sache sadhak ka vihaar kaisa hona chahiye ?/ Bhagwad tatv aur leela ko sahi tarah se kaise samjhen ? // 07/09/2025
pujya maharaj ji ke Shrimukh se yugal leela ka ras — upar video mein sunen.
pura pravachan
vrindavnshvri tav padarvindm prema makrand raso purnam rad itam madhupte smarta mugam nirvai param shital mashyam nirvapay param shital maya shyama Shyam ke rang mein rango chahat ye kool gun gavat nit Shyam ke kaise par hai pu shyama Shyam ke rang mein rangna chahte hain aur hamari priyaju ka naam nahi ratte priyaju ki sharan mein nahi hai Priyaju ki aradhna nahi hai to kah rahe prem rang mein nahi ran sakta. Chahe wah Shyam sundar ki swayam kitni bhi aradhna kyon na kar le. Lalit kishori ji kah rahe hain ye anubhav ki baten hain.
ismen tark vitark nahi. Kyonki shri Krishna ke hriday ka murtiman prem shri Radha kishori hai. Jab tak upasak gore charnarvind ka aashray nahi leta Radha naam ratan nahi karta tab tak use prem ki prapti nahi ho sakti. Gun gavat nit Shyam ke kaisik parih pur bhale wah Shyam sundar ke gun ga raha hai par jab tak Radha kishori ka aashray nahi shri kishori ji ke charnon ka aashray lekar naam ratan nahi tab tak wo Krishna prem nahi prapt kar sakta shyama pag lavleen ho shyama ju ke hath bikae to hi kar mein ye bhatu mohan bik hai aae jisne shyama ji ke charnon ka chintan prarambh kar diya shyama pag lav leen gore charnarvind ka dhyan aur shri ji ke hath saath jo bika gaya pujya shri ruplal goswami ji kahte hain jaise
ruplal hit hath bikani nidhi pai manmani main to jab shri ji ke hath bik gayi to nidhi mil gayi manmani nidhi sampurn sukh ki prapti kishori ji ki kripa se hai jo shyama ji ke charnon ka chintan karke Shyam ramaju ke hath bik gaya man vachan karm se to bole to hi karm mein ye bhatu mohan bik hai ay apne aap shri lal jo aapke kar kamal mein bandh jaenge arthat wo aapse kabhi dur nahi ja sakte aapke hath mein jaise patang jaise chaho waise uda sakte ho yadi dori hath mein hai to yadi yadi Radha naam hai Radha
sumiran hai to patango yatha man braah lal jo maharaj jaenge kahan wo to patang ki tarah aapke hath mein ho jaenge shyama jut Ghanshyam ko man mein rakho dhyan jugal lal chavi gan dhari yah rasikan pehchan shyama ji ke naam bal se charnarvind ki aradhna se ye Ghanshyam vivash hokar hamare dhyan mein aa jaate hain. To shyama Shyam ka nirantar dhyan nirantar ratan yahi rasik ki pehchan hai. Rasik kaun? Jo shyama Shyam ke anurag rang mein duba hua hai. Shyama pag dridh gahu sakhi to mil hai nischay Shyam na mane drig dekh le shyama pad bich Shyam jahan shyama jo virajman hai wahi Shyam hai agar shyama jo nahi to prem swaroop Shyam sundar ka aap sakshatkar nahi kar sakte.
isliye shri lalit kishori ji kah rahe hain ki jab shri Vrindavan vas milo sajni tab tirth an gaye na gaye. Yadi Vrindavan vas ho gaya to aur tirth kisi jane ki zaroorat nahi. Vishwas kar lo samasth tirth Tirtharaj prayag mein jakar pavan hote hain aur Tirtharaj prayag jab yahan 12 varsh ke baad Kumbh parta hai tab yahan akar raj mein laute hain jisse wah param pavan ho jaate hain. Yadi Vrindavan vas mil gaya, Vrindavan darshan karne ka saubhagya mil gaya, ane ka mil gaya to ab kahin bhagne ki zaroorat nahi. Haan aankh agar aapki bahut chanchal ho rahi to chale jao aur agar aankh pyari jo pyare jo par ekaagr ho rahi to phir dham se anya koi tirth anya koi jagah jane ki zaroorat nahi hai.
kyonki yah mul hai sab dhamo ka mul Vrindavan dham. Jab shri Vrindavan vas mil sajni tab teerath an gaye na gaye jab ladli lal ko naam leo tab naam na an lay na le yadi Radha naam mil gaya yugal naam mil gaya to isse badhkar kuch nahi isi mein chittritti ko jod do yadi Vrindavan dham darshan karne ko ane ko vas karne ko mil gaya to ab kisi aur tirth jane ki avshyakta nahi. Yadi Radha naam ki mahima sunne ko mil gayi, ratne ko mil gayi, ladli lal ki upasna mil gayi. Ab aur kuch naam japne ki hamari ruchi na rah jae.
rasna kato jo an rato pad pankaj kishori chit pago tab payan an naye naye yadi gore charnarvind mein pranam karne ka avsar mil gaya to ab aur kahin shish jhukav ya na jhukav koi fark nahi parta. Kyon? Kyonki sab charachar jagat bhagwan ko namaskaar karte hain aur rasghan mohan murtim vichitra ke mahotsav lasitam Radha charan vilot ruchir shikhandam hari vande jahan mor paksh dharan karne wale shri lal jo maharaj mor mukut padhrate hain jin charnon mein wo hai shri Radha swamini ke charnarvind to lalit kishori ji kah rahe hain yadi Radha charnarvind ki sharan mil gayi pranam karne ko mil gaya to sabka ka parinaam ho gaya.
jab nain lage man Mohini so tab avgun aal bhay na bhay ye sabse badi baat hai yadi netr hamare lad gaye Manmohan manmohini pyari ju pyare ju se to bole ab aur kahin netr lagane ki zaroorat nahi hai. Sabse bada avgun ho gaya. Mere netr pyari jo pyare ju mein lag gaye to ab hamen aur kahin netr ladane ki zaroorat nahi netr lagane ki zaroorat nahi kahin kuch aur dekhne ki zaroorat nahi jab kanth tulsi gal mein tab motin mal kaha karve jab gale mein tulsi ki mala dharan ho gayi to isse badi koi mala nahi na swarn ki na motiyon ki iski mahima ke barabar koi nahi.
gale mein yadi tulsi ji ki mala bandhi hui hai aur antim samay aa gaya to Yamraj ki phansi us gale mein nahi padegi jismen vrinda sakhi shri tulsi ki kanthi virajman hai. Yah bada saubhagya ka vishay hai. Jiska antahkaran malan hai, jo tarkik hai, jo virodhi bhav rakh wo in bhavon ko nahi samjhte. Sab agar aisa samjh jae to sab mukt hi na ho jae. Isliye bade bhagyashali hain jinke hriday mein shraddha aur vishwas aisa prakt hota hai. Jab kanth lasi tulsi gal mein tab motin mal kahan karive jab chandan raj ki chap chhapi tab aur shringar kahan bharive jab gale mein tulsi ki mala to aur phir motiyon ki mala swarn ki mala aap ascharya maniye bhagwat bas charnarvind ka aashray kitna prabal hota hai.
ek ek swarn abhushan mein bhai bhai mein jhagda ho jaata hai aur apne sab shringar swarn ke nyochhavar kar diye. Nai pahnna gale mein tulsi mala aur raj dharan kar li. Aise kitne upasak jinhone sarvasv tyag kar diya. Ras aur tulsi mala dharan karne par kabhi abhushan nahi dharan kiye. Jab kanth lasi tulsi gal mein tab motin mal kaha karve jab chandan raj ki chap chhapi tab aur shringar kahan bharwe yaho bhagya jab ham braj raj se tilak rachna karte hain aur apne shri ji ke kal jo shringar mein chandan prayog hua wo prasadi chandan dharan karte bole ab isse bada shringar kya hoga?
gale mein kanthi tulsi ji ki aur mastak par rajrani Vrindavan ki aur upar se shri ji ka patraavli kiya hua prasadi chandan to jab chandan raj ki chap chhapi tab aur shringar kahan bharwe jab ladli lal ki or dhare tab aur ki or kahan dharwe jab hari ji ki kripa ho gayi, guru ji ki kripa ho gayi aur hamen ladli lal ka marg mil gaya to ab aur koi marg mujhe nahi chalna. Jab nagar nand kishor dhare u aur ko dhyan kaha dharwe jab nagri shri Priya jo aur nav kishor shri lal jo jab ye hamare dhyan ka vishay hai tab aur koi dhyan nahi dharna jab gaur kishor ki as bhai tab hasan lok kaha darwe jab shri Vrindavan aae dare to pranhu jae kahan darwe jab ladli lal ke liye hamne apna jeevan de diya to ab hansi koi hamari kare uphash kare ninda kare iski koi parvah nahi aur jab Vrindavan mein akar par gaye to ab pran bhi nikal jae ab koi parvah nahi dham nahi chhod sakte ye bahut sundar baat nishtha jab Vrindavan vas mila to hamen aur kisi tirth jane ki zaroorat nahi.
jab ladli lal ka naam mil gaya, Radha naam mil gaya to ab hamari rachna anannya hokar isi ko rategi. Jab gore kishori ke charnarvind ka chintan karne ka saubhagya mila to aur koi chintan nahi. Jab nayan lad gaye Priya pritam se to phir isse bada avgun aur koi nahi. Ab kisi aur ki taraf nayan nahi ladaenge. Jab gale mein tulsi ki mala dharan kar li to ab swarn ke abhushan aur motiyon ki malaen kisi kam ki nahi. Jab raj aur chandan ki chap laga li to isse bada aur koi shringar nahi. Jab ladli lal ka marg mil gaya to isse bada koi marg nahi.
jab nagri nand kishor ka dhyan dhar rahe to isse bada koi dhyan nahi. Jab gaur kishor ki as hui tab chahe uphash karo, ninda karo, apman karo ham hatne wale nahi. Jaisi Harivansh daro kake dar ho na mati kanchi main sachchi mati wala hoon kacchi mati wala nahi ab Vrindavan mein jab akar ke par gaya jeevan ke liye to ab chahe jitna kasht ho pran kyon na nikal jae Vrindavan nahi chhodenge upasak ki aisi jab nishtha ho tab prem ras jagrit ho shripad Prabuddhanand ji kah rahe hain ki Vrindavan mein kaise vas karen jo bade-bade mukt purushan ke liye bhi durlabh hai.
