bhajan aur bhojan ke liye upasak ko kin sthano se bachna chahiye? / in dosho wale ko narak se koi nahi bacha sakta
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam had dapitam madhupte smartap mugam nirvapay param shital mashryam param shital mashray karo kripa vrishabhan dulari karahu kripa vrishabhan dulari mam avgun gun ne sunahri nisu kar lal bihari karahu kripa vrishabhan dulari karahu kripa vrishabhan dulari he kripamai swamini hamare gun avgun mat dekhiye. Maya ke prabhav se prabhavit hokar ham maya janit gun avgunnon mein sadaiv rahe hain. Wahi akarshit karke hamko apne adhin kiye hue hain. Swamini aap to Lalaju ko adhin kiye hue hain.
kya karunami hamare man ko hamari buddhi ko jo maya adhin kiye hue hai kya usse aap chhudakar apne charnon mein nahi laga sakti kripa karo he ladli jo aap apaar samarthyamai hain lah vipin var bas raas ras aur nahi jie mere manan mansik dar se parse tan man santan nere he swamini jo aisi kripa karo ki mujh adham ko akhand Vrindavan vas mil jae. Yah raas bhumi hai. Bina aapki kripa ke yahan vas asamabhav hai. Isliye swamini mujhe Vrindavan ka vas do aur sarvshresht nitya vihar ras ka bhajan. Yah bhajan bina bhagwat premi santo ke sang ke nahi hota.
isliye tan man santan nere. Mera tan bhi santo ke samip rahe aur mera man bhi santo ki agyaa mein rahe to mere man mein mansik seva aapki prarambh ho jae. Aisi kripa kar do. Juti kadamb mukut mani shyama sukh dhama shri Radhe ja rup lal hit sharan gaye ki laj rakh hari bandhe sharan gaye ki laj Rakhi hari ba he Priyaju samasth braj yuvtiyon ke samuh ki aap mukut mani hain. Param sukh dhama hain. He kishori jo main aapki sharan mein hoon. Aap apne sharanagat ki laj ka nirvah kijiye. Mere gun avgunnon ki taraf na dekhkar aap apni kripa samarth ki taraf dekhiye.
jo samarth lalju ko adhin kiye hue hai. Mere dushit man ko adhin kar lena kaun si badi baat hai? He swamini jo aap kripa karo. Upasak jab tan man se santo ka sang karta hai to use siddhanto ki prapti hoti hai. Agar siddhant se nahi chalta hai to satsangi nahi hai. Satsangi aur sansarik mein itna hi antar hai ki sansarik purush ki man buddhi mein jaisa aaya vaisa kar baithta hai. Aur satsangi uske man buddhi mein jab koi baat aati hai to usko praman khojta hai. Yah guru agyaa ke antargat hai ki nahi hai.
yah shastr agyaa ke antargat hai ki nahi hai. Agar nahi to wo nahi karega. Hai to bhi karega. To phir uska adhyatma mein pravesh ho jaega. Isiliye kah rahe hain yahan siddhant ki pratham hoi hari kripa tab hi shraddha upjave sadhu sang mein priti badhe puni sadgun gawe. Sabse pehle hari ki kripa hui ki manushya deh mila. Dusri kripa hui ki hamari shraddha bhagwan aur bhagwan ke bhakton mein hui. Yah bhagwan ki taraf se mili shraddha hai. Is shraddha se jab ham santo ka sang kiya bhagwat premi mahatjanon ka to unke charnon mein hamari shraddha priti badi.
bhagwan se bhi adhik sato sami jag dekha mote adhik sant kar lekha bade shraddwan bhagyawan wo mahat jan hai jinke hriday mein santo ke prati bhagwant se bhi badhkar aadar hai. Bole jab aisa santo ke prati aadar hota hai to usmen bhagvatik sadgun prakashit ho jaate hain. Bhagvatik sadgun se hi maya par vijay prapt ki jati hai. Maya janit gunon se maya par vijay prapt nahi ki ja sakti. Bhagvatik sadgun bhagwat premi mahatmaon ke sang se ate hain. Jab kisi bhagwat premi mahatma ko apna prabhu man liya jaata hai.
unki agyaa palan ki jati hai to bhajan kriya jane tab shabd arth pahchane hoi anarth nivitti gyan vigyan bakhane jab santo ka sang kiya jaata hai to bhajan mein priti hoti hai. Pakka bhajan na ho sang binu bhajan bina nahi prem chhinhu bhajan na chhanie dharie dhruvya nem bhajnandi bhagwat premi mahatmaon ke sang ka jab rang chadega to bhajan mein priti hone lagti hai. Bhajan kriya jane kaise bhajan hota hai? Nirantar bhajan karne ke liye ek prakriya bataai thi. Aap logon ko agar yad ho ki apni jaban ka agr bhag upar ke danto ke jod pe aise laga ke band kar lo.
ab mantr chalao. Naam chalao. Tumhari maun sthiti rahne lagegi aur nirantar mantrakaar vritti par yah abhyaas se hoga ek din mein nahi ho jaega. Dekho upar ke jo dant hain unke jod mein upar masudon ke paas apni jibhya ka agr bhag mod kar lagaiye aur oth band kar lijiye. Phir naam chalaie. Hawa jo shwas bar-bar aa ja rahi uski thesak mein naam mantr ko ucharan kijiye jisse bhaura gungunata hai andar se chal raha hai. Isko thoda aur jab upar taluk ke kar dete to ise khechri mudra kahte hain. Isse jo ras nikalta hai wo bahut pavitra hota hai.
antahkaran ko bahut shighr nishpap kar deta hai. Par yah vishay purush nahi kar sakta. Ub jaega thodi der mein. Agar yah prakriya bani rahi to aapko bolne ki himmat nahi rahegi. Koi baat karega to jahr jaisa lagega ki mantr chhut jaega agar isse baat karenge. Prambhik dasha mein bahut nirantar bhajan karne ke liye ye prakriya hamare kam ai. Purv mein ye bahut kam ai. Tabhi hamse pucha jaata tha tumhari vani hai tum bol lete ho aisi sthiti mein rahte the yahan Vrindavan mein jis ashram mein rahte the aath mahina ho gaye honge kisi se radheshyam nahi bole the to unhone ek din kaha mahatma tum bol lete ho tumhari jaban hai to ham kaha ji yahan kisi se aap Radhe-Radhe nahi karte zaroorat nahi jab Radhe se Radhe-Radhe ho rahi to aur Radhehe kya karna hai?
accha kyonki ab wo jo jis sthiti mein wahin ki baat samjhega age ka to samjhega nahi. Aap agar yah abhyaas pakar le to nirantar bhajan karne ki vritti mein pahla maun aur dusra nisankalpa sthiti jagran kar dega. Aur jo aapke andar adhik ras adhik matra mein ras niklegaa jaban ke niche se is prakriya se nikalta hai aur upar kar le khachri mudra mein to amrit jaisa ras nikalta hai bahut divyta aati hai bhookh pyas par vijay prapt karne ki samarth isi ras se aati hai ye yogik kriya hai aise karke ye mudra hai shant aankh khuli hai band mantr chal raha hai.
dekho aap kar sakte ho. Aap log kiye mantr chala rahe hain. Ekant mein is kriya ko karke dekhna. Bhajan kriya jane tab shabd arth pahchane. Yah aap sadharan mat samjhna. Jo aapko naam mila hai, mantr mila hai, iska arth prakashit hota hai. Isht dev. Jaise jaise aapka mantr chalega aapke hriday mein dravan kriya hogi. Us dravan kriya mein sabse badi savdhani hai ki kisi se priyata na hone pave hata nahi paoge. Dravan kriya mein yadi kisi se priyata ho gayi to chap lag jaegi. Hriday dravit hota hai mantr japne se.
dhyan rakhna us samay kisi se bhi apnapan na hone pave. Kisi se apnapan hua to itne jor ka hoga ki use mitane ke liye phir aur dat ke bhajan karna padega. Hriday mein jab dravan kriya ho aisa bavrapan chadhe to use bilkul bahari udasi rakhna chahiye. Kisi se priyata nahi. To sidhe ishtkar vritti hoti hai. Sare anarthon ka nash ho jaata hai. Jo paap karane wali pravriti hai vasna aur jo paap donon ka bole ho anarth nivatti jab sadhu sang hua to sadhu sang se gurujanon ke pratap se bhajan karne ki paddhti pata chali.
kaise bhajan nirantar kiya jaata hai. Usse hamare hriday mein bhajan ka arth prakt hua. Us arth se sare anarth ki nivitti ho gayi. Paap pravriti paap inka nash ho gaya. To bole ho anarth nivitti aur jahan anarth nivitti hui to gyan vigyan bakhane andar gyan jagrit ho gaya. Vigyan jo gyan hua uska anubhav ho gaya. Use thotha gyan nahi keval vani wala anubhav mein aa gaya kyonki bhajan hai gyan vigyan bakhane phir nishtha isht vishay badh ke man nishchal hoi chhin chhin ruchi upjai neh jag ke sab khoi apne isht ki nishtha uske hriday mein itni badhkar jagrit ho jati jati hai.
ab koi bhi labh hani pralobhan usko apne isht se alag nahi kar sakta. Nishtha isht vishay badh ke man nishchal hoi man apne aradhya dev ke charnon mein nishchal ho gaya. Hat hi nahi sakta. Phir chhin chhin ruchi upjai. Apne aradhya dev mein pratiphal aisi priti umgi ki deh kutumb te jae chhut sab hi vidhi nat to neh jag ke sab khoi sharir sambandh sharir ke bhog sambandh sharir ke aur rishte nate sambandh ye sab jhuthe hain. Yah anubhav hone laga to hoi tab asakti pran pati nainan jhalke gadgad pulkit ang prem ras bheeni palak apne Priya pritam mein atyant asakti prakt ho gayi.
wo asakti itni jor ki ki Priya pritam netron mein virajman ho gaye. Ab to kabhi wah gadgad kanth hokar pukarta hai, kabhi rota hai. Sadaiv kapol uske geele rahte hain. Prem ras bheeni palak sva prakash nij bhav prakash tan man mahi premi prem niket prem parsi par chhahi je Priya pritam ka sakshatkar hua ki use apne sahachari vapu ka darshan ho gaya prapti ho gayi sva prakash nij bhav prakash tan man sahachari bhav ka man mil gaya sahachari bhav ka tan mil gaya sahachari bhav mil gaya bhav deh aur bhav man donon ki prapti ho gayi ye guru pradatt bhajan ke prakash se prem niketan nikunj mahal mein wo pahunch gaya aur Priya pritam ki parchhai ki tarah unke saath rahne laga sharir rahte hue yah hai guru pradatt bhajan ka prabhav avtari sab avtaran yah nitya bihari shri Radha vallabh lal pragat leela vistari yahi se sab avatar hote hain.
hamare prabhu Radha vallabh lal bihari bihari jo nitya vihar karte rahte inheen ke ansh se brahma Vishnu Mahesh inheen se sab avatar prakt hote hain. Avtari sab avtaran par yah nitya bihari shri Radha vallabh lal pragat leela vistari Vrindavan navni nikunj mein simhasaan par virajman yugal sarkar i vidhi simhasaan par rajat kaise raj rahe i vidhi kaun si vidhi anshan par bhuj diye bilokat Indu badan vir karat pan ras mat paraspat lochan tasit chakor nav kishori nav kishor galvaiya di hui ek dusre ko dekh rahe i vidhi simhasaan par rajat rup nihare gaur Shyam abhiram koti Manmath lakhware aise sundar hamare Priya pritam hai ki karodon kam ki chavi nyochhavar hai in par.
ab karodon kam ki chavi to kah di gayi aur aapne sun li. Ek kam pure tribhuvan ko bina prakt hue apne adhin kiye hain. Agar prakt ho jae to itna sundar hai ki tribhuvan mein kam se sundar koi hai hi nahi. Kam aur rati se badhkar koi sundar nahi. Tabhi bhagwan ko koti Manmath manamtha karod karod kamon ke man ka bhi manthan karne wala kaha gaya hai. To gaur Shyam abhiram koti Manmath lakhware aisi jugal jodi simhasaan par virajman paraspat ek dusre ke netron mein chandra chakor ki bhanti sakhiya kah rahi karodon kam nyochhavar hai.
inki rup madhuri mein wah bhav deh prapt mahapurush inka avlokan kar raha hai. Nav kishor sukumar ang chavi kahat na ave koti sharda thake bhav anubhav kachu gawe. Kah rahe ki agar karodon Saraswati ho to bhi hamare Priya pritam ki rup madhuri chavi shobha ka varnan nahi kar sakti. Wah bhav deh prapt upasak dekh raha hai ki sinhasnarudh paraspat chandra chakor netr bhay shobham shyama Shyam virajman nav nikunj abhiram Shyam sang neeko bano samaj jas hit Harivansh vilas raas jut jori avichal raj ab Priya pritam ko rijhane ke liye sakhiya nrityati gavat patat ughat sangit sunawe sahchartal mridang been ras leen bajave koi to sundar nritya karte hue shri charan aur kar hav bhav prakt karte hue patka rahi koi bade uchh swar se alap lekar sangit se yukt rag ragniyon ki taang chherd rahe
koi sahachari taal mridang Veena ras mein leen hokar baja rahe Priya pritam virajman hai to koi sakhi chanvar mor chhal pan dan rumal liye kar lal rup hit priti peek dani pai dhar sakhiya kuch nritya kar rahi koi sangit baja rahi to koi sakhi chavan kar rahi to koi morchhal koi vyajan pankha kar rahi koi rumal liye khadi hai ki jara bhi paseene ki bund aae to use pooch de ruplal ji maharaj kah rahe hain ki mujhe seva mili hai peek dani ki main peek dani liye samne apne sahachari swaroop mein virajman hoon lal rup hit priti peek dani pai dhar pat bhushan ban mal lal lalna tan sohe bahut hi saubhagyshali sahchariya koi vastr bani hui hai koi abhushan bani hui wahan koi aur vastr abhushan nahi sakhiya bani hui ye saubhagya hai Priya pritam ke shri ang ka sparsh pat abhushan ke rup mein sahchariya prapt karti wahan koi laukik ki swarn chandi aadi abhushan nahi koi aur ratna nahi hai.
ye sab nitya Bhajnandi mahapurushi Priya pritam ki poshak bante hain. Priya pritam ke abhushan bante hain. Pat bhushan vanmal lal lalna tan sohe shish Chandrika mukut latak tribhuvan man mohe pyari ju pyare ju ek dusre ke prem mein aise range hue hain ki pyari ju ke shri ang ki poshak pyare ju ke rang ki aur pyare ju ke shri ang ki poshak pyari ju ke shri ang ke rang ke pyare jo mor mukut dharan kiye hue jhuka hua hai Priyaju ki taraf aur priyaju ki Chandrika mor mukut ka sparsh kar rahi hai tribhuvan man mohan aise yugal sarkar ko sakhiya rijha rahi wo bhav yukt upasak dekh raha hai adbhut amit apaar sakal shringar viraje bhushan bhushit ang ang ang lakh man math laje aise hamare jugal kishor hai unki shri ang ki shobha dekhkar karodon kam lajja yukt ho jaate hain.
hav bhav lawanya sindhu ras kahat nave shesh suresh Mahesh nirantar gungan gawe bhagwan shankar Devraj indra brahma ji aur anant mahimashaali bhagwan shesh ye sab bade-bade hamare prabhu ki prabhuta ka gaan karte rahte hain par par nahi pate. Wahi hamare priyal ka jo hav bhav lawanya prem ras ye vani ki samarth nahi ki iska gaan kiya ja sake. Aise prabhu ki sat bhog ta panch aarti karat aleegan sat bar bhog lagta hai hamare priyal ka aur panch bar aarti hoti hai. Prem punj anurag bhag jhalke tinke tan kaun-kaun se sat bhog hote hain?
priyal ka mangala bhog phir shringar bhog phir raj bhog uttapan bhog phir sandhya bhog aur phir shayan bhog aur phir ek nisheet bhog jo ratri ke 12 baje ka sat bhog lagte hain. Mangal aarti, shringar aarti, rajbhog aarti aur sandhya aarti aur shayan aarti ye panch aarti hoti hai aur do dhoop aarti hoti hai. Do dhoop aarti hoti hai. Shringar ke samay pehle aur uttapan ke samay dhoop ke dwara hi aarti ki jati hai. To aarti panch bhog sat sat bhog ta panch aarti karat aleegan prem punj anurag bhag jhalke tinke tan mano prem ke samuh hai aisi sahchariya prem vapu dharan kiye hue priyal ko sat bar bhog lagati panch bar aarti karti hai aur unke tan ki shobha prem pradan karne wali sachariyo ke tan ki shobha prem pradan karne wali leela vivid vihar nityanay naitik jhalke antarang bahirang dagan jo kholah palak priyal ki nitya naimitik leela paricharyaa aur rasmay van vihar rasmay saiya vihar jal vihar bahut prakaar ki leela sakhiya aplak netron se is ras ka pan karti hain.
paramdhaam yah nitya vastu yahan durlabh jano bhbhagi sukriti jan sant veg pehchano ye paramdhaam Vrindavan hai yah nitya prem Priya pritam ka atyant durlabh vastu hai bhbhagi sukriti jan wahi hai jisko sant sang mil gaya ab durlabh nahi rahega prem par maha sang to durlabh ho agamyon amoghas teen baten devrshi narad ji ne mahapurushon ka sang bada durlabh hai agar mil jae to nirvah karna kathin hai kyonki aham aur manmani aacharan ye hamko unki agyaa mein tikne nahi dete agar nirvah kar le jae unki agyaa ka amoghas durlabh prem vastu prapt ho jae paramdhaam yah nitya vastu ati durlabh jano bhbhagi sukriti jan wahi bhbhagi wahi tapasvi wahi punya atma sant veg pehchano jisko santo ne pehchan mein le liya ye mera jan hai aao aao bahut dino ke baad darshan hua apna jan kahkar jise santo ne pehchan bana li to Priya pritam se pehchan ho gayi chhar sadhak ki deh lakhe akshar onkara tau upar ye dham aksharateet bihara aisa koi na samjhe ki Vrindavan ke rasik jan siddhant ko brahm gyan ko nahi jante
pakka samjhiye iske raste mein brahm bodh ho jaata hai bole kshar jitna hai deh se lekar jahan tak drishti ja rahi hai sab kshar mane vinashi bole akshar jo hai Om Pranav hai akshar avinashi us akshar avinashi ke upar aksharateet nitya vihar ras hai chhar sadhak ki deh lakhe akshar onkara ta upar yah dham aksharateet bihara ye akshar Om se bhi unche hai aksharateet nitya vihar Priya pritam ka yah jo moksh pad bhi atma swaroop ke tej mein leen ho jaate hain jan aur koi nahi. Hamare priyaju ke shri charnon ki nakh kant hai.
us tej ko vedh kar charnon tak pahunchana keval sachariyo ke dwara prapt mantr se hota hai aur nahi wahi tej mein mukt ho jaate hain. Dhruvdas ji kah rahe hain brahm tej ko jyoti jahan Yogeshwar dhare dhyan tahi ko awran tahan nahi pave ko jaan aa u ma Om ye Priyaju ke napuru ki jhankar se nikalta hai isi se brahma Vishnu Mahesh ye pranod in tino ka Janak hai | isi se sab puri srishti prakt hui hai yate agam apaar rasik anubhav mein dekh jeevan mukt swaroop pran pati hit lekh hai rasik jan aksharateet sthiti mein pranwon ke bhi upar aksharateet prem ras dham bole wo jeevan mukt mahapurush apne pran pati ke rup mein yugal sarkar ka anubhav karte hain.
akshar madhya akar aa ye Vishnu hai pragat dikhayo ye bhagwan Vishnu ka swaroop jo hai wah aa se prakt hua pratham upasna kare tate aur na payo sabse pehle upasna inhi ki prarambh hoti hai. Jo pragat jagat mein palan karne wale bhagwan Vishnu narayan hari ke naam se sambodhan kiye gaye. Shiv vidhi sukh sanakaad aadi rishi narad jano acharaj bhay pragat diyo tribhuvan pehchano bhagwan shankar isi pranon se sunka aadi aadi jitne bhi rishi hai bhagwat swaroop hai inhone yahi anubhav kiya hai pratham ek omkar akar tha nij sev koi samjhta ho ye premi jan Vrindavan ke kya jane omkar akaal purush ko nahi satya mein jab chitt judta hai to pura ka pura anubhav hota hai har vedant ka sutra anubhav hota hai bhale wo na bol pave lekin unko anubhav hota hai.
yah marg hi yahi hai. Pratham ek omkar jo param tatv tribhuvan ko prakashit karne wala Pranav jisse nirakaar sthiti prapt ki jati hai. Premi jan usko cross karke age badhte hain. Nitya vihar ras uske upar dwidal kamal rasikanchit bhav do kamal virajman hai. Ek neelakmal aur ek kanchan kamal priyal inheen se avatar jitne avatar hote hain inke mul shri lal jo maharaj inhi ke ansh se sab prakt hote hain. Jo yah vidhi so kare chintwan man tan mahi jeevan mukt swaroop prem parse parchhahi dekho shri ji ki kripa se apne ko pranwon ka bhi chintan karne ka avsar mila.
vedant ka bhi chintan ka tab baad mein jo Radha Radha chilla rahe hain na ye koi ham kai bar kah chuke hain ki keval koi andhvishaas ya kori bhavna se nahi karte. Ye tatv ki baat kah rahe hain. Ye param para vidya hai Radha naam. Piche aaj ke hi din ek sangit bajane aae the. Ismen mangala mein prat kalin mein to aaj unko ana tha unmein se ek padhar gaye kaha gaye narak nahi jaenge maharaj ji kyon usko to koi bhajan se matlab nahi wo to paisa le aaya tha lekin kahan aaya tha Vrindavan bar-bar mukh karke baja raha tha hamari taraf sunai kya de raha tha piche chalta rahta hai Radha Radha age gunj ta rahta hai Radha Radha Radha kafi hai kalyan ke liye kafi hai paisa koi keemat nahi ek Radha naam ki keemat mein pura tribhuvan nahi hai to kuch chand rupaye kya hote hain ho gaya kam isiliye kahte hain bhai bhagwan na jane kaun se gun par dayanidhi ri jaate hain hawa chali hawa jiske lagegi jeevan mukt ho jaega pakka samjh lo hawa chali bas ismen nakaratmak soch na aa jae, dosh darshan ki bhavna na aa jae.
to itni hawa lag jane par hi ye jeevan mukt avastha ko pradan ye Vrindavan hai. Ye Radha naam hai. Ye Radha daso ka utsav hai. Bhav utsav hai. Param mangal. Kaise bhagwan kripa karte jab suna to lagta bhagwan kaise kripa ek hafte mein kam to bole yah vidhi so jo kare chintwan man tan mahi jeevan mukt swaroop prem par se parchhahi desh kal grih ban tirth ko nahi bichara jati pati kul karm dharm bandhan na achara hamare Priya ji ke prem ras upasna mein bas premi rasik mahapurushon ko tan man samarpit kar do tan unki agyaa se karm kare man unki agyaa se sankalp vikalp ka tyag karke unki agyaa se chale to wo jeevan mukt ho jaega bole is kis desh ke ho tum isse matlab nahi kis samay tumhara janm hua kahan janm hua kis yon mein matlab kis kis kul mein kis isse hamara koi matlab nahi.
dekho yahan kabhi nahi pucha jaata tumhara naam kya hai? Tum kahan se? Aaj tak ham nahi jante. Sahi baat agar hamse pucha jae to log hamko jhutha manenge. Sachchi kahte hain in bachchon mein se sab sant jo virajman hai ek do ke to jante hain. Jo pehle hit dham mein shuruaat mein bataya. Baka kisi se apni taraf se ham ye nahi jante ye kahan ke hain aur ye kis kul mein janme hain ye ham nahi jante. Hamare paas rahte hue 10 10 athaa varsh ho gaye. Ham ye nahi jante kyonki ham sirf bhagwat bhav se aap hamari shri ji ke bas kahan se ho kaun ho?
kya naam hai? Kya ye hamen koi matlab kis kul ke ho hamen koi matlab nahi. Hamari priyaju ki sharanagati mein kis desh ke ho? Kis samay janm hua? Kis kul mein janm hua? Tum tirth kiye ho ki nahi kiye? Koi karm dharm kiye ho ki nahi kiye? Koi matlab nahi. Bas jo ho jaise ho shri ji ki sharan mein hue param mangal ho gaya jati pat kul karm dharm sanskrit hetu avidya nashi koi ye jati kiski pat kiski kul kiska kapde ka nahi aapki jati ham to parmeshvar jati ke hain parmeshvar hai hamari jati par brahm paramatma tatv ka ansh hoon to kiska hoon wo kah rahe mamwa shri Krishna chandra jo unhin ka to hoon main parmeshvar ka ansh hoon nahi ye jati kiski hai kapde ki sharir ki isliye iski manyata nahi hamare yahan Vrindavan nitya vihar ras mein jati pat kul karm dharm vat sanskriti hetu avidya nasi ye avidya hai jati pat kul karm dharm ye sab avidya krit hai yahi to samjhna hai isiliye to vedati upasna hai vedan san kevalam av chinn anuragam labhte jo ved ka bhi purn tyag kar deta hai akhand prem ko prapt hota hai.
bole jati pat kul karm dharm bandhan na achara yahan iska koi mahatva nahi hai. Tum kaise achar wale ho? Kis kul wale ho? Kya ek prem ras mat kare sadguru ki seva tab pave ye ras riti sukh sampatti meva. Ismen ek hi baat keval hai ki apne sadguru ka anannya hokar unki agyaa mein chale. Unki seva mein rahe. Ek prem ras mat kare sadguru ki seva. Jo sadguru ki seva mein prem ras mat ho jaega. Yahi samjh mein nahi aata ki shastr kah raha hai yahan hai khajana. Wo bhtak raha hai. Khajane ko thukra ke bhtak raha hai.
yahi ghar ke andar tijori hai. Aur mal dhund raha hai bahar darwaze ke kahin nahi milna bhtak lo kitne tirth kya-kya tumhen jo karna hai kar lo jab tumhen parmanand ki anubhuti hogi to yahan hogi antarmukh hone par sarvatma bahir indriyaan antarmukh ho ja indriyon ko bahirmukh mat kar tab pave yah riti priti sukh sampatti meva ye jo paramanandmay premay priyal ka sukh hai yah tabhi payega jab sadguru guru ki agyaa unki seva mein rahega. Manan mansik kare ren din prem abhanga aise upasak ka man priyal ki mansik seva mein pravesh pa jaata hai abhang prem nit ek dharman sang to rang badhat nit nit saras to nit nit prem abhang yah jo kripa Harivansh ki abhang prem ki sthiti man mein wo mansik seva mein rat rahta hai kya sthiti hoti hai rom rom anurag rang ras rasikan Sanga Priya ji kripa karti apne rasikon ka sang deti rom rom anurag rang se bhara un rasikon ke sang se hriday anand rang menganga jab lagi yah tan rahe tab hi lagi bhav prakash tribhuvan mangal rup trigun parsat nahi ase jab tak sharir rahta hai to bah bahari uski kriyaen hoti rahti hai lekin wah apne bhav de se swamini ke sang hota hai.
ye koi bahari nahi jaan pata aur tan chhute lah bhav rup nij seve dampati nitya dham nij naam sahaj pave sukh sampatti yadi sharir rahte tumhen sahachari bhav nahi prapt ho paya aur priyaju ki sharan mein rahe to sharir chhutne ke baad nischit sahachari deh ki prapti ho jaegi tan chhute lah bhav do prakaar ke yahan upasak batae ek sharir rahte sahachari bhav prapt karke ke sharir ki kriyaen bilkul theek vyavahrik waise hi ho rahi hai jaise ek samyak vivekvan sadhak karta hai aur antarik apne bhav desh se Priya pritam ke samip rahta hai.
yadi aisi sthiti nahi aa pai jeevan mein wo sahachari bhav ko nahi prapt ho paya to tan chhute lah bhav rup nij seve dampati ye pakka hai. Acharya sharan mein hai, guru sharan mein hai to sharir chhutne ke baad sidhe use sahachari deh ki prapti hogi aur Priya pritam ke samip pahunch jaega. Nitya dham nij naam sahaj pave sukh sampatti nitya dham Vrindavan mein sahaj sukh Priya pritam ki seva sukh ko wo prapt kar leta hai ye param tatv siddhant nigmagam ko sar shri rup lal hit guru kripa te lakh likhyo suvichar shri Gurudev ki kripa se ruplal goswami ji kahte hain maine jo nitya bihar Vrindavan ke sahachari bhav ka siddhant anubhav kiya wahi tumhen likh ke bata raha hoon.
ja hi anubhav hoi soi ras ko pave bhule gati mati deh neh jag ke birave jiske hriday mein sahachari bhav ka jagran hota hai wo sadaiv is ras mein sthit rahta hai usko na sharir ki chinta rahti hai na vas ki chinta rahti hai na parivaar ki chinta rahti hai grihasth ho ya virakta ho ek kal masti chhaa jati di aur swayam bhagwan uske bharan poshan ki sab jimmedari yogkshm bhamyam dekho yah chinta nahi honi chahiye ki aaj ham yahan hain hamara bharan poshan ho raha hai kal kya hoga agar kal ki tumhen chinta hai to tum sharanagat nahi ho sharanagat kal ki chinta nahi karta jisne aaj diya hai are jab dant na the tab doodh diyo ab dant diyo tako ann bhi de hai jal mein thal mein nabh mein pashu pakshin ko de to to bhi de hain kahe ko mudh vichar karat matlab vyarth ki chinta kar rahe ho dekho kitna bada kripalu bhagwan maiya ke sharir mein ek bund doodh nahi hota jab balak ka janm hota hai to bhagwan uske rakt ko doodh mein badal dete hain aur utna hi gam utna hi mitha aur utna hi power yukt jitna bachchha sah jae kaise kripalu bhagwan
jab dant nahi the to maa ke sharir se rakt ko doodh mein parivartit karke bharan ab kahe ko chinta karta hai garb mein kaun vyvastha kar raha tha wahi to bharan poshan kar rahe the prabhu log samjh nahi rahe vaishnav hokar bhagwat das hokar kal ki chinta karte ho tumhen kabhi aisa nahi lagta ki swamini ke charnon ka bharosa hi nahi aaya hai hare nark swarg apvarg as nahi tras hai ja ro ta raho man sukhras yah jeevan Priya ji ko diya hai naam rup ka nirantar chintan karte hue priyal jahan jaise rakhe sharanagati ka bahut bada bal hota hai abhi sharanagati nahi isiliye bahut si trutiyaan hriday mein apna sthan banae rahti hai ja hi anubhav hoi soiya ras ko pave bhule gati mati deh neh jag ke basrave sansarik sambandh fike lagne lagte hain ye mrit sharir dikhayee dene lagta hai mara hua hai bas jab tak ye chal raha hai chal raha nahi pehle wo mara hua anubhav mein aa jaata hai rasik upasak sang kare chhin chhin ruchi baadh hai ye bahut kathin rasikon ka sang agar rasik sang mein chhin chhin ruchi badhe to yah dasha aa jaegi.
sunat naam gun rup pulak gadgad tan ka hai. Naam sunte hi rup sunte hi leela charit sunte hi romach hone lage. Mere priyal ki baat ho rahi. Ye rasikon ke sang se prapt hota hai prem. Re man rasikan sang bin ranch upje prem. Is sansaar mein moh ratri agyaan ki aisi phali faili hui ki sab so rahe hain. Sab swapna dekh rahe hain. Meri patni mera putr maine ye bhoga main bhog lunga. Ye maine jama kar liya. Ye jama kar lunga. Ye kar liya wo kar lunga. Ye swapna chal raha hai nisha timir agyaan madhya koi ek jage arabon kharbon sab manushya sharir hai sab so rahe hain moh nisha sab sov nihara dekh swapna anek prakara ye anek prakaar ka swapna dekh koi birla ek jagta hai kya jagta hai yah janm ab bhagwat prapti ke liye ab manmani aacharan nahi karunga ab shastr aur guru ki agyaa ke anusaar chaluga to virah upas vishas pran pati so anurag uske andar virah upasna ka phal kya hai virhag jag jana Priyaju ke milan ki Priyalal ke milan ki pranapti shri jugal sarkar ke milan ki virhag jal jana kaise milenge?
kaise unko dekh paun? Wo dekh pave ya na dekh pave har samay vikal rahta hai. Kaise dekhun? Kab mili hai priy prannath man mohan pyaro ye vedna dekho na. Hriday mein kya tumhare chal raha hai. Ye vedna chalti hai. Kab mili hai priy prannath Manmohan pyaro. Lalit tribhangi rangi pyaro gungan garo kab mujhe lal jo milenge jo lalit tribhangi samasth gunon ke samudra hai bade pyare hain adbhut lawanya hai kab milenge hamari pyari jo kab milenge ye kabhi andar ki baat andar chale to chhin chhin jugal kishor rup anubhav avgahe chah virah upjae kamna man ki dah sari kamnayen bhasm ho gayi rasikon ke sang se ek hi chah rah gayi kaise yugal sarkar mile kaise Priya pritam mile to anubhav mein jo rup batayo shri guru apno kare chintwan tako jag ko jane sapno bilkul satya man lijiye swapnik jagat jagat keval hamare samay ko nasht kar raha hai.
yadi ham guru pradatt naam aur rup mantr ka chintan nahi kar rahe to hamara samay vyarth ja raha hai. Pakka pachhtaoge hath kuch nahi lagega. Jab guru pradatt naam mantr japa jaata hai to guru pradatt isht ka rup jhalakta hai to tat sukh seva riti. Tab vidhi so kije uske hriday mein tat sukh bhav jagta hai. Tat sukh bhav jage bina jeevan ka labh nahi hai. Ye mat sukh mein swas sukh mein to pura vishv bhramn kar raha hai. Wo tirth bhi ja raha hai to sus sukh vasna se satsang bhi aaya to sukh susukh vasna mujhe sukh mile.
tat sukh priyal ko kaise sukh de kaun si baat karun kaun sa karm karun kaun si cheshta karun kaun sa bhav karun jisse mere yugal sarkar muskura de baat tat sukh seva riti tabai vidi kije badhat rahe abhilash nir nainan bhar leeje badi kripa hoti hai jab koi seva ki sauj nahi hain aur seva ka bhav badhta hai tab aansu se seva hoti hai. Jaise madhukri bhi nahi mili nahi milti thi. Jaise Diwali aur tyohar Holi ko to kabhi bhojan milta hi nahi tha. Pakki baat Diwali hai. Dopahar ko jaate the mangne ek do baje ke bhi na hai Baba tyohar hai nahi sabki Diwali jal rahi hoti thi.
hamari kutia andhere mein hoti thi. Sab harshollas manate hote ham bhookh sahte hue naam jap karte the. Deepak jalane ke liye vyvastha yahi Balram kuch mitha kabhi le ave to le. To jab sab harshollas mein hote tab apni shri ji ke paas baith ke mishri ka tukda aise rakh ke aur ek jal rakh ke bhavna karte chappan bhogon mein jo jo yad aata ho bhav phir rona aata Priya mujhe kinchna garib ke paas keval aap hi dhan ho yah vastue to hai nahi ki ham aapko dular kar sake bas bhav hi hamara hai yah rona tab aata hai jab koi apna nahi hota kuch apna nahi bilkul priyal ke siva kuch nahi tab ye shayan mein jo sukh milta tha priyal ko karane mein bihari ji ke samne daliya lagti hai
darshan karke shayan ke samay aise jab to koi do phool gulab ke koi char ray bel ke aise dal dete koi koi ek kamal ka dal dete wo le ate aur unki saiya banate aise aur jab bhavna karte ki priyal senkar kar rahe ham charan chap rahe to aapko kaise batayen chilla chilla ke rone ka man hota anand samudra hai hamare prabhu wo keval bhavatsaven bhajta bhav ka bhukha hoon main aur bhav hi ek sar hai bhav se mujhko bhaje to bhav se beda par hai bhav bin suni pukare main kabhi sunta nahi bhav purit terror hi karti mujhe lachar hai wo bhav tat sukh seva riti tabah vidi kije badat rahe abhilash nir nainan bhar leej kabhi hamne apni priyal ki poshak nahi pahna paye kabhi aise hi virajman aise hi raj ke patr mein jo madhukri mili dikha diya us samay jo bhav aata rudan ka ki apne prabhu ko main kuch bhog nahi laga sakta apne prabhu ka koi shringar nahi kar sakta har chij paise se itr hai, chandan hai, sab paise aur paisa vishay purushan ke sang se aur vishay purushan ko rijhane ki kala alag hoti hai.
apne paas wo nahi hai. Apne paas to priyal ke rijhane ki kala hai to phir wo thesak bani rahti hai. Usmen chatukarita nahi hoti vishay purushan ki. Kab dekho in nain pran pati pyari Sanga lagi rahe chit chah prem pulkit ang anga ye hriday mein sthiti prapt hoti hai kab dekho in nain pranapti pyari Sanga pyari ke saath pyari ke pran pati shri lal kab Priya lal ko dekho us hriday ki kya mahan sthiti hogi jiski sab chah mit gayi ek chah rah gayi kab main barkar netr apne priyal ko dekho netr barkar kab dekhun lagi rahe chit chah prem pulkit anga pulkit angon se har samay ek hi chah apne prabhu ko dekho sva prakash usi samay bas chah ki zaroorat hai ye hamne bade mahapurushon se pucha ki bhagwat prapti kab hoti hai to unhone kaha jab prabal chah jagrit ho jati hai rud susham rajan Krishna darshan lalsa ladli kunj mein Gurudev bhagwan jab virajman to us samay ekant mein pucha to maharaj ji shri ji kab darshan deti hai to kaha jab shri ji ke siva aur koi chah na rah jae aur wo chah bhi sahi na jae ki ab raha nahi ja raha agar shri ji na mili to pran pran nikal jaenge.
bole usi samay shri ji mil jaenge. Usi samay chah je kab dekho nain pranapti pyari Sanga aur aisi virag jali to bole sva prakash shri Vrindavan nij dham viraje sarvopri sab madhya prakt prakt ho gaye yugal sarkar kahan bole sva prakash isi atma swaroop ne Vrindavan ka rup dharan kar liya aur isi ke madhya mein kunj nikunjon mein khelte hue yugal sarkar yahi darshan de diye. Yah hai upasna sva prakash jo swaroop usi se prakash prakt hua. Wahi Vrindavan ban gaya aur usi Vrindavan navni nikunj mein priyal yahi hriday mein purn prem purn aishwarya yah sab tha prakash hai yahi purn prem yahi purn vaibhav hriday mein prakashit ho gaya yah avtari sabko ya nishchal vivid vilas samasth avtaron ke avtari shri Radha vallabh lal hriday nikunj mein prakash it ho gaye rupsheel gunav saman sahachari seve jaise priyaju ki rup kant waise hi pratibimb swaroop sahachari rup waise hi gun waise hi avastha waise hi saman Shri ga madhuri sahachari hokar ke alak ladi ladkan jaan hit so hit bhav wo priyal ke rahasya ko jankar unko sukh pahunchati hai.
isliye bahut kripa se hamen shri dham Vrindavan shri Priya pritam ki upasna mili hai. To chahe jaisi sthiti ho chahe jaisi paristhiti ho bas ek prarthna hai naam na chodna nahi to har jaoge. Naam agar pakde rahe Radha Radha Radha ye kalyug mein Radha naam karuna samudram mein hai. Aap ye samjh lo ye agam nigam purannon mein agochar hai. Ye Vrindavan ki bhumi se prakashit hai. Ye para vidya hai. Bade bhagyashali honge jo is Radha naam ka aashray le lenge. Shareeram shri Vrindavan bhu sada sthaap man agar sharir Vrindavan mein nahi rakh sakte to Vrindavan ki raj to sharir mein laga sakte ho dekh lo agar hamari prarthna aapke kan tak pahunch rahi ho aap sweekar kar le giriraj ji ki parikrama ki raj Vrindavan ki kahin bhi raj lekar usko chal ke ek patr mein rakh lo jaise paudar lagate ho thodi aise raj liya pure sharir mein snaan ke baad laga liya.
dekh lena sharir mein raj lagi hai to tumhen Vrindavan dham nischay prapt hoga. Nischay nischit hamare vachan man lo tumhen Vrindavan ki prapti hogi. Sharir chhutne par tum nitya dham Vrindavan jaoge. Kabhi narki gatiyon ko prapt nahi hogi. Aur agar sharir Vrindavan vas kar raha hai to to bahut hi mangal baat hai. Bas savdhani rakhen. Rahni se rahe. Kyonki age kah rahe shareeram shri Vrindavan bhu sada sthaap man man bhi Vrindavan mein sthaapit karo. Tan to sthaapit kiya bhi. Ek hamse prashn kiye ki main Vrindavan jab aata hoon, Vrindavan do char 10 din rahta hoon to mere man mein dosh darshan hone lagta hai.
bahar rahta hoon to rona aata hai Vrindavan ke liye. Ab main karun to kya karun? Tum kaha bahar raho yahan mat raho aao ek din darshan karo bhag jao yahan se kyonki tumhare andar abhi kshamta nahi bhav bigad jaata hai to yahan rahkar bhav bigadoge to sab bigad jaega bahar rahkar agar Vrindavan ka chintan karke aansu bahte hain to dhanya bhag hai shri Vrindavan ko chintwan yah deep ubari koti janm ke agatmah kaat kare ujiya tayyar kabhi-kabhi aa gaye darshan kar gaye satsang sun gaye aur roz mobile se satsang suna naam jap kiya aur Vrindavan ka chintan karke agar rona aa jae phir kya kahna hai yah uttam hai Vrindavan mein rahkar tum dosh darshan karo ek dusre ke prati ninda aparadh karo to mujhe lagta hai yahan bhav ghate isse accha hai tum dur rahkar apne bhav badao sthaap man Vrindavan mein hi man sthaapit karo ab Vrindavan mein dosh darshan karoge, aparadh karoge, vaishnav droh karoge, theek baat nahi hai.
wo kah raha tha mera bhav bahar se bahut badhiya banta hai. Bhav bhajta agar bhav badhiya banta hai to bhav banao. Jab bhav theek ho jaega to dham aoge to yahan kuch dosh darshan nahi. Ye sab bhagwat ladle hain yahan. Braj mein ye sab Priyalal ke ladle hain. Jo zyada dulare hote hain to thoda to wo baat tum dekho ki ladli ji ke dulare hain. Ye ladle hain. Hamara adhikar in par dosh darshan karne ka nahi. Sada parse Vrindavan rasikyo nas bhajne vachat keli naam navrat gane ramat katha piy saad shravan yuglam priti viklam yadi tum Shrimad chaturashi ji 42 leela Shrimad Radha sudanidhi inka gaan karo bahut mahima hai jismen Priyaju ka yash gaan to lal joos sunkar ke apne aap ko nyochhavar kar dete hain.
yadi leela gayan mein tumhari ruchi ho jae, naam japne mein tumhari ruchi ho jae aur leela satsang sunne mein tumhari ruchi ho jae to shripad kah rahe ab tum nishcint ho jao priti viklam ke liye ab Priyalal ka prem tumhen prapt hoga. Priyal ki nischit prapti ho jaegi. Shri bhagwat rasik ji maharaj kripa karke kah rahe hain ki jibh jugal naam hi jape drag bilok rup udar bhare avat so chhan sthan mrig bhoop bole nischit us virakta maha bhagwat ko bhagwat prapti ho jati hai jo aisi rahne se rahta hai kaise bole jeev se yugal naam jap kar raha hai aur netron se jidhar drishti jati sab mein bhagwat bhav kar raha hai aur pet bharta hai alivatta chhar sthan mrig bhoop kutte ki aur sinh ki vritti ka tyag karke alivatta ali kahte Madhukra Madhukra bhaura udar bhare alivatta so chhar sthan mrig bhoop swan vritti se pet bharna kya hai?
dhaniyon ke piche dolna, chatukarita karna, unke dwara diye gaye dhan ki vilasita bhogna. Ek kutte ki vritti se jeevan yapan karna hai. Aur sinh vritti kya hai? Apni tapasya apna uska dikha ke aur phir nahi alwatta se kaha hai udhar bhare alivatta so alivatta kahte hain Madhukra vritt char gharo mein tukde maang liye usse pet bhara aur ya akash vritt paramhansa ne sadaiv akash vritti sweekar ki sadhako ne sadaiv madhukri vritti kaha lekin jo age age badhe hue Paramhans usko bhi chhod diya. Akash vritt jo swayam bhagwan bhejen bina chahe bina mange jo samne aa gaya usi se udar poshan karna akash vritti hai aur apni tapasya aur apne tyag ko dikhava karke phir jo bhoga gaya wo mano sinh vritt hai aur dhaniyon ke piche chatukarita karke phir jo dhan prapt karke bhoga gaya udhar poshan kiya gaya wo kutte ki vritti kah gayi to swan aur sinh ki vritti ka tyag kar al vritti Madhukra vritti ya akash vritt se jo apna jeevan yapan karte hue sadaiv Priya lal ka naam jap karta hai aur sab mein bhagwat bhav karta hai wo nischit bhagwat prapt ho jaata hai.
upasak ko chahiye jo vaishnav diksha le chuka hai ki byah kanagat karto rajdan grih dan bhagwat jan inko gaye to hoe bhajan ki hani byaas adiyon mein bhojan nahi pana chahiye to aap kahenge to vihaar hi nahi chal payega phir hamare vihaar mein kaun aayega koshish karo jahan tak ho sake kaun tumhen wahan video mein bana khada hai ki tumne paya ki nahi paya. Sab apvitrata ka rajya hota hai. Agar aap vaishnav ho to bhagwat samarpit bhojan paoge. Ek wo system hota hai jismen aise bhar ke sab rakh diye aur sab le le ke pa rahe.
ismen kya pavitra hai? Aap matlab aisa to hai ki ek bar lekar ke phir aap le sakte hain. Koi bhi le sakta hai. Dene wala koi nahi. Apne aap se uthao aur khao. Vah. To sab apvitra ho gaya ki nahi ho gaya? Usi jhuthe hath se aap liye usi jhuthe hath se wo liye use kahan vaishnav siddhant rah gaya? Pehle ganv mein to aise pavaya jaata tha. Sabke pair dhule jaate the. Patti bichhai jati thi. Bithala gaya sundar patte ke wo pattal dhone aur phir raj ke kulhan aadi patron badhiya aur paros karke phir jai jaykar ho.
ganv mein bhi jai jaykara lagta tha aur phir aise aur jo pujya jan hote the unko bhet dekar pair chhwa aise sammaan ab ye juta pahne aur sab apvitra bhojan to isiliye mana kar rahe hain byah ka bhojan nahi lena chahiye virakta ko to bilkul nahi lena chahiye grahasti mein apna dekh lo kam chala lo us din pet dard kar raha hai aisa kah do nahi apna bol de ki bhai aaj hamara pet kharab hai ulti jaisa lag raha hai agar itna bhi paya to ulti ho jaegi agar aap chaho to neembu pani le sakte hain. Aise kam chalana chahiye.
apni vaishnavta pavitra ab unhee mein log madira priy usi se le rahe hain. Usi se aap loge jhutha kaise bhajan banega. Aur dusra kah rahe hain kanagat pitro ka jo paksh aata hai usmen jo bhiksha pitr shradh ka ye nishedh kiya gaya. Ye nahi waise brajvasi jan dete bhi nahi mana kar dete Baba hamare yahan shradh hai aur waise lena bhi nahi chahiye nahi to bhajan ka nash hota hai byah ka bhojan nahi lena chahiye kanagat pitr shradh ka bhojan nahi lena chahiye aur karto wo jo tehi jo sharir chhutne ke baad wo bhandara hota hai wo vaishnav janon ko nahi pana chahiye.
ab apne ghar mein hai to baat alag hai lekin nimantran ka nahi pana chahiye aur virakta ko to pana hi nahi chahiye byah ka nahi pana chahiye pitr shradh ka nahi pana chahiye aur karto kahte hi jo tera wahan sharir pura hone ke baad wo nahi pana chahiye aur kah rahe hain rajdan raja ka bhojan nahi pana chahiye bade raj pado par virajman unka pratigarh nahi lena chahiye. Aur yahan prayah ham prarthna karte hain apne janon se ki kabhi aisa na sweekar kiya jae. Jo sadharan nokri karte hain kisan hai wah 100 50 de de to le le usse namak daal roti khaoge to bhajan badhega aur jo unchi gaddi ke chakkar mein padoge to phir bhav bigad jaega.
bhajan nahi hoga. Raj ann nishedh kiya gaya hai. Raj ann raj pratigarh bahut hanikarak hota hai. Yahan tak ki raj darshan nishedh kiya gaya. Jab mahaprabhu chaitanya dev se kaha gaya ki Jagannath Puri ke param maha bhagwat raja Rudra pratap ji aapke darshan karna chahte to unhone kaha haan yahi karoge na hamara sanyaas dharm nasht karoge. Ab raj darshan ham karen. Yahan tak ki wo rajash se chhup karke aur gopi geet kanthsth karke jab mahaprabhu ko dur se sunaya to kaha kaun maha bhagwat amrit ras barsa raha hai mahaprabhu ne aalingan kiya raj darshan raj ann raj pratigarh ye isliye ki isse buddhi bhrasht ho jati hai bhajan mein ruchi nahi hoti aur age kah rahe grah dan graham ka dan ham ek ham grihasth ko dekha jab unke ladka bachchha bimar hote the to khir halwa aur bhet usko god mein late aur aise samne utarte kahte le Baba ek bar guru ji se pucha ki bhiksha mein
jaise are bole le mat lena usmen nahi kabhi aisa dekho log sant mahatmaon ko kya samjhte hain aise pavaya jaata hai jaise apne putr ko pavao to kis bhav se pawate ho bas putr ne pa liya yahi saubhagya sant ne pa liya sare amangal nasht ho gaye isiliye bahut sambhal ke khanpan karna jaise koi bimar hai utar ke aur aise ya grah nakshatron ka dan bole hoe bhajan ki hani pakka byah ka shradh ka pitr paksh ka ekadash shradh ka tevi ka rajan ka aur graham ka dan bhagwat jan inko gay to hoe bhajan ke han pakka bhajan nas jo grah nakshatron aadi nahi dan punya karte bahut hosh mein ghat bat chaupar churi deval haat mashan bhagwat bas nas saray mein bhajan bhadai nidan itne jagah ka bhojan nahi lena chahiye aisi jagah baith ke bhajan nahi karna chahiye bole ghat mein jahan stri purush snaan kar rahe ho wahan baithkar bhajan nahi karna chahiye bhajan nahi hoga updrav karega netr chanchal honge honge.
jahan stri purush ki bhid lagi ho, log snaan karte ho, aise sthano par upasak ko nahi baithna chahiye. Bhajan ke liye jahan se log rasta banae ho, wahan nahi baithna chahiye. Ghat bat aur chaupar chaurahe par nahi aur deval mandir mein baithkar nahi aur haat bazar mein baithkar ke nahi aur smashan mein baithkar nahi bhagwat rasik saray saray aad mein jahan bahut log baithkar sangoshti karte ho wahan nahi isse bhav dushit ho jaega tumhara bhajan nahi banega ghat bat chaupal churdev keval hat mashan nadi ke kinare jahan bahut log snaan kar rahe ho ghat ke aur raste mein aur chaupal mein chaurahe mein mandir mein bazar mein smashan mein saraya aadi mein baithkar bhajan nahi karna chahiye kyonki bhajan bhav isse dushit ho jaata hai bigad jaata hai to bhajan kahan karen phir nadi kinare gir shikhar bag iko so dekh bhagwat jan bilmo tha baadh bhajan abhishek koi nahi hai.
koi snaan karne nahi aata. Aise ghat se alag sthan par matayen bahne na baithe. Ye virakta santo ki baat kahi matayen bahne samaj ka hi sevan karen. Aisi jagah baithe jahan log aa ja rahe hain. Aisi jagah baithe jahan char log baithe hue hain. Ekant aise sthano mein na ye sutra sweekar karen. Nadi kinare bahut dur ekant mein jahan jansadhaaran log na jaate ho. Giri shikhar pahar ke kisi ekantik choti par baithkar ya kisi ekantik bag mein ya kisi ekant sthan mein jahan logon ka thaharna baithna ana jana nahi hai.
aise sthan par baithkar chitt ko prabhu mein lagae to bhajan vishesh badhta hai. Nadi kinare gir shikhar bag ko so dekh bhagwat jan bilmo tha baadh bhajan abhishek. Shri bhagwat rishik ji maharaj kah rahe hain aisi jagah bhajan badhta hai. Aur sabse zyada bhajan ki vritti aati hai bhagwan ke premi janon ke sang mein baithkar. Ek bar ki gaushala mein bhajan karen to itna aap sangam mein karen. Phir likha tha guru charnon ke samip bhajan karen to anant guna phal milta hai. To guru charnon ki samipita ka kya matlab hai? Apne Gurudev ki paduka.
apne Gurudev ki pad aapne shri sitaram onkarnath ji ko dekha chati mein bandhe the apne guru ji ki paduka yah nirantar guru ka sanidhy guru charan paduka sakshat guru ji jab bharat ji ne kaha ki prabhu ham sab to aae hain aapka abhishek karne ke liye aap jaisi agyaa karen to bhagwan ne kaha bharat jaisa tum kah doge jab sara bhaar bharat ji ke upar dal diya to bharat ji ne kaha je vidhi prabhu prasann man hoi karuna sagar kije soi prabhu jis prakaar aapka man prasann ho wahi kijiye aisa nahi aapka man jis prakaar to bhagwan ne kaha ham to yahi chahte apne pita ki agyaa ka palan karo to bole prabhu jine ka sahara de dijiye to bhagwan ne paduka 14 varsh tak paduka ko simhasaan mein virajman kar purn raj shasan agyaa mangkar karte the aise guru charan chinh guru charan paduka ka sanidhy aur nirantar bhajan to anant guna phal pradan karta hai.
jo upasak apne Gurudev ya bhagwat bhakton ko sabse bada manta hai tribhuvan mein usi ka bhajan siddh hota hai. Yah bhi baat samjh lo. Bhajan na karne wale ke hi hriday mein duniya ka prapanch aata hai. Nahi to guru jab mat partram na kinchit Dhananjay mere siva koi hai hi nahi to guru to sakshat parbrahm hai hi. Ko kahe avni badi bhagwat rishi ji kah rahe koi kahta hai ki sansaar mein sabse badi bhumi hai prithvi sabse badi hai to koi kahta hai nahi prithvi se bada tas donon samudra puni prithvi se badi samudra hai prithvi se bada kyonki prithvi se kai guna badhkar jal hai to samudra bada hai to bole so anjul bhar leo tai sokhyo August muni bole samudra se badhkar August muni kyonki anjuli mein rakh ke samudra ko pi gaye to bole August bhi to akash mein ek tare ki jagah hai nav August ko bas chhip udyot Bhanu ke jab surya prakt hota hai to unka timtimana bhi nahi dikhayee deta akash mein virajman hai August prithvi se bada samudra samudra se bade August ji kyonki anjuli mein pi liya August ji akash mein tare ki tarah chamak rahe lekin jab surya prakt hota hai to August ka tej chhup jaata hai aur vedon mein kahe hue sutra hai ki jo surya hai Bhanu vedon kaha chaksu hai chakrapan ke sudarshan chakradhari bhagwan shri hari ke netr ke prakash se surya prakashit hai.
to bhagwan ke netr surya se badhkar prakashwan hue aur aise bhagwan chakrapan harijan ke hriday kamal keeno nivas bhagwan kahte hain mujhe bhakton ne adhin kar liya hai. Aham bhakt paradheeno asutantra aise bhagwan bhakt ke adhin hai to sabse bade hue bhakt prithvi se bada samudra samudra se bade August ji August ji akash mein aur August ji bhi Bhanu ke tej se mand par jaate hain aur Bhanu ka tej bhi bhagwan ke netr se prakashit bhagwan shri hari bhakton ke adhin hai. Bhakton ke hriday mein rahte hain. Sarvshresht bhakt jo bhakton ko sarvshresht manta hai, guru ko sarvshresht manta hai, uske hriday ke sare dosh nasht ho jaate hain aur nischit bhagwat prapt ho jaata hai.
santo ne kripa karke hamen bhagwat updesh kiye hain jisse hamare sare dosh nasht ho jae. Kah rahe hain ki is sansaar mein kaise jana jae ki aadmi narak jaega. Apne ko kaise jana jae ki ham narak jaenge. Bole vishwas ghatinu ye krit vat lopin daj dev vishte dhara jisne kisi ko vishwas dilaya aur vishvasaghat kar diya usko narak ki prapti hogi. Vishwasghati mahapapi mana jaata hai. Kabhi vishvasaghat na kare. Koi sharan mein aa jae ya kisi ko vachan de de ya kisi ko vishwas de de phir vishvasaghat kare usko narak ki prapti hoti hai.
dusra kritagya tumhare saath upkar kiya. Tumne upkar nahi mana uska amangal kiya narak ki prapti hogi. Tisra aaj se main yah karunga aisa vrat liya aur vrat tod diya beech mein usko narak ki prapti hogi. Ye khilwad nahi hai ki main yah vrat lunga, ye aisa karunga, main aisa dham jaaunga, ye itne logon ko bhojan karaunga. Ye kai log aise hote hain jo badi-badi baten kah dete hain. Unko pata nahi ki yah khilwad nahi hai. Aisa kar dunga, aisa kar dunga, aisa kar dunga aur kiya kuch nahi. Pahunch gaye narak.
vrat ka ullanghhan karne wale, pratigya ka ullanghhan karne wale, niyam ka ullanghhan karne wale narak ko prapt hote hain. Main itni parikrama karunga, main aisa karun, kuch bhi nahi. Koi niyam ko aise mat lo ki main yah karunga. He prabhu ki ichchha hogi. Samay raha jeevan raha to ho jaega. Nahi raha. Ab samay ke mar gaye to yah baat dhyan rakhiye. Age chalkar main sanyaas lunga. Virakta hokar Vrindavan vas kar. Narak jaoge. Agar nahi virakta hue to main itna yahan mandir banva dunga. Nahi banwaya narak jaoge. Vachan sambhal ke bolo.
aaj se main kuch din vrat rehunnga. Bakwas karna band kar de to jeevan unnati mein ho jaata hai. Sham ka bhojan nahi karunga. Ekant bhajan karunga. Nahi bhojan mat karna lekin seva karo bhajan karo. Samjhe nahi? Vani ko aise bikherte chale jaate hain. Vrat ka ullanghhan karne wala narki gati ko prapt hota hai. Santo se dves karne wala, guru se dves karne wala yah narak ko prapt hote hain. Aur dhyan se suno. Jo mata-pita ko dandit karta hai, gali deta hai, apman karta hai, use sidhe narak ki prapti hoti hai.
bilkul pakka samjh lo. Mata-pita bhagwan ka swaroop hai. Matri devo bhav pitr devo bhav he bilkul buddhi kharab mat karo kalyug buddhi bhrasht kar raha hai mane mat pita nahi deva sadhu te karve seva jinke aacharan Bhawani te nishchar samjhan wo Rakshash hai aur aise Rakshash ab putr rup mein zyada paida ho rahe hain. Ek dekha ham ki mata ko bal pakar ke ghasit raha hai. Lat se pet mein prhar kar raha hai. Pita ko thappad aur sidhe chati par lat vah is putr ki jante ho kya gati hogi sidhe ro nark phir wahan jo dand milta hai wahan marna to hai nahi pyare na behosh ho sakte ho na mar sakte hosh mein rahkar dand bhogna hai narak ki ye khasiyat hai 100 bar kate jaoge 100 bar jinda rahoge use yatna deh kahte hain hosh mein ye mat manna ki narak varka nahi hai jaise log kahte are kaun narak sarag bol lo bol lo jab phaaste ho na bole yahi sab milta hai yahi nahi milta hai jab chori karoge to pehle ghar se le
thane tak danda chalega phir thane mein special pitai hogi phir kapdepde sambhal ke tumhare hathkadi laga ke jaj ke samne phir wahan tumhari chori ka nyay hoga yah byaj mein mila hai ye byaj mein ghar se lekar pakdne tak aur thane tak jo pitai hui hai yah byaj hai mul mul to nyayadhish karega ki 20 sal ki saja ya amuk se itna itna dand aise hi kar lo manmani paap yahan jo thokar rog hai ye to byaj hai mul to narak mein bhogna padega jo mata-pita ka tyag kar deta hai use narak ki prapti hoti hai jo mata-pita ko dand deta hai jo mata-pita ko gali deta hai aur jo apni pani grahan ki hui stri ko nirdosh stri ho nana prakaar ke dosharopan karke dand deta rahta hai, kalah machata rahta hai.
aise purush ko narak ki prapti aur jo apne sajjan pati ka tyag kar par purush ka anusaran karti hai. Aisi stri ko narak ki prapti hoti hai. Jo gurujanon ko kathor vachan bolte hain. Jo gurujanon ka adesh ka palan nahi karte. Unka poshan nahi karte. Jo devta brahmin aur nirbalon ka dhan ka aphrn kar lete hain. Aise manushyon ko nark ki prapti hoti hai. Jo madira pan karte hain. Sun lijiye ye madhyata papa dwat karm rata tatha hamara shastr kahta hai bhartvassi ho videshi nahi ho tum. Is bhumi mein janme ho yadi madira piyoge to narak ka rasta pakka kar rahe ho.
bole ismen to koi hinsa nahi lekin shastr nishedh hai ye madhyata papa dwat karmata tatha jo juaa khelte hain madira pite hain aur jo sadhu bhash rakh ke pakhand karte hain inko sidhe narak ki prapti hoti hai yahan jo varnan ho raha hai wo beech mein vishram nahi sidhe narak bina rok tok ke jo mata pita ko dand dete hain jo nirbalon ka dhan aphrn karte hain jo devtaon ka dhan aphrn karte dev mandir ka jo papi madira pita hai juaa khelta hai jo pakhand karta hai sadhu bhash mein in sabko narak ki prapti hoti hai aisa thodi ki tum sadhu bhash rakh liye to tum chakravarti ho jo chaho so kar sako nahi dekho agar sadhu bhash dhar kar galti ho jae to bhagwan kshma karte chuk lekin pakhand ka matlab janbujh ke wahi karte rahna.
mahapat ki atipat ki in sabko aur jo dusre jeev jantuon ko paka ke khate hain. Jo jeevan ko paka ke ye bharat hai. Bharat dharmatmaon ka desh hai. Mahatmaon ka desh hai. Yati aur satiyon ka desh hai. Yahan ek kabutar ke liye apne sharir ko kaat ke taraaju par rakh diya. Ye wo rajaon ka desh hai. Wo praja ka desh hai jo sharngat ke liye jeevan arpit kar de. Yahan jo jeev jantuon ko paka ke khate hain ae bhaiya sun lo ye jo mans machhli anda khane wale bole aur to kuch ham nahi khate. Machhri khate hain to machhli mein jeev nahi bole nahi ye pani ki taroi hai haan haan hamse bole ek taroi jo hoti hai wo jamin mein chhailti hai ye pani ki taroi hai machhli pani ki taroi hai wo banoge tum bhi pani ki taroi tayyar ho jao phir tumko sidhe mirchi ki tarah tal ke kadhai mein jinda phir khaenge wo kal swaroop bhagwan hai arjun ko dikhaya ki dekho Bhishma Dronacharya laungi lai ki tarah fanse hamari dadhon mein hosh mein raho shastr agyaa hai jo dusre jeev jantuon ko mar ke ubal ke bole ham to nahi aise par kharid ke late hain waise hi bhog milega dand milega aur suno jo satkarma ka sankalp karke satkarma nahi karte satkarma ka sankalp leke satkarma ka ye karunga ye dunga ye aisa kabhi mat bolo juban se kar do kar diya jaban se bol liya aur kiya nahi to narak jaoge.
jo dusron ko sadaiv kasht hi deta rahta hai. Jo shastr aur dharm ke virudh chalta hai. Shastr ke anusaar chalne walon ka uphash karta hai. Jo dusre ki jeevika chhin leta hai. Jo dves vash mahmmahim gurujanon ki ninda mein pravatt hota hai. Ve sab narak jaate hain. Jo data dan de raha hai aur wah jakar usko bhadka ke rok dete hain narak jaenge. Data bhi aur bhadkane wala bhi. Jo paap karm ke liye prerna deta hai. Jo anath unko pida pahunchata hai. In bhutla par aise logon ko nark ki prapti hoti hai.
aur yah paap unko ghor dukh mein narko mein dhakelte hain. Brahanyam punyaj lobh mohita kukarmaji tev nirya gamina nirgamina narak gami dhyan se sunna jo unche kulon mein janm lekar ke nimn aacharan karte hain na sandhya hai na bandhan hai na argh dena hai bas manmani papacharan sidhe narak khilwad nahi hai. Tabhi kalyug ne brahma ji se kaha tha chinta mat karo. Jaise bade bhaiya ne Satayug ne kaha hamare rajya mein koi narak nahi jaega. Phir chhote bhaiya treta ji ne kaha ki hamare rajya mein bhi jaise bade bhaiya ka rajya waise hi rahega.
Dvapar ne kaha agyaa palan ki koshish karenge. To kalyug ne kaha brahma ji se vachan dete hain bhul chuk se koi swarg ya param pad chala jae le sidhe narak bhejenge hausphul narak hausphul rahega dekh lo na yahi lakshan hai jo lakshan hai unko dekho prya jo lobh se mohit hokar param pavitra kulon mein janm kar hokar ke apne kul dharm ka tyag karke papacharan karte hain o ko narak ki prapti hoti hai jo bhagwan ko galiyan dete hain nastik hai inko narak ki prapti hoti hai. Jo dharm ki mariyada ko bhang karte hain unko narak ki prapti hoti hai.
jo kami purush dusre ki striyon ke saath ya kami dusre purushan ke saath unko narak ki prapti hoti hai. Dhyan de de bharat hai. Dharm vidhan hai. Ab aap kah do ki nahi kanun nahi ye kan ye bhagvatik kanun hai. Bhagwan ka banaya hua hai. Tumhen bhogna padega. Hosh mein satsang sunane ke liye yah bade-bade shastron se maharshiyon se isiliye chayan karte hain ki tumhare aur hamare hosh theek rahe yah bharat hai ye dharm bhumi hai yahan manmani aacharan nahi ki pativanchak parapti rati kar goswami tulsidas ji rau narak kalp sat par aise purush ke liye bhi hai jo damb karta hai jo kisi ko dan dene ki baat kah ke palat jaata hai use narak ki prapti hoti hai.
jo dusron ki chugali karta hai jo abhiman mein bhar karke dainya purushan ko satata hai aise log hote hain. Jo jhooth bolta hai baat batbat pe unko narak ki prapti hoti hai. Jo apni baat kah ke sidhe palat jaata hai. Jo dusron ka dhan hadap leta hai. Jo dusron ko nishkalank hone par bhi kalank lagata hai. Aise logon ko narak ki prapti hoti hai. Jo parae sukh aur sampatti ko dekhkar jalte hain. Jo praniyon ke pran lene mein bade sukh ka anubhav karte hain. Talchha talchha kar marte hain. Bahut nirdayi log hain.
bahut nirdayi log. Ye jlate hain pashu ko. Aise pair bandh diye. Upar aise sariya dal ke usmen pairo mein aur niche aag laga di dhire-dhire ghanton mein tadap ab muhn bandha hai awaz nahi nikal tadap tadap kar wo mar rahe hain aur wo char 10 baithe hansi majak kar rahe karo karo majak karo yamdoot aise hi bandhenge bilkul aise hi aur wahan yahan ek din tum aisa paap karoge wahan saikadon varsh uska bhogna padega jaise 15 20 minute paap kar lo katl kar lechar vichar kar lo pure jeevan jail mein rahna padega. Phansi bhi ho sakti hai.
aise hi yahan ek pashu ko tumne jalaya anand liya. Wahan ho sakta hai ki ek kalp tak tumko jalaya jae. Jaise yahan ek 15 minute ka aparadh aajeevan karavass hosh mein yah nahi manna ki yah narak swarg sab vyarth hai. Jo log parai stri ko fusla ke fansa ke durachaar karte hain mar dete hain. Jo log kuan bagichi pokhra paushala in sthano ko apvitra karte hain. Vichar ke dwara malmutr tyag ke man lo pani hai pani mein malmutr karna pani mein vibhchar karna pani o ko sidhe narak milta hai sidhe narak pokhre mein kue mein bagiche mein jo apvitra aacharan karte hain unko narak ki prapti hoti hai jo dev sthano mein di gayi jamin sampatti ko hadap lete hain jo bachchon ko cura lete hain shishu bachchon ko churakar bechna ya jo atithi ko bhojan diye bina swayam bhojan kar lete hain.
aise logon ko narak ki prapti hoti hai. Jo sanyaas ka sankalp lekar phir sanyaas ashram ko kalankit karte hain. Jo mitra bhav karke daga de dete hain. Aise jitne purush batae gaye ye sab ke sab narkgami hote hain. Isliye ham shri bhagwan ka aashray lekar naam jap karte hue sudhar karen. Hamko narak na jana pare. Isi janm mein hamari bhagwat prapti ho jae. Nischit ho jaegi naam jap se aur yah sankalp lo ab lo nasani ab na na sahi ho to bhagwan kripa karke maaf kar denge. Aam to sarv papbhy mokshya mascha shri Radha vallabh lal ki
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- ananyata se hi hoga sab kuch prapt ! // 26/09/26 — ham log bhagwan ke sharanagat jan hai. Priya lal ke sharanagat jan hai. Lekin sharanagati ka rahasya na janne ke karan bahut varsho tak ya janm pura vyatit hone tak hamara jo bhagvatik anand hai wo spurit…
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…
- aisa kuch kama lo jo mrityu ke baad bhi saath jaega / Gokul mein Nandlala ka janm // 21/09/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvai param shital mashryam param shital mashryam krishnay Vasudevay Devki nandnay cha nand gop kumaray…