॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

sache santon ko ham kaise pahchane ? Bhagwan aur bhakt mein kya bhed hai ? // 27/05/2025

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

shri Vrindavan dham ki jai. Vrindavanneshvari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhu te smarta mugram nirvai param shital mashryam param shital mashyam ham kaise jane ki ham sant ka sang karte hain. Sant sang ho raha hai hamara ham kaise jane jinke darshan se jinke paas rahne se jinki vani sunne se jinki baat manne se sansaar phika lagne lage aur bhagwan mein ruchi ho jae use sant kahte hain. Jinka darshan karne se jinke sambhshan se jinki baat manne se hamara sansaar ka rag kam hone lage aur bhagwan mein ruchi badhne lage.

hamara bhagwat bhav badhne lage. Daivi sampada badhne lage. Wahi sant hai. Yah pehchan hai. Uske sant se sansaar ka jo rag hai sant sang se nischit kam hoga aur bhagwan ka bhajan badhega tab phir purn rup se sansaar ka rag nasht ho jaega. Vastvik mahatma kaisa hota hai? Koi aisa nahi kah sakta ki mahatma aisa hota hai. Par itna jarur ham kah sakte hain ki jisse kabhi kisi ka akalyan na ho. Karaj ki hani na ho. Yahi sanhat kar ho pahchani sadhu te hoe naj hani. Jisse kabhi karya ki hani nahi ho sakti. Jo kabhi paramarth virodhi nahi ho sakta.

jiske milne se nischit kalyan hai wah mahatma hai. Jo trigunnatt vikaro se pare hai wah mahatma hai. Jo dwandatit hai wah mahatma hai. Jo charachar jagat mein apne bhagwan ko dekhta hai wah mahatma hai. Jo nitya atma mein sthit hai wah mahatma hai. Jiske darshan sparsh sambhshan se amrit pad ki prapti ho jae wo mahatma hai. Agar ham sant mahapurushon ki pehchan karna chahe to kin lakshan se pahchane? Koi pehchan nahi. Bahari bahut se aise aacharan santo ke hote hain jinse aap ye manna bhi nahi chaenge ki ye sant hain aur bahut uchh koti ke sant hain.

aise santo ke bahari lakshan dekhen jinse aap pehchan nahi sakte. Hamari buddhi ka mapdand prakriti janny hai. Hamari buddhi prakritik hai. Wah trigunnatt aprakrit mahapurushon ki pehchan kaise kar sakti hai? Jaise kabar ke tolne wale se sona chandi nahi tola jaata. Uska alag taraaju hota hai. Aise kabadi buddhi mahatmaon ko kaise tol sakti hai ki kaun mahapurush hai, kaun kupurush hai? Par itna jarur ham kahte hain ki sache mahapurush ka yadi anjane mein bhi sang ho jae to nischit use bhagwat prapti hogi.

devrshi narad ji ne kaha maha sangst durlabh ho mahapurushon ka sang durlabh hai par agamyon unka nirvah kar pana kathin hai. Agar nirvah kar le gaye to amoghas nischit bhagwat prapti ho jaegi. Bhagwan ke sadhan rajya mein do hi aise hain jo bina bhav ke aapka param kalyan kar denge. Ek to bhagwan naam maharaj aur dusre sant maharaj. Tumhara bhav bane na bane unki baat man lo. Unke ghere mein bane raho. Do hi aise hain jo bina bhav ke bhi tumhen param pad de denge. Ek to naam maharaj bhagwan ka naam aur dusra sant maharaj.

sant kripa karen to ghor papi ko bhi mahatma bana de aur bana diya. Bahut se aise prasang hain sache sant mil jae jo bhagwan mein raman karte hain. To jaise loha ka bhav ho ya na ho paras mani chu jae to sona ban hi jaega. Aise hamare bhav ho ya na ho sant mil jae to hamare andar ke durgunom ka nash ho hi jaega aur ham swarn ki bhanti chamakne lagenge. Sadgun sampann ho jaenge. To sache sant kaise mile? Kya karen jisse hamen sache sant mile aur unse hamara kalyan ho. To dekho sache santo ki jamat nahi hoti.