muktan pratya chin dati sandarshanam shuddhaya reetya sukh nardad bharap praptang sanga mana jo jeevan mukt mahapurush hain unke bhi dhyan mein na ane wale Priya pritam jis Vrindavan mein khelte hain ye Vrindavan sahit Priya pritam ye bade-bade jeevan mukton ke bhi dhyan mein nahi ate muni man dhyan dharat nahi pavat shri sukh Narda aadi mahapurush jinke leela charit ka gayan karte par shri ang seva mein nahi aise Priya pritam ka yah nij mahal aise Priya pritam ke charan chinnon se chinhit ye bhumi yahan jo vas karte hain to sa shri Krishna pda bhakti shri dham Vrindavane yam kanchit pratimuki tito bhaven va bhramte yahan lalsa se yukt hokar prem lakshan bhakti ghumti rahti hai.
kaun mujhe sweekar karega? Jiske hriday mein jara bhi prem lakshna bhakti ki chah hai to hriday se aalingan karke uske hriday mein sama jati hai. Yah Vrindavan ki mahima yahan bhakti aalingan karne ke liye bhav se yukt hokar bhramn karti rahti hai. Prem lakshna bhakti jo koi upasak prem lakshna bhakti ki akanksha karta hai. Yah prem lakshna bhakti uske hriday mein virajman ho jati hai. Jis prem lakshna bhakti ke prabhav se atyant durlabh mahapurushon ke liye bhi shri ji ki shri ang seva ka adhikar prapt hota hai.
aise Vrindavan mein yadi aapko vas mil gaya hai ki aap yahan aae hain to kaise rahe? Ek din do din ya aajeevan sarwasatkarshada dai bhav satatmay nich nicha swayam sya evam vritya dheeman na divas madhuram dham vrindavanyam tully manav mano kurbhaj samta strotra dawa kot gras labh maha sampdi cha bh samo tully bhav yadi is shlok ki rahne se Vrindavan mein raha jae to nischit priyal ke prem ki prapti ho jaegi. Prem lakshna bhakti yahan aalingan karne ke liye kamuki hokar yam kanchit pratimukhi tat hito bhavan va bhramte wo bhramn karti hai ki koi mujhe sweekar kar le yahan phir swarth apne bhajan gaye phire vah yahan prem lakshna bhakti aalingan karne ke liye kamuki hokar bhramn karti hai ki koi Vrindavan vasi mujhe sweekar kar le par yahan rahna kaise yah khas baat hai agar agar rahni theek hai to bahut jaldi aapka kam ban jaega.
bahut power hai. Bhagvatik shakti se sampann ye bhumi hai. Ismen thoda bhajan bhi bahut unnati pradan karta hai. Par ismen rahna kaise? Bas ye rahne mein chuk ho jati hai. Sarvas utkarshaday bhav satat nich nicha swayam syaat apne ko sabse nicha nich hokar ke Vrindavan vas karna hai. Apne ko sabse nich manna hai. Kal ek sant bhagwan aae the. 65 varsh ki ayu hogi. Wah kah rahe the ki ahankaar sharanagat nahi hone deta. To yah ahankaar tyag karke purn sharanagati kaise ho? Kal charcha hui thi. Dekho thoda bhi wah mahatma hai apne hriday ko dekh rahe hain.
wah jo prashn karte hain ham logon ke liye karte hain. Par thoda bhi jab tak ahankaar hota hai tab tak bhagwat rajya mein pravesh nahi hota. Aap shastron ki baten dusron ko suna sakte hain. Tark vivad karke dusron ko parast kar sakte hain. Aap aise bhi ho sakte hain ki aapko log bahut gyani kahe. Lekin thoda bhi deha abhiman hai to na shuddh gyan hoga na bhagwat prem hoga na bhagwat rajya mein pravesh hoga. Vrindavan vidhi base taj ke sab abhiman tan te neecho aapko jane so jaan hamara vaishnav siddhant hai tanap suneeche sevak ji maharaj kahte hain tan te nich apan ko kahe shubh aur ashubh na jaan tan se bhi nich apne ko jo manta hai wahi shubh ashubh par vijay prapt karke bhagwat prem ko prapt karta hai.
dekho vichar karke dekho to tumhare paas abhiman karne layak hai kya? Vivek purvak dekho. Tumhare paas hai kya abhiman karne layak? Sharir bhagwan ne diya. Buddhi bhagwan ne di. Bhagwan ne sataarg diya. Bhagwan hi ham par kripa karke ye satmarg ke sadgun prakashit kar rahe hain. Unhin ke dwara sab kuch ho raha hai. Phir abhiman aap kis baat ka karte hain? Aap mein itni bhi to takat nahi ki aapka ek rom gir jae aur aap punah use sthaapit kar le. Itni takat nahi ki ek ruu aap laga sake. Agar rom gir gaya to dobara aap lagane ki samarth nahi rakhte.
phir aap mein kis baat ka abhiman? Prabhu na chahe to aap ek shabd nahi bol sakte. Wah chahe to mukam karoti vachalam pangum langte gir yat kripa tam vande parmanand Madhav wo gunge se ved padhwa de lule langde se pahar phandwa de arthat jo asmarth hai usse bada karya karva de wo sarv samarthshali to abhiman kis baat ka bhai Vrindavan i vidhi bas taj ke sab abhiman sab abhiman ka tyag karke apne ko tan se bhi nich samjhe to Vrindavan ki mahima prakashit ho jae. Kah rahe hain nicha nich swayam syaat apne ko to sabse neechati nich samjhe.
dekho bhai ise pakdo. Ye Vrindavan ki rahni hai. Yah ahankaar kahta rahta hai. Ham kuch hain. Kuch nahi bhai. Kuch nahi. Ek shabd nahi bol sakte. Ek shwas nahi khinch sakte. Jitna jaisa vidhan mere hari ka hai waise chal raha hai tumhara jeevan. Haan do marg hain. Ek hai asat marg, ek hai sataarg. Ab asat marg mein chaloge to dukh bhogoge, sat marg mein chaloge to sukh bhogoge. Yah bhagwan ne tumhen chhut de di hai. Tum ganda karya kar sakte ho ya uttam karya kar sakte ho. Power unhin ka hai. Samarth unhin ki hai.
ab aap kar kya sakte ho? Jo boge wahi tumhen katna padega. Bas itna tumhara adhikar hai ki tum shastr sammat chal lo ya shastr virudh chal lo par chalne ka power prabhu ne hi aapko diya hai. Apne ko abhiman se yukt kabhi mat hone do. Kis baat ka abhiman karoge? Kuch abhiman karne layak hai hi nahi. Jab tak bhagwat sakshatkar nahi ho jaata to abhiman karne layak kuch nahi. Pyare ek kshan mein maya sab nasht kar sakti hai aur jab bhagwat sakshatkar ho gaya to abhiman rahta nahi isliye abhiman ki to satta hi nahi hai to apne ko neechati nich samjh dekho jab Harivansh mahaprabhu kah rahe hain kwaham tuchch param adhma pran ho ga karma kaha main tuchch adham aparadh karne wala apne log bhagat mane sant mane mahapurush mane apne ko to kitni laghu baat hai hans hansne ki baat hai.
kitni uphasaspad hai ki hamare guru hamare acharya apne ko aisa kah rahe hain. Ka ham tachchha param madhma ham apne ko sant mahatma samjhe. Isliye savdhaan shripad kah rahe hain Vrindavan kaise vas karo bole satat may nich nich swayam syaat apne ko sabse nich mane aur nich se bhi nich neechati nicha aur dusron ko sarwotkarsha dai bhav satatmay dusron ko nirantar sammaan dene ki koi bhi aa jae unke sammaan mein fark na pare unko sammaan do unka bada hi sammaan yash apne ko sabse deenheen nicha mankar Vrindavan tabhi aapke hriday mein kripa karke apni mahima prakashit karega ye baat ko samjh lo dusron ko sammaan do badhai do sab man prad par aap amani apne ko nich manna sammaan sweekar na karna amaneena man dena amani hokar dusron ko man dena evam vat dhees madhuram dham vrindavanyam aur is vritti ko dharan karte hue Vrindavan vas karo tulyo mana mano yadi tumhara sammaan ho raha hai to phulo mat harshit mat ho kiska sammaan hota hai agar ham bhajan kar rahe hain.
hamare ko koi Bhajnandi mankar sammaan karta hai to mere Gurudev ko kar raha hai. Vesh Gurudev ka mantr Gurudev ka kripa Gurudev ki to mere ko kyon pranam koi karega? Ye Gurudev ko pranam ho raha hai. Aisa sochna chahiye. Ye shyama Shyam ko pranam namaskaar man mil raha hai. Mere ko thodi mil raha hai. Jaise samjha jae ki hamen log pranam karte to utaro kapde. Phir pahno sansarik kapde aur dekho tumhen kaun pranam karta hai. To tumhen jo vesh mila wah Gurudev ke dwara pradatt jo mantr mila wo Gurudev ke dwara jo hamen upasna mili Gurudev ke dwara jo ham mein sadgun aae wo Gurudev ke dwara to jab hamara sammaan ho to hamen ye manna hai yah sammaan mere Gurudev ka ho raha hai.
mere isht dev ka ho raha hai. Aur kah rahe apmanau ab jab apman ho tab kya vichar karna hai tab yah vichar karna hai ki mere kisi paap ka marjan karane ke liye ye bhagwan mangal mein vidhan kiye hue hain jo meri ninda ho rahi hai mera apman ho raha hai ye mere kisi paap ka marjan ho raha hai aur aandit hona chahiye vichar ke dwara ham man aur apman mein na fanse ye vivek ek aisi mahan shakti hai jo hamko bacha leti hai man apman se vivek jagrit ho jae satsang ke dwara shastr swadhyay ke dwara gurujanon ke vachno par shraddha vishwas karne se vivek jagrit ho jaata hai aur jahan vivek hua wo hamen man apman se bacha leta hai.
dekho agar galti ho jati hai to mere se agar achchai hai to mere Gurudev ki ye upasak sache marg mein jo chalta hai uske hriday ki ye gati hoti hai gun tumhare samjhe nij dosh agar galti ho gayi to mera aparadh hai aur agar achchai ban gayi to mere Gurudev bhagwan mere isht dev ki kripa aise hi sammaan ho raha hai to isht isht dev Gurudev ka apman ho raha hai to maine koi galti ki hai purv mein uska prayashchit ho raha hai ismen tark vitark ki zaroorat nahi ye paramarth hai shraddha aur vishwas se chalo labh prapt ho jaega man aur apman mein ham barabar apne hriday ko saman rakh pave hamare hriday ka anand hriday ka bhagwat chintan na chhutne pave na man mein na apman mein tully mana manav kurbhaj satta strot durwa kotya yadi koi hamen durwachan bolta hai sachchi maniye sammaan se hriday mein ek bhay prakt ho jaata hai.
