॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ye chamatkar keval dridh aashray se hi sambhav hai / ye 6 dosh aapke Bhagwad prapti mein badhak hain // 14/07/2025

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh shri Harivansh vrinda Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smartap mugam nirvapyt param shital mashyam param shital mashyam jayati navagri rup gun agri sarv sukh sagri kunvri Radha kunvri Radha jayati navnagri rup gun agri sarv sukh sagri kunvri Radha jayati hari Bhamini Shyam ghan damini kel kalkamini chavi agadha kunvri Radha jai jai ati manmohni karo drig bohni daras de shohni haro badha kunwar Radha jayat ras murri surabh sur bhuri bhagwat rasik jan pran sadha kunwar Radha jayati navnath ri rup gunyari sarv sukh sagri kunvri Radha jai ho he navnagri he kishori aapki jai ho aap rup aur gunon ki nidhi hain.

aap sab sukh pradan karne wali hain. Sukh sagar hain. Aapki jai ho. He apaar saundarya shalini Priya jo he ujjwal prem ki vilas ki bhavanon se bhari hui meri swamini jo pritam megh ke tully shri ang wale unse aap sanshleshashta arthat bilkul ekmek hokar virajman damini ki tarah damak rahe ho. He kunj bihari ki pran jeevan dhan he pran Vallabha shri shyama aapki jai ho jai ho ladli jo aap param shobhamay hain. Shri bihari ji maharaj ka man sadaiv aapki shri ang shobha ko dekhkar prem unmat rahta hai.

anand samudra prabhu ko bhi anand pradan karne wali ho. He priyaju aapki jai ho. Aap apne darshanon ki ab bohni kara do. Bahut din vyatit ho gaye jeevan ki dukan khole hue. Ab aap apne darshan ki bohni kara do. Arthat hamare jeevan vyapar ki purnata isi mein hai ki ek bar aap hamare netron mein apne rup ka pritam ke saath prakash kar den. Aap padhare karo darga bohini mere netron ki bohni kara do. Daras de Sohni agar ek bar hamen darshan mil gaya to phir yah sansaar ka darshan hamen akarshit nahi kar payega.

haro badha samasth badhaaon ki haran karne wali he Radha kishori aap kripa karo jayati ras moor ri aap ras ki mul hain. Kyonki ras samudra prabhu ke hriday mein adbhut ras prakashit karne wali ras samudra prabhu sabko ras ka dan karte hain aur wah aapse mangte hain mangat lal ladlo nagar pragat bhai din ki chori dan deri naval kishori adbhut ras data he shyama ji aap anand ki mul hai. Aapka jo swaroop hai bada hi manohar hai. Anirvcni vani ke dwara kaha nahi ja sakta. Aisa rup hai. He pyari jo divya sourabh aapki shri ang ki aisi hai ki lal jo ki ghan indri mein jakar unko unmatt kar deti hai.

he rasik janon ki pran jeevan dhan swamini aapki jai ho jai ho meri maharani shri Radha rani shri Radha rani shri Radha rani meri maharani shri Radha rani meri pranadheeshwari sarvasv aradhya dev vrindavnadheeshwari meri swamini hai Radha rani main bika hua unka das hoon aur wah hamari swamini hai. Meri maharani hai. Kaun? Bole shri Radha rani. Yah bahut durlabh prem ras hai. Bahut durlabh prem ras. Prayah karm dharmon mein fanse rahte. Phir koi unse nikal kar ke bhagwat dharm mein phir koi bhakti mein bhakti mein nav lakshna bhakti koi purn bhakti phir usmen prem bhakti prem mein bhi bhagwan ki vivid avtaron ki bhakti usmen bhi Mathura Dwarika braj par ye navnivatta nikunj ki maha prem mahadhuryamai ye bikne pe aati hai bas bas hriday sam ham kaise hain hamko kuch matlab nahi ham kinke hain bas is baat par dhyan dete hain ham kaise hain agar yah dhyan denge to ham ek kadam nahi chal payenge ham kaise hain yah dhyan den to kabhi ham shri ji ko prapt nahi kar payenge ham kinke hain jab yah dhyan dete to daud laga dete ham shri ji ke hain.

shri ji ne hamen sweekar kiya hai. Ham unke layak nahi par unhone pasand kar liya. Unki pasand to daud pare shri ji ki taraf. Meri maharani yah bahut andar ki baat hai. Andar yah baith jae bahar se kuda ban jao. Andar se ratna jagrit ho jaega. Kuda ban jao. Kisi ke layak na rah jae. Koi apna na kahe. Jab tak kisi ke kam layak hote hain tab tak hamen lagta hai hamko koi prem karta hai. Hamara koi hai. Tab tak yah thesak andar purn rup se nahi aati. Meri maharani shri Radha rani prem adbhut prem ujjwal prem isi thesak se aata hai meri maharani param pad isi thesak se milta hai bahut durlabh baten hain jo ham kaha karte hain hamare mai shyama ko raj bahut bada ismen rahasya chhupa hua hai bas hriday mein aa jae ki mere to shyama Shyam dusro na koi hriday mein aa jae meri maharani main bika hua hoon jaise rup lal hit hath bikani to nidhi pai manmani hamen kisi se tatparya nahi na nark se na swarg se kal ek bade achhche sant bhagwan hain wo kah rahe the ki ham braj mein kaise dobara janm le aisa sadhan batae ki ham braj mein janm lena chahte hain.

unka janm hi kyon lena chahte hain? Sidhe brijraj ki leela mein kyon nahi pravesh ho jana chahte? Ham kyon janm lenge? Pata nahi hamara janm lene ke baad sthiti kya ho. Dekho na. Braj mein janm lekar kya brijraj ka hi bhajan kar rahe hain. Braj mein janm lekar kya brijraj ki hi thesak mein hain. Braj mein janm lekar kya Brajraj ke virah mein hai? Jaise braj gopi janram rajan Krishna darshan lalsa nahi to hamen aisa janm bhale mile ya na mile agar janm hi dena hai to chahe narki yoniyon mein janm dena par aapka virah ho aapka prem ho aapka chintan ho ye khas baat hai janm hona na hona iska koi matlab iska koi matlab nahi yatra yatra mam janm karmaveer narke parme pade thava narak bhejo param pad bhejo aapki mauj malik ham to bike hue aapke hain to aapko kya chahiye hamen chahiye Radhika rati nikunj mandli tatr tatr hrid mein virajtam jahanjahan bhejoge wahan wahan aapko parikar sahit hamare hriday mein rahna hoga hriday mein sphurrit rahna hoga bas jahan man ave wahan bhejo jo man ave so banao hamen prabhu prabhu se tanmayata chahiye.

ham agla janm lekar phir sadhna karenge. Aisa koi vishwas nahi hai. Kalikaal hai. Pratdin malinta badhti ja rahi hai. Agle janm mein pata nahi kaisi sthiti ho. Yahan bhajan ka bhav hamara kis koti ka bane. Hamen aisa sang mile ki na mile. Isliye ham is janm mein chuk nahi karenge. Ham to is janm mein sidhe aapse milna chahte hain. Aapse aap milkar phir hamare saath ho. Jahan chalo chalo yatra yatra mam janm karm bhi narke parme padeva narak param pad jahan chaho chalo aap chalo saath hamare aapke bina ab hamara nahi koi meri maharani shri Radha rani bhagwat rishik ji maharaj kah rahe hain ja ke bal mein sab sori lok ved kulkani meri maharani shri Radha rani lok riti ka tyag kar pana bahut kathin hai.

phir usse bhi kathin hai. Kul riti ka, ved riti ka inhi mein prayah shastron mein varnan kiya gaya hai. Jaise bail ko chhoti rassi nath se bandhkar badi rassi se ishare se chalaya jaata hai. Aise hi ek ved bhagwan ka shasan hai. Sampurn jeevan ko apne adhin kiye hue chalate hain. Lekin prem bhagwan ko adhin kar leta hai. Isliye vedatit hai. Prem usi ke hriday mein spit hota hai jo keval aradhya dev ki chintan vritti mein unmatt rahta hai. Tadtalacharita ta smaran param vyakul te uske hriday mein prem jahan prem aaya ved prasann wo ved ka bhi tyag kar deta hai kul riti lok riti ki to baat jane do ved riti ka aisi prem unmattata na lajti na lokan ki na ved ko kaho kare na shankh bhut pret ki na dev jachchhate dare sune na kan aur ki drishya aur ichchhana atho pahar ishtkar vritti is bal se lok kul ved in sab reetiyon ka tyag karke priti riti ko sweekar kiya jaata hai.

priti riti kul riti lok riti ved riti in sab ka phal hai ki hari ke charnon mein priti ho jae. Priti nahi hui to so sab dharm karm jau ja Ram pad pankaj bhau kis kam ke aae dharm karm reetiyan priti riti hriday mein aa jae bhagwat rishik ji kahte hamne to maharani ji ke bal se sab chhod diya kul riti lok riti ved riti ab to maharani ji Radha Radha ab to aap hi aap chaho jaisa karo Radha Radha apna jeevan bech diya aapko aapke charnon seva ke liye aapki priti ke liye apne aap ko bech diya aapko ab jaisa chaho purn swatantr ho hai kaun ye Radha rani bole lal bihari ko pran jeevan dhan wari piyat nit pani meri maharani shri Ram dhani sampurn anant bramhandon ke pran jeevan dhan shri bihari jo maharaj hain.

inhi se sab kala avtaram savtar vivid prakaar ke avatar hote hain. Sab avtaron ke mul Vrindavan viharan namah jo Vrindavan mein vihar karte sab inko namaskaar karte hain. Aur yah sabke pran jeevan dhan hai. Jismen bhi pran shakti, man shakti, indriy shakti jo jahan kuch bhi dikhayee de raha hai wah sab inheen ke bal se balvan hai. Yahi sabke jeevan dhan hai. Sabke pran hai. Inheen se sabka mahatva hai. Lekin inka pran jeevan dhan kaun hai? Yah Vrindavan rajosevi rasikon ne dekha lal bihari ko pran jeevan dhan pran jeevan dhan kaun hai?

bole shri Radha shri shyama ji ye wari piyat nit pani pani war karke pan karte hain sanjivni moor hai hamari ladli jo Lalaju ki jai Harivansh Madan sir jajar vithit Shyam sajeevan muli divya pramod rassar nijang sang piyush beech nich Ravi seti kandap koti sir murchhit nand sonu sanjivni jayati kaap nikunj devi aho bhagya jinke hriday mein shyama ji ke charnarvind ki sharan ki bhavna aa gayi bahut badi baat hai lal bihari ji ko pran jeevan dhan hai hamari kishori jo jinke upar jal war karke swayam bihari jo pan karte hain aisi meri maharaj rani shri Radha rani aur jo shri shyama ji ke charnon ka aashray le leta hai bhagwat rasik sahayak shabin shabdin shabd se kyon kaha iska antarik rahasya aaj hamari bhavna theek hai aaj hamare man indriyan theek hai abhi ek ghante mein kharab ho sakte hain.

ho sakta hai kal hamari bhavna bigad jae to shri ji ki bhavna nahi bigdegi. Nek na ris kahun bhuleehu na hot sakhi rahat prasann sada hi mukh has hai aisi sukumari pyare lal ju ki pran pyari dhanya dhanya dhanya te jinke upas hai shri ji kabhi gussa nahi kabhi unko ri nahi aata. Hamara bhav bigad sakta hai. Ham jeev hain. Maya asakta hai. Lekin us samay bhi hamari sahayata hamari swamini jo karti hai. Jab ham bilkul swamini ji se vimurkh hote hain. Vimurkh hi the. Sanmukh to unhone kiya hai. Pakar ke ghaseeta to unhone hamen nahi to moh prapanch maya daldal mein aise fanse the ki Radha naam Vrindavan dham Priya pritam ye sab swapna mein bhi kabhi nahi.

jagrit ki to baat jane do. Swapna mein bhi itni himmat nahi ki ek bar Radha bol dete jeevan mein. Ye to ahtu ki kripa hai. Hamari swamini bhagwat rasik sahayak sab din sab din shabd ka bhav sahayak to hai hi lekin sab din ka bhav hai ki aaj hamara bhav ban raha hai. Kal bigad sakta hai. Ham jeev hain. Maya grasit hai. Aaj ham theek hai. Kal galat ho sakte hain. Lekin us samay bhi priyaju nahi chhodti. Us samay bhi wo sahayata karti vachan ki sharanagati ko isne kaha hai ki shyama ka raj ham shyama ke is baat ka nirvah karti hai.

vachan sharanagati ka nirvah karti hai. Phir hriday se jo sharanagat hai kahna hi kya hai? Sahayak shabd aur parinaam sarvo sukh dani sarvopri waise bhi jagat mein dekha gaya hai agar zyada aparadh ban jae to pita naraz hokar kahta hai main dekhna bhi nahi chahta aise putr ko hatao mere samne se waisi sthiti mein bhi maa mein jo vatsalya hai uska chamatkar wo ekant le jati hai khavati pilati hai kuch paise deti ja do char din ke liye kahin ghum aa phir chala ana ham bataenge tumhen kaise inko ham rijha lenge vatsalya ka ek ansh tribhuvan ke anant matao mein us vatsalya ke samudra lal jo

us vatsalya samudra ka sar shri ladli jo dasi vatsala kar hi Radha isliye meri maharani shri Radha rani sahayak sab din aur sarvopri sukhdani jo kisi sadhna se maha prem ki prapti nahi hoti yah gun sadhan te nahi hui ye to bhagvatik dharm prem ki baat kah rahe lekin maha prem ye keval ladli jo ki kripa kataksh se hota hai sarvopri sukhdani badho anand mod sabke ke maha prem surang rangi yah maha prem pyari rup pradan karti hai par yah ek bar hriday mein aapko dharan karna padega ki meri

maharani shri Radha rani hriday mein kisi anya ka aashray nahi hoga main nich hoon adham hoon chalega par anya aashray nahi chalega jaise hoon apni swamini jhuka hoon kisi aur ke dwaar nahi para hoon kisi aur ka nahi hoon. Jaisa hoon apni swamini ju ka ho. Apni maharani ju ka hoon. Radha Radha Radha pakka kam ban gaya. Pakka wo baat banegi jo kisi sadhna se nahi banti. Ye gurujanon ke pratap se acharya charan ke pratap se apne swamini ji ka swabhav jaisa jaisa anubhav mein wo de rahi vaisa ham dekh ke kah rahe hain bahut karuna samudra hai nek ho narish is baat par sadaiv dhyan rakhna aur ladli jo ki thesak ka matlab hai lal ju ko adhin kiye rahna sari sadhna hari ki prasannata ke liye hai.

hari prasann ho jae sab kam ban gaya. Agar hari prasann na hue to hamara sab vyarth gayi sadhna upasna je vidhi prabhu prasann man hoi hamara sadhan hamara aradhan hamare aacharan je vidhi prabhu prasann man hoi mere prabhu prasann ho jae hari jo prasann ho jae matra ladli jo ke charnon ka aashray lene matra se prasann nahi hari adhin ho jaate yat kiri shubhas jinki dasiyom ki bahut chatukarita karte hain, vinay karte hain. Bhagwan yah wo pad hai Radha dasi pad keval shri ji ke charnon ka aashray lene matra se hari prasann nahi adhin ho jaate hain.

adhin ho jaate hain. Ye Vrindavan asim kripalu jo yah maharas ka prichay pradan kiya. Shri swamini ji ke naam aur unke charnon ka aashray pradan kiya. Balhari hai koti-ki Vrindavan Vrindavan ke rasik janon ki rajrani ki jo aisi adbhut baat ki baat baat hriday mein prakashit ki shripad Prabuddhanand ji maharaj kah rahe hain yam yam rupavti naveen taruneem lawanya leela kala muni Mohini manurta bhav vyanjini tam tam viksha sa karoti parmam divyapeeman shri Radha pad kin padakh prantotmani jiske hriday mein yah garv aa gaya ham shyama ji ke bal abhimani shyama Shyam shyama Shyam main shri ji ki priy sakhi hoon main priy priyaju ki dasi hoon main

pran priy swamini ji ki shakti sandhini shakti hoon are chhoti moti baat nahi Radha charnarvind ki sharanagati kah rahe hain yam yam rupavti naveen tarun lawanya leela kala muni Mohini mantam bhavotsav vyanjni shripad kah rahe jitni jitni tribhuvan mein sab naveen taruni rupavti hain jo bade-bade apne leela lawanya se munio ke man ko mohit kar le wo shri kishori ji ke charnon ki sharan aashray lene wale ko jo bhav deh prapt hota hai sakhi swaroop wo aisa swaroop hai bhav deh ka uska jab prakash hota hai aisa divya hota hai ki tribhuvan ki jitni bhi sundriya hai ismen jo shabd likha tam tam bheekshasa that karoti parmam Divya he ho jati hai tribhuvan ki jitni sundriya sab he ho jati hai aisa swaroop hai aap kahoge ki likhne mein kya hota hai?

likh diya kisi ne aise. Ye kisi mein nahi hai. Yah wo siddh mahapurush jo dekh rahe hain. Aapko ek udaharan batte hain. Ek din dwarikadish prabhu ashv pravah karte hue vikal sthiti mein Radha Radha Radha Rukmani ji mahalakshmi ji ka avatar hai. Har samay jaise palak putri ki aise wah prabhu ko pyar karti hain. Ek kshan ke liye bhi alag nahi rahti. Pragat mein agar deh swaroop se alag hai to chati mein shri shri vaanchh chinh ke rup mein virajman hai. Lakshmi ji kabhi ek kshan ke liye Priya hai. Unhone dekha to unka prabhu aap swatantr ho.

mera koi aap par shasan nahi hai. Par aapko rote dekhkar mera hriday vikal ho jaata hai. Main kya karun? Kaise aapko rijhaun ki aapki yah virah vritti mujhe sahi nahi jati. To unka aisa hai hi. Shri ladli ji ka rup hi aisa hai. Unka swabhav aisa hai. To unka prabhu divya shaktiya sab avtrit hui aapki seva ke liye 16100 aur ham aath mahashaktiyan hain. Koi sadharan nahi jaise jamavti ji hain. Ye Tripura sundari Bhagwati amba ka swaroop hai. Bhumi ka avatar, Satyabhama ji, maa lakshmi ka avatar, Rukmani aise sab ham aath mahashaktiyan hain aur 16100 divya shaktiya aapki seva mein upasthit isliye 16108 ye koi nariyan nahi hai.

koi sadharan striyan nahi hai. Ye bhagwan ki anant shaktyon mein se ye divya mahat shaktiya jo bhagwan ki seva mein hai. Kya prabhu inme se koi aisa nahi hai jo Radha virah ki purti kar sake? Bhagwan ne kaha koi aisa nahi. Prabhu main ek bar dekhna chahti hoon kaisi hai shri Radha ki ham sab sarvang sundari divya shaktiya aapke virah ka saman nahi kar sakti. Prabhu main ek bar darshan pana chahti hoon. Kaha ki kabhi aisa shri ji chahe darshan dena chahe sanyog baname to ho sakta hai ham to keval kah sakte hain kabhi aisa avsar aaya to darshan karayenge braj leela ke antargat nikunj leela mein to Vrindavan paritaj pad ekam na gachchhatite Priya pritam ek kadam bhi Vrindavan se bahar nahi jaate lekin braj leela mein aisa aaya ki surya grahan para us samay kurukshetr aisa sab brajvasi parikar wahan gaye Baba vrishabhan ji bhi ladli ji bhi apne par ye braj leela ke antargat ki baat udhar se Dwarika parikar aur Hastinapur se Pandav parik Draupadi aadi sab jab Rukmani ji ne suna ki vrishabhan Baba aur Radha kishori jo padhari hain to bada ullas hoga prabhu ek bar dekhne ki ichchha thi jin Radha ka smaran karke aap rote hain wo hai kaisi unka pehle ham darshan karke ate hain phir aapko gaye prabhu ladli jo se mile wo vivid vistar purvak prasang hai.

phir prabhu aae aur kaha ja sakte ho aap Rukmani ji Satyabhama ji aadi ye chalie pratham dwaar par gayi tab lakshmi koti vilaksha lakshan las leela kishori sat radhya braj mandle madhuram Radha param shri ji ki dasi jo karod lakshmiyon ko murchhit kar de yam yam rupavti naveen taruneem lawanya leela kala madhury muni Mohini manortam bhavatsav vyanjni bade bade munio ko mohit kar le aisi sundriya tribhuvan mein hai wo tam tam viksha thut karoti jinki sundarata ke age thut karoti wo aksharsha satya ji hi dekha pradhan dwaar par ye Radha kishori hai sab mahalakshmi swaroopa shri Rukmani ji Satyabhama ji sab unka swamini jo andar hai unko laga ye dasi hai unki unki dasi itni sundari lakshmi koti vilaksha lakshan lasal leela ki kaise koi varnan kare swamini ji ke pratibimb swaroop sadasi andar gayi to thesak mein khadi hai.

unhone samjhaya ye to Radha kishori hi hai. Pranam mudram unka swamini ji andar sat dedi mein aise unko ascharya hua jab andar gayi to aisa tejom pita anant ta latabham ki ye divya shaktiya dekh hi nahi pai shri ji ko kyonki ye ansh hai shri kishori jo aur ye ansh hai jab tak anshi na chahe tab tak ansh unko dekh nahi sakta jaise ham ansh hai hamare anshi shri hari hai sarvatra param ham nahi dekh pa rahe aur wo kripa karen ham aradhna karen ham par kripa karen to kan kan mein wahi virajman hai koi antar nahi padega shri Lalita vishakha aadi sahcharyon ne swamini ji ka charanamrit utar kar chhidka kyon charanamrit mein kya hai sat prem sindhu makrand rasog dhara bina prem drishti ke ladli ji ko ye divya shaktiya nahi dekh sakti to shri ji ke shri charnon se prem sravit hota rahta hai.

sat prem sindhu makrand rasau gadhara us prem ko je hi to drishti wo sab rone lage sabke asru chal rahe phir jab laut ke ai to yahi kaha ki pritam aap kaise jite kitne kathor hriday ke hain ki aap jite hain ki suri ji se vilag hokar jite kyonki avatar leela ka vishay aise prabhu ne kaha uttar mil gaya na aap kahti thi ki aap kyon rote hain? Jaise Uddhav ji main jaaunga gyan samjhaunga. Jab yahan aae tab soch rahe hain yahan se jaate ho ki kitne vajr hriday ke hain ki wo in premi janon se vilag hokar ji rahe hain.

aise prem samudra ka vitran karne wali swamini ji ke charan dasiyom ka vaibhav hai. Shri Radha pad kinkri pad nakh pranto yasatman shri kishori ji ki charan dasiyom ki nakh kant prakashit ho jae to mahanand prakt ho jae. Vrindanyadheeshwari pad padm jyoti sindhura vate vyaktam leela rup ka tadasi naam vrindeeksha divyam shri vrindavnadheeshwari shri kishori ji ke charan kamlo ka aashray jisne liya to prem jyoti uske hriday mein prakashit hi ho jae. Kalyan to Radha bol diye na tum chinta mat karo.

pakka samjho. Jaise garib kisan ko hira mile to wo kanch hi samjhta hai ki kahan mere bhagya hira mil sakta hai. Aise hi Radha naam aap sunte ho na to aapko aise lagta hai ki are ye wo baat hai. Ek bar Radha naam kan mein par gaya. Ek bar jaban se le liya to ek naam trailok tare tribhuvan mein kahin bhi ho Radha naam sunne wala Radha naam japak parinaam batane nahi aoge ki hamara kya parinaam hua par jo siddh mahapurush bata rahe hain unke aur apni chati ki baat ke anusaar kalyan to yahan bahut chhoti si baat hai.

yahan Sohni ki agrabhag ki takkar se muktiyon ko aise jhaad diya jaata hai. Yah koi pravachan nahi hai. Yah pyari jo pyare jo ke mahal ki thesak ki baat sun rahe ho vrindanyadheeshwari pad padm jyoti sindhu raak vritt ek vritt keval yah jagrit ho jae tumhare hriday mein atyant saubhagya se ki hamari ladli jo hamari pyari jo hamari maharani jo wah itna mahan pavan ho jaega ki tribhuvan ko darshan dekar kritarth karne ki samarth usmen aa jaegi. Ek vritt keval yah aa jae ki shri ladli jo hamari si pyari jo hamari ye bahut badi baat hai.

ye lal jo sarve sarwa hai lekin Lalaju ke bhi sarve sarwa sarweshwari reshwari hai. Ye antar ki baat samjho. Jahan thoda prem aa gaya kisi bhagat ke andar to maharaj uske charan dabne mein bhi hichakte nahi hai. To lal ji ke hriday ke prem samudra ka sar rup hamari maharani jo ke charnon ka jisne aashray le liya kitna kripalu lal ji ho jaenge. Dhrut kanak sugri mangavli dadha naam nav tarun malleela kant pur raram vipul jaghan khelt veni mashcharya ruchar navaknak mahendra praksho lakshmi bahut karunamay swaroop hamari Swami ka hai agar bhav mein jara bhi jhalak jae to chilla chilla kar ro.

vaisa anand anand ka tufan uthta hai. Aise netr hain pyari ji ke ki vani ki samarth nahi kaha kaho ek jeev sakhi baat ki baat ki baat ruchir manohar vakra vilokan surat samardal ganjan jaise hit Harivansh kahat na bane chavi hit sajni jo jo dekh rahi are dekh kya rahi anjan jo lagati hai unhin ankhon mein wo kah rahi ruchir manohar vakra vilokan surat samar dal ganjan jaisi dharivansh kahat na bane chavi sukh samudra man ranjan aise hi khanjan meen mrigaj mad metat kaha kaho nainan ki baten aise sundar netr pyari ji ke karnay lajja bhare prem bhare aise ras bhare

karuna bhare ki dekhte hi rone ka chilla ke rone ka man ho aisa swaroop hamari pyari ji dhrut kanak sugauri mangav dadha nav taruni maliya kant pur para aisi swarnavat sundar gaurangi Priyaju nau kishor swaroop vishal veni mano Sumeru ki shobha ko bhi mat kar rahe Sumeru kanchan varn aur sat Kumbh tanu gori aur anant sahcharya ghire hue aur lal jo maharaj ektak rup ras ka pan kare to mukh chandra chakor Naina aisi swamini jo jahan virajman hai shripad kah rahe hain ab mujhe Vrindavan ka jo aashray mil gaya

vas mil gaya to shri ji mil jaegi ismen koi sanshay nahi vagwana praptant marmas satam pad prahara siro santu satam satam dhana satam santu smaram smaramthap jeevan dhanam tad gaur neelmo dwandam sandra sh murti mudito vsyaam Vrindavane kah rahe hain ki yadi mujhe koi 100 gali do roz de aur laton se mare satam pad prahara siro 100 lat roz hamare lage to bhi main Vrindavan nahi chhorne wala ae baat pakdo kuch hai kaise sah sakte ho 100 kadam duri pe 50 karod rupya ki ek atchi rakh di jae aur chalo tum let ke chalo wahan tak jao.

chu liya to tumhen mil jaenge. Lekin aadmi ham chhodenge. Panch sat 10 aadmi. Wo tumhen rokenge. Marenege. Agar tum ruk gaye to nahi milega. To wo aadmi chahe 100 nahi 500 lat uski khopdi mein mare wo 50 karod wali atchi tak pahunchne ki har koshish karega. Wo gali nahi dekhega. Wo lat nahi dekhega. Koi bhi aur shri ji ko prapt karne ke liye ham chale hain aur hamen koi gali de, hamen koi mare, koi hamen tiraskaar kare aur ham itne par ruk jaenge. Wo nashvan 50 karod ke liye pran dene ke liye tayyar ho jaega.

to kahe dwandam shr murti mudito dukh purvak nahi mudito smaram smaar mathap jeevan dhanam tad gaur neelam jeevan dhan gaur Shyam ki prapti ke liye unka smaran karte hue 100-100 lat kha ke bhi ham kisi ko kuch nahi kahenge. Apni shri ji ki prapti ke liye chalenge. Vagwa prapat marm pad prhar ye hai prapti karne ki ichchha ka naam yah hai. Aapse bahut hriday se baat kar raha hoon. Jab aap bhagwat prapti ke liye kamar kasenge to maya tumhen raudegi raudegi pakka. Wah ya to itni anukulta de degi ki aap pramad mein bhul jao aur ya har kadam mein pratikultaa de degi ki chalna mushkil ho jaega.

ab kya karun us sthiti mein bhi chahe sarvasv nash ho jae main shri ji ko nahi chhod sakta. Main bhagwat prapti ki kisi bhi tarah se ab ismen gunjaysh nahi main aur sajha nahi kar sakta. Sirf bhagwat prapti jeevan bhagwat prapti ke liye har kasht sahunga par shri ji ko nahi chhod sakta. Bas ho gaya. Wa prap marm sustam pad prahara chahe jitna kasht do 100 lat maro 100 galiyan do ham Vrindavan nahi chhodenge ham Priyaju ki upasna nahi chhodenge sab chhut jae sab nasht ho jae aap jano aapka kam jane ham aapko nahi chhod sakte smaram smaram mathap jeevan dhanam to kya milta hai bole wo smaran karta hua bar-bar smaran karta hua apne jeevan dharm gaur Shyam Priya pritam aisa mudito aisa aandit rahta hai ki usko parvah hi nahi rahti kaun gali de raha hai kaun mar raha hai aisi uttam sthiti vatsyam Vrindavan main aise Vrindavan mein vas karunga chahe mujhe koi mare chahe gali de chahe apman kare bhaktam janm janm priywadh chandnadam taya ahankaar karasta shohritam na bahut sundar baat kah rahe abhyasta samasth shastr mohasta na tad samasth to bhaj mahananday Vrindavan janmjanm mein hamne bahut bhog bhoge kam bhog bhi bhoga hai nav vadhu mala chandan nana prakaar ke sukh samgri bahut ahankaar tha.

bade-bade pado mein gaya. Kuch nahi. Aaj phir waise ka vaisa hoon. Bhai meri prarthna man lo aise aap bhi ho. Kabhi aap bhi devta banege. Swarg ke bhog bhoge kabhi narak gaege. Kabhi nana prakaar ki aur yoniyon mein gaege. Sab bhoga sab kar liya. Bhagwat prapti nahi ki. Ek bar bhi ab himmat kar lo. Bahut shastr padh liye zyada padhne ki zaroorat nahi hai. Kah rahe hain abhyastat samasth shastr vit mohastu moh hi hoga. Agyaan hi badhega kya? Ashtang yog mein chale ki yah siddhi prapt karen ki is marg mein chale ki is marg mein chale bahut shastron ka gyan hona durbhagya hi hai.

koi kah sakta hai aisa kaise kah sakte ho? Kyonki wo nirnay hi nahi kar pata main kidhar chalun. Hazaron margo ka gyan hai. Ek kadam nahi chala kisi marg mein to durbhagya nahi aur kya hai? Nirnay nikla pura jeevan ho gaya. Har kilometer ka gyan hai har raste ke lekin chale ek kadam nahi ki us kilometer ke baad phir kya hai? Ab gaye hi nahi to anubhav hi nahi hai. Aisa shastr gyan kis kam? Aapko bharat ke har marg ka gyan hai kilomeetron ka. Lekin aapne yatra kisi bhi pavan tirth ki nahi ki.

to baithe-baithe is gyan se kya aap param pavitra ho jaenge kya aapne kabhi avgahan nahi kiya kisi tirth ka kisi dharm kshetra ka kisi puriyon ka dhamo ka aur aapko sab gyan hai wo gyan kis kam ka halwa ki puri prakriya banane ke aap ek sans mein bata jaoge lekin kabhi bana ke paya bole nahi to phir matlab kya raha ye shastr gyan tabhi sarthak hai jab bhagwat sakshatkar karo to shripad kah rahe hain ahankarastu na shant ye ahankaar tumhara shant nahi hoga abhyasta samasth shastr viti mohasta nastam gat moh tumhara nahi jaega chahe jitne shastr padh lo bole kya karen aap upay batao to bole ham upay aapko bata rahe hain maha ananday Vrindavan bhaj bhaj mane hota hai seva sevan kar Vrindavan ka Vrindavan ka aashray le Vrindavan dham aa rasikon ka sang kar Priya lal ke anannya ho ja zyada janne ki zaroorat sabse bada gyan sat vastu shyama Shyam vairagya inke siva sabse priti inke naam rup leela dham se gati inke charnarvind ki seva bas itna hi gyan chahiye itna hi sar

gyan hai. Ye buddhi ko dauda dauda ke dauda dauda ke thaka karke bas prabhu ke charnon mein baithaal dena hai. Yahi sadhna hai. Shripad kah rahe hain ki ab mere hriday mein ek baat baith gayi ki Vrindavan ka aashray lekar Priya pritam ki aradhna karo. Isi mein param vishram hai. Sant vani jo bhagwat premi bhagwat prapt mahatma jan hai wah hamari chhoti chhoti trutiyon se lekar badi trutiyon ka sudhar karne ke liye shastr ke vachno ka anubhav karke bolte hain. Jeevan do gatiyon se gujarta hai. Ek gati hai janm mrityu mein bhatakna.

aur ek gati hai janm mrityu se mukt hona. Do hi marg hai. Astu ma sadgam hai. Asad se sad ki yatra karo ya sad swaroop ka vismaran karke asad mein rat ho jao. Janm mrityu ke chakra mein 84 lakh yoniyan hain. Karmu in 84 lakh yoniyon mein jeev bhramit hota hai. Is yoni mein ek ek yoni lakh lakh prakaar ki hai. Ek yoni lakh lakh prakaar ki hai. Ab jaise rengne wali yoni ab rengne wale mein kitne prakaar ke jeev hai? Saanp hai, ghan khajur hai, kechua hai. Kitne prakaar ke jeev hain rengne wale mein?

ek hai jalchar. Ab jal mein kitne prakaar ke jeev hain? Vayu mein udne wale kitne prakaar ke jeev ek yoni mein lakh lakh yoniyan un lakh lakh yoniyon mein kai kai bar janm are bada prapanch hai bada durgati hai jeevan ki anya yoniyon ke saath jo duryvhaar ho raha hai bahut hi ghanit hai. Kaise tumhen bata? Dedh dedh ghanta dhire-dhire jala jala ke paka rahe hain pashu ko. Phir unmat hokar madirpan karke uska khan khanpan kar rahe. Kya kaisi durgati? Kaisi durgati jite jeev apni kar rahe hain. 84 lakh yoniyon mein ek ek yoni mein lakh lakh prakaar ki yoniyan.

ek ek yoni mein lakh lakh bar janm hona. Aise thodi hai prapanch hahkar diseejan isliye kah rahe hain kalyan kar le kalyan kar le bhul mat kar yahi ek chans hai manushya de jisse tu apna kalyan kar sakta hai anya yoniyon mein nahi ab socho us jeev ki kya halat hai hath pair bandhe hue lohe ki kshan mein fansa hua hai aram se dhire-dhire agni use jala rahi wo keek raha hai chilla raha hai aur wo aandit ho rahe hain wo thoda thoda pite ja rahe dekh rahe hain pak raha hai paka lo tumhare to khane ke kam mein aayega.

tum khane ke bhi kam mein nahi aoge. Aisi tumhari halat kal karega. Jab wo jalega to tum khane ke kam mein bhi nahi aoge. Bahut hosh mein bahut hosh mein bahut hosh mein. Ye karm tumhara kahin bakhashne wala nahi. Tumhen dand dega. 84 lakh yoniyan ek keval manushya yoni jinme aap apna udhar kar sakte ho. Manav jeevan gine chune swason wala hai. Gine chune swason wala itni svase aapki hain. Bas prati pal mainas hota chala ja raha hai. Khatm hoti chali ja rahe hain. Ya ham aandit ho rahe hain. 30 varsh ke ho gaye.

35 are aandit nahi 35 varsh gaye jeevan ke. Mul karya ke liye jo aae ho bhagwat prapti usmen kya kiya? Bole kuch nahi. Abhi to khalne khalne ki umr hai. Marne ki umr kaun si hai? Kabhi bhi to mar sakte ho. To apna kam kyon nahi bana lete? Radha Radha Radha yahi avsar hai. Jeev aavagaman ke anadi chakra se apna chhutkara karke apne swaroop mein sthit ho sakta hai. Bhagwat prapti kar sakta hai. Janm mrityu ka chakra kab tak chalega? Akalpaneey kalpna bhi nahi kar sakte. Kal chakra aapko ghumata rahega. Isliye manushya jeevan mein bhagwat prapti ka avsar hai.

ye kam, krodh, lobh aur moh ye char pradhan aise hain jo is chakra ko chalate rahte hain. Aavagaman punarpi jannam, punarpi maranam, punarp janani, jathre shayanam ye chakra chalate rahte hain. Kam, krodh, lobh, moh inhi ko narak ki gati kaha gaya hai. Inme se kisi mein bhi ek mein pair par jae. Kam mein, krodh mein, lobh mein, moh mein. Fouran charon aaj karke use ghumane lagenge. Bar-bar janm bar-bar maran. Narak ki darun yantrana har yoni mein usko prapt hogi. Keval manushya yoni aisi jisse apne ko bacha sakte ho.

keval manushya hi satkarma karne mein swatantr hai. Naveen karm karne mein swatantr hai. Anya prani to purv mein jo sanchit karm godam laga hai usi ko bhogte rahte hain. Wo ashubh karmon ka nash karte rahte hain. Bhog bhog karke wo naveen karmon ka uparjan nahi kar sakte. Manushya naveen karm uparjan kar sakta hai. Manushya karm karne mein swatantr hai. Manushya hi hai jo apne karm sanskaro ko bhasm kar sakta hai. Dusra koi yoni nahi. Ab use sochna hai ki jo aapke gande karm jama hai usmen aur plus karna hai ya aag lagana hai.

puri godam ko swatantr ho aap. Kam, krodh, lobh, moh yah jinke jeevan mein hai nischit samjho unka janm maran pakka hai. Janm maran pakka hai. In charon ko mitane ke liye char ye pahlvan taal thok ke khade hain. Kam, krodh, lobh, moh, ye shatru to satsang, paropkar, vairagya aur naam jap. Yah char aise hain ki in charon ko chatni bana denge. Roz satsang suno. Apne bhojan mein se chahe ek roti nikalo. Roz dusron ke udar mein jane wala vidhan karo. Paropkar ki bhavna aur vairagya janani Janak band sutara tan dhan dham suhad parivara sabki mamta tag batori mam pad manah bandh bar dori.

chhod do bhagwan ke bhrose mein aur apne kartavya ka palan karo. Zyada chinta mat karo. Chintan karo prabhu ka. Wah sab sambhal lenge. Anant brahmand sambhal rahe hain. Tumhare parivaar mein to do char chhah log hi honge. Vairagya sab bhagwan ka hai. Bhagwan dekhenge. Jo jaisa karm karega vaisa bhogega. Radha Radha Radha aur apne kartavya ka palan jiske prati jo sambandh hai imandari se aap karo. Lekin rag mat karo aur naam jap satsang paropkar vairagya aur naam jap iske dwara is chakra ka nash kar do kam krodh lobh moh inki mitiyamet karne ke liye samarth hai satsang paropkar vairagya aur bhajan ab bhagwat dham aur narak ye do hain.

chayan karo tumhen kahan jana hai. Agar kam krodh lobh moh to trivadh narkasdam dwaar nashan matma kama krodha tatha lobha aur yadi satsang paropkar vairagya bhajan to bhagwat dham ye do gatiyaan hain. Upasak dekh lo agar bhagwat dham jana hai to in char baton ko chodna hoga. Kam, krodh, lobh, moh char baton ko pakdna hoga. Roz satsang, roz paropkar aur sabse andar se vairagya aur khub naam jap isi ke dwara bhagwat prapti hoti hai. Tirth pat bhagwan shri hari ke jo gunanuvad leela katha hai aisa nasha chadh jana chahiye ki kabhi tripti nahi honi chahiye.

kapya ya tirth pado vidhana savana yah karna purushasya to bhav pradam gati chhinti jo bhagwan ki charcha ko kano se sunta rahta hai to uske hriday ka moh mal nash ho jaata hai wo vairagi ho jaata hai vairagi ka keval bhesh se matlab nahi andar se hai. Jaise chakravarti samrat amrish ji vairagi hai. Chakravarti samrat avdh ka pura shasan kar rahe hain bharat ji lekin param bairagi jo anuragi hai wahi param bairagi hai. Jo param bairagi wahi anuragi hai. Jo bhagwat charcha sunta rahta hai roz to sarv sangop himam satsang sarv sangop himam satsang aapko sab sangon se alag karke bhagwat anuragi bana hi dega kaun aisa hai jo prabhu ki charcha sunte sunte agha jae narad aadi mahatma gan bade-bade sadhu jan jinka sadaiv yashgan karte rahte hain aho bhagya hai un manushya sharir dhariyon ka jo apne Karna randhon se bhagwat charcha sunte rahte hain.

unka sansaar chakra mein dalne wala yah vikar ghar grahasti ki asakti ye use ab agla janm nahi karne degi. Ghar grahasti ki asakti kam, krodh, lobh, moh aadi usko agla janm nahi de sakte jinke kano mein roz bhagwat charcha padti hai aur wo bhagwat charcha sunte hue kabhi aghate nahi. Sa shraddhadhan vivardhana vikti manatra karo push hare pda nivas samasth dukhyama sudhte jab katha sunte sunte katha mein swad ane lage ek ek shabd bahut gambhir ananddayak lagne lage tab samjh lena chahiye ki ab hamare kalyan ka avsar aa gaya bhagwan ki baten bahut priy lagne lage bhagwat charcha charcha ek anand dene lage.

samasth vishyon se vairagya usi ka hota hai jo roz satsang sunta hai. Par satsang sunna samjh lijiye. Kal shrota ka varnan hua tha. Chatak ki tarah sunna. Hamara jeevan hai satsang. Uska manan karna. Usko aacharan mein hota na ki sune bas chale gaye. Itna samay to sarthak hua par manan nahi karoge. To satsang ka hriday rupi andhkar nash karne ka jo prabhav hai wo manan se hota hai. Manan nahi to phir nahi ban payega. Sun liya dusron ko suna doge kam nahi banega. Bhagwat charnarvind ke nirantar chintan ki samarth satsang se prapt hoti hai.

samasth dukho ka nash bhagwat chintan se hota hai. Bhagwat chintan ki prapti satsang se hoti hai. Isliye tan soch soch vido soche hare kathaya vikh naghan chhino devo nimastu maythava gati smriti naam mujhe to sabse zyada wo sochneeyon mein bhi sochni agyani purush lagte hain jo kabhi sat satsang sunne nahi ate. Pichle purv papon ke karan unko bhagwan ki katha mein sunne mein bilkul ruchi nahi hai. Aur agar kabhi koi unka mitra aadi le bhi ave to sunna nahi chahte. Tum aao sun ke ham bahar khade hain. Wo itni dur khade ho jaenge ki kan mein shabd na pare.

aur agar kabhi satsangiyon ko dekhenge bhi to unke dosh darshan karenge. Inka kya sudhar hua satsang se? Ye wo aisa hai hai bade sochneey hai ki manav deh prapt karke unko satsang nahi mila. Kal bhagwan aisi amulya swason ko vyarth mein nasht karva rahe hain. Unki vani dusre ke ninda prapanch gayan mein deh bhogon mein vyarth ke vad vivad vyarth ki cheshta vyarth ke chintan mein unka jeevan chala jaata hai. Isliye is lok mein tum keval dharm ka aacharan karte hue hi arth ka sevan karo. Bhogon ko bhagwat arpit karke param purusharth bhagwan ki prapti ka upay karo.

wahi manushya jeevan shreshth hai. Y sansarni pragya dharmartha vanwartate dharm purvak arth kamao. Paap ka paisa nahi. Khub bhagwan naam jap bhagwat kirtan yah param purusharth hai. Isi se bhagwat prapti ho jaegi aur zyada prapanch karne ki zaroorat nahi. Kshamavsi kriti loke kshamya kim na sadhyate shanti khga kare y kim karish durjana jab tum dharm marg mein chaloge to durjan log tumhen pareshaan karenge. Tumhare paas dhal aur talwar hai jaise to shatru ko parast kar doge uske war ko sah loge to dhal kya hai kshma aapko jab koi gali de apman kare to apne bhajan ko bchane ke liye kshma rupi dhal ka prayog karo aur durjan jab prhar karte hain ninda karte hain andar se bahar se andar se kam krodh aadi to shanti rupi talwar se kaat do shant raho chup raho kshma kar do kshma rupi dhal shant rupi talwar isse aap cross karte hue chale jaoge bhagwat marg mein age swarg ke devta bade-bade devta jisko namaskaar karte hain wo kaun sa purush hota hai bole wo do prakaar ke hote hain.

ek hote hain jo bal purvak dand dene mein kshamta rakhte hain. Par unka apman ninda karo wah sah lenge aur nirdhan hone par bhi avsar ane par sab kuch lutane ke liye tayyar hain. In do purushan ko bade-bade devta bhi namaskaar karte hain. Garib hone par bhi dan dene ka utsah aur balvan hone par bhi sahenshilta dusre ke dwara kiya hua ninda apman aadi maun hokar sah lete hain. Yadyap samarth unmein dand dene ki hai. Garib hote hue bhi dusron ko khilane pilane dan dene ka utsah in do ko bade-bade devta bhi namaskaar karte hain.

dabhsi niveshtavya gale bava drina shilam dhanwant madataram daridram chapnam ye do mare hue samjho sansaar mein jivit hai par iska arth sidhe hota hai ki gale mein patthar dalkar doob ke mar jane wale swabhav wale hain. Kya jo dhani hone par bhog vilasita mein paisa kharch karte hain. Ek hotel mein gaye lakho rupaye kharch kar diye. Are 250 gram ata nahi kha sakte ho. Kitne ka 250 gram ata hota hai? Ek do katori daal sabji le lo, do char roti le lo, kha lo. Prakriti ke paise ko barbad karte ho. 5 lakh udaya hai.

5 lakh mein 500 aadmi khub badhiya bhojan pate aur badhiya svasth rahte. Aise vichar karna chahiye. Durgati kinki hoti? Jinko is janm mein dhan mila. Aur wah dusron ki seva mein bhagvatik seva mein na lagakar bhogon mein lagate hain. Piche wale shlok mein tha kah dum purusho raj swargas par prabhu kshamya yukt daridras pradanwan jo garib hokar dusron ko dan dene ka utsah rakhta hai wo aur jo balvan hone par dusron ko kshma kar deta hai wo in do ko devta bhi namaskaar karte hain. Devlok ke bhi upar gati pane wala hai.

aur in do ko jo dhani hone par dhan hone par bhi sadhu seva gau seva bhakt seva ya samaj seva mein na dekar wo udata hai nana prakaar ke kam bhog vishay bhog manoranjan mein aisa nahi ki prakriti ka dhan tumhen mila tum uske Swami ho jo chaho kar lo tum sirf muni ho Swami to bhagwan hai hisaab se hisaab se chalo nahi sab chhin liya jaega jo dhani hone par maddam hokar galat jagah dhan kharch karta hai. Main iska Swami hoon aur sahi dhang se uska kharch nahi so dhan dhanya pratham gati jaki. Are kitne aise bimar log hain jinke paas arth vyvastha nahi.

kitne bhukhe log aise hain jinke paas bhojan vyvastha ham kah rahe bahut vas rahit log hain jinki vas vyvastha nahi. Tumhare paas dhan bada hai. Are kitne kitne karod aise manoranjan mein pure bharat mein ek ek kutia bana do. Ek ek ganv mein to ek ek parivaar to rah jaega. Dhan ka sadupyog hai dusron ke sukh mein lagana. Apne manoranjan mein lagana nahi. Apni an ban shaan kis mein hai? Bhagwan prasann ho jae. Ismen nahi hai ki sansaar jaan jae ki hamne iske liye itna paisa kharch kiya. Durgati hoti hai.

dhan agar wah dharm virudh acharno mein ja raha hai to tum Swami ke dwara diye hue dhan ka apman kar rahe ho. Tum Swami nahi ho. Lakshmi pati narayan hai. Tum thodi ho. Tum to munim ho. Tumhen keval punya bal se utna adhikar mila hai. Chhin liya jaega. Dekh lena isi janm mein donon kriyaen dekhi gayi. Madonmatta ho jane se shri vaibhav antar dhyan ho jaata hai. Khatm khel pura jeevan jail mein kato aur jo daridra hone par kasht sahakar bhagwan naam jap karke apna kam nahi bana leta hai. Bhogon ke liye lalchata hua dusron ki chatukarita karta hai.

donon mare hue purush hain. Mare hue jin hari bhagat hriday nahi aa jivit sab saman te prani harnam paras naam pardabhshan sudas partyag dosh chhayavha mahan dharmavtar bhagwan ke param premi vidur ji ye jo dusre ko phuslakar ya zabardasti ya kisi bhi prabhav se dusre ki sampatti ka aphrn karte hain ya mitra ki patni ya vihaar bankar ya pralobhan karke dusre ki stri ke saath sahwas karte hain aur jo apne mitra ke saath dagabaji dhokhabadi surdon ka partyag karte hain inko nischit durgati prapt hoti hai.

dhyan se sun lo. Yahi nirnay karne wale hain. Dharmraj ka sidha avatar vidur ji hain aur dharm ka anshavtar yudhishthir ji hain. Sidha dharmraj hi aae hain vidur ji ke rup mein. Wahi kah rahe hain harnam paras pardaram bahut bada paap hai. Apni bhagvatik paddhti se sweekar ki hui ardhangini ke siva kisi mata bahan ki wo tumhari durgati kar dega ya apne pati ke siva kisi aur wo tumhari durgati kar dega. Pardara vimarshanam ayu ksheen ho jati hai. Shri ksheen ho jati hai. Aapko lagta hai kahte hain kuch log aisa kahte hain ki aap jo jo varnan karte ho wo sab usmen bade mauj se hai.

tumko bataya hai akhiri ichchha purti ki jati hai marne wale ki. Inki akhiri ichchha hai. Tum ajar amar to ho nahi. Nahi nahi to dekh lena inki kya gati hogi. Bhaiya do char bar dakaiti se safal ho gaya to lakho rupya uda raha. Tum kah rahe ho bade mauj mein aur jis din pakda jaega na aur phir jab dand usko milega tab aap dekhne nahi jaoge ki usko kya-kya dand milta hai. Aise hi jab Yampuri mein jeev jaata hai yahan se karm karke to shastron mein padho tumhen shastron tak pahunch nahi aur vishwas nahi to tum mante nahi ho ki narak hai.

jo dusre ka dhan aphrn karta hai. Dusre ki stri ka sansarg karta hai. Mitra bana ke vihaar bana ke parai stri ke saath sahwas karta hai ya parae purush se sahwas karta hai jo apne suhad mitra ko dhokha deta hai partyag karta hai ye sab narak jane wale paap hai bhaktam cha bhajmanam cha tava cha vadin traneta sharanam prapt vish na santje jo tumhara bhakt ho tumhari seva mein raha ho aur ek bar hriday se kah diya ki main aapki sharan mein hoon. Aise teen prakaar ke manushyon ke sankat ane par purn rup se sahyog karna chahiye.

grihasth mein apne kutumb mein jo sabse budha ho usko sabse pehle bhojan dena chahiye. Dharm ka adesh hai. Yahan bahu aur ladka kophi aur samosa chai chhan rahe hain aur budhe tukur tukur her rahe hain. Agar kuch kahe bhi to dant denge. Tumhen ghar mein to rahna hai. Bana lena chai pi lena. Hamen office jana hai. Aur zyada baat kiye to do char thappad mar diye. Maa ke pita ke kutumb mein sabse pehle bhojan ka adhikar kinko hai? Garam garam bhojan bana ke pehle vayovriddh phir dusra adhikar bachchhe phir tisra adhikar apne jo aae hue jan hai jo ghar ke jan hai banane wala sabse baad ke ye nahi ki banane wala pehle chakra chhan ke phir jo manaya so paros diya ye wo rasoi mein kabhi kami nahi ho sakti jo aisi rasoi hogi ek annapurna ji ka kripa prasad hota hai us rasoi mein rasoi mein kabhi bhojan paya na jae rasoi kabhi jhuthi na ho bahari koi rasoi dekh na pave rasoi parde mein rahe aur pawate raho aap dekho annapurna kaise aap par kripa karti hai lekin yahan to aise dalit durae ki had hai had hai wo utar ke rakha dhua nikal muhn mein dal ke kha rahe hain wahi kha rahe hain parosa na bhagwan se matlab na bhagat se matlab hai na budhon se matlab hai na aisi daridrata chaai hui hai rasd Jnendra ki pocho mat.

dhyan se sune. Isiliye mahapurushon ke vachan suna rahe. Aaj se jo sun rahe hain bhojan mein sabse pahla adhikar rasoi mein bhyo vridh ka hai. Ham kah rahe thakur ji ko bhog laga ke dikha ke unko pavao. Pehle bachchon ko pavao. Jo aur apne jan unko rasoi karta wo sabse baad ke jo ghar ka Swami banne ka adhikar rakhte hain unko sabse baad ke pana chahiye pehle sabko pawa dena mukhiya mukh so chahiye khanpan so ek bhi aisa koi bhojan ka padaarth na ho jo kisi ko na diya gaya ho chhupav nahi hona chahiye rasoi mein jo bane sabko pangat mein jo parosa jae sabko nahi parosa hi na jae dhyan rakhna nahi isse isse aparadh lagta hai ki 20 ko kuch aur 30 ko kuch aur 50 ko kuch aur aisa nahi ek mukhiya mukh so chahiye khanpan so ek ghar mein jo chij banao wo sabko barabar do aisa nahi hona chahiye ki aap apne liye kuch alag unke liye kuch alag jab apni moh vritti hoti hai satsang ka gyan nahi hota to alag-alag hota hai bahut vichitra hota hai bada aparadh banta hai dusra apne sambandh mein jo sankat mein para ho to bina bulaye apne aap jakar uska sahyog karna chahiye.

tisra yadi apni bahan santan hin ho vyvastha na ho aur wah apne paas rahna chahe to aadar ke saath pure jeevan usko rakhna chahiye. Bhagwan dharm swaroop vidur ji kah rahe hain agar grahasti mein rahkar yah char aacharan sambhal le jo abhi bole gaye aur naam jap karen to bhagwan ki prapti nischit hai. Bade budhon ko bhojan mein sabse pahla adhikar hai. Bade budhe bhagwan sakshat matri devo bhav pitr devo bhav yadi tumhara koi sambandhi kasht mein hai to bina bulaye jao uska sahyog karo aur yadi tumhari bahan santan hin dhanheen hai parivaar mein usko nahi rakha ja raha aap aadar purvak jeevan bhar rakho isse bhagwan prasann ho jaenge shat dosh purushan havya bhutta nindra tandra bhay krodham alasyam dirgh sutrata ye chhah dosh jismen hote hain use bhagwat siddhi prapt nahi hoti.

paramarth ki unnati chahne wale bhagwan ko prapt karne wale ko ye chhah dosh tyag dena chahiye. Mahatma vidur ji kahte hain kya? Pehle nidra tyagne ka matlab uchit nidra char ghante panch ghante. Iske baad chha ghante uske age judta hai jo bahut mehnat karta hai. Sat ghante uske age judta hai jo grahasti mein hai. Thoda bhi paramarth mein agar abhi chalna shuru kiya hai bas iske age jo sote hain wo bhagwan jane. Aur kalyug ki jit aisi ho gayi. Wo kah raha tha ki ham sabko narak pahunchayenge. Surya uday hote samay jo saiya mein para soya hota hai uski buddhi uski stri kirti ayu yah sab nasht hota hai aur prayah is samay hamen lagta hai ki 100 mein 30 jagte honge aur 70 sote honge surya bhagwan ke uday hone ya aur plus ho sakta hai aur plus ho sakta hai 4:00 baje jag jae wo to bahut badi baat hai.

ham kah rahe hain 5:00 baje ham kah rahe hain aise jag jao ki surya bhagwan uday ho rahe hain. Aap jaldi se naha dhokar do chhulu argh to de do. Bhuvan Bhaskhar padhar rahe hain. Argh dene ki to baat jane do 11:00 baje din tak sote hain. Hamen lagta hai inki zindagi kya hai jo 11:00 baje din tak sote? 11:00 baje to vishram ka samay dusra aa jaata hai. 1:00 baje raat ke jage to 11:00 baje to thoda vishram ka samay aa jaata hai. Ye 111 baje tak jagte honge to rajbhog kab pate honge? Inka swayam bhog to nishachri hi hota hoga.

ratri mein 11 ke baad nahi 2:00 baje sote honge. Teen char panch chha sat aath nau 10 11 matlab kam se kam nau ghante sote hain. Ye ye zindagi theek nahi. Isse pura ka pura aapka paramarth nasht ho jaega. Vidur ji maharaj kah rahe ek bar kuch aise nait duty wale jan hai to hamen lagta hai agar aisa kuch ho to surya uday ke samay uth jao hath muhn dhokar ke are surya bhagwan ko pranam karo aur thoda naam jap karo phir so jao agar aap raat mein jage deeti par surya uday ke hote samay agar sote mile to aapke sukrit nasht ho jaenge pakka samjho aapka shri vaibhav ksheen ho jaega aapko lagega bahut dhani hai ye dhan dhan kitne minute ka bhaiya aankh mundi khatm khel jaega yahan ka bank balance ham us dhan ki baat kar rahe hain jo tumhen janm mrityu ke chakra se chhudaega pahla hai nidra is par shasan karo dusra hai tandra tandra ka matlab hota hai na nind hai na jagrit hai wo ekdam khoe rahte hain aise chetna mein hai na so rahe hain na jag rahe hain sone ka matlab sone sone mein ek alarm bajta rahta tha.

wo pata chal raha hai ki so raha hai aur ek tandra hoti hai ki usmen alarm nahi bajega. Wo chal raha wo tandra aur tisra bhay. Kisi ne hamse pucha ki aapko bhay hai. Mujhe lagta hai aapko kabhi koi bhay nahi kyonki aapka satsang sunte hain. Ham kaha ek bhay hai. Ek bhay har samay bana rahta hai ki lakho ki shraddha hai. He bhagwan kabhi hamare dwara man vachan karm se aisa koi karya na ban jae jisse kisi ki shraddha nasht ho jae. Uska bhagwat marg ruk jae. Bas ek baat ka bhay rahta hai. Hamare dwara kahin koi aisi vachan na nikal jae.

kisi ko pida pahunche. Hamare dwara koi aisa karm na ban jae jisse kisi ki shraddha nasht ho jae. Kyonki santo par shraddha bahut samay ke baad hoti hai. Samay-samay par aisa bhagwan ka ek sant ki kriya se lakho santo ke prati ashradha ho jaegi. He prabhu kabhi hamare dwara aisa aacharan na bane. Hamare vachan aise na nikle. Hamara koi aisa bhav na ho jisse kisi ki shraddha ka nash ho. Is baat se bhay lagta hai. Bas kisi ki shraddha nasht na ho. Hamari gati durgati ko use koi fark nahi. Samne wale ki gati na bigde.

uska bhav mangalmay rahe. Hamare andar koi aisi varta na aa jae. Koi aisa dosh na aa jae jisse kisi ko bhav bigad jae. Bas ek bhay rahta hai aur yah bhay bhajan badhane mein kam aata hai. Yahi dar hi darap Harivansh hit jino bhram gun saleel par jinan mangal lok ta suhar pad bhaj na vilumb kar is dar se darte rahna chahiye ki kahin hamen maya ki trignatmika vritti phisla na de. Isliye har samay jinka naam tino loko ka mangal karne wala hai un hari ka jap karte rahna chahiye. Radha Radha hari hari aur bhay ye anya bhay bhagwan ki prapti mein badha pahuncha dega.

nidra tandra aur bhay aur krodh ye to nischit samjho anubhav ki hui baat kah rahe hain. Mahino ke bhajan ko ye shant kar deta hai. Jo bhajan ka tej utpann hokar gyan prakashit karta hai usi ko baithaal deta hai. Krodh nahi ana chahiye. Gussa nahi ani chahiye. Aur alasya yah alasya bhajan marg mein bahut hi ghatak hai. Are kal kar lenge. 11 mala to kaha hai aaj panch kar liya hai. Kal 11 aur chhah kar lenge aur kal hi alasya dikhega. Parso kal dhire-dhire khatm niyam dirgh shudrata har karya ko age talte rahna.

nidra tandra bhay krodh alasya dirgh shudrata ye chhah dosh bhagwat prapti nahi hone dete. Isliye inka tyag karen. Jo apne sukh mein prasann nahi hota. Dusre ke dukh mein harshit nahi hota. Jo dan dene ke baad kabhi kisi se bolta bhi nahi hai. Ki maine itna amuk ko diya. Bilkul shant. Koi janta hi nahi ki diya. Wah bhagwat marg mein age badhta chala jaega. Chahe jaisa sammaan, priyata, sukh, anukulta bilkul gambhir. Dusre ka dukh dekhkar dukhi hona na ki harshit hona. Aur apna jo dan hai wah koi jaan na pave ki hamne diya hai.

aise teen pradhan aacharan ye hai jo bhagwat marg mein age badhate hain. Ek bhakt the ek din wo wo kah rahe the ki hamare hriday mein ek prabal lalsa jagrit hui. Jaise chhatrapti veer shivaji ne apne Gurudev ko sab kuch dan kar diya. Mera hriday kahta hai main apne Gurudev ko apne pran tak dan kar du. Phir bhi main sankuchit hoon ki Gurudev ko mere pran kis kam mein aaenge. Jab main dekhta hoon ki apne Gurudev ko jo dena chahta hoon aruci hai. Tab mujhe lagta hai kya karun jisse main apne Gurudev ko prasann kar lun.

andar yah baat jarur hai aur aisa nahi ki wo koi sadharan purushan mein ki ghar grahasti ke aise hi nahi aise nahi aur wo kharbon ka vaibhav hai unke paas bas aise sadharan purush ki tarah rahte ho donon pati patni ro ke aise kah rahe the hriday mein lalsa hai par jab main dekhta hoon ki mere paas jo kuch hai wo sab ghas phus hai unke liye tab lagta hai kya aisa kar du ki mere Gurudev prasann ho jae yah baat jinke hriday mein bani rahti hai ki mere isht dev kaise prasann ho? Mere Gurudev kaise prasann ho? Wo kabhi dosh kar hi nahi sakte.

bole mujhe kabhi kuch nahi chahiye. Na param pad chahiye na kuch bhagvatik chahiye na laukik chahiye. Aapki keval muskurahat chahiye ki mere Gurudev prasann rahe. Bas isi baat se main jalta rahta hoon ki main kya karun jisse mere Gurudev prasann ho jae. Yah baat jinke guru prasann to sah anukula miti sakal kalpit bhayula jo samudra paryant prithvi ka vaibhav prapt hone par bhi khush nahi hota. Ye khushi ka vishay nahi. Khushi ka vishay hai bhagwan ki prapti hona. Jo prachur dharashi ka Swami hokar bhi uska bhog nahi karta.

apni indriyon ko vash mein karke utne hi uchit ek hamne dekha bada vaibhav tha. Lekin wah utna hi prayog karte the jitna agar unko 100 gram pani ki zaroorat hai to 5 gram pani bhi ekstra nahi girne denge. Kahte prakriti ka hai ye utna hi lo jitna aapko zaroorat hai. Bijli utna hi lo jitni zaroorat hai. Vastu bahut hai lekin utna hi prayog karo jitna zaroorat hai. Wo prakriti ki hai. Bhagwan ne aapke hisse mein di hai. Prakriti ki seva mein laga do. Samudra paryant prithvi ka vaibhav prachur dharashi ka Swami hokar bhi jo apni indriyon par adhikar rakhta hai phula nahi hota abhiman nahi karta uchit prayog karke dusron ki seva mein lagata hai wo bhagwat prapti ke liye age badh jaata hai aur jo uska indriyon mein vash indriyon ke vash hokar bhogon mein vyatit karta hai wah aishwarya se bhi bhrasht ho jaata hai aur durgati ko prapt hota hai Anusuya aaj shach santosh pravadita dum satya mana yaso na bhavti duratma naam kisi ke gunon mein dosh na dekhna saral swabhav rakhna pavitra vastr pavitra sharir pavitra vichar rakhna santosh priy vachan indriyon ko bhogon se hatana satya bhashan karna aur klesh tanik bhi man mein na ane dena.

santusht ken har sthiti mein prasann rahna sikho. Bole yah bhagwat prapt hone wale purush ke lakshan hai. Phir dekh lo kisi ke gunon mein dosh na dekhna arthat kisi mein dosh darshan na karna. Kisi mein bhi ek ne do-teen din pehle ekantik mein prashn kiya ki hamara santo ke prati dosh darshan hota hai. Kyon kya aapko dosh darshan hota hai? Kya aap santosh se pata nahi aise hi man hamara nahi tumko tumhara man papi hai isliye dosh darshan karta hai. Paap hai tumhare andar isliye darshan hota hai. Agar pavitra ho jae abhi chashma theek ho to dekho aap.

bole kai bar jaise satsang sunte hain, sab baten sunte hain to vishwas nahi hota. To ashubh karm karne wale ko vishwas hoga. Papatma ko vishwas hoga. Papvant kar sahaj subhav bhajan murti bhav nakao. Ashudh aacharan karoge. Dusron par dosharopan karoge. Abhi apna chashma theek kar de. Bhagwan ke siva koi nahi hai. Sacchidanand prabhu ke bole man mere bas mein nahi. Ham kaha nahi usko dantie. Bole nahi hai bas mein. To ham kaha aap apni beti ki taraf gandi drishti se dekh sakte ho. Bole nahi ham kaha bahan ki taraf.

bole nahi to guru ki taraf kaise dekh sakte ho? Keval bakwas aisa tumhara man hai. Agar aisa man hai ki jo to phir aisa bhi kar sakta hai nahi to phir aisa kaise kar sakta hai? Shasan mein ek taraf chhut de do. Ek taraf usko nahi aisa nahi hai. Man par shasan buddhi ka ho aur buddhi par shasan shastr aur sadguru dev ka ho tab chalta hai. Kisi ke bhi gunon mein tumhen dosh dekhne ka adhikar nahi hai. Tum apne dosh dekho. Bura jo dekhkar main chala bura na miliya koi jo dil khoju apno to ham sab burano ko pakki baat hai imandari se agar burai dekhne chalo to apne hriday rupi mahal mein ghus ke dekho to abhi pata chal jaega Anusuya kisi ke gunon mein dosh dekhna sabse bada chhidrashan sabse bada bhajan marg mein badhak bhav hai kabhi isko andar mat ane dena aa jae to tatkaal prabhu se prarthna karna saral swabhav rakho.

pavitra vastr rakho. Pavitra sharir rakho. Pavitra vichar rakho. Santosh bhav rakho. Priy vachan bolo. Indriyon ko khula mat chodo. Satya bhashan klesh saho. Jitne bhi dukh ave anand purvak saho. To bole aise lakshan bhagwat prapt mahapurushon mein ab wo bhagwat prapti karne wala hai ya bhagwat prapt hone hi ja raha hai jiske andar yah lakshan aa jaate hain aur bhajan paraayan rahta hai hinsa balam sadhu naam Ram dand vivadh balam sushatu balam stri kshma gunavtam balam dusht purush katuk vachan aur marpeet karke apna bal dikhata hai lekin jo sadhu purush hota hai wah muskurakar sahakar apne bal ka darshan karata hai.

balvan kaun jo dusron ke dwara kat vachan viparit vihaar karne par bhi muskura ke chala jaata hai. Wahi gunvan hai. Wahi balvan hai. Wahi kshamvan hai. Isliye re he rajan main madhur shabdon mein kah raha hoon ki yadi tumhen bhagwat prapti karni hai to yah nidra tandra bhay krodh alasya dirgh sutrata inko tyago gunon mein dosh mat dekho kisi ke saral raho pavitra bhav rakho santosh priy vachan bolo indriyon ka daman karo satya bhashan bolo aur jitna bhi klesh dukh ave chupchap sah jao naam jap karo bhagwat prapti ho jaegi in mahan purushan ke vachno ka bar-bar manan karo aur apne aacharan mein utaro.

kabhi tumhara koi punya dan aadi ban jae to ye tumhara ahankaar andar se uthga ki uska varnan karo mat karna. Wo tumhare bahut kam aayega age chalkar ke. Kabhi kisi ko pani pila diya ho, kabhi kisi ko bhojan pawa diya ho, kabhi koi dan punya kar diya ho, maun rahna, poochne par bhi mat batana. Koi poohe Vrindavan gaye the, kuch to khawaya piya hoga. Santo ko mat bolo. Are hamare ko khane ko nahi. Ham dusre ko kya khwa denge? Ham hi ko bhagwan pawar rahe hain. Aise apne punya ko chhupao. Aur agar koi sant mahapurushon ka samagam mile to bhagwat prapti ke yogya jo vachan nikal rahe hain unko aise pakdo jaise koi garib aadmi sampatti ko pakdta hai.

aur un vachno ka bar-bar manan karo. To jaise patr ko manja jaata hai to nirmal ho jaata hai. Aise jab ham satsang ke vachan chintan karte hain to hamara man, hamara buddhi, hamara chitt, hamara ahankaar ye nirmal hone lagta hai. Nirmal ahankaar bhagwat swaroop hai. Isliye khub naam jap karo. Satsang ka manan karo aur isi janm mein ham bhagwat prapti karen aisa nischay karo. Shesh charcha age shri Radha vallabh lal

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi