॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

agar jeevan mein sukh-shanti chahte ho, du:kh aur vipattiyon se chhutna chahte ho to ye dhyan se suno /11/07/25

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh shri Harivansh Vrindavan tav padarvindm premik makrand rasog purnam hridyapitam madhupte smarta mugam nirvapyt param shital mashyam nirvapyt param shital maya khajan meen kurang te sundar kanj se anjan ranjit taise khajan kurang te sundar kanj se anjan ranjit taise deegh garv bhare bhagwant chale jug baan mano jah jaise tap par tanat kan lobar bh sarasan sadh se pyari swaroop bilo ki naye bali dekh bihari ke nain juse shri kishori jo ne dekha ki Shyam sundar netr jhukae hue hain.

to pucha tum netr kyon jhukae hue ho? To us samay bihari ji ke bolne ki bhi himmat nahi thi. Aise prem shithil the. To shri Lalita ji ne kaha he kishori jo ye aapke jo anjan se ranjit aur kamal ki shish shobha wale yah netr hain jo kurang arthat mrig khanjan pakshi tatha machhli ke netron se bhi bahut anant guna sundar hai. Khanjan meen mrigaj mad metat kaha kaho nainan ki baten. He priyaju aapke netr sadaiv vijay rahe hain. Aur hain isliye vijay hone ke karan yah garv bhare hain. Vishal hai. Aur chanchal hain. Yah donon netr aisa lagta hai mano mahmmahim prem ke amog do baan hain.

bhakutikam ko dand nayan sir kajjal rekh an bedhat mohan man Lalaju ke man rupi mrig ko bedhne ke liye aapke donon netr mahan prem baan hain. Aur bhakuti rupi baan mein dhanush mein yah baan sandhan karke jab kajjal rupi nok lal ju ke man rupi mrig par prhar karte hain to ye shithil ho jaate hain. Pyari jo aapki balhari jaun aapke netron ka aisa vilas hai ki akhil lok chudamani is samay bihari jo maharaj ki samarth nahi ki aapke netron ki taraf dekh sake. Isiliye wah netr jhukae virajman hai kyonki prem vivash antardasha ko prapt hai.

aisi hamari mahmmahim shri biharin jo hai shri shyama jo hai jo upasak anant karuna varunalay shri lal ji ki kripa ka bhajan banta hai. Uske hriday mein mahmmahim prem samudra ka sar shri shyama ji ke charnon ki priti utpann hoti hai aur wah priti divya lilaon mein pravesh kara deti hai jo kisi anya sadhna se nahi prem devta mile bina siddhi hoe na karaj bhagwat sab sukhdan prakt bhae rasikacharyaj jo sakhiya rasikacharya ke rup mein prakt hokar shri pyari ji ki ras riti pradan ki. Mantr pradan kiya.

usi ras riti aur mantr se Priya pritam ki divya lilaon mein pravesh hota hai. In lilaon ka aisa sukh hai ki moksh sukh bhi jo sarvopri sukh hai wah phika lagne lagta hai. Priya pritam ki rup madhuri, leela madhuri, gun madhuri ye moksh sukh ko bhi phika kar deti hai. Kabhi aap moksh sukh ka prichay nahi jante kyonki abhi to bhog se hi nahi upar uthe. Vishay anand se hi upar nahi uthe. Abhi jagat ke jo vishay anand hai usi mein man phasa hua hai. Moksh sukh to akhand hai. Divya gyanand hai. Jahan achah sthiti hai.

koi chah nahi wah sukh bhi laghu ho jaata hai. Jab Priya pritam ki rup madhuri prakashit hoti hai. Shripad Prabodhanand ji maharaj kah rahe hain sada khelan nitya smar taral Radha madhupati sur vidyamay sakal dhamo parisda swadhurya jalyad bhit raswa bhav krid bhoom praptam Vrindavan maho ko na bhajte yah hamare Priya pritam yahan khel rahe hain. Yah Priya pritam ki nitya krida bhumi hai. Nirantar krida bhumi hai. Yahan nirantar khel ho raha hai. Isiliye yahan vas ki bahut badi mahima hai. Kadava khelanto braj nagar vith hriday haranto shri Radha brajapti kumaro sukriti kabhi yah khelte khelte drishti padi ki iska jeevan Vrindavan ka aashray Vrindavan ka vas arthat mere dwaar par para hai.

inki karuna drishti pahunch gayi. Wahin se jivtv khatm avidya khatm wo divya bhavatmak deh se yukt hokar priyal ki khel mein krida mein leela mein wo sammilit ho jaata hai. Sukritwan shabd aaya hai kadava khelanto braj nagar vith su hridayam haranto shri Radha brajapti kumaro sukriti na kya punya ki itni takat hai ki mujhe Priya pritam se mila sakta hai jabki shastron mein shubh ko bhi bandhan mana gaya hai. Ashubh bandhan lohe ki janjir aur shubh karm sone ki janjir bandha donon se hai to bandhan ka hetu shubh bhi hai.

jab shubh aur ashubh donon ka nash ho jaata hai tab wo priyal ki seva yogya bhav de ko prapt hota hai. Isiliye sharan nirapak pad ramit sakal ashubh shubh nans det sahaj nishchal bhagti su jai jai shri harivam to yahan kaun se sukrit ki baat kah rahe hain jisne rasikon ka sang kiya ye sabse bada sukrit shri Harivansh sudharma dridh aru samjhat nij riti tanko ho sevak sada su man kram vachan pratiti man man karm vachan pratiti priti din charan pakharo inke charan pakharne ko mile inki juthan khane ko mile inke shri mukh se jo bhagwat charcha hai uska amrit ki pan amrit ki bhanti ham pan karen hamari shravendra kabhi tripti ka hi anubhav na karen yah sukrit Priya lal ke premi janon ka charanamrit uchchhisht amrit unki ki agyaa mein rahna ho daras paras agnash vas nij sang karo din unke darshan matra se paap ka nash kahin sparsh ho jae vas unke samip mil jae kahin unka sambhshan sunne ko mil jae yah mahan sukrit sevak ji maharaj jaise kah rahe hain ki shri Harivansh prasiddh dharm samjhe na alap tap Harivansh dharm ko chhoti tapasya wala nahi samjh sakta badi tapasya chahiye.

to bole ismen bade tap ka aapka kya prayojan hai ki bada tap kya ho sakta hai? Shri Harivansh prasiddh dharm samjhe na alap tap samjho shri Harivansh kripa kya sevo dharmin jap bhagwat rahasya ke gyata jo rasik mahapurush jan hai inki seva ye sabse bada tap ye sabse bada sukrit jo rasikon ki seva mein hai to kabhi khelte khelte priyal aisi aisi karuna drishti dete hain ki uska jivtv avidya nasht ho jaata hai aur wah priyal ke prem rahasya ka gyata ho jaata hai. Yah samasth kalaen nikunj ki priyaju ki kripa drishti se prapt hoti hai.

yah kisi shiksha se aur se nahi swayam chala kalas kushli krita na kada suras madhurotsave kimpat swamini jo hi swamini apni prasadi dekar ke use sahachari vapu dharan karati hai to anant vidya sampann samasth kalaon mein praveen Priya pritam ki ras riti ka gyata wo rasik mahapurush nirantar Priyaju ki seva mein rath ho jaata yah divya baat hai. Shri dham Vrindavan ke rasikon ka sang, unki seva ya ahobagy prayah jab bhagwat kripa hoti hai aur avsar milta hai to log kho dete hain. Kabhi seva ban gayi to wah ahankaar kar baithe hain.

maine amuk karya kiya, maine amuk kiya. Wah sab nasht ho jaata hai. Apni ki hui bhagvatik vritti tapasya sadhna dan punya kabhi apne mukh se ucharan nahi karna chahiye. Dusra prashansha karen to kano mein anguli de deni chahiye. Nahi sunna chahiye. Nahi sukrit nasht ho jaate hain. Sadhan ka jo phal hai wo aapko phir nahi prapt hoga. Prashansha apne mukh se karne se bache aur dusre ke mukh se prashansha sunne se bache. Dusre ki ninda apne mukh se karne se bache aur dusre ke mukh se sunne se bache. Apni ninda anand purvak sune.

apni ninda karne wale ka sammaan karen. Apni prashansha swayam na karen. Dusra jo apni prashansha kare uska sammaan na karen. Yah bhagvatik siddhant bahut ulta hai. Ise jaldi sansarik prani nahi samjh pate. Sansarik prani jo hamare anukul chale, prashansha kare, ham usko aadar denge. Lekin bhagwat bhakt aisa nahi karega. Anukul chalne wale ke prati prashansha karne walon ke prati pranam namaskaar karne walon ke prati udasin vritti rahti hai. Apman ninda karne walon ke prati priy bhav rahta hai.

bilkul ulta bilkul ulta sansaar mein apman ninda karne wale ke prati tiraskaar bhavna rahti hai. Sammaan priyata anukulta iske liye phir hriday mein aadar buddhi hoti hai. O ye to bahut accha aadmi ye hai sansarik bhav. Paramarth bilkul isse ulta hai. Isko dharan kijeyega. Apni prashansha kabhi apne mukh se na kare. Apni prashansha jab koi kar raha ho dusra to kan mein anguli de de. Sune na. Dusre ki ninda kabhi apne mukh se na karen. Koi dusra kar raha ho to kan mein ungli de de. Apni jab koi ninda kar raha ho to pyar barkar sunna chahiye.

kaisa lagta hai? Apni jab koi ninda kar raha ho aur ham priyata mein barkar sune. Bhagwan ki kitni kripa hai. Aaj mujhe sahnseel banane ke liye kaisa sundar prayog kar rahe hain. Ham muskurakar apni ninda sune. Apni ninda karne wale ka aadar karen. Tab hamare jo sukrit honge wah priyal kripa karke sarthak kar denge. Sukriton ka sarthak hona hai. Priyal karuna karke hamare netron mein jhalakne lage. Hamara man unki smriti mein unke naam jap mein nirantar lag jae. Shripad kah rahe hain yah sadaiv shyama Shyam Vrindavan mein khelte rahte hain.

jitne avidyay dham hai mayakrit loko ko avidyay kahte hain. Ek vidyamay hai. Kailash, Saket, vaikunthpuri, Dwarika ye sab divya vidya mein hai. Kah rahe vidyamay aur avidya meny in sabse pare yah maha premay shri Vrindavan dham hai. Is sat dhamo ka mul Vrindavan ka jo prem ras hai yah bina shri ji ki kripa se nahi milta. Aapka Vrindavan ana, Vrindavan darshan karna, Vrindavan vas karna, satsang milna ye keval shri ji ki kripa se hai. Ab vishwas karo jab shri ji ne itni kripa kar di hai to wo milne wali puri vritti bana di.

ab milna baki hai. Yah aapko sambhalna hai. Sabki kripa aapke upar hai. Ab aapko apni kripa apne upar kar leni hai. Apni kripa galat acharno wale man ko dhikkarna. Sahi sang, sahi vichar, sahi kriya iska aadar karna jo shastr pramanit hai. Ye apne upar kripa aap kar rahe hain. Bhagwan naam jap karna bhagwan leela gunanuvad bhagwat bhakton ke charit bhagwat bhakton ka sang dusron ki paropkar bhavna parhit bhavna iska aadar karo dusron ka ahit prapanch varta kam chintan kam krida ye sarvnash karne wali baat iska tyag karo yah hoga apne upar kripa karna guru ki kripa ho gayi.

shastr ki kripa ho gayi. Shri ji ki kripa. Ab apni kripa bakaya rah gayi. Aap jo pramad sthiti mein samay katte hain apne upar kripa kar lijiye. Dekho bina aasnan ka abhyaas kiye koi udharta brahmachari nahi ho sakta. Yadi aap asan mein nahi baithe hain kam se kam do ghadi 48 minute aap brahmcharya rah hi nahi sakte. Kaagaz mein likh lijiye chahe dimaag mein likh lijiye. Yah anubhav gam mein baten kah rahe hain. Aap pran vayu ka sansodhan nahi karte hain. Aap andar mantr nahi chalate hain. Aap brahmcharya rah le. Asamabhav baat hai.

bina kisi kriya ke uska patan ho jaega. Siddhasan udhreta brahmachari ji ke liye atyant avashyak hai. Aadar ka patr wahi hai jo urdhareta ho jaata hai. Agar siddhasan mein nahi baithe to udharta ki gunjaysh hi nahi hai. Pran sansodhan nahi hai to nirantar mantravatti chala hi nahi sakte kyonki sthul pran hai. Mantr to sukshm pran mein nirantar chalte hain. Hamari prarthna hai seva karo 24 ghante mein ek ghanta hi sahi par jawan sadhak ko siddhasan aur Padmasan ka abhyaas karna chahiye. Jis samay ham 24 minute cross karenge asan mein baithkar to hamare sharir mein bhaykar pida hogi.

janghon mein har nas nadi mein wah pida badi amritmai hoti hai. Sharir ko nirog kar deti hai. Charbi ko bhasm kar deti hai. Vayu ko shant karke sukshm karti hai. Jo aasnan par baithe wala hai. Brahmachari hai. Pran sansodhan pranayam ke dwara karta hai. Bahut sundar mantr chalta hai. Nirantar jawan jawan sadhak hain. Jhuk ke baithna. Diwal ka aashray le lena, sharir ka rog grasit ho jana. Yah suchna dete hain ki aap brahmcharya ki hani kiye hain. Aapka ahar theek nahi hai. Aapki sadhna theek nahi. Asadhya rog akasmik purv paap ke parinaam swaroop aa jana yah ho sakta hai.

par wo hamari sadhna ko badhit nahi kar sakta. Praarabdh sadhna ko badhit nahi kar sakta. Dhyan rakhna praarabdh aaya hai usko bhogenge. Sadhna yathavat chalni chahiye. Sadhna mein fark nahi padna chahiye. Tab bhagwat anand ki prapti hoti. Isiliye kah rahe hain hamare upar sab kripa hai. Keval apni kripa karne ki zaroorat hai. Aap log apni kripa kijiye. Jaise ham kahte hain ki hamare sharir mein blood pressure ka rog ho gaya. Hai ya lo. Wah thodi der ke liye hai. Thodi der ke liye hamko shithil kar sakta hai. Lekin nahi wo hamare sadhan ko nasht nahi kar sakta.

wo hamare sadhan ko nahi. Ham sam mein hai blood pressure hai ya lo visham mein hai. Koi fark nahi parta. Aur ham visham chintan karte hain to ye sab sahi bhi ho to galat hai. Hamara vichar hamari sadhna praarabdh nahi badhit kar sakta. Dhyan rakhna. Praarabdh paap karm ka parinaam hai. Vartman ki hamari sadhna bhagvatik hai. Hamari bhagvatik sadhna ko achchhadit kar de. Itni badi samarth praarabdh mein nahi hai. Praarabdh badha khadi karta hai. Lekin hamare bhajan ko nahi rok sakta. Hamari bhagvatik unnati ko nahi rok sakta.

lekin ham log isse beparwah se nazar ate hain. Dhikkar hai us shishya ko jab guru ko agyaa dene mein soch karna pare pata nahi manega ki nahi manega. Isiliye paramarth ki divyta prakashit nahi ho rahi. Jeena samay katna guru kripa se kalyan ho jana ye sab ho jaega. Is par koi chinta ki baat nahi. Lekin jite di adhyatma ki bhumikaon par vichran karna ye apne upar kripa karna hai. Pyare yah bahut kimti sharir hai. Aapka kalyan to nischit hai. Lekin yadi aap yahan hazaron ka kalyan karke nahi gaye to aapka sadhu bhesh dharan karna kis kam ka?

apne kalyan ke liye to koi khas baat nahi. Hamari sadhna apne kalyan ke liye nahi hoti. Dhyan rakhna hamara kalyan to jis din ham guru ki sharan mein hue usi din ho gaya. Ab ham sadhna karte hain is jagat mangal ke liye. Sadhu ka pura jeevan paropkar ke liye hota hai. Parhit ke liye hota hai. Dusron ke dukho ka nash karne ke liye hota hai. Raat din bhajan karke phir sankalp banta hai. Sarve bhavant sukhina sarve sant niramya. Isliye pura jagat use namaskaar karta hai. Aap sabse prarthna hai is nashvan malmutr banane wale sharir ko priy mankar keval khanpan vishram shayan isi mein katte rahoge.

jeevan rang nahi laaega. Rang na lane ke liye guru agyaa ki kasauti mein kasna hoga. Tab aap priyal ki seva ke abhushan baenge. Tab aap priyal ke shringar seva mein aaenge. Bina kasauti mein kase bina aag mein tape nirvikaar nahi hota. Ek bar himmat karo. Tum sharir nahi ho. Ye sharir chhutega. Tumhen divyta prapt karni hai. Divya parthiv sharir ki asakti wala nahi anubhav kar sakta. Isse upar utho. Bahut ghatiya soch hai. Yadi yah soch bani rahe ki mujhe accha khane ko mile, accha sone ko mile, accha rahne ko mile.

bahut ghatiya soch hai. Raat ke 12:30 baje jag gaye. Apni dincharya mein lage. 10:30 baje tak lage rahenge. Phir jake apni ye ham isliye kah rahe hain ki aap svasth hain aur aap kamai nahi kar pa rahe hain. Chahe grihasth ho ya virakta. Are marna hai yar jana hai yahan se achchhi naam ki kamai kar lo achchhi adhyatma ki unnati kar lo lakho ka kalyan kar doge satar satrati sa lokant hamara janm dusron ka mangal karne ke liye hua hai aap vishwas kijiye bahut ghate ka sauda ho raha hai bahut ghate ka kisko chadhaen kisko uttam riti mein pahunchaen jab tak hamari agyaa par tum balidan hona nahi chahoge tab tak nahi ban sakta.

panch pyaron ki rachna jante ho kaise hui thi? Hamen tumhara rakt chahiye. Tumhari gardan chahiye. Khade ho sabha mein kaun? To ek khade hue andar gaye aur aise rakt ki dhara chal padi. Ab dusra koi khada ho. Panch keval khade hue the lakho ki sabha mein. Phir panchon ko nikal ke laye kyonki kanta nahi tha. Wahan keval leela ki thi. Anya rakt ki leela keval hui thi. Wahan kisi ki hinsa nahi hui thi. Sab ashcharyachkit ho gaye. Ye hai panch aur ek ek se itni samarth bhar dunga ki sava lakh ko ek parast kar dega.

param pujya shri guru Govind sinh ke vachan. Ek ko sava lakh parast karne wali samarth tayyar karo. Kyon? Prannon ko balidan kar diya. He narayan ati kathin hai hari milan ki bat ya mein pag piche dhare pratham shish kaat chahe grihasth ho chahe virakta divyanubhuti ke liye tumhara manav sharir mila hai parthiv bhogon ke liye nahi par ismen aapko apni kripa karni bakaya rah gayi sab kripa aapke upar hai aap apni kripa kar le ismen hamen sab ghata nazar aa raha hai guru kripa dham kripa isht kripa shastr kripa guru lakho ne banaya lekin guru ki baat manne wala koi birla hi hai.

aisa nahi ki nahi hai. Par wo itne mein anguli mein gine jae to ek sadhu jab sadhna karta hai to prant ke prant ko pavan kar deta hai. Aur saikadon sadhu jahan bhajan kare to rashtr ko pavan karne ki samarth rakhte hain. Isliye jago moh nidra se jago tum manav nahi ho tum bhagwan ke divya ansh ho tumhara janm hi hua hai divyta ke liye pashuta ke liye to anya yoniya hai nidra bhay ahar maithun ye pashuta hai iske liye anya yoniya hai tum divya narayan swaroop ho hari swaroop ho apne swaroop ki taraf badho ye sab chodo ye antarik vritt ko sudharo bhai khanpan vishram yah kuch nahi hai.

kuch nahi hai. Pura jeevan khate khate mar jaoge. Phir bhi rasd tript nahi hogi. Bhogte bhogte mar jao par jnendriay tript nahi hogi. Dekhtede mar jao par netrendar tript nahi hogi. Ye kaisa jhutha natak? Is natak ka pardaphash karne ke liye tum janme ho. Apne hriday ke natak ka pardaphash karne ke liye. Yahi sukrit hai, yahi tap hai. Aur aise hriday walon ka akarshan shri priyal karte hain. Bina dekhe jeevan chala jae to dhikkar hai jeevan ko. Kya dekhna hai? Priya pritam ko inhi ankhon se aise spasht in nainan sab sukh dekh apno janm suphal kar le.

iske liye shripad varnan kar rahe suna dhamni tato majav kesho jat kathya kapi ne char khandak krite na saumya kriti tu ka sakla dhama dharm ivantam vidure charan shri Radha pad das leen hridyo Vrindavane Shyam kriti bole itna sadhan mein tanmay hai ki bhojan bahut alp ho gaya isliye sukshana dhamni nas nadiyan ek ek gin lo dekho yah hai apne upar kripa wo aapse sachchi kahte hain kai kai din bhojan bhojan na milne par bhi na shakti ka hraas aur na nirasha na chehra udas kaise sadhan bal aasnan mein baithe wala prannon ka sanyman karne wala kabhi bhi tej rahit nahi ho sakta utsah rahit nahi ho sakta kyonki uske paas bahut badi samarth hai bhajan brahmcharya asan pranayam bahut badi samarth hai bahut badi kisi bhi sampraday ka ho ye atyant avashyak hai.

atyant avashyak hai. Koi sun nahi raha. Yah apne upar kripae rag tyagi vairagi kahlaane wale aap hain. Paramarth ke pathik hain. Sukshana dhamni tato mrijap kesho jarat kathya sharir ki ek ek nas nadi gin li jae aisi kyonki alphar pujypad du Baba pujypad magnanand Saraswati ji maharaj shri Swami anang bodhashram ji roteeram Baba ek sitwa Baba aiseise siddh mahapurush ek din satwa Baba ja rahe the to ganv mein pehle shauch bahar jaya jaata tha to ek lote mein teen matayen shauch unmein se ek ne kaha ki tumhen kitna to bole do teen chhulu bole hath to saaf nahi hua hoga bole ata lagana hai saaf hi ho jaega usmen vinod

mein usne kaha ata lagane mein to saaf hi ho jaega usi samay setu Baba ne sankalp liya aa jeevan kabhi kabhi roti nahi khaonga to ann bhunjwa lete aur use itna aisa wo bade siddh mahapurush hue roteeram Baba jis samay pradhanmantri indira Gandhi thi ye darshan karne jaya karti thi jaise devra Baba ke bade siddh mahapurush roti bas hath mein aise roti le li bas usi ko bas yah chappan prakaar ke bhog priyal pave dekho Swami ji uttam bhog lagae mor markat ko seve aise prasad bihari ji ka le lete ho sab aap chana pa ke he bhai kamane aae ho lakshya pe tir ekdam amog baan ki tarah jana chahiye yahi samay yahi samay kamane ka yahi samay kamane ka yahi samay gavane ka hai.

jiski jawani tap mein uski vriddhavastha mahan anand mein jiski jawani bhog mein uski vriddhavastha durgati mein kaagaz mein likh lo. Aur jiska prarambh se bhajan uska antim bhagwadakaar nischit jiska prarambh vishaykar antim badlna bada kathin. Yah jeevan ki baten kah rahe hain. Sukshana dhamni tato mrijwap kaise kaise tumhen batayen lakshya hi nahi hai to kaise batayen lakshya jab ban jaega to nahi khanpan te bhave hai nahi komal vachan suhave hai sab vishay lage te khara hai hari ashik ka mag nyara hai halwa aur gulab jamun pane wale lakho ho sakte hain lekin priyal ke liye aansu bahane wale do kaho Harivansh ras birlo samjhanhar ek doi jo paie khoji sab sansaar satya satya param satya baat kah raha hoon param kasauti kas ke apne aap ko jhonk do tapasya mein abhi age priyal mil jaenge divya anubhutiyan bina guru ki agyaa par chale Divya anubhutiyan nahi ho sakti hai kha pi ke mobile se gandi baten dekh ke samay kaat lo Priya pritam ki divya leela dekhne ka adhikar nahi prapt kar paoge man lo aur ek bar chadhai par chadh jao to sab khatm ho gaya.

sadhan kal mein ek kaval ann pujya padiya Baba siddhvastha mein 70 gharo mein ek din mein bhiksha pane jaate the. Ek din mein 70 gharo mein agar ek ek kaval pate honge to 70 kaval pate. Samjh lijiye aap ek bar chadhai pe chadh jao. Khel ho gaya. Bhagwat sakshatkar ho gaya. Ab kya to badshah ho gaye. Ghumo. Anand magan ghumo. Koi parast nahi kar sakta. Par chadhai hi nahi chadh rahe. Bina vijay hue koi samrat nahi banta. Santo ko badshah ka badshah kaha gaya hai. Chah miti chinta miti manva beparwah jinko kachu na chahiye wo sahan ke sa dekho tum gulam ho ya sahsa ho.

badi vichitra durdasha hai. Badi vichitra durdasha he bhai jago suna dhamni taj kesho jaya kabhi ek minute jeevan mein kisi ke paas baithkar ke varta karne ki kabhi ruchi nahi rahi. Varta karne ki ruchi. Yahan Vrindavan tak mein ye Balram brajvasi jab milne ate the to sabse upar chat mein Padmasan lagae baithe. Kabhi jab drishti khulti to dekhte hath jode khada hai. He Baba kuch paya hai ki nahi? Ye le le prasad pa lena. Haan theek hai bhaiya rakh do ab aap jao kabhi vishwas kijiye prapanch varta hansi majak milna julna aag lagao andar ye dusre ke samjhane se nahi hota hai khud ki aag se hota hai nai avastha hai aapki ya paramarth mein chal rahe ho chahe grihasth ho chahe virakta ho yah pet badhne ka matlab hai sadhan vihin jeevan kar lena.

siddh purushan ke pet badhe to anand tond hai. Anand unki koi baat nahi. Abhi kuch dekha hi nahi hai. Badhne laga charbi aur mans aur ye sab bilkul nahi. Bilkul nahi. 18 se 48 tak ghor tap mein jeevan. Phir age jo siddha avastha aa jaegi aap khud dekh loge. Kaisi anandmay vritti hoti hai. Hamari prarthna man lo. Aap seva mein rat rahe lekin nirantar chaturashi ji naam jap mantr jap chalta hua aur jab samay mile fouran aasnan par baith jao do ghante teen ghante vishram bas aasnan par baithkar ke hi apna samay vyatit karo jawan ho brahmachari ho bhagwat marg ke pratik ho tato mrijavpuhu aa kabhi sharir mein sabun tel sansarik vastue mein inka prayog mat karo.

waise prayah nahi karte. Mat prayog karo. Kah rahe ki amrij va sabun laga ke iske chamdi ko chikni karke kya tumhen sansaar ko dikhana hai. Kiske sabun ghor rajoguni vastu hai. Sharir mein nahi kabhi lagana. Agar kabhi jata aadi ki baat aati hai dhone ki to shastuen aati hai reetha aadi aisi gh ke dal lo jal dal lo uchit saaf ho jati hai jeevan mein kabhi kabhi nahi ganga maiya ki kripa se ga apne aap nirmal aise kahin bhi tel ka kabhi prayog na ho to kabhi ja nahi par sakte dhyan rakhna kabhi jata mein koi kida nahi par sakta yadi aapne tel ka prayog nahi kis baat ka tel ka prayog karna hai kyon chamdi chikni karni hai.

ab to bhai seting phiting sab pata nahi chalta hai ki kya sadhuta hai. Kya vairagya ki paddhti kya niyam kuch pata hi nahi chalta hai. Dhatu sparsh karna bairagi ko mana to 14 anguthiyan pahne. Bada lagta hai. Bada vichitra lagta hai. Sadhuta ka bahut sarvnash hota chala ja raha hai. Sanyaas marg aur dhatuon ki anguthi sadhu aur vachan ki nishphalta bilkul jhuthe shabd bole ja rahe. Sadhu bhash rakh ke tab tak kya hai? Paramarth ka kya swaroop samjha? Sadhu ke vachno par vishwas hota hai. Aap aaenge ji kah diya ki haan to panch minute pehle upasthit wahan aaenge.

agar badha hamare pahunchne mein pahunch rahi to suchna pehle pahunch jaegi. Kshma kijeyega. Amuk samasya ke karan sadhu ke vachan hi hote hain. Amarjit sharir keval jal se dhul liya. Bas gandi honi chahiye. Chamde paaglon jaisi sthiti sharir ki banao. Kabhi donon kapde naye nahi hone chahiye. Ek purana jarur hona chahiye. Niche ka purana upar ka naya upar ka purana to niche ka ek saath kabhi naye vastr mat dharan karo. Jo ek mariyada hai usse chalo. Tato amrij vahu bas keval jal se pavitra ke liye dho liya. Malmal karke sharir dhone ki zaroorat nahi.

jal dal liya pavitra ke liye aur kah rahe kesho jat kanthya balo ko kangha mat phero jata rup mein parivartit karo shripad kah rahe agyaa kar kisi kisi ka swabhav hota hai mahine dedh mahine do mahine mein bana lena wo barabar do hi marg hai ek jata rakhna ek purvabhaas is sharir ka raha hai 10 12 varsh mein mudwa le to mudwa le 10 12 varsh tak aise pare rahne ka kisi kisi ka abhyaas hota hai jaise pujya Gurudev bhagwan prati do mahine mein do hi paddhtiyan hain vastr kanthya kopeenen cha cheer khand krite do langoti do achla ek upar ka odhne ka jab tak ye phat na jae.

koi de raha hai to sparsh kiya jaata hai. Uski mariyada hai. Hamen nahi chahiye. Aise nahi bola jaata. Koi de raha hai to pehle use liya mathe se laga liya phir wapas kar diya. Bahut accha jo sujha hua abhi karnatak se sanyasi ji aae the. Unko vastr diya liya. Aise mathe par lagaya aur bahut jo shastr sammat sadhu sangh ke ek ek unke aacharan pramanit hote hain. Aisa nahi kaha mujhe nahi chahiye liya unhone mathe par lagaya saga bhi phir inko de diya le nahi chahiye hamen hamare paas hai bas sadhu hai bahut accha laga bahut accha laga sharir kaisa bole ek ek nas ek bar chadh ek bar chadh jao pyare ek bar chadh jao is adhyatma ki unchai par pahunchne ke liye ek bar avidya ko chheer karo ye sharir avidya hai avid vidya ghor avidya isse priti mat karo mat karo yavat swasmad kalevar yaav dur jara kaise sachchai se yar hamari ichchha hai ek bar hamne sabha mein

isiliye aaj baat rakhi hamari ichchha hai ek bar prannon ki parvah chhodkar ek bar aise sadhan mein lago jisse priyal ki prapti ho jisse priyal ki divyta ho aur us divyta se ham jagat mangal kar sake ek din Balram brajvasi ne kaha Baba tum ho to chal raha hai satsang sunne ko mil raha hai to to aap chale gaye to phir kya hoga tum kaha ye bagichi hai hamari shri ji ka laga hua ismen koi na koi to tayyar karenge hi shri ji wahi baat tayyari ki hriday mein ki bina tap ke bina sadhna ke sahab nautanki

natak hota hai pravachan karna ye char ko rijhana haan bahut nautanki natak kya samjhte ho? Dene wale jo ate hain na sansaar ke bhogon ko dete hain. Ye pair pujwate hain. Ye chakri karate hain. Sadhu se karvawe seva narak jaate hain. Bahut ganda sansaar ka sab utho aur apni divyta ko pehchano aur aisi shaktyon ko sanchay karo ki aise kabhi na karna pare. Ham chahte hain ki adhyatma ki unchai par ham chadhave. Hamari baat man lena agar brahma ki bhi takat nahi ki tumhen gira de ham aapko bahut bade bal se sanyukt hokar kah rahe hain par hamari agyaa par chalne ke liye bas Gurudev bhagwan kah rahe the ki bas man lo jaan jaoge sunna mat kisi ki man lo meri baat aksharsha guru ke vachan param satya tum kisi ki sunna mat arth mat padhna jaan jaoge apne aap man lo mere lage raho naam vani mein lage raho naam vani mein sab jaan jaoge ek ek akshar maharaj ka bilkul sakshatkar hote hue jeevan mein ek ek akshar

kaupeenavta khal bhagyavanta bahut bada bhagyashali hota hai jo kopeenta langoti dharan karne ka matlab samjhte ho langoti laga liya to kachhwa man nishchal rakhe dhan dhan janani teri re yah phir ham aa gaye usi line par bar-bar kah yah jinke paas mobile ho tach wala is dushman ko chodo satsang ke bahane kusang nahi satsang sunne ke liye aur yantr rakho abhi hamko kisi ne dikhaya tha ki 700 ghante satsang sun sakte ho itni badi chip mein wo lagao wo satsang suno mat rakho ye tach wala mobile ki yahi avastha hai divyta

ki taraf chadne ki are koi samjhane wala nahi tha. Tab ham aag mein pair rakhkar chal rahe the. Age badho. Chahe grihasth ho, chahe virakta jab tak tap mein jeevan, pavitra jeevan, nishkam jeevan nahi tab tak adhyatma ki unchai nahi milegi. Kalyan bahut chhoti baat hai. Kalyan to putr ke bahane narayan bol diya to kalyan ho gaya. Kalyan karne ham nahi aae. Ham Baba ji log hain. Jagat ka mangal karne aae hain. Apna mangal to ho gaya. Jis din ghar se nikle the prabhu ke liye usi din ho gaya. Ek bar koi bhagwan ki sharan mein ho jae to aajeevan nirvah karte hain.

hamara uddeshya jagat mangal satti satti salokti aa kaise priyal ka premi jan hota hai bole sukshana dhamni tato amrij kesho jat kathya ek ek nas nadi dikhayee de rahi hai tato amrij kabhi sharir saaf nahi karte bas snaan kar liya mal laga hua hai. Aise raj lagi hui hai. Keshav jarat jatayen ban gaye hain. Bahut badi sthiti ke liye tum logon ko shri ji ne nikala hai ghar se. Ab chukna nahi. Ab ye pramad sthiti mujhse sahi nahi jaegi. Aapki pramad sthiti nahi sahi jaegi. Utho kesho jar kathya har sal naye kambal har sal naye vastr har sal nai vastu are kabhi to roko ki mujhe nahi chahiye to mujhe sheetalata lage nahi chahiye kambal se sardi thodi rukte hain jawan sadhu brahmcharya tapasya asan inse sahi jati kabhi zindagi mein sweater garam sal baniyan ye sab kabhi zindagi mein nahi ye to ab sharir ashwastha hai bhagwan jaise rakhe kabhi nahi pooch lena Balram brajvasi hai ki jab bahut sardi thi bole Baba ka vyvastha karen tum agar kar sakte ho to apne tumhare yahan gehun ka wo vyapar hota hai ate ka uska bora le aao to bole sil ke le aaenge sham ke le aaya wahi wo udte the ek kushasan para hai bora dal liya upar samay kaat liya apne do baje se parikrama shuru Vrindavan ki ye parikrama naam jap sadhna ye sab divyta bhagwat prapti ke liye hai.

kone cheer khand krite kapda jab tak pahne layak ho tab tak dikhavti nahi hona chahiye. Ham kabhi ek kal parso ek sadhak se kaha bahut ekdam malin ham kaha dekho dikhavti nahi sthiti mein malinta wo to theek hai vastr ki lekin dikhavti nahi dikhavti dikta hai achhche kapde upar jab hai tumhare paas to upar daalie ek niche malin pahnie dikhavti mat kijiye ki koi kahe ki tum bahut vairagywaan ho dikhavti nahi wo antar ki sthiti dikhayee deti hai aur kah rahe hain shant swabhav se samasth dandon ko sahna bhai is sharir ko jitna tum dheela karte jaoge utna hi aapko parast karta jaega kaise anand ki anubhutiyan anubhav karoge jab sharir hi rag mein fanse hue ye andar khajana hai anand ka khajana hai chilla chilla kar ro padoge itna anand hai anand ka rudan lauto deh bhav se lauto apne andar lauto hamari bahut andar kal se chintan chal raha hai.

lauto vyarth ka samay nahi. Ye jo samay chal raha hai aap ye samjh lo kisi yug mein aisa samay nahi chala jaisa ab chal raha hai. Kalikaal mein to chalega hi nahi. Ye to keval abhi kuch varsho ka samay chal raha hai. Bas yah samay aaya hai anand lutne ka. Bhagwat prapti ka lut lo bhagwat prapti kar lo na piche samay tha aur na age samay aisa rahega. Bahut badhiya samay hai. Is samay bahut badhiya samay bhagwat prapti ke liye. Man lo nahi pachhtaoge. Chupchap ismen kah rahe hain cheer khandak krite na saumya kriti tani ka sakla adhmadham sabse main nich hoon aisa mankar ivyantam vidure charan jahan vishay purushan ki varta ho rahi vishay bhogon ke dur hatkar shant ekant chintan kya bole shri Radha pad das leen hridyo shri kishori ji ke charnarvind ki dasata mein hriday leen hai.

Vrindavan Shyam kriti koi aisa Vrindavan mein kritarth karne wala aisi rahni se rahne wala ye aapko kaun si ab badha hai? Kya kya aapko kaun rok raha hai? Uttam sthiti prapt karne ke liye kisi bhi bade mahapurush ka charit padhkar dekho bina tap ke kuch nahi bina tap ke kuch nahi tap mein jeevan vyatit ho ye rasgulla kabhi khatm nahi honge kabhi bhojan ke achhche-achhche jo padaarth kabhi khatm nahi honge ye maya hai maya ye badhati chali jaegi kya khaoge roz khao roz khao roz maro kuch nahi hai ismen aao apne sanyam mein aao ek roti do roti ka niyam banao raat din bhajan mein tab aap samet paoge tab samet paoge tap ko jitna ekatrit kar loge utna hi prabhav aapka padega jagat mangal ke liye ye sadhu bhesh keval jagat mangal ke liye man lo meri prarthna apna kalyan to ye paisa ikttha karne ke liye pet bharne ke liye aram vyvastha ke liye nahi marna hai yar kya aram marna hai kya sajaoge is sharir ko chita mein rakh karke ise lakdi ki tarah jala diya jaega.

bilkul bilkul savdhaan ye satsang keval bhagwat prapti ke liye keval bhagwat prapti ke liye shripad kah rahe hain ki vi Divya lakshir cha sushma sourabh ghan laksh jimya karan shravan viti vit gu da patte y cha kot nam no tapt mein tatha pratam parmanand Vrindavan Vrindavan ab aapki kripa ho gayi hai to aisa lagta hai aap kripa karke hamen lakh netr de do laksh lakh aankh netr to main aapki shobha ko dekh paun. Do netron se nahi dekh pa raha. Aisi divya shobha hai. Par is divya shobha ko dekhne ke liye chahiye. Ek to bhagwan kabhi anukulta na de.

bharatri ji se jab bhagwan shankar prasann hue, prakt hue to kaha vardan mango. To unhone kaha prabhu kabhi mujhe jeevan mein sammaan na mile aur sammaan se kabhi bhiksha na mile. Ye vardan dijiye. Bharatri chakravarti samrat the samjho kabhi bhagwan anukulta prakt ki na de sadhna ki de pragat bhogon ki anukulta kripa karke na de sadaiv pratikultaa dete rahe jisse ham bhagwan ki taraf badhte rahe kuch aise vign sadhak hain teen varsh ho gaye abhi tak kular nahi lagaya garmi mein jab hamen pata chala to aaj adesh kiya usko turant vyvastha usne kaha nahi ham apna swabhav nahi bigadna chahte aap agyaa karenge to palan karenge par hamara yahi antarik bhav ki ham apna swabhav nahi bigadna chahte kaha dhanyavaad chalo he jab apne marg mein chale na to hamko bhagwan ne pratikultaa hi di yahi pdos mein hamare kamre ki bijli kaat di gayi thi kyon irshya itni prabal to jante ho kitna anand hota hai.

thodi der pasina se lathpat phir pura sharir shital na upar chat mein jana na koi yantr aur koi agar wo ek chhota sa pankha upar laga tha ashram ki vyvastha se to bhagwan ki kripa se jahan se hamare kamre ka connection tha bijli kaat di puri garmi sardi barsat sidhe prakriti ka varsa ho dehateet sthiti mein jo anand hai wo in suvidhaon mein nahi hai narak hai suvidhae narak papi purush bhi isi mein baitha hai papi purush bhi lekin tum jis AC ke liye aae ho hridte madhupte smar tap nivapat param shital mashyami ye aisi chahiye gore charnarvind ki sheetalata ki he Vrindavan mere nak nash jo ye ghanendra hai ye do hai isse mujhe labh nahi mil raha lakh lakh kar do jisse main Priya pritam ke shri ang rang ki gandh le pao.

he Vrindavan mere lakho kam de do jisse main tumhari mahima sunu. Priya pritam ka yash sunu. He Vrindavan main koti koti charnon se bar-bar tumhari pradeekshana aur tumhare galiyon mein bhramn karna chahta hoon. Aisa kripa kar do. Yah hamari bhavna. Hamari bhavna itni sundar ban jae ki prabhu ki charcha prabhu ka rup prabhu ke shang ki chadhi hui tulsi pushpa aadi yahi hamara jeevan ban jae bhog vasna ham jin mahapurushon ko dekha hai uttam avastha mein pahunche hue ye sab bhash dharan karke manmani aacharan karna bhogon mein rati rakhna ye to aisa samjho ki chakravarti samrat ka poshak rakh ke footpath mein ek ek rupya mangna aisa samjho vyakulta honi chahiye hamen bhagwat tatv ke sakshatkar ki wo mujhe nahi dikhayee de rahi jaise ek drishti lalakti hai brahm bodh sampann mahapurush ke darshan ke liye brahm to sab hai lekin brahm bodh tatwagya mahapurush ke darshan ke liye drishti pyasi hai.

bhagwat premi mahapurushon ke unmad avastha darshan ki pyasi hai. Wahi prapt karne ke liye aapko Priya ne chayan kiya hai. Aap vishram mat maniye. Agar bhogon mein vishram manenge roz samay kat raha hai. Agla samay ane wala hai. Bhaykar rogon ka suchna mil jaegi pareshaan ho jaoge. Kaisa kaisa jeevan mein mod aata hai. Dekho sadhak socha tha kya? Galit kush se kamre mein band rahta hai. Har samay kaisi saja hai. Har samay band rahta hai. Kamre bahar nikalna mushkil nahi. Kya tum sone se madha ke aae ho? Tumhare upar kya rog ka aakraman nahi hua?

aaj svasth ho to tumhen khanpan accha lag raha hai. Bhulwe mein maya ka karya hai. Dal dena mat bhulo bhai. Aisi unchai mein pahunch jao ki tumhen dukh koi chu na paye. Yahan koi bhi kisi tarah se sukhi nahi hai. Iska naam dukhalai mrityu lok hai. Aap log to samjh jao. Aap log to utho is bhav se. Koi samjhane wala nahi. Keval keval maya ka pravah chal raha hai. Kitna maya ka dekho bhram kitna bhog ekatrit kar le, kitna bhog bhog le, kitna rupya ekatrit kar le. Bas itna hi hai. Kuch nahi ye natak hai maya ka.

sthul sharir ka rag, sukshm sharir ka rag, karan sharir ka rag tyag karke apne swaroop mein sthit ho jae. Jeevan mukt mrityu ke bhay se rahe. Ganga kinare hafta hafta bhar bhojan nahi milta tha. Hafta bhar ganv jana nahi ganga kinare hi praarabdh prasad jo mile ashraomo mein thaharna nahi vriksh ya koi aisa mandir jo kisi ki seva mein nahi bahar aise shankar ji ki aise o tab paramatma sakshatkar tab koi divya anubhutiyan lago bhai lago agar isi janm mein divya ham kalyan ka to theka lete hain ek bar shri ji ki sharan mein aa gaya Harivansh sharan ho gaya Radha naam jap raha hai Vrindavan darshan kalyan kalyan wali to sab baten ho gayi.

apne kalyan ke liye thodi hai. Apne kalyan karne ke liye hain. Bhaymud mangalkari mangalmay nahi mangalkari. Mangal karne wale banne ke liye ye vesh kiske liye? Mangal karne ke liye. Jagat mangal ke liye shripad kah rahe kare shanku pravesh kimpi kah rahe shri kar sh pravesh kitte tas doshan bole yadi Priyalal ki charcha ke siva prapanch ki baten ham kano mein sune to kil gadhwa le apne kano mein shripad kah rahe he accha lagta hai char log baithkar prapanch panch ki baat karte sansaar ki baat hansi majak narayan hari bhajan mein pancho anusaar vishay bhog nidra hansi jagat priti bahu baat accha nahi pata nahi kaise paramarth path ke pathik ban gaye andar jab bhookh nahi hai to phir bhojan kya karega chahe itna aur aap sachchi mano aap nahi chahoge to aapka kalyan kisi ki karne ki samarth nahi hai.

sadaiv deepak tle andhera paya gaya hai. Samjh lijiye aur do deepak jal jae to andhera khatm ho jae. Uska prakash iske niche iska prakash uske niche. To agar shishya apna deepak prajvalit nahi kiya bhakti kar di prem kar bati. To guru ka deepak jal raha hai aur piche niche jitne andhere hain wo andhere mein hi rahenge. Isliye deepak ki tarah jalo ki kisi bhi deepak ke tle andherana jae jisse char deepak jal gaye to ek dusre ke deepak se prakash andhkar nahi rahega par paya jaata hai deepak tle andhera kaha jaata hai na wo yahi andhela hota hai dehabiman deh priyata chikni ekdam chamde to gussa aati hai ise raddi kaagaz banana tha to ise saja rahe ho mata pita guru mein yahi antar hai jab aap aise chaloge na chikne ban ke to mata ashirwad degi pita se guru jalenga kahan dehabiman mein pusht ho raha aur jab dainya bhav prashantit ekdam naam jab drishti gayi to ghurnit netr tab guru ka hriday ashirwad jao tumhara mangal ho age badho hamse bhi age badho hamari sthiti se bhi tum age badho ham tumhen apne kandhon mein baithaal kar uthte hain dekho tum hamari sthiti se bhi age badho.

guru kripa Vrindavan hai. Vrindavan guru kripa prasad chahte hain ki jaate jaate aisa do char to chamak pare hain. Pakka mano pakka ye na satsang band ho na bhagwat charcha band ho na jai jaykar band ho shri ji ka tayyar. Iske liye jalna padega. Ave mein tapna padega. Aur yahan AC mein baithe se tapne mein donon mein antar hai. Nahi bhai abhi wah rang nahi aaya jis rang ke liye ham tadap rahe hain. Wah rang ye kuch hai jo ham bar-bar kah rahe hain. Isko pakdo kyonki ye sthai dukan nahi hai samne jo tum dekh rahe ho.

ye kabhi bhi radheshyam iska to hamen lagta hai ki jaldi se jaldi jo ham dena chahte hain wo pakdo. Usko pakar lo. Par wo ham tabhi de sakte hain jab aap rahne mein rahoge. Bina rahne ke hamari samarth nahi ki ham aapko de sake aur rahne mein rahoge to hamari samarth nahi ki ham rok sake pahunch jaega aapke paas jaisa nahi kahte ki yar badhiya to sab hai lekin maja nahi aaya bas waise hi hamara man kah raha hai ki abhi maja nahi aaya maja jidhar drishti jae udhar bhagwanand mein ghit netr tapasya se paripurn jeevan jid pramada yadi vati samut chet main shri dham Vrindavan ke us mahmmahim mahatam ko prapt karna chahta hoon jise rasikon ne prapt kiya hai.

aise hamko niyam lene honge. Apni juban ko maun ahar par bilkul sanyam le aao. Zyada tumhen nahi karna hai. Man lo hamari baat aapki adhyatmik shakti ahar pachne mein hi khatm ho jati hai. Pehle dusra ahar tayyar ho gaya. Sham wala pujya shri roti Ram Baba aise siddh mahapurush the. Kabhi kisi ka sammaan nahi karte the. Siddh purush the. Sidhe drishti dekhte hi wahi bolte the jo uske aacharan bana liya bhas bahut unse unke samne jane mein darte the sab unke bhai guru bhai the siddho ke rajya mein ye bharat siddho ka hai roteeram Baba ka 9 baje ka samay kutia mein gufa thi usmen jaate the ratri ke 101 jane nij jan baithe hue the kaha ae bhai aaj ham ja rahe hain ab to laga ki roz kutia gufa mein jaate ek upar jhopdi andar gufa aur aur phir nikelte the din ke 9:00 baje samadhista rahte the.

bole ja rahe hain bhai to sabko laga ki gufa mein ja rahe hain. Ek the bahut bade 202 log raiphal le chal par unka swabhav yahi tha. Wo sidhe exra karke baat karte the. Jinse baat kar unki beijjti ho gayi. Kahte hain aisa ki unhone hi aisa itni chiraiya unki kaat kar le gaye the. Par wo pehle se jante the. Bole ae bhai hamare jane ka samay aa raha hai. Aap sab log jao to sabko laga gufa mein jane ki baat kah rahe hain. Siddh purush ho gaya. Bahut kripalu bahut karunamay koi samjh nahi pata. Wo kadvi baat kahte the jeevan sudharne ke liye.

tu kya kar raha hai? Uth wo jo to kaha ki sadhu hokar ke yah sab kya tujhe paramatma par vishwas nahi kya tune paramatma tatv ka bodh nahi prapt kiya kya tu nirbhay tatv mein sthit nahi jo in loha langad ki tere ko zaroorat padti hai aise wo kat vachan to unke guru bhai the sisolar wale maharaj ji subah wo ganga snaan karke ek bhakt ne bhiksha ke liye kaha tha to bhiksha ke liye gaye. Aapko ascharya hoga hamne darshan kiye jakar ke bilkul vishwas manna to unko suchna mili ki aapke guru bhai roteeram Baba ka paramdhaam gaman ho gaya.

kisi ne unko aisa to unka accha wahi let gaye. 20 varsh tak waise hi lete rahe karavat nahi badla. 20 varsh tak aapko ascharya hoga isliye pehle kaha aur hamen bhi ascharya hua to ham gaye the paidel shisholar gaye the paidel aur maharaj ke darshan kiye bilkul jeevan mukt mahapurush bas panchap minute mein keval gardan ek bita uthti thi aise aise ekdam badi jor ki drishti dalte aur phir aise ho jaate roz subah unki paduka Gangajal se bhi hui aur ganga ji ki balu aur har samay do-400 aadmi bane rahte the do 400 ki bhai subah tadke unki paduka ganga ji se bhijo di gayi thodi balu dal di gayi jis ghar mein gaye the ghar

khali ho gaya unko dusra naya ghar diya gaya wo keval unke darshan ke liye tha aisi 20 varsh mahatma uthe rahe aaj bhi aap shayad hai ki adhnikta chali hai to aap search karke dekhna sisolar ke mahatma ji unka charit aa jaega unke darshan kya yar santo ne prapt ki 20 varsh karavat nahi badli uth ke baithe nahi kabhi khade hokar chale nahi aur roz ganga ji ki renuka aur unki paduka Gangajal se bhi hui milti aur ascharya upar ke bal safed aur niche se kale jag rahe the naveen avastha ka pradurbhav 20 sal badal na khana na pina aapko ascharya lagega koi unki chati mein peda rakh raha hai to kutte akar kha ke chale ja rahe hain koi ₹000 rakh raha hai to koi utha kha ke le ja raha hai to koi aise bhagwan ki tarah seva ho siddh mahapurush 20 varsh baad sharir pura kiya saiya par lete yah wo marg hai ye bhagwat marg hai divyta nahi prapt karoge to sadhuta ka matlab kya rah gaya shripad Prabuddhanand ji maharaj kah rahe hain Vrindavan gun vrinda mamand anuragan chha mahine mein dhruv ji ne param param pad prapt

kiya jo brahma ji ko bhi prapt nahi hai. Brahma ka parmesthi pad hai aur kahan? Mathura mein. Aur aap kahan hai? Vrindavan mein. Mathura aur Vrindavan mein bahut antar hai. Kya antar hai? Mathura mein bhagwan ki upsthi mani gayi hai. Aur Vrindavan mein bhagwan ki sevkai mani gayi. Priyaju ki upsthi hai. Prem swaroopa priyaju yahan adhinta jo mahawar rachna kar rahe hain shri ji ke charnon mein wahan to bhagwan ka ishwar chaturbhuj mahmmahim bhagwan aur yahan prem swaroop yahan to siddh bhumi yahan bahut jaldi bhagwanand ki prapti ho jae lekin hamse aparadh aise hote rahte hain.

aisi trutiyaan hoti rahti hai ki ham bhagwanand ki anubhuti nahi kar pa rahe. Yah bahut zyada samay nahi hai. Phir age samay aisa ane wala hai ki aap na bhajan kar payenge, na bhagwat charcha sun payenge. Pakka maniye ham chilla chilla ke kah rahe hain. Kuch din pehle mahapurush kah gaye ki dekhna Vrindavan mein latae nahi rah jaengi. Mahal khade ho jaenge. Hariram vyas ji pad mein wo sab dikhayee de raha hai. Latae antardhya mayur antardhya hote chale ja rahe hain. Pashu pakshi ka kolahal antardhya hota chala ja raha hai.

ye building banti chali ja rahi hai. Aise kah rahe hain. Abhi jo samay bhajan ka hai bhajan karke bhagwat prapti kar lo. Age samay ane wala hai. Nahi ye khel kud mein mat samay nasht karo. Yah jeevan keval drama hai, keval natak hai. Yah kuch din ke liye mila hai. Kuch din ke liye agar ismen bhagwat prapti nahi kar paye to kisi yoni mein nahi kar paoge. Aur abhi nahi kar paye to ab ye to samjh lo 4 lakh 32,000 varsh ka kalyug hai. Abhi 5000 varsh hai. Age kar hi nahi paoge. Kyon? Aisa khanpan, aisa vihaar, aisi sachchi kah rahe hain.

satya marg kinhin kinhi ke dimaag mein hai nahi sab gayab hota chala ja raha hai. Bhagwat tatv ki taraf se to bilkul udasinta hoti chali ja rahi hai. Koi virle mahapurush hai jo keval bhagwat prapti ke liye is marg mein chal bahut hi maya ka prabhav badh raha hai. Age chalkar aisa hi ho jaega. Abhi to ab aap batao apna Vrindavan maha prem swaroop hai. Ek se ek bhajnanandi sant antardhya hote chale gaye. Pakar mein nahi hai. Pujya Chandrashekar Baba raat din bhajan mein tukda mangkar brajvasi khate raat din gaye.

ek ek lakh aadmi gita ji ka updesh sunkar ke shanti ko prapt hota. Pujya shri Swami Ram Sukhdas antardhya jinki kalam se desh videsh mein lakho bhagwat prapt hue aur hote rahenge. Pujya bhai ji chale gaye. Bade-bade jo mahapurush is jagat ke kalyan wo sab antardhya hote gaye. Aaj apne beech mein satsang ka abhav samjho. Ye chal raha hai to chal raha. Satsang ka satsang jo sidhe bhagwat prapti ka nahi manoranjan karna taliya bajana ye wo is tarah se sansaar ka bhogon ka sangrah karna bahane baji se ki aaj ye prasang hai itne ye dan karo wo dan karo aaj ye kanyadan karo aaj ye dan karo lekin sidhe man ka bhanjan karke swaroop bodh prapt karo iske liye jo satsang mein bahut durlabh baat hai abhi jo aapko mil raha hai uska labh le lo khanpan par sanyam karo sona kam karo, bolna band karo, hansi majak band karo, naam jap karo.

agar aapko lagta hai ki manoranjan ke bina jeevan nahi chalta to is sansaar ke hiro heeroinon se tum manoranjan sikhna chahte ho. Priya pritam se manoranjan jahan koti kandarpa damneey rup hai. Jinki mand muskan ke liye bade-bade brahm rishi tadpate hain. Unke saath hamara unka naam hai jan man ranjan. Wo apne bhakton ka manoranjan karte hain. Priya hamare man ka ranjan hai Priya pritam. Hamare man ka ranjan hai kirtan. Hamare man ka ranjan hai bhagwat leela katha. He tum sansari aadmi nahi ho. Tum bhagvatik path ke anugami ho.

isliye chalo. Isliye hamari prarthna hai unnati prapt karo. Adhyatma unnati prapt karo. Kuch nahi hai. Ye sangrah parigreh bhogne ki vasna ka tyag kar do. Nahi ye roz hamara chillana koi labh nahi de payega. Labh tabhi hoga jab pehle tum badlo. Jab ham tum badlenge tab ham hazaron ko badal sakte hain. Pakka vishwas karo. Agar ham tum tejomay nahi honge to ham parast ho jaenge. Ye maya parast kar degi. Kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar ekdam ghun shunya bano. Ekdam pagal jaise bano. Apni chittritti ko nirantar bhagwadakaar mein rakho.

ye jitni bahya sevae inka phal hai antarik bhajan inse tript mat ho sharir pavitra hota hai bahya seva karne se man pavitra hota hai bhagwat chintan se aur swayam ki anubhuti hone se sab pavitra ho jaata hai swayam se badhkar koi tirth tribhuvan mein nahi atma tirth se badhkar koi tirth jise atma bodh ho gaya wo sab param pavitra ho jaata hai isliye bhai hamari hath jodkar sabse prarthna hai aaj ka satsang isi par keval gaya hai. Aap apne kalyan ki chinta to chhod dijiye. Aapko jo ye manav deh mila hai ye param hit ke liye mila hai.

adhyatma ki divya anubhutiyon ke liye mila hai. Kalyan bahut chhoti chij hai. Aap usko na gaur kijiye. Kalyan to ho gaya. Jeevan bhar vaishyagami raha. Jeevan bhar vaishyagami raha. Ek bar putr ke bahane bulaya narayan to uska kalyan ho gaya. Tum janbujh ke Radha bolte ho tumhara kalyan nahi ho jaega lekin hamen is par nahi tike rahna hamen khud anubhutiyan chahiye divyanubhuti jaise ye mahapurush divya leela dekh rahe hain bade-bade rasik jan divya leela to ham kyon nahi dekh sakte ham kyon nahi divya leela mein pravesh ham kalyan ko le baithe rahe ham divyabhuti ham kyon nahi kam vijay ho sakte ham kyon nahi krodh vijay ho sakte ham kyon nahi aham vijay ho sakte hamko yah dekhna hai kalyan to ho gaya hai kalyan ke vishay mein

to ham vada karte hain Radha aadha bolte ho kalyan pakka hai lekin itne se hamen nahi tik jana hamen divyanubhutiyon mein jismen hamare gurjan jismen mahapurush wahan tak pahunchna hai to hamen saath dijiye aap log tayyar hoiye ye sharir poshan hamara lakshya nahi hai hamara lakshya swaroop mein sthit hona hamara lakshya bhagwat anand bahut dhokha hai bahut dhokha jo apne sharir ke poshan mein rahkar keval aandit hai ki badhiya khane pine ko milta hai rahne ko milta hai chahe grihasth ho chahe virakta badhiya dulhan mil bhaiya badhiya ladka bachchha ho rahe hain.

ye koi khas baat nahi hai. Bahut bar dulhan mil chuki hai. Bahut bar sansaar ka khel ho chuka hai. Ek bar nitya dulha dulhan mile. Priya pritam ek bar inko dekhna hai. Aise dekhna jaise ham aapko dekh rahe hain. Aise milte hain aise. Aise nahi milte dhyan mein keval mil gaye. Aise milte hain. Ham ise hi milan samjhte hain aur chhute hain, sparsh karte hain, gale lagate hain, baat karte hain, sambhshan karte hain. Hamen aisa bhagwat sakshatkar chahiye. Kalyan to ho gaya. Hisaab mein to koi kami nahi hogi. Tum ek bar Radha Vrindavan mein bol diye ho, ek bar Vrindavan aa gaye ho, tumhari durgati nahi hogi.

lekin itne se hamen kya hona hai? Hamara lakshya hai Priya pritam ka sakshatkar karna. Aise sakshatkar karna. Khub naam jap karo, bhagwat ashrit raho, ahar kam karo, sona kam karo, bolna band karo. Agar paramarth ke marg mein chalna hai to prapanch ki baten sunna band karo. Shri prabhund pad bhagwat rishik ji gurjan bade bade mahapurush acharya charan inhi baton par zyada jor de rahe rasna kato jo anarto nirakh an phuto nain shravan phuto jo an suno shri Radha jas bain hamen thodi to yar nishtha dharan karni chahiye jo mila kha liya jo mila sun liya jo mila dekh liya jo mila bhog liya yar ye prapanch nahi ye sab dikhava aise kuch nahi hone wala kal jaise se ek prashnta ne kaha wo koi chaupai batao koi mantr batao koi naam batao dukh mit jae dhoke mein rahna bilkul nahi hai kyon tum kitni chaupai japoge kitna mantr japoge yahan bachpan se lage kidney phayl ho gayi hai kitna tum ham dhoke mein tumhen nahi dalna chahte bhagwan ke bap ko dukh bhogna para hai Vasudev ji aise bandhe hain Devki ji aise bandhe hai aur aa kaun raha hai jagat udhar karne wala he iska naam dukhalai hai.

iska naam mrityu lok hai. Sampurn dukh ki jad ko hi mar do ki dobara janm na ho iske liye bhajan karo. Iske liye bhajan ye na socho ki tumhen koi chaupai mil jae, koi doha mil jae, koi yah mil jae ki tum usko 10 20 bar jap loge dukho se mukt ho jaoge. Tum do char chaupai doha ki baat karte ho. Yahan balyvastha mein jab nikle the na to subah tadke se baith jaate the deepak jala ke aur 12 ek baje tak balkand Ayodhya kand ek saath pura samjhte ho subah se jab Gayatri anusthan mila 108 muttha kusaki kusha ki yahan kushaki paiti brahmin ke ghar janm hua tha moochh ki mekhla aur khade hokar Gayatri donon kidney phayl hai karmon ka bhog avashya bhoktuvi kritam karm Subha shubham ye bhajan hota hai.

sadhna hoti hai jad mitane ke liye. Ab agla janm nahi hoga. Anant janmon ka hisaab kitaab barabar ab ja rahe hain shri ji ke paas. Shri ji ke paas jana hai. Iske liye hamare paas prashn karo. Hamare paas prashn na karna ki hamara jukham kaise khatm ho jae? Hamara dukh kaise khatm ho jae? Nahi khatm hoga. Bhagwan avtrit hue. Subah raj tilak hona hai. Aur samay ke 14 varsh ka vanvas nischit ho gaya. Nange pair vishesh udasi bhash tum kya chij ho tum kya chij ho bhagwan ka subah rajya abhishek hona mahan vipatti dashrath ji ka maran mahan saubhagyavti kaushilya ji ka saubhagya ujad jana akhil lok chudamani ko nange pair vanvas mein vichran tum kya ho tum to jeev ho karm ke adhin ho wo paramatma aaya hai agar chhup ke baan Bali ko mara to krishna avatar mein apne shri charan mein baan marwaya aur phir antardhya avashya bhovyam kritam karm subhas nahi bachoge dukho se dukho se unchai par uth jao kya bhajan

karke adhyatma ki aisi unchai ki sharir mein dukh hai aur aap bhagwat anand mein magan ho ye put do char chaupai do char mala se maya par vijay nahi prapt kar loge raat din nirantar bhajan karo uska phal mango ki hamen bhagwat sakshatkar ho jae tab dukh ki jad nasht ho jaegi dukh ki jad hai aavagaman dukh ki jad hai avidya vidya dukh ki jad hai shareerabhiman iska nash ho jae hamare paas koi aushadhi nahi hai bhai tumhare put wali aushadhi nahi sidhe aushadhi hai jad se vriksh ko ukhad ke phenk do is sansaar vriksh ko tumhen kabhi dukh swapna mein nahi aayega tumhare sharir mein is janm mein dukh aayega lekin tum upar uth jaoge dukh tumhen chu nahi payega iski dawa hai iski dawa nahi isiliye ham ek din ka suna hoga satsang yahan bole the ki hai koi tum logon ko bahut drame par aur nautanki natak par vishwas hai ki wo kalava bandh de wo jantur bandh de chhuchha kar de kare aake chhuchha hai tribhuvan mein koi aao hamare Priya lal se badhkar ho tum jinki ham sharan mein hai unhone vidhan kiya hai to tum vidhan mita

doge aao bolo chu jao niche karo aao dialysis khatm badhiya hai karo aao bhai hamari prarthna hai avashya bhogavyam kritam karm Subha shubham tayyar ho jao apne paap karm ko bhogne ke liye to bole tum phir bhajan kis baat ka karate ho tumhare ko aag lagegi lekin chhuegi nahi aag chandan se bhi shital ho jaegi iske liye bhajan karva rahe iske liye nahi karva rahe ki tumhari aag nahi lagegi tumne aag lagai hai to tumhare aag to lagegi par ab tumhen ham aisi unchai par pahunchayenge ki aanch nahi lagegi yah vada hai tumhara tumhara paap karm tumhare sharir ko badhit karega.

lekin tum naam jap ke anand mein aise upar uth jaoge ki tumhen wo klesh nahi de payega. Sachchai ka marg sun lo na koi paida hua hai na koi paida hoga ki tumhare dukho ko mita de. Kan khol ke sun lo. Daro isiliye paap karm se. Avashya bhoktuvi bhogna padega sharir se. To ye bhajan sadhna kis kam ki hai? Yah tumhen dukh se upar uthane ke liye hai ki dukh tumhen chu nahi payega par aayega nahi to Ramkrishna Paramhans ji ke gale mein cancer tha aur siddh mata kali se baat karte the sampurn shaktiya unke charnon mein lautti thi siddhiya kaun-kaun se ham tumhen siddh mahapurush ki baat batayen isliye dhoke mein na rahna ki kisi sant ke paas jaenge wo chu kar dega wo jantur bandh dega wo ashirwad de dega yahi ashirwad khub naam jap karo aur is janm ke baad agla janm na ho.

aise aacharan kar lo. Aisi bhakti kar lo ki tumhare sharir mein dukh ave tum upar uth jao. Tumhen chu na pave. Tumhen sachchai ki baat bata rahe hain. Shabdavedi baan se shravan kumar mara to unke pita ne kaha jaise main putr viyog mein tadap ke mar raha hoon. Waise mare gaye. To maharaj dashrath ji waise hi mare. Ram ji gaye to ha Ram ha Ram par putr Ram the isliye param pad ke adhikari hue baat ham tumhen khol khol ke isliye bata rahe ki aap is rahasya ko samjho jhooth tamasha nautanki natak mein mat faso bhagwan ke liye tumhara jeevan hua hai iska naam dukhalai hai mrityu lok hai yahan dukh aur mrityu ke siva kuch nahi bhajan karke bhagwat prapti kar lo yahi sarthak baat hai aaj keval aap ye dan kar do to tumhare sare sare dukh mit jaenge.

aao hamare paas. Bolo kaun sa dan karen? Mitao dukh hamara. Agar dan se mitta hai to tum vastuon ke dan ki baat karte ho. Jeevan dan hai. Hai ham isiliye dhajhiyan natak ki udate hain. Isliye pakhand ki dhajhiyan udate hain kyonki pura jeevan usi mein chale. Hai bole tum mita lete apna. Tumhara bhajan tha iska. To iske mitane ke liye bhajan nahi tha. Jiske mitane ke liye bhajan tha wo mit chuka hai aur usi ke bal se ham garjan kar rahe hain. Ye bani hai ek side mein koi inse fark nahi. Wahi ham sikhana chahte hain.

wahi pavana chahte hain ki wahi pa lo jiske pane ke baad kuch pana baki nahi. Jiske janne ke baad kuch janna baki nahi rahega. Sada sada ke liye anand mein nimgn ho jaoge. Koi dukh nahi rahega. Isliye pyare pramad mat karo. Idhrudhur mat bhatko. Khanpan mein mat faso. Bhog vilasita mein mat faso. Priyal ke charnon ka aashray lekar nirantar bhajan karte hue bhagwat prapti kar lo. Yahi jeevan ka sar hai. Yahi maha mahima hai. Nahi na jane kitne bhagwan ke avatar ho gaye. Acharyon ke avatar ho gaye. Hamari durgati nahi band hui.

hamari durgati nahi band hui. Aaj bhi kitne bhagwat prapt mahatma hai. Hamari durgati nahi band hui to hamko bhajan karna padega. Hamko apne aacharan sudharne padenge. Hamko bhagwat chintan ke dwara apna dukh mitana padega. Kisi ke ashirwad se laukik bhog mil sakte hain. Bhagwan nahi. Dhyan rakhna bhagwan ke liye swayam bhajan karna padega. Ham man liya ki laukik siddhion se kuch thoda bhog samgri mil sakti hai. Jaise dattatrate bhagwan ne kripa kari to 88 hazar varsh jawan rahkar bhog bhoga. Shastra arjun lekin sadgati brahm rishi jamdagna ji ka virodh kaat ke phenk diya bhagwan parshuram ji ne isliye ham shastr ke manan karke santo ki mahta ki baat aap satsang ke sar baat aap sun lijiye aapko apne kalyan ke liye khud bhajan karna hoga bhajan karke aisi sthiti prapt honi ki hamen koi man apman dukh sukh labhhan ye prapt na ho ye ismen hamen koi badha na pahunche.

sevak ji maharaj kah rahe shatru mitra samjani mani man apman sam dukh sukh labh nahani ye hai ko man mila harshit ho gaye apman mila ro diye prashansha mili chati chaudi kar di ninda ki aise ye koi sadhu tha ye koi sadhak hai shatru mitra samjani man apman sam dukh sukh labh na ye hai bhajan ka phal dukh sukh labh na hani ye jo kripa Harivansh ki satya marg bahut prakashit it nahi hota kyonki maya prakash apna karti hai wah dhaka rahta hai gurujanon ke vachno se prakashit hota hai shastr aur gurujanon ke vachno ki abhi kripa mil rahi apna kam bana lo dukh sukh sahte hue bhagwat prapti kar lo khub bhajan karo khub bhajan nirantar naam jap karo ye gal chiknane se kuch nahi hoga ye narak hai narak narak hai narak bham narak mein ye narak kida hai kuch nahi hai sharir prarthna karte ham pravachan nahi kar rahe hriday ki baat kah rahe bham narak mein ye kida hai narak ka malmutr ke beech mein paida hua garb mein jante ho kya tha aur malmutr banane wali chijon khakar ke raji ho raha hai aur malmutr ke bhog mein apne ko garb hosh

mein ho jao naam jap karo dharm purvak bhogon ko bhogo adharm aacharan ka tyag karo aur bhagwat prapti kar lo yahi sar baat hai aur samjh mein ave to ave nahi to hamari samjh to pakki hai. Koi samjhe ya na samjhe sabse hamari samjh bhali aur thakur nand kishor hamare thakur Vrishabhan lali shri Radha vallabh lal ki jai ji

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi