shri seetaramdas onkarnath ji dwara naam ka udghosh/ charon yugo mein bhagwan ke swaroop, pujavidhi ka varnan
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
Vrindavan swari tav padarvindm prema mrtak makrand raso purnam had pit madhupati smar tap mugam nirva pay param shital ma Shyam param shital maash param sacchidanand ghan Premanand swaroop nav nivrit nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladle yugal sarkar prana aradhya pran priy shri Priya pritam ju samasth sachar vrind mrig pashu panchhi taru lata shri yamuna ras rani raj rani samasth brajvasi parikar ke charnon mein koti shah pranam koti shah naman namaskaar jab tak prabhu ke darshan ki prabhu ki prapti ki lalsa nahi hoti tab tak bhajan mein unmad nahi aata bhajan unmad kuch accha na lagna raat din keval ek hi baat ki sharir chhutna hai iske pehle mujhe bhagwat sakshatkar karna hai kab sharir chhut jae iska koi bharosa nahi isliye jeevan ki sham hote hote apne ghar pahunch jaun apne prabhu ko dekh paun anant janmon ki jalan mi pau sachchi maniye jis samay hriday mein koi chah nahi hoti us samay hriday ki kaisi anandmay sthiti bada bhula hua sansaar hai chah mein sukh khoj raha hai asha mein apne
gale ko phasakar phansi ki tarah dukh bhog raha hai asha rupi phansi mein bandha hua jeev pura janm ka janm nasht hota ja raha hai badi kripa hai unke upar jinko yah baat samjh mein aa gayi nahi ab mujhe sansaar nahi prabhu chahiye kitne aise dhani mani jan hai kitne aise sansaar mein yashaswi jan hai jo satsang sun kar ke apne dhan aur yash ka tyag karke bhogon ki malin ko samjh kar ke prabhu ki prapti ke liye wo jigyas prakt karte kaise bhagwan ki prapti ho bade bhagyashali unse bhagyashali hai wah jo bhagwan ke path par chal pare hain lekin bhogon ki lalsa nahi chhod paye to unse bhagyashali wah hai jo bhagwan ke path par bhogon ki lalsa tyag kar chal pare unse bhi bhagyashali wah hai jinke andar bhagwat prapti ki bhi lalsa nahi hai keval nirantar bhajan ki baat keval bhajan ke liye bhajan hai jeevan bhajan mein hai bhagwan mile na mile darshan de na de bhagwat prapti ho na ho keval bhajan balhari hai un bhajana Anandi mahapurushon ko jinhone bhagwan ke naam ko apna jeevan bana liya raat din bhagwan naam mein dube hue hain na lok
ki na parlok ki na bhog ki na yog ki koi ichchha nahi hai jiske hriday mein koi ichchha nahi bhavan uske piche piche phirte hain nirapeksh munim shantam nirwair sam darshan anu braja ham nityam puje yat re bhi jo kisi ki bhi akanksha nahi rakhte apeksha nahi rakhte mannsil hai shant hai koi dwaand unko vichlit nahi kar sakta nirwair hai kisi se koi shatrutha ka bhav nahi sam darshan sab mein bh na ka jo darshan karte hain aise mahapurush ke piche swayam bhagwan charan raj lene ke liye dolte rahte hain bhajan ke liye
bhajan y bahut badi baat hai koi akanksha nahi milo na milo par ham aapke bina ji nahi sakte aur aapka nirantar smaran kiye hue dhanya hai wo satat satar saloka tarti wo swayam tar jaata hai swayam tar hai aur lon ko tar deta hai shripad prabodha and ji maharaj kah rahe hain idam pa bhavita kim yatra kutra pa vrinda padam pi mam atam sotra vith ma kasma madhur madhur Radha madhwa nang khela vanam pan dat dasat prem murcha dasat prem murcha jab koi hamare kan mein aisa sunai deta hai va bolta hai Vrindavan Vrindavan Vrindavan shripad kah rahe mere hriday mein anang keli karne wale Radha Madhav viphurit hone lagte hain Vrindavan ka aisa prem prakt hota hai ki main murchhit sa ho jaata hoon jab koi kahta hai Vrindavan jai Vrindavan jai Vrindavan jai Vrindavan jai Vrindavan jai Vrindavan jai Vrindavan jai Vrindavan ja Vrindavan shri vrinda van shri Vrindavan shri Vrindavan shri Vrindavan shi vidan shavan shri vrinda shri vandavan jai Vrindavan jai Vrindavan jai Vrindavan jai Vrindavan jai Vrindavan jai vrinda shri vrinda van shri Vrindavan shri
Vrindavan shri Vrindavan Vrindavan shri shri Vrindavan Vrindavan Vrindavan vandavan amrit naam Vrindavan swayam Priya pritam bhi is naam ko ratte hain jai Vrindavan jai Vrindavan jai Vrindavan jai Vrindavan jayav jai bav jai bahav jai ba Radha karav chit pallav vallari ke Radha padam ka vilsan madhur sthal ke Radha yasho mukhar mat khga vali ke Radha bihar vi pine ramta mano mein shri Vrindavan shri Vrindavan shri Vrindavan shri Vrindavan sh shri vima shri Vrindavan shri Vrindavan Vrindavan Vrindavan Vrindavan Vrindavan yah naam kan mein padhte hi shripad kah rahe hain mere hriday mein shri Radha Madhav ki anang krida prarambh ho jati hai kaisi adbhut mahima Vrindavan ka naam sunte hi shripad prabhuram kriya karte hain isliye jahan Vrindavan naam kan mein parta hai to mujhe prem murcha se ane lagti hai wo dhanya hai jo mujhe Vrindavan naam sunata hai idam pa bhavita ki yatra kutra pa vrinda padam pi mam yaat shotra vith aksmaat madhur madhur Radha madhwa nang khela van upan dat dasat prem murcha isliye vaikunth koti koti pragnat map no