bhid sache santo ki jamat nahi hoti. Tathapi aapki prabal shraddha aur utkantha ho ki mujhe sache sant mile to bhagwan aap par kripa karen. Pehle phir aapko sache sant milenge. Jab dravah din dayalu raghav to sadhu sangati paie. Santo ka sang aise nahi hai. Jab aapki prabal shraddha aur chah hui ya prabal punya pal ekatrit hua to bhagwan ki kripa hui aur phir tumhen sadhu samagam mila. Sache sant bhagwan ki kripa se milte hain. Sant milan ki teevr akanksha karo. Bhagwan se pukaro. Ki aap sache sant ka hamen sang de do.

sant milan ke liye bhagwan se prarthna karo, aradhna karo. Jab bhagwat kripa ho jaegi ya tumhen wahan pahuncha diya jaega ya wo sant tumhare paas swayam aa jaenge aur tumhara param kalyan ho jaega. Sant milan ka matlab hai param kalyan ho jana. Ab nischit bhagwat prapti ho jaegi kyonki ab bhav bharosh hanumanta bin hari kripa mile nahi santa jo prabhu moh anugrah keenha to tum darsh dina ab nischit bhagwat prapti honi hai kyonki sant samagam mil gaya sache mahatma ka darshan sparsh shravan unke samip kuch kshan mein nivas karna baithna unka ekant mein smaran karna amoghas nischit bhagwat prapti kara dega.

sant darshan sant sambhshan sant sahwas sant smaran ekant mein nischit bhagwat prapti kara dega. Na pahchanane par bhi keval darshan ke phal swaroop se manushya ke sare paap nasht ho jaate hain. Sant daras jim patak tarai aap jante nahi sache mahapurush lekin dekh liya to unke dekhne matra se aapke paap nasht ho jaenge. Agyaan ka nash ho jaega aur bhagwat prapti ka raah jo bhagwat prapti ka marg hai wah pusht hone lagega anjane mein aur kahin jankar shraddha purvak tab to kya kahna hai to aap bataiye kya sant darshan ka phal hai paap nasht ho jana sant darshan ka phal hai sant ban jana sahi mane mein sant darshan ka phal hai sant ban jana.

bahar se bhale sant na bane lekin andar se wah sant ban jaata hai. Anjane mein yadi kisi ko sant samagam mil jae to sant ke prabhav se uske paap nasht ho jaenge. Avgun nasht ho jaenge aur unmein santo ke gun prakashit ho jaenge. Santo ke gun prakashit ho jaenge. Sant ke andar jo bhagvatik praman hote hain wah darshan karne wale sparsh karne wale sambhshan karne wale jo sant se batchit kar le to uske bhajan ka us din ka chhatha hissa use mil jaata hai batchit karne wale ko ye hamne siddh mahapurush se suna hai ki agar sant tumse batchit kar le to us din ka ek din ka bhajan ka chhatha hissa tumhen prapt ho jaega to sant ke andar jo bhagvatik praman hote hain.

wah kam karte hain. Wo samne wale ko dekha, batchit ki, sparsh kiya ya paas baitha ya prasad kuch usse uske andar ke paramanu badal jaate hain. Aur wo age chalkar sant hi ban jaega. Bhash bhale na rakhe. Uski sthiti sadhutamay hogi. Uska swabhav santam mein hoga. Log kahte hain ki santo ki charan dhul sir par lagao. Yah kya hai? Iska kya mahatum hai? Sant ki charan dhul sir chadne ki to baat rahi dur. Yadi unke charnon ka chintan kar lo to tumhara kalyan ho jaega. Phir unke charnon ke sparsh ki hui yadi dhul mathe par chadh gayi to tumhara praarabdh badal jaega.

bhagya badal jaega. Antahkaran shuddh ho jaega aur nischit tum bhagwat prapti ke adhikari ban jaoge. Yadi sant charan dhul sir par dharan karoge. Raghug ko yahi updesh kiya jad bharat ji ne ki na tapasya se na veda adhyan se na yagno se na surya chandra ki upasna se na grihasth dharm ke palan se ye jo main updesh kar raha hoon ye keval mahapurushon ki charan dhul se jagrit hota hai rah gan tapsa naya naj nirapna gad na chhandsa na jala surya bina mahapad rajobhishekam sant charan dhali antahkaran ko shuddh karke bhagwat sakshatkar kara deti hai aur phir shri ji ki charan dhali jo raj shiv sanakaad ki achat so raj shish chadao isiliye kahte hain Vrindavan ki raj mathe par lagao pure sharir par abhishek karo lauto is raj mein tumhare bhagya badal jaenge.