jab koi stuti karta hai, bai karta hai to ham kamzor ho jaate hain. Hamen dar lagne lagta hai. Kahin ninda na ho jae. Kahin koi hamara apman na kar de. Kahin koi hamare prati galat na bol de. Bilkul nahi. Yah sammaan bhokta ke hone ke karan aapko bhay laga hai. Nahi to aap nidar ho jaenge. Koi gali de raha hai. Ye uski ruchi hai. Gali bol raha hai. Uska swabhav hai. Uski ruchi hai. Uski mati hai. Wo ninda kar raha hai. Ye uska swabhav uski ruchi hai. Hamen apne prabhu mein magan rahna chahiye. Durwachya kotya karodon galiyan de phir bhi hamare hriday mein uske prati dves bhav na ho droh bhav na ho aur stotr khub aapki stuti karen lekin aapka priy bhav nahi hona chahiye stuti karne wale par priy bhav aur ninda karne wale par apriy bhav yah sansari purush mein hote hain bhakton mein nahi hote bhakton mein kya bhav hota hai ninda karne wale mein priy bhav aur stuti karne walon mein udas bhav udasin bhav na priyata aur na kathorta udasin bhav lekin ninda karne wale mein
priy bhav jo ninda karne wala hai usse aise jaise koi stuti kare tab kaisa ham vihaar karenge vaisa ninda karne wale ke prati vihaar yahi sadhu Uma sant kahi yahi bai wo mand karat aur ye karat bhalai jab wo bura bole aur aur ham uska mangal priy bhav rakhen tab hamari sadhuta surakshit tab hamari bhakti surakshit grasa labh mahasampti shri dham Vrindavan vas kar rahe hain bhajan marg mein hamen ho ab to badi vyvasthaye ho gayi hai nahi pare badi samasya udar bharne ki hi keval thi Mathura aur durdur jakar ke tukde maang ke rasik mahapurushon ne udar poshan kiya hai.
bahut hi kashtprad jeevan vairagya ka jeevan bahut kashtprad ab to har suvidhae bhagwan diye phir bhi agar bhajan na ho bhagwat prapti ki prabal ichchha na ho to phir jeevan hi bekar hai. Bahut kashtprad jeevan vyatit kare mahapurush jo piche ho gaye. Bade-bade machchar kyonki khub latae thi. Saanp bichhe khane pine ki vyvastha nahi koi rahne ki vyvastha nahi aaj is vriksh ke niche kal us vriksh ke niche bhari kasht sahte hue priyal ke liye har samay tadpate rahte rote rahte to aaj to hamen bhagwan ne bahut suvida de di na bhookh ka chintan karne ki na vas ke chintan ki na vastr ke chintan ki na aushadhi ke sab vyvastha prabhu ki ab agar bhajan na hua bhagwat chintan na hua to phir dhikkar hai jeevan ko.
prabhu ne sab jo chintan karne ke avsar the sab wo band kar diye. Aapko apne vastr ka chintan karne ki zaroorat nahi ki kaise tan dhke aapko pet bharne ka kaise pet bhare. Aap kahan vas karen iska bhi aapki aushadhi kaise iska bhi koi chintan karne ki gunjaysh nahi. Ab to anannya chintan to mam ab anannya chintan karo kyonki wo yogkshem ka vahan swayam kar rahe to kah rahe grasa labh yadi ek kaura ann mil jae 24 ghante mein to utne mein hi pran poshan ho jaega aur raat din bhajan karo shripad Prabuddhanand ji kah rahe hain kaise Vrindavan vas karo apne ko sabse neechi nich mankar dusron ko sammaan badhai dete hue apna jab apman ho ya sammaan ho donon mein saman bhav rakhen aur koi hamen gali de ya stuti ham usse apne hriday ko bachhae aur ek kaura bhi ann mil jae to usse pran poshan kar le aur dwa tully bhav bahut badhiya baat hai parivaar ki mamta chhod de hamari prarthna hai yadi aap mobile atyant avashyak hai to kasam khakar ke lijiye ki gandi baten nahi dekhenge prapanch nahi dekhenge nahi bahut ham kah rahe subah se sham tak mobile itna hai aram se samay kat jaega bina bhajan ke bina chintan ke dekhte raho itni reele itne sab prapanch bhare aur prayah chuk ho rahi hai divya samay ko vyarth kiya ja raha hai in baton se baithe baithe bas mobile mein lage hain.
mobile mein aise anguli aise karte rahte hain. Wo gaya phir dusra phir tisra kya milega aapko? Aapka samay nasht ho raha hai. Accha ghar parivaar se jab bairagi ho gaye ho to baat kyon karte ho? Kya zaroorat hai? Are bhagwan ko samarpit kar diya. Wo dekhen ya to bairagi na bano. Jao kapda ladda pahnkar ghar mein mehnat karo. Mata-pita ki seva karo. Parivaar ka sevan bhagwat bhav se karke bhajan karke bhakti ke dwara bhagwan ko prapt karo. Do marg hain. Ek nivitti aur ek pravriti. Ab marg to rakhe nivitti ka karya kar rahe sab pravriti ke to kaise baat banegi?
apne marg mein chalo. Agar ghar se pravriti marg se nikal pare ho, nivitti marg mein aa gaye ho, ghar ki swikrati lekar ke to phir ab chahe mar jae koi ab dobara uski smriti nahi aur wahan jana nahi. Yah niyam lo paramarth ke niyam hai. Raat din agar parivaar se baat rishte natedaro se baat karoge mobile rakh ke to aur kisi ki hani nahi kar rahe. Aap apni hani kar rahe hain. Nivitti parak jo aapka jeevan hai aur bahut savdhaan hamen lagta hai ki agar sunne ke liye to aur yantr le lo satsang bhar lo.
ek chip mein teenti00 ghante ke satsang hain. 300 ghanta satsang hamen lagta hai ki agar ek ek satsang ek ghanta ka roz suno to 365 din sal mein hote hain. To ek sal ek chip chalegi. Sunne wala rakh lo. Aur agar aapka bahut aisa hai ki aap koi alag rahte ho. Aapko silendar in sab ki zaroorat hai to ek wo 2000 wala mobile rakh lo. Yah tach wala kyon rakhte ho? Isi mein sare jahr hain. Chhote wale mein to hamen lagta hai kuch dikhayee nahi deta. Usmen chitra to ate nahi. Aisa karna chahiye sadhak ko. Yah jinki bahut badi-badi sevae hain wo baat alag hai.
nahi hamari prarthna hai bahari bhi sadhako se apne yahan to jinko seva hai unhin ke paas mobile hai anytha nahi hai. Bahari sadhako se ye mobile bahut jahr hai. Bhagwat prapti ke badha ke liye kalyug ne badi bhari rachna rach di hai. Aur agar niyam sanyam se prayog karo to bada sahyogi hai. Satsang sun lo aap isse mobile se koi vipatti wali baat hai to aap suchna de sakte ho bahut tarah se bachav paksh ismen hai lekin fasav paksh bahut zyada hai fasav paksh se jinki bachne ki samarth hai wahi mobile rakhe sadhak to bilkul jahr samjhe mar dega bhaiya bilkul mar dega bilkul mar dega har samay ham dekhte hain chahe chhota bachchha ho chahe bada ho ekant baithe chal bhi rahe hain to kan mein batan se lage rahte hain aur baat karte ghum rahe jaise na baat karte aur office aur samay barbad kar raha aur aur khode chala ja raha hai sansaar ki baten aur kya Radhehe men baat kar lo kaat ke rakh do bhajan aao kan mein lagae bas aur samay barbad mat karo yahan kah rahe hain ki da sur tully bhav agar tumse koi shatrutha ka bhav karta hai to tum bhagwat bhav karo aur agar koi priyata ka bhav karta hai to bhagwat bhav karke rag rahit rahne ke liye usse zyada priyata mat karo.
yah bhagwat marg hai. Ghar parivaar walon se to prabhu yadi nivitti marg mein ho to bhul jao ki tum kahan paida hue the. Isliye upasak bahut savdhaan hamari baat man lena. Yadi nivitti marg mein chale ho to parivaar se sambandh chhod do. Paise ka bal chhod do. Kisi se dosti mat karo. Shatrutha to kisi se bhul ke mat karo. To ekmatra bhagwan ka bharosa sab vyvastha ho jaegi. Sab vyvastha man lijiye sab vyvastha ho jaegi. Vishwas kijiye. Hamari baat par vishwas kar lijiye. Kisi ka sahyog aur virakta hokar ghar se le khana ye to jahr khana hai.
jahr ka matlab samjhte ho? Jaise jahr khate ho hamen mar deta hai. Aise hi hamare vairagya ko mar dega. Pujya shri Raghunath das goswami ji ko unke pita bahut bade aadmi the. Majumdar khub dharm vaibhav. Jab dekha ki beta Jagannath Puri mein vairagya to yahan se halwai samgri rupya paisa sab bheja. Do char din shri pujya Raghunath das goswami ji ne mahaprabhu chaitanya dev ko bhog paya. Phir vichar kiya jab main vairagya ke marg mein hoon to pita ke dwara di hui vastu aur sampatti ka bhog jakar Jagannath ji ke dwaar par sinh paur par khade ho jaate jo bhikshukon ko prasad bata wo prasad lekar bas ekant bhajan karte kuch din baad wo bhi chhod diya tha ek kshetra se le ate kuch din baad wo bhi chhod diya jo prasad gayo ko dal diya jaata gay chhak jati na pati wo ratri mein bin ke late aur dhokar usse udhar poshan karke khub bhajan mein rahte.
hamen mahapurushon ke charitra se pata chalta hai ki virakta ko apne parivaar ke diye hue dhan ke dwara apna bharan poshan nahi karna chahiye. Bairagi ko bhagwat ashrit rahna chahiye. Ab dusra paksh yah shri dham Vrindavan hai. Ab samay wo rah nahi gaya. Ki aapko agar ham sab bhiksha mangne nikle to 400 500 jis ganv mein jaenge darwaze band ho jaenge ki bhaiya roz kaun 500 roti de accha kitni vyvastha koi kare to bhagwan ne vyvastha kar di hai ab jinke pure parivaar virakta hai patni putr beta beti sab ab wo apne sampatti ko lekar Vrindavan aae apna makan khareede apna kha pi bhajan kar rahe badhiya hai.
wah bhi ek paddhti kyonki wo dhamwasi hain. Pura ka pura grahasti se pura ka pura parivaar bhajan marg mein to unke liye phir yah vidhan hai ki apne dwara jo kamai hui sampatti hai usi se apne parivaar ka poshan karte hue aur bhajan mein tanmay hai. Lekin jo naujawan hain grahasti mein pravesh nahi hue aur ghar chhodkar shri dham Vrindavan ya bhagwat marg sweekar bhulkar bhi parivaar ka paisa na sweekar karen. Samjh rahe ho? Hamne do bhav yahan prakt kiye. Jo ek grahasti pura ka pura parivaar virakta hokar rah raha hai.
wo apni kamai ke dwara makan kharida. Vas ki vyvastha bhojan ki vyvastha pura parivaar bhajan mein laga hai pranam hai accha hai chalo dham ke karan dham ke karan aur jo grahasti mein nahi gaye aur virakta hokar unko parivaar ka dana nahi khana chahiye mango bhagwat ashrit raho akash vritti se ya jaise tumhara jeevan keval bhagwat ashrit raho apne suhad janon ke dwara di hui suvidhae sweekar karne se bhagwat aashray mein badha par jati hai. Virakta hokar ke dwa tully bhav shatru mein mitra mein saman bhav parivaar walon se duri bana ke donon bhav bata diye.
usmen prashn karne ki zaroorat nahi ki aap hamse phir kahne lage ki ab ham to aapki us agyaa ka palan kar rahe hain ki ab to parivaar ka nahi. Nahi aapka pura parivaar virakta hai to jo mata-pita ne sampatti kamai usse jo bharan poshan usse kijiye aur bilkul ekant sevan karte hue bhajan kijiye lekin jinhone byah nahi kiya grahasti mein nahi gaye virakta bhav mein aae unke liye bilkul sakhta shasan ek paise kabhi parivaar se nahi kabhi nahi koi sambandh parivaar se nahi to aapke parivaar ka bhi kalyan ho jaega kyonki aap nivitti marg ke pathik hai kant matra sanchha vikritam stri maya pindam nam sut vidhan kashtam pana subhaj vana traptha sarve shashad vati vinto dhyaas Vrindavan bho yadi aapko Vrindavan vas mil gaya hai to ab jo hai kam aadi bhogon par shasan vritti rakhie vanvas kar rahe ho savdhaan ho jao shripad kah rahe kant matra sanchhadit vikritam stri mayame pindam ye jo stri purush sharir hai yah mansad se bane hue hain.
ismen koi sukh kahin nahi hai. Yah keval bhramtmk kamad dosh utpann hone ke karan parasparakarshan aur aisa lagta hai yah sukh hai. Shripad kah rahe hain is apvitra deh se ghrna kar lo apni. Kahin sukh nahi. Kaisa bhagwan ka vichitra khel bana hua hai ki paraspat akarshan akarshan kahan sthano mein hai wah sab dekh rahe ho. Shripad kah rahe yadi Vrindavan vas mila hai to thoda vichar karke is kamad dosh se rahit hoge tabhi to prem prakashit hoga. Jahan kam hota hai wahan prem nahi. Jahan prem hota hai wahan kam nahi.
arthat anarthan rupya paisa ke liye vyakul ho jana vyvastha mein chittavatti jod dena Priya pritam se chintan hata dena bahut bada anarthan ye nash ka karan banta hai sahaj swabhav mein hamari chintan vritti bhagwadakaar rahe Priya pritam mein aur jaise wo rakhe mahlo mein rakho chahe jhopdi mein bandh hamko prayas nahi karna vyapar nahi karna virakta hokar ke grihasth hokar ke yadi Vrindavan vas kar rahe to vyapar ke liye nahi bhajan ke liye Vrindavan vas bhajan ke liye hai to ab aap man lo aise dhani nahi ho to aap kuch thoda riksha chala le rahe ya jo bhi aise karya karke apne parivaar ka bharan poshan karte ho khub bhajan karte hain ham pranam karte hain lekin yadi aapke paas khane pine ki vyvastha hai aap virakta hain phir aap vyapar karte hain to anarthan parinaam mein wah anarth hi paida karega.
dekh lena jo sant shastr gurjan kahte hain wo parinaam ko bolte hain. Parinaam ko parinaam hi hamare jeevan ka param lakshya hai. To parinaam kya hona chahiye? Priya pritam ki priti, Priya pritam ke liye tadpna, Priya pritam ki prapti ke liye rona. Lekin hamari vritti yadi arth mein to arth mein sabse bada dosh yah hai ki wo sankhya par vritti chali jati hai. Ab 10 lakh ho gaye ab 10 lakh ho gaye. Ab 11 lakh ho aise chintan karte karte wo mar jaata hai aur sankhya badhata rahta hai marte samay tak.
ye sankhya badhane ki bahut badi dosh vritti anarth vritti is arth mein hai. Wo chitt ko lubhayaman kar leta hai. Aur itna lubhayaman kar leta hai ki goswami ji ne aisa hi manga lobhi jim priy dham tim Raghunath nirantar priy lago mu Ram do baton mein jaise kam nari priy ji lobhi ji priyata yahan kah rahe kant tum matra sanchhad vikrit stri baya pindam tumhare sharir anya sharir ki taraf jo akarshan kuch nahi hai chamdi chikni gandagi bhari hui hai. Kahe ko vyarth mein apne jeevan ko Vrindavan mein apvitra karte ho, nasht kar rahe ho.
dusra dhan dhan ke liye prayas grahasti mein ho to uchit prayas kar lo. Agar virakta ho to jitna hai usse kam chala lo. Marna hai, Priya pritam ke paas jana hai aur bhagwan sabka bharan poshan karte hain. Vishwas karo Vrindavan jab aae the to na ek vyakti ka prichay tha na ek vastu paas thi. Param virakta sanyaas vesh jab shri ji ne sweekar kiya aur vyvastha ki zaroorat thi. Dekho aap sab baithe ho. Kabhi kisi se guru kripa se mangne wali baat hi nahi. Apne aap wo sab vyvastha karti hai. To bhagwat vyvastha mein apna koi aham nahi rahta.
jaise kabhi ek bar smriti mein nahi aaya hoga ki meri Radha ke kabhi nahi. Nahi shri ji ka vidhan chal raha hai. Mera to kahin kuch nahi hai. Ab jab sharir chhutega to yah thodi dhyan aayega ki iski kaun dekhrekh kare kyonki hamne dekhrekh kiya hi nahi. Hamne banaya hi nahi. Hamara hai hi nahi Radha Radha Radha hamari to shri ji hai aur shri ji ka chintan ho raha hai ab shri ji jo vyvastha ke unki vyvastha hai unhin ki vyvastha unhin ko samarpit ye dhan ki jo badhotri karne ki bhavna virakta hokar hoti hai ye anarth paida kar degi akhri mein are ab to gujara karo keval jis par tumhara mamtv hoga wahi akhri chintan hoga mamtv ka vishay shri ji ho dekho jab koi avshyakta hoti hai uski vyvastha shri ji se hoti hai na bada hriday mein sheetalata rahti hai dekho kitna
swamini jo dekh rahe hain ki agar avshyakta hai hamne dekh rahe ek ek baat ko dekh rahe bichhane wale ki avshyakta hai kalin ki to do hi char din mein koi aa jaega wo apne aap kalin akar ke katwa ke rakh jaega bina kahe hai bina mange aur usse pocho bole doti din se chintan chal raha tha ki kya seva kya phir hamare man mein aaya ki yah seva to sweekar kar lenge aur ham ye le tab ye log kahte hain itni badi kalin ai ham kaha haan bichhane ke liye satsangiyon ke shri ji apne aap jo vishwas tab aapko pata chalega shri ji ki jimmedari hai yogkshm wahan to wo dekho kar rahe tumhari jimmedari hai anannya chintom tum anannya chintan shri ji ka karo wo tumhari sab vyvastha ko dekh rahi nivitti parak aur jo grahasti mein hai to uchit karmon ka dharmanushthan karte hue apne jeevan yatra ko puri karen jo arth hai wo anarth ka swaroop hai anarth ka swaroop yadi wo bhagwat ashrit hokar jie arth ke ashrit nahi arth ashrit ho gaye to anarth paida kar dega ab ye baten keval jeevan mein utar le to bhagwat
prapti bilkul nazdik hai. Sut surad vi bandh yah stri putr aadi ka rag andha kar deta hai. Agyaan andhkar mein bandh deta hai. Bahut vichitra hai bhagwan kripa kare. Isiliye kaha hai grih ka raj nana janjala teti durgam shail vishala ye sharavat ati kathinai Ram kripa bin aae na jai bina bhagwan ki kripa ke na sant samagam milta hai na bhajan milta hai aise log fanse hue hai bas wahi ladka bachchha parivaar unko yahi lagta hai bas yahi jeevan hai yahi sab kuch hai pahli bar mano srishti mein janme unko aisa lag raha hai haan jara sa sharir mein kuch ho jae hahkar mach gaya ladka ke kuch ho jae to ladka bhi pareshaan pita bhi pareshaan pura parivaar pareshaan are thoda dhairya purvak socho
tum janme kis desh mein ho iska naam hai mrityu desh mrityu lok koi na koi karan banega koi na koi marega koi na koi jaega koi na koi aayega ye ana jana is desh mein laga hua hai isliye bhai yahan kamane aae ho kama lo kaun sa dhan avinashi dhan bhagwan naam bhagwat rup bhagwat leela bhagwat dham kah rahe hain ki ye jo stri putr sud aadi mein asaktit hai andhe ho jaate hain inko mrityu ka bhay nahi rah jaata inko ye nahi dikhayee de raha main kis liye aaya tha kya kar raha hoon ham ye nahi kah rahe ki sab virakta ho jao himmat hi nahi virakta hone ki to kam kam se kam unmein bhagwat bhav karke naam jap karte hue dharm purvak raho to tumhen wahi kripa prapt ho jaegi.
par nahi jo dharm purvak chalta hai wahan sukh hota hai. Adharm mein sukh nahi hai. Isliye kah rahe sut sud bandhwan vid bandhan ye bada bandhan hai agyaan andhkar ka. Isi bandhan se mukt hone ke liye tumhen manushya sharir mila hai. Kuch log kahte hain bade prashn karta hai. Hamen lagta hai ki bhagwan akar ke sabko samjhave to bhi prashn khatm nahi honge. Prashn karte hain ki aap kahte ho anya yoniyon se koi karm hote nahi. Manushya yoni badi durlabh hai. To phir ye bhogna kaun se karm ka parta hai? Aap kahte ho piche ke karmon ka bhog bhog rahe ho.
badi buddhi lagate hain negative mein positive mein nahi lagate bhaiya koi pahli bar manushya bane ho lakho karodon asankhyo bar manushya ban chuke ho bhagwan ne aapko har bar chans diya hai lekin aap har bar wahi chuk karte ho jo is bar bhi kar rahe ho is bar to hosh mein ho jao ek ek karm ka bahut bada-bada dand milta hai yahi dekh lijiye 10 minute kukarma hua aur uska phal aajeevan karavass ek lakh jurmana ab vichar karo ek karm aise tumse lakho arabon paap aparadh hue to anya yoniyon mein bhatkte bhatkte dekhkar phir hari kripa karte phir manushya janm dete par phir wahi chuk kar deta hai fas jaata hai apne parivaar ke rag mein papacharan karne lagta hai shripad kah rahe hain kashtam mishthan pana bhaj vasnal tap tha yadi tumhen achhche achhche padaarth Vrindavan mein khane ko mile to kasht man ke unko chhod do kyonki bhajan nahi hone denge achhche padaarth nahi hone denge danda chalwaenge ek dusre ki khopdi phurwaenge jab tumhara arth pe buddhi buddhi rahegi.
swadisht ann par buddhi rahegi. Ham aapko sachchi kahte hain jo arth par buddhi rakhte hain virakta hokar wo ghar paise bhejte hain. Kyonki paisa jab ekatrit hoga sukh samgri ekatrit hogi to ghar le jane kyonki wahi rag hai. Prabhu se to anurag hai nahi. Aur kuch aise hain jinka prabhu se anurag hai. To hamne dekha bihari ji ke darwaze par baith ke pad gaya karte the. Bade sundar sundar mahapurushon ke rahim ji ke raskhan ke bade bade mahapurushon unko jo paisa milta usse jeevan yapan karte jo bachta to Ram ji vai satsang bhavan mein ek din bahut sundar prasad sabko pavaya ja raha tha bhakton ko to pucha ki wo mahatma jo hai sabse hath jod jod ke kaha ye mahatma bole yahi to karva rahe kaha ye to bhikshavatta se jite bole jo bach jaata hai usse aise kuch aise virakta bhikshuk swabhav wale mahapurush ki apna sharir poshan kiya aur shesh santo ki seva mein nahi to ghar
ki priyata aati virakta hokar ghar paise bhejne ka matlab hai kul parivaar ka patan kul parivaar ka patan sadhu bhav mein akar ke bhagwat bhav mein akar ke jo hamko dhan milta hai wah sant seva ke liye bhagwat seva ke liye yadi chacha bhateeja jao inko sab na narak hi jana padega pakki baat samjh lo durgati pakki hai iske liye hamen ek praman mila bhakt mali ji maharaj wo padhar chuke wo bata rahe the ki swapna mein ek bade mahapurush wo apne bhai ko kuch lakh rupaye diye the wo aake mahant the bahut badi jagah ke to un bhai
aae aur bole beti ka byah itne lakh rupya de do baad mein ham byaj sahit de denge to unhone de diya ab unko unko laga mere bhai kya dena hai? Wo do char bar kahe aur diya to nahi tab tak unka sharir pura to wo pret yoni ko prapt hue. Ab aur bhi jo leela hui ho. Phir unhone swapna mein akar bhakt mali ji se kaha ki hamara aisa aisa aisa aap wo paisa nikalwakar bhai se aur sant bhandara kar do to hamari mukti ho jae. Yah ek ek rupya jo shri ji ke liye ave jo sant seva ke liye ave jo gau seva ke liye jahan jiske liye aaya usko wahi kharch kar do to aapka seva ban jaegi aur bhagwat marg to ye kah rahe hain ki jo mishthan aadi hai achhche-achhche padaarth ye bahut hosh mein khao piyo ye karja hai agar bhajan nahi hoga to haan pakka samjh lo karja hai ye buddhi kharab kar dega bhajan nahi hone dega isliye shripad kah rahe kashtam maan panadu jab aap brahmachari rahenge to aapke sharir mein jaise koi injection laga de na
bijli daude aise sharir mein ekdam bijli daudti hai bahut hosh mein khanpan karo rukha sukha khae ke thanda pani piyo satsang ko ye bhagwat prapti ke liye hai to in baton ko maniye aap ye achhche padaarth dusre ka karja lena hai yah na samjho ki are bahut pandit Ramkrishna Baba ji jab Radha raman ji darshan karne gaye unke charit mein aata hai do na bhar ke unka jai jai nahi hamen tulsi dal aur charanamrit dijiye ye aur kisi ko hamen tulsi dal dijiye jo charnon mein chadhi aur charanamrit dijiye pandit Ramkrishna nahi jai jai mithana aadi khane mein kasht maniye to ab priyal ko dekh le likhle the bhandara dekh lenge bahut samjh ke chalne ka haan dekho kuch baten aisi hai jo samjh mein ani chahiye ye bhandara sachchi mani jab aap ham ye kah rahe hain khao virakta ho ek jagah chale jao kam paise wali samgri pa lo din bhar bhajan karo kuch nahi pareshani hogi ab char jagah bhandare jaoge aur har jagah ki dakshina loge to sachchi mano bhajan nahi hoga.
kyon char jagah gaye? Ek jagah pet bhar lo. Dakshina mat lo. Zaruri hai agar aapko bijli pani kharch ki to dakshina le lo. Ek jagah chale jao. Jo paddhti hai mishthan khane mein kasht mane ki ye hamare bhajan ko kshan kar de. Khub anubhav ki baat kah rahe hain. Mahapurushon ke anubhav ki baat hai. Rukha sukha khao pran nikal kahe ko lakdi ka wajan badhwaoge. Jitne sharir mein charbi hogi utna zyada lakdi lagegi. Halka sharir rahega kab lakdi lagegi? Akhirkar jalana hi hai isko. Jal nahi hai aur power to brahmcharya hai jo brahmcharya se rahta hai apaar samarth usmen rahti hai dekhne ki sunne ki bolne ki chalne ki phirne ki uthne ki sharir mein bilkul koi bhayanak rog prarabdhat ho to bhi koi kasht usko gira nahi sakta brahmcharya ek amokh shakti aur brahmcharya ksheen hai to jawan hai kamar mein dard ganth mein dard 242 ki avastha hai ganth mein dard.
yah to 70 80 walon ke ki ab budhapa aa gaya. Ganth mein dard hai. Bole grees khatm ho gayi ganth ki. Ab hamko to zyada angrezzi aati nahi. Ham usko waise hi kahte hain. Grees jo bhi ho bole ganth ki wo chiklahat grees khatm ho gayi. Tumhari ganth mein jo brahmcharya rupi grees thi usi ko nasht kar diya. To ab jodon mein kahan se pahunche? Sab power usi se banta hai. Bhai chahe grihasth ho chahe virakta bahut savdhani se brahmcharya ka raksha ka bhav rakho. Ye tumhare jeevan ko bahut uttam bana degi.
vishwas kijiye. Haan bahut kimti vastu hai. Bahut kimti vastu hai. Brahmcharya par dhyan dijiye. Brahmcharya jo hai adhik mitha khane wala brahmachari nahi rah sakta. Pakka nahi rah sakta. Kahe ko? Apne amulya jeevan ko idhrudhur nasht karen. Ab kah rahe hain virakta hokar kimti vastr vana jalte traptha jab achhche vastr pahne ki baat ave to sharir kam payman ho jae traptha kam paise wali vastu ka prayog kiya jae jitne kam se kam chal jae apne jahan tak bhav hai apne prayog mein ane wali ma pure jeevan mein markin hi niche ki pahan upar jo vastr Gurudev pradatt kiye wahi abhi nahi to bhagwa vastr geru se rang ke pure jeevan ab to sharir aswasth hai isliye aur aisi bhid hai ki agar ham abhi paidel dobara wapas jae to dobara utni rassi utne aadmi aur usse zyada aadmi khade ho jaenge jab gaadi se laute to itne bhid lagi rahti hai nahi aap kya samjhte durbhagya hai ye gaadi ghoda hamara koi abhiman ka vishay thodi hai.
abhiman ka vishay nange pair phate purane kapde bhiksha se sharir poshan. Ab aapke hawale mahlo mera kuch hai. Jhopdi mein jaise chaho nahi hamen keval pravachan nahi kar rahe. Jeevan hai atyant ujjwal vastr kimti vastr virakta bhash bilkul nahi. Bole sharir ka uthna chahiye. Aur kah sarve shishya vyas Vrindavan sabke age aise vihaar karo jaise guru ke age kiya jaata hai shishya ki bhanti sarwesha shishya bhatyad vinito dhyaas Vrindavan bho sabke samne Vrindavan vasi Vrindavan ke jo jan hai sabke samne ek shishya jaisa bartaav karo din bhav se to isi janm mein shri Priya pritam ki kripa se Priya lal ke sakshatkar ka sanyog Vrindavan bana dega.
bahut kripa hai. Yadi yah rahni jo shripad kah rahe hain yah rahni hamare jeevan mein aa jae to Vrindavan vas karte hue bahut jaldi bhagwat sakshatkar ho jae. Ek prashn kisi ne kiya ki aap jo prayah kahte hain ki shri ji sarvopri aur unhin ke ansh se durgad shaktiya hain. To mujhe chubhta hai ki jaise aapki isht Radha maharani hai aise hamari isht mata ji hain. To aap kahte ho karod ve ansh mein durga ji hai shri Radha rani ke to hamko bhi to chubhta hai ki aap kahte ho ham nahi kah rahe tasma shastram prmanam te karya karya vyvasthit pahli baat to hamari shri ji kya hai jab ham shri ji sit jodenge tab pata chalega aur dusri baat hai ki jo shastron mein likha hai use padm puran patal khand adhyay 81 bhagwan shiv kah rahe hain bahut dhyan se sunie antarang tatha nitya vibhut chida gopla duchte gopi Radhika Krishna Vallabha devi krishnamai prokta Radhika par devta sarv lakshmi swarupasa krishnad swarupni tatha sa vipr lad niti Manish dhyan se tat kala koti kotsa durga trignatmika sat sakshat mahalakshmi Krishna narayan prabhu nate bh swalpop muntam yam durga hari Rudra krishna sakra yam sa savitri hari brahma dhamnas yamo hari bahuna kim muni shreshth vinabhyam na kinchan chid chid lakshan sarvam Radha krishnam jagat im sarvam tayo rev vibhuti vi narad nashte mayakta varsh koti sat rapi bhagwan shankar Kailash mein virajman hai.
devrshi narad ji sanka aadi bade-bade mahapurushon ki sabha lagi hui. Us sabha mein kah rahe hain narad ji ko sambodhan karke bhagwan shiv kah rahe hain he narad ji ye jo shri Krishna Priya Radha hai ye maha chaitanya shakti swaroopa jitni bhi deviyan hain ye sab inke ansh se prakt hui hai. Ye antarang vibhuti hai. Isiliye inko koi janta nahi. Atyant gopan tatv hai. Isliye inka ek naam gopi hai. Shri Krishna sadaiv inki aradhna karte isliye naam inka Radha hai aur ye sadaiv shri Krishna ki aradhna mein rahte isliye inka ek naam Radhika hai.
yah aur shri Krishna do nahi hai. Shri Krishna mein Radha hai. Radha mein shri Krishna hai. Yah Radha para devta hai. Jitni bhi lakshmi aadi shaktiya sab inhi ke ansh se hain. Aapko bhagwan ka alahad kaha gaya hai. Alahad aur jab murtiman hui to Radha kah gayi kishori jo kah gayi aur tat kala koti kotsa bhagwan shiv bol rahe hain tatkala koti kotsa durgadhya trignatmika durga aadi jitni trignatmika devi shaktiya hain ye inke kala se karodwe se karodwe ansh mein prakt hai yahi yahi prakt hai par karodwe ansh mein prakt hai.
ham nahi kah rahe ye bhagwan shiv kah rahe hain. Jo Radha kripa kataksh padhte hain wo padh ke dekhen. Akhri mein bhagwan shiv kah rahe hain krashri makheshwari sudheshwari trived bharteeshwari praman shasneshwari hamare yahan sudha nidhi mein mahaprabhu Harivansh chandra ji kah rahe hain premnas madhuras hriday shringar leela kala vaichitri parmavadh bhagwata pujya kapi sata eeshani sachi maha sukh tanu shakti swat Vrindavan nath pa mahash ra syaam bole tat kala koti koti ansa kala unhee ki kala Radha ki hi kala shri kishori ji ke hi ansh se karodon karod ansh mein sab shaktyon ka pradurbhav hua shri Radha apne ansh se mahalakshmi rup dharan karti hai to bhagwan shri Krishna narayan rup dharan karte hain.
muni shreshth thoda bhi bhed nahi hai. Yah shri Radha durga rup dharan karti hai to shri Krishna shiv rup dharan karte hain. Rudra jab shri Krishna ke ansh se indra to shri Radha kishori ke ansh se sachi indrani jab shri Krishna ke ansh se brahma to Radha kishori ke ansh se savitri devi jab shri Krishna ke ansh se Yamraj to unki patni dhumarna ke rup mein shri Radha kishori adhik kya kahun in donon ke siva kisi ki satta hi nahi yahi sab chid lakshan ma sarvam Radha krishnamyam jagat chetan achetan sara sansaar shri Radha Krishna ka swaroop hai.
narad ji main in vibhutiyon ka kya varnan karun agar 100 karod varsh tak Radha ki mahima varnan karun to bhi nahi kar sakta. Bhagwan shiv kuch aise bhavuk jan hai ki wo kahte hain ki aap bhagwan shankar ko shri Krishna se chhota kahte hain. Wo hamare aradhya dev hamko chubhta hai. Dekho jab tatv ki charcha hogi to ek hai. Aur jab leela ki charcha hogi to wahi ek vivid leela karta hai. Wahi ek vivid leela karta hai. Raas mein bhagwan shankar aae. Agar thoda bhi shastr ko padhe ho to padh ke dekh lena. Gopi rup dharan kiya.
raas mein pravesh paya. Shri Krishna charan vandna kishori jo ki charan vandna aur phir gopi rup dharan karke raas mein pravesh. Accha koi bhi yah kaise nakar sakta hai ki bhagwan shankar ki jataon mein ganga ji hain aur wo ganga ji kya hai kya aap nahi jante ho ganga tarang ramneey jo jata kalapam Gauri vibhushit vam bhagam bhagwan shiv ke liye aata hai to jo jata kata sam bhramam bhram neelamp nirjhari jo virajman hai ganga ji wo wo kaun hai? Gangam wari manohari murari charan achutam tripurari chirchari papahari punatma dekho bhai tatv ek hai par leela mein jab prarambh hoga to leela mein chhutai bardai hansi majak wo unki aradhna unki aradhna tabat to ek hai.
abhi aap yahan sun rahe ho ki jab shri Krishna shiv rup dharan karte hain to Radha kishori durga rup dharan karti yahi hai. Koi aur thodi hai. Par jab leela ki baat aati hai to wahi bhagwan shankar gopi rup aaj bhi bhagwan gopeshwar ka shringar hota hai. Gopi rup mein sham time jal nahi chadta. Nathuni bala aur sab chunri dharan karke bhagwan shiv gopeeshwar ke rup mein virajte hain. Bhagwan shankar ganga ji ko netron se bhi rok sakte the. Lekin jatav mein dharan kiya ki shri Krishna ka charanamrit hai. Vaman bhagwan ka charanamrit hai.
vaman ke rup mein shri Krishna hi hai. Pranadhik priyatma sarwabhya sundari para sarwayukta saubhagya bhagini gaurwita hamari jo shri kishori jo hai ek yahan baat dhyan rakhni hai ki ek prashn aur aata hai sabha mein jab charcha hoti hai to usko sunkar ke logon ke andar prashn aata hai ki shiv puran mein likha hai ki bhagwan bhagwan shankar sarvshresht hai. Devi puran mein likha hai ki inhi se sabki utpatti hai. Aap Ganesh mahima ko dekho to yam brah tam brah sab kuch jis puran ko dekho usi se srishti hui hai.
iska matlab kya hai? Galat hai kya? Jab tum shiv puran padhoge to shiv tatv se hi sabki utpatti hai. Sab kuch shiv tatv hai. Padhe hain. Jaise kaha bhagwan shankar ne chid chid lakshanam sarvam Radha krishnamyam jagat aise kaha gaya hai he Bhagwati he bhagwan aapse hi srishti prakt hai shiv puran mein kyonki jitni matayen hain wo sab Bhagwati hai aur jitne purush hain wo sab he bhagwan shiv aapka hi swaroop hai. Charachar jagat shiv aur Parvati may hai. Bhagwan ka aisa ling prakt hua shiv ji ka ki 100 kalp tak brahma ji utarte chadhe rahe par na paya phir bhagwan Vishnu maha usmen padhna shiv puran mein ham to padh karke baat kar rahe ar par nahi paya bhagwan shiv se hi narayan ka pradurbhav hota hai bhagwan ka pradurbhav hota hai bhagwan shiv se hi brahma ka pradurbhav hota hai jab devi bhagwat padho to sab kuch devi ji se prakt hua to kya jhutha hai kya puran koi jhuthe hain kya?
to agar unse prakt hua to inse kaise bhagwat padh ke dekho to shri hari se nabhi kamal se brahma brahma ki bhrakut se shankar Rudra ka avatar udhar padh ke dekho to bhagwan shiv se brahma aur shri hari prakt hote hain. Devi bhagwat padh ke dekho to devi shakti ye hai kya? Tatv tatv ek hai wahi paramatma hai wahi jab shiv puran padhoge to sab kuch shiv ki jab bhagwat puran padhoge to sab kuch shri hari ka aur jab devi bhagwat padhoge to sab kuch wahi devi prapnartha hare prasiddh prasiddh matar jagto khilas prasiddh vishweshwari pa vishwam tashwari devi charachras he devi tum hi charachar mein vyapt ho tum ishvari ho tum sarvshaktiman ho tumse badhkar koi nahi kya samjhte ho jo jahan hai wahi param tatv hai aur wo wahi sab kuch hai idhar se ham dekhenge to krishnakar udhar se dekhoge to shivakar udhar se dekhoge to durgamay udhar se dekhoge kaleemay jo bolo wahi param tatv hai par jab ham leela ka gayan karte hain to leela mein vibhag ho jaata hai wahi ek paramatma ved kahta hai ek bahusyama main ek bahut rupon mein ho jaun.
ab wahi paramatma shashak ban gaya. Wahi shasit ho gaya. Wahi dharmatma ban gaya. Usi ke chati se dharm prakt hua. Usi ke pith se adharm prakt hua. Adharm karne wala dandniy ho gaya. Dharm karne wala bandhni ho gaya. Lekin dandniy aur bandhni mein donon mein ek tatv virajman hai. Tatv mein antar nahi. Ye jo samjhte nahi na leela ko samjhte nahi hai aur tatv ko samjhte nahi to ye jhagda karne lagte hain ki shiv ko chhota kaise kah diya pocho shiv ji se jake are unko dekho to raat din bhagwat shri hari charcha karte rahte hain aur hari ko dekho unse pocho jake ki tumhare aradhya dev kaun hai bole shankar hari se pocho ki tumhara guru kaun hai bole shankar aur shankar ji se pocho tumhara aradhya dev bole hari aur ham aapas mein lathi chalaen.
are wo ek hai. Wo ek hai. Wo anek hai. Anek hote hue bhi ek hai. Ek hote hue bhi anek hai. Is baat ko samjho. Jab devi bhagwat to devi hi sab kuch hai. Devi ke hi ansh se Radha hai. Samjhiye aap jab ham Vrindavan se bolenge to Radha ke ansh se devi hai. Jab aap shiv puran se bolenge to shiv ke ansh se hari hai. Aur jab bhagwat puran se bolenge to hari ke ansh se shiv hai. Aap is baat ko samjhiye. Jab leela ka baat leela prasang aayegi to usmen bhed ho jaate hain. Jaise brahm rishiyon ne vichar kiya ki in teen mahan bhagwat svaroopon mein kaun sabse bada hai?
kya un brahm rishiyon ko pata nahi ki hari hi brahma hai. Brahma hari hi shiv hai. Shiv brahma aur hari mein kin matra bhed nahi. Swayam bhagwan bole main hi har hoon. Main hi vidhi hoon. Main hi hari rup hoon. Jagah jagah varnan hai. Lekin jab bhrigu ji pariksha ke liye gaye to brahma ji ke samne jakar aise khade ho gaye. Ye abhadrata hai. Gurujanon ke samne aise khade hona. Aise nahi khade hua jaata. Ye abhadrata kahi jati hai. Gurujanon ke samne savdhani purvak hath jodkar ya bahut namr aise ab wo gaye aur aise gaye aur aise khade ho gaye.
brahma ji ne kaha yah to sabha ki mariyada ke virudh hai. Par bhrigu ji unke putr hain. Thoda gussa aaya par shant rahe. Shankar ji ke paas gaye. Bole aao bhai bahut dino baad aagman hua bhrighu ji se. Bole ham tumhare gale nahi lagte hain. Param pavitra rahte hain. Uthaya trishul unhone hamko bhagu ji shant ho ke wahan aur bhagwan hari ke paas gaye. Saiya mein pare hue the. Sidhe lat mari jake sidhe chati pe la bhagwan uthe aur kaha mujhe pata nahi tha aap aa rahe ho nahi aapki agwani karta aur charan dabne lage bole aapke charan bahut komal hai meri chati bahut kathor kahin chot to nahi lag gayi aur aaj ke baad jab jab avatar bhi lenge tab tak aapka bhrigu charan chinh ye hamare chati par bana rahega ye hamara bada saubhagya aansu aa gaye bhrigu ji ke ab aap kya kahenge koi chhota bada jab leela hoti hai aur ek hi tatv hai to rang manch par wahi sab rup dharan kiye jagan natak vaibhava is baat ko sab par jab ham kishori ji ki baat karenge to kishori ji ke ansh se sab shaktiya hai aur jab aap durga ki baat karen to aapko wahan se dikhayee dega kishori ji durga ji ki ansh hai kyonki idhar se ansh wo udhar se ansh wo wo unki anshi wo unki anshi koi antar nahi hai.
idhar se ham bolenge shri Krishna ke ansh se shiv aur jab shiv puran mein padhoge to shiv ji ke ansh se shri Krishna ab ismen sanshay thodi kyonki wahi ek tatv hai vivid prakaar se leela kar raha hai isliye bhram ka to dhyan chhod do bhram chhod do jab jab jaisa avsar aaya wahi rup dharan kiye tatv viraj par jab leela ki charcha hogi to madhury ras mein aishwarya ka pravesh nahi bhagwan ke aishwarya ka pravesh nahi to aur ishwar shaktyon ki to baat jane do. Kabhi aapko koi bhi shastr mila ho ki braj mein sudarshan chakra ka prayog bhagwan ne kiya ya pravesh hua to hamen batana.
kabhi divya vaibhav ka prayog kyonki yahurya ka kshetra hai. Yah jo braj hai yah vatsalya madhur kabhi sudarshan chakra se braj mein kisi ko mara ho mujhe to yad nahi hai. Aap logon ko koi yad ave to hamko bhi bata dena kyonki abhi tak to nahi padha hai. Age agar kisi ko lage doodh pite hue Putna ko mara. Pravesh karke aghasur ko mara. Faad ke bakasur ko phenk diya. Aur uska pair pakar ke dhenukasur ko mara. Bas yahi thappad ghasa isi se pahuncha diya hai. Na to komod ki gadha ai hai. Na prabhu ki talwar ai hai.
na yahan sudarshan chakra aaya hai. Na yahan daru sarathi rath le aaya hai. Ye aishwarya nahi ye prem desh hai. Aishwarya ka pravesh nahi hai yahan. Aur jahan kahin aishwarya ka kuch digdarshan karana chaha to wahan vatsalya ne dant laga di hai. Jaise mukh mein jab mitti khae aishwarya dikhana shuru kiya to vatsalya ne danta hai yahan nahi to turant maiya ko laga meri ankhon ka dosh koi hai ye to mera lala hai aishwarya ka. Ab jab nikunj ki baat aati hai to ismen to bilkul aishwarya ka pravesh nahi hai. Braj mein to aap thoda aishwarya ki jhalak dikha di.
antardhya ho gaye lekin nikunj mein kahin nahi ki antardhya ki leela ek bar bhi hui ho. Nikunj mein batana pure vaniyo ko padh ke. Ab jo nikunj ras hai ismen kahin varnan nahi hai ki asht bhuja ka pravesh hai ya sodas bhuja ka. Hamari hi shri ji sab anshon se hai lekin aishwarya rup nahi ye maha madhury rup hai. Isi maha madhury ki mahima ki ham upasna karte to hamare liye hamara upasya dev sarvshresht hai. Aur jab upasya dev ki sarwashreshthata ki leela mein dekhte hain tab ye varnan aata hai ki anant shaktiya dekho bhagwan shiv ne swayam varnan kiya ki ye jo anant shaktiya tat kala koti kotisa durga trignatmika ab dekhiye wahi prabhu hai shakti wahi hai shaktiman kinchin matra antar nahi lekin prabhu adesh karte hain ki main ab avatar lene ja raha hoon bhagwat mein padh ke dekh lena tum he mahashakti Balram ji ka karshan karke Rohini ke garb mein dalo aur main swayam avatar lo tum jakar nand Baba ke yahan kanya rup se puri leela padh ke dekh lo aur naam chamunda kushmanda durga aadi tumhare vivid naam bhagwan ne rakhe aur tum sabki kamna purn karne wali hogi jao mera adesh aisa karo bhagwan ne adesh kiya shakti karya kar rahi bhagwan ki prapti ke ke liye usi shakti ki aradhna katyayni rup se gopikaen karti hain ki mujhe shri Krishna pati rup mein prapt ho.
usi shakti ki aradhna Sita ji Gauri pujan karti hai. Aur Sita ji kaun hai? Kal ratri nishchal nishchal kul keri mahakaal ratri swaroop unko goswami ji ne kaha kal ratri nishchal kul keri je Sita par priti ghri ye nahi samjh raha Ravan ki sakshat iska kal padhara hai ye kal ratri mahashakti swaroop chat jaengi kuch nahi bachega lanka mein ye dusht jinke prati virodh bhav kar raha hai kaun hai wahi Gauri hai aur wahi gori wahi mahashakti hai aur wahi Sita ji hai. Ab aap samjhiye aadi shakti je jag upjaya Sita ji Gauri pujan kar rahi hai.
Gauri ji khasi mal moor murat muskani jao Manu ja hirach mili sobar saad sundar sa to Sita ji kaun hai? Manu shatrupa ko bhagwan Ram kah rahe aadi shakti je jag upjaya so avatri mor maya are koi bhed nahi kahin bhed nahi par jab leela ki baat karenge tab leela mein bhed dikhayee de raha hai ki Sita ji Gauri ji ka pujan kar rahi unse vardan prapt kar rahi hai aur bhagwan Priya sati ko sanshay ho jaata hai leela bhed dekho ki ye Ram ji kaise sacchidanand mein jab he khag he mrig Madhukra shrani pura prasang padh ke dekho aap aur hai kaun ya devi sarwabhte buddhi rupan sinta jab leela mein dekhoge to tatv ki baat bhulna
padega tabhi swad aayega aur jab tatv dekhoge to shant ras aayega ye dasy vatsalya sakhya ye rason ka swad nahi mil payega usmen ek hi tatv hai to samjh mein aa raha hai wahi tatv hai jab leela mein dekhoge to aapko wahi tatv parshuram hai wahi tatv Ram Ram ji hai lekin Ram ji ke age parshuram ji ghutne tek kar jai jai jai raghukul ketu bhragupti gaye tapah bane hetu ye samjhna hoga ye jo aajkal ke naye bachchhe hain na ye tark vitark shuru kar dete hain leela mein tark vitark nahi hota hai tatv mein ek hi vastu hai tatv ki jab baat karoge to aap kya samjhte ho kitne din se tum durga ji ki upasna karte ho bachpan se aradhna aur puri amma man ke puri jaise apni amma pura asakti amma adya shakti durga aur pita bhagwan shiv tum samjhte nahi ho jahan hamen bheja hai us tatv ko jo samjhaya us tatv se bol rahe hain tum usko do paksh mein le rahe ho tumhare ko kya pata ki mahadev ji mujhe kitna pyar karte hain Bhagwati kitna pyar karte ham Bhagwati amba aur mahadev ji se kitna pyar karte
hain tatv ko samjhiye Radha tatv sarvatra vyapt tatv hai chid lakshanam Radha Krishna jagat par jab leela mein swaroop Radha ji ka jo hai wo kahin tribhuvan mein kahin nahi hai kyonki mahadhury ras prem swaroopa hai jinki aradhna swayam shri Krishna karte aur jin shri Krishna ki aradhna bhagwan shankar sanakaad brahma aadi sab karte ye hamare upasya dev hai aur jab aap apne upasya dev ke vishay mein jaise bole ki shri Krishna jinke sevak hain aise mahadev koi pareshani nahi. Shri Krishna jinke sevak hain aise mahadev kyonki hamen pata hai ki tum jo bol rahe ho wo satya bol rahe ho kyonki waise hi us tatv ko dekha jaata hai.
ye tatv hai hi aisa ki ham jis bhavna se jaise dekhen waise dikhayee dega. Jab ham Ganesh stotr padhte hain to sab kuch Ganesh ji bane hue hain. Jab Ram stotr to sab kuch Ram jab Krishna sab kuch Krishna jab narsingh to sab kuch narsingh jab varah to sab kuch vara wahi bane hue dusra koi nahi ismen hamen koi sanshay nahi hai. Tumhen kitna gyan hai? Unke pati hain shiv gyan samudra wo kah rahe hain ham tumhen pura prichay ke saath bata rahe padm puran patal khand adhyay 81 usmen kah rahe hain tatkala koti kotisa durga vyas trignatmika kabhi raas ka swad liya hai raas ka swad lena hai to braj ras mein aisi yahi to Vrindavan ki leela mat samjho guru ko cheelaya rishi muni gaye har jape ja Radhe Radhe rishi muni gaye har jape ja Radhe Radhe Radhe priyal hai priyal agar ham jo bolte hain uski baat ko samjh lena kahte ho kahan praman hai to hamari chati praman hai khilwad mat samjhna agar tumne Radha kishori ki avhelna karke kaha ki amba jab jad bharat ji ke upar gadasa chalane ki baat amba ke hi sevkon ne kiya to bhadrakali sahan nahi kar pai aur murti phod kar prakt ho gaye kaat ke phenk diya apne hi upasako ko hosh mein rahna Radha Radha kishori Radha kishori hai.
tatv se bologe to mujhe kabhi koi sanshay nahi. Sab ek hain. Jab leela mein aoge to wahi Swami banta hai. Wahi sevak banta hai. Jab leela mein dekhoge to wahi chhota banta hai. Wahi bada banta hai. Wo vivid rup dharan karke ek hi tatv khel raha hai. Ismen sanshay nahi. Par jab leela ka ras aswadan karte tab aap usmen sanshay mat karo. Wo vivid leela wahi gopi bana hai wahi shri ji bana hai wahi Vrindavan bana hai aur wahi pritam bana hai aur wahi khel raha hai wahi narak bana hai wahi adharm bana hai wahi dand vidhan bana hai wahi rog bana hai wahi vivid prakaar ki yatna bana hai samjho na kahte ho nark bhi wahi bana to jab nark nahi tha tab kaun tha shri Krishna aur jab nahi rahega tab kaun hai shri Krishna to beech mein jo bhas raha hai nark wo hai kaun shri Krishna ab ye jaan jao to nark nark hi nahi hai.
param pad ke adhikari ho gaye. Jab yahi nahi jaan rahe to wo dukh prad hai. Agar jaan gaye to wo sukh prad hai. Agar jankari ka bhi vismaran ho gaya sacchidanand mein sthit to aap hi wo ho. Janat tumhen tumh ho jae. Tum bhi wahi ho jo shiv jo Krishna jab tatv mein aoge to tum bhi wahi ho. Koi kinchin matra antar nahi. Wahi ek paramatma tatv vivid rup mein khel raha chit chit lakshanam sarvam Radha krishnamyam jagat eeshavadam sarvam yat kinch jagtam jagat aur sachchi mano bina bhajan ke samjh nahi sakte re hamari bhasha samjh le ye tark vitark se nahi samjh sakte jab tak brahmcharya nahi rahoge pavitra ahar nahi karoge lakho naam jap nahi karoge tab tak waise samjh jaoge ye koi baton ka vishay hai bhajan nahi karoge paramatma tatv tumhare tark vitark se samjh mein aayega.
isliye samjha dete hain ki samjh lo tumhara mangal ho jae aur agar aise paksh vipaksh ki bhawnaen rakhoge to tumhen santo mein dosh darshan ho jaega. Pakki baat samjh lo. Isliye bahut savdhaan yahan se jo charcha hoti hai wo bhagwat prasad swaroop hoti hai. Uska pan karo tark chhod ke. Khub naam jap karo dat ke ban jaoge. Khub santo ki charan dhali mathe pe haan ganapti chhnd sa jala surya bina mahat pad rajo abhishekam raj lagao santo ki charanamrit piyo santo ke vachno ka shraddha vishwasad purvak badhiya mangalmay gyani ho jaoge aapko koi sanshay nahi rahega par leela mein bada antar hai jab viman par chadha hua jo vrita sur bane the.
Chitraketu unka naam tha. Aur jab bhagwan shiv ko wo aise shabd jo nahi bolne chahiye bol rahe the to ambaji gussa ho gayi to bhagwan shiv ne kaha tha ki tumhare krodh aur shraap ka uske upar koi fark nahi padega. Kyon? Bole shri hari ka nij janm hai. Shraap de diya jae. Daitya ho jae. Kya fark para? Antim samay jo vriddhasur ki sthiti hai wo dekh lo jo bhagwan shiv ne koi fark nahi padne wala kyon wo bhagwan shri hari ka nij jan hai bhagwan ka jan bhagwan shiv kah bhagwan shiv ko bhi gussa nahi aaya ambaji ko gussa aa gaya aise jagatguru bhagwan shiv se aise nahi baat karna chahiye viman se utar kar sashtang dandvat hona chahiye truti hai to bhagwan shiv ne kaha truti hote hue bhi shri hari ka hai isliye iske upar koi fark nahi padega aur nahi bhala vrittasur mila to aisa vrittasur bana hakar tribhuvan mein mach gaya.
hosh ud gaye devtaon ke. Tab dadheech ki haddiyon se vajr ka nirman hua. Jab dekha ki hath mein rishi ka jo asthi panjar usi se vajr ka nirman hua hai. To kaha Devraj ye mat sochna main vajr se dar raha hoon. Ruk jao. Bhagwan hari se baat ki. Jaise chhota sa bachra apni maa ki jaise ghonsle mein bila pankh uge hue bachchha chidiya ka apni maa ka jaise pardesh gaye hue patni apne pati ka chintan he nath aise hi hamari vritti aap mein lagi rahe aur chalao ye amog hai chinta mat karo ye amog hai mere upar chalaoge vidhvans ho jaaunga kyonki main janta hoon ye kya sthiti vritsur ki antim samay ekdam bhagwadakaar vritti jo bade bade bade brahm rishiyon ki hoti hai wahi maha bhagwat vritas ki isliye hari sarvatra sab rupon mein vyapt hai ismen koi sanshay nahi mat param nat kinch Dhananjay par purannon mein jo hai jahan jis puran ki charcha wahi sarvopri hai agar devi bhagwat to sarvopri usi se sabka pradurbhav shiv puran to sarvopri usi se sabka pradurbhav Ganesh to usi se sabka pradu aadi Ganesh jiski puja byah mein mata Parvati aur bhagwan shankar bhi karte hain.
jidhar dekho udhar wahi param tatv hai. Isliye koi chhota nahi. Par jab leela mein aayega to ek Swami banega, ek sevak banega. Vivid prakaar ki leela hongi. Leela mein prashn nahi. Tatv mein agar prashn uthao to ek hi tatv hai. Usmen koi antar nahi. Par jab leela hoti hai jaise ab shishya ki leela, guru ki leela, aparadhi ki leela, jeevan mukti ki leela lekin tatv ek hi hai. Tatv mein antar nahi hai. Ab tatv ka bhav andar jab jagrit ho jaega to janat tumhen tumhen ho jae. Wo wahi ban jaega. Usmen koi antar nahi.
par leela mein antar jeevan bhar bana rahega. Tatv bodh hone ke baad aisa thodi ki guru ke saman jakar asan mein baith jae. Chahe jitna bada tatv gyani ho jab guru baithe honge to sir jhuka ke unke charnon mein baithega. Tatv bodh ho chuka hai. Janat tumhen tumhen ho jae. Wo bhagwan swaroop ho chuka hai lekin guru hai isliye niche baithega. Isliye kabhi koi bhagwat charitra par sanshay na karen. Koi chhota bada nahi hai. Par jab khel khalne mein utarte hain to wahi tatv chhota banta hai. Wahi bada banta hai. Wahi Swami banta hai.
wahi sevak banta hai. Vivid prakaar se wo jagan natak vaibhava apne jagat mein natak ka swaroop karke wo vaibhav prakashit kar raha hai. Ye khel jaan jao. Ya rahasya Raghunath kar veg na jane koi jo jane Raghupath kripa to sapne moh na hoe. Yah jo agyaan ki baten karte hain inke andar bhajan nahi isliye jaan nahi pate. Pravachan dhanda nahi pravachan hai ye jo tumhare har durgun durachaar ka nash karke tumhen sataarg mein sthaapit kar dega. Ye wo nahi ye koi dhanda nahi ye keval keval bhagwat prapti ke liye aur yahan jitni charcha hoti hai wo sab usi ek tatv ki hoti hai aur usi ek tatv mein koi Swami hai, koi sevak hai, koi mahan hai, koi chhota hai.
bas tatv mein antar nahi. Aapne lakho bar satsang mein suna hoga ki tatv ek hi hai. Ismen kabhi sanshay nahi hai. Haan jab uski leela chalti to leela mein bhed hai aur leela rasaswadan mein bhed hai aur ras ki bhav garima mein bhed hai. Jaise koi sakha hai to koi das hai koi gopi hai to koi sahachari hai aur alag-alag bhavon se usi paramatma tatv ka ras aswadan ho raha hai. Antar ki isliye sab sanshay chhodkar ekmatra bhagwat ashrit jahan tum jo ho Ganesh upasak ke liye sarvopri Ganesh sab unke niche devi upasak ke liye sarvopri devi sab unke niche shankar upasak ke liye shankar ji sarvshresht unke sab Krishna upasak ke liye Krishna sarvshresht Ram upasak ke liye hamen koi sanshay nahi kyonki wahi tatv baitha hua hai.
par jab leela mein dekho to hanuman ji ban ke shankar ji hi charan pakde Ram ji ke aur Ram ji sevak bankar ke Rameshvar ki sthaapna karte leela mein tum kahan kaat sakte ho leela mein tark vitark nahi ek hi tatv hai usmen koi antar nahi isliye bahut savdhani purvak santo ke vachno ko suna jae aur apne chitt mein dharan karke bhagwanand ki prapti ki jae jiske liye hamko avsar mila hai. Kahin ham idhrudhur dosh darshan karke apne paramarth se bhrasht na ho jae. Ise dhyan se sun lo. Jo jinki upasna kar raha hai uske liye wo sarvopri hai.
sarvopri isliye ki wahi sarvopri tatv hai. Dusra koi nahi hai. Par jo jahan upasna kar raha hai uske liye ye garv hona chahiye ki hamare upasya dev sarvopri hai. Tark ki zaroorat nahi manyata ki zaroorat hai. Aap sarvopri manenge tabhi to aapka man aradhya dev mein purn samarpit hoga. Aur jab aap anubhav karenge to sab rupon mein mera hi aradhya dev hai. Aisa aapko anubhav hoga. Aur yahi anubhav hona param satya anubhav hona hai. Isliye khub naam jap karo. Achhche aacharan karo. Tark vitark mat karo. Leela alag kshetra hai.
tatv gyan alag kshetra hai. Tatv ka bodh hona aur leela mein pravesh hona donon mein bahut antar hai. Jab leela ki baat aayegi to tatv antar dhyan ho jaata hai. Nahi to kaise dhyan? Mere prabhu is samay mere prabhu ko shayan karana hai. Mere prabhu ko bhog lagana hai. Is samay mere prabhu ko mangal aarti is samay mere prabhu ko jal pilana hai. Is samay mere prabhu ko itr lagana hai. Ye ham tatv se thodi dekh rahe hain. Ham bhav se dekh rahe hain. Bhavotsaven bhajta ras kamdhenu aur jab ham bhav se dekhte hain tab hamko ye dikhayee deta hai ki hamari shri ji ke saman keval shri ji hai.
dusra koi nahi hai. Kyonki dusra koi hai hi nahi. Mere to Giridhar gopal dusro na koi. Yah hamko dekhna Meera ji se ladna thodi hai. Kahenge karo puja bhai ham pareshaan kab kar rahe hain? Ham to kah rahe mere to Giridhar gopal dusro na koi unki nand kah rahi thi. Ye hamari kuldevi puja bole karo na. Bole nahi tumko karna padega. Bole ham to nahi karenge. Hamari to Giridhar gopal dusro na koi jake sir mor mukut mero pati soi. Unhone kaha nahi karna chahiye. Bole kyon karna chahiye? Bole suhagavti hoti to vidhva thi.
bole tumne kul pujan nahi kiya kya? Tum kyon vaidhavya ko prapt ho? Bas yahi jagah se shuru ho gaya tha. Uska dves bhav bahut prachnd dves to sachchi man lo. Hamari prarthna man lo. Jhagda jhanjhat ki bhavanon ka tyag karke ek hi param tatv hai. Jab leela mein utarta hai to aap padh ke dekh lo. Bhagwat mein bharat ji jo jad bharat ji ke rup mein hai devi upasak unko le gaye aur bali dena chahte the to je hi sir jhukaya to amba ji ke hriday mein aag lag gayi aise param nirmal putr ka vadh ma sah shakti faad karke murti prakt ho gayi kaat ke phenk di bhagwat mein padh ke dekh lo bhai wahi param tatv hai jo shri Krishna hai wahi kali hai jo kali hai wahi shri Krishna hai mujhe samjhne mein itna bhi bhed nahi leela mein bada bhed hai.
leela mein jab ate hain to alag-alag rasaswadan ho jaata hai. To leela rasaswadan pane ke liye charnon mein jakar ke apne apne gurujanon ki aradhna karo. Khub naam jap karo. Jab leela charit ka prakash hoga tab aap jaan paoge. Aur shri kishori kishor jo ka adbhut vilas jo bhagwan brahma sanakaad shivadi jiska jas gate hain aur yachna karte hain jo raj shiv sankaadik ki yachat ab kaise rasmay granthon mein pravesh nahi to bahari log nahi samjhte par ham apne satsangi janon se kahte hain apni upasna mein apne aradhya dev ke saman koi nahi hai ye sabko manna chahiye jab tak manoge nahi ninda kisi ki nahi kar li par apne upasya dev apne liye sarvopri hai unke saman koi nahi jab aisa manoge tabhi aap prem ras ko prapt hoge shesh charcha age shri Radha vallabh lal ki jai jai.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- ananyata se hi hoga sab kuch prapt ! // 26/09/26 — ham log bhagwan ke sharanagat jan hai. Priya lal ke sharanagat jan hai. Lekin sharanagati ka rahasya na janne ke karan bahut varsho tak ya janm pura vyatit hone tak hamara jo bhagvatik anand hai wo spurit…
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…
- aisa kuch kama lo jo mrityu ke baad bhi saath jaega / Gokul mein Nandlala ka janm // 21/09/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvai param shital mashryam param shital mashryam krishnay Vasudevay Devki nandnay cha nand gop kumaray…