yadra jole sa matramo malat saubh gadhe lavam pi labhte shuddh bhavo jalaya kur varan bhakti koti Bhagwati tatha pad bhut prem murte shri Radha ya bhakt kim pin kalita nom brinda koti koti vaikunth bhi Vrindavan ki raj ki samanta nahi kar sakte vaikunth koti koti pragnat map no y rajo les jo mahima hai braj raj ki Vrindavan ki is mahima ke age karod karod Baikunth ki bhi mahima pheeki par jati hai raj ki tul Baikunth nahi aur lok ke hi mahi Vrindavan ki lata sam kot kalp taruna raj ki tul Baikunth nahi aur lok ki hi mahi aho karod karod vaikunth is Vrindavan ki raj ki lavlesh matra tulna mein nahi ate hain aise jo vaikunth ko bhi laghu kar de mahmmahim shri Vrindavan dham nirantar bhumandal par prakashit ho raha hai jo maha bhagyashali Radha kishori ke is nij mahal Vrindavan ka aashray le leta hai Vrindavan ka vas sweekar kar leta hai usko kishori ja ke charnon ki bhakti prapt hoti hai prem bhakti ya jo kishori ji ke charnon ka aashray le leta hai use Vrindavan ka vas prapt hota hai kitna akarshan hai sharanagat ke
hriday mein kal ek bahut dhani mani ishwar sampann wo kah the ab mujhe kuch accha nahi lagta ab mujhe adesh kijiye sab kuch karke Vrindavan vas karun ab hamko bahar rahna aisa lagta hai jaise mera jeevan vyarth ja raha ho yah sunkar bahut accha lagta hai ki jeev antim yatra ki taraf kadam utha raha hai yah maha prayan ka marg hai ho gaya sansaar chakra ka sab bhramn ab to keval Priyalal ki prapti chahiye dhanya hai jiske jeevan mein yah baat aa gayi aur pati-patni donon kah rahe the bas ab bas aapke adesh ki pratiksha hai ki aap bole aur sab suha karke bas sansaar ka vismaran karke Vrindavan mein Priya pritam ke smaran mein doob jaun yah akanksha hi kripa se aati hai bina bhagwat kripa ke aisi akanksha nahi aa sakti to jo kishori ja ke charnon ki sharan mein hai unko Vrindavan pran priy lagne lagta hai jinko Vrindavan pran priy lagne lagta hai unko Radha Madhav pran priy lagne lagte hain bhagwan vak nath mein koti koti bhakti ka aacharan karen aur shri kishori ji ke charnon ka aashray na liye ho to brindavan mein priti ho
hi nahi sakti bina kishori ja ke charnon ke aashray ke Vrindavan mein vas aur Vrindavan mein priti nahi ho sakti jinko vrinda vipin hai kripa ti nahi ki hoe Vrindavan mein tab hi to rahan pai hai soe Vrindavan vas ka saubhagya use hi milta hai jise maharani jo sweekar kar leti hai mera jan hai aur jo maharani ji ko sweekar kar leta hai hamare isht hai use hi Vrindavan ka raas rang use hi Vrindavan ka prem rang anubhav mein aata hai kadan Vrindavan vitika swaham paribhraman shyamal gaur mad bhutam kishor murti dway menk jeevan pura pud vaksha pata murchhit hai kab main aisa saubhagya prapt karunga ki Vrindavan mein jahan ta vichran karu gaur Shyam ke chintan mein duba raha kaisa sundar maang hai hai mane pashchatap aajkal log pashchatap karke hi milte hain hai nahi milte hai hai hai hai kab kiya jaata hai jab nash ki sthiti aati ki hai hai sarvnash ho gaya to ek dusre se jab milte hain to kahte hain hai ki tumhara durbhagya jo hamse mile hamara durbhagya jo tumse mile hai hai bole hai to yahan
kah rahe hain ki hai hai mane pashchatap ho raha hai ki mera jeevan vyarth chala gaya aisa kab hoga jab mere prabhu mere upar kripa karen aur main asang hokar Vrindavan ki veethi hon mein gaur Shyam ke chintan mein duba hua kitna saubhagya hai us jeev ka jo bhagwan ka chintan kar raha hai kitna saubhagya aap log nahi samjhte jo naam jap ke liye pareshaan hai jo bhagwat chintan ke liye vyakul hai dhanya hai unka jeevan par bhagwan unko ye anubhav isliye nahi hone dete ki unka jeevan dhanya ki unko ahankaar aa jaega tov jalte rahte hain ki mure se wo bhajan nahi hota jo bhajan hona chahiye mere se wo sadhna nahi banti jo aur asli mein sadhna yahi hai ki jalan hote hue bhajan ho prabhu ke liye jalan ho jab se tum bichd pi pyare kabo na payo chayan daras bin dukhan lage nain sacha bhajan to yahi hai jo jalte hue bhajan hota hai phir wah Premanand sphurti hota hai jab ek bar sphurti ho gaya to pratikshan vardhmaan wah kabhi ghatta nahi kabhi mitta nahi hai kab main shri Vrindavan ki galiyon mein shri Priya pritam ka chintan karte hue ashv
pravah karte hue kab vichran karunga aisi gati kab hogi hamari ki dhyan mein hamare Priya pritam yugal sarkar hain aur ankhon se ashru bah raha hai aur ham Vrindavan ki galiyon mein unki khoj kar rahe hain hriday mein unhin ka anubhav chintan mein wahi khoj bhi unhin ki aur ashubh pravah ho raha hai kitna sundar jeevan hai kitna mahima mein jeevan hai gadgad sur Naina sajal dampati ras rahe bheen i gati vrinda vipin mein phire prem tan leen Vrindavan mil gaya bahut badi sampatti mil gayi bhai jahan karod karod vaikunth bhi braj ki raj ki samanta nahi kar sakte us raj mein hamen manushya rup mein vas mila ab ham ek kshan bhi idhar-udhar nasht na karen khub Radha Madhav ka chintan karen unke gun gaen unhin ko bhog lagaen unhin ko dular karen unhin ko gale se lagaen unhin se pyar karen jeevan param mangalmay param sarthak param dhanya ho jaega chalte hain pujya pad shri sitaram omkar nath ji maharaj bade adbhut naam premi mahatma hue hain unse prashn kiya maharaj ji moksh pane ke liye kya keval naam jap paryapt hai