tumhara mangal ho jaega. Santo ki vani ki badi mahima hai. Iska kya prabhav hai? Sant vani sidha parivartan karti hai. Sidha suna aur parivartan hone laga. Dekha baad mein mile baad mein. Varsho pehle galat adte chhut gayi. Gandi baten chhut gayi. Aap mein achchhi baten aa gayi. Baad mein sant se mile. Vani ka sidha sparsh hriday mein aur parivartan. Yah sant vani ka prabhav hai. Jo jitna pahuncha hua utni jor ki vani kam karegi. Sunte hi hamara hriday parivartit ho jaega. Agar kahin ham unko dekh sake samne baithkar updesh sun sake aur uska manan kar sake to kahna hi kya hai lekin keval agar hamne sun bhi liya hai to uska phal hoga durgunom ka nash aur sadgunan ka prakash sant vani amog hai aaj tak kisi ka bhi kalyan hua hai to sant vani se hua hai mati kirti gati bhuti bhalai jab je jatan jahan je pai so jano satsang prabhav lokhu ved na ano pau agar kisi ki mati gati kirti sab vishuddh hui hai to sant vani se hui hai satsang kya hai jin bhogon se hamara antahkaran malin hua.

dusht vichar hamare hriday mein ate the. Usse hamara antahkaran malin hua. Satsang ki pehchan hai ki tumhara malin karne wala antahkaran ke jo bhog hain aur jo dusht vichar hai unka nash ho jae to aapka satsang hua. Mane to batsang hai. Satsang nahi hua wo batsang hai. Wah keval baten hain. Jis vani ke shravan se antahkaran malin karne wale jo vishay bhog hain, gande bhog hain unka tyag ho jae. Dusht vicharon ka tyag ho jae to jano satsang hua hai. Agar yah nahi to phir satsang nahi hua. Vishay aur bhagwan ek taraf bhagwan ek taraf vishay maya ka prabhav bhagwan ka vismaran vishay ka smaran satsang ka prabhav vishyon ka vismaran aur bhagwan ka smaran hamara prabhu ke saath sat sambandh usi mein sthit ho jana satsang hai.

main bhagwan ka bhagwan mere satsang ka phal kya hai? Antahkaran ko bigadne wale bhogon ka tyag. Dusht vicharon ka tyag aur bhagwan se apnapan ho jana. Main bhagwan ka bhagwan mere. Satsang ka swaroop kya hai? Iske do swaroop hain. Ek jo antahkaran ki shudhi mein karan bankar moksh ki prapti mein sadhan rup hota hai. Yah updesh se hota hai. Ek satsang hua updesh. Updesh de diya. Ab usko apne aacharan mein utaro aur utar kar bhagwat prapti karo. Aur ek hota hai sant sang. Wah hua satsang updesh ka. Ab ek hota hai sant sang.

jaise bachchha maa ke paas rahta hai. Usko updesh se matlab nahi hai. Wah keval maa ko dekhta hai. Maa ke pavaye pata hai. Maa ke sulae sota hai. Maa ke jagae jagta hai. Maa ki tarah kisi sant ke bhrose aashray mein jo pal rahe hain. Inko kisi sadhan paksh ko lekar ke moksh padvi nahi hai. Ye sang ke prabhav se wahan pahunch jaenge. Do prakaar ka satsang ek vani ke dwara updesh dekar ke antahkaran ko shuddh bankar moksh padvi pradan karna aur ek samipita atho pahar wo sant ki agyaa mein unke samip unke bachchhe ki tarah unko sadhna se koi matlab nahi unko jo agyaa hui bas wahi kar rahe unke samip hai ye sadhan paksh ke nahi sharanagat paksh ke hain.

ye swabhavic bhagwat prapti ho jaegi. Jaise pita ki sampatti par putr ka adhikar aise swabhavic ho jaata hai. Dusre ki vishesh mahima hai. Inme pehle ki apeksha dusre ki vishesh mahima hai. Updesh sunkar uske anusaar chalkar moksh padvi prapt karna aur apne ko sarvto bhaven kisi sant ke hath bech dena adhin ho jana. To kah rahe pehle ki apeksha dusra vishesh hai. Kisi sant ke adhin ho ja. Yah bahut badi baat hai. Satsang agar na mile to kya karen? Bade saubhagyshali hai jinko satsang milta hai.

sut dara dhan lakshmi papiyon ke ghar hoe. Sant samagam hari katha tulsi durlabh yah sadharan baat nahi jo baithkar ke aap bhagwat charcha sunte hain. Ye bade aho bhagwan ki badi kripa ki roz hamen bhagwat charcha kathan shravan ka saubhagya milta hai. Yadi satsang na mile to kya karen? Bada sambhav samasya aa gayi. Ab bhagwan naam ke bina jeevan adhura hai. Bhajan hi hai. Aur bhajan ho sang bin. Bhajan bina nahi prem. Bhajan bina prem nahi aur sadhu sang ke bina bhajan nahi. To granthon ka aashray le. Dusra upay hai jaise ham bhagwat padh rahe hain.

to vyas dev ji, Sukhdev ji inka sang kar rahe hain. Ham gita ji padh rahe hain to bhagwan ka sang kar rahe hain. Ham koi vani padh rahe hain sant ki to un sant ka sang kar rahe hain. Granthon ka sahara le. Waise to pragat baat hai lekin jinko pragat mein sant sang na mile to phir granthon ka sahara le. Khub dhyan purvak granthon ko padhen. Uske anusaar chale. Agar koi granth ke updesh se ya sant ke updesh se naam ka hi jap karne lage aur naam ka hi dhyan karne lage. Phir age chalkar usko kisi ki zaroorat nahi.

wah naam hi usko sahi rasta batata jaega. Naam hi uske galat aacharan mitata jaega aur naam hi bhagwat prapti kara dega. Naam mein ruchi hone tak zaruri hai shastr aur sant jiski naam mein ruchi ka matlab hota hai ab ji nahi sakta bina naam ke. Ab uske liye koi zaroorat nahi. Koi mile ya na mile kyonki jo sant sang ka phal hai wo use mil gaya. Sab sadhan kar yah phal sundar prabhu pad pankaj priti nirantar nirantar bhagwan mein sthiti hai chintan ke dwara to ab wo khud mahapurush ho gaya hai. Ab use kisi margdarshak ki avshyakta nahi kyonki naam bhagwan virajman hai uske hriday mein.

kushang kya hai? Jis vyakti ke sang se naam chhut jae, bure aacharan achhche lagne lage, bure acharno mein pravriti hone lage. Bhagwan ka bhajan chhut jae. Wo vyakti, wo vatavran, wo paristhiti, wo vastu, wo vichar in sabko tyag de. Jis vyakti vatavran paristhiti vastu vichar ke sang se bhagwan ka chintan chhut jae burai achchhi lagne lage usi ka naam kusang hai jake sang kumti mati upjey karat bhajan mein bhang tajo re man hari vimukhan ko sang do baten bataai kumti mati upjey bure bhav aur bhajan ka bhang ho jana jo abhang bhajan chahiye nirantar wo ruk jana.

bhajan chhut gaya aur gande vichar aa gaye kisi vastu ke khane se ya kisi vatavran se ya kisi vyakti se ya kisi paristhiti se wah sab kusang hai. Wo vyakti, vastu, paristhiti, vichar wo sab kusang hai jiske sang se bhajan chhut jae aur bhog achhche lagne lage. Bhagwan ki or se chitt vritti hate jiske sang se bhog vishyon mein ruchi badhe jiske sang se wo kusang hai yahi pehchan hai kusang ki pehchan hai bhogon mein ruchi badhe bhagwan se chitt vritti hate kusang ho gaya chahe wo vastu ka ho chahe vyakti ka ho chahe padaarth ka ho chahe paristhiti ka ho bahut savdhaan rahna hamen wah khana nahi, wahan jana nahi, wah dekhna nahi, usse bolna nahi, usse sambandh nahi rakhna jisse bhajan chhut jae.

jake priy na Ram vaideh taj tah koti baireesham jya param snehi chahe wo hamara kitna priy rishtedar kyon na ho to kusang ka prabhav kya hai manushya ko unnati ke marg se patan ke marg mein pahuncha dena sang ke anusaar man banta hai aur man se aacharan hote hain. To jab kusang hota hai to man ganda ho jaata hai. Phir man gande vichar prakt karta hai. Phir gande aacharan bante hain aur durgati ho jati hai. Kusang ka sidha phal hai durgati. Isliye manushya ko kabhi nich ka sang nahi karna chahiye. Nich mane patan marg wale jo patit gandi baten karen prapanch ki baten karen bhog ki baten karen bhagwan se vimurkh hone ki baat karen wo chahe koi bhi ho dur se hi uska sang tyag kar dena chahiye sadhu aur asadhu mein antar kya hai?

bahut bada antar hai. Asadhu ke sang se moh badhega aur sadhu ke sang se gyan badhega. Asadhu ke sang se bhog buddhi badhegi aur sadhu ke sang se yog buddhi badhegi. Bhagwan mein yog mahatmaon ka samagam bhagwan se milata hai. Aur jo asadhu hai, duratma hai, yah narak phuanchte hain. Kyonki narak ke teen dwaar hain. Kam, krodh aur lobh. Kama, krodha tatha lobha tasma de, trayam taje bhagwan ne kaha teen narak ke dwaar hai. Agar inme se kam, krodh, lobh koi ek bhi hai to hamen narak pahuncha dega. To waise to hamare andar hai hi.

agar kusang ho gaya to aur badh jaega. Triwidh narkasdam dwaram nashan matmana kam krodha tatha lobha tasma dete taje ye atma ka nash karne wale teen bhav hain. Kam krodh lobh aur ye nich purushan ke sang se dusang se inki vridhi hoti hai aur yah kriyatmak hote hain aur hamen narkgami hona parta hai. Satsang ki jeevan mein kitni avshyakta hai. Jaise jine ke liye swas ki avshyakta hai. Aise hamare jeevan ke liye satsang ki avshyakta hai. Satsang nahi mila. Do minute mein aisi vritti hui. Ganda kam kiya.

aajeevan jail. Aajeevan jail. Bas do minute sambhalna tha buddhi ko nahi sambhal paye aur aisa krit ho gaya aise aacharan ho gaye ki thu thu aur sansaar mein chale gaye aisa kyon hua? Kyonki satsang se rahit buddhi hai. Jeevan mein jaise jine ke liye hamen swas ki zaroorat hai. Aise hi hamen satsang ki zaroorat hai. Satsang ki bina satsang ke manushya pashu hai, Rakshash hai. Jo man mein aaya so kar raha hai. Jiske jeevan mein satsang nahi hai uska jeevan adhura jeevan hai. Jaise ham swas ke bina jivit nahi rah sakte. Aise ham satsang ke bina param pavitra jeevan nahi dharan kar sakte.

chahe wo jitni avastha ho jae hamari durvasan satsang se hi nasht hoti hai. Santo ka milna ya unke paas jana ye praarabdh bhagya ki baat hai ya kripa ki? Hamare bhagya bade the to hamen sant mile ya bhagwan ki kripa ho gayi. Sansaar mein ana jana milna bicharna yah sab praarabdh ke anusaar hota hai. Bhagya ke anusaar lekin bhagwan ke premi santo ka milan keval bhagwan ki kripa se hota hai. Bhagya se nahi hota. Binu hari kripa mile nahi santa keval bhagwan ki kripa se hota hai. Bhagwan jise apnana chahte hain use sant samagam dete hain.

matlab bhagwan ne hamen sweekar kar liya. Hamen satsang milta hai. Yah praman hai. Bhagwan jise apnana chahte hain, use kripa karke sant samagam dete hain. Aur jise bhatkana chahte hain, use kusang de dete hain. Bada durbhagya jinko sant sang nahi mila kusang mein bhtak rahe. Aise lakho log hain jo sant sang se sudhar gaye. Sudhar rahe hain aur sudhrenge aur aise lakho log hain jo kusang se nasht ho gaye. Kusang sarvatha tyajya sant sang bhagwan ki kripa se kabhi-kabhi vesh dhari se bhi kusang ho jaata hai. Agar wo sacha sant na hua to bahut gadbad ho jaata hai.

hamen lagta hai sant hai to jab ham dekhte hain to kam krodh lobh ke gulam vesh sant ka aur man mariyada sab bhang ho jati hai. Jab bhagwan dravit hote hain, bhagwan kripa karte hain, tab sache sant ka sang prapt hota hai. Jab bhakt bhagwan ko prapt ho jaata hai to bhagwan ke saman ho jaata hai phir jo bhagwan kar sakte hain wo kyon bhakt kyon nahi kar sakta? Bada sukshm vishay hai ki tasmit taj bheda bhav bhagwan aur bhakt mein abhed sthiti wo bhagwan ka swaroop ho jaata hai brahm brahm bhavat phir wo bhagwan ke saman hai wo jal mein dube to dubega nahi bhagwan ko jal thodi duba sakta hai agni jala nahi sakti vayu sukha nahi sakta kuch bhi kuch wo bhagwan hai jab wo bhagwan ban gaya to aisa ho jana chahiye.

aisa kyon nahi? Bhakt aur bhagwan mein bhav se abhed hota hai. Kalevar se nahi. Bada sundar vishay bataya ki agar tum bhagwan ke saman ho to aisa kar do. Wo bhav dekho tarang aur samudra do nahi hai. Samudra mein vayu vikar hua to tarangayman ho gaya. Do na hote hue bhi samudra se anant trange utpann ho sakti hai. Lekin tarang se samudra nahi. Samudra aur tarang ek hi hai. Vayu vikar hata to aap tarang nahi kah sakte. Wo samudra hi hai to brahm brahm bhavti jo brahm ko jaan gaya wo brahm ho jaata janat tumhen tumhen ho jae par wo aise ho jaata hai ki tarang samudra mein lahar aandit ho rahi hai wahi samudra hi tarang hai par samudra aisi anant trange prakt kar sakta hai par tarang samudra nahi prakt kar sakti itna antar bana rahega siddh purush ho gaya hai.

sakshat bhagwan ho gaya hai. Par wo utpattim cha vinasham cha ye utpatti aur vinash ki leela uske hath mein nahi hai. Bhut naam gati agtim bhauton ki gati aur agti vidyam sashtar vidya aur avidya ye keval bhagwan ke hath mein hai. Dusre ke hath mein nahi utpatti vinash gati durgati bhav aur abhav kubhav ye unhin ke dwara bhagwan ka swaroop bhakt ho gaya lekin kalevar se nahi bhav se samarth se nahi bhav se aise anant bhakt bhagwan ki bhav trange hain lekin jo bhagwan hai wo adwiti hai. Bhagwan to bhagwan hi hai.

aisa dusra koi nahi kar sakta jaisa bhagwan kar sakte hain. Bhagwan aur bhakt bhav mein abhed hai lekin samarth mein nahi sharir mein nahi kriya mein nahi. Siddh bhakt hai. Giriraj ji utha lega. Pakka siddh bhakt hai. Bhagwan ka nij janm bhagwan ko prapt ho gaya to giriraj ji thodi utha lega. Giriraj ji ki dandvati karega. Giriraj ji ki parikrama karega. Giriraj ji nahi utha sakta. Wah to shri Krishna hi uthaenge. To kahte bhakt bhagwan mein tanmay hokar shri krishnamay ho gaya hai. To bhav mein ho gaya.

sharir se nahi kyon giriraj ji utha lega. Aaj tak koi sant aisa hua bhagwan ya bhagwan ke avatar. Ab jaise pulast ji hain. Yah bhagwan ke avatar hain. Koi sadhak hain kya ki sadhna karke August ji hain. Samudra pi gaye. Ye bhagwan hi August bane hue hain. Jaise sanak, sanandan, sanatan, Sanat, kumar, Kashyap, mareech Aditi ye sab bhagwat swaroop bhagwan ne apne aap ko vistar kiya. Wo samarth panch liter pani turant pi ke nahi pcha sakte. Samudra pcha gaye bhai. To August bhagwan hai wo. Ham log bhagwan ki trange hain.

maya vikar nasht hone par bhagwat swaroop hi hai. Par samarth nahi hai. Aisi bhagwan ki jaisi samarth waisi samarth. Isiliye charachar jagat ke rishi muni mahatma sab sir jhukae bhagwat swaroop hokar bhi bhagwan ki jai bolte hain. Bhakt aur bhagwan mein abhed hota hai par bhakt ka kalevar aur bhagwan ke kalevar mein antar hota hai. Bhagwan ki chidanandmay deh aur bhakt ki panch bhautik deh. Bhakt ki bhasha aur bhagwan ki bhasha mein antar hoga. Bhakti ki bhasha aur bhagwan ki bhasha mein antar hoga. Bhakt ke sharir aur bhagwan ke sharir mein antar hoga.

aur bhakt ke karya kshetra aur bhagwan ke karya kshetra mein antar hoga. Bhakt ka karya kshetra jitna simit hai lekin bhagwan ka karya kshetra asim anant brahmand ek rom kup mein karod karod brahmand aise lage hue jaise gular ke phal mein gular ke ped mein jaise phal lage hote hain chhote chhote chhote aise dikhlava mate tin adbhut rup prachnd rom rom prati lage koti koti brahmand bhagwan ki chalo din khatm ho jae ratri ho jae hai koi aisa nahi hai bhagwan ke vidhan ko taal sake aisa koi nahi bhagwan ka avatar hota hai aur sant ka janm hota hai janm karm bandhan se hota hai wo bhajan karke karm bandhan mukt hokar bhagwat swaroop mein leen ho gaya lekin wo bhagwan nahi ban gaya samarth se sharir se karya kshetra se bhagwan adwiti hai.

