॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

“naam” ki mahima: jeevan ke samasth sankat se raksha karne wala achuk sadhan // 29/03/2025

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh shri Harivansh Vrindavan tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugram nirvai param shital mashyam param shital mashray Shyam kishor juko do rang rangit Pitambar chunri tumko ko do rang rangit Pitambar chunri he Shyam sundar aap Priyaju ke shri ang ke shobha wale Pitambar dharan karte hain aur he shyamaju aap Lalaju ke shri ang shobha wala nilambr ki chunri dharan karti hai Shyam kishor juko do rang rangit Pitambar chunri eso rup kahan tum payo ahar nish soch udhe bhuri Manmohan sur gyan shiromani sab angni ang kok nipunri shri haridas ke Swami shyama tumhari vichitratai prem so payat ras sunri shyama tumhari vichitratai prem so paeet ras sunri Shyam kishor jo tumko do rang rangit Pitambar chunri upasak ko apne upasya dev mein apna aham samarpit kar dena jeevan ki param uplbdhi hai.

sab kuch samarpit hone par bhi yadi aham samarpit na ho to sharanagati purn nahi mani jati. Wo hoti hi nahi purn. Aur aham samarpit ho jae to sab apne aap samarpit ho jaata hai. Jaise kareegar ko bandi bana lo to uske yantr sab apne aap aapke ho gaye. Aise is srishti ka janm maran ka man apman ke bodh ka dukh sukh ka labhah hani ka yah mul hai ahankaar sanskriti mul shul prad nana sakal shok dayak abhimaan ye sanskriti ka mul chakra hai ahankaar aur yahi sare dukh pradan karta hai. Yah jab gyan ke dwara galit hokar shuddh brahm rup mein sthit ho jaata hai to moksh aur jab guru prasad se ahankaar galit hokar Priyalal ke charnon mein samarpit ho jaata hai to prem jab tak ye aham surakshit rakhta hai sadhak tab tak sadhna hoti hai par sadhna ka prakash nahi hota prakash sampurn agyaan dukh ka nash ho jana ek adbhut akhand prasannata adbhut anand ki utpatti ho jana yah nahi ho pata.

kal ek bahut achhche sant padhare the ekantik mein. Unhone bahut imandari se prashn kiya ki hamari sharir ki bahut avastha ho gayi. Hamara sadhan bhi bahut kripa se guru kripa se chal raha hai. Par mera man abhi tak wah sthir nahi hua. Ashant hai aur chanchal hai. Yah khas baat pakdne ko milti hai. Aham na samarpit hone par. Bahut lamba samay nikal jaata hai. Sadhan pavitra sadhak hai wo. Pavitra sadhna kar rahe. Par aham surakshit hai. Aham kyon surakshit hai? Kyonki kahin na kahin sadhan mein truti ho rahi hai. Kya truti?

ahar ki, arth sangrah ki, sharir sukh suvida ki kahin na kahin isliye aham surakshit hai. Jahan ahar shuddh hokar sadhna hoti hai. Arth ke prati bilkul apeksha nahi hoti hai. Sharir sukh ke liye bilkul koi chahat nahi hoti hai. Aham guru prasad se apne aap galit ho jaata hai. Jiska dehabiman galit hua hai wahi adhyatma ki unchai par pahunchta hai. Bhakti mein dainyta gyan mein nirpekshata itna danya tanal pishu niche tan se bhi apne ko nicha manne wala ahankaar galit ho chuka hai. Aur nirapeksh sampurn tribhuvan se sthul sharir sukshm sharir karan sharir tino shariron se nirapeksh wo brahm bodh sampann mahapurush ahankaar rahit hota hai.

isliye upasak ko dhyan dena chahiye. Chahe wah grihasth upasak ho ya virakta ahankaar ka galit ho jana sadhna ka vishuddh phal hai. Jo jitna danya utna hi mahan bhakt jo jitna nirapeksh utna hi mahan bodh sampann gyani mahatma agar yah dosh mahan adhyatmik sadgun nahi hai to uska gyan gyan nahi hai aur uski bhakti abhi rang nahi lai hai. Shripad prabuddhand ji maharaj kah rahe hain vrindane kimap janta dushpravesham pradesham gatva pro nij datyo naam jalappan ud atyatya vikal viklo divya murt kaya Shri shwaryagya kar mrigadsha vakya sudhit Shyam aap log jo Vrindavan mein padhare hain jo Vrindavan mein aapko pravesh mila hai yah keval meri shri ji ki kripa se mila hai nahi hamara shastr kahta hai vrindani kimap janta dushpravesham pradesham yah pradesh Vrindavan dham sadharan ke liye yah dushpravesh hai.

yahan koi apne bal se nahi aa sakta. Rupya ka bal, vihaar ka bal, sambandh ka bal nahi. Jinko vrinda vipin hai kripa ta nahi ki hoe. Harivansh mahaprabhu kahte hain shri Radhika kripa binu sabke manangam. Shripad kah rahe vrindaran kim janta dushpravesham pradesham yahan aap apne bhagya se nahi aae hain. Apne dhan bal se nahi aae hain. Apne sankalp bal se nahi aae hain. Hamari Priya ne aapko bulaya hai. Sachchi maniye ye dham koi tirthon mein nahi aata. Tirtharaj prayag bhi jahan laute hain akar wah yah mahan Priyaju ka nij mahal Vrindavan dham hai.

shri dham Vrindavan ki samanta keval Vrindavan hi kar sakta hai. Priya pritam ke rup madhury prem ki samanta sirf Priya pritam hi kar sakte hain. Yadyapi yahi sab avtaron ke avtari hain. Yahi sab dhamo ke dhami hain. Shripad kah rahe hain aho dhanyati dhanya hai wah jisko Vrindavan mein thoda sa bhi apnapan ho gaya. Mero Vrindavan jeevan Vrindavan yah prem prapti ke liye atyant aniwarya hai. Shri Uddhav ji maharaj param gyani mahatma hain. Shri bhagwan ke nitya samip rahne wale param priy sakha aur mantri bhi hain.

bhagwan ke pradhan salahkaar Uddhav ji hain. Dev guru Brihaspati ji ke bade priy shishya aur sampurn Brihaspati ji ke dwara prapt kalaon aur vidyaon mein gyan mein nipun hai. Lekin prem se aparichit hai. Bhagwan Mathura mein baithe-baithe prem ka updesh kar sakte the. Lekin bina prem bhumi ke keval updesh matra se prem ka rang nahi chadta hai. Isiliye shri bhagwan ne Uddhav ji ko bahane se bheja jao mere priy prem mein tanmay brajvasi jan hai gopi jan hai tum param gyani ho unko gyan ka updesh kar do to rona band kar den aur unka rudan band ho jae to mera rudan band ho jae kyonki wah roenge to hamen bhi rona aayega yatha mam prapadte ta bhajam yadi koi roro ke mujhe bhajta hai to main roro ke usko pukarta hoon yadi mere milne ke liye tadpata hai to main uske milne ke liye tadpata hoon ye yatha mam prapaddyate taath bhajamyam Uddhav ji is prem bhumi mein pravesh kiya to sampurn gyan unka dhul dhushit ho gaya prem bhumi ke bina prem ka updesh rang nahi lata isiliye isiliye yahan bheja tha.

aap jo yahan aae hain meri ladli jo ki apaar kripa hai. Mano aapke antim jeevan ka nirnay ho raha hai ki ab is dukhad sansaar mein aapka antim janm hai. Yadi aap sudharna chahe to apne ko sudhar sakte hain. Kyonki ahetu ki kripa se priyal ji ki taraf se hui jo aapko Vrindavan ane ko mila. Yahan ki raj mein baithkar ke bhagwat charcha satsang sunne ko mila. Jo Radha naam sunne ko mila Radha naam japne ki prerna mili. Radha naam japne ki ichchha hui. Ye na jane kaise kripa ho gayi. Hamare rasik shiromani param pujya goswami ji maharaj kripa karke batlate hain ki ye jo Radha naam Vrindavan dham Priya pritam ki thodi bhi priyata ye kai janmon se aap kahin na kahin koi na koi bada sadhan ban gaya hai aapse kah rahe hain suno chit lai rasik ras riti durlabh manush deh na hai hari sadhu sang mein priti suno chit lai rasik ras riti pujya shri ruplal goswami ji maharaj kah rahe hain he bhai mere prem ras ki ras riti ko aap shravan karo.

pahli kripa to Priyalal ki aapke upar hui ki manushya deh diya. Par yadi manav deh prapt karke aapne satsang nahi suna, sadhu sang nahi kiya aur hari charnon mein priti nahi ki. Yadi satsang hoga to nischit hai hari bhajan mein priti aur hari bhajan mein priti to hari charnon mein priti ho hi jaegi kyonki bhajan na hoi sang binu bhajan bina nahi priti yadi bhajnanandi premi mahatma ka sang na ho to bhajan nahi ho sakta aur bhajan na ho to hari charnon mein priti nahi hogi. Durlabh deh manushya ka pakar ke yadi sadhu sang mein rati nahi hui to hari charnon mein priti kaise ho jaegi?

he bhai bahut dhyan se sunna. Ye mahaprabhu hit ka hi swaroop hai. Shri rup lal goswami ji maharaj bade siddh ras mein dube hue mahapurush jab ye balyvastha mein hi the. Tabhi pad rachna shuru kar di thi shri ji ki. Meri bari ko bhavarwa pahla pad hai. Mujhse kahun anat na jae. Bahut uchh koti ka ismen bhav chhupa hua hai. Pura nij mantr ka bhav usi mein chhupa hua hai. Kah rahe hain janm sahastran jo kar hare tap aur dhyan samadhi chhin papavti shuddh hriday madhi upjey bhakti abadh jisne purv mein hazaron bar bhagwat kripa se manushya sharir prapt kiya hai aur us sadhna karta raha tapasya kiya dhyan kiya ashtang yog samadhi aadi uske paap shuddh hue to hari bhakti uske hriday mein abadh abadh koi bhi vishay jiski bhakti ko badhit na kare use abad bhakti kahte hain.

hazaron janm ki tapasya aur sadhna ka phal hua ki hari charnon mein abad bhakti prakt hui. Ab sadhan bhakti karat bahujan man hot jo braj anurag tahu ko phal vipin upasan prem priti ba bhag jo abad hari bhakti prakt hui hazaron janm ki sadhna tapasya se to wo jab bhakti abad akhand bhav se karta hai tab uska phal prakt hota hai ki braj 84 ko bhumi mein vas karne ka saubhagya prapt hota hai. Braj chaurasi kosh mein jab braj chaurasi kosh ke antargat koi bahut sadhan bhakti karta hai. Sadhan bhakti karat bahujan manan hot jo braj anurag tahu ko phal vipin upasan prem priti ba bhag uska phal hota hai ki Vrindavan mero Vrindavan pran Vrindavan jeevan Vrindavan ye uske hriday mein ane lagta hai.

ab yahu te nij tatv jugal ras nitya nikunj bihara hit al rup anup hriday dridh kunwar kripa ko sara shri ladli ji ki apaar kripa se jugal tatv ki upasna aur har samay uske hriday mein Radha Radha Radha aur Vrindavan ki raj ka sevan kitna durlabh ye Vrindavan ka bhav prapt hua. Hazaron janm sadhna bhakti ki. Aapko kya pata ki aapke kitne janm hue, kaun-kaun sa tap ban gaya, kaun-kaun sa sadhan ban gaya. Yah kram hai aur ek hai sidhe kripa. Koi priyal ka nij premi aapki taraf karunamay drishti se dekha aur bhav bana diya.

to isi janm mein jo hazaron janm ki sadhanao se abad bhakti abad bhakti karne par braj 84 kosh ka vas braj 84 kosh ke vas ka phal Vrindavan ka prem Vrindavan ka aashray iska phal shri Priya pritam ke charnarvind mein ali rup se sahachari rup se seva ka sidhe prapt ho gaya. Isiliye kaha gaya hai tat swarg apvarg sukh dhari tula kang tool na ta sakal mil jo sukh lav satsang jiski jibhya se har samay Radha Radha Radha aisa nikalne laga na aap vishwas maniye kam ho gaya uska bahut kripalu hamari ladli jo hai bhakt mal mein likha hua hai ki agar koi shastron bar hari hari kahe aur ek bar kisi hari bhakt ka naam le to barabar ho jaata hai.

hari itne prasann ho jaate hain ki apne sahasra naam mein jitna khush nahi hue ek bhakt ke naam mein aur agar priyaju ka naam le le Radha to bole jo ko shri Radha yashas gawe ati aasakt rup lobhi Shyam tahan uth dhave jo ko shri Radha yash gawe je hi koi kahta hai Radha Radha Radha ya dekho mai sundarata ki sima hamare mai shyama ji ko raj meri maharani shri Radha rani to Lalaju ati aasakt hokar uski taraf jab aap yahan Radha gate hain na to Lalaju ko kaisa lagta hai to wo jane lekin is chati ko kaisa lagta hai sarvasv balihar karne ka man hota hai.

aapke charan chhue. Aisa lagta hai jakar sashtang dandvat karen inko jo pyari ji ka naam ga rahe hain. Aisa lagta hai mujh bhikshuk ke paas kya hai jo inko de du. Pyari jo ke naam ke badle mein jo naam suna rahe hain jo Harivansh ko naam sunawe tan man pran tas balhari ye sharir ye pran ye jeevan balihar hai uske upar jo Radha naam ucharan karta hai ye to Radha naam ke swadi rasikon ki kripa se kinka ki baat hai Radha naam ka sampurn mahatva aur swad to lal jo maharaj jante hari rasna Radha Radha rat swayam hari ki rasi Radha Radha wo bansheesh Radha Radha Radha prafulit kamal kusum par jaise bhramar an marave tyun hi Radha naam ucharat vivas Krishna chali ave vivash Krishna chali ave ve tyun hi Radha naam uchcharat jab kisi par vishesh kripa hoti hai shri Krishna ki lal ranghilo gaiye tate priti rangili pai vishuddh kripa jab hoti hai tab ye Radha naam sunne ko milta hai tab Radha naam jap mein rati hoti hai kah rahe jaise kamal hai usko bhavre ko bulana nahi parta.

bhavra swayam akar parag ka pan karne ke liye lubdha hokar bandi ban jaata hai. Itni samarth hai kore kath mein chhed kar de lekin komal kamal ki pankhudi ko nahi chhed sakta. Yah anurag. Aise hi jo Radha ucharan kiya to shri Krishna vivash hokar ke uske samip har samay rahte hain. Radha bol rahe hain lal ji maharaj samip hai. Radha Radha Radha keval itna hi nahi. Ek din aayega Radha Radha bolte raho. Samne tumhen dikhayee denge Shyam sundar bansi bajaate hue ye keval ham bhavukta vash nahi bol rahe hain ye jeevan bhavukta wala nahi sanyaas ka jeevan raha hai jo tark pradhan raha hai keval bhavukta wala nahi ki suna aur aapko suna rahe Radha naam letta age mohan benu bajave prem bandhyo sang hi sang dole ta par neh janave bike hue uske piche rahte hain prem bandhyo sang hi sang dole amrish ji ko pata nahi tha ki mere piche bhagwan ne sudarshan chakra suraksha mein laga diya jab Durvasa ji ne apne tap bal ka prayog bhakt ko dhamkane mitane ke liye prayog kiya to sudarshan chakra prakashit ho gaye.

aise jo Radha Radha bolta hai sarv samarthshali bhagwan uske piche dolte hain. Prem bandho sang hi sang dole ta par neh janave sarwacharyamay bhagwan hai. Isiliye uska jeevan sarway ho jaata hai. Jo Radha naam japta hai. Radha naam letta age mohan benu bajave agar Radha Radha chal raha hai to bhagwat sakshatkar durlabh nahi hai zabardasti aapko prabhu bina bulaye aapko darshan denge aap keval jap kar dekhiye Radha naam upasak ko hari apun rni kahave ve jab koi Radha Radha Radha aisa naam jap karta hai to hari apne ko rni mante hain ki aapne mujhe Radha naam suna diya tahi het kishori hit so kar gah vipin basave kahin bhi raho yadi Radha Radha naam ucharan karte ho aur papacharan se bachte ho to isi janm mein aap dekh lena aapki laukik aur parloulik unnati kaisi hoti hai aur jeevan ki sham hote hote dham mein priti aur sharir chhut kar isi nitya dham kishori kishor ke samip nischit vas milega kyonki ye vani siddh mahapurushon ki hai jo ved neti neti karke varnan karte hain.

us ras ka yah karke varnan karne wale yahan ved rasikan ki vani yahan praman rasik jan hai kah rahe hain Radha naam upasak ko hari apun rni kahave tah het kishori hit so kar gah vipin basave jo Radha naam ka aradhan karta hai simhasaan mein virajman kar jo Radha naam ka jap karta hai jo Radha naam ka kirtan karta hai hari uske rni ho jaate hain aur uska antim vishram hath pakar kar swayam hari use Vrindavan dham mein dete hain. Pragat ya chidanand Vrindavan dham isliye hamare jeevan Radha naam baitha lo ise mein bhatakne ki avshyakta nahi.

yadi is janm mein aapne Radha naam ki ananyata sweekar kar li to samjh lo hazaron janm tumhare jo nana prakaar ke shubh aur ashubh karm kiye hain karodon janm tumhare jo vyarth gaye wo sab sarthak ho jaenge. Sab ashubh karm shubh karm bhasm ho jaenge. Shubh ashubh donon hamare bandhan karak hain. Sharan nirapak pad ramit sakal ashubh shubh nash det sahaj nishchal bhagat su jai jai shri Harivansh Radha hamare jeevan Radha naam jeevan bana lo shas shas mein Radha Radha Radha Radha he amrit hai piyo ab amrit karodon sadhna iski samanta nahi kar sakti.

Radha namav karyam militam sadhna ghas koti karodon sadhanao ka jo phal hai wo Radha naam japak ko jo phal milega uski samanta nahi kar sakta. Phir ham kah rahe hain aapke vishwas ke liye bar-bar ki keval ham bhavuktavash nahi kah rahe hain. Nahi vedant marg ke pathik sanyaas marg ka iska matlab hai sab sadhno ka jo sangopang sanatan mariyada ke anusaar hai unka anusthan karte hue jab ladli jo ki ahtu ki kripa hui tab ye prasad jo aapko mil raha hai ye Radha naam ka prasad hai ye keval koi bhavukta vash nahi hai aap dekh lijiega aap dekh lijiega khud dekh lijiega ga bas aap pakar lijiega hamari prarthna man lijiega ek bhet de dijiega ki apni swas khali nahi jane denge Radha Radha Radha phir aap dekh lena hamare jeevan Radha

naam jeevan bana lijiye Radha naam kuch baten aisi hai na shabd hai ki use bol sakte hain aur na bolne ki samarth hai bas itna kahte hain dekh lijiega aap agar Radha Radha japte hain to dhairya purvak rahiyega kisi pralobhan mein na chhodiega aur kisi dukh vipatti mein mat chhodiega ye mat sochiye ki Radha naam ka phal prakashit nahi hua nahi wo aisa phal tayyar ho raha hai jismen sudha amrit bhara hua hai nihal ho jaoge bas pakar lijiye shri vrishabhan Nandni shyama sumir ba vishram hamare jeevan Radha naam bahut kripa shri ji ki hoti tab Radha naam mein priti hoti bahut apaar kripa gurujanon ki hoti hai mahadev ji ki hui tab yah yadi aapko shri ji ke naam ratne ka swabhav ban jae.

bas phir aap dekh lena. Yah param dhan hai. Param gyan hai. Param amrit hai. Isiliye bar-bar kahta hoon yah param gyan hai. Us shuddh gyan ke marg ko mahadev ji ki kripa se phir is prem ke marg ko hitachari ki kripa se. Tab ye jo baat bol rahe hain rasikon ki usko pakdo. Ismen apaar sukh apaar karuna khas baat ham aparadhi jeev hain. Hamse saikadon aparadh bane. Saikadon galtiya bane. Ban rahe hain. Ho sakta hai age bhi ban jae. Hamari swamini ka ek swabhav hai nek ho na ris kahun bhuli ko na hot sakhi rahat prasann sada hi mukh has hai hari ko kabhi-kabhi rosh aa jaata hai isko updesh kiya is par itni kripa ki isko itna sambhalne ki vritti di lekin phir yah dushtata karta hai to ab tinkar kal rup mein bhrata ab isko dand ke dwara sudhara jaega sam dam aur dand bhed se sidhe raste laun ab isko dikhaunga ki kaise tujhe chalna hai phir use man apman dukh sukh labhan janm mrityu se uthane ke liye bhagwan kathor vidhan karte hain.

lekin ladli sahaj swabhav paro naval kishori juko mriduta dayaluta kripaluta ki raas hai nek ho na ris kahun bhuli ho na hot sakhi rahat prasann sada hi mukh has hai aisi sukumari pyare lal ju ki pran pyari lal ju ki pran pyari dhanya dhanya dhanya te je inke upas hain hit dhruv aur sukh dekhiyat jahan lagi suniyat tahan lagi sab dukh paas hai nek nako wahi rakt sindhur anurag rasik sindhur ras ki sindhu kripa ki sindhu kahin tanik bhi naraz nahi bole bade gunwanon par aisa hota hoga nahi avgun kare samudra samm vartman mein usse agar samudra ki tarah aparadh ban jae meri albeli sarkar maharani jo naraz nahi hoti khas baten avgun kare samudra sam ganat na apno jani rai ke sam bhajan ko manat Meru saman rai chhota dana thoda bhajan kar de seva kar de to ladli jo manti hai Sumeru parvat ki tarah aur samudravat aparadh kar de to manti hi nahi ki aparadh ho jab yah nahi manti to lal jo ki samarth nahi ki uske upar dand vidhan kar sake.

isiliye jo bola Radha to anuta madhupati maha prema to param de vimti tavam shri Radhe naam ras mahima kamas das ladli jab koi bola Radha to maharaj anant bramhandon ke nyayadhish Swami hai tatkaal uske register ko hi hata dete age likhenge hi nahi agar kahin wo aapki charan dasata mein lag chuka hai to uski mahima ka phir kya varnan hamare jeevan Radha naam akhand bhagwat sumiran mein dube hue brahm bodh sampann mahapurush pujya Radha Baba sab vedant dhul dhasit ho gaya aur antim leela Radha Radha Radha Radha Radha gita vatika mein hi sampurn jeevan Radha naam mein samarpit kar aise kitne mahan gyani mahatma yogi mahatma jo sampurn sadhno ka sar phal paya Radha naam aur jeevan samarpit kar diya ham aap kya hai hamare aapke upar to ahetu ki kripa hai koi sadhan nahi koi bal nahi kripa se keval ham Radha naam sun rahe hain Radha naam jap rahe keeti kunvri jaap binu mere aur na ko kam lalit ladti rang rangili Radha Radha Radha Radha Radha lalit lati rang rangili ratat raho nish ja hamare jeevan Radha naam sarvas

as Vrindavan Vrindavan Vrindavan sarvas as Vrindavan ye meri pyari ko nij dham ali kishori piy gori ko sharan gayo abhiram jiski jibhya se Radha Radha Radha use nitya kishori kishor ka sanidhy Vrindavan dham ka chidanandmay swaroop aur usmen vas yah avashya prapt hota hai. Jiski jibhya pe Radha naam vishwas kar lijiye. Radha Radha Radha mano aap sampurn maya par vijay prapt kar liye. Ye aisi phislan wali maya hai ki bade-bade phesal jaate hain. Aur sadhna mein phesal gaya. Phir sadhna ka jo prakash hota hai wah nahi hota lekin sharan mein hai sharanagat hai Radha Radha ucharan kar raha hai to phesal gaya bhi to god mein rahta hai vishwas kijiye phesal gaya bhi to name bhakta prannasati uska patan ya nash nahi ho jaega badi kripa maharani ji ki albeli sarkar ki badi kripa jo baat samjh mein aa jae.

yadi Radha naam jab chal raha hai to aap ye samjh lo kisi ka saap aapke upar lagu nahi hoga. Daihik daivic bhautik tap aapko tap nahi pahuncha sakte. Koi bhayanak paap aapko dand nahi de sakta. Shaap tap rog shok darun dukh hari lal isht dusht dalan kunj bhavan chari koi bhi saap tap rog dukh dosh ye aapko parast nahi kar payenge yadi Radha naam chal raha bilkul satya man lijiye bade-bade sadhno ka anusthan karne par bhit ki wo sthiti nahi hoti jo sharan mein aa jakar Radha Radha pukarne par hoti hai. Aho bhagya jinke hriday mein pyari jo ki sharanagati prakt ho gayi.

yah Vrindavan dham ki kripa se hoti isiliye shripad Vrindavan Vrindavan bar-bar maang rahe hain kyonki jinu Vrindavan sharan gehi harita ki sab puri asha kalptar kamdhenu chintamani yah Vrindavan dham hai. Samasth ashaon ki purnata ek kripa kor mein ho jaegi. Aap pareshaan mat hoiye. Harita ki sab puri asha apnayo swamini sahi apna swamini sahi jin Vrindavan sharan gaye shiv brahmaadik sankaadik soraj durlabh ye jo aap raj mein baithe hain. Aapko bahut sahaj lag raha hai. Asim kripa hui hai tab aap yahan baithe hain. Nahi yahan soch nahi sakta koi Vrindavan Vrindavan aa nahi sakta Vrindavan phir aap yahan baithe hain nischit mere ladli ki apaar kripa aapke upar hui hai jo raj shiv brahmaadik sankaadik ye yachna karte hain ladli jo hamen apne shri dham Vrindavan mein aaj bhi gopeeshwar bane mein mahadev ji virajman hai.

durlabh soj kripa te sulabh la jaise koi arabpati asankhapti hai ham footpath mein bhikh mangne wale aur wah hamen god mein le le to tatkaal kharbapti ban gaye. Aise hi kripa ne hamen sweekar kar liya. Jo bade bado ke liye durlabh hai. Kripa se hamen sulabh ho gaya. Kabhi ekant mein baithkar apne upar jo kripa hai usko sochkar rona aaya? Nahi bas apne liye rona aaya. Apni kamnao ki purti, apne dukh, apne sukh isi ke liye kabhi ek bar socha prabhu ne aap par kitni kripa ki hai. Aap sochiye kitni kripa hai. Aap satsang mein baithe hain.

kahan baithe? Shri dham Vrindavan mein baithe. Pavan yamuna ki pulin ki reti mein baithe. Yahi se yamuna pravahit hoti thi. Idhar se ab wo idhar ho gayi hai. Samay ke anusaar kitni kripa ham par hai. Bade-bade mahatma rishi muni jis tap ke dwara hari ko prasann karna chahte hain. Wo hari bina kisi chah ke aapke piche dulenge. Yadi Radha naam aapki jibhya pe chal raha hai. Majan pan Kalind Nandini yugal rahas rasna juk dhan dhan bhyo jagat yah jeevan ant amit nidhi dagan chahi dhanya ho gaya dhanya ho gaya janm lena dhanya ho gaya kyon kyon dhanya ho gaya ek bar Vrindavan aa gaye ho phir sansaar mein laut gaye ho Radha Radha jab kabhi sumiran kar liya hai pakka Yamraj ji ki takat nahi ki aapke samne yamduton ko bhej den.

shripad Prabuddhanand ji ne Vrindavan mahimamrit mein varnan kiya hai. Ek pushp Vrindavan ka sungh liya hai. Ek bar Vrindavan ki raj mein aa gaye hain. Bhale aapke andar koi shraddha vishwas nahi hai. Ek bar yamuna ke pavan jal ka sparsh karte hue vayu Vrindavan ki raj ko lekar aapke upar par gayi. Ab aap kabhi nark nahi jaenge. Raj to udi lage tne peeve Yamuna toe. Nahi tumhari shraddha hai to bhi agni mein shraddha karo na karo usmen dahika shakti hai jala degi vish mein maran shakti hai shraddha ashradha kaise bhi pi jao mar degi amrit mein amritwa hai wo chahe shraddha se piyo chahe shraddha se amar kar dega aise hi Vrindavan mein taran shakti hai.

Radha naam mein prem shakti hai. Hari ko adhin karne ki shakti hai. Shraddha ho ya na ho aap rato Radha Radha aap Vrindavan ki raj ka sevan karo phir dekho iski apaar mahima jo badi-badi sadhanao se nahi purn hoti shripad kah rahe hain jo Vrindavan jan sadharan ke liye dushpravesh pradesham hai ismen gatva proch nij datyo naam jalpan dashu aha Vrindavan mein aa gaye. Thoda aisi jagah ekant hue jahan koi dikhayee nahi de raha. Aur chilla kar roye. Radha Radha ladli shyama jo Radha Radha gatva pro nij da yor naam jalpan dash ashu pravah karte hue ekant desh mein chilla chilla ke bhori sakhi ji aisa hi karti thi.

yamuna mein ke us prant mein jahan koi snaan aadi karne nahi jaate the wahan baith jaate. Chilla chilla ke roti ladli yah prem ki peer unki pure hriday ki baten hain. Usmen roro karke priyaju se prarthna karte hain. Atyant vikal viklo divya murt kayapi aha uchh swar se Radha Radha Radha aisa kah ke ashru baha raha hai. Aur itni anand prem ki vikalta hui. Ki wo vibhal hokar laut raha hai raj mein to kya hua jab vikal viklo to divya murta kayap Shri shwaryagya kar mrig dasha vakya sudha swasthya uth tu kyon vikal hokar ro raha hai divya saundarya ki sima ladli jo prakt ho gayi aa jo shri hari ki ishvari hai vrindavnadheeshwari wo divya swaroop mrig naini shri Radha prakt ho gayi Divya murt kayri swaragya kar mrig drish vakya sudha uth kyon vikal ho raha hai main aa gayi aisa amritmay shabd kab main sunungi aisa ashwasan kab main paungi shripad prarthna kar rahe aisa ho ki Vrindavan jo sabke liye dushpravesh hai shri ji ki kripa se yahan ana ho aur yahan ekant mein jakar Radha Radha pukar kar rona ho aisi vikalta aa jae ki raj mein lautun aur pukaru itne mein dekha ki shri ji aa gayi aur wo kah rahi hai uth dekh main aa kyon tu vikal ho raha hai kya kabhi aisa mere saath hoga?

shri baat kah rahe hain yatravasam viharte mat prastuyam bhakti mahsotsavam yatra nishte yatrav praviti na nigam shrani gira bhang tasmin mat pranayni Vrindavane pavne adbhut mahima jahan ki raj lagane se jahan rasikon ka sang karne se yugal sarkar ki prem unmattata prakashit hoti hai. Dekho itna to ganth bandh lo ki bina bhagwat premi mahatmaon ki charan raj ke usht ke vachan ke kripa ke Priyalal ka prem sadhno se nahi hota hai ya gun sadhan te nahi tumhari kripa pav koi koi kaun jo rasik charan anuragi hain jo rasik charan raj sevi hai jo rasik charanamrit pan karne wale jo ras kushtamrit ka pan karne wale hain to unko yatra vas madam viharte mat prastu dwayam vastu dwayam shri shyama Shyam ki premta yahan ghumte ghumte rasikon ke sang mein re man rasikan sang bin ranch upje prem to kya kaho kripa upje ke bhanti rasikan sang phiro din rati kya hoga?

to bole viharte mat prash vastu dwayam unka sang karke is Vrindavan mein viharte achanak ek din ghatna ghategi aur Priya pritam ke darshan ho jaenge. Pakka bilkul ismen koi kalpna ya sanshay ya tark ki zaroorat nahi hai. Nahi hai. Yah usi samay hoga jab aapka aham shri ji ke charnon mein samarpit ho jaega. Aur yah hota hi rasikon ke sang se tniki sangati rahat jati kul mad sab nanas aham galit ho jae agar ye to Vrindavan prem ki baat hai. Kahin bhi naam mein prem, shri Krishna rup mein prem, shri Krishna leela mein prem in teen ki badi mahima gai gayi hai.

bhakt charan raj, bhakt charanamrit aur bhakt uchchhisht. Yah nahi dekha gaya ki bhakt kis kul ka hai, kis jati ka hai, yah sab wo prabhu ka bhakt hai. Uska ishta mila aur anurag badh gaya hriday mein. Ek prasang aata hai ek kalidas naam ke mahan bhagwat ka. Jo bhagwat premi mahatma jan hote hain. Unki jati par drishti rakh lene se aparadh lagta hai. Yah dhyan rakhne ka vishay hai. Kabhi bhakton ki jati par waise prayah bahirmukh log is baat par dhyan dete hain. Wo kaun wo amuk kul ke uchh kul yadam bhai dekho janghe loha mein koi bhi aisi takat nahi ki mukut banke chamke paras mani chu gaya ab aap use jang loha nahi kah sakte wo loha swarn ban jaata hai aur wo mukut aadi prabhu ke abhushan ke kam mein aata hai.

aise ham sab janghe loha hai. Chahe jahan ke ho chahe jo ho koi ho hamari gati mana kastan indran prakriti sthan karti ye sant mahapurushon ka sparsh sambhshan unka sang hamen kimti bana diya hamen jagat mangal karne wala bana diya jagat mangal karne wala dev bhaymud mangalkari wo mangalkari jaise sahachari bhav hi ki prapti ki baat nahi sahachari bhav prapt karane wali samarth aa jati hai chaturasi ji gane wale ko sakhi sukh ke adhikari sakhi adhikari kahte jaise bhandar ke adhikari bole bhandar ke adhikari ji hain wo de sakte hain kisi

ko kuch bhi aise sakhi sukh ke wo adhikari ho jaate hain jo naam japak hai jo rasik sang hai jo chaturasi ji ka gayan jo Vrindavan ka sevan unke prati ye dekh lena dekho sahi mayne mein dekho to hamari jo vani ji kahti hai jahan ved neti neti kahte hain uske age ki vani ji hai kah rahi jati pat kul karm dharm vat sansti hetu avidya nasi hai avidya hi ye avidya hi hai koi shuddh gyan nahi hai ye sevak ji maharaj kah rahe hain ye ye janm maran ke chakra mein hi fansane wali avidya hai jati pat kul karm dharm vrat sanskriti hetu hetu sanskriti aavagaman ka hetu hai.

jab iske dharmanusar chale to yah isse vairagya dila deta hai. Yahi iska phal hai. Agar yahi ahankaar bana raha main amuk main amuk kuch nahi hath lagta. Kuch nahi hath lagta. Vani se pata chalta hai aham ki dhara se ho rahi hai. Vani nikal rahi hai ya sthiti se nikal rahi. Sthiti mein ham sab ek hain. Parmatmans hai. Koi bhi mahatma isko kaat nahi sakta. Shastr baat hai bhagwan ki baat hai mamai vanso jeev loke jeev bhuta sanatna sanatan sab mere ansh ho ansh mein koi bhi kami nahi hai chinti ke andar bhi wahi jo bhagwan shankar ke andar jo iske andar wahi aapke andar koi antar nahi hai sab jagah saman rup se samuham bhagwan ki vani samoham sarwabhuteshu samasth st praniyon mein main saman rup se virajman hoon.

ab bache panchbhut jinse dhancha racha hua hai. Koi kami nahi. Chhit jal pavak gagan sameera ye pancho barabar sabke rache. To phir ye med kis baat ki hai? Bhagwan kah rahe hain ki main isliye iske rachna ki hoon ki dharmanusar chalo aur param dharm ko prapt ho jao. To jo param dharm mein bhakti mein hai bhagwat marg mein unmein yah nahi dekhna chahiye. Bhakt pad bhakt charanamrit aur bhakt uchchhisht ye bade bhagyashali ko milte hain. Tribhuvan mein sabse bada bhagyashali kaun hai? Jise bhakton ka sang mile. Sut dara dhan lakshmi papiyon ke ghar hoe.

sant samagam hari katha tulsi durlabh do bade bhagyashali jinko sant charan raj milti hai aur sant uchchishta milta hai aur sant charanamrit milta hai unke bhagya ki kya sarahna par wo samjhe bhagwat kripa ko samjhe to bahut jaldi labh mil jae in tino ka bahut bada mahatva hai kaisa bhi nich swabhav wala kyon na ho yadi ye tino prapt ho jae to tino gunon par vijay prapt kar kar le. Satogun, rajogun, tamogun tino loko par vijay prapt kar le. Kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar jo tino loko ko para prapt kar rahe hain.

bhakt charan raj se bhi, bhakt charanamrit pan karne wala aur bhakt ishta pane wala in tino par vijay prapt kar leta hai. Ismen sadhan bal kam nahi karta. Tino gunon par vijay prapt karne ke liye kripa kam kar. Isiliye moksh mulam guru kripa sachmuch sachmuch wo hari ke bade kripa patr hain jinko in tino mein shraddha ho gayi aur tino ye jinko prapt hote hain. Jinki buddhi mein santo ke prati he bhav hai. Unki charan raj mein bhav nahi. Unke uchchhisht mein bhav nahi. Unke charanamrit mein bhav nahi.

unki to yahan charcha hi nahi hai. Bhagwat swaroop bhagwat bhakton ki pad dhali unke chinnon se uthakar mastak par jisne laga liya usko wo prem wo samarth prapt hoti hai jo kisi sadhan se nahi milti hai. Jab hiranyakashyap bahut kruddha hokar ke Prahlad ji ko patak diya aur kaha teri buddhi kisne ki aisi to Prahlad ji ne jo uttar diya bahut sun samjhne layak hai unhone kaha namasta durung satya anpagmo yad mahpad rajo abhishekam nishnam naam nani tayavat Daitraj kitni himmat hai panch varsh ke balak mein tribhuvan pati pita hiranyakashyap ko kah Daitraj jinhone sab kuch shri hari ke charnon mein samarpit kar diya hai.

akinchan hai hari ke siva jinke hriday mein kahin koi aashray bal bharosa nahi hai. Aise bhakt janon ki charan raj sevan karne se aisi mati hoti hai. Aisi mati kisi ke sikhane padhane se nahi hoti. Kisi sadhna se nahi hoti. Jo meri mati hui hai. Ye mahsa pad rajo abhishekam nishkinna naam nayavat akinchan unhen kahte hain chahe wo chakravarti samrat hi kyon na ho. Bhagwan ke siva jiska koi as bal bharosa nahi wo akinchan kaha jaata hai aur agar apne ek langoti aur kamdal mein bhi aa sakti hai to akinchan nahi kaha jaega keval ek bharoso ek bal ek as vishwas usi ko akinchan kahte hain jo keval prabhu mein aise mahapurushon ki charan raj se aisi mati hoti hai kisi ke sikhane padhane se nahi hoti nasa mastra is par satya angodtha jab tak aise mahapurushon ke charan raj ka sparsh nahi hota tab tak aisi jaisi meri mati hai.

Prahlad ji kah rahe aisi nahi hoti. To jo bhagwat swaroop samjh ke bhakton ki pad dhali ko apne sharir par lagata hai. Yah bade saubhagya ka vishay hota hai. Ye Vrindavan sab bhakton ki charan dhali hai. Anant bhakt ho gaye gopi janon se lekar sab bade bhagyashali hai jo raj ka sevan karte hain. Aur jo bhakt ka charanamrit pite hain. Kahan dhundhoge bhakt ka charanamrit? Radha kund, mansi ganga, mansarovar yah sab bhakton ke avgahan kiye hue kund hain. Bahut sanatan se hain. Inka achman matlab lakho bhakton ka charanamrit. Inki samanta koi bhi tirth nahi kar sakta.

mansi ganga Radha kund vas sarovar Apsara kund Uddhav kund ye jo hamare braj mandal ke kund hai inki samanta bade-bade maha bhagwat Priya lal ke prem mein dube hue avgahan karte hain aur wo charanamrit pan rakh lo do bund le lo do bund le lo Radha kund ka jal mans ye sab sant charan amrit hai pakka samjh lo aur ishtamrit kahan se le roz bhakti ki juthan kisi mahan saubhagyshali ko milti hai. Aise thodi milti to yah jo Radha Radha bol rahe hain na yah ushtamrit hai. Jeevan mein jo swad liya wahi bol yahi hai.

ye bhakton ke dwara swad liya hua hai. Iska pan karo wo usht to kahan sabko thodi mil raha hai. Kabhi aisa ye uchchishta sabko mil raha hai. Us uchchishta ka phal hai. Is uchchishta mein rati ho jae. Agar ismen nahi hui to kya fayda? Fayda kya mahaprasad bhagwan naam vaishnnon mein bhagwat bhav shri vigrah mein sakshat bhagwan ka swaroop charanamrit mein bhav ye pehchan hai ki akhiri janm hai iska jiske hriday mein iski shraddha ho jae bhakton mein bhagwat bhav charanamrit mein shraddha uchchhisht mein shraddha charan raj mein shraddha aur shri vigrah mein sakshat mere prabhu hai to pehchan hai ki uska hriday ab antim janm ki taraf ja raha hai.

uska janm nahi hoga. Jisko is par vishwas hai. Mahapurushon ko pahchanana bada kathin hai. Kah rahe doodh pine wale banavti majnu to lakho milenge lekin asli majnu jo katra bhar khun de sake wah to birla hi hota hai. Ya bhav yah hai ki ek bar laila ne suna ki majnu hamare prem mein bawra na kha raha hai na pi raha hai to wo to bahut aishwarya sampann ghar ki thi to unhone puri bazar mein ailan karva diya majnu jo bhi khae piye usko jo bazar mein paye hamare paas ave sara hisaab ham denge ye ailan jab suna to lakho majnu tayyar ho gaye koi jalebi pa raha hai, koi dahi pa raha hai.

to har dukan se hazaron lakho ka bil aur aise saikadon dukanon se wo to adesh kar diya tha sabka hisaab ho jaata. Ek din prarthna ki khajanchi ji ne ki karodon rupya ja rahe hain mahine mein manjnu ki seva mein. To unhone kaha majnu aur karodon rupya. Are wah virah mein kuch kha hi nahi sakta. To kaise karodon rupya? Bole lakho majnu tayyar ho gaye hain. Theek hai. Asli majnu ki pehchan kal ho jaegi. Bole laila milna chahti hai majnu se amuk manch par. Ab to jo dekh bhi nahi pate the wo bhi jo majnu bane hue rabri rasgulla wale majnu the wo sab aa gaye.

chaku nikali aur kaha mera majnu mere liye chati ka khun de. Jitne rabri rasgulla wale the kadam piche sarakne lage aur jo asli majnu tha wah aaya aur aise hath se chaku li aur kaha aaj mera jeena sarthak ho gaya kyonki tumhare kisi kam mein aa gaya aur jaise marne diya pakar liya kaha asli majnu ye hai to wahan kah rahe hain ki doodh aur rabri pine wale to lakho majnu tayyar ho jaate hain lekin asli majnu jo ek katra khun de sake wo to birla hi hota hai aise hi kah kah rahe ki rabri rasgulla khana pranam namaskaar karna bhet lena lakho bhagat lekin bhagwan ke liye jeevan arpit karne wala bhagwan ke liye tadpne wala bhagwan ke liye apna sarvasv nyochhavar karne wala aisa to koi birla hi premi hota hai.

aisa bhakt ishwar ke se bhi badhkar hai. Sato sam mohime jag dekha aur mote adhik sant kar lekha. Ek bhakt pravar kalidas ji hue hain jo isi koti ke mahapurush the. Advitiy bhakt nishtha unki thi. Bhagwat nishtha adwati usi ki mani jati hai jo bhakt nishtha hoti hai. Bhakt nishtha wala bhagwan nishth jarur hoga aur bhagwat nishtha wala bhakt nishth jarur hoga. Kalidas ji shri Raghunath das goswami ke ganv se dedh kos dur rahte the. Usi kul ke the aur theek waise hi bhakti thi jaise pujya Raghunath das goswami ki bhagwan naam mein inki itni nishtha thi kalidas ji ki uthte baithe sote jagte khelte hanste baat karte har samay inki jibhya pe naam chalta rahta agar ye kuch bolte to pehle naam bolte phir charcha karte dekho prya satsang mein kaha hai ki agar aap naam japak upasak ho to chinta mat karo par aapko jab baat karni hai to pehle dhire se bolo Radha phir baat karo beech mein phir bolo Radha phir jab baat ka vishram karo Radha agar itni savdhani rakhoge to puri baat jo aapne ki wo bhajan ho jaega aapka koi karya prarambh kar rahe Radha karya ke beech mein bolo Radha Radha karya ke samapan mein bolo Radha aur wo karya samarpit wo bhagwat prapti kara dega aap baat ko pakdie.

wah kisi baat ko bolne ke pehle naam bolte the. Wah bhagwat naam ke bina to bol hi nahi sakte the. Pehle bolte the Radha. Ye bhakti ki pehchan hai. Vibhishan ji jab uthe to Ram Ram Ram. Hanuman ji ne Ram naam te sumiran kina hriday haras kap sajjan cheena ye sanhat kar ho pahchani sadhte ho ye sant hai kyonki so ke ekdam uthte hue bola Ram Ram ye bhakt ka lakshan hai aisa sabko karna chahiye nind khule to pehle bhagwan naam ucharan karte hue hi prithvi ko pranam karke pair rakhna chahiye adbhut naam nishtha thi kalidas ji ki.

bina naam ke wo baat hi nahi karte the. Pehle naam ucharan aur yah naam ucharan naam mein priti kahan se prapt hui? Bahut sukshm baat hai. Inki bhakton mein bahut badi priti thi. Isi se inko naam mein itni priti hui. Ab aajkal koi birla hi aisa hota hai jisko kisi bhakt ki prashansha sun ke irshya na hoti ho. Jabki hamari bhakti ka swaroop yah hai ki kisi ko sune ki wo naam jap kar raha hai. Uska bada yash ho raha hai. Wo aisa hai to hamare andar lalsa honi chahiye ki inki charan raj mathe par lagave.

kabhi inka juthan mil jae. Kabhi inka charanamrit mil jae. Ye bhakton ki baat thi. Hamare andar kya hota hai? Aham pradhan hota hai to lagta kya hai itna hua kya hua wo usse matsar irshya prakt ho jati hai yah bhagwat virodhi varta hai andar yah baat nahi ani chahiye jahan wo sunte ki amuk jagah bhakt bahut naam japak hai to bahut dhani the par sadharan bhash mein chhup karke jaate ki bilkul aise din garib bankar ke aur unki seva karte bhakton ko achhche-achhche padaarth khilane mein unhen parmanand ka anubhav prapt hota hai.

aur aisa siddhant bhi hai ki jaise garbhvati maa ko bhojan pavao to bachchhe ko apne aap pahunch jaata hai. Aise hriday mein hridyastha virajman bhakton ke prabhu hain to bhakton ko pavao to prabhu ka apne aap bhog lag jaata hai. Bhakton ke mukh se prabhu bahut anand purvak pate hain. Bhakton ko jab shraddha purvak suswad prasad pavaya jaata hai to uske swad ka anubhav swayam bhagwan shri Krishna karte hain. Bhakton ko jab pavaya jaata hai bhagwan ko apne bhog lagane se itni prasannata nahi hoti jitna santo ke bhog lagane se hoti hai.

isi baat ko ek bhakt ne pakar liya aur santo ko pavana shuru kiya shraddha se. Ab unke paas ek simit arthvyvastha thi. Agar santo ko pata hai ki bahut shraddha purvak yahan prasad pavaya jaata hai to bina bulaye bhi kripa karke ane lagte hain. Wahan khub santo ka aagman hota aur banva ke pawate. Dhire-dhire sampatti radheshyam asht dhatu ke thakur ji the. To thakur ji ki jitni seva patr the swarn chandi ke jo the sab bechkar sant ko pawa diya. Thakur ji se kaha kal agar sant aae vyvastha nahi hui to sarkar aapko bazar mein le jaenge ham wo aapko bech denge kyonki sant bhukhe nahi jaenge.

aap hi rah gaye ho hamari sampatti. Bhagwan ne kaha ki hamare sambandh se to santo ko bas aap santo ke pane se prasann hote hain. Yah maine suna hai. Aap apne bhog lagane se utna prasann nahi hote. To ab kal sant aaenge. Agar unke bhog ki vyvastha nahi hui to tayyar rahna. Ham aapko bazar mein bech denge. Bhagwan hans diye aur kaha jo santo ki seva karta hai uske yahan aishwarya ki kami nahi rahti. Aur jara sa unka kripa kataksh kul parampragat lakshmi ji unki seva mein upasthit ho gayi. To jo shraddha purvak bhakton ko suswad padaarth prasad pawate hain.

bhagwan bhakton ki jibhya se pan karte hain. Bhagwan ko swayam bhog lagane se itni prasannata nahi hoti jitna sant aur bhakton ko pavane se hoti hai. Bhakton ko khilakar aur unka kisi bhi tarah se usht pana ye inka swabhav tha kalidas ji ka. Isiliye inke nirantar naam chalta tha. Ab jaise koi bhakt uchchhisht dene ke liye tayyar nahi hote. Wah to bade kripa karte hain tab usht dete hain. To wo savdhani rakhte the. Kahin bhi to patr dhokar phenkenge. Wahan se jal le lena. Agar chuk ho gayi to patr mein aise hath karke bas kar lena.

wo apne patr le gaye chat lena. Uchchishta ka bhav nirantar naam japak bhakt charanamrit bhakt pad dhul to lagate hi aur uchchhisht pane ke liye bhakt seva karte hain. Inka aur bade-bade mahapurushon ka kathan hai ki yog se, yagya se, tap se, path se, adhyan se aur sadhna abhyaas se prem prakt nahi hota. Wah prem prakt hota hi hai. Bhakt charan raj, bhakt charanamrit bhakt uchchhisht se. Ab inko pata chala ki ek jhaa naam ke chatur varn ke bhakt hain jo ekant mein rahte khub naam jap karte hain. Pati patni donon naam kirtan karte hain aur ganv mein seva karke ek ek roti jo milti hai usse apna ab inko lalach laga.

yah prabhu se prarthna ki ki aise bhakt ka ishta prabhu kaise mile hamen upay batao kyonki ham jaenge to tatkaal sammaan pradarshit karenge aur sammaan pradarshit karenge to usht nahi mil payega unka bhagwan se prarthna ki tatkaal yukti ai sadharan vesh mein aur us samay aam ka samay tha to bade-bade aam lekar karke ghar gaye. Pratishtit kulobhut kalidas ko dekhkar apni tuti phuti jhopdi mein wo dampatti to ashcharyachkit ho gaye. Hath jodkar kampte hue ki bhagwan aapke layak hamare ghar mein baithe yogya jagah bhi nahi hai.

hath jodkar abhyarthana karne lage. Unhone kaha nahi nahi iski zaroorat nahi hai. Ham to bas aapse aise milne baat karne aae hain. Ek phata sa bora para tha. Usi mein kalidas jo mahan bhagwat wo baith gaye. Wo hath jode prabhu aap yahan ye sthan aapke baithe layak bhi nahi. Aur jahan bhakt unko kahte the aapne badi kripa ki. Ki aap yahan aae lekin ye aapke yogya nahi. Aap itne mahan main itna nich aap jaise shreshth pur ham jaise neechon ke yahan aaenge to aapka uphash hoga. Prabhu aapko pata nahi main nich hoon.

dhanheen hoon. Prabhu aapko yahan baithna theek nahi. Koi dekh lega to aapki ninda karega. Kalidas ji ne kaha ki aapko pata hai aapke shubh darshanon se hamen shri Krishna ka darshan prapt ho raha hai. Dekhiyega aur aaj main aapko us bhav se dekh raha hoon ki tribhuvan mein aap jaisa koi satkar pane yogya nahi hai. Jiski jibhya bhag naam aur itni danyata aho pacho garyate namyam yadi aap hamara kuch bhi sammaan karna chahte hain to ab aap hath jodna band kar den. Hamare samne hath mat jode aur aap ek kripa karen.

aap donon apne charan dhoe. Hamen charanamrit de de kyonki hamen dhone to denge nahi. Aur unhone kaha Krishna Krishna Krishna aap ye kya bol rahe hain maharaj? Aap gidgidate hue jhaa bhakt ne kaha prabhu ye kaisi bhuli bhuli si baten kar rahe aapko pata hai main kaun hoon main sab tarah se hin hoon mera darshan aur sparsh bhi amangalmay hai dhanya hai yahi yahi darbar din ko aadar riti sada chali ai aur unke charnon mein girne lage kalidas ji ne apne charan samete aur kaha dekho ko atithi ka satkar karna chahiye. Itna aapko pata hai?

unhone kaha haan prabhu pata hai. To phir ek baat karo. Main aa raha tha raste mein aam dekha. Aap thakur ji ko apne bhog lagao aam ka. Aur aap donon pao aur main ye dekhun. Yah mera sabse bada satkar ho jaega. Bhakt ne kaha malik aap kaisi baat karte? Main paun aur aap baithe hain. Aap hamare yahan aae hain. Unhone kaha dekho yadi aap mujhe bada mante hain aur pujniya mante hain to aap meri baat bhi to maniye kisi bhi tarah se dekho agar thodi bhi priti aapki ham mein hai to meri ye baat man lo. Wah bhakt bahut danya ho rahe hain.

yahan kalidas ji kah rahe hain jo apne bhakti ka vigyapan karta hai. Jo bhakti ki dukandari karta hai. Bhakti ke naam par puja pratishtha aur arth ki prapti karta hai. Wah aap jaise akinchan bhakton ko kaise jaan payega? Ahankaar rahit sadhna ke bal se rahit keval prabhu ke naam aur prabhu ke ashrit aap jaise nirmal bhakton ka sang to keval ahetu ki kripa se hota hai. Aap sachchi maniye tribhuvan ko pavan karne wale hain. Aap apne ko nich mat kahiye. Jab kalidas ji danya hokar aisi baat karne lage to bhakt ne aam le liye pranam kiya aur kaha main aapke samne pa to nahi sakta pakka vachan hai ki aapke jaate hi main bhog lagaunga par aapke samne nahi paunga kyonki aap baithe hamare ghar mein akar aur ham pa le kalidas ji ne vichar kya sab kiya kara mati ho raha hai hamko usht to inka milega nahi jhuthan phir vichar kiya ki abhi se le sham tak phenkenge hi na pake ham main ped ki aad mein baitha rehunnga jab phenkenge tab main nikal lunga prasad leke kaisi uchchishtha mrit ke prati nishtha 10 20 kadam ghar ke bahar tak chhoda.

kalidas ji hi apne ghar gaye so laut pare aur darwaze ke paas ek vriksh tha uski oth mein chhup ke baith gaye. Ab wo donon jo 10 kadam chal ke aae the unke jo charan chinh the apne achla mein charan raj bandhe. Yah hai kimti amog vastu. Koi bhagyashali hi is amog vastu ka sevan kar pata hai. Charan raj bandhe ek chij to mili bhakton ki charan raj. Sampurn dhul uthakar phir apne sharir par lagai. Ab wo apni patni se baat kar rahe ki dekho itne maha bhagwat kalidas ji amniya laye hain aam ka. Chalo thakur ji ko bhog lagao prasad pao.

unki agyaa ka palan karo. Yah shri Krishna prem ki prapti karayenge aam kyonki itne bade maha bhagwat chalkar laye hain. Pati ki agyaa hui. Patni ne aam ko uthaya. Amniya ke adho karke thakur ji ko bhog lagaya. Aur wo ek-ek guthli chuschus ke pa rahe. Bhagwan ko arpit ki hui bhakt ke dwara lai hui paya. Patni ne phir wo aam ke chilke aur wo chusi hui guthli. Bahar jakar ke ped ke paas hi phenko. To wo chhupe baithe the. Bhagwan vaisa hi bhakt ke jeevan mein karte jaisi uski chah hoti hai. Phenk ke chale gaye.

kalidas ji bahut prasann hai. Oo hari ki apaar kripa ek ek chilka chat rahe hain. Ek ek guthli chat rahe hain. Aap vichar kijiye ek uchh kul ka ek maha bhagwat ek aise dainya maha bhagwat ki guthli chat raha hai. Kisliye inka usht mujhe naam mein priti kara dega. Aur naam ke premi hain. Jaise jaise wah usht pa rahe hain waise waise unko romach ho raha hai. Waise waise bhagwan ka naam jaise mashin mein chalaya jae aise chal raha hai naam ashubh pravah ho raha hai. Yahan varnan kar rahe hain ki jo bhakt charan raj ka sevan bhakt uchchhishtamrit ka sevan aur bhakt charanamrit ka sevan karta hai uska ahankaar galit ho jaata hai.

satsang ka prarambh isi baat se hua tha ki ahankaar jab tak galit nahi hoga tab tak hamari sadhna rang nahi laegi. Isliye hamen naam mein priti ho jae. Naam hamen prannon se pyara lagne lage. Bade-bade mahapurushon ne naam ko dulraya gaya. Kah rahe hain ki mar javega murkha kyon na bhaje bhagwan ye jhuthi sampatti maya jagat ki iska mat karna abhiman yahan se jab jeev jaata hai to saath kuch nahi le jaata paap karm aur punya karm le jaata hai paap aur punya karm paap adhik hue narak bhogo punya karm swarg bhogo phir mrityu lok mein aao mat karna abhiman ved shastr kahwe taj mamta bhaj naam to amar hoe rahwe agar naam chal raha hai sachchi maniye to waise hi aap avinashi hain aap mrityu se bach jaenge aapko aisa gyan ho jaega ki sharir chhutega aise jaise saanp ki kechul koi kasht nahi jo janmat marat dusa dukh hoi naam japak ko nahi hota kasht kasht waise sharir chhota hai jaise saanp apni kechul purani chhod deta hai.

jaise koi purana vastr utar ke phenk deta hai. Jaise garjaj ke gale se foolon ki mala gir jae use pata na chale aise bhakton ka sharir chhutta hai. Yadi naam jap chal raha hai to bhari dukh se bach jaoge aur agla janm nahi hoga. Taj mamta bhaj naam to amar rahwe kahat din darwesh phir avsar kab ave bhajya nahi bhagwan re murkh mar jave kabhi kisi bhi kshan sharir tumhara chhut sakta hai taak manva dhik hai sahib sumra na alag purush nahi o lakhyo pado moh ke mahi pado moh ke ma samjh le manva mera ba putla jaan hoega suna dera kahat din darwesh gyan lagi na dhaku sahab sumra na dhik kahe manva ko yadi sahab shri hari ka naam jap nahi kiya prabhu ka naam jap nahi kiya to ye tera sharir tera sab samrajya yahi para rahega koi tere saath nahi jaega agar naam jap kar lega to shuddh gyan ho jaega sharir rag chhut chhut jaega.

sharir sambandhi ka moh chhut jaega. Isliye sumiro nirantar naam sumiro rag rag naam ramyo rahe to nirgun agun ke rup jo tumhen chahiye nirgun nirakaar sagun sakar sabka sakshatkar isi naam se ho jaega. Rag rag naam ramyo rahe. Ye rag rag naam kab chalta hai? Bori sakhi ji kahti hai jab naam swas swas hi naam swas ko bhed mitave tab rom rom aur rag rag bole tab swad naam ko pave har swas mein adhik se adhik naam jap karo dheeredheere utrega to bole rag rag naam ramyo rahe nirgun agun ke rup jo tumhen chahiye nirgun nirakaar sagun sakar sab bhagwan ka sakshatkar gyan ka ho jaega Ram Shyam Ravi ek hai sundar shagun swaroop chahe Ram rup dekhna chaho chahe Shyam rup dekhna chaho rasna naam sambharie shravan sunie naam naine nirkho naam ko ravidas hai kam raat din naam jap karo aise netron mein naam likha dikhayee de kano mein wahi naam sunai de aur hriday se wahi naam ucharan ho jo chahoge Ram rup Shyam rup nirgun nirakaar sagun sakar jo chahoge sab prapt ho jaega.

sant anekan je bhay kin naam pukar ravidas sab chhod ke naam hi naam uchchar sab chodo bas naam ucharan karo dekh lo bade bade sant hue hamen kal bahut accha laga sab sadhan hai par naam nahi tha to unhone bataya mera man ashant hai sadhan batae bahut achhche sadhan chal rahe hain tab unse ek baat kahi ki aapka chitt naam mein hai mala to chala lete kabhi-kabhi aise nirantar naam nahi aapko naam dikhayee de raha hai nahi aap naam likhte hain nahi aap naam andar sunte hain nahi bas aise jap hota hai to man ko kahan se laga paoge bahar bahar ke sadhan se man antarmukh nahi lagta.

ye baat achchhi pakar lena. Bahar ke sadhan ko jab antar mein le jaate hain to antar ki gufa ka andhkar nasht hota hai. Hriday gufa wo kya hota hai? Radha Radha dekh rahe hain. Radha aap sun rahe hain. Naam likha Radha wahi ucharan Radha. Radha dekh lijiega. Parinaam mein dekh lijiega. Ye bahut accha laga ye sunkar saaf sadhan hai lekin naam ka nirantar chintan nahi bole vedant anusheelan karta hoon vedant ka tumko pata hai usi marg se aae sant anekan je bhay kin naam pukar ravidas sab chhod ke naam hi naam unch vichar Radha Radha Radha agar naam nahi hai to bahut ye bahut anubhav ki baat hai bahut anubhav ki baat jeevan ka adhurapan nahi pura hota sadhna adhuri hi bani rahti hai kyonki man ka vishram tabhi hoga jab bar-bar usi mein suno usi ko dekho usi ko chalao phir prashn hota hai ki ham zyada der ismen tik nahi pate to aap itna samjh lijiye ki ek bar aap aise likhen Radha yahi sharanagat mantr nij mantr jo mantr guru mantr mila hai ek bar likh 1000 bar ka phal hai uska yadi aap ek mala kar liye to sahasra malaon ke barabar ho gaya aise likh ke Radha thodi sa lobh badao thodi si ekagrata karo thoda man ko rokne ki cheshta karo agar do minute rokna seekh gaye to anekon wo janmon ka bigde man aapke adhin hone laga.

do minute adhin hua. Chinta mat karo ki hamse to agar aise karte hain to bahut kam bhajan hota hai. Wo kam bhajan bahut bada labh dene wala hai. Aap man lijiye jo aap likh rahe hain wahi aap dekh rahe hain wahi aap sun rahe hain wahi aap ucharan kar rahe baji jit jaegi. Sant anek je bhay jitne bade bade mahapurush hue sab naam premi hue naam ka sabne rasaswadan kiya kah rahe hain ki yadi aapne naam jap nahi kiya to aap chahe jo sharir se sadhan kar le chahe jo aur sadhan kar le utni unnati prapt hone wali nahi. Jab naam ke andar rup prakashit ho jaata hai to sarvasv tyag ho jaata hai.

jo tyag vairagya ke liye log pryasrat rahte hain. Pura prayas nahi ho pata. To kah rahe hain mere bhav mein gyan aur vairagya gyaneshwar ji maharaj ka baat bahut bade mahapurush hai. Inse bada to gyan aur vairagi aur yogi gyaneshwar ji inhi ke samne to gaye the wo 1400 varsh ke changdev ji Gyandev ji ke samne gaye the wo apna tap dikha rahe ki main 1400 varsh ka hoon sinh ko vash mein karke saanp ki chabuk to chabutre par baithe the to jad chabutre se kaha chalo chal kyon chaitanya ghan paramatma buddhi sankalp kiya waise ho gaya aise mahapurush purush kah rahe jo bhi gyan hai, jo bhi vairagya hai, bithoba ki kripa hai, vitthal bhagwan ki jo kripa hai, wo naam se jagrit hoti hai.

bade-bade mahapurushon ke naam jitna upasak naam japega utna hi usko bhagwat sakshatkar ke nazdik ek ek naam le ja raha hai. Apne aradhya ka sakshatkar sab mein hone lagega jis samay aapka nirantar naam chalne lagega. Naam ke bina kshan bhar bhi jo chain se na rah pave to samjh lena prem ki parakashtha prakt hone wali hai. Jo prabhu ka bhajan karte hain unko kisi aur ki taraf dekhne ki zaroorat nahi ki kaun sa kya sadhan sansaar mein kar rahe hain. Hamko sirf naam pakdna hai. Sansaar ki samasth kathinaiyan ye bade mahapurushon ke vachan hai.

samasth vipattiyan samasth dukho ka nash karne mein samarth hai naam. Agadh gyan vaibhav ka samudra hai naam. Apaar durgam gati pradan karne wala hai naam. Bas grahan karne yogya hai to ek naam tat gahan ko naam hai. Bhaj leeje soi. Leela sindhu agadh hai. Gati lakhe na koi naam agadh lilaon mein pravesh kara dene wala. Tatv ka gahan rup naam hai. Agar naam jap ho raha hai to tumhen aur phir koi sadhan ki zaroorat nahi hai. Aisa naam apni jibh par rakh lo. Tum sabse bade dani mane jaoge aur jara mrityu par vijay prapt kar loge.

kanchan Meru Sumeru hai gaj deej dana. Koti gau jo dan de nahi naam samana. Ek jap raha hai Radha Radha ek karodon gay ye sab dan kar raha hai jitne dan karne ki samgri hai kanchan bhumi bhumi dan swarn dan hai dan gaj dan gau dan annadan kanyadan vivid dan aur ek naam jap kar raha hai Radha Radha Radha to bole nahi naam samana naam wale ki samanta ye dan nahi kar sakte as man laav naam rasna tero bar na hoi jara marna aisa aisa bhav karo ki naam chalne lage to tera dobara janm nahi hoga. Tujhe mrityu ka dukh nahi hoga.

ek man ek dasha ek vrat dharie naam dev naam jahaj hai bhavsagar tarie. Bas ek sadhan pakar lo. Ek hi isht bana lo. Ek hi apni dasha bana lo. Radha Radha Radha Radha Radha isse bhav samudra se tar jaoge. Bhagwat prapti ho jaegi. Shesh charcha age. Shri Radha vallabh lal

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi