॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

is siddhant ko samjh liya to aapko kabhi vikshep nahi hoga // 30/05/2025

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

shri Vrindavan dham ki jai Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvai param shital maya param shi tal mashray is sansaar ka bandhan ka karan hai agyaan. Agyaan ka karan kya hai? Sansaar mein aavagaman ka janm mrityu ka karan hai agyaan. To agyaan ka karan kya hai? Is sharir ko main manna sansaar ke prani padaarth ko satya mankar mamta karna asakti purvak bhogon ko bhogna aur unmein sukh buddhi rakhna ise hi agyaan kahte hain. Apne ko keval pravachan kar lene matra se koi gyani nahi kah sakta.

agyaan kya hai? Jab tak is sharir ko main man rahe ho tab tak agyani ho. Jab tak sansaar ka prani padaarth tumhen satya dikhayee de raha hai tab tak tum agyani ho. Jab tak asakti purvak bhog bhog rahe ho tab tak agyani ho. Jab tak tumhen is sansaar mein kahin bhi sukh lag raha hai tab tak agyani ho. Is sharir ko main manna aur is sharir ke naam ko is sharir ke sambandh ko apna manna yahi agyaan hai. Ab dekho thermometer laga ke gyani kaun hai? Asakti purvak bhog bhogna. Sansaar ke prani padaarth ko satya manna.

sharir aur sharir ke naam ko apna manna, satya manna yahi agyaan hai. Agyaan ki nivitti kaise hoti hai? Is agyaan ki nivitti bhagwan ke param premi maha bhagvato ka sang, bhagwan naam jap, shastr swadhyay aur sabki seva main sevak sachrachaar rup Swami bhagwant is pure sansaar mein main sevak hoon aur sab hamare Swami virajman hain. Jab jahan jiski seva ka avsar ave das ban ke seva kar do agyaan nasht ho jaega. Naam jap karo agyaan nasht ho jaega. Shastr swadhyay karo agyaan nasht ho jaega. Satsang suno agyaan nasht ho jaega.

to jeevan mukt purush kise kahte hain? Jismen brahm vichar har samay chalta rahta hai. Vichar to sabke chalte hain. Lekin bhog vichar, jagat vichar, rag dves ke vichar, kam, krodh ke vichar ye sabke chalte hain. Lekin jeevan mukt kaun hai? Jiske brahm vichar chalte rahte hain. Bhagwat vichar chalte rahte hain. Sampurn sansaar se vairagya hai jise aur jiske paas sat sampatti hai. Chhah prakaar ki sampatti lok parlok ke bhogon se vairagya sat asat ka nirnay karne wala vivek sham dum uprati tatiksha shraddha samadhan ye chhah sampatti jiske andar hai sam dum uprati tatiksha shraddha samadhan aur ye char sadhan jiske hain sat asat ka vivek lok parlok ke bhogon se vairagya aur ye sat sampatti aur mumukshta ye char sadhan char sadhno mein tisre sadhan mein sat sampatti aa jati hai.

jab sat asat ka vivek hoga aur lok parlok ke bhogon se vairagya hoga to sham indriyan apne adhin ho jaengi. Dum man apne adhin ho jaega. Uprati bhogon se tyag vairagya ke baad uprati hoti hai. Bhogon ki satta hi nahi hai. Aisa gyan ho jaega. Sam dum upti tatiksha bahut sahnseel har kasht ko har vipatti ko anand purvak sah jana ye tatiksha kaha jaata hai shraddha shastr guru ke vakyo mein yathavat buddhi jaisa bol rahe hain bilkul waise hi chalna ise shraddha kahte hain. Samadhan chitt ka paramatma mein sthit ho jana sat sampatti mumukshatwa in sadhan ke bina koi siddh purush nahi kaha ja sakta sat asat ka vichar brahm vichar lok parlok ke bhogon se vairagya sam dum upti tatiksha shraddha samadhan aur mumukshta sadhan chaturshty bhi ho gaya aur sat sampatti bhi ho gayi.

isi se jeevan mukt hota hai. Agar inme se ek bhi nahi hai to jeevan mukt nahi hai. Jab shastr guru aur bhagwat kripa shastr kripa guru kripa bhagwat kripa ek saath jutti hai tab koi jeevan mukt hota hai. Shastr ke anusaar guru ke anusaar bhagwat kripa bal se bilkul chal raha hai. Kahin idhrudhur dagamgaya nahi to par ho gaya maya ke jo jeevan mukt mahapurush hai uski bahya pehchan nahi ho sakti wo antar sthiti hoti hai. Bahya to sansarik karya karte hue bhi dikhayee de sakta hai. Bahya koi nahi pehchan sakta.

antar sthiti mein pahchana ja sakta hai. Kya gyani bhakt ya siddh yogi siddh gyani jeevan mukt mahapurush siddh bhakt bhagwat premi siddh yogi kya srishti ka srijan palan saanr kar sakta hai jab wo jeevan mukt ho gaya to bhagwan swaroop ho gaya brahm vid brahm bhavti kya kar sakta hai jeevan mukt mahapurush paramarth drishti mein brahm mein ek ho gaya hai. Anandmay ban gaya hai. Parantu mayadheesh nahi ho gaya hai. Chahe wo siddh bhakt ho, chahe siddh yogi ho, chahe siddh gyani ho, wo bhagwan mein ekatva ko prapt ho gaya hai.

anandmay ho gaya hai. Par mayadheesh nahi ho sakta. Wah srishti ka srijan palan ya saanr karne ki samarth nahi rakhta hai. Yah keval ekmatra bhagwan mein hai. Bhagwan ka chintan karke bhagwat mein ho jao lekin bhagwan nahi ban sakte. Sakshat bhagwan to bhagwan hi hai. Srishti ka srijan palan aur sanhaar ye kisi bhi siddh mein takat nahi. Chahe wo bhakt siddh ho, chahe wo gyan siddh ho, chahe wo yog siddh ho. Sukshm sharir kise kahte hain? Sthul sharir to hai jise bataya gaya main pan se ham bodh karte hain jiska naam liya jaata hai.

ye sthul sharir sukshm sharir kise kahte hain? Man antahkaran chaturshty buddhi ahankaar aur panch pran pran apan gyan udan saman aur panch gyanendriay panch karmendirya yah sukshm sharir kahlata hai. 10 indriyan, panch pran antahkaran chaturshty yah sukshm sharir kahlata hai. Ye sthul sharir ke bhitar sukshm sharir sthul sharir ko sanchalit karta hai. Jaise hath ye chal raha hai to karmendriy hai. Lekin ise gyanindriy sanchan kar rahi hai. Andar se buddhi ise ghumao. Man sankalp kiya aur twagendra gyanindriy hai.

shuru ho gaya. Gyanindriy ke dwara karmendra kriyanwit hoti hai. Buddhi ke aur man ke dwara indriyan kriyanwit hoti hai. Buddhi man ko aur man indriyon ko. To sukshm sharir se sthul sharir sanchalit hota hai. Is sharir ke bhitar hai sukshm sharir. Char antahkaran chaturshty man buddhi chittankar panch pran vyaan udan saman jo pran hai panch aur iska darshan hota hai swapna mein sukshm sharir ka darshan swapna mein hota hai sthul sharir ka darshan jagrit mein hota hai karan sharir ka anubhav sushupti mein hota hai.

karan sharir kya hai? Sukshm sharir to samjh mein aa gaya. Antahkaran chaturshty panch pran sukshm indriyan. Karan sharir kya hai? Bhagwan ka vismaran apne swaroop ka vismaran karane wala ghor agyaan jeev ka swabhav ye karan sharir hai jo ham atma swaroop hai iska vismaran ya shri bhagwan ka vismaran jo bhagwan se apnapan hai use hata ke in shariron pe apna tabhi karan bana wah agyaan satogun, rajogun, tamogun tino prakriti se milkar ke jo jeev ka swabhav bana wo agyaan karan sharir hai. Ye man kya hai? Ye buddhi kya hai?

ye atma kya hai? Antahkaran mein jo karna chahiye ki nahi karna chahiye? Karna chahiye ki nahi karna chahiye? Yah kar lete hain, yah nahi karte hain. Jo sankalp vikalp hote hain, use man kahte hain. Thoda sa ekaagr hone par iska prichay milne lagta hai. Aaj hamara man wahan gaya tha. Aaj hamara man wahan sansarik aadmi to itna aaj hamara man kah raha hai ye kha le, ye pi le, ye dekh le, ye sungh le. Aisa jo manan karta hai sankalp vikalp karta hai. Hriday ki us vritti ka naam man hai. Hriday ek hai. Sankalp vikalp manan karne wali vritti ka naam man hai.

aur ye bada sanshyatmak hota hai. Ye sankalp aur vikalp karta rahta hai. Aisa karen nahi aisa kar lete hain. Nahi aisa nahi hoga. Wo chalta rahta hai. Is par jo nischay karta hai haan ye kar lo uska naam buddhi hai. Hriday ki wo vritti jo man ke sankalp vikalp par nischay kar deti hai. Haan ye kar lo. Aaj chalo ye khate hain. Jo nischay hokar laye us vritti ka naam char hai nahi. Ek hi hai hriday. Us vritti ka naam buddhi hai. Jo sankalp vikalp sanshyatmak manan wo man uska jo nischay kara de use buddhi kahte hain.

aur usi ka jo chintan karne lage us vritti ka naam chitt hai aur usi ki kriya ko jo sweekar kare maine khaya main khaonga maine kiya main aisa karunga use ahankaar kahte hain. Ek hriday mein ye char vrittiya hone ke karan use antahkaran chaturshty kahte hain. Atma in sabka sakshi hai. Jo atma hai wo inka sakshi hai. Wo inka drashta hai. Wo tatastha rahta hai. Haan na ye sab antahkaran mein ho raha hai. Aur power usi atma tatv ka hai. Wo tatastha rahta hai aur wah atma main hoon. Ham tatastha na rahkar antahkaran mein lipt ho gaye.

yahi bandhan hai. Jo gyani purush hai wah tatastha rahta hai. Man buddhi ke karyo ko tatastha hokar jo sakshi bhav se dekhta hai wo atma hai. Jo man sankalp vikalp manan karta hai jo buddhi nischay karti hai jo chitt chintan karta hai jo ahankaar kriya sweekar karta hai atma uska drashta hai sakshi hai aur wah atma hai aap lekin aisa kahan gyan main main dekh lun man ne gyanendra netr indri ke saath milkar kaha ahankaar ismen mila hua hai. Antahkaran ka ahankaar ismen milke man ke saath net indri ko lekar drishya ko dekhna chahta hai.

buddhi ne nischay kar diya haan dekh lo. Ab wo dekh raha hai. Bole maine yah dekha ye antahkaran ka aham bol raha hai na ki atma. Atma sakshi hai. Ab jo us sakshi mein hai wo dekhta hua bhi nahi dekha. Kyonki jo dekhne ka power hai wo usi se mila hai. Wo karta hua bhi nahi karta. Wo khata hua bhi nahi khata. Pita hua bhi nahi pita. Chalta hua bhi nahi chalta. Jo panchav adhyay mein gita ji ke likha hua hai spasan shasan gachchhan hriday kya hai yahi antahkaran chaturshty ko hriday kaha gaya hai man buddhi chitt ahankaar jahan ye char vrittiya uday hoti hai usko hriday kahte hain.

hriday koi alag nahi hai. Antahkaran chaturshty jahan char vrittiya uday hoti use hriday kaha gaya hai. To antahkaran ke kitne dosh hain aur unke hatane ka upay kya hai? Antahkaran ke teen dosh hain. Mal, vikshep, awran. Jab ham guru agyaa se shastrokta karm karte hain. Guru agyaa se shastrokta karm karte hain. Bhagwan naam jap karte hain. Isse mal namak dosh ka nash hota hai. Paap shastr agyaa se chalne se naye paap baenge nahi aur bhagwan naam jap karne se jo purane sab bhasm ho jaenge. To mal ka naam mal ka nash hota hai naam jap aur shastrokta aacharan se antahkaran nirmal hue bina bhagwat prapti nahi hoti aur ye teen dosh hai antakran mein mal vikshep awran to mal ka nash mukhyatya naam jap aur shastrokta aacharan se age paap banega nahi isliye piche ke sare mal ka nash naam jap se hota naam jap aur bar-bar dhyan purvak jap karne se vikshep dur ho jaata hai.

vikshep kahte hain jo bhogon ki taraf hamari vrittiya jati hain unko bhogon se hata ke bar-bar naam mein lagae bhagwan ke rup mein lagae apne lakshya mein lagae. Bar-bar vrityio ko jo ja rahe hain vyakti vastu sthan mein wahan se hata ke lakshya mein lagane se vikshep dur ho jaata hai. Aur awran mahapurushon ka sang karne se awran ahankaar hai. Jo awran hai uski nivitti mahapurushon ke satsang se hoti hai. Jab satsang se pata chala ki main koi ahankaar thodi hoon. Dehabiman ka ahankaar jo tha wah satsang se jab galit hota hai.

accha mal vikshep shant hua to aap mein power aa jaega ahankaar tyag ka jo antahkaran dharm mein ahankaar hai wahi janm maran ka hetu hai. Jahan usse hatkar ke aap sakshi bhav mein hue to aapka awran nasht ho gaya. Awran hi janm maran ka karan hai. Ahankaar sanskriti mul shul prad nana sakal shokdayak abhin sanskriti ka mul aur kasht ka mul ye ahankaar hi hai. Ye ahankaar kya hai? Ye bhagwan ki ashtadha prakriti hai. Akash vayu agni jal prithvi man buddhi chit ahankaar ye jo man hai usi mein chitt ko samaahit kar liya gaya hai isliye man buddhi ahankaar kah diya gaya to panch aur teen aath aur ashtadha prakriti mein ahankaar aata hai.

ahankaar bada vichitra hai. Iske nash ka upay kya hai? Ismen jo gaurav hai, badappan hai, apne mein shreshtha hai, yah gurujanon ki seva se nasht ho jaata hai. Jab bade mahapurushon ki seva milti hai, bhagwat prapt santo ki seva milti hai, to ahankaar nasht ho jaata hai. Sevak sadhak mein kabhi ahankaar nahi hota. Main itni seva karta hoon, main itna jap karta hoon, main itna usmen sab nahi hota. Wo to dekhta hai ham to yantr ki tarah chal rahe hain. Guru ji hamen chala rahe hain. Jaise waise chal rahe hain. To gurujanon ki seva, mahapurushon ki seva, sammaan ka tyag, badappan ka tyag, gauravpan ka tyag isi se ahankaar ksheen ho jaata hai.

jo bhagwat prapt ho jaata hai, uska vihaar kaisa hota hai? Bahut sujha hua vihaar hota hai. Wah shastr drishti se vihaar karta hai. Pita ko pita ki tarah, mata ko mata ki tarah, pati ko, pati ki tarah, patni ko, patni ki tarah vihaar karega. Par shastr drishti ke anusaar jo siddh purush hoga. Pita ke saath kaisa vihaar karna chahiye? Shastr kahta hai. Patni ke saath kaisa vihaar karna chahiye? Shastr kahta hai. Jo shastr kahta hai uske anusaar vihaar hoga. Manmani aacharan nahi rah jaega.

jeevan mukt purush ke dwara karm hote hain ya nahi? Jeevan mukt purush ke dwara karm nahi hote. Karan ki usko gyan ho jaata hai ki karm karmendrriyon se hote. Prerna gyanendrriyon se ho rahi hai aur gyanendra ko man chala raha hai. Man ko buddhi chala rahi hai aur uska main sakshi hoon. Isliye mere dwara kuch nahi ho raha hai. Koi karm bandhan nahi. Siddh mahapurush ka. Yah kam krodh antahkaran mein rahte hain. To jo jeevan mukt purush ho gaye unke bhi kam krodh rahte hain. Antahkaran mein hi kam krodh ka avesh hota hai.

to jo jeevan mukt ho gaya jo bhagwat prapt ho gaya kya usmen kam krodh hote hain? Jeevan mukt bhagwat prapt purush ke antahkaran mein kam krodh aadi ki to baat jane do. Chhota sa bhi koi dosh nahi rah jaata. Nirdosh brahm ko nirdosh hi prapt hota hai. Paramatma ki prapti ke purv hi unke antahkaran ki aisi shudhi ho jati hai ki usmen kinchitin matra koi bhi dosh nahi rahte. Koi bhi dosh nahi rahte. Jaise surya uday hone ke pehle hi andhkar nasht ho jaata hai. Aise bhagwat prapti ke purv hi wah nirdosh ho jaata hai.

usmen koi dosh nahi rahta. To siddh mahapurush mein kam krodha aadi dosh nahi rahte. Jo apne ko kam krodh aadi dosho mein lipt man rahe hain aur siddh bhi man rahe hain. Wo damb kar rahe hain. Pakhand kar rahe hain. Kam, krodh, lobh aadi man, buddhi ke swabhav hain. Ya vikar hai. Agar swabhav hota to kabhi nahi chhutta. Swabhav nahi hai. Vikar hai. Kam, krodh, lobha aadi ye swabhav mein nahi hai. Ye antahkaran mein vikar mein hai. Swabhav hota to chodna kathin hota. Aur jab use sweekar kar liya jaata hai to unka prabhav swabhav mein bhi par jaata hai.

jaise bahut kami swabhav ka aadmi hai. Ye bahut kroadhi swabhav ka aadmi hai. Ye bahut lobhi swabhav ka aadmi hai. Uska swabhav par prabhav parta hai. Lekin wo swabhav hota nahi hai. Jo adhik lipt vikaro mein ho jaata hai. Uska prabhav swabhav par parta hai. Par wo swabhav hota nahi hai. Swabhav ho to mitaya nahi ja sakta. Wo vikar hai. Vikari swabhav swabhav jo hai wo shuddh hai. Par us vikar se lipt hone ke karan kami kaha gaya. Kroadhi kaha gaya to kam nasht hua to swabhav to shuddh tha hi.

swabhav jo swabhav hai wah kabhi vikari nahi hota. Par vikari kaha jaata hai. Jaise riksha kabhi riksha chalak nahi ban sakta lekin riksha kahne se khada ho jaata hai. Aise hi adhik kam mein lipt hone ke karan wo kaha jaata hai kami swabhav ka hai. Ye kroadhi swabhav ka hai. Ye lobhi swabhav ka hai. Jis ghadi tum bhajan mein chitt ko jodoge tumhara swabhav bhajan ka ban jaega. To ye vikar hain. Ye ghadi bhar mein sab nasht ho jaenge. Ye sab tumhare gulam ban jaenge. Ye sab bhag jaenge dar kar. Kab? Jab khub bhajan karoge.

ye do char mala ghumane se nahi. Are bhajan ki alag-alag vrittiya. Radha Radha Radha Radha ek bhajan ho raha hai. Ek upansh ho raha hai. Ek mansik ho raha hai. Aur ek gadh bhajan ho raha hai. Keval bhajan wahi mantr dikhayee de raha. Wahi sunai himmat nahi pure sharir ki ki jhal pave. Thodi der mein itni urja paida hoti ki sharir vilakshan hone lagta hai. Sharir vilakshan hone lagta hai. Matlab khud samjh mein nahi aata kaise control karen. Aisi mahan urja shakti yah naam aap khilwad samjhte ho aap bhajan karke to dekho phucho to bhajan ki jagah pe naam jap jaise Radha Radha kar rahe phir upansu phir mansik ye bhajan ka abhyaas hai abhi bhajan nahi ho raha hai bhajan ka abhyaas ho raha hai aur jab bhajan hoga tab dekhna aap jo vastvik bhajan ki baat hai kshamta nahi hai ki sharir sah jae.

har nas nadi matlab ek alaukik urja prakt hoti hai. Jap se bhajan se ek alaukik urja aap lage raho. Abhi aisa mat mano aap bhajnanandi ban gaye. Mala jab mala aur counter ye sab dhar jae. Hai hai mach jae andar se. Matlab ek pucha kal kisi ne ki kaisa lag raha hai is samay aapko ham kaha kaise batayen na khatta na mitha na kadva kaise batayen ab ham kahe ki anand aa raha hai ki kya kahe ham kuch kah nahi sakte ki kaisa lag raha hai bas ho raha hai bhajan jab aise hone lagta hai to swabhav ban jaata hai bhajan ka sare vikar apne aap nasht ho jaate hain.

lage raho. Bas ham yah kah rahe lage raho. Teri banat banat ban jae re. Hari so laga raho bhai re teri banat banat ban jae re. Hari se laga raho bhai re. Teri banat banat ban jae. Tera Ram ji karenge beda par. Udasi man kahe ko kare lahar lahar hari aap sambhale hari aap hi utare tera bhaar udasi man ye lahar lahar karke wahi samudra mein pahunch jaenge samudra ki lahron ka ek swabhav hota hai wo dikhayee deti hai uchhalti hui bahar ke liye lekin wo ghaseetti hai andar ke liye uska do swaroop hota hai aisi uchhal to lagta hai ki ye bahar phenk degi lekin wo wo uski fas mein aa jao to ghasit le jaegi andar.

aise hi bhajan ki lahar hai. Man bahar bhagta hai. Vishyon ki taraf bhagta hai. Lekin jitna bhagega utna ghasit jaega. Bhajan na chodo. Par bhajan mein lage raho. Ubo mat. Mangal hi mangal hai. Age chalkar jab bhajan hoga abhi Bhajnandi nahi ho. Abhi bhajan mat mano. Kyonki ham batte hain bhajan ki ek sthiti hoti hai. Matlab kaise varnan karen? Koi shabd hi nahi hamen ki ham varnan karen. Jaise mashin rakh di gayi ho na khopdi mein wo ek matlab ajeeb sthiti hai. Jaise ham varnan kar rahe hain to uska abhas keval ho raha hai us samay ka.

wo sthiti nahi hai. Us sthiti mein varnan nahi kar sakte. Keval bas aise baithe bas aise ho raha hai chal raha hai matlab usmen koi jap nahi ki ham jap kar rahe hain ek alaukik sthiti bhajan karte karte tabhi kaha gaya ki mahapurush jan jo panch minute mein kar lenge wo tum 24 ghante mein nahi kar paoge panch minute mein ek kshan mein unka jo chintan bana wo wahi pahunchna hai ye vikar hai ye nasht ho jaenge yah swabhav nahi hai. Vikaro ka atydhik prabhav hone ke karan ham lanchhan swabhav par laga dete hain ki kami swabhav ka ye kroadhi swabhav uska swabhav nahi kami hai.

kam vikar hai. Jo badh chuka hai wo ham arop kar dete hain. To kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar ye swabhav nahi hote. Yah vikar hote hain. Swabhav hota to mitana kathin tha. Vikar hai isliye sahaj mein mit jaenge. Antahkaran ki shudhi ka kya upay hai? Antahkaran jab shuddh hone lagega to adhyatma gyan aapke andar apne aap spurit hone lagega. Antahkaran jab shuddh hoga to aapki shareerik mansik kriyaen sab bhagvatik hone lageng. Iske shuddh karne ka upay jitna bhagwan naam jap karoge utna hi adhik hoga.

aur jitna dusron ki seva karoge utna adhik hoga. Do baten bataai seva aur naam jap antahkaran ko shuddh karne ke liye seva atyant aniwarya hai. Chahe pashu pakshi, manushya, sadhu, mahatma kisi ki bhi ho seva jarur karni chahiye. Seva honi chahiye. Ek bar guru ji se kaha ki jaisi honi chahiye waisi atma unnati nahi ho rahi. 202 varsh pehle aur kaho 25 varsh ho gaye ho. To guru ji ne kaha kisi sadhu ki langoti nahi dhoi abhi kuch aisi sevae to milti nahi aisi nirantar to mili nahi bole bhagwan se mango man mein aaya ki hamare bhagwan to aap hi ho aap hi vidhan kar do hi char din mein vidhan ban gaya Shridhar Baba ki seva ka jo kaleed mein Shridhar Baba bhyo vridh bas seva se aur sumiran se antahkaran bahut jaldi shuddh hota hai.

agar seva sumiran donon jisko sahi dhang se na mil pa rahe ho to Vrindavan ki raj lagao pure sharir mein bahut jaldi shuddh ho jaega antahkaran. Vrindavan ki raj ka sevan karo. Pure sharir mein paudar ki tarah lapeto. Bar-bar kahte man lo is sharir se pyar mat karo. Sharir tum nahi ho. Sharir ka vastvik pyar yahi hoga ki raj ismen lagi rahe. Snaan ke baad sharir halka gila rahta hai. Aur jab raj lagao to pure sharir mein raj lag jati hai. Roz lagate ho. Raj lagi hai aur sharir chhut jaega to shri ji ki prapti ho jaegi.

ye pujya Radha Baba ne apni vani mein likha ki yadi Vrindavan ki raj sharir mein lagi hui hai aur sharir chhut jae to bhagwat prapti ho jaegi. Ya naam sumiran nahi ban raha. Kisi ki seva nahi kar paye to itna to ki khub raj lapete aur geeli karke tilak rup mein aise laga lo aur sukhi pure sharir mein laga lo. Hamen kab brahmi sthiti thi prapt hogi? Bhagwadakaar sthiti waise wahi bilkul chah nahi hoti ki ham koi bhajan ka upay kar rahe ekdam jaise pair rapat gaya ab gaye aisa hota hai jaise pair rapat gaye ekdam gaye ekdam ab us samay phir koi hai ki nahi hai usse koi matlab nahi shuru ho gaya apna swabhav aur prabhav shuru ho jaata hai bole brahmi sthiti hamen kab prapt hogi jo mrityu janit kasht ka varan karta hai wahi brahmani sthiti ko prapt hota hai.

har kasht ko gale lagata hai. Ab chahe marna pare lekin bhajan nahi chhutega. Kuch bhi ho jae wo brahmani sthiti jiddi swabhav aur kasht kahan tak? Bole mrityu tak. Mrityu tak ka jo varan karne ke liye tayyar 10 minute baithe bole pair mein pida ho rahi do din baithe tisre din baithe le khatm ho gaya ho gayi sadhna nahi piche agar dhyan se suna ho ki agar sant seva ka kya swaroop hai sant seva ko to usi ko guru seva man lete hain guru seva sant seva ek hi uska swaroop kya hai to bole unki agyaa ke anusaar chalna unke adesh updeshon ka palan karna.

isi se ahankaar nasht ho jaega. Santo ki seva matlab ahobagy hai jo gurujanon ki sharir seva mein hai. Jaise hamare guru ji ki seva mein jo hai na wo jab samne se nikelte hain to unke charnon ko dekhkar bar-bar pranam karte hain. Shuru se bhav raha hai ki jo gurujanon ki seva mein hai wah hamare liye sarvshresht hai. Ham unki barabri agyaa palan karke bhi nahi kar sakte. Dekho bhav ka vishay hai. Shastr agyaa karta hai ki guru aur sant ki agyaa ka palan karna hi sabse badi seva hai. Lekin jo guru ji ki langoti dho rahe hain.

jo guru ji ko snaan kara rahe hain. Jo guru ji ke jhuthe patr marjan kar rahe hain. Jo guru ji ko bana ke pawa rahe hain. Aur ham yahan mala chala ke to hamara sir unke age jhuka rahega. Ham sadaiv unki charan vandna karenge ki aapko jo saubhagya mila hai jo aap hamare guru ji ko sukh phuanchte hain isliye main aapka das hoon. Das das ham jab wah samne niklegaa to ham pehle uske charnon ko gaur se darshan karte hain aur unko pranam karte hain ki jiske hathon se hamare guru seva ban rahi hai wo hamare liye guru ji ke saman pujya hai.

uski barabri to nahi kar sakte. Ham tapasya karke ya teerthagahan karke ya jo bhi uski barabri nahi kar sakte. Wah to rahega hi. Jo guru ji ki charan seva mein hai. Raat din unke hukum par khada hai. Unki seva mein to aap dekho aap bhajan kar rahe ho lekin apne liye kar rahe ho. Hamari baat ko samjhna. Guru agyaa ka palan kar rahe ho lekin apne liye. Aap guru ji ko pranam kar rahe ho apne liye. Pranam kar rahe ho guru ji ko. Guru ji ke liye nahi apne liye. Hamara mangal hoga. Aap guru ji ko kuch de rahe ho apne liye lekin wah jo bhi kar raha hai guru ji ke liye kar raha hai usko pranam namaskaar se matlab nahi hai guru ji ko pyas lagi hai pani pilana guru ji ko bhojan guru ji ki aarti karne ka jo samay hai wo swayam aarti kar raha hai guru ji khade hain ya baithe hain aram mil rahi na guru ji ko aram mil rahi hai na guru ji ko sukh pahunch raha hai na bahut sukshm kshamta se hamare is vishay ko samjhna anytha mat le jana.

aap jo bhi palan kar rahe ho guru agyaa ka apne liye aur wo jo bhi kar raha hai pragat mein guru ji ke liye kar raha hai. Wo guru ji ka kapda dho raha hai guru ji ke liye. Guru ji ki langoti dho raha hai. Guru ji ke liye apne jeevan ko arpit kiye hai guru ji ke liye. Isliye uski samanta mein to nahi kah sakte ham ki unke saman sab nahi. Kabhi kripa ho jae hamare upar bhi aur hamko chand din hi seva mil jae wah samanta guru ji ki nahi jo seva mein wo wo to matlab jit gaya hai hazar ladke hote hain to hazar ladkon mein sab thodi kamando ban jaate hain 10 panch nikal pate hain aise mano lakho shishya hain to lakho guru ji ko manne wale lakho mein 10 panch guru ji ki manne wale hain.

lakho guru manne wale hain. Lakho mein 10 panch guru ki manne wale hain. Unmein se koi ek do guru ko sukh pahunchane wale hain. Guru ko sukh pahunchane ke liye ham tatpar hai. Khada hai raat din hukum pe khada hai. Jaise guru ji agyaa karen. Bas guru ji ki seva unki samanta to nahi kar sakte. Unko wo to sakshat bhagwat swaroop hai. Wo koi sadhak nahi hai. Wo purv janm mein sadhna se siddh hue to sakshat param brahm swaroop Gurudev ki paricharyaa mein lage hain. Unki barabri kaise ho sakti hai?

socho. Ham guru ji ki agyaa ka palan kar rahe hain. Lekin ham guru ji ki thal ka jhuthan to nahi pa rahe na. Pane ke baad sarka diya pura dho ke wo pi raha hai. Uski barabri ham kar payenge. Guru ji ko chu nahi sakte aur roz kapda langoti sab dhokar faila ke kaise uski samanta kar sakte hain ham chahe jitna tap karen chahe jitna jap karen uski barabri thodi kar sakte hain aur iske baad dant lagaya guru ji ne aiseise nahi aise ji maharaj uski samanta kaise kar sakte hain haan labh ham guru seva ka le sakte hain unki agyaa ka palan karke lekin saman samanta nahi kar sakte.

unki samanta ham nahi kar sakte. Aap logon ke andar bhav ho to bhale ho ki ham kisi se kam nahi lekin ham unki samanta nahi kar sakte jo guru ki balwat paricharyaa mein lage hain. Dhanya hai wo sadhak dhanya hai wo sant jo apne Gurudev ko snaan karate hain. Gurudev ka charanamrit pite hain. Gurudev ko bhog pawate hain. Bana ke Gurudev ke vastr dhote hain. Gurudev ki paricharyaa ham unki samanta nahi kar sakte. Aur ham yah jarur kah sakte hain ki bhagwan unke adhin ho jaenge. Jinhone Gurudev ko aise rijha liya bhagwan unke adhin ho jaenge.

bhagwan jab hamara hriday jaise is samay baat kar raha hoon to hriday ekdam dravit ho raha hai unke prati. Guru ji ko pani pila de. Ek vichar karo. Guru ji ko utha ke baithaal de. Guru ji ki charan seva kar de. Yah saubhagya kaise mil sakta hai? Jinka ham ishta kabhi prapt kar le to fale nahi samate wo tino time unka par bacha hua ham kaise samanta unki kar sakte hain jo aise aankh utha ke dekhna saubhagya pratit hota hai wo aankh nikal ke unko dant rahe hain ye saubhagya to ek kisi purv janm ka bhari tap ekatrit hua aur kisi sant aur gurujanon ke anushasan mein unki paricharyaa mein nikunj jeb mein rakha hua hai.

agar kisi sant kisi mahapurush ki paricharyaa mein aap hai na sab duniya ke sab sadhan ek taraf aur sant paricharyaa ek taraf. Kisi ko sant paricharyaa mil jae to kabhi ye mat chodna ki mujhe bhajan karna hai. Isse bada koi sadhan nahi. Bhagwan iske adhin ho jaate hain. To jo anya log nahi prapt kar pate dviti sthiti hai ki wo unki agyaa mein bandhe rahe ki hamara saubhagya itna to nahi hai ki main unka vastr prakshaln kar sakun. Unko snaan karva sakun. Unko bhog pawa sakun. Unki juthan paricharyaa mein main rahun.

lekin main apne jeevan ko unko samarpit karta hoon aur unki agyaa mein to unki kripa se uska ahankaar galit ho jaega aur sadgati prapti mein koi kinchit matra antar nahi hogi lekin prem prapti mein antar hoga jo use prem prapt hoga guru charnon ka wo use prem nahi prapt hoga nahi sab aap dekh lo jo ham kah rahe is baat par dekho aap pranam karte ho apne liye aap jap karte ho apne liye aap guru banaya hai apne liye guru ke liye kya kar rahe ho imandari se dekh lo imandari se Vrindavan mein baithe ho aap apne liye kar rahe ho guru ke liye bole mera jeevan guru ka jeevan hai maine guru ko de diya ab agar guru ji hamse yahan juta saaf karate hain to main guru uska ho gaya jeevan bas aap samjh lo mera jeevan guru ke liye hai agar wo mujhe 100 kilometer dur rakhte hain to mera ismen kya dosh hai?

agar mujhe wo sharir seva nahi de rahe jismen meri kya par main guru kahun unki agyaa par chaluga. Mera jeevan tan man pran unka usko wahi gati prapt hogi jo unki paricharyaa mein hai kyonki wo guru agyaa mein hai. To guru agyaa mein jo hai wo guru ki paricharyaa hi mani jae. Kisi bhi sant ki seva karen ham jaise ham pujya Shridhar Baba ki seva to hamari guru bhakti badi. Aur hamara isht prem badha. Unki seva se hamare isht prem mein vikshep nahi hua. Guru bhakti mein vikshep nahi hui.

par vihaar nahi hai. Seva se matlab hai keval. Jaise kisi bhi sant ab koi bimar sant hai. Kisi anya sampraday ka hai. Aap jaiye. Aap unki seva parichadya kijiye. Par shraddha aur vishwas apne Gurudev aur isht par hona chahiye. Agar isht aur Gurudev wala shraddha vishwas kar loge to unke jo chal raha hai wahi tumhare chalega. Tumhare guru ke jo chal raha hai wo nahi chalega. Yah bhi baat dhyan rakhne ki baat hai. Paricharyaa ham karenge lekin shraddha aur vishwas purn apne Gurudev ka. Main apne Gurudev ki agyaa se aapki seva kar raha hoon.

main apne Gurudev ki prasannata ke liye aapki seva kar raha hoon. Mujhe aapse koi phal ya koi updesh ya koi satmarg nahi chahiye. Mujhe sataarg mil chuka hai. Mujhe updesh mil chuka hai. Mujhe phal mil chuka hai. Mujhe Gurudev mil chuke hain. Unki agyaa hai ki agar sant seva mil jae to karna chahiye. To main sant seva man karke kar raha hoon. Aapse kuch chahiye nahi. To uska kabhi bhi paramarth nahi bigdega. Jab tak sant seva na mile to naam japo. Ghar mein thakur virajman hai. Khub bhajan sadhan karo lekin ichchha karo ki kaash kabhi koi aise vayovriddh bimar sharir ki hamen seva karne ko mil jae.

Vrindavan mein to sab sant hi hain. Dekho ek beech mein ek mai itni tapaswini thi. Sampurn Vrindavan ki roz parikrama lagana sant seva karna sab aur yahi mahino rakhkar ke Radha naam kirtan karke aur unka sharir pura to aise bhagwan de dete hain. Kabhi koi aisa Bhajnandi mil gaya aur uski seva ban gayi to hamara dehabiman par seva seva hai. Jab tak seva na mile khub naam jap karo. Khub aur akanksha karo ki sharir se kabhi kisi ki seva ban jae. Bahut jaldi antahkaran shuddh hota hai aur ahankaar rahit hota hai. Seva ki bahut badi mahima hai.

jaise seva bhav hai. Ab sab satsang sun rahe hain. Ab ek rumal lekar ke jitne jute chappal rakhe hain sabke saaf kar diye. Dekha satsang hokar gaye. Gali mein Soni laga di. Ye seva nahi sab santo ki seva ban gayi. Samay mila karpet saaf kar diya. Kitne sant baithkar ke satsang sun rahe hain. Yah sab sant hi to hai. Chahe safed ho, chahe jo bhagwan mein chitt jode wo sant seva ki kami nahi hai. Agar ham seva karna chahe to bahut seva hai. Seva ki kami nahi hai. Ham ichchha karen seva ki. Bhagwan hamen seva ka avsar denge.

aur khas baat sab santo ke sant hain bhagwan. To hamne kaha hai chahe Radha naam seva rakh lo aur chahe jugal seva rakh lo to wah bhi seva to hai. Apne ghar mein thakur virajman hai. Apne ghar mein naam virajman hai. Atho pair seva mein hai. Agar sant seva mil jae to theek. Nahi santo ke sant anant bhagwan virajman unki seva mein raho. Seva se bahut jaldi antahkaran pavitra hota hai. Shesh charcha aa gayi. Shri Radha vallabh lal ki jai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi