sam ganat na apno jane yah mera hai apna shabd keval shri ji se
jud jae vihaar sabse sab jeevan su priti reet nivata apni hamari riti hai sukh dena nishkam bhav rakhna sabse prem karo nishkam bhav se apnapan shri ji se rakho shri ji ke nate sabse prem karo pancha updeshak banna jo dusron ko updesh karta hai aur swayam sthiti nahi hai wo kabhi paramarth ka pathik nahi ho sakta chahe jitna badhiya updesh de leta hoon sthiti sthiti van purush uski ab sthiti mein koi fark nahi padna jo bhagwata ka vritti ho gayi hai usi ko updesh dene ka adhikar hai nahi to
kah rahe updeshak banne se patan ho jaega wah sat marg mein nahi chal payega kyonki kam krodh lobh moh matsar mad ye jo tyagne yogya hai inko tyag nahi payega kyonki kam vasna upasna se nasht hoti hai krodh satsang se prapt vivek ke dwara kshma se nasht hota hai yah sab nashvan hai parivartnshil hai mrityu lok hai ekmatra satya paramatma hai isse moh ka nash hota hai lobh bhagwan ke naam mein hone se naam mein lobh hone se sansarik dhan sampatti ka lobh ka tyag ho jaata hai matsar jo bhi karm karen voh ishwar ko samarpit kar de isse matsar irshya nasht ho jaegi to ab jo dusron ko updesh de raha hai pakka keval vyapar matra ho sakta hai lekin paramarth mein chalne ke liye pehle sansaar par vijay prapt karo pehle bhagwat prapti karo phir aap ek bar agyaa ho jae kisi baat ko to aise pakdo ki hamare udhar ke liye rassa phenk diya gaya jaise samudra mein koi doob raha ho ek rassi phenk di jae aur pakar le to usse par ho jae aise gurjan agyaa kar de ki 10 pad galiya karwake
yahan baith ke duniya mein chahe jo kuch ho jae lekin tum agar Vrindavan aae to 10 pad wahan baith ke ga lo usse tumhara kalyan ho jaega to pujya pat shi odiya Baba ji kah rahe hain prem marg mein updeshak banne se badi badha aa jati hai agar hamari vritti bhagav ka hai to phir koi parivartan nahi kyonki updesh bhi to mahat jan hi dete hain sant jan dete agar sant jan nahi de sab band kar de to updesh kahan se hoga lekin updesh dene ka adhikar usi ko hai jo bhagwat sakshatkar ya nirantar bhagwan se
apni chittritti jodna chahta hai kyonki kam krodh lobh moh matsar mad inka tyag kiye bina updesh kis baat ka ho raha hai jo keval bahya tyag ka natak karta hai wah dhong hota hai usi ko damb kaha jaata hai usi ko pakhand kaha jaata hai aur yadi hriday se tyag kiya jae tab ba kam krodh lobh moh mad matsar inka hriday se tyag hota hai bhajan se jitna bhajan karoge utna hi in vikaro par vijay prapt hogi nij ka kalyan kare pehle to jag ka kalyan swayam hoga y hamne mahapurushon ke vachan sune pehle swayam jeevan mukt bano phir jagat kalyan apne aap ho jae jo dum hai yah sadhak ko bahut buri tarah gira deta hai aur iski damb ki gati achhche achhche nahi samjh pate atah bahut savdhaan raho ki tumhare andar koi pakhand koi damb ka y dosh na aa jae dusron ke avgunnon ko dekhna sunna kahna chintan karna chhod diya jae kyonki y bhajan mein badhak hai isse hamare bhajan mein malin aa jaegi man mein aur bhajan nahi banega dusron ke avgunnon ko dekhna sunna kahna ya chintan karna isse bhajan mein badha par jaegi par
charcha ka tyag kar do dusron ke agar dekhna hai to gun dekho waise to kuch na dekho na gun dekho na dosh dekho tat suno maya krit gun aur dosh anek gun ya ubhay na dekhi dekhi sva vivek vani netr hath pair inme jo chanchalta hoti hai uska lakshan hota hai ki wo murkhta hai usmen bhi madhta hai netr chanchal vani chanchal hath chanchal pair chanchal baithe va hila rahe pair hila rahe aise pair shant jahan hath rakh diya rakh diya aap ghanta adh ghante shanti se baithe jab aap shanti se baithna chahoge to aapki tug idri mein idhar udhar khujli hogi kabhi idhar kabhi idhar kabhi ra shaa netr gambhir mudra gambhir sadhak ka ek alag hi swaroop hota hai jo bhagwat marg ka hota hai vani netr hath aur pair inme chanchalta murkhta ka lakshan hai atah sadhak ko in charon ki chanchalta chhodni chahiye vani netr hath aur pair jismen charon chanchalta ho to samjh lo ki dhong hai sadhak nahi hai hath ki chanchalta netr ki chanchalta vani ki chanchalta pair ki chanchalta siddh mahapurush hai pujya padriya Baba to vani ki chanchalta kya hai jor se bolna adhik bolna
vyarth mein chillana bina prayojan ke bina prayojan wali baten karna bina koi uddeshya nahi aise baat kiye chale ja rahe y vani ki chanchalta hai netr ki chachal hota bina kam ke idhar udhar daudana netr upar niche aise bahut chanchalta en hain inko sambhalne ke liye hi mahapurushon ke vachan jo praya sunne ko nahi milenge granthon mein likhe rakhe hain netr chaanch bhajan mein bahut badhak hai kahin na kahin phasa degi aur hast chaan chalta tinka todna pushp todna prithvi par likhna ya idhar udhar bar-bar chanchalta chapalta karna aur pad chanchalta pair hilana be dhange dhang se chalna aadi vani netr hath pair gambhir mudra mein raho jo ati bhashan karta hai ati parishram karta hai ati bhojan karta hai aur ati nind leta hai jo sansaar dharmon mein bandha hua hai duston ka sang karta hai rupay ka lobh rakhta hai wah paramarth par nahi chal sakta wah paramarth par nahi chal sakta pujya Baba jo ati bhashan karta hai bahut bolta rahta hai ati parishram bahut bekar ki vyarth ki cheshta mein apni shakti ko khota hai ati bhojan bahut bhojan
pata hai to sari shakti bhojan pachne mein lag jati bhajan kahe se karega jo sansarik dharmon mein bandha hua hai sansarik dharm koi kisi ka pati koi kisi ka pita hai koi kisi inki mata nahi mata hai bhagwat sacchidanand bhagwan ki chintan ki to ham karya sab karen par chintan prabhu ka karen inki pradhanata na rakh le duston ka sang aur lobh rupaye ka lobh yah paramarth mein nahi chalne dete ati bhashan ati parishram ati bhojan ati nindra aur sansarik dharmon ke niyamon ka palan karne ki baat aur duston ka sang aur dhan ka lobh ye shuddh paramarth mein nahi chalne dete apne karm ko chhodkar jo dusre ke karm dekhte rahte hain va pramad hote hain jo dusre ke dosh dekhte rahte unmein rajogun aa jaata hai rajogun tamogun ko bula leta hai rajogun tamogun hota hai tab bhajan nahi hota satvic purush ko chahiye ki rajogun nane pave kam se kam rajogun hi nane pave tamogun aa jaega to so jaoge par rajogun aa jaega to vishay vilasita mein phasa dega kam bigade bhakti ko gyan bigade krodh aur lobh virag bigad
hi moh bigade bodh kami purush vishuddh bhakti nahi kar sakta hai kroadhi purush vishuddh gyan nahi prapt kar sakte lobhi purush vishuddh bairagi nahi ho sakta mohi purush bodhan nahi ho sakta atah kam krodh lobh aur moh inse jo bilag hote hain wahi bhakt hote hain wahi gyani hote hain wahi bairagi hote hain wahi bodhan hote hain chalte hain Shrimad bhagwat mahapuran sacchidanand karunamay bhagwan shri Krishna aur Balram kans simhasaan par virajman hai sampurn Mathura mandal ki praja baithi hui hai aur braj
ke nand Baba aadi sab gwal bal bhi gaye hue hain bhagwan shri Krishna aur Balram ko akhade mein ghaseeta chanur aur mut ne aur kaha aao hamse yuddh karo shri Krishna Balram ji ne kaha ham to balak hain aap pahar jaise sharir wale kushti saman bal walon se ladi jati hai are unhone kaha tum balak nahi ho tum Mahavir ho aisa kar kar lipt gaye aur bhagwan shri Krishna se chanur aur Balram ji se mut paraspat kushti ke dav pech ek ghusa mara chanur ne bhagwan ke vaksha sthal par jaise hathi ko foolon ki mala maro kya fark parta hai aise bhagwan ko koi fark nahi para sampurn dekhne walon ne kaha y anarth ho raha hai kahan do nau kishor balak aur kahan ye bahut purane vajr ke saman kathor sharir wale bade-bade pahlvan nahi nahi anarth ho raha hai jis sabha mein anarth hota hai us sabha mein virodh karna chahiye hat jana chahiye nahi to paap ka bhagi hota hai bhagwan shri Krishna chandra ja ne jab dekha ki sampurn Mathura mandal ki praja ko bada is baat par dukh ho raha hai to Balram ji ko ishara kiya ki nipta bahut der
khalne se kya fayda chanur ko bhagwan shri Krishna ne donon bhujao mein kas ke pakar liya utha ke patak diya pair pakar ke ghuma ghuma kar dharti par jaise kapda pachhada ja aise pachad pachad ke mar dala chanur ke pran to patak kar ghumane mein hi nikal gaye the uski vesh bhusha astavyasta ho gayi kesh malae bikhar gayi wah indra dhvaj ke saman gir para isi prakaar muti ne bhi pehle Balram ji ko ek ghosa mara is par mahabali Balram ji ne bade jor se tamacha jad diya tamacha lagne se ayman ho gaya aur andhi se ukhde hue vriksh ke saman atyant vyathit aur ant mein pran hin hokar khun ugalta hua prithvi par gir para he rajan iske baad yoddhaon mein shreshth bhagwan Balram ji ne apne samne ate hue pahar ke saman balvan koot namak pahlvan ko khel khel mein hi baye hath ke ghuse se upeksha purvak mar dala usi samay bhagwan shri Krishna ne ek charan ka prhar kiya to shal padhar gaya toshal ko tinke ki tarah cheer kar do tukde kar diye is prakaar sal toshal koot muti chano in pahalwanon ko bhagwan ne mara ab aur
jo wahan pahlvan the wo sab pran bachakar akhade se bhag pare unke bhag jane par shri Krishna Balram ji sam vayaska sakha ke saath kushti ka khel khalne lage mal ki raat kam se sab dekh raha tha bhagwan shri Krishna aur Balram ji ki is leela ko dekhkar darshakon ko to bada anand hua aur jo vayovriddh baithe hue the wah ashish dene lage dhanya hai dhanya ho aisi prashansha karne lage parantu kans bada bh ho gaya usne vichar kiya koliya peed hathi ko mar diya chanur muti koot sal toshal inko mar diya bache hue sab pahlvan bhag gaye bhojraj kans ne band kar do y baje bajana baje bajana band ho gaye are vasudev ke dushchinta gopo ka sara dhan chhin lo nand ko kaid kar lo Vasudev shighr mar dalo ugrasen mera pita hai par anuyayiyon ke saath shatruo se mila hai isko jita mat chodo mar dalo aisa jaise koi pagal aadmi bolta ho aise kans bakwas karne laga bhagwan shri Krishna ne chhalang mari wahi akhade se sidhe simhasaan ke samip pahunch gaye veg purvak chhalang markar manch par pahunch gaye jismen uchh simhasaan par kans virajman tha
jab kans ne dekha ki chhalang mar ke mere samip aa gaye ab wo bahut ghabra gaya saisa uth khada hua hath mein dhal li aur talwar aur bhagwan shri Krishna par choot karne ka patra badte hue avsar dhundne laga kabhi dai or kabhi bai or bhagwan shri Krishna ka tej to prachnd atyant dusa hai jaise Garun saanp ko pakar lete hain waise hi bhagwan ne patra pakar kar ke kans ko balpurwak apne kabje mein kiya bhavas kans ka mukut gir gaya bhagwan ne kes pakde jaise Devki ji ke vivah ke samay kes pakde the waise kes pakde aur unche manch se fenka to rang bhumi mein girakar param swatantr bhagwan shri Krishna chandra vishv ke aashray hai phenk kar ke usi ke upar kud pare kudte hi kans ke pran nikal gaye kes pakar ke ghaseeta aur rang manch mein niche fenka aur usi ke upar kud pare sa uski mrityu ho gayi bhagwan sabke dekh dekhte kans ki lash ko dharti par ghasit ghasit kar marne lage jaise balvan sinh hathi ko sabke muhn se hai hai ki unchi awaz nikalne lagi kansh nitya nirantar badi ghbarahat ke saath bhagwan shri Krishna ka chintan karta rahta
tha khate pite sote chalte bolte sans lete sab samay bhagwan shri Krishna ka dves purvak chintan karta rahta tha usko dikhayee deta tha hath mein sudarshan chakra liye hue bhagwan shri Krishna is nitya chintan ke phal swaroop wah chahe dves bhav se hi kyon na kiya gaya ho use bhagwan ke usi rup ki prapti hui jise sup moksh kahte hain kans ko saru pya moksh ki prapti hui jiski prapti bade-bade tapasvi yogiyon ke liye bhi kathin hai ab jab kans ke bhaion ne dekha jo kanka aad nigro dad the ki hamare bade bhrata maharaj kans ka vadh kar diya shri Krishna ne to apne bade bhai ka badla lene ke liye krodh mein aag babula hokar bhagwan shri Krishna Balram ki or daude jab bhagwan ba Ram ji ne dekha ki bade veg se yuddh ke liye tayyar hokar y daude aa rahe hain to ek parag uthakar un sabko mar dala jaise sinh pashu ko mar dalta hai us samay akash mein dundu bhiya bajne lagi bhagwan ke vibhuti swaroop brahma shankar aadi devta bade anand se pushpo ki varsha karte hue shri Krishna Balram ki stuti
karne lage maharaj kans aur uske bhaion ki striyan sajnon ki mrityu se atyant dukhit ho gayi aur apna sir pitati hui ankhon mein aansu bhare hue wahan ai aur veer saiya par soe hue apne patiyon se lipt kar wah shok grast ho gayi aur bar-bar aansu bhati hui unche swar se vilap karne lagi wo striyan ro ro ke pukar rahi thi ha nath he pyare he he karunamay he anath vatsal aapki mrityu se ham sab mari saman ho gayi aaj hamara ghar ujad gaya hamara saubhagya ujad gaya hamari santan anath ho gayi kans se uski patniyan kahti is puri ke aap hi Swami the aap ke ni aapne itne nirparadh praniyon se droh kiya ki usi paap ke karan aap mare gaye aapne bada nyay kiya tha isi se aapki ye gati hui hai sach hai jo jagat ke jeevan se droh karta hai unka ahit karta hai aise purush ki aisi hi gati hoti hai unki patniyan kah rahe yah bhagwan shri Krishna jagat ke samasth praniyon ki utpatti aur pralya ke adhar hain ye bhagwan shri Krishna jagat ke rakshak hai jo bhagwan ka bura chahta hai ya jagat ka bura chahta hai
wah kabhi sukhi nahi rah sakta parikshit bhagwan shri Krishna hi sare sansaar ke jeevan data hai far unhone kans aur unke bhaeeyon ki raniyon ko dhadhas bandhaya shantona di phir lok reet ke anusaar marne walon ka jaisa kriya karm hota hai wah sab karaya tadnantar bhagwan shri Krishna aur Balram ji ne jail mein pravesh kiya wahan dekha ki unke mata-pita Devki vasudev hathkadi bediyon se jakde hue hain swayam bandhan kata aur sir se sparsh karke unke charnon ki vandna ki apne putro ke pranam karne par bhi Devki vasudev ji ne dekha ki yah to Jagdishwar hai yah to sakshat bhagwan hain unhone apne hriday se nahi lagaya shanka ho gayi ki bhagwan Jagdishwar hai inko ham kaise gale lagae shri Sukhdev ji kahte parikshit bhagwan shri Krishna ne dekha ki mere mata-pita ko mere bhagwata ka aishwarya ka bhagwat bhav ka gyan ho gaya jo theek nahi hai kyonki isse inhe putr sneh ka sukh nahi mil payega aisa sochkar unhone un par apni usi yog maya ka prabhav faila diya jo unke swajnon ko mugdh rakhkar unki
leela mein sahayak hoti hai Yaduvansh shiromani bhagwan shri Krishna bade bhai Balram ji ke saath apni maa-bap ke paas jakar aadar purvak vinay jhukkar kaha meri maa aur mere pitaji jab aisa bole ki mere maa mere pitaji udhar yog maya ko adesh kar diya ki inke gyan ka aphrn karo nahi to putr sneh ka sukh nahi le payenge hath jodkar kaha pitaji mata ji ham aapke putr hain aur aap hamare liye sarvda utkantheshwar pa gand aur kishor avastha ka sukh hamse nahi pa sake aur durda was aap logon ko hamare paas hamko aapke paas rahne ka saubhagya nahi mila aisi prem bhari baten karne lage pita aur mata is sharir ko janm dete hain iska lalan palan karte hain tab kahin jakar yah sharir dharm arth kam athva moksh ki prapti ka sadhan banta hai koi bhi manushya 100 varsh tak jivit hokar apne mata-pita ki seva karta rahe tab bhi wah mata-pita ke rin se urin nahi ho sakta phir jo apne mata-pita ko gali dete hain marte hain ya kisi bhi tarah kasht phuanchte hain to unko unki to durgati pakki hai jo putr
samarth rahte hue apne maa-bap ke sharir aur dhan se seva nahi karta samarth hai sharir svasth hai rupya paisa bhi hai aur apne maa-bap ki seva nahi karta uske marne par yamdoot use uske apne sharir ka mans khilate hue narak bhagate hain isliye mata-pita ki seva bahut aniwarya hai bahut aniwarya hai par aaj ka jo samay chal raha hai bada mangalmay hai jara dekho to apne mata-pita ke charnon mein mastak rakhkar dekho apne mata-pita ka dular dekho kripa karte hain tab aisa lagta hai mere bhagwan inme virajman hai dusri koi aisi kripa kar hi nahi sakta dekho jab maa aise daudkar gale se la ti hai aur ashru se mastak bhigoti hai us samay ka sukh kaise varnan karen zindagi mein koi va sukh nahi de sakta jo maa hriday se laga ke jab aisi pavitra maa aise pavitra pita ko jo apmanit karte hain unki badi durgati hoti hai jo apni patni ka bharan poshan nahi karta jaise tumhen pani grahan mila to tumne jimmedari li uski jimmedari tumne li hai jo unke mata-pita se bana va tumhen de diya kuch log dahej ke
liye pratdit karte hain yah bahut badi nindniy baat hai agar garib aadmi hai beti ka byah hai apna jeevan dhan beti de raha hai aur jo kuch hai wo de hi diya hai aisa koi pita nahi hota ki beti ke saath kuch dena aisa nahi sabka hriday ulsat hota hai aur bada mangalmay va din hota hai jab pani grahan kanyadan karta hai wah pita bada bhagyashali hota hai ay jo log ladki ko pratdit karte hain dahej sab narak gami log hain y narak gami log aur jo purush pan grahan hath mein lekar patni ka bharan poshan uski kamnao ki purti uski suraksha vyvastha puri jimmedari uski ba aur patni ko chahiye jisse pani grahan hua hai aajeevan uski agyaa par chalne ki cheshta karen balak aur budhe atith aur guru bhojan sabse pehle inko pavaya jaata hai inka sammaan kiya jaata hai jo aisa nahi karta wah jita hua murde ke saman hai bhagwan ne kaha pitaji hamare itne din aapse vimurkh gaye kyonki kans ke bhay se sada udagya chit rahne ke karan ham aapke paas nahi aa paye aapki seva nahi kar paye isliye ham asmarth rahe hamen kshma
kijiye meri maa aur mere pitaji aap donon hamen kshma karen hai dusht kans ne aapko itne itne kasht diye parantu ham partantra rahne ke karan aapki koi seva suswa na kar sake shri Sukhdev ji ka parikshit leela se manushya bane hue vishwatma bhagwan shri Krishna ki suvan se mohit hokar ke Devki vasudev ji ne god mein utha liya hriday se lagakar mere beta aisa kahak parmanand mein magan hue yah yog maya ka prabhav nahi to jaan gaye the y parbrahmma paramatma hai isiliye pratham bar pranam karne par hriday se
nahi lagaya yog maya ka prabhav ki aise sneh paas mein bandh gaye purnta mohit ho gaye ki asuon ki dhara bahne lagi aur shri Krishna chandra ji aur Balram ji ko hriday se laga liya gala randh gaya kuch bolne ki samarth na rahi Devki nandan bhagwan shri Krishna chandra jo is prakaar apne mata-pita ko shantna dekar jail mein hi age badhe aur maharaj ugr sen jo yaduvanshiyo ke raja bana diye gaye the unke paas gaye aur kaha maharaj ham aapki praja hain aap ham logon par shasan kijiye raja Yayati ka saap hone ke karan Yaduwanshi raj simhasaan par nahi baith sakte parantu meri aisi ichchha hai isliye aapko koi dosh nahi hoga jab main sevak bankar aapki seva karta rehunnga to bade-bade devta bhi sir jhukakar aapko bhet denge yah dusre nar patiyon ke bare mein to kahna hi kya parikshit bhagwan shri Krishna sare vishv ke vidhata hai unhone jo kans ke bhay se vyakul hokar idhar udhar Vanshi bhag gaye the brishna Vanshi andhak Vanshi madhur dasar kukur aadi un sab vanshjon ko bulaya unhen ghar se bahar rahne par bada klesh uthana
para tha bhagwan ne unka satkar kiya shantona di aur khub sampatti dekar sabko Mathura mein vas karaya sare ke sare adi Vanshi bhagwan shri Krishna tatha Balram ji ke bahubal se surakshit the bhagwan ki kripa se unhen ab kisi prakaar ki kami nahi kisi prakaar ki vyatha nahi dukh to tha hi nahi unke sare manorath safal ho gaye ve kritarth ho gaye a apne apne gharo se anand kand bhagwan ka chintan karte hue samay vyatit karne lage bhagwan shri Krishna ka mukharvind anand ka sadan hai nitya prafulit hai na kumla wala kamal hai prabhu ka saundarya apaar hai sadasya has chitvan mukh vid par nachti rahti hai Yaduwanshi din pratdin bhagwan ka darshan karke anand magan rahte Mathura ke vridh purush bhi yuvkon ke saman balvan aur utsahi ho gaye the kyonki sabke upar bhagwan ki drishti padi thi ve apne netron ke donon se bar-bar bhagwan ke mukharvind ka amrit mein makrand ras pan karne isliye budhe budhe bhi jawan lagne lage the Mathura mein ab Devki nandan bhagwan shri Krishna Balram ji nand Baba ke paas aae aur gale lag kar
ke kahne lage Baba aapne aur maa Yashoda ne bade sneh aur dular se hamara lalan palan kiya hai ismen koi sandeh nahi ki mata-pita santan par apne sharir se bhi adhik sneh karte hain jinhe palan poshan na kar sakne ke karan sajan sambandhi ne tyag diya hai un balkon ko jo log apne putr ke saman lad pyar se palte hain vehi vastav mein unke maa-bap hain pita ji ab aap log braj mein jaiye ismen sandeh nahi ki hamare bina vatsalya sneh ke karan aap logon ko bahut dukh hoga yahan ke swat sambandhi ko sukhi karke ham aapse milne aaenge aisa Baba se kahkar unko vida kiya bhagwan shri Krishna aur nand Baba dusre brajvasi is prakaar varta hui sabne sundar sundar vasta n dharan kiye bhagwan shri Krishna Balram ko nand Baba ne gale lagaya aur bade prem adhir ho gaye aur aansu bhar kar ke abhishek kiya nand Baba ne thakur ji ka aur Balram ji ka kyonki prabhu kah ra ham aaenge kabhi aapse milne abhi aap jae iske baad bhagwan wahan se vida hue aur nand Baba Brij ke liye chale vasudev ji ne apne
purohit gargacharya aur dusre brahm rishiyon ko bulakar shri Krishna Balram ka vidhi purvak dwija samuchit yagya pavit sanskar karaya agar yagya pavit para hua hai Gayatri anusthan hai uske samne koi badha vighna nahi yagya pavit brahm shakti hai dwija ko dharan karne ka adhikar hai koi berle aise hain jo is dharm ka palan karte ho vasudev ji ne gargacharya aur anya brahmano ko bulakar yagya par sanskar karaya bhagwan shri Krishna aur Balram ka badi mahima yagya pavitra ki agar yagya pavitra para hua hai to bhut pret nahi aapko chu sakte yagya pavitra para hua hai to aapka koi maran mohan vashikaran uchchatan nahi kar sakta par matta hi nahi samjhte hain aaj ke bachchhe matta nahi samjhte 12 1 mein Gayatri anusthan prarambh ho jaata hai to buddhi prakashit hoti hai bada sab dharm mein viparit aacharan ho raha hai khub dakshina di vastra bhushan brahmano ko dan ke gauo ko sone ki malaen aur sone se jat chadar uda kar ke dan ki vasudev ji bhagwan shri Krishna Balram ke janm nakshatra mein jitni
gaye man hi man sankalp kar di thi to kans ke bhay se va sab de nahi paye the ab unka smaran karke brahmano ko saap gaye di jo bhagwan ke janm nakshatra ke samay sankalp kiya tha gargacharya ji se sanskar karakar Balram aur bhagwan shri Krishna ko dajav prapt karaya yagya pavit sanskar ye dajav hai aur brahmcharya akhand to hai hi aur akhand vrat diya brahmcharya ka akhand vrit yah sabko milta hai kuch samay baad jab 22 24 ki avastha to phir jo naitak brahmachari ho to sanyaas le lete hain nahi to shesh grihasth ashram mein chale jaate hain aisi shastr paddhti hai shri Krishna aur Balram ji jagat ke ekmatra Swami hain sarvagya hai sabhi vidya unhin se nikli hai unka nirmal gyan swatah siddh hai phir bhi unhone manushya ki si leela karke apne gyan ko chhipa rakha hai ab ve donon gurukul mein nivas karne ki ichchha se avanti Puri gaye ujjain wahan kashyap gotri Sandipni muni ke paas gurukul mein nivas kiya unko guru pad mein varn kiya donon bhai vidhi purvak guru ji ke paas rahne lage us samay mein
bade hi susat apni cheshta hon ko sarvatha niyamit rakhte guru ji ke paas bahut savdhaan hokar rahna chahiye kam bolna jitna adesh utni seva nahi to naam jap mantr jap shastr ka swadhyay aise vyatit kiya jaata hai gurujanon ke yahan bahut savdhani se rahna chahiye bhagwan shri Krishna Balram bade su sanyat rahte hain cheshta hon ko niyamit rakhte hain aur Gurudev ka vishesh aadar karte hain Gurudev bhi shri Krishna Balram ka vishesh aadar karte bhagwan shri Krishna Balram ji ne sevak ki bhati Gurudev bhagwan ki uttam seva ke Gurudev ke adhinta kaise sweekar karni chahiye ye swayam shri Krishna aur Balram ne adarsh rakha apne Gurudev ko sakshat bhagwan samjhkar unki agyaa ka palan unki seva guru aur Sandipni ji unki shuddh bhav se yukt seva se bahut prasann hue unhone donon bhaion ko chha ang aur upnishdon ke sahit sampurn vedon ki shiksha di iske siva mantr aur devtaon ke gyan ke dwara dhanurwed manusmriti aad dharm granth meemansa aad vedon ka tatparya batane wale shastr inki shiksha di
phir sandhi vigrah yaan asan dwaidh aashray in chhah bhedon se yukt rajniti ka bhi adhyan karaya parikshit bhagwan shri Krishna Balram sari vidyaon ke pravartak hain keval manushya ka sa vihaar karte hue Gurudev ke paas rahkar shiksha grahan ki Gurudev ji ek bar keval bolte the bhagwan ko kanthsth ho jati thi kyonki kanthsth kya hai to bhagwan hai 64 din mein 64 din raat mein bhagwan ne 64 prakaar ki shikshaen grahan ki gaan vidya vadya bhati bhati ke baje bajana nritya karna natya karna chitrakari karna bel bute banana chaval aur pushpa aadi se puja ke uphar ki rachna karna foolon ki sej banana dant vastr angon ko rangna manyon ki pharsha banana saiya rachna jal ko bandh dena aur vichitra siddhiya har mala aadi banana kan aur choti ke phool gahne banana kapde nana prakaar se susajit karna foolon ke abhushan se shringar karna kano ke patton ki rachna karna sugandhat vastu itr tail inka nirman karna indrajal jadugri karna jaisa chahe vaisa vesh dharan kar lena hath ki pha ke kam tarah-tarah
ki khane ki bhog ki vastue bana lena tarah-tarah ke pine ke padaarth banana aur sui ka kam silne ka kam kathputli banana usko nachana paheli banana aur usko gana pratima banana uski puja karna kutneeti granthon ke padhane ki chatu natak akhyayika aadi ki rachna karna samasya purti karna patti bet baan aadi banana galeeche dari aadi banana badhai ki puri kareegri grah aadi banane ki kareegri sone chandi aadi dhatuon ki tatha hire panne aadi ratnnon ki pariksha karna sona chandi aadi bana lena manyon ke rang ko pehchan lena khanon ki pehchan karna vrikshon ki chikitsa karna bheda murga bater aadi ko ladane ki riti sikhna tota maina aad ki boliyan bolna uchchatan karna keshon ki safai ka kaushal aur muthi ki chij ya man ki baat jaan lena aur male kavyon ko samjh lena vibhinn deshon ki bhashaon ka gyan ho jana shakun apashkun janna aur prashan ke uttar mein shubhashubh batlana nana prakaar ke matra ka yantr banana ratnnon ko nana prakaar ke akaron mein katna sanketik bhasha bolna man mein katak rachna
karna nai nai baten nikalna chhal se kam nikalna samasth koshon ka gyan hona samasth chhandon ka gyan hona vastu ko chhipane ya badalne ki vidya aur dwit krida dur ke manushya vastuon ka akarshan kar lena balkon ke khel mantr vidya vijay prapt karane wali vidya vetal aadi ko vash mein rakh lena yah 64 prakaar ki vidya Sandipni rishi se suni Balram ji aur bhagwan shri Krishna ka parakram anant hai donon maharathi hai Gurudev bhagwan ne 64 prakaar ki sikhai ab adhyan samapt hua to Sandipni muni se prarthna ki ki guru dakshina yah guru ko guru dakshina se santusht kiya jaata hai aapki jo ichchha ho wah guru dakshina maang lo maharaj Sandipni muni ne unki adbhut mahima sun rakhi thi alaukik buddhi ka anubhav kar liya tha isliye unhone apni pani se salah karke guru dakshina mangi kaha prabhas kshetra mein hamara balak samudra mein dubkar mar gaya tha use aap le aao yahi guru dakshina hai bhagwan Balram ji aur shri Krishna ka parakram to anant maharathi unhone bahut accha kahkar guru ji
ki agyaa sweekar ki aur rath par savar hokar prabhas kshetra gaye samudra tat par jakar kshan bhar baithe the us samay jaan karar ke sakshat parmeshvar hai samudra ne anek prakaar ki puja samgri lekar samne aaya aur bhagwan ne samudra se kaha samudra tum yahan apni badi-badi trangon se hamare jis guru putr ko bahale gaye use lakar lao Sandipni ji ne guru dakshina mein manga ki hamara putr prabhat kshetra mein doob gaya tha use wapas le aao to samudra jodkar bola devadhi dev shri Krishna maine us balak ko nahi liya mere jal mein panch jan naam ka ek bada bhari daitya jati ka asur hai jo shankh ke rup mein rahta hai ho sakta hai usi ne wah balak cura liya ho samudra ki baat sunkar bhagwan turant hi jal mein ja ghuse aur shankhasur ko mar dala parantu va balak uske pet mein nahi mila ta uske sharir ka shankh lekar bhagwan rath par chale wahan se Balram ji ke saath bhagwan shri Krishna sanyam Puri Yamraj ki rajdhani hai wahan jakar panch janne shankh bajaya shankh sun karar ke Yamraj ji aae aur bhagwan ka swagat kiya bhakti bhav
se vidhi purvak archan vandna ki aur namrata se jhuk kar ke kaha sabke hriday mein virajman sacchidanand swaroop bhagwan shri Krishna kya seva karen aap donon leela se manushya bane hue ho waise to parmeshvar ho main aap donon ki kya seva karun bhagwan ne kaha Yamraj yahan hamare apne karm bandhan ke anusaar guru putr laya gaya hai tum meri agyaa sweekar karo uske karmon par dhyan mat do aur wah putr lakar do Yamraj ne kaha jo agyaa aur bhagwan adesh jo diye the uska tatkaal palan hua guru putr ko lakar de diya ab aap dekh lo Sandipni ji ke putr hain kahan pahunche the Yampuri mein mile bhajan nahi karoge to baat nahi banegi wah Sandipni ji hai jinke shishya bhagwan shri Krishna jinko 64 vidyaon ka gyan karaya bhagwan shri Krishna jinke shishya bane unke putr kahan mile Yampuri mein isliye aisa na socho ki jo man ave so karen ham nahi bahut savdhani ki zaroorat hai jaisi Harivansh narak gati durbhiksha chhi ke thode se aparadh ka bhi hisaab hota hai isiliye Radha Radha bolo sab kshma ho jaega bahut bada
bal hai Radha naam mein Yamraj ji ne akar ke guru putr ko saump diya aur kaha prabhu aur agyaa kijiye kya seva karun bhagwan ne kaha keval guru putr chahiye tha aur guru putr ko liya aur akar Gurudev se kaha Gurudev ye guru dakshina mein mara hua putr wapas laak guru ji ne kaha beta tum donon ne bhali bhati guru dakshina di ab aur kya chahiye tumhare jaise Purushottam bhagwan ka guru banne ka saubhagya mila mere sare manorath purn ho gaye veero ab tumhari vidya purn hui tum apne ghar jao
tum logon ko pavitra karne wali kirti prapt karo tumhari padhi hui vidya is lok aur parlok mein sada naveen bani rahe kabhi vismit na ho guru ji se agyaa lekar vayu ke saman veg aur megh ke saman shabd wale rath par savar hokar shri Krishna Balram Mathura laut aae Mathura ki praja bahut aandit hui ki bhagwan shri Krishna aur Ram gulak se laut aae sab ke sab parmanand mein magan ho gaye shesh charcha aa ga shri Radha vallabh lal ki jai
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- ananyata se hi hoga sab kuch prapt ! // 26/09/26 — ham log bhagwan ke sharanagat jan hai. Priya lal ke sharanagat jan hai. Lekin sharanagati ka rahasya na janne ke karan bahut varsho tak ya janm pura vyatit hone tak hamara jo bhagvatik anand hai wo spurit…
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…
- aisa kuch kama lo jo mrityu ke baad bhi saath jaega / Gokul mein Nandlala ka janm // 21/09/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvai param shital mashryam param shital mashryam krishnay Vasudevay Devki nandnay cha nand gop kumaray…