anya sadhno ko nahi karna padega keval naam jap karen to kya moksh prapt ho jaega shri sitaram onkarnath ji maharaj pritam tumse kisne yah kah diya ki naam jap se moksh prapt nahi hoga are bade-bade santo se mila hua hoon bade-bade mahapurushon ka kahna hai naam dwara jis samay paap nash hota hai uske turant baad usko bhagwat yog ki prapti hoti hai vishuddh gyan prapt ho jaata hai vedant vichar sadhan karne ki zaroorat nahi hai uske paas turant moksh upasthit ho jaata hai kram dekhiye bhagwan naam jap karte karte paap ka nash paap nasht hote hi buddhi ka bhagwan se yog buddhi ka bhagwan se yog hote hi turant vishuddh gyan vishuddh gyan hote hi moksh shri bhagwan ki vani jo prem purvak mera nirantar bhajan karta hai usko main buddhi yog pradan kar deta hoon tesham satat yukta naam bhajta priti purvak dada mi buddhi yogam tam yen mam pya jo mera prem purvak nirantar bhajan karta hai uski buddhi ka yog main kara deta hoon pujya shri sitaram das ji maharaj kah rahe hain
naam jap karte karte sarv paap ka nash sarv paap nash hote hi buddhi ka bhagwan se yog buddhi ka nirantar bhagwan mein sthit hote hi vishuddh gyan aur vishuddh gyan hote hi moksh yog gyan karm yah sab bhinn-bhinn marg hain tumhen in sab baton mein nahi fasna chahiye tum keval naam lo naam naam jap karo kisne kah diya ki naam jap se gyan nahi hota kisne kah diya ki naam jap se moksh nahi hota yah sab galat soch ka parinaam hai pujya Baba kah rahe sitaram das ji maharaj yah sab galat soch ka parinaam hai tum gyan gyan kah rahe ho ham tumhen samjha rahe hain raja bahut prachur dhan wala hai raja bahut udaar hai raja jo chahe wah de deta hai itni jankari tumhen ho gayi lekin tumne raja se kabhi priti nahi ki to na to sampatti ko paoge na uske swabhav ko janoge na uske prabhav ko janoge usse priti kaise ho priti hoti hai naam jap se bhajan naseni prem ki bhagwan ke vaibhav ko jaan gaye bhagwan ke tatv ko jaan gaye lekin bhagwan se priti nahi hui to jankari kya hai to avinashi ham
bhi lekin mar rahe hain bhogon mein dar rahe hain ek ek pal dar dar ke ji rahe hain avinashi hai ham kya hua ho to avinashi tum bhi sabke hriday mein avinashi paramatma virajman hai par sab dan dukhi chinta grast hai kyon tha ved as karan rakha bhajan prabhav sant shruti bhakha bhajan karo bhajan tab baat banegi jab naam dhan prapt hoga tab tumhen param sukh ka anubhav hoga gyan prapti se koi labh nahi sitaram das ji maharaj kah rahe jinka tum gyan prapt ke unka bhajan karo raat din unke chintan mein raho yah baat samjh mein ai naam jap yagya rupi puja hari naam rupi naam ka nirantar ratan yah paap tap santap dukh sokh sabko mita deta hai hari naam bhav bandhan se mukt kar deta hai hari naam raat din bhagwan ko samip rakhta hai naam vani jahan Shyam shyama tha meri anubhav santo ki anubhav naam mein anant gun prabhav virajman hai tum keval bhagwan ka naam lo moksh ki chinta na karo moksh tumhare piche dolega keval naam se moksh prapti hoti hai main aaj yah baat khol kar ke kah raha hoon ki keval naam se hi moksh
prapti hoti hai jinko moksh mila va naam se kashi mein jo bhi sharir chhote hain bhagwan ka naam bhagwan shankar sunate hain tab va moksh padvi ko prapt hote hain keval naam se moksh ki prapti ho sakti hai mera vachan trikala avad satya hai shaka samadhan karna ho to mere se baat karo sitaram das ji maharaj kahte hain maine pratyek puran ko bahut dhyan purvak padha hai pratyek santo ki bahut dhyan purvak anubhuti suni hai jisko jo kuch prapt hua hai sab naam se prapt hua hai Varah puran mein narayan achyut anant Vasudev mere in namon ka jo sada sarvda kirtan karta hai wo sharir tyag kar mere ko prat hota hai mere mein leen ho jaata hai Garun puran sankhya athva yog se tumhen kya prayojan yadi tum mukti chahte ho to Govind Govind Govind aisa ucharan karo ucharan matra se tumhen moksh ki prapti ho jaegi skand puran jo koi hari is dav akshar naam ka ek bar ucharan kar leta hai mano wo moksh padvi prapt karne ke liye kamar badh ho prayatnsil ho chuka
hai hari aisa ucharan karte hi use moksh padvi prapt hogi brahm puran ashudh chitt athva chanchal chitt hote hue bhi jo bhagwan naam jab karta hai uske samasth dosho dukho aur papon ka nash ho jaata hai aur antim ati antim mati arthat bhagwan ka chintan karte hue jab sharir chhota hai to moksh ko prapt hota hai padm puran alasya tyag kar narayan narayan narayan aisa jo ucharan karta hai wah shuddh anta karan hokar uchchatam nirvaan pad ko prapt karta hai salok saap sari sayujya ekatva in moksh ko narayan narayan narayan japne wala prapt kar leta hai samasth purannon mein hamne pa dekha hai ghor papi bhi bhagwan ka naam jap karke moksh padvi ko prapt kar leta hai padm puran pari stri gami guru patni gami mahan nich adham paap karne wala dusron ka apkar karne wala duratma maha papi bhi ho aur wo hari hari hari aisa naam ucharan kare tov moksh ko prapt ho jaega sare paap bhasm ho jaenge brah nardi puran kisi bhi prakaar se mere kisi bhi naam ka sankirtana karne wala naam jap karne
wala ghor papi ho to bhi wah moksh padvi ko prapt kar leta hai vasam payan samhita samasth dharmon se bahishkrit ho agni papon mein rat ho par wo bhagwan shri hari ke naam ka smaran karta hai to san sh rahit hokar wo mukti pad ko prapt hota hai gautmi tantr mantr ka arth sandhan karte hue jap karne wala bade-bade sukto ka path karne wala bade-bade stotr ka gayan karne wala jis padvi ko prapt nahi kar sakta wah padvi keval hari naam jap se prapt ho jati hai hari naam jap karne wala samasth shastron ka swadhyay kar chuka samasth sutro ka path kar chuka samasth stotr ka path kar chuka samasth yagya kar li sampurn vedant ka sar samjh liya jisne nirantar naam japne ka niyam le liya he deenanath naam mahima puran samhita tantr aadi mein sarvatra mili gayi lekin aapki kripa ke bina koi naam jap nahi kar sakta roz sun rahe ho lekin naam mein rati nahi ho rahi he deenanath aapki kripa ke bina koi naam jap nahi kar sakta prabhu aap kripa karo aur logon ko naam par vishwas ho jae ki isi se sab
kam ban jaega aur jisko naam par vishwas sachchi mane kuch nahi karna bas naam ucharan karte raho naam ucharan karte raho aap dekh le aap kya se kya ho gaye zyada jankari ki chakkar mein mat pado abhi kal ki ekantik ki varta hai kaun-kaun si kriyaen yog ki varnan kar rahe the yah chakra wah chakra yah kiya wah kiya dhyan yog kriya yog mila kya kya mila aapko bole hamen yah mila ki do char din mein gita path kar ki bhavna mein gita mein jab to aapki chavi dikhayee di aur agyaa hui ki aapse milo jake tumka pata hai hamara uddeshya kya hai hamara uddeshya keval Radha naam hai to bole ro pare aur bole ab hamko purn vishwas ho gaya bhagwan ne aapke paas bheja hai sab kriya yog ka mujhe phal mil gaya ab aap bolo main kya karuka Radha Radha Radha koi yah na samjhe ki ham ashtang yog ko jeevan mein dharan nahi kiya sankhya yog ko ham jante nahi karm yog ko ham pehchante nahi aisa nahi hai yahi hamara purv jeevan tha ashtang yog sankhya yog uski kripa se hamko yah mahan bhakti yog prapt hua
hai aur bhagwan ne gita ji mein kaha tapasvi se bhi adhik yogi hai anannya bhakt gyanyon se bhi adhik yogi hai anannya bhakt karmkand hon se bhi adhik yogi hai mera anannya bhakt mukti ko Upnishad mein likha hua hai pujya sitaram das ji maharaj kah rahe ki mera naam mere naam ka bhajan karne wala mere naam ka kirtan karne wala chahe jitna bada papi ho durachari vyakti ho wah salok ke moksh ko prapt hota hai har sadhan ka ek ant hai jaise aap 50 varsh brahmcharya ki sadhna ki aur aapse galti ho gayi
pach minute va vichar kar liya 50 varsh brahmcharya par pocha lag gaya ek minute ka bhi aapko phal nahi milega kyonki aap bhrasht ho gaye aajeevan aap brahmcharya te to aapko brahm lok ki prapti hoti bhagwan ki prapti ki baat nahi ham kah rahe brahm lok ki prapti hoti tap lok ki prapti hoti lekin agar pa minute bhrasht ho gaye to gaya aapne aajeevan yog dharan kiya thoda bhog mein phesal gaye gaye aajeevan gyan dharan kiya thoda phesal gaye gaye koi pakdne wala nahi gyan ka panth krpan ke dhara parat Khagesh lage nahi bara jo nirvigghn panth nirvah kaivalya param pad la nirvigghn bada mushkil aapne 100 bar kaha Radha Radha Radha aur aap kahin galat ho gaye to aap galat ho gaye to aapki pitai hogi aapko dand milega lekin aapka bhajan 100 ka 100 pura jama hua hai jahan aapka wah paap dand bhugte sohi aapka 101 se shuru hoga Radha ab 101 ke upar shuru hoga 9 nahi isliye vishwas karo naam ke saman koi sadhan nahi naam ke saman koi gyan nahi hai naam ke saman koi pavitra karne wala tirth nahi naam ke saman
koi vrat nahi sabse bada vrat naam hai kali santran Upnishad mein likha hua hai ki yadi bhagwan ka naam nirantar japa jae to brahm dham Baikunth dham Golok dham Saket dham kailas dham jahan jana chaho wahan ki yatra aapko purn ho jaegi ham kah rahe hain aapne 10 bar naam liya jeevan mein aur mar gaye koi sadhan nahi raha to Yamraj ke register mein likha paya jaega ki isne 10 bar Radha Radha kaha ek Radha naam ka phal yah sansaar nahi ho sakta yah maya krit jhutha sansaar nahi ho sakta yahan se lekar brahmlok tak
sam maya mein phir 10 bar Radha naam uska nischit kalyan ho jaega is is baat par tum vishwas karo naam ki samanta kisi sadhan se nahi ho sakti yadi bhagwat prapti nahi hui anya sadhnae ki to aapki tapasya aur pun shanga mein aa jaenge tapasya aur pun sangya mein aa jaenge na ki wo bhajan mein aaenge agar naam jap kiya hai aur sharir pura ho gaya hai bhagwat prapti ke yogya aap nahi ban paye hain to agla janm hoga mahan Bhajanand sant ke rup mein janm se bhajan ka sahyog milega aur bahut jaldi bhagwat prapt hokar is sansaar se mukt ho jaenge bhagwan ka bhajan karne wala badlon ki tarah chinn bhinn nahi hota uttam Shri van kulwa ke ghar mein uska janm hoga aur uttam bhakti ka sahyog milega aur bhajan karke bhagwan ki prapti kar lega sarvda such asu chirwa pathan brahmana salo kata sameepam swarup sayujya meti apvitra ho ya pavitra ho kaisi bhi sthiti mein ho yadi va bhagwan ka naam jap karta hai to sayo sami pasaru pasar ekatva aadi moksh ko prapt ho jaata hai nishpap hona chahte ho to
sadhe teen karod naam jap karo sare paap nasht ho jaenge sadhe teen karod karo nishpap hona chahte ho to bhagwat prapti karna chahte ho to isko bhi chodo dhuadhar japo sankhya bhagwan jape ab pucha jae hamse ki aapke kitna naam jape ho to ham aapko nahi kah sakte ki ham 500 jape kyonki hamne ganna nahi ki kitna jape thakur ji jane ham kya kar rahe hain atho pahar unke sahare bhrose pare hain aur jitna sumiran ho raha hai wo thakur ji jane wo ganna wo kare idhar dhuadhar chal raha hai aap dekh lena jab ho jae to jo jo ho jae wo karte rahna to agar hamara aaj bhi sharir chhut gaya to aaj hi hamen bhagwat prapti ho jaegi kyon kyonki hamne ganna nahi ki ham to bharosa aapka rakh kar ke sumiran karte rahe hain ab jitne mein aap raji ho jao ek naam mein raji ho jao 10 naam mein raji ho jao teen karod mein pach karod mein 10 wo tumhari baat hai ham to dhuadhar jap rahe tum ganna karte raho va hamari shraddha hai ki ek Radha naam mein pura nishpap ho jaega hamari shraddha hai Radha nishpap ho gaya hamari
shraddha hai yah tha mam prapadyate tas bhaj mein ham jaisa jo bhav karta hai bhagwan utne mein raji ho gaye tulsi ja ke mukh se dhoke u nik sat Ram taake pag ki pag tali aur more tan ki chaam goswami ji kah rahe dhoke se bhi Ram nikal jae jisse mukh se to wah jeevan pavitra ho jaata hai itna ki uski pag tali aur mera sharir goswami ji kah itna va pavan ho jaata hai kitni badhiya parampara apne desh mein thi koi bhi mile bhaiya Ram Ram va bole Ram Ram Ram Ram wah do bar bole wah char bole helo hai yah chala hai
kaisa narak wali baten chal gayi hai boyfriend girlfriend helo hai ye chal kam se kam itna to tha ki bhagwan ka naam ucharan karte the y ganv ke matlab pratha hai Ram Ram bhaiya bole Ram Ram Ram Ram tau ji Ram Ram naam bhagwan ka ucharan kar rahe tulsi dhoke nik sat Ram jake mukh se dhoke wo to janbujh ke Ram Ram ka unka kalyan nahi ho jaega subah-subah kitne saikadon logon se aapas mein Ram Ram karte the hari hari Radhe Radhe karte the ab aaj samay aaya hai bhagwan ka naam ucharan ye to dham hai yahan to
bolna hi padega Radhe Radhe nahi to phir yahan ki daivi shaktiya tumhe dande lagaenge agar naam nahi bologe to yahan to bolna hi padega sunna hi padega Radha Radha agar aap nishpap hona chahte hain to sadhe teen karod naam ja do char mala japne wale puchte hain ki chha mahine se satsang suna naam jab shuru kiya abhi kuch badla nahi badlega pehle nishpap to ho aur nishpap hone ke liye sadhe teen karod naam japne ki avshyakta hai Shastri paddhti se wo ek mein reej jae unki baat alag hai lekin agar siddhant se nishpap hona chahte ho to sadhe teen karod naam jap karo yar karo koi niyam lo sadhe teen karod ka ki bhai ham sadhe teen karod naam jap karte niyam le lo nishpap ho jaoge hamari shraddha to ek Radha naam mein nishpap hone ki ek naam trilok hi tare jo nale so janm hare ek naam tribhuvan ko tarne ki samarth rakhta hai par wah naam pukarne ki sthiti aa jae ek bar jin naam li hit so hoe ati din ta ko sang na chhan hi dhruv apno ke ab to ham nihal ho gaye bhai karod do
karod teen karod nahi ek bar jin naam li hit so hoe ati dan parhit so prem se ati dan hokar jahan pukara Radha sab baat ban gayi to ham barbar Radha Radha jape kabhi wah ek bar to nikal jaega aisa hit se dan hokar hamari baat ban gayi sab shastron mein naam ko hi mukti ka sarvshresht sadhan bataya gaya hai yah sabke liye sulabh hai sahaj hai apne paas to har tarah ke jan ate hain 50 50 varsh ho gaye samay barbad karte hue anya sadhno mein kuch nahi mila meri baat man lo pura jeevan laga kar ke baat ham aapko bol rahe hain koi aisa nahi ki abhi jude aur ham sun suna ke tumhen kah rahe naam jap karo naam jap karo nahi khub karke kah rahe hain aur bahut ekagrata purvak tanmayata purvak jeevan kata hai na koi mitrata na kisi se matlab na koi vihaar bas ek matra dhvani paramarth ki rahi hai usi dhvani ka anubhav karke ham aapko bataya hai ki naam sarvshresht hai naam naam naam mein lago yah tumhara mahamangal kar dega har pal har kshan tum apne andar bal ka anubhav karo yadi naam jap kar rahe ho yah kalikaal hai yah turant
buddhi ko malin karke bhrasht karta hai isliye yadi naam chal raha hai to kalyug ka koi prabhav tumhare upar nahi padega kalyug ka koi astitva nahi rahega tum beparwah ho jaoge naam mita dega kalyug ke prabhav ko kal brahm vadanti na karti kechan main hath uthakar prati purvak kahta hoon ki kalyug pida hi pida pahunchaega aise karya karwaega jisse durgati hi hogi isliye din raat naam sudha ka pan karo naam se moksh prem gyan jo chahiye wah prapt ho jaega tum bhi aaj hath uthakar kaho nirbhay
hokar kaho ki aaj se main keval bhagwan naam ka hi aashray lunga shri sitaram das ji onkar ji maharaj kah rahe tum bhi hath uthakar kaho ki aaj se main keval ek hi sadhan karunga bhagwan naam jap harer naam harer naam hare naam va kevalam kal naste naste naste gati anytha hari naam hari naam bas keval hari naam ka hi bal hai is kalyug mein aur koi sadhan aur koi gati de sake aisa nahi hai nahi hai nahi hai Shrimad bhagwat mahapuran maharaj Mithila pa videh raj Janak nau yogi swaron se prashn karte hain aur unmein nau yogi swaron mein se aath mein unka uttar dete hain va kah rahe hain maithun ke liye sharab ke liye mans ke liye dhan ke liye sabki buddhi la lat rahti hai kaise dhan mil jae khub sharab piu mans khau vyabhichar karun iske liye buddhi sabki raji rahti hai isi buddhi ko shuddh karna hai jin logon ko na to atma gyan prapt hua hai aur na pure pure mood hai ve beech ke adh kachre logon ki badi buri dasha hoti hai na pure gyani hai aur na agyani hai bichauliya hai beech wale hain maj redo aise na waise rahe
majre dho maj redo ki badi buri dasha hoti hai na yah pure mudh hai na pure gyani hai y adhure na idhar ke hain na udhar ke na paramarth ke na grihasth ke ve arth dharm kam in tino purusharth mein fase rahte hain ek kshan ke liye bhi aise logon ko kabhi shanti nahi milti ve apne hathon apne pairo mein mar rahe hain aise logon ko atmaghati kahte hain y agyaan ko hi gyan manne wale in atmaghati hon ko kabhi shanti nahi milti inke karmon ki parampara kabhi shant nahi hoti kal bhagwan sada sarvda inke manorath par pani pherte rahte hain inke hriday ki jalan vishad kabhi mitne wali nahi rajan jo log antarjami bhagwan se vimurkh hai ve chahe jitna parishram karke ghar banva le sundar stri putr parivaar mitra yash kirti ekatrit kar le parantu ant mein kal sab inko raund daelga sab kuch chhuda lega aur tumko yahan se bhagna padega na chahne par vivas hokar ghor narak mein jana padega kyonki manushya jeevan bhagwat prapti ke liye mila tha tumne bhajan nahi kiya aur prapanch dharma aacharan karke khub mahal
banaya khub sona cha rupya paisa bhog samgri maroge to yahan se 25 paise bhi nahi jane wale ek bita bhumi nahi jane wali ek inch kapda nahi jane wala koi ek vyakti tumhare saath jane wala nahi tumhen vivas hokar ghor nark mein jana padega bhagwan ka bhajan na karne wale vishay purushan ki yahi durgati hoti hai raja nimi ne pucha he yogeeshwar aap log kripa karke bataiye bhagwan kis samay kis rang ka kaun sa akar sweekar karte hain aur manushyon ko kin namon aur kin vidhiyon se bhagwan ki upasna karni chahiye ab nave yogeeshwar ka bhajan ji ne kaha rajan char yug hain Satayug treta Dvapar aur kalyug in yugo mein bhagwan ke anekon rang naam aur akritiyan hoti hain aur vibhinn vidhiyon se bhagwan ki puja ki jati hai Satayug mein shri bhagwan ka jo rang hota hai wah shwet hota hai ekdam gora char bhujaye hoti hai sir par jata hoti hai aur valkal vastr pahnte hain kale mrig ka charm yagyopwit rudraksha ki mala hath mein dand kamdal dharan karte hain aisa bhagwan ka swaroop Satayug mein hota hai gore
rang ke char bhujaye sir par jata valkal vastr kale mrig ka charm bichhane ke liye yagya pavit rudraksha ki mala hath mein dand kamdal aisa bhagwan ka swaroop hota hai Satayug ke jo manushya hote hain wah bade shant swabhav ke kisi ka kisi se kabhi vair nahi hota sabke hi daisi aur darshi hote hain yah log apni indriyon ko jit kar ke sadaiv bhagwan ke dhyan mein lage rahte hain dhyan ke dwara yah bhagwan ko prapt karte hain krit yuge dhyayto Vishnu Satayug mein dhyan ke dwara bhagwan ki prapti sab nirwair sab samdarshi sab pavitra swabhav ke bhagwan ke naam hote hans suparna kunth dharm Yogeshwar amal ishwar purush avyakt aur paramatma in namon ke dwara bhagwan ke gun leela aadi ka gaan karte hain rajan treta yug mein bhagwan ke shri vigrah ka rang hota hai arun varn char bhujaye hoti hain kati bhag mein teen mekhla dharan karte hain unke kes sunahle hote hain ved pratipa yagya ke rup mein rahkar sh suvad yagya patron ko dharan kiye rahte hain us yug ke manushya apne dharm mein badi nishtha rakhne
wale vedon ke adhyan adhyapan mein bade praveen hote hain ve log rigwed yajurwed samwed ved tray dwara sarv dev swaroop devadhi dev bhagwan shri hari ki aradhna yagya se karte hain krit adhyate Vishnu taya yajat makh treta yug mein pradhan bhagwan ki prapti ka sadhan yagya treta yug mein adhikansk log bhagwan ko in naam se pukarte the Vishnu yagya prash garb sarwadev uru kram vrisha kapi jayant aur urga aadi namon se gun aur leela aadi ka kirtan karte hain rajan Dvapar yug mein bhagwan ke shri vigrah ka rang hota hai savla Pitambar dharan karte hain shankh chakra gada padma aadi ayu dharan karte hain vaksha sthal par Shri vats ka chinh chati mein bhagu lata kaustubh mani aadi lakshan se pahchane jaate hain rajan us samay jignyasu manushya maharaj ke chinh chhattar cham aadi se yukt param purush bhagwan ki vaidik aur tantrik vidhi ki puja karte hain krit yuge te Vishnu taya jajat mukh Dvapar paricharyaa Dvapar mein puja ke dwara bhagwan ki prapti ki jati thi aur Dvapar ke jo bhakt log hain va is
prakaar bhagwan ki stuti karte the he gyan swaroop bhagwan Vasudev he kriya swaroop sankarshan ham aapko bar-bar namaskaar karte hain bhagwan pradyuman aur Aniruddh ke rup mein ham aapko namaskaar karte hain rishi narayan mahatma nar Vishveshwar vishvrup sarv bhutatma bhagwan ko ham namaskaar karte hain rajan Dvapar yug ke is prakaar log Jagdishwar bhagwan ki stuti karte hain phir kalyug kalyug mein tantron ke vidhi vidhan se bhagwan ki puja kalyug mein bhagwan ka shi vigrah hoga kale rang ka aur neel mani
mein uttam jaisi kanti dhara niklti rahti hai waise us kale rang se neel mani kanti prakt hoti rahegi hriday aadi ang kotuva aad upang sudarshan aadi ast sunand pravat parsado se sanyukt rahte hain kalyug mein shreshth buddhi sampann purush yagno ke dwara aradhna karte hain wo yagno mein sarvshresht yagya jap yagya ke dwara arthat naam ke dwara bhagwan ke naam leela gun ke dwara bhagwan ki prapti kalyug mein karte hain Satayug mein dhyan ke dwara treta mein yagya ke dwara Dvapar mein puja ke dwara aur kalyug mein naam gun kirtan ke dwara naam jap ke dwara kalyug ke bhakt log aisi stuti karte hain ki he prabhu aap sharanagat rakshak hai aapke charnarvind sada sarvda dhyan karne yogya maya moh ke karan hone wale sansarik parajay ka ant kar dene wale tatha bhakton ki samasth abheeshta vastuon ka dan karne wale kamdhenu swaroop hai he prabhu aapke charnarvind tirthon ko bhi tirth banane wale swayam param tirth swaroop hai shiv brahma aadi bade-bade devta unhen namaskaar karte
hain chahe jo koi aapke charnon ki sharan mein aa jae aap u se sweekar kar lete hain sevkon ki samasth aarti aur vipatti ke nashak tatha sansaar sagar se par jane ke liye jahaj hai aapke charnarvind he mahapurush main aapke unhin charnarvind ki vandna karta hoon dheyam sada pari bhavan abheeshta doh tirtha s padam shiv vir chantam sharanam tath ham pranatpal bhava putam vande mahapurush te char tava sudat sure sit raj lakshmi dharmis yadam maya mrigam dait chit man dhavat vande mahapurush te charnarvind he bhagwan aapke shri charan kamlo ki mahima kaun kahe ramavtar mein apne pita dashrath ji ke vachno se devtaon ke liye bhi van chhani aur duj raj lakshmi ko chhodkar aapke shri charan kamal ban ban ghumte phire sachmuch aap dharm nishtha ki sima hai aur aap mahapurush hai apni pre shri Sita ji ke chahne par janbujhkar aapke shri charan kamal maya mrig ke piche daudte rahe sachmuch aap prem ki sima hai prabhu main aapke unhin charan arwindo ki vandna karta hoon rajan is prakaar vibhinn yugo ke log apne apne yug ke anurup bhagwan ki aradhna
karte hain ismen sandeh nahi ki dharm arth kam moksh sabhi purusharth ke ekmatra Swami bhagwan shri hari hi hai par kalyug mein keval naam jap se swarth aur paramarth ki purti hogi har jagah man lo bhatko mat kalyug mein keval naam jap se keval naam ja kalam sabha ja atyar gun gyaa sar bhagan yatra san keertane naiv sarwa swartho labhte aha kalyug mein jo jankar hai va idhar udhar na bhtak kar keval naam jap naam kirtan mein lagte isi se swarth aur paramarth donon ki purti ho jaegi yah log bhi bada anandmay katega parlok bhi badhiya milega isliye kalyug ka gun janne wale sar grahi shreshth purush kalyug ki badi prashansha karte hain isse bada prem karte hain deha bhimani jeev sansaar chakra mein anadi kal se bhtak rahe hain unke liye bhagwan ki leela gun aur naam ke kirtan se badhkar aur koi param labh nahi hai kyonki sansaar mein bhatakna mit jaata hai jo bhagwan ka naam jap shuru kar deta hai aur use isi janm mein param shanti ka anubhav hota hai rajan Satayug treta aur Dvapar ki praja bhi chahti ki hamara janm
kalikaal mein ho dekh lo Satayug treta aur Dvapar ki praja chahti hai ki age hamen kalyug mein janm mile kyon kyonki kalyug mein bhagwan ke param premi maha bhagwat jan milte hain aur unke sang se param rasmay bhakti hriday mein jagrit ho jati hai maharaj videh kalyug mein dravid desh mein adhik bhakt paye jaate hain jahan tamra varni krit mala paswa param pavitra kaveri mahandi aur pratichi naam ki nadiyan bahti hain rajan jo manushya in nadiyon ka jal pite hain unka antahkaran shuddh ho jaata hai aur bhagwan shri Krishna ke bhakt ban jaate hain rajan yah manushya ismen phasa rahta hai yah kam kar ya ab yah kam karna hai yah ban jae yah kam ho jae isi mein maya fasaye rahti hai yah karna baki hai wah karna avashyak hai in karm vasnaon se athva bhed buddhi ka jo hriday mein srijan ho raha hai yadi iska partyag karke bhagwan ki sharanagati sweekar kar le to prem vardani bhagwan Mukund ki sharan mein aa jane se devtaon rishiyon pitro inka jo bhi praniyon kutumb hon atithiyon ka jo bhi rin hai va sab rin ho jaata hai dhyan
se suno abhi yah karna hai abhi wah karna hai wo kar pura jeevan isi mein maya khatm kar deti kabhi koi yah nahi kah sakta hamare sare kam ho gaye nahi wo bakaya bana rahta hai jo is jhanjhat ko chhodkar bhagwan ki sharan mein ho jaata hai to devarin se rishi rin se pitr rin se mat se kutumb hon ke rin se atithi rin se rishiyon ke rin se sabse mukt ho jaata hai sab rinon se mukt hone ka ek upay bhagwan ki sharanagati wah kisi ke adhin kisi ka sevak kisi ke bandhan mein nahi rahta jo premi bhakt apne pritam bhagwan ke charan kamlo ka anannya bhav se dusri bhavanon asthaon vrityio pravrittiyon ka tyag karke keval bhagwan ka bhajan karta hai bahut dhyan se suno badi mangalmay baat hai samasth rinon se mukt hone ka ek upay dev se bhuta ranam pitam nak kar nay man cha rajan sarwa atman y sharanam sharanam gatoh kartam wah kisi ka das nahi rahta jo bhagwan ka das ho jaata hai sare rinon se mukt ho jaata hai jo bhagwan ki sharan mein hokar keval bhagwan ke bhajan mein laga hai sun lo uski pahli baat to usse kabhi paap banta nahi aur
yadi paap karm ho jae kisi prakaar se to bhagwan uske hriday mein itni jalan paida karenge ki turant paap nasht ho jaega uska paap jama nahi hoga pahli baat to bhajan karne walon se paap banta nahi par yadi kabhi kusang vasa paap ban bhi jae to zyada der tikega nahi hriday mein jalan hogi ki wah paap nasht ho jaega bhagwan uske hriday mein jalan paida karke uske paap ko dho baha dete hain devesh narad ji kahte hain vasudev ji Mithila naresh raja nimi ne nau yogi swaron se is prakaar bhagwat dharmon ka varnan sunkar bahut aandit hue unhone apne ritwa aur acharyon ke saath rishbh nandan nav yogi ki puja ki iske baad sab logon ke samne dekhte dekhte va nav yogeeshwar antardhan ho gaye vide raj nimi ne us disha ko bhi pranam kiya jis disha mein va rishi antardhan hue aur unse jo jo bhagwat dharmon ka aacharan suna wahi aacharan kiya aur param gati ko prapt hue maha bhagyawan vasudev ji maine tumhare age jin bhagwat dharm ka varnan kiya tum bhi yadi shraddha ke saath sun kar ke aacharan karoge to ant mein sab aa
shaktyon ko chhutkar bhagwan ke param pad ko prapt kar loge vasudev ji tumhare aur Devki ke yash se to sara jagat bhrpur ho raha hai kyonki sarvshaktiman bhagwan shri Krishna tumhare putr ke rup mein avti hue hain tum logon ne bhagwan ke darshan aalingan tatha batchit karne evam unhen sulane baithane khilane aadi ke dwara vatsalya sneh karke apna hriday shuddh kar liya hai tum param pavitra ho gaye ho vasudev ji to kya yah vasudev ji ko hi saubhagya mila hai aapko nahi mila hai aap apne ghar mein thakur virajman karke unko snaan karate hain unko bhog pawa hain unko say karate hain unko uthte hain to yah saubhagya jo vasudev ji ko prapt hua wo aapko bhi prapt hai wahi thakur ji hain jab aap shayan karae to shayan karane ke pehle unko chati se lagaiye simhasaan se shayan grah tak le jane ke liye chati se lagaiye unko aalingan kijiye thodi der chati se laga ke rakhiye phir shayan karae to unke charan chapi phir dhire se komal vastr upar se uthaie phir dekhiye apne thakur ji ko sain mudra mein hai aa nahi nahi
aa rahi nind aur charan dabaie phir dekh lijiye ha ab bhavna mein dekha ki ab alsa aae hue netr chupchap wahan se ye waise hi phal milega jaise vasudev ji ko jaise nand Yashoda ko wahi phal aapko milega yadi aap apne thakur ko aatho pahar dular kar rahe hain tum logon ne bhagwan ke darshan aalingan aur batchit karne evam sulane baithane khilane aadi ke dwara vatsalya sneh karke apna hriday shuddh kar liya tum param pavitra ho gaye ho vasudev ji Shishupal paundrak aur lavadi rajaon ne to vair bhav se bhagwan shri Krishna ki chal dhal leela vilas chitvan bolan aadi ka smaran kiya wah bhi niymanusar nahi sote baithe chalte phirte swabhavic rup se hi unki chittritti shri krishna ho gayi aur ve sup moksh ke adhikari hue phir jo log prem bhav se anurag se shri Krishna ka chintan karte rahte hain unhen shri Krishna ki prapti hone mein koi sandeh hai kya vasudev ji tum shri Krishna ko keval apna putr mat samjho ve sarwatmaka avinashi prabhu hai unhone leela ke liye manushya rup prakt karke apna aishwarya
chhipa rakha hai ve prithvi ke bhaar bhut raj vesh dhari rakshasaon ka nash karne ke liye santo ki raksha karne ke liye jeevan ko param shanti moksh pradan karne ke liye manushya rup mein avti hue hain aur isi ke liye jagat mein unki kirti bhi gai jati hai shri Sukhdev ji kahte hain priy parikshit narad ji ke mukh se baat sunkar bhagyawan Vasudev ji aur param Bhagvati Devki ji ko bada vismay hua unmein jo kuch maya moh avshesh tha use unhone takshan chhod diya rajan yah itihas param pavitra hai jo nav Yogeshwar ka yah pavan updesh ekaagr chit hokar sunta hai aur dharan karta hai va apna sara shok moh dur karke bhagwat pad ko param pad ko brahm pad ko prapt ho hota hai age prasang hai samasth devta bhagwan ke paas padhar hain aur vinay karte hain ki prabhu ab aapka karya pura ho gaya ab aap apne nij dham ko padhare wo age sunenge shesh charcha age shri Radha vallabh lal ki
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…
- aisa kuch kama lo jo mrityu ke baad bhi saath jaega / Gokul mein Nandlala ka janm // 21/09/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvai param shital mashryam param shital mashryam krishnay Vasudevay Devki nandnay cha nand gop kumaray…
- Vrindavan ki diksha ka kitna bada phal hai? / bhagwan shrikrishna ka prakty // 20/09/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand [gala saaf karne ki aawaz] raso purnam hrid pritam madhupte smarta mugam nirvapay param shital masya param sacchidanand ghan Premanand swaroop navni nikunj…