jab unse kaha ki aap jaisa putr chahe to bole mere jaisa to sirf main hoon. Isiliye koi kitna bhi bada siddh mahapurush ho wo yah nahi kahta main bhagwan hoon. Bhagwan ka das. Bhagwan ki anant mahima. Ek hisse mein anant bramhandon ke sab sant virajman hai. Wo itne mahan hai. Unki mahanta ko koi chu nahi sakta. Haan samudra ki tarang samudra mein lay ho gayi to samudra hai usko khojne par tarang rup mein itne samarth nahi jab sharir chhuta bhagwan mein lay ho gaya jivit lay hone par bhi uska sharir uska karya kshetra uska bhav uski shakti bhagwan jaisi nahi ho gayi dekho na bade-bade mahapurushon ke jeevan charitra ko padh ke dekho jab Tukaram ji sakshat saath bhagwan mein leen rahte the.

to ek nastik tha wo satsang mein kisi astik ki prerna se gaya to lut gaya. Tukaram ji ka rup dekh ke unka kirtan unka. Ab jab sant sang hoga to phir kam aadi ki cheshaon par shasan ho jaata hai. To patni se baat na karen. Patni ko laga ki Baba ji se milne ka karan aisa hai. Mahino se ham jal rahe hain. Hamse baat nahi kar raha to ham jalaenge Baba ji ko. To unhone kaha aapka to udhar ho gaya. Hamara kya hoga? Bole tum bhi maharaj ji se diksha le lo. Bole diksha to tab le jab ghar lao.

bole prarthna karenge. Prarthna kiya Tukaram ji se. Unke charit mein likha hoga. Wo raji ho gaye. Usne subah se pani chadha diya. Bade tap mein khaulana shuru kiya. Aur jab wo aa gaye tab kapde se pakar ke pura panch sat liter ka jo bhagona hoga khaulta hua pani unke upar. Haan vitthal haan vitthal bahut tap unhone maharashtra bhasha mein bahut tap hai. Main chal raha hoon. Vitthal apaar klesh ho raha hai. Mujhe is klesh se bachao. Aise shabdon ka sharir aur bhagwan jab brajvasi aur braj ki gauen davanl mein fansi akash tak lapte uth rahi thi.

aisi davanl pukara he Krishna raksha karo. To bhagwan ne janu kya kiya? Muhn mein pi liya. Bhagwat mein padh ke dekh lo. Aapko apne akarshan kiya aur pure mukh mein virajman kar liya. Yah samarth kisi brahm rishi mein ya kisi bhakt mein kisi mahatma mein kalevar alag hai. Samarth bhagwan ki samarth ke saman sirf bhagwan hai. Jaise kaha jaata hai tatvam tum hi wahi brahm ho. To tum wah nahi kar sakte jo bhagwan kar sakte hain. Tum bhagwan ka chintan karke bhagwan mein lay hokar brahm swaroop ho sakte ho. Brahm mein brahm swaroop leen ho gaye.

lekin tum kar nahi sakte ho jo brahm kar sakta hai. Ye bahut rahasya ki baat hai. Bhagwan ka bhajan karke bhagwan mein leen ho sakte ho. Lekin tum bhagwan ban ke manmani bhagwan nahi kar jo kar gaye wo tum nahi kar. Phir giriraj ji uthana padega. Phir Kaliya ka vish pina padega unki mahima ko to isiliye yahan bahut karya kshetra bhakt ka bhakt ka hi rahega bhagwan ka karya kshetra nahi ho sakta utpattim cha vinasham cha bhut naam gati gati ved vidyam kharo bhagti ye bhagwan ke hath mein hai vidya avidya gati agti aur srishti aur pralya yah koi nahi kar sakta to ham kisi vyakti ko bhagwan mankar pujte hain to kya ulchit hai?

bahut pavitra bhav kyonki bhagwan sarvatra hai. Agar kisi vyakti ko aap bhagwat sthan mein bhav karke pujte hain ki bhagwan hai andar virajman. To badhiya bhav hai. Lekin haad mans ka sharir bhagwan nahi hai. Bas dhyan rakhna kyonki phir kuch galtiya shuru ho jaegi. Jo haad mans ka ganda sharir hai. Ismen bhavna ki ja sakti hai ki ismen bhagwan virajman. Lekin ye sakshat bhagwan hai nahi ye marega sharir ye jalenga sharir unmein bhagwan virajman hai. Sacchidanand bhagwan sabke hriday mein virajman hai. Aap bhav kar sakte hain.

lekin agar wah apne ko bhagwan manta hai. Badi bhul karta hai. Bhagwan jo shaktiman hai unki barabri koi kar hi nahi sakta. Wah dum bhi hoga wah pakhandi hoga jo apne ko bhagwan kah ke pujwae raha hai. Aap bhagwan man karke puj sakte ho. Aapka bhav hai. Lekin jisko puj rahe ho wo bhagwan kabhi nahi ho sakta. Apne ko nahi man sakta. Wo bhagwan ka das hi manega. Kyonki bhagwan jaise sirf bhagwan hai. Dusra koi nahi. Ham bhav karke it patthar mein bhi bhagwan ki puja kar sakte hain. Bhav karke pashu pakshi mein bhi kar sakte hain.

lekin wo sakshat bhagwan nahi hai. Wo kutte ka sharir hai aur uske andar jo power hai, bijli hai wo bhagwan hai. To bahari shariron se sambandh na rakhen. Ye har manas ke sharir nasht hone wale hain. Jo bahari shariron se sambandh rakhta hai pakhandi hai. Wah dum nahi hai. Tatv bhagwan hai. Aur bhagwan jaise sirf bhagwan hai. Dusra koi bhagwan jaisa ho hi nahi sakta. Ek pandak Vasudev ki katha aati hai ki apne ko dwarikadish jaisa pura sajae rahta tha aur syahi ai pot ke lakdi ke sudarshan chakra sab aise pura ye use Vasudev ki gati prapt hui wo bhagwan ke swarup moksh ko prapt hua lekin bhagwan ne prakt mein to dand diya na tu bhagwan nahi main bhagwan hoon le sudarshan chakra bhagwan ne sudarshan chakra chakra se yahan ye baat kah rahe hain ki aap kahin bhi bhagwat bhav kar sakte hain kyonki bhagwan sarvatra hai.

lekin koi apne ko bhagwan man ke puja ki main bhagwan hoon. Main to sirf bhagwan bhagwan hai. Dusra koi bhagwan nahi ho sakta. Itni samarth kisi mein nahi hai jo bhagwan mein hai. Anant samarth bhagwan mein virajman. Samarth aur bhagwan ki leela ka anuran karne ki samarth haan kuch leela hain jinko gakar anuran karke ham bhav mein tanmay hote hain. Ye jo log gandi pravriti ke hain wo bhagwan ki aad mein apni vasnaon ki purti karte nahi. Raas raas ka matlab kya hai? Ras swaroop brahm mein vilshan.

ras swaroop paramatma mein sthiti wahan jo vilas ho raha hai bahu prasar parabh karal kor wo brahm sparsh ho raha hai yahan kam sparsh hota hai brahm sparsh ho raha parikshit ji ko ek mahan tyagi mahatma suna rahe hain shri Sukhdev ji aur ye kah rahe hain ki jaise chhota sa balak apne pratibimb ke saath khelta hai. Aise atma swaroop bhagwan jo gopiyon ki atma unke patiyon ki atma hai wo apne aap se apne aap mein khel rahe hain. Apne aap se apne aap mein kahan khel jitni gopi utne shri Krishna aur jo shri Krishna ka swaroop hai wo keval shri Krishna ka hi hai.

jo divya vigrah wo kisi ka nahi hai. Sab pradyumn samba aadi bhagwan se prakt hue the lekin sab kate aur yahi sharir chhoda aur bhagwan divya viman par baithkar ke sade gaye ki nahi gaye 88 karod Yaduwanshi yahi sab kate jab bhagwat mein tha pradyumn ne sa ko samya ne pradyumn ko kaat diya wahi sharir pura ye sab bhagwat swaroop hai shri krishnamay lekin shri Krishna ke divya tanu aur inke tanu mein antar hai. Shri Krishna se hi prakt hue. Shri Krishna jaise to sirf shri Krishna hai. Prabhu jaise to sirf prabhu hai.

isliye man vachan karm se sant sang ke dwara ham keval bhagwan ka aashray le aur khub bhagwan ka naam jap karen. Bhagwan jaise sirf bhagwan dusra koi nahi ho sakta. Shri Radha vallabh lal ki jai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi